• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,214 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,460

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,551
90,029
259
Last edited:

ASR

I don't just read books, wanna to climb & live in
Supreme
563
3,767
123
श्वेता के लिए मेरे दिल मे हमदर्दी होने लगा है। उसने गलती की थी और उसे इसका एहसास भी है।
वीर के दो मीठे बोल सुनने को तड़प उठी है। रोज रात के पहर मे उसके कमरे मे जा चुपके से अपनी ममता लुटा आ रही है। उसके लिए तरह तरह के स्वादिष्ट व्यंजन बना रही है।
उसे अपनी गलती का एहसास न होता तो वो तेजल की बाते सुन सुसाइड करने पर नही उतारू हो जाती ! मुझे यकीन है उसकी पतझड़ भरी आंगन मे गुलशन के फुल भी खिलेंगे। और ऐसा शायद दिखने भी लगा है।

अरूण साहब की वही गती है जो हम शादीशुदा लोग बरसों से भुगत रहे है। शरीफ लोग अकसर अपनी पत्नी का कहा मानते है। अगर घर मे शांति का माहौल रखना चाहते है तो।

सुहाना ने वीर का मैसेज इसलिए डिलीट कर दिया ताकि सोनिया न देख सके। कुछ कुछ तो सोफ्ट फिलिंग आने ही लगी है उसे वीर को लेकर।

आरोही को एक बार फिर से इशारे इशारे मे अपनी मंशा जता गया वीर और मजे की बात यह कि आरोही इशारे को समझ भी गई है । देखना है यह कोड लैंग्वेज की बात किस मुकाम तक पहुंच पाती है।

काव्या हमेशा की तरह चंचल और चुलबुल लगी।

सुमन और भावना आखिरकार एक दूसरे से परिचित हो ही गई लेकिन हम अभी भी इनके रिश्ते से अपरिचित है।

ट्रैन का जर्नी सबसे बेस्ट लगता है मुझे खासकर लोंग जर्नी। बहुत खुबसूरती से यह अध्याय लिखा है आप ने।
बहुत ही खूबसूरत और शानदार अपडेट था।
Outstanding & Amazing & brilliant.
मित्र आपकी प्रतिक्रियाएं इतनी अद्भुत होती है कि उनको पढने के बाद कहानी का सार और भी बादिया लगने लगता है 😍...
भाग्य से जिन रचनाओं को पढ़ रहे हैं आप की प्रतिक्रियाएं उन सभी मे होती है व मन को पूरी तरह से आनंदित करती है 😍 🤔 😍❤️💕💓👀😎💞🤗
 

Rihanna

Let the fire burn
565
2,960
123
Do you know the theory of façade? According to that we live 3 parallel lives.
  1. With our family and close friends
  2. With Professional colleagues and co worker
  3. Which we actually are
So it is not necessary that they way you are in professional environment than same you are with family or actually you are.

Not everyone is efficient to manage these three and same is with Bhoomika. Because sometime you need to overlap one with other.
Okay... This I agree...
It happens. But I still feel that Aabha and Bhumika are being a little left aside. Maybe Werewolf Sir is preparing for them something? I don't know... :hmm:
 

XYZ2423

Active Member
616
2,251
123
Update 118 - A Memory

Ab tak...

Kuch shan ke liye jese waqt tham gaya Tejal ke liye.

Aur jese hi usne apna sarr upar kar dekha toh,

Woh chehra! Jisse dekhne ke liye woh kabse itna tadap rahi thi. Woh saamne tha. Uske hontho par ek rehesyamayi muskaan thi.

Aur fir uske muh se kuch shabd nikle, jisse sunn, Tejal ki aankhein apne aap paani paani ho gayi,

"It's been a while...! Sis!!"


Ab aage...

Tej, jo Pranjal dwaara laat se dhakel diye jaane par seedhiyo se neeche girne waali thi, usse do mazboot haath jakde hue the.

Uski aankhein phati ki phati reh gayi jab usne sarr upar kar uss shaks ko dekha jo usse zorr se bheenche hue tha.

Veer! Uska saga chota bhai! Issi insaan ko toh woh pichle ek saal se dar-dar bhatak ke dhoondh rahi thi. Aur aaj woh uski baaho me thi.

Veer ke hontho me ek rehesyamayi muskaan thi. Iska matlab kya tha? Woh samajh nahi paa rahi thi. Uski soorat manmohak bhi thi par saath hi me ek ajeeb sa bhay fela rahi thi.

Aur tabhi uske kaano me wahi jaani pehchaani awaaz padi,

"It's been a while...! Sis!"

Tej ke honth khule par ek bhi shabd baahar na aa paaya. Veer ki nazar akasmaat paini hui aur Tej ke chotil haath par gayi.

Pranjal ne kechi maarte hue uske haath ko ghaayal kar diya tha. Tej dekh paa rahi thi. Kese Veer uske haath ke zakhm ko dekh raha tha.

*Badump* *Badump*

Uski dhadkane tezz hui. Kya karega ab Veer? Uska chota bhai? Kya karega woh apni badi behan ko aise haal me dekhne ke baad? Ye saare sawaal uske mann me aane lage.

"Stay here!" Veer ki punaah buland aur commanding tone sunn, Tej ke badan me ek sihran daud gayi. Woh apne chotil hui khooni baazu ko thaame bas Veer ko dekhti rahi jo uske aage badh ghar ke andar chala gaya.

Jab Pranjal ki nazar Veer par padi, toh woh toh jese pagla hi gaya. Uski aankhein gusse se laal ho gayi,

Pranjal : Aaa Veer!!! Aa gaya tu??? Tera hi intezaar kar raha tha mein saale! Aaj saara khele khatam hi kar dete hai. Hahaha!

Iss baar Pranjal apna kaptipann nahi chhipa raha tha. Hasste hue woh wahi kechi liye khada ho gaya ladne ke liye. Aur Veer ke hontho par jo muskaan thi woh agle hi pal gaayab ho gayi.

*Whooooosssshhhhh*

"Huhh?"

Ek jhatke me Veer hawa ke jhoke ki tarah uske saamne aaya, Pranjal ki kalaayi already uske haath me aa chuki thi. Aur abhi Pranjal ne ye realise kiya hi tha ki achanak,

*Crack*

Ek dard bhari cheenkh hall me goonj gayi,

"Aaaaaaaaarrrrrgggghhhhhhh!"

Jis haath me Pranjal kechi liye hue tha, jis haath se usne Tej ko ghayal kiya tha. Ussi haath ko Veer ne marod diya tha. Haddi toot chuki thi. Kismat thi Pranjal ki jo Veer ne LIMBO ka istemaal nahi kiya tha.

*Thud*

Pranjal ki saari hekdi nikal gayi iss ek hamle se. Woh dard ke maare apne ghutno par gir pada.

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

[Master...!]

Ek behad hi alag awaaz Veer ke mann me goonji. Pari ki ye nayi personality behad alag sii thi. Veer ki khud ki baat iss waali Pari se zyada nahi hui thi. Kam bolti thi, aur jitna bolti thi woh sirf zaroori jankaari ke liye. Veer samajh nahi paa raha tha ki akhir ye kis tarah ki personality hai. Par itna zaroor jaan gaya tha woh ki ye personality ekdum hatke thi. Kaafi Dilchasp!

[The time has come! Dikhaiye isse! Master! Tell him that he should never mess with someone like you.]

Pranjal jo sarr uthaaye Veer ko gusse se ghoor raha tha woh khud darr ke maare kaanp utha.

Veer apne jeb me haath daale usse aise dekh raha tha jese woh ek zameen par rengne waale keede ko dekh raha ho. Aur woh kabhi bhi usse apne perro ke neeche masal sakta hai.

"Tccchhhh!"

Daanto ko meeste hue woh gusse me Veer ko dekhta raha. Ye sab ho kya raha tha?

Bachpan me woh Veer ko jab chaahe tab thapadiya deta tha, jab chaahe tab uske baal noch deta tha, latiya deta tha. Veer toh uske liye ek punching bag tha. Jispar jab chaahe tab apna gussa nikaal do.

Fir Aaj? Aaj ussi punching bag se itna darr kyu lag raha tha usse? Veer ki peni nazar aisa lag raha tha jese uski andar ki aatma ko ghoor rahi thi. Itna tej tha unn aankho me. Woh aankhein, uske zehen ko cheerte hue uski rooh me jhaak rahi thi.

Nahi! Woh bhala ye kese sehen kar sakta tha? Veer? Aur usse iss tarah se dekhe? Kabhi nahi!!!

"Maaaadaaarchooooddd!!!" Woh gurraaya,

*Baaaaaammmmmmm*

Aur ek laat tabhi aake uski thuddi par padi jiske chalte woh hawa me uddte hue peeche jaa gira.

[Nice one!]

*Craaaaasssshhhh*

Ek laat khaane ke baad hi Pranjal ko andaaza lag gaya tha ki woh Veer se kitna kamzor tha. Par kese??

"Ye sab kese ho sakta hai??? Keseeee??"

*Chaattttaaaaakkkk*

Uske shabd muh me hi reh gaye jab ek tezz raftaar se jhaapad aake uski kanpati par pada. Bechaare ke kaan sunn pad gaye.

Pranjal (screams) : Veeeeeeeerrrrrr!!!!!

Veer : Teri saari kartoote jaanta hu mein Pranjal! Saari kartoote! Tu jitne zulm mujh par karta aaya hai. Unn zulmo ne tere paap ke ghade ko bhar diya hai. Uska sabak aaj tu chukayega.

Pranjal ki awaaz agle hi pal ruwaasi ho gayi. Par garaj abhi bhi baaki thi,

Pranjal (screams) : Tune hi Kiya hai sab!!! Tune hi...!

Veer : Hmm?

Pranjal : Teri...! Teri wajah se woh chali gayi. Teri wajah se...! M-Mein tujhe kabhi maaf nahi karunga. KABHI MAAF NAHI KARUNGAAA!!! HAAAAA~"

Woh utha aur ek baar fir Veer ko maarne ki koshish kiya par nateeja wahi. Veer ke ek punch ne hi usse dherr kar diya. Par ye kya badbadaaye jaa raha tha?

'Woh chali gayi? Kaun?' Veer khud se sawaal kar asmanjas me pad gaya. Ye chutiya Pranjal kiski baat kar raha tha? Veer ko koi clue nahi tha.

Veer : Kaun chali gayi? Kiski baat kar raha hai tu?

Pranjal : Haraaaam khorrrr!!! Urrgghhh!!! Mujhe neecha dikha raha hai?? Haan? Mujhe neecha dikha raha hai?? Kya mein jaanta nahi tune kya kiya tha? Tere kaaran woh chali gayi iss sheher se. Sirf tere kaaran.

Veer : The fuck...!?

[Look into your memories master! Look into it!]

Veer : Kya naam tha uska?? Bol!!!

Pranjal : Chorr mujhe haraam khor!!! Chorr! Bhaad me jaa tu!! Ab na woh waapas aayegi aur na hi samay pehle jesa ho sakta hai. Tere kaaran...! Kaash tu paida nahi hua hota madarcho-

*Baaaaaammmmmmm*

"Urrrggghhhhh!!!"

Veer : Shut the fuck up! Bol! Kaun thi woh? Kya naam tha uska? Jiske chalte tu ghar me bhediya bann ke bhed ki khaal pehan'na shuru kar diya. Bol!!!

Pranjal : Thhhuuuu! Nikal saale...! Chal nikal!!! Bada aaya...! Aise dikha raha hai jese tujhe kuch yaad nahi. Aur chorr mujhe...! Chorr!!


'The fuck is he talkin' about?'

[Master! Apni yaaddaasht par zorr daaliye aur yaad karne ki koshish kariye. Jo ghatit hua hai, woh saamne aayega hi. Go! And search for it.]

Pari ki baat maan Veer ne aankh band kar apni memory ke andar jhaaka. Aur mann roopi samundar me unn gehri yaado me tairte hue woh Pranjal se judi harr yaad ko khojne laga.

Beshaq, ek yaad uske saamne aayi.

Woh mausam tha tapti garmi ke aagman ka. April ka mahina khatam ho raha tha aur school me baccho ki garmiyo ki chuttiya lagna shuru hone waali thi.

Aakhir din, jab school se bacche chhoote toh unke chehro par khushi ki leher thi. Aakhiri din tha aur ab do mahine ki lagatar chuttiya pad rahi thi. Ab unke mauj hi mauj the. Par sabko ye khushiya kaha haasil hoti thi?

"Aye pakad pakad!!! Maar saale ko! Hahahaha!!"

"Maar bey!! Maar!! Woh padiiii!! Hahahahaha!!"

"Ek aur maaar....!!! Hahahaha!!!"

School ke baahar hi teen se chaar ladke ek seedhe saadhe ladke par paani se bhare gubbaare phek kar maar rahe the. Maana ki mausam garmi ka tha. Aur iss baat ka kisi bhi bacche ko utna bura nahi lagna chaahiye. Akhir dosto me ye sab chalta hai. Aur yahi samajh ke aas paas ke log unhe bas dekh hi rahe the.

Par ye koi nahi jaanta tha. Ki ye dosti nahi thi. Ye zyaadti thi. Woh teen chaar ladke mil ke roz uss ladke ko prataadit karte. Aur aaj akhiri din bhala kese jaane de sakte the woh usse? Unke school ka last day akhir entertainment se guzarna chahiye. Ye andhruni baat koi nahi jaanta tha.

Woh baccha, bhaybheet hote hue, idhar se udhar bachte hue bhaagta raha, par koi fayda nahi. Ab tak uss par 4-5 gubbaare maar diye gaye the. Uss bechaare ke kapde poore geele ho chuke the.

Uska lakshya abhi ke liye sirf apne auto tak pohuchna hi tha. Jese hi woh apne auto ke paas pohucha, woh unn ladko se bach chuka tha.

Kyuki, ab woh teen chaar ladke usse pareshaan nahi kar sakte the. Ek raahat ki saas lete hue woh auto ke andar baith gaya.

Par kya ye ant tha? Bilkul bhi nahi! Balki asli darr toh iss auto me hi tha.

Woh maasoom sa baccha chup chaap baithe apne haatho se hi paani ko apne chehre aur perro par se pochne laga. Kyuki uska rumaal toh pehle hi unn ladko ne le liya tha. Na jaane kya kiya hoga uska? Ya toh keechad me phek diya hoga ya uski ball bana kar catch catch khel rahe honge.

"Veer baahar toh aao! Baahar aao!! Hahahaha!!!"

Achanak hi unn ladko ne auto me jhaakte hue usse awaaz dii toh Veer ki dhadkane train ke maafik tezz ho gayi. Ek bohot bhayanak darr ne usse gher liya.

Woh bhay ke maare apna sarr peeche kiye khud ko baaki baccho ki aadh me chhupaane laga. Aankhein band kiye woh bas minnate maang raha tha.

'Chale jao! Please! Chale jao!'

"Veer! Aao toh...! Hum kuch nahi karenge! Hehehe~"

"Haan Bhai aa toh! Arre ek secret baat hai. Sunn na!"

"Haan! Abe ma'am ne bataya hai last me kuch. Tune suna hi nahi."

Woh usse baato me phasaate hue bulaane lage,

Veer : K-Kya?

