• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,422 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.5%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,716

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,419
259

Premkumar65

Don't Miss the Opportunity
6,961
7,312
173
Update - 24 ~ Take Care
Ab tak...

Veer ne Juhi ko bed pe litaaya hi tha ki...


*Ding*

[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]

[30 points have been rewarded.]


'Huh!? Wait.... Whaaaaaaaaaaaatttt!?'

Ab aage...

'You are kidding right!?'

Veer ne hairaani me Pari se pucha. Usse yakeen hi nahi ho raha tha ki Nidhi ke saath date pe jaane waala mission itni asaani se ho chuka tha.

'This can't be... Pari!! Ye date thi!? We just had lunch... I mean...'

[Master! But sach toh yahi hai ki mission ho chuka hai. Uska reason maybe ye ho sakta hai ki shayad Nidhi ke mann me wese vichaar aaye the jab wo aapke saath lunch kar rahi thi. Maybe she was thinking about date and all... Isliye, ye mission complete hua. Otherwise nahi hota.]

'Nidhi ma'am was thinking about date...!? Ab jab tum ne ye kaha hai toh mujhe yaad aa raha hai ki unhone bataya tha ki wo kabhi date pe nahi gayi. Aur na hi mein. Does that counts as a first date for both of us?'

[Yes!]

'Well... I can't believe ki meri pehli date Nidhi Ma'am ke saath hui... Ye toh sapne jesa tha. Also, I got 30 points.'

[Do you want to invest master!?]

'Hmm! But mein soch raha hu koi skills lii jae. Kya kehti ho?'

[Mein yahi suggest karungi ki aap pehle apne saare stats atleast 50 tak kare. Appearance utna important nahi hai but baaki sabhi important hai. Uske baad hi aap skills par dhyaan de. But marzi aapki hai, aap chaahe toh shop me se skills dekh sakte hai. But aapko yaad hai na? Skills ki minimum keemat 50 points hai.]

'I know... Shop open karo.'

Aur Veer ke kehte hi uske mann me ek window khul gayi aur ek search bar saamne aa gaya.


585-Xew2-Kc2-Sgly-Ft6-Z
'Ye search bar hatao mujhe poori skill list dikhao.'

Aur uske bolte hi saamne skills ki lambi chaudi list haazir ho gayi.

[Basic Subjects Learning.

Basic Martial Arts.
Basic Singing Talent.
Basic Dancing Talent.
Basic Cooking.
.
.
.
.
.
.
]

Na jaane kitni saari basic ki skillls thi jo uski shop me available ho chuki thi.

'Itni saari Pari!? Ye sab basics hai!? Hmm! Level badhega toh aur acchi skills bhi unlock hoti jaengi hai na!?'

[Yes master! I'm currently at level 3.]

'Hmm! Ye saari skills wese toh... Inme se kuch mujhe lagengi but... I don't want to waste my points on them. Iss se accha hai ki mein stats me hi lagau abhi points.'

[That is the actual way master. Pehle stats par dhyaan dijiye.]

'Alright! Pari! Show me my stats.'

[There you go master...]

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]

'Meri agility aur endurance boht kam hai. Hmm! Pari...! Dono me 15-15 points add kar do.'

[Are you sure master!?]

'Hmm! Last time... Uss Ranga naam ke ladke se fight karte waqt I had a hard time... Mujhe speed aur dard sehne ki shamta, dono hi aur chahiye.'

[Okay!]

*Ding*

[15 points have been added to agility.

15 points have been added to endurance.]

''Good!'

***

Raat ka samay ho chuka tha aur Veer aur baaki sabhi khaana khaa chuke the. Din me jo kuch bhi Rajat ke ghar hua tha usse abhi tak wo bhula nahi paaye the.

Juhi bed pe lait so chuki thi aur bechaari apni chocolate khaana bhi bhul gayi thi. Uske bagal se baithi Nidhi uske sarr par pyaar se haath ferr rahi thi aur soch rahi thi...

Ki Veer ne usse aur baaki sab ko kese bachaaya tha. Kitna accha moment tha wo. Abhi wo inhi khayalaato me apne hontho pe muskaan liye ghum thi ki tabhi uska mobile vibrate hua aur kisi ka message aaya.

Aur message padhte hi uske hontho se muskaan gaayab ho gayi. Wo hadbada ke uthi aur apne phone ko apni mutthi me kass lii...

Screen par likhe shabd usse bhali bhaati dikh rahe the...

"Tumhe kya laga tumne aaj jo bhi karwaya, wo sab karwaane ke baad mein bas baithe baithe dekhta rahunga!? Bataata hu tumhe meri darling Nidhi. Bataata hu... Acche se.... Aur uss Veer naam ke ladke ko bhi dekh lunga. Kuch zyada hi close lag rahe ho tum dono... Tumhari himmat kese hui Nidhi mere alaawa kisi aur ke saath itna close aane ki? Lagta hai tumhe kadi punishment deni padegi meri darling... Hai na!?"

Ye message kisi aur ka nahi balki uske pati, Rajat ka tha.

Nidhi chinta ke maare uthi aur apne kamre me hi ird gird tehalne lagi...

'Hey bhagwaan! Ye kya ho gaya! Mujhe pata tha zaroor kuch na kuch karega wo... Ab Veer bhi beech me aa gaya hai... Nooooo! Aisa kuch bhi nahi hona chaahiye tha... This is so bad... Kya karuuu!??? Veer ko nahi aana chaahiye tha waha...'

Wo sochte hue achanak hi baahar nikal ke aati hai, jaha Veer sofe pe hi baitha hua tha...

Nidhi : Veer!

Veer : Hmm? Kya hua Ma'am!?

Nidhi : Veer... Tum college me the na? Who called you there? Kya Shreya thi!? Kya usne tumhe bulaaya tha? Tum dono saath me nahi aaye the, hai na? Tell me...

Veer : Ohh! Haa! Unhone mujhe bulaaya tha call kar ke... Koi problem hai kya!?

Nidhi : Veer... You don't understand Veer... Boht badi problem create ho chuki hai... Tumhaare waha aane se... Nooooo! It's not going well at all... Tumhe waha nahi aana chahiye tha... This is so bad...

Wo tezz saasein lete hue ekdum hi tensed ho gayi.

Veer : Ma'am calm down. Aur mere waha aane se accha hi toh hua na? I mean... Aapke wo husband... Na jaane aur kya karte aapke saath...

Nidhi : No Veer... Tumhaare aane se maamla aur bhi bigad gaya hai... Mein nahi chaahti thi tum kahi se bhi iss matter me aao... But ab tum aa chuke ho... And he'll definitely do something... Ohhh god!!

Veer : Ma'am chill! Mere aane se hi he couldn't do anything else... Aur kyu na aau mein!? Aap meri Ma'am hai... Yadi aapke saath aisa koi behave karega toh...

Nidhi (uchi awaaz me) : Because it's my personal matter Veer...

Veer : I know Ma'am but... Aise aapke saath wo sab... Akhir mein kese dekh sakta hu? Even if he's your husband... Kam se kam unhe...

Veer ne Nidhi ko samjhaane ka prayaas kiya par uske bol iss waqt Nidhi ko calm karne ki jagah ulta aur tension me daal rahe the.

Nidhi (chillaate hue) : Noooo Veer!!!! Kyu aaoge tum beech me!?? Tumhe nahi aana tha waha... Tumhe nahi hona chaahiye tha waha pe... It's my personal matter... Toh bhala kyu aaoge mere aur mere husband ke beech me?? Kya hi lagte ho tum!??

Nidhi ne ye sab bol toh diya...

Par agle hi pal...

Uska muh khula ka khula reh gaya. Usse jese dhyaan aaya ki usne ye kya keh diya.

Nidhi : V... Veer?

Veer (smiles) : Ah! Right! Kya hi lagta hu mein aapka!? Haha~ I forgot... Mein... Mein bhi... Kese bhul gaya...!? Ki koi nahi hai mera... Gharwalo ne nikaal diya... Still I keep thinking ki... Right! Right! Sorry... Really sorry...

Bina Nidhi se nazre milaaye, Veer furti me palat ke hall ke gate ki taraf jaata hai, aur gate khol ke tezz kadmo ke saath baahar nikal jaata hai.

Nidhi : Noooo.... Veeeeerrrr! Mera wo matlab nahi tha... Wait! Veeeeerrrr!!? Kaha jaa rahe ho!?? Veeerrr?? Tum jaante ho Veer... Mera wo matlab nahi tha... Please! Listen to me... Aisa kuch bhi nahi hai jesa tum soch rahe ho... Veeeeerrrrr...

Nidhi daudati bhaagti hui Veer ke peeche peeche bhaagi par tab tak Veer already lift me ghus chuka tha aur lift band kar wo neeche pohuchte jaa raha tha.

Nidhi upar hi apni floor par khade apna sarr pakad rone lagi. Ye kya kar diya usne pal bhar me!?

Fir jese usse kuch dhyaan me aaya toh wo floor ke hi coridorr ki taraf bhaagi jaha se neeche ka saara drishya dikhta hai.

Neeche jese hi usne dekha toh paaya ki Veer society se baahar nikal ke kahi jaa raha hai.

"Veeeeeeeeeeeeeeeeeeerrrrr!"

Nidhi se jitna ho sakta tha utna usne apna gala faadte hue chillaaya. Par Veer ke kaano me jese juu tak na rengi. Wo bina kuch kahe, bina peeche mude bas nikalta gaya.

Nidhi bhaagte hue waapas se apne flat me aayi, uske chehre par shikan, chinta aur ghabraahat teeno hi maujood thi. Saath hi saath unn ankho me aasuo ki boonde athwa glaani bhi...

Andar aate hi usse Shreya nazar aayi. Wo aise khadi thi jese maano uska hi wait kar rahi ho...

Shreya : Ab pachhta rahi ho aap...!?

Nidhi : Shreya... Veer... Wo...

Shreya : Hmm! Suna mene andar se kya hua.

Nidhi forun hi aage badh Shreya ke haatho ko bheench leti hai,

Nidhi (cries) : You know it Shreya... Right!? You know na? Mera wo matlab nahi tha... Mein kabhi bhi uss se wo nahi kehna chaahti thi... Aur na hi kabhi kehna chahungi... I just... Pata nahi kese...Wo sab nikal gaya mere muh se... Shreya... Veer... Kaha gaya hoga? Please! Bulao usse... I must explain to him... Na jaane kitna bura laga hoga usse meri baato ka... I never meant to say that to him... Abhi abhi toh wo ubharna shuru kiya tha and I... Please...! Shreyaaaa

Shreya ko jhanjhorte hue Nidhi uss se vinti karne lagi. Bechaari Nidhi ki ye haalat dekh... Shreya apni bauhe sikode mann me keval ek hi shaks ko gaali diye jaa rahi thi.

Rajat...

'It's all because of that damn fucker...'

Shreya : Isliye kehti hu aap se Dii. Tension zyaada mat liya karo...

Nidhi (cries) : Kese na lu tension Shreya? Kese na lu?? Mera baccha Dhruv... Mere aalingan se koso dur hai... Tadapti hu mein usse dekhne bhar ke liye. Veer ne aaj aake meri madad hi kii thi, uska koi galat intention nahi tha... Still I... Dekho mene kya keh daala usse Shreya... Mene uske puraane zakhmo pe jese namak chidak diya... Ye kaam kiya hai mene... He must be so hurt... Kyuuuu!?? Kyu meri life me itni problems aati hai Shreya!? Kyuuu?? Kyuu?? Thak gayi hu mein Shreya... Thak gayi hu... Problems pe problems...

Shreya (frowns) : Diii...

Nidhi (cries) : I hate this life... Shreya... Kyu...!?? Kya mujhe khush rehna ka haq nahi hai Shreya!? Yadi nahi hai toh kyuuu?? Kyu bhagwaan mere saath aisa karta hai? Mein jitna accha karti hu... Utna hi bura hota chala jaata hai mere saath... I... I...

Aur agle hi pal uske thar tharaate honth daato tale dabb gaye aur wo zorr zorr se bilakhte hue rone lagti hai. Shreya usse apni baaho me kheench uski peeth sehlaate hue usse chup karaane lagi. Na jaane kab se itna sab kuch bhare hue thi Nidhi apne andar. Aur aaj saari rulaayi jese baahar aa rahi thi.

Shreya : Don't worry! Lo... Aapke saamne mein usse call lagaati hu okay!?

Nidhi kisi bacchi ki tarah haa me apna sarr hilaate hue ek aas leke Shreya ko dekhne lagti hai.

Aur Shreya idhar Veer ko phone lagaati hai. Kuch derr baat karne ke baad hi wo phone cut karti hai aur Nidhi ko waapas se dekhti hai.

Nidhi : K... Kya bola usne!? Aa raha hai na? Kidhar hai??

Shreya : Chill! He just went out for a walk.

Nidhi : So... He'll come right!?

Shreya : Of course!

Aur uska jawaab sunn iss baar Nidhi ek chenn ki saas leti hai.

Par uska ye chenn bhi jese kuch derr baad chinn gaya jab kayi ghanto tak Veer nahi lauta.

Raat ke 11:30 baj chuke the aur Veer ka koi ata pata nahi tha. Nidhi baar baar Shreya se usse call lagaane bolti, aur khud bhi lagaati par iss baar Veer ne kisi ke call ka jawaab nahi diya aur uska ye karna Nidhi ko aur bhi zyaada tension me daal raha tha.

Na jaane kese kese vichaar aa rahe the Nidhi ke mann me. Kahi uska firse accident na ho gaya ho? Kahi wo galat jagah toh nahi jaa raha hai? Tension ke chalte wo bechaari wo sab bhi sochne lagi jo usse bilkul bhi nahi sochna chaahiye tha.

Shreya : Aap so jaaiye... Wo aa jaega... Mein jaag rahi hu... Aaega toh mein lock laga dungi.

Nidhi : Mein kese so sakti hu abhi...

Shreya : Mene kaha na... So jaiye... Andar Juhi baar baar uth rahi hai. Din me jo bhi hua uss se wo darr gayi hai shayad. Aap uske bagal se lait ke soiye toh usse neend sahi se aaegi... Mene abhi takiya rakh diya hai uske bagal se but fir bhi wo beech beech me jhatka leke uth jaati hai aur fir roti hai...

Nidhi : Hmm... Par...

Shreya : Mene kaha na... Mein idhar hi hu.

Nidhi : Hmm!

Aur Shreya ki baat maante hue Nidhi apne bedroom me Juhi ke saath sone chali jaati hai. Bechaini me usse neend nahi aa rahi thi, par pankhe ki mand mand hawa aur thakaan ke chalte uski aankhein kuch derr baad band ho hi gayi.

***

Samay 12:15 ho chuka tha aur Shreya abhi tak jaag rahi thi.

Ki tabhi achanak hi door ko baahar se Veer ne dhakka diya aur wo andar aaya.

Andar aate hi uske kaano me awaaz padi,
"So!? How was your walk??"

Veer ne palat ke dekha toh paaya Shreya haath me haath baandhe deewaar se tike khade hue thi maano uska hi wait kar rahi ho.

Veer : Good... I guess?

Shreya : You know ki dii ka wo matlab nahi tha right?

Veer : Of course.

Shreya : She... Wo boht hi critical situation me hai. Khaaskar mentally...

Veer : Mein dekh sakta hu.

Shreya : So yeah... Unka tumhe hurt karne ka koi maksad nahi tha... Wo aisa kabhi kisi ke saath nahi karti...

Veer : Yeah! I... I know that.

Shreya : You were right.

Veer : Hmm?

Shreya : Yadi tum nahi aate toh wo bhediya na jaane kya kya aur kar sakta tha dii ke saath.

Veer : Mene wahi kiya, jo mujhe uss waqt sahi laga tha.

Shreya : I know. Mein jaanti hu. Aur mein ye nahi keh rahi ki tum galat ho. Mein bas ye kehna chaah rahi hu ki, Tum dii ko galat mat samajhna bas kabhi.

Veer : Ma'am ko mein kabhi galat nahi maanta.

Shreya : She have her reasons.

Veer : ....

Shreya : You know... Kyu wo tumhe itna sab keh gayi? Wo nahi chaahti thi ki tumhe koi nuksaan pohuche ya koi problem aaye. Tumhaare waha aane se ab uss aadmi ki nazar tumpe bhi hai.

Veer : ....

Shreya : Veer! Wo chaah ke bhi kuch nahi kar sakti. Majboor hai woh. Tum yahi soch rahe hoge ki kyu wo itna sab bardaasht kar rahi hai!? Right!?

Veer : I... Hmm...

Shreya : Uske peeche kayi saare kaaran hai. Mujhe pehle laga nahi tha ki... Mein tumpe trust kar sakti hu. But aaj jo kuch bhi hua... Uske baad se...

Kehte hue Shreya achanak hi uske kareeb aayi aur uska haath thaam lii.

Veer : ??

Shreya : I... I trust you now. Isliye... I'll tell you...

Veer : Hmm?

Shreya : Dii majboor hai Veer. Wo Rajat... He's a maniac Veer... A Maniac... Paagal insaan hai woh. Ek sadist hai woh.

Veer : He... What!?

Shreya : Hmm! Bataati hu... Ye baat lagbhag 4 saal puraani hai Veer. Dii ki nayi nayi shaadi hui thi. Sab kuch accha chal raha tha. Uske baad Juhi hui... Aur... Uske baad se hi uss aadmi ka ravaiyya badal gaya... Usse hamesha se ek ladka chahiye tha... Uske pita nahi hai, keval maa aur wo hi hai. Usse bas ek ladka chaahiye tha taaki wo santusht ho jaaye... Juhi ke ho jaane se... Jese ek dhakka sa laga tha dono maa bete ko...

Veer : Aaj ke zamaane me aisi thinking...!?

Shreya : Hoti hai Veer... Hoti hai... Log itne saare hai duniya me... Sab kuch possible hai. Juhi ke hone ke baad se hi... Wo dii ko itna prataadit karna shuru kar diya. Shuru me kam tha... Par dheere dheere... Aur fir jab Dhruv hua... Toh usne jese Juhi ko pyaar dena hi band kar diya... Dii iska virodh karti... Par badle me keval unhe maar milti ya prataadit kiya jaata...

Veer : Toh police me...!?

Shreya : Nahi kar sakte... Pehli baat... Wo khud ek lawyer hai. Itna dabdaba hai uska, kaha nahi hai uski pehchaan!? Dusri baat, 3 saal pehle Dad ka jab accident hua tha toh urgent paiso ki madad usne hi kii thi. Mere bade bhaiya ki naukri bhi ussi ne lagwaayi hai. Abhi kuch hafte pehle jab Mom ko heart attack aaya tha tab usne bhi kaafi paise diye the...

