Mk1
Member
- 398
- 426
- 78
Click anywhere to continue browsing...
Great update as usual. I think I have somewhat got an idea about some character's story progression.
Neel ne shruti se shadi ki baat karke story ko aur interesting bana diya.
Awesome update
For starting new story thread.....
Nice introduction.....
for new story
for another story bhai.
ह्या कथेतील कदाचित मी दोन तीन भाग वाचलेले... खूप छान लिहिली होती कथा.... पण अपूर्ण राहिल्यामुळे रसच निघून गेला... आणि आता ती तुम्ही पुन्हा लिहीत आहात हे वाचून आनंद झाला... पण मित्रा.. निदान रोज एक भाग देत जा... धन्यवाद
awesome update
Nice update....
Congrats for your new story...![]()
for new great thread Qaatil
Congratulations bro for new story![]()
Brilliant story![]()
Nice and superb update.....
Another master piece. Congratulations for new one.![]()
Nice update
Nice update.....
kahani ki shuruwat zabardast ki hai ..neelam ko sapne aana jisme kuch aawaje aati hai aur 2 3 din se kuch chehre bhi dikhai de rahe hai .
ye kaunsi devtao ki sena hai jo hamesha haarti hai aur ye ente d zyre kaun hai jiska jikr neelam ke sapne me hota hai wahi 999 saal ho gaye aur sena usi naam ka jai jaikar kar rahi hai .
kya koi adrishya shakti neelam ke gusse ko dekhkar us aadmi ko maarne aayi..par neelam ke haath par khoon kaise aaya .
Bahot behtareen shaandar update
Both were great updates and congratulations for new story.
I hope you are writing a book or something, you are really good at creating plots and if you can make story telling more dramatic and charismatic especially when you are describing about surrounding or environment then it will be cherry on the top.
Best of luck for this story Qaatil bhai.
New story ke liye bro bohot bohot mubarkbad.asha karta hu yeh story bi apki pichli stories ki tarha behtreen hogi![]()
Bahut hi shaandar update diya hai Qaatil bhai....Vol 1 "Diabolic Resurrection"
Chapter 1 : The Mystic Within
Sorcery's Serenade
Shadi ki baat sunte hi Shruti Neel ko dekhne lagi, Jyoti to ye baat sunkar behadd khush ho gayi thi, wo uthkar Neel ke paas akar uska matha chumte hue kehti hai "mera beta..... Tumne mera dil khush kar diya, ab jald se jald Shruti ke Parents ko bhi bata do, sab log mil lenge ek dusre se"
Neel Muskurate hue Jyoti se kehta he "Ha Maa, mai unhe bhi bata dunga.... Chinta matt karo" jaha Jyoti, Virendra aur Neel is baat se khush the wahi Shruti aur Nilam ke chehre udas se lagg rahe the. Nilam ne Shruti ka chehra dekha aur usne mann hi mann socha "ise to khush hona chahiye tha..... aise muh latka kar kyu bethi hogi ye? Kahi ye bhai ko cheat to nahi kar rahi?" Tabhi Nilam Neel se akele mein baat karne ke liye upar le jati hai "bhai ye sab kya ho raha hai?"
"Tum kis bare mein baat kar rahi ho?"
Tabb Nilam narazgi se Puchti he "Ye suddenly shadi ki baat..... Mujhe kuch samajh nahi araha"
Neel behadd hi araam se kehta he "Isme na samajhne wali kya baat Nilam? Shruti aur mai ek dusre ko chahte hai, aur shadi karne wale hai, as simple as that"
Neel ka jawab sunkar Nilam Turant rukhe swaro mein Neel se kehti hai "Mujhe to aisa nahi lagta ke wo aap ko pasand karti hai"
"Kya matlab hai tumhara?"
Nilam teda sa muh bana kar kehti he "Agar use aap se pyaar hota to ye shadi wali baat sunkar khush hoti, naa ki muh latkaye bethi hoti"
Nilam ki baat par Neel sakhti mein jawab deta hai "Uski tabiyat thik nahi hai, tum apne aap se aise ulte sidhe bate na socha karo"
Tabb Nilam taunt bhare swaro me kehti he "Tabiyat nahi, uski niyat kharab hai, Shayad Kisi aur ke saath......."