"Haan Bhai! Aa toh sahi. Sahi me kuch nahi karenge. Dekh ab toh balloons bhi khatam hai."

"Aa na!"

"Aa bhai jaldi!!"

Par Veer ne apna sarr na me hila diya. Aur ye dekhte hi woh teeno ladke bhadak uthe.

"Saale darpok!!!"

"Ab tu pitega ma'am se. Hamara kya?"

"Abe jaane do be isko. Jaane do. Baad me yahi pitega toh samajh aayega isko."

"Haan bey! Chalo chalo! Jaa saale!"

Woh teeno palte aur nikalne lage. Zaahir hai woh yaha zyada kuch nahi kar sakte the. Auto wala driver thodi dur pe hi school ke gate ke paas khada hua tha. Aur saath hi auto ke andar Veer ke alawa bhi kayi bacche the.

Woh jese hi Veer ki nazro se ojhal hue, Veer ne antatah ek chenn ki saas lii. Aas paas baithe bacche usse hi dekh rahe the. Par kisi ne uska support nahi kiya. Kyuki ye unka maamla nahi tha. Aur na hi tab baccho me utna sense hota tha. Woh toh bas saamne chal rahe scene ko dekha karte the.

Par tabhi ekdum se,

"Saale! Bina mummy ka ladka!!! Hahahahaha!!"

Unme se ek waapas aaya aur Veer ko chidha ke nau do gyaara ho gaya. Veer bas apni mutthi ko kasste reh gaya. Kya karta? Kuch bhi nahi! Siwaaye sehen karne ke, uske paas koi option nahi tha.

Kuch hi derri me driver aaya aur sabhi baccho ko baitha ke nikalne ke ready ho gaya.

Aur inn akhir me aaye hue baccho me woh bhi the. Pranjal, Arohi aur Kavya!!

Sab ke sab ek hi auto me jaate the aur ek hi school me padhte the.

Veer seat par pehle aa chuka tha toh zaahir hai seat par baithne ka haq uska ho chuka tha. Aur ab koi chaah ke bhi usse nahi utha sakta tha. Kyuki yahi auto ka niyam tha.

Pranjal derri se aaya toh jaha seat par usse baithna chaahiye tha waha Veer pehle hi baith chuka tha. Majbooran usse seat ke saamne uss patiye par baithna pada.

Arohi, aur Kavya ka bhi yahi haal tha. Woh bhi patiye par baithi hui thi.

Par unn dono ko isme koi aitraaz nahi tha. Siwae Pranjal ke. Gusse ke maare uska poora mood kharab ho chuka tha.

"Oye tum log ko pata hai?" Woh achanak hi sab se bola,

"Kya kya???"

"Kya bhaiya?"

"Hmm?"

Aur usne sabhi ka dhyaan badi hi chaturaayi se kheech liya.

"Arre tum log ko ek mazedaar cheez dikhau?" Usne pucha.

Toh sabhi bacche haan me sarr hilaate hue excited ho gaye. Bhala aisi kaun sii mazedaar cheez dikhaane jaa raha tha ye?

Pal bhar ke liye Veer bhi usse dekhne laga. Aur tabhi,

"Toh ye dekho!!!! Hahahahaha!!!"

Pranjal ne agle hi shan Veer ke half pant ko upar uthaaya aur andar ki cheez sabko dikha dii.

Veer ke half pant ke andar ek aur half pant tha. Jisse dekh ke sab ki hassi nikal gayi.

"Arreee hahahahahahahaha!!!"

"Aye do do pant!!! Hahahahahahah!!!"

"Bhaiya ye do do pant pehna hai hahahahaha!!"

"Firse!!! Hehehehe! Firse dikhao!!! Hahahaha!"

"Firse dekhna hai??? Ye dekho!!! Hahahaha!!"

Saare bacche. Chaahe ladke ho ya ladkiya. Veer ki uss haalat par hass rahe the. Uska mazaak udaa rahe the. Aur na chaahte hue bhi,

*Drip*

Veer ki aankho se aasu apne aap panap uthe. Kya woh jaanta nahi tha? Ye sab kiska kiya dhara tha?

Kya woh jaan boojh ke ye pehna hua tha? Kabhi nahi! Uski majboori thi. Jo uski saari underwear geeli padi hui thi.

Jabki kal tak woh saaf suthri dhul ke sookhi hui thi. Toh fir aaj subah subah kese geeli ho gayi sab? Saamne baithe uss ladke ki hassi dekh woh sab kuch jaant tha. Sab jaanta tha ye kaam kiska tha. Kisne uski underwears ko geela kiya tha.

Apne muh ko ladkiyo se chhupaaye woh rota raha. Apne aasu pochta raha. Par Pranjal harr thodi derr me uska pant utha ke usse hassi ka paatr bana deta.

Raaste bhar yahi silsila chalta raha jab achanak hi Kavya rone lagi.

Aur Kavya ko rota dekh Pranjal darr gaya. Woh jaanta tha agar isne ghar me complaint kii toh uski shaamat aani pakki thi. Kavya se ab ye sehen na hua. Woh toh bas isliye ro padi kyuki Veer ro raha tha. Usse nahi pata tha ki Pranjal kya khel khel raha tha. Woh bechaari jab Veer ko iss tarah rota dekho toh uski khud ki rulaayi chooth gayi.

Pant abhi bhi upar khiska hua tha Veer ka.

"Accha accha ab nahi kar rahe theek? Theek Kavya? Ab rou mat! Dekho! Bhaiya nahi kar rahe ab."

Kehte hue Pranjal chup chaap baith gaya. Kavya ke darr se. Aur Kavya sisakne ke thodi derr baad chup ho gayi.

Arohi ne Veer ke pant ko pakda aur waapas se neeche kar uske andar ke pant ko dhak diya. Aur kuch issi tarah Veer ka school me do mahino ki chuttiyo se pehle ka akhiri din guzra.

Ghar aate hi, Pranjal apne khel kood me lag gaya tha. Par Veer?

Woh toh apne kamre ko andar se band kar bas rota raha.

Kabhi Pranjal uski sleeper lekar bhaag jaata toh Veer uska peecha karta. Aur jaan boojh ke Pranjal usse ghar ke baahar padi gittiyo par bhagaata. Jo tapti dhoop me sholo ki tarah garam jal rahi hoti thi.

Jese tese Veer jab kamre me lautata toh fir wahi routine. Uski rulaayi chooth padti. Kaha chali gayi thi uski maa? Kaha thi woh? Kab tak akela rahega woh? Pranjal, Kavya aur Arohi ki mummy thi toh uski kyu nahi? Koi uski baate kyu nahi maanta tha? Ye saare sawaal woh khud se ro ro ke pucha karta tha.

Arohi aati, uske darwaaze par khade usse dekhti, wo neeche zameen par baith roya karta tha. Aur apna haath badha ke woh cream ka tube usse thama jaati. Woh cream jo uske perro ke chhaalo ke upyog me aati.

Yahi Veer ki dincharya thi. Jab ek din,

Pranjal kisi ke saath khel raha tha. Veer ko apne kamre se awaazein sunaayi de rahi thi.

Subah se Pranjal usse 25 baar khelne ke liye bula chuka tha. Par Veer ne harr baar mana kar diya tha.

Ab ye nayi awaaz sunn ke Veer thoda hairat me tha. Ye kaun tha bhala?

Usne baahar nikal jab dekha toh paaya ki koi ek aur jann tha. Ek aur ladka. Jo Pranjal ke sang khel raha tha. Usse dekhte hi Veer pehchaan gaya.

Veer ne isse pehle bhi Pranjal ke saath dekha hua tha. Par usse naam nahi pata tha. Woh jaanta tha ki ye ladka aksar ghar aaya karta tha.

Jese hi uss ladke ki nazar Veer par padi toh Veer bhaagte hue apne kamre me ghus gaya.

Ladka : Huh? Veer tha na?

Pranjal : Kaha? Oh haa!! Tum usse chorro na! Aao hum khele!

Ladka : Nahi! Mujhe Veer se dosti karni hai. Usse bulao na!

Pranjal : Par mein toh hu na tumhaare saath. Veer pagal hai. Tum uss se dosti mat karo.

Ladka : Nahi! Mujhe dosti karni hai. Usse bula ke lao na. Warna mein jau?

Pranjal : Aree nahi! Mein bulaata hu! Tum ruko!

Woh firse gaya! Aur darwaaza peet ke usse bulaane laga. Par Veer nahi nikla. Aisa usne 4-5 baar kiya. Par Veer tab bhi nahi nikla.

Ladka : Kya hua?

Pranjal : Mene kaha na woh pagal hai. Woh nahi aa raha. Chalo na hum khelte hai.

Ladka : Nahiiiii!!!

Pranjal : Toh tum khud bula lo! Dekh lo! Wo nahi aayega.

Ladka : Th-Theek hai!

Chote qadam bharte hue woh ladka Veer ke darwaaze ke paas aaya aur usne jese hi darwaza khat-khataaya,

"Chale jaaaaooooo!!!!!!!!!"

Darwaza apne aap hi agle pal khula aur Veer ki zordaar cheenkh poore kamre me phel gayi.

"A-Ahhh!!!"

"Huh???"

Jab Veer ki nazar saamne padi toh usne paaya ki ye Pranjal nahi tha. Ye toh-

Wahi ladka tha. Jiski aankho me aasu the. Aur woh agle hi pal bhaagta hua waha se nikal gaya,

Pranjal : Ahhh! R-Rukoo!!

Veer ki jab kuch samajh me nahi aaya toh usne darwaza band kar liya. Par baahar kya hua, iss se woh anjaan tha.

Pranjal : R-Ruko!! Ruko mat jao na!!! Ruko!!

"Mein jaa rahi hu!!! Huuuuu~"

Woh ladka, asal me ladka tha hi nahi. Woh toh ek ladki thi. Chuki woh boy cut rakhi hui thi aur ladko jese kapde pehenti thi, bechaara Veer aaye din yahi samajhta tha ki Pranjal kisi ladke ke saath khelta hai. Par usse kya pata tha ki yahi ladki Pranjal ke dil me khaas jagah banaaye hue thi.

Pranjal : Mat jao na!! Please!!! Sorrryyy!!! Sorrryyy na!! Veer ko mein khoob maarunga. Aao! Chale hum!!

Ladki : Nahiiii!!! Mein jaa rahi hu!!! *sniff* Ab mein kabhi nahi aaungi.

Aur woh bhaag ke nikal gayi. Pados me hi thodi duri par uska Ghar tha. Pranjal chaah ke bhi kuch na kar paaya.

Aur uski badqismati ye, ki agle din hi woh ladki uska sheher chorr ke jaa chuki thi. Uska jaana jese ek rehesya bann gaya tha Pranjal ke liye. Woh siwaaye uss ladki ke naam ke alawa kuch nahi jaanta tha uske baare me. Na jaane kitna dhundhne ka prayaas kiya usne. Par Pranjal usse dhoondh na paaya.

Woh ladki...! Jaa chuki thi!

Jab Veer ki aankhein khuli, toh unn aankho me nami thi. Puraani dard bhari yaado ko yaad kar uski mutthi gusse me kass gayi.

[Sheesha aur zakhm ek jese hote hai. Ek baar agar sheeshe me daraar aa jaaye toh usse kabhi bhi pehle jesa nahi kiya jaa sakta. Wese hi, dil par pohuchaye gaye zakhmo ko na hi kabhi chhupaya jaa sakta hai aur na hi unhe dabaaya jaa sakta hai. Woh wahi rehte hai...! Andar! Gehraayi me...! Master!]

Ek lambi saas chorr Veer ne Pranjal ko dekha. Iss chutiye par Veer ko ab aur bhi zyada gussa aa raha tha. Ye jhaatu insaan iss choti sii baat ke peeche ab tak pada hua tha?

Pranjal ne bachpan me hi yahi dekha tha ki Veer ki wajah se woh ladki gayi. Aur bas, tab se lekar aaj tak, woh Veer ko hi doshi maanta aaya tha.

*Chataaakkkkkkk*

Veer : Chutiye!! Mujhe toh uss ladki ka naam bhi nahi pata hai. Mujhe toh ab ye pata chala hai ki jisse mein ladka samajhta aaya tha woh asal me ek ladki thi.

Pranjal : Thuuuu!! Kutte!! Kisse bewakoof banaata hai!?? Maar le haraam khor!!! Maar le!! Ek din mein teri randi m-

*Chataaakkkkkkk*

"Urrrggghhhhh!"

Veer : Ahinda se ek shabd bhi tune galat bola. Toh teri zubaan kheench lunga. Samjha? Bol! Who was she? Kaun thi woh? Uska naam kya tha?

Pranjal : Nahi bataunga saaaleee!!! Bhaad me jaaaa!!! Behanchod!!! Teri maa ki---

*Baaaaaammmmmmm*

Aur Veer jo ab tak Sigma Instincts ko control karne ki koshish kar raha tha. Maa shabd aate hi, usne apna aapa kho diya.

Ek jhatke me usne Pranjal ke baal pakde,

"Aaaaahhhhnnnnn!!!"

Aur usse ghaseetate hue woh andar le gaya. Tej jo ab tak baahar khadi sab kuch aankhein phaade dekh rahi thi woh bhi ghabraate hue andar aayi,

Uski saasein zorr zorr se chal rahi thi. Uska ye chota bhai! Kuch zyada hi aakramak nahi tha?

Veer : Nahi bataana hai tujhe!? Dekhta hu kese nahi batayega!

Veer ke ird gird ab woh cool aur calm aura nahi tha. Balki ab uske chalne ka dhang, uska andaaz, uski awaaz sab kuch zyada hi agressive ho chuki thi. Aur Tej, ye dekh ke darr rahi thi. Aage kya hone waala tha?

Pranjal ko ghaseet ke Veer washroom me usse le gaya.

*Thud*

"Chorrr deee!!! Chorr dee kutte...!!" Woh dard me bilbilaata raha. Uske baal itni zorr se khiche hue the ki dard ke maare ab uski awaaz bhi phatne lagi thi.

Veer ne usse baalo sahit utha ke seedha saamne lage commode me uska sarr ghuseda. Apni ek laat utha ke usne Pranjal ke sarr par rakhi aur dabaav banaaya. Aur agle hi pal,

*Flushhhhhhhhhh*

Veer ne flush chalu kar diya.

Tejal ne jese hi ye scene dekha toh woh bhauchakki sii hoke wahi jamm ke reh gayi.

Tejal : Ahhh!

Veer (glances) : Filth must be cleaned. Don't you think?

Uski nazro ko dekh Tejal ka sarr apne aap haan me hil gaya.

Veer (smiles) : Good!

Pranjal, commode se nikle paani ke bahaav me apni saas rokne ke chakkar me bas apne haath perr chalaata raha. Par Veer ke perr ka dabaav itna zyada tha ki woh kuch na kar paaya.

Aur sabse gandagi bhari baat ye thi, ki abhi thodi derr pehle hi Pranjal ne usme apni garma garam moot se bhari tanki khali kii thi.