Veer : Ye...

Shreya : Yes! Meri mom ek housewife rahi hai shuru se, Dad keval ek private company me kaam karte rahe. Upar se do ladkiya aur ek ladka. Kya hi savings kar paenge wo!? Jitna kuch kiya, wo shaadi me nikal gaya. Aur fir aaj ki mehngaayi aur... Upar se uss darinde ka karz...

Veer : Toh..!?

Shreya : Isliye... Isliye Veer... Dii ke liye ye job boht important hai. Wo paise save kar rahi hai, na sirf uss darinde ko lautaane ke liye balki...

Veer : Balki...!?

Shreya ek jhoothi muskuraahat dete hue boli,

Shreya : Balki apne bacche Dhruv ko waapas se apne paas laane ke liye.

Veer : Huh!?

Shreya : Tumne din me Dii ke pait me wo wax ke tukde toh dekhe hi honge. Yahi hai uss haivaan ki sacchaayi. Jab uss Rajat ne dii ko boht hi kasht dena shuru kar diya tab Dii ne thaan liya ki wo divorce dengi usse aur akele apna jeevan vyateet karengi keval apne baccho ke saath par...

Veer : Par!?

Shreya (glances) : Par jese ye hona mumkin nahi tha. Vakeel giri ke dao pench lagaate hue usne Dhruv ko apne paas rakh liya, ye kehke ki uske ghar me koi santaan nahi hai. Aage uski maa ka dhyaan kaun rakhega!? Par dii nahi maani aur adi rahi, toh usne ek shart rakh dii...

Veer : ?

Shreya : Ki... Yadi Dii ka bank balance 50 lakh pohuchta hai, uss din hi wo Dhruv ko waapas se Dii ke paas lauta dega. Usne ye shart rakhi ki uske bacche ki parvarish ekdum acche se honi chaahiye. Aur parvarish ke liye kya lagta hai!? Paisa...!? Toh yadi dii ka bank balance 50 lakh hoga, tabhi wo Dhruv ko lautaega... Aur isliye... Isliye dii... Paise save karti hai... Ek hope me... Ek hope me...

Veer apni nazre neeche kiye sab sunn raha tha. Par usse sunaayi diya... Ki achanak hi Shreya ki awaaz me thar-tharaahat aa chuki hai. Aur usne jese hi nazre upar kar Shreya ko dekha toh paaya ki...

Uska chehra aasuo se bheegta jaa raha tha. Veer ka muh halka khula reh gaya jab achanak agle hi pal Shreya aage badh uske gale se lag gayi...

Shreya (cries) : She's living with a false hope Veer... Ek jhoothi aas leke jee rahi hai woh... She knows... Unhe pata hai Veer... Mujhe bhi pata hai... Mom Dad Bhaiya bhabhi sabhi ko pata hai ki... Ek saal ke andar wo kabhi bhi 50 lakh ikhatta nahi kar sakti... Kabhi nahi... Abhi abhi toh badi mushqil se unhone uss aadmi ka karz chukaaya hai... Still...

Veer ne haule se uski peeth par haath rakha...

Shreya : Wo bas issi jhoothi aas leke jee rahi hai... Ki ek saal me wo paisa ikhatta karke apne Dhruv ko waapas le aaengi... Hum sabhi unhe... Unhe saantvana dete hai ki sab kuch theek ho jaega... But... Deep down... Deep down we know Veer... Ki kuch sahi nahi hone waala...

Bilakhte hue wo Veer ki baaho me usse kass ke thaame rone lagti hai...

Shreya (cries) : It hurts me to see her like that... Dii virodh nahi kar sakti... Warna wo aadmi mere bhaiya ki naukri bhi hatwa dega aur pata nahi kya kya karega!? Kuch bhi aarop laga sakta hai woh. I hate myself... Ek mein hi hu jo useless hu... Mein padhaayi me shuru se hi acchi nahi thi. Ekdum gadhi hu mein... Haha~Hai na!? Toh naukri pe kabhi dhyaan hi nahi diya...

Veer ko ab sab samajh aa raha tha...
Ki kitna hi bikhra parivaar tha Nidhi ka bhi...
Aur kitna hi tooti hui thi Nidhi bhi aur Shreya bhi...
Bilkul ussi ki tarah...

Usne Shreya ko dekha jo nakli muskaan aur aankho me aasu liye uss se chipki hui thi. Veer jese sab kuch padh paa raha tha.

Shreya ke agle bol ne usse jese hosh me laaya,
"So yeah! Thank you Veer! Thank you for saving her today."

Nidhi ka dhyaan aate hi usse jese ab realize hua...

Aaj din me wo hotel jaate time jab usne kaha tha, 'Ye hotel kaafi mehngi lag rahi hai.'

Par Nidhi 'It's okay bol ke usse saath me le gayi thi.'

Wo toh paise save kar rahi thi. Fir kyu kiya usne ye sab uske liye!? Kyu laayi wo usse apne ghar me!?

Uske kapde, uska khaana peena, usse apni gaadi me college le jaana, kya nahi kar rahi thi woh...

"Tum chalo Veer. Tum... Tum mere saath rahoge."
"Aaj hum special dinner karenge...!"
"Veer!? Tumhara wo... *Blushes* kapde ka size kya hai!?"
"Padhaayi mat chorrna kabhi Veer okay!?"
"Kya hua Veer!? Koi pasand aa gayi kya? Fufu~"

Ek ek karke Nidhi ke saath guzaare pal aur uski baatein Veer ke dil-o-dimaag me ghumne lagi.

Aur na chaahte hue bhi, uske aasu nikal hi aaye.

Bina kuch bataaye Nidhi uss ke liye itna sab kuch kar rahi thi. Kitni tooti hui thi wo andar se. Usse toh bas ek pyaar karne waala vyakti chaahiye tha jo usse apni baaho me bhar ke rakhe aur usse khoob pyaar de. Par usse mila kya? Aadmi ke naam pe ek haivaan.

Ye jaante hue bhi ki paisa kitna important hai uske kiye iss waqt. Jaha aise samay me aadmi ek ek rupaye tak bachaaye aur dusre par kharch na kare. Waha Nidhi Veer ko apne saath rakh rahi thi. Uski harr zaroorat mand cheezo ko dhyaan rakh rahi thi.

Ye sochte hi Veer khud ko rone se na rok paaya. Aur ab... Usse glaani se bhare bhaav aana shuru ho chuke the.

Shreya ke bol usse jese firse hosh me laaye,
"Chalo... Boht ro liya ab... Jao! Jaake araam karo. And don't tell her ki mene tumhe sab bataaya hai. Maarengi warna wo mujhe haha~ Okay!?"

Apna sarr haa me hilaate Veer wahi khada raha aur Shreya usse wahi chorr Nidhi ke bedroom me chali gayi.

Veer ahista ahista aage badha aur wo darwaaze ki dehleez pe hi khade Shreya, Juhi aur Nidhi ko dekh raha tha, jinke chehre night bulb ki roshni me chamak rahe the. Wo dekh paa raha tha, Nidhi ke masoom chehre ke peeche chhupe kasht aur peeda ko.

Agle pal hi wo waha se nikla aur apne bistar pe chala gaya.

***

Subah hui aur Nidhi ki neend aaj kuch derr se khuli kyuki kal ki thakaan ne usse aaj jaldi uthne hi nahi diya. Uthate hue usne nazre daudaayi toh dekha Juhi uske bagal me laiti hui thi aur Juhi ke hi bagal se Shreya Iaiti hui thi jo kaafi gehri neend me lag rahi thi.

Abhi wo apni aankhein mal hi rahi thi ki usse kal ki hui ghatna ke baare me yaad aaya...

Aur fir Veer ke baare me...

Aur ye dhyaan me aate hi wo forun furti me uthi aur tezz kadmo ke saath baahar aayi,
"Veeeeeeerrrr!?"

Usne awaaz lagayi par...

Hall me koi nazar nahi aaya. Wo bauhe sikodte hue kitchen ki orr gayi.

Par udhar bhi koi naza nahi aaya...

Usne bathroom check kiya. Par udhar bhi Veer ka koi ata pata nahi mila.

'Wait!? Kal wo aaya bhi tha ya nahi...!?'

Ye soch Nidhi forun hi andar Shreya ke paas gayi aur usse tatolte hue uske kaan me awaaz lagaate hue puchi,
"Shreya!? Shreya!? Ooo shreya!? Sunn! Sunn jaldi... Kal Veer ghar aaya tha na!?"

Shreya jo neend me hi thi wo bas hmm karke Nidhi ko jawaad deti hai.

Nidhi : Toh kaha gaya!? Wo baahar nahi hai...

Shreya (neend me) : Hoga wahi kahi...

Uski ye baat sunn Nidhi ek baar fir baahar jaati hai par koi nahi dikhta tabhi uski nazar table par padti hai. Jaha ek kaagaz rakha hua tha aur uske upar paper weight rakha hua tha.

Apne ghabraaye mann ko niyantrit kar wo aage badh paper ko uthaati hai aur usme likhi gayi likhawat uski nazro me padti hai,

'Ma'am! Yadi aap ye padh rahi ho toh sabse pehle mujhe maaf kar dena, kal ke liye. Aapka gussa hona laazmi tha aur aapne jo kuch bhi kaha wo gusse me kaha tha. Aapki unn baato ka mene bilkul bhi bura nahi maana hai. Aap nishchint rahiye. Mujhe maaf kar dena jo mein immaturity dikhaate hue ghar se yu nikal gaya tha. Aapne mere liye itna kar diya hai ki...ki ab ek chhat ke neeche rehne me mujhe glaani mehsoos hoti hai. Aapke halaato aur poori kahani ke baare me mein jaan gaya hu. Shreya ji ko mat daatiyega, unhone mujhe wo sab batana zaroori samjha isliye bataaya tha shayad.


Aapne mere liye kya nahi kiya!? Jitna apne nahi karte aapne wo kiya mere liye. Mein ye kabhi nahi bhulunga. Par... Par ab mein aapke saath reh ke aapki pareshaani ab aur nahi badhaana chaahta Ma'am. Mera antarmann ab ye sach jaan'ne ke baad kabhi bhi aise mujhe rehne nahi dega... Isliye... Isliye I'm going now... Thank you so much Ma'am, jo kuch bhi aapne mere liye kiya. And I promise iska ten times mein aapko lautaunga.

Aur haa! Haha~ kal bechaari Juhi chocolate khaaye bina hi so gayi thi. Mein apni chocolate bhi uske liye chorr ke jaa raha hu. Fridge me hai woh. Uss se kehna ki uske Veer maamu uske liye ek din boht badi chocolate ki factory khulwaenge.

Shreya jii ko mera thanks kehna. For telling me the truth. And lastly...

Aap wese hi muskuraaya karo... Acchi lagti ho aap.

And Ma'am...

Take Care!'

Ye padhte hi Nidhi ki aankho se aasu behna shuru ho gaye aur wo wahi baithi sisak sisak ke rone lagi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Veer nikal chuka hai apni progress par. Next update se Aatish's arc shuru ho raha hai. Jald hi ek naya character dekhne ko milega.
Don't forget to like. 😁
Lot of emotion and action in the story.
 
  • Like
Reactions: kingkhankar

kingkhankar

Multiverse is real!
6,437
14,291
188
Though there are never enough words to praise this update, you have again won all the praises ever possible for this update.
Way to go bro!
 
  • Like
Reactions: Werewolf
10,453
43,800
258
Haaa😆😆😆 dangal ke bich mangal dekhna hai inhe vo bhi jungle me.
Iss arzi par vishesh dhyan Diya Jaye Werewolf Bhai.

Vaise jahan tak mujhe yaad hai, Divya aur veer ne US ke haseen palo ko dohraya hai. France me to unka koi jyada interaction hi nahi hua, makeout to dur ki baat hai.
Short term memory loss problem hai Sir. Kuchh kar nahi sakta main :D
 

Mink

Avid reader
570
1,301
124
Bahut hi Lajawab update aur Erica ohh my gawd 😍 how cute 🥺 blemish skill bhi veer ke shirt ke upar laga di aur pyaar bhi jata di magar bechare bhole veer ko kuch samajh hi naa aya Erica ke pahele wale reaction ko dekh kar, Veer aur Divya ke scene bahut hot 🥵 thee...ab Action dekhne ke liye bahut hi excited hun...Jaw Long ki jitni hawa banayi jaa rahi/gayi hai kya woh utna ruthless aur Scarry hoga aur Crimson ko takkar de paayega, sach pucho toh werewolf bhai apne Villain ke maamle mein Crimson ko jis tarah se psychopath aur Khatarnak dikhaya tha shayad hi abhi tak koi villain aaya hoga story mein joh crimson ne job bar set kiya hai uske aage gaya hi toh aapse yeh jarrur ummid rahegi ki Jaw Long ko aap ek step aur upar leke jaayenge Crimson se both power aur psychoness ke maamle mein...
 

Gadahlund

Active Member
751
856
93
Update - 174 ~ Tranquility before Chaos

Ab tak...

Julia : Please! Take down your mask, young miss. You don't need any mask in front of Young Master Veer.

Kaera : I-

Julia : This time you lost just the deal. If you keep behaving like this... You might lose Young Master Veer himself.

Kaera : Huh!????

Aur, itna bol Julia waha se ravana ho gayi. Reh gayi toh bas Kaera aur uski aankhon se behte aasu.


Ab aage...

Mission complete ho chuka tha. Veer ne case solve kar diya tha. Aur, use uske points bhi praapt ho chuke the. Woh ab saamne ghatit ho rahe drishya ko bade hi dhyaan se dekh raha tha. Uski nigaahein saamne ghatit ho rahi ghatnao par tiki thi.

“Take this-!!!”


*Whoosh*

Erica ne ek hidden knife Renshu ki orr feki jise Renshu ne apne lakdi ke ek mote dande se badi hi asani se deflect kar diya. Knife hawa me tezi ke sath gol-gol ghumti hui dur jaa giri.

Erica daudate hue aage aayi, mutthi kasi aur ek mukka usne Renshu ki pasli ki orr ghumaya parantu, Renshu ne uski mutthi ko pakad neeche perr se use trip kar diya.

“Huh!!?”

Erica girne ko hui par apne dusre haath ka istemal kar woh hand stand kar apni taang ko Renshu ke chehre ki orr tezi ke saath laayi.

Parantu, kya woh aisa kar sakti thi? Apne hi pita ke chehre par laat se vaar? Aisa karne ke baare me toh woh apne sapne me bhi nahi soch sakti thi.

Aur, har baar ki tarah woh hich-kicha gayi. Uski laat ki raftar dheemi pad gayi.


*Whoosh*

Renshu ne mauqe ka fayda uthate hi khud ko jhukaya aur jo mutthi usne pehle Erica ki pakdi hui thi usi ko thaame usne zorr se Erica ko ghuma ke apne se dur fek diya.

“Ahhh~”

Woh dur jaa ke giri aur uska shareer zameen par ghisatate hue seedhiyo se jaa bhida.

“M-Miss Ericaaa~!”

“Miss Erica aap theek toh hai na?”

Renshu ke aadmi turant hi Erica ke nazdeek aaye lekin kisi ne bhi use haath lagaane ki zurrat nahi ki. Sabhi Erica ke gusse se waqif the.

Erica ne krodh me unn aadmiyon me se ek aadmi ko dekha aur gurrate hue boli,

“Get lost!”

Erica ke muh se daant sunane ke baad bhi aadmi ka dil baag baag ho gaya. Woh sabhi uske itne bade chaheete the ki agar Erica unhe gaaliya bhi bak de toh bhi woh usme ullaas hi dhoondhte the.

Renshu : Toh dekh liya na tumne? Isliye, tum frontline missions ke liye taiyaar nahi ho.

Erica : Tch!

Erica muh fulayi hui thi. Toh wahi Renshu ke sabhi aadmi aadar ke saath apne Lord aur unki beti ko dekh rahe the.

“Miss Erica kamal ki fighter hai. Hai na?”

“Bilkul! Lord ke saamne itni derr tikna. Sirf Miss Erica hi kar sakti hai.”

“Woh itni sundar hai, komal hai, fir bhi hamare liye unhone martial arts seekha. Order ko bachane ke liye… Wo kitna kuch kar rahi hai.”

“Aur, jab wo kar sakti hai toh hum bhi kar sakte hai.”

“Haan haan! Bilkul!”

“Order zindabad!”

“Order zindabad!”

Unka aatmvishvas ye dekh ke hi khoob badh gaya. Iss aatmvishvas ke peeche Erica khud ek bada kaaran thi. Sabhi ek dusre ke saamne martial arts ka stance leke khade hue aur fir practice ke liye khud ko taiyaar karne lage.

Veer chup chaap baramde ki ek seedhi par baitha hua tha. Muskurate hue woh sab kuch dekh raha tha. Renshu aur Erica training kar rahe the. Erica ka kehna tha ki woh frontline ke liye taiyaar hai aur unn sab ke saath jaa sakti hai.

Kintu, Renshu ke vichar ulte the. Uske anusar Erica stealth infiltration me maahir thi. Saamne se ladayi lena uska forte nahi tha. Ye apne hi perr par kulhadi maarne jaisa tha.

Veer ne dekha ki kaise Renshu ke sabhi aadmi ikatr hoke ye nazara jigyasu hoke dekh rahe the, saath hi khud ki practice bhi zorr shor se kar rahe the. Iss se Veer ne kuch baatein pata laga li thi.

Renshu aur Erica khul ke aadmiyon ke saamne practice karte the. Bas, speed ka dhyaan rakhte the. Woh dono apni full speed par kabhi bhi practice nahi karte the. Agar woh aisa karte toh unke aadmiyon ko vaastavikta par se yakeen uth jaata. Kya asal hai aur kya nakli, woh iska uttar hi dhoondhte reh jaate.

Sabhi aadmi jaante the ki unke Lord Renshu martial arts me behad mahir the. Kahi na kahi woh ye bhi vishvas rakhte the ki unke Lord ke paas kuch ancient martial arts ki vidyaein hai jo keval unke Lord ko hi aati hai.

Toh aise me agar Renshu ya Erica koi asadharan skills ka prayog karte bhi the toh log yahi samajhte the ki ye unke Lord ki hidden martial arts vidya hai. Kehna galat nahi hoga ki Renshu ke aadmi use kahi na kahi pracheen yoddha ke samaan samajhte the jiske paas aam shaktiyo se kahi zyada shaktiya hoti thi.

