- 5,518
- 12,491
- 174
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Wooow wooow wooow......what an update yaar.... soo emotional....ye seen kisi movie tak ko recommend kiya ja skata h.... matlab totally woow seen.....Update 57 :The past is very painful.
Flashback: 49 years ago.
#Story of Divya and her sister: part 1.
Abhi tak aapne Jana ki Rashmika aur Kajal dono bahne Arjun ko apni maa Diviya ki story sunane wali hain.
.....................................
Kajal: Arjun kya tum taiyar ho meri maa Divya ki story janne ke liye?
Arjun: yes my queen I am ready to know the story.
Kajal: ye baat aaj se 49 years pahle ki baat hai jab meri maa Divya apne maa ki garbh me thi.
Aur jald hi wo din bhi aa gaya jab meri maa ka janam hone wala tha is dhara par.
Kajal: Us time aaj ke jitni suvidha nahi thi ki bacche ka janam hospitalme doctor ke dekh rekh me ho sake.
Aise me ghar par hi meri nani ko labour pain hona start ho gaya tha.
Kajal: Ek dai maa ko bulaya gaya nani aur bacche ki dekhbhal ke liye jaisa ki pahle se hota aaya tha delivery ke samay.
Rashmika: Jaise jaise delivery ka time aa raha tha dhire dhire lagatar nani ka dard badhta hi ja raha tha.
Aur wo time bhi aa gaya jab nani ka dard sahna bahut hi kathin ho gaya.
Rashmika: aur kya tumhe pata hai Arjun ki ek bacche ko janam dete time ek maa ko jo peeda hoti hai wo ek purush kabhi nahi sah sakta.
Utni peeda jab ek mard ko hoti hai to 95 percent se jyada mard apni jaan kho dete hain only 5 percent us dard ko bardasht kar survive(jinda rahna) kar pate hain.
**Kajal: Aur jab maa ka janam hua to meri nani is duniya ko labour pain ke karan is duniya ko chhod kar chali gayi hamesha hamesha ke liye nani maa maa ka chehra bhi nahi dekh payi jiske liye wo itna dard sah rahi thi.
Ek chhoti si nanhi phul jisne abhi abhi janam liya aur apni maa ko kho di.
*Aur teeno Arjun, Kajal aur Rashmika ke ankho me ansu the us manjar ko kalpana karke.
Jab teeno shant huye to Kajal ne aage kaha.
***Kajal: kya tumhe pata hai Arjun aaj bhi India me 223 mothers(maa) ki death ho jati hai labour pain se har 100000(ek lakh) bachhe ko janm dene par.
**Yani ki 223 bachhe India me aaj bhi bina maa ke hote hain ve apni maa ka chehra bhi nahi dekh pate hain aur unke sar se maa ka hath chhut jata hai.
To socho jara us time kya halat rahi hogi jab aaj ke jitni modern facilities nahi hua karti thi.
Kitne hi bachhe janm lete hi maa ke anchal se mahrum ho jate honge jara us dard ko feel karo Arjun tab tumhe meri maa aur meri maa ki family ki wo dard bhari dastan samajh aayegi.
Arjun: sach me nani maa ne bahut dukh saha hai Chachi main Nani ki dard ko mahsus kar pa raha hoon.
Rashmika: kitni pareshani unhe jhelni padti hogi iska andaja lagana bhi mushkil hai.
Arjun: aap bilkul sahi kah rahi hain mausi ye ek serious issue hai aaj bhi India me hume is problem par sochne ki jarurat hai.
Rashmika phir se aage boli.
Rashmika: Meri maa ne to apni maa ka dudh pina to dur ki baat hai Arjun uska chehra bhi nahi dekha ek photo bhi nahi hai nani maa ki.
Aise me mere nana ke ek chhote bhai the jinki ek beti 3 din pahle hi paida huyi thi usne hi meri maa ko apna dudh pilaya.
Rashmika : Lekin sayad kismat ko itna hi raas nahi aaya aur nana ji ki ek mahine baad hi akasmaat nani ke gam me death ho gayi.
*Aur ek baar phir se teeno ke ankho se jhar jhar ansu bahte chale ja rahe the us drishya ko soch kar ankho se ansu rukne ka naam hi nahi le raha tha teeno ke eyesse.
Kuchh der baad jab teeno ne apne apko sambhala to.
Rashmika: Meri maa jo abhi duniya me nayi nayi aayi thi ek anath ho gayi uske sar se maa aur pita dono ka saya chhut gaya ek abodh si bachhi is duniya me akela ho gayi aur ek anath ho gayi.
Na maa ne apne maa ka face aur na hi apne pita ka chehra dekh paya.
Ek mahine ke andar hi us chhoti si bachhi ke sar se pita ka bhi saaya chhut gaya, ek baar bhi apne maa ko na maa kah saki aur na hi apne pita ko pita kah kar pukar payi.
* Lekin kahte hain na God utna bhi nirdayi nahi hai Arjun jitna hum unhe samajh lete hain kabhi kabhi.
Aise me pita ke chhote bhai aur uski patni ne use sambhala apna dudh pilaya aur uska achhe se palan poshan kiya.
Lekin ye itna bhi easy nahi tha Arjun kyonki meri maa ke chacha chachi ek simple se parivaar se the koi bahut bade rich family se nahi the ki maa ka palan poshan achhe se kar sake bahut hi dukh se unhe bhi gujarna pada maa ka palan poshan karne ke liye.
Unhe apni beti ke sath sath meri maa Divya ka bhi palan poshan karna tha jo unke liye bilkul bhi easy nahi tha.
Aise me meri maa ke chacha chachi ne aur bachha na paida karne ka decision liya.
Kajal: Jara socho Arjun meri maa ke chacha chachi ke bare me kitna bada decision unhone liya tha meri maa Divya ke khatir.
Jahan sabhi mata pita chahte hain ki unke ghar ek ladka paida ho jo unke khandan ko aage le jaye, lekin maa ke chacha aur Chachi ne apne dono betiyon ko hi apna warish maan liya, socho kitna bada heartraha hoga un dono ka.
Arjun: aap bilkul sahi kah rahi hain chachi aise insan is dhara par bahut hi kam dekhne ko milte hain jinka heartitna bada ho un dono ko salam hai mera chachi aur mausi.
***Samay gujra:
***Kajal: Dono bahne badi ho rahi thi , hamesha dono ek dusre ke sath hi rahti, ek sath khati aur ek sath hi soti jaise ve dono do na hokar ek ho dono bahne ek dusre ko complete karti thi.
***Dono bahne ek dusre ki jaan thi hamesha apne se pahle apni apni bahan ke bare me sochti aisi thi meri maa ki bahan.
Unke is tarah ke pyar ko dekh kar maa ke chacha chachi ko kabhi ye feel hi nahi hua ki ye dono chacheri(cousins) bahne hain, unhe sada yahi lagta ki maa bhi uski apni hi sagi beti hai aur unki apni hi aulad hai.
