• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Shayari नामी क़वाली और गजल के उस्ताद, शायरी, नए और पुराने (हिन्दी, उर्दू, अंग्रेजी और फारसी)

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,498
14,257
214

by Qawwal king of era- Ustad Nusrat fateh ali khaan ji.
 

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,498
14,257
214


Aaj ki baat phir ni hogi
Yeh mulaqat phir ni hogi
Aisay badal tu phir b ayen ge
Aisi barsaat phir ni hogi

Raat un ko b yun huwa mehsoos
Jese ye raat phir ni hogi
Ek nazar mor k dekhne wale
Kya ye khairaat phir ni hogi

Mai ne masoom baharo me tumhe dekha hai
Mai ne pur noor sitaro me tumhe dekha hai
Mere mehboob teri parda nashini ki qasam
Mai ne ashko ki qataroo me tumhe dekha hai

Hum buto ko jo pyaar kerte hain
Naqal e parwrdigar kerte hain
Itni qasmain na khao ghabra ker
Jao hum aetbar kerte hain

Ab bhi aa jao kuch ni bigra
Ab bhi hum intezar kerte hain
Saaz-e-hasti baja raha ho mai
Chashm e masti mana raha ho me

Kya ada he nisar hone ki
Un se pehlo bacha raha ho me
Kitni pukhta he meri nadani
Tujh ko tujh se chupa raha ho

Dil dobota ho chashm-e-saqi ma
Main ko main ma mila raha ho me
Na hum samjhe na tum aye kahin se
Pasina puchye apni jabeen se

Hai kahan ka irada tumhara sanam
Kis k dil ko adaao se behlao ge
Sach batao k is chandni raat me
Kis se wada kya ha kahan jao ge


Dekho acha ni he tumhara chalan
Ye jawani k din or ye shukhiyan
Yun na aaya karo baal khule howay
Warna dunya me bad naam ho jao ge

Aaj jao na bechain ker k mujhe
Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he
Zulf rukh se hata k baat karo
Raat ko din bana k baat karo

Mae kaday k chiragh madham hain
Zara ankhain utha k baat karo
Phool kuch chahye huzoor humain
Tum zara muskara k baat karo
Ye bhi andaz-e-guftugo he koi
Jab karo dil dukha k baat karo

Aaj jao na bechain ker k mujhe
Jaan-e-jaan dil dukhana buri baat he
Hum tarapte rahe ge yahan raat bhar
Tum tu aram ki neen so jao ge

Paas aao tu tum ko lgayen galay
Muskurate ho q door se dekh ker
Yun hi guzre agar ye jawani k din
Hum b puchtayen ge tum b puchtao ge

Be wafa be murawwat he unki nazar
Yeh badal jain ge zindagi dhoond ker
Husn walo se dil ko lgaya agar ae fana
Dekho be mout mar jao ge.!!
 

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,498
14,257
214


Rnjish hi sahi dil hi dukhaane ke lie a
A fir se mujhe chhod ke jaane ke lie a

Kis kis ko bataaenge judaai ka sabab ham
Tu mujhase khafa hai to zamaane ke lie a

Ab tak dil-e-khushafaham ko hai tujh se ummiden
Ye akhiri shammen bhi bujhaane ke lie a

Ek umr se hun lajjat-e-girya se bhi maharum
Ai raahat-e-jaan mujhako rulaane ke lie a

Kuchh to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhako manaane ke lie a

Maana ke mohabbat ka chhupaana hai mohabbat
Chupake se kisi roz jataane ke lie a

Jaise tumhen ate hain n ane ke bahaane
Aise hi kisi roz n jaane ke lie aa


Pahale se maraasim na sahi fir bhi kabhi to
Rasm-o-rahe duniya hi nibhaane ke lie aa
 

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,498
14,257
214

Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai
Mohbbat Mouj Hai, Saahil Nahi Hai

Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale
Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai


Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale


Na Thamte Hein Naale
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa

Na Rukte Hain Aansoo

Koi Un Say Ja Ke Zara Itna Keh Day
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa


Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale
Aaa


Qasid Payyam E Khat Ko Daina Bohot Na Tool
Bus Mukhtasir Yeh Kehna K Ub
Na Rukte Hain Aansoo Na Thamte Hein Naale......
 

Batman

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,498
14,257
214
मेरे गले में तुम्हारी गुदाज़ बाहें हैं
तुम्हारे होठों पे मेरे लबों के साये हैं
मुझे यकीं है कि हम अब कभी न बिछड़ेंगे
तुम्हें गुमान है कि हम मिलके भी पराये हैं।

तुम्हारे घर में क़यामत का शोर बर्पा है
महाज़े-जंग से हरकारा तार लाया है
कि जिसका ज़िक्र तुम्हें ज़िन्दगी से प्यारा था
वह भाई 'नर्ग़ा-ए-दुश्मन' में काम आया है


मैं शहर जाके हर इक दर में झाँक आया हूँ
किसी जगह मेरी मेहनत का मोल मिल न सका
सितमगरों के सियासी क़मारखाने में
अलम-नसीब फ़िरासत का मोल मिल न सका

हर एक गाम पे बदनामियों का जमघट है
हर एक मोड़ पे रुसवाइयों के मेले हैं
न दोस्ती, न तकल्लुफ, न दिलबरी, न ख़ुलूस
किसी का कोई नहीं आज सब अकेले हैं

वह रहगुज़र जो मेरे दिल की तरह सूनी है
न जाने तुमको कहाँ ले के जाने वाली है
तुम्हें खरीद रहे हैं ज़मीर के कातिल
उफ़क पे खूने-तमन्नाए-दिल की लाली है

तुम आज ह्ज़ारों मील यहाँ से दूर कहीं तनहाई में
या बज़्मे-तरब आराई में
मेरे सपने बुनती होगी बैठी आग़ोश पराई में।

और मैं सीने में ग़म लेकर दिन-रात मशक्कत करता हूँ,
जीने की खातिर मरता हूँ,
अपने फ़न को रुसवा करके अग़ियार का दामन भरता हूँ।


मजबूर हूँ मैं, मजबूर हो तुम, मजबूर यह दुनिया सारी है,
तन का दुख मन पर भारी है,
इस दौरे में जीने की कीमत या दारो-रसन या ख्वारी है।

- साहिर लुधियानवी
 
Top