सबसे पहले thanks भाई इतने busy schedule में से time निकाल कर continue update देने के लिए, बहुत कम writers हैं जो अपनी जबान पर टिके रहते है,
I see you're a man of words
Mein samay bhalayi zyada lelu par update deta zaroor hu.
Lagbhag 3 saal hone jaa rahe hai bhai. It's no joke. 3 saal Tak updates dete rehna. Mein chaahta toh ise thoda chhoti bana ke nipta ke fursat ho sakta tha. Par, maine aisa nahi kiya. Kyuki, ek baar jo cheez shuru kar di, fir use best dhang se khatam karna hai matlab khatam karna hai. Farq nahi padta ki uske badle me mujhe kuch mile ya nahi. Naye writers ka josh kuch mahino me hi phuss ho jaata hai. Even kuch dino me hi. Toh yaha definitely mein poora credit lunga apne liye.
So finally Chinatown arc खत्म हो गया, मुझे लगा था की लंबा होगा और बहुत कठिन भी but unexpectedly ये crimson arc के मुकाबले थोड़ा आसान था। इसका सबसे बड़ा कारण मुझे लगता है की jaw long को अपनी ताकत का सही से एहसास नहीं था, अपनी skills को वो अच्छे से use नहीं कर पाया
Already bahut lamba tha Bhai.
Ant ke saare updates 10k words ke upar gaye hai. Ab usi ko mein agar do updates me dedu toh wahi cheez lambi lagne lagegi.
Aur, agar do cheez ko ek me likh ke du toh chhoti lag rahi hai... Ki kitne kam updates me khatam ho gaya.
But arc lamba hi tha.
Rahi baat Jaw Long ki toh usne poori tarah sahi se istemal kiya Bhai. I don't know ju ko aisa kyu laga.

