• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,421 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.5%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,715

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,171
109,381
259

A.A.G.

Well-Known Member
9,638
20,266
173
Update - 67 ~ No one cares about you being second.
Ab tak...

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.


Ab aage...

Sonia iss waqt sheeshe ke saamne khadi hui thi.

Aankhein laal, palko par saje hue halke halke aasu jo bas zameen par tapakne hi waale the.

Thodi tezz saasein aur darpan me wo apni khud ki iss haalat ko dekh rahi thi.

Wo toh bas kuch hi dino ke liye baahar gayi thi zaroori kaam se. Keval kuch hi dino se Veer se nahi mili thi. Toh fir...

Toh fir uske kuch din apne sheher se dur rehne par itna bada badlaav kese aa gaya? Wo Kaera jo logo ko bhaav tak nahi deti thi, wo Kaera jisse harr ek cheez boring sii prateet hoti thi. Wo Kaera jisse ladko me koi interest nahi tha. Wo Kaera jo kabhi emotions nahi dikhaati thi.

Toh wo Kaera aaj yaha iss qadar Veer se kyu lipti hui thi bhala? Kyuuuuu???

Aisa kya ho gaya tha inn kuch dino me ki Kaera jaisi ladki Veer ke aalingan me giri hui thi?

Sonia ki kuch samajh nahi aa raha tha. Aaj toh wo yaha Veer ki haalat dekhne aur usse belated congratulations kehne aayi thi uske apne naye food truck ki shuruaat ke liye.

Par... Par yaha ka nazaara toh kuch aur hi tha. Uski puraani dost, jo uss se theek se baat tak nahi karti thi. Uss se kya, jo kisi se bhi dhang se baat nahi karti thi, hamesha ladke uske peeche rehte the. Aaj wo...

Aaj wo yaha ek ladke, Veer se lipat ke chipki hui thi. Jhatka toh laga tha Sonia ko. Par uss se bhi zyaada usse ye baat sata rahi thi ki...

Wo Veer se pehle mili thi. Wo gayi thi Suhana aur Prakash Uncle ke saath Veer ke college uss se pehle milne. Usne pehle Veer ki saari details nikalwaayi thi. Veer ne pehle usse bachaaya tha. Wo Veer ko pehle se jaanti thi. Fir...

FIR KYUUUUUUU!??!

Kyu Kaera aur Veer ke beech usse wo nazar aa raha tha? Wo rishta jo abhi tak uske aur Veer ke khud ke beech nahi bann paaya tha. Kyuuuu??

Zara sochiye ki aap kisi naye dost se mile. Sab kuch badhiya chal raha hai. Aap kuch din ke liye baahar gaye aur jab aap wapas aaye toh aap kya dekhte ho?

Ki aapka ek puraana mitr jo aapse ab rutha hua hai wo aapke uss naye dost ke saath hass kar ghul milkar baatein kar raha hai. Toh kesa lagega aapko? Aisa lagega na ki aapse wo cheez chheen lii gayi ho? Ki aapko kisi makkhi ke samaan nikaal kar thaal me se fek diya ho!? Lagega na!?

Kuch aisa hi ho raha tha abhi, Sonia ke saath.

Aur tezz saasein lete hue usne apni aankhein band kar lii...

*20 years ago*

"La la la la ummmm la la laa hnnn~"

Aaj vacation ka akhiri din tha. Ab mein 1st class me jaane waali thi. Aur kal, meri 1st class ka pehla din tha.

Apne baalo me ribbon baandhte hue mene sheeshe me dekha aur mamma ki make-up kit se brush utha ke apne chehre par foundation potne lagi. Mein sundar thi. Mamma jaisi. Aisa soch ke mein mamma ki nakal karne lagi.

Tabhi peeche se meri mamma aayi aur mujhe dekhte hi hassne lagi.

"Hahahaha~ Sonu?? Ye kya kar rahi hai meri bacchi?"

"Mamma ka makeup laga rahi hu~"

"Accha jii? Aur kyu bhala? Bacche kabse makeup lagaane lage?"

"Mamma lagati hai toh Sonu bhi lagaegi~"

Mene Mamma ki baat par zyaada dhyaan nahi diya. Mujhe toh make-up se matlab tha. Aur pout kar kar ke mein apne poore chehre par makeup pot rahi thi. Banta santa kuch nahi tha par mujhe toh karna tha.

Kyuki kal mera first class ka pehla din tha. Mere friends ko bhi toh pata lagna chahiye na ki mein kitni khubsoorat ho gayi hu vacation ke baad. Sab mujhe dekh ke cute bulaenge fir.

Aur harr baar ki tarah mein 1st class me bhi first aaungi. Fir second me bhi, gir third me bhi aur fir hamesha. Mamma Papa meri firse tareef karenge. Mujhe firse gifts denge. B'day party me bhi sabhi meri tareef karenge. Mein didi ko chidhaungi ki firse mere marks zyaada aaye hehe~

Aur inhi baato ke baare me soch soch kar mein so gayi.

Naya din hua, nayi shuruaat.

"Arre Namrita!?? Jaldi karo baba! Sonu ko school bhi chorrna hai."

"Aayi baba! Kar toh rahi hu. Suhana ko tiffin diya abhi abhi. Van me baitha ke hi aa rahi hu usse."

"Haan thoda jaldi karna."

Papa ne mamma ko jaldi karne ko kaha toh mamma fatafat mera tiffin bhi ready kar ke laayi aur mere bag me rakh dii.

Aur fir mere chehre ko pakdi aur mere maathe ko choomte hue boli, "Meri bacchi ka aaj pehla din hai na? Nayi class ka? Enjoy karna haan? New friends banaana!"

Mein muskuraayi aur mamma ke gaal par pappi dete hue baahar nikal kar car me baith gayi. Mujhe car behad pasand thi. Harr kisi ke paas nahi hoti thi car. Isliye mein Van me jaane se mana kar deti thi mamma ko. Mujhe accha lagta tha apne dosto ko ye dikhaana ki hamaare paas car thi.

"Shailendra! Aapka tiffin bhi rakh diya hai. Theek hai na?"

"Hmm~"

"Aapko pata hai na? Kuch din pehle hamaare bagal me naye padosi shift hue hai."

"Pata hai Namrita! Pata hai! Aur mein mil bhi aaya hu unse. Kaafi badi company ke maalik hai wo Kishor saahab. Mere jitni hi umr ke honge. Shayad hamari company se bhi badi hai unki company."

"Hmm~ Isliye aapko unse acche sambandh bana ke chalna chahiye."

"Tum toh aise keh rahi ho jese mein jaake unse jhagad ke aa jaunga. Hahahaha~"

"Bas keh rahi hu. Aap toh jaante hi hai ki aadmi kaan bharne me kitna aage rehta hai. Padosi hai ab wo hamaare. Sambandh bana ke chaliyega!"

"Jii mohtarma!! Wese... Aaj toh qayamat lag rahi ho iss neeli saree me. Haan!?"

"Dhattt! Aap bhi na..."

"Papa chalo jaldi!! Mein late ho rahi huuu~" Mein chillaayi. Na jaane kya khusur pusur kar rahe the mamma aur papa.

Aur meri baat sunn Papa forun hi aaye. Car start hote hi hum nikal pade mere school ki orr.

Papa ne mujhe chora aur bye kiya. Aur mein bhi unhe bye bol ke apni class me ghuss gayi.

Mera bag naya tha. Nayi dress, naye shoes mere, naye chamkeele ribbons. Saare bacche bas mujhe hi dekh rahe the. Hehe~

Mein apni seat par jaake baithi, apni best friend ke bagal se.

Meri best friend ~ Ava!!

Wo dikhne me meri hi tarah khubsoorat thi. Bas antar ye tha ki uski skin thodi aur zyaada safed thi aur uske baal peele the. Jaise videshi ladkiyo ke hote the. Mujhe ye baad me pata laga tha ki aisi ladkiyo ko blonde kehte the.

"Avaaa~"

"Sonu~ Tu aa gayi! Wowww! Ribbon boht acche hai~"

"Hehe~ Thank you!"

Par hamaari baatein zyaada nahi ho paayi kyuki madam aayi aur unhone sabko baitha diya.

"Baccho! Aaj aapki class me ek nayi student ka admission hua hai. Aur aaj se wo aap logo ke saath hi padhegi. Okay? Student! Please come in! Andar aao beta~"

Ma'am ne andar aate hi ek news pheki thi hamaari taraf. Class me koi naya student aaya tha. Ya yu kahe ki aayi thi.

Hum sabhi apni nazre gadaye darwaaze ki entrance par dekhne lage.

Aur ma'am ke bulaane par ek behad hi sundar sii ladki andar aayi. Hum sabke muh khule hue the usse dekh ke. Uske baal meri aur Ava ki tarah utne lambe nahi the, keval kandhe tak hi the. Aur isliye wo ribbon ki jahah sarr par red band lagayi hui thi.

Aaj uska pehla din tha toh school dress me nahi balki wo princess waali red frock pehne hue thi.

Mere paas bhi princess frock thi par itni khubsoorat nahi.

"Baccho! Ye hai Kaera! Aaj se ye aapke saath hi padhegi. Theek hai? Welcome karo sabhi. Say Welcome Kaera!"

"Welcome Kaera~" hum sabhi chillaye aur uske baad usne hume thank you kaha.

Kitna ajeeb naam tha? Kaera!? Pehli baar mene aisa koi naam suna tha.

Kherr! Fir ma'am ne hamaari bench ke aage waali bench jis par ek hi ladki baithi hui thi udhar Kaera ko baithne keh diya.

Wo aayi aur mere saamne waali bench par baith gayi.

Ava harr baar ki tarah apni baatein shuru kar uss se baat karne lagi aur baato hi baato me mujhe pata laga ki wo Ava ki hi tarah meri padosi thi.

Mein bhi khush thi. Mujhe shayad ek aur friend mil gaya tha. Par...

Par aaj sab mujhe chorr uske baare me baat kar rahe the. Mene apne ird gird dekha aur...

Aur waqai...

Sabhi uski dress ko dekh ke uski tareef kar rahe the.

Aur unki harr baatein mere kaano me pad rahi thi. Mein bhi toh saj ke aayi thi. Fir mere... Mere baare me koi baat kyu nahi kar raha tha?

Mene usse peeche se tatola, wo palti aur mujhe dekhi.

"Tumhe pata hai. Aisi same frock mere paas bhi hai. Mein kayi baar p-pehen chuki hu usko. I-Iss se bhi acchi hai wo..." Mene uss se kaha.

"Hmm!?" Par usne mujhe dekhne ke baad ignore kar diya aur apna dhyaan padhaayi par dene lagi.

'Huhhhhhh????'

Mujhe gussa aaya. Iss ladki ne meri baat sunn'ne ke baad kuch kaha kyu nahi? Mere paas iss se bhi acchi dress hai. Isse sunkar toh usse kuch kehna chahiye tha na?

'Ughhh!!!'

Mene firse usse tatola aur usse bulaaya.

"T-Tumhe pata hai? Mere paas bhi iss se accha hairband hai. Mamma laayi thi. Par mere baal t-tumhaari tarah chote nahi hai na isliye... Isliye mein nahi pehenti."

"Okay!" Wo bas itna bol waapas se mud ke apni copy me likhne lagi.

'Uggggghhhhhhhhhg!!!!'

Mujhe itna gussa aa raha tha.

"Kaera tumhari frock boht acchi hai."

"Tumhare upar red frock acchi lag rahi hai."

"Good morning students! Arre waah! New student? So pretty? What's your name? Kaera? Kitna pyaara naam hai. Aur ye frock tum par boht pyaari lag rahi hai. Arre waah! Tumhari toh handwriting bhi sundar hai. Ye lo~ Meri taraf se star. Fufu~"

Bacche, yaha tak ki teacher bhi uski tareef kar rahi thi. Ava bhi... Ava bhi unke saath milke khel rahi thi.

Meri copy ka page kab mere haatho me rehke marud gaya mujhe pata hi nahi chala.

Chutti ka time ho gaya tha. Aur ab...

Ab mere chehre par muskaan thi. Ab mein isse bataane waali thi ki mein bhi kam nahi thi.

Mein line me lag kar class se baahar aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.

"Arre mere papa aa gaye!" Mene jaan bujh ke uske paas rehke zorr se bola taaki wo mujhe dekhe. Dekhe ki mere paas car thi...

Aur mein daud ke gayi apne papa ke paas aur car me ghus ke window se usse dekhne lagi.

Hehe~ Ab bol na? Bolti band ho gayi? Mere paas bhi aisa kuch tha jis mein show off kar sakti thi.

Par...

Tabhi ek black colour ki car aayi. Hamaari car se bhi acchi dikhne waali car. Usme se ek uncle jaisa koi baahar nikla aur jhuk ke Kaera ko welcome kar raha tha car me andar baithne ke liye.

"Aaiye Miss!"

Aur wo Kaera uss car me andar jaa ke baith gayi.

Mera muh khula ka khula tha. Mene gusse me aake apni skirt ko muh me bhar liya aur zorr se kaatne lagi.

"Paaaapaaaaa~" mein chillaayi.

"Haan kya hua?"

"Wo... Wo Kaera ke paas bhi car hai. Kyuuuuu?? Uske paas kyu hai car??? Wo uncle kaun hai???"

"Accha wo? Haha~ Kya wo bhi tumhaare school me aa gayi? Chalo acchi baat hai. Wo hamaare padosi hai. Aur wo jo uncle the wo unke yaha kaam karte hai. Madhav naam hai unka."

"Toh hamaare ghar me koi kaam karne waala kyu nahi hai?"

"Huh? Hamaare yaha bhi toh aate hai na kaam karne waale Sonu!?"

