• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,422 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.5%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,716

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,419
259

Jutt di ego

New Member
3
3
3
Update - 161 ~ Big Bash (2)
Ab tak...Kaera!!!*Click*Jiske ird gird tamaam photographers, uske bodyguards aur toh aur uski family se leke uski personal maid Julia aur secretary Ruchika bhi maujood thi.'Goddamn it!!!'Aur agar kahi Suhana bhi rahi, toh na jaane Veer inn sab ke saath saath Aadesh ko kaise jhel payega bhala?Pari uski sthiti samajh sakti thi. Aur iss baar harr waqt seducing tone rakhne waali Pari bhi bas yahi boli,[I wish you good luck!]Ab aage...Casa Belle's VIP room~
Night ~ 8:14 PM
"Neeche ka kya mahaul hai?" Aadesh ne apni shirt ki akhiri button lagaate hue peeche khadi apni assistant se pucha."Guests aate jaa rahe hai, Sir!" Assistant ne jawab diya. Haatho me uske Aadesh ka ek kaala coat tha.Uske button lagaate hi woh assistant aage aayi aur usne coat Aadesh ko thamaaya. Coat daal, Aadesh ne sheeshe me khud ko dekha. Woh jach raha tha. Neeche se use music aur chehel pehel ka shor sunaayi de raha tha.Upar ke floor par khud ki hotel ke ek VIP kamre me wo taiyaar ho raha tha.Assistant : Hum neeche kab chal rahe hai, Sir?Aadesh : Abhi nahi! Kaun chutiya khud ki party me sabse pehle pahuchta hai?Assistant (smiles) : Fir?Aadesh : Kuch important guests ko aa jaane do pehle. Unke aate hi hum neeche chal denge.Assistant : Aapne kayi saare important log bulaaye hai, Sir. Unme se kuch toh aa bhi gaye honge.Aadesh : Oh!Assistant : Aap 'Chef on Wheels' waalo se kaise deal karne waale ho?Aadesh (smirks) : Woh tum aaj hi dekh lena.Assistant : Toh kya unse deal karne ke liye hi aapne ye itni badi party rakhi hai?Aadesh (laughs) : Hahahaha! Paagal ho kya? Party toh mujhe pehle se hi deni thi apni hotel ke advertisement ke liye. 'Chef on Wheels' toh raaste me aaya bas ek chhota sa kankad hai, jo aaj raaste se nikaal diya jayega.Assistant : Ohh!Aadesh : Tum neeche nigrani rakhti raho! Mein nahi chaahta ki important guests ke saamne mein waha late pahuchu. Woh kehte hai na? First impression is the last impression.Assistant (smiles) : Ji!!Aur assistant apne haath me ek tab uthaate hue usme security cameras me kuch dekhne lagi.***Idhar neeche Veer, Arohi, Bhumika aur Tej aapas me mil chuke the aur hotel ki entry me qadam rakh rahe the jaha pehle se hi kuch bouncers security ke saath khade hue the.Veer ne jaan boojh ke kuch derr delay kiya tha taaki tab tak Kaera aur Sonia dono pehle hi andar chali jaaye. Aur hua bhi yahi. Cameras ki shutters aur flash se tang aake, Sonia aur Kaera dono hi zyada derr tak waha khadi na reh saki. Kuch hi palo me woh dono andar thi.Unke jaate hi Veer aur baaki sab security ke paas pahuche. Security ne unka invitation check kiya aur bina kisi samasya ke unhe andar jaane de diya.Hotel ke premises me ghuste hi uski sundarta dekhne laayak thi. Dekh ke hi andaza lagaya jaa sakta tha ki akhir kitna paisa kharch kiya gaya tha iss khubsoorat structure ko taiyaar karne me.Aapas me chalte chalte Bhumika hotel ki tareef karne se khud ko na rok paayi.Bhumika : Very unique!Tej (glances) : Hmm?Bhumika : Tum logo ne dekha? Hotel me swimming pool ke liye inn logo ne hotel ke chaaro orr swimming pool bana diya. Pool ki width kam kar di par length itni badha di ki koi bhi araam se pool ka maza le sakta hai.Arohi : Yes! I saw that too. Aur woh hotel ke 360° me swim bhi kar sakte hai.Bhumika : Yes! A very unique structure.Tej : Jagah ka acche se istemal kiya hai.Bhumika : That's right!Veer khamosh tha. Woh aisi luxury pehle hi Las Vegas aur France me dekh chuka tha. Uski nazre kahi aur hi jagah jagah scan karne me lagi hui thi.Yaha balcony me khadi Kavya ne jab neeche se Veer ko aate dekha toh pehle toh woh chakit reh gayi aur fir baad me seedha neeche ki orr bhaagi. Kritika use peeche se awaaz deti rahi par ant me use bhi uske peeche peeche hi bhaagna pada.Veer aur baaki sabhi hotel ki main entry ke gate par aa chuke the aur tabhi,"Bhaiyaaaaaaaa~"Ek awaaz Veer ke kaano me padi. Woh muskuraaya aur ek cute si ladki daud ke aake uske shareer se chipak gayi.Kavya : Bhaiyaaaa~Kavya Veer ko jamm ke jakde hue thi. Bechari ki khushi ka koi thikana nahi tha. Jise woh sabse zyada yaad kar rahi thi wo yaha aa chuka tha.Kavya : Aap sab yaha?Veer (smiles) : Kyu? Kya hume invitation nahi mil sakta?Kavya : Ahh! Matlab aapko bhi invitation mila hai? Oye! Kritika, dekha na? Mere bhaiya ko bhi invitation mila hai.Kritika jo peeche peeche daud ke aayi woh haafte hue apni saansein durust kar boli,Kritika (pants) : O-Ohh! *huff* Y-Ye toh acchi baat hai. Ab hum sab saath enjoy kar sakte hai.Kavya (pouts) : Aapne mujhse nahi pucha ki mujhe invitation kaise mila?Veer (smiles) : Arohi di ne mujhe pehle hi bata diya hai ki tum log Kritika ki taraf se aaye ho.Kavya : Kya dii aap bhi!!! Sab pehle hi bata deti ho. Hmph~Badle me Arohi bas muskurayi. Kavya ne Veer ki baah me haath daala jaise ek couple aksar daal ke rakhte hai aur use kheechte hue andar le jaane lagi.Veer : H-Hey! Wait!Kavya : Chaloooo~ Andar pata bhaiya food counter me mast mast dishes lagi hui hai. Mast jamm ke khayenge. Chalooo~Arohi (blushes) : K-Kavyaaaa!!! What is this?Kavya : Arre toh usme kya? Khaane hi toh aaye hai hum. Hai na? Hai na bhaiya?Woh masoom aankhein liye Veer ko dekhi toh Veer ki hasi nikal gayi.Veer (laughs) : Bilkul! Bilkul!Arohi (blushes) : Veeeeerr!!! Don't support her!!! Kritika kya sochegi aisi baatein karogi tum toh-Kavya : Huh? Matlab? Arre to woh toh khud thoosne aayi hai. Kyu hai na? Kritika?Bechari Kritika bas sharm ke maare apna sarr jhuka ke reh gayi. Uske gaal laal ho rakhe the. Arohi ne bud-budaate hue use dekh sorry kaha. Toh woh bas haami hi de paayi.Isme Kavya ki koi galti nahi thi. Woh yaha par kya schemes hone waali thi unn sab se anibhigya thi. Uske liye toh ye bas ek sunehra mauka tha.Ek sunehra mauka jaha 5 star hotel me free ka khaana mila ho. Jaise aksar parichit ki shaadiyo me hume muft ka khaana naseeb ho jaaya karta tha. Kuch usi prakaar Kavya ke liye yahi aaj ka din tha. Woh toh bas lazeez khaana enjoy karne, apne logo ke saath masti karne aur photos click karne aayi hui thi.Peeth peeche kya rann-neetiya bani hui thi woh inn sab se anjaan thi.Andar ghuste hi unn sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Andar ka banquet hall itna bhavya aur vishaal tha ki dherr saare logo ke hone ke bawajood woh kahi se bhi chhota prateet nahi ho raha tha.Tej (amazed) : This-!!Lightings ki bharpoor vyavastha ki gayi thi. Spotlights se leke party lights sab ki sab installed thi. Side se buffet laga hua tha aur 50 se bhi zyada dishes ka intezam tha. Italian, Mexican, Chinese, Thai, Continental, Indian jaisi tamaam cuisines waha maujood thi.Kavya : Dekha na? Mein toh harr cuisine try karne waali hu. Hehe!Kritika (blushes) : Abhi khana start nahi hua hai pagal!Kavya : Arre toh ho jayega. Wait karte hai.Harr guzarte pal bheed badhti hi jaa rahi thi. Jaanta kaafi maatra me aayi hui thi.Aisa nahi tha ki aadmi local ho. Bade se bade log aaj yaha maujood the. Iska matlab saaf tha ki Veer ke liye yaha bohut se log business partners bann sakte the.Woh dekh paa raha tha dur se ki Kaera aur Sonia opposite sides kisi se baato me lagi hui thi.73d6804d542cdd93ce4d7f821972297f-1'Kya unn dono ko ek dusre ki presence ke baare me pata chal gaya?'156f7d929dc4c4725d55a2bb518392ee[Yes!]'Tum itni surety se kaise keh sakti ho?'[Don't you see? Woh dono hi opposite side khadi hui hai. Also, unhe nahi bhi pata chala hoga toh unke secretary ya kisi ne unke kaan me ye baat daal hi di hogi.]'I see!'Veer dekh raha tha ki kaise high net-worth waale log andar hotel me pravesh karte jaa rahe the. Woh baari baari kuch logo ko check karte jaa raha tha.'Akhir iss Casa Belle ke owner ka motive kya hai?'[We'll come to know!]Bhumika : Ah! Veer! Hotel se yaad aaya, tumne head chef ke baare me kaha tha ki tumhari nazar me hai koi. Lekin, uske baad se tumne kuch bataya hi nahi.Veer : Oh right! Shit! Mein ye kaise bhul gaya? Koi hai jise mein hotel par bhejna chahunga chef ke roop me.Bhumika : Kaun hai? Kya woh experienced hai?Veer : Nahi! Ye unka kisi bhi hotel me kaam karne ka pehla experience hoga. But I can say that she's really good at cooking.Bhumika : She? Yaani koi lady hai?Veer : Yes! Magar, unhe pehle aapko thoda sa sikhana padega. Unhone pehle kabhi itne logo ke liye khana nahi banaya hai. So, ek training ki zaroorat hai. Uske baad woh sab kuch khud sambhal sakti hai.Bhumika : Oh! I see! Mene ek head chef ko abhi temporary hire kiya hai. Agar, woh unke saath milke seekh jayengi toh ye bohut hi acchi baat hogi. I'll wait for her then. Kab bhej rahe ho unhe?Veer (smiles) : Mein kal hi unse aane ke liye keh dunga. Don't worry.Bhumika (nods) : Mmm~Veer ne nazre ghumayi toh usne ye bhi gaur kiya ki tamaam reporters aur influencers bhi aaye hue the.Reporters woh the jo aksar glamor aur fashion ki duniya me reporting karne ke liye jaane jaate the. Toh wahi, influencers woh the jo instagram par apni tagdi fan-followings ke liye aaye din charcha me rehte the.Dur khadi Sonia jo kuch parichit logo se mil rahi thi, uski nigaahein achanak hi peeche ki orr jab gayi toh ek jaana pehchaana shaks use dikhayi diya.‘Veer???’Apni baato ko wahi virhaam dete hue woh aage badhi,“Excuse me! One moment please~”Uske saath khade guests ne use haami di aur Sonia apne group circle se baahar nikal ek disha ki orr chal di. Kya woh Veer hi tha? Magar woh yaha kya kar raha hai? Kuch yahi sawaal uske dimaag me ghoom rahe the.Woh chal hi rahi thi jab kuch insta models uske paas achanak se aake use gher liye,“Ma’am, one selfie please! One selfie!”“Big fan ma’am! I follow you on instagram~!”“Oh my god! Miss Sonia! You look even beautiful in person! Please, one photograph?”Sonia : I-“Please! Ma’am!”“Please~”Woh bechain ho uthi. Kahi Veer uski nazro se gaayab ho gaya toh? Uss se mile na jaane kitna samay ho chuka tha. Akhiri baar shayad woh tab hi mili thi jab uske ghar holi khelne woh Suhana ke sang gayi thi.Na jaane kyu, par jab bhi woh Veer se milti thi use ye milan bada hi accha lagta tha. Kuch alag si baat thi usme. Shuru se hi, jab jab woh Veer ke paas hoti, tab tab uska mann khush ho uthata.Lekin, ek sawaal hamesha uske mann me reh jaata. Akhir kyu? Kyu Veer ke aas paas hone se use ye anubhuti hoti thi? Shayad Veer ne kabhi bhi use ameer baap ki ladki ki tarah treat nahi kiya isliye? Shayad haan!! Jawab yahi tha.Sonia : Let me pass through~ P-Please~ L-Later guys. I’m really sorry! But later guys!Aur wo aaj pehli baar logo ko iss tarah mana kar unke ghere se baahar aayi. Veer ki orr uske qadam fir badh gaye.Idhar Veer logo ko scan karne me laga hua tha, jab achanak se-“Veer!!!”Veer (turns) : Hmm?Sonia uske saamne thi. Apna cham-chamata chehra liye, sundar badi badi aankhon se use nihaarte hue, aur apni pyaari si peeli dress me uske saamne samaksh khade hue, woh haazir thi.Saundarya bolta tha. Sonia ki khubsoorti iss baat ka saboot thi. Jab jab iss starr ki koi khubsoorti ki bala uske saamne prastut hoti thi tab tab hi Veer kuch palo ke liye maun hone par majboor ho jaata tha.Uske honth halke se upar ko uthe, uska muh ahista se khula. Woh Sonia ko nihaar raha tha. Sonia ne bhi jaise ye baat gaur kar li aur apne baalo ki latt ko kaan ke peeche le jaate hue sharma ke nazre ferr lii. Uske baad hi Veer ke muh se kuch shabd nikle,Veer : Miss Sonia?Sonia (smiles) : Kya Miss lagana zaroori hai? I thought we were good friends, Veer!Veer : A-Aap mujhse badi hai isliye-Iss se pehle ki Veer apni baat poori keh paata, peeche khadi Tej ne uska haath thaama aur uss se chipakte hue tapaak se boli,Tej : Toh didi kehna sahi hoga? Right?Sonia (baffled) : Wh-What!???Sonia ki aankhein ‘didi’ shabd sunte hi fel gayi. Ye kya sunn liye usne? Veer ke muh se ‘didi’? Aur woh bhi apne liye? Kabhi bhi nahi!Jab Sonia Veer ke paas aayi tab Tej sabse pehle aashcharya me thi, par Sonia ki aankhon me Veer se baate karte hue woh chamak jaise hi use dikhayi di, ek khatre ki ghanti uske dimag me baj uthi.Uske baad toh woh ye bhool gayi ki Sonia Elite Motors ki maalkin thi. Woh apne defense mode pe aa chuki thi. Uske bhai ko koi bhi chhina ke nahi le jaa sakta tha. Woh ye bhi jaanti thi ki yahi woh Sonia thi jiski car se bhid ke uska bhai hospital me hospitalized tha.Kintu, baaki sab ke saath aisa nahi tha. Arohi, Kavya, Kritika, Bhumika ye sabhi Sonia ko dekh khush thi. Holi ke dauran woh sabhi mile hue the.Sonia : Ahaha! T-That’s not okay I guess!? ‘Miss’ hi theek rahega Veer.Veer : O-Ohh!Jab ‘didi’ bulaane jaane se Sonia ne inkaar kiya toh Tej ka shaq aur bhi gehra ho gaya. Dal me kuch toh kaala tha. Woh ek baat samajh chuki thi ki ab use ek naya hathiyaar mil chuka hai.Apne bhai ke ird gird harr ladki se ye puchna ki kya woh uske bhai ki behan banengi? Agar koi bhi inkaar kar de, matlab kuch gadbad zaroor hai.Veer (smiles) : By the way, ye meri badi behan hai. Tejal! And Teju di! Ye hai-Tej : Miss Sonia! Elite motors ki CEO and MD. Right?Usne attitude me apna haath aage kar badhaya. Sonia ki bauhe ek pal ke liye kasi par usne muskuraate hue Tej ka haath thaama aur ahista se boli,Sonia (smiles) : Last time when I came, you weren’t there I guess?Tej (smiles) : Because I was busy finding a trail to my brother.Sonia (smiles) : That’s so sad! I’m glad I’m always here to support him.Tej (smiles) : Well no need then! Since, I’m here now!Dono muskura zaroor rahi thi par ye muskaan dono ki hi farzi thi. Unke haatho ki pakad aur kass gayi. Ye kahi se bhi ek sadharan handshake ki pakad nahi thi, ye kisi panja ladaane ki taaqat jitni mazboot pakad thi.Woh kya keh rahi thi aapas me baakiyo ko toh sunayi na diya magar Veer apne senses dwara sab kuch sunn chuka tha.‘This is bad!! Fuck!!!’Halaki, use hastakshep karne ki zaroorat nahi padi. Tej karate me maahir thi. Abhi black belt champion nahi thi lekin Sonia jaisi ladkiyo ko ring me dhool chataane ki kaabiliyat zaroor rakhti thi woh. Zaahir hai, uski pakad Sonia ki pakad se zyada mazboot thi. Jis wajah se Sonia ne apna haath dheela kar chhor diya, aur badle me Tej ne bhi.Sonia : Anyways-Woh kuch aage kehti ki tabhi uske peeche se Prakash Uncle aur uski secretary bhi unke saath sammilit ho gayi.Prakash (smiles) : Bahut dino baad mil rahe hai hum! Kaise ho?Veer (smiles) : Theek hu! Aap sunaiye haal chaal!Prakash : Bas kaam kaam aur kaam!Sonia : Aap ke shabd aise sunayi pad rahe hai Uncle jaise hum aapse mazdoori karwa rahe ho.Prakash : Hahaha! Arre meri chhoro aap sab. Meri toh umr nikal gayi hai. Mujh budhe se baat kar ke kuch naya nahi milega. Aap sab apna enjoy karo.Veer (smiles) : Apne se badi umr ke logo se hi gyaan milta hai Uncle.Prakash bas muskuraya aur mud ke haath hilaate hue waha se wapas se apne sthaan par chala gaya. Veer ki baat use pasand aayi ho ya na aayi ho, Sonia ki aankhon me ye sunn ke zaroor chamak aa chuki thi.Veer : Wese? Y-Ye kaun?Veer ka ishara uski secretary ki orr tha jo itne logo ke beech iklauti aisi thi jo mask pehni hui thi.Sonia : Umm! Ye meri secretary hai, Veer!Veer : Hello!Veer ne haath aage kar Sonia ki secretary ki taraf badhaya. Secretary ne bhi Veer ka haath thaama aur ek nod deke haath milaake peeche kar liya. Kintu, boli kuch nahi.Veer : Hmm?Veer ne fir agle hi pal.‘Check!’*Ding*[Name : Suchika
Age : 31
Bio : Suchika, Ruchika ki badi behan. Kuch saal pehle ek aashiq ke pyaar me aake ghar chhorr bhaag gayi thi, jis se saare parivaar ki thu thu hui thi. Aashiq koi raees baap ki aulaad nahi balki ek unemployed bhatakta hua awaara tha. Sachhaayi ka pata chalte hi woh uske changul se bhaag nikli. Sonia ne Kaera ke plans ko exploit karne ke liye Ruchika ki behan ke whereabouts ka pata lagwaya. Aur, tab jaake Suchika iss tarah Sonia ke contact me aayi. Aaj Sonia use Kaera ke against use kar rahi hai.Relationship : Strangers.
Favourability : 12]‘Suchika? Ruchika ki badi behan? I see! Miss Sonia inhe Miss Kaera ke against istemal kar rahi hai? Wait! Favorability 12? How?’[Because of your looks.]‘Ohhh!’Veer : Mujhe toh laga tha ki Prakash Uncle aapke secretary the?Sonia : Prakash Uncle sirf mere hi nahi, dii ke bhi kaam karte hai. Jabki ye meri new secretary…! She’s my private secretary.Sonia naam nahi le rahi thi Suchika ka aur Veer jaanta tha ki woh aisa kyu kar rahi hai. Woh Veer se jhooth nahi bolna chaahti thi. Isliye behtar tha ki Suchika ka naam hi na bataya jaaye.Sonia : Aur tum sab kaisi ho? *smiles* Arohi? Kavya? And- Bhumika right?Bhumika : Yes!Arohi (smiles) : We are good as well!Kavya : Agli baar aap firse holi me aaiyega. Hum saath khelenge.Sonia (smiles) : Kyu nahi!Inki baate aur hoti ki peeche se koi chhillaaya,"Damn it!! Veer??? Tum yaha???"Palat ke dekha toh koi aur nahi, Karan tha. Uska sabse khaas dost. Suit me tip top lag raha tha woh. Veer ko dekhte hi woh uske nazdeek aaya aur uske dono kandho par haath jamm ke rakhte hue bola,Karan : What the hell man? Fursat nahi milti tumhe zara bhi? Ek baar milne ka bhi nahi socha.Veer : Well-Karan : Haan haan! Ab bahaane aayenge! I know!Veer : Nahi aisa nahi-Karan : Ohh! Hey Kavya! Kaisi ho?Kavya : Acchi hu! Aur bhaiya ki chhorro, aap ke paas bhi toh time nahi hai ki hum sab se mil jaaye. Hmph!Karan : Eh!? Ahaha! Woh mein actually-Arohi : That's right! You never showed up!Karan : Wait! Arohi di! Asal me aisa tha ki-Bhumika : Karan from Nexacom! Younger sibling of Miss Kaera. *smiles* Pleased to meet you!Karan : Ohh! Ahaha! Nice to meet you too! Aap se pehle kabhi mulaqat nahi hui. Aap Veer ki badi behan-Bhumika (nods) : Yes!Karan : Ohh! Tejal dii? Haha!Bhumika : No! Mein Bhumika!Karan : Eh!?Tej (smiles) : I'm Tejal!Karan : Ohh! Milke accha laga. Veer ne bataya tha aapke baare me.Tej ye sunn andar hi andar behad khush ho gayi. Toh wahi bechari Bhumika ka chehra maayus ho utha. Matlab Veer ne kabhi uska zikr nahi kiya? Bagal se khade Veer ne jaise ye bhaanp liya aur Bhumika ke peeche aake uske kandho par apne dono haath rakh bola,Veer : Wese, ye bhi meri dii hai. Bhumika dii! Hotel Prestige ki owner.Veer ke haatho ka sparsh apne upar paate hi aur uske muh se apna parichay sunn Bhumika ka dil jaise andar se gad-gad ho gaya. Halki sharm bhi uske gaalo par chadh gayi.Bhumika : M-Mein akeli owner nahi hu. Hotel hum sab ka hai.Karan (smiles) : That's nice to hear.Karan ki nazre uske baad fir Kritika pe gayi. Dono ki aankhein chaar hui aur ek hayaa ka parda unn dono ne odh liya.Karan : H-Hey!!Kritika (blushes) : H-Hello!Karan : Tum yaha?Kritika : Iss hotel ke owner jo hai, woh actually mere uncle hai.Karan : Ohh! That's nice.Kritika (blushes) : Hmm!Veer : By the way, tumse kuch kaam hai. Baad me baat karunga.Karan : Hmm? Yeah! Mujhe bhi kuch kaam hai tumse.Veer : Ohh?Sonia : I'm here as well. Mister! *smiles*Karan : Ahh!Sonia (extends hand) : How are you doing?Karan (smiles) : M-Miss Sonia! I'm good. It's been a while.Sonia : Yes!Dono ki beech aur baatein hoti ki tabhi koi aur bhi inki mehfil me shaamil hone aa gaya,"My dear~ Sonia!!! Kab se tumhe dhoondh raha hu. Aur tum yaha ho!"Ek sadharan sa dikhne waala aadmi, aankhon par chashma lagaaye, grey suit pehne apne dono haath khol aage aaya. Parantu, Sonia ne apna haath aage badha ke uski hug ko jaise thukra diya.Veer ko kya karna tha, woh jaanta tha.'Check!'*Ding*[Name : Gaurav
Age : 33
Bio : Gaurav! Suhana ka husband! Globerays company me CEO hai. Shadiyantra ki madad se usne Suhana ko hathyaaya aur uss se shadi ki. Suhana ko paana bas uska apna ego satisfy karna jitna tha. He's actually after Suhana's money. Sonia ke saath physical relationship banaane ki chaah rakhta hai.Relationship : Strangers.
Favourability : -5 ]Bio padh ke Veer ki aankhein hairat me fel gayi.'This motherfucker!'[So he wants the younger sibling too? What a douchebag!!]Shayad Sonia bhi uske iraado se waaqif thi kahi na kahi jo aaj usne uski hug ko thukra diya.Globerays ek jaani maani badi MNC thi jo IT sector me kaafi mashoor thi.