Dono bahne badi ho rahi thi aur jab dono 12 years ki huyi tab unke ghar me pahli baar tv aaya.
Dono bahno ke mano pankh lag gaye ho tv ko pakar, dono bahne hi puri family ke sath mil kar tv dekha karti thi.
Kajal: Lekin Divya un sabse alag thi Jahan sabhi ko parivarik filme pasand aati thi.
Wahin Divya ko wo filme pasand aati thi jisme maar dhad ho jisme action se bharpur ho.
Wo aksar kaha karti thi ki papa mujhe isi ke jaisa bilkul fight karna hai.
Jo Divya pahle bilkul shant rahti thi wahi ab fight scene ko dekh kar thoda violent hone lagi thi aur jidd karne lagi thi fight sikhne ke liye.
Lekin uske chacha aur Chachi ke liye ye itna bhi easy nahi tha ki wo Divya ke liye fight club ka kharcha utha sake.
Rashmika: lekin koi baat nahi maa ke chachi chachi ne maa ka admission kara diya fight sikhne ke liye pass ke hi ek club me.
*Time tezi se gujar raha tha Divya aur uski bahan dono sath sath padh rahi thi aur badi bhi ho rahi thi jaise jaise ye dono bahne badi ho rahi thi ghar ka kharch bhi badh raha tha.
Inki padhai ka kharch aur dressbhi baar baar new
kharidna pad raha tha kyonki ye dono bahne yuva stage me pahuch rahi thi.
Kajal: wahin dono bahne bhi apne ghar ki halat se anjan nahi thi, aise me Divya ne apni fighting training me ji jaan laga kar mehnat karti chali gayi.
Club se aakar apni bahan ko apni sath rakhti aur use apni new new fighting style dikhati aur usse puchti ki kaisa raha mera aaj ka performance didi?
* Uski bahan se maa Divya ko hamesha ek hi answer milta aur wo answer tha aaj tumne kal se behtar performance di hai Divya mujhe apni bahan par garv hai.
Divya har nayi subah aur eveningme apni fighting skill dono jagah ghar par aur club me practice karti rahi.
Har din uska performance lagatar achha hota raha uski fighting skill ki speed lagatar badh rahi thi.
Rashmika: dekhte hi dekhte dono bahne 17 years ki ho gayi.
Aur in 5 years me Divya ki kathin mehnat aur tapasya ne apna rang laya aur Divya karatechampion ban gayi aur usne ghar ko ab sambhal liya tha jo pahle ghar chalana mushkil ho raha tha. Divya ke is success se pura family khush tha.
Kajal: ye sab itna bhi easy nahi tha Arjun Divya ke liye ye uske chacha aur Chachi ke sacrifices(tyag) ka phal tha.
Uski bahan ka bharose ka natiza tha uske guru ji ke aashirwad ka phal tha uski kathin mehnat aur lagan ka phal tha jo maa Divya ko mila.
Jo parivar pahle garibi me ji raha tha ab middle class se thodi si upar level tak aa gayi thi, pura pariwar khush tha aise me.
Rashmika: dono bahne ab jawan ho gayi thi aur unki khubsurti ke charche aas pass ke area me phail rahi thi.
Aur Divya ki bahan se pahle hi Divya ke liye ek rishta aa gaya, kyonki ladka ek achhe parivar se tha achha padha likha tha.
Lekin akela tha phir bhi koi baat nahi us ladke se Divya maa ka rishta fix kar diya gaya.
Kajal: pura parivaar khush tha unhe koi dukh nahi tha ki pahle chhoti beti ka vivah ho raha hai.
Jaldi hi shadi ki date fix huyi aur maa Divya ki shadi mere dad se ho gayi, aaj pahli baar uske chacha chachi ne Divya se kaha.
Chacha aur Chachi: Divya beti jahan tum ja rahi ho wahan sada khush rahna bhale hi hum dono ne tumhe janam nahi diya hai lekin jo bhi hum dono ko jante hain use pata hai ki hum dono ne tumme aur apni beti me kabhi bhi fark nahi kiya hai.
Divya: main janti hoon maa papa ki mujhe aap dono ne janam bhale hi nahi diya hai lekin mujhe aisa kabhi bhi mahsus nahi hua ki aap dono mere mata pita nahi hain.
Maine to us maa baap ka chehra bhi nahi dekha hai jisne mujhe janam diya, jab main badi huyi to aap dono ki gaud me thi aur aap dono ki hi mamta aur chhav ke niche pali badhi hoon.
Divya: Aur dekho aaj aap dono ne hi mujhe is kabil banaya ki main Jahan bhi rahungi khud ko safe feel karungi aur apna dhyan khud se rakh paungi aap dono ne mujhe is kabil bana diya hai maa papa.
Divya: kya koi gair aisa kar sakta hai bilkul bhi nahi, aap dono ne mera palan poshan kiya hai aur palan poshan karne wala hamesha janam dene wale se bada hota hai isliye aap dono kal bhi mere mata pita the , aaj bhi hain aur kal bhi rahenge.
*** Rashmika: pura pariwar is bidai ko sahne ke liye taiyar nahi tha Arjun.
kitne salo baad is ghar me khushiyan aayi thi aur Divya aaj phir se use apne sath hi le ja rahi thi aisa lag raha tha jaise mere nana nani ke bhagya me do pal ki bhi khushiyan bhagwan ne likhi hi nahi hai sirf unke takdir me dukh hi likh diya gaya ho.
*** Khair inhe alag to hona hi tha, bidai ki samay mano teeno Divya se kah rahi ho hum tumhare bagair kaise rahengi Divya.
*** Divya ko bhi is baat ka abhash ho gaya tha ki unke mann me kya chal raha tha isliye Divya ne kaha.
Divya: maa , papa aur didi aap sab kyon chinta karti hain meri sirf shadi huyi hai main kahin dur nahi ja rahi hoon.
Mere jinda rahte huye is family ko main kabhi bhi ab phir se dukhi nahi hone dungi kya mujhe nahi pata hai ki mere liya aap teeno ne kya kya saha hai.
Aap dono khud bhukhe pet soye lekin hum dono bahno ko apne hisse ka bhojan khilaya hai.
Jab kabhi bhi hum dono bahne bhukh se pareshan huyi aap dono ka dil tadpa hai maa papa.
Jab kabhi aapne hum dono bahno ko newkapde festival me nahi dilaya aapka dil har baar roya hai maa papa.
Divya: Aap dono ko kya lagta aap dono hum dono bahno se ye baat itni aasani se chhupa lengi, nahi bilkul bhi nahi hum dono bahno ko sab kuchh pata hai maa papa aap dono ka har ek dard aur har ek bebasi hum dono bahno ne mahsus kiya hai.
Divya: Aap dono ko jab bhi humne bebas paya hai dil hamara bhi roya hai maa papa , aapko kya lagta mujhe ye sab itni aasani se mil gaya bilkul bhi nahi aaj main jo kuchh bhi hoon aap dono ke ek ek ansu ki bund ki keemat hoon.