"Nahiiiii!!! Unn uncle ki tarah mujhe bhi ek uncle chahiye jo car me mujhe roz baithaaye. Uggghhhhhh~"

Aur mein rone lagi. Aaj jese muh ki khaayi thi mene. Mujhe wo ladki bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Ava bhi uss se jaake mil chuki thi. Mera koi nahi tha. Sab dogle the.

Aur mein rote rote hi ghar gayi.

Agla din hua...

Agle din aaj wo Kaera sabse left ki row me first seat par baithi hui thi. Wo poori row ladko ki thi.

Uske peeche ki bench khaali thi. Toh mein aur Ava uske peeche jaake baith gaye. Aaj mein usse sabak sikhaane waali thi. Hehe~

Par iss se pehle ki mein usse sabak sikha paati. Mein peeche baithe ladko ki shaitaaniyo ka target bann chuki thi.

Wo meri choti kheechte, hamaari desk par kaagaz phekte, bottle se paani chidakte aur mein aur Ava ma'am se complaint karte. Ma'am unhe daatati par thodi derr baad fir wahi shuru ho jaata.

Aur mein rone lagi. Meri soorat poore rone waali ho chuki thi. Naak behne lagi thi, aankho se bade bade aasu aur mera chehra poora laal ho chuka tha. Mujhe rota dekh Ava bhi subukne lagi thi.

Tabhi...

Saamne se Kaera khadi hui aur peeche aayi aur unn ladko ko gusse se dekhte hue boli,
"Mene sab dekha hai. Aur ab mein principal ma'am ke paas jaa rahi hu tum logo ki complaint likhwaane. Dekhna ab! Tum dono ki kese shaamat aati hai. Seedha resticate hoege ab tum."

Kaera ne unko itna bas kaha tha ki unke poore chehre ka rang udd chuka tha. Kyu??

Kyuki hum me se koi nahi jaanta tha ki ye resticate kis bala ka naam tha? Kya hota tha iska matlab? Hum bas mann me sawaal hi liye the.

Wahi Kaera muskuraa ke bas unhe chidha ke jaane ka keh keh ke darra rahi thi unhe. Jo kuch bhi tha, Kaera ko dekh ke hum sab yahi samajh rahe the ki resticate koi boht buri cheez ka naam tha.

"Ab toh gaye tum sab bacchu! Resticate seedha! Ab pitaayi lagegi tumhari."

"Nahi! Nahi!! Mat jao Kaera. Sorrrrryyyy! Sorrrryyy! Maaf kardo. Ab hum ratticate nahi hona chahte."

"Ratticate nahi resticate!"

"Haan woi woi...ab hume reticate nahi hona."

"Hmph~ Toh sorry kaho inse. Aur kaho ki aisa kabhi nahi karoge."

"Sorry! Sorry Ava! Sorry Sonu! Sorry! Sorry~"

Mein toh bas ashcharya ke maare sab hota dekh rahi thi. Aaj mujhe pata chala tha ki...

Ki itni buri bhi nahi thi ye ladki ~ Kaera!

Aur fir departure hua...

Hum sab nikle. Aaj mene koi show off karne ki koshish nahi kii. Par aaj...

Aaj uski black car jab aayi toh usme se ek khubsoorat sii aunty baahar nikli.

"Kaera~ ♡"

Wo usse pukaarti hui hamaari taraf aayi aur uske haath ko thaam lii.

"Chalo beta! Aur tumhaari friend Sonu kaha hai?"

"Sonu ye hai Mom!"

'Huh? Mein? Friend? Kaera ki? Kya usne ghar me ye bataya tha?'

Unn aunty ne mujhe dekha aur mujhse boli,
"Accha toh tum ho Namrita jii ki beti haan? Kitni pyaari ho tum. Aaj tumhaare papa ko kaam hai. Toh aaj unhone ne mujhe aapko aapke ghar bhejne ko kaha hai. Toh chale beta?"

"Hmm~"

Mein Kaera ki car me uski Mamma ke saath sawaar ho gayi. Mene dekha ki Kaera ki mamma ka pait fula hua tha.

Ghar pohuchte hi Mamma ne gate khola, mein unke perr se jaa chipki aur mamma aur wo aunty baat karne lagi.

Tabhi mene mamma ko kheench ke neeche jhukaaya aur kaha~
"Mamma! Wo aunty ka pait fula hua hai. Andar baby hai na???"

"Haayyye! Isse itna sab kuch pata hai? Aapki beti toh boht hoshiyaar hai haha~"

"Haan beta!"

Mamma ne meri baat par sarr hilaaya toh wahi aunty ne meri tareef kii. Hehe~

Agle din mein Ava aur Kaera, apni do pagli sakha saheliyo ko wo paath padha rahi thi jiske baare me mujhe khud kuch nahi pata tha.

"Dekho~ Mamma logo ka pait fulta hai iska matlab unke andar baby hai. Kaera, tumhe nayi behan ya bhai milega jaldi se. Hehe~"

"Par Baby aata kaha se?" Ava puchi.

"Mujhe nahi pata. Nani kehti thi ki bhagwan ke ashirwad se hota hai sab kuch."

Aur aise hi samay guzarta gaya. Hum teeno ki dosti aur gehri hoti gayi. Hum teeno hi ghar se baahar nikal ek dusre ke ghar jaate aur khelte.

Kabhi kabhi toh derr raat tak ek dusre ke ghar me bane rehta the. Hum teeno ke beech ek gehra bond banta jaa raha tha. Aur mein, Kaera ko ab utna hate nahi karti thi.

Fir exams aaye aur hum sabhi ne dil laga ke exams diye.

Result aaya toh pata chala ki...

Mein second aayi thi. Aisa kabhi nahi hua tha ki mein first na aau. Bhala kisne meri jagah chheen lii?

Parents teachers meeting ke waqt mein mamma Papa ke saath teacher ke saamne khadi hui thi jab teacher ne khud bataaya ki...

"Iss baar first tumhari friend aayi hai Sonia. Matlab... Kaera!"

Ye vaakya jese mere dil pe laga tha.

Uss din mein boht royi. Boht!!

Second class aayi. Mene boht mehnat kii. Par...

First place par mera naam nahi likha tha. Iss baar bhi mein second thi. Mein firse khub royi.

Aur fir ek din...

Mene dekha ki Kaera ke ghar ke baahar behad bheed lagi hui thi. Aunty safed kapde pehne hue laiti hui thi. Meri mamma ne mujhe andar kheench liya aur bed par lita ke mujhe sulaane lagi.

Tabhi ghanti baji ghar kii aur baahar Kaera ke papa the. Wo Kaera ko ghar par chorr ke kahi jaa rahe the.

"Kya aap iska thodi derr dhyaan rakhengi?"

"Ye bhi koi kehne ki baat hai? Kaera ko yaha chorr jaaiye! Mein inko telephone kar diya hai. Ye aate hi honge. Bilkul bhi accha nahi hua..."

"J-Jii! D-Dhanyavaad!"

Wo haath jod ke chale gaye.

Kaera ekdum masoom chehra liya mere sang baithi hui thi. Mein jaanti thi kya hua tha.

Uski mamma marr chuki thi.

Mein uthi aur apni mamma ke paas gayi.

"Mamma!!!"

"Hmm?"

"Kaera... K-Kaera ki mamma... jaa chuki hai na?"

Mein nahi jaanti thi ki marrta kese hai aadmi, kyu marrta hai. Par itna jaanti thi ki ek baar insaan marr jaata tha toh fir wo kabhi waapas nahi aata tha.

"Haa beta!"

"Ab wo waapas nahi aaengi na?"

Mamma ne meri baat par dheere se sarr hilaaya.

"Mammaaa~" aur pata nahi kyu, par mein ro padi.

Mujhe dekh mamma bhi ro padi aur unn ne mujhe aur Kaera ko apne gale se laga liya.

"Tum dono behne ho samjhi? Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

"Hmm~"

"Acchi bacchi!"

Uske baad se hi mere andar jo ghrina thi wo kam ho gayi Kaera ke liye.

Mein uske saath aur khelna chaahti thi. Aur samay bitaana chaahti thi. Par uske baad se hi jese...

Jese uska khelna kudna band ho chuka tha. Usse ghar mew qaid kar diya gaya tha. Mein uske ghar jaati toh mujhe bas 5-10 minute milne ke baad waapas bhej diya jaata tha.

Samay guzra aur wo silsila abhi bhi jaari raha.

Mein second aati thi aur Kaera first. Ye ek routine ban chuka tha. Harr gatherings me, Mujhe bas yahi sunn'ne ko milta...

"Kaera iss baar bhi first aayi."

"Badi hi hoshiyaar bacchi hai"

"Maa ke na hone ke bawajood kitni samajhdaar hai ye."

Sab tareefo ke pul baandhte the.

"P-Papa mein bhi toh second aayi na?" Mein bas yahi keh paati.

"Hmm~"

Aur mujhe haan me sarr hila ke harr insaan ignore kar deta tha. Value thi toh keval pehle sthaan kii.

I realised ki...

NO ONE CARES ABOUT YOU BEING SECOND!!!!

Kitna hi dusra sthaan kyu na paa lo. Kabhi bhi pehle ki barabar nahi kehlaoge.

Idhar Kaera ko ghar se nikalne hi nahi dete the. Mein uske ghar ke baahar apni cycle me baithe uske ghar par lage upar window me usse dekha karti thi.

Wo roti thi. Ab toh Ava bhi jaa chuki thi yaha se.

Aur ab Kaera ko bhi band karke rakhne lage the.

Mein unke ghar jaati aur uske papa se ladke bhaag ke ghar aa jaati. Kese uncle the? Gande ekdum! Mein unhe jeebh dikha ke kabhi kabhi chidha bhi diya karti thi.

Fir mujhe samajh aaya...

Ki usse ghar par hi saari education dii jaa rahi thi. Abhi bhi wahi hota tha, mein second aur Kaera first.

Sports ke dauraan wo mujhe dikhaayi deti. Mein uss se baat karne jaati toh wo kuch nahi kehti thi.

Bas apna kaam karti aur waapas laut jaati.

I HATED IT!!!

I HATED EVERYTHING!!!

Mein ye sab nahi chaahti thi. Kaha gaya hamaara wo sunehra pal? Wo sunehra bachpan?

Fir ek din...

Ek baar essay competition hua. Mujhe yaad hai uss competition me kisi dusre school ki ek ladki first aayi thi. Aur Kaera second thi.

Pehli baar uss din mujhe kuch naya dekhne ko mila tha. Kaera uss first aane waali ladki se jaa ke mili thi. Haath milaayi thi uss se.

Aur mere dimaag me ek baat baith gayi thi. Yadi mujhe uska recognition chaahiye tha. Toh mujhe usse haraana tha.

Mere dimaag me apni mamma ki kahi baat fir goonj gayi. "Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"

Aur bas...

Mene apna maqsad bana liya tha.
I WILL DEFEAT HER!

Aur uss din se hi mene jii jaan laga dii apni. Ki mein Kaera ko hara ke hi rahungi. Safal toh nahi ho paa rahi thi par mene haar nahi maani thi.

Wo jis college me admission lii, mene bhi ussi me liya. Wo jis competition me bhaag leti, mein bhi ussi me leti.

Mujhe yaad hai. College ka final year tha. Aur mene apni jee jaan laga dii thi. Raato ki neend udaa dii thi Kaera ko haraane ke liye.

Aur shayad bhagwaan ne meri sunn lii thi.

"Congratulations Sonia! You are the top scorer! 98.9% Wowwww!"

Ye news jaise sunn'ne ke liye mein kabse tadap rahi thi.

"A-And who's the second? Ma'am?"

"Second? Second is Kaera. With 98.5%. She had a severe cold few weeks ago. I hope she'll come today to gather her report cards."

'H-Huhhh!? Kaera ko... cold tha!??'

Aur jese firse mujhe apne muh me haar ka swaad chakhne ko mila.

Even though mene usse hara diya tha. Par mene usse iss haalat me haraaya tha. Wo bukhaar me thi aur apne exams dii. Aur yaha mein samajh rahi thi ki mene usse hara diya.

Apne nichle honth ko daato tale dabaate hue mene ma'am ko dekha aur kaha, "Can you... Can you please hide this? Can you tell her that she's the first one. She's the top scorer."

"Huh?? N-Noo! Why would I do that? And whyy???"

"P-Please! Don't worry! I'll manage everything. Just tell her. Please! It's a request!"

"That's...."

"P-Pleaaaaseeeee!!!"

"O-Okay! F-Fine!"

Aur kuch derr baad hi darwaaza khula. Wo andar aayi. Kaera!!

Usne apna report card liya. Aur usse jab pata chala ki wo top scorer thi toh usne bas sarr hilaaya aur mujhe dekh ke waapas chali gayi.

Mein ek baar fir... Roti rahi...

***

Aur harr baar ki tarah aaj bhi, Sonia ke chehre par aasu bikhre hue the.

'They are waiting outside...!'

Jaldbaazi me aasu poch usne ek banaavti smile mirror me dekhte hue apne hontho par bikheri.


177fcfac2aaea098109078536aa62c3c

Aur wo nikal gayi baahar. Waapas se Veer ke room ki taraf.

"S-Sonuuu!?"

Uski behan Suhana ne usse dekha toh pukaara par...

Sonia Suhana ko ignore kar waapas se Veer ki orr gayi.

Veer : Huh!?? A-Aap theek toh ho na?

Sonia (smiles) : Yessss!!! Mujhe kya hua bhala?

Par Veer ko abhi bhi kuch shaq ho raha tha.

'Something is wrong!'

[She was crying.]

'Huh!??'

[Uske gaalo ko dekho. Aasuo ke nishaan! She was crying inside the bathroom.]

'P-Par kyuuu? Achanak se aise?'

[I think she doesn't likes Kaera.]