Aur, unka aisa sochna kahi na kahi dono Erica aur Renshu ke liye faydemand hi tha. Unki iss soch ke kaaran hi woh khul ke practice kar paate the.

Veer Renshu ki iss baat se bhi sehmat tha ki Erica frontline missions ke liye taiyaar nahi thi. Aur, woh iska kaaran bhali bhanti jaanta tha.

Hich-kichahat! Erica Renshu ke prati kya bhaav rakhti thi ye Veer jaanta tha. Uska hich-kichana hi hamesha uski haar ka kaaran hota tha.

Zaahir hai aisa vyakti frontline par khade hone ke laayak nahi. Abhi Erica ko aur samay aur practice ki zaroorat thi.

Renshu : Erica! Mein janta hu tum mere nirnay se hatash ho lekin, sachhaayi yahi hai ki tum abhi taiyaar nahi ho. Tumne jo vaar abhi mujhpe kiya, tumhari galti thi ki tum apne haath ke bal zameen par chali gayi. Aisa karne se tum uss haath par apna balance banaane ke liye majboor ho gayi. Isliye, tum haar gayi.

Erica : I-I know Dad!

Veer (smiles) : I see nothing wrong here!

Erica : Huh?

Renshu : Hmm?

Seedhi par baithe Veer ki awaaz jab unn dono ne suni toh dono hi uski taraf mudke use dekhe.

Veer : Erica ne jo combat technique use ki use mein pehle hi Crimson par istemal kar chuka hu. And, it was effective. Erica ke haarne ke kaaran kuch aur hi hai.

Renshu : Ohh!?

Veer : Uska hich-kichana sabse bada kaaran hai.

Erica : Th-That's- not it- I-

Veer : Woh tumhare saamne hich-kicha jaati hai. Ye baat toh tum bhi samajh hi gaye hoge. Par, iska ye matlab nahi hai ki woh sabke saamne hich-kichaye. Hai na?

Erica : O-Of course!

Veer : Garofano Erica ke liye ek perfect trainer ho sakti hai. Unfortunately, woh filhal yaha nahi hai. Aur, mein Erica ke liye sahi nahi. Because I can take her down in one move.

Erica : Wh-What!!? K-Kya kaha tumne? Zara firse toh kehna. Tum mujhe kamzor samajhte ho?

Veer : Mein bas sach keh raha hu. Aur, kuch nahi.

Erica : Sach? Oh really? Come on then! Mein bhi toh dekhu kitna dam hai Crimson naam ke aadmi ko maarne waale insaan me. You think you are so mighty? No one can take you on? Let me tell you, mister. Koi crimson vimson ko maar lene se tum kahi ke king nahi bann gaye, alright?


[Erica! Don't agitate him.]

'Calm down Genie! Dekho tum mein isko kaise maza chakhati hu abhi. Ise bas badi badi haakna hi aata hai. Hmph! I can't stand his lies now.'

Veer (smiles) : Ghar me baith ke spar karne se experience gain nahi hota madam. Jab ek system holder tumhari jaan ke peeche pada ho aur tum uski, tab jaa ke experience praapt hota hai. Aur, tab pata chalta hai ki hum kitne kamzor hai. Jab maut ke saamne insaan hota hai-

Erica : Blah blah blah...! Blah blah blah...! Lecture hi dena aata hai? Ya fir haath chalaana bhi aata hai?

Erica apna stance le chuki thi. Aur, woh bade hi gusse me Veer ko dekh rahi thi.

[Ohh!? Iss ladki ko pata bhi nahi hai ki ye kis se bhidne jaa rahi hai. Wese pata toh mujhe bhi nahi hai. Fufu~ After all, I haven't seen you fight, right? Crimson ki fight ke dauran meri koi aur personality rahi hogi.]

'Yeah! That personality was the best. Mujhe woh Pari wapas chahiye.'

[Y-You-! Tum firse shuru ho gaye dear? Oh come on! I'll make you forget her. Bas sahi samay aane do. Come on, show me what you've got. Zara mein bhi dekhu, mera host kitna taqatvar hai.]

Idhar unke chaaro orr jo aadmiyon ka jhund tha, woh ye sab dekh ke dang the. Veer ne jo kuch bhi baatein kari thi woh Hindi me kari thi. Zaahir hai ki Renshu aur Erica ne bhi Hindi me hi use jawab diya tha.

Bechare Renshu ke aadmiyon ko kuch samajh na aaya ki ye achanak se Erica aur Veer ladne kaise lage. Unhe toh sirf Chinese hi samajh aati thi. Veer aur unke beech kya baatein hui, ye unke palle na pad saki. Veer apna facade banaye hue tha.

Ye baat fel chuki thi ki Veer ko Chinese nahi aati. Aise me ab use wahi scenario ke saath aage badhna tha. Jaha ek tarah Renshu ke aadmi inn sab se confused the toh wahi dusri orr woh Renshu aur Erica ko dusri bhaasha me baat karte dekh garv bhi mehsoos kar rahe the.

"Lord aur Miss Erica ko dusri bhashaaye bhi aati hai?"

"Kyu nahi aayengi? Woh Order ke Lord hai. Ek se adhik bhaasha aana unke liye maamuli baat hai."

"Sahi kaha. Aur, ye hamare yaha aaya hua mehman. Kya ye bhi ek martial artist hai? Kya Miss Erica ab uske saath ladne jaa rahi hai?"

"Dekh ke toh yahi lag raha hai. Miss Erica gusse me lag rahi hai. Huh? Kahi isne kuch galat salat toh nahi keh diya Miss Erica ko?"

"Aisa hai toh hum ise chorrenge nahi."

"P-Par Lord chup chaap khade hai. Matlab aisa kuch nahi hua hoga."

"H-Haan ye baat bhi hai. Hume jaldbazi me kuch nahi karna chahiye."

"Sahi kaha. Abhi hume sirf dekhna chahiye jo saamne ho raha hai. Agar, Lord koi ishara karte hai toh hum action lenge."

"Haan! Ye sahi hai."

"Haan haan!"

Woh aapas me hi apni baatein rakhe jaa rahe the aur apne anumaan lagaaye jaa rahe the. Toh yaha Erica Veer ko shaant khada dekh aur bhi krodhit ho chuki thi.

Erica : Looks like you're scared to make the first move...! Fine then...! Here I come!


*Whooooooosshhhh*

Woh turant hi tez raftaar me uski orr aayi. Aur, seedhe hi mutthi kass Veer ke pait ki orr usne ek zordaar mukka maarna chaaha.

Erica ka mukka Veer ke pait ko jaise hi lagne ko aaya. Veer ne ek haath se turant hi uski kalaayi thaam li.

Kintu, apni kalaayi Veer ki pakad me aate hi Erica ke hontho par ek kutil muskaan fel gayi. Veer ne uski muskurahat ko dekha par uske chehre par koi bhaav nahi the.

Erica ne jaise pehle se kuch plan kar rakha tha. Usne ek jhatke me apne dusre haath me wahi hidden knife nikali aur seedhe Veer ki chin ki orr maarne ke liye le gayi.


*Swish*

Parantu...

Veer ne dusre haath se uski woh kalaayi bhi pakad li.

"Urgh~"

Erica ki dono kalaayi Veer ki giraft me thi. Na jaane kya soch ke woh Veer se direct bhidne aayi thi. Shayad use laga tha ki Veer uski hidden knife ko nahi pakad payega. Magar, parinaam toh kuch aur hi tha.

Veer ne uske dono haatho ko ghumaate hue moda.

"Ahhn~"

Erica virodh karti rahi lekin uski strength Veer ki strength se behad kam thi. Na chaahte hue bhi uske haath wese hi mudte chale gaye jaise Veer modta gaya. Veer ne unhe aapas me ghuma ke ek dusre se fassa diya tha. Uske baad usne uske dono haath upar kiye aur ek jhatke me Erica ko apne paas kheench liya.

Bechari Erica kisi besahara naari ki tarah Veer ke seene se jaa ke bhid gayi. Uske doodh Veer ke chhaathi me dhans gaye. Woh apna nichla honth dabaaye, ek aankh me aasu ki boond sajaaye, gusse se laal hoke Veer ko ghoor rahi thi. Par, woh bebas thi. Woh poori tarah se Veer ki kathputli bann chuki thi.

Skills ka prayog karne ke liye use khud ko churrana zaroori tha. Magar, woh yahi karne me naqamyab thi. Veer ne jaisa kaha tha, wesa kar dikhaya. Ek hi move me Erica ko usne paraast kar diya tha. Aur, ye sach saabit hota dekh Erica aur bhi khud ko dosh deti jaa rahi thi.

Baramde ke baahar neeche khade aadmi bhi Erica aur Veer ko iss tarah dekh ke stabdh the. Erica unke bageeche ka sabse khubsoorat phool thi. Aur, uss phool ko tod ke koi aur le jaa chuka tha. Unki nazro me Veer kisi kaale bhavre ki tarah tha jo phool par aake baith uska ras unke saamne maze se choos raha tha.

Ye dekhte hi aadmiyon ka gussa sarr chadh gaya. Aur, woh sab bhadak uthe.

"Iski zurrat kaise hui? M-Miss Erica ko-"

"Miss Erica haar gayi? Wo bhi itni buri tarah? N-Nahi! Iski himmat kaise hui Miss Erica ko iss tarah se pakadne ki? Aaj tak hum me se kisi ko unhe chheene tak ka mauka nahi mila. A-Aur ye ladka-"

"Huuuuhuuu~ M-Miss Ericaaaa~ *sob* Miss Erica!!!"

"Ye accha nahi hua. Iss ladke ne hamari Miss ka fayda uthaya hai. Hum ye bardaasht nahi karenge."

"Haan haan! Vidroh karenge hum!"

"Vidroh! Vidroh!"

"Miss Erica! Hum aapke saath hai."

"Miss Erica! Miss Erica!!!"

Sabhi ke sabhi Erica ka naam pukarne lage. Magar, Erica ka gussa har guzarte pal badhta jaa raha tha. Aadmiyon ki awaaz use aur batla rahi thi ki woh kitni kamzor thi.

Tabhi, Veer ki awaaz uske kaano me padi aur ek sihran uske shareer me daud gayi.

Veer : I've been through hell a lot of times...! You don't even know what the real danger means. Do you know why you lost?

Erica : !!??

Veer : Because you are weak!!!!

Erica ka badan thitur utha. Woh gusse me thar-thara rahi thi. Lekin, Veer ki baat ko jhutla nahi paa rahi thi. Kyuki, Veer shat-pratishat sach keh raha tha.

Erica : Tsk-!!!

Veer : I have faced death many times. You can't even imagine the chaos when 2 system holders fight each other without any restraint. You lost because you have no experience. You lost because you came at me, who's good in close combat.

Erica : ....

Veer : Tum ek medium ranged fighter ban sakti ho. Close ranged combat tumhara forte nahi hai. Close combat tumhe bas khud ki protection ke liye aana chahiye. Uss field me mat ghuso jidhar tumhari skills hi istemal na ho paaye.

Erica (growls) : Y-You-!!!

Woh poori tarah se haar chuki thi. Aur, itni buri tarah haari thi ki na sirf use Veer ki baaton ko sunana pad raha tha balki uske seene se chipke rehne par bhi woh majboor thi. Ek taraf bhayanak gussa uske andar ubaal le raha tha toh wahi hayaa ki ek parat bhi gaalo par chadh rahi thi.

Veer kuch aur deductions kar paata ki tabhi itne me-

“Lord! Lord! Lord Renshu-!!!”

Renshu ka ek aadmi baahar se bhaagte hue bheetar ko aaya.

Renshu : Hmm?

Aadmi : Sarkaar ki taraf se official aaye hai.

Uska bas itna hi kehna tha ki Renshu turant hi uth ke waha se chal diya. Veer ne Erica ko chorra aur Renshu ke peeche chal diya. Erica apni kalaayi ko thaame lambi lambi saansein bhari aur baad me unke peeche peeche chal di.

Hall me sabhi ikatr ho chuke the aur Veer ne jaisa socha tha bilkul wahi hua. Official yaha kaarya ki pragati dekhne hi aaya tha.

Official : Abhi tak kaam shuru bhi nahi hua hai? Ye kis tarah ki rann-neeti bana rahe hai aap Mister Renshu? Mujhe toh laga tha ab tak kaafi kuch ho chuka hoga.

Iss baar official Veer ke prati utna satark nahi tha. Isliye, usne bina jhijak ke apni baatein rakhni shuru kar di.

Renshu (frowns) : Aap ye baat jaante hai na ki ye kaam kitna kathin hai?

Official : Hahaha! Jaanta hu jaanta hu.

Renshu : Jangal me ghuste hi Legion ka ilaqa lag jaata hai. Unke hi ghar me ghus ke unke haath se mine lena agar itna hi asaan hai toh sarkar khud kyu nahi kar leti?

Official : Hahaha! Iska jawab mein pehle bhi de chuka hu aapko.

Renshu : Jaanta hu. Lekin, iss tarah se mein aage nahi badh sakta.

Official : Kya matlab?

Renshu : Hume army ki orr se thodi madad chahiye.

Official (frowns) : Army isme beech me nahi aayegi, ye baat mein pehle bhi aapko bata chuka hu.

Erica : Kyu nahi aayegi? Kya hamari safety important nahi? Agar hum jokhim utha rahe hai toh hamari hifazat ke liye bhi toh sarkar ko kuch karna hoga na?

Official (frowns) : Tch!!! Par orders ye hai ki-

Erica : Orders kuch bhi ho. Hum apni jaan iss tarah se khatre me nahi daalenge.

Official Erica ke ziddipann ko dekh aur bhi duwidha me fass gaya. Kuch derr tak kamre me bas khamoshi chhayi rahi. Uske baad woh bola,

Official : Kya chaahte hai aap?

Renshu : Hamari maang sadharan hai. Hume army ki taraf se kuch jawan chahiye jo hamare saath andar Legion ki territory me jaa sake.

Official : ???

Renshu : Zaahir hai, jawano ke paas saari bandooke aur unke equipments honge jis se hume kaafi madad hogi.

Official : Kitne?

Renshu : Jitne zyada ho sake utna behtar hai.

Official (frowns) : Mujhe baat karni hogi.

Woh uthate hue gusse me baahar ko gaya. Jaate jaate Veer ko usne dekha kintu, Veer ke chehre ke bhaav aise the jaise maano use kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki kya ho raha hai. Ye dekh official mann hi mann thoda chinta-mukt ho gaya aur Veer ke prati uski jo savdhani thi woh bhi kam ho gayi.

Kuch derr baad woh andar wapas aaya. Uske haath me uska phone tha. Shayad kisi bade adhikari se uski baat hui thi.

Official : Theek hai! Hume ye manzoor hai.

Renshu : Oh!? Toh kitne?

Official : 6! Sirf 6! Sirf aur sirf 6 jawano ko hi sarkar bhej sakti hai. Uss se zyada nahi.

Erica : What??? 6?? Sirf 6? Waha picnic manaane nahi jaana hai. Sirf 6 jawano se kya hoga?

Official : Maine kaha na... Uss se zyada nahi.

Erica (frowns) : You-!!!!

Official : Agar zyada hi bhejne hote toh hum ye kaam aapko kyu saupte? Army bina bandook ke ladaayi lena nahi jaanti. Tribe ke log teer kamaan, bhaala aur na jaane kya kya hathyaar rakhte hai. Aise me unse bhidne ke liye aapse behtar aur kaun ho sakta hai? Aapke aadmi bhi toh talvaar, bhaala ye sab chalana jaante hai na?

Erica : Toh?

Official : Toh ye ki ise aise hi niptana hoga. Army ke 6 jawan aapki suraksha ke liye jayenge. Baaki, aapke aadmi bhi toh hai. Itne saare aadmiyon ka kya karoge aap?

Erica : Y-You-!!! T-Tum chaahte ho hum apne aadmi waha le jaaye? Unhe maut ke ghaat utaar de?

Official : Ye kisne kaha? Maut ke ghaat kyu utrenge woh? Woh bhi toh trained hai. Kya woh Legion ke kuch gang members ka saamna nahi kar sakte? Kya itna hi dum hai Order me? Kya maine kuch zyada hi aasha rakh li aapse? Matlab ye aapke bas ki baat nahi thi? Hmm?

Erica : Y-You freakin'-

Renshu : Theek hai! Mujhe manzoor hai. 6 jawaan!! Aaj ke aaj hi chahiye mujhe raat tak.

Official : Aaj?

Renshu : Hmm! Aaj! Khamoshi kayi din se chhaayi hui hai. Mujhe lag raha hai ki Legion aane waale 2 se 3 din me hum par hamla kar sakta hai. Aur, isliye unse pehle hume hamla karna hoga.

Official : Toh hamari orr se kab shuru hone waala hai?

Renshu (glances) : Aaj raat se!!! Aaj ki raat hi hum infiltrate karenge.

Erica : What??? Dad? Aaj? Abhi toh-

Renshu : Plans bann chuke hai. Maine pehle se hi sab soch rakha hai. Bas, mujhe apne aadmiyon ko instructions dene hai aur sab kuch settled hai.

Official : Hohohoho~ Kya baat hai. Jitna jaldi ho utna behtar hai. Waqai! Mujhe aapse yahi umeed thi. Jawaan raat tak pahuch jayenge. Aur-

Renshu : Hmm?

Official : Khoon kharaabe ki chinta karne ki zaroorat nahi hai. Jitna behta hai behne do. Bas... Mine hamare haatho me honi chahiye.

Erica (glares) : Y-You-!!!

Official : Bade sir tak ye khabar pahucha dunga mein ki aaj raat se kaam shuru ho jayega. Media aur press ko tab tak ke liye alag samachar dikhane par hum majboor kar denge. Koi bhi media Order aur Legion ya fir Mine ka zikr nahi karegi. Jab tak ye maamla sulajh nahi jaata, tab tak media ko iss baat ki bhanak tak nahi lagegi.

Renshu : Ohh!?

Official : Isliye, mujhe umeed hai ki aap apna kaam acche se karenge. Aur, chinta ki koi baat nahi hai. Aapki image na bigde iske liye bhi ek acchi si script hamare kuch anubhavi patrakaro ne taiyar kar ke di hai. Yahi media me darshayi jayegi. Jis se aapke upar keechad nahi uchhlega.

Erica : Keechad nahi ucchlega? Pehle hi keechad ucchal chuka hai. Kya guarantee hai iski ki log Dad ko doshi nahi thehrayenge?

Official : Har desh me kuch na kuch log aise rehte hi hai jo disha ke vipreet jaa ke udne ki koshish karte hai. Magar, chinta ki zaroorat nahi hai. Adhiktar log aapke upar vishvas banaye rakhenge iski guarantee mein leta hu.