Aap dono ki tyag ka parinam hai ye Divya , meri didi ke bharose aur vishwas ka parinam hai ye Divya.
Divya: maa papa main jahan bhi rahu meri hamesha aap teeno par nazarrahegi.
Divya: jab tak main jinda hoon main kisi ko kuchh bhi nahi hone dungi kisi ki aankho me ek bund bhi gam ke ansu kabhi bhi girne nahi dungi maa papa.
Aaj main is ghar se bhale hi ja rahi hoon lekin ye mat samajhna ki main hamesha wahin rahungi bilkul bhi nahi main bhi apna jayada se jayada samay yahi par bitaya karungi maa papa.
***Rashmika: Finally Divya ghar se bida hokar chali gayi aur ek mahine me hi pet se ho gayi.
Aur hum dono bahne apni maa ke gharbh me aa gaye aur ek baar phir se maa aur nana nani ka parivar khush tha aaj phir se ghar me 18 years baad kisi ka janam hone wala tha.
**Kajal: Time bita aur maa ki didi yani hum dono ki mausi ki shadi bhi fix ho gayi dad ke hi ek dost se jo ki ek rich family se belong (samband rakhna) karte the.
Mausi ki bhi dekhte hi dekhte shadi ho gayi, ek taraf jahan ghar par khushi ka manzar tha ki dono bahne ab khushal rahengi wahin maa Divya ko nana nani ki chinta thi ki ab unhe akele nahi chhoda ja sakta hai.
Aise main dad ne nana nani ko apne sath ghar le aaye , akhir kaise na late jahan maa Divya ko unki dekhbhal ke liye nana nani ki jarurat thi to wahin ab nana nani ko bhi unki jarurat thi.
Rashmika: lekin ye Khushi bas kuchh hi ghanto ki thi Arjun.
kyonki suhagraat ko mausi ke husband ki akasmat death ho gayi aur sabne iska jimmedar meri mausi ko thahraya pata nahi un logo na mausi ke sath kya kya kiya aur mausi ghar chhod kar chali gayi.
Kajal: aage suno Arjun meri maa Divya ki dard bhari kahani.
Kismat ko itna se hi raas nahi aaya aur dad ko 5 days ke baad pata chala ki mausi ke husband ki death akasmat ho gayi aur to aur mausi ki koi khabar nahi hai.
Nana Nani ke liye ye khabar kisi bhayanak dard se kam nahi tha.
khabar sun kar dono ko gahra aaghat laga akhir kaise na lagta jis beti ke liye un dono ne aur koi santan na janam dene ka decision liya tha wahin unki beti un dono se dur chali gayi aur nana nani dono ko heart attack(cardiac arrest) ka shikar ho gaye aur un dono ki hi death ho gayi.
** Teeno Arjun, Kajal aur Rashmika ek baar phir se dukh ke un manjar ki kalpana kar ro pade. Teeno ki hi ankho se lagatar ansu bahte chale gaye.
** Jab teeno shant huye.
Rashmika: jo Divya apni janam dene wali mata pita ko kabhi dekh bhi nahi payi thi aur unka death ho gaya aise me unke chacha chachi ne unhe apni sagi beti jaisa pyar diya.
Aaj wo dono bhi unhe chhod kar chali gayi, jis bahan ke sath jawan huyi thi wahi maa ko chhod unse dur chali gayi.
Kajal: Divya maa ka pura pariwar aaj sampat ho chuki thi maa bilkul tut chuki thi unhe kuchh samajh hi nahi aa raha tha wo kya kare.
Maa ne jis parivar ko hamesha raksha karne ka promise kiya tha wahi parivar aaj unhe chhod kar chali gayi thi, maa ke pass kya bacha tha kuchh bhi nahi zero jis parivar ne use sab kuchh diya aaj wahi parivar maa se dur chali gayi ek baar phir maa ke sath kismat ne aisa khel khela aur maa ka sab kuchh khatam ho gaya tha ek baar phir se maa anath ho gayi aur rah gayi bilkul akeli is bheed bhari duniya me.
Maa ek ghare sadme me chali gayi thi jaise maa hasna hi bhul gayi ho,hamesha dukh ke sagar me dubi rahne lagi thi.
Maa khana pina jaise sab kuchh bhul chuki thi unhe koi sudh hi nahi rah gayi thi ki wo kaun hai jaise maa ko ab duniya se koi matlab hi na rah gaya ho.
Har gujarte din ke sath maa ki halat aur kharab hoti ja rahi ankho se ansu gir gir kar ab ankh se ansu bhi nikalna band ho gaya tha mano ab aankh me ansu ki ek bund bhi nahi bachi ho, ankho ke side side black (kala ) spot dikhne laga tha.
![]()
Rashmika: hum dono bahne hi maa ki gharbh me thi aise me maa ki peeda aur dukh hum dono bahno ko nuksan pahucha sakti thi isliye maa ko is dukh se bahar lana jaruri ho gaya tha warna ye na maa ke liye achha hota aur na hi hum dono bahno ke liye.
Isliye dad kisi tarah se maa ka dukh puri tarah se khatam to nahi kar sake lekin kuchh had tak kam karne me jarur safal huye.
Kajal: time pura hua aur hum dono bahno ka is dhara par janam hua ek baar thodi si khushiyan is ghar me lauti aur kitne hi mahino ke baad maa ke face par hum dono ko dekh kar thodi si muskan aayi.
Rashmika: aage suno Arjun Divya maa ki dard bhari kahani.
Kismat ko itna hi raas nahi aaya dhire dhire hum dono bahne 4 years ki ho gayi aur phir aaya wo manhus din jis din papa bhi hume chhod kar chale gaye aur hum dono bahno ke sar se papa ka hath hamesha hamesha ke liye chhut gaya.
Mausi aur Chachi dono bahne phut phut kar rone lagi.
![]()
Maine dono bahno ko apne sine se laga liya.
![]()
*Jab dono shant huye.
Rashmika: kya tumhe pata hai Arjun worldme kis country me sabse jayada car accident se death hoti hai?
Arjun: ha mausi main janta hoon iska answer hamara desh India hi hai jahan sabse jayada caraccident se death hoti hai aur kitne hi parivar ko iski taklif se gujarni padti hai.
Har sal , har mahine , har din aur har ghante na jane kitni hi death India me is issue se hoti rahti hai aur uski bharpai sare family members ko sahna padta hai.
Ye hamare country ka sabse badi problem me se ek hai mausi hume is issue par dhayan dene ki bahut hi jayada jarurat hai.
Kajal: Ek baar phir se maa ke sath kismat ne aisa khel khela aur pati ka sath bhi chhut gaya.
Wah re kismat ne bhi kya khel khela samay samay par maa Divya ke sath.
1. Janm lete hi maa baap ka sath chhut gaya unka pyar nasib hona to dur ki baat hai unka chehra tak maa ko nahi pata. Wah re kismat kya khel khela is nanhi si bachhi ke sath.