Ladayi kitni lambi chali, aur kitne logo se chali... Ye iss baat ka pramaan hai ki Jaw Long sahi dhang se apni skills ka upyog kar raha tha. Warna woh itni derr tik hi nahi paata. Usne apne arsenal ki saari cheezein upyog kar li thi. Aur ekdum sahi istemal kiya tha. Tabhi toh Veer aur baakiyon ki haalat patli thi. Gong Tau kaale jaadu ka shikaar bhi Veer ho hi gaya tha but tabhi Pari ne takeover kar liya. And then the tables were turned. Uski kismat kharab thi.
• Pari ka wo wala version Veer ke paas tha jo ye sab kuch kar sakti thi.
• Jaw Long ke paas sufficient points hi nahi bache the jis se woh apni aura vision upgrade kar sake.
• Pari ke sleep mode me jaane ke bawajood uska ye na samajh pana ki ab sirf Veer uss se ladd raha hai.
• Aura vision upgrade na hona toh non living things ka dikhayi na dena. Jo ki uske patan ka kaaran bana.
• ek saath ek se zyada system holders ke saath ladayi lena aur stamina kho dena. Exhaust ho jaana aur ghayal ho jaana.
Inhi wajah se woh jeet nahi paaya. Ab isme ye kaha jaaye ki usne apni skills sahi se istemal nahi ki? Ye galat hoga. Let me show you how calculative he was and how far he had planned.
• Pehle se hi Shayna's Access se Shayna ko poojna. Pehle se hi uska blood ritual perform kar apni aankhon ki bali chadha dena taaki samast animal kingdom ko control kiya jaa sake.
• Rebecca ke dwara bheje gaye aadmiyon ko maar ke Jemisha's Blood Ring ka nirmaan karna aur golaayi me khoon gira ke ring banaana taaki use paar karne waale ke baare me turant hi use pata lag jaaye.
• Pehle se hi traps aur explosives ko set karna.
• Veer ko unhi raasto me se jaane ke liye animals dwara majboor karwana jinme traps hai. Shrapnel perk ka istemal kar Explosives ki explosiveness ko badhana aur Veer ko usme fasaana.
• Animal Kingdom ki sahayta se Veer ko tire karna.
• Pehle se hi quintuple venom ka istemal kar use nadi ke ek hisse me giraana jaha woh sthir bana rahe. Aur, Veer ka usi orr girna.
• Fights ke dauran apni power ka pradarshan aur bina koi samay zaaya karte hue seedhe vaar kar Veer ko ghayal karna.
• Veer ke fauran baad Ava se bhidna aur uski bullets aankhon se na dikhte hue bhi dodge karna. Badkismati uski jo ek bullet lag hi gayi.
• Gong Tau ka prayog kar dono Erica aur Ava ko uske qabze me le lena. Veer ko bhi fasana aur lagbhag sabhi ka ant kar dena.
You see it? Mujhe nahi lagta ki iss se behtar dhang se woh apni skills ka prayog kar sakta tha. Sab kuch try Kiya par uski kismat hi kharab thi. Uska lalach bhi use le dooba.
यही चीज़े यदि crimson के पास होती तो वो वीर के लौड़े लगा देता, may be jaw long ने कभी इतनी battle लड़ी ही नही जितनी crimson और वीर ने लड़ी है। अगर लड़ा होता तो वो उस से खतरनाक system Holder शायद ही कोई होता
Nahi laga paata.
Crimson taqatvar tha. Usme krodh bhi bhar bhar ke tha. Lekin, Jaw Long jitna skilled nahi.
Jaw Long China ki bhoomi se hai jaha Shaolin ka bahut mehatv hota hai. Spear maven ki skill se Jaw Long bhaala chalaane me maahir tha aur hand to hand combats me bhi woh peeche nahi tha. Wahi agar hum Crimson ko dekhe. Crimson never used to have any weapons.
I mean siwae ek do gun ki ek do bullets ke alawa uske paas kuch nahi tha. Woh bhi hand to hand combat fighter hi tha like Veer. Jaw Long traditional aur ancient practises se juda hua tha. Crimson modern world ki duniya ka aadmi tha.
Crimson kabhi bhi itne behtar dhang se nahi lad sakta agar use Jaw Long ki skills aur cards de diye jaaye toh.
Kaaran? Uska traditional aur ancient knowledge na hona. Aur enviornment ka alag hona. Agar hum maan le ki Crimson Jaw Long ki jagah jungle me rehta tha. Toh bhi woh sahi se execute nahi kar paata ye sab.
The only way he could have won was with his intricate planning. Woh schemes me maahir tha. Woh jaal aisa bicchata ki Veer kaho maara bhi jaa sakta tha. Lekin, purely strength ke basis pe jeetna....
Not possible. Ye tab hi ho sakta hai jab uske paas apni khud ki skills ho. Gusse ki wajah se wo rationally sochne me gadbad karta hai. Patience jaldi kho deta hai. Aur, Shayna's Access, Animal Kingdom sab patience maangte hai. Veer crimson se ladna zyada easy samajhta kyuki dono hi hand to hand fighters hai. Par Jaw Long se bhidte waqt use dikkat gayi thi. Ek layer chadhi hui thi weapon usage ki. Pehle Veer ko woh spear hataana pada tha. Tab jaa ke woh hand to hand ke level par use laa paaya tha.
Jaw Long ko spear maven praapt hui uski pravatti ki wajah se. Woh legion ka Lord tha aur weapons ka istemal karna unke yaha aam baat thi. Ancient vidyaao me se spear ka istemal unke liye khaas tha. Zaahir hai use ye milni hi thi. Par Crimson ke saath aisa kuch nahi tha. Aur, na hi usne kabhi ye sab seekha tha. Hope samajh aa hi gaya hoga itne me...
But I am disappointed भाई, मैं चाहता था की वीर को shayna's blood ritual मिले और ये expect भी कर रहा था की मिलेगा, क्योंकि वीर के पास crimson का limb substitution था, दोनो skills वीर के लिए made for each other थे, एक में वीर अपनी body का कोई हिस्सा sacrifice करता और फिर limb substitution से उसे वापस पा लेता, इस तरह बिना कुछ खोए shyana's blood ritual का use कर पाता।
जब मैंने पहली बार shayna's ritual का description पढ़ा तो यही feel आया था की इसका आगे वीर use करेगा इसलिए ये skills आया है
Mein samajh Raha hu ju kya kehna chaah rahe. Yahi na ki Shayna's Blood Ritual se Veer apna haath kaatata, khoon ka istemal karta aur fir wapas se kisi ka haath leke limb Substitution se use jod leta? Yahi na?

Aise me uske paas kitni power aa jaati. Right?
No!

