• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,424 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.4%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,718

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,214
109,555
259

Mr-Z

Member
108
302
78
Mega Update

Update - 177 ~ Berserk
[Note : Contains Gore related scenes.]

Ab tak...

Magar, sirf itna hi nahi tha. Ava apni maa ko bachaane ke liye ye sab kari thi. Aur, isliye Island chorr kar jaane se pehle Veer ne ek vaakya aur kaha tha. Itni dheere ki sirf use hi sunaayi de sake. Lekin, Ava ne woh sunn liya tha.

Woh bol the-

'Go and protect your loved one now.'


Ab aage...

Pedo ki daalo ke upar Erica chhalang maarte hue aage badhti jaa rahi thi. Hawa se uske baal lehra rahe the aur bauhe bechaini ke maare kasi hui thi.

'Veer!!!'

Badi mushqil se usne apne darr ke upar qaabu paaya tha. Kahi na kahi mann hi mann woh khud ko dosh bhi de rahi thi ki woh yaha aayi toh Veer ko bachaane thi magar khud hi sakpaka ke baith gayi. Kya aise woh apne pita ko proof karne waali thi ki woh ab frontline missions ke liye taiyaar thi?

Dekha jaaye toh galti uski bhi nahi thi. Woh kabhi bhi aisi paristhiti me padi nahi thi aur na hi usne kabhi aise drishya apni aankhon ke saamne dekhe the. Jis wajah se woh hamesha cheezon ko halke me le liya karti thi. Bilkul waise hi jaise ek kue me baitha mendhak, upar kue ki golayi se dikh rahe aasmaan ko dekh ye samajhne lagta hai ki aasmaan bas itna hi hai. Magar, baad me kue se nikalne ke baad use pata chalta hai ki aasmaan asal me kitna vishal hai. Aaj Erica ko poorn roop se abhaas ho gaya tha ki asli darr kya hota hai, duniya me kitne khatarnak log hote hai, apno ko khone ka bhay kya hota hai aur ek jaan ki qeemat kya hoti hai.

'Hang in there.'

Bhaagte hue use kuch theek sa nahi lag raha tha. Jaise ye khamoshi use bechain kar rahi thi.

'Achanak se itni shaanti kyu chha gayi hai?'


[Something is off.]

Jaw Long ke Animal Kingdom card ka asar khatam hote hi saare janvar waha se afra tafri me dur bhaag chuke the. Toh wahi neeche chal rahi Veer aur Jaw Long ki ladayi bhi Veer ke ghayal hone ke chalte lagbhag samapt ho chuki thi. Yahi kaaran tha ki ab Erica ko koi bhi shor sunayi nahi de raha tha. Magar, jitni vatavaran me khamoshi fel rahi thi Erica ki bechaini utni hi badhti jaa rahi thi. Kahi ye kisi anhoni ke ghatit hone ka sanket toh nahi tha? Woh nahi jaanti thi. Woh toh bas itna jaanti thi ki Veer ko iss daldal se baahar nikaal ke use sahi salamat wapas leke jaana hai.

[Woh dono yaha nahi hai, Erica. Ab ya toh woh pul ke uss paar gaye hai ya fir neeche.]

Erica dusre pul tak pahuch chuki thi jaha se Veer neeche gira tha. Pul ke uss paar se toh use koi bhi dhwani sunayi nahi di. Ab yaha se talashi karne ke do raaste the.

'Kaha gaye honge woh? Aage dekhe Genie?'


[Mere khayal se aage badhne se pehle hume neeche dekh lena chahiye. Neeche bhi kaafi jagah hai. Jangal neeche bhi hai. Neher ke uss orr dekho Erica.]

'Par bhala neeche kyu jayega woh?'

[Kyu nahi jayega woh? Judging by how he was escaping from those animals... There's a high possibility he might have chosen that route. Zara socho. Itne saare janvaro se bachne ka sabse behtar vikalp kya ho sakta hai? Insaan kaha jayega? Seedhe raaste par jaha janvar lagatar uska peechha kare? Ya fir neher ka sahara lete hue dusre chhor par jaha janvar aa hi na paaye?]

'You have a point, Genie! Theek hai toh fir. Pehle neeche hi talashi lete hai.'

Nirnay lete hue Erica pul ke madhya aayi, neeche dekhi, aur bina jhijke iss baar paani me kood gayi.

*Splaaaashhhhh*

Chhapak ki awaaz ke saath girte hi woh tairte hue fauran chhor par aayi aur khud ko neher se nikaalte hue ek gehri saans chhori. Iss baar usne paani me koodne ke liye koi shikayat nahi ki. Woh jaise sthiti ki gambheerta ko ab samajh rahi thi. Woh sambhalte hue aage badhi. Dheere dheere woh jangal ki gehrayiyo me pravesh karne lagi. Daudate daudate hi use kuch derr baad zameen par dur kuch nazar aaya. Aur, jaise hi woh aakriti uski nazro me aur spasht hui uski aankhein darr ke maare fel gayi. Qadmo ki gati aur tez ho gayi.

'N-Noooo-!!!!'

Ghabrahat! Ek ajeeb si ghabrahat uske andar janm li. Seene me vichitr sa ek bharipann mehsoos hua aur geele badan pe raungte khade ho gaye. Dur zameen par Veer ka shareer khoon se lathpath bejaan sa pada hua tha. Erica ki toh jaisi saari umeedein hi toot gayi. Kya usne derr kar di? Kya woh sahi samay par nahi pahuch paayi? Tamaam sawaal uske mastishk aur dil dono par chot karne lage.

Woh tez raftar se Veer ke nazdeek aayi aur ghisatate hue khud ko roki. Jhukte hi usne Veer ke sarr ke peeche ek haath le jaate hue uske sarr ko badi hi savdhani se uthaya aur apne kaan ko neeche uske seene par le jaate hue lagaya. Aur-

*Ba-dump*

*Ba-dump*


Agle hi shan uski aankhon me aansu apne aap panap aaye. Dil dhadak raha tha..! Usne kabhi nahi socha tha ki kabhi kisi ki dhadkan sunn ke use itna sukoon milega, itni khushi milegi, itni raahat milegi. Ek dil ki dhadkan ka mol jaise aaj use pata chal gaya tha.

Kabhi usne nahi socha tha ki Veer jaise ladke ke liye woh aisa kuch mehsoos karegi. Pehle din se hi Veer aur uska rishta koi khaas nahi tha. Magar, iss waqt Veer ke dhadakte dil ki awaaz sunn jo woh mehsoos kar rahi thi, unhe shabdo me bayaa kar paana uske liye behad mushqil tha.

'Thank God-!! Thank God!!! You idiot!!! *sniff* You are alive.'


[Ek minute!! Agar, Veer yaha hai. Toh, Jaw Long kaha hai?]

Genie ke prashn karte hi Erica ko jaise dhyaan aaya. Khatra woh janvar nahi the. Asli khatra toh Jaw Long tha. Uske baare me sochte hi uski aankhein satarkta ke chalte fel gayi.

Woh idhar udhar apni gardan ghumate hue chaaro orr dekhi. Magar, Jaw Long kahi bhi use dikhayi nahi diya. Woh toh aise gayab tha jaise cheel ke ghosle me maans.

Aur, tabhi-

*Booooooooommmmmm*

Dur use kuch shor sunayi diya. Aisa lag raha tha maano do log aapas me lad rahe the.

'What? What's happening?'

Uske sawal ka jawab bhi use jaise agle hi pal mil gaya. Dur jangal ki gehrayiyo se nikalta hua Jaw Long bhayanak tez raftar me uski orr hi aa raha tha. Ek shan pehle uski koi upasthiti nahi thi aur agle hi shan woh khud uski orr pagal saand ki tarah dauda chala aa raha tha.

'Huh!?'

Jab Erica ne danav jaise Jaw Long ko apni orr aata dekha toh maano uski haalat hi patli ho gayi. Jaise jaise woh nazdeek aa raha tha uski aakriti badhti jaa rahi thi. Asal me woh kitna vishal tha ye ab Erica ko samajh aa raha tha. Jaw Long ke haatho me uska wahi bada sa kulhada bhi tha. Ek baar hi uske chalane par Erica ke shareer ke do tukde ho sakte the.

Ye sochte hi woh bechari itna ghabra gayi ki usne neeche letey Veer ko apne seene se lagaya aur aankhein band kar apne haath khade kar diye. Agar, yahi unka ant tha... Toh wahi sahi.

Magar, iss se pehle ki Jaw Long unn tak pahuchta-

*Whooooooosshhhh*

Ek saaya unn dono ke beech aake khada ho gaya. Jab aakriti spasht hui toh pata chala ki ye Ava hi thi. Erica ne jab khamoshi ko mehsoos kar apni aankhein kholi toh apne saamne Ava ko khada dekh dang reh gayi.

Aur, uske hosh aur bhi zyada tab ude jab usne Ava ko check kar ye pata lagaya ki woh bhi ek system holder thi.

'Whattttt!!?? Wh-Who is she!?'

Ava agar chaahti toh camouflage activate kar woh fake status dikha sakti thi. Parantu, usne aisa na kiya. Veer ko dhoka dene ke baad se jaise use iss skill se nafrat si ho gayi thi.

Woh Jaw Long ke saamne nidarta se khadi hui thi. Usne apne kandhe ke upar se peeche halka sa mud Erica ko dekha jisne apne seene se Veer ko laga rakha tha. Uski nazre Erica ke seene aur Veer ke chehre par kuch zyada derr hi tiki rahi. Kuch shan baad woh boli.

Ava : Kuch samjhane ka time nahi hai. Uske wounds deep hai. Uska system andar hi andar bleeding ko rokne ki koshish kar raha hoga. Tab tak uski safety, mein tumhare haatho saunpti hu.

Erica itni zyada confused thi ki use kuch bhi samajh nahi aaya. Kaun thi ye ladki? Kar kya rahi thi ye yaha? Aur, Veer ko kaise jaanti thi?

Erica (frowns) : Who are you?

Ava : I'm... I'm someone who owes him a debt.

Erica (frowns) : Ye mere question ka answer nahi! Who exactly are you? Aur, mein tum par bharosa kyu karu?

Ava (smiles) : Kya waqai iss waqt tum ye sawal puch rahi ho? Saamne dekho apne. Agar, mein yaha se hatt gayi toh anjaam kya hoga?

Erica ne jaise hi Jaw Long ko dekha jo abhi tak satark hue unke saamne khada tha, uski bauhe ghabrahat ke chalte sikud gayi. Ava ki baat sahi thi. Agar, woh unke saamne se hati toh woh dono hi maare jaane waale the.

Ava : Shayad ab tumhe samajh aa gaya hoga ki tumhe mujhpe bharosa kyu karna chahiye. Right?

Erica : ...

Ava (exhales) : Take care of him! Use abhi move mat karna. Warna, blood flow hota rahega. Bleeding ruki nahi hai. Bas, uski hifazat karo. Bleeding ke rukte hi use yaha se leke nikal jaana.

Erica chup chaap sab kuch sunn rahi thi. Sawaal dher saare the uske mann me magar filhal unhe taal dena hi behtar tha. Kya iss ladki par bharosa kiya jaa sakta tha? Uske Dad bhi yaha nahi the. Ek decision hi unn dono ki life ya toh bacha sakta tha ya fir khatam kar sakta tha. Ek bahut badi zimmedari iss samay uske sarr thi.

Usne ek gehri saans lete hue fir apna nirnay liya. Haami bharte hue woh boli,

Erica (nods) : Theek hai! I'm trusting you.

Ava : Good! I will stall him until then. Yaad rakhna! Bleeding band hote hi tumhe use leke yaha se nikalna hai.

Erica : Hmm!

Aur, itna bol Ava wapas se apne saamne khade Jaw Long par focused ho gayi. Jaw Long jaan boojh ke hamla nahi kar raha tha.

Veer ke alawa uske saamne do do system holders maujood the. Zahir hai woh jaldbazi me koi galat qadam nahi uthana chahta tha. Aur, Ava ki woh zordar kick jo use padi thi. Uss se kahi na kahi use andaza lag gaya tha ki ye system holder ladki sirf kehne ki system holder nahi thi.

Woh kehte hai na, 'fook fook kar chalna hi samajhdari hoti hai.' Baad me dukhi hone se behtar tha ki abhi satark raha jaaye. Kisi tareeqe se woh Ava ko chakma deke yaha Veer aur Erica ko maarne ke liye aa toh gaya tha. Par, saamne khadi Ava ko dekh uske qadam sanshay me thame hue the.

Aur, Ava ne bhi jaise uske sanshay ka abhaas kar liya. Woh palak jhapakte apni jagah se gayab hui aur Jaw Long ki taraf lapki. Uske haath me ek katana talwar uski sheath se bahar nikli aur seedhe Jaw Long ke gale ki orr badhi.

Kuch bura abhaas hote hi Jaw Long ki aankhein sankat ke chalte chaudi ho gayi. Bhay ke maare woh peeche hua aur isi prakar Ava Jaw Long ko Veer aur Erica se dur karne me safal ho gayi.

Toh wahi idhar Erica Ava aur Jaw Long ko bhidte dekh ek alag anubhav le rahi thi. Usne apna dhyaan Veer par jaise hi punah daala toh veh ghabra uthi.

'My god...!'

Veer ke zakhm gehre the. Erica ne apne jeevan kaal me kayi maut apni aankhon ke saamne dekhi thi. Par, kabhi bhi kisi system holder ko iss tarah ghayal nahi dekha tha.

Ek system holder ka iss tarah zakhmi hona kis baat ka saboot tha? Iss se ye pata chalta tha ki Jaw Long unke liye kitna bada khatra tha. Agar, Veer unki madad na kar ke Jaw Long ko yaha baandh ke na rakhta toh kya hota? Woh sochna bhi nahi chahti thi.


[He's badly injured.]

'Uss ladki ne kaha ki Veer ka system use heal kar raha hoga andar hi andar.'

[So, he does have a healing skill huh?]

'Pata nahi! Card bhi ho sakta hai. Lekin, ye ghaav...! Kitna dard saha hoga Veer ne Genie?'

Erica Ava ke chehre ko poori tarah se nahi dekh paayi thi. Ava uss se baat karte samay bas halka sa hi mudi thi, jis kaaran vash use Ava ki soorat poori tarah se spasht dikhayi na padi. Parantu, woh Ava ke baare me kaafi kuch jaanti thi.

Woh jaanti thi ki Ava ek system holder thi. Veer ko Crimson se bachane ke baad Renshu ne use kaafi kuch bataya tha. Use ab bhi apne pita ke saath kiya gaya woh sanvaad yaad tha.


'Woh celebrity Natalia Martin bhi ek system holder hai, Erica!'

'Really?'

'Hmm! Aur, uss ladke ki maut ka ek kaaran bhi bann sakti thi. Agar, mein sahi samay par waha na pahuchta toh-'

'Hmph! Aap jab se waha se aaye ho uss ladke ke baare me hi baat kare jaa rahe ho. Akhir kaun hai woh?'

'Haha! Jo bhi hai bahut hi kaabil naujavan hai. Aur, rahi baat ki kaun hai woh? Jald hi tumhe pata lag jayega. Mera ek favour hai uspe ab. Jise chukaane wo zaroor yaha aayega. Tab, tum khud apni aankhon se dekh lena.'

'Hmph! I don't care! Balki, aap celebrity Natalia ke baare me mujhe kuch bataiye.'

'Uske baare me mein zyada nahi jaanta aur na hi uss se mila hu. Lekin, itna zaroor pata hai mujhe ki uss ladke ko shadyantra me phasane waali woh bhi ek thi. Maine itna anuman laga liya tha.'

'Woh kaise?'

'Ladka jab samundar me doob raha tha tab maine use waha se bachaya tha. Uss dauran, woh Natalia Martin helicopter me upar baithi neeche nazre gadayi sab kuch dekh rahi thi.'

'Ohhh-!?'

'Lloyd ne mujhe bata diya tha ki wo bhi ek system holder thi.
Mujhe poore shadyantra ke baare me jankari to nahi hai. Lekin, kaafi kuch anumaan mein laga sakta hu.'

'I see!'

'Uske paas camouflage kar ke ek skill hai.'

'Camouflage?'

'Hmm! Uski madad se wo nakli status laga ke ghum rahi thi.'

'Iska matlab-!'

'Haan! Usi ke chakkar me shayad wo naujavan ek khatarnak shadyantra ka shikar ho gaya. Kherr, woh zinda hai abhi yahi acchi baat hai. Shayad, tab uss Natalia ne Camouflage ko band kar rakha tha. Tabhi, Lloyd use check kar paaya tha. Aur, asliyat ka pata laga paaya tha.'

'Hmm! Lekin, aapko kaise pata chala Dad ki Natalia ke paas Camouflage skill hai?'

'Kyuki jab maine use check kiya tha tab uska status mujhe dikhayi de raha tha. Woh nakli tha. Lloyd ne sahi pehchan baad me ki thi.'

'Ahh!'

'Erica!!!'

'Huh!?'

'Agar, kabhi tumhara saamna iss Natalia Martin se ho. Toh uss par bharosa mat karna. Celebrity hone ka matlab ye nahi ki kisi ka dil saaf ho.'


'Jii dad. Mein aapki baat ka dhyaan rakhungi.'


Ye baatein use acchi tarah se yaad thi. Magar, uska dhyaan to abhi uski jaangh par sarr rakha yeh naujavan kheenche hue tha.

Genie chup chaap Erica ke emotions ko padh rahi thi. Kaise Erica ke kaanpte hue haath Veer ke zakhmo par haule se fir rahe the. Jaise wo ghaav dekh ke hi unhe mehsoos kar paa rahi thi ki kitna dard hua hoga Veer ko jab ye chotein uske shareer par aayi hongi. Uski sarsari nigaahein Veer ke uttam kataav waale badan par bhi fir rahi thi.


[Tum uski dressing kyu nahi kar deti? Hamare paas rakhi hui hai na?]

'Arrey haan! M-Mujhe to dhyaan hi na raha.'

Usne apni jebo me se dressing ke liye kuch first aid ki pattiyaan nikaali aur Veer ke ghaavo ko saaf kar unn par savdhani se baandhne lagi. Bhale hi inse zyada madad nahi milne wali thi par ghaavo ko khula chorrne se toh ye behtar hi tha.

Dressing baandhte baandhte Erica ki nazre baar baar Veer ke chehre par phir rahi thi.

'G-Genie-! I... I was just thinking... Veer ki kya favorability hai mere liye?'

Sawaal sunte hi mann hi mann jaise Genie muskurayi. Woh jaise bhaanp gayi ki ye sab kis orr jaa raha tha.


[Sach me jaanana hai tumhe?]

'N-Nahi aisi koi khaas wajah nahi hai. M-Mein toh bas yuhi- curious thi...! Isliye- socha ki-'

Apne baalo ki latt ko ungli se ghumate hue woh khusur-pusur karte hue boli.


[Uski favorability tumhare liye 90 hai.]

Ank sunte hi Erica ki jaise aankhein phati ki phati reh gayi.

'Wh-What-!???'

Use pata tha ki 70-80 ke upar favorability ka hona kya darshata tha.

Pyaar!!!

Samajh aate hi uske gaal laal tamatar ki tarah laal hote chale gaye. Par, agle hi shan, maano jaise Genie ne uske sarr par thande paani se bhari balti udel di.


[Hahaha! Just kidding. Asli favorability 22 hai.]

'Y-You-!!! Genieeeeee!!!!'

Woh mann hi mann Genie par barsi. Toh wahi Genie uska reaction dekh aur zyada thahaake lagaane par majboor ho gayi. Genie jaan boojh ke mahaul ko halka karne ki koshish kar rahi thi. Aur, usme woh poori tarah se qamyab thi. Erica ka aisi sthiti me calm hona behad aavashyak tha.

'Ahinda se aisa tumne kabhi kiya na, toh mein tumhe sleep mode me daal dungi.'


[What?? H-Hey! Wait a minute! It was just a joke. Okay? Aur, maine ab bata to di asli favorability. It's 22. Twenty two. Jise dusri bhaasha me-]

'Haan pata hai!! Sunn liya maine. Sunn liya. I-It's not even a good number. Why are you yelling so much??? Enough! Sunn liya maine. 22 hai. I know! Hmph!'

[What? Kya tum chaah rahi thi aur zyada ho?]

'Wh-Who cares? *blushes* Ahem! Anyways! Mera ek sawal hai. System jab ek dusre ko check nahi kar sakta toh ek dusre ki favorability kaise bata deta hai?'

[Hmm! A very good question.]

'Please, ab baatein mat ghumaana.'

[Nahi nahi! I will tell you. Look! Hum sabhi system ek dusre ke prati satark rehte hai. Koi bhi system ye nahi chaahta ki agla system unke stats dekh paaye. We are afraid of each other.]

'Afraid?'

[Hmm! System apne stats ko hide kar sakta hai. Isliye, check karne par hume kuch bhi info haath nahi lagti. Ek prakar se ye hamara defensive mechanism hai. Par, Erica...! Emotions chhipaye nahi jaa sakte.]

'Ah!'

[Bhale hi stats hide kar diye gaye ho par feelings ko hide nahi kiya jaa sakta. Agla system holder tumhare liye kya bhaav rakh raha hai woh asaani se dikh jaata hai. Jaw Long ko dekhte hi uski ill intent humne mehsoos kar li. Zahir hai favorability minus me hai uski.]

'Right!'

[Wahi Veer ki 22 hai. Tumhare Dad ki tumhare prati 90 hai. Of course, it's all fatherly love.]

'Dad to meri chinta hi nahi chorrte. Mein badi ho gayi hu ab. *sighs* Toh aise work karta hai ye. Samajh gayi. Thanks Genie! Ohh! Look, woh ab saansein behtar dhang se le raha hai.'

[Uske system ne blood flow ko control me rakha hai. I think wo neend me hai.]

'Use araam ki sakht zaroorat hai. So, just-'

Iske pehle ki wo apni baat poori keh paati Jaw Long ki tezz dahaad ne uska dhyaan kheencha.

"Shebaaaaaaaaa-!!!!!"

*Keeeeeeaaaaaarrrrr*

Aur, beshaq...! Wahi baaj hawa me apne parr felaaye uske ek bulaave par haazir ho gaya. Sheba udta hua seedhe Erica ki orr aaya.

'Ahhh!'


[Careful!!]

Par, iss baar Erica ghabra ke dur nahi bhaagi. Usne apni peeth par peeche khusi hui kisi cheez ko baahar nikaala. Aur-

'This time...! I won't run!!'

*Fwoosh*

Seedha uss baaj ki orr usne wo fek diya. Wo cheez hawa me sansanati hui gol gol ghoom ke udte Sheba ko giraane ke liye aayi.

Sheba tezz raftaar se apni orr aa rahi cheez ko dekh baukhlate hue hawayi marg se hatt gaya. Aur, woh cheez jo hawa me feki gayi thi woh wapas se ek golaayi ka raasta apnaate-

*Thuck*

Erica ke haatho me aa thami.

Ek boomerang!!! Magar, koi sadharan boomerang nahi. Uske ird gird metal ke kuch nukeele tukde lage hue the. Kisi prakaar ki dhaar-daar blades. Jo nishchit roop se kisi ko ghayal karne ke liye hi lagayi gayi thi.

Metal bhi koi aisa wesa nahi. Ye tha titanium. Sabse halka aur mazboot metal. Aur, iss anokhe boomerang ki rachayita koi aur nahi ~ Swayam Erica thi.

Uska ek maatra card ~ Metallurgy!!!



web-7

Ek aisa card jo use saara gyaan, saari kshamtaye aur saara kaushal pradaan karta tha metals se hathyar banaane ke liye. Usne Garofano ke liye bhi kuch needles bana ke use di thi.

Erica ki aankhon me iss baar tej tha. Aur, uske mann me tabhi-

*Ding*


[Mission : Safeguard Veer until he recovers.
Rewards : Skill ~ Basic Seer Vision.
Mission failure penalty :
1) Loss of Order.
2) 10,000 points deduction.]


'Iss baar...! Mein peeche nahi hatne waali. Chaahe kuch bhi ho jaaye. Jab tak Veer recover nahi ho jaata! Mein yahi hu-!!!'

Aur, dur se use Sheba se ladta dekh, idhar Ava ke hontho par ek halki si muskan bikhar gayi.

***

Kintu, hua kya tha? Ava yaha kaise pahuchi? Woh itne din kaha thi? Veer yaha hai iss baare me use kaise pata chala? Aur, yaha aane ka uska maqsad kya tha?

Ye tamaam sawaal Veer ke mann me the behosh hone se pehle. Jinka uttar keval aur keval Ava hi apne muh se de sakti thi.

Kuch derr pehle...

Jab Veer eastside ki entrance se pravesh kar raha tha. Tab, woh nahi jaanta tha ki theek uske peeche Ava bhi use follow kar rahi thi.


[There he is, Miss! Thoda aur nazdeek jaa sakte hai hum. Itna peeche chalne ki zaroorat nahi.]

'Nahi Lily! Veer ke paas Beowulf hai. Senses badh jaate hai uske. Ho sakta hai usne activate kar ke rakha ho. Agar, mein iss se zyada nazdeek gayi toh wo meri presence ko mehsoos kar lega.'

[Ohh!]

Ava ne Veer ki aankhon me woh laal rang ki parat pehle bhi dekhi hui thi. Lily ne hi use khoj ke bataya tha ki Veer ke paas Beowulf card tha.

[Toh ab?]

'I will follow him from a distance.'

[Okay!]

'Lily...! What does he think of me now?'


IMG-20240407-165213

[His favorability towards you is only 10.]

Ava ke chehre par ek muskan bikhar gayi. Magar, iss muskan me kahi na kahi nirasha bhi chhipi hui thi.

'10... is not a bad number.'


[My dear Miss! Is 10 really a good number?]

'Lily! Jo maine kiya tha...! Uske baad toh iss favorability ko minus me hona chahiye tha. *smiles* 10 is already a great number.'


IMG-20240407-165758

[You've been smitten by him. *sighs* Kya hoga aage? I don't even know.]

'N-No-! That's not it! I-'

[Jhooth bolne ki zaroorat nahi hai. I can feel your emotions.]

Ava uske jawab me kuch na boli. Woh chupke chupke Veer ka peecha karti rahi. Veer jab uss blood trail ko laangh ke aage gaya toh Ava kuch shan wahi ruk gayi.

[Ye ek sensory type boundary ho sakti hai.]

'Andar jaane ke liye ise cross karna hi hoga.'

Aur, blood trail ko paar karte hue woh khud bhi Veer ki disha ki orr aage badh gayi.

Uske andar aate hi Jaw Long ko do vyaktiyo ke andar ghusne ke baare me pata lag chuka tha. Magar, Ava jaise pehle hi sab kuch plan kar ke chal rahi thi.

Seedhe taur par ladayi me na ghuste hue woh ped ki daali par baithe dur se sab kuch dekhti rahi.

'Yaha se mein uss par nazar rakh sakti hu. Jaise hi situation bigdegi, mein waha pahuch jaungi.'

Sirf Erica hi nahi thi, Veer ko unn janwaro se bhaagta dekh Ava ka badan bhi kaanp utha tha. Akele Veer ka waha ladna...! Woh kisi yoddha se kam nahi lag raha tha. Aur, uski woh nidarta se bhari chhavi Ava ke dil me aur nayi tarange utpann kar rahi thi.

Magar, akhir use Veer ke thikaane ka pata kaise laga? Yeh koi raaz nahi tha.