2. Jis maa baap ne pal posh kar bada kiya uska bhi sath chhut gaya aur ek baar phir se maa anath ho gayi , phir se ek baar maa baap ka saya apni jawani me hi kho diya.
3. Jis bahan ke sath badi huyi uski koi khabar nahi aaj bhi maa , apni didi ka intezar kar rahi hai ki ek din wo jarur aayegi lekin kismat to dekho , maa apni badi bahan ka aaj bhi 30 years se sirf intezar hi kar rahi hai pata nahi maa ka ye intezar kabhi samapt hoga bhi ya nahi.
4. Jis pati ke sahare is ghar me aayi thi usne bhi bich raah me hi uska sath chhod diya 22 years me hi maa vidhwa ho gayi.
Aaj maa ke pass hum dono bahno ke alawa kuchh nahi tha bilkul akeli ho gayi thi maa is duniya me.
Kajal: ab maa ke pass 2 raste the ya to wo tut kar bikhar jati ya phir ek sherni ki tarah hum dono bahno ka palan poshan karti.
***"Maa ne dusra option chuna aur apna gam aur apna dard sab kuchh bhul kar hum dono ko aaj is kabil banaya hai ki hum dono bahne jahan bhi rahe dharti ki sina ko chir kar use apne survival(jinda rahna) ke liye bana lenge akhir maa kaise na ye sab kar pati wo ek real fighter thi paida lete hi usne jine ke liye sangharsh kiya tha.
Maa hum dono bahno ki Hero hai , hum dono bahno ki role model hai aur hamare life ki prerna ka source(srot) hai.
***Jisne jinda rahne ke liye hi bachpan se sab kuchh khoti aayi thi lekin kabhi bhi halat unki iccha Shakti ko diga nahi payi aur na hi maa ke hausle ko kabhi diga payi , maa har mushkil ko sahti chali gayi.
Rashmika: tumhe kya lagta tha Arjun hum dono ko ye sab itni aasani se mil gaya tha bilkul bhi nahi ye hamare maa ki kathin tapasya aur tyag ka parinam hain.
Hum dono bahne aaj jo bhi hain ye maa ki usi kathin tapasya aur tyag ka parinam hai.
""""""""Kajal: marne se pahle dad ne pata lagaya tha apne friend ke death ke bare me to jante ho Arjun dad ko kya pata chala tha?
Arjun: kya chachi?
Rashmika: mausa ji ko unki hi bhabhi ne suhagrat ki raat ko dudh me potassium cyanide milaya tha is baat se anjaan mausi ghar ko chhod kar chali gayi unhe to kuchh pata hi nahi tha ki unke khilaaf kuchh property ke liye itna bada kand racha gaya hai.
Jab maa ko ye baat pata chali to us din maa ne is duniya ka ek naya chehra dekha tha, Kahan maa ka parivar ek dusre par sabhi apni jaan chhidakte the wahin ek parivar ne property ke lalach me apne hi devar ki jaan le li thi.
Kajal: kya tumhe pata hai Arjun ye potassium cyanide kya hai?
Arjun:yes chachi it is one of the deadliest poisons which can cause sudden death of inhaler.
*Jise bhi ye jahar diya jata hai uski dardnak death ho jati hai.
........................................
Ye box me jo likhi huyi hai wo sirf unke liye jo Science ke students ho aur unhe Science ka knowledge ho ye sirf extra knowledge ke liye diya ja raha hai.
***Yadi aap nahi hain to chinta ki koi baat nahi wo is box ko skip(chhodna) kar sakte hain, isse unhe story samajhne me koi bhi mushkil nahi hogi.
Note: potassium cyanide:
****Chemical formula: KCN.
* K: It stands for potassium, it is very light metal and very reactive which burns vigorously when it comes to the contact of air and water therefore it is kept in kerosene oil.
* C: It stands for carbon, it is the element which is found in every living beings.
N : it stands for nitrogen which is the most abundant gas in our atmosphere which accounts 78 percent by volume alone and others are only 22 percent by volume.

Kajal: humne maa ko kitni hi baar hamare sath rahne ke liye kaha par maa kabhi nahi mani maa ko aaj bhi apni badi bahan ka intzar hai.
Arjun: chachi lekin abhi bhi mujhe kuchh questions ke answer nahi mile hain.
Kajal: tumhare question ka answer hum kal denge ab raat bahut ho chuki hai abhi so jate hain.
Teeno hi ek hi bedpar Kajal ke hi bedroom me hi so gaye.
***This is the end of the part 1 of the story Divya and her sister.****
Question: kya aap me se koi bata sakta hai ki kaun hai Divya ki bahan , aap iska answer dene ke liye update 17 ki help le sakte hain.

Additional data:
1. India has reached a record high number of road crash fatalities in 2022, with over 1.68 lakh deaths per day or one death in every three minutes according to the ministry of road and transportation.
2. In 2022, the Indian state with the highest number of road accidents was Tamilnadu, with over 64 thousand cases reported, followed by Madhya Pradesh, with more than 54 thousand reported road accidents.
**It is one of the most serious issues of our nation.we need to think about it.
Total words count: 4.1 k.

That's all for now hope you gonna like this update. It is the biggest episode till now.
**Aage ke bare me kuchh kaha nahi ja sakta.
Opps aadha update sa likh dalaWooow wooow wooow......what an update yaar.... soo emotional....ye seen kisi movie tak ko recommend kiya ja skata h.... matlab totally woow seen.....
Tarrif....
Explanation saandaar...ek ek sabd ko sawadhani se likha gya not spellingly...wordly means kha kis lineko lena h. .and ..sensase of humour theek h ki ek din meitni hi khani suna sakte h...
...and ha and aapne kitna kha wo karke dikhaya jo ki aajakal kam loog kar pate h so....well done ....
Ab ek do kami....ye meri personal... suggestions samjh sakte ho... don't be serious....or me nahi chahati inka apki writing ya apki soch pe asar pade to bas...mene likha and aap padh ke bhul jana....
... first thing...49 years ago.... fighting clubs kisi gav k pass...
2nd aap waps update me summary karke points likhte ho i think jiane story padhi h wo unko dubara nahi padega...ya wo thoda asa lagata h ki yaar ye duvara ku likha....
(ye bas mene ase hi bola h ek alg pov se ...)
And last not the least... Aapne kafi emotional seen direct kiya i think ye or detail me ho skata tha...and kuch words like new and tipikal wording with emotions...ye update or boom hota ...
But but but ... jesa ki mene phala hi bola ki ek to ye baate aapko bas padhke bhulni h bas aap wo dekho mene phala kya bola h....so. .... great job yaar ....
