Tu zindaa h..Story name : the last apology : a tale of friendship and regrets
Writer : Agasthya
Review :- story theme badhiya hai ...yup hostel ke shuruwati din kuchh waise hi sabke gujarte hai....achanak se hi akela ho jate ladake....lekin iss vyastha me sudhar ki koi gunjaish nhi hai.... hostel jate hue jitna rote hai ladaka , aate hue usse bhi jyada rote hai...
School me friends aise hi bante hai , kisi se ladai karke , kisi se kabhi help lekar etc etc...
Drink and drive iss pure world ki sabse badi samasya hai...iss bare me sakhat kanun ka na hona sabse bada samasya bhi hai....ab kuchh kuchh aise AI based technology aayi hai Jo aapke drink and drive par kargar sabit ho rhi hai...kuchh apps hai jo accident hone par najdiki hospital or police station tak massage bhej deti hai , taki samya rahte bacha ja sake... Iss story ke end ko thoda sa badhiya likha ja sakta tha , jaise ki shuruwat shandar likhi gayi thi... .and regrets walo bhavana aapko nhi hona chahiye kyoki drink and drive ka faisla aapke dost ka tha , na ki tum usko force fully pilaye ho ....story over all badhiya hai...

Mujhe laga covid me nikal gya hoga..dikha nahi tabse..baaki good to know..

Baaki ye wala point sabki life me aata h..kabhi kabhar ghar se dur rah ke bhi ghar walo ke liye kamaane jaana padta h..ya padhai kr liye apna gaav chodhna padta h..
Baaki life is not fair for everyone..
Aur kuch cheezo pe kisi ka bas nahi chalta..hona wahi hota h..jo likha hota h..
Baaki thanks for the review men..
