- 16,799
- 44,751
- 244
Index
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Thank you brotherBahut hi shaandar update diya hai Legend1991 bhai....
Nice and lovely update....
Thank you brotherNICE UPDATE BHAI THANKS AMAZING AWESOME FANTASTIC UPDATE![]()
Thank you brothernice update
shan to shan hai ek jagah tikta hi nahi hai par lagta hai nisha use pasand aayi hai par kya nisha ko shan pyar karega ya sirf time pass
baaki rohan ne use apne ghar rukne ko bola par raat me shan ne laila ko aise halat me dekh liya ki ab uski nazar laila par tik gayi hai
aur shan ab shayd laila ko bhi pata hi lega aur farhan ki maa bhi line de rahi hai shayad agli chutti me wo bhi shan ke saath aa jaye
keep writing
Good start.Update 1
Introduction.
Javed khan. Ak bht bara business tycoon aur politician ha.
City me javed khan ka naam chalta ha. Age 52.
Apne ap ko bht fit rakhta ha.
Regular gym krta ha.
Salma khan.
Javed khan ki wife.
Age 48.
Business women ha.
Javed khan ki companies ki CEO bhi ha.
Business me husband ka proper sath deti ha.
Javed khan ki tarah he fit ha.
Zara khan.
Javed khan ki beti.
Age 22.
University me parhti ha.
Bht he sundar ha aur bht he khatarnaak bhi.
Javed khan ki beti hony ki wajah sy sb iss sy darty hain.
Salim khan.
Javed khan ka chota bhai.
Javed khan ki tarah he ye bhi businessman ha.
Javed khan k group me 12 companies hain.
Salim khan k group ne 2 jo javed khan ne he start kr k di hain.
Lakin donu bhaiyun me ak healthy competition chalta ha.
Salim khan 46 saal ka ha.
Naila khan.
Salim khan ki wife.
Iski age 44 saal ha.
Lakin apne ap ko aisa fit rakha ha k 35 ki lgti ha. Housewife ha.
Nimra khan.
Salim khan ki beti ye bhi 22 saal ki ha aur zara k sath university me parhti ha.
Aakash khan.
Saleem khan ka beta 21 sal ka ha.
College me parhta ha.
Aur hamara hero.
Zeeshan khan aka Shan
(ME) story ka main character.
19 saal ka ha.
Javed khan ka sb sy chota aur sb sy ladla beta.
College me parhta ha.
Parhai me bht weak ha.
Parhai me bilkul bhi dil nahi lagta.
Lakin bht he acha larka ha.
Kisi sy galat baat nahi krta. Kisi ko tang nahi krta.
Apne kam sy kam rakhta ha.
Kisi sy faltu baat nahi krta..
Ab aaty hain kahani ki taraf.
Kis ki zindagi kesy badly gi aur kyu badly gi.
Ye kahani ussi per ha.
Ye kahani ha ak bht bary shehr k bht bary ghr me rehny vali ak choti si family ki.
Ye ak bht ameer aur modern family ha.
Iss family ka head javed khan ha.
Jo ak politician aur bht bara businessman ha.
Javed khan ne apny bachun ko ya apny choty bhai ko kabhi kisi kam sy nahi roka.
Jo chaha vo dia.
Lakin javed khan ki ak quality ha.
Vo galat baat bardasht nahi krta.
Aur na he kisi k sath na insafi krta ha.
Aur javed khan ne apne bachun ko aur apne choty bhai ko bhi yhi seekh di ha.
Aur family ka sb sy important member ha zeeshan khan ha jisko sb pyar sy shani kehty hain.
Family me sirf 4 log hain.
Javed khan, Javed khan ki wife salma khan javed khan ki beti zara khan aur sb sy chota beta zeeshan khan.
Zara aur zeeshan bilkul opposite hain.
Zeeshan jitna seedha ha zara utni he terhi ha.
University k larky he nahi teachers bhi zara sy darty hain.
Aur iss k ilava ghr me 9 nokar hain.
Ghr k chaarun members k pas apni gari ha. Aur hr gari k liye alag driver ha.
Ghr me 2 cook hain jin ka kam sirf khana aur kitchen k kam hain.
Ak nokar javed khan aur shani k kam dekhta ha aur ak nokrani jo zara aur salma k kam dekhti ha.
Aur ak nokrani ha jiska kam sirf ghr ki safai ha.
Kch mulazim apny ghr vapas chly jaty hain aur kch servent quarters ne rehty hain.
Iss k ilava guards hain.
Javed khan jb ghr sy niklta ha tou uss k sath 6 guards hoty hain.
Salma k sath 2 guards aur shani aur zara k sath ak ak guard hota ha.
Dinner ka time ha.
Salma. Aslam (cook) khana lga do.
Aslam. G begum sahiba.
Aslam dining table per dinner lga deta ha.
Salma. Kamla (nokrani) jao zara aur shan ko bula kr lao.
Kamla zara k kmry me jati ha.