Aisa khatarnak experience shayad hi kisi ne liya hoga. Ye toh jese maut se bhi battar tha. Pranjal toh jese sadme me jaa chuka tha. Woh na kuch bol raha tha aur na hi kuch kar raha tha. Bas aankhein khole ek jagah dekhe jaa raha tha.

[Looks like, he has gone mad!]

Veer ka aisa roop dekh ke Tej ki khud ki bolti band ho chuki thi.

Veer : Bol ab! Kaun thi woh ladki!! Bol!!!!!

Aur iss baar waqai Pranjal ke muh se ek naam dheere se nikla. Jisse sunn Veer ki bauhe hairaani ke maare sikud uthi.

MADHURI!!!!

[It might be her!!!]

Iss naam ko apne zehen me rakhe, Veer ne bina samay gawaate hue Pranjal ko ek hi haath se kisi suitcase ke bhaati uthaaya aur baahar nikal usne kachre ki tarah usse peeche ki seat par phenk diya.

Ghar ko lock kar woh car me andar aake baitha,

Veer : Aap aa rahi hai na?

Usne chaka chaundh ho rakhi Tej ko dekh pucha,

Tej: Huhhh?? H-Haan!!!

Aur woh bhi aage Veer ke bagal waali seat par aake baith gayi.

Car me baith nikalte hi Veer ne car me laga air freshner on kar diya. Peeche kachda jo pada hua tha. Baas toh aayegi hi.

Raaste bhar, Tejal ki nazre Veer ke mukhde par tiki rahi. Dono me se koi bhi kuch nahi keh raha tha. Shayad dono abhi abhi hue scene se thoda sankoch me pad gaye the ki akhir baat kare toh kese kare!?

Veer ne jab car roki toh Tej ko dhyaan aaya.

Tej : Ye hum!? Kaha hai?

Veer : Aaiye!

Woh Tej ko ek ghar ki orr le gaya. Pranjal toh sadme me abhi bhi gaadi ke peeche hi laita hua tha. Bohot bhaari maansik asar hua tha shayad uss par.

Aur darwaaza khulte hi ek chehra Veer aur Tej ke saamne aaya,

"Arre?? T-Tum?"

Veer (smiles) : Jii! Andar aane nahi kahengi?

"H-Haan! Aao na!"

Ye Ghar tha uni shaks ka. Mrinal!! Wahi doctor lady jisne Veer ka ilaaj pehle kiya tha. Wahi doctor lady jo Karan se parichit thi.

Tej poore samay, bas Veer ko nihaarti rahi. Jab uske haath ki dressing ho rahi thi tab bhi uska dhyaan Veer par hi tha. Na ki apni chot par.

Kuch bhi uske according nahi ho raha tha. Akhir ye kismat uske saath kesa khel khel rahi thi?

Pehle woh khud ko aur apni maa ko dosh deti rahi. Ki uska parivaar nahi tha. Aur jab apne parivaar ke baare me pata laga toh usse ek jalan ne gher liya. Akhir uska bhai itne mazze me no jee raha hoga. Baad me usse pata chala ki uska wahi bhai uss bhi battar zindagi jee raha tha.

Aur jab woh apne iss bhai ko protect karne nikli toh,

Usse pata chala, ki Veer ko toh kisi protection ki zaroorat hi nahi thi. Ulta woh khud abhi usse protect kar raha tha. Sab kuch mann ki icchaa ke vipreet hi ho raha tha uss bechaari ke saath.

Mrinal jii ke ghar se nikal Veer ne seedha apni gaadi puraane ghar ki orr laga dii.

Aur car ka shor sunn, sabhi ghar waale baahar nikal aaye.

Kavya : Bhaiya???

Arohi : Veer!!!!

Parantu, Veer apni behno ki baate abhi sunn'ne nahi ruka. Peeche ka gate khol jese hi usne Pranjal ko baahar nikaala waha khade log hairaan reh gaye.

Veer : Ghar ka kachda baahar gandagi fela raha tha. Filhaal aap hi sambhaliye!

Aur usne bas itna bol Pranjal ke ghar ki chaavi uske upar feki aur abhi woh sabke saamne usse ek laat jaddne hi waala tha jab achanak se koi aake Pranjal ko dhaak liya.

Veer ki laat apne aap hi hawa me rukk gayi.

Neeche, Sumitra aasuo se saja chehra liye Veer se mann hi mann guhaar kar rahi thi.

"Tch! Lucky bastard!"

Uske muh se bas itna hi nikla. Aur apne perr ko peeche kar woh palat ke waha se jaane laga.

Peeche se usse kayi awaaze aayi jo rukne ke liye keh rahi thi. Par woh nahi ruka.

"Veeeeeerrrr!!!" Yaha tak ki Brijesh bhi chillaa utha.

"Woh ladki kaun hai??? Kaun thi woh???" Usne firse cheekhte hue pucha.

Par Veer na hi ruka aur na hi usne koi jawaab diya. Uske hontho par bas ek mazaak se bhari farzi muskaan thi.

'Khud ki aulaad ki khabar nahi. Heh~'

[Leave it! Master!]

Veer : Let's go!

Tej : *nods*

*Vrrrrroooooooommmmmm*

Aur dono waha se nikal gaye. Unn logo ko dherr saare prashno me chorr ke.

Veer poore samay gusse me gaadi drive karta raha. Maa! Aisi kyu hoti thi bhala?

Jis ladke ne itne ghinone kaam kiye. Itne zulm kiye. Ye jaante hue bhi ki woh poori tarah se ek bigdi hui santaan hai. Galat raah par jaa chuka hai. Fir bhi,

Ek pal nahi laga. Ek pal nahi laga uss maa ko saamne aake apni aulaad ko peete jaane se bachaaane ke liye.

Aur isliye...! Isliye Veer gusse me tha.

'Aap kaha thi tab!!?' usne mann me hi kaha. Jab usse sabse zyada apni Maa ki zaroorat thi. Tab kaha thi woh???

Aaj usse jalan ho rahi thi. Hmm! Sahi suna! Jalan! Woh bhi Pranjal se. Uske paas Maa jo thi.

"Tskkkk!!!"

[Calm down!]

Pari ki awaaz usse jese tese shaant kari. Jese hi Veer Tej ke dwaara bataaye gaye address par pohucha.

Purvi ke ghar me taala laga hua tha.

Veer : Locked hai!

Tejal : Huh?

Tejal ne forun apna phone nikaala aur screen dekhte hi uski saans hi atak gayi.

Tejal : Ohhh no!!! 16 missed calls?? Phone silent me tha. I didn't even...!

Veer : Call karke bulaiye unhe.

Tejal : T-Tum...! Tum jaa toh nahi rahe na? P-Please! Stay!

Veer : Fine! Call kariye!

Tejal : Right.

Tejal ne call kar jese hi apni sthiti Purvi ko bataati toh uss orr se zorr se daant sabse pehle Bhavna ki hi usse padi. Woh dono usse hi dhundhne nikli thi abhi abhi. Usne fir Ghar ko spare key se unlock kiya aur Veer ko andar baitha ke woh uske liye coffee banaane lagi.

Uski kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir baat shuru kese kare. Aa toh gaya bhai! Tha toh woh uski nazro ke saamne. Par ab kya? Ab toh jese zero bate sannaata ho chuka tha.

Coffee ko gas pe chadha ke woh dining table par aake baithi. Uske theek saamne Veer tha.

Tejal : I-I have questions.

Veer (smiles) : Ohhh! And so do I...!

Tejal : Mein-

*Click*

Par tabhi hall ka main gate khula aur ek awaaz gusse me chillaate hue sunaayi padi,

"Mene tumhe kitni baar samjhaaya hai ki aise bina bataaye tum-"

Woh awaaz beech me hi rukk gayi jab uss awaaz ki shaksiyat ne saamne baithe vyakti ko dekha.

Bhavna ke qadam wahi sthir reh gaye. Uski saasein jese pal bhar ke liye tham gayi.

*Badump* *Badump*

Dhadkane tezz ho uthi.

Aur fir, kaano me wahi awaaz sunaayi dii. Jo usne kuch mahino pehle suni thi,

"Ohhh!!! Kaun aaya hai? Hmm! What should I call you? Maa? Ya fir...!? Miss Geeta????"

Aur ye sunte hi Bhavna ke poore jism me raungte khade ho gaye.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Iss update ko taiyaar karne me kaafi dikkatein aayi hai. Trust me! Ye update more than 4.9k words ka hai. Toh almost 5k words. Ek mega update jitna hi samajh lo. Toh likes thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. And as I told you, a certain past has been shown now.

Dhanyavaad! ✨
Superb fantastic amazing mind blowing update Werewolf bhai...

Veer k aane se Pranjal jo phele se garam tha wo or bhi gussa ho or upper se veer jo pranjal ka kisa katam karne aya tha usne Tej ki halat dekhi to uska pranjal ke upper gussa or badh gaya or uske baad Veer ne jo pranjal ko mara h usse pranjal ki halat kharab ho gayi thi per phir bhi uski akad nahi gayi thi veer jab jab usse marta tab tab wo veer ko gali deta per jab pranjal se control nahi hua usne wo baat bata di jis scene ki wajah se wo veer ko or pareshan karne laga per veer jo ab apna past dekh sakta tha ussne jab apne dimag pe jor diya or usse wo ghatna bhi dikh gayi or uske baad jab usne Pranjal se us ladki ka naam pucha to usne usme bhi natak kiya per jab veer ne usse pani me daala tab ja ke uske mooh se uska naam nikla or veer aage jake us ladki ko dhudhega or pranjal k liye usse baat karega bhale pranjal ne usske saath jo bhi kiya ho per veer wo sab side me kar dega uss matter me or uske baad Veer ne tej ki treatment karvaya or uske baad pranjal ko uske ghar fhekne gaya waha bhi uski maa ne usse bacha liya per jab veer tej k saath uske ghar pe pohcha or jab bhavna aaye or jab veer ne usse pohcha ki me appko kya bulau wo sabdo ko sunke bhavna k raungte khade ho gaye ab agge kya jawab degi bhavna or veer kese react karega answer sunne k baad...
 

Rihanna

Let the fire burn
565
2,960
123
Werewolf bhai ye Pari ke different versions ki koi gallary hai kya jo har system update ke baad koi random version active ho jata hai yaa fir har level ke liye different version pre identified hai.
Pari level 8 pe h na to uss hisaab se ab tak humne 8 versions dekh liye h... Right?
ye wala 8th hi hoga I guess...
Main bohut confused hu issi me... :hmm2:
Ye different versions kyu aa rhe h? Different personalities?? Like inka role kya h?

Kyuki har Pari to same hi madad kar rhi h. Personality different h bas. To iske peeche motive kya h? Wo different versions aa kyu rhe h? Obviously Hamare pyaare logo ko suspense me chodhne wale Werewolf Sir aise hi fun k liye to daale nhi honge ye. Iske peeche ki scheme h kya?? I'm super confused about this. Also pari h kya wo bhi ek topic h... :confuse:
 

Anas moavia

Active Member
755
1,911
123
Update-47~ One Inch Punch
Ab tak...

Usne dekha ki lift me ek aadmi tha. Usne ek floral shirt pehni hui thi. Aur upar ek blazer. Saath hi saath aur bhi aadmi the uske saath.

Aur lift halke halke band ho rahi thi.

Par band hone se pehle dono ki hi nazre aapas me takraayi.

Aur...

*Ding*


Ab aage...

Ragini's house...

Din ke iss waqt Ragini ke Mata Pita ke ghar Vivek ke Mata Pita virajmaan the. Mahaul bada hi tang tha chaaro ke beech. Aur kyu nahi hota!? Baat hi aisi thi. Topic hi aisa tha ki dono hi taraf wo apni baato ko rakhne me katra rahe the.

Ragini ki Maa, Rohini apni bauhe sikode saamne baithe Karunesh aur Sumitra ke bolo ka intezaar kar rahi thi, toh wahi Ragini ke Pita, Dinesh dono se nazre hataaye apna muh ferre kahi aur hi dekh rahe the.

Karunesh : Dekhiye! Ye... Aap bhi jaante hi hai ki hum kyu yaha aaye hai. Aur kyu hume aana pada...

Rohini : J-Jii! Kahiye...

Sumitra : Darasal... Mein aur ye... Hum dono hi Vivek ke saath gaye the Ragini bitiya ke paas. Uss se milne. Uss se baat bhi hui hamaari. Aur kaafi din ho gaye uske yaha se aaye hue hume.

Rohini : Hmm!

Sumitra : Par... Ragini bitiya ne kaha tha ki wo jald hi kuch faisla legi aur apni baat hamaare saamne rakhegi. Par... Abhi tak uski taraf se koi jawaab nahi aaya hai.

Rohini : O-Ohhhh!

Karunesh : Jii haan! Aur... Aap toh jaanti hi hai ki... Ek shadi shuda aurat, yu apne sasural se alag hokar akele kahi par rahe toh kitne sawaal uthate hai!

Rohini : *frowns*

Karunesh : Mera matlab... Aas paas ke log bhi sawaal karte hai, puchte hai... Ki kaha gayi bahu rani!? Kahi dikhaayi nahi de rahi aajkal!? Jo kuch bhi vardaat hui uss din... Unn baato ko toh hum sabhi chaahenge na ki wo parivaar ke beech hi rahe!? Aur baahar na jaaye!?

Rohini : Jii aap theek keh rahe hai.

Karunesh : Jii! Bas wahi baat hai. Ragini bitiya se zara aap baat kariye na. Ye matter wese dono baccho ke beech ka hai. Par fir bhi mujhe aur Sumitra ko beech me aana pad raha hai. Taaki kuch galat hone se bach jaaye. Aap samajh rahi hai na!? Mein kya kehna chaah raha hu!?

Rohini : Jii!

Karunesh ka ishaara Rohini samajh chuki thi. Wo ye batlaana chaah raha tha ki ab samay aa gaya hai ki dono hi baccho ke maa baap hastakshep kare. Warna kahi aisa na ho jaaye ki Ragini aur Vivek talaak lele. Aur ye bandhan dhara ka dhara reh jaaye.

Rohini : Sunn rahe hai na aap!? Samdhi jii kya keh rahe hai!? Hume...

Dinesh : Suna mene. Mein jaanta hu sab kuch uss din kya hua tha. Akhir sab kuch meri aankho ke saamne hua tha.

Sumitra : ....

Karunesh : ...

Dinesh : Aur rahi baat meri bacchi Ragini ki toh... Mein uske liye koi nirnay nahi lene waala. Mene poori tarah se ye nirnay uske upar chorr diya hai. Wo badi hai, samajhdar hai, apna accha bhala jaanti hai. Jo bhi nirnay wo legi, mein uske uss nirnay me uska saath dunga.

Dinesh ke muh se nikli ye baatein jese kisi teer ke samaan thi jo seedha jaake Karunesh aur Sumitra ko chubhi.

Yaha wo dono hi badi umeed ke saath aaye the ki jese tese Ragini ke Maa Baap maan jaaye toh Ragini unki baat sunn ghar ko waapas laut aaegi. Par yaha toh Dinesh ne alag hi ghoshna kar dii thi.

Unhe samajh aa chuka tha ki shayad unhe dherr saare paapad belne padenge.

Sumitra : Samdhi jii... Dekhiye... Aise aap...