Aap already mehnat kar rahe ho...i appreciate your hardworking![]()
Opps aadha update sa likh dala![]()
Mst ho tumm,, pura ras nichodte ho hr update kaOpps aadha update sa likh dala![]()
Sahi kaha brother mujhe sach ka aaina dikha diya ki maine bhi kuchh points miss kiye but koi baat nahi phir bhi maine story ko jabardast banane ka try Kiya hai.Mst ho tumm,, pura ras nichodte ho hr update ka![]()
Aur thoda aap likh deti to meri story se bhi jabardast ho jati.Opps aadha update sa likh dala![]()
Aapse bach kar rahna padega re baba....kitni deeply aap story ko padhte aur samajhte ho.Wooow wooow wooow......what an update yaar.... soo emotional....ye seen kisi movie tak ko recommend kiya ja skata h.... matlab totally woow seen.....
Tarrif....
Explanation saandaar...ek ek sabd ko sawadhani se likha gya not spellingly...wordly means kha kis lineko lena h. .and ..sensase of humour theek h ki ek din meitni hi khani suna sakte h...
...and ha and aapne kitna kha wo karke dikhaya jo ki aajakal kam loog kar pate h so....well done ....
Ab ek do kami....ye meri personal... suggestions samjh sakte ho... don't be serious....or me nahi chahati inka apki writing ya apki soch pe asar pade to bas...mene likha and aap padh ke bhul jana....
... first thing...49 years ago.... fighting clubs kisi gav k pass...
2nd aap waps update me summary karke points likhte ho i think jiane story padhi h wo unko dubara nahi padega...ya wo thoda asa lagata h ki yaar ye duvara ku likha....
(ye bas mene ase hi bola h ek alg pov se ...)
And last not the least... Aapne kafi emotional seen direct kiya i think ye or detail me ho skata tha...and kuch words like new and tipikal wording with emotions...ye update or boom hota ...
But but but ... jesa ki mene phala hi bola ki ek to ye baate aapko bas padhke bhulni h bas aap wo dekho mene phala kya bola h....so. .... great job yaar ....
Aap already mehnat kar rahe ho...i appreciate your hardworking![]()
Msst bhaiUpdate 57 :The past is very painful.
Flashback: 49 years ago.
#Story of Divya and her sister: part 1.
Abhi tak aapne Jana ki Rashmika aur Kajal dono bahne Arjun ko apni maa Diviya ki story sunane wali hain.
.....................................
Kajal: Arjun kya tum taiyar ho meri maa Divya ki story janne ke liye?
Arjun: yes my queen I am ready to know the story.
Kajal: ye baat aaj se 49 years pahle ki baat hai jab meri maa Divya apne maa ki garbh me thi.
Aur jald hi wo din bhi aa gaya jab meri maa ka janam hone wala tha is dhara par.
Kajal: Us time aaj ke jitni suvidha nahi thi ki bacche ka janam hospitalme doctor ke dekh rekh me ho sake.
Aise me ghar par hi meri nani ko labour pain hona start ho gaya tha.
Kajal: Ek dai maa ko bulaya gaya nani aur bacche ki dekhbhal ke liye jaisa ki pahle se hota aaya tha delivery ke samay.
Rashmika: Jaise jaise delivery ka time aa raha tha dhire dhire lagatar nani ka dard badhta hi ja raha tha.
Aur wo time bhi aa gaya jab nani ka dard sahna bahut hi kathin ho gaya.
Rashmika: aur kya tumhe pata hai Arjun ki ek bacche ko janam dete time ek maa ko jo peeda hoti hai wo ek purush kabhi nahi sah sakta.
Utni peeda jab ek mard ko hoti hai to 95 percent se jyada mard apni jaan kho dete hain only 5 percent us dard ko bardasht kar survive(jinda rahna) kar pate hain.
**Kajal: Aur jab maa ka janam hua to meri nani is duniya ko labour pain ke karan is duniya ko chhod kar chali gayi hamesha hamesha ke liye nani maa maa ka chehra bhi nahi dekh payi jiske liye wo itna dard sah rahi thi.
Ek chhoti si nanhi phul jisne abhi abhi janam liya aur apni maa ko kho di.
*Aur teeno Arjun, Kajal aur Rashmika ke ankho me ansu the us manjar ko kalpana karke.
Jab teeno shant huye to Kajal ne aage kaha.
***Kajal: kya tumhe pata hai Arjun aaj bhi India me 223 mothers(maa) ki death ho jati hai labour pain se har 100000(ek lakh) bachhe ko janm dene par.
**Yani ki 223 bachhe India me aaj bhi bina maa ke hote hain ve apni maa ka chehra bhi nahi dekh pate hain aur unke sar se maa ka hath chhut jata hai.
To socho jara us time kya halat rahi hogi jab aaj ke jitni modern facilities nahi hua karti thi.
Kitne hi bachhe janm lete hi maa ke anchal se mahrum ho jate honge jara us dard ko feel karo Arjun tab tumhe meri maa aur meri maa ki family ki wo dard bhari dastan samajh aayegi.
Arjun: sach me nani maa ne bahut dukh saha hai Chachi main Nani ki dard ko mahsus kar pa raha hoon.
Rashmika: kitni pareshani unhe jhelni padti hogi iska andaja lagana bhi mushkil hai.
Arjun: aap bilkul sahi kah rahi hain mausi ye ek serious issue hai aaj bhi India me hume is problem par sochne ki jarurat hai.
Rashmika phir se aage boli.
Rashmika: Meri maa ne to apni maa ka dudh pina to dur ki baat hai Arjun uska chehra bhi nahi dekha ek photo bhi nahi hai nani maa ki.
Aise me mere nana ke ek chhote bhai the jinki ek beti 3 din pahle hi paida huyi thi usne hi meri maa ko apna dudh pilaya.
Rashmika : Lekin sayad kismat ko itna hi raas nahi aaya aur nana ji ki ek mahine baad hi akasmaat nani ke gam me death ho gayi.
*Aur ek baar phir se teeno ke ankho se jhar jhar ansu bahte chale ja rahe the us drishya ko soch kar ankho se ansu rukne ka naam hi nahi le raha tha teeno ke eyesse.
Kuchh der baad jab teeno ne apne apko sambhala to.
Rashmika: Meri maa jo abhi duniya me nayi nayi aayi thi ek anath ho gayi uske sar se maa aur pita dono ka saya chhut gaya ek abodh si bachhi is duniya me akela ho gayi aur ek anath ho gayi.
Na maa ne apne maa ka face aur na hi apne pita ka chehra dekh paya.
Ek mahine ke andar hi us chhoti si bachhi ke sar se pita ka bhi saaya chhut gaya, ek baar bhi apne maa ko na maa kah saki aur na hi apne pita ko pita kah kar pukar payi.
* Lekin kahte hain na God utna bhi nirdayi nahi hai Arjun jitna hum unhe samajh lete hain kabhi kabhi.
Aise me pita ke chhote bhai aur uski patni ne use sambhala apna dudh pilaya aur uska achhe se palan poshan kiya.
Lekin ye itna bhi easy nahi tha Arjun kyonki meri maa ke chacha chachi ek simple se parivaar se the koi bahut bade rich family se nahi the ki maa ka palan poshan achhe se kar sake bahut hi dukh se unhe bhi gujarna pada maa ka palan poshan karne ke liye.
