• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Suniya

Active Member
1,717
3,513
143
Mr Mayor Waiting GIF by NBC
Mr Bean Waiting GIF by MOODMAN
Moone Boy Waiting GIF by HULU
Still Waiting Office Tv GIF by The Office
Justin Timberlake Waiting GIF by MOODMAN
 

Amrit_#0

Active Member
1,747
3,804
143
•°UPDATE 75•°


Recap -



Badon ki baatcheet ki direction ko bhaampte hue, table ke neeche, Saanvi aur Manav ke haathon ka attack & defense ka silsila ruk chuka tha. Donon ki najren ab badon ke chehron par thi aur saara dhyaan unki baaton par.



Kuch seconds situation dekhne aur sochne ke baad, Avantika dadi ki or mudi aur unse poochha,


Avantika : "Auntie, kya aap Sani ko apni bahu banana pasand karengi?"





AB AAGE :-




Avantika ke sawaal poochhte hi poore compartment me ghanghor shanti chha gayi.




Saanvi ke liye ye moment itna surprising nahi tha kyonki use restaurant aate waqt, car me hi pata chal chuka tha ki aisa kuch hone wala hai.

Dusri or.. , Manav ke to toote ude hue the. :shocking:
Use andaaja to tha ki ye sawaal.. kabhi na kabhi uski family ke saamne aayega , lekin.. usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Avantika auntie itne straight forwardly poochh lengi.



Vaastav me, Manav ne to socha tha ki ye pehli family meet bas ek simple mulakaat rahegi aur.. fir kuch aur mulakaaton ke baad hi, sahi samay dekhkar uski aur Saanvi ki shadi ka prastaav rakha jayega..



:what3: :what3:
Manas aur Anvi bhi Avantika ko aashcharya se dekhne lage; unhe laga ki kahin unhone kuch galat to nahi sun liya!



Dadi ka right hand, joki ek dish ki plate ki taraf pahunchne hi wala tha, beech me hi ruk gaya, aur... Dadi ke expression aadhe hairaani aur aadhe khushi wale ho gaye.
😮😃




Halaanki, Rajyavardhan ke chehre ka serious expression un teeno (Dadi, Manas, Anvi) ko bata raha tha ki unhone kuch bhi galat nahi suna..




"Be..ta jii, a-aap keh rahi hai ..."
Dadi ke honth achaanak aayi is khushkhabri se tharthara uthe,

"Sani meri bahu ban sakti hai??" 😃



"Ji haan," :approve:
Avantika ne haan me sar hilaaya.




Dadi ne mudkar Manav aur Saanvi ko dekha, jo embarrassment me ek saath baithe hue the.

Phir Dadi Avantika ki or wapas mudi aur turant sehmat ho gayi,



Dadi : "Yeh.. to bahuttt, jyada achcha rahega!!!" 😄




:idk1: :idk1:
Manas aur Anvi ne confuse hote hue ek doosre ko dekha. Unhe kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir yahan.. chal kya raha hai.


Bhale hi wahan maujood logon me, un donon ke paas sabse tez dimaag aur sabse shandaar logical reasoning thi, lekin.. phir bhi, foreign se wapas aate hi bahu mil jaana.. unki soch se pare tha. Unhone to abhi, apne jaroori kaam tak nahi niptaye the.


[ Ek din pehle Thursday ko ve India wapas aaye & university me lectures diye, aur aaj.. Saturday to dadi ke saviours se mil rahe hai]



Avantika : "To phir, ye rishta tay raha!" :laughclap: *sighs*

Avantika ne khushi me taali bajai aur raahat ki saans li; Dadi ke jawaab se weh bahut khush lag rahi thi.




Idhar.. Manav ke maata-pita, Manas aur Anvi ko pichle aadhe minute se baat karne ka koi mauka nahi mila.. kyonki inki family ki "Big Boss", Dadi maa thi, jo Manav ki life se juda itna important decision akele hi le chuki thi.



Manav aur Saanvi ne ek doosre ko awkwardly dekha; donon ko ummeed nahi ki thi ke yeh sab kuch is tarah se aur itna jaldi ho jayega.



Manav ke maata-pita jinhone Saanvi ko theek se dekha-samjha tak nahi tha, vaastav me ab, dadi ki pasand ki bahu ko achchhi tarah se dekhne ke liye Saanvi ki or mude.