'No wayyy! Miss Kaera aur wo aapas me dost hai bachpan ke. I know abhi unke beech utna accha relationship nahi hai. Par wo hate nahi karti Kaera ko. She herself told me that.'

[Hmm~ Toh kuch toh baat hai!]

'Y-Yeah!!!'

Wahi dusri orr Kaera jo Veer se bas kuch derr pehle alag hoke usse nihaar rahi thi, usne Sonia ki taraf dekha bhi nahi tha abhi tak. Uska poora focus Veer par tha.

Tabhi Sonia ko ek aur jhatka laga.

"T-That... That..." Wo ungli dikhaa ke Kaera ke haath ki orr ishaara kar rahi thi.

Veer aur Suhana ne jese hi dekha toh paaya ki Kaera ke haath me ek blazer tha.

"That's... It's the one I bought for Veer!!!!!"

Wo tezz awaaz me boli toh Suhana ko bhi dhyaan aaya. Ye toh wahi blazer tha jo Suhana aur Sonia ne milke Veer ko dilaaya tha jab wo Delhi trip par gaye the saath me. Ye bhala Kaera ke paas kya kar raha tha!?

Sonia : HOWWWW!??? HOW COME YOU HAVE THIS!??

Kaera : Mmm?

Sonia : YE... YE TUMHAARE PAAS KESE!?? HOOOWWW!???

Kaera (smiles) : It's a secret!

Usne badi hi asaani se kaha. Par Kaera ki choti sii baat Sonia ko shayad dil par jaa kar lagi thi.

Suhana : Hoooo~ Yeah yeah! That's the same.

Veer : Ye...!?

'Wait! Ye toh mene... If I remember correctly. Toh ye mene... Yeah! That night... Mene uss ladki ko diya tha ye blazer. How come...!? Miss Kaera ke paas ye..!?'

[Hmmmmmm~ :huh: ]

Kaera : I have this too~

Aur tabhi Kaera ne apne purse se ek brahmaastra nikaala.

Haatho me ek chota sa teddy liye usne wo sabhi ko dikhaaya.

Kaera (smiles) : He gave it to me! Right Veer?


23560d0dee1dfd27993ad6ea6578f497

Veer : Huh!? M-Mein...!?

Sonia : V-Veeeeerrr???

Suhana : Hoooooo~ Interesting~

[ :rip: ]

'Fuck! Shut up!!!!'

Sonia jese wahi khade khade shaant sii pad gayi. Uske expression kisi ko nazar nahi aa rahe the. Kyuki wo sarr jhukaaye hue thi aur uske baalo se aadha chehra uska dhakk chuka tha. Shareer me kampan ho raha tha uske...

Suhana : Oh no!! Sonu!?

Veer bewakoof nahi tha. Wo dekh paa raha tha ki Sonia ko kuch na kuch beech beech me ho raha tha. Aur tabhi usse jese yaad aaya. Jo baatein khud Suhana aur Sonia ne usse bataayi hui thi.

Ki Sonia hamesha Kaera ko haraana chaahti hai. Bas uss se ek baar aage nikalna chaahti hai taaki Kaera usse recognise kare.

Aur ab shayad Veer ko saari baat samajh aa chuki thi.

[Aah! So that's why~ ]

Veer : Miss Sonia~

Par Sonia ne koi jawaab na diya.

Veer (sighs) : Miss Sonia! Aapko kisi se khud ko compare karne ki zaroorat nahi. Aap apne aap me best ho. You don't need people who raise questions at you! You are you, Miss Sonia!!

*Badump*

Sonia ka dil zorr se dhadka.

Sonia : H-Huhhh!?

Iss baar usne sarr uthaate hue Veer ko dekha.

Veer : I don't care about anything. Chaahe aadmi first aaye ya second... I don't care... Insaan ki kaabiliyat ki pehchaan inn panno me likhe marks se nahi hoti Miss Sonia. For me, you and Miss Kaera are equal. You both are very different yet very same.

*Badump*

Sonia : S-Say that again!

Veer : Huh!? W-what? I don't care about anything?

Sonia : N-Nahi! Second last me j-jo tumne kaha.

Veer : !??? F-For me, you and Miss Kaera are equal!

Bas! Veer ka itna kehna hi tha ki fir wo hua jisse dekh waha maujood sabhi dang reh gaye.

Sonia aage badhi aur wo Veer ko chaathi me jaa ke ghuss gayi.

"Huh!??? W-Wha!?? Ughhyuuu...."

Veer : M-Miss Soniaaa???

Aur iss se pehle ki wo virodh kar paata.

*Chu~♡*

'!!???'

Sonia ke honth uske gaalo par the.

Suhana : Sonuuuuuu!???????

Kaera : ??????

Aur tabhi...

*Ding*

[Mission : Take Sonia on a date.

Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]

'Huh? W-Waitttt!!!!'

[Rest in peace! :pray: ]

'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur comments rakhne ka. ✨
nice update..!!
sonia ko bura lagna toh banta hai kyunki bachpan se usse kaera se compare kiya gaya hai aur jab sonia bachpan me kaera ko as a friend accept kiya uske baad hi kaera ne usse sampark tod diya aur sonia ke maa ne bhi bola ki yeh tumhari behen hai iska khayal rakhna..toh sonia yeh bhi try kiya lekin usko kaera ne notice nahi kiya..aur ab uska sabse khaas dost ya pyaar kehlo usko bhi kaera ke paas dekh kar sonia ko gussa aana toh banta hai..kyunki kaera ke sath bachpan se ab tak kya huva hai yeh sonia ko nahi pata..!! aur iss jacket ne aur uss teddy ne aag me ghee dalne ka hi kaam kar diya hai..lekin veer ne sonia ko achhese sambhal liya..kyunki kuchh bhi hojaye sonia veer ke life me kaera se pehle aayi hai as a friend..!!
 

A.A.G.

Well-Known Member
9,638
20,266
173
Mega Update
Holi Special

Update - 68 ~ Planning Ahead!
Ab tak...

Sonia ke honth uske gaalo par the.

Suhana : Sonuuuuuu!???????

Kaera : ??????

Aur tabhi...

*Ding*

[Mission : Take Sonia on a date.

Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]

'Huh? W-Waitttt!!!!'

[Rest in peace!]

'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'


Ab aage...

Kuch din guzar chuke the aur Veer waapas se apne ghar yaani ki Ragini ke ghar laut chuka tha. Sonia ko date pe le jaane ke liye abhi ek hafte baaki the uske paas. Uss mission ko side rakhte hue Veer kuch soch raha tha. Jab wo Doctor Mrinal ke ghar me maujood tha, toh kayi saare log uss se milne aaye the.

Arohi se jab uski mulaqaat hui thi toh shuruaat me toh Arohi ke saath uski normal baatein hi hui. Par baad me agle din Arohi ne kuch aur baatein bataayi thi Veer ko. Jese ki...

Arohi : Wo... Meri mummy, Papa aur Tau jii bhi aaye the yaha.

Ye sunn ke Veer thoda chakit tha. Uski chachi chacha ka aana fir bhi swabhaavik laga usse par uske pita, Brijesh? Wo bhala kab se uski chinta karne lage? Kyu aaye the wo yaha par bhala?

Veer : Chachi Chacha? Aur... Dad?

[Don't call him a Dad! He's a STUPID and SELFISH person! Hmph~]

Pari uske mann me gurraate hue boli. Shayad Brijesh ko koi bhi pasand nahi karta tha. System me maujood Pari bhi nahi.

Arohi : Hmm~

Veer : Kyu?

Arohi : Wo aaye the. Aur puche ki kitna kya kharcha aaya hai medical fee me. Fir tumhe ek baar dekh nikal gaye. Mom bhi aayi thi Dad ke saath. Tum hosh me nahi the par tab.

Veer : I see!

Iss baat ko jaan'ne ke baad Veer khud thodi soch me pad chuka tha. Akhir uske pita Brijesh usse dekhne kyu aaye the?

'Kahi Dada jii ke kehne par toh nahi!??'

Keval itna hi nahi, Veer ki baat Suhana se bhi hui thi. Aur Suhana ne bhi usse ek bada jhatka diya tha ye baatein kehte hue...

Suhana : I'm sorry!

Veer : Huuuuhhhh???

Suhana : Mene kaha I'm sorry!

Veer : Ni... Wo suna mene. B-But kisliye? Ye sorry?

Suhana (sighs) : Dekho! Tumne mujhse help maangi thi. Par mein apni friend ko ye batana bhul gayi thi ki tum Slogan se bhidne jaa rahe ho. Aur usne apne best aadmi nahi bheje the. Also, police was also involved. Mene police ko rokne ke saare prabandh kiye the but tumhari bhabhi. She went to the police. So, Police involved ho gayi. Ab unhe shaant karne ke liye thoda samay lagega. But wo iss matter se jald hi dur ho jaenge. So isliye, Sorry!

Suhana ke muh se sorry sunn'na apne aap me ek badi baat thi. Wo aurat jispe itna guroor sawaar rehta tha, yadi wo sorry kahe toh kuch toh baat thi.

Veer ne bhi Suhana ko asaani se maaf kar diya. Dekha jaaye toh isme Suhana ki koi galti nahi thi. Veer apni taraf se ladd raha tha aur yaha usse khud prepare hona chaahiye tha. Wo dusro ki madad ke liye nahi baith sakta tha.

Saath hi inke alaawa uski baat Karan se hui thi. Jo agle din Veer se milne aaya tha. Dono ki mulaqaat shuruaat me toh thoda ajeeb tareeke se aage badhi par ant bada hi niraala tha. Wo isliye kyuki...

Karan : Toh ab kesa mehsoos kar rahe ho?

Veer : Kaafi behtar!

Karan : Hmm! Wo...

Veer : ???

Karan : Thank you! Tumne Dii ko ek baar fir... I mean... Unki help kii bina apni parvaah karte hue. Toh uske liye... Thank you!

Veer : I already promised!

Karan : Yeah! Toh... Ahem... Ab hum friends!?

Usne ek baar fir dosti ka haath aage badhaaya. Veer jo kuch derr maun tha usne ant me finally apna haath aage badhaaya aur Karan ka haath thaam liya.

Veer (smiles) : Friends!!!

Karan (sighs) : Phew! Mujhe laga tha kahu tum firse ye na keh do, 'Mein dost nahi banata!' hahahaha~

***

Veer theek hone ke baad jab ghar me aaya kuch din baad toh wo apne kamre ko band kar, apni aankhein band kar kisi gehre chintan me tha.

Uske pita ka yu aspataal aana, Pranjal ki planning, Nidhi ma'am aur unke pati ka matter, Ragini Bhabhi aur uske bade bhai Vivek ke beech ka sambandh, Dada jii ki property waali baat, Slogan aur uske saathi, Kaera aur uska rishta, uski bichdi Maa Bhavana, Suhana ko vaade me diye gaye favours, uska food truck ka business...

Inn sab ke baare me Veer badi hi gehraayi se soch raha tha. Aur usse ek baat samajh aa chuki thi.

Ki usse pehle se plan karke chalna padega. He will have to become agressive.

'This time... I'll plan ahead! SLOGAN!!! Iss baar tum mujhe nahi pakdoge. Instead, I'll come for you!'

Aur usne fir agle hi pal zorr se Pari ko mann me awaaz lagayi,

'PARIIIII!!!!'

[W-What!??]

'Kitne points available hai?'

[500 points for now!]

'Good! Shop me se... Mujhe kuch aisa dhund ke do. Jis se mein kisi ko apne under control kar saku. Par dhyaan rahe ki wo virodh na kare.'

[Ohhhh~ You mean tumhe kuch aisa chaahiye jis se koi tumhe restrict na kare aur tumhari baat bhi maane.]

'Yes! Kuch aisa hi...'

[Okay then there you go...]

Aur Pari ne ek skill dhund ke nikaali Veer ke liye shop me se.

*Ding*

[Skill : Limbo
Bio : User can break any limb of any person in an odd fashion. Limb once broken by the user won't be able to get repaired by any means. Only the user himself can repair the broken limb.]

Skill ka description padhte hi Veer ke hontho par ek kaatil sii muskaan thi.

'Yahi toh chaahiye tha~'

'Pariii!!!!'

[H-Huh!?? Now whattt?]

'Buy this one!'

[Iski cost 300 points hai. A-Are you sure?]

'Yes!!!!'

[Okay toh ye lo~]

*Ding*

[Limbo is now available.]

'Good! Now search for something which can track enemies.'

[Enemies tracker!?]

'Hmm~'

Aur Veer ki baat sunn Pari ne firse kuch dhund ke diya.

[Ye lo! This one is basic. Dhyaan rahe ki tumhaare paas keval ab 200 points hi bache hai. Toh mene isliye yahi dhund ke dii. Because iss se sasti aur koi enemies ko track karne waali skill nahi hai.]

'Show me the details!'

[Alright!]

*Ding*

[Skill : Basic Enemy Tracker.

Bio : User can track the basic enemies. The skill won't work for the Boss Enemy.]

Skill simple thi. Ye Veer ki enemies ko track karne ke liye thi. Par iska ek hi downfall tha. Wo ye ki iss skill se aap keval apne boss enemy ke chuzo ko hi track kar paoge. Yaani ki Veer Slogan ke under kaam kar rahe logo ko toh track kar paega. Par Slogan ko nahi.

Par filhaal Veer ko jese yahi chaahiye tha.

Wo muskuraate hue apne kapde badal jaise hi baahar aaya toh room ke baahar hi usse Suman nazar aa gayi jo shayad uske hi room me aa rahi thi.

Veer : Hmm?

Suman : Maalik!?

Veer ne agle hi pal usse kheencha aur apne honth Suman ke honth se bhida diye.

Suman : Mmmphhh!??

Usne ek hi jhatke me Suman ke blouse se uski ek bhaari bharkam chuchhi nikaali aur usse zorr se mees diya.