Unhe apni beti ke sath sath meri maa Divya ka bhi palan poshan karna tha jo unke liye bilkul bhi easy nahi tha.
Aise me meri maa ke chacha chachi ne aur bachha na paida karne ka decision liya.
Kajal: Jara socho Arjun meri maa ke chacha chachi ke bare me kitna bada decision unhone liya tha meri maa Divya ke khatir.
Jahan sabhi mata pita chahte hain ki unke ghar ek ladka paida ho jo unke khandan ko aage le jaye, lekin maa ke chacha aur Chachi ne apne dono betiyon ko hi apna warish maan liya, socho kitna bada heartraha hoga un dono ka.
Arjun: aap bilkul sahi kah rahi hain chachi aise insan is dhara par bahut hi kam dekhne ko milte hain jinka heartitna bada ho un dono ko salam hai mera chachi aur mausi.
***Samay gujra:
***Kajal: Dono bahne badi ho rahi thi , hamesha dono ek dusre ke sath hi rahti, ek sath khati aur ek sath hi soti jaise ve dono do na hokar ek ho dono bahne ek dusre ko complete karti thi.
***Dono bahne ek dusre ki jaan thi hamesha apne se pahle apni apni bahan ke bare me sochti aisi thi meri maa ki bahan.
Unke is tarah ke pyar ko dekh kar maa ke chacha chachi ko kabhi ye feel hi nahi hua ki ye dono chacheri(cousins) bahne hain, unhe sada yahi lagta ki maa bhi uski apni hi sagi beti hai aur unki apni hi aulad hai.
Dono bahne badi ho rahi thi aur jab dono 12 years ki huyi tab unke ghar me pahli baar tv aaya.
Dono bahno ke mano pankh lag gaye ho tv ko pakar, dono bahne hi puri family ke sath mil kar tv dekha karti thi.
Kajal: Lekin Divya un sabse alag thi Jahan sabhi ko parivarik filme pasand aati thi.
Wahin Divya ko wo filme pasand aati thi jisme maar dhad ho jisme action se bharpur ho.
Wo aksar kaha karti thi ki papa mujhe isi ke jaisa bilkul fight karna hai.
Jo Divya pahle bilkul shant rahti thi wahi ab fight scene ko dekh kar thoda violent hone lagi thi aur jidd karne lagi thi fight sikhne ke liye.
Lekin uske chacha aur Chachi ke liye ye itna bhi easy nahi tha ki wo Divya ke liye fight club ka kharcha utha sake.
Rashmika: lekin koi baat nahi maa ke chachi chachi ne maa ka admission kara diya fight sikhne ke liye pass ke hi ek club me.
*Time tezi se gujar raha tha Divya aur uski bahan dono sath sath padh rahi thi aur badi bhi ho rahi thi jaise jaise ye dono bahne badi ho rahi thi ghar ka kharch bhi badh raha tha.
Inki padhai ka kharch aur dressbhi baar baar new
kharidna pad raha tha kyonki ye dono bahne yuva stage me pahuch rahi thi.
Kajal: wahin dono bahne bhi apne ghar ki halat se anjan nahi thi, aise me Divya ne apni fighting training me ji jaan laga kar mehnat karti chali gayi.
Club se aakar apni bahan ko apni sath rakhti aur use apni new new fighting style dikhati aur usse puchti ki kaisa raha mera aaj ka performance didi?
* Uski bahan se maa Divya ko hamesha ek hi answer milta aur wo answer tha aaj tumne kal se behtar performance di hai Divya mujhe apni bahan par garv hai.
Divya har nayi subah aur eveningme apni fighting skill dono jagah ghar par aur club me practice karti rahi.
Har din uska performance lagatar achha hota raha uski fighting skill ki speed lagatar badh rahi thi.
Rashmika: dekhte hi dekhte dono bahne 17 years ki ho gayi.
Aur in 5 years me Divya ki kathin mehnat aur tapasya ne apna rang laya aur Divya karatechampion ban gayi aur usne ghar ko ab sambhal liya tha jo pahle ghar chalana mushkil ho raha tha. Divya ke is success se pura family khush tha.
Kajal: ye sab itna bhi easy nahi tha Arjun Divya ke liye ye uske chacha aur Chachi ke sacrifices(tyag) ka phal tha.
Uski bahan ka bharose ka natiza tha uske guru ji ke aashirwad ka phal tha uski kathin mehnat aur lagan ka phal tha jo maa Divya ko mila.
Jo parivar pahle garibi me ji raha tha ab middle class se thodi si upar level tak aa gayi thi, pura pariwar khush tha aise me.
Rashmika: dono bahne ab jawan ho gayi thi aur unki khubsurti ke charche aas pass ke area me phail rahi thi.
Aur Divya ki bahan se pahle hi Divya ke liye ek rishta aa gaya, kyonki ladka ek achhe parivar se tha achha padha likha tha.
Lekin akela tha phir bhi koi baat nahi us ladke se Divya maa ka rishta fix kar diya gaya.
Kajal: pura parivaar khush tha unhe koi dukh nahi tha ki pahle chhoti beti ka vivah ho raha hai.
Jaldi hi shadi ki date fix huyi aur maa Divya ki shadi mere dad se ho gayi, aaj pahli baar uske chacha chachi ne Divya se kaha.
Chacha aur Chachi: Divya beti jahan tum ja rahi ho wahan sada khush rahna bhale hi hum dono ne tumhe janam nahi diya hai lekin jo bhi hum dono ko jante hain use pata hai ki hum dono ne tumme aur apni beti me kabhi bhi fark nahi kiya hai.
Divya: main janti hoon maa papa ki mujhe aap dono ne janam bhale hi nahi diya hai lekin mujhe aisa kabhi bhi mahsus nahi hua ki aap dono mere mata pita nahi hain.
Maine to us maa baap ka chehra bhi nahi dekha hai jisne mujhe janam diya, jab main badi huyi to aap dono ki gaud me thi aur aap dono ki hi mamta aur chhav ke niche pali badhi hoon.
Divya: Aur dekho aaj aap dono ne hi mujhe is kabil banaya ki main Jahan bhi rahungi khud ko safe feel karungi aur apna dhyan khud se rakh paungi aap dono ne mujhe is kabil bana diya hai maa papa.
Divya: kya koi gair aisa kar sakta hai bilkul bhi nahi, aap dono ne mera palan poshan kiya hai aur palan poshan karne wala hamesha janam dene wale se bada hota hai isliye aap dono kal bhi mere mata pita the , aaj bhi hain aur kal bhi rahenge.
*** Rashmika: pura pariwar is bidai ko sahne ke liye taiyar nahi tha Arjun.
kitne salo baad is ghar me khushiyan aayi thi aur Divya aaj phir se use apne sath hi le ja rahi thi aisa lag raha tha jaise mere nana nani ke bhagya me do pal ki bhi khushiyan bhagwan ne likhi hi nahi hai sirf unke takdir me dukh hi likh diya gaya ho.
