Great update. Ab story ne tej raftar pakad li hai. Akansha, Sayani family aur Veer ke baare me padh kar bura laga lekin suspense badh gaya. Kya Vansh ne hi ye sab karaya hai, Archana ka is sab me kya role raha hai, aur Vansh Tower me chhup kar kyon baitha hai. Akash aur Veer dono kaise itni asani se trap me phans gaye. Sabse badi baat, Hannah ne Aarav ke plan ko pehle se hi samjh liya tha. Wo ab Mallia (Kitsune) ke through apni ek alag Guild tayyar kerne laga hai. Weh Veer ki family se kya chahta hai aur Hannah ka cousin kon hai, jisko weh Aarav ke baare me nahi bata rahi hai kyonki usko vishvas hai ki Aarav koi bura nahi karega.
Prashn to bahut hain jinka uttar story me aage ja kar milega.
Abhi jaldi me reply kar diya, lekin shanti se baith kar in 6 update ko 2-3 baar dubara padhunga. Again great update.