Dinesh : Dekhiye! Mein apne nirnay me poori tarah se dridhta rakhta hu aur uss par kaayam rehta hu. Mujhe apni beti par poora bharosa hai. Wo jo bhi decision legi, boht hi soch samajh kar legi.

Aur itna bol Dinesh andar jaane laga...

Rohini : S-Suniye...! Aap!???

Par Dinesh na ruka aur wo andar ki orr chal diya.

Ab kamre me keval Karunesh, Sumitra aur Rohini hi reh gaye the.

Aur shayad wo atpata sa mahaul...

***

Ragini's own house...

Veer iss waqt apne kamre me phone par sawaalo ke jawaab dene me laga hua tha.

Veer : Bola na... Achanak hi hua sab kuch...

Kavya : Ohh achcha!? Abhi abhi mujhe Arohi dii ne newspaper ki ye photo dikhaayi hai aapki. Aur mein daawe ke sath keh rahi hu ki ye aap ho.

Veer : Arre baba toh mene kab mana kiya ki mein nahi hu. I agreed right!?

Kavya : Wahi tohhhhhh!!!! Kyuuuu!? Kyu ho aap waha par!? And who's she!?? Why she's so hot!? Why is she sitting beside you!??? Wo kese jaanti hai aapko? Wait! When did you guys met each other!?

Veer (sighs) : Calm down Kavya!

Kavya : No waaayyyyyyy! Bhaiya! Mein aur Arohi dii 4-5 din aapse baat kya nahi kiye aap bina bataaye humko Delhi bhi hoke aa gaye!? Huh!? Aur mujhe aapke baare me newspaper se pata chal raha hai!? Kyu??? Mein hi kyu hamesha upat ke call karti hu? Aap bhi toh call kar sakte the na? Pata hai? Mein kitna busy thi!??? Mere assignments aur fir Viva college me... Fir wo project aur presentation alag... I was so busy... Aur harr baar mein hi call karu!? Haan!?

'Fuckkkkk! She's mad!!'


[:laughing: ]

Veer (pyaar se) : Kavya!

Kavya : ...

Veer : Kavya meri pyaari choti behan...

Kavya : Mm...

Veer : Sab kuch achanak hua behna... Rahi baat wo kaun hai? Toh newspaper me toh diya hi hoga. Haha~ But... She's my friend. Okay!? Ab mil gaye sawaalo ke jawaab!?

Kavya : Hmph!!!

Veer : Arre....! Fine! Toh tay raha... Weekend me kisi ek din... Tum aur mein. Keval hum do. Kahi ghumne chalenge. Okay!?

Kavya : Promise!?

Veer (smiles) : Promise!

Kavya (smiles) : Yessss! I will wait. Don't forget okay haan bhaiya!?

Veer : I won't...

Kavya (smiles) : Good! B-Bye!

Veer : Hmm...!

Aur call cut hote hi Veer ne ek raahat ki saas lii.

Kavya toh poori chalta firta radio thi. Ek baar shuru toh fir rukne ka naam hi nahi lena usse.

Veer kuch derr apni pyaari behna ke baare me sochne laga aur uske hontho pe ek muskaan saj gayi.

Par dimaag me kuch anya baato ka dhyaan aate hi uski wo muskaan agle hi pal ekdum se chhumantar ho gayi.

Kaaran tha...

Wo naya mission. Jo usse kal mila tha jab wo Suhana ke saath hotel me maujood tha.

Aur wo mission tha~

[Mission : Stop the vehicle at all costs.

Location : Day after tomorrow at xxxxxxxxx square.
11:00 PM - 12:00 AM.
Rewards : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 2500 Points Deduction.]

Mission kitna important tha ye toh uske failure ki penalty dekh ke hi andaaza lagaaya jaa sakta tha. Aisa pehli baar ho raha tha ki system uss se 2500 points ka deduction maang raha tha.

Yadi mission fail toh Veer ko 2500 points chukaane padenge. Wese hi points ki tangi chal rahi hai uske saath. Upar se yadi ye mision fail hua toh wo toh saari zindagi yahi chukaane me laga rahega.

Baat simple thi. Mission was damn important.

'Ye kaun sii vehicle hai but...!? Jisse mujhe rokna hai? And vehicle ke baare me details kyu nahi dii gayi hai? Wait! Right! Mission will get updated!'

[Yes!]

'I must prepare...'

[Nahi kar sakte...]

'Kyu!?'

[It's the time for your Date! :D ]

'Fuccckkkk! Right! Mene Shreya jii ko promise kiya tha unhe party dene ka. Aur ye sab kya laga rakha hai haan!? Date nahi hai. I'm just giving her my birthday party.'

[Kya aap ishaara nahi samjhe master!? Ohh my sweet and innocent master. I really love you so much. ❤️ How can you be so innocent!? Ek ladki aapse party maang rahi hai. Upar se fir kehti hai ki keval hum dono hi chalenge! Fir ye bhi kehti hai ki hotel me khaane ke pehle movie bhi dekhenge saath me. Yaha tak ki Juhi ko bhi usne aane se mana kar diya. And you don't even know ki kya chal raha hai!? Oh! My poor Master! :angrysad: ]

'W-Wait!!!'

Pari ki baat sunn iss baar Veer ki bolti band reh gayi. Bhale hi uska intelligence badh gaya tha. Par ladkiyo ke inn subtle se ishaaro ko samajhne me abhi bhi usse kaafi lessons lene baaki the.

***

Shaam ke samay Veer aur Shreya nirdhaarit samay par mile. Dono hi movie enjoy kiye aur ab samay tha khaane ka.

Already 7:30 baj chuke the aur Shreya ko jald hi ghar lautna tha isliye usne jaldi hi dinner karne ko suggest kiya.

Ghar par keval Nidhi aur Juhi hi the aur Shreya nahi chaahti thi ki wo yaha akele late night tak enjoy karti firre.

Shreya : Umm... Tumhaare aur Dii ke beech kuch jhagda hua kya!?

Veer : H-Huh!? N-Nahi toh!? Aisa kyu laga aapko?

Shreya : Wo... Kal jab tum chale gaye the ghar se toh... Mene unse sawaal kiya tha ki Veer kaha gaya.

Veer : Toh!?

Shreya : Toh unhone... Thoda rudely kaha... I mean mujhe aisa feel hua ki unhone rudely kaha... Kyuki mein unhe jaanti hu. Unki rag rag se waaqif hu mein. Unhone kaha tha ki... Wo chala gaya apne ghar. Apni Bhabhi ke ghar.


Veer (frowns) : I see!

Shreya : Mene fir pucha tha ki... Achanak kyu chala gaya!? Kuch khaa ke kyu nahi gaya!? Toh firse ussi tone me unhone mujhe jawaab diya ki... Chala gaya! Jab uska mann hoga toh aaega khud. Mein kaun hoti hu rokne waali... Apni manmaani toh shuru se karta aaya hai woh.

Veer : She said this!?

Shreya : Y-Yeah! Isiliye mene pucha tumse... Kal kuch...

Veer (smiles) : No! Nothing happened!

Shreya : O-Okay! Maybe shayad frustration ko lekar unhone wo sab kaha. I know ki she's clearly unhappy because you decided to leave the house. B
ut... Wo hamesha tumhara bhala hi chaahengi Veer. You know it right!?

Veer (smiles) : Of course!

Veer ka positive response dekh, Shreya ke chehre par jo chinta thi wo gaayab ho gayi aur ek raahat bhari muskuraahat bikhar gayi.

Agle hi pal usne dheere se apna haath aage badhaaya aur uski hatheli Veer ki ungliyo par rengti hui chadhne lagi.

Ahista se apna haath Veer par rakh wo uski aankho me hi dekh rahi thi. Ek pal ke liye Veer ne apne haath ko dekha jiske upar Shreya ki hatheli rakhi hui thi aur fir uske chehre ko. Hatheliyo ka ek dusre se sparsh hi dono ke badan me ek alag sii jhurjhuri paida kar raha tha.

Shreya : Veer...!

Veer : Hmm!?

Shreya : Y-You know...

Veer : ??

Shreya : Thank you! Like... Really... Thank you!

Veer : Kis liye!?

Shreya : For coming into our lives...

Veer (surprised) : ??

Shreya : You don't know... But... Tumhaare aane ke baad se... Tumhe pata hai hamari life me kitne changes aaye!? Aur wo bhi acche changes... You came... Dii kitni khush lagne lagi thi. Unka samay chinta me kam aur parivaar ke saath baith baatein karne me zyaada vyateet hone laga tha. Juhi ko uske naye maamu mile. Kitna khila khila rehta tha uska chehra hamesha. Unn dono ko hi jese ek accha dost mil gaya tha...

Veer : Aur aapko!?

Veer ke puchte hi Shreya ka badan sihar utha aur usne apni nazre Veer ke chehre par se hata liya. Shayad... Ye sharam thi!

Aur bilkul... Agle hi pal uske gaal gulaabi hona shuru ho gaye. Dheere se usne upar nigaahe kar Veer ko dekha aur haule se budbudaayi...

Shreya (blushes) : M-Mujhe bhi boht kuch mila. Naya dost. Ya kahu... Boht khaas dost...!?

Veer (smiles) : Same here!

Shreya : You...

Veer : ??

Shreya : You should come back. Right!? Veer... Dii... We all know ki... Dhruv ko waapas laana impossible hai. Tumhaare ghar par rehne se aisa nahi hoga ki Dii ki savings badh jaengi aur wo 50 lakh jod lengi. I hate to say it but it's impossible for her. So... Hum khushiyo ke saath kyu bhed bhaav kare!? You... Tumhaare ghar me hone se raunak badh gayi thi Veer. She really misses you. I can tell. Juhi bhi... Toh tum firse aaoge toh atleast... Atleast Dii firse khush toh rehne lagengi? Kuch khushiya toh rahengi... Kam se kam unhe aksar muskuraata hua toh dekh paungi mein... I know ki tum ye kar sakte ho... Veer!? You will come right!? R-Right!?

Shreya thoda bechain hone lagi. Uska yu desperate hona ek ishaara tha. Ishaara ki Veer ke aane se Nidhi ki zindagi me kitna kuch antar aaya tha.

Aur ek ishaara ye bhi ki... Shreya apni behan Nidhi se kitna pyaar karti hai.

Veer : Ye... Possible nahi hai Shreya jii...

Par uska jawaab jese Shreya ke dil ko tod ke rakh diya.

Shreya : K-Kyuuuu!??? Akhir! Tum apni Bhabhi ke ghar hi toh reh rahe ho na? You can come back then right? Nothing will change at all... Hum sabhi waapas se jese pehle ghar me masti kar ek saath reh rahe the wese hi firse...

Shreya kis hadd tak apne bitaaye gaye unn dino ke baare me socha karti thi ye aaj uski baato se saaf jhalak raha tha. She really treasured those days. Par shayad usse ek galat fehmi bhi ho chuki thi. Ya wo ek kuye me thi aur ye bhool gayi thi ki uss kuye ke baahar bhi boht badi duniya hai.

Aur Veer ke muh se aaye agle hi kuch shabdo ne jese uski ye nakli duniya ko ujed kar rakh diya.

Veer : Reality me aaiye Shreya jii! Samay aage badhta jaa raha hai. Kabhi bhi peeche nahi jaata samay. Nidhi ma'am... Aaj nahi toh kal... Unka divorce ka decision aa jaega... Dhruv ko paati hai ya khoti hai... Ye waqt hi bataega... Sab kuch badal raha hai. It's destined to change...

Shreya : Mein... Mein nahi chaahti...

Apne nichle honth ko bheench Shreya maun ho gayi aur uski aankhein nam ho chali.

Wo jese inn sab par parda fek ke apni duniya me jeena chaah rahi thi. Jaha usse ek aas thi... Ki ek din Veer firse laut aaega, fir se wo chaaro Nidhi ke flat me ussi tarah se din bitaenge... Aur aage chalke shayad... Kuch aur bhi!? Wo apne mann me hi khayaali pulaav paka rahi thi. Aur jab usse iss baat ka ehsaas hua ki guzra samay waapas laut kar kabhi nahi aane waala hai. Zaahir sii baat thi... Wo apne aasuo ko rok na paayi.

Veer : We should go now. Nidhi ma'am aur Juhi akele hai ghar pe... Aur aapko jaana hai jaldi right!?

Shreya keval ek nod dii aur uth ke khadi ho gayi.
Ye Date bhale hi utni khush-haal na gayi ho par...

Par Shreya khush thi. Uske aur Veer ke beech aise koi bhi gile shikve nahi the. Wo dono hi ek dusre ko kaafi acchi tarah se understand karne lage the ab.

Jaane se pehle Shreya ne usse ek baar fir dekha. Wo dono hi society ke theek baahar maujood the.

Shreya : Thanks for the da... Party!!! Thanks for giving me party.

Wo muskuraayi.

Veer (smiles) : Isme kesa thanks!? Dost ko party maangne ka poora haq hai.

Shreya (smiles) : Right!

Veer : ....

Shreya : Umm....

Veer : ??

Shreya : Toh!? Toh kab mil rahe hai hum next!?

Veer : Jab aap aur mein dono hi free rahe!? Remember!? You are now an employee. Ab job lag chuki hai aapki...

Shreya : Yeah!!! Okay then... Mein tumhe bata dungi ... Jab bhi mein free rahungi... We... We will hang out together.

Veer : Sure!

Shreya : Tumne...!? Tumne meri dii hui keyring bhi laga lii!?? I'm really happy!

Veer (smiles) : Of course!

Shreya : Okay bye!

Veer : bye...

Bechaari Shreya na jaane kitni derr se kuch karne ka ya kehna ka prayaas kar rahi thi. Par finally shayad usse mauka mil hi gaya.

Wo itni tezzi se aage jhuki aur Veer ke gaal ko choom kar palat kar poori furti me bhaag gayi.

Veer jaata hua usse dekhta raha aur wo keval ek hi kaam kar paaya.

'Check favourability'

*Ding*

[Shreya's favourability : 64]

'Pari!'

[Hmm?]

'Kya tumne Nidhi ma'am ki favourability check kii thi?'

[It's 50!]

Kal jo kuch bhi hua tha. Zaahir sii baat thi ki favourability me antar aana hi tha.

Apne udaas mann ko theek kar Veer laut chala.

***

Next day...
At Night...


[Master!]

'Hmmm!'

[You took everything right!?]

'Yeah! Pocket knife bhi rakh lii hai, lighter, my watch, wallet, aur bas...'

[Mera matlab pocket knife se hi tha.]

'Hmm!'

[Let's go!]

Bataayi gayi destination par Veer already pohuch chuka tha.

Samay raat me lagbhag 11 ho raha tha.

Usse nahi pata tha ki kis gaadi ko rokna hai. Bas itna pata tha ki ye gaadi rokna hai chaahe kuch bhi ho jaaye. Aur yaha tak ki abhi tak mission update nahi hua tha.

Ghar par wo Suman ko bata ke aaya tha ki wo kisi kaam se jaa raha hai aur Suman ne apne maalik se fir koi sawaal nahi kiye. Ragini aaj thakaan ke chalte pehle hi kaafi thak chuki thi toh uski kab neend lag gayi usse pata hi na chala.