[Death Flag]

Wahi skill, jo Ava ne Veer par mark ki thi. Tab jab woh aur Suhana Las Vegas me uske concert me pehli baar daakhil hue the. Yeh wo skill thi jo ek vyakti ko mark kar ke rakhti thi. Ek seemit range tak uss vyakti ke zinda ya mrit hone ke baare me batati thi.

Tab se leke ab tak Veer par Death Flag ki woh marking bani hui thi. Kintu, Veer ke ruth ke jaane ke baad, Ava ne kuch kiya tha. Apne system ke saath. Uski system Lily ko bhi saari baatein yaad thi. Island par Veer jab use akela chorr ke chala gaya tha. Uss raat-


'Lily!'

[Yes?]

'Upgrade Death Flag's range!'


[What?]

'Suna nahi tumne? Maximize the range.'

[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? The first upgrade will take 5000 points. And, the second upgrade will take 10,000 points. Total 15,000 points.]

'Yes! Jaanti hu! Do it!'

[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]

'Lily!!!'


[Fine then!]

*Ding*


[Death Flag's range has been maxed out.]

'Good!'


Yahi woh pal tha jab Ava ki skill Death Flag ki range maximum ho chuki thi. Na sirf ab woh jeevit ya mrit ke baare me bataane me saksham thi balki, insaan ki ab location bhi woh saaf saaf dekh sakti thi. Veer duniya ke kisi bhi kone me hi kyu na rahe, agar Death Flag uss par marked thi toh Ava uski location ko asaani se dekh sakti thi.

Woh uss tak jab chaahe tab pahuch sakti thi. Aur, isi tarah woh yaha Veer ko dhundh paayi.

Veer ka achanak Mumbai chorr yaha China aana. Woh jaan chuki thi ki kuch gadbad thi. Yahi kaaran tha jo woh khud yaha chali aayi. Aur, uska sanshay ekdum sahi tha.

Aaj woh yaha na hoti toh Veer bahut bade jokhim me pad jaata. Kam se kam ab woh uske liye kuch samay nikaal sakti thi. Aur, yahi uska prayshchit tha. Bhale hi... Uski jaan hi kyu na chali jaaye.


[I just don't understand. Why are you so focused on him? Kya waqai aapko uss se-!?]

'He...! He gave me happiness, Lily. Jab mein use trap me fasaane ke liye uske khilaf chaale chal rahi thi. Tab woh meri khushiyo ka dhyaan rakhte hue mujhe protect kar raha tha. Can you imagine it?'


IMG-20240407-165200

[...]

'Maine kabhi nahi socha tha unn moments ko mein firse enjoy kar paungi. Meri asli khushiyaan Mumbai me hi thi Lily. Jab mein chhoti thi. Mera bachpan...! Kaera aur Sonia ko chorr ke aane ke baad woh saari khushiyaan jaa chuki thi.'

[...]

'Veer ka saath jaise mujhe unhi lamho me le gaya. Par, kya kiya maine uske saath? I don't deserve his friendship. I don't deserve to be around him.'


IMG-20240407-170303

Ho na ho, Veer hi woh kaaran tha jiski wajah se aaj Ava jeevit thi. Warna, France ki unn vardato ke baad usne-

[W-Wait!!! What are you doing?]

Uska uss pahaad ki choti par khade hona. Aur, neeche khaayi ki orr dekhna.

[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]

'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'


[W-Wait!! N-Noooooo!]

Woh khud khushi karne jaa rahi thi. Aur usne apna perr aage badha bhi diya tha.


[Noooooooooooooo!!!!!]

Par, usi waqt Veer ke akhiri shabd uske mastishk me punah goonj gaye.


'Go and protect your loved one now.'

Aur, usne apne santulan ko girne se bacha liya.

[You idiot!!! You scared the shit outta me. Ye... Ye kya kar rahi thi dear? Whyyy?]

'I'm sorry-!!! *sniff* I'm sorry, Lily. I'm so sorry!!! Maine tumhare baare me zara bhi nahi socha. N-No-!! I didn't even think of him either-!!'

[Huh!?]


'Usi ne kaha tha na!? Th-Then I must protect him!'

[Y-You-!!!?]


*Clang* *Clang*

Ateet se baahar aate hue Ava ki aankhein saamne Jaw Long ke harr move ko padhne me vyast thi.

Woh prahar karti jaa rahi thi magar Jaw Long peeche fall back karte hue khud ko bacha le raha tha.

Jaw Long uss se direct fight nahi le raha tha. Pata nahi kyu, par woh Ava ke hathyar katana se kaafi bhaybheet sa nazar aa raha tha.

Ava ne apni tactic turant hi badli aur apni jeb se usne handgun nikaal seedha dur khade Jaw Long ki upar taan di.

'Kisi wajah se woh mujhse directly nahi lad raha hai. Agar woh long ranged fight hi chaahta hai toh theek hai. He can have a kiss of my bullet.'



IMG-20240223-195059

*Bang*

Jaise Jaw Long ne kuch bhaanp liya. Woh tezz raftar me daudta hua apni jagah se bhaagne laga. Aur, Ava ki bullets apne nishaane se choonk gayi.

'Shit!! Kaash mere paas perfect aim ki koi skill hoti.'

*Bang* *Bang* *Bang*

Bullets gun ki nozzle se nikalti jaa rahi thi, par harr baar Jaw Long apni speed ke chalte unse bachta jaa raha tha. Saari bullets ya toh hawa me ya fir pedo ke tane par lag unke parchhatte udhedte hue nikal gayi.

Ava ko bhi mission mila hua tha. Magar, uska mission Jaw Long se bhidant ka nahi tha. Uska mission tha~


[Mission : Stall the time.
Description : Don't let your loved one die.
Rewards : ??]


Koi bhi penalty nahi dikh rahi thi. Iska matlab... Penalty death thi. Aur, system ko kho dena.

'Veer se ladne ke baad lagta hai ye aadmi kaafi thak chuka hai. I might be able to take him down.'


[Filhal toh wo hamari saari bullets se bach raha hai. Hume use jald se jald ghayal karna hoga.]

'Toh ek baar me ek bullet enough nahi haan? Alright then!'

Agle hi shan usne apni jacket khol andar se ek aur handgun nikali. Aur, dono handgun Jaw Long ke bheje ki orr taan usne trigger daba diya.



IMG-20240223-195029

*Bang* *Bang*

Do sansanati hui bullets guns se nikal Jaw Long ki chithde udaane ko aayi. Lekin, lagatar tez gati se bhaag raha Jaw Long unhe chakma dene me qamyab raha. Magar, khel yahi samapt nahi hua tha. Fire karte hi Ava ne unn dono guns ko upar hawa me ucchaal diya. Guns hawa me upar gol ghumti hui gayi aur tabhi-

Ava ne apni jacket punah khol aur do handguns usme se nikali. Unse fir se bhaag rahe Jaw Long ki taraf nishana lagaya. Aur, iss baar jaise Jaw Long ke chehre par dehshat saaf nazar aa gayi.

*Bang* *Bang*

Hawa ko cheerte hue woh bullets uske maans me dhassne ko aayi aur Jaw Long darr ke chalte ped ke peeche jaa dubka. Woh bullets ped ke tane ko ukhaadte hue usme jaa dhansi.

Idhar Ava ne haath me pakdi dono guns ko bhi turant hi hawa me uchaal diya. Jaise hi usne ye guns hawa me feki, pichhli do guns jo usne pehle se hi hawa me feki hui thi woh gravity ke chalte tezi se neeche aayi.

Unhe punah haath me thaam usne firse-

*Bang* *Bang*

Aur, wapas se unhe hawa me uchhal diya. Upar feki gayi baaki ki do guns fir neeche aayi aur iss baar unhe thaam-

*Bang* *Bang*

Woh do guns hawa me fekti, do se fire karti aur fir unhe hawa me fekti aur pichli do guns se fire karti. Ek baar me hi... Woh 4 handguns istemal kar rahi thi.

Aur, ye sab kuch itni tezi se ho raha tha ki aam insaan ko bas Ava ke haath ki dhundhli aakritiyaan hi nazar aati. Uske haath after images bana rahe the. Guns itni tezi se hawa me uchhal ke neeche gir rahi thi aur wapas se hawa me jaa rahi thi ki pata laga paana mushqil tha kaun si gun pehli waali thi aur kaun si dusri.

Usne itni bullets ped pe daag di ki ped ka tana hi toot ke bikhar gaya. Jaw Long kisi bheegi billi ki tarah ek ped se dusre ped ki aadh me khud ko chhipane par majboor ho gaya.

Ab tak close ranged fight me woh bada hi guroor dikha raha tha. Par, bandook ke saamne aate hi woh dubak ke chhupne par vivash ho gaya.


[Such skill of handling weapons. She's a skilled warrior.]

Yaha tak ki uska khud ka system bhi Ava ki weapon handling ki tareef karne me peeche na raha.

'Kai! Agar, aise hi chalta raha toh-'

Woh mann me kehte hue ek ped ki aadh lene bhaaga jab tabhi-

*Bang*

*Squelch*


"Urrrghhh!"

"Finally! I got him!"

Akhir kaar ek bullet ne apna kaam kar hi diya. Kandhe ke paas aake bullet maans ko cheerte hue andar ghusi. Aur, Jaw Long ki ek dabi dard bhari karah muh se nikal gayi.

'Agility badhani hogi, Kai!'


[Long! Tumhare paas sirf 3000 points hi baaki hai.]

Kehte hue usne uske mann me hi full status dikha diya.


web-9


web-10

'Jaanta hu! Lekin, Aura vision ko upgrade karne ke liye mere paas paryapt points nahi. Agility ki zyada zaroorat hai.'

[Accha? Aur, sleep ka kya? Bina sleep ke points nahi badhne waale. Stats me points invest karna bekar hai.]

'...'

Jaw Long kuch na bola. Kai ki baat sahi thi. Agar, agility me points invest kar bhi diye to bina neend ke woh nahi badhne waale the.


[Intezar kiska kar rahe ho? Apne trump cards ka istemal karo. Aur, jald se jald ye ladayi khatam karo. Straight way se ghuse Li Renshu aur unke aadmi kahi mine tak na pahuch jaaye.]

'Hmm!'

Kai ki baat maante hi Jaw Long ke ird gird ki hawa badalne lagi. Woh poori tarah se gambheer ho gaya. Wahi, yaha Ava ki bullets ki saari magazines khatam ho chuki thi.

Woh ab apni katana ko haath me pakdi wapas se close combat ke liye taiyaar thi. Magar, Jaw Long ke haav bhaav use satark rehne par majboor kar rahe the.

Aur, fir-

*Ding*


['Berserk' has been equipped.]

*Ding*

['Berserk' has been activated.]


web-6

Agle hi shan Jaw Long ka saara intelligence dhadalle se neeche girne laga. Ek ke baad ek uske intelligence ke 150 points girte chale gaye. Aur, usi ke saath ye points uski 180 strength me judne lage. Jaha ek taraf intelligence ghat raha tha toh wahi dusri orr strength badhti jaa rahi thi.

Berserk! Ek aisa card jo intelligence aur strength stat ke beech apna game khelta tha. Ek aisa card jisme intelligence ka balidan dene ke baad uske saare points strength stat me liye jaa sakte the.

*Ding*


[Intelligence has reached zero.]

[Strength stat has reached 330.]


Intelligence ke saare ke saare points strength me jaa chuke the. Jaw Long ke ird gird ki hawa bhaari mehsoos hone lagi. Uske lambe baal hawa me lehrane lage.

330 ki strength. Akhir kitni taqat rakhti thi? Woh kisi pagal khule saand ki tarah ho chuka tha. Jo raaste me aaye kisi bhi insaan ke tukde tukde karne ko taiyaar tha.


[This is bad!!! I can feel it. He's using something. Dear! Distance leke hi fight lena. Woh kisi prakar ka card istemal kar raha hai. Uski taqat badhti hui mehsoos ho rahi hai. Be careful!]

Lily ki chinta janak awaaz Ava ke mann me goonji. Ava ki bauhe bhi bhay aur duwidha ke chalte sikudi hui thi. Jaw Long ka aura woh feel kar paa rahi thi.

Aur, tabhi-

"Haaaaaaaarrrggghhhh!!!"

Jaw Long dahaad maarte hue hawa me uchakta uski orr aaya. Ava ghabrate hue peeche koodi aur Jaw Long ka taqatvar mukka zameen par jaa gira.

*Boom*

Ava ne jaise hi uss jagah ko dekha jaha woh pehle khadi hui thi uski aankhein khauf ke maare fel gayi. Zameen ke chithde udd chuke the. Ek mukke se hi waha par crater bann gaya.

'Wh-What kind of power is he using?'


[Maine kaha tha na. Usne kisi prakar se apni strength badhayi hai. Warna iss tarah ka damage asaani se nahi kiya jaa sakta. Beware! Agar ek bhi attack hume laga, to hamare liye mushqil ho jayegi.]

'Yeah!'

Jaw Long par jaise bhoot sawar ho chuka tha. Ava ko maarne ke liye jaise hi usne dusra mukka feka, Ava peeche gulati maarte hue uss se distance bana ke bachi aur ped ki aadh lete hue peeche ho gayi.

Parantu, ped jaise hi Jaw Long ke mukke ke sampark me aaya-

*Smaaaashhhhh*

Aisa laga maano ped me kisi ne bomb laga ke chorr diya ho. Kyuki, kisi visfot ki tarah hi uske parchhatte udd gaye. Ped tukdo tukdo me toot ke hawa me bikhar gaya. Itna vishalkaay ped yu ek hamle se hi dhwast ho gaya. Ava ki haalat iss samay shabdo me bayaan kar paana mushqil tha. Usne aaj tak aisi taaqat ka namoona nahi dekha tha. Ghabrahat ab uske andar janm le chuki thi.

'Th-That's-!'

Woh abhi koi rann-neeti sochti ki tabhi kisi vyakti ki awaaz aayi.

"Hahaha! Koi bhi bhaag nahi sakta ab Lord. Maine saare pul ki rassiya kaat di hai. Ab sabko-"

Kehte hue woh nadaan tribe ka member jaise hi Jaw Long ke nazdeek aaya. Jaw Long ne uska kandha thaam use wahi jakad liya.

"Huh?"

Apne Lord ki bina aankhon ki putliyo waali chhavi qareeb se dekh uss tribe ke aadmi ka moot uski jaanghiya me hi nikal gaya.

"L-Lord?"

Aur, ye uske akhiri shabd the. Kyuki, palak jhapakte hi-

*Bammmm*

"A-Ah-!!!"

Ava ki aankhon me dehshat saaf nazar aayi. Saamne ka drishya dekh uska badan kaanp utha. Jaw Long ne aisa mukka maara ki uss tribe member ka sarr kisi tarbooj ki tarah fatt gaya. Khoon sahet dimag ke chhote chhote tukde, aur andhruni ang bhi kayi tukdo me vibhajit hote hue chaaro orr fel ke gir gaye. Uska bina sarr ka bacha hua shareer bhi ladkhada ke zameen par dhamm se gir pada.

Aur, vatavaran me khoon ki gandh fel gayi.

*Blurgh*

Ava ko vomiting jaisa feel hua. Usne iss tarah ki maut kabhi nahi dekhi thi. Neeche uss tribe member ke dimaag ke tukde, toh kahi aankh ki putliyaan, uske chehre ke alag alag ang dale hue the jo ab pehchan me bhi nahi aa rahe the.

Yahi tha Berserk card! Jo apno aur dushmano ke beech antar karne me asaksham tha. Jaw Long ne apna intelligence sacrifice kar strength ko apnaya tha. Ab 15 minute tak bas Berserk ka hi prakop chalne wala tha.


[He's a monster!]

'H-How am I gonna fight him?'

[Tabhi toh keh rahi hu. Iski koi zaroorat nahi. Just run and escape.]

'N-No Lily! I can't-! And, I won't! Mein use yaha chorr ke nahi jaa sakti.'

[You-!!!]

'I'm sorry, Lily. But please...! Help me this one last time.'

[ *sighs* Fine!]

*Ding*


Vinona-s-mark

['Vinona's Mark' has been equipped.]

['Vinona's Mark' has been activated.]

['Vinona's Mark' has been applied on the target.]

[20 minutes...! Sirf 20 minutes hai. Hume uss se tez rehna hoga. Tabhi uske attacks se bach payenge. Defensive hote hue uss par bas ek ek vaar karti jaana. 10 consequent hits lagte hi use 150% zyada dard pahuchega. Aur, bleed bhi apply ho jayega.]


'I know! Par, uss se bachna hi sabse bada challenge hai.'

[Lekin, hume karna hoga.]

'How many points do I have?'

[See for yourself!]

*Ding*


Ava-status-1


Ava-status-2

Ava ka full status uske samaksh tha. Points ki kami dekh usne apne nichle honth ko gusse me daanto tale daba liya.

'Sirf 1500!?'


[You purchased 'Rekkaken' and 'Judo Combat' last month. Aur, Masie's cure ke liye itne saare points Death Flag me istemal ho gaye the. Mission bhi itne time baad mila hai. Of course, we have a shortage of points.]

'Damn it!'

Ava zyada derr tak apni vartalap Lily ke sang na kar paayi kyuki, Jaw Long chhalaang maar apni jagah se uda aur use maarne ke liye aaya.

Vinona's Mark activate hote hi Ava apne Judo combat style ko apnaate hue stance me aa gayi.

'Come!'

Weapon Master card ki wajah se woh harr hathyaar ko chalaane me saksham thi. Magar, Judo Combat usne ab tak kisi pe istemal nahi ki thi. Ye skill nayi thi. Aur, uska pehla hi pratidwandi Jaw Long tha.

Jaw Long ka mukka uski kamar par lagne ko aaya toh Ava chhalaang maarte hue peeche hui aur perr zameen par rakhte hi-

*Whoosh*

Woh jhatke se Jaw Long ke peeche aayi. Aur, ek strike seedhe Jaw Long ki peeth par maari.

*Thuck*

Maarte hi woh hawa ki gati se peeche hatt gayi. Aur, ye ekdum sahi faisla tha. Jaw Long ne apni laat itni tezi me peeche ghumayi ki agar woh waha khadi rehti toh uski haddiya toh tootati hi saath hi woh kayi metre dur jaake girti.

Idhar strike padte hi Jaw Long ko jaise kaafi kshati pahuchi. Vinona's Mark marked target par 120% damage zyada karta tha. Ava ki strength 150 par thi.

150 strength ka 120% zyada damage. Matlab 330 ka physical damage. Ava khud bhi nahi jaanti thi ki woh itna damage kar sakti thi. Usne kabhi bhi Vinona's Mark ka itna istemal nahi kiya tha. Aur, na hi Judo Combat ka.

Woh nahi jaanti thi ki uska damage Jaw Long ke damage ke barabar pahuch chuka tha. Ya yu kahe ki usne uss detail par utna dhyan hi nahi diya tha. Jaw Long ko jaise hi peeth par woh vaar pada, uski peeth ki maans peshiyaan andar hi andar phatne ko ho gayi.


[Bas 9 hits aur...!]

Bleed apply karne ke liye Ava ko 9 baar aur vaar karna tha. Aur, woh bhi bina ek bhi attack apne upar liye. Tabhi, uske attacks consequent kehlaate.

Woh datt kar aage badhi. Magar, pichli baar wali chaal iss baar qamyab na ho saki. Jaisi hi woh Jaw Long ki taraf feint attack karne ko aayi.

Sheba na jaane achanak kaha se uske bagal se apne panje felaata use nochne ko aa gaya. Woh ghabrati hui jaise hi mudi-

Uss se yahi par galti ho gayi. Sheba apne pankh fad-fadata hua wapas upar uda aur Jaw Long ko yaha mauka mil gaya.


[Shit...! Dear, careful!]

Parantu, kaafi derr ho chuki thi. Ava jaisi hi wapas palti-

*Pooooowwwwwww*

Jaw Long ka punch uske pait par pada aur woh hawa me udti hui kayi feet dur jaa giri. Uske muh se khoon nikalne laga.

Internal bleeding!!!


[Dear...!]

Lily chintit swar me chillaayi. Aisa lag raha tha maano andar ki saari atadiyo par 100 kilo ka wazan rakh diya ho. Uski saansein ukhdi ukhdi prateet hone lagi. Jaw Long ka endurance 200 par tha. Magar, wahi Ava ka maatr 150. Zahir hai uski dard sehen karne ki kshamta Jaw Long se kam thi.

"Urgghhh!!!"


[D-Dear-!!]

Na chaahte hue bhi Ava apne ghutno par gir padi.

'It hurts like hell...! Urrghhh! L-Lily!'


[Y-Yes!!?]

'Aisa lag raha hai jaise andar se kisi ne mere ango ko noch ke daba diya ho. Ahhh-!!'

[Bear with it, dear. Just bear with it.]

Magar, use react karne ka samay hi nahi diya gaya. Jaw Long uske saamne aake khada ho gaya.

[N-No-!!! Dear!!! RUNNN!]

***

Jab Jaw Long aur Ava dur ladne me vyast the. Toh wahi Veer apni neend me kaafi recovery kar chuka tha.

Pari ne Beowulf ko kuch derr ON rakh Veer ki healing ko badha diya tha. Aur, jaise hi bleeding band hui, usne use wapas se band kar diya. Kyuki, woh jaanti thi ki Beowulf aage kaam aane waala tha.

Veer ki palke jhapki... Aur, woh apne hosh me aaya. Neend ki wajah se usne jo points pehle add kiye the woh ab invest ho chuke the.

[Are you awake now?]

'Pari-!!!'

Saamne ka dhundhla drishya jaise hi spasht hua toh Veer ne paaya ki uske saamne Erica baithi hui thi. Erica bhi jaise use hosh me aata dekh chehek uthi.

Erica : Ahhh!!! Tumhe hosh aa gaya!!!?

Veer (breathes heavily) : Erica???

Erica (nods) : Haan! Tum theek ho na?

Veer : T-Tum yaha?

Erica : Uh-huh!

Veer : Tum yaha kya kar rahi ho?

Erica : M-Mein tumhe yaha se le jaane aayi hu obviously. Jaw Long bahut zyada shaktishali hai. Hum abhi uske level par nahi hai.

Veer : Jaw Long! Th-That's right! W-Wait-!!! Ava...! Ava kaha hai?

Jaise ab use sahi se hosh aaya. Woh uth ke baitha aur apne shareer ko idhar udhar mod apne dheele aur ghayal purjo ko usne jaise sahi kiya.

Erica : Ava?? Kaun Ava?

Veer : Wahi jisne mujhe bachaya. Jo yaha aayi thi...! Jaw Long mujhe maarna aa raha tha aur woh-

Erica : Oh tumhara matlab woh ladki? System holder?

Veer : Yeah!!

Erica : Wahi toh jab se Jaw Long se bhidi hui hai.

Veer : She's fighting Jaw Long?

Jab Veer ke chehre par uss ladki ke liye chinta ke bhaav Erica ne dekhe toh woh asahaj sa mehsoos karte hue tapaak se puchi,

Erica : K-Kaun hai woh ladki?

Veer : Ava-!!! She's none other than... Natalia Martin!

Erica (stands up) : Whaaatttt???

Apne pita ke wahi bol Erica ko fir yaad aa gaye. Chaahe kuch bhi ho jaaye Natalia Martin par bharosa mat karna. Aur, yaha woh usi Natalia Martin ke bharose pehle hi baithi hui thi.

Erica : U-Uss par bharosa nahi kar sakte hum. Hai na?

Uske sawal par Veer khamosh raha. Uski chuppi ko dekh Pari ne kaha.

[Boy-!!! What are you thinking?]

'Woh move...! Maine wo knife feki thi uss Jaw Long ki taraf.'

[Yeah, so? Pata laga liya hai humne already ki uske paas koi dodging skills nahi hai.]

'Ho sakta hai...! Par-! Maine woh sirf isliye nahi feki thi.'

[Huh!?]

'Aura vision!!! Non living things nahi dekh sakti-!!'

Pari ne jaise hi ye suna uske dil ne jaise ek dhadkan phaand li. Agar woh yaha uske saamne khadi hoti toh uske badan me khade hue raungte Veer saaf saaf dekh paata.

[You fucking-! Hahahahaha!!!!]

Woh zorro se hassne lagi.

Aura vision non living things nahi dekh sakti thi jab tak ki use upgrade na kiya jaaye. Yahi kaaran tha jo Jaw Long Ava ke dwara nikaali gayi katana se itna bhaybheet hoke dur bhaag raha tha.

Kyuki, use katana dikhayi hi nahi de rahi thi. Woh sirf Ava ke haath ke movements ko padh andaaza laga ke uss se ladd raha tha. Ava ke haath me hathyaar kitna lamba tha woh bas iska anumaan hi laga sakta tha. Aur, isliye woh Ava ki guns se bhi bhaagta raha. Na hi woh guns dekh paa raha tha aur na hi bullets. Kyuki, ye sab non living things thi.

Veer ne na sirf woh knife fek ke ye check kiya ki Jaw Long ke paas koi dodging skills thi ya nahi, balki ye bhi check kar liya tha ki Jaw Long ne Aura vision upgrade ki hui thi ya nahi. Aur, isi ke chalte use ye baat bhi pata lag gayi ki Jaw Long ke paas Aura vision ko upgrade karne ke paryapt points nahi the.

[If I would have been in my physical form. I swear I would have crushed your head while hugging you. Hahahahahahaha!!!]

Pari ka excitement iss waqt charam pe tha. Agar woh saamne hoti toh uske chehre par ek khaufnak muskan feli hui hoti.

'It's time for Round 2!'

Gehri saans lete hue Veer uth khada hua. Badan abhi bhi dard kar raha tha. Ghaav abhi bhi gehre the. Magar, samay yaha baith ke araam farmaane ka nahi tha.

Erica : U-Utho mat! Just rest! Bleeding abhi abhi band hui hai. Agar, tum zyada chaloge firoge to ho sakta hai firse shuru ho jaaye.

Veer : I need to go-!

Erica : What???

Veer : Erica! Kya tum mujhe yaha reh ke protect kar rahi thi?

Erica : Uh-huh! M-Mujhe mission bhi mila tha.

Usne jaise hi bola, uske mann me tabhi ghanti bhi baj uthi.

*Ding*

['Mission : Safeguard Veer until he recovers' is completed.]

*Ding*


[You have been rewarded with the skill 'Basic Seer Vision.']

[Skill : Basic Seer Vision.
Description : Allows the host to witness all the events that transpired at a particular place within an hour prior from the running time.]


Erica : O-Oh! Mission poora ho gaya.

Veer : Thanks!

Erica : Ehh??

Veer : Meri safety ka dhyan rakhne ke liye thanks. You... have grown up!

Erica : ...!!!?

Veer : Now I need to fulfill my role.

Erica : Wait-! Tum iss haalat me-

*Whoosh*

Kintu, uski baat adhoori hi reh gayi. Kyuki, Veer hawa ke jhonke ki tarah waha se jaa chuka tha.

Erica (shouts) : Veeeeerrrrrr!!!!

***

'I think... This is the end, Lily!'


[Noooo-!!! Get up and run!!!]

'I... I can't-! Mere perr kaanp rahe hai.'

Jaw Long uske saamne uski maut bann ke khada hua tha. Ek hit me hi Ava ka shareer atyadhik damage le chuka tha. Endurance kam hone ka nateeja tha ye.

Jaw Long bhi kaafi ghayal tha. Magar, Berserk use tike rehne ki himmat de raha tha. Usne apna haath hawa me uthaaya aur uss tribal ke aadmi ki tarah woh Ava ke sarr ke chithde udaane hi wala tha jab-

Bagal se aati ek zordaar kick ne use dur girne par majboor kar diya. Jab Ava ne saari umeedein chorr di thi, tab ek baar fir Veer uske saamne aake khada ho gaya.