"Aaaaahhhhhmmmm~"

Tabhi Suman ke kamre ka darwaaza khula aur Aabha baahar nikli. Aur jese hi usne Veer aur apni saasu maa ko dekha wo wahi jamm ke reh gayi.

Veer ne jese hi apni aankh ke kone se Aabha ko dekha toh usse forun hi ungli se ishaare karte hue apni orr bulaaya.

Aabha aankhein faade, lambi saasein lete hue dheere dheere aayi. Veer ke honth abhi bhi Suman ke hontho ko hi choos rahe the.

Aur Aabha jab ekdum nazdeek aa gayi toh Veer ne Suman ko chorr Aabha ko apni baaho me kheencha aur uske komal gulaabi honth apne muh ke giraft me le liye.

"Mmmmm~"

Kuch derr ki honth chusaayi aur doodh dabaane ke baad Veer ne bas itna hi kaha unn dono se,

"Mein kaam se kahi jaa raha hu. Raat ko tum dono... Taiyaar rehna!"

Aur bas, itna bol wo baahar nikal gaya.

Dono hi Maa aur bahu lambi lambi saasein letwe hue Veer ko jaate hue dekhti rahi. Unhe jese raat ka besabri se intezar tha.

*Vrroooooooommmmm*

Veer gaadi ko repte hue bas bhaage jaa raha tha.

Uski destination saaf thi.

Basic Enemy Tracker ke chalte usse Slogan ke ek aadmi ka pata lag chuka tha jo uske sabse nazdeek tha.

Aur uske mann me hi ek map khula hua tha jo enemy ki position dikha raha tha laal bindu bann ke. Jese maano uske mann me hi alag se kisi ne GPS fit kar diya ho.

***

xxxxxxx Club...
Aka Aatish' Hideout 3...

Kisi club me iss waqt mehfil sii jami hui thi. Aur ye Aatish ka teesra hideout tha jo aksar kam hi use hua karta tha. Kyuki yaha deals aur planning kam, ladkiyo ke saath rangreliya aur mauj masti zyaada kari jaati thi.

Iss waqt bhi yahi ho raha tha. Ek luxury bade se sofe par viraajmaan ek badi taund waala aadmi baith hua tha.

Uske agal bagal do prostitute ladkiya baithi hui thi jo uske gale me muh ghusaaye usse chaat rahi thi.

"Hahahaha~ aise hi meri pyaari sundariyo... Hahaha~"

Ashleel gaane baj rahe the aur daaru ke nashe me sab tull hoke mauj masti kar rahe the.

*Gudgudgud*

Tabhi achanak uss aadmi ke pait me gudgud hui. Ab daaru pee thi toh peshaab toh aani hi thi.

"Mauj masti jaari rakho re. Mein bathroom se aaya hahahaha~"

Wo petu aadmi utha aur baahar nikal club ke hi washroom me gaya.

*Suuuuuu*

Wo chenn se moot hi raha tha. Aur abhi apni zip band hi kiya tha jab uske kandhe par ek haath peeche se aakar kisi ne rakha.

'Huh?'

Wo palta aur tabhi usse apne kaano me ek awaaz sunaayi dii.

"I'll be damaging this...!"

Aur agle hi pal...

*CRAAACKKKK!!!!*

"AAAAhhhmmmmmmm~!!??"

Usse kuch samajh aata uske pehle hi uski cheenkh ko rokne ke liye kisi ne uske muh me rumaal ghused diya tha.

Uske saamne khada wo vyakti koi aur nahi Veer hi tha.

Uske peeche se aate hi Veer ne usse paltaaya aur uska haath pakad marod diya.

LIMBO!!!

Abhi abhi Veer ke dwaara khareedi gayi skill.

Iss skill ki yahi khaasiyat thi. Limbo ek aisi skill thi jo limb break karti thi. Aur acche se kaha jaaye toh...

Veer ne jo abhi kiya tha. Uss se uss aadmi ki haddi toh tooti hi haath ki par saath hi saath usne aisi position me modte hue kiya ye ki ab uss aadmi ka haath koi nahi repair kar sakta tha. Mahaan se mahaan doctor bhi nahi.

Siwae Veer ke.

Aur yahi Limbo ki khaasiyat thi. Kisi ka koi bhi ang aisa mod do ki wo kabhi repair hi na ho paaye.

Veer ne bhi abhi iss aadmi ke haath ko yahi kiya.

Iss aadmi ki location Veer ko pehle hi mil gayi thi Enemy Tracker se. Veer bas yahi soch raha tha ki iss aadmi ko baahar kese laaya jaaye.

Par iss aadmi ne toh jese khud hi Veer ka kaam asaan kar diya tha. Wo khud hi baahar chala aaya.

Mauka dekhte hi Veer ne seedha Limbo use kiya aur uska haath marod diya.

Haath itna buri tarah muda hua tha ki wo aadmi dard se karaah raha tha aur uski aankho se aasu beh rahe the. Wo cheenkh paata ki uske pehle hi Veer ne uske muh me rumaal thoos diya tha.

Dard se tadapte hue usne muh se wo rumaal nikaalni ki koshish kii toh...

*Thud*

"Uuuuuuuuu~"

Veer ne apni laat uthaate hue seedha uske muh pe maari aur uske muh pe hi rakh dii. Jis kaaran uss aadmi ka sarr bathroom ki side ki deewar se jaa bhida.

"Ek shabd nahi!!! Samjha na!???"

Veer ne usse gusse me dekhte hue kaha.

'Check!!!'

[Name : Balhaar.

Age : 36
Bio : Just a normal goon of Aatish. Now he serves for Slogan. No family, no background. Cash, Beer and girls are his favourite things.

Favourability : -5
Relationship : Enemies.]

Aur uske baare me padhte hi Veer ko aur bhi gussa aane laga.

Usse pakad ke Veer ne uthaaya aur usse dekhte hue kaha,

"Kyu bey Balhaar? Mauj ho rahi hai haan? Kya hua chaunk gaya? Yahi ki mujhe tera naam kese pata? Mein tere baare me sab jaanta hu samjha? Slogan abhi underground ho gaya hoga. Hai na? Khabar toh mili hi hogi tujhe?"

Veer ka itna kehna hi tha ki Balhaar ke chehre se rang udd chuka tha.

Veer ko uska naam kese pata tha bhala? Upar se Slogan ke baare me Veer kese jaanta tha? Wo sochna toh chaahta tha par jese apne haath ka dard usse kuch sochne nahi de raha tha.

"Uuuuuu~ Uuuuu~"

"Chupp! Ekdum Chup! Koi awaaz nahi samjha? Tujhe pata hai Slogan kyu underground hua? Mere kaaran!"

Kehte hue Veer muskuraaya toh Balhaar ki gaand hi phatt gayi. Aur kyu na phatati? Slogan jesa crime boss iss ladke ke kaaran underground ho chuka tha.

"Tumne sahi andesha lagaaya. Mein wahi hu. Wahi ladka jiske liye aksar wo Steve tum jaise chuzo ko order deta hai. Veer!!!!!"

Aur ek baar fir, Balhaar ki aankhein phati ki phati reh gayi.

"Bol? Kya karu tere saath? Yahi uda du ya...!?"

Veer ne dhamkaate hue uske muh se jese hi kapda hataaya toh wo Veer ke perr par gir pada.

"M-Mujhe jaane do... M-Mujhe mat maaro... M-Mein kuch bhi karunga... Mein tumhaare haath jodta hu. Uhu uhu uhu...."

Ek baar fir Veer ne uski collor pakad usse uthaaya aur deewar me bhed diya.

Veer : Meri ek hi shart hai.

Balhaar : K-Kesi shart!?

Veer (smiles) : Tujhe sirf mujhe Slogan ke harr movement ke baare me khabar deni hai.

Balhaar : Huh!?? B-Bas???

Veer (smiles) : Hmm~ Bas!!!

Balhaar : Mein karne taiyaar hu. M-Mein tumhe harr information dunga. M-Mujhe chorr do.

Balhaar ne keh toh diya tha. Par uske mann me yahi chal raha tha ki ...

Ek baar bas tu mujhe chorr madarchod. Fir mein poori gang leke aaunga aur teri dhajjiya uda dunga.

Par Veer kaun tha? Veer ke paas system tha. Aur wo khud bhi hoshiyaar tha. Wo jaanta tha iss gaandu ke mann me kya chal raha tha.

Veer dheere se muskuraate hue uske kaan ke nazdeek aaya aur bade hi haule se bola.

"Mein jaanta hu tu kya soch raha hai. Yahi na? Ki mein jese hi tujhe chorrunga tu agle din mujhe maarna aaega? Hahahahahaha~ So naive!!!!"

Veer ke hassi sunn ek baar fir Balhaar darr gaya.

"Sunn gaandu! Tera jo ye haath hai na. Tu duniya ke kisi bhi doctor ke paas hi kyu na chala jaaye. Chaahe usse kitne bhi paise kyu na de de. Tera ye haath duniya me koi repair nahi kar sakta. Siwae mere..."

Aur ek baar fir, Balhaar ko ek bada jhatka laga. Kya bol raha tha ye ladka?

"Yadi visvaash na ho toh try kar lena. Aur yadi tune galti se bhi kisi ko mere baare me khabar dii. Toh samajh lena tu gaya. Akhir kabhi na kabhi toh tu akela rahega hi na? Wo pal tera akhiri pal hoega."

Balhaar : H-Huhhhh!??

Veer : Kyuki tune dekha na? Mene tujhe yu dhund liya. Tu kahi bhi kyu na chhup jaaye. Mein tujhe dhund lunga. Behtar yahi hoga, ki meri baat maan, mera kaam kar aur kaam ke baad... Mein tera ye haath fix kar dunga.

Veer ne politely kehte hue smile pass kii. Jo smile toh kahi se bhi nahi lag rahi thi. Aisa lag raha tha ki koi devil muskura raha ho.

Balhaar : M-Mujhe bas info dena hai na?

Veer : Haan haan! Bas tujhe satark rehke saari info mujhe dena hai. Mera number ye le...

Kehte hue Veer ne apna number ek kaagaz ke tukde me pehle se likha hua nikaal ke uski breast pocket me ghused diya.

Veer : Chota sa hi kaam hai. Tu mujhe info de... Aur mein teri iss gaddaari ke baare me kisi ko pata lagne nahi dunga. Kaam ke baad mein tera ye haath bhi fix kar dunga. Aur ye bhi ho sakta hai ki... Slogan ke baad... Mein tujhe uski jagah saup du?

Veer ki akhiri baat sunte hi Balhaar ke kaan khade ho gaye.

Balhaar : Th-Thik hai. M-Mein wesa hi karunga. A-Abhi mujhe jaane do.

Veer : Itni jaldi kya hai? Tumhaare aadmiyo ko toh dekh lu.

Veer aur Balhaar fir dono hi jab club me waapas se enter kiye toh waha ka maujood haal dekh Veer bas chup raha.

Ek ladka uske nazdeek aaya sharaab ke nashe me dhutt hoke,

"Hehe~ B-Boss! Ye bacche ko bhi aapne gang me bhar liya? Hic.... Hehehe~"

Veer ne kuch na kaha. Kyuki usse kehne ki koi zaroorat hi nahi padi.

*Chataaaaaaaaakkkkk*

Ek zordaar tamaacha uss ladke ke gaal par pada aur uski poori daaru jese wahi utar gayi.

"Madarchod gaandu... Lavde!!! Ek rehepta dunga na kheech ke jhaatu insaan. Iski maa ka bhosda... Aahahaha~ S-Sir!!! Ye mere aadmi zyaada padhe likhe samajhdaar nahi hai. Inhe maaf kar dijiyega!"

Apne Boss ki baat sunn jese waha maujood aadmiyo ke sarr ke upar ek bam sa phata.

Unke boss iss naujavaan ladke ko sir kehke bula rahe the? Aur upar se apne hi aadmi ko maarne lage wo?

Keval ek hi khayaal aaya unke mann me fir.

'Iss aadmi se panga nahi lene ka. Aur bina Boss ki ijazat ke iss ladke se koi bakchodi nahi karne ka.'

Unhe nahi pata tha ki unka boss iss waqt apna haath peeche chhupaaye andar hi andar dard se tadap raha tha.

Veer (smiles) : Inhe paath padhaao...

Balhaar : J-Jiii! Bilkul!! Jesa aap kahe...

Aur itna bol Veer bas waha se nikal gaya.

[Well! That went smooth!!!]

***

Jab Veer ghar pohucha tabhi uske phone par ek message aaya.

"Kya tum free ho Veer? I want to talk to you! I'll treat you to a meal."

Sonia ki taraf se aaye iss message ko padh, Veer ki maano jese ek tension hi khatam ho gayi thi. Sonia ko date par le jaane ka mission jo mila tha. Lag raha tha ki shayad aaj hi uska ye mission bhi poora ho jaega. Aur finally wo unn points ko baaki skills aur apne stats par jald se jald invest kar payega.

Veer ne "Okay!" likhte hue Sonia ko message bhej diya aur beshaq, agle hi pal usse messsage aaya ki Sonia khud usse pick up karne aaegi. Par Veer ne mana kar diya. Ladki usse pick up karne aaye? Ye Veer ka style nahi tha.

Bhale hi abhi uske paas car nahi thi khud ki. Toh kya? Uske paas bike toh thi. Aur Sonia ne raazi hote hue usko ek hotel ka address aur meeting time message kar diya.

Sonia jo idhar apne ghar me thi wo apne phone se Veer ko message karne ke baad apne wardrobe me se dress choose karne me lag gayi.

Usse nahi pata kyu, par aaj wo kaafi chintit thi.

"Ye waala... Nahi, ye waala... Ughh! What should I wear?"