*** Khair inhe alag to hona hi tha, bidai ki samay mano teeno Divya se kah rahi ho hum tumhare bagair kaise rahengi Divya.
*** Divya ko bhi is baat ka abhash ho gaya tha ki unke mann me kya chal raha tha isliye Divya ne kaha.
Divya: maa , papa aur didi aap sab kyon chinta karti hain meri sirf shadi huyi hai main kahin dur nahi ja rahi hoon.
Mere jinda rahte huye is family ko main kabhi bhi ab phir se dukhi nahi hone dungi kya mujhe nahi pata hai ki mere liya aap teeno ne kya kya saha hai.
Aap dono khud bhukhe pet soye lekin hum dono bahno ko apne hisse ka bhojan khilaya hai.
Jab kabhi bhi hum dono bahne bhukh se pareshan huyi aap dono ka dil tadpa hai maa papa.
Jab kabhi aapne hum dono bahno ko newkapde festival me nahi dilaya aapka dil har baar roya hai maa papa.
Divya: Aap dono ko kya lagta aap dono hum dono bahno se ye baat itni aasani se chhupa lengi, nahi bilkul bhi nahi hum dono bahno ko sab kuchh pata hai maa papa aap dono ka har ek dard aur har ek bebasi hum dono bahno ne mahsus kiya hai.
Divya: Aap dono ko jab bhi humne bebas paya hai dil hamara bhi roya hai maa papa , aapko kya lagta mujhe ye sab itni aasani se mil gaya bilkul bhi nahi aaj main jo kuchh bhi hoon aap dono ke ek ek ansu ki bund ki keemat hoon.
Aap dono ki tyag ka parinam hai ye Divya , meri didi ke bharose aur vishwas ka parinam hai ye Divya.
Divya: maa papa main jahan bhi rahu meri hamesha aap teeno par nazarrahegi.
Divya: jab tak main jinda hoon main kisi ko kuchh bhi nahi hone dungi kisi ki aankho me ek bund bhi gam ke ansu kabhi bhi girne nahi dungi maa papa.
Aaj main is ghar se bhale hi ja rahi hoon lekin ye mat samajhna ki main hamesha wahin rahungi bilkul bhi nahi main bhi apna jayada se jayada samay yahi par bitaya karungi maa papa.
***Rashmika: Finally Divya ghar se bida hokar chali gayi aur ek mahine me hi pet se ho gayi.
Aur hum dono bahne apni maa ke gharbh me aa gaye aur ek baar phir se maa aur nana nani ka parivar khush tha aaj phir se ghar me 18 years baad kisi ka janam hone wala tha.
**Kajal: Time bita aur maa ki didi yani hum dono ki mausi ki shadi bhi fix ho gayi dad ke hi ek dost se jo ki ek rich family se belong (samband rakhna) karte the.
Mausi ki bhi dekhte hi dekhte shadi ho gayi, ek taraf jahan ghar par khushi ka manzar tha ki dono bahne ab khushal rahengi wahin maa Divya ko nana nani ki chinta thi ki ab unhe akele nahi chhoda ja sakta hai.
Aise main dad ne nana nani ko apne sath ghar le aaye , akhir kaise na late jahan maa Divya ko unki dekhbhal ke liye nana nani ki jarurat thi to wahin ab nana nani ko bhi unki jarurat thi.
Rashmika: lekin ye Khushi bas kuchh hi ghanto ki thi Arjun.
kyonki suhagraat ko mausi ke husband ki akasmat death ho gayi aur sabne iska jimmedar meri mausi ko thahraya pata nahi un logo na mausi ke sath kya kya kiya aur mausi ghar chhod kar chali gayi.
Kajal: aage suno Arjun meri maa Divya ki dard bhari kahani.
Kismat ko itna se hi raas nahi aaya aur dad ko 5 days ke baad pata chala ki mausi ke husband ki death akasmat ho gayi aur to aur mausi ki koi khabar nahi hai.
Nana Nani ke liye ye khabar kisi bhayanak dard se kam nahi tha.
khabar sun kar dono ko gahra aaghat laga akhir kaise na lagta jis beti ke liye un dono ne aur koi santan na janam dene ka decision liya tha wahin unki beti un dono se dur chali gayi aur nana nani dono ko heart attack(cardiac arrest) ka shikar ho gaye aur un dono ki hi death ho gayi.
** Teeno Arjun, Kajal aur Rashmika ek baar phir se dukh ke un manjar ki kalpana kar ro pade. Teeno ki hi ankho se lagatar ansu bahte chale gaye.
** Jab teeno shant huye.
Rashmika: jo Divya apni janam dene wali mata pita ko kabhi dekh bhi nahi payi thi aur unka death ho gaya aise me unke chacha chachi ne unhe apni sagi beti jaisa pyar diya.
Aaj wo dono bhi unhe chhod kar chali gayi, jis bahan ke sath jawan huyi thi wahi maa ko chhod unse dur chali gayi.
Kajal: Divya maa ka pura pariwar aaj sampat ho chuki thi maa bilkul tut chuki thi unhe kuchh samajh hi nahi aa raha tha wo kya kare.
Maa ne jis parivar ko hamesha raksha karne ka promise kiya tha wahi parivar aaj unhe chhod kar chali gayi thi, maa ke pass kya bacha tha kuchh bhi nahi zero jis parivar ne use sab kuchh diya aaj wahi parivar maa se dur chali gayi ek baar phir maa ke sath kismat ne aisa khel khela aur maa ka sab kuchh khatam ho gaya tha ek baar phir se maa anath ho gayi aur rah gayi bilkul akeli is bheed bhari duniya me.
Maa ek ghare sadme me chali gayi thi jaise maa hasna hi bhul gayi ho,hamesha dukh ke sagar me dubi rahne lagi thi.
Maa khana pina jaise sab kuchh bhul chuki thi unhe koi sudh hi nahi rah gayi thi ki wo kaun hai jaise maa ko ab duniya se koi matlab hi na rah gaya ho.
Har gujarte din ke sath maa ki halat aur kharab hoti ja rahi ankho se ansu gir gir kar ab ankh se ansu bhi nikalna band ho gaya tha mano ab aankh me ansu ki ek bund bhi nahi bachi ho, ankho ke side side black (kala ) spot dikhne laga tha.
![]()
Rashmika: hum dono bahne hi maa ki gharbh me thi aise me maa ki peeda aur dukh hum dono bahno ko nuksan pahucha sakti thi isliye maa ko is dukh se bahar lana jaruri ho gaya tha warna ye na maa ke liye achha hota aur na hi hum dono bahno ke liye.
Isliye dad kisi tarah se maa ka dukh puri tarah se khatam to nahi kar sake lekin kuchh had tak kam karne me jarur safal huye.
Kajal: time pura hua aur hum dono bahno ka is dhara par janam hua ek baar thodi si khushiyan is ghar me lauti aur kitne hi mahino ke baad maa ke face par hum dono ko dekh kar thodi si muskan aayi.