Ava : !!!??

Veer uski taraf peeth kar ke khada hua tha. Woh nahi jaanta tha ki iss waqt Ava ki aankhon me aasu the.

Veer : I told you to never show me your face. Right?

Ava : ...!

Woh khamosh rahi. Apna sarr jhukaate hue woh apne hontho ko daanto se kaat khud ko dosh dene lagi. Kya kar sakti thi? Woh apne dil ke aage bebas thi.

Veer ne aage kuch na kaha. Woh bas Jaw Long ki taraf daud pada. Aur, idhar Ava ke chehre ke bhaav taajub me tab badle jab use apne mann me woh notification sunayi diya.

*Ding*


[Veer's favorability has increased to 20.]

Ava bas aashcharya me dur jaate Veer ki peeth ko dekhti reh gayi.

'V-Veer-!!?'

Veer Jaw Long se bhid baitha. Berserk ko khatam hone me abhi 2 minute baaki the. Woh tez raftar ke saath uske paas pahucha. Jaw Long ne jaise hi Veer ki taraf apni kick maarni chaahi-

Veer neeche jhuk gaya. Zordar force waali kick uske sarr ke upar se nikal gayi. Aur, Veer ka taqat se bhara mukka seedha Jaw Long ki jaangh pe jaa ke laga.

*Pooowwww*

Uska santulan bigda aur woh ladkhadaya. Mauka dekh Veer seedhe uske peeche gaya. Uske dono haath Jaw Long ki kamar par lipte-

Aur, agle hi shan itna bhari bharkam Jaw Long hawa me tha. Peeche se Veer ne use uthaaya aur peeche hi le jaate hue-

*Baaaaaaammmmm*

Neeche zameen par use sarr ke bal patak diya. Zameen par ek crater bann gaya.

Haafte hue Veer Jaw Long ki kamar ke peeche se baahar nikla. Sarr par bahut zorr ke padi thi Jaw Long ko.

'Did I... win?'

Veer abhi khade hue ye soch hi raha tha kyuki Jaw Long koi bhi harqat nahi kar raha tha. Par, achanak hi-

'Shit-!!!'

Jaw Long ne akasmat hi uske ankle ko apne haath me jakad liya. Uski pakad itni mazboot thi ki uss se chhootna namumkin sa tha.

Jaw Long uchakta hua Veer ko apne saath hawa me upar le gaya aur fir-

Usne itni zorr se neeche Veer ko patka ki ek shockwave uss poore ilaaqe me fel gayi. Sahi samay par Pari ne Bone Reaper equip kar liya warna Veer ki haddiyon ko aaj choorma bann jaata.

"Veeeeeer-!!", Ava dur se hi kamzor awaaz ke saath uski orr chillaayi. Lekin, koi fayda na tha.

Veer ka ang ang dard se tadap raha tha. Magar, Jaw Long wahi par nahi ruka. Usne punah Veer ke perr ko kheencha aur use-

*Craaaassshhhhh*

Ped se bhedte hue ped ke tukde kar diye. Veer ek baar fir khoon se lathpath dur jaata hua gira.

Jo bhi bleeding pehle ruki thi woh dheere dheere wapas se behna shuru ho rahi thi.

[Agar, aise hi chalta raha toh tum blood loss se hi marr jaoge.]

Tabhi-

*Swoosh* *Swoosh*


*Swoosh* *Swoosh*

Kuch teer Veer ke ird gird golaayi me jaa ke zameen par dhansne lage. Parantu, woh sirf teer nahi the. Unke chorr par insaano ki asli khopdi latki hui thi.

Berserk ka samay samapt ho chuka tha. Jaw Long wapas se apne hosh me aa chuka tha.

"Shebaaaaaa-!!!!"

Baaj ko awaaz lagaate hi woh baaj jaise ishara samajh kahi udta hua chala gaya.

Jaw Long fir Ava ki taraf badhne laga. Usne Ava ke baalo ko apne haath me jakda aur use kheenchte hue le jaane laga.

"Nnnghhh!!!"

Veer ne apni ardh khuli aankhon se jab ye dekha toh himmat kar woh uthne ki koshish karne laga. Magar, dard ke chalte woh wapas se gir gaya.

'N-No-!!!'

[Tumhari chaheeti ko baalo se pakad ke woh le jaa raha hai. Toh? Ab kya karoge tum?]

'Pari-!!'

[Fufu~ Yes?]

Bhaagti hui aayi Erica ne jab ye manzar dekha toh ek sihran uske badan me fel gayi. Ava ko bachaane ke liye usne apna boomerang Jaw Long ki orr feka.

Toh, Jaw Long ne ek haath se uss boomerang ko pakad liya.

Erica : K-Kaise-!?

Woh majbooran uski orr bhaagi. Peeche nahi baith sakti thi. Magar, nateeja wahi. Erica ko pakad ke jaise hi Jaw Long ne ek ped se bheda, bechari Erica ke sarr se khoon behna shuru ho gaya. Sirf do mukke hi kaafi the Erica ko ghaayal karne ke liye. Dono haatho me do sundariyo ke kesho se unhe jakadte hue Jaw Long unhe zameen me ghaseetata hua le jaane laga.

Veer apna haath aage badha ke unki taraf jaane chaahta tha. Lekin, uska shareer jawab de raha tha.

[What are you gonna do now?]

Pari toh jaise uski iss haalat par lutf le rahi thi. Jaise woh kuch soch ke baithi hui thi.

'A-Ava-!! Erica!!!'

Jaw Long ne unn dono ko bhi ek ek jagah par patak diya. Aur, unn dono ke ird gird bhi teer zameen par baari baari khuse hue the. Aur, unke chhor se insaano ki khopdiyaan latak rahi thi.

Jaw Long zameen par baitha. Aur, tabhi-

*Keaaaarrrrrr*

Sheba akaash me udta hua uski orr aane laga. Uske panjo me kuch tha jo bilbila ke tadap raha tha. Ek murga!!!

Murge ko hawa me chorrte hue Sheba wapas se ped ki daali par baithne chala gaya. Toh wahi Jaw Long ne uss murge ko pakda aur apni vidhi ko shuru karne ke liye taiyaar ho gaya.

Uske muh se vichitra bhaasha me bol nikalne lage. Aisi bhaasha... Jise Veer kya, kisi ka bhi system pehchaan na saka.

[He's using Gong Tau!!!]

Pari ke bol tabhi Veer ke mann me goonje.

Gong Tau ek black magic skill thi. Aur, iska upyog karne ke peeche ek hi kaaran tha ~ Laalach!

Gong Tau ek vashikaran ki kriya thi. Jiski madad se targets ko control kiya jaa sakta tha. Vashikaran hone ke baad agar targets ko maar diya jaaye toh unke saare cards aur skills Jaw Long ke paas aa jaane waale the.

Isi laalach ke peeche woh iss kriya ka upyog karne laga. Woh kuch padhta jaa raha tha. Aur, nirantar uski awaaz badhti jaa rahi thi.

Achanak hi-

*Rattle* *Rattle*

Teer par khusi khopdiyaan apne aap kampan karne lagi. Kad-kad ki awaaz ke saath woh thar-tharaane lagi. Hawaaein tezz ho gayi. Aur, Jaw Long ne fir uss murge ko pakda-

*Slit*

Uske gale ke paas ek cut maara...! Murge ko latkaya toh uska khoon neeche tapakte hue kisi vichitra si dikhne waali cheez par girne laga.

Khoon kuch maatra me giraate hi Jaw Long ne uss murge ko feka toh murga apni peeth ke bal hawa me perr kiye zameen par gir pada. Jaw Long ne ye dekh haami bhari. Iska matlab tha ki aatmao ne uski kriya ko sweekar kar liya tha.

Aur tabhi-

Woh murga jiska gala kaata gaya tha woh apne aap uth khada hua aur pankh fad-fadaata hua waha se bhaag utha. Idhar Jaw Long apni kisi prakar ki tantra vidyao me wapas se lag gaya.

Aur, ab Veer ko apne shareer me kuch gadbad mehsoos hone lagi. Sirf Veer hi nahi, Ava aur Erica ka bhi yahi haal tha.

[He's taking control of your body...! Agar tumne kuch nahi kiya. Toh, sab khatam hai.]

'P-Pari-!! Help me-!!!'

Veer ki bahut kamzor awaaz uske mann me aayi.

[Hmm? I didn't hear you-!?]

Jaw Long ke garajte bol apna asar kar rahe the. Veer samet Ava aur Erica ke haath apne aap unke gale par jaake jakad gaye. Woh sabhi apne apne gale ko kass ke dabaane lage. Erica aur Ava dono ki aankhon me aasu the.

Jaha ek taraf Ava haar maante hue sab kuch sweekar kar chuki thi aur mayus aankhein liye Veer ko dekhti jaa rahi thi jaise ye antim shan tha ek dusre ko akhiri baar dekhne ka toh wahi Erica ka chehra kuch aur keh raha tha. Use dekh ke lag raha tha maano jaise woh marrna nahi chaahti thi. Bebasi uske chehre par saaf jhalak rahi thi. Aankhon se mote mote aansu uske gaalo se behte hue gir rahe the.

'Pariiii-!!!'

[Hmm?]

'H-Help me-!!'

[Ohh? Mujhe kuch sunayi nahi de raha! Fufu~]

'I beg you-!! Please!!!'

[Ohh!! Waqai?]

'Please!!'

Veer ki saansein ukhdi ukhdi aa rahi thi. Pari kuch derr shaant rahi. Veer ke haath apne aap gale ko dabaate hue kasste jaa rahe the.

"Urrghhh!"

'P-Pari...!!!'

Agle hi shan Pari ki awaaz thodi badal gayi. Maano jaise woh bhayanak gusse me uss se baat kar rahi thi.

[THEN...! ARE YOU WILLING TO GIVE YOUR BODY TO ME???]

'Huh!??'

[DO YOU WANT ME TO TAKE CONTROL? TO DEFEAT THIS PUNY LITTLE BASTARD?]

'H-Haan-!!'

[ARE YOU WILLING TO HAND OVER YOUR POINTS TO ME???]

Woh chillaayi.

'Haan! *Gwakh* H-Haan!'

[THEN GIVE THEM TO ME-!!!]

'Hmmm!!'

[YOU ARE DOING THIS BY YOUR OWN ACCORD. RIGHT???]

'Y-Yes-!!!'

[THEN GIVE ME... THOSE POINTS!]

'Hmmm-!'

Aur, tabhi Veer ke 5692 points jo usne emergency ke liye bachaaye the. Woh dhadalle se ghatne lage.

[YES...! YES...! GIVE THEM TO ME!! THAT'S RIGHT!!! KEEP IT COMING!! THE MORE THE BETTER...!]

Woh points kaha jaa rahe the, unka istemal kaha ho raha tha Veer kuch nahi jaanta tha. Woh toh Pari ki baat maan vivash hote hue apne saare points daav par laga diya tha.

[YOU MUST THANK ME LATER KID-!!! IT'S YOUR GOOD LUCK THAT I WAS HERE-!!! OTHERWISE, YOU WOULD'VE BEEN DEAD!!!]

Veer ki consciousness dheere dheere jaane lagi. Aur, kuch hi shano me woh behosh ho chuka tha. Pari ne poore shareer pe takeover kar liya tha. Ghatate ghatate Veer ke saare points zero par aake ruk gaye.

[Hahahahahahahaha-!!!]

Pari paaglo ki tarah hass rahi thi.

[Hahahaha-!!! THIS BODY...! IT'S WEAK!!! BUT YOU'RE LUCKY KID-!! BECAUSE I'M THE ONE POSSESSING IT NOW.]

Veer ka badan jab gale ko dabaate hue gir pada toh Erica ne rote hue apni nazre ferr li. Use laga ki Veer iss duniya se jaa chuka hai. Magar, Ava ki nigaahein ekdum Veer ke shareer ke upar sthir tiki hui thi.

Death Flag me aisa koi bhi notification nahi aaya tha. Woh jaanti thi ki Veer zinda tha.

Aur, fir-

Achanak hi Veer ka shareer gravity ke viruddh uski iccha ke bina upar uthne laga. Aas paas ke neeche bikhre sookhe patte kaapne lage. Uske uthate hi uski zulfo ne uski aankhon ko dhak liya.

Ava, Erica samet Jaw Long khud palat ke use dekhne par majboor ho gaya. Ye chal kya raha tha?

Jaw Long ko poora yakeen tha ki Veer kaafi damage le chuka tha. Uske baad bhi iss tarah uth khade hona...! Zaahir hai use hairangi honi hi thi. Use kya, yaha par uski jagah koi bhi system holder maujood hota toh uska bhi yahi reaction hota.

Na pehle kabhi aisa kuch dekha gaya, na suna gaya aur na hi aisa kuch hone ki kisi system holder ne kabhi kalpana bhi kari thi. Kintu, Jaw Long sab kuch mehsoos kar paa raha tha. Aur, ye sab kuch asal me ho raha tha. Uske saamne khada yeh naujavan ladka iska jeeta jaagta udahran tha ki aisa kuch bhi sambhav tha.

Veer utha. Uska muh achanak hi khula aur usne ek gehri saans muh se chorri. Kintu, raat me jangal me thand hone ke chalte uski garam saans dhue me tabdeel ho gayi. Aur, dhua uske chehre se chhatate hi uske hontho par ek bhayanak, daanavi aur kutil muskaan fel gayi.



IMG-20240408-203544


'Huh!?'

Jaw Long ka badan iss baar ek jhatka khaaya, pal bhar ke liye shareer par ruye khade ho gaye. Thand iska kaaran nahi thi. Uski vidhi beech me hi ruk gayi. Harr insaan ka aura neele rang ka hota tha.

Par... Par kabhi bhi usne aisa kuch aaj tak nahi dekha tha. Veer ka aura...

Veer ke badan se jo aura nikal raha tha. Woh pichli baar ki tarah neele rang ka nahi tha. Uske badan se... Iss baar... Woh bhayanak gehre kaale rang ke aura ki lapto se ghira hua tha. Aura keval andar hi nahi tha. Balki, Veer ke badan ke baahar ird gird bhi lapte maarta hua nikal raha tha.

Aisa lag raha tha jaisa nark se koi bhayanak pishaach dharti par aa gaya ho. Jaw Long ne iske pehle bas aatmao ki nakaratmak urjao ke aura ko hi halke kaale rang se lipta dekha tha. Aura vision urjao ko bhi halke rango se dikhaane me saksham thi.

Bhoot, pret, pishaach jeevit praani nahi hote the lekin nakaratmak urja ka strotra zaroor hote the isliye, unka bhi kahi na kahi thoda bahut aura hota tha. Magar, woh aura itna prachand nahi hota tha. Kaali lapte zaroor hoti thi par behad maamuli si. Par, idhar-

Veer ke badan se bheeshan kaali lapte aise nikal rahi thi jaise maano uss par kisi ne aag laga di ho. Bas, farq itna tha ki lapte peeli nahi kaali thi. Beshaq, ye lapte kisi ko bhi dikhayi nahi de sakti thi.

Veer ke naye roop ko dekh Jaw Long do qadam apne aap peeche ki orr chala gaya. Woh samajh raha tha ki savdhani baratna kitna zaroori tha yaha par.

Kintu, Veer poori tarah se shaant khada hua tha. Uski aankhein uske baalo se chhipi hui thi aur muh se nikalti saans nirantar thand ke chalte bhaap me badalti jaa rahi thi. Uske hontho par saji muskan kahi se bhi uski prateet nahi ho rahi thi. Lag raha tha maano uske andar kisi aur jeev ne apna vaas kar liya ho. Kisi aur ne uske shareer par qabza kar liya ho.

Iss waqt uska roop bhayanak, raudra, aur prachand maalum pad raha tha. Yuhi nahi Jaw Long ne apne qadam peeche liye the. Chaah ke bhi Veer ki iss badli hui sthiti ke baare me use kuch pata nahi lag paa raha tha. Yaha tak ki uska system bhi iss paristhiti se anjaan tha.


[Kuch gadbad hai. Samajh nahi aa raha ki kaun se card ya skill ka istemal kiya gaya hai.]

Ava jo Veer ko uthata dekh ek raahat ki saans li, usne apni katana ko hawa me feka jo Veer ke bagal se jaa ke zameen par khus gayi.

Ava : Take it... Veer!!!

Magar, Veer ke muh se uske baad jo bol nikle woh uske nahi the. Awaaz uski hi thi, parantu bol Pari ke the.

"I don't need any weapons...! I AM THE WEAPON!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 10.6k words. Ye thoda aur lamba jaata magar kisi bhi cheez ki zaroorat se zyada maatra haanikarak hoti hai. Isliye, ise yahi rokna sahi tha. Agle update me sab kuch samapt hai. Maine keh hi diya tha ki fight 4 updates legi. Teen update ho chuke hai. Bas ek baaki hai. Aur, uske baad shayad ek update aur rahega jo arc ke closure ke liye rahega. Update bahut late aaya hai jaanta hu. Par, mein vivash hu dosto. Baaki, likes thokne ka aur revos dene ka. Target apna 200 hi hai. Pahucha do. Agla update jald dene ki koshish rahegi.

Dhanyavad!
Simply marvellous, and last update kay end main I was thinking kay kameena mara gaya. Wow kya amazing update di hay bahi. Last update main aik bat meray mind main a rahi thi kay may b wo 2nd system holder Jaw long ka slave ho jisay Black magic ya Dark card say slave banaya ho Jaw long nay. But is update main to really Jaw long nay 3no ko control karnay ka ritual kar dia. Wow . Bhai next update jaldi day dena plzzzzzz this curiosity uffff kya zabardast update di hay bro ......
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Mr-Z

Member
108
302
78
And obviously who is Pari is the biggest dhamaka in the next updates seems like it will be a huge kaboom. May be with the takeover of Veers body ab shayad kuch system ki hakeekat b khulay kay system actually hay kya.
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Sidd19

Active Member
1,786
1,926
143
Holi special

Update - 176 ~ Heavy Violence (2)

Ab tak...

PROBABILITY MANIPULATION!!!

Crimson dwara paapt kiya woh card pehli baar aaj activate hua. Veer ka perr apne aap andar ki namm mitti ke chalte fislan kha
gaya. Uska sarr peeche hua, aur saanp dusri orr jaake jaake zameen se jaa bhida. Probability manipulation ne Veer ke upar hamla hone ki probability badal di thi.

Mauka na gawaate hue usne turant hi wall run kar upar chadh haath felaate hue gaddhe ke baahar ki zameen ko jakda. Aur usme se baahar nikal aaya.

'That was close-!!!'

Saansein abhi theek se durust hi ki thi ek awaaz ne uske raungte ek baar fir khade kar diye. Koi tezi se uski orr aa raha tha.


Ab aage...

Mahaul tang tha. Do insaan jo ek dusre se anjaan the woh aamne saamne ek dusre ka adanga bann ke khade hue the. Dono ek dusre ki taaqat ki kshamta ka aaklan kar rahe the.

[Something's off about him!!!]

'Hmm!'

Lloyd ki gambheer awaaz Renshu ke mann me goonji jis se woh poori tarah sehmat tha. Saamne khada ye naujavan...! Kuch ajeeb si anubhuti de raha tha.

Achanak se ek system holder ka prakat hona aur unn par hamla karna. Kuch andhruni taur par pak raha tha, jis se Renshu anibhigya tha.

Uske maathe par paseene ki boonde chhayi hui thi. Aankhein gambheer taur par uss agyaan naujavan system holder par tiki thi.

Uski instinct 'Enlightenment' use aagah kar rahi thi. Har mushqil mod pe 'Enlightenment' use raasta dikha deti thi. Woh dekh paa raha tha ki uske liye koi jaal bicchaya gaya tha. Usne khamosh khade uss system holder ko dekh bola~

"Apne iraade toh tum batane se rahe ladke...! Lekin, ek baat yaad rakhna! Iss maamle me dakhal andazi deke tumne apne aap ko Order ka dushman bana liya hai."

Parantu, veh ladka abhi bhi shaant hi bana raha. Renshu ke agle hamle ke liye khud ko taiyar karne laga. Kahi na kahi ye baat Renshu ko aur bhi zyada gussa dila gayi ki anjaan system holder uski baato ka jawab tak nahi de raha tha. Jaise maano samay vyateet karna chaah raha ho ya fir woh uski nazro me kuch tha hi nahi.

"Mein sahi tha. Tum kuch bhi ugalne waale nahi-! Theek hai fir!!! Tumhare muh se ek ek shabd mein khud ugalwaunga!!!! LLOYD!!!' Woh garja!!!


[Ready!!!]

Agle hi pal uske haav bhaav badal gaye. Nazre kisi sher ke maafiq uss system holder par tik gayi, mutthi apne bhaale par usne jamm ke kassi. Aur, woh uss system holder par aage badh jhapatne hi waala tha jab uss ladke ne apne peeche tange tarkash se ek teer nikala aur-

*Swoooossshhhh*

Teer seedhe Renshu ki aankh ki orr poori gati se aaya magar, usne use ek jhatke me apne haath se jakad liya. Aur-

*Crack*

Use do tukdo me baant diya. Uski aankhein ab apne shikaar par poori tarah se sthir thi.

"Galti meri hi thi, jo maine 'Mayhem' ka istemal pehle nahi kiya. Lekin, koi baat nahi. Uska bhugtan tumse ho jayega!" Woh itna bol-

*Whooooooosshhhh*

Apni jagah se ek jhatke me aage dauda. Uss unknown system holder ki aankhein shan bhar ke liye bhay ke maare fel gayi aur badle me woh bhi sarpat andar gehre jangal ki orr bhaaga. Ghode ki tez chaal ke bhaanti daudate hue woh Renshu se duri banane me qamyab tha.


[Woh humse tez hai, Renshu. Sambhal ke peecha karo.]

'Ek agile system holder!? Kahi...? Assassination type? Samajh gaya!'

[Behtar hoga agar use Order se jod le toh...!]

'Ye ab sambhav nahi!'

Jangal ke ghane pedo ke beech se guzarte hue ghapp andhere me do system holder lagatar bhaagte jaa rahe the. Unke perro ke neeche aate sookhe patte kuchal rahe the aur dono ke beech ek paryapt duri bani hui thi. Jo ki zahir tha kyuki woh naujavan Renshu se 'Agility' me aage tha.

*Ding*


['Trap Master' is in use.]

Daudate daudate hi Renshu ki gardan kisi chidiya ki tarah idhar udhar hote hue traps ki talashi me jut gayi.

*Whissshhh*

Uska bhaala hawa me udta hua jaake seedhe ek gupt rassi ke baandh pe jaake laga. Rassi tooti aur patthar giraane ka jaal wahi nasht ho gaya. Toh wahi patto ki parat se dhake hue kuch gehre gaddho ko usne patthar fek unka uddeshya bhi wahi mita diya.

Jaise jaise woh aage badh raha tha, raaste me aane waale sabhi jaalo ko nasht karta jaa raha tha. Isi raaste se uske aadmiyon me se koi bhi aage aa sakta tha. Unke liye jaal se mukt raasta taiyar karna uski ek zimmedari thi.

Idhar bhaagte bhaagte punah Lloyd ne use sachet kiya.


[He's luring you deep inside the forest.]

'Jaanta hu, Lloyd!'

[Be prepared for the worst. Aage kuch bhi ho sakta hai. Par, andar jaana bhi humari majboori hai.]

'Hmm!'

Anjaan system holder Renshu ko jaise kisi prakar ke jaal me fasaane ki taiyaari me tha. Andhere jangal me woh use na jaane kaha liye jaa raha tha. Dono hi tez raftar se bhaag rahe the. Tabhi, woh ladka achanak hi uchhalte hue peeche ko ghoom gaya. Dhanush ki pratyancha par teer chadha. Aur, ladke ne teer ko kass ke kheench ek baar me Renshu ki orr chhor diya.

*Swiiiiiiisssshhhhhh*

Renshu, jo theek uske peeche bhaag raha tha, uske tez qadam shan bhar ke liye dheeme pad gaye. Teer uski orr hawa ko cheerte hue aaya toh zaroor magar, woh uska nishana nahi tha jaise-! Balki, teer uske bagal se neeche zameen me jaa gira.

'Huh!?'


[Shit! Renshuuuu-!!!]

Aur, Lloyd ko awaaz dene me halki si derr ho gayi.

*Booooooooommmmmm*

Ek Dhamaka! Dhua vatavaran me fel gaya aur usme se gussail Renshu hawa me udta hua bahar nikla. Chhota lekin ek ghaatak visfot jo use buri tarah se ghayal kar sakta tha agar woh na hoti.

Rapid Reaction!!! Uske paas maujood behatreen skills me se ek. Ye aaj na hoti toh shayad woh buri tarah zakhmi ho sakta tha. Hatasha aur krodh se uski bauhe fadakne lagi. Dhamake ke chalte uske badan par dhue ke kaale dhabbe bhi pad chuke the.

'Ye toh-! Explosive arrows!?'


[Hmm! Asal zindagi me ye nahi hote. Lekin, inhe banaya jaa sakta hai. Mujhe yakeen hai ki uske paas inhe banane ki koi skill hai. Mujhe toh ye jaan ke bhi taajub nahi hoga agar uska dhanush bhi uske haatho se banaya gaya ho.]

'Let me do it! Check!!!'

*Ding*


[A self made adjustable bow.]

[Dekha? Mein sahi tha.]


'Ab kya?'

[Unn explosive arrows se sambhal ke rehna hoga hume. Maine uski pehchan kar li hai. Uske agli baar vaar karte hi mein tumhe satark kar dunga.]

'Good!'

Ladka mauka dekh punah bhaaga. Peeche peeche Renshu bhi gusse me aaya. Krodh toh sawaar tha uspe magar uss krodh ko usne apne sochne, samajhne aur nirnay lene ki kshamta par haawi hone nahi diya. Aur, isme sabse zyada madadgar thi uski instinct ~ Enlightenment!

Kintu, jis baat ka darr tha akhir wahi hua. Jangal ki gehraiyo me uss anjaan system holder ka peecha karte karte woh aa toh gaya. Magar, aate hi use samajh aa gaya ki maajra kya tha. Woh ladka uss se ek seemit doori bana ke khada ho gaya. Chaand ki raushni me uski halki halki chhavi nazar aa rahi thi. Aur fir-

Ek raushni!

Aag ki lau andhkar me achanak Renshu ke saamne khade ladke ke peeche se jagmaga uthi.

Mashaal! Aur, fir ek aur-! Aur, ek aur...! Aur, ek ek karke uske ird gird mashaalo ka samooh banta chala gaya. Renshu ki aankhein hairangi me chaudi ho gayi. Woh jaise jaise apni daayi orr mudta gaya, ek ek karke mashaale andhere me jalti gayi. Woh ghir chuka tha. Yahi woh jaal tha!


[Isliye, woh tumhe yaha laa raha tha. Ye Unit 2 nahi lag raha. Ye alag se aadmi iske dwara laaye gaye hai shayad.]

'Lloyd---!'

[I got it.]

*Ding*

['Mayhem' has been equipped.]

*Ding*

['Mayhem' is now in use.]

Achanak hi uske mann me ek lamba sa virtual bar bann ke aa gaya. Usne Kung fu ka stance liya aur zorr se gurraaya-

"Come-!!!!"

Aur, tabhi-

"Haaaaaaaaaa-!!!!!"

"Haaarrrrgggghhhhh!!!"

"Hamlaaaaaaa-!!!!"

Neeche sthit aadmi uss par daudate hue toot pade. Toh, wahi upar pedo par baithe aadmi uss par teero ki varsha kar diye.