Screenshot-2023-04-03-133907Yahi woh company thi jisme Suhana ne Shreya ko Veer ke kehne par job pe lagwaya tha.Aur yahi woh company thi jisme Niharika ek HR ke roop me waha kaam kar rahi thi. Usi company ka CEO Gaurav aaj Veer ke saamne haazir tha.Gaurav : Kya ho raha hai yaha? Haan? No space for me? *smiles*Sonia : Dii nahi aayi?Sonia ne kehte hue sawaal ka rukh badal diya.Gaurav : I don't know yaar. Tum toh jaanti ho apni behan ko. Mene pucha uss se par usne koi jawab hi nahi diya. Bas boli ki mujhe kaam hai aur mein nahi jaungi. Harr koi tumhari tarah understanding wala thodi hota hai. *winks*Sonia (frowns) : Dii bhi samajhti hai.Gaurav : Oh yes! Yes! Mene ye thodi kaha wo samajhti nahi hai. Haan, lekin tumse kam. Hahaha!Sonia ko apne jiju ki baato se hi uncomfortable sa feel ho raha tha. Gaurav apni nazre churaate hue upar se neeche tak Sonia ke patle jism ko taad raha tha. Uski jawani me doobna chaahta tha woh. Veer yaha sab kuch bhaanp chuka tha.Sonia : By the way inn sab se miliye. Ye hai Veer. Abhi recently aap ne suna hoga woh ladka jo France se aaya tha. He's him! Aur 'chef on wheels' ka owner hai.'Veer' naam sunte hi Gaurav ke kaan khade ho gaye. Usne apne gusse ko turant hi chhipaya.Gaurav : Chef on wheels? Ye naam toh kabhi suna nahi. Well, hoga kuch. Par haan abhi news me tum kaafi charcha me rahe ho. Hahaha!Hasste hue haath mila kar woh Veer ke gale se mila. Par gale milte hi Veer ke kaano ki taraf aake usne halki par dhamkaane waali awaaz me kaha,"Toh woh tum ho jiske saath meri biwi ghoomti rehti hai? Haan? If you know your limits then stay away from her. Warna-! Tumhare liye accha nahi hoga!"Aur apni baat Veer ke kaan me daalte hue waapas se woh hasste hue sabhi se baat karne laga.Veer ki aankhein baaj ki tarah uss par jamm gayi. Mutthi kasi! Par iske pehle woh kuch karta,[Stay calm for now! Bugs like him can't do anything.]Pari ne uska gussa shaant kar diya.Jab itne bade bade logo ki mehfil ek saath jami hui thi toh logo ka attention waha jaana swabhavik tha. Kaera bhi inme se ek thi.Usne dekha ki kaise Veer aur baaki sabhi, yaha tak ki uska chota Bhai bhi uss ghere me khade hoke baat kar rahe the. Woh apni jagah se uthi.Julia : M-Miss?Parantu, woh bina kuch kahe ya sune uss orr chal di. Uske peeche peeche Jassi, Raghu bhi aaye. Julia aur Ruchika ko bhi majbooran jaana pada.Uske waha aate hi sabki nazre uss par tikk gayi. Sonia ki nigaahein Kaera se bhidi. Dono ne ek dusre ko dekha. Aur laga jaise nazro ke beech aapas me ek spark hua ho. Kaera ke waha aate hi mahaul tang ho chuka tha. Aisa lag raha tha jaise vatavaran me hawa bhaari ho gayi ho. Lekin, netr sirf inke hi nahi mile the.Kaera ke peeche khadi Ruchika ki aankhein bhi Suchika par jamm gayi. Woh ek soch me pad gayi ki ye mask pehne kaun nayi ladki thi? Aur use aisa kyu lag raha tha jaise woh use jaanti hai?Ruchika ne na aav dekha na taav aur seedha hi prashn kar daala.Ruchika (eyes profusely) : Who are you?Suchika : *raises eyebrow*Suchika apni jagah shaant khadi rahi. Usne koi uttar na diya. Kintu, Sonia ko jaise ek accha daav khelne ka mauka mil gaya.Sonia : Where are your manners? Don't you know that before asking someone's name, you should introduce yourself first.Ye jawaab sirf Ruchika ke liye nahi tha. Balki, ye Kaera ki bhi be-izzati thi.Kaera ne mud ke Ruchika ko aankh dikhaate hue jab dekha toh Ruchika ko apni galti ka abhaas hua. Bhala woh kaun hoti thi iss tarah se inn sab ko ignore kar apna sawaal rakhne waali?Ruchika (bows) : I'm sorry Miss! I was just wondering, who might be this new person?Sonia (smiles) : Woh meri secretary hai. Private secretary. I don't think ki mujhe uske baare me sabhi ko batana zaroori hai. Right?Ruchika : I understand!Sonia : Good!Sonia ko aaj behad khushi ho rahi thi. Ek prakaar se usne Ruchika ko hi nahi balki Kaera ko bhi muh tod jawaab diya tha. Ye sab ye darsha raha tha ki Kaera ki secretary ke paas manners nahi hai.Veer ki nazre bhi Kaera par tiki hui thi. Kehne toh hazaar shabd chaahta tha woh magar shuruat kaha se kare aur kaise kare uski kuch samajh na aa raha tha.Gaurav : If it isn't the most popular young Miss Kaera from Nexacom!? Such a pleasure to meet you in person.Woh haath aage badha ke aaya. Kaera ne ek nazar uss par daali. Woh jaanti thi ye Suhana ka husband tha. Kintu, Gaurav ko usne koi ghaas tak nahi daali.Veer ne bhi apna muh kholna chaaha,Veer : Miss Kaera-Magar, Kaera ek hawa ke jhoke ki tarah uske saamne se nikli, Karan ka haath thaami aur use kheechte hue waha se le jaane lagi.Gaurav ko aisa laga jaise uske goto par kisi ne laat maar di ho.'This bitchhh!!!'Woh nakli muskaan liye mann hi mann garja. Uska handshake barbaad ho gaya. Iss ladki ki itni aukaat?Karan : What? What happened? Dii???Kaera : We are not here to chat!!Kehte hue woh use ghaseet ke le jaane lagi.Karan : W-Wait! Suniye toh-!! Shit!!!Kaera ne Veer ko bhi ignore kar diya tha. Veer confused tha. Use bas yahi samajh aaya ki Kaera uss se naraaz hai. Emotions aane ke baad shayad ab use sab kuch sahi se samajh aa raha tha. Aur yahi kaaran tha jo woh uss se niraash thi.Tej, Bhumika, Arohi aur Kavya bhi khadi khadi tamasha dekhti rahi. Unki samajh me toh nahi aaya ki kya hua lekin ye zaroor pata lag gaya tha ki kuch baat zaroor thi.Jaate jaate Karan bas Veer ko dekhta raha jaise kehna chaah raha ho ki use iske baare me kuch nahi pata. Veer ne haami dete hue use nishchint rehne ka ishaara kiya. Tab jaake Karan ne ek raahat ki saans li.Julia ne bhi peeche mud Veer ko ek baar hamdardi se dekha aur fir aage badh gayi. Toh wahi Raghu aur Jassi bhi Kaera ke iss bartaav se anjaan the. Sarr haan me hilaate hue Veer ko dekh woh dono bhi wapas chal diye.Veer ka sarr apne aap jhuk gaya. Kya ye sab uski wajah se tha?[Be alert!!! Here he comes!]Kintu, Pari ke bol ne use sachet kar diya.'Huh!?'*Clap* *Clap*Taaliyo se banquet hall goonj utha. Aadesh upar se neeche ki orr aa raha tha. Structure kuch aisa tha ki hall ke ant me madhya se stairs di gayi thi. Aadesh apni assistant ke saath neeche utar raha tha.Taaliyo ki gad-gadahat uske chehre par aur badi muskaan laa rahi thi.Veer ki nazar me jaise hi uska chehra aaya Pari ne uske mann me Aadesh ka poora parcha chhittha khol ke rakh diya.*Ding*[Name : Aadesh Jaisinghani
Age : 33
Bio : Aadesh Jaisinghani Casa Belle ka owner hai. Uske naam par sheher ki kayi anya hotels bhi hai. Magar, Casa Belle sabse pramukh hai. Apne swargeeya pita ki dhan daulat ko ikhatta kar usne pehle aur paisa kamaya aur fir Casa Belle ko khada kiya. Aadesh ke kuch underworld se bhi connections hai jaha woh paisa wasooli ke liye kuch gangs ka istemaal karta rehta hai.Relationship : Mutual disagreement.
Favourability : -12
Note : Beware! The man is a crafty sly fox!]Status padhte hi Veer hairat me reh gaya. System bhi use satark rehne ke liye keh raha tha.'Relationship me mutual disagreement?'[Because tum dono hi ek dusre se disagree kar rahe ho. Abhi tak shayad system ne use enemy consider nahi kiya hai. Lekin, mujhe nahi lagta ki woh samay ab dur hai-]Aadesh jaise jaise seedhiyo se neeche aa raha tha, wese wese spotlight use follow kar rahi thi. Baaki, lights dim ho chuki thi.Veer ko tabhi Karan ka call aaya. Call pick kar usne apne kaan se lagaya,Veer : Kya hua?Karan : Yaar mujhe nahi pata dii ko kya hua but aisa woh kabhi nahi karti hai. Trust me!Veer (smiles) : Don't worry! Mujhe bura nahi laga.Karan : Sure na?Veer : Yeah!Karan : Kahi tumhare aur dii ke beech toh kuch baat nahi hui na?Veer : I-Karan : Hmm?Veer : No! Nothing happened! Mujhe tumse ek sawaal karna hai.Karan : Oh! Kya?Veer : Aadesh Jaisinghani koi bohut bada neta toh nahi hai aur na hi koi bohut badi personality hai. Fir itne bade bade log uski iss party me kyu shamil ho rahe hai?Karan (smiles) : Good question! Log sirf bulaane par nahi aate Veer.Veer : Hmm?Karan : Ye business minded log hai. Obviously, bina faayde ke yaha par ek bhi insaan khada nahi hoga.Veer : Toh kya baat hai?Karan : Isme koi bhi shaq nahi hai ki Casa Belle hamare state ki sabse luxurious hotel hai. Tum batao! Jab koi company kisi client company se deal karti hai ya milti hai ya kahi pe bhi use kuch organise karwana hota hai toh woh kya karti hai?Veer : Ohh! I get it! Woh apne sheher ki best hotel me dinner ya lunch ke liye unhe leke jaati hai. Taaki unka impression accha pade. To set the deal.Karan : That's right! Toh itne logo ka yaha aane ka yahi maqsad hai ki woh hotel ke owner se acche khaase relations rakhna chaahte hai taaki jab kabhi bhi woh yaha aaye, unki khatirdaari me koi kami na hone paaye. Staff unhe pehli priority de.Veer : I see!Karan : Lekin sirf itna hi nahi hai-Veer : Huh?Karan : Wait a little more. Tum samajh jaoge ki log yaha kyu aaye hai. I'm hanging up now!Veer : Hmm!!*Call ends*Jaise hi Aadesh ke qadam neeche floor par pade. Influencers tatha kuch ladkiya jhoom uthi.33 saal ka unmarried banda, jo dikhne me handsome, aur paiso se mazboot unke saamne khada hua tha. Swabhavik tha ki ladies use apna banaane ki chaah rakh rahi thi."Oh my goddd! Mr. Aadesh!!! So handsome!!!""Looking so good Sir!!!""Oh goddd! His suit is looking so good~"*Chitter Chatter*Woh aate hi charcha ka vishay bann gaya. Uske paas se guzar rahi ek waitress badi si tray me wine ke kuch glasses le jaa rahi thi. Par achanak aayi bheed ki wajah se woh apna santulan kho baithi aur,"Aahhhh!!"*Swoosh*Ek haath ne uski kamar kass ke thaam li aur use girne se bacha liya. Waitress stabdh hoke apne saamne uss vyakti ki aankhon me dekhti rahi aur uske gaal sharm se laal ho uthe.Aadesh waitress ko pakde hue tha. Wine aur tray neeche gir chuki thi. Kaanch ke glasses toot ke bikhar chuke the.Shayad aaj uski naukri jaane waali thi. Yahi khayal waitress ke mann me tha. Jo agle hi shan gaayab ho gaya,Aadesh : Sambhal ke madam! Aise glasses aur trays mein dobara afford kar sakta hu. Par aapko kuch ho gaya toh mere staff me se ek mehanteeya vyakti kam ho jayega na? Dhyaan se! *smiles*Waitress (blushes) : Ahh!!Aur ek baar fir, taaliyo ki goonj hall me fel gayi. Guests ke upar iss se behtar first impression aur kya hi ho sakta tha?Idhar Pari ne ye sab dekhte hi uski personality ko khol ke rakh diya.[System is right! Ye aadmi tumse khurafati dimaag rakhta hai. He's a sly bastard. He's like your brother, Pranjal! Satark rehna.]'Yeah!'Toh yaha baaki workers ne turant hi aake gire hue samaan ko saaf kiya aur Aadesh aage aate hue sabhi ko dekh muskura ke sarr hilaaya.Ek mic uske haatho me pakdaaya gaya."Ladies and gentlemen!""Thank you! Thank you aap sab ka jo aapne iss na-cheez ko yaha aake apna keemti samay diya.""Mein bohut khush hu jo aaj apne mata aur pita jii ke ashirvaad dwara iss khubsoorat hotel ko aap sab ki seva ke liye yaha khada kar paaya.""Mein ye batana chaahta hu ki ise aap sab apni hi hotel samjhe. Aaj ye choti si party aap sab ke liye hi hai mene aayojit ki hai."Uski speech sunte hi kayi saare log prasann ho uthe. Uske kaptipann se toh Veer, Bhumika Arohi waaqif the. Par baaki aam insaan uske iraado ko thodi jaanta tha.Veer ki aankhein Aadesh par hi gadi hui thi. Aur, jaise Aadesh bhi ye bhaanp chuka tha. Isliye usna bhi apna next step rakh diya,"Aap sabhi ke liye hi mene ek service introduce ki hai. Pesh hai aap sab ke saamne ~ ""Unicard!!!!"
new-documents-createdUsne apne haath me liya ek card sabhi ko dikhaya."Na sirf hotel ki saari facilities ko aap sabhi access kar payenge. Balki, ye card hone se aapko discount bhi diya jayega aur toh aur saari VIP services with extra attention and priority aap sabhi ko mera staff provide karega."Unicard ke baare me sunte hi guests ke chehro par muskaan sajj gayi. Akhir isliye toh aaye the woh sabhi yaha."Please! Ab baaki baatein baad me! Aap sabhi pehle food enjoy kariye. And do let me know your thoughts~"Spotlight hati aur dim lights wapas se bright ho gayi. Andhera gaayab ho gaya.Kritika sab kuch dekh badi hi utsukta se boli,Kritika : Oye! Kavya! Dekha na? Wahi hai mere Uncle!Kavya : Ohh! Acchi baat hai! Ab toh khaana bhi allowed ho gaya. Chal na khaate hai ab!!Woh dono aage badh ek food counter ki orr badhi aur Veer aur baaki sabhi ko bhi insist karne lagi. Itne me Aadesh jo khada hua tha woh Veer ki taraf aage badha,Mic abhi bhi uske haath me tha. Jaise woh ye sab jaan boojh ke kar raha tha. Mic pe hi usne kehna shuru kiya,"I'm sorry but who are you?"Uske mic pe bolne ke kaaran sabhi ka dhyaan uski orr aakarshit hua.Woh seedha Veer ke saamne aake khada hua.Aadesh : Mister! Aapki tareef?Veer : Veer!Aadesh : Oh! Mister Veer, I don't remember ki mein aapko jaanta hu. May I ask ki aap yaha kar rahe hai?Bhumika samajh chuki thi ki woh pal aa gaya hai jab unhe musibato ka saamna karna padega. Usne kass ki Veer ki hatheli ko thaam liya.Toh wahi Tej ne jab ye suna toh uska maatha aise thanka ki woh khud ko qaabu me naa rakh paayi aur aage aate hue boli,Tej : Who are we?? Didn't you send the invitation? How forgetful you are?Jaha ek badi behan use emotional support de rahi thi toh wahi dusri badi behan uske saamne khade hoke use bachaane ki koshish kar rahi thi.Aadesh : No! Mujhe nahi lagta mein aap sab me se kisi ko bhi jaanta hu.Kritika jo peeche thi woh ye dekh ghabraate hue daud ke saamne aayi.Kritika : U-Uncle! Y-Ye mere friends hai.Aadesh : Hmm? Mene tumhe do friends ko laane kaha tha na Kritika? Woh do kaun hai?Kritika ne majbooran Arohi aur Kavya ki orr ishara kiya.Aadesh : Okay! Lekin, fir ye sab kaun hai?Tej : I'm Tejal! And he's my brother. Aur hum sab yaha invitation ke baad hi aaye hai.Usne apne purse se invitation nikaal ke uske muh ke saamne pesh kar diya.Invitation dekhte hi Aadesh ke chehre par ek kapti muskaan aa gayi. Veer ki maathe par silvatein chhaayi,[Something is wrong!]Aadesh : Ohh! Okay! Assistant! Zara dekhna toh ye invitation sahi hai ya nahi?Assistant : Yes Sir!Peeche khadi uski assistant achanak hi aage aayi aur uss se invitation leke peeche ko gayi. Par tabhi,*Ka-dink*Light achanak hi gaayab ho gayi. Aur ek spotlight Aadesh ki upar padi.Aadesh : Aap sab apna khaana enjoy kariye please. Ye chota sa hassle hai. Please, don't worry.Aur agle hi pal spotlight wapas se hati aur baaki lights dobaara bright ho gayi. Magar, iss andhere me jo hua wo koi nahi dekh paaya. Siwae Veer ke.Inn chand seconds me Aadesh ki assistant ne invitation ke upar se paper ki ek parat kheech ke hatayi aur use apni mutthi me band kar ke rakh liya.Lights ke aate hi assistant uske paas chalte hue aayi, par jaise hi usne card par naam dekha uske hosh hi udd gaye.Card par Veer ka hi naam likha hua tha. Aadesh ne ye card chalaaki se design kiya tha.Usne Veer nahi 'Heer' likha hua tha card me. Aur uske upar ek similar paper ki parat chadhaate hue fir 'Veer' ka naam daal uske paas bheja tha.Taaki jab uss paper ki parat ko hataya jaaye toh 'Heer' naam saamne aaye. Aur uske paas ye bahana rahe ki usne 'Veer' ko nahi, kisi 'Heer' ko card bheja tha jo galti ki wajah se uske paas aa gaya.Magar, uska saara plan chaupat ho chuka tha. Paper ki parat hataane ke baad bhi Veer ka naam hi saamne aaya tha.Aadesh ye nahi jaanta tha ki woh kis se bhid raha tha. Jis pal Veer ko invitation mila tha. Usi pal usne uss invitation ko check kar liya tha.Aadesh ki saari kartoot uss par jhalak gayi thi. Ab baari Veer ki thi. Veer ne 'Heer' naam ko hi 'Veer' me tabdeel kiya tha.Copycat!!!Yahi woh skill thi jiski madad se usne Kaera ko woh diary likh ke di thi. Same writing ke tehet use bas 'H' ko thoda sa adjust karna pada tha.Rubbing alcohol!!! Jiski sahayta leke usne 'H' ko 'V' me tabdeel kar diya tha.Aadesh ne khud ne jab card dekha toh use jaise ek bohut bada jhatka laga.Ye writing toh uski hi thi. Ye kaise mumkin hai bhala? Usne toh Heer hi likha tha. Fir ye kaise?Uske chehre par aashcharya saaf jhalak raha tha. Iss baar Veer ke hontho par muskaan thi.[Mock him!]'Huh?'[Jaisa mein kehti hu wesa kaho-]'Alright'Agle hi pal Veer muskuraate hue Tej ke peeche se aage aaya.Veer (smiles) : Looks like it was a mistake from the staff itself. Surely, famous Casa Belle's owner won't turn his guests away now because of his fault. Right?Ek karaara jawaab!Aadesh : Tch!!Tej khush hote hue apne haath fold kar use dekhi.Tej : Galti staff karta hai lekin fir use accept nahi karna hota hai? Waah!Aadesh jaan chuka tha usne muh ki khaayi thi. Lekin, use kaise bhi kar ke ye sambhaalna tha. Kuch sochte hue uske hontho par fir ek muskaan chhaa gayi.Aadesh (smiles) : My bad! My bad!! Haha! Bilkul! Ye meri galti hai. Mein sab kuch organise karwane me itna busy tha ki mere dhyaan se nikal hi gaya ki mene recently charcha me chal rahe mister Veer ko bhi invite kiya hai. Kabhi aapse mulaqat nahi hui na isliye bas ye bhool ho gayi. Ladies and gentlemen! Mister Veer is here!!Spotlight jali! Aur iss baar seedhe Veer ke upar aa ke padi. Aadesh kitna bada harami tha iss se saabit ho chuka tha. Usne apni kami ko accept toh kiya lekin log uss baare me zyada soche na isliye usne saara ka saara dhyaan Veer ke upar kendrit kar diya.Aadesh : Mister Veer! Jii haan! Abhi haal hi me ye France me hamare desh ka naam roshan kar ke aaye hai. Aapne suna hoga inke baare me news me. Ye Chef on wheels ke owner bhi hai. Inka khud ka food startup hai. Please, make a huge round of applause for Mister Veer!*Clap* *Clap*Veer ke liye bhi taaliya bajne lagi. Dur khadi Sonia khushi se uski taraf dekh rahi thi. Toh wahi Kaera kuch soch vichaar me leen thi.Aadesh : Ab jab interruption ho hi gaya hai toh mein iss mauke par Unicard bhi distribute karna chahunga.Uske itna kehte hi jis wajah se log yaha aaye the woh sabhi apne apne assistants ko bhej diye Unicard ko paane ke liye.Ek baar fir chehel pehel hone lagi. Aur dekhte hi dekhte kayi saare Unicard ek baar me khareed liye gaye.Kavya : Bhaiyaa! Hum bhi lete hai! Hehe! Fir mein kabhi bhi aa jaa sakungi yaha.Veer (smiles) : Sure!Pehli baar aaj uski Kavya ne kuch maanga tha. Veer kaise inkaar kar sakta tha.Parantu, jaise jaise yaha cards bate ek bhi card Veer ko offer nahi kiya gaya. Tamaam logo ko cards diye jaa rahe the, siwae Veer ke.Kavya : W-Woh hume card kyu nahi de rahe bhaiya?Veer : Wait!Tej : Kavya sahi keh rahi hai! Ek toh inn logo ne pehle hamari insult ki aur ab ye. Kavya! Chalo!Kavya : Haan didi!Tej uske saath aage badhi. Aur Aadesh ke paas pahuchi.Tej : Unicard hume kyu nahi diya jaa raha hai? You are distributing it to everyone else.Aadesh : Hmm? I'm sorry Miss! Lekin, ye sab ke liye nahi hai. Basically, aap ise afford nahi kar sakti.Kavya : Wh-Whaatttt? Kya matlab hum afford nahi kar sakte? Kya aap ye kehna chaahte ho ki hamare paas paisa nahi hai?Kritika dur se chintit ho rahi thi. Magar, woh unke beech kuch nahi keh sakti thi.Aadesh : Ye toh aap keh rahi ho beta! *smiles*Kavya : Toh aapka matlab kya hai? Mere bhaiya ki insult ki ek toh aapne aur ab hum logo ko card dene se mana kar rahe ho? Mere bhaiya ke paas bhi bohut paisa hai.Aaj Kavya bhi atyadhik gusse me thi. Ek toh uske bhaiya ki insult hui aur upar se ab ye.Aadesh ne apne jeb se ek Unicard nikala aur Kavya ko dikhaya,Aadesh : Padhte toh aata hoga na beta? It's only for c-suite executives and above individuals.Kavya : Huh? C-C suite? Executive?Kavya ke bhale sarr ke upar se nikal gaya ho. Lekin, Tej ko sab samajh aa chuka tha. Apne nichle honth ko daanto tale gusse me dabaate hue woh Aadesh ko dekhi aur Kavya se boli,Tej : C-suite executives woh hote hai Kavya jo companies me CEO, COO, CMO, CTO, CIO jaisi job profiles par hote hai.Aadesh (smiles) : Exactly! Aur chuki aap me se koi bhi iss profile par nahi hai, toh ye aapko nahi mil sakta.Kavya (pouts) : Youuuu-!!!!Iss se pehle ki Aadesh card ko utha ke apne jeb me wapas rakhta.*Swoosh*Aadesh : Huh???Kisi ne uske haath se card chhina liya. Kavya apni jeebh dikhaayi,Kavya : Ab hum toh Kritika ke friends hai. Toh ek dene me kya ghat jayega aapka?Aur woh palat ke masti kar bhaagi. Lekin, security ke ek aadmi ne turant hi uska haath pakad use rok liya.Aadmi ne uska haath moda,Kavya : Ahnnn!!!Tej : Kavyaaaa!!!Security guy : Pranks are not allowed.Usne abhi card liya hi tha Kavya ke haath se ki,*Baaaaaammmmmmm*Ek zordaar dhakka uske shareer ko laga aur woh dur ek table me jaake dhadaam se bhid ke gir gaya.Table ka saara samaan ast vyast hoke neeche ko gir gaya. Aur ye shor hote hi sabhi ka dhyaan Veer aur baaki sabhi ki orr chala gaya.[I told you to remain calm!!]Veer : Don't you dare touch my sister!!!Kavya jo bas apne bhaiya ke liye kuch karna chaahti thi pehli baar. Woh ek baar fir apne bhaiya ke upar depend hoke reh gayi. Bechari ki aankhon se behne shuru ho gaye.Ek baar fir..! Woh kisi ke pyaar me gir gayi.Kass ke Veer ke coat ko jakadte hue woh uski baaho me simat ke reh gayi.Aadesh ki muskaan haivaano waali ho rahi thi.'Yes!!! Yes motherfucker!! Beat me!!! Be violent...!!! Yahi toh mein chaahta hu!!!'Uska khurafati dimaag yahi sab soch andar hi andar shadiyantra rache jaa raha tha.Veer jaise iss baar uske plan me fass raha tha. Dekhte hi dekhte saare log Veer aur Aadesh ke beech ho rahe jhagde ko dekhne lage.Sonia, Kaera aur Karan! Sabhi confused the. Ye achanak se kaisa mod aa gaya party me?Toh wahi reporters aur influencers apna cameras me ye sab qaid karne ki bharpoor koshish me jut gaye.Aadesh ka shadiyantra jaante hi jaise Arohi ne kuch bhaanp liya aur woh Veer ke coat ki sleeve ko pakdi. Par pakadne se pehle hi-*Whoooshhhh*Veer uske qareeb se chhu-mantar hua aur kuch qadmo ki duri par khade seedha Aadesh ke saamne pahuch gaya.Uski collor ko jakadte hi Veer ki aankhein ek shan ke liye laal hui aur uski dabang awaaz Aadesh ke kaano me padi,"Mein aur mera parivar, yaha bad-salookhi ke liye nahi aaye hai. If you cannot afford us. Then, just ask us. We'll leave!!!"Kritika : K-Kavya! Kavya ye sab kya ho raha hai? Kuch karo!Kavya (cries) : Bhaiyaaaa~ Bhaiya I'm sorry! Ye sab meri galti hai. Chaliye na chalte hai yaha se. Mujhe kuch nahi chahiye. *sniff* I'm sorrryyyy!!! *sniff*Log toh tamaam the. Par kisi ki himmat nahi ho rahi thi ki Veer ko jaake use shaant kare.Kyu?Kyuki uske andar se aa rahe ek Intimidating aura ki anubhuti unn sab ko ho rahi thi.Intimidating Presence!!!*Gwak*Veer ka haath Aadesh ke gale par jaa chuka tha. Aur, pehli baar Aadesh ki phatt ke chaar ho chuki thi.Peeche khadi uski assistant ne jaise tese aage badh Veer ko zorr se dhakka diya.Sthiti ka abhaas hote hi Veer ne khud-ba-khud Aadesh ko chhorr diya.Magar,"How dare you?????"Aadesh ki assistant Veer par baras uthi. Security agle hi pal active hui aur Veer ko pakad li. Koi bhi intervene nahi kar raha tha.Sab Veer ke Intimidating Presence ka hi shikaar hue baithe the. Aur, uske aftereffects se hi baahar aane ki koshish kar rahe the.Assistant ko jaise mauka mil chuka tha. Usne tray se ek wine ka glass uthaaya aur-*Splash*Seedha Veer ke muh pe de maara.Wine uske chehre ko bhigote hue neeche girne lagi.Tej : Veeeeeeerrrr!!!Woh aage daudi!!! Par kuch waitresses ne use bhi pakad liya.Tej : Uggh!!! Leave meeee!!! I said leave meee!!!Bhumika, Arohi bhi wahi logo ke beech dabb ke reh gayi.Sonia ghabraate hue uthi. Par aage badhne se pehle hi peeche se kisi ne use rok liya."Miss Sonia! Kaha jaa rahi hai aap?"Sonia : Mister Tanishq! Mera waha jaana zaroori hai. He's my friend! Kuch misunderstanding hui hai zaroor.Tanishq, Sonia ke suitors me se ek tha. Jis bandi ko woh paana chaahe woh kisi aur mard ke liye bhaage, bhala woh ye kaise bardaasht kar sakta tha.Tanishq : Kya mujhse zyada aur hamari company Autoshield ki deal se zyada important hai?Autoshield Automobiles ki field me ek bohut bada naam tha.Screenshot-2023-09-08-195547Sonia ke labb ye baat sunte hi sil ke reh gaye.Prakash : Ye deal hum haath se jaane nahi de sakte Miss. 120 crores ki deal hai. Agar ye haath se nikli toh-Baat sunte hi Sonia ne daant meeste hue, mutthi kaste hue khud ko roka. Agar wo nahi jaa sakti thi toh kisi ko bhej toh sakti thi na?Usne Suchika ki orr dekha. Aur Suchika jaise samajh gayi ki kya karna hai. Woh apni jagah se uth ke nikal gayi.Idhar Kaera ke circle me Kaera bechain nazro se use dekh rahi thi. Karan se ab aur na raha gaya.Karan : What the hell is going on? Damn it! This is too much!!!Uska dost mushqil me ho, toh woh kaise shaant reh sakta tha?Kaera na jaane kya soch rahi thi par jaise woh kuch chaah rahi thi ki Veer kuch kare. Aisi situation se woh baahar aaye. Bina uski madad ke!Use puraane saare woh lamhe yaad aa rahe the.Veer security se ghire hue apna bheega chehra neeche jhukaaye vichaaro me leen tha.[If that lady would have been here, you wouldn't have been seeing this day.]That lady?? Lekin kaun?Pari ek hi shaks ki baat kar rahi thi.Suhana!Aaj woh yaha hoti toh kya woh ye sab hone deti? Shayad nahi!Veer khud ko chhura ke yaha se nikalne waala tha jab ek ajnabi awaaz ne uske kaan khade kar diye.Banquet hall ke darwaaze ki orr se ek lady ki awaaz poore hall me goonj gayi."Not having a c-suite profile is the problem right?"Tamaam janta ki nigaahein uss ajnabi lady par tikk gayi
. Jinhone pehli baar use dekha unki dhadkane use dekhte hi tezz ho gayi.Par, uss lady ki aankhein sirf aur sirf Veer par hi tiki hui thi. Baaki janta jaise uske liye hawa ke samaan thi. Usne fir se teevr awaaz me kaha,"Then, I hereby declare him the CEO of my company.""Whatttt?""Huh??"Bade se bada aadmi uss pal waha stabdh reh gaya.Veer ne apna sarr upar kiya. Wine ke aankhon me padne se use dhundhla dikhaayi de raha tha.'Wh-Who!!?'Ek khubsoorat si lady uski aankhon ke samaksh thi.Par jhatka toh tab laga jab-'Check!'*Ding*[No information available!]'I-It can't be-!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 8.7k words. Mein chaahta tha ise ek update me hi finish kar du. Lekin kya karu, itna sab kuch hai dikhaane ko ki ek me ho hi nahi paaya. :sad: Agle me zaroor ye finish bhi ho jayega aur hum aage bhi badh jayenge iske. Baaki, likes thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. Kaafi mehnat ki hai mene ek ek scene ko yaha visualise karwane ki. Target apna wahi hai. 150.