Rashmika: aage suno Arjun Divya maa ki dard bhari kahani.
Kismat ko itna hi raas nahi aaya dhire dhire hum dono bahne 4 years ki ho gayi aur phir aaya wo manhus din jis din papa bhi hume chhod kar chale gaye aur hum dono bahno ke sar se papa ka hath hamesha hamesha ke liye chhut gaya.
Mausi aur Chachi dono bahne phut phut kar rone lagi.
![]()
Maine dono bahno ko apne sine se laga liya.
![]()
*Jab dono shant huye.
Rashmika: kya tumhe pata hai Arjun worldme kis country me sabse jayada car accident se death hoti hai?
Arjun: ha mausi main janta hoon iska answer hamara desh India hi hai jahan sabse jayada caraccident se death hoti hai aur kitne hi parivar ko iski taklif se gujarni padti hai.
Har sal , har mahine , har din aur har ghante na jane kitni hi death India me is issue se hoti rahti hai aur uski bharpai sare family members ko sahna padta hai.
Ye hamare country ka sabse badi problem me se ek hai mausi hume is issue par dhayan dene ki bahut hi jayada jarurat hai.
Kajal: Ek baar phir se maa ke sath kismat ne aisa khel khela aur pati ka sath bhi chhut gaya.
Wah re kismat ne bhi kya khel khela samay samay par maa Divya ke sath.
1. Janm lete hi maa baap ka sath chhut gaya unka pyar nasib hona to dur ki baat hai unka chehra tak maa ko nahi pata. Wah re kismat kya khel khela is nanhi si bachhi ke sath.
2. Jis maa baap ne pal posh kar bada kiya uska bhi sath chhut gaya aur ek baar phir se maa anath ho gayi , phir se ek baar maa baap ka saya apni jawani me hi kho diya.
3. Jis bahan ke sath badi huyi uski koi khabar nahi aaj bhi maa , apni didi ka intezar kar rahi hai ki ek din wo jarur aayegi lekin kismat to dekho , maa apni badi bahan ka aaj bhi 30 years se sirf intezar hi kar rahi hai pata nahi maa ka ye intezar kabhi samapt hoga bhi ya nahi.
4. Jis pati ke sahare is ghar me aayi thi usne bhi bich raah me hi uska sath chhod diya 22 years me hi maa vidhwa ho gayi.
Aaj maa ke pass hum dono bahno ke alawa kuchh nahi tha bilkul akeli ho gayi thi maa is duniya me.
Kajal: ab maa ke pass 2 raste the ya to wo tut kar bikhar jati ya phir ek sherni ki tarah hum dono bahno ka palan poshan karti.
***"Maa ne dusra option chuna aur apna gam aur apna dard sab kuchh bhul kar hum dono ko aaj is kabil banaya hai ki hum dono bahne jahan bhi rahe dharti ki sina ko chir kar use apne survival(jinda rahna) ke liye bana lenge akhir maa kaise na ye sab kar pati wo ek real fighter thi paida lete hi usne jine ke liye sangharsh kiya tha.
Maa hum dono bahno ki Hero hai , hum dono bahno ki role model hai aur hamare life ki prerna ka source(srot) hai.
***Jisne jinda rahne ke liye hi bachpan se sab kuchh khoti aayi thi lekin kabhi bhi halat unki iccha Shakti ko diga nahi payi aur na hi maa ke hausle ko kabhi diga payi , maa har mushkil ko sahti chali gayi.
Rashmika: tumhe kya lagta tha Arjun hum dono ko ye sab itni aasani se mil gaya tha bilkul bhi nahi ye hamare maa ki kathin tapasya aur tyag ka parinam hain.
Hum dono bahne aaj jo bhi hain ye maa ki usi kathin tapasya aur tyag ka parinam hai.
""""""""Kajal: marne se pahle dad ne pata lagaya tha apne friend ke death ke bare me to jante ho Arjun dad ko kya pata chala tha?
Arjun: kya chachi?
Rashmika: mausa ji ko unki hi bhabhi ne suhagrat ki raat ko dudh me potassium cyanide milaya tha is baat se anjaan mausi ghar ko chhod kar chali gayi unhe to kuchh pata hi nahi tha ki unke khilaaf kuchh property ke liye itna bada kand racha gaya hai.
Jab maa ko ye baat pata chali to us din maa ne is duniya ka ek naya chehra dekha tha, Kahan maa ka parivar ek dusre par sabhi apni jaan chhidakte the wahin ek parivar ne property ke lalach me apne hi devar ki jaan le li thi.
Kajal: kya tumhe pata hai Arjun ye potassium cyanide kya hai?
Arjun:yes chachi it is one of the deadliest poisons which can cause sudden death of inhaler.
*Jise bhi ye jahar diya jata hai uski dardnak death ho jati hai.
........................................
Ye box me jo likhi huyi hai wo sirf unke liye jo Science ke students ho aur unhe Science ka knowledge ho ye sirf extra knowledge ke liye diya ja raha hai.
***Yadi aap nahi hain to chinta ki koi baat nahi wo is box ko skip(chhodna) kar sakte hain, isse unhe story samajhne me koi bhi mushkil nahi hogi.
Note: potassium cyanide:
****Chemical formula: KCN.
* K: It stands for potassium, it is very light metal and very reactive which burns vigorously when it comes to the contact of air and water therefore it is kept in kerosene oil.
* C: It stands for carbon, it is the element which is found in every living beings.
N : it stands for nitrogen which is the most abundant gas in our atmosphere which accounts 78 percent by volume alone and others are only 22 percent by volume.
........................................
Kajal: humne maa ko kitni hi baar hamare sath rahne ke liye kaha par maa kabhi nahi mani maa ko aaj bhi apni badi bahan ka intzar hai.
Arjun: chachi lekin abhi bhi mujhe kuchh questions ke answer nahi mile hain.
Kajal: tumhare question ka answer hum kal denge ab raat bahut ho chuki hai abhi so jate hain.
Teeno hi ek hi bedpar Kajal ke hi bedroom me hi so gaye.
***This is the end of the part 1 of the story Divya and her sister.****
Question: kya aap me se koi bata sakta hai ki kaun hai Divya ki bahan , aap iska answer dene ke liye update 17 ki help le sakte hain.
........................................
Additional data:
1. India has reached a record high number of road crash fatalities in 2022, with over 1.68 lakh deaths per day or one death in every three minutes according to the ministry of road and transportation.
2. In 2022, the Indian state with the highest number of road accidents was Tamilnadu, with over 64 thousand cases reported, followed by Madhya Pradesh, with more than 54 thousand reported road accidents.
**It is one of the most serious issues of our nation.we need to think about it.
Total words count: 4.1 k.
........................................
That's all for now hope you gonna like this update. It is the biggest episode till now.
**Aage ke bare me kuchh kaha nahi ja sakta.
Isliye na likhaAur thoda aap likh deti to meri story se bhi jabardast ho jati.