*Swish* *Swish* *Swish* *Swish*

Aadmi uss system holder ke peeche andhere me se agal bagal se nikalte hue aate jaa rahe the aur woh chup chaap wahi khade sab kuch dekh raha tha. Ek ke baad ek teero se apna bachaav kar Renshu seedhe aadmiyon se bhidne me ulajh gaya. Aur, 'Mayhem' apna jalwa dikhane ke liye taiyar tha.

Pehle aadmi ke aate hi Renshu ne bagal me hote hue khud ko uske hathyar se bachaya, uska ek haath seedha aadmi ki gardan par jaa ke pada.

*Chakkkkk*

Dusra haath seedha kamar par jaa ke laga.

*Whakkkk*

Aur, akhiri vaar seedhe thuddi ki orr gaya-

*Bokkkkk*

Jis se veh aadmi hawa me udte hue muh se thook aur khoon nikaal door jaa gira. Aur, isi ke saath Renshu ke virtual bar me ek point jud gaya. Kintu, yeh hua kaise? Aur, kya tha ye virtual bar?

Uske arsenal me sabse behatreen cards me se ek ~ 'Mayhem'



web-1

Ye woh card tha jo aisi group fights ke liye hi banaya gaya tha. 'Wushu' ya saral shabdo me 'Kung fu' ke moves par hi ye card apni bhumika nibhata tha. Uske paas pehle se hi 'Wushu' skill thi jisme woh maahir tha.

Wushu ka istemal kar agar woh combo ender apne dushman pe land karta hai, toh dushman 1 second ke liye achet ho jayega. 1 second dekha jaaye toh vastavik roop me kam tha, lekin system holders ke liye wahi ek second poori ki poori ladaayi ka nateeja tay kar sakta tha. Par, shart yahi thi ki combo ender dushman ke shareer par utara jaaye.

Kintu, kya bas yahi tha? Hargiz nahi! 'Mayhem' system holder ko ek virtual bar provide karta tha. Harr ek dushman jo Renshu ke haatho dher hota jayega, uske badle me virtual bar me ek point chadhta jayega. Agar, bar 5 points tak pahucha toh agla hamla do guna lethal damage ka hoga.

Ye thi taqat 'Mayhem' ki. Renshu ne Unit 1 ko dher karne me iska istemal nahi kiya tha. Warna, uske paas ab tak na jaane kitne bars stack ho chuke hote. Yeh system holder uske liye koi khatra nahi hota fir. Magar, iss baar woh taiyaar tha. Woh khud bhi jaan ke hi andar jangal ki gehrayi me uska peechha karne aaya tha. Aur, unke iss ek aadmi ko dher karne ke baad use ek point mil chuka tha. Ab baari thi baakiyon ki.

Apne aadmi ko itni asaani se ghayal hota dekh baaki sabhi bhauchakke toh hue par unke qadam zara bhi nahi ruke.

"Aaarrrghhh!"

"Uummmphhhh-!!!"

"Urrrrghhh!!"

Fir bas, unki ghur ghurati awaazein uss ilaaqe me fel gayi. Ek ke baad ek sabhi Renshu ke kung fu moves ka shikar hote chale gaye aur use points par points bhi de gaye.

Parantu, woh system holder abhi bhi yuhi shaant khada hua tha. Renshu ko inn aam logo se khatra nahi tha. Woh yeh baat jaanta tha aur isliye ladte waqt uss ladke par bhi poori tarah se dhyaan rakhe hue tha.

*Klaaaang* *Claaaanggg*

Mashalo aur chaand ki raushni ke alawa hathyaro ki aapas me bhidne ki chingariyaan bhi ilaaqe me chamakne lagi. Renshu ka harr ek move itna sateek aur nishaane par tha ki tribe ke log keede makodo ki tarah dher hote jaa rahe the.

Uska bhaala chain ke saath aise ghum raha tha ki kuch aadmi bhaale ka shikaar hote toh kahi kuch chain ke lapete me aake dur fik jaate. Kuch ped se jaa bhidte toh kuch zameen par ghisatate hue lot jaate.

Unke perr ab kaapne lage the. Unhe apne Lord Jaw Long ki upar poora vishvas aur garv tha. Aur, aaj woh sab samajh paa rahe the ki Order ka Lord bhi koi aera gera nahi tha.

"D-Daanav! Y-Ye aadmi daanav hai!"

"H-Hamare hamle- hamare hamle uss tak pahuch hi nahi rahe!!!"

"Ye kaise ho sakta hai? *shivers* Hamara ek jhund pehle hi haar chuka hai. L-Lord-! Hume Lord tak khabar-"

Magar, uske shabd adhoore hi reh gaye. Renshu ke bhaale ki chain akasmat uski kamar par aake bandhi aur Renshu ne use ek jhatke me apni orr kheench liya. Woh aadmi udta hua uski orr aaya aur-

*Gwakh*

Apne gale ko uske bhaari bharkam haath me saunp diya. Ek haath se hi Renshu uss aadmi ko zameen se upar uthaaye hue tha. Yeh manzar dekh sabko khauf ke chalte saanp soongh gaya. Aur, fir Renshu ne bolna shuru kiya.

"Tum sab ko abhi bhi mauka diya jaa raha hai. Humne baahar kisi ko bhi jaan se nahi maara hai. Agar, tum apne logo ki chinta karte ho toh abhi bhi waqt hai. Jao...! Aur, unhe bacha lo. Kahi derr na ho jaaye."

Ye sunte hi tribe ke logo ko do jhatke lage. Pehla toh yeh ki Renshu unse unki hi tribal bhaasha me bol raha tha. Woh iss tathya se anibhigya the ki Renshu ek system holder tha aur use sabhi bhashaayein aati thi.

Toh wahi, dusri taraf unke taajub hone ka kaaran tha Renshu ke aadmiyon ke dwara unke aadmiyon ko bina jaan se maare chhor dena. Yaha unke Lord ne toh keh ke bheja tha ki yeh ladayi ab aar ya paar ki hai. Kya yahi baat Renshu ke logo par laagu nahi hoti? Bilkul hoti thi.

Fir, uske bawajood-!?

"Legion se kabhi bhi Order ki dushmani rahi hi nahi hai. Mein toh sirf sahi ke liye ladd raha hu. Mine ko apne qabze me karna... Yeh ek apradh hai. Mine rashtra ki sampatti hai. Uss par sirf kuch logo ka haq nahi ho sakta. Tum sab khud socho. Kya Order ne kabhi bina wajah Legion pe hamla kiya hai?"

Uski baatein jaise logo par prabhav daal rahi thi. Sab ke sab sankoch me nazar aane lage the.

"M-Mujhe lagta hai...! Shayad... W-Woh sahi hai!"

"Huh? Tum pagal ho gaye ho kya?"

"Nahi! Mujhe bhi lagta hai ki iss baat me sacchayi hai."

"M-Mera bhai-!! Mera bhai pehle jhund me tha. M-Mujhe jaana hoga. Use bachaane."

"Tum sab ab dagabazi karoge? Legion ko akela chorr kar bhaag rahe ho?"

"Bhaag nahi rahe hai. Par, ye baat sach hai ki hume apne logo ki chinta hai. Kya tumhe nahi hai?"

"Mujhe bhi hai par-"

"Toh mein jaa raha hu. Tumhe jo karna hai karo."

Unke jhund me se ek aadmi nikal ke Unit 1 ki orr bhaag gaya. Woh sirf akele nahi the yaha. Jagah jagah unki basti bani hui thi jangal me. Aur, unn gharo me unki patniya, bacche, budhe buzurg, unka parivar unka intezar kar raha tha.

Aaj agar woh sab yaha maare jaate hai toh kal ko unke parivar ki dekhbhal kaun karega? Sabhi ke mann me jaise yeh baat toh aayi magar ek sandeh bhi paida hua. Iske pehle ki baaki sab bhi uss aadmi ke peeche peeche jaate, unhi ke ek sadasya ne unhe rokte hue kaha.

Aadmi 1 : Zara ruko tum sab!!! Y-Ye ek chaal bhi toh ho sakti hai na?

Aadmi 2 : Sahi kaha. Kya pata ye hume fasaane ke liye ho? Kya pata hamare aadmiyon ko pehle hi inn logo ne maar diya ho aur iske aadmi hamara waha intezar kar rahe ho?

Aadmi 3 : Ekdum sahi kaha! Bhala hum kaise maan le ki tum jhooth nahi keh rahe?

Renshu ki bauhe pareshani me sikud gayi.

Renshu : Jhooth keh ke mera koi fayda nahi. Tum sab khud socho. Agar, mein chaahta toh tum sabhi ko abhi hi yahi maar sakta tha. Par, kya maine kisi ki bhi jaan li?

Uske itna kehte hi sabhi ko ek bada jhatka laga. Yeh baat satya thi. Jab se woh ladd rahe the tab se kisi bhi aadmi ne apni jaan nahi gawayi thi.

Renshu : Mein aur mera hathyar tum sabhi ko maarne me poori tarah se saksham hai. Kya tum sab iss baat se sehmati nahi rakhte?

Sab ke sab khamosh reh gaye. Kyuki, ek ek baat jo Renshu ugal raha tha usme poornta sacchayi thi. Ise nakara nahi jaa sakta tha.

Shuru se hi unhone kabhi yeh nahi socha tha ki uska saamna karna asaan hoga. Lekin, unhone yeh bhi nahi socha tha ki woh sthiti ko sambhal nahi payenge. Akhirkar, yaha har ek aatmvishvas se bhara hua yoddha tha. Magar, jis tarah Renshu ne unke aadmiyon ke saath khela, uske aage sandeh jaisa kuch reh hi nahi gaya tha. Ve sab haath khade karne par majboor the.

Aadmi 1 : Dekho! M-Mujhe nahi pata tum sach keh rahe ho ya jhooth. Par, agar waqai tumne hamare aadmiyon ki jaan nahi li hai toh... Ye baat hum sabhi yaad rakhenge.

Aadmi 2 (nods) : Hmm!

Aadmi 3 : Lekin, iska matlab ye nahi ki hum Order ke gulam ho gaye hai.

Renshu : Mera kaam sirf tumhare leader se hai. Khoon kharaba karna hota toh mein tumhe kab ka maar chuka hota. Order na kabhi inn siddhanto par chala hai aur na hi chalega.

Aadmi 2 : Aur, hum sabhi Legion ka hissa rahe hai. Hamara kartavya hai ki hum apne ghar ki rakhwali kare. Magar, ye baat bhi sach hai ki agar tum hume maarna chaahte toh sach me maar dete.

Aadmi 3 : Haan! Aur, isliye-

Kehte hue woh Renshu ke raaste se alag ho gaya. Woh akela nahi tha. Uske saath uske saathi jo pehle ladne ke liye taiyaar the woh bhi uske maarg se hat gaye.

Renshu : !!??

Unka ishara saaf tha. Veh sab Renshu ki madad toh nahi karne waale the magar apne haath khade karte hue unhone ek prakar se uski madad kar hi di. Renshu ne unhe dekh haami bhari. Aur, uske baad woh log ghayalo ko utha ke unke gharo ki orr chal diye.

Yeh jhund bhi jaise taise raaste se hatt gaya. Unke jaate hi Renshu ne wapas apni nazre jab saamne gadayi toh use ek bura abhaas hua. Woh ladka-! Woh waha nahi tha. Woh gayab tha!

'Shit!!!'

Aur, achanak-


[Renshu-!!!! Dodge!!!]

Lloyd ki awaaz sunn Renshu apni jagah se uchak gaya. Uske hatate hi sansanata hua ek teer zameen par aake gira aur-

*Booooooooommmmmm*

Ek aur dhamaka. Ye wahi explosive arrow tha. Iss baar Lloyd ne ek nazar me hi pehchan liya. Renshu abhi hawa me hi tha. Uske qadam zameen par utar hi rahe the jab uss ladke ke chehre par ek kutil muskan fel gayi.

Ek sihran Renshu ke badan me daud gayi. Hawa ko cheer ke kaatate hue aa rahi ek awaaz-

"-!!!!!"

*Swoosh* *Swoosh* *Swoosh*

Woh koodne ke baad jaha utar raha tha, usi disha me dhue ko cheerte hue ek aur teer uski orr aaya. Ek jaal!!! Apne aap uske haath ne harqat li aur apne bhaale ki chain ko jorr se kheencha. Chain kisi saanp ki tarah aake fauran hi uske haath me lipat gayi aur-

*Claaaaannngggg*

Teer chain se jaa bhid usme dhans gaya. Teer ko chain par se nikal usne use alag kiya.

'He's getting on my nerves.'


[Use the bar's power on him.]

'Hmm!'

Woh dauda. Lekin, iss baar ladka bhi uski orr dauda. Dono ek dusre ki taraf aane lage. Aur, jaise hi faasla kam hua ladka hawa me ucchalte hue ulta ho gaya. Renshu ko koi mauka hi na mila. Ladke ke uchhalte hi kuch chhoti chhoti nukeeli cheezein seedhe uski taraf aayi, jinse woh poori tarah se bach na saka.

*Khaccchhh* *Khaccchhh*

'Shit!!! Shurikens???'

Woh nukeele shuriken uske shareer me jagah jagah ghus gaye. Koodate waqt ladke ne ye pehle hi fek diye the. Koodate waqt??

'Ek minute!? Shitttt...!'

Iska matlab woh ladka ab... Uske kaano me tabhi peeche se ek awaaz padi,

"Never turn your back on your enemy."


[Renshuuuu-!!!!]

Lloyd cheenkha aur agle hi pal-

*Baaaaammmmmmm*

"Urgh!!"

Renshu dur hawa me udte hue jaa ke gira. Usne vaar ko apne dono haatho se chhek ke apne chehre ko toh bacha liya. Magar, haatho me jamm ke chot pahuch gayi. Ladke ke haath me lohe ki ek rod thi. Koi shaq nahi tha ki ise bhi usi ne banaya tha.

'This is getting troublesome!'

Haatho ko mal, Iss baar woh punah dauda. Ladka bhi uski orr aaya. Magar, iss baar Renshu hawa me chhalaang maara.

'Huh!?'

Ye dekhte hi ladke ke qadam beech raaste me tham gaye. Renshu ke ek haath me uska bhaala tha toh wahi dusre me uski chain. Usne ladke ki taraf hawa me hi apne bhaale ki nok se nishana lagaya aur bhar taqat se use ladke ki orr fek diya.

Ladka ghabraate hue turant hi back hand spring maarne ke liye peeche gulati maara... Aur, tabhi Renshu ke hontho par ek kapti muskan saj gayi.

Jo bhaala usne feka tha, ek jhatke me usne use apni orr wapas kheech liya. Aur, iss baar chain ko ghuma ke fek diya.

*Kha-ching*

Peeche gulati maar raha ladka saamne ke drishya se anibhigya tha. Uska chehra neeche ki orr jo tha. Usne jaise hi chain ki awaaz suni uski aankhein bhay ke maare chaudi ho gayi.

'A Feint Attack??? Sh-Shit!!!'

Use bachaav ka koi samay na mila. Chain tezi se aake uske perro par bandhi. Full force ke saath Renshu ne uss ladke ko chain se kass ke kheencha aur woh udta hua perro me chain se bandhe Renshu ki orr aaya aur-

*Pooooooooooooowwww*

Mayhem ka ek bar upyog ho gaya. 200% Lethal Damage. Ladke ke pait ki atadiya jaise baahar aane ko ho gayi, uske muh se dherr saara khoon nikla aur woh jaa ke seedha ek chhote ped se jaa bhida. Ped do tukdo me vibhajit ho gaya aur neeche gir gaya.

*Huff* *Huff*

Renshu apni saanso ko durust karte hue apne badan se shurikens ko nikalne laga. Ab iss ladayi me uska upper hand tha. Bhaale ko zameen par zorr se khoste hue usne apni nigaahein ladke par tikayi.

"Ab tum saari baatein ugloge!!"

***

Wahi idhar bahar ka mahaul bhi bigda hua tha. Erica jawano aur Order ke aadmiyon ko chorr ke jaa chuki thi. Aur, inn sabhi ko ab lead karne ki zimmedari uss jawaan pe thi jo Renshu aur Erica ke sang chal raha tha.

Jawaan 1 : Miss Erica na jaane aise andhere jangal me kaha akeli chali gayi hai.

Jawaan 2 : Kya hume unke peeche jaana chahiye?

Jawaan 1 : Hume pata hi nahi hai ki woh gayi kaha hai. Aise me unka peecha karna waqt ki barbadi hi hogi. Kahi hum anchaahe jaal ka shikaar na ho jaaye. Behtar hoga ki hum unke kahe anusar aage badhe aur Unit 2 se engage hoye. Aap sab kya kehte ho?

Jawaan 2 : Haan, mein sehmat hu.

Order ke log bhi uski baato se raazi the magar unhe Erica ki chinta bhi utni hi sata rahi thi.

Aadmi 1 : Mein kya kehta hu... Hum me se 2-4 log Miss Erica ko dhundhne ke liye chale jaate hai. Kya pata woh kahi kisi mushqil me fass jaaye? Aur, madad ka intezar kare? Aise me hamara ye farz banta hai ki hum unki madad ke liye pahuche.

Aadmi 2 : Tumne theek kaha. Suno! Jo bhi 3-4 log Miss Erica ko dhundhne jaane ke liye taiyaar hai woh aage aaye.

Uske kehte hi 15-20 aadmi ek saath aage aa gaye.

Aadmi 2 : Itne nahi. Sirf 4. Tum dono aur tum dono. Tum chaaro Miss Erica ko dhundhne jaoge. Jo bhi samaan abhi lena hai bag me rakh lo. Yaha se hum apne apne raaste ho jayenge.

Poorn taiyaari ke baad 4 log Erica ki khoj me uss disha me nikal gaye jis disha me woh bhaagi thi. Toh wahi, Jawaan samet baaki sabhi jangal ki aur bhi gehrayi me Unit 2 ka saamna karne ghus gaye.

Divya, uska escort Clark, security aur jawaan bhi sab saath me peeche chal rahe the. Pareshani agar kisi baat ki thi toh woh yahi thi ki Veer ke baare me ab tak use koi khabar pata nahi chali thi.

Divya : Mister Renshu kaha par hai?

Jawaan 3 : Mister Renshu aage unke kisi skilled fighter se fight me engaged hai. Unhone ye mauka hamare liye banaya hai. Yaha se Unit 2 ke saath bhidant hogi. Aap sab mere peeche hi rahiyega. Hume ladayi me nahi rehna hai. Unki nazro se dur rehna hai.

Divya (nods) : Hmm!

Usne haami bhari. Magar, chinta thi jo khaaye jaa rahi thi. Jaise jaise samay beet raha tha wese wese Divya aur bhi zyada bechain hoti jaa rahi thi. Kaaran sirf ek hi tha - Veer ki safety.

***

"Damn it! Damn it-!!! Kaha ho tum??"

Erica tez raftar se bhaag rahi thi. Gati ke chalte uske baal hawa me zorro se lehra rahe the. 'Nocturnal Shade' aur 'Dead Silence' dono hi activated the, jiske chalte use andhere me dekhne ki na hi koi taqleef ho rahi thi aur na hi uske qadmo ki awaaz sunayi pad rahi thi. Woh aise bhaag rahi thi jaise ek billi raaste par bhaagti ho. Koi awaaz nahi.


dark-forest-m

East side ke entrance se pravesh woh pehle hi kar chuki thi. Aur, Veer ki talashi me juti thi. Magar, abhi tak Veer ka koi bhi naam-o-nishaan nahi mil raha tha.

"Just, where are you-!?"

Aur, kuch duri tay karne ke baad hi uske qadam saamne ke drishya ko dekh tham gaye.

'What the-!?'

Uske saamne ek neher thi. Parantu, uske upar bana rassi aur lakdi ka pul kata hua neeche latak raha tha. Erica ne neeche jhaank ke dekha toh paaya ki pul ka thoda hissa neher ke andar bhi dooba hua tha. Usne wapas apni nazre saamne gadayi.


[Pul ko saamne ki orr se kisi ne kaata hai, Erica.]

'Tumne sahi kaha Genie. Aur, ye abhi kuch derr pehle hi kaata gaya hai. Shit-!!! Iska matlab Veer zaroor uss orr hai. Woh wapas kaise aayega?'

Woh pul ko dobara se sahi karne ke baare me soch hi rahi thi jab uski nazre unn magarmaccho par padi jo beecho beech ek adanga bann ke waha niyukt hue terr rahe the.

'Shittt-!!! Ye yaha kya kar rahe hai? Ek hi jagah par!? Aisa lag raha hai kisi ne inhe jaan boojh ke yaha par chhora ho.'


[Ab uss orr jaane ke do hi upaay hai. Ya toh tum inhe pehle yaha se kisi tarah distract kar ke hatao aur fir terr ke jao. Ya fir thodi dur side se chhalaang lagao aur fir terr ke uss orr jao. Upaay koi bhi ho, udhar terr ke pahuchne ke baad tumhe climb toh karna hi padega kyuki pul toot chuka hai.]

'I know! I know! Let's try the first method first.'

Erica ne neeche zameen se ek patthar uthaaya aur nishana lagaate hue zorr se neher me unn magarmachho se halka sa dur fek diya.

*Splash*

Magarmacch chaukanne hue, woh sabhi terrte hue uss orr gaye magar, do teen chakkar maarne ke baad wapas se apni jagah par aake jamm gaye.

'What the-!?'


[They are keeping a watch. Hume dusra method hi try karna padega. Let's go!]

'Urgh! Alright-!'

Na chaahte hue bhi Erica ko apna rukh badalna pada. Woh dayi orr aage badhi. Kuch duri par aane ke baad usne neeche dekha. Neher me halka halka bahaav tha. Lekin, ye bahaav zyada tezz nahi tha. Woh apne shareer ko behne se rok sakti thi. Agar, bahaav tezz hota toh woh behte hue unn magarmaccho ke paas pahuch jaati. Aur, fir waha se nikalna uske liye bhaari pad jaata. Shayad woh maari bhi jaa sakti thi.

'I can handle this much current.'


[Good! Then, dive in!]

Kapde pehen ke paani me koodna Erica ko zara bhi pasand nahi tha. Magar, woh janti thi ki Veer abhi mushqil me tha. Samay zaaya nahi kar sakti thi woh-

'You better thank me later, Mister-!!!'

Aur, mann me budbudate hue woh uss chhor se kood gayi.

Chhapaak ki awaaz ke saath woh neher me aake giri. Neher gehri thi aur chaudayi me badi bhi. Yeh sirf Lancang Mekong ki kayi tributaries me se ek thi jo jangal me se hoke guzarti thi. Agar, yeh swayam Lancang Mekong nadi hoti toh Erica ko ise paar karne ke baare me 10 baar sochna pad jaata.

Neher paar kar woh dusre chhor par aayi aur usne chattaan ko pakad upar chadhna shuru kar diya. Pattharo par apne haatho ki pakad mazboot banaate hue woh ahista ahista upar chadhti gayi jab tak ki ekdum upar na pahuch gayi.

*Huff* *Huff*

Upar aate hi usne ek rahat ki saans li. Uske poore kapde paani se bheeg chuke the. Halki thand ke chalte uska badan bhi ab kaanpna shuru ho chuka tha.

Genie ne turant hi 'Chameleon' ka upyog kar uske badan ka tapmaan sahi kiya tab jaa ke Erica ko thoda behtar mehsoos hua.

Aur, bina waqt barbad kiye woh punah aage badh gayi. Pul isi orr se kaata gaya tha iska matlab khatra iss orr hi tha. Isliye, woh sambhal ke apne qadam aage badha rahi thi. Kuch duri hi usne abhi tay ki thi ki tabhi use bhi-

'Huh!?'

Woh gandh aayi.

'Th-This-!'


[It's blood!]

Khoon me maujood lohe ki dhaans hawa me soonghte hi Erica ke badan me ruye khade ho gaye.

*Whooooosh*

Woh apni jagah se gayab hui aur ped par chadh gayi. Usne apne aas paas poore ilaaqe ka aaklan kiya lekin kahi bhi kuch bhi use nazar na aaya.

Ek ped se dusre ped ki daali me chhalaang maarte hue woh thoda aur aage badhi. Jaise jaise woh aage badh rahi thi, khoon ki mehek aur bhi prabal hoti jaa rahi thi.

'What the hell is this-!? Urgh!'

Aur, tabhi woh ek daali par aake ruk gayi. Neeche use saaf saaf khoon ki ek lambi rekha dikhayi di.

'Y-Ye-!?'


[Kisi blood trail ki tarah nazar aa rahi hai. Pata nahi kitni dur tak gayi hogi.]

'B-But ye hai kya?'

[Check it first.]

'Ah right! Check!'

*Ding*


[A trail of fresh human blood.]

'F-Fresh human blood? Genie?'

[Hmm! Zaroor uss Jaw Long ka hi kaam hoga ye.]

'Jaw Long?'

[Hmm! He must be using some kind of skill or a card.]

'P-Par ye kaisi skill hai jisme human blood ki zaroorat padti ho?'

[There are many of them!]

'Ahhhh!? But why?? Aur, agar ye human blood hai toh-!? Toh, unka kya jinka yeh blood hai? Are they alive?'

[I don't know. Remember, Erica! Aisi bahut si skills aur cards hote hai jo evil practices bhi apnaate hai.]

'Huh???'

[Zaroori nahi ki koi skill ya card hamesha accha hi ho. They can be bad too.]

'Hmm!'

Erica bechari chup chaap Genie ki baat sunti rahi. Use jaise ye jaan ke thes pahuchi thi ki system ka upyog insaan ke khoon se kuch karne ke liye bhi kiya jaa raha tha.

'Kya tum jaanti ho ki yeh kya hai, Genie?'


[Hmm! Mein pata laga sakti hu. Lekin, usme mujhe thoda samay lagega. Kyuki, khoon ka istemal karne waali laakho skills hai. Unme se ye kaun si ek hai iske baare me pata karne me mujhe samay toh lagega hi na?]

'Hmm! Okay! Thank you!'

[Sambhal ke aage badhna.]

'Umm! Kuch hoga toh nahi na? Mujhe kuch theek nahi lag raha.'

[Hum kuch nahi kar sakte. Hume iss trail ko cross karna hi hoga. If you want to save that guy... Then, there isn't any other option.]

'Okay! I see!'

Erica ne ped par ek daal se dusri daal par koodate hue aage badhna hi theek samjha. Neeche ka vatavaran use kuch theek malum nahi pad raha tha.

Aur, jaise hi usne trail ko paar kiya... Udhar andar Jaw Long ki bauhe prashn ke chalte upar ko ho gayi.

'We've entered!'


[Keep going!]

Erica mehsoos kar paa rahi thi ki yaha ka tapman kuch zyada hi thanda pad chuka tha. Geele hone ki wajah se use apna tapman banaye rakhne me dikkat aa rahi thi.

Bheetar pravesh karte hi use kuch ajeeb si awaazein sunayi padne lagi. Ye janglee janvaro ki awaazein thi. Erica ki dhadkane tezz ho gayi. Awaazein aur adhik bhayanak aur ugra hoti jaa rahi thi. Aur, jaise hi woh ek daal pe aake ruki.

'Nocturnal Shade' ki madad se usne dur ho rahi halchal ko gaur se dekha. Aur, jo usne dekha... Use dekh uske perr wahi kaanp gaye. Uska poora badan thar-tharaane laga. Woh itna ghabra gayi ki kampan ke chalte woh neeche girne ko hui magar, ped ko haath se thaam usne khud ko girne se bachaya aur daal pe hi thithurte hue baith gayi. Uski aankhein bhauchakke hone ke chalte feli hui thi. Aisa nazara usne aaj se pehle kabhi apni zindagi me nahi dekha tha.