Dhanyavaad! ✨

First of all update boht achi thi ap jis tra story la kar chall raha han wo qabil tareef hay
Dosri baat sonia ko bi kuch saza milni chahiya veer ka sath na dana ki or keara ko bi
Wo ju waitress jis na veer ka chahara par drink phanki thi oss ko bi os ka kiyah ki sazah milni chahiya
Casa bella ka owner ki barbadi tu ab paki ho gai hy

Lots of love from Pakistan
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Ahsan khan786

New Member
39
81
18
Update - 161 ~ Big Bash (2)

Ab tak...

Kaera!!!

*Click* *Click*

Jiske ird gird tamaam photographers, uske bodyguards aur toh aur uski family se leke uski personal maid Julia aur secretary
Ruchika bhi maujood thi.

'Goddamn it!!!'

Aur agar kahi Suhana bhi rahi, toh na jaane Veer inn sab ke saath saath Aadesh ko kaise jhel payega bhala?

Pari uski sthiti samajh sakti thi. Aur iss baar harr waqt seducing tone rakhne waali Pari bhi bas yahi boli,

[I wish you good luck!]

Ab aage...

Casa Belle's VIP room~
Night ~ 8:14 PM

"Neeche ka kya mahaul hai?" Aadesh ne apni shirt ki akhiri button lagaate hue peeche khadi apni assistant se pucha.

"Guests aate jaa rahe hai, Sir!" Assistant ne jawab diya. Haatho me uske Aadesh ka ek kaala coat tha.

Uske button lagaate hi woh assistant aage aayi aur usne coat Aadesh ko thamaaya. Coat daal, Aadesh ne sheeshe me khud ko dekha. Woh jach raha tha. Neeche se use music aur chehel pehel ka shor sunaayi de raha tha.

Upar ke floor par khud ki hotel ke ek VIP kamre me wo taiyaar ho raha tha.

Assistant : Hum neeche kab chal rahe hai, Sir?

Aadesh : Abhi nahi! Kaun chutiya khud ki party me sabse pehle pahuchta hai?

Assistant (smiles) : Fir?

Aadesh : Kuch important guests ko aa jaane do pehle. Unke aate hi hum neeche chal denge.

Assistant : Aapne kayi saare important log bulaaye hai, Sir. Unme se kuch toh aa bhi gaye honge.

Aadesh : Oh!

Assistant : Aap 'Chef on Wheels' waalo se kaise deal karne waale ho?

Aadesh (smirks) : Woh tum aaj hi dekh lena.

Assistant : Toh kya unse deal karne ke liye hi aapne ye itni badi party rakhi hai?

Aadesh (laughs) : Hahahaha! Paagal ho kya? Party toh mujhe pehle se hi deni thi apni hotel ke advertisement ke liye. 'Chef on Wheels' toh raaste me aaya bas ek chhota sa kankad hai, jo aaj raaste se nikaal diya jayega.

Assistant : Ohh!

Aadesh : Tum neeche nigrani rakhti raho! Mein nahi chaahta ki important guests ke saamne mein waha late pahuchu. Woh kehte hai na? First impression is the last impression.

Assistant (smiles) : Ji!!

Aur assistant apne haath me ek tab uthaate hue usme security cameras me kuch dekhne lagi.

***

Idhar neeche Veer, Arohi, Bhumika aur Tej aapas me mil chuke the aur hotel ki entry me qadam rakh rahe the jaha pehle se hi kuch bouncers security ke saath khade hue the.

Veer ne jaan boojh ke kuch derr delay kiya tha taaki tab tak Kaera aur Sonia dono pehle hi andar chali jaaye. Aur hua bhi yahi. Cameras ki shutters aur flash se tang aake, Sonia aur Kaera dono hi zyada derr tak waha khadi na reh saki. Kuch hi palo me woh dono andar thi.

Unke jaate hi Veer aur baaki sab security ke paas pahuche. Security ne unka invitation check kiya aur bina kisi samasya ke unhe andar jaane de diya.

Hotel ke premises me ghuste hi uski sundarta dekhne laayak thi. Dekh ke hi andaza lagaya jaa sakta tha ki akhir kitna paisa kharch kiya gaya tha iss khubsoorat structure ko taiyaar karne me.

Aapas me chalte chalte Bhumika hotel ki tareef karne se khud ko na rok paayi.

Bhumika : Very unique!

Tej (glances) : Hmm?

Bhumika : Tum logo ne dekha? Hotel me swimming pool ke liye inn logo ne hotel ke chaaro orr swimming pool bana diya. Pool ki width kam kar di par length itni badha di ki koi bhi araam se pool ka maza le sakta hai.

Arohi : Yes! I saw that too. Aur woh hotel ke 360° me swim bhi kar sakte hai.

Bhumika : Yes! A very unique structure.

Tej : Jagah ka acche se istemal kiya hai.

Bhumika : That's right!

Veer khamosh tha. Woh aisi luxury pehle hi Las Vegas aur France me dekh chuka tha. Uski nazre kahi aur hi jagah jagah scan karne me lagi hui thi.

Yaha balcony me khadi Kavya ne jab neeche se Veer ko aate dekha toh pehle toh woh chakit reh gayi aur fir baad me seedha neeche ki orr bhaagi. Kritika use peeche se awaaz deti rahi par ant me use bhi uske peeche peeche hi bhaagna pada.

Veer aur baaki sabhi hotel ki main entry ke gate par aa chuke the aur tabhi,

"Bhaiyaaaaaaaa~"

Ek awaaz Veer ke kaano me padi. Woh muskuraaya aur ek cute si ladki daud ke aake uske shareer se chipak gayi.

Kavya : Bhaiyaaaa~

Kavya Veer ko jamm ke jakde hue thi. Bechari ki khushi ka koi thikana nahi tha. Jise woh sabse zyada yaad kar rahi thi wo yaha aa chuka tha.

Kavya : Aap sab yaha?

Veer (smiles) : Kyu? Kya hume invitation nahi mil sakta?

Kavya : Ahh! Matlab aapko bhi invitation mila hai? Oye! Kritika, dekha na? Mere bhaiya ko bhi invitation mila hai.

Kritika jo peeche peeche daud ke aayi woh haafte hue apni saansein durust kar boli,

Kritika (pants) : O-Ohh! *huff* Y-Ye toh acchi baat hai. Ab hum sab saath enjoy kar sakte hai.

Kavya (pouts) : Aapne mujhse nahi pucha ki mujhe invitation kaise mila?

Veer (smiles) : Arohi di ne mujhe pehle hi bata diya hai ki tum log Kritika ki taraf se aaye ho.

Kavya : Kya dii aap bhi!!! Sab pehle hi bata deti ho. Hmph~

Badle me Arohi bas muskurayi. Kavya ne Veer ki baah me haath daala jaise ek couple aksar daal ke rakhte hai aur use kheechte hue andar le jaane lagi.

Veer : H-Hey! Wait!

Kavya : Chaloooo~ Andar pata bhaiya food counter me mast mast dishes lagi hui hai. Mast jamm ke khayenge. Chalooo~

Arohi (blushes) : K-Kavyaaaa!!! What is this?

Kavya : Arre toh usme kya? Khaane hi toh aaye hai hum. Hai na? Hai na bhaiya?

Woh masoom aankhein liye Veer ko dekhi toh Veer ki hasi nikal gayi.

Veer (laughs) : Bilkul! Bilkul!

Arohi (blushes) : Veeeeerr!!! Don't support her!!! Kritika kya sochegi aisi baatein karogi tum toh-

Kavya : Huh? Matlab? Arre to woh toh khud thoosne aayi hai. Kyu hai na? Kritika?