"Nilam......." Nilam apni baat puri nahi kar payi kyu ke Neel ne Gusse mein uspar chillate hue apna haath use marne ke liye uthaya lekin wahi ruk gaya. Nilam pehli baar Neel ko aise dekh rahi thi, jis se uska dil hi tut sa gaya. Neel ka haath dekh kar hi uske aakho mein aasu ane lage. Tabhi waha Shruti agayi, use waha dekh Nilam apne kamre mein jakar door lock kar deti hai.
Shruti ne Neel ke haath thamte hue kaha "Ye sab kya kar rahe ho Neel?"
Neel uski baat ka jawab diye bina apne kamre mein jakar bed par beth jata hai, Shruti uske paas akar beth jati hai aur uska haath thamte hue kehti hai "kyu kar rahe ho ye sab, Mujhse shadi karne ki baat..... jis se tum is duniya mein sab se zyada chahte ho, Nilam. Uspar bewajah gussa karna.... Kya lagta hai is se sab thik ho jayega?"
Neel sapat lezhe me Shruti se kehta ki "Mai bass tum se pyaar karta hu"
"Beshak..... Lekin tum bhul gaye, maine shart rakhi thi na, ke tum kabhi mujhse shadi karne ki baat nahi karoge"
Tabb Neel Shruti ke samne Ghutno par beth kar uske dono haath tham te hue kehta hai "Aur tumhe laga mai sach mai bass tumhe use kar ke chhor dunga..... Mera pehla aur saccha pyaar sirf tum ho Shruti"
Shruti janti thi ke Neel us se kitna pyaar karta hai lekin is waqt Shruti ko sab kuch bigadta dikh raha tha, usne Neel ke haatho mein se apne haath piche kar liye aur chup chap bethi rahi.
Tabb Neel uska chehra apne haatho me thamkar kehta he "Shruti, Ek din to sabhi ko marna he.... lekin kya marne ke khayal se hum abhi hi jina chhor de?"
Shruti Neel se aankhe chura kar jawab dete hue kehti he "Maine tumhare saath Bahot khushi bhare pal jiye hai, aur mai iske badle tumhe apne saath zabardasti bandh na nahi chahti....."
"Shruti i swear, mai humesha se bass yahi sochta aya hu ke mai ek din tum se shadi zarur karunga....... Agar maine tumse shadi nahi ki, aur us se pehle is bimari ne tumhe mujhse chin liya to mai Zindagi bhar apne aap ko kosta rahunga..... Mai tumhe puri tarah bass apna banana chahta hu" Neel ki aakhe num thi, niyat saaf aur dil mein Shruti ke liye saccha pyaar. Shruti ka dil aur dimag use koi faisla nahi karne de raha tha "hum kal baat karte hai ispar" aur bass itna kehkar Shruti waha se chali gayi.
Waha Nilam apne kamre mein akar sisak sisak kar rone lagi, uske andar Shruti ke liye gussa aur apne bhai ka aisa ravayya dekh udasi thi. Lekin Nilam ka gussa uski udasi par hawi tha, aur Nilam gusse mein ayne ke samne khadi ho gayi, jese jese uska gussa badh raha tha, kamre ki chize bhi thartharane lagi, tabhi Nilam gusse me chilla padi aur ek hi jhatke mein usne chilla kar apna pura kamra tehes nehes kar diya, jab sab kuch bikhar gaya tabb Nilam hosh mein ayi, usne apne kamre ko dekha aur uski dhadkane hi ruk si gayi, shor sunkar Neel daud kar waha aya aur wo bhi Nilam ka kamra dekh kar heran reh gaya. Neel ko waha dekh kar Nilam us se zor se lipat kar sisakne lagi "b..... Bhai..... Ye mai.... Maine nahi kiya..... Ye sab......"
Neel is waqt Nilam ki dari halat dekh use chup karte hue kehta he "Tum ro kyu rahi ho Nilam? Chup ho jao"
Lekin Nilam apne tezi se behte ansuo ke saath kehti he "Ye sab maine nahi kiya..... Sabkuch..... Sabkuch apne aap hua Bhai....." Nilam ki kahi baat par Neel ko bilkul vishwas nahi ho raha tha, lekin use itna dara hua dekh Neel uske sar mein haath ferta hua use shant kar raha tha, tabhi waha uske parents bhi agaye, Neel ne ishare se unhe kuch na kehne ko bola. Nilam ko tez bukhar bhi chadd gaya tha, Neel sab se pehle Nilam ko apne kamre mein lekar chala gaya shukr ke ghar mein doctor the unhone Nilam ko injection dekar shant kar diya aur wo gehri nind mein chali gayi.