Saamne-!!!

Saamne Veer ghayal awastha me bhaagta jaa raha tha aur uske peeche-!? Uske peeche poora ka poora jangal ka samrajya laga hua tha. Pedo par koodate bandaro ka samooh jo daali se latak latak ke furti me aage badh rahe the.

Neeche daudate lakadbagghe, bhediye, aur seengh waale hiran jo jhund me sirf Veer ko apne perro se kuchalne ke liye bhaag rahe the.

Upar hawa me udta baaj jo Veer ke upar kisi helicopter ki spotlight ki tarah use apni nigrani me rakha hua tha.

Aur, peeche bhaagta Black Panther, jo Veer ke maans ko apne nukeele daanto se phaadne ki firaaq me tha. Magar, khauf sirf inka hi nahi tha.

Khauf tha uss aadmi ka...! Jo inhe apne vash me kiye hua tha. Jaw Long-!!!

*Grooooowwwwwlll*

Ek aisi dahaad waha par goonji ki Erica ke poore badan me raungte khade ho gaye. Jaise hi usne Veer ke peeche apni nazro ko le jaate hue dekha toh maano uske badan se uski rooh hi nikal gayi.

Jangalo ke janvaro me se sabse ugra aur sabse ghatak ~ Baagh! Kintu, uske upar koi tha. Uss baagh ki sawari koi aur nahi balki Jaw Long kar raha tha.

Veh bhaari, peeli aankhon waala, dhaari-daar bhayankar janvar Jaw Long jaise vyakti ka wazan uthaane ke baad bhi itni tezz daud raha tha. Akhir, kitni kshamta thi usme?

Erica aayi toh Veer ko bachaane thi. Magar, drishya dekh woh itna bhaybheet ho gayi ki bechari ke perr wahi jawab de gaye.

'I- M-My legs...! G-Genie!!! Mere perr hilne ke naam nahi le rahe, Genie!!! M-My whole body is shivering.'


[Don't worry! Calm yourself!]

'N-No wonder-! *huff* No wonder his shirt was destroyed. *shivers* H-How can he???'

[???]

'H-How can he-!? Itna sab kuch hone ke baad bhi woh waha kyu hai, Genie? It's suicidal. *huff* Agar, woh waha aur raha toh maara jayega.'

[If he's running at that pace, then it means he's fine for now.]

'Y-Ye tum kya bakwas kar rahi ho Genie? *huff* Th-This is suicide! It's pure suicide. J-Just how long he has been running for?'

[Stay calm!]

'F-Fuck it-!!! Haha! H-He will die, Genie! *sniff* At this rate, he will die. *sniff* Is he stupid??? K-Kyuuu? He could have just-!!! Woh chaahta toh yaha aata hi nahi...! Even then-! *sniff* Why did he???'

[I can see now!]

'???'

[He's a man who stays true to his convictions.]

'Huh!!??'

Aur, aaj pehli baar Erica ko Veer ke uss dradh nishchay ka abhaas hua. Uss naujavan ko dekh jo aisi awastha me apne mann ko shaant banaye rakh aisi musibat se ladd raha tha, pehli baar aaj Erica ka dil kisi aur wajah se zorr se dhadka.

Veer ke punah woh bol uske mann me goonj gaye.


'You can't even imagine the chaos when 2 system holders fight each other without any restraint.'

'J-Just how many battles have he fought to achieve that level of confidence and such calmness?'

[I'm not gonna lie. I'm very impressed. Aisi paristhiti me agar khud tumhare dad hote toh mujhe nahi lagta ki woh itna shaant khud ko rakh paate.]

'!!!?'

[He might be having a very good system like me.]

'Huh-!!?'

[You are lucky... to have him on your side. Imagine the destruction he can bring if he was your enemy.]

Aisa vichaar karte hi Erica ke badan me ek sihran daud gayi. Veer agar unka dushman hota toh-!? Kya kar sakta tha woh? Woh sochna bhi nahi chaahti thi. Genie ki baat poornta sach thi. Woh sab kismat waale the jo Veer unki taraf tha.

'I-I want to help him! Lekin, mere perr kaanp rahe hai.'


[Zaroorat nahi. Jis halat me tum abhi ho uske liye ek musibat hi banogi. Khud ko shaant karo aur halaat ke hisaab se dhaalo khud ko. Use dekh ke lag raha hai ki uske paas kuch plan hai.]

'R-Really???'

[Hmm!]

'G-Genie-! Agar mein uski jagah hoti, toh shayad kab ka maari gayi hoti. Mujhe nahi lagta mein uss tarah himmat rakh ke unn janvaro se bhaagi hoti. Mere toh perr wahi jamm gaye hote. Balki, abhi bhi use dekh... Mere badan me raungte khade hue hai. Bas, soch rahi hu ki akhir uske paas kaise itni himmat aayi hogi? J-Jaw Long-!! Kisne socha tha ki uske paas aisa kuch hoga-!?'

[Abhi tum bas apne aap ko niyantran me lao. Agar, kuch anhoni ke asaar bane toh mein action lungi. I will help you. So, don't worry. For now we can watch.]

'Mmm-!!'

Woh bas Veer ke liye yaha se dua hi kar sakti thi. Iss sthiti me agar woh jaati toh Veer ke liye madad kam balki adanga zyada sabit hoti. Veer ne apni situation ko turant bhaanp ke khud ko adapt kar liya tha, magar harr kisi me ye capability nahi hoti thi.

'Fuck!! Fuck! Fuckkkk!!!'

Idhar Veer apna stamina gawata hua bhaage jaa raha tha. Ye janvar na jaane kab se uske peeche lage hue the.



b09feb80-3c3b-4c96-9090-89c858a5477c


'Kya tumhe kuch pata chala? For fuck sake aur kitna time lagega???'

[Urghhh! Shut the fuck up! Tumhe andaza bhi hai ki kitni saari skills hai blood se related? I had to go one by one to look for the one that motherfucker was using...!]

'Toh? Ab ye mat kehna ki kuch pata nahi laga. I've been stalling them for quite a long. Aur, ab mujhe nahi lagta ki mein unhe aur zyada chhaka sakta hu. Jaw Long-!!! Fucking hell-!! He's riding a tiger!!!'

[Fufufu~ Are you scared? Call me 'Mommy' and I will tell you everything.]

'Huh? Matlab tumne pata laga liya?'

[Of course! Mujhe pata lag gaya hai ki woh kya istemal kar raha hai.]

'Oh really? Toh? Kya?'

[First call me, 'Mommy!' Tabhi, kuch bataungi.]

'What the hell-!? You freakin-'

[Bata rahi hu. Don't spoil the mood now.]

'Be quick!!!'

[Woh blood trail... Definitely, woh human blood tha. Lekin, woh jaan boojh ke waha giraya gaya tha.]

'What? Jaan boojh ke?'

[Yes! It was this-]

*Ding*

[Legendary skill : Jemisha's Blood Ring.
Description : The skill allows the host to have limitless perception for a certain area. Pour the human blood and form a trail to create a circular ring of blood. If anyone enters the ring, the host will immediately come to know about them.
Note : There is no limit to the area covered by the blood ring. The bigger the ring, the bigger the area which can be perceived.]

'Th-This-!!'

Veer ne jaise hi skill ka description padha, toh uske hosh hi udd gaye.

'Fuck this-!! Toh ye baat thi. Isliye usko mere andar aane ka pata pehle se hi lag gaya tha.'

[That's right!]

Jemisha's Blood Ring ek legendary skill thi jo insaan ke khoon ka istemal karti thi. Khoon ko ek golakar ki rekha me kheencha jaata tha jiske baad usme pravesh karte hi system holder ko pata lag jaaya karta tha ki woh kaha par hai. Veer ke andar ghuste hi Jaw long ko pata lag chuka tha ki woh kaha par rekha ko paar kiya tha.

'Legendary skill-!!? Uske paas legendary skill hai?'

[Not one but two.]

Pari ne jaise hi ye kaha Veer ke perro tale jaise zameen khisak gayi.

'Wh-Wha-!?'

[Have a look at this.]

*Ding*

[Legendary skill : Shayna's Blood Ritual.
Description : Bestows a set of instructions to perform Shayna's Blood Ritual. A ritual meticulously written by the legendary entity Shayna herself. The host must have 'Shayna's Access' and 'Animal Kingdom' cards before performing the ritual.
Click 'here' to view the set of instructions.

Note : Ritual will only last for 25 minutes.]

'What the-!?'

Veer ko ab jaise baatein samajh aa rahi thi. Shayna's Blood Ritual woh ritual tha jisme kuch mayavi nirdesh diye gaye the. Veer ne jaise hi use 'click' kar kholna chaaha toh woh khula hi nahi. Balki, ek notification uske saamne prakat ho gaya.

*Ding*

[Only after claiming the skill you can view the instructions.]

'Toh ye baat hai. I see!'

[Ritual ki timing 25 minutes hai. Iska matlab woh janvar bas 25 minutes tak hi uss Jaw Long ke ishaaro par naachenge. Bas, 5 minute aur hold kar ke rakhna hoga.]

'Hmm!'

[Aur, rahi baat cards ki toh woh iska istemal kar raha hai.]

*Ding*


web-3

Card ko padhte hi Veer sab kuch samajh gaya.

'I see! Toh ek prakar se woh iski madad se unhe control kar raha tha?'

[Sirf iski madad se nahi. Use inn sab ko upyog me laane ke liye kayi cheezon ka istemal karna pada. Jemisha's blood ring hamare aane ki khabar dene ke liye istemal ki gayi thi.]

'I know!'

[Uske baad Shayna's Blood Ritual perform kiya gaya taaki janvaro ko niyantran me laaya jaa sake.]

'How powerful-!'

[Aur, uske baad unhe niyantran me banaye rakhne ke liye 'Animal Kingdom' card ka istemal kiya gaya. Isme koi shaq nahi ki usne abhi yahi equip kar rakha hoga. Itna sab karne ke liye usne apni 2 legendary skills aur do cards ka prayog kiya hai.]

'2 cards? Dusra kaun sa card hai?'

[Shayna's Access. Shayna woh entity hai jo inn tantra vidyao me maahir hai.]

'Shayna? Who the fuck is Shayna?'

[I can't tell you.]

'Fuckkk!!!'

[Uske saath communication baithane ke liye Shayna's Access card ka hona zaroori hai. Aise samjho ki agar tum kisi aatma ki shaktiyo ka prayog karne ke liye uss se sampark karna chaahte ho, toh pehle uss aatma ka ek card hona zaroori hai. Kuch samajh aaya?]

'Samajh gaya!'

*Ding*

[This is her card.]


web-5

'I get it!'

[Good!]

*Booooooooommmmmm*

Magar, Veer zyada derr baato me lage reh ke unn janvaro se peechha nahi churra sakta tha. Ek aur dhamake ne use ye baat batla di.

[Bas 2 minute aur-!!!]

Veer ne bhaagte hue peeche mud ke dekha toh paaya ki ek baagh par baithe hue Jaw Long uski taraf hi aa raha tha. Uske haath me ek bada sa kulhada tha. Par, uski aankhein abhi bhi band thi.

'What the hell? Uski aankhein agar band hai-!! Toh, woh dekh kaise paa raha hai sab kuch?'

[It's his skill.]

'Kaun si??'

*Ding*

[Skill : Aura Vision.
Description : Allows the host to see the world even after losing the eyesight. Aura vision grants a grey scenery vision. Different living beings are shown in different colored auras.
Note : Non living things cannot be observed through Aura Vision.]

'Fuck this-!!! It's getting complicated. Akhir, aur kitni skills hai iske paas?'

Pari ne ekdum sateek aaklan kar ke diya tha. Jaw Long pehle hi Veer ke neele rang ke aura ko dur se dekh ke pehchan chuka tha ki koi insaan uski territory me ghus aaya hai.

Insaano ka aura neele rang se nazar aata tha toh wahi ped paudho ka hare rang se. Aur, janvaro ka peele rang se. Ye rang uske liye kaafi the aankh na hote hue bhi sab kuch dekhne ke liye.

[Oh shit-!!!]

'What?!?'

[I just realised...! Isliye, uski aankhein nahi hai buddhu!]

'Huh???'

[Arre, isliye woh aankhein band kiya hua hai. Ab tumhe samajh aaya ki kyu uski band aankhon se khoon beh raha tha? Kyuki, usne apni aankhein nikaal di thi.]

'What the-!?'

Veer ke badan me ek sihran daud gayi. Apni aankhein nikaal di? Kya matlab?

[Rituals pagal... Rituals...! Koi bhi ritual perform karne ke liye kuch balidan dena hota hai. Considering, ye dono skills legendary thi zahir hai usne koi na koi sacrifice diya hoga jisme usne khud ka koi ang ritual me chadhaya hoga. Now everything makes sense.]

'Wait! Toh iska matlab usne 2 rituals perform kiye. Aur, unn dono me usne apna ek ek balidan diya. Yaani ki... Uski ek ek aankh!?'

[Exactly!!!!]

'He's going to such lengths just to chase me down???'

[Use thodi pata tha ki tum aa jaoge. Usne ye sab toh Renshu ke liye prepare kar rakha tha. Humne uski mehnat par paani ferr diya. Sirf ek minute aur ab bas-!!!]

Ab harr baat sense bana rahi thi. Shukriya Pari ka jo usne samay rehte sab kuch khoj nikala tha. Veer janta tha ki use bas ek minute aur inse bhaagna tha aur fir ye sabhi niyantran se mukt ho jaane waale the.

[Also, woh unhe poori tarah control nahi kar raha hai. Bas, unhe tame kar raha hai. Hypnosis nahi hai yeh.]

'Got it!'

[25 seconds.]

Veer bhaagta gaya. Use saamne ek aur pul nazar aaya. Pul patla tha. Veer bina soche samjhe uss orr bhaaga aur idhar peeche se Black Panther theek uske peeche aate hue pul par dauda.

[20 seconds.]

Veer ke qadam tezz raftaar me pul par bhaag rahe the. Toh wahi Panther bhi Veer ki gati milaate hue uske qareeb aane laga. Pul dono ke bhaar se poori tarah se dol ke idhar udhar hone laga.

Aur, abhi Veer chhor tak pahuch paata ki tabhi uss chhor se ek bada sa ajgar pul par chadh uski orr tezz raftaar se reng ke aane laga.

'Shitttt-!!!'

Ek Deadlock!!!

[10 seconds.]

Ajgar achanak hi uski orr uchka. Toh wahi peeche se aa raha panther bhi uski orr lapka aur tabhi-

*Ding*

Panther ka perr lakdi ke pul ke ek takhte par padte hi andar ghus gaya. Probability manipulation ne ek baar fir uski jaan bacha li. Veer ne samay rehte hue khud ko baayi orr rassi par jhukaaya aur dono ajgar aur panther ek dusre se jaa bhide.

[5 seconds.]

Pul ki rassi par bhaar badha. Ek orr santulan hone laga... Pul baayi orr jhukne laga. Aur, derr na lagi jab Veer ke bhaar ke chalte pul poori tarah se baayi orr jhuk gaya.

'Fuckkkkk!!!'

Veer, panther aur ajgar samet seedhe dusri neher me jaa gira. Lancang Mekong ki ek aur tributary. Parantu, ye kaafi chhoti thi aur bahaav ekdum na ke barabar.

*Splaaaaaaaasssshhhh*

Neher me Veer chhapaak se gira. Aur, jaise hi Panther aur ajgar gire woh dono pehle toh khud ko kinare kar Veer ko dhundhe. Par agle hi shan-

*Ding*

[O seconds.]

[Shayna's Blood Ritual ki time limit khatam. They are no longer in control.]

Maano jaise janvaro ko bhi achanak se kuch ho gaya. Fir, Veer ne ek hairat angez drishya dekha. Jis Panther aur ajgar me thodi derr pehle itni ekta thi, jo use maarne ke liye ek dusre par dhyaan tak nahi de rahe the. Wahi ab ek dusre par jhapatta maarne par tule the.

Veer apni aankhon ko bas paani me se nikaalte hue sab kuch dekhta gaya. Panther ne ajgar ko apne jabdo me pakda aur use ghaseet ke le jaane laga.



giphy-downsized-large

Aur, derr na lagi jab woh use apne daanto ke beech fasa ke waha se le jaane me qamyab ho gaya.

Shayna's Blood Ritual ki time limit samapt ho chuki thi. Magar, asli ladayi ab shuru honi baaki thi. Abhi woh Aquatic Breathing ka upyog kar paani me saans lene hi wala tha jab Pari ne use mana kar diya-

[Wait!!]

'Hmm?'

[Check the water first.]

'Right! Check!!'

*Ding*

[Water body induced with an unknown venom.]

'Shittttt!!! Akhir ye banda kitni dur ki planning kar ke baitha hai?'

Woh saans le leta toh abhi ke abhi maara jaata. Pehle se hi Jaw Long ne uss hisse me apne kisi zeher ko gira ke neher ko dooshit kar rakha tha.

Aur tabhi, Veer ke kaano me ek dahaad sunaayi di. Jaw Long upar baagh par baithe use hi neeche ghoor ke dekh raha tha.

'Pari!!! Agar Animal Kingdom aur Shayna's Ritual ka asar khatam ho gaya hai toh fir woh baagh abhi bhi uske niyantran me kaise hai?'

[Woh uska paaltu bhi ho sakta hai.]

'Hmm!'

Jaw Long tabhi apne baagh par se utra. Aur, ek chhalaang me hi seedhe neeche ko kood neher me utar aaya.

*Splaaaaaaaasssshhhh*

Paani chhalakte hue upar uchhla aur boondo me bikharte hue neeche girne laga. Jaw Long apna kulhada liye wahi paani me khusi ek lakdi par chadh gaya. Uski aankhein aag baboola ho chuki thi.

Jagah jagah ped ki ye lakdiyaan aadhi kati hui paani ke andar ekdum neeche zameen me dhasi hui thi. Shayad pehle yaha ped hua karte the jinhe baad me kaat diya gaya tha aur neher ke paani ko nikaalne ke liye iss orr se raasta bana diya gaya.

Unhi ardh kati lakdiyo ka sahara lete hue Veer bhi unhi me se ek par chadh gaya. Ab muqabla tha barabri ka. Do system holder jo ek dusre se bhidne ke liye taiyaar the.

Veer 25 minute ki iss bhaag daud se thak chuka tha lekin abhi bhi usme itni taqat thi ki woh Jaw Long se yuddh kar sake.

Aur, fir shuru hua asli muqabla...

*Swoosh* *Swoosh*

Jaw Long ek lakdi se doosri par koodate hue Veer ki orr aaya.

"Come then-!!" Veer taiyaar tha.

Veer ke nazdeek waali lakdi par aate hi Jaw Long ne zorr se apna kulhada ghumaya jise Veer ne jhuk ke dodge kar liya.

Aur, woh koodate hue peeche ke ardh ped par jaa ke khada ho gaya.

'Violet ke dwara di gayi saari needles aur woh serum uss blast me wahi gir gayi. I only have one knife and one pocket knife.'

[Use the normal knife for emergency parrying.]

'Yeah-!!!'

Iss baar woh tezzi me ek lakde se dusre par phaandte hue aage badha aur uski laat seedhe Jaw Long ke pait par aayi.

'What-!?'

Lekin, ek haath se hi Jaw Long ne uski taang ko jakad liya. Achanak hi Veer ke jism me ek sihran daud gayi. Aisa laga jaise agar abhi woh waha se na hata toh uska perr wahi katt ke ukhaad diya jayega.

Aur, wahi hota...! Jaw Long ne apna kulhada hawa me upar kiya...! Veer ki aankhein woh dekhte hi fel gayi. Aur, kulhada neeche aane hi waala tha ki Veer ne apni dusri taang se seedhe Jaw Long ke perr ke ghutno ke bagal me vaar kiya.

*Thuck*

Santulan bigda... Ek side se Jaw Long jhukne par majboor ho gaya. Pakad dheeli hui aur Veer ko mauka mil gaya.

*Whooooooosshhhh*

Woh palak jhapakte uske changul se nikal peeche ke lakde par kooda. Aur koodate hi uske kaano me hawa me sansanati hui aati kisi cheez ki awaaz padi,

*Whoosh* *Whoosh* *Whoosh*

*Ding*


IMG-20240325-001304

Apne aap uska shareer neeche jhuka aur jhukte hi Jaw Long ka kulhada uske sarr ke upar se bhayanak raftaar se nikal gaya. Uske sarr ke 8-10 baal chhalni hoke hawa me hi udd gaye. Agar, sahi samay par woh na jhukta toh unn kuch baalo ki jagah uska sarr waha hawa me udd raha hota.

Veer ne apni baah ko dekha. Goosebumps poore shareer par bikhre hue the. Aur, tabhi-

"Shebaaaaaaaa-!!!!!!"

Jaw Long dahaada!!!! Uska kulhada ab uske haatho me nahi tha. Aur, beshaq uske awaaz lagaate hi-

*Keeaaaaaaarrrrrrrr*


IMG-20240214-150240

Sheba raat ke uss andhere me hawa me apne par felaye aasman me uske madad ke liye haazir ho gaya.

[See! I told you! That eagle is a pain in the ass.]

Sheba ke panjo me ek bhaala latak raha tha. Woh upar udte hue Jaw Long ke nazdeek aaya aur panje kholte hue usne bhaala chorr diya jo seedha neeche girte hue Jaw Long ke haatho me jaa gira.

Bhaale ko apne ird gird zorro se gol gol ghumaate hue Jaw Long punah Veer ki taraf lapka. Woh bhari bharkam shareer, aur kayi shero ke barabar taqat rakhne waala danav insaan iss baar Veer ki khaal ukhaadne ki firaaq me nazar aa raha tha.

[Careful-!!!]

*Whoosh*

Uske hamle shuru ho gaye. Bhaale ko woh itni taqat aur itni nipudta se chala raha tha ki uske praharo se neeche paani me tarange paida ho rahi thi.

Woh jaan gaya tha ki Veer ne paani ki ek boond bhi apne andar nahi li thi. Uski ek aur tactic barbad jaa chuki thi. Gussa uske sarr par savaar tha. Ya toh ab woh yaha se zinda bach ke nikalne waala tha ya fir Veer.

Woh garja-

"Haaaaaarrrrrrggghhhhhhh!!!!!"

Uski garaj sunn Veer ko hawa me kampan mehsoos hone laga. Jaw Long ne bhaala fir itni zorr se feka ki Veer ko aage ki rann-neeti banaane ka koi samay na mila.

*Swooosh*

Woh bhaala tezi se uske perro ki orr aaya toh Veer hawa me ek jhatke me ucchak gaya.

*Thuck*

Aur, bhaala seedhe lakde par jaa ke dhans gaya. Magar, jaise hi Veer uchka...! Use agle hi pal apne nirnay par glaani mehsoos hui. Kyuki-

*Poooooooowwwwww*

Zordaar laat seedhe aake uske pait par padi. Ek feint attack. Jaan boojh ke uske perro ki orr woh bhaala feka gaya tha. Taaki, woh hawa me uchke aur Jaw Long yahi soch pehle hi hawa me kood chuka tha.

Veer ka shareer hawa me uda... Jaise patthar ko paani ki sateh par tez gati me fekne se woh uske upar tappe khaate hue dur jaata tha. Waise hi Veer ka shareer bhi iss waqt neher ke paani ke upar tappe khaate hue dur jaa gira.

Gati dheeme padte hi uska shareer paani ki sateh ko chorr andar doob gaya. Veer ne aav dekha na taav aur seedhe kinaare ki orr terrte hue woh chhor ke liye bhaaga.

Jaw Long ko jaise hi uske iraado ka pata chala, toh bhala woh kaha peeche rehne waala tha. Veer ka peecha karte hue woh bhi neher chorr ke usme se baahar aa gaya.

Zameen par qadam padte hi Veer uss se ek duri banaane ke liye bhaaga. Woh dono jangal ki aur bhi gehrayi me aa chuke the aur yaha se mine ka raasta ab thoda hi bacha tha.

Beecho beech ek jagah par aate hi Veer palat ke Jaw Long se bhidne ke liye taiyaar ho gaya. Martial arts ka stance lete hi usne khud ko taiyaar kiya. Saamne se baagh ke samaan woh danav bhaagte hue aa raha tha.

Toh wahi upar thehri Erica ko achanak hi hawa me antar samajh aa gaya. Janvar ab ajeeb tareeqe se idhar udhar hote hue bhaag rahe the.


[Lagta hai woh sab control se baahar aa gaye hai ab.]

'Ohh! P-Par Veer kaha hai?'

Woh bechain hote hue idhar udhar nazre daudayi.


[We need to check it out. Tum ab theek ho?]

'H-Haan shayad-! I can move my legs now.'

[Good! We need to make a dash. Quick!]

'Y-Yes!'

Woh apni jagah se uthate hue Veer aur Jaw Long ki talaash me ek baar fir aage badhi.

Toh wahi Veer yaha neeche Jaw Long se yuddh me bhida hua tha. Bhaale se bachte hue Veer apne attack uss par land kar raha tha magar, koi bhi vaar aisa nahi kar paaya jis se Jaw Long ko ghaat pahuch sake.

Kintu, jaise usne koi tarqeeb soch rakhi thi. Ek dusre par vaar kar rahe jaise hi iss baar Jaw Long ka bhaala Veer ke seene ko chhalni karne ke liye aaya.

*Thuck*

Veer ne khud ko peeche kar liya. Bhaale ki nok zameen me ghusi aur agle hi shan-

"Haaarghhh!!!"

Veer ki laat ne bhaale ke lakde ke do tukde kar diye. Beech se tootate hi bhaala ab vyarth ho gaya.

Usne ladaayi iss mod par laa ke khadi kar di ki ab hand to hand combat ke alawa Jaw Long ke paas aur koi chaara na tha.

Dekh ke prateet ho raha tha ki uss baagh par bhi uska koi khaas niyantran nahi tha. Animal kingdom ke asar khatam hote hi woh baagh bhi kahi nazar nahi aa raha tha.

Aur, ab shuru hui thi asli combat. Jaw Long ka pehla prahaar Veer ki kamar ki orr badha.

Shareer ko peeche kar Veer ne khud ko bachaya. Uske hontho par muskaan feli...! Woh jaise hi aage badh hamla karne ka socha ki tabhi Jaw Long ka wahi haath wapas se uss par hamla karne ke liye tezi se aaya.

'Tch!!!'

Aur, iss baar-

*Swish*

Veer ne duck kar liya. Woh tezz raftaar se neeche jhuka. Uski aankhon ke saamne Jaw Long ka pait tha. Aur, uska mukka kass ke maarne ke liye taiyaar tha.

Magar, Jaw Long bhi jaise ye padh chuka tha. Woh ghoomte hue peeche hua aur Veer ka vaar vyarth chala gaya. Agle hi shan, Veer ko apne chehre par ek parchhayi chadhti nazar aayi.

Upar jaise hi dekha-

*Baaaaammmmmmm*

Jaw Long ka perr zameen par zorr se pada aur uss zameen ke parchhatte udd gaye. Ek halka gehra gaddha waha bann gaya. Agar, sahi samay par woh na hatata toh woh laat use kaafi haani pahucha sakti thi.

[What are you doing? Probability Manipulation teen baar istemal ho chuka hai. Ab 12 baje ke baad agla din lagne par hi uska istemal dobara kar paoge. Fight carefully!]

'Yeah yeah-!! I know-!!'