Bechari Kritika bas sharm ke maare apna sarr jhuka ke reh gayi. Uske gaal laal ho rakhe the. Arohi ne bud-budaate hue use dekh sorry kaha. Toh woh bas haami hi de paayi.

Isme Kavya ki koi galti nahi thi. Woh yaha par kya schemes hone waali thi unn sab se anibhigya thi. Uske liye toh ye bas ek sunehra mauka tha.

Ek sunehra mauka jaha 5 star hotel me free ka khaana mila ho. Jaise aksar parichit ki shaadiyo me hume muft ka khaana naseeb ho jaaya karta tha. Kuch usi prakaar Kavya ke liye yahi aaj ka din tha. Woh toh bas lazeez khaana enjoy karne, apne logo ke saath masti karne aur photos click karne aayi hui thi.

Peeth peeche kya rann-neetiya bani hui thi woh inn sab se anjaan thi.

Andar ghuste hi unn sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Andar ka banquet hall itna bhavya aur vishaal tha ki dherr saare logo ke hone ke bawajood woh kahi se bhi chhota prateet nahi ho raha tha.

Tej (amazed) : This-!!

Lightings ki bharpoor vyavastha ki gayi thi. Spotlights se leke party lights sab ki sab installed thi. Side se buffet laga hua tha aur 50 se bhi zyada dishes ka intezam tha. Italian, Mexican, Chinese, Thai, Continental, Indian jaisi tamaam cuisines waha maujood thi.

Kavya : Dekha na? Mein toh harr cuisine try karne waali hu. Hehe!

Kritika (blushes) : Abhi khana start nahi hua hai pagal!

Kavya : Arre toh ho jayega. Wait karte hai.

Harr guzarte pal bheed badhti hi jaa rahi thi. Jaanta kaafi maatra me aayi hui thi.

Aisa nahi tha ki aadmi local ho. Bade se bade log aaj yaha maujood the. Iska matlab saaf tha ki Veer ke liye yaha bohut se log business partners bann sakte the.

Woh dekh paa raha tha dur se ki Kaera aur Sonia opposite sides kisi se baato me lagi hui thi.

73d6804d542cdd93ce4d7f821972297f-1

'Kya unn dono ko ek dusre ki presence ke baare me pata chal gaya?'

156f7d929dc4c4725d55a2bb518392ee

[Yes!]

'Tum itni surety se kaise keh sakti ho?'

[Don't you see? Woh dono hi opposite side khadi hui hai. Also, unhe nahi bhi pata chala hoga toh unke secretary ya kisi ne unke kaan me ye baat daal hi di hogi.]

'I see!'

Veer dekh raha tha ki kaise high net-worth waale log andar hotel me pravesh karte jaa rahe the. Woh baari baari kuch logo ko check karte jaa raha tha.

'Akhir iss Casa Belle ke owner ka motive kya hai?'

[We'll come to know!]

Bhumika : Ah! Veer! Hotel se yaad aaya, tumne head chef ke baare me kaha tha ki tumhari nazar me hai koi. Lekin, uske baad se tumne kuch bataya hi nahi.

Veer : Oh right! Shit! Mein ye kaise bhul gaya? Koi hai jise mein hotel par bhejna chahunga chef ke roop me.

Bhumika : Kaun hai? Kya woh experienced hai?

Veer : Nahi! Ye unka kisi bhi hotel me kaam karne ka pehla experience hoga. But I can say that she's really good at cooking.

Bhumika : She? Yaani koi lady hai?

Veer : Yes! Magar, unhe pehle aapko thoda sa sikhana padega. Unhone pehle kabhi itne logo ke liye khana nahi banaya hai. So, ek training ki zaroorat hai. Uske baad woh sab kuch khud sambhal sakti hai.

Bhumika : Oh! I see! Mene ek head chef ko abhi temporary hire kiya hai. Agar, woh unke saath milke seekh jayengi toh ye bohut hi acchi baat hogi. I'll wait for her then. Kab bhej rahe ho unhe?

Veer (smiles) : Mein kal hi unse aane ke liye keh dunga. Don't worry.

Bhumika (nods) : Mmm~

Veer ne nazre ghumayi toh usne ye bhi gaur kiya ki tamaam reporters aur influencers bhi aaye hue the.

Reporters woh the jo aksar glamor aur fashion ki duniya me reporting karne ke liye jaane jaate the. Toh wahi, influencers woh the jo instagram par apni tagdi fan-followings ke liye aaye din charcha me rehte the.

Dur khadi Sonia jo kuch parichit logo se mil rahi thi, uski nigaahein achanak hi peeche ki orr jab gayi toh ek jaana pehchaana shaks use dikhayi diya.

‘Veer???’

Apni baato ko wahi virhaam dete hue woh aage badhi,

“Excuse me! One moment please~”

Uske saath khade guests ne use haami di aur Sonia apne group circle se baahar nikal ek disha ki orr chal di. Kya woh Veer hi tha? Magar woh yaha kya kar raha hai? Kuch yahi sawaal uske dimaag me ghoom rahe the.

Woh chal hi rahi thi jab kuch insta models uske paas achanak se aake use gher liye,

“Ma’am, one selfie please! One selfie!”

“Big fan ma’am! I follow you on instagram~!”

“Oh my god! Miss Sonia! You look even beautiful in person! Please, one photograph?”

Sonia : I-

“Please! Ma’am!”

“Please~”

Woh bechain ho uthi. Kahi Veer uski nazro se gaayab ho gaya toh? Uss se mile na jaane kitna samay ho chuka tha. Akhiri baar shayad woh tab hi mili thi jab uske ghar holi khelne woh Suhana ke sang gayi thi.

Na jaane kyu, par jab bhi woh Veer se milti thi use ye milan bada hi accha lagta tha. Kuch alag si baat thi usme. Shuru se hi, jab jab woh Veer ke paas hoti, tab tab uska mann khush ho uthata.

Lekin, ek sawaal hamesha uske mann me reh jaata. Akhir kyu? Kyu Veer ke aas paas hone se use ye anubhuti hoti thi? Shayad Veer ne kabhi bhi use ameer baap ki ladki ki tarah treat nahi kiya isliye? Shayad haan!! Jawab yahi tha.

Sonia : Let me pass through~ P-Please~ L-Later guys. I’m really sorry! But later guys!

Aur wo aaj pehli baar logo ko iss tarah mana kar unke ghere se baahar aayi. Veer ki orr uske qadam fir badh gaye.

Idhar Veer logo ko scan karne me laga hua tha, jab achanak se-

“Veer!!!”

Veer (turns) : Hmm?

Sonia uske saamne thi. Apna cham-chamata chehra liye, sundar badi badi aankhon se use nihaarte hue, aur apni pyaari si peeli dress me uske saamne samaksh khade hue, woh haazir thi.

Saundarya bolta tha. Sonia ki khubsoorti iss baat ka saboot thi. Jab jab iss starr ki koi khubsoorti ki bala uske saamne prastut hoti thi tab tab hi Veer kuch palo ke liye maun hone par majboor ho jaata tha.

Uske honth halke se upar ko uthe, uska muh ahista se khula. Woh Sonia ko nihaar raha tha. Sonia ne bhi jaise ye baat gaur kar li aur apne baalo ki latt ko kaan ke peeche le jaate hue sharma ke nazre ferr lii. Uske baad hi Veer ke muh se kuch shabd nikle,

Veer : Miss Sonia?

Sonia (smiles) : Kya Miss lagana zaroori hai? I thought we were good friends, Veer!

Veer : A-Aap mujhse badi hai isliye-

Iss se pehle ki Veer apni baat poori keh paata, peeche khadi Tej ne uska haath thaama aur uss se chipakte hue tapaak se boli,

Tej : Toh didi kehna sahi hoga? Right?

Sonia (baffled) : Wh-What!???

Sonia ki aankhein ‘didi’ shabd sunte hi fel gayi. Ye kya sunn liye usne? Veer ke muh se ‘didi’? Aur woh bhi apne liye? Kabhi bhi nahi!

Jab Sonia Veer ke paas aayi tab Tej sabse pehle aashcharya me thi, par Sonia ki aankhon me Veer se baate karte hue woh chamak jaise hi use dikhayi di, ek khatre ki ghanti uske dimag me baj uthi.

Uske baad toh woh ye bhool gayi ki Sonia Elite Motors ki maalkin thi. Woh apne defense mode pe aa chuki thi. Uske bhai ko koi bhi chhina ke nahi le jaa sakta tha. Woh ye bhi jaanti thi ki yahi woh Sonia thi jiski car se bhid ke uska bhai hospital me hospitalized tha.

Kintu, baaki sab ke saath aisa nahi tha. Arohi, Kavya, Kritika, Bhumika ye sabhi Sonia ko dekh khush thi. Holi ke dauran woh sabhi mile hue the.

Sonia : Ahaha! T-That’s not okay I guess!? ‘Miss’ hi theek rahega Veer.

Veer : O-Ohh!

Jab ‘didi’ bulaane jaane se Sonia ne inkaar kiya toh Tej ka shaq aur bhi gehra ho gaya. Dal me kuch toh kaala tha. Woh ek baat samajh chuki thi ki ab use ek naya hathiyaar mil chuka hai.

Apne bhai ke ird gird harr ladki se ye puchna ki kya woh uske bhai ki behan banengi? Agar koi bhi inkaar kar de, matlab kuch gadbad zaroor hai.

Veer (smiles) : By the way, ye meri badi behan hai. Tejal! And Teju di! Ye hai-

Tej : Miss Sonia! Elite motors ki CEO and MD. Right?

Usne attitude me apna haath aage kar badhaya. Sonia ki bauhe ek pal ke liye kasi par usne muskuraate hue Tej ka haath thaama aur ahista se boli,

Sonia (smiles) : Last time when I came, you weren’t there I guess?

Tej (smiles) : Because I was busy finding a trail to my brother.

Sonia (smiles) : That’s so sad! I’m glad I’m always here to support him.

Tej (smiles) : Well no need then! Since, I’m here now!

Dono muskura zaroor rahi thi par ye muskaan dono ki hi farzi thi. Unke haatho ki pakad aur kass gayi. Ye kahi se bhi ek sadharan handshake ki pakad nahi thi, ye kisi panja ladaane ki taaqat jitni mazboot pakad thi.

Woh kya keh rahi thi aapas me baakiyo ko toh sunayi na diya magar Veer apne senses dwara sab kuch sunn chuka tha.

‘This is bad!! Fuck!!!’

Halaki, use hastakshep karne ki zaroorat nahi padi. Tej karate me maahir thi. Abhi black belt champion nahi thi lekin Sonia jaisi ladkiyo ko ring me dhool chataane ki kaabiliyat zaroor rakhti thi woh. Zaahir hai, uski pakad Sonia ki pakad se zyada mazboot thi. Jis wajah se Sonia ne apna haath dheela kar chhor diya, aur badle me Tej ne bhi.

Sonia : Anyways-

Woh kuch aage kehti ki tabhi uske peeche se Prakash Uncle aur uski secretary bhi unke saath sammilit ho gayi.

Prakash (smiles) : Bahut dino baad mil rahe hai hum! Kaise ho?

Veer (smiles) : Theek hu! Aap sunaiye haal chaal!

Prakash : Bas kaam kaam aur kaam!

Sonia : Aap ke shabd aise sunayi pad rahe hai Uncle jaise hum aapse mazdoori karwa rahe ho.

Prakash : Hahaha! Arre meri chhoro aap sab. Meri toh umr nikal gayi hai. Mujh budhe se baat kar ke kuch naya nahi milega. Aap sab apna enjoy karo.

Veer (smiles) : Apne se badi umr ke logo se hi gyaan milta hai Uncle.

Prakash bas muskuraya aur mud ke haath hilaate hue waha se wapas se apne sthaan par chala gaya. Veer ki baat use pasand aayi ho ya na aayi ho, Sonia ki aankhon me ye sunn ke zaroor chamak aa chuki thi.

Veer : Wese? Y-Ye kaun?

Veer ka ishara uski secretary ki orr tha jo itne logo ke beech iklauti aisi thi jo mask pehni hui thi.

Sonia : Umm! Ye meri secretary hai, Veer!

Veer : Hello!

Veer ne haath aage kar Sonia ki secretary ki taraf badhaya. Secretary ne bhi Veer ka haath thaama aur ek nod deke haath milaake peeche kar liya. Kintu, boli kuch nahi.

Veer : Hmm?

Veer ne fir agle hi pal.

‘Check!’

*Ding*

[Name : Suchika
Age : 31
Bio : Suchika, Ruchika ki badi behan. Kuch saal pehle ek aashiq ke pyaar me aake ghar chhorr bhaag gayi thi, jis se saare parivaar ki thu thu hui thi. Aashiq koi raees baap ki aulaad nahi balki ek unemployed bhatakta hua awaara tha. Sachhaayi ka pata chalte hi woh uske changul se bhaag nikli. Sonia ne Kaera ke plans ko exploit karne ke liye Ruchika ki behan ke whereabouts ka pata lagwaya. Aur, tab jaake Suchika iss tarah Sonia ke contact me aayi. Aaj Sonia use Kaera ke against use kar rahi hai.

Relationship : Strangers.
Favourability : 12]

‘Suchika? Ruchika ki badi behan? I see! Miss Sonia inhe Miss Kaera ke against istemal kar rahi hai? Wait! Favorability 12? How?’

[Because of your looks.]

‘Ohhh!’

Veer : Mujhe toh laga tha ki Prakash Uncle aapke secretary the?

Sonia : Prakash Uncle sirf mere hi nahi, dii ke bhi kaam karte hai. Jabki ye meri new secretary…! She’s my private secretary.

Sonia naam nahi le rahi thi Suchika ka aur Veer jaanta tha ki woh aisa kyu kar rahi hai. Woh Veer se jhooth nahi bolna chaahti thi. Isliye behtar tha ki Suchika ka naam hi na bataya jaaye.

Sonia : Aur tum sab kaisi ho? *smiles* Arohi? Kavya? And- Bhumika right?

Bhumika : Yes!

Arohi (smiles) : We are good as well!

Kavya : Agli baar aap firse holi me aaiyega. Hum saath khelenge.

Sonia (smiles) : Kyu nahi!

Inki baate aur hoti ki peeche se koi chhillaaya,

"Damn it!! Veer??? Tum yaha???"

Palat ke dekha toh koi aur nahi, Karan tha. Uska sabse khaas dost. Suit me tip top lag raha tha woh. Veer ko dekhte hi woh uske nazdeek aaya aur uske dono kandho par haath jamm ke rakhte hue bola,

Karan : What the hell man? Fursat nahi milti tumhe zara bhi? Ek baar milne ka bhi nahi socha.

Veer : Well-

Karan : Haan haan! Ab bahaane aayenge! I know!

Veer : Nahi aisa nahi-

Karan : Ohh! Hey Kavya! Kaisi ho?

Kavya : Acchi hu! Aur bhaiya ki chhorro, aap ke paas bhi toh time nahi hai ki hum sab se mil jaaye. Hmph!

Karan : Eh!? Ahaha! Woh mein actually-

Arohi : That's right! You never showed up!

Karan : Wait! Arohi di! Asal me aisa tha ki-

Bhumika : Karan from Nexacom! Younger sibling of Miss Kaera. *smiles* Pleased to meet you!

Karan : Ohh! Ahaha! Nice to meet you too! Aap se pehle kabhi mulaqat nahi hui. Aap Veer ki badi behan-

Bhumika (nods) : Yes!

Karan : Ohh! Tejal dii? Haha!

Bhumika : No! Mein Bhumika!

Karan : Eh!?

Tej (smiles) : I'm Tejal!

Karan : Ohh! Milke accha laga. Veer ne bataya tha aapke baare me.

Tej ye sunn andar hi andar behad khush ho gayi. Toh wahi bechari Bhumika ka chehra maayus ho utha. Matlab Veer ne kabhi uska zikr nahi kiya? Bagal se khade Veer ne jaise ye bhaanp liya aur Bhumika ke peeche aake uske kandho par apne dono haath rakh bola,

Veer : Wese, ye bhi meri dii hai. Bhumika dii! Hotel Prestige ki owner.

Veer ke haatho ka sparsh apne upar paate hi aur uske muh se apna parichay sunn Bhumika ka dil jaise andar se gad-gad ho gaya. Halki sharm bhi uske gaalo par chadh gayi.

Bhumika : M-Mein akeli owner nahi hu. Hotel hum sab ka hai.

Karan (smiles) : That's nice to hear.

Karan ki nazre uske baad fir Kritika pe gayi. Dono ki aankhein chaar hui aur ek hayaa ka parda unn dono ne odh liya.

Karan : H-Hey!!

Kritika (blushes) : H-Hello!

Karan : Tum yaha?

Kritika : Iss hotel ke owner jo hai, woh actually mere uncle hai.

Karan : Ohh! That's nice.

Kritika (blushes) : Hmm!

Veer : By the way, tumse kuch kaam hai. Baad me baat karunga.

Karan : Hmm? Yeah! Mujhe bhi kuch kaam hai tumse.

Veer : Ohh?

Sonia : I'm here as well. Mister! *smiles*

Karan : Ahh!

Sonia (extends hand) : How are you doing?

Karan (smiles) : M-Miss Sonia! I'm good. It's been a while.

Sonia : Yes!

Dono ki beech aur baatein hoti ki tabhi koi aur bhi inki mehfil me shaamil hone aa gaya,

"My dear~ Sonia!!! Kab se tumhe dhoondh raha hu. Aur tum yaha ho!"

Ek sadharan sa dikhne waala aadmi, aankhon par chashma lagaaye, grey suit pehne apne dono haath khol aage aaya. Parantu, Sonia ne apna haath aage badha ke uski hug ko jaise thukra diya.

Veer ko kya karna tha, woh jaanta tha.

'Check!'

*Ding*

[Name : Gaurav
Age : 33
Bio : Gaurav! Suhana ka husband! Globerays company me CEO hai. Shadiyantra ki madad se usne Suhana ko hathyaaya aur uss se shadi ki. Suhana ko paana bas uska apna ego satisfy karna jitna tha. He's actually after Suhana's money. Sonia ke saath physical relationship banaane ki chaah rakhta hai.

Relationship : Strangers.
Favourability : -5 ]

Bio padh ke Veer ki aankhein hairat me fel gayi.

'This motherfucker!'

[So he wants the younger sibling too? What a douchebag!!]

Shayad Sonia bhi uske iraado se waaqif thi kahi na kahi jo aaj usne uski hug ko thukra diya.

Globerays ek jaani maani badi MNC thi jo IT sector me kaafi mashoor thi.

Screenshot-2023-04-03-133907

Yahi woh company thi jisme Suhana ne Shreya ko Veer ke kehne par job pe lagwaya tha.

Aur yahi woh company thi jisme Niharika ek HR ke roop me waha kaam kar rahi thi. Usi company ka CEO Gaurav aaj Veer ke saamne haazir tha.

Gaurav : Kya ho raha hai yaha? Haan? No space for me? *smiles*

Sonia : Dii nahi aayi?

Sonia ne kehte hue sawaal ka rukh badal diya.

Gaurav : I don't know yaar. Tum toh jaanti ho apni behan ko. Mene pucha uss se par usne koi jawab hi nahi diya. Bas boli ki mujhe kaam hai aur mein nahi jaungi. Harr koi tumhari tarah understanding wala thodi hota hai. *winks*

Sonia (frowns) : Dii bhi samajhti hai.

Gaurav : Oh yes! Yes! Mene ye thodi kaha wo samajhti nahi hai. Haan, lekin tumse kam. Hahaha!

Sonia ko apne jiju ki baato se hi uncomfortable sa feel ho raha tha. Gaurav apni nazre churaate hue upar se neeche tak Sonia ke patle jism ko taad raha tha. Uski jawani me doobna chaahta tha woh. Veer yaha sab kuch bhaanp chuka tha.

Sonia : By the way inn sab se miliye. Ye hai Veer. Abhi recently aap ne suna hoga woh ladka jo France se aaya tha. He's him! Aur 'chef on wheels' ka owner hai.

'Veer' naam sunte hi Gaurav ke kaan khade ho gaye. Usne apne gusse ko turant hi chhipaya.

Gaurav : Chef on wheels? Ye naam toh kabhi suna nahi. Well, hoga kuch. Par haan abhi news me tum kaafi charcha me rahe ho. Hahaha!

Hasste hue haath mila kar woh Veer ke gale se mila. Par gale milte hi Veer ke kaano ki taraf aake usne halki par dhamkaane waali awaaz me kaha,

"Toh woh tum ho jiske saath meri biwi ghoomti rehti hai? Haan? If you know your limits then stay away from her. Warna-! Tumhare liye accha nahi hoga!"

Aur apni baat Veer ke kaan me daalte hue waapas se woh hasste hue sabhi se baat karne laga.

Veer ki aankhein baaj ki tarah uss par jamm gayi. Mutthi kasi! Par iske pehle woh kuch karta,

[Stay calm for now! Bugs like him can't do anything.]

Pari ne uska gussa shaant kar diya.

Jab itne bade bade logo ki mehfil ek saath jami hui thi toh logo ka attention waha jaana swabhavik tha. Kaera bhi inme se ek thi.

Usne dekha ki kaise Veer aur baaki sabhi, yaha tak ki uska chota Bhai bhi uss ghere me khade hoke baat kar rahe the. Woh apni jagah se uthi.

Julia : M-Miss?

Parantu, woh bina kuch kahe ya sune uss orr chal di. Uske peeche peeche Jassi, Raghu bhi aaye. Julia aur Ruchika ko bhi majbooran jaana pada.

Uske waha aate hi sabki nazre uss par tikk gayi. Sonia ki nigaahein Kaera se bhidi. Dono ne ek dusre ko dekha. Aur laga jaise nazro ke beech aapas me ek spark hua ho. Kaera ke waha aate hi mahaul tang ho chuka tha. Aisa lag raha tha jaise vatavaran me hawa bhaari ho gayi ho. Lekin, netr sirf inke hi nahi mile the.