Sonia ek ke baad ek apni dress ko apne saamne lagaati aur mirror ke saamne khade hoke khud ko dekhti. Aaj uske liye ye boht zaroori nirnay tha.

Aam taur par chaahe wo meetings me jaaye ya kisi company related kaam se toh Sonia bas professional look me khud ko dhaalti thi. Parties me thoda sa exotic look aur casually ride karte time ek decent look apnaati thi woh.

Par aaj, wo thodi bechain thi. Kya pehne? Aur kesi lagegi wo Veer ke saamne? Uske mann me yahi chal raha tha. Veer se uss din ki mulaqaat ke baad se hi, Sonia ka Veer me interest kayi guna badh chuka tha. Aise toh woh kabhi kisi ladke par itna dhyaan nahi deti thi. Par Veer ne jese uska nazariya badal diya tha. Ek kaaran aur tha Veer ke peeche jaane ka.

Kaera!!

Kaera jaisi ladki Veer ke peeche lagi hui thi. Toh iss baar toh jese Sonia ye baazi harr haal me jeetna chaahti thi.

***

At Night...
8:35 PM...

Veer bataayi gayi hotel me pohuch chuka tha. Saala hotel bhi 5 star thi. Aalishaan ekdum.

Andar Veer jese hi daakhil hua, usse Sonia alag hi nazar aa gayi. Kyuki aaj wo itni zyaada khubsoorat jo lag rahi thi.

Ye hotel sheher me boht prachilit thi. Toh waha sabhi high class waale log maujood the. Including the rich and graceful ladies.

High society ki ladies waha sabhi mehngi mehngi jwellery pehne aur mehnge kapde pehne hue baithi hui thi.

Bhale hi wo kitni bhi sundar kyu na ho, unn sabki sundarta jese aaj Sonia ne apne husn se dhaak ke rakh dii thi.

Wo bas chupchap baithi Veer ka intezaar kar rahi thi. Aur uske chup rehne ke bawajood wo waha baithe aadmiyo ko sarr baar baar ghumaane par majboor kar rahi thi.

'She looks so beautiful!'

Apne mann me soch Veer aage badha.

Hotel ka ambiance itna pyaara tha aur halki halki roshni Sonia ke theek upar pad rahi thi jo uski makhmali gori twacha ko aur bhi nikhaar ke darsha rahi thi. Aaj wo shaandar red dress pehne hue thi.

Aankho me behad chamak thi, uski bhari bhari kaali palke baar baar jhapakti, uski bauhe bhi aankho ki harqat ke hisaab se upar neeche hoti. Par...

Par uske dil me abhi bhi wahi bechaini maujood thi.

Veer aaya aur aake seedha Sonia ke saamne waali seat par baith gaya. Aur uske aisa karte hi, waha maujood aadmi jo Sonia par nazre gadaaye the unka jese dil toot gaya. Mann me bas gaali hi nikli Veer ke liye.

Veer ek simple black shirt aur blue jeans me tha. Nike ke shoes aur haath par ek casual sii watch. Uska appearance accha tha par uss hotel me Veer se bhi kayi guna ameer aur kayi guna acche dikhne waale bande baithe hue the.

Aur Veer ko dekh unke mann me yahi chal raha tha ki...

'Ye gaandu me aisi kya khaas baat hai?'
'Ye ladka toh ekdum simple hai!'
'Iss ladke ne bhala aisi khubsoorat lady kaha se pata lii?'

Kuch aisi hi baatein unke dimaag me aa rahi thi.

[Hmph~ Look at those assholes! Getting Jealous...]

Veer ne unn jalan khori logo ki nazro ko ignore kiya aur muskuraate hue Sonia ko dekh bola,
"Kya mein zyaada late tha Miss Sonia? I see you were waiting!'"

Achanak se Veer ko apne saamne dekh Sonia ki bechaini aur bhi badh gayi.

Sonia : Ahh! N-Nahi! Mein bhi abhi aayi bas Veer!

Bhale hi Sonia ne muskuraate hue ye baatein kahi thi. Par Veer acchi tarah se parakhna aur dekhna jaanta tha.

Make-up se harr cheez nahi chhupaayi jaa sakti thi. Ya yu kahe ki zyaada make-up se, kuch cheeze apne aap ujaagar ho jaati thi. Veer dekh paa raha tha ki aaj Sonia ne aankho ke neeche usual se kuch zyaada hi make-up kiya hua tha.

'She was crying!'

[H-Huh? Par kyu?]

Pari ke sawaal ko Veer ne ignore kar diya. Pari aur Veer dono hi ye nahi jaante the ki aaj Sonia yaha aane se pehle royi toh zaroor thi. Par ye khushi ke aasu the.

Uss din jo Veer ne baat kahi thi.

"You and Miss Kaera, are both equal to me!'"

Ye vaakya jaise Sonia ke kaano me mandra raha tha uss din se. Na jaane kabse usse kisi ke muh se ye sunn'ne ka intezar tha. Warna aksar harr koi usse aur Kaera ko compare karta aur fir usse chorr Kaera ki tarafdaari karne lagta. Par Veer ne toh jese ek nayi aas de deti thi Sonia ko.

Ant me Veer ne apne sawaal rakha, "Aap ne suddenly aaj mujhe bulaaya!? Kya kuch kaam tha?"

Sonia : Haaaah!? N-Nahi! Kya mein... Kya mein tumhe dinner ke liye nahi puch sakti?

Veer (smiles) : Kyu nahi puch sakti? Of course you can! Mujhe bas laga ki shayad aapko koi zaroori kaam tha.

Veer ki baat sunn, Sonia ne apni nazre neeche kar lii aur badi hi dheemi awaaz me boli,

Sonia : Actually... Uss din... Uss din jo tumne mujhse kaha tha. Trust me Veer! Aaj tak mujhse wo baatein kisi ne nahi kahi. I'm very thankful to you. Thank you! Thank you very much. Tum jaante nahi ho, but it means a lot to me.

Veer Sonia ko bhawnao ko samajh paa raha tha isliye usne bhi muskurate hue apni baat rakhi.

Veer : Mene wahi kaha jo mere liye sach tha. Aur hamesha sach rahega.

Sonia (blushes) : Ahh!?

Uss din na jaane Sonia me itni himmat kaha se aa gayi thi ki wo Veer ko gaalo par kiss de baithi. Par asal me, Sonia badi hi sharmeeli kism ki ladki thi. Kyuki usne kabhi man ke saath utna interact kiya hi nahi tha. Khaaskar iss jawaani ke samay. Bas Veer hi ek tha.

Sonia (blushes) : Umm...

Veer : Hmm?

Sonia : That...

Veer : !??

Veer ne notice kiya ki Sonia kuch kehna chaah rahi thi par keh nahi paa rahi thi. Shayad sharma rahi thi.

Veer : Kuch baat hai kya Miss Sonia?

Sonia (blushes) : I...

Bechaari Sonia itna sharma rahi thi. Par jese tese usne himmat karke puch hi liya.

Sonia (blushes) : W-What is the relationship between you and Kaera?

Veer : *cough* *cough*

Veer jo iss waqt paani pee raha tha, ye sawaal sunte hi usse phanda lag gaya.

[Ohhhhhh~ Hahahahahaha! Explain karo ab.]

Sonia : Aah! A-Araam se... Be careful!

Sonia ne uske haatho se glass liya aur waapas table par rakh diya.

Par Veer itna hairaan kyu reh gaya tha? Kyuki jese hi Sonia ne ye sawaal pucha tha. Veer ko Kaera ke sang bitaayi pehli raat yaad aa gayi, jis kaaran se usse phanda lag gaya tha.

Veer : Ahem... That...

Sonia : Hnn!?

Veer : Actually! We both just know each other. Wo meri help karti hai kabhi, toh kabhi mein unki.

Sonia : K-Kis...? Kis tarah ki help?

Veer : Like, last time unhone mujhe meri signature dishes ko dhundne me help kii thi. She gave me some business related advises. Aur mene unki madad uss din unhe uss Mirror Gallery me ho rahe hamle se bacha ke kii thi. You know... Mutual exchange!

Sonia (maayus hote hue) : Mutual exchange huh? But... Keval advises ke badle me, khud ki jaan daav par lagaana!? That's quite an exchange.

Sonia maayus thi. Beshaq! Isme koi doubt nahi tha. Uska kehna bas simple tha. Bhala chand advises ke liye Veer ne Kaera ki jaan bachaane ke liye khud ki jaan jokhim me kyu daali? Par jese Sonia ko iska uttar agle hi pal mil gaya.

Veer (smiles) : Yadi Miss Kaera ki jagah aap waha hoti, I would have done the same for you!

*Badump*

Sonia : Aahhhh!???

Sonia ka dil pal bhar ke liye itni zorr se dhadka ki wo aankhein phaade Veer ko dekhne lagi.

Sonia (blushes) : T-T-Th-That...

Bechaari ki zubaan hi ladkhada gayi.

Sonia (khuspusaaate hue) : W-Why for me...!? Why would you?

Veer (smiles) : Didn't I say before? For me... Miss Kaera and Miss Sonia are both equal!

*Badump*

Sonia bechaari iss baar Veer ke hamle ko na seh paayi aur usne sharmaate hue apni nazre neeche kar lii.

Uske baad unn dono ne hi khaana khaaya aur jab bill dene ke baari aayi toh Veer ne bill pay karne ko kaha.

Sonia : No waaay! Mene tumhe bulaaya tha Veer. So, mujhe hi bill pay karna chahiye!

Veer : Bilkul bhi nahi! Aapne pehli baar mujhe bulaaya hai. Iss baar toh bill mein hi pay karunga. Agli baar bhale aap kar dena.

Sonia (blushes) : That... F-Fine!

Aur dono hi hotel se baahar nikal aaye.

Sonia : Umm... So? Kya mein tumhe firse aise dinner par bula sakti hu na?

Veer : Of course! But next time aap nahi, mein aapko leke chalunga.

Sonia (smiles) : R-Really?

Veer (smiles) : Really!

Sonia : Th-Thanks!

Veer nod karte hue jese hi jaane ke liye hua toh...

Sonia (blushes) : Wo...

Sonia ki awaaz sunn wo palta aur tabhi...

Usse do narm aur behad hi garm cheez ka ehsaas apni chaathi par hua.

Sonia uske gale se lag chuki thi. Par jab tak Veer iss ehsaas ko aur acche se mehsoos kar paata wo forun hi sharmaate hue peeche hatt gayi,
"I'll... I'll tell you beforehand mein kab free rahunga. B-Bye! Take care~"

Aur itna bol wo bas tezz kadmo ke saath apni gaadi ki orr bhaag gayi.

Aaj wo behad khush thi.

Veer bas muskuraaya aur apni gaadi utha ke chal diya ghar ki orr...

Aur tabhi,

*Ding*

['Mission : Take Sonia on a date' has been completed.]

[You have been rewarded 600 Points.]

***

Raat me Suman aur Aabha jesa ki baat tay hui thi dono hi uske agal bagal laiti hui thi. Aur dono hi...

Jesa ki aapne sahi samjha. Dono hi ekdum nagn haalat me thi. Veer aaj unn par toot pada tha.

Wo laita hua abhi apne agal bagal se chipke dono Aabha aur Suman ke doodh ko enjoy kar raha tha aur dheere dheere dono ke chutado ko mal raha tha.

Jab achanak hi usse Arohi ka call aaya,

Veer : Arohi dii?

Arohi : Kal! Subah! Sharp 11 baje... Ghar aa jaana Veer. Dada jii! Wo apna decision sunaane waale hai.

Aur thodi derr Arohi se baat kar Veer bistar par uth ke baith gaya. Kal pakke se kuch scene bann'ne wala tha ghar me.

Pari toh sleep mode me thi. Isliye Veer ne khud hi apne mann me shop kholi aur seedha shop me search maara.

Intermediate Martial Art Skill!!!

Neeche price likha hi tha~

400 Points!

Aur Veer ne ek baar me hi purchase ke option pe click kiya aur...

*Ding*

[Intermediate Martial Art Skill is now available.]

Aur ye notification sunte hi Veer muskuraate hue waapas se apni dono sevikaao ke beech lait gaya.

'Pranjal! I'm preparing a surprise for you!!!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like thok ke jaane ka. Holi me baith kar likha hai update. Aur comments zaroor rakhne ka. 😁
nice update..!!
veer ne enemy find karne ki skill se balhar ko dhundh liya aur limbo skill use kar ke usko jakhmi bhi kar diya..veer ne usse bas slogan ki information dene ka kaam diya hai lekin pehle woh jarur apna hath thik karne ki sochega lekin jab hath thik nahi hoga toh usse veer ka kaam karna hi padega aur veer ne usse lalach bhi diya hai slogan ki jagah dene ka..!! sonia ke dil me toh veer ne apne naam ki ghanti baja di hai..aur date pe bhi veer ne sonia aur kaera ko equal hi bataya toh sonia ka khush hona toh banta hai..ab dekhte hai sonia kab apne dil ki feelings share karti hai veer se..!! suhana ka veer ke liye sorry bolna shocking toh hai lekin achha hai..!! bhai aap nidhi ki behen shreya ko bhul gaye ho..bichari woh bhi veer se pyaar karti hai toh usko bhi thoda dkhao..!! yeh pranjal ne bahot natak kar liya ab uske natak se parda utne ka samay aagaya hai..ab dekhte hai veer kaise usko sabak sikhata hai aur sath uss harami vivek ko bhi..!!
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,382
158
Update : 62 ~ Mirror Gallery (2)
Ab tak...

Kyuki tabhi usse smoke me hi neeche zameen ke side kuch harqat hoti hui nazar aayi. Maano jese kayi saare perr chalte hue aa rahe the.

Aur ye dekhte hi uske shareer ke baal khade ho gaye.