Insaan ko card uski pravatti ki hisaab se milte hai. Shayna's Blood Ritual ek negative aur evil card hai. Veer ko ye praapt hona hi nahi tha. Agar use ye mil jaata toh saara concept hi bigad jaata.
Aur, ju ke sawal ka uttar last update me diya hi hua hai.
Veer ke paas limb Substitution hai jise hum negative roop me dekh sakte hai. Kisi aur ka haath apne me lagana bhi toh ek negative aspect hi hua na? Fir Veer ke paas limb Substitution kyu hai? Iska jawab last update me Diya hua hai.

Padha hoga. Kaho dimaag se nikal gaya ho. Firse dohrata hu.
Veer ka agar haath katt bhi jaaye... Toh woh limb Substitution ki madad se apne hi haath ko utha ke jodega... Na ki kisi aur ke haath ko.

Ye hai difference Veer aur crimson me. Aur limb Substitution, ek negative card ki tarah prateet hone waala card bhi... Veer ke paas aate hi neutral ho gaya. Kyuki, uska istemal kabhi bhi galat dhang se nahi kiya jaane waala hai. Another reason... Why Veer got limb Substitution.
मेरा अंदाजा ठीक था की दिव्या की बॉस system Holder हैं, और इस चीज के लिए आप के लिए exceptional हो भाई, मैंने देखा है की कई writers जब ये देखते है की readers का अंदाजा सही हो रहा है तो वो plot ही change कर देते है और उसे cover करने के चक्कर में last में ऐसी चीज सामने लाते है की कहानी और readers दोनो awkward हो जाते है, पर आप कहानी में changes नहीं करते हो।
Bhai aise toh kahani readers ke hisaab se jayegi na.

Mera plot fixed hai. Mein hardly koi major changes karta hu. Subtle changes hi rehte hai warna idhar udhar. Maine pehle hi kaafi hint de di thi Rebecca ke baare me. Aur, adhiktar logo ne guess kar hi liya tha. Par usme koi dikkat waali baat nahi. Aur, readers ki thinking match ho rahi hai ye soch ke plot badal Dena murkhta hai.
I mean... Ju logo ka finally ek baar guess ekdum sateek gaya hai. Thoda haq toh ju logo ka bhi hai na khush hone ka?