Toh Veer ne Suman ko inform karna hi theek samjha.

'Fuccckkk! Itni thand behanchod!!!'

[Hmm... It's really cold!]

'Why the fuck mission is not getting updated!?'

[I-I don't know! Sabr rakhiye...]

*Ding*

[Mission : Follow the black limousine and stop it at

all costs.
(Warning : Don't harm the one present inside.)
Location : xxxxxxxxx square.
Rewards : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 2500 Points Deduction.]

[Ye lijiye... Master! Ho gaya update.]

'Limo what!??? I have to follow a limousine!? Aur aise karna hai ki andar vyakti ko haani na pohuche!? Shitttt!!! Mujhe nahi pata andar kaun hai aur kitne log hai. Wo acche hai ya bure!?'

[Mask lagaiye!]

'Yeah!'

Aur tabhi...

Agle hi pal...

Chauraahe ke ek mod se ek kaali limousine nikli...

Ye pehli baar tha jab Veer live kisi limousine ko dekh raha tha.

Upar se raat ke 11 baj rahe the. Traffic tha... Par utna nahi.

*Vrooooooommm*

Apni Apache ko race dekar...

Veer ne agle hi pal apni bike limousine ke thoda peeche laga dii.

Car ki window tint ekdum opaque thi. Andar ka kuch bhi nazar nahi aa raha tha.

'Wait!!! This is illegal...'

Window tint ki bhi ek limit hoti hai. Absolute opaque rakhna illegal kaam hai aur police ne dekha toh pakke se pakdegi.

Ye baat Veer jaanta tha. Par uske bawajood... Ye limousine me... Windows tints poori kaali thi. Andar ka kuch bhi nazar nahi aa raha tha.

Aur Veer ke andar ki ghabraahat wo apaardarshi window tints badhaate jaa rahi thi.

Jese jese gaadi sunsaan raaste par jaati jaa rahi thi. Veer ka shaq badhta jaa raha tha.

Usse lagne laga tha ki car ke andar baitha vyakti shayad uska shubhchintak nahi tha.

Par uska mission tha car ko rokna.

Jab limousine ek anjaan se sunsaan andhere raaste me ghusi toh agle hi pal Veer ne Apache ko race diya...

*Vrooooooommmmm*

Aur wo car ke aage aaya aur kuch hi duri par usne...

*Screeeeeeeccchhhhhhh*

Zordaar brake maar bike ka pichla chaka thoda skid karaate hue usne bike ekdum beech sadak me aadi khadi kardi.

Achanak saamne aaye vyakti ko dekh, car waale ko bhi ekdum se car rokni pad gayi.

Aur kuch derr tak atyant hi sannaata sa chha gaya.

Veer ki baaj jesi nazre Car par hi tiki hui thi. Bhale hi usse kuch nahi dikh raha tha par...

Par wo poori tarah se chaukanna tha.

Aur ek intense atmosphere bann gaya waha...

Raat ke andhere me... Chaand ki roshni poori tarah se barkaraar thi jiske chalte wo roshni car ki windows par reflect ho rahi thi.

Aur Veer ko jis baat ka darr tha... Agle pal wahi hua.

*Click*

Darwaaza khula... Aur andar se...

Kareeb 8 se 10 log baahar nikle. Sabhi kaali shirt aur kaali jeans pehne hue the.

Unko dekh Veer agle hi pal chaukanna ho gaya. Kya unke iraade nek the ya...!???

*Whoooooosssshhhhhh*

Agle hi shan... Ek wooden stick uski taraf udti hui aayi aur...

*Dodge*

Apna sarr side kar usne khud ko bacha liya.

Aur jo doubt Veer ko tha wo dur ho chuka tha. Wo uske shubhchintak toh katayi nahi the.

[Get ready to fight!!!!]

'Yeahhh!'

Wo sabhi bina ruke aage badhe...

Ek kadam... Do kadam... Aur fir toh seedha daud hi laga dii unn sabhi ne.

Sabhi ke haatho me koi na koi hathiyaar tha. Bhale hi gun nahi thi par melee weapons zaroor the. Lakdi ka bat ho ya hockey ho ya stick ho...

Sabke haath me ek na ek cheez thi.

[Here he comes...]

"Haaaaaaaaaaa~"

Aadmi chillaate hue gusse me aaya aur usne forun hi Veer ke sarr pe apna bat ghumaaya.

*Whooooossshhhh*

'Hmph...!'

*Dodge*

Par... Wo attack Veer ne side lean hote hue dodge kar liya. Usko sambhalne ka mauka na dene ke liye Veer ne agle hi pal apne sarr ke bagal se guzre uske haath se uss bat ko thaama aur apne dusre haath ko fist bana ke back fist uske gaal par jadd di...

"Ughhhhh!!"

Wo ladkhada ke peeche hua par tab tak Veer apna kaam kar chuka tha. Uske haatho me bat aa chuka tha.

"Maaro saale ko..."

Ek chillaaya aur aage aaya...

*Whoooosh* *Swiiiissssshhhh* *Whoooossshhh*

*Dodge* *Dodge* *Deflect*

Usne teen waar kiye par teeno waar... Veer ne do ko asaani se dodge kar liya aur teesre ko poori tarah se deflect kar diya. Bole toh vaar ka nishaana hi badal diya. Jis kaaran uss bande ki hockey stick uske apne saathi ko jaa ke lag gayi.

Aur unn dono me khud ki ladaayi shuru ho gayi.

Ek aur aadmi aage badha...

Jo ki poora madman lag raha tha. Rod ko idhar se udhar bas zorr zorr se ghumaate hue wo aage aaya.

Aur lohe ki rod paas aati dekh Veer ki aankhein ekdum chaukanna ho gayi.

Usne agle hi shan ek backflip maari...

Aur fir lagataar teen back somersault...

Ye acrobatics aur ye movements apne aap nikal rahe the. Kaaran tha Basic Martial Art skills.

Jaha wo aadmi Veer ko dekh surprised the. Wahi Veer khud surprised tha apne inn movements ko lekar.

Bat toh usne kabka fek diya tha. Unke liye... Aaj uski fists hi kaafi thi.

Usne ek martial art stance ko hold kiya aur apne haatho ko ishaara kar unhe bulaaya.

Veer : Come now... Puppies...

Uske baad toh... Uss sunsaan raaste par bas unn aadmiyo ki karaah gunjne lagi.

Ek ek karke Veer ne iss baar shaatirta se ladaayi kii.

Ek saath nahi uljha... Usne unko dur le jaa le jaa kar 2 se 3 toh kahi 3 se 4 logo se fight lii.

Iss baar wo pehle se kahi zyaada focused tha. Apni galti ko dohraana nahi chaahta tha.

Akhiri aadmi se bhidte waqt...

Achanak hi usse pata nahi kya hua ki...

Usne uss aadmi ke attacks smoothly dodge kiye aur fir uska haath ajeeb tareek se khula.

Aur jaake theek uss aadmi ke seene se ek inch ki duri par ruka.

Keval ek shan ke liye...

Ek shan ke liye uski wo khuli hatheli aadmi ke seene se ek inch ki duri par ruki...

Aur agle hi pal...

Uske muh se apne aap kuch shabd nikle...

"One inch punch..."

Aur next moment hi... Uski khuli hatheli ek fist me tabdeel hui aur...

*Poooooowwwwwwwwwwwwww*

Wo aadmi itni tezzi se uchakte hue hawa me udd peeche gira aur itni dur gira ki Veer ki khud ki aankhein aascharya ke maare phati reh gayi...

[Rambo it... Master!!! Hell yeah!!! That was so good.... Yes! Its here... One inch punch!!!]

'Y-Ye!?? Damnnnnnnn....!'

Bas baaki tha... toh Veer jo achraj me waha khada hua tha abhi bhi apni fist hold kiye aur baaki aadmi... Jo karaahte hue sadak par dale hue the.

Veer ne khush hote hue ek raahat ki saas lii...

Par ...

*Clap* *Clap* *Clap*

Apne just peeche se ye awaaz sunn uska shareer kaanp utha.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad! 😁
Don't forget to like and share your thoughts!


Nice update bhai 👍👍👍👍
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,243
143
Okay... This I agree...
It happens. But I still feel that Aabha and Bhumika are being a little left aside. Maybe Werewolf Sir is preparing for them something? I don't know... :hmm:
He is still giving them cameo because he is preparing center stage for them. Abha ka kuch role shayad current journey mein bhi aaye Suman ke past ke saath. Bhumika ka shaayad thoda late hoga, jab Veer hotel industry mein aayega business ke liye.
 

Anas moavia

Active Member
755
1,911
123
Update-48~ Mystery and Plan
Ab tak...

'Y-Ye!?? Damnnnnnnn....!'

Bas baaki tha... toh Veer jo achraj me waha khada hua tha abhi bhi apni fist hold kiye aur baaki aadmi... Jo karaahte hue sadak par dale hue the.

Veer ne khush hote hue ek raahat ki saas lii...

Par ...

*Clap* *Clap* *Clap*

Apne just peeche se ye awaaz sunn uska shareer kaanp utha.'


Ab aage...

Achanak aayi unn taaliyo ki awaaz jese uss sunsaan sadak me goonjne lagi aur Veer ke raungte khade ho gaye. Kuch shan ke baad hi taaliyo ki goonj tham gayi aur sab kuch shaant pad gaya.

Ekdum ekaant sa...

Aur fir Veer dheere dheere palta...

Usne saamne dekha aur jese hi uski nazre saamne hui....

Uski ankhein phati ki phati reh gayi.

Uss limousine se ek vyakti nikal ke baahar aaya tha. Floral shirt, blazer, trouser, black formal shoes aur bas. Uske haatho me kuch nahi tha. Veer iss vyakti se kabhi nahi mila tha. Na hi usse jaanta tha. Par uske saamne khada ye vyakti, pata nahi kyu par Veer ko usse dekh ke hi khatre ki ghanti sunaayi de rahi thi.

Kuch gadbad thi.

Veer ko aisa mehsoos hua jese iss waqt usko yaha nahi hona chaahiye tha.

Ye wahi vyakti tha. Wahi vyakti...

Jisse Veer ne uss din Suhana ke saath hotel me dekha tha. Uss lift me. Bilkul!!!!

Veer ki memory sharp thi. Usse bakhubi yaad tha ki ye wahi insaan tha jo uss din lift me tha. Akhir kese Veer usse bhul sakta tha!?

Wo floral shirt... Uss aadmi ke dress up ki sabse eye-catching cheez thi. Jisse aadmi ek nazar me asaani se bhul hi na paaye.

Par sabse bada sawaal tha. Wo akhir yaha kar kya raha tha!? Inn aadmiyo se uska kya lena dena tha?

Dono ki nigaahe ek dusre ko aise scan kar rahi thi jese maano ek dusre ko ladne se pehle parakh rahe ho.

Veer : T-Tum...!!

Aadmi : *smiles*

Veer ke response par wo aadmi kuch nahi bola bas muskuraaya. Par kisi kaaran vash Veer ko uss aadmi ki muskuraahat aur bhi zyaada khatre ke sanket de rahi thi.

Uski bauhe apne aap sikudi... Aur usne firse pucha.

Veer (frowns) : Tum sab kaun!? And you... You were there in the elevator that night.

Aadmi (smiles) : Ohh! Beshaq! Toh mein yaad hu tumhe!? Good! Good! Toh mein bhi apna intro de du. Right!? So... Well! I go by the name of...

Veer (gulps) : ...

Aadmi (smiles) : SLOGAN!!!

Veer (frowns) : Slogan!?

Veer ne usse dekh ek shan bhi waste nahi kiya aur seedhe...

'Check!'

Par...

[You are not eligible to view this person's status.]

Ek aur bada jhatka laga usse.

Saamne khada vyakti jo kareeb 55-60 saal ki umr ka tha par utne ka prateet nahi ho raha tha. Wo muskuraate hue Veer ko aise dekh raha tha jese uski saari chaale jaanta ho.

Veer (frowns) : Ye sab tumhaare aadmi hai!?

Slogan : Bilkul bilkul! Par yaha pe sawaal toh mera hona chaahiye na!? Tum meri gaadi ke saamne aaye aur gaadi roki... Toh zaahir hai ki mere aadmi tumhe dushman hi samjhenge na?

Veer : T-That...

Slogan : Toh kya mein jaan sakta hu? Ek anjaan ladka meri gaadi ko itni raat gaye follow kiya aur fir saamne apni bike rok mere aadmiyo se lada. Ab iss par apne vichaar rakhna chaahoge tum?

'There's something wrong...!!! I can feel it. I cannot say ki mujhe mission mila tha.'

[Ye aadmi mujhe creepy vibes de raha hai Master! Ugh!]

Veer (frowns) : I think... Tum aur tumhaare aadmi kuch illegal kaam kar rahe hai. Gaadi ki window tints itni black kyu hai!? Transparent kyu nahi!? This is illegal.

Veer ne kuch soch ke ye jawaab diya. Kyuki zaahir sii baat thi. Mission tha ki gaadi me andar thehre vyakti ko chot na aaye. Matlab saaf tha, ki gaadi me koi aisa shaks tha jisse harm na pohuch paaye.

Aur ye log gaadi ki window tints ekdum kaali rakhe hue the. Veer inn sab baato ko parakhne ke baad, uska anumaan ek hi jagah par jaa raha tha.

That...

This was a Kidnapping!!!!

And someone was inside....

Zaroor! Zaroor kuch gadbad thi. Warna aisa mission me likh ke nahi aata. Wo bhi warning me likh ke aaya tha.

Pakke se iss aadmi ne kisi ko agvaah kiya hai aur Windows ka yu kaala hona koi ittefaaq nahi tha balki jaan boojh ke unke sheeshe kaale the taaki andar kya ho raha kisi ko bhi kuch pata na chale.

Aur itne aadmi same dress pehne hue!? Zaahir sii baat thi. There was something definitely wrong.

But what was it!???

Aisa kya tha jo sense nahi bana raha tha? Iska jawaab jaan'ne ke liye Veer ko keval uss limousine ke andar dekhna tha aur bas... Saara ka saara sach ek baar me saamne aa jaata.

Slogan : Mein illegal kaam kar raha hu? Ye windows safety purpose ke liye hai. Aur transport department se permission bhi hai mere paas... Toh bhala kyu nahi!?

Veer ki kuch samajh nahi aa raha tha. Kya ye vyakti waqai begunaah tha!? Kya uska hi system behak raha hai!?

Veer : Mujhe andar dekhna hai... Surely! Yadi kuch illegal nahi hai andar toh... You won't mind right!?

Slogan : Ahem!!! Par kyu!? Kyu dekhne du bhala mein? Mein chaahu toh abhi tumhaare khilaaf complaint kar sakta hu... Akhir dekho! Tumne kitne aadmiyo ko maara hai yaha mere...

'This doesn't makes sense at all... Damn ittt!!!!'

[This guy... Master!!!! Iski baato me mat ulajhiye... I can feel it. Ye baato me uljha raha hai.]

'I know it Pari!!'

Veer : Mujhe bas andar dekhna hai. Akhir mein concerned tha aur isliye follow kiya... So yadi koi illegal kaam nahi hai toh... You shouldn't mind right!?