Kaera ke peeche khadi Ruchika ki aankhein bhi Suchika par jamm gayi. Woh ek soch me pad gayi ki ye mask pehne kaun nayi ladki thi? Aur use aisa kyu lag raha tha jaise woh use jaanti hai?

Ruchika ne na aav dekha na taav aur seedha hi prashn kar daala.

Ruchika (eyes profusely) : Who are you?

Suchika : *raises eyebrow*

Suchika apni jagah shaant khadi rahi. Usne koi uttar na diya. Kintu, Sonia ko jaise ek accha daav khelne ka mauka mil gaya.

Sonia : Where are your manners? Don't you know that before asking someone's name, you should introduce yourself first.

Ye jawaab sirf Ruchika ke liye nahi tha. Balki, ye Kaera ki bhi be-izzati thi.

Kaera ne mud ke Ruchika ko aankh dikhaate hue jab dekha toh Ruchika ko apni galti ka abhaas hua. Bhala woh kaun hoti thi iss tarah se inn sab ko ignore kar apna sawaal rakhne waali?

Ruchika (bows) : I'm sorry Miss! I was just wondering, who might be this new person?

Sonia (smiles) : Woh meri secretary hai. Private secretary. I don't think ki mujhe uske baare me sabhi ko batana zaroori hai. Right?

Ruchika : I understand!

Sonia : Good!

Sonia ko aaj behad khushi ho rahi thi. Ek prakaar se usne Ruchika ko hi nahi balki Kaera ko bhi muh tod jawaab diya tha. Ye sab ye darsha raha tha ki Kaera ki secretary ke paas manners nahi hai.

Veer ki nazre bhi Kaera par tiki hui thi. Kehne toh hazaar shabd chaahta tha woh magar shuruat kaha se kare aur kaise kare uski kuch samajh na aa raha tha.

Gaurav : If it isn't the most popular young Miss Kaera from Nexacom!? Such a pleasure to meet you in person.

Woh haath aage badha ke aaya. Kaera ne ek nazar uss par daali. Woh jaanti thi ye Suhana ka husband tha. Kintu, Gaurav ko usne koi ghaas tak nahi daali.

Veer ne bhi apna muh kholna chaaha,

Veer : Miss Kaera-

Magar, Kaera ek hawa ke jhoke ki tarah uske saamne se nikli, Karan ka haath thaami aur use kheechte hue waha se le jaane lagi.

Gaurav ko aisa laga jaise uske goto par kisi ne laat maar di ho.

'This bitchhh!!!'

Woh nakli muskaan liye mann hi mann garja. Uska handshake barbaad ho gaya. Iss ladki ki itni aukaat?

Karan : What? What happened? Dii???

Kaera : We are not here to chat!!

Kehte hue woh use ghaseet ke le jaane lagi.

Karan : W-Wait! Suniye toh-!! Shit!!!

Kaera ne Veer ko bhi ignore kar diya tha. Veer confused tha. Use bas yahi samajh aaya ki Kaera uss se naraaz hai. Emotions aane ke baad shayad ab use sab kuch sahi se samajh aa raha tha. Aur yahi kaaran tha jo woh uss se niraash thi.

Tej, Bhumika, Arohi aur Kavya bhi khadi khadi tamasha dekhti rahi. Unki samajh me toh nahi aaya ki kya hua lekin ye zaroor pata lag gaya tha ki kuch baat zaroor thi.

Jaate jaate Karan bas Veer ko dekhta raha jaise kehna chaah raha ho ki use iske baare me kuch nahi pata. Veer ne haami dete hue use nishchint rehne ka ishaara kiya. Tab jaake Karan ne ek raahat ki saans li.

Julia ne bhi peeche mud Veer ko ek baar hamdardi se dekha aur fir aage badh gayi. Toh wahi Raghu aur Jassi bhi Kaera ke iss bartaav se anjaan the. Sarr haan me hilaate hue Veer ko dekh woh dono bhi wapas chal diye.

Veer ka sarr apne aap jhuk gaya. Kya ye sab uski wajah se tha?

[Be alert!!! Here he comes!]

Kintu, Pari ke bol ne use sachet kar diya.

'Huh!?'

*Clap* *Clap*

Taaliyo se banquet hall goonj utha. Aadesh upar se neeche ki orr aa raha tha. Structure kuch aisa tha ki hall ke ant me madhya se stairs di gayi thi. Aadesh apni assistant ke saath neeche utar raha tha.

Taaliyo ki gad-gadahat uske chehre par aur badi muskaan laa rahi thi.

Veer ki nazar me jaise hi uska chehra aaya Pari ne uske mann me Aadesh ka poora parcha chhittha khol ke rakh diya.

*Ding*

[Name : Aadesh Jaisinghani
Age : 33
Bio : Aadesh Jaisinghani Casa Belle ka owner hai. Uske naam par sheher ki kayi anya hotels bhi hai. Magar, Casa Belle sabse pramukh hai. Apne swargeeya pita ki dhan daulat ko ikhatta kar usne pehle aur paisa kamaya aur fir Casa Belle ko khada kiya. Aadesh ke kuch underworld se bhi connections hai jaha woh paisa wasooli ke liye kuch gangs ka istemaal karta rehta hai.

Relationship : Mutual disagreement.
Favourability : -12
Note : Beware! The man is a crafty sly fox!]

Status padhte hi Veer hairat me reh gaya. System bhi use satark rehne ke liye keh raha tha.

'Relationship me mutual disagreement?'

[Because tum dono hi ek dusre se disagree kar rahe ho. Abhi tak shayad system ne use enemy consider nahi kiya hai. Lekin, mujhe nahi lagta ki woh samay ab dur hai-]

Aadesh jaise jaise seedhiyo se neeche aa raha tha, wese wese spotlight use follow kar rahi thi. Baaki, lights dim ho chuki thi.

Veer ko tabhi Karan ka call aaya. Call pick kar usne apne kaan se lagaya,

Veer : Kya hua?

Karan : Yaar mujhe nahi pata dii ko kya hua but aisa woh kabhi nahi karti hai. Trust me!

Veer (smiles) : Don't worry! Mujhe bura nahi laga.

Karan : Sure na?

Veer : Yeah!

Karan : Kahi tumhare aur dii ke beech toh kuch baat nahi hui na?

Veer : I-

Karan : Hmm?

Veer : No! Nothing happened! Mujhe tumse ek sawaal karna hai.

Karan : Oh! Kya?

Veer : Aadesh Jaisinghani koi bohut bada neta toh nahi hai aur na hi koi bohut badi personality hai. Fir itne bade bade log uski iss party me kyu shamil ho rahe hai?

Karan (smiles) : Good question! Log sirf bulaane par nahi aate Veer.

Veer : Hmm?

Karan : Ye business minded log hai. Obviously, bina faayde ke yaha par ek bhi insaan khada nahi hoga.

Veer : Toh kya baat hai?

Karan : Isme koi bhi shaq nahi hai ki Casa Belle hamare state ki sabse luxurious hotel hai. Tum batao! Jab koi company kisi client company se deal karti hai ya milti hai ya kahi pe bhi use kuch organise karwana hota hai toh woh kya karti hai?

Veer : Ohh! I get it! Woh apne sheher ki best hotel me dinner ya lunch ke liye unhe leke jaati hai. Taaki unka impression accha pade. To set the deal.

Karan : That's right! Toh itne logo ka yaha aane ka yahi maqsad hai ki woh hotel ke owner se acche khaase relations rakhna chaahte hai taaki jab kabhi bhi woh yaha aaye, unki khatirdaari me koi kami na hone paaye. Staff unhe pehli priority de.

Veer : I see!

Karan : Lekin sirf itna hi nahi hai-

Veer : Huh?

Karan : Wait a little more. Tum samajh jaoge ki log yaha kyu aaye hai. I'm hanging up now!

Veer : Hmm!!

*Call ends*

Jaise hi Aadesh ke qadam neeche floor par pade. Influencers tatha kuch ladkiya jhoom uthi.

33 saal ka unmarried banda, jo dikhne me handsome, aur paiso se mazboot unke saamne khada hua tha. Swabhavik tha ki ladies use apna banaane ki chaah rakh rahi thi.

"Oh my goddd! Mr. Aadesh!!! So handsome!!!"

"Looking so good Sir!!!"

"Oh goddd! His suit is looking so good~"

*Chitter Chatter*

Woh aate hi charcha ka vishay bann gaya. Uske paas se guzar rahi ek waitress badi si tray me wine ke kuch glasses le jaa rahi thi. Par achanak aayi bheed ki wajah se woh apna santulan kho baithi aur,

"Aahhhh!!"

*Swoosh*

Ek haath ne uski kamar kass ke thaam li aur use girne se bacha liya. Waitress stabdh hoke apne saamne uss vyakti ki aankhon me dekhti rahi aur uske gaal sharm se laal ho uthe.

Aadesh waitress ko pakde hue tha. Wine aur tray neeche gir chuki thi. Kaanch ke glasses toot ke bikhar chuke the.

Shayad aaj uski naukri jaane waali thi. Yahi khayal waitress ke mann me tha. Jo agle hi shan gaayab ho gaya,

Aadesh : Sambhal ke madam! Aise glasses aur trays mein dobara afford kar sakta hu. Par aapko kuch ho gaya toh mere staff me se ek mehanteeya vyakti kam ho jayega na? Dhyaan se! *smiles*

Waitress (blushes) : Ahh!!

Aur ek baar fir, taaliyo ki goonj hall me fel gayi. Guests ke upar iss se behtar first impression aur kya hi ho sakta tha?

Idhar Pari ne ye sab dekhte hi uski personality ko khol ke rakh diya.

[System is right! Ye aadmi tumse khurafati dimaag rakhta hai. He's a sly bastard. He's like your brother, Pranjal! Satark rehna.]

'Yeah!'

Toh yaha baaki workers ne turant hi aake gire hue samaan ko saaf kiya aur Aadesh aage aate hue sabhi ko dekh muskura ke sarr hilaaya.

Ek mic uske haatho me pakdaaya gaya.

"Ladies and gentlemen!"

"Thank you! Thank you aap sab ka jo aapne iss na-cheez ko yaha aake apna keemti samay diya."

"Mein bohut khush hu jo aaj apne mata aur pita jii ke ashirvaad dwara iss khubsoorat hotel ko aap sab ki seva ke liye yaha khada kar paaya."

"Mein ye batana chaahta hu ki ise aap sab apni hi hotel samjhe. Aaj ye choti si party aap sab ke liye hi hai mene aayojit ki hai."

Uski speech sunte hi kayi saare log prasann ho uthe. Uske kaptipann se toh Veer, Bhumika Arohi waaqif the. Par baaki aam insaan uske iraado ko thodi jaanta tha.

Veer ki aankhein Aadesh par hi gadi hui thi. Aur, jaise Aadesh bhi ye bhaanp chuka tha. Isliye usna bhi apna next step rakh diya,

"Aap sabhi ke liye hi mene ek service introduce ki hai. Pesh hai aap sab ke saamne ~ "

"Unicard!!!!"

new-documents-created

Usne apne haath me liya ek card sabhi ko dikhaya.

"Na sirf hotel ki saari facilities ko aap sabhi access kar payenge. Balki, ye card hone se aapko discount bhi diya jayega aur toh aur saari VIP services with extra attention and priority aap sabhi ko mera staff provide karega."

Unicard ke baare me sunte hi guests ke chehro par muskaan sajj gayi. Akhir isliye toh aaye the woh sabhi yaha.

"Please! Ab baaki baatein baad me! Aap sabhi pehle food enjoy kariye. And do let me know your thoughts~"

Spotlight hati aur dim lights wapas se bright ho gayi. Andhera gaayab ho gaya.

Kritika sab kuch dekh badi hi utsukta se boli,

Kritika : Oye! Kavya! Dekha na? Wahi hai mere Uncle!

Kavya : Ohh! Acchi baat hai! Ab toh khaana bhi allowed ho gaya. Chal na khaate hai ab!!

Woh dono aage badh ek food counter ki orr badhi aur Veer aur baaki sabhi ko bhi insist karne lagi. Itne me Aadesh jo khada hua tha woh Veer ki taraf aage badha,

Mic abhi bhi uske haath me tha. Jaise woh ye sab jaan boojh ke kar raha tha. Mic pe hi usne kehna shuru kiya,

"I'm sorry but who are you?"

Uske mic pe bolne ke kaaran sabhi ka dhyaan uski orr aakarshit hua.

Woh seedha Veer ke saamne aake khada hua.

Aadesh : Mister! Aapki tareef?

Veer : Veer!

Aadesh : Oh! Mister Veer, I don't remember ki mein aapko jaanta hu. May I ask ki aap yaha kar rahe hai?

Bhumika samajh chuki thi ki woh pal aa gaya hai jab unhe musibato ka saamna karna padega. Usne kass ki Veer ki hatheli ko thaam liya.

Toh wahi Tej ne jab ye suna toh uska maatha aise thanka ki woh khud ko qaabu me naa rakh paayi aur aage aate hue boli,

Tej : Who are we?? Didn't you send the invitation? How forgetful you are?

Jaha ek badi behan use emotional support de rahi thi toh wahi dusri badi behan uske saamne khade hoke use bachaane ki koshish kar rahi thi.

Aadesh : No! Mujhe nahi lagta mein aap sab me se kisi ko bhi jaanta hu.

Kritika jo peeche thi woh ye dekh ghabraate hue daud ke saamne aayi.

Kritika : U-Uncle! Y-Ye mere friends hai.

Aadesh : Hmm? Mene tumhe do friends ko laane kaha tha na Kritika? Woh do kaun hai?

Kritika ne majbooran Arohi aur Kavya ki orr ishara kiya.

Aadesh : Okay! Lekin, fir ye sab kaun hai?

Tej : I'm Tejal! And he's my brother. Aur hum sab yaha invitation ke baad hi aaye hai.

Usne apne purse se invitation nikaal ke uske muh ke saamne pesh kar diya.

Invitation dekhte hi Aadesh ke chehre par ek kapti muskaan aa gayi. Veer ki maathe par silvatein chhaayi,

[Something is wrong!]

Aadesh : Ohh! Okay! Assistant! Zara dekhna toh ye invitation sahi hai ya nahi?

Assistant : Yes Sir!

Peeche khadi uski assistant achanak hi aage aayi aur uss se invitation leke peeche ko gayi. Par tabhi,

*Ka-dink*

Light achanak hi gaayab ho gayi. Aur ek spotlight Aadesh ki upar padi.

Aadesh : Aap sab apna khaana enjoy kariye please. Ye chota sa hassle hai. Please, don't worry.

Aur agle hi pal spotlight wapas se hati aur baaki lights dobaara bright ho gayi. Magar, iss andhere me jo hua wo koi nahi dekh paaya. Siwae Veer ke.

Inn chand seconds me Aadesh ki assistant ne invitation ke upar se paper ki ek parat kheech ke hatayi aur use apni mutthi me band kar ke rakh liya.

Lights ke aate hi assistant uske paas chalte hue aayi, par jaise hi usne card par naam dekha uske hosh hi udd gaye.

Card par Veer ka hi naam likha hua tha. Aadesh ne ye card chalaaki se design kiya tha.

Usne Veer nahi 'Heer' likha hua tha card me. Aur uske upar ek similar paper ki parat chadhaate hue fir 'Veer' ka naam daal uske paas bheja tha.

Taaki jab uss paper ki parat ko hataya jaaye toh 'Heer' naam saamne aaye. Aur uske paas ye bahana rahe ki usne 'Veer' ko nahi, kisi 'Heer' ko card bheja tha jo galti ki wajah se uske paas aa gaya.

Magar, uska saara plan chaupat ho chuka tha. Paper ki parat hataane ke baad bhi Veer ka naam hi saamne aaya tha.

Aadesh ye nahi jaanta tha ki woh kis se bhid raha tha. Jis pal Veer ko invitation mila tha. Usi pal usne uss invitation ko check kar liya tha.

Aadesh ki saari kartoot uss par jhalak gayi thi. Ab baari Veer ki thi. Veer ne 'Heer' naam ko hi 'Veer' me tabdeel kiya tha.

Copycat!!!

Yahi woh skill thi jiski madad se usne Kaera ko woh diary likh ke di thi. Same writing ke tehet use bas 'H' ko thoda sa adjust karna pada tha.

Rubbing alcohol!!! Jiski sahayta leke usne 'H' ko 'V' me tabdeel kar diya tha.

Aadesh ne khud ne jab card dekha toh use jaise ek bohut bada jhatka laga.

Ye writing toh uski hi thi. Ye kaise mumkin hai bhala? Usne toh Heer hi likha tha. Fir ye kaise?

Uske chehre par aashcharya saaf jhalak raha tha. Iss baar Veer ke hontho par muskaan thi.

[Mock him!]

'Huh?'

[Jaisa mein kehti hu wesa kaho-]

'Alright'

Agle hi pal Veer muskuraate hue Tej ke peeche se aage aaya.

Veer (smiles) : Looks like it was a mistake from the staff itself. Surely, famous Casa Belle's owner won't turn his guests away now because of his fault. Right?

Ek karaara jawaab!

Aadesh : Tch!!

Tej khush hote hue apne haath fold kar use dekhi.

Tej : Galti staff karta hai lekin fir use accept nahi karna hota hai? Waah!

Aadesh jaan chuka tha usne muh ki khaayi thi. Lekin, use kaise bhi kar ke ye sambhaalna tha. Kuch sochte hue uske hontho par fir ek muskaan chhaa gayi.

Aadesh (smiles) : My bad! My bad!! Haha! Bilkul! Ye meri galti hai. Mein sab kuch organise karwane me itna busy tha ki mere dhyaan se nikal hi gaya ki mene recently charcha me chal rahe mister Veer ko bhi invite kiya hai. Kabhi aapse mulaqat nahi hui na isliye bas ye bhool ho gayi. Ladies and gentlemen! Mister Veer is here!!

Spotlight jali! Aur iss baar seedhe Veer ke upar aa ke padi. Aadesh kitna bada harami tha iss se saabit ho chuka tha. Usne apni kami ko accept toh kiya lekin log uss baare me zyada soche na isliye usne saara ka saara dhyaan Veer ke upar kendrit kar diya.

Aadesh : Mister Veer! Jii haan! Abhi haal hi me ye France me hamare desh ka naam roshan kar ke aaye hai. Aapne suna hoga inke baare me news me. Ye Chef on wheels ke owner bhi hai. Inka khud ka food startup hai. Please, make a huge round of applause for Mister Veer!

*Clap* *Clap*

Veer ke liye bhi taaliya bajne lagi. Dur khadi Sonia khushi se uski taraf dekh rahi thi. Toh wahi Kaera kuch soch vichaar me leen thi.

Aadesh : Ab jab interruption ho hi gaya hai toh mein iss mauke par Unicard bhi distribute karna chahunga.

Uske itna kehte hi jis wajah se log yaha aaye the woh sabhi apne apne assistants ko bhej diye Unicard ko paane ke liye.

Ek baar fir chehel pehel hone lagi. Aur dekhte hi dekhte kayi saare Unicard ek baar me khareed liye gaye.

Kavya : Bhaiyaa! Hum bhi lete hai! Hehe! Fir mein kabhi bhi aa jaa sakungi yaha.

Veer (smiles) : Sure!

Pehli baar aaj uski Kavya ne kuch maanga tha. Veer kaise inkaar kar sakta tha.

Parantu, jaise jaise yaha cards bate ek bhi card Veer ko offer nahi kiya gaya. Tamaam logo ko cards diye jaa rahe the, siwae Veer ke.

Kavya : W-Woh hume card kyu nahi de rahe bhaiya?

Veer : Wait!

Tej : Kavya sahi keh rahi hai! Ek toh inn logo ne pehle hamari insult ki aur ab ye. Kavya! Chalo!

Kavya : Haan didi!

Tej uske saath aage badhi. Aur Aadesh ke paas pahuchi.

Tej : Unicard hume kyu nahi diya jaa raha hai? You are distributing it to everyone else.

Aadesh : Hmm? I'm sorry Miss! Lekin, ye sab ke liye nahi hai. Basically, aap ise afford nahi kar sakti.

Kavya : Wh-Whaatttt? Kya matlab hum afford nahi kar sakte? Kya aap ye kehna chaahte ho ki hamare paas paisa nahi hai?

Kritika dur se chintit ho rahi thi. Magar, woh unke beech kuch nahi keh sakti thi.

Aadesh : Ye toh aap keh rahi ho beta! *smiles*

Kavya : Toh aapka matlab kya hai? Mere bhaiya ki insult ki ek toh aapne aur ab hum logo ko card dene se mana kar rahe ho? Mere bhaiya ke paas bhi bohut paisa hai.

Aaj Kavya bhi atyadhik gusse me thi. Ek toh uske bhaiya ki insult hui aur upar se ab ye.

Aadesh ne apne jeb se ek Unicard nikala aur Kavya ko dikhaya,

Aadesh : Padhte toh aata hoga na beta? It's only for c-suite executives and above individuals.

Kavya : Huh? C-C suite? Executive?

Kavya ke bhale sarr ke upar se nikal gaya ho. Lekin, Tej ko sab samajh aa chuka tha. Apne nichle honth ko daanto tale gusse me dabaate hue woh Aadesh ko dekhi aur Kavya se boli,

Tej : C-suite executives woh hote hai Kavya jo companies me CEO, COO, CMO, CTO, CIO jaisi job profiles par hote hai.

Aadesh (smiles) : Exactly! Aur chuki aap me se koi bhi iss profile par nahi hai, toh ye aapko nahi mil sakta.

Kavya (pouts) : Youuuu-!!!!