Erica : Tch!!

Official : Chalta hu... Jawaan raat tak pahuch jayenge. Umeed hai unhe aap acche se hi treat karenge. Woh yaha aapki hifazat ke liye hai. Aur.... *smiles* Good luck!!! Hamari mulaqat ab shayad kuch din baad hi hogi. Agar, aap tab tak zinda bane rahe toh. Meri shubhkamnaye aapke saath. Chalta hu!

Itna bol woh waha se nikal gaya. Erica ko uski shaqal dekh ke hi gussa aa jaata tha. Akhir, samajhta kya tha apne aap ko?

Erica (glances) : D-Dad-?

Renshu : Erica! Aaj raat hi hume hamla karna hoga. Ab aur derr nahi kar sakte.

Erica : P-Par-!?

Veer : Uss se pehle mujhe tumse kuch baat karni hai.

Renshu : Hmm? Kaisi baat?

Veer : Tumne kaha tha ki tumne ek letter uss caller ko bheja tha. Woh letter tumne kaise bheja? Uss caller ne address bataya tha apna?

Renshu : Nahi! Usne mujhe apna address nahi bataya tha. Usne sirf itna hi kaha tha ki woh USA se hai.

Veer : Toh fir tumne use letter kaise bheja?

Renshu : Maine bas apne pigeon ko USA ke Houston Port par bheja tha. Aur, ye baat maine use batayi thi ki mera pigeon port par iss din pahuchega. Pigeon jab wapas aaya toh uske perr par jo letter maine baandha tha woh nahi tha. Iska matlab uss caller ne zaroor woh letter mere pigeon ke perr se nikaal liya hoga.

Veer : I see!

Erica : Par, woh letter abhi tak khola nahi gaya hai. Meri skill hai ek. Blemish!!! Harr letter par maine wo skill mark ki thi. Agar, letter ke saath koi bhi chedh chaadh hoti hai toh mujhe pata lag jaata hai.

Veer : Jaise ki?

Erica : Jaise ki agar letter khola gaya ho, ya faad diya gaya ho, ya fir use marod diya gaya ho. Mujhe turant hi pata lag jayega. Magar, filhal letter ke saath aisa kuch bhi nahi hua hai. Tumne aur Garofano ne jab apne letters khole the toh mujhe turant yaha pata chal gaya tha.

Veer : That's an interesting skill...! Kya ye insaano par bhi kaam karti hai?

Erica : Nahi! Sirf non-living things par.

Veer : I see-!

Veer, Renshu aur Erica yaha hall me baith ke baat kar rahe the toh wahi Divya apne kamre me thi aur woh apne kaamo me lagi hui thi.

Divya ka kaam yaha information batorne ka tha. Woh nahi jaanti thi ki Veer yaha bhala ab kyu ruke hue tha. Parantu, woh apna samay barbaad nahi kar sakti thi. FBCC ke Director ka call aa chuka tha aur woh ab unke direct contact me thi.

Director : You're late, rookie! Any progress on the mission?

Divya : Ah! I- I'm investigating, M-Miss.

Director : Call me Director!

Divya : Yes, Director!

Director : And? What did you investigate?

Divya : Something is not right, Director. Just now an official came from the government. I couldn't hear what they talked about.

Director : An official huh?

Divya : That's right!

Director : It's probably to pressurize them.

Divya : Huh?

Director : A battle will happen soon, rookie. Just stay there and investigate. You don't need to move into a battlefield. It's bound to happen. No one can stop it.

Divya : B-But-

Director : Don't stress over the protocol. You have free rein to do whatever you want. Why so nervous? Be confident! You work under me!

Divya : That's-

Director : My subordinates don't need to go and put their life on risks. Their greatest virtue is their loyalty. Stay loyal to FBCC...! And... Stay loyal to me! I hope you can do that. Am I right, rookie?

Divya : Y-Yes-!!!

Director : Call me when you see fit.

*Call ends*

Divya nahi jaanti thi ki yaha chal kya raha tha. Woh yaha bas chhip ke jo bhi information ikhatti kar paa rahi thi woh kar rahi thi. Use Veer se bhi jald se jald baat karni thi.

Official ke jaane ke kuch derr baad hall ka darwaza khula aur Veer, Renshu, Erica andar se baahar nikle. Veer ko dekhte hi Divya uske sameep aayi.

Divya : Veer!

Veer : Hmm?

Divya : Mujhe tumse akele me kuch baat karni hai.

Veer ne Renshu ki orr dekha toh Renshu ne haami bhari aur Erica ke sang woh dusre raaste chala gaya. Ye waqt apne aadmiyon ko nirdesh dene ka sahi tha.

Divya idhar Veer ko kheechte hue apne kamre me le gayi aur turant hi andar se darwaza band kar di.

Divya : Tum yaha ab kya kar rahe ho Veer?

Veer : Hmm? Kya maine bataya nahi tha? Jab tak mein Miss Garofano ke saath deal nahi kar leta tab tak mein wapas nahi jaunga.

Divya : Veer!! Tum samajhte kyu nahi? Yaha jald hi jung chhidne waali hai. Maine tumhari madad kar di hai na? Miss Garofano ko abhi formalities poori karne me kayi din lagenge. Tab tak tum yaha nahi ruk sakte.

Veer : Aur tum? Kya tumhare liye khatra nahi hai?

Divya : Mein akeli nahi hu, Veer. Mere saath FBCC ke escorts aur security hai. Agar, kuch hoga toh mein yaha se turant nikal sakti hu. Par, tumhara kya?

Veer : Mein abhi nahi jaa sakta, Divya. Abhi toh Miss Garofano ko humne churraya hai. Unhe kuch din lagenge toh mein ruk jaunga. Par aise mein wapas kaise jaa sakta hu?

Divya (shouts) : Veer tum pagal ho kya? Jaan zaroori hai ya paisa? Tumhe meri koi baat samajh kyu nahi aa rahi hai? Yaha ladayi hone waali hai. Koi aisi wesi ladayi nahi, laashe bichhengi. Dono groups aapas me bhidne waale hai. Aur, aise me tum beech me fasse reh jaoge. Itni si baat tumhe samajh me nahi aa rahi hai?

Apni orr Divya ki chinta dekh Veer khush bhi tha parantu, ye uske liye ek adhchan bhi thi.

Veer use sirf baato se ab nahi behla sakta tha. Use kuch na kuch baatein ab bataane ki zaroorat thi.

Veer : Divya...! Darasal-

Divya : ???

Veer : Darasal...! Tumhe yaad hai na France me meri kya haalat thi?

Divya (nods) : Hmm!

Veer : Tab, Mister Renshu France me hi kuch kaam se aaye hue the.

Divya : Huh?

Veer : Aur, unhone meri jaan bachayi thi ek samay par. Jab mere peeche police padi thi. Unhone meri madad ki thi. Toh mere upar unka ek ehsaan hai.

Divya : Samjhi! Sab samjhi! Ab samajh aaya ki tum kyu itna yaha rukne ke liye ade hue the. Toh ye baat thi. Par, iska ye matlab nahi hai Veer ki tum apni jaan khatre me daalo. Arre waha tumhara poora parivar tumhari raah dekh raha hoga. Bhagwan na kare par agar tumhe yaha kuch ho gaya toh kya haal hoga unka waha pe-!?

Veer : Divya-!


IMG-20240208-191855

Divya : N-Nahi-! Mein iss baar tumhari chikni chupdi baaton me aane waali nahi hu. Mujhe seedhe Suhana ko hi batana padega. Woh tumhare parivar waalo ko khabar kar degi aur fir tumhe yaha se jaana hi padega. Yahi karna hoga warna tum aise hi yaha par-

Veer : Divyaaaaa-!!!

Veer ne iss baar seedhe uske kandho ko pakad use thaama. Divya apni nazre upar kar use dekhne par majboor ho gayi. Kintu, Veer ke chehre ke bhaav dekhte hi uski bolti band ho gayi. Veer use pyaar aur vinamrata se dekh raha tha.

Veer : Meri baat sunogi?

Divya : V-Veer-!?

Veer ka haath uske kandho se fisalte hue neeche ko gaya aur uski patli kamar ko usne apne dono hatheliyo me bhar liya. Divya uske harr sparsh se thitur rahi thi par zara bhi virodh nahi kari.

Usne punah apna ek haath upar le jaake Divya ki thuddi ko thaam ke upar kiya aur uski aankhon me aankhein daalte hue dekh ke bola,



IMG-20240208-191928

Veer : You know what-!? Sometimes, I think... Nick jaisa aadmi tumhe deserve nahi karta. Tumhe nahi lagta ki tumhe ek asli mard ki zaroorat hai?

Kehte hue Veer ke haath ka angutha Divya ki thuddi se hote hue uske gulaabi hontho par firne laga. Dabaav banaate hue Veer uske nichle honth ko apne anguthe se ragadne me laga tha. Aur, Divya pe ek alag hi suroor chadh raha tha.



IMG-20240208-191824

Veer uski kamar thaame use peeche le gaya. Divya ka perr bed se takraaya aur agle hi pal dono-

"Ahh~"

Divya bistar par thi aur Veer uske theek upar. Aankhein chaar ho rakhi thi. Veer dheere dheere jhukta gaya aur uske hontho ke qareeb badhne laga. Divya sab kuch dekh rahi thi, sunn rahi thi fir bhi jaan ke Veer ko peeche nahi kar rahi thi. Aur, kahi na kahi ye baat use aur bhi bechain kar rahi thi. Kyu? Woh ek shadi-shuda aurat thi. Uske bawajood Veer ko iss tarah apne qareeb aane dena?


*Kiss*

Aur labb se labb bhid gaye. Pal bhar ke liye Divya ki aankhein feli par fir dheere dheere woh band hoti chali gayi. Aur, uska ek haath apne aap hi kab Veer ke sarr ke peeche baalo me chala gaya use pata hi na chala.

pinterest-Elifimsi

Chumban shuruati daur me bas hontho ka aapas me mel milap thi. Par, jald hi woh ek alag hi roop leli. Kab woh aakramak aur ek janglee chumban me tabdeel ho gayi dono ko hi pata na chala. Dono kisi bhooke jaanvar ki tarah ek dusre ke muh ko choos rahe the. Labo ko chaba rahe the aur jeebh ko aapas me lipta ke ek dusre ke andhruni muh ke swaad ko chakh rahe the.

IMG-20240208-191718

Veer ka haath jald hi Divya ke kapde ke andar ghusa aur seedha uske sudol stano ko jakad liya.

"Nnghh~"

Divya kasmasayi. Veer ka haath bra ke andar jo tha. Usne uski nangi doodh ki thaili ko apne haath me bhar rakha tha.

Veer : They've definitely grown bigger. Kya mere liye tum inhe bada kar rahi thi?

Divya : Ahhh~ N-Nonsense-! Nngh~ ♡

Veer ka dusra haath saanp ki tarah Divya ke jism par rengte hue neeche gaya, usne furti me uski jeans ki button kholi aur apna haath andar sarka diya.


*Squelch*

"Ahhhnnn~"

Divya apne taangein aapas me mod ke sikod li. Veer ka haath uske guptang ke upar tha.

Veer (surprised) : It's wet?


*Squelch*

Veer ne aashcharya me Divya ko dekha toh woh bechari sharma ke apna chehra fer li. Isme uski galti nahi thi. Veer ka sparsh hi aisa tha ki uske chheete hi uska ang ang garam hone lagta tha. Uska seena zoro se upar neeche ho raha tha. Badan me garmi badh rahi thi. Aur, neeche se woh paniya chuki thi.

Veer ne mehsoos kiya ki choot par halke halke baal the. Yaha aane se pehle Divya ne shave kiya hoga par waha se nikle aur yaha par rukne ke kaaran itne dino me halke halke baal guptang ke upar aa chuke the. Veer ko iss se koi dikkat nahi thi. Ulta, ye use aur bhi uttejit kar raha tha. Uska haath Divya ki bur ko sehlaane laga. Aur, bechari Divya sisakti hui bistar par machalne lagi.


*Squelch* *Squelch*

"Nnnn~ Ahhhnnn!! V-Veer-! Ruko-! Uuuuhhhhh! N-Nahi- Ahhhhnnnn~"

Veer : You didn't shave? Hmm! Tumhe samay hi nahi mila hoga, right? But you know Divya...! I like the way you are...

Divya (blushes) : S-Stop-!!! I-

Veer : It's okay! Leave it to me!

Divya (blushes) : Wh-What-!? N-No-! Veer-!!!!

"Mmphh-!!!!???"

Par, uske shabdo ko beech me hi ek chumban ke zariye virhaam laga diya gaya.

Divya ke kapde ek ek karke utarte gaye. Woh naam maatra ka virodh karti rahi, par jaise uska badan uski baato ke vipreet jaa raha tha.

Nagn haalat me aate hi usne apne doodh aur choot ko apne haatho se dhak liya. Veer khud bhi sirf underwear me tha. Punah Veer ke jism ko dekh Divya ki saansein tez ho uthi. Ye kis dal-dal me girti jaa rahi thi woh? Par, fir woh iss se nikal kyu nahi paa rahi thi?

Veer ne samay zaaya nahi kiya. Usne Divya ki dono taangein pakad ke use neeche kheencha.

"Aaaaahhh~"

Taango ko felaya aur Divya ke haath ko zabardasti hataaya. Choot theek uske saamne thi. Iss choot ki serr woh pehle bhi kar chuka tha. Divya jaanti thi ki aage Veer uske sath kya karne waala tha. Kintu, fir bhi-

Fir bhi uske andar se virodh kyu nahi aa raha tha? Use toh ab tak Veer ko dhakel ke apne se alag kar dena chahiye tha. Fir bhi yaha uski bur lund lene ke liye paniyaayi hui thi. Iss baat ko woh hazam hi nahi kar paa rahi thi.

Veer ne jaise uske mann ko padh liya. Woh muskuraya aur usne apna haath theek Divya ke faile hue perr ke beech me uski bur par rakha,

Divya (moans) : Ahhhnnn~

Veer : Soch rahi ho ki kyu mujhe apne se alag nahi kar paa rahi. Hai na?

Divya : ....

Veer : Kyuki, tumhara badan mujhe maang raha hai, Divya. Ek asli mard ko. Tumhara jism asli mard ki pehchaan jaanta hai. Kya kabhi Nick ke touch se aisa react karta hai tumhara badan?

Divya ne koi jawab na diya. Uski khamoshi hi uska jawab thi.

Veer (smiles) : Stay quiet! I'm coming...

Woh hairat me Veer ko dekhi. Par, tab tak Veer ne dastak de di thi.

Divya (gasps) : Ahhhnnn-!!!!???

Zyada foreplay ki aaj zaroorat hi nahi thi. Divya itni geeli thi neeche se pehle hi ki Veer ko neeche muh lagaane ki bhi zaroorat nahi padi. Jaise maano Divya kayi saalo se uski raah taaq rahi thi.

Veer ka bada sudol gatheela lund apne andar lete hi Divya ki saansein pal bhar ke liye atak ke reh gayi. Uski kamar ne akadte hue bistar par hi ek arch bana diya. Aur, Veer fir na ruka.

Dhakke pe dhakke aur dana dan chod ke aaj woh Divya ka poora ras pee jaana chahta tha. Aaj woh Divya ko iss qadar nichodne wala tha ki Divya kayi dino tak sex ke baare me soche bhi na.

Pati hone ke bawajood-

"Nnnhghhh~ Ahhhnnnn! Ahh! Ahhhn! Ahhnn! Nnn~ Mmmm-! Aa hnnn!! Veer~ ♡"

Divya apni se chhoti umr ke naujavan ladke se apni bur kamar hila hila ke chudwa rahi thi.

Agar, Veer use aaj garbhvati bhi bana de, toh bhi woh Veer ko kuch nahi kehne wali thi. Woh iss qadar chudayi ke nashe me doobi hui thi ki use iss baat ki khabar bhi nahi thi ki woh yaha FBCC ke mission ke liye aayi thi.

Uski kulbulati bur Veer ka lund dobara lene ke liye na jaane kab se tadap rahi thi. Usne socha tha woh pehli aur akhiri baar tha. Par-

"Ahhhnnn~ Nnnnghh~ O-Ohhhh!!! Aaaaaaa~ Aaaa~ Aaaaahhhhh-!!!"

Uski siskiya batla rahi thi ki yeh khel ab aise hi chalne waala tha.

Kamra thapp thapp ki awaaz se bhar gaya. Divya ki sisikiyaan nirantar uske muh se nikal rahi thi. Paseene se dono ke badan bheeg chuke the aur ek dusre ke badan se ragad kha rahe the. Divya ke doodh, uske khade nipple Veer ki chhaathi se bhid ke ragad rahe the.

"Aahnnm~ Ahhn~ V-Veer-!!!!"

"Mmmmphhhhhh ⁠♡"

Woh Veer ko choomti jaa rahi thi. Bechare Nick ko bhanak tak nahi thi ki uski patni apne poore kapde utaar ke nangi hoke Veer se chud rahi thi. Apne pati ke baare me sochte hi Divya ki choot apne aap hi aur kass gayi. Veer ke lund ko woh aur apne andar dhasvaane lagi.

Kahi na kahi Nick se chhip ke Veer se chudna... Use aur bhi adhik uttejit kar raha tha. Jaise woh poori tarah se Veer ke rang me rang jaana chaahti thi. Apne poore badan par Veer ke paseene ki mehek ko chadha lena chaahti thi. Har ang ko Veer ke haatho se chhiwana chaahti thi. Aur, Veer ke dwara diye gaye nishaan aur chhaap apne jism par utaar ke rakh lena chaahti thi.

"Urgh!!!"

Veer skhalit hone waala tha. Woh nazdeek tha. Sex protection hamesha hi ON rehta tha toh use pata tha ki veerya kaha giraana hai.

Divya (gasps) : A-Andar nahi Veer-!!! Ahnnn~ Andar n-nahi-!!! Nnnnnnnn~ iiiyyaaaaa~


*Splurt*

Par, Veer ka veerya Divya ki bur ki andhruni deewaro ko rangta hua andar apna raasta tay kar bharta chala gaya.

Divya ki kamar akad ke reh gayi. Uski pakad Veer ki baah par itni mazboot thi ki lag raha tha maans ka tukda hi noch legi woh. Uska badan thiturta raha. Ek ek boond use apne andar fisalti hui mehsoos ho rahi thi.

Aur, fir Veer ke bol use apne kaan ke paas sunayi diye.

Veer : Now, please~ Let me do this my way Divya. Aur, tum kuch nahi kahogi. Kisi ko bhi nahi. Suhana ko bhi nahi.