Kaera ko usne forun hi apne peeche kiya aur uske saamne uski shield bann ke khada ho gaya.

[Be prepared! Kuch gadbad hai. I think they are people.]

'Let them come...!'


Ab aage...

Veer Kaera ko apne peeche kiye usse protect karne ke liye khada hua tha.

Aur dhua tha, jo hattne ka naam hi nahi le raha tha.

Kaera kehna toh hazaar shabd chaahti thi par Veer ki tight grip uski kalaayi par mehsoos kar, aur ye dekh ki wo kitna serious tha wo chup reh gayi.

Veer idhar chup zaroor tha par uska dimaag nirantar chale jaa raha tha. Kareeb aate hue perro ko dekh usne forun hi unhe check kiya.

'Check!'

[Hired goons.

Bio : Goons hired from local area. They are here for Kaera.]

Aur bas, ye padh ke ab usse 100% visvaash ho gaya tha ki ye sab kuch Kaera ke liye hi rachaaya gaya tha.

[Kaera ko thoda sa peeche karo. Don't let her get involved in the fight.]

'Yeah!'

Aur Pari ki baat maan, Veer ne Kaera ko thoda apne peeche ki orr kar diya. Uski kalaayi chorr ke wo aur aage aaya.

Aur beshaq, jese hi wo aage badha saamne se aa rahe log aur tezzi se uski orr aage badhe aur...

[Here they come!]

Saamne se sabse pehle ek aadmi bhaagte hue uss dhue me se aaya aur aate hi usne ek tezz tarraar ghusa seedha Veer ke muh pe maarne ki koshish kii.

Par, Veer pehle ki tarah nahi tha. Ek pal me hi uski aankhein fel gayi jaise maano wo fighting mode me aa gaya ho aur usne turant hi apna sarr side kar liya.

*Whoooossshhhh*

Uske kaan ke bagal se wo ghusa nikla toh Veer ko uski hawa mehsoos hui. Aur wo ye bata sakta tha ki aadmi ne apna haath kitni zorr se chalaaya tha.

Par Veer toh Veer tha. Sambhalne ka koi samay nahi dene waala tha wo apni enemies ko.

Agle hi pal usne apne right hand se uss aadmi ka wahi haath thaama aur apne dusre haath ki fist se seedha uss aadmi ke gaal par punch kiya.

*Pooowwwwww*

"Ughhhh!!!" Wo aadmi Veer ke haatho punch khaate hi peeche bagal me jaa gira. Veer ke reflexes fast the. Aadmi ko samajh me hi nahi aaya ki kab Veer ne uska haath thaam usse maar bhi diya.

Uske girte hi baaki aadmi Veer ke kareeb aaye. Unme se dusre ne sabse pehle do baar apne ghuso se vaar kiya.

*Whooooossssshhhh*

*Dodge*

*Whoooossshhhhh*

*Dodge*

Hamle toh tezz the, par Veer se tezz nahi. Dono hi ghuso ko Veer ne left aur right lean kar ke unhe asaani se dodge kar liya tha. Jab uss aadmi ne apna teesra vaar karna chaaha toh...

"Wrong choice buddy!"

Kehte hue Veer ne usse iss baar koi mauka nahi diya. Achanak hi wo tezzi se uske ekdum kareeb aaya aur...

*Poooooowwwww*

Ek kamaal ki spinhook kick.

Jo seedha jaake uss dusre aadmi ke jabde par padi aur uske poore shareer ko hawa me uchhaal ke kisi lattu ki tarah ghumaate hue peeche fek dii.


Negligible-Ethical-Dodo-max-1mb-1

"Damn!!! Hahaha~"

[That was a nice kick indeed.]

"Basic Martial arts skill waqai kamaal kii hai. Kitna kuch hai isme."

[Yes! But trust me, ab samay aa gaya hai ki tum intermediate level waali martial arts skill purchase karlo. Kyuki I think tumne basic waali kaafi hadd tak master karli hai.]

'Yeah!!! Points milne ke baad.'

[200 points hai tumhaare paas.]

'They are for quest.'

[Y-You!!! Okay! Enough talking! Teesra banda aa raha hai. Careful! Haath me weapon hai uske shayad.]

'Yeah!'

Do bando ko giraane ke baad Veer Pari ki baat sunn teesre par focused ho gaya. Aur Pari sahi thi.

Uss teesre bande ke haath me hathiyaar toh nahi tha par haan, uski mutthi par khatarnak knuckles zaroor the. Wo nukile knuckles pehne Veer ko maarne aaya.

Yaha par Veer ne samajhdaari dikhaate hue uske kuch deadly vaar dodge kiye. Kyuki ek bhi baar yadi wo nukile knuckles uske contact me aate toh nateeja fir saamne hota.

Chotil hona aur khoon ka behna.

Savdhaani baratna behtar tha yaha par.

Par Veer dodge kar nahi paa raha tha kyuki chautha banda bhi uss pe ussi waqt toot pada.

Zaahir tha ki wo yaha 1 vs 1 nahi karne aaye the. Jab itni tadaad me aaye the toh saaf tha ki wo dhaava bolne hi aaye the Veer pe.

Veer jese tese dodge kar raha tha aur unke attacks ko deflect kar raha tha. Kaera ko usne ekdum darwaaze ke paas khada kar diya tha jaha se wo enter hue the. Par palatvaar karne ka usse sahi mauka aur space nahi mil rahi thi.

[Use your surroundings.]

'You mean...!?'

[Yes! Mirrors! Use them!]

'Ye mat kehna ki...'

[Of course~ Slam them into it. Mirrors me bhed do unhe.]

'Wait! Aise me...'

[What? Nuksaan hoega? Don't you know ki ye sab kuch owner nahi karwa raha hai. Yaha ye illegal use ke liye khola gaya hai. Ab isme kya mirror todne ke baare me soch rahe ho tum? Just fucking slam them. Destroy it!]

'Alrighty!!!'

Pari ne jese Veer ki ek mushqil hal kar dii thi. Aas paas lage sheesho ko todne me Veer thoda sankoch dikha raha tha. Kyuki wo abhi full control me fight kar raha tha. Usse apne aas paas ki sabhi cheezo ka dhyaan tha. Isliye, usse thoda sa sankoch ho raha tha.

Lekin Pari ne uski ye pareshaani bhi dur kar dii thi. Jab ye saara samaan owner ki permission ke bina use ho raha tha toh kyu nahi? Todo behanchod!

Aur muskurate hue iss baar Veer ne uss knuckle waale bande ke attack ko jab dodge kiya toh wo fir ruka nahi. Usne dodge karte hi apni fist uske pait par maarni chaahi lekin...

*Dodge*

'Hmm?'

Wo banda Veer ke ghuse ko apne dono haatho se rok peeche ho gaya.

[He dodged it.]

Neeche pade unn do bando se alag tha shayad ye aadmi jo knuckles pehne hue tha. Fighting me ye unse behtar tha. Warna Veer ki fist yu nahi rok paata.

'I see!'

Sochte hue Veer next attack ke liye khud ko prepare kar raha tha jab chauthe bande ne achanak hi uspe ek lakdi se vaar kiya.

*Swoooossshhhh*

*Dodge*

'What the...!?'

Duck karte hue Veer uss hamle se bacha. Dhue me se achanak se wo lakdi uske muh par aayi thi seedhe. Yadi uske reflexes tezz na hote toh aaj pakke se Veer ka thobda gaya tha.

Aur wo chautha banda maano jese pagla hi gaya tha.

"Haaaaaaa~" gusse me chillaate hue wo Veer ki taraf daudte hue kahi bhi uss lakdi ko chalaaye jaa raha tha.

*Whooooshhhh* *Swooooosssshhhh*

Kuch aisi awaaze aa rahi thi uske harr vaar se. Aur hawa me maujood dhua, uske harr attack par chirr jaata aur uski chhavi Veer ko dikhne lagti.

Veer multiple back hand spring maarte hue peeche ki orr jaata jaa raha tha aur wo aadmi uski taraf bhaagta jaa raha tha.

Back hand spring~
Spotless-Faroff-Americangoldfinch-max-1mb

[Flick his toe.]

Pari ki awaaz kaan me padte hi Veer ne ussi waqt jis waqt wo back hand spring maar raha tha tabhi apne dono perro ki bajaaye iss baar ek perr hi zameen par giraaya aur jhukte hue dusre perr se uss saamne aate hue aadmi ke perr ko flick kar diya.

*Flick*

Aur nateeja saamne tha. Perr par Veer ki laat padte hi wo aadmi apna santulan kho baitha aur dhadaam se neeche gira. Wo uth paata ki tabhi Veer uspe toot pada.

Uske haatho ko restrict karke Veer ne do zordaar ghuse uske gaal par jade. Veer usse aur dhunta par jo knuckes waala banda tha wo apne saathi ko pitate dekh Veer ki taraf bhaagte hue aaya.

'This guy... Tch!'

[Isse jaldi thikaane lagao. He's a pain in the ass.]

'Yeah!!'

[Mirrors!]

'Hmm~ Samajh gaya!'

Pari ki hint milte hi Veer lapak pada uss bande par.

Haan thoda tough tha iss bande se deal karna kyuki wo bhi dodge karna jaanta tha par fir bhi Veer se behtar nahi.

Jab finally wo Veer ki pakad me aaya toh ussi waqt uska khel khatam ho chuka tha.

Veer ke hontho par muskaan thi. Uske muh se bas yahi shabd nikla...

"One inch punch!"

*Pooooooooooowwwwww*

"Aaarrghhhh!!!!!!"

Aur wo knuckles pehna hua aadmi ek strong force ke saath ucchal ke left side par lage mirrors me se ek mirror me jaake bhid gaya.

*Craaaashhhhhhhh*

Hazaaro tukdo me wo sheesha toota aur uss aadmi ke saath hi wo kaanch ke tukde bikharte hue neeche idhar udhar fel gaye.

Kaera ekdum shocked nazro se sab hota hua dekh rahi thi. Wo thoda sehmi hui bhi thi kyuki ye pehli baar tha jab wo aisi ladaayi live dekh rahi thi.

Beshaq, usne pehle bhi kayi dafa trained logo ko ek dusre ke saath ladte hue dekha tha par ye kuch alag tha. Yaha ladaayi jaan lene ke liye ho rahi thi. Aur harr vaar ekdum asli aur chot pohuchaane ke liye kiya jaa raha tha.

Iss se pehle yadi Kaera ne koi live fight dekhi thi toh woh tab hi thi jab Raghu usse aur Veer ko bachaane aaya tha uss din.

Finally, saare bande down the. Keval 4 hi log se haath bhidha tha abhi Veer ka.

[I think there might be more.]

'Hmm~'

Pari ka yaha ye sochna galat nahi tha. Aisa bilkul possible tha ki aur bande bhi honge. Keval 4 logo ko toh bhejega nahi koi Kaera jaisi ladki ko kidnap karne ke liye.

Veer, Pari ki baat par dhyaan dete hue soch hi raha tha jab achanak hi Pari zorr se uske mann me chillaayi.

[Get dooooowwwnnnn!!!!!!]

*Duck*

Apne aap hi Veer ka shareer jhuk gaya. Maano jese Pari uski koi remote controller thi. Pari ke harr bol par Veer ke reflexes itne fast the ki Pari koi instruction jese hi deti toh next guzarte second hi Veer ki body usse follow kar leti.

*Whooooosssshhhh*

Uske jhukte hi koi cheez tezz raftaar se ekdum se guzri aur peeche jaake diwaar me khus gayi.

Veer ne jese hi palat ke dekha toh pal bhar ke liye uske raungte khade ho gaye.

Peeche ek badi sii chhuri thi jo deewaar me khusi hui thi aur wo bhi Kaera ke sarr se bas kuch inch dur.

'Shit!!!'

[Marrte marrte bachi hai wo. Pay attention!]

Kaera ekdum sehmi hui wahi khadi thi. Usne apni jagah ek centimetre bhi nahi badli thi. Maano jese bhay se wahi jamm gayi thi woh.

Jisne bhi ye knife pheki thi wo definitely koi skilled tha.

Kyuki yadi Veer jhuka nahi hota Pari ke kehne par toh wo knife seedha uske maathe me jaa kar ghusti.

Aur uska wahi THE END ho jaata.

[Be careful!]

'Hmm~'

Ab mahaul kuch tang sa ho gaya tha. Veer ki bauhe ab tension ke maare sikud rahi thi. Saamne dhuye ke peeche jo koi bhi tha woh neeche pade unnc haar chutiyo se kahi zyaada trained tha.

Ye baat usne apni knife phek ke hi saabit kar dii thi.

[Remember! Mirrors are your friends!]

'Yup! Got it!'

Apni shirt, jiski sleeves 2 baar folded thi. Veer ne unhe ek-ek baar aur fold kiya aur apni shirt ki aasteen ko aur upar chadhaaya.

Uske baad usne ek martial art stance liya. Jese kehna chaah raha ho ki 'Aao, mein ready hu.'

Saamne dhuye me khada vyakti bhi shayad Veer ki baat samajh chuka tha.

Aur bina koi samay gavaaye wo tezzi se Veer ki taraf aaya.

[He's fast!!!]

'Haan!'

*Whooooooossshhhh*

Ek punch seedha Veer ki pasli ki taraf...

*Dodge*

Lekin shandaar body roll karte hue Veer uss hamle se bacha.

*Whoooooossshhhh*

Iss baar ek kick aayi uski chhaathi par jo boht tezz thi.

'Shit!'

Apne dono haatho ko Veer ne X banaate hue wo laat apne haatho par lii aur uske force ke chalte peeche jaa gira.

[He's coming!!!]

Veer ke girte hi wo aadmi seedha hawa me udte hue ek aur kick maarte hue aaya.

*Craaaaashhhhhh*

Lekin sahi samay par Veer ne neeche zameen par roll karte hue khud ko bachaaya aur nateeja?