Iss se pehle ki Aadesh card ko utha ke apne jeb me wapas rakhta.

*Swoosh*

Aadesh : Huh???

Kisi ne uske haath se card chhina liya. Kavya apni jeebh dikhaayi,

Kavya : Ab hum toh Kritika ke friends hai. Toh ek dene me kya ghat jayega aapka?

Aur woh palat ke masti kar bhaagi. Lekin, security ke ek aadmi ne turant hi uska haath pakad use rok liya.

Aadmi ne uska haath moda,

Kavya : Ahnnn!!!

Tej : Kavyaaaa!!!

Security guy : Pranks are not allowed.

Usne abhi card liya hi tha Kavya ke haath se ki,

*Baaaaaammmmmmm*

Ek zordaar dhakka uske shareer ko laga aur woh dur ek table me jaake dhadaam se bhid ke gir gaya.

Table ka saara samaan ast vyast hoke neeche ko gir gaya. Aur ye shor hote hi sabhi ka dhyaan Veer aur baaki sabhi ki orr chala gaya.

[I told you to remain calm!!]

Veer : Don't you dare touch my sister!!!

Kavya jo bas apne bhaiya ke liye kuch karna chaahti thi pehli baar. Woh ek baar fir apne bhaiya ke upar depend hoke reh gayi. Bechari ki aankhon se behne shuru ho gaye.

Ek baar fir..! Woh kisi ke pyaar me gir gayi.

Kass ke Veer ke coat ko jakadte hue woh uski baaho me simat ke reh gayi.

Aadesh ki muskaan haivaano waali ho rahi thi.

'Yes!!! Yes motherfucker!! Beat me!!! Be violent...!!! Yahi toh mein chaahta hu!!!'

Uska khurafati dimaag yahi sab soch andar hi andar shadiyantra rache jaa raha tha.

Veer jaise iss baar uske plan me fass raha tha. Dekhte hi dekhte saare log Veer aur Aadesh ke beech ho rahe jhagde ko dekhne lage.

Sonia, Kaera aur Karan! Sabhi confused the. Ye achanak se kaisa mod aa gaya party me?

Toh wahi reporters aur influencers apna cameras me ye sab qaid karne ki bharpoor koshish me jut gaye.

Aadesh ka shadiyantra jaante hi jaise Arohi ne kuch bhaanp liya aur woh Veer ke coat ki sleeve ko pakdi. Par pakadne se pehle hi-

*Whoooshhhh*

Veer uske qareeb se chhu-mantar hua aur kuch qadmo ki duri par khade seedha Aadesh ke saamne pahuch gaya.

Uski collor ko jakadte hi Veer ki aankhein ek shan ke liye laal hui aur uski dabang awaaz Aadesh ke kaano me padi,

"Mein aur mera parivar, yaha bad-salookhi ke liye nahi aaye hai. If you cannot afford us. Then, just ask us. We'll leave!!!"

Kritika : K-Kavya! Kavya ye sab kya ho raha hai? Kuch karo!

Kavya (cries) : Bhaiyaaaa~ Bhaiya I'm sorry! Ye sab meri galti hai. Chaliye na chalte hai yaha se. Mujhe kuch nahi chahiye. *sniff* I'm sorrryyyy!!! *sniff*

Log toh tamaam the. Par kisi ki himmat nahi ho rahi thi ki Veer ko jaake use shaant kare.

Kyu?

Kyuki uske andar se aa rahe ek Intimidating aura ki anubhuti unn sab ko ho rahi thi.

Intimidating Presence!!!

*Gwak*

Veer ka haath Aadesh ke gale par jaa chuka tha. Aur, pehli baar Aadesh ki phatt ke chaar ho chuki thi.

Peeche khadi uski assistant ne jaise tese aage badh Veer ko zorr se dhakka diya.

Sthiti ka abhaas hote hi Veer ne khud-ba-khud Aadesh ko chhorr diya.

Magar,

"How dare you?????"

Aadesh ki assistant Veer par baras uthi. Security agle hi pal active hui aur Veer ko pakad li. Koi bhi intervene nahi kar raha tha.

Sab Veer ke Intimidating Presence ka hi shikaar hue baithe the. Aur, uske aftereffects se hi baahar aane ki koshish kar rahe the.

Assistant ko jaise mauka mil chuka tha. Usne tray se ek wine ka glass uthaaya aur-

*Splash*

Seedha Veer ke muh pe de maara.

Wine uske chehre ko bhigote hue neeche girne lagi.

Tej : Veeeeeeerrrr!!!

Woh aage daudi!!! Par kuch waitresses ne use bhi pakad liya.

Tej : Uggh!!! Leave meeee!!! I said leave meee!!!

Bhumika, Arohi bhi wahi logo ke beech dabb ke reh gayi.

Sonia ghabraate hue uthi. Par aage badhne se pehle hi peeche se kisi ne use rok liya.

"Miss Sonia! Kaha jaa rahi hai aap?"

Sonia : Mister Tanishq! Mera waha jaana zaroori hai. He's my friend! Kuch misunderstanding hui hai zaroor.

Tanishq, Sonia ke suitors me se ek tha. Jis bandi ko woh paana chaahe woh kisi aur mard ke liye bhaage, bhala woh ye kaise bardaasht kar sakta tha.

Tanishq : Kya mujhse zyada aur hamari company Autoshield ki deal se zyada important hai?

Autoshield Automobiles ki field me ek bohut bada naam tha.

Screenshot-2023-09-08-195547

Sonia ke labb ye baat sunte hi sil ke reh gaye.

Prakash : Ye deal hum haath se jaane nahi de sakte Miss. 120 crores ki deal hai. Agar ye haath se nikli toh-

Baat sunte hi Sonia ne daant meeste hue, mutthi kaste hue khud ko roka. Agar wo nahi jaa sakti thi toh kisi ko bhej toh sakti thi na?

Usne Suchika ki orr dekha. Aur Suchika jaise samajh gayi ki kya karna hai. Woh apni jagah se uth ke nikal gayi.

Idhar Kaera ke circle me Kaera bechain nazro se use dekh rahi thi. Karan se ab aur na raha gaya.

Karan : What the hell is going on? Damn it! This is too much!!!

Uska dost mushqil me ho, toh woh kaise shaant reh sakta tha?

Kaera na jaane kya soch rahi thi par jaise woh kuch chaah rahi thi ki Veer kuch kare. Aisi situation se woh baahar aaye. Bina uski madad ke!

Use puraane saare woh lamhe yaad aa rahe the.

Veer security se ghire hue apna bheega chehra neeche jhukaaye vichaaro me leen tha.

[If that lady would have been here, you wouldn't have been seeing this day.]

That lady?? Lekin kaun?

Pari ek hi shaks ki baat kar rahi thi.

Suhana!

Aaj woh yaha hoti toh kya woh ye sab hone deti? Shayad nahi!

Veer khud ko chhura ke yaha se nikalne waala tha jab ek ajnabi awaaz ne uske kaan khade kar diye.

Banquet hall ke darwaaze ki orr se ek lady ki awaaz poore hall me goonj gayi.

"Not having a c-suite profile is the problem right?"

Tamaam janta ki nigaahein uss ajnabi lady par tikk gayi
. Jinhone pehli baar use dekha unki dhadkane use dekhte hi tezz ho gayi.

Par, uss lady ki aankhein sirf aur sirf Veer par hi tiki hui thi. Baaki janta jaise uske liye hawa ke samaan thi. Usne fir se teevr awaaz me kaha,

"Then, I hereby declare him the CEO of my company."

"Whatttt?"

"Huh??"

Bade se bada aadmi uss pal waha stabdh reh gaya.

Veer ne apna sarr upar kiya. Wine ke aankhon me padne se use dhundhla dikhaayi de raha tha.

'Wh-Who!!?'

Ek khubsoorat si lady uski aankhon ke samaksh thi.

Par jhatka toh tab laga jab-

'Check!'

*Ding*

[No information available!]

'I-It can't be-!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 8.7k words. Mein chaahta tha ise ek update me hi finish kar du. Lekin kya karu, itna sab kuch hai dikhaane ko ki ek me ho hi nahi paaya. :sad: Agle me zaroor ye finish bhi ho jayega aur hum aage bhi badh jayenge iske. Baaki, likes thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. Kaafi mehnat ki hai mene ek ek scene ko yaha visualise karwane ki. Target apna wahi hai. 150.

Dhanyavaad! ✨
Mast update.....

Lagta hai ava ki entry ho gai hai... Ya fir suhana ka🤨🤨🤨🤨

Next update 10 din baad👍👍👍🤞🤞
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,733
29,105
218

Ekdam dhansoo or suspense se paripurn update bhai....
 
Silent lover

Active Member
1,098
3,245
158

Superb update
 
Story readers

Member
431
1,868
123

Nice behtarin mast awesome update bro
 
achinsaha

I 🖤 🖤Darkness 🖤🖤
1,227
2,279
143
Update - 160 ~ Big Bash (1)

Ab tak...

Nidhi ka haath kuch kehne ke liye aage badha magar woh kuch keh na paayi. Bas Veer ki peeth hj nazar aa rahi thi use. Kaise ek haath ko peeche le jaate hue woh Juhi ke sarr par rakha hua tha. Jaise maano ek pita apni beti ko apne kandho par se girne se bacha raha ho.

Veer : I want to reveal something. It's basically a method. Jise hum sabko apni life me follow karna chahiye.

Aur aage badhte hue usne uss board se woh laal kapda hata diya.

"Presenting you~ The Hourglass Method!!!"

Ab aage...

"Y-Ye kya hai?"

"Huh?"

*Chitter* *Chatter*

"Haan haan kuch samajh nahi aa raha."

"What is this?"

"Kuch hourglass sa bana hai. Andar kya hai ye sab?"

"Hmm! Samjhayega woh abhi."

"Akhir hai kya ye?"

"Andar kuch food sa bana hai."

Veer ke board se laal kapda hataate hi ek chitr sabhi ki aankhon ke saamne ujaagar hua. Chhota sa white board tha ek jis par yeh chitr bana hua tha.

Heavy-Breakfast-1

Aur logo ki khusur pusur waha shuru ho gayi. Aapas ke log ek dusre se baat kar uss chitr ko samajhne ki koshish karne lage.

Kavya confusion me uss chitr ko dekh rahi thi toh wahi Arohi ki bauhe kasi hui thi. Magar, agle hi shan uske chehre par aashcharya ke bhaav umde.

'Th-This is-!'

Use jaise kuch kuch samajh aa chuka tha. Fir bhi woh shaant rahi aur bas Veer ke samjhaane ka intezaar karne lagi.

Nidhi se leke Shreya, Ragini athwa baaki sab bhi isi tarah confused the. Bhumika hi thi jo sab kuch samajh chuki thi. Food industry se uska purana naata tha. Veer kya pesh karne jaa raha tha woh pehle hi jaan gayi thi.

'Y-Ye toh-!! Veer!! You made this-!?'

Woh mann me sochi. Aur bas bekaraar thi Veer ke explanation ke liye.

Food bloggers, vloggers se leke food content creators tak jo bhi waha maujood the, woh photos kheechne athwa video banaane me lag gaye. Zaahir hai ye aaj social media me viral hone waala tha.

Unme se tabhi ek ne sawaal kar hi diya,

Blogger 1 : Ye kya hai Sir? Iske baare me aap kuch batayenge?

Veer muskuraya aur usne chitr ko dekha.

Veer : This is the Hourglass Method! Ek method jo poore nation ki diet ke liye hai.

Vlogger 1 : Kya aap ise thoda detail me samjha sakte hai?

Veer : Kyu nahi? Par pehle mere kuch sawaalo ka jawaab dena hoga aap sabko. Are you guys ready?

Sabhi ne pehle ek dusre ko dekha aur fir haami bhari. Kuch aur bhi log the jo insta par ye sab live chala rahe the. Chef on wheels koi chhota mota naam nahi tha ab. Mumbai me usne apni acchi khaasi popularity bana li thi.

Chef on wheels ko aur bhi zyada khyaati tab praapt hui jab Veer Paris se lauta aur uska interview liya gaya tha. Jaha se logo ko ye pata chala tha ki chef on wheels isi Veer ka hi ek start-up hai. Bas! Fir kya tha!? Uske baad se hi uska business charcha ka vishay bana hua tha.

Alag alag accounts me chal rahi Insta ki ye live telecast, bhala Aadesh tak kaise nahi pahuchti?

Usne toh 'Chef on Wheels' ke upar kadi nigraani rakhne ke liye aadmi lagaye hue the. Yaha live telecast shuru hue abhi kuch hi pal hue the ki waha Aadesh ko apne office me iski khabar bhi lag gayi.

'Hmm!? Y-Ye ladka-!!! Kahi dekha dekha sa kyu lag raha hai?'

Veer ki shaqal use apne mobile ki screen par saaf saaf dikh paa rahi thi. Usne zyada na sochte hue apna agla plan gear pe lagaya aur turant hi Tamanna ko call kiya.

Tamanna : Hello?

Aadesh : Dushman yaha nayi nayi chaale chal raha hai, aur tum waha so rahi ho?

Tamanna : K-Kya hua?

Aadesh : Ye Chef on wheels waale fir kuch naya kar rahe hai. Jaa ke dekho zara waha ki kya chal raha hai. Aur chaahe jo kuch bhi ho, dhyaan rahe ki tumhe uss par ulta waar karna hai. Samajh gayi?

Tamanna : A-Abhi jaana hai?

Aadesh : Toh kab? Jab woh apna plan kamyaab kar lenge tab jaane ka iraada hai?

Tamanna : N-Nahi! J-Jaati hu!

Aadesh : Aur agar na maane, toh fir mujhe pata hai ki kya karna hai. *smiles*

Idhar Veer sabhi ko ekatr kar unse sawaal puchne me laga hua tha.

Veer : Aap sab ke according, ek ideal diet kaisi honi chahiye?

Blogger 1 : Ek ideal diet aisi honi chahiye jisme food se hume nutrients, vitamins ye sab sahi maatra me mil sake.

Veer : Hmm! Aur-!?

Vlogger 2 : Protein!! Shareer ke liye protein bohut zaroori hai.

Veer : Aur?

Blogger 2 : Mein food ke baare me apne blog me likhta rehta hu. Mere hisaab se, sahi hygiene aur sahi proportion me sahi nutrients ki diet lena hi ek ideal diet hai.

Veer : Aur?

Blogger 1 : Actually, agar dekha jaaye toh ye aur bhi deep jaa sakta hai. Like, ayurved aapko pyaaj lehsun khaana recommend nahi karta.

Veer : Hmm! Well, let me explain-

Veer abhi yaha unhe upar upar ke basics samjha raha tha aur jaise hi woh main mudde pe aaya ki tabhi ek car waha aake ruki. Unki nazre car par gayi. Aur, jaise hi car ka darwaza khula usme se Tamanna baahar nikal ke aayi.

[She's here~ hooo~]

Use dekhte hi Veer ki bauhe uss par kass gayi. Tamanna ghabrayi hui thi. Uski pichli kartoot zaahir si baat hai ki Veer ne pakad hi li thi.

Kintu, kya Veer ke paas saboot tha koi ki woh Aadesh ke saath mili bhagat kar kaam kar rahi hai? Shayad nahi!

Isi aatm-vishvaas ko odhe woh chalte chalte aage badhi. Jaise hi usne Veer ko dekha,

'Huh-!!!!?'

Uske qadam shan bhar ke liye wahi tham gaye.

Veer ke hontho par haiwaano waali muskurahat thi. Uski aankhein baaj ki tarah apne shikaar par jami hui thi. Thand zara bhi nahi thi, fir bhi Tamanna ke badan par ruye khade ho chuke the.

Uski aankhein bhay aur aashcharya ke maare fel gayi jab use kuch akasmat hi nazar aaya.

Veer ki aankhein pal bhar ke liye ekdum laal rang ki hoke raat ke andhere me chamki.

'Wh-What-!!?'

Ye kya tha? Usne apni aankhein mali aur dobaara dekha par ab woh laal rang kahi nahi tha. Kya ye uska vehem tha?

'Was it-!? The reflection of light-!? I think so!'

Ise Light ka reflection samajh woh ek gehri saans chhorr aage aayi. Uske aate hi tamaam food bloggers aur creators jaise paagal hi ho uthe.

Tamanna jaani maani ek celebrity ki tarah hi thi food industry me. Uske sang photo khichwana hi bohut badi baat thi. Creators ye baat jaante the ki Tamanna unke followers badhaane me kitni faayde-mand saabit ho sakti thi.

Aur isliye woh sabhi use gher ke khade ho gaye.

"T-Tamanna!?? Tamanna Joshi, one of the most popular food blogger yaha pe!??? Oh myyyy goddddd!!!"

"It's- It's her!!! Tamanna Joshi!!! The best food blogger from India!!!"

"Woooowww~ Ma'am!! Ma'am autograph please!!!"

*Click* *Click*

"Ma'am! 2 minute please! E-Ek photo! Only one selfie please!"

"Guys, I hope aap sabhi dekh paa rahe honge. Tamanna Joshi! Hamare India ki best-! Matlab best food blogger aur critic hai yeh. Hum waqai lucky hai jo aaj saamne se unhe dekha. Baaki, dekhte hai kya hota hai abhi."

"Behanchod! Aaj ma'am ka ek autograph aur unke saath selfie toh leke hi jaana hai."

"Ma'am! Ma'am!"

Magar Tamanna akeli nahi thi. Do bodyguards bhi the uske saath. Janta ko niyantran me rakhne ke liye woh dono jann logo ko dhakelne lage aur Tamanna ke paas aane se unhe rokne lage.

Tamanna : I'm sorry! I'm not here to have any interview. No photos and autographs please!!

Usne saaf mana kar diya. Woh ahista ahista chalte hue uss white board ke sameep aayi. Aur aake uss chitr ko dekhne lagi.

Aadesh ki kuch derr pehle batayi gayi baat uske dimaag me goonji,

'Chaahe jo kuch bhi ho, dhyaan rahe ki tumhe uss par ulta waar karna hai. Samajh gayi?'

Usne ek gehri saans li. Woh jaanti thi ki Veer ne jo kuch bhi yeh banaya hai woh poore desh ke hit ke liye hi tha. Fir bhi, aaj woh majboor thi. Use iske viruddh jaana hi tha.

Tamanna : What is this? Is this a joke?

Veer muskurate hue uske qareeb chalte hue aaya.

Veer : It's an Hourglass Method!

Tamanna : For what??

Veer : Ek ideal diet ke liye. Aaj kal ki bhaag daud bhari life me, logo ke paas time nahi rehta ki woh apni diet par dhyaan de. Aur isliye woh bina kisi control ke bas kuch bhi khaate jaate hai. There must be an official diet method for the nation. Right?

Tamanna : Diet method? Hahahahaha! What a joke! Who do you think you are Sir? Bhala tum saare nation ko kaise represent kar sakte ho? Aur kaise ye diet method saamne rakh sakte ho? Aur kaise ye expect kar sakte ho ki desh ka harr naagrik ise follow kare?

Tamanna ka kroor aur karaara jawaab sunte hi Tej ka paara chadh utha. Iss ladki ki himmat kaise hui ki uske Bhai ke saath aise baat kare?

Kintu, iske pehle ki woh aage badhti peeche se Arohi ne uska haath thaam liya.

Tej : Arohi!?

Arohi : Rukiye di! Just wait and watch!

Daant meeste hue woh khud ko jaise taise roki. Idhar Veer bas muskura raha tha. Woh toh jaanta tha ki Tamanna bhala yaha kis iraade se aayi hui thi.

Wese ek baat acchi bhi thi isme. Woh yeh ki Tamanna ke aane se, Veer jo ye method logo tak pahuchana chaahta tha woh ab aur bhi asaan ho gaya tha.

Veer : Mein kaun hota hu saare nation ko represent karne waale? *smiles* Well! Woh mein hi tha jisne abhi haal hi me France me India ko represent kiya tha.

Tamanna : That's-

Uske iss jawaab se Tamanna ki bolti band hoke reh gayi. Toh wahi, Aadesh jo insta par sab live dekh raha tha. Use bhi jaise ab realisation hua.

'T-Toh ye ladka aur woh ladka-!!! Ek hi hai!!! Hmm! Samjha!!! Iska matlab hotel Prestige me yeh-'

Aur woh apni soch ko aur dur le jaane laga.

Yaha, Tamanna pressure me thi. Lekin, kaise bhi kar ke use ye sab kuch aaj thapp karna tha.

Tamanna : Woh baat aur yaha aaj ki baat alag hai mister Veer!

Veer : Ohh!? Kya duniya me pehla smartphone banane waala aadmi kisi ki permission leke aaya tha use banaane ke liye? Kya duniya ka pehla TV kisi ki permission se banaya gaya tha? Then, why do I need permission to make this method?

Tamanna : That's because-

Veer : Haan haan!? Kahiye? I'm all ears!

Tamanna (growls) : Y-You-!

Veer : Hmmm?

Tamanna : Tumhe kya lagta hai? Ye ghatiya si method tum yaha do chaar bloggers ko bula ke saamne rakh doge toh yeh official ho jayegi? Health department aake tumhe shabashi dega? Kin sapno me jee rahe ho tum?

Ek baar fir Tej uski kathor baatein sunn bhadak uthi.

"This bitch-!!!"

Woh dhadalle se aage badhi ki ek baar fir Arohi ne uski aasteen pakad use rok liya.

Tej : Arohhhiiii!! Chhorro mujhe!

Arohi : Tejal dii!! Samajhiye! Aap baat ko aur bigaad dogi! Gussa mujhe bhi aa raha hai.

Bhumika (steps-in) : Aur ye samay gusse me aake kuch karne ka nahi hai!