Nilam ke so jane ke baad Jyoti Neel se puchti hai "Neel ye sab kya tha?"
"Pata nahi Maa.... Mujhe Nilam ke kamre mein se uski chikh ne ki aur kuch tutne ki awaze ayi to me waha gaya"
Tabb Virendra us se puchta he "Lekin Nilam ne ye sab kyu kiya?"
"Wo baar baar keh rahu thi ke usne ye sab nahi kiya"
"To aur kon ho sakta hai...... Tum jaldi se Dr. Sumitra ko call karo aur ye sab batao"
Fir Neel Sumitra ko call kar ke ye sab bata deta hai, Sumitra kuch der mein waha pahoch gayi. Nilam thodi der mein hosh mein agayi, wo aakhe kholte hi fir se darte hue bed par uthkar Beth gayi aur Neel ko pukarne lagi, Neel usko apne sine se laga kar shant karwa raha tha.
"Aap sab kuch der ke liye bahar jaye, mujhe Nilam se baat karni hai" Sumitra ki baat sunkar Nilam aur kass kar Neel ko pakad leti hai kisi tarah Dr. Sumitra Nilam ko shant karti hai aur sabko bahar bhej deti hai or khud Nilam ke paas bethkar us se puchti he "kya hua Nilam? Tum itna darr kyu rahi ho?"
Nilam ghabrate hue jawab deti hai "Dr...... Mein..... Kamre mein..... Wo sab.... Wo sab maine nahi kiya"
"Ha mai janti hu Nilam, pehle tum darna band karo.... Mai hu na yaha"
Kisi tarah Dr. Ne Nilam ko normal rehne ke liye mana liya.
"Ab batao, kya hua tha?"
Tabb Nilam abhi hue hadse ko apni aankho ke samne hota dekh kehti he "Mai apne kamre mein thi, kafi gusse mein.... Pata nahi mujhe kya ho gaya tha.... Maine..... Maine jab zor se chikha to sab..... Sabkuch......"
Sumitra uski baat bich me kaat te hue kehti he "Matlab tumne apne gusse ka istemal kiya?"
"Nahi....." Nilam Sumitra ki taraf dekhte hue kehti he
" Lekin Nilam tumhi ne kaha na, ke tum Gusse mein chikhi aur fir tumhare kamre mein sabkuch tutne laga"
"Lekin ye sab kese......."
"Tum janti ho, mai bhi aisi chize kar sakti hu" aur itna kehkar Dr. Sumitra table par pade glass ki taraf haath kar ke use hawa mein uda deti hai, ye dekh Nilam bilkul heran thi, Sumitra us glass ko bilkul Nilam ke samne le ayi ye sab dekh Nilam ka Darr aur badh Raha tha, tabb Sumitra us se kehti he "ab is glass ko dhyan se dekho, aur apna pura dhyan ispar lagao" Sumitra ki baat sunkar Nilam kuch samajh nahi pati tabb Sumitra use fir se wahi kehti he or is baar Nilam waisa hi karti hai, jese jese Nilam apna sara dhyan is glass par lagane lagi, wo glass thar tharane laga aur ekdum se tut gaya, Nilam fir se ye sab dekh darne lagi.
Sumitra apni 2 ungliya Nilam ke mathe par rakhte hue kehti hai "Tum daro matt Nilam.... Isme darne wali baat nahi hai, iska matlab hai tum takatwar ho..... Bahot zyada takatwar" Sumitra ke aise karne se Nilam jese kisi aur hi duniya mein pahoch gayi thi, wo jese aakhe khuli rakh kar so rahi ho. Kuch der mein Sumitra ne apna haath hata diya tabb Nilam fir se hosh mein agayi "tumhe kesa mehsus ho raha hai Nilam?" Sumitra puchti he
"T..... Takatwar" Nilam herani bhari swaro me kehti he
"Bilkul..... Tum takatwar ho samjhi?"
Uski baat par Nilam haa mein jawab deti hai.
"Aur ab tum sabse kahogi ke tumhare kamre mein jo kuch hua, wo tumne kiya.... Samjhi?"
Tabb Nilam yaha waha dekhte hue kehti he "Ha..... Lekin mujhe samajh nahi araha ye sab kya ho raha hai.... Aur usdin is ring mein se......."