Kabhi kabhi chalta hai yeh. Mein hints bhi bahut deta hu. Toh koi dikkat waali baat nahi.
खैर दिव्या को fbcc में लेने का बस एक ही कारण हो सकता है की वक्त आने पर उसे मोहरे की तरह use करके वीर को कमजोर किया जा सके।
उसकी boss रेबेका एल्शर, भले ही वो एक system Holder हैं पर मेरा अंदाजा है की वो वीर से ज्यादा ताकतवर system नहीं रखती है, हां ये जरूर हो सकता है की उसके पास एक दो कार्ड हो जिसपे वो वीर के ऊपर थोड़ा हावी हो जाए,लेकिन overall वीर उसे हरा देगा।
Dekhna hoga. We can't say for sure.
Radioactive elements को जोड़ के क्या करेंगे, common sense और real world के हिसाब से तो ये nuclear weapons बनाने के लिए हो सकता है, although system holder's के पास इस से खतरनाक कार्ड्स हो सकते है। वैसे वीर के पास जो radio element protection हैं उसका कुछ भी discrption नहीं आया, उसे थोड़ा eloborate करते तो पता चलता की आगे उसका कोई use हैं की नही
Kya naam se hi radio protective skills ke baare me andaza nahi lag raha?
It's simple. It will protect Veer from the radiation. It's as simple as that.
Lekin, uski bhi ek limit hogi. Kitna radiation jhel sake. Aage pata lagega hume jab Veer kabhi kisi radiation zone me enter karega toh. Pari use bata degi.
Rahi baat elements ki toh bhai nuclear weapons bas ek cheez hai. Radioactive elements ka istemal hazaro cheezon ke liye kiya jaata hai. Ab Rebecca kis liye leke gayi hai. Ye hume dekhna hoga.
लेकिन वही बात की यदि सब वीर करेगा तो बाकी के system holder's क्या करेंगे। वीर के टीम में जो 3 लड़किया है क्या वो रेबेका से लड़ने के लिए ताकतवर है?
Will wait for this answer
Garofano ki taqat humne nahi dekhi hai aur na hi Rebecca ki... Toh aise me unhe compare karna sahi nahi.
वैसे ava और garofano में ज्यादा ताकतवर कौन है?
I guess garofano होगी, garofano और वीर के बीच काफी अच्छी कैमिस्ट्री हैं,और ये अच्छा भी है क्योंकि जितने लोग वीर के लिए die heart loyal रहेंगे मुसीबत के स्तिथि में वीर के बचने के chances रहेंगे है।
Again.... Garofano ki power humne dekhi hi nahi hai toh Ava se comparison filhal nahi ho sakta.
बड़ी बेसब्री से इंतजार है kaira के कहानी में वापस आने का, उसकी कहानी अटक सी गई है कही पर, i hope आने वाले कुछ अपडेट में वो दिखाई देगी।
Bilkul dikhayi degi. Poori Trinity action me rahegi agle arc me.
वीर के status से पता लगता है, की स्वेता वीर को भावना से ज्यादा प्यार करती है, ये कुछ अजीब सा नही लगता, i mean एक तो सगी मां उसकी ऊपर से पूरी जिंदगी struggle करने के साथ अपने बेटे को याद करती रही, वही दूसरी तरफ स्वेता है जो अभी कुछ महीनो पहले तक वीर को फूटे आंख नहीं पसंद करती थी अब अचानक से भावना से भी ज्यादा favourability?
Nahi! Isme koi ajeeb baat nahi.
Dhyaan rahe ki favorability sirf Mamta ke Prem ko nahi jhalkaati.
Shweta Veer ko apna stanpaan karwati hai. Woh already ek limit cross kar chuki hai. Jabki Bhavna keval use apne bete ke roop me dekhti hai. Shweta me Jo guilt hai woh Bhavna me nahi. Shweta me jo Veer ko paane ki laalsa hai woh Bhavna me utni nahi. Bhavna jaanti hai Veer uska hai.
Magar, Shweta self doubt me jeeti hai ki Veer sahi me uska hai ya nahi. Zaahir hai ki uske emotions aur strongly baahar nikal ke aayenge. Woh aur bhi kuch karne ko taiyaar ho jayegi Veer ke liye jo use nahi karna chahiye. Favorability yahi sab darshati hai. Suman ko dekh lo. 200 paar hai uski. Iska kya matlab samjhe? Kya Suman Bhavna se zyada Prem karti hai? Suman ka Prem aur Bhavna ka Prem alag hai.
Bhavna ka jo Prem hai woh purely maa ka prem hai. Jabki Suman ke Prem ke peeche kayi layers hai. Ek master slave ka pyaar. Ek saathi hone ka pyaar. Sex partner hone ka pyaar. Suman ke masochist ki wajah se Veer ke authoritative hone par umadta hua pyaar. Isliye ye alag alag dikhti hai. Unme Prem ki kayi aur layers dabi hoti hai.
एक और syatem holder था जो रेंशु से लड़ा था, जो लड़का रेंशू जैसे intelligent और strong system Holder को हरा दे, इस से अंदाजा लगाया जा सकता है की mr x कितने खतरनाक लोग इक्कठा किए है, क्या जेल से छूट के भागा system Holder भी इन्ही के gang में है?