Slogan : Well!!! Thik hai... Have a look...

Aur wo limousine ke darwaze se side hatt gaya aur Veer ko andar dekhne ke liye permission de diya.

Ahista ahista aur satarkta se bhare kadam badhaate hue Veer unn aadmiyo aur uss Slogan ke paas se guzra aur usne jese hi andar jhaak ke dekha...

Toh usse nazar aaya, ek ladki acchi si dress pehne hue baithi hui thi. Kahi se bhi wo aisi nahi lag rahi thi jo kidnapped kii gayi ho.

Veer : ???

Ladki : Hmm!?

Veer : Aapka naam!?

Ladki : Huh!? Why should I tell you? Aur tumhaare hi kaaran car ruki hai na? Tumne hi uncle ke aadmi ko maara na abhi? Get lost okay!? I'm in my way to home...

Par uss ladki ka jawaab sunn Veer toh ekdum hakka bakka reh gaya tha. Ye sab chal kya raha tha!? Akhir system ne usse ye car rokne ke liye kyu kaha!?

Veer : Ma'am! Aap safe hai na!? Aisa toh nahi ki... Ye sabhi aadmi aapko majboor kar kahi le jaa rahe hai!?

Ladki : What the hell? Are you mad or what? Ab iss se pehle ki mein police ko phone karu tum nikal lo yaha se samjhe!? Uncle chaliye na...! Kaafi neend aa rahi hai mujhe.

Veer ko laga tha ki shayad unn aadmiyo ke darr se ye ladki sach chhupa rahi hogi par aisa toh kuch bhi nahi tha. Wo toh poori tarah se normal lag rahi thi. Akhir kya chal raha tha yaha pe!?

Aur isliye ek baar aur confirm karne ke liye, Veer ne wahi kiya...

'Check!'

[Name : Priya

Age : 24
Bio : Priya! Ek xxxxxxx college ki student hai. She loves to go into the parties and dancing. Thodi selfish hai. Paiso ka guroor bhi hai. Priya ke Dad ek rich business man hai.

Favourability : 2
Relationship : Strangers]

Par status padhte hi Veer ko ek aur bada jhatka laga. Ye ladki kisi bhi danger me nahi thi. Everything was completely normal.

Then why this mission!?

Akhir system uss se karwana kya chaah raha tha!? Yu itni raat gaye kisi ki gaadi rokna? What the hell was wrong with this system!?

Veer awkwardly darwaaze se peeche hata.

Slogan (smiles) : Ab yakeen ho gaya!?

Veer : Y-Yeah... Sorry for that...

Slogan : Yadi tumhare intentions galat hote na ladke toh tum bhaari musibat me pad sakte the.

Veer : Y-Yeah!!

Aur Veer waha se bina kuch kahe hi jaane laga. Usse samajhne ke liye ab ekaant mahaul chahiye tha taaki wo samajh sake ki ye sab behanchod hua kya uske saath.

'Pari! Ghar pohuch ke... I need an explanation.'

[Even... I... I don't know master. System ne aisa Mission bhala kyu generate kiya hoga!? Jiska koi matlab hi nahi tha!?]

Par ye baat hamari bechari Pari bhi nahi jaanti thi. Kya waqai system ne ek sahi mission generate kiya tha? Ya ye koi internal malfunction tha system me!?

Jo kuch bhi ho, iska answer jaan'na Veer ke liye boht zaroori tha.

Abhi wo apni bike utha ke key ghuma hi raha tha jab peeche khade unn logo ki kuch awaaz uske kaano me padi.

Ek aadmi Slogan ki taraf muda aur bola,

"Usne sahi kaha tha Dada... Bilkul wesa hi hua. Ye toh jaadu ki tarah hai. Usko kese...!?"

Par iske pehle ki wo kuch keh paata. Slogan ka haath tezzi se ghuma aur ek tamaacha uss aadmi ke gaal par pada. Bechaare ke kaan me seeti bajne lagi itni zorr se wo jhaapad pada tha usse aur agle hi pal wo shaant pad gaya.

Veer ne ek baar fir shanka me unhe peeche mud dekha par fir gaadi chaalu kar wo nikal gaya.

Uske jaane ke baad ab keval Slogan aur uske aadmi hi bache hue the.

Steve, Slogan ka right hand aadmi jo kaafi derr se chup tha aur uske peeche khada hua tha wo aage aaya apne Dada se kuch kehne ke liye par jese hi usne apne Dada ki aag baboola aankhein dekhi toh uske shabd muh me hi reh gaye.

Slogan : Steve!!!

Steve : J-Jii Dada!

Slogan : Taiyaariya kesi chal rahi hai!?

Steve : Sab taiyaar hai Dada!

Slogan : Good!

Slogan andar limousine me baithne jaa hi raha tha jab Steve ne himmat kar puch hi liya.

Steve : D-Dada!!

Slogan : !??

Steve : U-Uss... Uski baat sahi nikli... Bilkul wesa hi hua... Ye sab...!?

Slogan : Aaj tak... Aaj tak iss Slogan ko kabhi koi darra nahi paaya hai Steve. Wo koi chhal kiya hai. Dekh lenge usse bhi.

Aur itna bol wo ghus gaya car me.

Ye sab kya baatein thi jo ye kar rahe the!? Kiske baare me baatein thi ye? Ye keval wahi jaante the.

***

Few Days later...

Uss raat uss ajeeb se mission ke baad, Veer ki life kuch shaant sii thi. Sabse strange baat par uss mission ki hi thi.

Uss raat jab Veer waha se lauta toh ghar pohuchte hi usse notification mil gaya tha.

*Ding*

['Mission : Follow the black limousine and stop it at all costs' has been completed.]

*Ding*

[200 points have been rewarded.]

Ye jese aur bhi bada surprise tha uske liye. Usse uss mission ke baare me toh kuch jaankaari nahi mil paayi par zaroori baat ye thi ki mision complete ho chuka tha aur toh aur...

200 points eksaath.

'Uss raat... Kuch aisi cheez hai Pari... Jisse hum dekh nahi paa rahe hai. I don't think ye system ka koi malfunction hai. Kyuki iss se pehle kabhi system ne aise behave nahi kiya hai.'

[I agree master! Wait I can do something.]

'Kya!?'

[Mein ek diagnostic run maar sakti hu. Uss se pata chal jaega ki system me kahi kuch kharaabi hai ya nahi!]

'Do it right now then!'

Veer ke nirdesh anusaar Pari lag chuki thi apne kaam me. System ko check kar rahi thi. Taaki yadi koi bhi error ho toh saamne aa jaaye.

Par...

[Everything is fine Master. There's nothing wrong!]

'Damn it!!! It doesn't makes any sense. System wanted me to not harm that girl. Iska matlab kahi mujhe keval uss se milwana toh nahi tha!? But she's just a rich girl. Usme koi aisi khaasiyat nahi hai. I don't think that's the case. Wait! Kahi... Wo kisi aise ko jaanti ho? Jis se future me mujhe milwaye wo!? Aur hamari mulaqaat ho? Isliye shayad system ne mujhe usse harm na pohuchaane ke liye kaha!? But no... Akhir milwaane ka matlab kya? Upar se mera pehla impression hi bekaar tha uske liye...'

[Kuch bhi ho master. Aapko ab pehle se zyaada alert rehna padega.]

'Yeahhh! Aur tum level 5 se kitni dur ho?'

[I'm almost there. One more Mission aur mein level 5 pe hehe~]

'Hmm!'

[And you will get surprises then... Hehe~]

'Hmm? Of course! Harr level up pe kuch na kuch internal feature unlock hota hai. Right!?'

[Yeah! Par iss baar aur bhi boht kuch hai. It will be a great surprise!]

'Meri umeede na jagao.'

[I promise Master! You know how much I love you right? Jhooth thodi bolungi.]

'Hmm... Alright! Let's go! Suhana ne business ke baare me discuss karne bulaaya hai. I need to earn money fast. Miss Kaera se milna padega. She's damn good in business.'

[Yesssssss!]

***

Same day...
At Veer's old house...

Raat ka waqt tha. Hall me hi ghar ke mukhiya Manorath viraajmaan the aur ek naukar unke perro me tel laga ke unki maalish kar raha tha.

Ussi hall me maujood couch par dono bhai, Vivek aur Pranjal baithe hue the jo ishaaro hi ishaaro me na jaane kya baatein kiye jaa rahe the.

Brijesh abhi tak ghar nahi lauta tha aur Karunesh bhi. Ghar me Sumitra, Arohi aur Kavya hi maujood thi aurato me.

Bhumika aur Shweta, bole toh Veer ki Sauteli behan aur Maa dono hi apni hotel me thi aur wo aksar raat me saara kaam kaaj waha ka nipta ke hi ghar lautati thi.

Kavya aur Arohi ek hi room me apni baato me lagi thi aur Sumitra ghar ki maid ke saath khaane ki taiyaari kar rahi thi.

Jab Pranjal ko mauka sahi laga toh usne apni baatein rakhna chalu kiya.

Pranjal : Dada jii!

Manorath : Hmm?

Pranjal : Dada jii! Aap akhiri baar hamaari kul devi ke mandir kab gaye the?

Manorath : Hmm? Accha... Beta kayi saal ho gaye.

Pranjal : Ye kya Dada jii!? Naya saal aa raha hai. Aur naye saal ki shuruaat me mere khayaal se aapko udhar jaana chahiye. Mein toh bachpan me gaya tha. Mujhe toh yaad bhi nahi waha ka kuch bhi. Kyu na hum log waha hoke aaye!?

Vivek : Chota sahi keh raha hai Dada jii! Akhir... Itne saal ho haye aapko khud ko gaye. Aur mein toh last time gaya bhi nahi tha. Naye saal ki shuruaat yadi devi jii ke ashirvaad se ho toh kitna badhiya rahega.

Dono ne jab ye baat kahi toh Manorath ko bhi waqai laga ki baat ekdum sahi thi. Jab naye saal me aadmi acche dhan, sukh, samridhhi prapti ki iccha karta hai toh sabse pehle Bhagwaan ko hi yaad karta hai. Aaj Manorath ke paas bhagwan ka diya sab kuch hai. Toh aise me usse apni kul ki devi ka ashirwaad lene waha jaana hi chaahiye aur waha pe bhi kuch karwaana chaahiye.

Manorath : Tum dono ki baat bilkul sahi hai. Waqai! Hume jaana chaahiye...

Pranjal (smiles) : Waqai!?

Manorath (smiles) : Kyu nahi beta!? Bilkul! Hum saparivaar jaenge... Hamaari taraf se mandir me jo kuch bhi ban padega hum karenge aur udhar bhandaare ka aayojan bhi karenge. Naye saal ki ye shuruaat devi jii ke ashirvaad se hi honi chaahiye. Bilkul! Mujhe ye jaan ke behad khushi hui ki aaj ke iss samay me bhi mere pote... Pooja paath se kitna jude hue hai. Wahi tumhaare pita ko dekho... Unn dono bhaiyo ko... Hmph! Subah shaam paisa paisa paisa... Aaj bhojan ke liye late hue toh dekhna kya haal karta hu unka.

Pranjal : Ye hui na baat Dada jii! Bas toh fir tay raha. Hum sabhi 31st ko jaenge aur ek raat wahi theher ke new year mana ke waha se lautenge.

Manorath : Par mujhe ab bhi vishwash nahi hota. Tum dono naya saal manaane ke liye udhar gaav jaane ke liye ready ho gaye!?

Pranjal : Harr saal toh hum hotel ya kahi aur party kar naya saal manaate hi hai na Dada jii? Fir ek saal gaav me jaane se aisa thodi hai ki koi nuksaan ho jaega hamaara? Aur hum toh devi jii ke liye jaa rahe hai. Wo toh jaha bhi viraajmaan ho wo harr bhumi shubh hai.

Pranjal ki baat sunn Manorath ki aankhein namm ho gayi aur wo apna chashma nikaal apni aankhein malne lage.

Manorath : Mere pote kitne samajhdaar hai. Devi jii ki kripa hai sab.

Pranjal : Aur Dada jii...

Manorath : ??

Pranjal : Darasal mene ye request isliye saamne rakhi kyuki... Mein devi jii se ek khwaaish maangna chaahta hu...

Manorath : ??

Pranjal : ki jald se jald Veer aur Tau jii ke beech jo bhi jhagda hai wo khatam ho jaaye aur mera pyaara bhai ghar laut aaye. Mein uska poora khayaal rakhunga. Uske bina ye ghar adhoora hai Dada jii. Mujhe yakeen hai ki devi jii meri baat zaroor sunengi aur Veer aur Tau ji ko dekhna aap ek karwa dengi...

Veer ka zikr hote hi Manorath ekdum shaant pad gaye. Unhe Veer ka hi chehra apne mann me nazar aane laga.

Manorath (mann me) : Mera Veer...

Manorath : Veer ko bhi hum..

Vivek : Wo... Veer Ragini ke saath ruka hua hai Dada jii. Chinta ki koi baat hi nahi hai. Ragini ki saheli bhi uske ghar me hai. Toh aisi koi chinta ki baat hi nahi. Meri bhi yahi khwaish rahegi devi jii se... Ki jald se jald Ragini ghar laut aaye.

Manorath : Isme galti saari tumhaari thi. Hmph! Fir bhi... Devi jii ka naam leke sacche mann se iccha maangna aur Ragini bitiya ke paas jaa kar maafi bhi. Dekhna wo zaroor laut aaegi.

Vivek : J-Jii Dada jii!

Aur Manorath itna bol apni aankhein band kar apne chintan me doob gaye toh wahi Pranjal aur Vivek ek dusre ko dekh rahe the. Na jaane kya vichaar chal rahe the unke mann me.

Kuch boht bada hone waala tha shayad...

***

30th December...
At Night...
Nidhi's House...

Nidhi as usual apne khaana banaane me vyast thi andar kitchen me toh wahi Shreya aur Juhi hall me baithe hue the.

Juhi toh apne T.V me lagi hui thi par Shreya apne hi vichaaro me leen thi.

'Meri job already lag chuki hai. Aur earning bhi theek thaak hai. But still... Hamesha mera dhyaan youtuber bann'ne ke liye jaata hai. I want to do it. But uske liye mere PC ko accha khaasa banaana padega pehle... Uske baad ek accha internet connection. Uske baad hi kuch ho paega. Maybe part time me mein stream kar sakti hu. Yeah! Right! And I can even invite Veer to join my stream... Dheere dheere meri popularity badhti jaegi. People will knowa about me. About Veer too... Ohh it's so romantic. Veer aur mein saath me stream karenge! People will comment about us ki are you both in relationship!? Haha~ We will react to videos together... Play games together. It'll be so...'

"Shreyaaaaaaaaaaa!!!"

Par iske pehle ki Shreya apne mann me bann rahe laddu khaa paati, andar se Nidhi ki awaaz jese usse hosh me laayi.

Shreya : H-Huh!? K-Kya!?

Nidhi : Andar aao thode ye aalu rakhe hai mene cooker me... Inhe peel kar do.

Shreya : Alright!!!

Aaj ghar me aalu ke paraathe bann rahe the jo Shreya ke favourite the. Wo bhi Nidhi ke haatho ke. Toh wo madad karne se peeche kese hatt sakti thi? Akhir Nidhi itne pyaar se uske liye jo bana rahi thi.