"Waqt ane par tum sab samajh jaogi..... Lekin iska zikr tum kisi se nahi karogi"
"Thik.... Thik hai"
"Ab tum so jao"
Dr. Nilam ko nind ki dawai dekar sula deti hai aur niche akar sabko bata deti hai ke Nilam ne gusse mein akar apne kamre ka aisa haal kar diya tha. Kuch der Sumitra waha bethi rahi aur fir apne ghar chali gayi, lekin jab wo ghar ke darwaze ke bahar ayi, usne apne chehre par haath fer kar apna huliya hi badal diya aur waha se chali gayi.
Upar Neel kamre mein akar Nilam ke bagal mein let gaya, usne Nilam ke chehre ko pyaar se dekhte hue uske mathe ko chuma aur khud use apni baho mein lekar so gaya.
Raat ke kareeb 3 baje hue the, Nilam ki nind khul gayi usne paya ke wo is waqt Neel ki baho mein duniya ke har khatre se surakshit hai, usne fir se sone ki koshish ki, lekin ab use nind nahi arahi thi isliye wo uth gayi, aur use aaj Dr. Sumitra ne jo kiya wo sab yaad ane laga, Nilam table par rakhe pani ke Jug ko dekhne lagi, wo kafi dhyan laga kar use hilane ki koshish kar rahi thi, lekin kuch nahi hua. Tabb Nilam apne aap ko bilkul relax kar leti hai, aur sidhi beth kar apna pura dhyan us Jug par lagati hai, is baar wo jug hilne laga lekin aisa lagg raha tha Nilam ki sari takat is mein kharch ho rahi hai, wo zor zor se haanf ne lagg gayi aur fir se apne dimag ko shant karte hue us Jug ko apne jagah se utha ne mein lagg jati hai, usne apne haath Jug ki taraf badha diye is baar Jug hawa mein uth gaya, "Nilam......" Neel ki awaz sunkar Nilam ekdum se piche mudi "Haa.... Ha bhai"
"Tum jaag kyu rahi ho?"
"Wo..... Mai.... Mai.... Mujhe pyaas lagi thi, to pani pine ke liye....."
"Accha.... Chalo pi lo aur ajao sone"
"Haa...."
Fir Nilam pani pikar let gayi, Neel ne fir se use apni baho mein bhar liya jaha Nilam ko bhi behadd sukun mehsus ho raha tha.
Waha Flamekin gusse mein tha, wo jaan chuka tha ke jise wo dhund raha hai, uska sambandh Hospital se zarur hai, lekin use koi bhi sabut nahi mil raha tha
"Ab Bahot ho gaya, El Meren ko dhund ne se pehle us insan ko dhund na hoga jo El Meren ki madat kar rahi hai...."
Tabb Dr. Bill kehta he "Dr. Humne Hospital ke sare staff par nazar rakhi hui hai, lekin humare haath abtak nakamyabi hi ayi he"
"Mujhe wo Jadugarni chahiye"
"Mai samajh gaya Dr."
"Mere saath 3-4 logi ko bhejo, hum Hospital mein ja rahe hai"
"Hospital kyu?"
"Jab hum pehli baar waha gaye the, mujhe waha kisi dushman ki anubhuti hui thi"
"Lekin Dr. Aapki shaktiya abhi kaid hai, aur aap us dushman ki shaktiyo ka samna kese karenge?"
"Karna hoga...... Mere paas ek plan hai"
"Samajh gaya Dr."
Subah ke 8 baje hue the, Flamekin aur uske saath 7-8 log Hospital ki taraf badh rahe the, usme se 3 log Security Room mein chale gaye aur waha sab ko apni adhunik Guns se maar diya jis se waha ek awaz takk nahi ayi. aur Flamekin Hospital mein mojud us Dushman ko khoj raha tha. Jesa ehsas Flamekin ko hua, kuch waisa hi ehsas Dr. Sumitra ko bhi hua. Usne sab se pehle apne computer par CCTV se dekha aur use Flamekin aur uski team dikhi, Sumitra ne zoom kar ke Flamekin ke haath par nishan dekha aur use samajh agaya ye kon hai. Usne Security Room mein call kiya lekin waha se koi jawab nahi araha tha, tabb Sumitra waha ka CCTV dekhti hai aur waha koi nahi tha, usne kuch der pehle ki footage dekhi jisme kuch log Security ko goli maarte dikh rahe the. Waha Sumitra ne Hospital mein internal Alarms on kar diye jis se Sablog Hospital ke bahar jane lage, siwaye Flamekin, uski team aur Sumitra ke.