Dono ke mukke, haath aur laat ek dusre se bhidne lage. Taqat itni thi ki haath se haath bhidne par hi uss ilaaqe me awaazein paida hone lagi. Neeche pade patte unki harqat ki raftaar se udd ke bikharne lage. Toh wahi chhote ped paudhe unke praharo ki gati ki hawa se lehraane lage.

Combos ke baad combos woh dono ek dusre par maar rahe the. Magar, dono hi ek dusre ke combo ender ko poora hone nahi de rahe the. Veer ki pasli par Jaw Long ka mukka padte hi uske muh se ek karaah nikal gayi. Usne apne daant meeste hue uske haath ko thaama-

*Ding*

LIMBO!!!!

Par-

*Baaaaammmmmmm*

Ek laat seedhe aake uske seene par padi kyuki, Limbo ke asar lene se pehle hi Jaw Long ne apna haath chhina liya.

Veer ka shareer hawa me udta hua dur gaya. Jaw Long pehle se hi daud laga diya. Veer tamaam maujood pedo me se ek ped par jaa ke bhida aur uske bhidte hi-

*Baaaaammmmmmm*

"Urgh-!! Uck-!!"

Jaw Long ka tabadtod mukka uske pait par aake laga. Na jaane woh yaha kab prakat ho gaya. Aur, mukke aur pait ka sampark hote hi-

*Ding*

[Bone Reaper has been equipped.]

*Craaaaaaacccccckkk*

*Booooooooommmmmm*

Ped ke tukde beech se hue, Veer ka shareer ek nahi peeche maujood aur 2-3 pedo ko ek saath todte hue jaa gira. Ped ke baad ped bikhar kar ab gir rahe the. Ab ye ladayi ghatak ho rahi thi. Bone Reaper uski haadiyo ko toh bacha ke rakha tha. Magar, pait me koi haddi nahi hoti thi...

*Bluuurrghhhhhh*

Uske muh se khoon nikla. Pait aise dard kar raha tha maano kisi ne kass ke hathoda maar diya ho.

Ladkhadate qadam ko sambhalte hue jaise hi woh khada hua-

*Gwaaakhhhh*

Veer ki aankhein hairat me chaudi ho gayi. Jaw Long ne uske gale ko apne haath ki giraft me liya aur punah kass ke ek ped se bhed use hawa me utha diya.

"Argh-! Ack-!!!"

Aur, pehli baar Jaw Long ke bol uske kaano me pade.

"Tum...! Ek acche yoddha ho!!! Magar, mujhse behtar nahi!"

Kehte hue usne agle hi shan Veer ke shareer ko upar hawa me uchhaal diya. Veer ka badan ped ki daali ko tukdo me bikherte hue aur upar ko gaya. Neeche se Jaw Long khud bhi uchka. Dusri daali ka sahara lete hue woh aur upar uchka...!

Jaise hi hawa me woh Veer ke nazdeek aaya uski aankhon me khoon karne ka bhoot sawar ho gaya. Ghaatak prahar woh Veer pe barsaane hi waala tha ki Veer ne unn hamlo ko apne vaaro se block kar unhe rok liya.

Dono hawa me hi the aur neeche girne lage. Haath perr itni tezz raftaar se chal rahe the ki bas unki after images hi nazar aa rahi thi.

Par, ek laat itni tezz gati se Veer ki orr aayi. Hawa me iss se bacha nahi jaa sakta tha keval ise block hi kiya jaa sakta tha. Aur, Veer ne kiya bhi wahi-

Jaise hi usne apne dono haath perr modte hue khud ke sarr ko dhaaka, Jaw Long ki kick uski kohniyo par padi aur woh neeche dhadaam se gir, zameen ko ukhaadte hue dur tak jaata chala gaya. Zameen ke udhadte hi waha halka dhua uth gaya.

Jaw Long toh jaise bhooke bhediye ki tarah uss par dhaawa bol raha tha. Veer ki thakaan ne apna asar dikha diya tha. Agar, woh 25 minute ki bhaag daud na hui hoti toh abhi maajra kuch aur hota...

*huff* *huff*

Uski saansein ab ukhdi ukhdi aa rahi thi. Jagah jagah badan par chote pahuchi rakhi thi aur jagah jagah par gehre ghaav bhi bann chuke the. Khoon se lathpath uska shareer kisi bhi waqt ab neeche gir sakta tha.

'H-His weight is helping him in his blows.'

Paseene ke saath khoon uske chehre par bhi fela hua tha. Aankhein fadakte hue band hone ko bol rahi thi par uski dridhta unn palko ko khol ke rakhe hue thi. Baalo ki ek latt uski aankh ke saamne aake jhool gayi. Jaw Long saamne se uss par antim vaar karne aa raha tha.

Veer ka haath apni jebo ko tatolte hue hidden knife ko dhundha aur usne tezz raftaar se aa rahe Jaw Long ke nazdeek aane ka intezar kiya.

Jaise hi woh 4 qadam ki duri par aaya. Veer ne ek jhatke me woh knife uski orr fek di. Jaw Long iss hamle ke liye jaise taiyaar nahi tha. Woh achambhav me reh gaya aur knife seedhe jaake uske kandhe me ghus gayi.

Aur, idhar Veer ki ek theory sach saabit ho gayi.

'So, he doesn't have any sort of dodging skills...! I see!'

Veer ki theory toh saabit ho gayi. Magar, Jaw Long ka agla hamla itni zorr se pada ki Veer ke poora jism andar se leke baahar tak hil gaya.

Khoon hawa me ucchla aur uska shareer bhayanak gati se pedo ko cheerte hue kayi feet dur jaa gira.

Jaw Long uski mrityu ke samaan dheere dheere chalte hue uske nazdeek aane laga. Usne wahi khusa bhaala zameen par se ukhaad ke nikaala aur ahista ahista Veer ke paas aane laga.

Veer koi bhi harqat nahi kar raha tha. Probability Manipulation ka istemal ab woh nahi kar sakta tha. Limbo barbaad jaa chuki thi. Bone Reaper keval uski haddiyo ko hi bacha sakta tha. Andar ki maanspeshiyo aur aham ango ko nahi.

Beowulf's Blessings keval uske senses hi badhaata tha na ki uski taqat. Agar woh ek neend le leta toh kam se kam woh ladayi me kuch antar laa sakta tha. Magar-

Jaw Long uss se kuch qadam ki duri par khada ho gaya. Aur, bina deri kiye woh aage daudte hue hawa me ucchla par tabhi uski aankhein bhay ke maare fel gayi.

Uske haath apne aap uske chehre ke saamne aake use dhaak liye aur agle hi shan-

*Booooooooommmmm*

Uska bhaari bharkam shareer hawa me vipreet disha me atyant dur jaa ke gira. Prahar ki awaaz se Veer ne apna chehra kar upar dekha toh paaya ki-

Koi khada hua tha.

'*huff* K-Kaun-!? *huff*'

Koi tha...! Usne upar se neeche tak kaale kapde pehne hue the jo uski gori safed twacha ke ekdum vipreet the. Wahi lambe, seedhe, kaale ghane baal jo mand hawa me lehra rahe the. Uski chamak daar aankhein jo andhere me vishesh roop se chamak rahi thi. Aur, uske ird gird fela uska woh strong aura jo inn sabhi visheshtao ko baandh ke rakha tha.

Uska yeh swaroop Veer ke dil-o-dimag me ankit ho gaya. Nahi! Balki, ye aisa tha ki ise bhoolna hi namumkin tha.

Tabhi, Veer ka dil chehra dekhte hi zorr se dhadka...! Hairat me uski aankhein chaudi ho gayi.

'Y-You-!!!???'

Woh ladki bina Veer ko dekhe aage badhi ki tabhi Veer ne use peeche se pukaarte hue rok liya.

"W-Wait-!!!!"

Ladki ke qadam wahi tham gaye. Uski mutthi Zorro se kass gayi. Jaise maano woh yaha rukna nahi chaahti thi.

"I-It's you-!!! Wh-Why???"

Parantu, ladki kuch na boli. Woh punah jaise hi aage badhne ke liye hui-

"Avaaaaa-!!!!"

Iss baar fir uske qadam Veer ki pukaar par rukk gaye. Veer ki dhadkane tezz thi. Uske mann me kayi sawaal uthal puthal machaaye hue the. Magar, inka samay nahi tha.

"Wh-Why??? *huff* *huff* T-Tum yaha...? Kyu??!"

Uski awaaz me krodh, aashcharya aur peeda sab kuch tha. Par, Ava mudi aur usne jo jawaab diya... Unme bhi yahi bhaav the.

"Why? You ask me why?"

Woh palti... Veer ne uska chehra saamne se dekha toh uska muh khula ka khula reh gaya. Ava ki aankhon me aasu the...!


IMG-20240223-194958

"Yaad karo Veer! Kya kaha tha tumne mujhse akhiri baar?"

Veer ne jaise hi uss baare me socha Ava utne me ek jhatke me hawa ke jhoke ki tarah apni jagah se gayab ho gayi.

"Avaaaaaaa-!!!!"

Veer ki pukaar ka koi fayda na hua. Woh Jaw Long ki disha ki orr jaa chuki thi. Magar, uske bol zaroor Veer ke mastishq me goonjte reh gaye.


'Yaad karo Veer! Kya kaha tha tumne mujhse akhiri baar?'

Veer ko yaad aaya. Akhiri baar usne Ava ko jo kuch kaha tha... Woh uss island par kaha tha jiske kinaare woh Crimson se ladd raha tha. Dhoka dene ki wajah se woh Ava se apne saare rishte naate tod chuka tha. Usne kaha tha ki-

'Tum apne raaste! Aur mein apne! Humare beech ab koi rishta nahi. And, don't you dare ever cross paths with me. You are on your own from now on.'

'And don't show me your face ever again.'


Magar, sirf itna hi nahi tha. Ava apni maa ko bachaane ke liye ye sab kari thi. Aur, isliye Island chorr kar jaane se pehle Veer ne ek vaakya aur kaha tha. Itni dheere ki sirf use hi sunaayi de sake. Lekin, Ava ne woh sunn liya tha.

Woh bol the-


'Go and protect your loved one now.'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 11k words. Mere khayal se ye sabse bada update hai kahani ka. Also, aap sabhi ko Holi ki shubhkamnaye. Update late aane ke kayi saare kaaran hai jinke baare me mein baar baar baat nahi karunga. Achanak food poisoning ki wajah se bhi mera swastha beech me dagmaga gaya. Anyways, update 176 is here. Baaki, likes thokne aur revos rakhne ka. Target apna 200 hi hai. Pahucha do.
Happy Holi once again!

Dhanyavad. ✨
Mind blowing update bhai
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Sidd19

Active Member
1,786
1,926
143
Mega Update

Update - 177 ~ Berserk
[Note : Contains Gore related scenes.]

Ab tak...

Magar, sirf itna hi nahi tha. Ava apni maa ko bachaane ke liye ye sab kari thi. Aur, isliye Island chorr kar jaane se pehle Veer ne ek vaakya aur kaha tha. Itni dheere ki sirf use hi sunaayi de sake. Lekin, Ava ne woh sunn liya tha.

Woh bol the-

'Go and protect your loved one now.'


Ab aage...

Pedo ki daalo ke upar Erica chhalang maarte hue aage badhti jaa rahi thi. Hawa se uske baal lehra rahe the aur bauhe bechaini ke maare kasi hui thi.

'Veer!!!'

Badi mushqil se usne apne darr ke upar qaabu paaya tha. Kahi na kahi mann hi mann woh khud ko dosh bhi de rahi thi ki woh yaha aayi toh Veer ko bachaane thi magar khud hi sakpaka ke baith gayi. Kya aise woh apne pita ko proof karne waali thi ki woh ab frontline missions ke liye taiyaar thi?

Dekha jaaye toh galti uski bhi nahi thi. Woh kabhi bhi aisi paristhiti me padi nahi thi aur na hi usne kabhi aise drishya apni aankhon ke saamne dekhe the. Jis wajah se woh hamesha cheezon ko halke me le liya karti thi. Bilkul waise hi jaise ek kue me baitha mendhak, upar kue ki golayi se dikh rahe aasmaan ko dekh ye samajhne lagta hai ki aasmaan bas itna hi hai. Magar, baad me kue se nikalne ke baad use pata chalta hai ki aasmaan asal me kitna vishal hai. Aaj Erica ko poorn roop se abhaas ho gaya tha ki asli darr kya hota hai, duniya me kitne khatarnak log hote hai, apno ko khone ka bhay kya hota hai aur ek jaan ki qeemat kya hoti hai.

'Hang in there.'

Bhaagte hue use kuch theek sa nahi lag raha tha. Jaise ye khamoshi use bechain kar rahi thi.

'Achanak se itni shaanti kyu chha gayi hai?'


[Something is off.]

Jaw Long ke Animal Kingdom card ka asar khatam hote hi saare janvar waha se afra tafri me dur bhaag chuke the. Toh wahi neeche chal rahi Veer aur Jaw Long ki ladayi bhi Veer ke ghayal hone ke chalte lagbhag samapt ho chuki thi. Yahi kaaran tha ki ab Erica ko koi bhi shor sunayi nahi de raha tha. Magar, jitni vatavaran me khamoshi fel rahi thi Erica ki bechaini utni hi badhti jaa rahi thi. Kahi ye kisi anhoni ke ghatit hone ka sanket toh nahi tha? Woh nahi jaanti thi. Woh toh bas itna jaanti thi ki Veer ko iss daldal se baahar nikaal ke use sahi salamat wapas leke jaana hai.

[Woh dono yaha nahi hai, Erica. Ab ya toh woh pul ke uss paar gaye hai ya fir neeche.]

Erica dusre pul tak pahuch chuki thi jaha se Veer neeche gira tha. Pul ke uss paar se toh use koi bhi dhwani sunayi nahi di. Ab yaha se talashi karne ke do raaste the.

'Kaha gaye honge woh? Aage dekhe Genie?'


[Mere khayal se aage badhne se pehle hume neeche dekh lena chahiye. Neeche bhi kaafi jagah hai. Jangal neeche bhi hai. Neher ke uss orr dekho Erica.]

'Par bhala neeche kyu jayega woh?'

[Kyu nahi jayega woh? Judging by how he was escaping from those animals... There's a high possibility he might have chosen that route. Zara socho. Itne saare janvaro se bachne ka sabse behtar vikalp kya ho sakta hai? Insaan kaha jayega? Seedhe raaste par jaha janvar lagatar uska peechha kare? Ya fir neher ka sahara lete hue dusre chhor par jaha janvar aa hi na paaye?]

'You have a point, Genie! Theek hai toh fir. Pehle neeche hi talashi lete hai.'

Nirnay lete hue Erica pul ke madhya aayi, neeche dekhi, aur bina jhijke iss baar paani me kood gayi.

*Splaaaashhhhh*

Chhapak ki awaaz ke saath girte hi woh tairte hue fauran chhor par aayi aur khud ko neher se nikaalte hue ek gehri saans chhori. Iss baar usne paani me koodne ke liye koi shikayat nahi ki. Woh jaise sthiti ki gambheerta ko ab samajh rahi thi. Woh sambhalte hue aage badhi. Dheere dheere woh jangal ki gehrayiyo me pravesh karne lagi. Daudate daudate hi use kuch derr baad zameen par dur kuch nazar aaya. Aur, jaise hi woh aakriti uski nazro me aur spasht hui uski aankhein darr ke maare fel gayi. Qadmo ki gati aur tez ho gayi.

'N-Noooo-!!!!'

Ghabrahat! Ek ajeeb si ghabrahat uske andar janm li. Seene me vichitr sa ek bharipann mehsoos hua aur geele badan pe raungte khade ho gaye. Dur zameen par Veer ka shareer khoon se lathpath bejaan sa pada hua tha. Erica ki toh jaisi saari umeedein hi toot gayi. Kya usne derr kar di? Kya woh sahi samay par nahi pahuch paayi? Tamaam sawaal uske mastishk aur dil dono par chot karne lage.

Woh tez raftar se Veer ke nazdeek aayi aur ghisatate hue khud ko roki. Jhukte hi usne Veer ke sarr ke peeche ek haath le jaate hue uske sarr ko badi hi savdhani se uthaya aur apne kaan ko neeche uske seene par le jaate hue lagaya. Aur-

*Ba-dump*

*Ba-dump*


Agle hi shan uski aankhon me aansu apne aap panap aaye. Dil dhadak raha tha..! Usne kabhi nahi socha tha ki kabhi kisi ki dhadkan sunn ke use itna sukoon milega, itni khushi milegi, itni raahat milegi. Ek dil ki dhadkan ka mol jaise aaj use pata chal gaya tha.

Kabhi usne nahi socha tha ki Veer jaise ladke ke liye woh aisa kuch mehsoos karegi. Pehle din se hi Veer aur uska rishta koi khaas nahi tha. Magar, iss waqt Veer ke dhadakte dil ki awaaz sunn jo woh mehsoos kar rahi thi, unhe shabdo me bayaa kar paana uske liye behad mushqil tha.

'Thank God-!! Thank God!!! You idiot!!! *sniff* You are alive.'


[Ek minute!! Agar, Veer yaha hai. Toh, Jaw Long kaha hai?]

Genie ke prashn karte hi Erica ko jaise dhyaan aaya. Khatra woh janvar nahi the. Asli khatra toh Jaw Long tha. Uske baare me sochte hi uski aankhein satarkta ke chalte fel gayi.

Woh idhar udhar apni gardan ghumate hue chaaro orr dekhi. Magar, Jaw Long kahi bhi use dikhayi nahi diya. Woh toh aise gayab tha jaise cheel ke ghosle me maans.

Aur, tabhi-

*Booooooooommmmmm*

Dur use kuch shor sunayi diya. Aisa lag raha tha maano do log aapas me lad rahe the.

'What? What's happening?'

Uske sawal ka jawab bhi use jaise agle hi pal mil gaya. Dur jangal ki gehrayiyo se nikalta hua Jaw Long bhayanak tez raftar me uski orr hi aa raha tha. Ek shan pehle uski koi upasthiti nahi thi aur agle hi shan woh khud uski orr pagal saand ki tarah dauda chala aa raha tha.

'Huh!?'

Jab Erica ne danav jaise Jaw Long ko apni orr aata dekha toh maano uski haalat hi patli ho gayi. Jaise jaise woh nazdeek aa raha tha uski aakriti badhti jaa rahi thi. Asal me woh kitna vishal tha ye ab Erica ko samajh aa raha tha. Jaw Long ke haatho me uska wahi bada sa kulhada bhi tha. Ek baar hi uske chalane par Erica ke shareer ke do tukde ho sakte the.

Ye sochte hi woh bechari itna ghabra gayi ki usne neeche letey Veer ko apne seene se lagaya aur aankhein band kar apne haath khade kar diye. Agar, yahi unka ant tha... Toh wahi sahi.

Magar, iss se pehle ki Jaw Long unn tak pahuchta-

*Whooooooosshhhh*

Ek saaya unn dono ke beech aake khada ho gaya. Jab aakriti spasht hui toh pata chala ki ye Ava hi thi. Erica ne jab khamoshi ko mehsoos kar apni aankhein kholi toh apne saamne Ava ko khada dekh dang reh gayi.

Aur, uske hosh aur bhi zyada tab ude jab usne Ava ko check kar ye pata lagaya ki woh bhi ek system holder thi.

'Whattttt!!?? Wh-Who is she!?'

Ava agar chaahti toh camouflage activate kar woh fake status dikha sakti thi. Parantu, usne aisa na kiya. Veer ko dhoka dene ke baad se jaise use iss skill se nafrat si ho gayi thi.

Woh Jaw Long ke saamne nidarta se khadi hui thi. Usne apne kandhe ke upar se peeche halka sa mud Erica ko dekha jisne apne seene se Veer ko laga rakha tha. Uski nazre Erica ke seene aur Veer ke chehre par kuch zyada derr hi tiki rahi. Kuch shan baad woh boli.

Ava : Kuch samjhane ka time nahi hai. Uske wounds deep hai. Uska system andar hi andar bleeding ko rokne ki koshish kar raha hoga. Tab tak uski safety, mein tumhare haatho saunpti hu.

Erica itni zyada confused thi ki use kuch bhi samajh nahi aaya. Kaun thi ye ladki? Kar kya rahi thi ye yaha? Aur, Veer ko kaise jaanti thi?

Erica (frowns) : Who are you?

Ava : I'm... I'm someone who owes him a debt.

Erica (frowns) : Ye mere question ka answer nahi! Who exactly are you? Aur, mein tum par bharosa kyu karu?

Ava (smiles) : Kya waqai iss waqt tum ye sawal puch rahi ho? Saamne dekho apne. Agar, mein yaha se hatt gayi toh anjaam kya hoga?

Erica ne jaise hi Jaw Long ko dekha jo abhi tak satark hue unke saamne khada tha, uski bauhe ghabrahat ke chalte sikud gayi. Ava ki baat sahi thi. Agar, woh unke saamne se hati toh woh dono hi maare jaane waale the.

Ava : Shayad ab tumhe samajh aa gaya hoga ki tumhe mujhpe bharosa kyu karna chahiye. Right?

Erica : ...

Ava (exhales) : Take care of him! Use abhi move mat karna. Warna, blood flow hota rahega. Bleeding ruki nahi hai. Bas, uski hifazat karo. Bleeding ke rukte hi use yaha se leke nikal jaana.

Erica chup chaap sab kuch sunn rahi thi. Sawaal dher saare the uske mann me magar filhal unhe taal dena hi behtar tha. Kya iss ladki par bharosa kiya jaa sakta tha? Uske Dad bhi yaha nahi the. Ek decision hi unn dono ki life ya toh bacha sakta tha ya fir khatam kar sakta tha. Ek bahut badi zimmedari iss samay uske sarr thi.

Usne ek gehri saans lete hue fir apna nirnay liya. Haami bharte hue woh boli,

Erica (nods) : Theek hai! I'm trusting you.

Ava : Good! I will stall him until then. Yaad rakhna! Bleeding band hote hi tumhe use leke yaha se nikalna hai.

Erica : Hmm!

Aur, itna bol Ava wapas se apne saamne khade Jaw Long par focused ho gayi. Jaw Long jaan boojh ke hamla nahi kar raha tha.

Veer ke alawa uske saamne do do system holders maujood the. Zahir hai woh jaldbazi me koi galat qadam nahi uthana chahta tha. Aur, Ava ki woh zordar kick jo use padi thi. Uss se kahi na kahi use andaza lag gaya tha ki ye system holder ladki sirf kehne ki system holder nahi thi.

Woh kehte hai na, 'fook fook kar chalna hi samajhdari hoti hai.' Baad me dukhi hone se behtar tha ki abhi satark raha jaaye. Kisi tareeqe se woh Ava ko chakma deke yaha Veer aur Erica ko maarne ke liye aa toh gaya tha. Par, saamne khadi Ava ko dekh uske qadam sanshay me thame hue the.

Aur, Ava ne bhi jaise uske sanshay ka abhaas kar liya. Woh palak jhapakte apni jagah se gayab hui aur Jaw Long ki taraf lapki. Uske haath me ek katana talwar uski sheath se bahar nikli aur seedhe Jaw Long ke gale ki orr badhi.

Kuch bura abhaas hote hi Jaw Long ki aankhein sankat ke chalte chaudi ho gayi. Bhay ke maare woh peeche hua aur isi prakar Ava Jaw Long ko Veer aur Erica se dur karne me safal ho gayi.

Toh wahi idhar Erica Ava aur Jaw Long ko bhidte dekh ek alag anubhav le rahi thi. Usne apna dhyaan Veer par jaise hi punah daala toh veh ghabra uthi.

'My god...!'

Veer ke zakhm gehre the. Erica ne apne jeevan kaal me kayi maut apni aankhon ke saamne dekhi thi. Par, kabhi bhi kisi system holder ko iss tarah ghayal nahi dekha tha.

Ek system holder ka iss tarah zakhmi hona kis baat ka saboot tha? Iss se ye pata chalta tha ki Jaw Long unke liye kitna bada khatra tha. Agar, Veer unki madad na kar ke Jaw Long ko yaha baandh ke na rakhta toh kya hota? Woh sochna bhi nahi chahti thi.


[He's badly injured.]

'Uss ladki ne kaha ki Veer ka system use heal kar raha hoga andar hi andar.'

[So, he does have a healing skill huh?]

'Pata nahi! Card bhi ho sakta hai. Lekin, ye ghaav...! Kitna dard saha hoga Veer ne Genie?'

Erica Ava ke chehre ko poori tarah se nahi dekh paayi thi. Ava uss se baat karte samay bas halka sa hi mudi thi, jis kaaran vash use Ava ki soorat poori tarah se spasht dikhayi na padi. Parantu, woh Ava ke baare me kaafi kuch jaanti thi.

Woh jaanti thi ki Ava ek system holder thi. Veer ko Crimson se bachane ke baad Renshu ne use kaafi kuch bataya tha. Use ab bhi apne pita ke saath kiya gaya woh sanvaad yaad tha.


'Woh celebrity Natalia Martin bhi ek system holder hai, Erica!'

'Really?'

'Hmm! Aur, uss ladke ki maut ka ek kaaran bhi bann sakti thi. Agar, mein sahi samay par waha na pahuchta toh-'

'Hmph! Aap jab se waha se aaye ho uss ladke ke baare me hi baat kare jaa rahe ho. Akhir kaun hai woh?'

'Haha! Jo bhi hai bahut hi kaabil naujavan hai. Aur, rahi baat ki kaun hai woh? Jald hi tumhe pata lag jayega. Mera ek favour hai uspe ab. Jise chukaane wo zaroor yaha aayega. Tab, tum khud apni aankhon se dekh lena.'

'Hmph! I don't care! Balki, aap celebrity Natalia ke baare me mujhe kuch bataiye.'

'Uske baare me mein zyada nahi jaanta aur na hi uss se mila hu. Lekin, itna zaroor pata hai mujhe ki uss ladke ko shadyantra me phasane waali woh bhi ek thi. Maine itna anuman laga liya tha.'

'Woh kaise?'

'Ladka jab samundar me doob raha tha tab maine use waha se bachaya tha. Uss dauran, woh Natalia Martin helicopter me upar baithi neeche nazre gadayi sab kuch dekh rahi thi.'

'Ohhh-!?'

'Lloyd ne mujhe bata diya tha ki wo bhi ek system holder thi.
Mujhe poore shadyantra ke baare me jankari to nahi hai. Lekin, kaafi kuch anumaan mein laga sakta hu.'

'I see!'

'Uske paas camouflage kar ke ek skill hai.'

'Camouflage?'

'Hmm! Uski madad se wo nakli status laga ke ghum rahi thi.'

'Iska matlab-!'

'Haan! Usi ke chakkar me shayad wo naujavan ek khatarnak shadyantra ka shikar ho gaya. Kherr, woh zinda hai abhi yahi acchi baat hai. Shayad, tab uss Natalia ne Camouflage ko band kar rakha tha. Tabhi, Lloyd use check kar paaya tha. Aur, asliyat ka pata laga paaya tha.'

'Hmm! Lekin, aapko kaise pata chala Dad ki Natalia ke paas Camouflage skill hai?'

'Kyuki jab maine use check kiya tha tab uska status mujhe dikhayi de raha tha. Woh nakli tha. Lloyd ne sahi pehchan baad me ki thi.'

'Ahh!'

'Erica!!!'

'Huh!?'

'Agar, kabhi tumhara saamna iss Natalia Martin se ho. Toh uss par bharosa mat karna. Celebrity hone ka matlab ye nahi ki kisi ka dil saaf ho.'


'Jii dad. Mein aapki baat ka dhyaan rakhungi.'