Divya kuch kehne ki haalat me nahi thi. Woh pehle hi do baar itni buri tarah jhar chuki thi ki woh muh dikhane laayak bhi nahi thi. Poori bedsheet uske orgasm ke kaaran neeche se geeli ho chuki thi. Aur, ab use sab samajh me aa chuka tha.

Woh khud par gussa bhi thi aur nahi bhi. Veer ne uske saath ye sab use chup karaane ke liye kiya tha. Jab ye baat use samajh aayi toh uski palke neeche ko jhuk gayi.

Divya : Toh tumne mujhe chup rakhne ke liye ye sab-!?

Dil par ek adrishya bhaar achanak se aake baith gaya. Lag raha tha jaise kisi ne uske kaleje ko jakad liya tha. Na kuch bola jaa raha tha aur na hi kuch sunane ki himmat ho rahi thi.

Par, Veer ke agle shabdo ne use nigaahein upar karne par majboor kar diya.

Veer : Bilkul nahi! Tumhe kya lagta hai? Kya maine tumhare saath ye sab tumhare chup rehne ke liye kiya? Kya tum mujhe aisa samajhti ho? Maine tumhare saath ye sab kiya kyuki mein tumhare saath ye sab karna chahta tha. Mujhe tumhari zaroorat thi. Aur, mein tumhe iss waqt paana chaahta tha. Maine ye sab kiya kyuki mein uss subah ko firse jeena chaahta tha. Mein tumhe firse mehsoos karna chaahta tha.

Divya ki saansein punah tez hui. Woh Veer se nazre nahi mila rahi thi. Kya waqai Veer use mehsoos karna chahta tha? K-Kya waqai-!? Woh uske badan ko paana chahta tha? Apni se kayi saal umr me badi mahila ke prati kya waqai woh aakarshit tha?

Veer agar use sirf bhogna bhi chaahta tha toh bhi Divya ke liye ye ek sukhad baat hi thi. Iska matlab tha ki woh Veer jaise naujavan ko bhi apni orr mohit kar sakti thi.


*Kuch derr baad*

Raat lag chuki thi. Veer, Divya, Renshu aur Erica sab ke sab baahar ke aangan me khade hue the. Aur, sarkar ke dwara bheje gaye 6 jawaan bhi aa chuke the. Har ek ke haath me modern gun thi aur aadhunik equipment se woh lade hue the.

Renshu : Miss Divya. You are from FBCC. There's no need to go further into this matter. There's only one thing which awaits us now. It's war.

Divya : I-I know-!

Renshu : If you want information I can give you that. But there's no need to risk your life.

Divya : Yes! I know! Don't worry! I won't go too deep.

Renshu (nods) : Hmm!

Veer ne dekha ki Erica ke gaal laal the. Aur, woh gusse me uski orr dekh rahi thi. Fir kabhi woh Divya ko dekhti aur wapas use ghoorne lagti.

'Huh?'

[Fufufu~]

'Kya hua?'

[It's nothing. Nothing!]

'Urgh!'

Renshu (glances) : Veer?

Veer : Hmm?

Renshu : Zara mere saath andar aao.

Veer (nods) : Hmm!

Veer jab Renshu ke sang andar aaya toh Renshu ne mudte hue seedhe uss se sawaal kiya,

Renshu : Tum hathiyaar istemal kyu nahi karte?

Veer : Huh?

Renshu : Apne upar jitni layers chadhaoge utna behtar hoga. Kehne ka matlab ye hai ki tumhe jitni zyada cheezein aayengi dushman ko tumhe haraane me utni hi mushqil jayegi. Agar haath me hathiyar hoga toh pehle dushman tumhare hathiyar ko tumse dur karne me aadhi taaqat laga dega. Aur, uske baad tum close combat me expert toh ho hi... Tum samajh rahe ho na mein kya kehna chaah raha hu?

Veer (nods) : I know! Tumhari baat sahi hai. Actually, maine pehle kabhi koi hathiyaar istemal nahi kiya. Lekin, karna zaroor chahunga. Par, abhi iska waqt nahi hai. Filhal, mein jin cheezon se familiar hu mujhe unse hi kaam chalana padega.

Renshu : Hmm! Battle ke baad...! Mein tumhe ek cheez dunga. Hope, tum tab tak date rahoge.

Veer : Sure!

Renshu (frowns) : Ab mudde ki baat...!

Achanak hi uski awaaz bhaari ho gayi aur nigaahein gambheer hote hue Veer par tann gayi.

Renshu : Xishuangbanna ke jangal me ghusne ke do mukhya raaste hai. Ek seedha seedha hai jaha se tourists ko le jaaya jaata hai. Magar, baahar se hi unhe sab kuch dikha ke wapas le aate hai. Kyuki, uske aur andar jaate hi Legion ki territory lag jaati hai, jaha bina unki anumati ke ghusna matlab khud ki jaan gawa dena jaisa hai.

Veer : Aur dusra-!?

Renshu : Dusra raasta hai East side se. Jab hum sab seedhe ghus rahe honge, tumhe east side jaana padega. Uske baad waha se ghusna hoga.

Veer : I see!

Renshu : Seedhe seedhe ghusoge toh Legion ke poore logo ka saamna karna padega. Ye aam log nahi honge. Ye tribal log hai. Inhe hathiyaar chalaana bhi aata hai, ye janglee janvar ka istemal bhi kar sakte hai aur andhere ka fayda utha ke traps me fasa bhi sakte hai.

Veer : Aur agar East side se jaaya jaaye toh?

Renshu (frowns) : Jaw Long!!!

Veer : ...

Renshu : East side par tumhe Jaw Long milega. Woh akela hoga. Lekin, ye baat tum aur mein acche se jaante hai ki woh akela kya kar sakta hai.

Veer : Mujhe uske baare me jankari do kuch.

Renshu : Koi jankari nahi hai.

Veer : What-!????

Renshu : Na hi mein uss se kabhi bhida hu aur na hi kabhi mila hu.

Veer : Wh-What!? What do you mean?

Renshu : Tumne sahi suna. Maine use bas ek baar dekha hai, aur wo bhi andhere me dekha tha maine use. Dur se hi maine use check kiya tha aur mujhe pata lag gaya tha ki woh ek system holder hai.

Veer : P-Par ye kaise ho sakta hai? Tumne ek baar bhi-

Renshu : Jaw Long leader zaroor hai Legion ka magar woh baahar nahi aata hai. Sarkaar ki taraf se jo bhi baat karne andar unke ilaaqe me aaj tak gaya hai, toh hamesha unki baat 'Ken' se hi hui hai.

Veer : Ken?

Renshu : Long Tribe me hi ek aadmi hai jo sabhi tribe ke logo ko apne niyantran me rakhta hai. Tum use vice captain ke roop me samjho. Aur, asli captain Jaw Long ko.

Veer : Samjha!!!

Renshu : Jo bhi baatein hoti hai, sab Ken hi karta hai. Jaw Long unki hifazat karne ke liye zimmedar hai. Wahi sabse bada kaaran hai jo Long Tribe waale itna uchhalne lage hai.

Veer : Toh tumne kab Jaw Long ko dekh liya?

Renshu : Sarkaar ke jab kuch officials ko Long Tribe ne maar peet ke agwa kar liya tha toh samjhaute ke roop me mein unse baat karne gaya tha. Tab Ken se hi meri baat hui thi. Lautate waqt mujhe Jaw Long ki chhavi nazar aayi thi. Woh dur khada hua tha. Theek se mujhe dikhaayi nahi diya, par mein daave ke saath keh sakta hu ki woh Jaw Long hi tha.

Veer : Damn it!!! This is getting more and more complicated. Agar hamare haath me uske baare me kuch nahi hoga toh hum ladenge kaise?

Renshu : Aur, isliye ab sabse zaroori sawaal puchta hu.

Veer : Huh?

Renshu : Which path do you want to take? East side? Ya fir straight way?

Veer : That's-

Renshu (frowns) : Agar tum straight way chunte ho toh tumhare saath Erica rahegi. Aur, saath hi saath mere sabhi aadmi tum dono ke support ke liye rahenge.

Veer : ...

Renshu : Par, agar tum East side chunte ho. Toh, tumhe akele jaana hoga.

Veer : ???

Renshu : Apne saath waha kisi aur ko le jaana matlab use maut ke ghaat utaarna. Erica Jaw Long se bhidne ke liye taiyaar nahi hai. East side path se jo bhi jayega wo akela hi jayega. Ab ya toh tum jao, ya fir mein. Hum dono ke alawa ye kaam aur koi yaha nahi kar sakta. Maine tumhe apna nirnay lene ki chooth di hai, Veer. Mein apne faisle tum par thopna nahi chaahta.

Veer : ...

Renshu : Meri maano toh tumhe straight way hi chunana chahiye. Erica tumhare saath rahegi aur tum acche se unke camps me infiltrate kar unhe hara sakte ho. Koshish karna ki khoon kam se kam bahe. Maarne ki bajaye agar unhe neutralize kar sako toh behtar hoga. Akhir, woh bhi hamare desh ka hi hissa hai. Sarkaar ko toh bas mine se matlab hai. Isliye, ise mein apne dhang se karunga. Na ki unke dhang se.

Veer kuch kehta ki tabhi uske mann me ek ghanti baji,


*Ding*

[Mission : Be the saviour.
Description : Infiltrate into the Jaw Long's territory from the East side and decimate him.]

Mission toh Veer ne padh liya tha. Kintu, jaise hi uski nazar neeche Mission ke rewards par gayi uske badan ke poore ruye khade ho gaye. Uski nazar reward par se hatt hi nahi rahi thi.

Ye lakho points se bhi kayi guna keemti tha. Veer chaah ke bhi ise kabhi haath se jaane nahi de sakta tha. Ye reward toh uska hi tha.

Renshu ne jab Veer ko dekha toh wo bhi utna hi stabdh tha. Kyuki, Veer akela nahi tha.

Renshu : T-Tumhe mission mila?

Veer : H-Huh? *nods* Haan!

Renshu : Kya mila?

Veer (smiles) : Sorry! Renshu! But I'm going to the East side.

Renshu (sighs) : Pata tha mujhe...!

Veer : Tumhe bhi mila hai?

Renshu (nods) : Mission ye hai ki mujhe unke camps me infiltrate kar mine tak ka raasta clear karna hai aur mine hathiyana hai.

Veer : Ohh!

Renshu : M-Mujhe laga tha ki- ki Jaw Long se bhidne ka mission mujhe milega. Par-

Veer : Well-!? I can't do anything about it.

Renshu : Nahi! Wo baat nahi hai. Mein nahi chahta ki sirf mission ke liye tum apni jaan jokhim me daalo. Veer, mein apna mission fail kar sakta hu. Tumhe agar East side nahi jaana hai toh tum rehne do. Straight way jao. Zyada se zyada hum dono ko penalty lagegi aur kya-!? Aur, wese bhi-

Veer (smiles) : Renshu!

Renshu : ???

Veer : Jab mein apni aakhiri saansein gin raha tha tab tumne hi meri jaan bachayi thi. It's time to pay back that debt now.

Veer apne haatho ko strech kar khada hua.

Renshu : P-Par-

Veer : Leave that Jaw Long to me. Don't worry! I'll make it out alive.

Renshu samajh chuka tha ki ab Veer ko manaana mushqil hi nahi namumkin tha. Isliye, usne iss par behas nahi kari.

Renshu : Booby traps ka dhyaan rakhna Veer. Also, andar jaate hi tumhe Lancang Mekong ki nadi bhi milegi. Woh nadi kayi jagah alag alag nehro me batati hai. Toh tumhe andar jangal me kayi saare pul dekhne ko mil jayenge. Ghabrane ki zaroorat nahi hai, bas traps ka dhyaan rakhna.

Veer : Okay!

Renshu : Aur, sabse pehla pul jo padega, woh sabse bada pul hoga. Wahi hai main entrance. Use cross karte hi tum Jaw Long ki territory me ghus chuke hoge. Waha se satark ho jaana. Iske alawa mere paas aur kuch dene ke liye nahi hai. Ye ek map hai unki Territory ka. Ise rakh lo. Kaam aayega.

Veer ne haami bharte hue uss map ko fold kar apne jeb me rakh liya. Usne Garofano dwara di gayi uski wahi kaali shirt pehni hui thi. Saath hi uske upar ek kaali jacket. Woh all black outfit me tha. Jaan boojh ke kyuki, andhere me ye uske liye behtar tha.

Jacket ki andhruni pockets me Garofano ki kuch needles bhi khusi hui thi, saath hi uska woh zeher bhi ek sheeshi me rakha hua tha. Usne Veer ko ye sab pehle hi de diya tha. Magar, woh ye nahi jaanti thi ki Veer ant me Jaw Long se bhidne hi jayega.

Agar, abhi woh yaha hoti toh use Jaw Long ke paas jaane tak nahi deti. Kintu, uski anupasthiti Veer ke liye zaroori thi.

Renshu aur Veer baahar wapas aaye. Renshu ke aadmi poore josh me jangal me ghusne ke liye taiyaar the. Abhi raat ke 9 baj rahe the par sabhi ki aankhon se neend gaayab thi. Unme tha toh bas josh, junoon aur ladne ka jazba.

Erica ne jab apne Dad ko baahar aate dekha toh woh unke qareeb jaate hue puchi,

Erica : Dad?

Renshu : Hmm?

Erica : K-Kya baat kar rahe the aap?

Renshu : Veer-!!!

Erica : Hmm?

Renshu : Veer East side jayega.

Uska bas itna kehna tha ki Erica ki aankhein hairat me fel gayi aur uska muh khula ka khula reh gaya. Inn chand shabdo ka matlab aur bhaar dono bhali bhaanti jaanti thi woh.

East side jaane ka matlab tha akele jaana aur Jaw Long se bhidna. Agle hi shan, usne Veer ko dekha. Parantu, iss baar uski aankhon me kuch aur tha.

Woh kuch sochti hui Veer ke nazdeek gayi. Usne ek jhatke me Veer ki collor pakdi...

Veer : Huh?

Veer ki shirt ki fir ek button kholi. Neeche khade jitne bhi Renshu ke aadmi the woh ye nazara dekh ke baukhla chuke the.

"N-Nahi! Ye mein kya dekh raha hu?"

"Y-Ye kaise ho sakta hai? Keh do ki ye jhooth hai. *sob* Miss Ericaaaa~"

"Subah isi ladke ne aapki be-izzati kari thi Miss Erica. Aap aisa kaise kar sakti ho?"

"Miss Erica ko kahi-!? Kahi unhe pyaar toh nahi ho gaya?"

"Madarchod-!!! Chup!! Hamari Miss Erica kisi aere gaire ke pyaar me nahi pad sakti. Y-Ye sab zaroor unki chaal hogi. Woh pyaar se uss ladke ko behlana chahti hai. Taaki, agli baar sparring me ye ladka unka deewana hone ke kaaran haar jaaye."

"S-Sahi kaha. Ye tactic hai. Akhir- Miss Erica hume kaise chorr sakti hai? Hum unke number one fan hai. Hahaha! Kya dimag lagaya hai Miss Erica ne. Hum unki tactic ko pehchanane me itni der laga diye. Tch! Hume aur practice ki zaroorat hai."

Erica ko ek ek baat sunayi de rahi thi. Uske maathe ki nass phatne ko aa rahi thi. Agar, yaha par Veer, Divya aur uske Dad na hote toh iss waqt usne unn aadmiyon ko dho dho ke unka bhurta bana diya hota. Fir bhi ek gehri saans lete hue usne khud ko shaant kiya.

Veer ki kholi gayi shirt ki button ke baad usne shirt ko felaya, andar ki vest ko dekha aur wapas se shirt ki button laga ke woh mud ke jaane lagi.

"Huh???"

Veer poori tarah se confused tha ki itne me Erica dobara mudi aur haule se bas yahi boli,

"G-Good luck. I hope you'll come back."

Aur, woh aage badh gayi. Erica ne darasal Veer ki shirt aur uski vest ko Blemish se mark kiya tha. Pyaar ke maamle me Veer kaccha toh tha hi. Uski samajh me hi nahi aaya ki achanak se ye Erica ke ravaiyye ko kya ho gaya tha bhala. Uss par zyada dhyaan na dete hue woh East side jaane ke liye taiyaar tha.

Divya Veer ke liye pareshan thi, magar Renshu ne use ye keh ke shaant karwa diya ki Veer bas dusri side se aa raha hai jaha khatra kam hai. Saath hi uske saath uske aadmi bhi rahenge.

Jab Divya ne ye suna toh use thodi raahat mehsoos hui. Woh iss ladayi me hissa nahi le sakti thi lekin sabse peeche chalte hue sab kuch dekh sunn toh sakti hi thi. Aur, yahi uske liye sabse badi investigation hone waali thi.

Aur, Renshu ke agle hi ishaare par sab ke sab jangal me pravesh kar diye. Woh sabhi straight way me ghus chuke the. Toh wahi Veer East side ke liye ravana ho chuka tha.

Aage jo kuch bhi hone wala tha woh bhayanak hi hone waala tha.

'Let's do this, Pari!'

[Fufu~ I was waiting to see you in action.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 9k words. Divya aur Veer ke scene ki maang sabhi kar rahe the toh ye raha unke beech ka ek hot scene. Umeed hai pasand aaya hoga. Iske baad ye scene iss arc me ghatit nahi ho sakta tha isliye ise abhi dikhaya gaya hai. Kyuki, iske baad action hi action hai. 6 se 7 updates honge jinme poora arc hai. Uske baad seedhe Disembowler lag jayega. Toh likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target apna 170 hi hai. Next update se pure action hai, so saath bane rehne ka.

Dhanyavad.
BAHUT HI SHAANDAAR LAJAWAAB JABARDUST FANTASTIC LOVELY HOT AND INTERESTING UPDATE BHAI
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Premkumar65

Don't Miss the Opportunity
6,961
7,312
173
Update - 25 ~ Misfortune on its way.
[Master...]

'Hmm!'

[Kya wo sahi tha!?]

'Kya!?'

[Aapka Nidhi ke ghar se nikal aana!? I mean... Aap bhule toh nahi ho na? You have a mission. Solve Nidhi's problem.]

'I know! But mein aise unke saath nahi reh sakta. Unhone boht kar diya hai mere liye. Ab meri baari hai.'

[But aise me yadi uspe koi musibat aati hai ya wo kisi pareshani me padti hai then...!?]

'I'll protect her from the shadows.'

[Oh!]

'Hmm! Unka saaya banke rahunga mein. Koi pareshani nahi aane dunga unpe.'