Arohi (glances) : Exactly!

Tej (glances) : Huhh!?

Bhumika uske bagal se aake khadi hui aur use dekhte hue boli,

Bhumika : Leave it to me!

Kuch derr tak Tej shaant rahi aur fir halke se haami bharte hue woh peeche ho gayi. Bhumika ki khud ki hotel thi. Shayad iss sthiti ko woh hi acche se sambhaal sakti thi.

Woh aage Veer aur Tamanna ki orr badhi,

Bhumika : Mera Bhai ek food business ka owner hone ke naate, kisi method ko saamne kyu nahi rakh sakta? 'Three satisfactory elements of any dish.' Ye book aapne hi likhi hai na?

Tamanna (frowns) : Y-Yes! So what-!?

Bhumika : Uss book ke according aapne ye bataya hai ki kisi bhi dish me sabse aham 3 hi elements hote hai. Toh ab mein aapse puchti hu. Aap kaun hoti hai saari dishes me se sirf inn 3 elements ko represent karne waali? Aap kaise inn 3 elements ko saamne rakh sakti hai? Aap ye kaise expect kar sakti hai ki desh ka harr nagrik aapki baat se sehmat hoga?

Ek aur karaara jawaab! Bhumika ka brutal retort dekh Tej ki aankhon me ek chamak aa gayi. Usne Tamanna ko uski hi bhaasha me jawab diya tha. Ye sahi nirnay tha jo Tej ne Bhumika ko waha jaane diya.

Blogger, vloggers aur content creators ke liye toh jaise aaj chaandi ho gayi thi. Woh iss debate ko live jo capture kar rahe the. Iska viral hona toh tay tha.

Tamanna ne kuch saal pehle hi apni ek book publish ki thi. Jiska naam tha ~ 'Three satisfactory elements of any dish.'

Yeh food industry me kaafi charcha me rahi thi jab launch hui thi. Aur iski sahayta se harr nau-seekhiya bhi food ka gyaan dene laga tha.

Kisi bhi dish me 3 mehatvpoorn cheezein hoti hai jiske chalte woh dish uttam se bhi uttam saabit ho sake. Agar kisi dish me ye teen baatein hai, iska matlab woh dish avval darje ki hai.

Pehla ~ Taste!

Yaani ki swaad. Insaan kisi bhi dish ka lutf swaad ke kaaran hi utha paata hai. Swaad kisi dish ka hi nahi, balki hamare khaane ka sabse mehatvpoorn hissa hota hai.

Dusra ~ Nutrition!

Khaana bhale hi swaadisht ho, lekin agar woh swaasth ko haani pahuchaye toh bhala woh kis kaam ka? Khaana na sirf swadisht hona chahiye balki saath hi saath shareer ko atirikt poshan de sake aisa bhi hona chahiye. Jo ki aaj kal aksar food industry me maujood tamaam business waale iss aham cheez ko bhool jaate hai.

Aur teesra ~ Presentation!

Ye teeno me utna aham nahi hai, magar ek accha business waala vyakti aur ek accha chef iss baat ko bhali bhaati samjhega ki kisi bhi dish ko acche se prastut karna kitna aavashyak hota hai aur uska business me kya prabhaav padta hai.

Tamanna ne apni iss kitaab me inhi teeno baato ka zikr bade hi sanchhipt roop me kiya tha. Par sawaal wahi utha diya Bhumika ne. Akhir, woh kaun hoti hai inn sab cheezo ko likhne waali?

Aur agar use anumati hai, toh bhala Veer kyu nahi kuch represent kar sakta?

Bhumika : Kahiye! Ab khamosh kyu ho gayi aap?

Tamanna (smirks) : Am I not qualified enough? Mene jo book likhi hai, woh managements, departments, foreign fields se awards milne ke baad hi likhi hai. So? Kya mein qualified nahi hu use likhne ke liye? But what about him? Mister Veer ne aisa kya kiya hai food industry ke liye jo woh iss method ko publicize karne ke liye qualified ho gaye hai?

Bhumika : Kisi me jab kisi field ke liye passion ho toh zaroori nahi hai ki jab woh apna naam kama le tabhi apne ideas ko public me rakh paaye.

Veer ne Bhumika ko dekha. Woh behan jisne kabhi Bhai maanane se inkaar kar diya tha. Aaj wahi use bhai pukaar ke uske liye uske saath khadi thi. Uske hontho par ek muskaan saj gayi. Bhumika ne bhi jaise Veer ko apni orr dekhte hue mehsoos kar liya.

Woh use dekhi aur halki si muskaan dete hue haami bhari. Jaise batana chaah rahi ho ki 'Mein hu tumhare saath yaha pe. Chinta karne ki zaroorat nahi.'

Tamanna : Chalo maan lete hai ki koi bhi kuch bhi present kar sakta hai. Par ye kaise maan le ki mister Veer ka diya gaya yeh method sahi hai? Hmm?

Bhumika : W-Woh-

Veer (smiles) : Aap khud kyu nahi khaamiya nikaalti? Logo ko samajh aa jayega ki yeh sahi hai bhi ya nahi!

Tamanna : Very well then. I won't hesitate.

Woh aage aayi aur usne apni ungli board par rakhte hue pehle khud diagram ko samjha. Aur fir boli,

Tamanna (grins) : Ye bakwaas hai actually. Mister Veer! Mene lagbhag poori duniya ghoomi hai. Aur, mein ye dekh ke bata sakti hu ki ye diagram aur ye method Japanese inverted triangle method se inspired hai. Kya mein sahi hu?

Veer ne use ghoora. Woh sahi thi.

Japanese Inverted Triangle bhi diet ke liye ek method thi.

images

Iss chitr ke anusaar, ye bataya gaya hai ki subah se raat tak insaan ko kis maatra me kya kya khaana chahiye. Subah se raat hote hote, khaane ki maatra bhi kam hoti gayi hai.

Yaani ki insaan ko raat me kam se kam khaana chahiye. Magar, Veer ke diagram me aisa nahi tha. Uska chitr hourglass ke akaar me tha.

Iska matlab kya hua bhala?

Veer kuch pal toh shaant raha. Fir bola,

Veer : Yes! You are right! I won't deny it.

Tamanna (smirks) : Haah~ Mein jaanti thi. Yeh Japanese inverted triangle ki sasti copy hai aur kuch nahi. Upar se yeh galat hai. Mein khud Japanese inverted triangle ko follow karti hu.

Veer : Ye galat kaise hai bhala?

Tamanna : Are you really asking me about that? Don't you see? Ye figure hourglass me hai. Iska matlab ye hua ki shaam aur raat me insaan ko utna hi khana chahiye jitna ki subah aur dopahar ko woh khaa raha hai. This is illogical.

Veer (smiles) : Aur ye illogical kyu hai?

Tamanna : Tumhare figure se hi samjhati hu tumhe. Hmm! Ye dekho! Ye morning aur lunch ka diya hai tumne. Right?

IMG-20230830-202727

Veer : Yes!

Tamanna : Morning me ek insaan heavy breakfast kare. Ye mein maanti hu. But what about lunch? Tumne lunch ke liye toh minimal food select kar ke rakha hai. Bas ye fruits, juices, milk, etc. Kya inn sab se lunch ho payega logo ka? Mein aap sab se puchti hu! Kya ye kahi se bhi logical hai? Ki vyakti din me khaana hi na khaaye?

*Chitter* *Chatter*

Uske sawaal par log aapas me khusur pusur me lag gaye.

"Baat toh sahi hai yaar-!"

"Haan yaar! Matlab din me toh khaana maangta hai."

"Are do waqt ki din ki roti kamaane ke liye hi toh itni mehnat karte hai. Ab kya woh bhi nahi khaaye? Toh bhala khaaye kya?"

"Bilkul! Ek gareeb vyakti sirf do time hi khaata hai. Din me aur raat me. Ab ye tarah tarah ka khaane ke liye uske paas paise honge kya?"

"Barabar hai! Ye method sirf raees logo ke liye hi hai."

"Haan! Ab mein toh kar sakta hu ye follow. Lekin, mujhe nahi lagta ye kaam aayegi bhi kuch. Kyuki insaan sabse zyada khaana toh din me hi khaata hai na yaar."

"Aur nahi toh kya. Din me pait na bhare toh bhala kaam kaise hoga? Raat ko toh fir bhi theek hai, chala lenge."

"Ye poori method hi galat hai. Tamanna madam ekdum sateek baat keh rahi hai."

"Galat hai! Galat hai!!!"

Logo ki awaazein waha sunaayi dene lagi. Tamanna ek kapti muskaan hontho par sajaate hue Veer ko dekhi.

Tamanna : Hmph~ You thought it's over? Abhi toh aur bhi bacha hai. Everyone!!! Listen to me please!! Ye toh sirf lunch tak ka tha. Abhi poori picture toh dekhiye.

Woh board par ishaara kar apni ungli ko aur neeche leke aayi.

IMG-20230830-202742

Tamanna : Aur ye hai evening aur dinner ka time table. Aap sab dekh rahe hai? Dinner me jaha vyakti ko kam se kam khaana chahiye. Waha ye mahashay lunch jaisa khaane ki salaah de rahe hai. Kya yeh method kahi se bhi sahi hai?

"Ye toh pagalpanti hai bhai. Haha!"

"Saala mein iske liye yaha aaya tha? Bas ek acchi baat hui aaj ki Tamanna madam jo aa gayi yaha. Hahaha!"

"Aise hi nahi best blogger hai desh ki yaar. Dekha nahi! Ek nazar me pehchaan liya ki kis diagram se inspired hai yeh."

"Tch! Mujhe toh laga tha kuch bada niklega. Saala hauaa bana diya iss method ko."

"Bhaad me jaaye saali method wethod. Hum toh apne hisaab se hi khayenge. Bau ki choot!!!"

"Hahahahaha!"

Log method ko poore tareeqe se bhool ke Tamanna se sehmati rakhne lage. Tamanna ki chaal qamyaab ho rahi thi. Tej apni mutthi kass apne andar ubal rahe gusse ko baahar aane se rokne ka prayatn karti rahi.

Aaj uska bas chalta toh woh iss kutiya ka jaa ke muh hi noch leti. Uski itni majaal ki uske Bhai ko neeche dikhaaye? Aur woh bhi uske saamne?

Tej (grits) : I'm gonna slap that bitttcchhh!!

Arohi, Kavya, Nidhi, Shreya, Ragini, Shweta, Manorath sab ke sab chintit the.

Magar unhe iss field ka koi knowledge nahi tha. Shweta se zyada iss baare me Bhumika jaanti thi. Parantu, woh bhi Tamanna ke saamne muh band rakhne par majboor ho gayi thi.

Tamanna (grins) : It's over! Hence proved! Ye method wahiyaat thi shuru se hi. Mein request karungi Mister Veer se ki aapne inn sab ko jo yaha bulaaya hai aur inka time waste kiya hai. Aap inn sab se maafi maange aur toh aur inhe aaj zero cost me khaana khila ke hi ghar bheje. Bodyguards! Lead the way!

Bodyguards logo ko dur karte hue raasta banaane lage aur aage nikal ke jaane lage, peeche peeche Tamanna bhi jaati gayi.

Udhar phone me Aadesh sab kuch live dekh ke bohut hi khush tha. Tamanna ne iss case ko behad khubsoorti se handle kiya tha. Woh thahaake lagaate hue hass raha tha.

Par tabhi, Tamanna ke peeche se ek awaaz aayi.

"Don't you want to hear my explanation?"

Uske qadam wahi tham gaye. Woh palti,

Tamanna : Huh? Explanation ke liye ab hai hi kya?

Veer : What do you think? Japanese Inverted Triangle method kis liye banayi gayi thi?

Tamanna : Huh? Kis liye banayi gayi thi ka kya matlab hai? Obviously, unke desh ke sabhi logo ki sehat ko dhyaan me rakh ke unki proper diet ke liye banayi gayi thi.

Veer (smiles) : Aur kis ke liye banayi gayi thi?

Tamanna : Are you dumb? Obviously, woh Japanese logo ke liye- huhhhh!!!??

Tamanna ki aankhein akasmaat hi jamm ke fel gayi. Use abhaas hua. Inverted Triangle method toh japanese logo ke liye banayi gayi thi.

Veer (grins) : Japanese logo ko dhyaan me rakh ke uss method ko unke nation ke liye pesh kiya gaya tha.

"Ohh! Toh aisa hai?"

"H-Haan! Yaar ye toh socha hi nahi apan ne."

Veer : Japan ke log India ke log se physically kam strong hote hai. It's a fact.

Tamanna : Huhhh! H-How can you-

Veer : Hamari cities ki life alag hai, hamara culture alag hai. Toh kya aap sab jaanana chaahenge ki mene lunch me kam khaana kyu rakha hai method me?

"Haan! Haan!"

"Bilkul! Batao bhai aisa kyu hai?"

"Zaroor Sir! Bataiye bataiye! Hum sab sunn rahe hai."

Veer (smiles) : Aap sab jaante hai na ki din me agar insaan bhar pait khaana kha le toh kya hota hai fir?

"Huh!? Kya hota hai?"

"Bhai bhar pait khana toh accha hai na. Koi bhi bhooka nahi rahega akhir."

"Haan! Isme buraayi kya hai?"

"Wait wait! Mein samajh gaya!! Shit!! Ye mene pehle kyu nahi socha. Bhai log bhar pait khaana kabhi bhi nahi khaana chahiye. Din me bhar pait khaana khaate hi seedha neend aati hai."

"Arre haan!!! Ye toh socha hi nahi!"

"Toh neend se kya dikkat hai?"

Veer : Neend se kya dikkat hai? *smiles* Work efficiency ki dikkat hai! Insaan din me itna kha leta hai ki neend aur aalas ke chalte 2 ke baad uss se dhang se kaam bhi nahi ho paata. Efficiency ghat ke kam ho jaati hai.

Tamanna : That's-

Veer : Inverted Triangle method unke apne logo ko dhyaan me rakh ke banayi gayi thi. Mene jo banaya hai, woh hamare desh ke logo ko dhyaan me rakh ke banaya hai. Ek heavy breakfast kaafi hota hai aapko din bhar ke liye energy provide karne ke liye.

Tamanna : Bullshit! Toh night ka kya-

Veer : Hamara desh alag hai. Logo ko yaha dinner me bhi mein unse unki freedom nahi chheen sakta. Aksar log apni families ke saath dinner par nikalte hai. Agar mene unhe iss se bhi rok diya, then this method won't get executed.

Tamanna : Toh fir lunch me kyu rakha hai aisa-!?

Veer : Didn't I tell you? Work efficiency! Dinner ke baad insaan kaam nahi karta. Vyakti ko sona hi rehta hai. And that's why, I have designed it in such a way.

Tamanna : Y-You-!!!

Veer (smiles) : Ab zara imagine kariye aap sab. Agar, ye method desh ka harr naagrik follow karne lage. Apne upar dhyaan dene lage. Toh kya hoga?

*Chitter* *Chatter*

Dur khadi Kavya Veer ko jeetate dekh khush ho uthi aur woh apni jagah se hi chillaa uthi,

"East or west!!! Bhaiya is the best!!! Yaaaayyy!!"

Veer ne dekha toh paaya ki woh Juhi ke saath khadi hui thi. Unn dono ko dekh woh muskura utha. Toh wahi Nidhi aur Shreya bhi use khushi khushi dekh rahi thi.

Kintu, Ragini hi thi jiske maathe par shikan chhaayi hui thi. Woh dekh rahi thi ki Veer ki behne kaise uski madad ke liye aage aa rahi thi. Kaise woh sab uske liye kaam aana chaah rahi thi.

'Kya isliye tum mujhse dur bhaag rahe ho? Ki mein tumhare liye kuch nahi kar paati? Agar aisa hai-! Toh ye bhi karti hu. Dekhti hu! Kya tum baad me mujhe accept kar paate ho?'

Kuch yahi haal Purvi ka bhi tha. Veer ko safalta ki seedhiyaan chadhte dekh woh behad khush thi. Magar, uss din ki vardaat se thoda gambheer bhi thi.

'Hamata beta-! Bhavna! Aaj dekho! Kaise tarakki kar raha hai! Kitna accha hai na? L-Lekin-! Uss din woh sab nahi hona chahiye tha. Ohh Bhavna! Kya tumhe woh sab batau ya nahi? Kuch samajh nahi aa raha!'

Ek gehri saans chhor usne iss baare me sochna band kar diya. Toh yaha Veer abhi bhi samjha raha tha logo ko,

Veer : Na sirf logo ki sehat acchi hogi, balki tandurust rehne se insaan khush bhi rahega. Desh ka happiness index badhega. Stress kam hoga, ekta badhegi, aur obesity jaisi cheezo ka nam-o-nishan nahi bachega. And all of this will happen only because of this simple change ~ The Hourglass Method.

*Clap* *Clap* *Clap*

"Bohut khoob Sir! Pehle mujhe laga tha ki aapki ye method kisi kaam ki nahi hai. Par ab jab aapne ye bataya na ki ye hamare logo ke baare me soch ke banayi gayi hai. Tab se mera doubt khatam ho gaya."

"Same! Mujhe bhi yahi laga tha. Lekin, ab lagta hai ye waqai zaroori hai."

"Haan haan! Dekha jaaye toh khaane ke maamle me kabhi kuch bhi aisa desh ke liye nahi nikala gaya hai. Agar iss tarah ki koi cheez aati hai toh ye pehli baar hoga."

"Bilkul! Aur aadmi interest bhi lega. Celebrities agar social media me ise promote karne lage toh aadhe log toh wese hi follow karne lagenge."

"Sahi kaha. Upar se sabse badi baat iske koi nuksaan nahi hai. Balki, faayde hi faayde hai."

Veer ka palda bhaari ho raha tha.

Tamanna : Y-You are crazy!!! Tumhe kya lagta hai? Bhala ye method aise hi publicize ho jayegi? Jab tak ye govt. ke Health department tak nahi pahuchegi tab tak iss par koi bhi official faisla nahi ho payega. Hmph~ Aaj nahi toh kal ye ek dustbin me hi bann ke reh jayegi.

Uske virodh karte hi log fir aapas ki baat cheet me lag gaye.

"Tumhe nahi lagta ki Tamanna ma'am kuch zyada hi bhadak rahi hai?"

"Haan! Mujhe bhi kuch off sa lag raha hai. Arre agar method me koi problem rehti bhi hai toh health department iski aur jaanch karega na."

"Haan! Ho sakta hai kuch changes ho isme aur fir ye public me officially announce kiya jaaye."

"Sahi kaha! Iska koi toh nuksaan nahi hai. Fir ye Tamanna madam itni hyper kyu ho rahi hai."

"Ma'am ko aisa virodh karte pehli baar dekh raha hu."

"Pata nahi kya chal raha. Kuch gadbad hai kya?"

"Ho sakta hai bhai!"

Tamanna ne jab logo ke beech apne liye aisi baatein suni toh woh ghabra uthi. Kahi uska pardafaash na ho jaaye. Agar aisa hua toh woh muh dikhaane layak bhi nahi bachegi.

Yaha se nikal jaana hi behtar tha.

Tamanna : W-Well then! Dekhenge hum! Kya karti hai tumhari so called hourglass method. G-Good luck!

Woh turant hi mudi aur tezz qadmo ke saath logo se nazre churaate hue bhaagne lagi. Log uske peeche peeche uske sang selfie lene ke liye jaane lage. Magar, Tamanna ek jhatke me apni gaadi me ghus gayi. Aur palak jhapakte hi woh waha se rafu-chakkar ho gayi.

Apne office me baithe Aadesh ne jab ye dekha toh uska gussa charam par pahuch utha.

"Maa ki choot!! Behanchod!!! Dimaag kharaab-!!!"

Usne apni personal assistant ki orr nazre daudaayi aur bola,

Aadesh : Big Bash ki taiyaari karo! Kal hi sab kuch ho raha hai.

Assistant : Yes sir~

Kehte hue woh turant hi kaam me lag gayi.

'Veer!!! Samjha! Sab samjha mein! Tujhe bhidne ka itna hi shauk hai na? Toh ab ruk jaa tu! Kal! Batata hu sab kuch tujhe!'

Woh baahar nikal apni gaadi me baith ke chal diya. Ek ghar ke baahar rukte hi woh gaadi se utar uss ghar me pravesh kiya.

*Ding* *Dong*

Usne door bell bajayi toh kuch hi pal baad darwaza andar se khula.

"Ahhh! Arre? Aadesh Uncle aap?"

Aadesh : Hahahaha! Kritika beti! Kaisi ho?

Saamne khadi ladki Kritika thi. Kavya ki best friend.

Kritika : Arre! Uncle? Aaiya na!

Aadesh andar aaya aur sofe par virajman hua.

Aadesh : Papa kaha hai?

Kritika : Bas aa hi rahe hai. Andar washroom me hai.

Aadesh : Hmm!

Andar se jaise hi Kritika ke pita, Kamal Maurya sahab baahar aaye toh Aadesh ko dekh unka chehra chamak utha.

Baat yu thi ki Aadesh ke pita Kamal ko jaante the. Aur uss wajah se Aadesh ka bhi kabhi kabhi iss ghar me aana jaana bana rehta tha.

Kamal ki khud ki travel agency thi aur woh buses athwa cars chalwata tha. Yaha tak ki security me bhi uski kaafi pehchaan thi.

Aadesh : Kamal Sahab! Aaiye! Vyast toh nahi the na? Haha!

Kamal : Arre nahi nahi! Boliye na! Aaj kaise aana hua? Kya seva kar sakta hu mein?

Aadesh : Hmm! Seedha mudde pe hi aata hu toh fir! Kal mene apni hotel me ek vishal party ka ayojan kiya hai.

Kamal : Ohh!