Ye baatein use acchi tarah se yaad thi. Magar, uska dhyaan to abhi uski jaangh par sarr rakha yeh naujavan kheenche hue tha.

Genie chup chaap Erica ke emotions ko padh rahi thi. Kaise Erica ke kaanpte hue haath Veer ke zakhmo par haule se fir rahe the. Jaise wo ghaav dekh ke hi unhe mehsoos kar paa rahi thi ki kitna dard hua hoga Veer ko jab ye chotein uske shareer par aayi hongi. Uski sarsari nigaahein Veer ke uttam kataav waale badan par bhi fir rahi thi.


[Tum uski dressing kyu nahi kar deti? Hamare paas rakhi hui hai na?]

'Arrey haan! M-Mujhe to dhyaan hi na raha.'

Usne apni jebo me se dressing ke liye kuch first aid ki pattiyaan nikaali aur Veer ke ghaavo ko saaf kar unn par savdhani se baandhne lagi. Bhale hi inse zyada madad nahi milne wali thi par ghaavo ko khula chorrne se toh ye behtar hi tha.

Dressing baandhte baandhte Erica ki nazre baar baar Veer ke chehre par phir rahi thi.

'G-Genie-! I... I was just thinking... Veer ki kya favorability hai mere liye?'

Sawaal sunte hi mann hi mann jaise Genie muskurayi. Woh jaise bhaanp gayi ki ye sab kis orr jaa raha tha.


[Sach me jaanana hai tumhe?]

'N-Nahi aisi koi khaas wajah nahi hai. M-Mein toh bas yuhi- curious thi...! Isliye- socha ki-'

Apne baalo ki latt ko ungli se ghumate hue woh khusur-pusur karte hue boli.


[Uski favorability tumhare liye 90 hai.]

Ank sunte hi Erica ki jaise aankhein phati ki phati reh gayi.

'Wh-What-!???'

Use pata tha ki 70-80 ke upar favorability ka hona kya darshata tha.

Pyaar!!!

Samajh aate hi uske gaal laal tamatar ki tarah laal hote chale gaye. Par, agle hi shan, maano jaise Genie ne uske sarr par thande paani se bhari balti udel di.


[Hahaha! Just kidding. Asli favorability 22 hai.]

'Y-You-!!! Genieeeeee!!!!'

Woh mann hi mann Genie par barsi. Toh wahi Genie uska reaction dekh aur zyada thahaake lagaane par majboor ho gayi. Genie jaan boojh ke mahaul ko halka karne ki koshish kar rahi thi. Aur, usme woh poori tarah se qamyab thi. Erica ka aisi sthiti me calm hona behad aavashyak tha.

'Ahinda se aisa tumne kabhi kiya na, toh mein tumhe sleep mode me daal dungi.'


[What?? H-Hey! Wait a minute! It was just a joke. Okay? Aur, maine ab bata to di asli favorability. It's 22. Twenty two. Jise dusri bhaasha me-]

'Haan pata hai!! Sunn liya maine. Sunn liya. I-It's not even a good number. Why are you yelling so much??? Enough! Sunn liya maine. 22 hai. I know! Hmph!'

[What? Kya tum chaah rahi thi aur zyada ho?]

'Wh-Who cares? *blushes* Ahem! Anyways! Mera ek sawal hai. System jab ek dusre ko check nahi kar sakta toh ek dusre ki favorability kaise bata deta hai?'

[Hmm! A very good question.]

'Please, ab baatein mat ghumaana.'

[Nahi nahi! I will tell you. Look! Hum sabhi system ek dusre ke prati satark rehte hai. Koi bhi system ye nahi chaahta ki agla system unke stats dekh paaye. We are afraid of each other.]

'Afraid?'

[Hmm! System apne stats ko hide kar sakta hai. Isliye, check karne par hume kuch bhi info haath nahi lagti. Ek prakar se ye hamara defensive mechanism hai. Par, Erica...! Emotions chhipaye nahi jaa sakte.]

'Ah!'

[Bhale hi stats hide kar diye gaye ho par feelings ko hide nahi kiya jaa sakta. Agla system holder tumhare liye kya bhaav rakh raha hai woh asaani se dikh jaata hai. Jaw Long ko dekhte hi uski ill intent humne mehsoos kar li. Zahir hai favorability minus me hai uski.]

'Right!'

[Wahi Veer ki 22 hai. Tumhare Dad ki tumhare prati 90 hai. Of course, it's all fatherly love.]

'Dad to meri chinta hi nahi chorrte. Mein badi ho gayi hu ab. *sighs* Toh aise work karta hai ye. Samajh gayi. Thanks Genie! Ohh! Look, woh ab saansein behtar dhang se le raha hai.'

[Uske system ne blood flow ko control me rakha hai. I think wo neend me hai.]

'Use araam ki sakht zaroorat hai. So, just-'

Iske pehle ki wo apni baat poori keh paati Jaw Long ki tezz dahaad ne uska dhyaan kheencha.

"Shebaaaaaaaaa-!!!!!"

*Keeeeeeaaaaaarrrrr*

Aur, beshaq...! Wahi baaj hawa me apne parr felaaye uske ek bulaave par haazir ho gaya. Sheba udta hua seedhe Erica ki orr aaya.

'Ahhh!'


[Careful!!]

Par, iss baar Erica ghabra ke dur nahi bhaagi. Usne apni peeth par peeche khusi hui kisi cheez ko baahar nikaala. Aur-

'This time...! I won't run!!'

*Fwoosh*

Seedha uss baaj ki orr usne wo fek diya. Wo cheez hawa me sansanati hui gol gol ghoom ke udte Sheba ko giraane ke liye aayi.

Sheba tezz raftaar se apni orr aa rahi cheez ko dekh baukhlate hue hawayi marg se hatt gaya. Aur, woh cheez jo hawa me feki gayi thi woh wapas se ek golaayi ka raasta apnaate-

*Thuck*

Erica ke haatho me aa thami.

Ek boomerang!!! Magar, koi sadharan boomerang nahi. Uske ird gird metal ke kuch nukeele tukde lage hue the. Kisi prakaar ki dhaar-daar blades. Jo nishchit roop se kisi ko ghayal karne ke liye hi lagayi gayi thi.

Metal bhi koi aisa wesa nahi. Ye tha titanium. Sabse halka aur mazboot metal. Aur, iss anokhe boomerang ki rachayita koi aur nahi ~ Swayam Erica thi.

Uska ek maatra card ~ Metallurgy!!!



web-7

Ek aisa card jo use saara gyaan, saari kshamtaye aur saara kaushal pradaan karta tha metals se hathyar banaane ke liye. Usne Garofano ke liye bhi kuch needles bana ke use di thi.

Erica ki aankhon me iss baar tej tha. Aur, uske mann me tabhi-

*Ding*


[Mission : Safeguard Veer until he recovers.
Rewards : Skill ~ Basic Seer Vision.
Mission failure penalty :
1) Loss of Order.
2) 10,000 points deduction.]


'Iss baar...! Mein peeche nahi hatne waali. Chaahe kuch bhi ho jaaye. Jab tak Veer recover nahi ho jaata! Mein yahi hu-!!!'

Aur, dur se use Sheba se ladta dekh, idhar Ava ke hontho par ek halki si muskan bikhar gayi.

***

Kintu, hua kya tha? Ava yaha kaise pahuchi? Woh itne din kaha thi? Veer yaha hai iss baare me use kaise pata chala? Aur, yaha aane ka uska maqsad kya tha?

Ye tamaam sawaal Veer ke mann me the behosh hone se pehle. Jinka uttar keval aur keval Ava hi apne muh se de sakti thi.

Kuch derr pehle...

Jab Veer eastside ki entrance se pravesh kar raha tha. Tab, woh nahi jaanta tha ki theek uske peeche Ava bhi use follow kar rahi thi.


[There he is, Miss! Thoda aur nazdeek jaa sakte hai hum. Itna peeche chalne ki zaroorat nahi.]

'Nahi Lily! Veer ke paas Beowulf hai. Senses badh jaate hai uske. Ho sakta hai usne activate kar ke rakha ho. Agar, mein iss se zyada nazdeek gayi toh wo meri presence ko mehsoos kar lega.'

[Ohh!]

Ava ne Veer ki aankhon me woh laal rang ki parat pehle bhi dekhi hui thi. Lily ne hi use khoj ke bataya tha ki Veer ke paas Beowulf card tha.

[Toh ab?]

'I will follow him from a distance.'

[Okay!]

'Lily...! What does he think of me now?'


IMG-20240407-165213

[His favorability towards you is only 10.]

Ava ke chehre par ek muskan bikhar gayi. Magar, iss muskan me kahi na kahi nirasha bhi chhipi hui thi.

'10... is not a bad number.'


[My dear Miss! Is 10 really a good number?]

'Lily! Jo maine kiya tha...! Uske baad toh iss favorability ko minus me hona chahiye tha. *smiles* 10 is already a great number.'


IMG-20240407-165758

[You've been smitten by him. *sighs* Kya hoga aage? I don't even know.]

'N-No-! That's not it! I-'

[Jhooth bolne ki zaroorat nahi hai. I can feel your emotions.]

Ava uske jawab me kuch na boli. Woh chupke chupke Veer ka peecha karti rahi. Veer jab uss blood trail ko laangh ke aage gaya toh Ava kuch shan wahi ruk gayi.

[Ye ek sensory type boundary ho sakti hai.]

'Andar jaane ke liye ise cross karna hi hoga.'

Aur, blood trail ko paar karte hue woh khud bhi Veer ki disha ki orr aage badh gayi.

Uske andar aate hi Jaw Long ko do vyaktiyo ke andar ghusne ke baare me pata lag chuka tha. Magar, Ava jaise pehle hi sab kuch plan kar ke chal rahi thi.

Seedhe taur par ladayi me na ghuste hue woh ped ki daali par baithe dur se sab kuch dekhti rahi.

'Yaha se mein uss par nazar rakh sakti hu. Jaise hi situation bigdegi, mein waha pahuch jaungi.'

Sirf Erica hi nahi thi, Veer ko unn janwaro se bhaagta dekh Ava ka badan bhi kaanp utha tha. Akele Veer ka waha ladna...! Woh kisi yoddha se kam nahi lag raha tha. Aur, uski woh nidarta se bhari chhavi Ava ke dil me aur nayi tarange utpann kar rahi thi.

Magar, akhir use Veer ke thikaane ka pata kaise laga? Yeh koi raaz nahi tha.

[Death Flag]

Wahi skill, jo Ava ne Veer par mark ki thi. Tab jab woh aur Suhana Las Vegas me uske concert me pehli baar daakhil hue the. Yeh wo skill thi jo ek vyakti ko mark kar ke rakhti thi. Ek seemit range tak uss vyakti ke zinda ya mrit hone ke baare me batati thi.

Tab se leke ab tak Veer par Death Flag ki woh marking bani hui thi. Kintu, Veer ke ruth ke jaane ke baad, Ava ne kuch kiya tha. Apne system ke saath. Uski system Lily ko bhi saari baatein yaad thi. Island par Veer jab use akela chorr ke chala gaya tha. Uss raat-


'Lily!'

[Yes?]

'Upgrade Death Flag's range!'


[What?]

'Suna nahi tumne? Maximize the range.'

[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? The first upgrade will take 5000 points. And, the second upgrade will take 10,000 points. Total 15,000 points.]

'Yes! Jaanti hu! Do it!'

[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]

'Lily!!!'


[Fine then!]

*Ding*


[Death Flag's range has been maxed out.]

'Good!'


Yahi woh pal tha jab Ava ki skill Death Flag ki range maximum ho chuki thi. Na sirf ab woh jeevit ya mrit ke baare me bataane me saksham thi balki, insaan ki ab location bhi woh saaf saaf dekh sakti thi. Veer duniya ke kisi bhi kone me hi kyu na rahe, agar Death Flag uss par marked thi toh Ava uski location ko asaani se dekh sakti thi.

Woh uss tak jab chaahe tab pahuch sakti thi. Aur, isi tarah woh yaha Veer ko dhundh paayi.

Veer ka achanak Mumbai chorr yaha China aana. Woh jaan chuki thi ki kuch gadbad thi. Yahi kaaran tha jo woh khud yaha chali aayi. Aur, uska sanshay ekdum sahi tha.

Aaj woh yaha na hoti toh Veer bahut bade jokhim me pad jaata. Kam se kam ab woh uske liye kuch samay nikaal sakti thi. Aur, yahi uska prayshchit tha. Bhale hi... Uski jaan hi kyu na chali jaaye.


[I just don't understand. Why are you so focused on him? Kya waqai aapko uss se-!?]

'He...! He gave me happiness, Lily. Jab mein use trap me fasaane ke liye uske khilaf chaale chal rahi thi. Tab woh meri khushiyo ka dhyaan rakhte hue mujhe protect kar raha tha. Can you imagine it?'


IMG-20240407-165200

[...]

'Maine kabhi nahi socha tha unn moments ko mein firse enjoy kar paungi. Meri asli khushiyaan Mumbai me hi thi Lily. Jab mein chhoti thi. Mera bachpan...! Kaera aur Sonia ko chorr ke aane ke baad woh saari khushiyaan jaa chuki thi.'

[...]

'Veer ka saath jaise mujhe unhi lamho me le gaya. Par, kya kiya maine uske saath? I don't deserve his friendship. I don't deserve to be around him.'


IMG-20240407-170303

Ho na ho, Veer hi woh kaaran tha jiski wajah se aaj Ava jeevit thi. Warna, France ki unn vardato ke baad usne-

[W-Wait!!! What are you doing?]

Uska uss pahaad ki choti par khade hona. Aur, neeche khaayi ki orr dekhna.

[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]

'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'


[W-Wait!! N-Noooooo!]

Woh khud khushi karne jaa rahi thi. Aur usne apna perr aage badha bhi diya tha.


[Noooooooooooooo!!!!!]

Par, usi waqt Veer ke akhiri shabd uske mastishk me punah goonj gaye.


'Go and protect your loved one now.'

Aur, usne apne santulan ko girne se bacha liya.

[You idiot!!! You scared the shit outta me. Ye... Ye kya kar rahi thi dear? Whyyy?]

'I'm sorry-!!! *sniff* I'm sorry, Lily. I'm so sorry!!! Maine tumhare baare me zara bhi nahi socha. N-No-!! I didn't even think of him either-!!'

[Huh!?]


'Usi ne kaha tha na!? Th-Then I must protect him!'

[Y-You-!!!?]


*Clang* *Clang*

Ateet se baahar aate hue Ava ki aankhein saamne Jaw Long ke harr move ko padhne me vyast thi.

Woh prahar karti jaa rahi thi magar Jaw Long peeche fall back karte hue khud ko bacha le raha tha.

Jaw Long uss se direct fight nahi le raha tha. Pata nahi kyu, par woh Ava ke hathyar katana se kaafi bhaybheet sa nazar aa raha tha.

Ava ne apni tactic turant hi badli aur apni jeb se usne handgun nikaal seedha dur khade Jaw Long ki upar taan di.

'Kisi wajah se woh mujhse directly nahi lad raha hai. Agar woh long ranged fight hi chaahta hai toh theek hai. He can have a kiss of my bullet.'



IMG-20240223-195059

*Bang*

Jaise Jaw Long ne kuch bhaanp liya. Woh tezz raftar me daudta hua apni jagah se bhaagne laga. Aur, Ava ki bullets apne nishaane se choonk gayi.

'Shit!! Kaash mere paas perfect aim ki koi skill hoti.'

*Bang* *Bang* *Bang*

Bullets gun ki nozzle se nikalti jaa rahi thi, par harr baar Jaw Long apni speed ke chalte unse bachta jaa raha tha. Saari bullets ya toh hawa me ya fir pedo ke tane par lag unke parchhatte udhedte hue nikal gayi.

Ava ko bhi mission mila hua tha. Magar, uska mission Jaw Long se bhidant ka nahi tha. Uska mission tha~


[Mission : Stall the time.
Description : Don't let your loved one die.
Rewards : ??]


Koi bhi penalty nahi dikh rahi thi. Iska matlab... Penalty death thi. Aur, system ko kho dena.

'Veer se ladne ke baad lagta hai ye aadmi kaafi thak chuka hai. I might be able to take him down.'


[Filhal toh wo hamari saari bullets se bach raha hai. Hume use jald se jald ghayal karna hoga.]

'Toh ek baar me ek bullet enough nahi haan? Alright then!'

Agle hi shan usne apni jacket khol andar se ek aur handgun nikali. Aur, dono handgun Jaw Long ke bheje ki orr taan usne trigger daba diya.



IMG-20240223-195029

*Bang* *Bang*

Do sansanati hui bullets guns se nikal Jaw Long ki chithde udaane ko aayi. Lekin, lagatar tez gati se bhaag raha Jaw Long unhe chakma dene me qamyab raha. Magar, khel yahi samapt nahi hua tha. Fire karte hi Ava ne unn dono guns ko upar hawa me ucchaal diya. Guns hawa me upar gol ghumti hui gayi aur tabhi-

Ava ne apni jacket punah khol aur do handguns usme se nikali. Unse fir se bhaag rahe Jaw Long ki taraf nishana lagaya. Aur, iss baar jaise Jaw Long ke chehre par dehshat saaf nazar aa gayi.

*Bang* *Bang*

Hawa ko cheerte hue woh bullets uske maans me dhassne ko aayi aur Jaw Long darr ke chalte ped ke peeche jaa dubka. Woh bullets ped ke tane ko ukhaadte hue usme jaa dhansi.

Idhar Ava ne haath me pakdi dono guns ko bhi turant hi hawa me uchaal diya. Jaise hi usne ye guns hawa me feki, pichhli do guns jo usne pehle se hi hawa me feki hui thi woh gravity ke chalte tezi se neeche aayi.

Unhe punah haath me thaam usne firse-

*Bang* *Bang*

Aur, wapas se unhe hawa me uchhal diya. Upar feki gayi baaki ki do guns fir neeche aayi aur iss baar unhe thaam-

*Bang* *Bang*

Woh do guns hawa me fekti, do se fire karti aur fir unhe hawa me fekti aur pichli do guns se fire karti. Ek baar me hi... Woh 4 handguns istemal kar rahi thi.

Aur, ye sab kuch itni tezi se ho raha tha ki aam insaan ko bas Ava ke haath ki dhundhli aakritiyaan hi nazar aati. Uske haath after images bana rahe the. Guns itni tezi se hawa me uchhal ke neeche gir rahi thi aur wapas se hawa me jaa rahi thi ki pata laga paana mushqil tha kaun si gun pehli waali thi aur kaun si dusri.

Usne itni bullets ped pe daag di ki ped ka tana hi toot ke bikhar gaya. Jaw Long kisi bheegi billi ki tarah ek ped se dusre ped ki aadh me khud ko chhipane par majboor ho gaya.

Ab tak close ranged fight me woh bada hi guroor dikha raha tha. Par, bandook ke saamne aate hi woh dubak ke chhupne par vivash ho gaya.


[Such skill of handling weapons. She's a skilled warrior.]

Yaha tak ki uska khud ka system bhi Ava ki weapon handling ki tareef karne me peeche na raha.

'Kai! Agar, aise hi chalta raha toh-'

Woh mann me kehte hue ek ped ki aadh lene bhaaga jab tabhi-

*Bang*

*Squelch*


"Urrrghhh!"

"Finally! I got him!"

Akhir kaar ek bullet ne apna kaam kar hi diya. Kandhe ke paas aake bullet maans ko cheerte hue andar ghusi. Aur, Jaw Long ki ek dabi dard bhari karah muh se nikal gayi.

'Agility badhani hogi, Kai!'


[Long! Tumhare paas sirf 3000 points hi baaki hai.]

Kehte hue usne uske mann me hi full status dikha diya.


web-9


web-10

'Jaanta hu! Lekin, Aura vision ko upgrade karne ke liye mere paas paryapt points nahi. Agility ki zyada zaroorat hai.'

[Accha? Aur, sleep ka kya? Bina sleep ke points nahi badhne waale. Stats me points invest karna bekar hai.]

'...'

Jaw Long kuch na bola. Kai ki baat sahi thi. Agar, agility me points invest kar bhi diye to bina neend ke woh nahi badhne waale the.


[Intezar kiska kar rahe ho? Apne trump cards ka istemal karo. Aur, jald se jald ye ladayi khatam karo. Straight way se ghuse Li Renshu aur unke aadmi kahi mine tak na pahuch jaaye.]

'Hmm!'

Kai ki baat maante hi Jaw Long ke ird gird ki hawa badalne lagi. Woh poori tarah se gambheer ho gaya. Wahi, yaha Ava ki bullets ki saari magazines khatam ho chuki thi.

Woh ab apni katana ko haath me pakdi wapas se close combat ke liye taiyaar thi. Magar, Jaw Long ke haav bhaav use satark rehne par majboor kar rahe the.

Aur, fir-

*Ding*


['Berserk' has been equipped.]

*Ding*

['Berserk' has been activated.]


web-6

Agle hi shan Jaw Long ka saara intelligence dhadalle se neeche girne laga. Ek ke baad ek uske intelligence ke 150 points girte chale gaye. Aur, usi ke saath ye points uski 180 strength me judne lage. Jaha ek taraf intelligence ghat raha tha toh wahi dusri orr strength badhti jaa rahi thi.

Berserk! Ek aisa card jo intelligence aur strength stat ke beech apna game khelta tha. Ek aisa card jisme intelligence ka balidan dene ke baad uske saare points strength stat me liye jaa sakte the.

*Ding*


[Intelligence has reached zero.]

[Strength stat has reached 330.]


Intelligence ke saare ke saare points strength me jaa chuke the. Jaw Long ke ird gird ki hawa bhaari mehsoos hone lagi. Uske lambe baal hawa me lehrane lage.

330 ki strength. Akhir kitni taqat rakhti thi? Woh kisi pagal khule saand ki tarah ho chuka tha. Jo raaste me aaye kisi bhi insaan ke tukde tukde karne ko taiyaar tha.


[This is bad!!! I can feel it. He's using something. Dear! Distance leke hi fight lena. Woh kisi prakar ka card istemal kar raha hai. Uski taqat badhti hui mehsoos ho rahi hai. Be careful!]

Lily ki chinta janak awaaz Ava ke mann me goonji. Ava ki bauhe bhi bhay aur duwidha ke chalte sikudi hui thi. Jaw Long ka aura woh feel kar paa rahi thi.

Aur, tabhi-

"Haaaaaaaarrrggghhhh!!!"

Jaw Long dahaad maarte hue hawa me uchakta uski orr aaya. Ava ghabrate hue peeche koodi aur Jaw Long ka taqatvar mukka zameen par jaa gira.

*Boom*

Ava ne jaise hi uss jagah ko dekha jaha woh pehle khadi hui thi uski aankhein khauf ke maare fel gayi. Zameen ke chithde udd chuke the. Ek mukke se hi waha par crater bann gaya.

'Wh-What kind of power is he using?'


[Maine kaha tha na. Usne kisi prakar se apni strength badhayi hai. Warna iss tarah ka damage asaani se nahi kiya jaa sakta. Beware! Agar ek bhi attack hume laga, to hamare liye mushqil ho jayegi.]

'Yeah!'

Jaw Long par jaise bhoot sawar ho chuka tha. Ava ko maarne ke liye jaise hi usne dusra mukka feka, Ava peeche gulati maarte hue uss se distance bana ke bachi aur ped ki aadh lete hue peeche ho gayi.

Parantu, ped jaise hi Jaw Long ke mukke ke sampark me aaya-

*Smaaaashhhhh*

Aisa laga maano ped me kisi ne bomb laga ke chorr diya ho. Kyuki, kisi visfot ki tarah hi uske parchhatte udd gaye. Ped tukdo tukdo me toot ke hawa me bikhar gaya. Itna vishalkaay ped yu ek hamle se hi dhwast ho gaya. Ava ki haalat iss samay shabdo me bayaan kar paana mushqil tha. Usne aaj tak aisi taaqat ka namoona nahi dekha tha. Ghabrahat ab uske andar janm le chuki thi.

'Th-That's-!'

Woh abhi koi rann-neeti sochti ki tabhi kisi vyakti ki awaaz aayi.

"Hahaha! Koi bhi bhaag nahi sakta ab Lord. Maine saare pul ki rassiya kaat di hai. Ab sabko-"

Kehte hue woh nadaan tribe ka member jaise hi Jaw Long ke nazdeek aaya. Jaw Long ne uska kandha thaam use wahi jakad liya.

"Huh?"

Apne Lord ki bina aankhon ki putliyo waali chhavi qareeb se dekh uss tribe ke aadmi ka moot uski jaanghiya me hi nikal gaya.

"L-Lord?"

Aur, ye uske akhiri shabd the. Kyuki, palak jhapakte hi-

*Bammmm*

"A-Ah-!!!"

Ava ki aankhon me dehshat saaf nazar aayi. Saamne ka drishya dekh uska badan kaanp utha. Jaw Long ne aisa mukka maara ki uss tribe member ka sarr kisi tarbooj ki tarah fatt gaya. Khoon sahet dimag ke chhote chhote tukde, aur andhruni ang bhi kayi tukdo me vibhajit hote hue chaaro orr fel ke gir gaye. Uska bina sarr ka bacha hua shareer bhi ladkhada ke zameen par dhamm se gir pada.

Aur, vatavaran me khoon ki gandh fel gayi.

*Blurgh*

Ava ko vomiting jaisa feel hua. Usne iss tarah ki maut kabhi nahi dekhi thi. Neeche uss tribe member ke dimaag ke tukde, toh kahi aankh ki putliyaan, uske chehre ke alag alag ang dale hue the jo ab pehchan me bhi nahi aa rahe the.

Yahi tha Berserk card! Jo apno aur dushmano ke beech antar karne me asaksham tha. Jaw Long ne apna intelligence sacrifice kar strength ko apnaya tha. Ab 15 minute tak bas Berserk ka hi prakop chalne wala tha.


[He's a monster!]

'H-How am I gonna fight him?'

[Tabhi toh keh rahi hu. Iski koi zaroorat nahi. Just run and escape.]

'N-No Lily! I can't-! And, I won't! Mein use yaha chorr ke nahi jaa sakti.'

[You-!!!]

'I'm sorry, Lily. But please...! Help me this one last time.'

[ *sighs* Fine!]

*Ding*


Vinona-s-mark

['Vinona's Mark' has been equipped.]

['Vinona's Mark' has been activated.]

['Vinona's Mark' has been applied on the target.]

[20 minutes...! Sirf 20 minutes hai. Hume uss se tez rehna hoga. Tabhi uske attacks se bach payenge. Defensive hote hue uss par bas ek ek vaar karti jaana. 10 consequent hits lagte hi use 150% zyada dard pahuchega. Aur, bleed bhi apply ho jayega.]


'I know! Par, uss se bachna hi sabse bada challenge hai.'

[Lekin, hume karna hoga.]

'How many points do I have?'

[See for yourself!]

*Ding*


Ava-status-1


Ava-status-2

Ava ka full status uske samaksh tha. Points ki kami dekh usne apne nichle honth ko gusse me daanto tale daba liya.

'Sirf 1500!?'


[You purchased 'Rekkaken' and 'Judo Combat' last month. Aur, Masie's cure ke liye itne saare points Death Flag me istemal ho gaye the. Mission bhi itne time baad mila hai. Of course, we have a shortage of points.]

'Damn it!'

Ava zyada derr tak apni vartalap Lily ke sang na kar paayi kyuki, Jaw Long chhalaang maar apni jagah se uda aur use maarne ke liye aaya.

Vinona's Mark activate hote hi Ava apne Judo combat style ko apnaate hue stance me aa gayi.

'Come!'