Wo aadmi waha lage unn kayi saare Mirrors me se ek mirror me ghus gaya.

[G-Good! Attack him!]

Yahi sahi mauka tha. Jaha wo aadmi abhi sambhal kar unn sheesho ke tukdo ke beech uth raha tha toh Veer aage badha aur uss aadmi ki orr aaya.

Par Veer ka ye plan ki wo uss aadmi ko yu hi pakad ke gira dega agle pal hi fail ho gaya.

Kyuki girne ke turant baad hi wo apni chot ko chinta kiye bagerr hi uth ke khada ho chuka tha.

Veer ko apne kadam wahi thaamne pade.

[He's strong!]

Pari ki baat se sehmat hote hue Veer ne usse check karna hi theek samjha.

'Check!'

[Name : Dexter

Age : 34
Bio : Dexter ek trained assassin hai. Paiso ke liye hi ye apne saathiyo ke saath assassination missions par jaata hai. Yahi uska dhanda hai. Melee combat me tezz hai. Agility boht hai. Knife ki fights me uske dost usse iska master bulaate hai.

Favourability : -60
Relationship : Enemies.]

'Shit!!!'

Sab kuch saamne tha. Saamne khade aadmi ka naam Dexter tha aur wo koi local aadmi nahi balki ek skilled aur trained Assassin tha. Uska status hi sab kuch uski khubiyoo ke baare me bayaa kar raha tha.

Ye toh pakke se dikkat se bharpoor hone wala tha Veer ke liye.

[Favourability dekhi? It's minus 60.]

'Yeah! Of course! Ek assassin hone ke naate wo mujhe yaha maarne aaya hai. Toh definitely itni toh rahegi hi.'

[Hmm~ See! Wo knife me master hai according to his status. Aur humne dekh hi liya ki usne kis tareeqe se wo knife tumhaari orr pheki thi.]

'Yeah!'

[My point is... Melee combat me uske haath me knife mat aane do.]

'What if he has another one?'

[He has. Ek pocket knife zaroor hogi uske paas jese tumhaare paas hai. Assassin hai woh. Now listen to me.]

'Jo bhi bolna hai jaldi bolo. Wo aane hi waala hai.'

[Right! Dekho! Ek assassin ki kamzori kya hoti hai?]

'What?'

[Wo tezz hote hai, nimble hote hai, furtile ekdum. Unki haath ki safaayi ka koi muqaabla nahi hota lekin...]

'Lekin?'

[Lekin wo utne strong nahi hote.]

'You mean...!?'

[Yes! Tumhe bas do chaar tagde vaar karne hai uspe. Wo tezz isliye rehte hai kyuki wo bodybuilder nahi hote. Jis kaaran se unka wazan kam hota hai bodybuilder ke muqaable. Tabhi toh assassin kehlaate hai. Bas do se chaaar strong hits weak region me maaro aur khel khatam. Trust me!]

'Alright! I'll try!'

Jis waqt Veer idhar apne mann me Pari se baat kar raha tha tab wo Dexter uth ke apne kapdo se sheeshe ke tukdo jhatkaar raha tha. Jaise usse visvaash tha ki wo yaha se jeet ke hi lautega, itne araam se khada hua tha.

Aur khud ke shareer se kaanch ko hataane ke baad hi wo ek baar fir Veer ki taraf lapka.

*Thud*

*Whoooosssshhhh*

*Dodge*

Iss baar dono hi Veer aur wo Dexter poori tarah se bhid chuke the. Hatho se haath takra rahe the, aapas me mutthiya kassi hui thi, kohni se toh kahi perro se vaar kiye jaa rahi thi.

Aur harr guzarte pal dono hi kuch na kuch damage apne shareer par le rahe the.

Par issi beech wo hua jis se Veer hairaan bhi tha aur chintit bhi.

*Scraaaaaatttttchhhhhh*

'Aarrghhhh!!! Shittttt!!!'

Wo apne seene par haath lagaaye jhuka. Aur...

*Drip*

*Drip*

*Drip*

Khoon ki laal laal bunde uske seene se gir rahi thi jaha kuch derr pehle hi Dexter ne apni churri se vaar kiya tha.

'When did he..!?'

[Uska strap...]

'Huh???'

Veer ko samajh me nahi aaya tha ki hathapaayi ke waqt aakhir achanak se Dexter ke haatho me chhuri kese aa gayi thi?

[Uski t-shirt par strap bandha hua hai.]

'Shit! Iska matlab...'

[Yes! Ladte waqt hi usne apne seene par bandhe strap ko khola aur dhuye ka fayda utha ke tumhari nazar se bacha ke wo knife haath me le kar tumhare chest par vaar kiya.]

'That bastard....!'

[Mene kaha tha na. Inki haath ki safaayi boht hi skilled hoti hai. Upar se ye dhua. I think ki ye dhua uske advantage ke liye hi kiya gaya tha. Aur... Shit!!! Dodge that...]

Pari bolte bolte achanak hi ghabra gayi kyuki Dexter jo shaant khada tha wo ekdum se uss dhue me se daudta hua uski taraf aane laga.

Par Pari ki warning thodi late thi.

'Huh?'

Jab tak Veer ne saamne dekha tab tak Dexter ki laat uski chaathi par lag chuki thi aur...

*Thud*

"Uggghhhhh!!!"

Karaahte hue Veer hawa me peeche ki orr gira.

Aur jaake...

*Thud*

*Thud*

Kaera ke bagal se entrance waali deewaar par jaa bhida.

"Veeeeeeerrrrrr!!!!"

Kaera bechaari ghabraate hue cheenkhi aur usne forun hi apne ghutno ke bal baithate hue Veer ko thaama.

Par agle pal hi wo jese jhep sii gayi. Uska shareer kaapne laga.

Kyuki Veer ke seene par uss safed shirt par kuch geela geela failta jaa raha tha.

Aur iss baat ka pata lagte hi ki wo kya tha, Kaera ka badan wahi jaam sa ho gaya tha, maano jese saanp sungh gaya ho usse.

Kaera (kaapte hue) : V-Ve-Veer!???

Veer bas lambi lambi saasein le raha tha, kuch keh nahi raha tha aur uski khamoshi Kaera ko aur bhi bechain kar rahi thi.

Wo Veer ko zorr se jhanjori aur usse pukaari toh iss baar finally Veer ne jawaab diya.

Veer : Don't.... Don't worry! I'm fine!

Kaera (rote hue) : Noooooooo!! YOU ARE NOT!!!!

Veer : Look at me!!! Mene kaha na~ I'm fine!

Kaera (cries) : Y-You are bleeding!

Kaera ko jese khoon dekh ke kuch ho gaya tha. She was getting PTSD.

PTSD maane Post traumatic stress disorder. Ek aisi health condition jo tab trigger hoti hai jab aapne kisi khaufnaak drishya ko dekha ho.

Kaera jab choti thi tab hi usne uss din apne ghar ke maali ki laash dekhi thi khoon se sani hui. Tab se hi bechari Kaera ke andar blood ko lekar wo traumatic experience uske mann me basa hua tha.

Aaj Veer ko bhi ussi tarah chhathi par khoon dekh, uske andar ka wahi PTSD trigger ho chuka tha. Yahi kaaran tha jo itni strong woman aaj yu iss tarah kaap rahi thi.

Veer : I know I'm bleeding! Don't worry! Mujhe kuch nahi hoga.

Wound lamba toh tha par kismat thi Veer ki jo wound deep nahi tha. Warna yaha dikkat aa sakti thi uske liye.

Wo utha aur usne deewar par khusi wahi chaaku nikaali jo kuch waqt pehle Dexter ne uski orr pheki thi.

Usse nikaalte hue Veer ne usse apni shirt ke kandho ke hisse par chalaayi aur apni uss poori sleeve ko phaad ke usse lamba kar usne wo aasteen apne seene par baandh lii.

Ghaav gehra nahi tha par lamba zaroor tha. Blood jitna jaldi ruk sake utna behtar tha. Aur abhi uske paas yahi option tha.

Veer ne fataak se jeb me haath daal phone nikaal Raghu ko call lagaaya.

*Ring* *Ring*

Par...

Dexter waha khade khade usse ye sab kuch karne kaha dene waala tha.

Ek baar fir uske kadam Veer aur Kaera ke kaano me pade toh Kaera firse darr gayi.

Lekin Veer ki nazar iss baar ekdum focused thi. Wo ready tha.

'Come!'

Wo jhuke hue tha iss baar.

'Yadi mujhe dhuye me dekhne me pareshaani ho rahi hai toh definitely isse bhi ho rahi hogi.'

Aur waqai wahi hua. Dexter ne andaaze se Veer ki jagah par chaaku se vaar kiya...

*Swoooooooossshhhh*

Dhua hata par...

Veer waha nahi tha. Aur shayad pehli baar Dexter ki nigaaho darr ke maare fel gayi.

Kyuki Veer...

Waha nahi, balki ussi jagah par neeche jhuka hua tha.

Veer : *smiles*

Aur fir...

*Pooooowwwwwww*

Ek kohni ka vaar seedhe Dexter ki pasli par aaya.

"Ughhhh!!!! Gwaaakkkkkhhhh!!!!" Uske muh se thook nikla aur uske baad hi...

*Poooowwwwwww*

Kohni ke baad Veer ki ek ulti fist Dexter ki seedha naak par aake lagi.

*Craaaaaaassssshhhhhh*

Aur ek baar fir wo iss baar right side lage hue mirrors me jaake ghus gaya.

Saare sheesho ke tukde hote hue waha gir gaye.

"H-Hello? Hellooooooo!!!"

Idhar Veer ne apne liye time nikaal liya tha. Aur jese hi usne phone kaan me lagaaya udhar se Raghu ki hello hello ki awaaz aa rahi thi.

Veer (lambi saas lete hue) : Jaldi! Andar aao...

Aur itna bol Veer ne phone kaat diya.

Baahar Raghu ne jese hi ye suna toh Raghu aur Jassi dono hi tension me aa gaye.

Wo bhaagte hue andar jaane ke liye hue par jese hi entry ke paas pohuche...

Unke saamne do aur trained Assassins khade hue the jo side se nikal kar aaye the. Aur saath hi saath wo entrance waala banda bhi unke hi saath khada hua tha.

Jassi : Accha hua support bulwa lia. Inse nipatna padega pehle Raghu hume.

Raghu : Hmm!

Jassi (frowns) : Bas tab tak Veer sambhal le andar...

Raghu : Mene kaha tha tujhe gun rakh leni chaahiye thi.

Jassi : Mene rakhi thi emergency ke liye. Lekin wo car me hai.

Raghu : Waah! Aur tere kehne par mein nahi laaya aaj. Sahi me yaar... Kherr! Inn chutiyo se pehle nipat'te hai.

Jassi : Right! Yaad hai na? No killing!

Raghu : Haan haan!

Idhar andar Veer ne Raghu ke baad hi Suhana ko speed dial kar diya tha.

Aur udhar uska ishaara samajhte hi Suhana ne forun hi help bhej dii thi, saath hi police aur investigation ka saara maamla wahi sambhaalne waali thi. Par iss waqt wo bhi waha apne ghar me gehre chinta me doobi hui thi.

'Yadi tumne Slogan ko maar diya na veer then trust me... Mein tumhe lab me le jaake tumhaare upar 36 experiments karne waali hu. Kyuki there's no way you can kill someone like him, without any help. My eyes will be on you!!!'

Suhana ke thoughts se pare Veer idhar apne phone ko jeb me rakh ek baar firse ready tha ladne ke liye.

Dard toh thoda ho raha tha usse seene me par jo dard Veer pehle ladaayi me seh chuka tha ye chot uske muqaable kuch bhi nahi thi.

Kaera toh itna ghabra gayi thi uski haalat dekh ke ki uske masoom se chehre par poore aasuo ki boonde saji hui thi. Jhar jhar kar ke aasu beh rahe the uske. Aaj pehli baar Veer ne usse rote hue dekha tha. Kaha wo strong willed powerful Kaera aur kaha ye Kaera jo ro rahi thi aur rukne ka naam hi nahi le rahi thi.

[Bas ek aur hit! Aur wo gaya. You need to hit him one more time.]

'Yeah! Iss baar mein aggresive rahunga.'

Kaera (cries) : Veer!! You're bleeding!!

Kaera usse pukaar rahi thi toh iss baar veer palta aur Kaera ke sameep aake usne Kaera ka maatha thaama aur aage badh ke uske maathe ko choom liya.

Yadi koi aur ladka ye iss waqt kar raha hota toh Kaera uska kya hashr karti ye toh koi bhi nahi bata sakta tha. Par iss waqt Veer ki harqat usse zara bhi buri nahi lagi thi. Ulta wo aur zorr zorr se rone lagi thi.

Veer : Unme se ek ko bhi aapke paas aane nahi dunga. Trust me! I'll be your shield. And don't worry, ye bas ek scratch hai. Nothing else!

Bas itna bol wo firse muda aur Dexter ko face karne ke liye ready tha.

Aur tabhi...

*Click*

Entrance ka darwaaza khula aur Raghu andar aaya.

"Missssss!!!!!"

Kaera : Raghuuuuuuu!!!!

Usne Kaera ke haath ko thaamte hue forun hi usse le jaane ke liye kaha.

Par tabhi...

Dherr saare kadmo ki awaaz aane lagi.

Aur ek baar fir, Veer aur unn sab ke saamne kayi saare log khade hue the. Iss baar dhua thoda kam tha jis kaaraj Veer unki tadaad dekh sakta tha.

Takreeban 8 se 10 toh the hi.

Raghu : Support team se kuch members aa gaye hai jo baahar Jassi ki help kar rahe hai. Oye Veer! Jaldi! Waqt nahi hai. Chalo nikle yaha se.