[That's... That's such a romantic way to express your love, master.]

'Huh? Well! She means a lot to me, Pari! She's not just my teacher.'

[I can see that. Toh aapne isliye Shreya ke phone me wo message bheja? Ki jab bhi koi pareshani hoye wo aapko call kar de?]

'Hmm!'

Veer Nidhi ke ghar se nikle abhi raaste me hi Pari se baatein karte hue chala jaa raha tha. Subah hi wo 8 baje kareeb nikal gaya tha ghar se aur Nidhi kyuki aaj late uthi thi usse keval ek kaagaz me likha patr hi mila tha Veer ka...

Veer nahi...

Abhi Veer chal hi raha tha ki uska pait achanak hi gudgud kiya aur uske kadam wahi rukk gaye.

[You are hungry.]

'Yeah!'

[Kal raat me bhi aapne bhar pait khaana nahi khaaya tha. I can feel it. You are really hungry. Tension me bhi ho aap kaafi. Dherr saari cheeze chal rahi hai aapke mann me.]

'Haha~ Tum toh meri personal doctor hi bann gayi.'

[That I am.]

'Hmm!'

[Fir!? Kya plan hai master!? You don't have money. No home. No place to stay. What now!?]

'I don't know. Khaane ke liye paise chaahiye. And paise ke liye kuch kaam karna padega. Aise free me toh koi dega nahi khaana.'

Wo sochte sochte ek jagah baith gaya jaha bagal se lage thelo aur dukaano me subah naashta bik raha tha aur kaafi bheed jama ho gayi thi logo ki.

'Pari!'

[Hmm?]

'Pata bachpan me mere paas paisa nahi tha, par sukoon kaafi tha zindagi me.'

[....]

'Paisa toh aaj bhi nahi hai, Par wo sukoon bhi jese chhin gaya hai.'

Veer ki baat sunn Pari thodi derr maun reh gayi. Wo uske andar chal rahi tension ko feel kar paa rahi thi. Thodi derr baad usne apni chuppi todi,

[Sometimes life can be hard master.]

'Life is always hard Pari.'

[Don't worry master! I'll support you! I'm here for you!]

Pari ki baat sunn Veer muskura utha.
Abhi wo baitha hi hua tha ki tabhi uska phone baj utha.

Screen pe dekha toh kisi unknown number se call aa raha tha. Usne call utha ke apne kaano me lagaaya toh ek jaani pehchaani sii awaaz uske kaano me padi,

"Veer!? Mein bol rahi hu. Ragini! Tumhari... Tumhari Bhabhi!"

Ragini ki awaaz sunte hi Veer kuch derr tak shaant reh gaya.

'Why is she calling me now!? Kavya bataayi thi ki Bhabhi ne uss se mera number liya hai. Mein hi direct puch leta hu.'

Veer : Jii!? Kahiye!

Ragini : Veer! Kya... Kya tum mujhse mil sakte ho?

Veer : Kya isliye aapne mujhe call kiya hai?

Ragini : H... Haa!

Veer (sighs) : Mujhe kuch nahi sunn na hai Bhabhi! Uss din jo bhi hua, uss sthiti se mene aapko nikaala, baat wahi khatam ho gayi. Ab uss baare me mujhe koi bhi baat nahi karni hai.

Ragini : Veer... Nahi! Suno! Please! Baat uss baare me nahi hai. In fact, Thank you so much Veer. Yadi... Yadi tum nahi hote toh pata nahi kya hota uss din. Mene tumse maafi maangne ya apne aap ko dudh ka dhula bataane ke liye nahi kiya hai call Veer. It's really urgent. Tumse kuch baatein karni hai. Waqai! Wo boht zaroori baatein hai Veer. Isliye, Kya... Kya tum aa sakte ho?

Veer (frowns) : Kesi baatein?

Ragini : Wo baatein phone pe nahi ho sakti Veer. Aamne saamne baith kar hi ho sakti hai.

Veer : I don't think ki mein waapas se uss ghar me kadam rakhun...

Ragini : Nahi! Tumhe uss ghar me jaane ki koi zaroorat nahi hai Veer. I'm... I'm somewhere else.

Veer : Hmm? Aap kaha ho!?

Ragini : Mein... Mein apne Personal home me hu Veer iss waqt.

Veer : Personal home?

Ragini : Hmm! Mein tumhe tumhare phone par message kar ke address bhej rahi hu. Please, aa jaana Veer. I'm waiting... It's really urgent. Tumhare liye hi hai wo sab.

Veer (sighs) : Fine!

Na chaahte hue bhi Veer ne haami bhar hi dii. Kaaran tha ki Ragini ne kaha tha baat urgent hai. Aur uss se related hai.

[So? Aapne apni Bhabhi ko maaf kar diya!?]

'Hmm!? Maaf kar diya? Kisliye!?'

[I mean jesa unhone ab tak aapke saath behave kiya hai uske liye?]

'No! I don't like her... But... I don't hate her either. Unhone wesa kuch bhi nahi kiya jiske chalte mein unse ekdum nafrat karne lagu. Haa behsaq wo mujhse baat nahi karti thi, aur koi madad nahi karti thi na hi kabhi mere liye kuch kiya unhone. Toh uske liye, I don't like her. Lekin ye kehna ki mein ekdum unse nafrat karta hu, unhe dekhte hi mera khoon khaul uthata hai, ye thoda zyaada hoga.'

[I see!]

'Yeah... Let's go!'

***

Kuch derr ka safar tay karne ke baad hi Veer Ragini ke bheje gaye address par pohuch chuka tha. Aur wo ghar dekh ke hairaan tha. Ghar bunglow toh nahi tha par kaafi hadd tak bada tha.

'Bhabhi ka apna personal ghar bhi hai? When did she...!?'

Abhi wo soch hi raha tha ki tabhi upar ghar ki balcony me Ragini aayi aur usse neeche khade dekhte hi uske chehre par muskaan aa gayi.

Ragini : Veeeer!! Tum aa gaye... Ruko! Mein aati hu neeche.

Wo forun tezz kadmo ke saath bhaagte hue neeche aayi aur kuch hi palo me wo Veer ke saamne thi.

Usne darwaaza khola toh Veer ka chehra paas se uski nazro ke saamne aaya. Uss din usne raat ke andhere me dekha tha Veer ko. Aur wo bhi jab wo chotil tha.

Aaj usse firse ekdum fresh haalat me dekh, Ragini ashcharyachakit thi. Kya ye wahi Veer hai?? Uske mann me ye sawaal mandra raha tha. Par wo ekdum chuppi baandhe bas aise hi usse tak-taki lagaaye dekhe jaa rahi thi.

Veer : Ahem...

Ragini (hosh me aate hue) : Huh? Ohh! Haan! Veer... Mujhe... Mujhe nahi laga tha tum itni jaldi aa jaoge.

Veer : Hmm? Then!? Should I...!?

Uska ishaara samajhte hue Ragini ne forun hi apna haath aage badha ke uske haath ko pakad liya aur usse andar kheechte hue laane lagi. Veer ki nazar ek baar uske apne haath par gayi jo ki Ragini ki giraft me tha par wo bola kuch nahi.

Ragini : Ohh No No... Mein toh khush hu ki tum jaldi aa gaye. Aao na Veer...

'She seems happy about it...'

[Hmm! Master! Do you think ki ye ab waqai badal gayi hai!?]

'I cannot tell Pari.'

[Even I can't tell.]

'Check!'

[Name - Ragini.
Age - 27
Bio - Ragini ek boht hi passionate

young lady hai. Apne Mata pita se behad prem karti hai. Filhaal abhi emotional trauma aur guilt se guzar rahi hai aur iss waqt usse apne jeevan ka koi bhi lakshya dikhaayi nahi de raha hai. Usse ab kya karna hai, kya nahi kuch nahi pata.

Favourability : 47
Relationship : Sister-in-law.]

Veer ne jese hi Ragini ka status dekha sabse pehle wo favourability dekh ke chaunka. 47 ki favourability. Veer jaanta tha ki 47 ank ka matlab kya hota hai. Nidhi ki favourability uske prati 45 ke aas paas thi aaj ki tareekh me. Aur yaha Ragini ki already 47 pohuch chuki thi.

Hairaani toh usse boht ho rahi thi iss waqt. Bhala uski bhabhi jisne aaj tak uss se baat karne ka prayaas tak nahi kiya uske andar bhala uske prati itni feelings kese jaag gayi!?

Veer ko fatafat andar laate hue Ragini ne usse sofe par hi baitha diya. Ghar kaafi bada tha. Keval neeche hi nahi balki upar bhi ek floor tha aur sab kuch furnished tha. 6 toh beds hi the. Neeche teen aur upar teen. 4 bathrooms aur na jaane kya kya.

Apni nazro ko idhar udhar ghumaate hue Veer andar se hi ghar ki khubsoorati ko nihaar raha tha.

Usse aise dekh Ragini ek baar fir muskuraayi aur kitchen se ek tray me wo kaach ke glass me uske liye paani laayi.

Usne kal raat ki hi iss waqt lavender colour ki nighty pehni hui thi. Sundar toh wo thi hi shuru se. Uski sundarta pe aakhir kese koi madhosh hone se khud ko rok sakta tha!?

Jhukte hue jaise hi usne tray me paani serve kiya, Veer ko jo nahi dekhna chahiye tha wo dikh hi gaya aakhir. Uss lavendar nighty ke peeche chhipe ekdum makhmali gori twacha ke wo do raseele aam jo jhukne ke kaaran apna aadha darshan de rahe the. Uss drishya ki jhalak Veer ki nazro ne pal bhar ke liye apne zehan me qaid kar lii.

Ragini ek aurat hone ke naate, turant hi Veer ki nazro ko pakad lii. Par iske pehle ki wo Veer ki aankho me dekh usse pakad paati, Veer ne apni nazre forun hi hata lii.

Paani lete hue usne do sip piya aur side rakh wo chup chaap baitha raha.

Ragini bhi uske bagal se baith gayi aur fir usne khaamoshi todi.

Ragini : Tum... Tumne naashta kiya Veer!?

Veer : Jii nahi!

Ragini : Toh... Toh kyu na hum pehle naashta kar le? Baatein lambi hone waali hai...!?

Usne apni aashabhari nazro se dekhte hue Veer se kaha.

Veer : Jii nahi! Iski koi zaroora...

Par iske pehle ki wo apni baat rakh paata,

*Gudgud*

Uske pait ne apni baat rakh dii.

'Fucccckkkk!!'

[:laughing: I told you ki aap ko bhookh lagi hai.]

Ek ajeeb sii shaanti fel gayi kamre me.

Par Agle pal hi Ragini kilkaari lete hue hassi. Wo apne haath ke pichle hisse se apna muh dhaake Veer ko dekh khilkhila ke hass rahi thi.

Aur na chaahte hue bhi Veer usse keval dekhta raha, thoda sharminda bhi ho gaya.

Uthate hue Ragini ne uske kandhe par haath rakh thoda dabaav diya aur boli,
"Toh tay raha. Pehle pait pooja, fir baatein. Mein abhi garma garam poha bana ke laati hu Veer. Okay!?"

Veer (frowns) : Aapne toh kaha tha ki baat urgent hai!? Yadi baatein zaroori hai toh fir ye...!?

Ragini : Baat urgent hi hai Veer. Par, naashta toh kar hi sakte hai na hum? Yadi tumhe abhi koi kaam nahi hai toh...!?

Veer (sighs) : Fine!

Ragini (smiles) : Bas abhi laati hu... Okay!?

Wo kehte hue andar kitchen me chali gayi aur kuch derr me hi bartano ki khat pat awaazein aana shuru ho gayi Veer ko.

Kitchen bagal se hi tha, toh Ragini andar se Veer ko dekh paa rahi thi. Wo beech beech me usse dekhti aur apni soch me pad jaati. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

Thode samay me hi wo garma garam apne haatho se poha bana ke laayi aur Veer ko serve karte hue wo bhi uske bagal se ek plate leke baith gayi.

Poha dekhte hi Veer ke muh me paani aa gaya. Usne spoon utha ke jese hi poha taste kiya toh uski aankhein band ho gayi aur wo uss swaad me doob sa gaya.

Ragini : Kesa hai Veer!? Kuch gadbad toh nahi hui na mujhse banaane me...

Veer : It's... It's perfect.

Bina Ragini ki taraf dekhe wo khaane me magn ho gaya. Ye swaad wahi tha. Jab se Ragini unke ghar me aayi thi. Subah naashta wo hi banaati thi. Aur Veer bhali bhaati iss swaad se parichit tha. Wo kayi baar tareef bhi karta tha par tab Ragini uski baat sunn usse ignore kar diya karti thi.

Par aaj scene kuch aisa tha ki Ragini khud uske liye poha bana ke uss se khud puch rahi thi ki uske haatho ka bana khaana kesa hai. Samay badalte derr nahi lagti.

Veer sabhi baato se anjaan bas khaane me laga hua tha. Usse nahi pata tha ki Ragini iss waqt usse bade hi pyaar se muskuraate hue dekh rahi thi.

Kherr! Inki pait pooja jese hi samaapt hui, Veer waapas se apne wahi ravaiyye me aa gaya.

Veer : Ab bataaiye!

Ragini (shifts closer) : Veer! Jo mein bataane jaa rahi hu, wo ekdum sach baatein hai. Toh dhyaan se sunn'na aur fir act karna. Okay!?

Veer : Hmm!

Ragini : Sabse pehli baat. Tumne jab uss din mujhe aur baaki sabhi ko bachaaya tha. Uss din ke baad se hi mein ghar nahi gayi hu. Apne waale ghar!?

Veer (surprised) : Huh!?

Ragini : Hmm! Uss din ke baad se hi mere aur tumhare bade bhai Vivek ki beech ann bann hone lagi hai. Mujhe bhi kuch samay akele bitaana tha, isliye mene Dad se kehke iss ghar ki key leli. Ye mera hi ghar hai Veer.

Veer : Par...!?

Ragini : Bataati hu. Tumhe nahi pata shayad Veer. Par uss din... Uss din wo jo gang ka boss tha. Usne Vivek ke sarr par gun taante hue ek sawaal pucha tha. Ki batao... Kise bachau!? Tumhe ya tumhari biwi ko!? Aur tum jaante ho usne kya jawaab diya tha?

Veer : ??

Ragini : Usne... Usne apni jaan bachaane ki bheekh maangi thi. Yadi wahi sawaal uss aadmi ne uss waqt mujhse pucha hota toh mera jawaab yahi rehta ki mere pati ko kuch mat karna chaahe meri jaan lelo. Par... Par Vivek ne...

Bolte bolte Ragini ki awaaz thar-tharaane lagi aur uski aankho se aasu behne lage. Wo aage badhi aur Veer ke haath ke upar apna haath rakh uski hatheli ko zorr se bheench lii. Veer, uncomfortable zaroor feel kar raha tha Ragini ke itne close hone ke kaaran par wo chup baitha raha.

Ragini : Uss din mujhe pata chala tha Veer... Ki... Mein kitne bade andhkaar me jee rahi thi. Mein jis aadmi ko pyaar karti aayi wo toh mujhe uss hadd tak bhi pyaar nahi karta. Tab mujhe samajh aaya Veer... Mene kitna galat kiya tha tumhaare saath.

Veer : .....

Ragini : Mein tumhe ignore kar diya karti thi. Kitni badi bewakoof thi na mein!? Tabse hi... Tab se hi mein ghar nahi gayi hu. Ghar ka mahaul bhi boht bigda hua hai. Sabhi ko baat pata chal chuki hai. Aur wo sabhi Vivek ko ab kos rahe hai, jiske chalte Vivek apna gussa mere sarr nikaal raha hai. Ek aur naya rang dekhne ko mila mujhe uska. Shuru me toh wo maafi maang maang ke mujhe behlaata raha, par jab mein na maani toh ab gusse me mujhe ghar lautne ko keh raha hai. Kese...!? Aise vyakti se mein pyaar kar baithi bhala!? Haan? Veer??

[She's telling the truth master.]

'It seems so.'

Ragini : Ab tumhe bataati hu dusra sach. Tumhe ghar se baahar nikaalne ke peeche uss Pranjal aur mere pati yaani ki tumhaare apne bade bhai Vivek ka haath hai.

Ragini ke ye bol muh se nikalte hi maano ek bomb sa gira Veer ke sarr pe. Pranjal ke baare me toh wo jaanta hi tha ki wo kis kism ka vyakti tha. Par Veer ko iss baat se jhatka laga tha ki uska bada bhai Vivek bhi iss hadd tak mila hua tha.

Ragini : Haa Veer! Ye sach hai. Uss din... Jab tum floor par gire the. Wo saara kiya dhara Pranjal ka tha. Oil ki madad se usne floor ko slippery bana diya tha jis kaaran tum gire aur wo vase toota...

Veer : Huh...!?

Ragini : Haa! Sach sach kahungi Veer! Mein bhi iss me baad me shaamil hui thi... Par jab tumhari wo haalat dekhi thi toh andar se mujhe wo sahi nahi laga tha. Par haa... Mein bhi doshi hu Veer. Isliye tum mujhse naraaz reh sakte ho. Mein jaanti hu mein galat hu. Isliye mein apni mistakes ko sudhaarne ki poori koshish kar rahi hu. Aur mein koshish karti rahungi... Ki ek din tum mujhe maaf kar doge...

Veer : Kya yahi hai saari sacchaayi!?

Ragini : Hmm!

Aur agle hi pal Veer apna bag utha ke uthne lagta hai. Iss bag me Kavya dwaara diye gaye uske kapde the jisse wo le aaya tha. Baaki sab kuch wo Nidhi ke ghar hi chorr aaya tha.

Usse yu uthata dekh Ragini khud bhi forun uth jaati hai.

Ragini : Kaha!? Kaha jaa rahe ho!?

Veer : Hmm? Aapne baat bata dii. Baat khatam ho gayi. Uske liye thanks. Ab mera kaam yaha khatam hai so, I'm going now.

Ragini : Wahi puch rahi hu... Kaha jaa rahe ho? Tum aaye kese the? Paidal? Aur ye bag!?

Veer : I don't have any vehicle. Paidal aaya tha toh paidal hi jaunga na!? Aur rahi baat kaha jaa raha hu!? Toh wo toh mujhe khud nahi pata.

Bolte hue wo baahar nikalna lagta hai toh Ragini ek baar fir uska haath thaam usse rok leti hai.

Ragini : Kya matlab? Paidal aaye the!? You don't have money!? Aur kya matlab ki nahi pata kaha jaa raha hu...

Veer : I don't think ki... mujhe ye sab baatein aapko bataane ki zaroorat hai!?