Shreya : Dii!

Nidhi : Hmm!?

Shreya : Kal ka kya plan hai!?

Nidhi : Kya!?

Shreya : For god's sake... Dii! Kal saal ka akhiri din hai. Naya saal aane waala hai... Aur aapka koi plan nahi hai?

Nidhi : I-I don't have any... Aur kya naya saal? Harr saal ek jese hi guzarte hai mere... Mere liye koi naya saal nahi hai...

Uski awaaz sunn Shreya ka mann maayus ho gaya. Isme bechari Nidhi ki koi galti nahi thi. Galti thi toh bas uski kismat kii. Par Shreya nahi chaahti thi ki uski behan ka ye saal ka akhiri din itna sadhaaran tareeke se beete...

Usne fatafat aalu peel kiye aur Nidhi ko diye aur wo jhatpat apne phone leke hi kitchen me ghusi aur kisi ko call karne lagi.

Aur jese hi udhar side se kisi ne phone uthaaya toh Shreya ne baat karna shuru kii...

Shreya : Haan hello Veer!??

Aur bas...

Veer ka naam sunte hi Nidhi ek jhatke me palti aur usne Shreya ko dekha. Jese maano puchna chaah rahi ho ki bhala Veer ko kyu call kari thi woh.

Par Shreya ne Nidhi ko dekhne ke bawajood usse ignore kar diya aur apni baatein jaari rakhi.

Shreya : Wo... Kal saal ka akhiri din hai. Toh tumhara kya plan hai!?

Veer : Filhaal toh koi plan...

Shreya : Ohh that's so great toh tumhara koi plan nahi hai!? Wonderful!

Veer : H-Huh!?

Shreya apne baalo ke sath khelte hue Veer se baatein karti jaa rahi thi aur Nidhi ko bhi dekhti jaa rahi thi jo palat palat ke beech me usse dekh rahi thi.

Shreya : Toh tay raha... Tum mein Juhi aur Dii... Hum sabhi raat me celebrate karne chalenge. Okay!?

Veer : ???

Veer toh surprised tha hi par sabse zyaada surprised thi Nidhi kyuki wo ek jhatke me palat gayi.

Veer : Umm... Well... Kya Ma'am ready hoengi? I don't think unke paas time ho...

Shreya : Of course! Dii ready hai! She's all prepared...

Nidhi (shocked) : Shreya tum...

Shreya : Ohh! Lagta hai Dii ko tumse baat karni hai... Ye lo Dii...

Nidhi : W-Wait...!

Aur agle hi pal Shreya ne apne haatho se phone seedha Nidhi ke kaano me laga ke usse thama diya...

Nidhi : ....

Veer : ....

Shreya nahi jaanti thi ki Veer akhiri time Nidhi se jab mila tha toh thappad kha ke gaya tha. Toh aise me iss waqt Nidhi se baat karna kitna awkward tha uske liye ye baat wo nahi jaanti thi.

Aur na keval Veer ke liye balki Nidhi ke liye bhi ye utna hi awkward tha.

Nidhi : ...

Veer : Umm... Hello!?

Veer ki awaaz sunn Nidhi ke honth khule par fir achanak hi band ho gaye. Na jaane kyu wo itna katra rahi thi.

Usne bebas nigaaho se Shreya ko dekha par Shreya toh jese aur encourage kare jaa rahi thi.

Shreya : Kya hua? Aree baat kariye...!

Aur majbooran Nidhi ko muh kholna hi pada.

Nidhi : H-Hello!?

Veer : Hello... Ma'am!! Wo... Shreya jii ne kaha... ki kal ka plan hai... Kuch...

Nidhi : Umm...

Veer : ???

Nidhi : Wo...

Par Nidhi kuch keh paati tabhi baahar washroom se Juhi ki awaaz aayi...

"Maaaasiiiiii.... Sabun khatam ho gaya hai..."

Shreya : Aayi Juhiii....

Aur Shreya agle hi pal baahar nikal gayi.

Ab bache the toh keval Nidhi aur Veer phone pe. Ye atmosphere aur bhi awkward ho chuka tha unn dono ke liye.

Veer : Wo... I'm sorry ma'am. Y-Yadi... Aap mujhse baat nahi karna chaahti then it's okay. Don't worry! Mein yaha se call cut kar deta hu... Shreya jii ko bol dunga network problem thi. It's.. it's totally fine. So...

Nidhi : N...Noooooo!!

Par agle hi pal ek desperation se bhari awaaz Nidhi ke muh se nikli...

Nidhi : A-Aisi koi... koi bhi baat nahi hai.

Veer : I... I see!

Nidhi : ....

Veer : So!? Umm... Aapne mujhe maaf kar diya!?

Nidhi : I... Hmm!

Veer : O-Okay!!! You know... Mere wese koi bhi intentions nahi the ma'am. I... I don't know... I just wanted to hold you.

Nidhi bechaari ye sunte hi... Uski aankhein hairaani ke maare felti chali gayi aur uski saasein bhi lambi hone lagi...

Veer : I mean... Just to give you... Emotional support you know. M-Mera koi bhi galat iraada nahi tha. S-So... I just wanted you to know ki... Mein aapki maayusi sehan nahi kar paata... And I always miss you. Aisa nahi hai ki mein apni Bhabhi ke ghar me hu toh ab mujhe aapke ghar ki yaad nahi aati. I always think of you... I mean... All of you...

Shreya : Ho gayi baat!? Lao do mujhe...

Shreya washroom se aayi aur Nidhi ke haatho se usne phone le liya aur baahar chali gayi.

Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.

Par...

Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.

Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like maarne ka aur apne thoughts rakhne ka. 😁
Dhanyavaad!
Nice update bhai 👍👍👍👍
 

Anas moavia

Active Member
755
1,911
123
Update - 49 ~ The Last Day of the Year
Ab tak...

Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.

Par...

Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.

Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.


Ab aage...

31st December...
At Morning...

Kal Shreya se jab Veer ki phone par baat hui thi toh Veer ki haami liye bagerr hi Shreya ne usse apne plan me shaamil kar liya tha. Aur tay hua tha ki aaj ki raat Veer, Shreya, Nidhi aur Juhi sabhi saath me enjoy karne jaenge aur late night tak naye saal ka swaagat kar thoda celebration kar ke hi ghar lautenge.

Veer ko uss mission ke 200 points mil chuke the par abhi tak usne unn points ko spend nahi kiya tha siwae 10 points ke. Usne Appearance me 10 points kal raat me hi invest kar diye the. Aur ab uske stats kuch iss prakaar se the.

[ Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100]

Veer shayad apne bache hue points ko ekdum effectively use karna chaahta tha. Shayad shop me aisi kisi anokhi skill ki talaash thi usse jo uske behad kaam aa sake.

'Show me my full status Pari!'

[Sure thing, Master!]

[Name : Veer

Age : 21
Status : Student

Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100


Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)

System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration.

Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 84)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 58)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 30)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 60)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 52)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 64)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 85)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 59)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 50)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 80)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 55)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 20)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 8)

System Level : Level 4
(56 EXP more to reach Level 5)]

'Hmm!! I need to earn money and need more points. Meri priority yahi hai abhi.'

[Right master!]

'So!? Umm... Miss Kaera ki favourability nahi dekh sakta kya mein!?'

[Dekh sakte ho but not now. Yadi kisi ka status nahi dekh sakte toh aap uski Favourability bhi nahi dekh paoge.]

'Hmm! I see! Alright! Let's go...'

Aaj Veer ke 2 jagah plans the. Ek toh wahi Shreya aur baaki sabhi ke saath raat ka plan tha aur dusra Ragini aur baaki sabhi ke saath.

Jab Veer ne ye baat bataayi thi ki wo raat me free nahi rahega, ye sunn ke Ragini kaafi udaas ho gayi thi. Par usne behla fusla ke Ragini ko jese tese mana liya aur din me ghoomne chalne ko keh diya. Yaha Veer ko ek aur baat jaan'ne ko mili ki Kavya aur baaki sabhi parivaar ke saath kul devi ke mandir ke liye subah nikal chuke the.

Beshaq! Veer iss achanak trip se unki thoda aascharya chakit tha par usne zyaada nahi socha. Kavya ka kehna tha ki uske Dada jii ne Veer ko saath le chalne ke liye bhi bola tha par Vivek ne beech me kood kar Dada jii ke kaan bhar diye aur wo baat wahi tal ke reh gayi.

Kherr! Aaiye, toh wahi chal ke dekhte hai ki waha kya chal raha tha iss waqt...

Iss samay subah ke 8 baj rahe the aur sabhi ghar waale do badi badi gaadiyo me baithe hue the apni aur apne gaav ki orr jaa rahe the.

Veer ke parivaar ke poorvaj saalo se uss devi mata ki pooja karte aaye the aur uss mandir ki sthaapna bhi unke poorvajo ne hi kii thi par jese jese samay guzarta gaya aur aane waali peedhi sheher se judti gayi, wo mandir dheere dheere waha ke trust me samarpit kar diya gaya.

Kaaran!? Kaaran tha ki ab Veer ka parivaar sheher me panap raha tha aur ghar ka koi sadasya roz roz mandir ki dekh bhaal ya chakkar lagaane ke liye kisi ke paas itna samay nahi tha. Toh uss mandir ko wahi ke trust me samarpit kar diya gaya. Ab uss mandir ki poori zimmedari unn trust waale logo ki thi.

Par aaj bhi, jab bhi Veer ka parivaar, khaas kar Manorath jii jab bhi waha jaate the, gaav ke sabhi log unhe bade hi aadar aur satkaar ke saath unka swaagat karte the. Yaha tak ki wo ye bhi kehte the ki ab bhi ki wo mandir unhi ka hai aur hamesha unhi ka rahega. Shayad aaj bhi unki acchi khaatirdaari hone waali thi.

Unn do cars me se, ek car me Brijesh sang Bhumika, Shweta, Kavya aur Manorath viraajmaan the.

Toh wahi dusri me Karunesh sang Sumitra, Vivek, Arohi aur Pranjal.

Dono hi car me do drivers the. Sheher se kuch ghanto ki duri par hi unka gaav tha.

Kavya : Dada Jii aapne... Veer bhaiya ko nahi bulaaya!?

Manorath : Beta mene kaha tha par Vivek bola ki aaj Veer shayad kahi aur jaa raha hai... Meri toh koi sunta hi nahi hai. Jese jese budha hota jaa raha hu, meri baato ko ab log hawa me udaate jaa rahe hai.

Brijesh : Papa jii... Aisi baat kyu keh rahe ho aap!? Hum sab aapki baat maante hai. Ab uss baare me charcha mat kariye aap. Mandir jaa rahe hai, accha mood rakh ke chaliye.

Brijesh ki iss baat pe sabhi shaant pad gaye. Wo aage driver ke sang baitha hua tha. Toh wahi peeche side ki seat par Manorath aur unke bagal se Kavya, fir Bhumika aur fir Shweta.

Bhumika : Aaj saari responsibility Nandini ko deke aayi hu Mom.

Nandini unke hotel ki manager thi. Jo sab kuch badi hi acchi tareeke se manage kar leti thi.

Shweta : Hmm! Chinta ki koi baat nahi hai. Wo acche se dekh legi.

Bhumika : Hmm! Bas koi bada client ya guest na aa jaaye. Aur aisa na ho ki kuch problem ho jaaye.

Shweta : Don't overthink! Just enjoy the day mera baccha...!

Bhumika (smiles) : Hmm!

Aur kuch ghanto ki doori tay karne ke baad hi wo pohuch chuke the apne kuldevi ke mandir.

Sabhi ka waha harr baat ki tarah bade hi aadar ke saath swaagat kiya gaya. Saath hi saath waha unke rukne aur khaane ki bhi vyavastha kii gayi.

Darshan kar lene ke baad sabhi khaana khaane me lage hue the jab Vivek aur Pranjal aapas me baith na jaane kya baatein kar rahe the.

Pranjal : Saara plan ready hai bhaiya... Bas derr hai toh usse anjaam dene kii...

Vivek : Nahi chote... Aaj nahi...! Hume wese bhi kal nikalna hai. Aaj risky hai. Kal karna... Wese bhi yaha se naashta karne ke baad hi niklenge hum.

Pranjal : Thik hai bhaiya! Kal sahi fir...

Na jaane dono kis plan ko anjaam dene ki baat kar rahe the.

***

Idhar Veer din me apne parivaar ke saath ho rahi baato se anibhigya Ragini aur baaki sabhi ke saath aaj ghoomne nikla hua tha.

Par achanak hi raaste me usse nazar aaya ki kuch ladies kisi kapde ki sale par humgama kar rahi thi.

Veer : Kya ho raha hai udhar!?

Ragini : Virodh!

Veer : Virodh!? Kesa virodh!?

Ragini : Umm... Wo dekho na... Mahila mandal jama ho gaya poora udhar. Kisi sale ki peeche ladaayi ho gayi hai. Shayad kuch ghapla kiya hai sale waale ne. Isliye aurate itni awaazein laga rahi hai.

Aur waqai! Jab Veer ne dhyaan se dekha toh usse samajh aaya ki naye saal ki sale ke bahaane kapdo ka business karne waala aadmi kuch phate aur bekaar pieces ko nikaalne ke liye ye sale rakha hua tha. Aur wo kapdo ki wrapping ko kholne nahi de raha tha.

Jab kuch aurato ne khol ke kapdo ki jaanch kii toh unhone dhaava bol diya. Ittefaaq se mahila mandal wahi se kahi aur jaa rahi thi aur ye virodh dekh wo bhi unke saath jud gayi aur poori tarah se waat laga dii uss dukaan daar kii.

Ragini (sighs) : Harr sale me kuch na kuch hota hi hai.

Veer bade hi dhyaan se sab kuch dekh raha tha aur achanak hi jese uske dimaag ki ghanti baji aur agle hi pal uske hontho par ek muskaan bikhar gayi.

Veer : Bhabhi!

Ragini : Hmm!?

Veer : Meri aap se ek request hai. Aap poori karogi!?

Ragini : Hmm? Okay! Kya baat hai!?

Veer : Kya aap... Kya aap Suman jii ko sheher ke poore taur tareeke sikha sakti ho? Mera matlab hai saare niyam kaayde, khareed-daari se leke devices ko operate karna sab kuch. Ek modern vyakti ka poora knowledge jitna apa de sakti ho... Kya aap kar sakti ho?

Ragini (surprised) : Huh!? P-Par ye ekdum se aise kyu!?

Veer : Suman jii ne mujhse hi khud kaha tha. Kyu hai na!? Suman jii!?

Suman : E-Ehhh!? Ohhh! Haa haa! Mene kaha tha...

Suman baat ko samajh forun hi haa me sarr hilaayi aur apni razamandi dii. Par uski samajh me nahi aa raha tha ki uske maalik ke dimaag me akhir chal kya raha tha.

Ragini : O-Okay! Mein apni poori koshish karungi inhe sab kuch bataane me...

Veer (smiles) : Thank you Bhabhi!

Ragini : Umm... It's okay!

Lunch ke samay, Ragini aur Veer agal bagal hi baithe the jab Veer ne Ragini ke chehre par maayusi ko turant hi bhaanp liya...