Halaanki un donon ke liye, is chhoti ladki ka first impression achcha raha tha, parantu phir bhi..., unke liye apni maa ko bachane walon ki beti ko, apni bahu ke roop me swikaar karna.. bahut jaldibaaji wala decision tha.



Kismat se Manas aur Anvi, donon kayi baar najuk pari-stithiyon se guzar chuke hai aur.. unmen emergencies ka thande dimaag se saamna karne ki bhi kshamta thi.
Kuch nahi keh sakte ki.. agar unke paas itna achchha vivek, itna acha aatm-sanyam nahi hota to ve kaisa react kar dete, na jaane kya-kya bol dete..



Khair.. kuch seconds ke baad akhirkaar Manas ne sawaal kiya,


Manas : "ye.. sab.. ? " 🤨




Avantika : "Mujhe Manu bahut achche lagte hai, aur Auntie Sani ko bahut pasand karti hai. Isliye, hum aaj.. inki shadi ka rishta pakka karna chaahte hai. " 😊



Ab haalat aisi thi ki top scientist Manas Shisht bhi confusion me tha,


Manas : "But.. bachche kya chaahte hai? " :what3:




Apni baat kehne ka mauka milte hi Saanvi turant uth khadi hui,


Saanvi : "Mai is rishte se agree nahi karti, mom! " :nono:



Manas : "Tum kya sochte ho Manu?! "

Use apne bete ki raay ki jyada parwaah thi.




"Mai..."
Manav hichakichaaya.



Avantika Manav ko hi dekh rahi thi. Aur jab Manav ne Avantika Auntie ki ummeed bhari najron ko dekha to, weh ek pal ke liye ruka aur fir bola,


Manav : "Mujhe is rishte se koi problem nahi hai."


Manav (man me) : "Maine haan kar diya hai lekin phir bhi, abhi kuch nahi hoga.. kyonki Sani ne to pehle hi mana kar diya. Hmm.., achcha hua! mujhe Uncle aur Auntie ko bhi niraash nahi karna pada.. donon ne.. mera aur dadi ka kitna dhyaan rakha hai! ,"




Manav ne kabhi bhi is ziddi, nakchadi chhoti ladki ko apni hone wali wife ki tarah nahi dekha.
Dekha jaaye to Manav ke jaisa ek shaant swabhaav wala ladka, sweet aur cute ladkiyon ko hi pasand karega.
(Aahna jaisi 🤣)



Rajyavardhan : "Sani ka rishte se mana karna, serious matter nahi hai. To.., agar Sani maan jati hai to aapko koi problem nahi hogi?"



Rajyavardhan ke shabdon me alag hi wajan , alag hi prabhaav tha, maano koi vishwa-vijeta apni baat rakh raha ho.
Bhale hi Saanvi, kuch aur bhi kehna chaahti thi, lekin Rajyavardhan ke prabhaav se uski ghiggi bandh gayi.



Kuch soch-vichaar karne ke baad Manas ne jawaab diya,

Manas : "Yadi donon bachche isse agree karte hai to definitely hume koi problem nahi hogi,"


Manas ne Saanvi ko dhyaan se dekha aur usme use koi bhi kami najar nahi aayi. Saath hi, woh ye bhi jaanta tha ki dadi use kitna pasand karti hai.



To aakhirkaar, Manas ne Mauryas ke plan ko maan lene ka phaisla kiya kyonki, use nahi pata tha ki akhir unke asal iraade kya hai.



Rajyavardhan : "To ye aapki, haan hai? "


"Ji Ji, lekin agar Sani..."
Manas confused tha.



Rajyavardhan : "Ab jab aap is rishte se sehmat hai, to hum baaki cheejen baad me discuss kar sakte hai."



Manas ne apni patni ki raay jaanne ke liye Anvi ki or dekha, aur.. Anvi ne table ke us paar baithi Saanvi ke barbie doll jaise sundar chehre ko dekha aur apne pati ko haami me sar hilakar ishara kar diya.



Anvi vaastav me ek great scientist thi; uski logical soch ne use turant shaant kar diya tha..; Aisi situations me aam maayein ghabra jaati hai ya fir hyper ho jaaya karti hai.