Kamla. Choti malkin dinner tayar ha. Malkin bula rhi hain.
Zara. Tum chalo me aati hun.
Javed. Arre bhai hamara shehzada kahan ha.
Salma. Kamla Bulany gyi ha.
Shan apni gaming chair per betha game khel rha ha.
Kamla. Choty sahab khana tayar ha. Jaldi sy aa jaen.
Shan ne headfone laga rakha ha aur usko awaz nahi aa rhi.
Kamla dani k pas ja kr usko shoulder sy hilati ha.
Kamla. Choty sahab dinner tayar ha. (shani ko hilaty huey)
Shan. Kya kamla didi drra dia mujhe.
Kamla. Dinner tayar ha.
Shan. Kamla didi me nahi kha rha ap jao.
Kamla. Malik bhi dinner table per hain.
Shan. Kya papa.
Shan gaming controller phenk kr nichy bhagta ha.
Shan javed ka ladla ha.
Aur kabhi javed ki baat sy inakr nahi krta.
Javed bhi shan sy bht pyar krta ha.
Lakin galat baat bardasht nahi krta iss liye shan javed khan sy darta bhi bht ha.
Shan bhaag kr dining table per pohncha.
Javed. Aa jao shehzady.
Shan. Sorry papa vo me game khel rha tha.
Javed. It's OK. Khana khao.
Zara tumhari university kesi chal rhi ha.
Zara. Achi chal rhi ha.
Javed. Koi tang tou naahi kr rha na
Zara. Javed khan ki beti ko kon tng kry ga.
Salma. Shan beta games ko chor kr studies per bhi dehan de dia kro.
Shan. Deta hun mom.
Salma. Javed ye bht lazy ho gya ha.
Pura din computer per betha games khelta rehta ha.
Javed. Shan subha sy tum mery sath jogging per chalo gy aur uss k bad gym.
Aur sham ko me tumhain karate academy join krva rha hun.
Shan. Lakin papa.
Javed. No questions shani.
Shan. Ok papa as you say.
Javed. Subha jaldi uth jana.
Shan. Ok papa.
Dinner k bd sb apny apny kmrun me chly gaey.
Shan ne ak bar phr apna controller uthaya aur game khelny laga.
Aur raat ko dair tk game khel kr so gya.
Subha 6 bjy shan k darvazy per knock hua.
Shan. Kon ha itni subha subha.
Shan ne uth kr darvaza khola
Mulazim. Choty sahab malik apka intzar kr rhy hain.
Shan. O shit papa ne bola tha un k sath gym jana ha.
Shan ne foran change kia. Track suit pehna aur nichhy bhaga.
Shan javed k sath chla gya.
Pehly donu ne jogging ki aur uss k bd gym chly gaey.
Gym bhi javed khan ka he tha.
Trainer. Kya baat ha boss aj shan bhi sath aaya ha.
Javed. Aj sy shan bhi rozana aay ga.
Trainer. Acha ha sir. Shan ko me khud train krun ga.
Shan aur javed ne exercise start ki aur gym k bd ghr vaps aa gaey.
Ghr aaty he shan ne nashta kia aur college k liye nikal gya.
Shan jb college aata tha tou driver aur guard shan k sath aaty thy aur usko drop kr k jaty thy.
Sara college shan ki tarah ban na chahta tha.
Shan ka living style dekh kr sb heran ho jaty thy.
Lakin shan ko iss baat ka idea nahi tha.
Kyu k shan kisi sy bht zyada baat nahi krta tha aur larkiyun sy tou bilkul bhi nahi.
Shan k sirf 3 dost thy.
Anaya, Uday aur farhan.
Anaya javed khan k dost ki beti thi jo ak businessman tha.
Uday ak middle class family sy belong krta tha
Aur farhan ak wealthy family sy belong krta tha.
Ye charun bachpan k dost thy aur kisi ko dusry k status sy farak nahi prta tha.
Farhan. Tujhe kya hua. Itna muh kyu latka hua ha tera.
Shan. Yar papa ne subha sy jogging aur gym start krva di ha.
Uday. Tu aur gym. Tujhe kesy time mil gya games sy.
Shan. Tu janta ha na.
Papa ko bilkul bhi pasand nahi ha k koi un ki baat na many.
Uday. Haan ye tou ha.
Anaya. Acha ha na.
Vesy bhi bht lazy ho gya tha.
Kch active ho jaey ga.
Shan. Abhi kahan sham sy karate academy bhi jana ha.
Uday. Wow yar. Karate seekna tou mera dream ha
Shan. Tou tu bhi chal na. Mujhe company ho jaey gi. Me akela kya krun ga.
Uday. Lakin me fee afford nahi kr skta.
Shan. Tera bhai ha na.
Me papa sy baat krta hun.
Teri fee bhi papa pay kr dain gy.
Uday. Sach me
Shan. Haan bhai. Tu bss sham ko academy k bahar aa jana.
Teacher. Everybody settle down. Class start ho rhi ha.