Weapon Master card ki wajah se woh harr hathyaar ko chalaane me saksham thi. Magar, Judo Combat usne ab tak kisi pe istemal nahi ki thi. Ye skill nayi thi. Aur, uska pehla hi pratidwandi Jaw Long tha.

Jaw Long ka mukka uski kamar par lagne ko aaya toh Ava chhalaang maarte hue peeche hui aur perr zameen par rakhte hi-

*Whoosh*

Woh jhatke se Jaw Long ke peeche aayi. Aur, ek strike seedhe Jaw Long ki peeth par maari.

*Thuck*

Maarte hi woh hawa ki gati se peeche hatt gayi. Aur, ye ekdum sahi faisla tha. Jaw Long ne apni laat itni tezi me peeche ghumayi ki agar woh waha khadi rehti toh uski haddiya toh tootati hi saath hi woh kayi metre dur jaake girti.

Idhar strike padte hi Jaw Long ko jaise kaafi kshati pahuchi. Vinona's Mark marked target par 120% damage zyada karta tha. Ava ki strength 150 par thi.

150 strength ka 120% zyada damage. Matlab 330 ka physical damage. Ava khud bhi nahi jaanti thi ki woh itna damage kar sakti thi. Usne kabhi bhi Vinona's Mark ka itna istemal nahi kiya tha. Aur, na hi Judo Combat ka.

Woh nahi jaanti thi ki uska damage Jaw Long ke damage ke barabar pahuch chuka tha. Ya yu kahe ki usne uss detail par utna dhyan hi nahi diya tha. Jaw Long ko jaise hi peeth par woh vaar pada, uski peeth ki maans peshiyaan andar hi andar phatne ko ho gayi.


[Bas 9 hits aur...!]

Bleed apply karne ke liye Ava ko 9 baar aur vaar karna tha. Aur, woh bhi bina ek bhi attack apne upar liye. Tabhi, uske attacks consequent kehlaate.

Woh datt kar aage badhi. Magar, pichli baar wali chaal iss baar qamyab na ho saki. Jaisi hi woh Jaw Long ki taraf feint attack karne ko aayi.

Sheba na jaane achanak kaha se uske bagal se apne panje felaata use nochne ko aa gaya. Woh ghabrati hui jaise hi mudi-

Uss se yahi par galti ho gayi. Sheba apne pankh fad-fadata hua wapas upar uda aur Jaw Long ko yaha mauka mil gaya.


[Shit...! Dear, careful!]

Parantu, kaafi derr ho chuki thi. Ava jaisi hi wapas palti-

*Pooooowwwwwww*

Jaw Long ka punch uske pait par pada aur woh hawa me udti hui kayi feet dur jaa giri. Uske muh se khoon nikalne laga.

Internal bleeding!!!


[Dear...!]

Lily chintit swar me chillaayi. Aisa lag raha tha maano andar ki saari atadiyo par 100 kilo ka wazan rakh diya ho. Uski saansein ukhdi ukhdi prateet hone lagi. Jaw Long ka endurance 200 par tha. Magar, wahi Ava ka maatr 150. Zahir hai uski dard sehen karne ki kshamta Jaw Long se kam thi.

"Urgghhh!!!"


[D-Dear-!!]

Na chaahte hue bhi Ava apne ghutno par gir padi.

'It hurts like hell...! Urrghhh! L-Lily!'


[Y-Yes!!?]

'Aisa lag raha hai jaise andar se kisi ne mere ango ko noch ke daba diya ho. Ahhh-!!'

[Bear with it, dear. Just bear with it.]

Magar, use react karne ka samay hi nahi diya gaya. Jaw Long uske saamne aake khada ho gaya.

[N-No-!!! Dear!!! RUNNN!]

***

Jab Jaw Long aur Ava dur ladne me vyast the. Toh wahi Veer apni neend me kaafi recovery kar chuka tha.

Pari ne Beowulf ko kuch derr ON rakh Veer ki healing ko badha diya tha. Aur, jaise hi bleeding band hui, usne use wapas se band kar diya. Kyuki, woh jaanti thi ki Beowulf aage kaam aane waala tha.

Veer ki palke jhapki... Aur, woh apne hosh me aaya. Neend ki wajah se usne jo points pehle add kiye the woh ab invest ho chuke the.

[Are you awake now?]

'Pari-!!!'

Saamne ka dhundhla drishya jaise hi spasht hua toh Veer ne paaya ki uske saamne Erica baithi hui thi. Erica bhi jaise use hosh me aata dekh chehek uthi.

Erica : Ahhh!!! Tumhe hosh aa gaya!!!?

Veer (breathes heavily) : Erica???

Erica (nods) : Haan! Tum theek ho na?

Veer : T-Tum yaha?

Erica : Uh-huh!

Veer : Tum yaha kya kar rahi ho?

Erica : M-Mein tumhe yaha se le jaane aayi hu obviously. Jaw Long bahut zyada shaktishali hai. Hum abhi uske level par nahi hai.

Veer : Jaw Long! Th-That's right! W-Wait-!!! Ava...! Ava kaha hai?

Jaise ab use sahi se hosh aaya. Woh uth ke baitha aur apne shareer ko idhar udhar mod apne dheele aur ghayal purjo ko usne jaise sahi kiya.

Erica : Ava?? Kaun Ava?

Veer : Wahi jisne mujhe bachaya. Jo yaha aayi thi...! Jaw Long mujhe maarna aa raha tha aur woh-

Erica : Oh tumhara matlab woh ladki? System holder?

Veer : Yeah!!

Erica : Wahi toh jab se Jaw Long se bhidi hui hai.

Veer : She's fighting Jaw Long?

Jab Veer ke chehre par uss ladki ke liye chinta ke bhaav Erica ne dekhe toh woh asahaj sa mehsoos karte hue tapaak se puchi,

Erica : K-Kaun hai woh ladki?

Veer : Ava-!!! She's none other than... Natalia Martin!

Erica (stands up) : Whaaatttt???

Apne pita ke wahi bol Erica ko fir yaad aa gaye. Chaahe kuch bhi ho jaaye Natalia Martin par bharosa mat karna. Aur, yaha woh usi Natalia Martin ke bharose pehle hi baithi hui thi.

Erica : U-Uss par bharosa nahi kar sakte hum. Hai na?

Uske sawal par Veer khamosh raha. Uski chuppi ko dekh Pari ne kaha.

[Boy-!!! What are you thinking?]

'Woh move...! Maine wo knife feki thi uss Jaw Long ki taraf.'

[Yeah, so? Pata laga liya hai humne already ki uske paas koi dodging skills nahi hai.]

'Ho sakta hai...! Par-! Maine woh sirf isliye nahi feki thi.'

[Huh!?]

'Aura vision!!! Non living things nahi dekh sakti-!!'

Pari ne jaise hi ye suna uske dil ne jaise ek dhadkan phaand li. Agar woh yaha uske saamne khadi hoti toh uske badan me khade hue raungte Veer saaf saaf dekh paata.

[You fucking-! Hahahahaha!!!!]

Woh zorro se hassne lagi.

Aura vision non living things nahi dekh sakti thi jab tak ki use upgrade na kiya jaaye. Yahi kaaran tha jo Jaw Long Ava ke dwara nikaali gayi katana se itna bhaybheet hoke dur bhaag raha tha.

Kyuki, use katana dikhayi hi nahi de rahi thi. Woh sirf Ava ke haath ke movements ko padh andaaza laga ke uss se ladd raha tha. Ava ke haath me hathyaar kitna lamba tha woh bas iska anumaan hi laga sakta tha. Aur, isliye woh Ava ki guns se bhi bhaagta raha. Na hi woh guns dekh paa raha tha aur na hi bullets. Kyuki, ye sab non living things thi.

Veer ne na sirf woh knife fek ke ye check kiya ki Jaw Long ke paas koi dodging skills thi ya nahi, balki ye bhi check kar liya tha ki Jaw Long ne Aura vision upgrade ki hui thi ya nahi. Aur, isi ke chalte use ye baat bhi pata lag gayi ki Jaw Long ke paas Aura vision ko upgrade karne ke paryapt points nahi the.

[If I would have been in my physical form. I swear I would have crushed your head while hugging you. Hahahahahahaha!!!]

Pari ka excitement iss waqt charam pe tha. Agar woh saamne hoti toh uske chehre par ek khaufnak muskan feli hui hoti.

'It's time for Round 2!'

Gehri saans lete hue Veer uth khada hua. Badan abhi bhi dard kar raha tha. Ghaav abhi bhi gehre the. Magar, samay yaha baith ke araam farmaane ka nahi tha.

Erica : U-Utho mat! Just rest! Bleeding abhi abhi band hui hai. Agar, tum zyada chaloge firoge to ho sakta hai firse shuru ho jaaye.

Veer : I need to go-!

Erica : What???

Veer : Erica! Kya tum mujhe yaha reh ke protect kar rahi thi?

Erica : Uh-huh! M-Mujhe mission bhi mila tha.

Usne jaise hi bola, uske mann me tabhi ghanti bhi baj uthi.

*Ding*

['Mission : Safeguard Veer until he recovers' is completed.]

*Ding*


[You have been rewarded with the skill 'Basic Seer Vision.']

[Skill : Basic Seer Vision.
Description : Allows the host to witness all the events that transpired at a particular place within an hour prior from the running time.]


Erica : O-Oh! Mission poora ho gaya.

Veer : Thanks!

Erica : Ehh??

Veer : Meri safety ka dhyan rakhne ke liye thanks. You... have grown up!

Erica : ...!!!?

Veer : Now I need to fulfill my role.

Erica : Wait-! Tum iss haalat me-

*Whoosh*

Kintu, uski baat adhoori hi reh gayi. Kyuki, Veer hawa ke jhonke ki tarah waha se jaa chuka tha.

Erica (shouts) : Veeeeerrrrrr!!!!

***

'I think... This is the end, Lily!'


[Noooo-!!! Get up and run!!!]

'I... I can't-! Mere perr kaanp rahe hai.'

Jaw Long uske saamne uski maut bann ke khada hua tha. Ek hit me hi Ava ka shareer atyadhik damage le chuka tha. Endurance kam hone ka nateeja tha ye.

Jaw Long bhi kaafi ghayal tha. Magar, Berserk use tike rehne ki himmat de raha tha. Usne apna haath hawa me uthaaya aur uss tribal ke aadmi ki tarah woh Ava ke sarr ke chithde udaane hi wala tha jab-

Bagal se aati ek zordaar kick ne use dur girne par majboor kar diya. Jab Ava ne saari umeedein chorr di thi, tab ek baar fir Veer uske saamne aake khada ho gaya.

Ava : !!!??

Veer uski taraf peeth kar ke khada hua tha. Woh nahi jaanta tha ki iss waqt Ava ki aankhon me aasu the.

Veer : I told you to never show me your face. Right?

Ava : ...!

Woh khamosh rahi. Apna sarr jhukaate hue woh apne hontho ko daanto se kaat khud ko dosh dene lagi. Kya kar sakti thi? Woh apne dil ke aage bebas thi.

Veer ne aage kuch na kaha. Woh bas Jaw Long ki taraf daud pada. Aur, idhar Ava ke chehre ke bhaav taajub me tab badle jab use apne mann me woh notification sunayi diya.

*Ding*


[Veer's favorability has increased to 20.]

Ava bas aashcharya me dur jaate Veer ki peeth ko dekhti reh gayi.

'V-Veer-!!?'

Veer Jaw Long se bhid baitha. Berserk ko khatam hone me abhi 2 minute baaki the. Woh tez raftar ke saath uske paas pahucha. Jaw Long ne jaise hi Veer ki taraf apni kick maarni chaahi-

Veer neeche jhuk gaya. Zordar force waali kick uske sarr ke upar se nikal gayi. Aur, Veer ka taqat se bhara mukka seedha Jaw Long ki jaangh pe jaa ke laga.

*Pooowwww*

Uska santulan bigda aur woh ladkhadaya. Mauka dekh Veer seedhe uske peeche gaya. Uske dono haath Jaw Long ki kamar par lipte-

Aur, agle hi shan itna bhari bharkam Jaw Long hawa me tha. Peeche se Veer ne use uthaaya aur peeche hi le jaate hue-

*Baaaaaaammmmm*

Neeche zameen par use sarr ke bal patak diya. Zameen par ek crater bann gaya.

Haafte hue Veer Jaw Long ki kamar ke peeche se baahar nikla. Sarr par bahut zorr ke padi thi Jaw Long ko.

'Did I... win?'

Veer abhi khade hue ye soch hi raha tha kyuki Jaw Long koi bhi harqat nahi kar raha tha. Par, achanak hi-

'Shit-!!!'

Jaw Long ne akasmat hi uske ankle ko apne haath me jakad liya. Uski pakad itni mazboot thi ki uss se chhootna namumkin sa tha.

Jaw Long uchakta hua Veer ko apne saath hawa me upar le gaya aur fir-

Usne itni zorr se neeche Veer ko patka ki ek shockwave uss poore ilaaqe me fel gayi. Sahi samay par Pari ne Bone Reaper equip kar liya warna Veer ki haddiyon ko aaj choorma bann jaata.

"Veeeeeer-!!", Ava dur se hi kamzor awaaz ke saath uski orr chillaayi. Lekin, koi fayda na tha.

Veer ka ang ang dard se tadap raha tha. Magar, Jaw Long wahi par nahi ruka. Usne punah Veer ke perr ko kheencha aur use-

*Craaaassshhhhh*

Ped se bhedte hue ped ke tukde kar diye. Veer ek baar fir khoon se lathpath dur jaata hua gira.

Jo bhi bleeding pehle ruki thi woh dheere dheere wapas se behna shuru ho rahi thi.

[Agar, aise hi chalta raha toh tum blood loss se hi marr jaoge.]

Tabhi-

*Swoosh* *Swoosh*


*Swoosh* *Swoosh*

Kuch teer Veer ke ird gird golaayi me jaa ke zameen par dhansne lage. Parantu, woh sirf teer nahi the. Unke chorr par insaano ki asli khopdi latki hui thi.

Berserk ka samay samapt ho chuka tha. Jaw Long wapas se apne hosh me aa chuka tha.

"Shebaaaaaa-!!!!"

Baaj ko awaaz lagaate hi woh baaj jaise ishara samajh kahi udta hua chala gaya.

Jaw Long fir Ava ki taraf badhne laga. Usne Ava ke baalo ko apne haath me jakda aur use kheenchte hue le jaane laga.

"Nnnghhh!!!"

Veer ne apni ardh khuli aankhon se jab ye dekha toh himmat kar woh uthne ki koshish karne laga. Magar, dard ke chalte woh wapas se gir gaya.

'N-No-!!!'

[Tumhari chaheeti ko baalo se pakad ke woh le jaa raha hai. Toh? Ab kya karoge tum?]

'Pari-!!'

[Fufu~ Yes?]

Bhaagti hui aayi Erica ne jab ye manzar dekha toh ek sihran uske badan me fel gayi. Ava ko bachaane ke liye usne apna boomerang Jaw Long ki orr feka.

Toh, Jaw Long ne ek haath se uss boomerang ko pakad liya.

Erica : K-Kaise-!?

Woh majbooran uski orr bhaagi. Peeche nahi baith sakti thi. Magar, nateeja wahi. Erica ko pakad ke jaise hi Jaw Long ne ek ped se bheda, bechari Erica ke sarr se khoon behna shuru ho gaya. Sirf do mukke hi kaafi the Erica ko ghaayal karne ke liye. Dono haatho me do sundariyo ke kesho se unhe jakadte hue Jaw Long unhe zameen me ghaseetata hua le jaane laga.

Veer apna haath aage badha ke unki taraf jaane chaahta tha. Lekin, uska shareer jawab de raha tha.

[What are you gonna do now?]

Pari toh jaise uski iss haalat par lutf le rahi thi. Jaise woh kuch soch ke baithi hui thi.

'A-Ava-!! Erica!!!'

Jaw Long ne unn dono ko bhi ek ek jagah par patak diya. Aur, unn dono ke ird gird bhi teer zameen par baari baari khuse hue the. Aur, unke chhor se insaano ki khopdiyaan latak rahi thi.

Jaw Long zameen par baitha. Aur, tabhi-

*Keaaaarrrrrr*

Sheba akaash me udta hua uski orr aane laga. Uske panjo me kuch tha jo bilbila ke tadap raha tha. Ek murga!!!

Murge ko hawa me chorrte hue Sheba wapas se ped ki daali par baithne chala gaya. Toh wahi Jaw Long ne uss murge ko pakda aur apni vidhi ko shuru karne ke liye taiyaar ho gaya.

Uske muh se vichitra bhaasha me bol nikalne lage. Aisi bhaasha... Jise Veer kya, kisi ka bhi system pehchaan na saka.

[He's using Gong Tau!!!]

Pari ke bol tabhi Veer ke mann me goonje.

Gong Tau ek black magic skill thi. Aur, iska upyog karne ke peeche ek hi kaaran tha ~ Laalach!

Gong Tau ek vashikaran ki kriya thi. Jiski madad se targets ko control kiya jaa sakta tha. Vashikaran hone ke baad agar targets ko maar diya jaaye toh unke saare cards aur skills Jaw Long ke paas aa jaane waale the.

Isi laalach ke peeche woh iss kriya ka upyog karne laga. Woh kuch padhta jaa raha tha. Aur, nirantar uski awaaz badhti jaa rahi thi.

Achanak hi-

*Rattle* *Rattle*

Teer par khusi khopdiyaan apne aap kampan karne lagi. Kad-kad ki awaaz ke saath woh thar-tharaane lagi. Hawaaein tezz ho gayi. Aur, Jaw Long ne fir uss murge ko pakda-

*Slit*

Uske gale ke paas ek cut maara...! Murge ko latkaya toh uska khoon neeche tapakte hue kisi vichitra si dikhne waali cheez par girne laga.

Khoon kuch maatra me giraate hi Jaw Long ne uss murge ko feka toh murga apni peeth ke bal hawa me perr kiye zameen par gir pada. Jaw Long ne ye dekh haami bhari. Iska matlab tha ki aatmao ne uski kriya ko sweekar kar liya tha.

Aur tabhi-

Woh murga jiska gala kaata gaya tha woh apne aap uth khada hua aur pankh fad-fadaata hua waha se bhaag utha. Idhar Jaw Long apni kisi prakar ki tantra vidyao me wapas se lag gaya.

Aur, ab Veer ko apne shareer me kuch gadbad mehsoos hone lagi. Sirf Veer hi nahi, Ava aur Erica ka bhi yahi haal tha.

[He's taking control of your body...! Agar tumne kuch nahi kiya. Toh, sab khatam hai.]

'P-Pari-!! Help me-!!!'

Veer ki bahut kamzor awaaz uske mann me aayi.

[Hmm? I didn't hear you-!?]

Jaw Long ke garajte bol apna asar kar rahe the. Veer samet Ava aur Erica ke haath apne aap unke gale par jaake jakad gaye. Woh sabhi apne apne gale ko kass ke dabaane lage. Erica aur Ava dono ki aankhon me aasu the.

Jaha ek taraf Ava haar maante hue sab kuch sweekar kar chuki thi aur mayus aankhein liye Veer ko dekhti jaa rahi thi jaise ye antim shan tha ek dusre ko akhiri baar dekhne ka toh wahi Erica ka chehra kuch aur keh raha tha. Use dekh ke lag raha tha maano jaise woh marrna nahi chaahti thi. Bebasi uske chehre par saaf jhalak rahi thi. Aankhon se mote mote aansu uske gaalo se behte hue gir rahe the.

'Pariiii-!!!'

[Hmm?]

'H-Help me-!!'

[Ohh? Mujhe kuch sunayi nahi de raha! Fufu~]

'I beg you-!! Please!!!'

[Ohh!! Waqai?]

'Please!!'

Veer ki saansein ukhdi ukhdi aa rahi thi. Pari kuch derr shaant rahi. Veer ke haath apne aap gale ko dabaate hue kasste jaa rahe the.

"Urrghhh!"

'P-Pari...!!!'

Agle hi shan Pari ki awaaz thodi badal gayi. Maano jaise woh bhayanak gusse me uss se baat kar rahi thi.

[THEN...! ARE YOU WILLING TO GIVE YOUR BODY TO ME???]

'Huh!??'

[DO YOU WANT ME TO TAKE CONTROL? TO DEFEAT THIS PUNY LITTLE BASTARD?]

'H-Haan-!!'

[ARE YOU WILLING TO HAND OVER YOUR POINTS TO ME???]

Woh chillaayi.

'Haan! *Gwakh* H-Haan!'

[THEN GIVE THEM TO ME-!!!]

'Hmmm!!'

[YOU ARE DOING THIS BY YOUR OWN ACCORD. RIGHT???]

'Y-Yes-!!!'

[THEN GIVE ME... THOSE POINTS!]

'Hmmm-!'

Aur, tabhi Veer ke 5692 points jo usne emergency ke liye bachaaye the. Woh dhadalle se ghatne lage.

[YES...! YES...! GIVE THEM TO ME!! THAT'S RIGHT!!! KEEP IT COMING!! THE MORE THE BETTER...!]

Woh points kaha jaa rahe the, unka istemal kaha ho raha tha Veer kuch nahi jaanta tha. Woh toh Pari ki baat maan vivash hote hue apne saare points daav par laga diya tha.

[YOU MUST THANK ME LATER KID-!!! IT'S YOUR GOOD LUCK THAT I WAS HERE-!!! OTHERWISE, YOU WOULD'VE BEEN DEAD!!!]

Veer ki consciousness dheere dheere jaane lagi. Aur, kuch hi shano me woh behosh ho chuka tha. Pari ne poore shareer pe takeover kar liya tha. Ghatate ghatate Veer ke saare points zero par aake ruk gaye.

[Hahahahahahahaha-!!!]

Pari paaglo ki tarah hass rahi thi.

[Hahahaha-!!! THIS BODY...! IT'S WEAK!!! BUT YOU'RE LUCKY KID-!! BECAUSE I'M THE ONE POSSESSING IT NOW.]

Veer ka badan jab gale ko dabaate hue gir pada toh Erica ne rote hue apni nazre ferr li. Use laga ki Veer iss duniya se jaa chuka hai. Magar, Ava ki nigaahein ekdum Veer ke shareer ke upar sthir tiki hui thi.

Death Flag me aisa koi bhi notification nahi aaya tha. Woh jaanti thi ki Veer zinda tha.

Aur, fir-

Achanak hi Veer ka shareer gravity ke viruddh uski iccha ke bina upar uthne laga. Aas paas ke neeche bikhre sookhe patte kaapne lage. Uske uthate hi uski zulfo ne uski aankhon ko dhak liya.

Ava, Erica samet Jaw Long khud palat ke use dekhne par majboor ho gaya. Ye chal kya raha tha?

Jaw Long ko poora yakeen tha ki Veer kaafi damage le chuka tha. Uske baad bhi iss tarah uth khade hona...! Zaahir hai use hairangi honi hi thi. Use kya, yaha par uski jagah koi bhi system holder maujood hota toh uska bhi yahi reaction hota.

Na pehle kabhi aisa kuch dekha gaya, na suna gaya aur na hi aisa kuch hone ki kisi system holder ne kabhi kalpana bhi kari thi. Kintu, Jaw Long sab kuch mehsoos kar paa raha tha. Aur, ye sab kuch asal me ho raha tha. Uske saamne khada yeh naujavan ladka iska jeeta jaagta udahran tha ki aisa kuch bhi sambhav tha.

Veer utha. Uska muh achanak hi khula aur usne ek gehri saans muh se chorri. Kintu, raat me jangal me thand hone ke chalte uski garam saans dhue me tabdeel ho gayi. Aur, dhua uske chehre se chhatate hi uske hontho par ek bhayanak, daanavi aur kutil muskaan fel gayi.



IMG-20240408-203544


'Huh!?'

Jaw Long ka badan iss baar ek jhatka khaaya, pal bhar ke liye shareer par ruye khade ho gaye. Thand iska kaaran nahi thi. Uski vidhi beech me hi ruk gayi. Harr insaan ka aura neele rang ka hota tha.

Par... Par kabhi bhi usne aisa kuch aaj tak nahi dekha tha. Veer ka aura...

Veer ke badan se jo aura nikal raha tha. Woh pichli baar ki tarah neele rang ka nahi tha. Uske badan se... Iss baar... Woh bhayanak gehre kaale rang ke aura ki lapto se ghira hua tha. Aura keval andar hi nahi tha. Balki, Veer ke badan ke baahar ird gird bhi lapte maarta hua nikal raha tha.

Aisa lag raha tha jaisa nark se koi bhayanak pishaach dharti par aa gaya ho. Jaw Long ne iske pehle bas aatmao ki nakaratmak urjao ke aura ko hi halke kaale rang se lipta dekha tha. Aura vision urjao ko bhi halke rango se dikhaane me saksham thi.

Bhoot, pret, pishaach jeevit praani nahi hote the lekin nakaratmak urja ka strotra zaroor hote the isliye, unka bhi kahi na kahi thoda bahut aura hota tha. Magar, woh aura itna prachand nahi hota tha. Kaali lapte zaroor hoti thi par behad maamuli si. Par, idhar-

Veer ke badan se bheeshan kaali lapte aise nikal rahi thi jaise maano uss par kisi ne aag laga di ho. Bas, farq itna tha ki lapte peeli nahi kaali thi. Beshaq, ye lapte kisi ko bhi dikhayi nahi de sakti thi.

Veer ke naye roop ko dekh Jaw Long do qadam apne aap peeche ki orr chala gaya. Woh samajh raha tha ki savdhani baratna kitna zaroori tha yaha par.

Kintu, Veer poori tarah se shaant khada hua tha. Uski aankhein uske baalo se chhipi hui thi aur muh se nikalti saans nirantar thand ke chalte bhaap me badalti jaa rahi thi. Uske hontho par saji muskan kahi se bhi uski prateet nahi ho rahi thi. Lag raha tha maano uske andar kisi aur jeev ne apna vaas kar liya ho. Kisi aur ne uske shareer par qabza kar liya ho.

Iss waqt uska roop bhayanak, raudra, aur prachand maalum pad raha tha. Yuhi nahi Jaw Long ne apne qadam peeche liye the. Chaah ke bhi Veer ki iss badli hui sthiti ke baare me use kuch pata nahi lag paa raha tha. Yaha tak ki uska system bhi iss paristhiti se anjaan tha.


[Kuch gadbad hai. Samajh nahi aa raha ki kaun se card ya skill ka istemal kiya gaya hai.]

Ava jo Veer ko uthata dekh ek raahat ki saans li, usne apni katana ko hawa me feka jo Veer ke bagal se jaa ke zameen par khus gayi.

Ava : Take it... Veer!!!

Magar, Veer ke muh se uske baad jo bol nikle woh uske nahi the. Awaaz uski hi thi, parantu bol Pari ke the.

"I don't need any weapons...! I AM THE WEAPON!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 10.6k words. Ye thoda aur lamba jaata magar kisi bhi cheez ki zaroorat se zyada maatra haanikarak hoti hai. Isliye, ise yahi rokna sahi tha. Agle update me sab kuch samapt hai. Maine keh hi diya tha ki fight 4 updates legi. Teen update ho chuke hai. Bas ek baaki hai. Aur, uske baad shayad ek update aur rahega jo arc ke closure ke liye rahega. Update bahut late aaya hai jaanta hu. Par, mein vivash hu dosto. Baaki, likes thokne ka aur revos dene ka. Target apna 200 hi hai. Pahucha do. Agla update jald dene ki koshish rahegi.

Dhanyavad!
Seth Meyers Clapping GIF by Late Night with Seth Meyers
 
Top