"Hmm, yah sab bachchon par depend karta hai. Yadi humare donon bachche, future me apni relationship ko badhakar husband-wife banna chahenge to isse mujhe aur Anvi ko koi problem nahi hogi"
Manas ne apni baat spasht roop se saamne rakh di.



Halaanki, yeh 👆 kehne ke baad bhi, Manas ko thoda ajeeb lag raha tha kyonki Rajyavardhan ki beti abhi kewal middle school me thi. Bhale hi ve log sach me Manav ko pasand karte hon, lekin unhen itni jaldbaazi me rishta pakka karne ki koi jarurat nahi thi.



"Matlab sab kuch set hai," 😊
Avantika muskurayi aur apna cold drink ka glass uthaaya,
"Cheers!" 🥂




Saanvi, jo abhi bhi khadi hui thi, ne mehsoos kiya ki uski raay ko, uske maata-pita ne poori tarah se nazar-andaaz kar diya.. jaise ki uski raay.. koi maayne hi nahi rakhti ho.



Halaanki, woh dadi ke saamne gusse me kuch bhi kehna ya karna nahi chahti thi. Parantu, uska gussa use ander hi ander khaaye jaa raha tha.



Udhar, Saanvi ko dekhte hue Dadi ne bahut jyada khush hote hue kaha,


Dadi : "Sani~ meri nanhi gudiya 🥰 Dadi apko bahut pyaar karti hai" 😄




Saanvi ko laga ki.. uske saath bahut galat hua hai, lekin.. sabke saamne woh ek aansoo bhi nahi baha sakti thi.
Uske bolne ke adhikaar ko uske maata-pita ne poori tarah se chheen liya tha. Unhone use apni baat kehne ka mauka diye bina use ek tarah se "bech" diya tha.



Saanvi (man me) : “Ye bahut galat ho raha hai! Bahut galat!! Mujhe apne liye ladna hoga! Apni baat kehni hogi! " 😬




Halaanki.. , jaise hi usne Rajyavardhan ki baaj 🦅 jaisi najron ko apne upar ghoorta hua paaya, to uska ladne, bolne ka junoon turant thanda pad gaya.




Akhir.. uske dad hi uski family me final decision lete hai aur upar se ve Dragon King bhi hai.
Saanvi ki family ke mukaable Manav ki family, behad democratic thi, aur isiliye woh apne phaisle khud le sakta tha.


To doosri or, Saanvi ek vishaal saamrajya ki princess hone ke baavjood, khud ke man mutabik jyada kuch nahi kar sakti thi.


Khair..



Anvi ne bhi apna glass uthaaya aur Avantika se kaha,


Anvi : "Cheers ! " 🥂



Anvi ka sochna tha ki uska bhola bhala masoom beta kabhi bhi girlfriend nahi bana payega. Lekin ab, bina kuch kiye.. uske liye ek rishta aa gaya tha.



Iske alawa, pata nahi kya karaan hai ki, Anvi ko Saanvi bahut achchi lagti hai.
~ Shaayad.. aisa isliye kyonki Anvi humesha se hi "girl child" ko pasand karti rahi hai.. lekin.. weh "girl baby" ko janam na de saki..,
~ Ya fir shaayad.. Avantika ki straight forward aur garm joshi wali personality ne uske dimaag par achcha impression daala tha.
~ Ya shaayad.. Saanvi ka naam uske naam se juda hua tha.. (Saanvi , Anvi) aur Saanvi me use apna bachpan dikhai deta tha.



Kuch bhi ho, jab tak dadi is rishte se khush thi, Saanvi ki kam umr, "rishta pakka" karne ke liye koi problem nahi thi kyonki ve uske bade hone ka wait kar sakte the.
Aakhir.. Saanvi ka pariwaar bhi to, vaastav me, ek achchha aur sabhya pariwaar lag raha tha.



Baharhaal, rista pakka hone ke baad Avantika ne dadi ki family ko shagun ke taur par kuch gifts diye.



Gifts dekh achanak, Manas ko apni jeb me rakha hua ek fancy lifafa yaad aa gaya, isliye fauran usne use nikaala aur Saanvi ke haath me rakh diya,




Manas : "Apni is first meeting me Uncle apke liye gifts laana bhool gaye.. Isiliye, bete aap is envelope ko as a 'small gift' rakh lo. "



Bhale hi usne ise mahaj ek small gift kaha, lekin Avantika ke pariwaar dwara ki gayi apni maa ki achchhi dekhbhaal ke liye, dhanyavaad ke roop me, vaastav me, lifafe ke andar ₹ 1, 00,000 rupee the. **(update 53)**



" Dadi " naam ke is special bond ke chalte dono pariwaar swabhaavik roop se ek dusre ke kareeb aa gaye the.