Ragini (leans forward) : Veer! Past me jo kuch bhi hua wo hua. But... Abhi iss waqt... There's no way ki mein tumhara kabhi bhi bura chaahungi... Isliye... Please! Mujhe batao.

Wo ek aas liye usse dekhte hue boli. Uski pakad Veer ke biceps ko zorr se jakde hue thi. Iss baar Veer dekh sakta tha, unn aankho me ek chinta tha, darr bhi aur bechaini bhi. Wo aise usse dekh rahi thi jese maano abhi ro degi.

Veer (sighs) : I don't have a place to stay. Isliye wahi dekh raha hu... So...

Par iske pehle ki wo aage baat rakh paata, Ragini uske hontho pe apna haath rakh usse chup karwa deti hai,

Ragini : Then you are staying with me. No questions. Tumhe meri kasam Veer. Please! Mein nahi puchungi ki tum kaha the, kese reh rahe the abhi tum iss haal me kyu ho. But... Please! Ab yaha se... Mere saath rehna... Mujhe bhi support rahega. Kya tum apni Bhabhi ko itne bade ghar me akele aise chorr ke jaaoge Veer!? Yadi uss din ki tarah wo gang waale aa gaye toh kya hoga? Kya tumhe meri zara bhi fiqr nahi hai Veer!? Mein jaanti hu... Tumhare andar mere liye ghrina nahi hai. Aakhir isliye toh tum mujhe bachaane aaye the na? Kyuu? Bolo... Jawaab do.

Uss se puchte hue Ragini uske hontho se apne haath ko hata leti hai. Par Veer kuch nahi kehta. Keval dekhta raha.

[Damn! You got lucky again master. It's a good choice actually master. Say yes to her.]

Ragini : Tumhari chuppi bata rahi hai ki mein sahi hu Veer. Toh ab chalo mere saath andar.

Wo Veer ko ghumaate hue usse peeth par dhakka dete hue ghar ke andar kar deti hai.

Ragini : Jo bhi room tumhe lena ho... Veer!

Wo usse pyaar se dhakelte hue andar jaane ko kehti hai, par Veer ke chehre par koi bhaav nahi tha.

Ant me wo upar ki orr jaane lagta hai par akhiri seedhi par perr rakhte hi wo rukta hai aur keval kuch hi shabd nikalte hai uske muh se.
"I'm not promising anything."

Aur itna bol wo upar chala jaata hai.

Idhar neeche ek raahat bhari saas lete hue Ragini muskuraane lagti hai aur forun hi apne pita, Dinesh ko call lagaati hai.

Baat karne ke baad wo phone cut karti hai par uske hontho pe boht hi pyaari si muskaan saji hui thi iss waqt. Aur yu hi mand mand muskuraate hue wo andar apne kamre me chali jaati hai.

***

Sheher me hi ek behad hi badi sii jewellery shop ke andar iss waqt do ladkiya baithi hui thi aur kisi se baat kar rahi thi. Ye aur koi nahi, Sonia aur Suhana hi thi.

Sonia : Toh kab tak aane waala hai!?

Sonia ne wahi baithe jewellery shop ke owner se pucha. Sabhi iss waqt uske cabin ke andar baithe hue the.

Owner : Madam! Sir se toh date pata chali hi hogi na aapko? Do din baad unhone mangwaaya hai. Kal tak aa jaega.

Sonia : Matlab aapki shop me kal aa raha hai na?

Owner : Ji Madam!

Sonia : Toh... Toh aap Dad ko mat bataana. Mujhe de dena. Mein surprise dungi unhe.

Owner : Umm... Ye... Par Sir ne toh kaha hai ki unko do din baad chaahiye aur aise me mein aapki baat...

Sonia : Mein toh unki hi beti hu na. Toh fir aapko kya dikkat hai isme!?

Owner : Baat wo nahi hai Madam! Sir se humaare puraane sambandh hai. Aapko bhala kaun nahi jaanta? Bas... Dikkat ye hai ki... Baad me yadi kuch hua toh blame mujhpe na aaye. Mein Sir ki daant nahi sunn'na chaahta.

Sonia : Aap uski chinta mat kariye. Yaha se wo le jaane ke baad saari zimmedari meri rahegi. Okay!? Ab toh theek hai na?

Owner : Umm....

Sonia : Ghabraaiye mat. Mein apne vaade ki ekdum pakki hu. Aur mein paltungi nahi. Meri zimmedari yaani ki meri zimmedari. Aapko Dad kuch nahi kahenge. Ab toh bataaiye...!?

Owner (sighs) : Jii thik hai. Par aap apna vaada zaroor rakhna Madam. Warna meri shaamat aa jaegi.

Sonia (smiles) : Thank you! And aap bilkul bhi tension mat lijiye.

Aur Sonia aur Suhana dono hi baahar aake apni car me baith jaati hai. Aur baithate hi Suhana aage badh ke Sonia ko zorr se apne gale se laga leti hai.

Suhana : Oh my god Sonu!! I can't believe tum uss bet ka reward dene ke liye raazi ho gayi even though mein wo bet haar chuki thi.

Sonia (sighs) : Itna lightly mat lijiye Dii. Mein aapki bet ka reward aapko de rahi hu but aapko yaad hai na? No mistakes... And...

Suhana : Yeah Yeah! No mistakes and no regrets. I know Sonu. Tum khaamakha itni tension le rahi ho.

Sonia : Baat ko samjha kariye Dii!

Suhana : Duh! Fine! Fine!

Aur wo Car me baithe waha se ravaana ho jaate hai.

***

Wahi dusri orr Desh se koso dur ek dusre desh me kisi jagah par ek boht hi badi company ke maalik ke bete ki shaadi thi jiske chalte usne kayi important guests ko bulaaya hua tha.

Venue itna bhavya aur bada tha ki log dekhte reh jaaye. Ekdum phulo aur sajaawat ki cheezo se saja hua tha.

Baahar entrance me laal carpet bicha hua tha aur dherr saare photographers the jo andar aate hue guests ki photos le rahe the.

Yahi photographers iss waqt ek behad hi khubsoorat ladki ki photos nikalne me lage hue the jo abhi abhi venue me aayi thi.

"Dekh! Kaise sab bhediyo type line laga ke Miss ki photo le rahe hai."

Ek aadmi ne bagal me khade aadmi se kaha.

"Abe tujhe isme bhi dikkat hai Raghu!? Wo apna kaam kar rahe hai. Aur kyu na le photo!? Miss hai hi itni khubsoorat."

Raghu : Hmm! Ye toh sahi kaha tune Jassi.

Raghu aur Jassi wahi do bodyguard the jo Veer ko uss club waali ladki ke saath dikhe the. Aur beshaq, saamne carpet ke paas khadi jo ladki apni photos click karwa rahi thi wo aur koi nahi balki club waali ladki hi thi.

Jassi : Saala ye bow tie mere se nahi pehni jaati.

Raghu : Hahaha~ Aadat daal lo bhai! Meri shaadi me toh yahi pehnwaunga tujhe.

Jassi : Teri shaadi!? Kis ladki ne tujhe pasand kar liya bhala!?

Raghu (khoye hue) : Miss karengi na...!

Jassi : Hahahaha~ Saale! Khayaali pulaav pakaega ab!? Miss aur tujhe pasand karegi!? Abe joke toh dhang ka maar...

Raghu : Hmph!.... Tu kya jaane... Dekh! Miss kitni khubsoorat hai... Haaye... Kitni khush lag rahi hai woh.

Jassi : Khubsoorat toh wo boht hai. Par yadi tune unhe aise dekhna band na kiya na toh teri aankhein phod dunga.

Raghu : Jassi tu bhi be... Bilkul bhi maza nahi aata tere saath.

Inn dono ki baatein toh chal rahi thi. Par ye dono nahi jaante the ki jin miss ke baare me soch rahe the wo andar hi andar kya soch rahi thi iss waqt.

Kya wo khush bhi thi?



d6da78c1d5b9e6bf37d842bf307935ad

Yu pose dete hue wo pics toh khichwa rahi thi. Flash baar baar chamak ke uske husn ko aur bhi chamka raha tha.

Par uske andar ke bhaavo ko bhala uske alaawa aur kaun jaan sakta tha!? Unhe nahi pata tha ki iss waqt wo andar se kesa mehsoos kar rahi thi.

'It's again just as I expected. I feel nothing.'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.
Great plot. Story is slowly building up.
 

Premkumar65

Don't Miss the Opportunity
6,961
7,312
173
Update - 26 ~ A Lesson to be Taught (1)
Ab tak...

Yu pose dete hue wo pics toh khichwa rahi thi. Flash baar baar chamak ke uske husn ko aur bhi chamka raha tha.

Par uske andar ke bhaavo ko bhala uske alaawa aur kaun jaan sakta tha!? Unhe nahi pata tha ki iss waqt wo andar se kesa mehsoos kar rahi thi.

'It's again just as I expected. I feel nothing.'


Ab aage...

"Tumhe pata hai tumhari galti kya thi!?"

Saamne baithe chair pe ek aadmi ne apne saamne maujood kayi ladko me se ek se kaha.

Table pe dono perr rakhe hue wo bade hi gusse me sabhi ko dekh raha tha. Aur uske khauf ke chalte, uski aankho me gussa dekh wo sabhi ladke apna sarr jhukaaye khade hue the.

"Bhau... Aage se aisi galti nahi hogi."

Saamne khade ladke ne kaha. Ye aur koi nahi balki Ranga tha jo Veer ke haatho uss din dherr ho gaya tha aur Veer Ragini samet baaki sabhi ko uske changul se churraane me kaamyaab tha.

Uss din ki vardaat jab Aatish ko pata chali thi toh wo itna aag baboola tha ki yadi Ranga wahi uski aankho ke saamne hota toh pakke se Aatish uske haath perr tod deta.

Par shayad Ranga ki kismat acchi thi, Veer ne jo pocket knife uski pasli me maari thi uske chalte uske saathi forun hi hospital me le jaake uska ilaaz karwaaye the jis kaaran wo Aatish ke gusse se bach gaya tha.

Par aaj Aatish uske saamne tha. Iss waqt bhi Ranga ki pasliyo me pattiya bandhi hui thi. Aur ab usse apne bhau ko jawaab dena tha.

Aatish : Tumne yahi baat pehle bhi kahi thi Ranga. Jab wo club se ladki hamaare changul se nikal kar chali gayi thi.

Ranga : Mein jaanta hu Bhau. Mein...

Aatish : Mujhe toh ab bhi vishwaash nahi ho raha ki ek ladka... Ek ladka tum teen logo ko chakma deke waha se sabhi ko churra ke le gaya.

Ranga : Bhau... Mein...

Aatish : Kya tumne uske baare me pata kiya ya abhi bhi gumnaami me chal rahe ho!? Bataana padega mujhe...!?

Ranga : Nahi Bhau! Mene... Sab pata laga liya hai. Veer naam hai uska. Aur wo ussi parivaar ka hissa hai jiski company hum hathiyaane waale the. Uss Vivek ka hi chota bhai hai wo. xxxxxxxx college me padhta hai. Saath hi uski do behne jinka naam Arohi aur Kavya hai wo bhi jaati hai. Ek Pranjal naam ka bhai bhi hai jo unke saath ussi college me jaata hai. Sab pata laga liya hai.

Aatish : Veer haa!? Hmmm! Toh!? Kya karoge ab tum!?

Ranga : Aapki sikhaayi hui harr ek baat yaad hai Bhau. Yadi koi chuuha beech raaste me aaye toh usse kese raundna hai ye mene aapse boht acche se seekha hua hai. Uss Veer se toh badla lunga hi mein... Taaki usse pata chal sake ki galat logo se kabhi kyu panga nahi lena chahiye.

Aatish : Chalo kuch toh aqal hai tum me. Aur!? Kya khabar laaye ho!?

Ranga : Bhau! Khabar kuch khaas toh nahi hai. Bas do hi khabar hai.

Aatish : Bolo!

Ranga : Pehli ye ki wo club waali ladki desh se baahar hai iss waqt. Aur dusri...

Aatish : Hmm!?

Ranga : Dusri kuch khaas nahi hai Bhau...

Aatish : Khaas hai ya nahi wo mein decide karunga. Tum khabar batao.

Ranga : Dusri ye ki... Wo Sonia ki badi behan Suhana...

Aur dheere dheere Ranga poori khabar Aatish ko sunaata hai jisse sunn Aatish ke chehre pe muskuraahat aane lagti hai aur aankho me chamak.

Ranga : Hahahaha~ Ranga, yahi toh asli khabar hai. Tumne soch bhi kese liya ki ye khabar faaltu hai. Mujhe pata hai ab kya karna hai... Suno...

***

Na jaane kya planning hui Aatish aur uski gang ke beech uss raat par agli subah ho chuki thi. Veer kal se Ragini ke saath hi uske ghar ruka hua tha. Ek ladke ka apni Bhabhi ke saath yu akele rehna, society me kayi sawaal uthaata hai.

Par Ragini ke liye ye baat acchi thi ki uska ghar kisi society me nahi tha. Alag se usne zameen leke ye ghar banwaaya tha jiske chalte logo ki prashn bhari nazro se aur unke sawaalo se bachi hui thi. Jo log the bhi aas paas toh unse Ragini ki koi pehchaan nahi thi kyuki wese hi uska ye ghar aksar khaali rehta tha aur hafte me ek naukar aake safayi karke chala jaata tha.

Veer ke gharwaalo ko keval yahi pata tha ki Ragini akele apne ghar me reh rahi hai aur Veer apni Ma'am ke ghar. Wo sabhi Vivek ko waapas se Ragini ko ghar laane ke liye usse force karte jaa rahe the jiske chalte Vivek ab kisi bhi din Ragini ke ghar aa sakta tha. Aur yadi Ragini ne tab bhi usse mana kiya toh zaahir si baat hai ki Sumitra aur Karunesh dono ko hi beech me aana padega aur maamla suljhaana padega. Par filhaal ke liye Vivek ne unse samay maanga hua tha ki wo ye maamla jald hi khud solve kar lega.

Par sawaal tha ki kya ab Ragini ke mann me Vivek ke liye wahi puraani feelings maujood hai!? Ya...!?

Kherr! Raat toh badi hi shaanti se uske ghar me guzri par agli subah yahi baat Nidhi ke ghar ke liye nahi kahi jaa sakti thi.

Iss waqt Nidhi sofe pe baithi hui thi, bauhe chinta ke maare sikudi hui thi. Aur uske saamne Juhi muh fulaaye khadi usse ghoor rahi thi.

Nidhi : Beta! Tang mat karo mumma ko. School ke liye late ho rahi ho aap. Van aane waali hai beta...

Juhi (muh fulaaye) : Veeeer maaamu kaha haiiiii!??? Aapne bola tha Maaaaamu kal aaengee...

Wo zorr zorr se chillaate hue Nidhi ki jaangh pe apne haath patakne lagi aur Nidhi bechaari usse samjha samjha ke thak chuki thi. Wo khud hairaan thi ki uski bacchi Juhi, Veer se kitna attached ho chuki thi.

Par uss se bhi zyaada hairaani usse iss baat se hui thi ki wo khud Veer se kitna attached thi. Veer ke jaane ke baad, uska wo letter padhne ke baad wo itna royi thi ki kal wo college tak nahi gayi thi. Shreya harr thodi derr me uske saath baith uss se baat karti, usse samjhaati aur usse chup karwaati.

Bhala itna kese jud gayi wo apne ek student ke saath!? Kuch hi hafte toh Veer raha tha uske saath. Fir ye ajeeb sii peeda kyu ho rahi thi usse subah uska chehra na dekhne par!? Harr roz wo uska chehra dekhti thi, aur usse mehsoos hota tha ki Veer apni puraani zindagi se ubhar raha hai. Aur ye dekh ke wo behad khush ho jaati thi.

Usse proud mehsoos hota tha ki wo Veer ke itna kaam aayi. Wo ek toote hue dil ko jese jod rahi thi aur Veer ko panapta dekh usse apne aap me hi boht khushi hoti thi. Kisi jeet se kam nahi rehti thi wo harr subah jis din Veer ka khila hua chehra wo dekhti thi. Juhi aur uske beech ka wo atoot rishta wo apni ankho se bhali bhaati dekh paati thi.

Kese uski bacchi ke hontho pe wo pyaari si muskaan fel jaati thi jab bhi wo Veer ke aas paas hoti thi. Shreya ka khud ka attitude badalne laga tha Veer ke saath reh reh ke. Wo ab utni haughty nahi thi. Wo mature ho rahi thi aur bhi zyada. Unki nok jhok bhi alag hi maze ki hoti thi jisse dekh Nidhi ko behad pyaar aata tha unn dono pe hi.

Par ab...

Ab jese sab kuch khatam ho chuka tha. Wo shaks ab jaa chuka tha. Veer ab unke beech nahi tha. Jo ladka uske ghar ke vataavaran ko poori tarah se badal ke itni khushiya aur positivity uske ghar me laaya tha, uske jaane se jese saari cheeze jaa chuki thi. Aur ye sab baatein...

Nidhi ko andar se itna tod rahi thi ki uss se kabhi kabhi bola bhi nahi jaa raha tha.

Abhi wo Veer ke hi baare me soch rahi thi ki kya jawaab de apni nanhi sii bacchi ko!? Kal toh usne bahana bana ke keh diya tha ki uske Veer maamu kal aa jaenge. Par aakhir ye jhooth kab tak chalta rahega!?

Abhi wo khoyi hui hi thi ki tabhi uske bagal se Shreya ki awaaz uske kaano me padi,

"Juhi! Tunhare Veer maamu kaam se baahar gaye hue hai. Unko aane me thoda time lagega. Aur wo tumhaare liye gift leke aaenge! Chalo, ab jaldi se taiyaar ho jao."

Juhi (cries) : Niiiiiiiii... Veer maamu chaahiye...
Gift niiiii...

Apni bacchi ko aise dekh, Nidhi ke aasu uske gaalo se fisal girne lage. Unhe jaldi se pochte hue wo kuch soch ke bolti hai,

Nidhi : Veer maamu tumhaare gande hai. Wo bina bataye kahi chale gaye hai. Abhi dekhna, mummy unke kaan pakad ke kheench ke ghar me laegi! Abhi college me aaenge na Veer maamu. Toh dekhna kese mummy pakad ke laati hai. Ab khush!? Ab toh ready ho jao, warna mummy nahi laegi fir.

Juhi : Hmmm!

Jese tese Nidhi ne usko manaaya aur usse school bheja aur khud bhi ready ho gayi college jaane ke liye.

Nidhi : Mein nikal rahi hu Shreya.