Sumitra jese hi Flamekin ke samne akar khadi hui Flamekin use dekh kar hasne laga "ohhhhh...... Fyer's ki wafadar, jise Fyers ki duniya mein jane takk ki Ijazat nahi hai hahahaha"
Sumitra do kadam aage badha kar Flamekin se kehti he "Hume us duniya mein jane ki zarurat hi nahi hai, humara kaam bass is duniya aur us duniya mein judav banaye rakhna hai......"
"Afsos...... Wo Judav ab khatam hone wala hai" itna kehkar Flamekin ne Gun nikal kar Sumitra par taani, aur ye dekh baki sab logo ne bhi Sumitra par Gun point kar di. Ye dekh Sumitra muskurane lagg gayi "tumhe lagta hai tum mujhe is Goli se maar paoge?"
Flamekin haste hue Sumitra se kehta he "Kisne kaha is Gun mein Goliya hai..... Isme to Zyers ki duniya ka zeher hai"
uski baat sunkar Sumitra ke chehre ki hasi udd gayi, kyu ke wo janti thi ye zeher use bass kuch pal mein hi dher kar sakta hai. Tabb Flamekin ne Gun fire kar di, Sumitra ne turant apne samne ek suraksha kavach bana diya, jis se wo zeher wali goli ustakk nahi pahoch payi, tabhi ek aadmi ne Flamethrower se us kavach par hamla kiya jise Sumitra zyada der rok nahi sakti thi, isliye wo turant waha se bhag jati hai. Flamekin ne call kar ke bahar khade apne baki sathi bula liye, ab Sumitra ko akele ek puri fauj se ladna tha. Sab log alag alag hokar use dhund rahe the, Sumitra ko kuch bhi kar ke Flamekin se dur rehna tha kyu ke uske paas Zyer duniya ke zeher wali goliya thi. Sumitra chupkar baki logo ke piche pahoch gayi, aur bass ek hi jhatke me waha mojud 7 logo ko hawa mein utha kar unnki gardan mod di, tabhi uske piche se 3 logo ne uspar Goliya barsana shuru kar di, Sumitra ne ek haath se waha kavach bana diya, aur dusre haath se ishara kar ke un goliyo ko unhi logo par fer diya. Kuch hi palo mein usne 10 logo ko dher kar diya tha, aise hi kar ke Sumitra baki logo se ladd rahi thi, lekin use ek baat samajh nahi ayi ke Flamekin uske samne kyu nahi araha. Jabb Sumitra ne sare logo ko maar giraya usne pura hospital check kiya lekin Flamekin kahi nahi tha, tabb Sumitra daud kar apne cabin mein gayi jaha uska Cabin bilkul bikhra hua tha, darasal ye sab Flamekin ki chal thi taki wo Sumitra ke cabin mein akar Nilam ki jankari le sake. Wo janta tha ke bina shaktiyo ke Sumitra uska khatma kar sakti hai. Sumitra ko apne aap par Bahot hi gussa araha tha usne jaldi se Neel ko call kar diya "Neel, is waqt jo mein kehti hu wahi karna sawal matt karna"
Sumitra ki ghabrahat bhari awaz se Neel samajh gaya ke koi gadbad zarur hai "ji Dr. Kahiye"
"Tum isi waqt Nilam ko aur tumhare parents ko lekar kahi safe jagah chale jao.... Sabka khayal rakhna, khas kar Nilam ka......"
Aisi baat sunkar Neel kuch samjh nahi paya "Dr. Mai kuch......."
Tabb Sumitra bich me bol padti he "Neel sawal jawab ka waqt nahi hai, tum apne Parents ko sab se chupa kar kahi alag rakhna, kyu ke ab tumhe Nilam ka khas khayal rakhna hai"
"Lekin Dr......."
Jabtak Neel kuch puch pata Sumitra ne call kaat diya. Neel ne turant Nilam ko nind se jaga diya aur use apni zaruri chize pack karne ko kaha, aur apne Parents ko bhi ittila karne chala gaya, kisi ko kuch samajh nahi araha tha Neel sabko lekar chal padta hai ek safe jagah par.
Waha Flamekin ko Nilam ke bare mein jankari mil gayi thi, aur use Nilam ki aakhe dekh kar pura yakeen ho gaya ke yahi hai wo Jadugarni ab Flamekin ke chehre par ek shaitani hasi chayi hui thi "akhir kaar dhund hi liya tumhe.... El Meren"
Nice and superb update.....Vol 1 "Diabolic Resurrection"