Parantu, gusse me Saanvi apni hi soch me doobi hui thi,

Saanvi (man me) : "No way... mai usse shadi nahi kar sakti..." 😬



Baharhaal, aaj ka Lunch donon families ko aur kareeb le laya;
Jahan, aaj ke lunch ke jariye Manav ki family apna aabhaar jatana chaahti thi; jabki Saanvi ki family, Shisht family se shadi ka commitment chaahti thi.



Halaanki Manas aur Anvi ne maukhik roop se is rishte ke liye haan kar di thi, lekin unhone ise jyada seriously se nahi liya.

Un donon ke liye, yah ek silly joke ki tarah tha jo sach ho bhi sakta tha or nahi bhi. Yani, achcha hoga agar Saanvi unki bahu bane.. lekin agar future me Saanvi kisi or se shadi karti hai.. to bhi unhe koi masla nahi.



Lunch ke baad Manas ne bill pay kiya, aur phir donon pariwaar hallways se hote hue lobby me pahuch gaye.



Rajyavardhan Manav ke paas aaya aur uske kaan 👂 me fusfusaya,


Rajyavardhan : "Kal subah aap 7 baje aa jaayiye. Hum aapko Dragon Palace le chalenge, " :listen:





Update to yahin tak lekin aapke liye aur kuch bhi hai 😁


Quiz 2 ka result ! !



Quiz 2 me Quiz 1 se jyada maja aaya. . scores ki range bhi kaafi wide rahi 20% , 60% to kabhi 80% aur 100%.. kabhi 40% to kabhi 50%!!


Waise.. ye % to bas ek process, symbolism aur bahana hai. Quiz ka asli maksad to fun.. aur story se connect hona hai. :D


Quiz 2 ke liye aap sabhi ko bahut bahut badhai :happyjump: 💐💐💐 🎉🎊


Quiz 2 ke topics jaise west ocean, Indrasen, bracelets necklace, etc ka reference recent updates me bhi aa chuka hai aur beshak, aage bhi ayega!


Is baar sabse pehle high score karne wale reader hai:-





Congratulations brother ! ! :congrats: :congrats: :laughclap: :applause:



Iske alawa Annexures bhi update ho chuke hai aur other information bhi add kar di gayi hai
(ye sabhi cheejen time to time update hoti rahegi) :-


Annexures :






Other informations :






Ye sab kuch aapko jald hi sticky thread me sabse upar mil jayega.
Enjoy! 😉


:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


To be continued.....
Awesome update bro 💗💗
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
superb bro....
Thanks a lot Sabhi91 bhai 😃🙏
yaha savi ka reaction dhekne ko mila or ab aage ke moment ka intezar hai...
Aage dad son convo, phir dragon palace 😉
Rajwardhan shayed mannu ko dragon place le jane k lye shayed dono ka relationship k conformation ka hi intezar kar raha tha...
Ji bhaya aisa hi kuch lekin abhi,. pareshaniya to aani bhi shuru nhi hui :laughing:
Ab dhekhte hai dragon place mai manav mai kya kya badlav aata hai uska intezar hai...
Unimaginable experience rahega
waiting for next one
Thursday :good:
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
  • Like
Reactions: Amrit_#0

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Naam juda hona "saanvi & Anvi" ye read kiya to i was like seriously dude and after that "aur Saanvi me use apna bachpan dikhai deta tha." Ye wala add karke option ko valid kiya because after all Anvi scientist he to naam wala suit na hota.

Nice update bro

Naam juda hona "saanvi & Anvi" ye read kiya to i was like seriously dude and after that "aur Saanvi me use apna bachpan dikhai deta tha." Ye wala add karke option ko valid kiya because after all Anvi scientist he to naam wala suit na hota.
😍🤩🤩🤩😍
:approve: Wonderful observation HONEY SINGH14 bhaya :pepenice:
exactly.. character se judi line character ke temperament ko bhi suit krni chahiye
Nice update bro
Thank you so much bhai 😀🙏
 
Status
Not open for further replies.
Top