Shreya : Hmm! And...

Nidhi : !??

Shreya : What if he doesn't wants to come!?

Nidhi : I.... Kese nahi aaega. I'll bring him back.

Shreya (smiles) : Goodluck.

Nidhi (smiles) : Mmm!

Aur Nidhi Shreya ko chorr college ki orr nikal jaati hai. Pehla lecture class me uska hi rehta tha toh wo ekdum time ke pehle hi aa gayi aaj.

Na jaane kitne messages aur calls kiye honge usne Veer ko jinka ek bhi reply Veer ne nahi diya tha usse ab tak aur yahi baat usse andar se khaaye jaa rahi thi. Usse bechain kar rahi thi.

Wo badi hi aas liye andar aate students ko permit kar rahi thi baithne ke liye. Kayi saare late students aaye aur lecture shuru hue 15 minute ho bhi chuke the par ab tak...

Veer ka koi ata pata nahi tha.

Jis baat ka usse darr tha kahi wahi na ho jaaye. Wo aas liye baar baar darwaaze ki taraf dekhti ki kaash kahi se Veer usse coridorr me dikh jaaye aur wo aake apni seat par baithe. Wo usse padhaaye, usse dekhe waapas se questions solve karte hue, waapas se Veer uske saath gaadi me baith ke uske saath ghar jaaye, firse wo dono pehle ki tarah shopping par jaaye...

Par...

Par jese kuch hi palo baad jese Nidhi ki saari umeedein toot chuki thi jab Veer lecture ke ant tak kahi nazar nahi aaya. Iss waqt andar se wo itna bechain thi ki uske gale se uska thook tha nahi utar raha tha.

'Whyyyy!??? Why didn't he came!??? Kaha hai wo!?? Kuch bata ke nahi gaya... Wo mujhe apna maanta bhi hai ya nahi!? Kya ek baar bhi usne mujhe batana sahi na samjha ki wo kaha par hai!? Usse ye dhyaan kyu nahi aa raha ki mein kitni tension me rahi hungi. Whyyyyy!? Mene toh kaha tha na uss se... Ki padhaayi mat chorrna... Then... Then whyyy!??'

Wo apni saree ke bhaag ko nichode gehre chintan me doob gayi. Kisi bhi waqt uski rulaayi chooth sakti thi.

Par wo iss waqt kuch nahi kar sakti thi. Na hi uske paas Veer ka koi pata tha aur na hi uski Veer se koi baat ho paa rahi thi. Aur itna wo jaanti thi ki Veer apne ghar par toh bilkul bhi nahi hoga.

***

Neend se derr se jaagte hue Veer jab uth ke fresh hoke neeche aaya toh usne dekha ki uski Bhabhi Ragini kitchen me vyast thi aur gunguna rahi thi.

Iss waqt bhi wo nighty me hi maujood thi. Ek red colour ki aakarshak nighty.

'Unhe aise kapdo me mere saamne nahi hona chaahiye. Right Pari!? I mean... Wese hi unka relationship sahi nahi chal raha aur upar se mein unka dewar unke saath akele yu reh raha hu...'

[She trust you that is why she's wearing that. Par aapke iraade kya hai master!? Hehe~]

'What the fuck Pari!? I mean to say ki unhe kuch decency rakhni chaahiye mere saamne. Also, She's too touchy.'

[You don't like being touched by her!?]

'Mene aisa toh nahi kaha.'

[Hehe~ toh aapko pasand hai jab wo aapko touch karti hai!?]

'What the...!? Pari!!? Subah subah meri taang kheechne ka mood banaya hai kya aaj!?'

[Haha~ I was just joking. But yeah, it's a fact master. Wo aapke saamne itna open hai because she trusts you completely. Aur kyu nahi hoga trust!? Jis bande se usne aaj tak baat nahi kii, sahi se pesh nahi aayi wo banda uski jaan bachaane aaya, na ki uska apna pati jo uski jaan ki baazi laga diya tha wahi. Toh aise me toh obviously wo aankh band kar ke aap pe bharosa karegi.]

'But...'

[Don't think too much. She's good now. Usse apni galti ka realization ho chuka hai aur she wants to do things for you. Toh karne do usse aur thoda cooperative bhi rehna. She's rich master. Don't forget...]

'Mujhe samajh jaana chahiye tha ki tumhari nazar unke paise par hai...'

[Hehehe~ Money is important master.]

Veer ke kadmo ki aahat paate hi Ragini ne usse spot kiya aur muskuraate hue usse dekhi.

Ragini : Good Morning Veer!

Veer : Good... Morning!?

Ragini : Kya neend theek se aayi!?

Veer : Jii!

Ragini : Koi dikkat toh nahi gayi na!?

Veer : Jii.. nahi...

Ragini : Aise... Aise itna formal mat pesh aao Veer. Mein tumhari Bhabhi hu na!? Khul ke baate karo. Aur ye ghar bhi tumhara hi hai. Beeti baatein jo bhi thi, unn galtiyo ka paschataap toh mein karungi hi. Par... Aise pesh na aao Veer... Please! Mujhe... Mujhe accha nahi lagta hai.

Veer : As I said... I'll try and... No promises.

Uski baat sunn Ragini apna nichla honth daato tale dabaaye usse dekhti hai. Veer ka usse maaf kar dena shayad abhi boht dur tha. Par wo apna prayaas karti rahegi. Ek na ek din Veer usse maaf zaroor karega.

Yahi aas liye wo apne chehre se chinta ke bhaavo ko hataate hue uss se boli,

"Accha chalo! Baitho! Mene aaj Breakfast me Sandwiches banaaye hai."

Naashta banaane me toh Ragini ka koi jawaab nahi tha. Khaana bhi wo behad accha banaati thi par Veer ko yaad hai, sabse accha khana uske ghar me uski Chachi Sumitra aur uski sauteli Maa, Shweta hi banaati thi. Shweta toh hotel ki maalkin thi. Na jaane kitni dishes wo jaanti thi.

Uski behan Bhumika bhi khaana banaane ki race me shaamil thi par yadi Shweta aur Sumitra se compare kiya jaaye toh Bhumika kaafi peeche thi abhi. Na chaahte hue bhi Veer ko ghar ke khaane ka swaad yaad aa gaya.

Par wo jaanta tha. Uss ghar me uski ab koi jagah nahi hai aur na hi wo khud ab jaana chaahta tha waapas.

Wo iss waqt din guzarne ke baad dinner karte hue apne room me aa chuka tha aur lait ke apne future ke baare me soch raha tha ki achanak hi uska phone vibrate hua aur usne message check kiya.

Usne dekha ki kisi unknown number se message aaya hua hai. Jese hi chat kholi usme kuch messages dale hue the.

Hi Veer!
I know tumhare andar dheer saare questions hai.
But please, mein tumse ek baar aur milna chaahti hu.
I hope tum aaoge!
Kal xxxxxxxx hotel me. Please!

Message karne waali aur koi nahi balki jaani maani ladies me se ek thi, Sonia.

Sonia ne upat ke usse message kiya tha. Ye baat chaunka dene waali thi.

'Just... Why does she wants to meet me again!? Unke paas itna paisa hai uske baad mujh jese aam se ladke ke peeche kyu padi hui hai woh!? I don't get it. And that hotel... Shit!'

[You cannot turn her down master like that. Wo ek badi hasti hai. Abhi tak jitne bhi logo ko aap jaante ho unme se. So aapko jaana padega.]

'Damn it!'

Aur majbooran Veer ko milne ke liye raazi hona pada.

Aaj ka din bas yuhi guzra. Veer college nahi gaya tha. Usne jese ab decide kar liya tha ki kya karna hai.

***

Agli subah jab wo neeche aaya toh usse Ragini kahi dikhaayi nahi dii. Wo kitchen me aaya tab bhi Ragini ki koi jhalak na mili usse.

Par abhi jese hi wo palatne waala tha ki tabhi...

Achanak se uski aankho ke saamne andhera chha gaya. Do makhmal se komal haatho ka sparsh uski aankho par hua. Aur agle hi pal do badi hi soft sii cheeze uski peeth par aake dabb gayi.

Aur Veer ko samajhne me derr na lagi ki wo kya thi.
Aur ye parakhne me bhi derr nahi lagi ki uski aankhein band kare uske peeche kaun khada hua tha.

Ragini uske peeche uski aankhein apne haatho se band kiye uss se ekdum chipak ke khadi hui thi. Jiske chalte uske stan ekdum Veer ki peeth me jaake dhass chuke the.

Unn nipples ka ehsaas Veer ko bhali bhaati uski peeth par ho raha tha. Aur na chaahte hue bhi uske lund ne ek jhatka maar hi diya.

Aur kyu na maarta!? Veer ab virgin nahi tha. Ek baar ladki ke youvan ka swaad chakh lene ke baad toh ab usme jese aur bhi aag jaag chuki thi. Na jaane kab se usne sex nahi kiya tha. Aur aise me ye chote chote hamle na chaahte hue bhi usse apni hi Bhabhi ke prati aisa reaction dene par majboor kar rahe the.

"Good Morning Veer! I have a surprise for you!"

Ragini ki manmohak awaaz uske kaano me padi, uske haath ekdum garm the ya yu kahe ki wo khud hi aag ka shola thi. Abhi abhi kuch derr pehle hi wo naha ke baahar aayi thi jiske chalte uske geele baalo aur uske badan se aati wo uttejit kar dene waali sugandh Veer ki naak me pad rahi thi.

Veer ko iss waqt khud pe sharmindagi ho rahi thi kyuki wo aroused feel kar raha tha. Isme uski koi galti nahi thi. Galti toh Ragini ki bhi nahi thi. Bas situation ki thi.

"Bh... Bhabhi!?"

Thoda awkwardly usne jawaab diya. Wo ekdum stiff khada hua tha. Ragini ke haatho ka aur peeche uske do aamo ka sparsh usse paagal kar raha tha.

Wo dhakelte hue usse baahar le jaane lagi,

Veer : Bh... Bhabhi!? Kaha le jaa rahi ho!?

Wo chaahta toh tha ki issi waqt uske haatho ko hata de par aisa karne ke liye usse Ragini ke haatho ko thaamna padta aur shayad abhi usme itni himmat nahi thi aur ye shayad sahi bhi nahi tha.

Kuch hi palo me Veer Ragini ke dwaara baahar aa chuka tha aur thodi derr me hi Ragini ne apne uski aankho se apne haath hataaye aur Veer ko saamne ka nazaara nazar aaya.

Saamne dekhte hi uski aankhein dheere dheere ascharya ke maare felti gayi.

Uske saamne porch me ek behad hi nayi Apache RTR khadi hui thi. Ekdum nayi.

Veer : Ye!??

Ragini : Mene mangwaayi hai. Tumhare liye. Meri taraf se tumhare liye gift hai Veer. Kal tumne kaha tha na!? Tumhare paas koi vehicle nahi hai. Aur kesi hoti!? Ghar se tum... Kuch bhi leke nahi gaye the. Isliye, parso mene dad se keh ke unke showroom se... Ye mangwai hai. Kai... Kaisi hai Veer!? Tumhe pasand toh aayi na!?

Veer ki bolti band ho chuki thi. Itna bada tohfa aaj tak usse kisi ne nahi diya tha. Par abhi wo khush nahi tha. Balki duwidha me tha. Ki bhala Ragini uske liye itna kyu kar rahi hai aur dusri baat ki bhala usse ye gift accept karni chahiye ya nahi!?

Ragini (chinta me) : Kya tumhe pasand nahi aayi Veer!?

Veer : I... I don't think ki... Mujhe ye rakhna chahiye.

Abhi shabd uske muh se nikle hi the ki Ragini ne zorr se uska haath thaam liya.

Veer (surprised) : Huh!?

Ragini : Please don't say that Veer. Please! Aaj tak ghar me tumhara b'day celebrate nahi kiya gaya tha. Aaj bhale hi tumhara b'day na ho. Par aane hi waala hai right!? So, as an advance gift hi samajh lo!? Aaj tak mene tumhe tumhare b'day par koi gift na diya. In fact tumhare b'day me maujood tak nahi rehti thi tumhaare aas paas. Unn sab baato ko yaad karke hi... I feel so... So bad... Veer! Rona aata hai mujhe. Please! Accept this. Ye mere Dad ki taraf se bhi hai. Uss din tumne unki jaan bhi bachaayi thi Veer. Yadi meri nahi sunn'na toh kam se kam unki toh sunn lo.

Veer : I...

[Accept it master.]

'Accept it!? Petrol kya tumhare chacha aake dalwaenge Pari!?'

Ragini : And petrol ki chinta mat karna Veer. Tumhaare liye, Tank will always be full. Mein servant se kehke bharwa dungi. Use it according to your need. Tumhe kaam aaegi Veer. Please accept it.

[Hahaha~ Ye lo. Ho gaya kaam.]

'Damnnn!!'

Ragini ka chehra aur wo aankhein jo kisi bhi waqt aasu bahaane ke liye ready thi, wo dekhte hue finally Veer ne ek aah bhari aur bola,

"Fine! Mujhe wese hi aaj kahi jaana tha. And... Thank you! Aapko bhi aur... Aapke Dad ko bhi."

Ragini ko pata nahi kya hua par agle hi pal wo itni khush ho gayi ki wo Veer ki chaathi me kood padi aur uske zorr se gale lag gayi.

Ekdum stabdh Veer wahi khada raha, na kuch kar saka aur na kuch bol saka. Par Ragini bina kuch realize kiye ki abhi abhi usne kya kiya, wo naashta banaane ka bol andar chali gayi.

Din ka samay hua aur Veer ready tha hotel jaane ke liye. Sonia se usne milne ka keh ke jo rakha tha. Ab jaana toh padega hi.

Apni nayi bike uthaaye Veer nikal pada hotel ki taraf.

Aaj kitne dino baad usse koi bike chalaane ka mauka mil raha tha. Khush toh tha wo andar se par aur bhi khushi hoti yadi ye bike uske apne paiso ki hoti.

Koi baat nahi, jald hi wo apni bike bhi lega.

Aisa soch wo kuch hi derr me pohuch chuka tha hotel ke saamne.

Bike ko parking me laga kar wo andar jaane ke liye ready tha par abhi bhi uske kadam ruke hue the.

Andar jaane se wo katra raha tha.

Ek gehri saas lete hue wo finally andar gaya.

Hotel behad hi shandaar thi. Aur andar ghuste hi usse side waale area me Sonia baithi hui nazar aa gayi.

Wo area thoda mehnga area tha. Jaha baithne ke liye zyada paise dene padte the.

Abhi wo andar jaane hi wala tha ki door pe hi khadi ek lady ne usse rok diya.

Lady : Sir! Your reservation!?

Veer : Reservation!?

Lady : Yes! Sir! This is a special area. You must have a reservation to enter here. Do you have it!?

Veer : I...

Lady : Sorry Sir! If you don't have it. We can't allow you to enter.

Wo lady muskuraate hue usse dekhi. Par uski muskaan jese bayaa kar rahi thi ki saale aukaat me aaya karo. Jab aukaat nahi hai toh kyu ghus rahe ho!?

Kuch aise hi shabd uski muskaan bayaa karna chaah rahi thi jisse Veer bhaamp chuka tha.

Wo abhi palat ke jaane hi wala tha ki kismat se Sonia ki nazar uss pe padi aur wo forun hi uth ke door ki taraf aayi,

Lady : Sir! Please leave...

Veer : Fine!

Veer palat chuka tha jab achanak uske kaano me awaaz padi,

"Veeeeeeerrr!"

Aur palat ke dekha, toh Sonia uske saamne thi.

Sonia : Andar kyu nahi aa rahe hai!?

Veer : Well! She told me I can't... And told me to leave so...

Sonia (surprised) : She told you what!??

Ab bechaari uss lady ki phat rahi thi. Usse pata tha ki aage kya hone wala tha.

Sonia : Mene tumse kuch derr hi pehle kaha tha na!? A gentleman may come anytime and you have to recieve him. Kya aise hi orders follow karti ho? Should I complain or what!?

Lady : I'm so sorry! Ma'am! I'm so sorry! Mujhe laga tha koi...

Kehte hue Wo Veer ke kapdo ki taraf dekhi jo keval ek simple white shirt aur blue jeans me tha.

Aur usne jese hi Sonia ko dekha toh darr ke maare uski nazre neeche ho gayi.

Sonia bhaamp chuki thi ki wo lady kya kehna chaah rahi thi. Usse abhi itna tezz gussa aa raha tha per jese tese usne khud ko control kiya.

Sonia : Remember! Kapdo se aadmi ki pehchaan nahi hoti samjhi!? You don't even know who he is. He's my benefactor. Aur ahinda se... Yaha ke staff me se kisi ne bhi mere guest ke saath iss tarah behave kiya na... I'll sue them.

Lady : I'm sorry! Ma'am! I'm really sorry!

Sonia : Hmph! Veer! Aao...

Wo Veer ko apni table ke paas le gayi. Baithate hue usne apna coffee ka mug uthaaya aur Veer ko order karne ke liye kaha.

Par Veer ne kuch bhi order na kiya.

Sonia : Yaha ki coffee acchi hai Veer. Isliye yaha aksar aati rehti hu.

Kehte hue usne ek jhalak waapas se uss lady ko dekha aur apni coffee peene lagi.



3a742b20515d719b88b3bc8178115860

Veer : I... I see! Toh!? Kis liye bulaaya hai aapne!? Yadi firse wahi paise...

Sonia : Noooo Veeeer!! Aisa kuch bhi nahi hai..
Asal me...

Par abhi wo apni baat keh paati uske peeche se ek awaaz aayi,

"Sorry! Ma'am! Mein aapko personally recieve karne nahi aa paayi. Welcome to our hotel again."

Ek jaani maani awaaz Veer ke kaano me padi. Aur jis baat se wo andar aane ke liye katra raha tha akhir wo ho hi gayi.

Peeche ek behad hi khubsoorat ladki khadi hui thi. Usne Sonia ko dekh muskuraate hue uska swaagat kiya. Par jese hi uski nazre Sonia ke saath baithe shaks par gayi pehle toh wo kuch pal usse dekhi aur fir uski aankhein asycharya ke maare fel gayi.

Veer (mann me) : Bhumika... Dii...

Bhumika (mann me) : V... Veeeeer!!!???

Dono ek dusre ko dekh rahe the. Veer ke chehre pe jaha koi bhaav nahi the toh wahi Bhumika ekdum stabdh sii khadi usse hi dekh rahi thi. Sabse pehla sawaal mann me yahi tha. Kya ye wahi Veer hai!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like.
Lot of turning points in the story. Good going.
 
Top