Dekhna hoga. Woh aage ka hissa hai.
अगर ava सही time पर नहीं आई होती तो पक्का वीर निपट गया होता,उसके होने से वीर को फिर से अपने आप को prepare करने का मौका मिल गया, लेकिन वीर अचानक से ava को अपने साथ लेकर क्यों वापस आ रहा है, kaira को पता चलेगा वो कैसे react करेगी और kaira तो kaira सुहाना को पता चला तो वो कैसे react करेगी।
Veer kyu laa Raha hai Ava ko uske peeche kayi kaaran hai. Agle update me iska jawab milega.
रेबेका एलशर को कैसे पता चला की jaw long का past देखते समय वीर उसके pendulam घुमाने से पहले ही उठ गया, क्या इसके लिए भी कोई skiils हैं या ये सबको पता चल जाता है और pendulam को छूते ही वीर इतनी दूर क्यों गिर गया, क्या उसमें भी bird tamer जैसे owner वाला system है क्या, की owner के आलवा और कोई use नहीं कर सकता
Rebecca ko pata nahi chala tha. Woh toh bas safely measure ke roop me aayi thi.
Aise samjho ki kisi fielder ne ball stumps ki orr feki run out karne ke liye. Ab ball lagegi ya nahi iski Probability toh 50-50 hui na. Ya toh lagegi ya toh nahi.
Par behtar kya hoga? Aur, ju stumps ke paas khade ho jao. Taaki, agar ball na Lage toh kam se kam ju pakad ke run out toh kar sakte ho.
Samajh aaya?
Rebecca ne past me ek jaal bicchaya tha. Par, woh success hoga ya nahi uski Probability 50-50 hi thi. Woh sure nahi thi. Aur, usi probability ko 100% karne ke liye woh waha aayi thi. Jab usne dekha ki Veer waqai past se bach ke baahar aa gaya hai. Toh, usme waha Veer ko fasaane ki Koshish ki. Magar... Uske baad hum jaante hi hai ki kya hua.
परी का secret तो काफी उलझ गया है,कभी कुछ बताती है तो कभी कुछ, कही परी को multiple personality disorder तो नही हो गया है, जब वीर को control कर रही थी तो अपरिचित मूवी की याद आ गई थी।
Nahi. Abhi maine bataya ki personalities alag alag nahi thi. Pari hi alag alag hai.
हालंकि जब वीर का control उसके पास आया था तो काफी खतरनाक रूप दिखाया था, वो चाहती तो jow long को पहले ही मार सकती थी लेकिन वो उसके साथ खेल रही थी। दिलचस्प रहेगा ये देखना की परी वीर को वापस ये control वाला बावली हरकत करने से क्यों रोक रही है?
Iska uttar toh Pari de hi chuki hai.
Agar Veer aur adhik points de deta toh Pari ne uske shareer par qabza kar liya hota. Veer ka soul mit chuka hota, uska astitva hi khatam ho Gaya hota. Pari uske shareer me reh ke fir jeeti. Awaaz toh Veer ki hi rehti, magar control Pari kar rahi hoti sab kuch.
Magar, iske liye points bhi bhaari maatra me dena padta hai. Tab hi ye possible hai.
वैसे तो पीछे के सारे arc खत्म होने पर लगभग सारे सवाल का जवाब दे दिया करते थे, लेकिन ये arc अपने पीछे खूब सारे सवाल छोड़ कर जा रहा है।
Maine keh hi diya tha. Sawaal ke jawab mil jayenge par naye sawaal bhi khade ho jayenge.
अब तो भावना भी वापस आ गई है, इस बार वीर सबके सवालों से कैसे बचेगा, तेज तो फिर भी शांत दिख रही है, पर काव्या और बाकी सब को कैसे चुप कराएगा, और specially भावना को,
Ye toh fir bhi theek hai. Arohi se kaise bachega woh? Kyuki, Arohi use kitaab ki tarah padh leti hai.
अगले arc में माधुरी की वापसी होगी, तो क्या ये भी हो सकता है की प्रांजल और उसका बाप भी वापस आयेंगे।
ऐसे दिल तो नही चाहता की वो दोनो वीर की ज़िंदगी में वापस आए, पर काव्या और आरोही के लिए जरूरी है की उनका परिवार वापस से एक हो जाए specially सुमित्रा के लिए।
Woh dono bhi nazar aayenge.
अगले arc से खूब सारी expections है, सुहाना और वीर किस्सा आगे बढ़ेगा, गौरव को वापस से confront करेगा। Kaira के expression और ठीक से बाहर आएंगे, पूर्वी के साथ gulu gulu करने का मौका,
Sab ko scenes me laaya jayega.
And most important की निधि के साथ उसकी स्टोरी आगे बढ़ेगी, निधि के साथ उसका स्टोरी उसका बच्चा मिलने के बाद से जैसे रुक ही गया है।
Nidhi ka toh alag se aham role hai.
अगर Trinity अगले arc में आई तो hope चारों का foursome देखने को मिलेगा

Thanks for the wonderful arc Bhai,
Stay happy and healthy 
And as always
waiting for next update
Thanks a lot.

Wonderful revo ke liye bhi ju ka dhanyavad. Aise hi saath bane rehne ka.
