Nice update..!!update -3
dadi ke jane ke bad rajnish to kheer khane me lag gaya par mai apne khayalo me yahi sochta hua chhat pe chala gaya ki,
ab mai apne uss maa baap ke aankho ke samne kaise utne din rah paunga jiske liye mai kab ka mar chuka hu,
mai apne uss bahan ke samne kaise kaise khud ko samhal paunga jiske man me mere liye sibay nafrat ke kuchh nahi hai.
mai yahi sb bate sochte apni pichhli zindagi ke bare me yad karne laga ki kaise jab wo bachha tha to sab kaise uss pe apna zaan nyochhabar karte the.
........... par mom dad ke shadi ke 20me salgirah me jo ghatna ghati uske bad se hi maa aur dad ne mere se bat karna band kar diya .
(uss ghatna ke bare me aage main flashbak me bataya jayega )
(abhi ke lye chhota flashback )
aur to aur meri pyari bahan nehu bhi mjhse bat karna band kar di , wo mujhe jis hath se rakhi bandha karti thi ussi hath us din mere galo pe thappad marti rahi thi.
mai ro ro kar sabko bolta raha tha ki mai begunah hu fir bhi koi meri bat manne ko taiyar nahi the.
uss samay mai ghar pe hi rahta tha,
par uss din ke bad se ghar ke sare members mujhse kisi kaidi ki tarah behave karne lage the, yaha tak ki meri nehu bhi roj mujhe 10 bate suna diya karti thi .aur mai bas apne room me rota rahta tha.
papa bhi jab unka mood kharab ho aur mai unke samne agya hu to mujhe peet dete the aur mai bas rota rahta tha.
ek din mai cycle se school se ghar aarha tha aur mere ghar pahonchtne se pahle hi meri cycle ki break tut gayi ,
fir bhi mai dhire dhire cycle ghar ki taraf badhaye rakha , jab mai ghar ke gate ke pass pahocha thik ussi samay badi ma (chitra devi) ke sath ricky ( chhota bhai) gate se bahar nikal raha tha ,
mai to normal se bhi kam speed me tha par break na hone ke karan aur badi ma achanak samne ajane ke karan cycle unn dono me takra gayi .
badi ma- hay daiya mar dala iss mahussh ne , ohh maaa..... manhush kahike tu ab mujhe aur mere bete ko marna chahte ho ruk tujhe mai abhi batati hu ...
itna bolte hi badi ma paas rakhi rule ki stick se mujhe pitne lagi.
mai chillata raha ki maine janbujhkar apko takkar nahi mari break fail hone karan ye sab hua hai par unhone meri bato ko mano haba me uda di aur mujhe jor jor se pitne lagi .
mere chillane aur badi ma ki galiyo ki awaj andar ghar tak ja rahi thi .
sabhi ghar wale bhi bahar aagye . aur meri kharab kismat ki papa bhi ghar me hi the .
papa - kya hua bhabhi ..... iss neech ne aapke saath bhi galat harkat to nahi ki hai.....
badi ma- kya batau devar ji .... ohh maaaa........abhi tak dard de raha hai .....
apke iss neech aulad ne aaj mujhe aur mere ricky ko cycle se jor se takkar mar di .
aur jab mai usse dantne lagi to mere sath bhi badtamizi karne laga ye neech manhush.
papa- kya iss haramjade ne aaj aap ko cycle se dhakka diya aur badtamizi bhi ki .....aaj mai iss neech ko zaan se mar daluna.
mai- (rote huye) maine janbujh kar nhi kiya papa ... wo cycle ki brek tut gyi thi aur achanak badi ma ke aane ke karan chhoti si takkar ho gayi .
mujhe maaf kr do papa..... mujhe mat maro .....meri galti nahi hai........
papa badi ma se stick lekar mujhe marne aa hi rahe the ki dadi aur dada ji waha aakar papa ke hath pakad liye ......
dada ji - ye kya kar rahe ho sunil .... bacha hai ye abhi ...... ho gayi na galti isse aur ye apni galti bhi man raha hai na........
dadi ji - aur nahi to kya mai bhi dekh rahi hu kuchh dino se mere lalla ke sath tum lo kuchh jyada hi jyadtiya kar rahe ho.aur mujhe apne sine se laga leti hai.
dada ji - dekho sunil agar tumhe kishan se koi dikkat hai to koi bat nahi aaj se wo mere sath rahega mere kamre me. aur agar koi bhi bina wajah mere kishan badtamizi kiye to uske liye mujhse bura koi nahi hoga'
dada ji ki bat sunne ke bad papa ne dada se bola ki ..
papa- thik hai pita ji isse se koi bhi badtamizi nahi karega ab par ye bhi ab mere pariwar wale ke samne nahi aayega kabhi bhi.......
dada- ye pariwar jitna tumhara hai utna hi kishan ka bhi hai sunil ye tum bhulo mat....
par mai bhi yahi chahta hu ki kishan ab tum sab se dur hi rahe to uske liye achha hai.....issliye mai usse bahar padhne bhej dunga ......
papa - par mai uske liye apne jebh se ek paisa bhi nahi dene wala pita ji......
mai iss neech insaan ke liye apni kamayi barwad nahi karna chahta....
dada- (garajte huye) bete sunil ye sambhu partap singh ke kadho me abhi bahut takat hai.....kishan ko mai bhi tum sab se behtar siksha aur sanskar de sakta hu....
uske bad dada aur dadi mujhe lekar apne room me aagaye........ mai avi tak ro hi raha tha aur dadi mujhe chup kara rahi thi......
khair uss waqt to mai dadi ke god me sar rakh kar so gya lekin uss din ke bad se ghar me koi mujhe tane nahi marta... koi mujhe galiya ahi deta tha........ sab bas apne se hi matlab rakhte the aur mai bhi jitna ho sake utna kam unlogo ke samne jata tha....
udhar dada bhi merre liye bhopal me rahne khane pine ki byawastha kar rahe the......
.................................................................................................................................................... aaj ke liye bas itna hi
Kishan ke sath uske gharwalo ne bahot bura kiya hai..lekin kisan ko ab unko kabhi maaf nahi karna chahiye..khaskar uski behen, maa aur baap ko..!!