Kritika : Hoo~ Kya wahi Casa Belle me Uncle?

Aadesh (smiles) : Haan haan! Wahi!

Kritika : Ohh wowww! Kya hum bhi aa sakte hai?

Aadesh : Nahi!

Kritika (droops) : O-Ohh!

Uska maayus chehra dekh Aadesh hass pada,

Aadesh : Hahahaha! Arre Bhai, tumhe ab invitation dena padega kya? Poore parivar ke saath aana hai tumlog ko.

Kritika : S-Sach!!?

Aadesh (nods) : Hmm!

Kritika : Oh my gooodddd!!! Kya mein apne friends ko bula sakti hu? Meri do friends hai.

Kritika ko tabhi Veer aur Karan ka bhi dhyaan aaya. Woh firse boli,

Kritika : N-Nahi! 2 nahi! Sirf 4 log! 4 log ko bula sakti hu mein?

Aadesh : Umm! *frowns*

Kamal : Kritika!!! Ye kya harqat hai? Koi hume aamantran de raha hai aur tum aise pesh aa rahi ho!? Kya ye accha lagta hai?

Kritika : S-Sorry!!! Mein toh bas-

Aadesh (sighs) : Darasal, baat ye hai ki mein sirf chuninda bade bade logo ko hi invite kar raha hu. Casa Belle ka naam aur logo tak pahuch sake. Bas isi aim se ye big bash rakha gaya hai. Tumhe chooth deta hu mein. Tum apne koi bhi 2 friends ko laa sakti ho.

Kritika : 2?? O-Ohh Okay! Thank you Uncle!

Sirf 2 friends ko laana Kritika ke liye kaafi nahi tha. Fir bhi woh apni maayusi jhalakne nahi de sakti thi.

Kamal : Hmm! Chalo jao ab! Aur Uncle ke liye chai paani lagwao. Bolna padega kya mujhe?

Kritika : H-Haan jaati hu! Abhi laayi!

Aadesh : Arre iski koi zaroorat nahi Kamal Sahab! Aap bas mudde ki baat suniye. Mein nikal hi raha hu. Mujhe kaafi kaam hai abhi.

Kamal : Kahiye na!

Idhar, Kritika hall se nikal apne kamre me gayi aur seedhe usne Kavya ko call lagaya aur apne ghar par bula liya. Kavya aur Arohi iss waqt Veer ke food truck se nikal hi rahi thi. Isliye woh dono hi ek saath Kritika ke ghar ke liye chal di.

Aadesh : Kal, wese toh log apni apni gaadiyo se hi aayenge. Lekin, fir bhi mujhe aapki gaadiya chaahiye. In case agar unki zaroorat padi toh woh kaam aa jayengi. Balki, Casa Belle ke workers bhi car me hi aayenge.

Kamal : A-Accha!

Aadesh : Aur mujhe security bhi chahiye. Aap keh dijiyega ki jitne bouncers bhej sakte hai bhej de.

Kamal : Kyu nahi! Ho jayega kaam!

Aadesh (smiles) : Good! Aur aap sab bhi raat 8 baje tak kaise bhi karke pahuch jaana. Theek hai na?

Kamal : Haan haan! Kyu nahi!

Aadesh : Toh mein chalta hu fir!

Kamal (nods) : Hmm!

Aadesh waha se ravana ho gaya. Aur uske jaane ke kuch derr baad hi yaha Kavya athwa Arohi Kritika ke ghar pahuch gayi. Woh dono hi Kritika ke hi room me baithi hui thi.

Kavya : Oye! Kya hua? Kyu bulaya?

Kritika : Pagal! Tum sunogi na toh khushi se jhoom uthogi!!

Kavya : Accha? Aisi kya baat hai?

Kritika : Arre mere Uncle hai ek. Tumne Casa Belle hotel ka naam suna hai na?

Kavya : Casa Belle? You mean woh newly opened hotel na? Sabse luxury waali?? Haan suna hai mene.

Kritika : Kal usme bohut badi party hai ek. Sab bade bade log aayenge. Aur mere uncle usi hotel ke owner hai. Aur unhone mujhe apni 2 friends ko bulaane ke liye allow bhi kar diya hai. Hehehe~

Kavya : Ohhh wowwww~

Casa Belle ka naam sunte hi Arohi ke kaan khade ho gaye. Woh jaanti thi ki Hotel Prestige me Chef Narang ne kya hadkamp machaya tha. Aur ye bhi jaanti thi ki uske peeche kis hotel ka haath tha.

Ye jaante hi ki Casa Belle ka owner Kritika se sambandhit hai, woh ek gehre chintan me doob gayi. Kintu, Kavya inn sab baato se anibhigya thi.

Kavya : Di!!! Hum kal chal rahe hai. Hai na???

Choti behan ki masoom si soorat dekh Arohi vichaar me kho gayi,

'What should I do? H-How can I go there? Woh hamare rivals hai. But then again-! Agar mein waha jaati hu...! Then, I might find something. Yes! I must go!'

Arohi (nods) : Okay!!!

Kavya : Yaaaaaayyyyy!!!

Kritika : Hahahaha!! Dii!!

Arohi : Mm?

Kritika : Aaj aap Kavya ko yahi chhor dijiye. Mein subah ghar drop kar jaungi.

Kavya : Haan dii!! Mein yahi ruk jaati hu na raat me.

Arohi (nods) : Okay! Subah time se aa jana lekin!

Kritika : Aap chinta mat kariye. Mein ise subah chhor jaungi.

Samay rehte, kaafi raatri me Arohi bhi waha se apne ghar ki orr chal di. Ab bas Kritika aur Kavya hi uske room me maujood the. Kavya ne Kritika ke hi ghar ke kapde pehen liye the aur woh dono hi bed par laite laite apni baato me lagi hui thi.

Kavya : Kaash Veer bhaiya ko bhi hum invite kar sakte. Kritika! Kya ye possible nahi?

Kritika : Yaar mene unse pucha tha. Lekin, unhone bataya ki ye party wesi hai hi nahi. In fact kal celebrities bhi honge waha. Mein toh abhi se pagal ho rahi hu. Mujhe itni badi party me invite kiya gaya hai. Ohh my goooddd!! Kitne handsome handsome actors honge waha~ ahhhh!!!!

Kavya : Handsome actors?

Kritika : Aur nahi toh kya paagal~ Ahh! Unke saath selfie lene ka mauka mil raha hai mujhe. Ohh goddd! Tumhe nahi click karwani kya?

Kavya : N-No!

Kritika : Huh? Kyu??

Kavya : Accha ek question puchu?

Kritika : Kaisa question? Puch na!!

Kavya (blushes) : K-Kabhi tumhe aisa nahi lagta?

Kritika : Kaisa?

Kavya (blushes) : Umm! Like..! Tumhara mann sirf ek hi ladke ko dekhne ka karta hai. Uski harr baat acchi lagti ho. Wo galat bhi kuch kar raha ho toh tumhe uska hosh na ho. Tumhe wo bhi sahe lage. In fact, tum iss baare me socho hi na ki woh kabhi kuch galat kar bhi sakta hai. Aisa nahi lagta tumhe kabhi kisi ko dekh ke?

Kavya ki baat sunn, Kritika ke mann me seedha Karan ki chhavi bann ke aayi.

Kritika : S-Sach kahu toh-! Haan mujhe bhi aisa lagta hai kabhi kabhi! Par ye kya? Oye! *chataak* Tujhe pyaar ho gaya kya kisi se?

Kavya : Ahhn! Maara kyu? Aaj meri bum dukh rahi hai. Maar mat!

Kritika (smirks) : Kisi se kuch karwa liya kya? Hmm? Hmm? ಡ⁠ ͜⁠ ⁠ʖ⁠ ⁠ಡ

Kavya (blushes) : Dhatt! Ashleel ladki!!

Kritika : Ye mein kya sunn rahi hu? Oye! Tujhe sach me pyaar ho gaya kya? Baap re! Aur mujhe pata bhi nahi chala? Bata jaldi! Kaun hai woh?

Kavya (blushes) : H-Hattt!!

Kritika : Tu batati hai ya mein teri bum pe aur maaru?

Kavya : Ahn!! P-Pagal! *blushes* A-Aisa kuch nahi hai!

Kritika : Safed jhooth!!! Seedhe seedhe bata! Bata kaun hai woh! Meri naak ke neeche itna sab ho gaya aur mujhe khabar bhi nahi hai? Bol! Accha, ye bata kaisa dikhta hai woh?

Kavya (blushes) : Dikhne me...! Uska koi jawaab nahi! Bohut handsome! Bohut zyada! I-I cannot explain.

Kritika : Hmm? Toh thoda reference toh de. Like? Kartik Aryan jaisa?

Kavya : Noooo!

Kritika : Ah! Toh? Umm~ Shahid Kapoor jaisa?

Kavya : Nooo pagal! Actors ko kaha beech me ghused rahi ho. Use inn actors ki tarah make-up artists ki koi zaroorat nahi.

Kritika : Umm! Th-Then!! Karan jaisa?

Kavya : Karan se toh tu pyaar karti hai na. Noo! Not like him!

Kritika (blushes) : Wh-What?? K-Kisne kaha mein uss duffer se pyaar karti hu?

Kavya : Blah blah blah! Sabko pata hai ki tum dono ke beech kya chalta hai. Hmph~

Kritika (blushes) : E-Ehhh!? I-Itna k-kaise- ahhh!! Ohhh goddd!

Kavya : Hmm! Everyone knows it.

Kritika : That's- Okay! Leave that aside. Ahem!! Toh?? Veer bhaiya jaisa???

Iss baar Kritika ke itna kehte hi Kavya ke chehre ke haav bhaav hi badal gaye. Uske gaalo par laali ab saaf jhalak rahi thi. Kritika ne jaise sab bhaanp liya.

Kritika (smirks) : Hooo~ Toh ye baat hai.

Kavya (panics) : N-Nooo! A-Aisa kuch nahi hai! T-Trust me!

Kritika (smiles) : Toh woh ladka Veer bhaiya ki tarah handsome hai. Right?

Kavya : Ehhh?

Bechari Kavya ko laga tha ki Kritika ne use pakad liya. Magar, uska agla jawab sunte hi woh nishchint ho gayi. Kritika ko kuch nahi pata chala tha.

Kavya : H-Haan! *blushes* Tum yahi samajh lo.

Kritika : Veer bhaiya jaisa ladka tujhe kaha mil gaya? Aur woh bhi meri nazar se bach ke tune ye sab kab kar liya? Chaalu ho rahi hai tu bohut. Hmm? Kherr woh chodh! Aur ye bata ki tune approach kiya?

Kavya (droops) : I-I wish I could do that.

Kritika : Hmm! Matlab abhi kuch nahi hua?

Kavya (blushes) : I- I kissed him!

Kritika (bed se uchhalte hue) : Whaaaaaatttttttt?????

Kavya (blushes) : L-Lekin woh so raha tha. And-

Kritika : Oh! Pagal jab so raha tha toh kiss kyu kiya?

Kavya : It's impossible between us! *sighs*

Kritika : Aisa kyu?

Kavya : Kya tujhe Karan ko dekh ke kabhi aisi feeling aati hai ki uska aur tumhara kabhi kuch hona impossible hai.

Kritika : Kayi baar! Kyuki woh financially bohut strong hai aur meri uske saamne bhala kya aukaat.

Kavya : Mein financially baat nahi kar rahi.

Kritika : Hmm? Then? Fir kya problem hai?

Kavya : I- It's just-!! Woh aur mein ek nahi ho sakte.

Kritika : Haan lekin kyu? Ek minute! Tune married bande se pyaar toh nahi kar liya?

Kavya (blushes) : Paagal!!! Mein maar dungi tujhe~ Aisa nahi hai! He's not married... *mutters* Yet...!

Kritika : Yaar! Tu mujhe paagal kar degi. Batana bhi nahi hai. Par puchna bhi hai. Aisi kya baat hai jo tu aur woh ek nahi ho sakte?

Kavya (gloomily) : Bas aisa samajh lo ki... ek barrier hai. Hamare beech!

Kritika (sighs) : Jab tera mann kare toh bata dena. Kyuki, mujhe teri baatein na samajh aa rahi. *yawns* Chal so jaa!! Good night~

Kavya (nods) : Good night!

Kritika toh chaadar odh ke aankhein band kar lait gayi. Par bechari Kavya, apni taangein sikode wahi baithi na jaane kya sochti reh gayi.

***

Next day
Kaera's home
Evening ~ 6:38 PM

Kaera ke bhavya aleeshaan ghar me iss waqt Julia ek bathing robe liye waha khadi hui thi.

Ye bathing chamber tha, jo sirf aur sirf Kaera ke personal use ke liye hi tha.

*Splutter*

Paani me tairte hue woh Julia ke nazdeek aayi.

Julia : You have to get ready, Miss!

Kaera : I know Julia! Agar main nahi bhi jaana chaahu toh bhi mujhe jaana hi hai.

Julia : Then, what's the problem in it?

Kaera : Problem is that- Huhhh!???

Kaera ke bol akasmaat hi muh me hi dabb ke reh gaye. Woh jhatse Julia ki orr palti, jo use dekh muskura rahi thi.

Kaera : Y-You-!? You can understand Hindi?

Julia (smiles) : Mm-hmm! I have been learning Hindi for the last two years Miss.

Kaera (surprised) : You-!!? But you didn't even tell me!

Julia (winks) : I told you. Just now!

Kaera (smiles) : Can you speak as well?

Julia : I'm learning Miss! Although I can't speak for now. However, I'm able to understand it now.

Kaera (sighs) : That's a relief. It's good now.

Julia : So? Don't you want to get ready?

Kaera : Y-Yes!

Woh pool se nikal ke aayi aur bathing robe pehen apne room ki orr chal di aur theek peeche peeche Julia bhi chal padi.

***

Night ~ 7:40 PM
Veer's home

"Kuch rakhna toh nahi hai na?"

"Nahi nahi! Hum jald hi laut aayenge."

"Wese bhi hotel hi jaa rahe hai, right?"

"Yeah!"

Awaaz thi Tej aur Veer ki jo ghar se baahar nikal car me baithne jaa rahe the.

Veer : Ek minute! Ghost kaha gayi?

Tej : Ghost?

Veer : Arre hamari Rolls Royce. Kaha gayi woh?

Tej : Ahnn! That's- W-Woh-

Veer : Hmm?

Tej : Actually! Tum gussa toh nahi karoge na?

Veer : Kya hua? Bataiye na!

Tej : Actually, mein Arohi and Kavya ko driving sikha rahi thi. Mene unse promise kiya tha.

Veer : Toh thukwa di?

Tej : N-Nahi! Woh- Woh bas halka sa scratch laga hai aur side ka mirror thoda sa ukhda hai. Mene repair ke liye use bheja hai. Uska kharcha mein hi uthaungi. So- So please-

Veer ne aage aate hue uske sarr par pyaar se haath rakha,

Veer : Baat uski nahi hai dii. Paiso ki koi baat hi nahi hai. I don't care about that. Aur, mein gussa kyu karunga?

Tej : Nahi lekin galti meri hai na. Mujhe dusri waali car me unhe sikhani chahiye thi. Ye Scorpio me. Mein unhe jaan boojh ke usme le gayi. Kyuki mein bhi flaunt karna chahti thi.

Veer (smiles) : It's okay! Don't worry! Bas, mujhe turant hi bata diya kariye. Chhipaya mat kariye.

Tej (nods) : M-Mein dhyaan rakhungi. Ab chale?

Veer (nods) : Hmm!

Ghost repairing ke liye gayi hui thi, toh Veer ne Scorpio hi nikaal li. Andar se Bhumika bhi taiyaar hoke aa hi rahi thi.

Aur inn sabhi ko nyota aaya tha ~ Casa Belle ki orr se.

Veer jaanta tha aisa kuch Aadesh zaroor karega aur isliye woh taiyaar baitha tha.

Jaan boojh ke Veer waha jaa raha tha. Woh jaanta tha Aadesh ne use kuch neecha dikhaane ke liye hi ye plan kiya hoga. Ya woh pehle se hi ye karna chaah raha hoga aur Veer bas uss time uske aade me aa gaya.

Jo bhi tha, aaj raat Veer ko saari situation apne control me leni thi. Aaj harr vyakti ko use apne favour me lena tha.

Bhumika jaise hi ready hoke aayi toh Veer ko dekh puchi,

Bhumika : H-How do I look Veer?

Women-s-Soft-Net-Dress-Material

Veer (glances) : Hmm? *smiles* Amazing dii!

Tej ne bas Veer ko dekha. Boli kuch nahi. Woh sabhi jab porch se bahar nikal baahar car me baithne ke liye hue, toh Bhumika toh andar chali gayi baithne. Magar, Veer ke andar jaane se pehle Tej ne uska haath thaam use rok liya.

Veer : ???

Tej : Aur mein? Mere baare me kuch nahi kehna hai?

79-EC28-F8-48-D6-11-EE-B9-B4-02-AC38-B20-C8-B

Veer (smiles) : Do I really have to tell you ki aap kitni sundar lag rahi ho? Hmm?

Tej (blushes) : Thank you! Aur haan, tumhe bolna padega. You are looking great too~ Come! Jaldi chalo! Waha pakke se kuch hoga. Aur iss baar mein control nahi karungi khud ko.

Veer : Don't worry! I'll handle it well!

Woh sabhi apne ghar se ravana ho gaye.

***

Casa Belle~
Night ~ 8:12 PM

*Chitter* *Chatter*

Logo ki chehel pehel thi, gaadiyo ka shor parking area me ho raha tha. Tamaam bade se bade log ek ke baad ek aa rahe the. Red carpet unke swagat ke liye bicchaya gaya tha.

images-1

Kehna galat nahi tha ki Casa Belle sirf Mumbai ki hi nahi, balki poore Maharashtra ki sabse mehngi aur luxury hotel thi.

Ye kehna bhi galat nahi tha ki Casa Belle interior, luxury aur services ke maamle me kisi 7 star hotel se kam nahi thi.

images-2

Aadesh Jaisinghani kaafi raees tha. Aur usne apna adhiktar paisa iss hotel me jhok diya tha.

Veer, Tej aur Bhumika jaise hi hotel ke baahar pahuche, alishaan hotel ko dekh unke muh band the.

[Be careful ~]

Pari ki awaaz achanak hi mann me goonji.

'Kyu? Kya kuch gadbad mehsoos ho rahi hai tumhe?'

[I'm getting some vibes. Just be alert!]

'Alright!'

Bhumika : No wonder, he dared to hire our chefs.

Tej : Kehna toh nahi chahiye lekin ye hotel waqai 5 star se bhi upar ki lag rahi hai.

Bhumika : I agree!

Veer ne dono ko car se utarwaya aur woh car park karne laga.

Abhi woh utar ke aaya hi tha ki, uski nazar kisi pe padi.

Veer : Huh?? Arohi di??

Saamne Arohi khadi hui thi.

IMG-20230901-200236

Arohi : Huhh!!? Veeerrrrr????

416-FD9-D6-48-D4-11-EE-BA12-0-A103938-B23-F

Woh turant hi tezz qadmo ke saath uske paas aayi.

Veer : Aap yaha?

Arohi : Hmm! Mujhe aur Kavya ko toh Kritika ne bulaaya tha. Casa Belle ka owner Kritika ke uncle lagte hai. Aur mein aayi thi iss aim se ki kuch pata lag sake.

Veer : I see! But mujhe usne directly invitation bheja hai.

Arohi (frowns) : Something is wrong!

Veer : Yeah!! He might be framing something.

Arohi : Thoda chaukanna rehna.

Veer (nods) : Hmm!! Kavya kaha hai?

Arohi : Woh Kritika ke saath upar balcony me hai. Look! There~

Veer ne dekha toh paaya ki Kavya Kritika ki balcony me upar kuch pictures click karne me lagi hui thi.

Nisha-guragain

Tab tak Arohi aur Bhumika bhi use dhoondhte hue peeche aa gayi. Dono vi Arohi se bhi mili aur unhe pata chala ki woh kyu invited thi.

Veer aage badha hi tha aur hotel me pravesh karne hi wala tha jab peeche se kaafi shorgul hua aur photos click hone ki awaazein aane lagi.

Nazar padte hi use ek nahi do do baar aashcharya hua.

Pehla toh ye ki-

Victoria-Justice-2018-Revolve-Presents-an-LA-Party-in-London-May-31

Sonia!!!!

Apni yellow coloured beautiful dress me cameramans ke aakarshan ka kendr bani hui thi.

'Shit!!! Miss Sonia? Yaha?'

Woh kisi ke saath chalte hue aa rahi thi.

d43c3234-efd8-42e1-9859-dfc13e5791ef

Aur dusra jhatka use tab laga jab-

Kendall-Jenner-s-New-Hairstyle-Shows-Us-What-Jackie-O-Would-Look-Like-in-2019

Kaera!!!

*Click* *Click*

Jiske ird gird tamaam photographers, uske bodyguards aur toh aur uski family se leke uski personal maid Julia aur secretary Ruchika bhi maujood thi.

'Goddamn it!!!'

Aur agar kahi Suhana bhi rahi, toh na jaane Veer inn sab ke saath saath Aadesh ko kaise jhel payega bhala?

Pari uski sthiti samajh sakti thi. Aur iss baar harr waqt seducing tone rakhne waali Pari bhi bas yahi boli,

[I wish you good luck!]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
1 ya do din late hai ye update. Mein ujjain me hu. Kyu hu, kya kar raha hu woh mein batana zaroori nahi samajhta ab. Bas, rakhi me yaha aa gaya hu. The artwork is done by again our man Diplomatic Gladiator :applause: A big thanks to him. Update consists of 8.1k words. Target apna wahi hai guys. 150. Like thokne ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
Super update 👌😍
 
Top