Veer : Aap pareshaan lag rahi ho Bhabhi!

Ragini : Huh!? N-Nahi toh!? Mein bhala kyu pareshaan hone lagi!?

Veer : Jhooth mat boliye! Mujhse toh bilkul bhi nahi! Vivek bhaiya ka call aaya tha na!?

Veer ki baat sunn Ragini iss baar dheere se haa me sarr hilaayi aur apne nigaahe neeche kar baith gayi.

Veer : Kya kaha unhone!?

Ragini : Wo... Wo sabhi aaj hamaari kuldevi ke mandir gaye hai.

Veer : Unhone aap ko bhi bulaaya hoga!?

Ragini (nods) : Umm...

Veer : Toh!??

Ragini ne apni nigaahe upar kar ek pal ke liye usse dekha... Unn aankho me nami jo panap rahi thi wo Veer asaani se dekh paa raha tha.

Ragini : I... Mein... Mein kabhi bhi mandir ke naam par devi ka tiraskaar nahi karti mana kar ke... Par...

Veer : ....

Ragini : Par...

Veer : Aapka mann nahi kiya zara bhi...

Ye vaakya sunn Ragini chaunki aur Veer ko ghurne lagi.

Bhala uske mann ki baat Veer ne kese bhaanp lii thi!?

Veer : Itne dino se aap ke saath reh raha hu. Thoda boht toh mein bhi aapko samajhne laga hu.

Kehte hue usne jese hi apna haath Ragini ke haath ke upar rakha toh bechaari Ragini ki idhar haalat hi bigadne lagi. Wo phati aankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.

Uske gulaabi honth khule... Par keval halki sii hawa hi baahar nikli, koi shabd nahi.

Aur aankhein jyo ki tyo Veer par tiki thi.

Veer : I don't know ki aap kya decision logi. But aap jo bhi decision logi. Hum sab aapke saath hai. But if... Yadi aapne Vivek bhaiya se sach me alag hone ka decision liya then... I was wondering ki... Kya hum aise hi reh paenge!? I mean... Fir aap uss ghar ki sadasya nahi rahogi aur mera aur Suman jii ka aapke ghar rukna...

Wo apni baat aage rakh paata ki uske pehle hi Ragini ne apna haath uske hotho par rakh usse rok diya.

Ragini : Veer! Mein uss parivaar ki sadasya rahu ya na rahu. Tum aur Suman jii mere apne sadasya ho. Wo ghar mera akele ka nahi hai. Tum sabhi ka bhi hai. Aur kya karungi mein itne bade ghar me akele reh ke!? Bhulo mat Veer... Tum bhi... Uss parivaar se alag ho chuke ho. Toh aise me yadi mein bhi hoti hu... Toh... Aren't we the same!?

Usne muskuraate hue kaha par Veer jaanta tha. Ki uss smile ke peeche kaafi kuch chhipa hua tha. Jisse shayad vyakt karna abhi Ragini ke bas me nahi tha.

Aur bilkul wesa hi hua... Bhaavuk hote hue Ragini ne forun hi apna chehra ferr liya aur jab usne dekha ki Suman samet sabhi counter se waapas uski aur Veer ki taraf aa rahi hai toh forun hi apni aankhein mal seedhi hokar baith gayi.

Ant me unn sabhi ne thoda enjoy kiya jiske chalte Ragini ka mood kaafi hadd tak theek ho chuka tha.

Par ab samasya thi raat ki...

Veer ko Nidhi ko jo face karna tha. Wese toh Nidhi ne usse maaf kar diya tha. Par...

Pratkyash aamne saamne milna ek alag baat thi.

Aur zaahir hai ki dono ke beech awkwardness barkaraar rehne waali thi.

***

31st December...
At Night...

Veer apni bike par tha aur wo theek Nidhi ki society me hi neeche khada hua tha jab Nidhi samet Juhi aur Shreya neeche utarti hui aayi.

Shreya : Arre kya koi mehmaan ho tum haan!? Jo ek minute ke liye bhi upar nahi aa...

Par uske bol wahi tham gaye jab usne paas aate hue Veer ko dekha.

Appearance me 10 points daalne ka asar tha ye!?

Shreya (blushes) : You... You look good!

Veer (smiles) : Thanks!

Shreya (blushes) : Aisa... Aisa kya laga rahe ho aajkal huh!? Hume bhi bata do...

Veer (smiles) : It's a secret!

"Maaaaaamuuuuuuuu!!!"

Aur beshaq! Veer ko dekhte hi uski pyaari fuljhadi bole toh Juhi sarpat daudati hi aayi aur uske perr se lipat gayi. Veer ne forun hi usse godi me uthaay aur uska gaal choom liya.

Veer : Aa gayi Juhi!? Kya pehni ho aap!? Ohhhh! New jacket!??

Juhi : Hmm! Maasi ne dilaayi!

Veer : Kya baat hai!? Boht kharche ho rahe hai!?

Shreya : Kyu na honge!? Ab mein kamaane jo lagi hu.

Veer (smiles) : Hmm!

Shreya (blushes) : Wese bhi... Sab tumhari hi wajah se toh hai.

Veer aage kuch keh pata ki tabhi...

*Tuck* *Tuck* *Tuck*

Usse heels ki awaaz sunaayi dii aur usne dekha ki Nidhi ek khubsoorat sii saree pehne aur ek shawl upar daale neeche aa rahi thi.

Aaj wo itni khubsoorat dikh rahi thi ki Veer khud apne aap ko kuch derr yu taktaki lagaye usse dekhne se na rok saka.

Dono ki hi nazre mili aur pal bhar ke liye dono hi jese bhul gaye ki wo dono akele nahi hai. Aas paas bhi log hai.

Shreya : Toh chale!?

Veer : Ah! Y-Yeah! Right!

Juhi : Mein Maamu ke saath baithungi... Aage bike pe...

Shreya : Huh!?

Nidhi : Nahi Juhi! Mere saath baitho chalo. Maasi ko baithne do unke saath. Hum apni scooty me chalte hai.

Wese toh iss baat se Shreya boht khush thi ki usse Veer ke saath baithne ka mauka mil raha tha par fir bhi... Wo apni behan se bhi utna hi pyaar jo karti thi. Aur uski fiqr bhi.

Nidhi saree me thi. Aur aise me scooty chalana wo bhi Juhi ko lekar, raat ke waqt. Ye kitna kathin tha wo jaanti thi. Aur khatarnak bhi ho sakta tha.

Isliye...

Shreya : Nahi dii! Aap aur Juhi Veer ke saath baithiye! Aapne saree pehni hui hai Dii. Dikkat jaegi. Aur mera kya hai? Mein toh jeans me hu. Mein scooty se chalti hu.

Nidhi ne ek pal Veer ko dekha jo bina kuch kahe hi uske nirnay ka intezar kar raha tha aur fir akhir kaar Nidhi ne finally dheere se haa me sarr hilaaya aur Veer ke theek peeche jaake wo baith gayi.

Ye pal...

Veer ke hontho par apne aap hi muskaan laa diya. Aise hi toh ek saath baith ke college se lauta karte the wo. Aise hi toh Nidhi uske peeche yu baitha karti thi. Aaj itne dino baad ussi anubhuti ko firse mehsoos kar paa raha tha Veer. Par sabse aham baat ye thi ki iss waqt chaand bhi apne poore rang dhaaya hua tha. Poora chamak raha tha aur apni roshni bakhoobi bikhere hue tha.

Aur finally Veer aur baaki sabhi society se nikle.

Raat ka plan simple tha. Koi acchi si jagah jaake pehle thoda entertainment. Fir dinner aur ant me new year celebration ke fireworks dekhne ka plan.

Sabse pehli jagah Veer aur baaki sabhi amusement park me gaye the. Amusem park toh nahi tha, ek pradarshini lagi hui thi. Bhale hi amusement park se thoda chota tha par rides idhar bhi thi.

Juhi baccho waali rides enjoy kar rahi rhi, toh wahi Shreya uski photos utaar rahi thi. Aur wahi Veer aur Nidhi side me khade unhe dekh rahe the.

Juhi : Mummyyyyy! Mujhe wo bade waale me baithna.

Usne ishaara karte hue kaha. Uska ishaara Giant wheel ki orr tha.

Nidhi : Huh? Nahi Juhi! Bilkul bhi nahi! Darr jaogi baad me tum hi. Dekh rahi ho kitni upar tak jaata hai.

Shreya : Juhi! Wo dekho! Wo train waali me baithe apan!? Mein bhi baitha sakti hu usme toh.

Juhi : Haa chalo chalo maasi... Jaldi...!

Aur wo kheech ke Shreya ko le gayi.

Ab bache the toh keval Veer aur Nidhi.

Veer : Umm... Kya aap chalna chahogi!? Ma'am!? Giant wheel me!?

Nidhi : Huh? M-Mein!? N-Nahi... Mein nahi...

Veer : O-Okay!

Wo jawaab dete hue apni nazre jhuka liya. Par jese Nidhi ne uska expression dekh liya tha toh wo puchi,

Nidhi : Umm... Kya tumhe ride karna hai!?

Veer : Hmm? Y-Yeah! Mein kabhi baitha nahi hu inn rides me. Kabhi koi laaya hi nahi...

Usne ek feeki smile dete hue kaha toh Nidhi ko jese yaad aaya ki Veer ka bachpan kese guzra tha. Aur ye yaad karte hi wo bauhe sikode usse dekhne lagi aur ek duwidha me phass gayi.

Nidhi : O-Okay! If... If you want then... Hum chal sakte hai!

Bas fir kya tha kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi Giant wheel par sawaar the. Par...

*Ding*

[Mission : Hug Nidhi! Let her know you are her support.
Rewards : ?? Points
Time limit : Before 12 A.M
Mission Failure Penalty : 50 Points Deduction.]

'What the fuckkkkkkkkk!?'

[Hahaha~]

'Mazaak chal rahi hai? No seriously!? Mazaak hai? Fuckkkk! Uss din hi mene unke haathe se thappad khaaya tha aur ab ye? Jhoote padwaane ki planning hai kya? Wtf is this mission?'

[I cannot help it master! Execute this mission properly. Aur... Haa~ iss Mission ke complete hote hi mein level up ho jaungi. But I'll be in sleep mode for loading your new resources. Toh pehle se hi wish kar deti hu. Happy new year master! Enjoy your time! Hehe~]

'W-Wait what!??? Wtf??? Sleep mode achanak kyu?'

[I told you kuch surprise hai right? So wait for it!]

Nidhi : Ummm...

Nidhi ne uska dhyaan kheecha toh Veer hosh me aaya. Giant wheel ghoomte hue upar jaa raha tha.

Aur Nidhi aur Veer agal bagal baithe hue upar se poora nazaara dekh rahe the.

Nidhi : It's so beautiful...

Veer : Bilkul aap ki tarah...

*Badump*

Nidhi (gasps) H-Huhhhh!?

Veer : Mene kabhi iss ride pe sawaari nahi kii thi. Aaj aap aayi toh ye bhi ho gaya... Thanks for agreeing.

Nidhi : It's... It's fine!

Nidhi : Veer!

Veer : Hmm?

Nidhi : Sach kahu... Toh I'm really mad at you.

Veer : ??

Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum ho ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.

Wo lagataar bole jaa rahi thi. Par Veer chaand ki uss roshni me keval Nidhi ke husn ko hi dekhta raha aur bas muskuraata raha.

Abhi bhi Nidhi ko Veer ke bhavishya ko lekar chinta thi.

Veer (smiles) : Aapki yahi baatein toh mera dil jeet leti hai.

Nidhi : Huhhhh!??

Veer : M-Mera matlab hai... Aapko meri itni chinta hai?

Nidhi : Kyu nahi hoegi? Akhir tum...

Kehte hue wo ruk gayi.

Veer : Akhir tum!?? Akhir tum kya ma'am!?

Wheel ekdum upar aa chuka tha jab Nidhi ne Veer ke chehre ko dekha aur uska chehra apne ekdum sameep paaya toh uske bol wahi tham gaye.

Nidhi : Kuch... Kuch nahi...!

'Fuckkk! I'm doing it. Jo hoga dekha jaega. Ek thappad aur kha lunga.'

Aur agle hi pal Veer ne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheech liya.

Iss achanak hamle ki umeed Nidhi ko bilkul bhi na thi. Wo apni aankhein faade abhi abhi jo kuch hue usse digest karne ki koshish kar rahi thi. Aur jese hi usse abhaas hua ki iss waqt wo Veer ki baaho me thi aur Veer usse zorr se bheencha hua tha, Nidhi ki saasein tez ho gayi.

Usne apna haath upar le jaake Veer ke seene par rakha aur usse dhakelne hi waali thi jab Veer ke shabd uske kaano me pade,

"Sabse pehle toh thank you ma'am. Mujhe uss daldal se nikaalne ke liye. Fir apne saath rakhne ke liye, mera itna support karne ke liye ye jaante hue bhi ki aap khud itni pareshaani me ho. Uske baad thank you ki aapne harr hardship me mera saath diya. Aaj bhi aapko meri parvaah hai, thank you ki aap aaj aane ke liye taiyaar hui, mere saath ride me baithne ke liye taiyaar hui. Rahi baat mere aim ki... I'm leaving the college ma'am. Because I know ki mujhe kya karna hai. Thank you so much! Aap hamesha hi meri ma'am rahogi, chaahe mein college jau ya nahi. And lastly... Jese aapne mera saath diya wese hi mein bhi aapka saath dunga. I'm here for you. Always!"

Unn baato ko sunte hi Nidhi ka haath jo Veer ko dhakelne ke liye the wo ekdum se dheela pad gaya.

Dono ke hi chehre aapas me behad qareeb the. Dono hi ek dusre ki garam saaso ko bakhubi mehsoos kar paa rahe the.

Aur na jaane aise kya hua ki Veer apne aap hi Nidhi ki orr jhukne laga.

Nidhi ka attraction jese usse kheech raha tha.

Paas aate hi usse sunaayi dii... Nidhi ke tezz dhadkate hue dil ki heartbeat. Kitni zorro se dhadak raha tha uska dil.

Wo bas lambi lambi saasein liye jaa rahi thi.

Par jese hi Veer uske ekdum kareeb aa gaya, jab wo uske hontho se bas kuch hi centimetres ki duri par tha, Nidhi ne zorr se dhakka deke usse peeche dhakel diya.

Nidhi : N-Nooooooooooo!!!!!!!!

Aur ek baar fir dono ke beech me wahi awkwardness ka mahaul chha gaya.

Uske baad toh jese dono me hi koi baat nahi hui.
Dinner ke baad bhi wo dono ek dusre se baat nahi kiye. 12 bajte hi jab fireworks ka show shuru hua toh dono hi baithe zaroor the par dono ke beech me Juhi baithi hui thi.

Aur dono hi pal do pal apni nazro ko ek dusre se milaate par nateeja wahi, koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi hota.

Aur tabhi...

*Ding*

[System has reached Level 5.]

*Ding*

[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]

*Ding*

[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]

*Ding*

[Quest hunt is now accessible.]

'Huh!??!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!


Nice update bhai 👍👍👍👍
 
Top