Veer : Miss Kaera ko leke jao.

Kaera : Huh!??

Raghu : K-Kyaaa??

Veer : Trust me! Go now! Inhe mein dekh lunga.

Kaera (cries) : Noooooooooooooo~

Raghu (chilaate hue) : Oye dimaag toh theek hai na?

Veer : I told you na... Go now! Wo aa rahe hai. I have some unfinished business.

Apne daant meeste hue Raghu na chaahte hue bhi Kaera ko waha se forcefully le jaane laga.

Kaera (cries) : W-Whaaat??? Raghuuuuuu!!! Leave meeee! Wo waha akela hai. Veeeeeeerrrr!!! Nooooooooo~

Kaera jaate jaate Veer ke chehre ko hi dekh rahi thi. Usse andar se aaj pehli baar itni tadap aur peeda mehsoos ho rahi thi jisse wo bata bhi nahi sakti thi.

Wo cheenkhte jaa rahi thi par koi fayda nahi. Raghu ki pakad mazboot thi. Jaate jaate Kaera ne Veer ke chehre par bas ek muskaan dekhi thi.

Jisse dekh wo aur bechain ho uthi. Aisa laga tha jese maano wo Veer ki akhiri muskaan dekh rahi thi.

Aur uske mann me bas yahi sawal gunj rahe the.

'Whyyy? Why did he save me??? Kyu usne apni jaan jokhim me daal ke mujhe bachaaya? Uss din bhi aisa hi Kiya tha usne? Whyyyy???'

Par usse iska jawaab na mila.

"I'll send the help!"

Itna kehte hue Raghu Kaera ko lekar baahar nikal gaya.

*Click*

Aur darwaza ek baar fir band ho gaya.

Veer toh bas muskura raha tha kyuki...

*Ding*

[Mission : Take Kaera to Mirror gallery has been completed.]

[You have been rewarded 900 points.]

Par Veer ko majbooran yaha rukna tha.

Uska kaaran tha...

*Ding*

[Mission : Confront the gang!

Rewards : ???? Points.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like and share your thoughts! ✨
Awesome update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,382
158
Update - 64 ~ Help on the way
Ab tak...

*Ding*

[You have received a Legendary Card.]

[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]

Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.


Ab aage...

Kishor's Villa...
11:15 PM...


Jaha Veer ka koi thikaana nahi mil raha tha dhundne par wahi iss waqt, Mumbai me hi Kishor apne khud ke aalishaan villa me iss waqt night wear waale kapde pehne apni ek chair par baitha hua book padh raha tha. Jaise usse koi fiqr hi nahi thi.

Kaafi derr se wo aise baithe hue tha jab uske room ka darwaaza khula aur ek ladka uss kamre ke andar daakhil hua.

Wo ladka keval ek full black t shirt aur neeche blue coloured jeans pehne hue tha. Kishor ne apne peeche se kisi ke aane ki aahat paate hi book band kar dii aur bina uss ladke ko dekhe hi pucha, "Kaha the itni derr tak?"

Uske sawaal par ladke ne jawaab diya, "Mene aapko jataaya tha ki mujhe aane me thoda late ho jaega."

Kishor : Hmm! Thoda nahi kuch zyaada hi late ho tum.

Kishor ne side wall me lagi ghadi ki orr dekhte hue ishaara kiya, jisme samay 11:15 ho raha tha.

Ladka (sighs) : Kaam tha. Isliye... Thoda late ho gaya.

Kishor : Accha!? Theek hai. Par apne samay ka dhyaan rakha karo Karan. Mujhe poke na karne pade tumhe baar baar.

Karan : Jii!

Late aaya vyakti koi aur nahi, Kishor ka apna beta Karan hi tha. Aur Kishor shayad uske late aane se thoda disappointed tha.

Kishor : Jao ab.

Karan : Mujhe kuch baat karni hai aapse.

Kishor : Kesi baat!?

Karan : Aapko pata hai dii ke baare me? Kuch derr pehle kya hua?

Kishor : Hmm~

Karan : Toh? Aapne kya action liya?

Kishor ne iss baar palat'te hue apne bete ki orr dekhte hue kaha, "Tum kab se mujhse sawaal jawaab karne lage?"

Karan (frowns) : Baat meri dii ki hai. Unke upar hamla hua tha. Wo toh accha hua Veer waha tha otherwise...

Kishor : Hmm!? Veer... Tum kaise jaante ho usse? Huh?

Karan : Mein... Mein uss se mil chuka hu.

Kishor : Ohh! Aur ye baat tumne mujhe bataana zaroori nahi samjhi?

Karan : Wo... Bas choti sii mulaqaat thi.

Kishor : Hmm~ Toh!? Kya pata chala uske baare me?

Karan : Matlab?

Kishor : Mera matlab tum uss se mile ho toh itni derr milne ke baad kya kuch jaan paaye uske baare me?

Karan : Wo... I don't know much. Itna pata hai ki wo ek accha ladka hai. xxxxxxx college me padhta hai. Abhi abhi khud ka food truck shuru kiya hai shayad usne. Overall, mujhe uska first impression accha laga. Not to mention ki usne dii ko do baar bachaaya bhi hai.

Kishor : Hmm? Do baar?

Karan : Aapko nahi pata? Uss time jab dii par club me attack hua tha? Veer ne hi dii ko waha se safely Raghu and Jassi Sir ke paas pohuchaaya tha.

Kishor : Ohhh!

Karan : Hmm! Aur meri abhi Raghu se baat hui hai. Usne bataaya mujhe kitna kuch ho gaya hai. Dii toh waapas aa rahi hai uske saath par Veer mushqil me hai. Kya aapko nahi lagta ki aapko iss waqt kuch karna chaahiye!?

Kishor : Kya chaahte ho tum?

Karan : Mein... Mein chaahta hu ki aap Veer ko kisi bhi haalat me waha se bacha ke laaiye.

Kishor : Bas!?

Karan : Huh!??

Kishor : Tumhaare aane se pehle hi mujhe Kaera ka phone aaya tha. And for your information Mister Karan, mene uss Veer ke liye help bhej dii hai. Copter bhi bheja hai saath me.

Karan (surprised) : That...

Kishor : Yadi baat ho gayi ho, toh tum jaa sakte ho.

Karan : J-Jii!

Karan sarr jhukaate hue waapas mud jab jaane ke liye hua tabhi ek baar fir Kishor ke room ka darwaaza khula par iss baar boht hi tezz jhatke ke saath aur andar jaldbaazi me koi daakhil hua.

"F-Father!!!!"

Karan : Diii!!!!

Kaera, jo ki Raghu dwara Mirror Gallery se safely rescue kar lii gayi thi wo apne ghar pohuchte hi seedha apne pita ke room me ghus aayi.

Bagal me khade apne chote bhai Karan ko usne ek jhalak dekha aur fir waapas se apne pita ko dekh aage badhi.

Kaera : Father! Wo... Veer... He's in trouble.

Kishor apni beti ke sawaal ka jawaab nahi diya. Wo bas Kaera ko dekh ke kuch parakhne ki koshish kar raha tha. Shayad soch raha hoga ki bhala meri beti, jo itni badi company ki maalkin hai wo kisi aerre gerre natthu kherre ke saath kabse dosti karne lagi? Shayad uske mann me khatre ki ghanti baj rahi thi.

Kishor : Mene uske liye help bheji hai na beta?

Kishor kehte hue utha aur apni beti ke paas aaya aur usse gale se laga ke dheere dheere uske sarr par haath ferrne laga.

Kishor : Tumhe kuch hua toh nahi!?

Kaera bechaari kuch keh hi na paayi. Aisa boht kam hi hota tha jab uske pita usse apne gale se laga ke kuch kehte the.

Kaera : I... M-Mein theek hu but Veer.

Kishor : Don't worry! Mene help bheji hai na? Sab theek ho jaega. Okay!?

Kaera : Mm~

Kishor : Chalo! Jao ab tum sab apne apne kamre me aur rest karo. Okay?

Ye jaise request nahi thi balki ek order tha. Kishor ne na fir unhe dekha, wo seedha palta aur apne jeb se ek cigarette nikaal ke usse light kiya aur muh me rakh kar ek kash lagaate hue wo waapas se apni kursi par wahi book liye baith gaya.

Jaise maano uski taraf se sab sahi tha aur ab kuch faaltu baatein karne ki koi zaroorat nahi thi.

Kaera samet Karan dono hi baahar nikle toh Kaera bina kuch kahe apne room me jaane lagi. Uski haalat boht hi unstable sii thi. Uske mann me bas wahi manzar baar baar chal raha tha jisme Veer ki akhiri muskaan dikhaayi de rahi thi usse aur fir baad me uss gate ka band ho jaana. Yahi sab soch soch ke Kaera itni ghabraayi hui thi ki usse khud nahi pata tha ki uski haalat kesi ho gayi hai.

Karan apni badi behan ko dekh aaj itna toh jaan gaya tha ki uski didi koi robot nahi hai. Wo bhi ek insaan hai jo sab kuch feel kar sakti hai. Dusro ki fiqr kar sakti hai, unki chinta kar sakti thi. Aur Karan ko toh jese bas yahi chaahiye tha.

Karan : Dii!?

Usne haule se chalte chalte hi peeche se bulaaya. Kaera uski pukaar sunn palti par kuch na boli.

Karan : Aap theek ho na?

Ek baar fir Kaera ne koi jawaab na diya. Uski aankho me aasu the. Usne palke jhapkaate hue Karan ko nazre utha kar kuch pal ke liye dekha.


kendall-jenner-cry

Karan ne usse dekh kuch socha aur fir kaha, "Kya mein aapka phone dekh sakta hu?"

Kaera bina kuch kahe hi uske haath me apna phone thama dii aur fir wo mud ke apne kamre me jaane lagi.

Uska ye ravaiyya dekh Karan bas pheeki sii muskaan liye wahi deewaar se tik ke khada ho gaya aur apni badi behan ko yu jaate hue dekhta raha.

Aaj bhi wahi hua, harr baar ki tarah. Na jaane kab unn dono ke beech ka ye rishta badlega?

Kya hua tha inn dono ke rishte ko? Kyu Kaera ne Karan ke sawaal ka jawaab nahi diya? Iski kahani inke ateet me hi chhipi hui thi.

Bachpan me, jab Kaera se uski azaadi chheeni jaa rahi thi yaani ki jab Kaera ko uski Maa ke chale jaane ke baad se band bangle me padhaaya likhaaya jaa raha tha tab umr me badhte hue Karan ke liye aisa kuch nahi tha. Uske liye sab kuch normal hi tha.

Wo auro ki tarah ghumne firrne jaata, wo khul ke kahi bhi jaa sakta tha, wo school jaata tha, apne dosto ke sang khelne toh kahi uske dost uske ghar aake saath me khelte the. Aur issi beech wo apni jab badi behan ko yu bas padhte hue dekhta tha toh usse aisa lagta tha ki kitni boring hai uski behan.

Jab dekho tab padhayi me lagi rehti thi. Ek prakaar se Karan ne Kaera ko apni asli behan ke roop me dekha hi nahi tha. Jab aapki baat hi na ho kisi se toh aap naturally unme apna rujhaan kho baithate ho. Yahi hua tha Karan ke saath bhi.

Wo bhool chuka tha ki uski apni behan bhi hai. Aur wo bas apne enjoyment me jeene laga. Pita paisa dete hi the usse. Usse bas ek hi kami mehsoos hoti thi wo thi apni Maa kii jisse wo theek se jaan bhi na paaya. Kyuki uske janm ke kuch saal baad hi uski Maa ye duniya chorr kar jaa chuki thi.

Par Karan ko nahi pata tha, ki jab jab wo khule aasmaan me apne dosto ke sang apni azaadi manaata tha tab tab bangle ki upari manzil ki khidki se uski badi behan usse ek aas liye dekhti thi. Ek aas ki usse bhi kaash baahar jaane milta.

Dheere dheere wahi aas kab ghrina me tabdeel ho chuki thi, ye baat swayam Kaera bhi nahi jaanti thi. Uske bhai ko saari azaadi thi, fir usse kyu nahi? Kyu wo ek jail me qaid mujrim ke samaan ka jeevan jee rahi thi apne hi ghar me? Sawaal toh dherr saare aate the uss waqt uske mann me.

Par unn sawaalo ko lagataar padhayi, shishtachaar, ghar ke prati zimmedaariyo ke lessons ne jaise daba ke rakh diya tha. Harr rozz professors aate aur Kaera ko ye samjhaate ki usse kya bann'na hai. Iss beech jo ghrina uske andar thi, wo thi zaroor par jaise wo apna kaaran ya maqsad bhul chuki thi. Bas kahi chhipi hui thi andar.

Fir wo din aaya, jab Kishor ne Karan ko baahar bhejne ke liye padhne bheja. Karan apni badi behan ki baato se pare padhne ke liye videsh gaya. Apni behan ki hi tarah wo bhi business ke liye hi studies karne gaya tha jab usse ghar se dur rehke kayi baato ke baare me pata chala.

Usse dhyaan aaya ki uski behan bhi toh hai aur kitni kam baatein hoti thi unke beech. Videsh me jab usne apne dosto ki behne dekhi aur unke beech relationship ko. Toh usse jaise samajh aaya ki wo kitna galat kar raha tha apni behan ke saath.

Aur fir usne chhaan been shuru kari ki akhir kyu uski behan band bangle me raha karti thi aur kyu usse itna padhaaya jaata tha. Jab Karan ko baat samajh aayi toh usse bas glaani hi mehsoos hui.

Kitna nasamajh tha woh. Kitna kuch kar sakta tha wo apni behan ki khushiyo ke liye par usne kiya kya? Kuch bhi nahi.

Aur tab se hi uski behan Kaera usse aise dekhti thi jaise maano kisi anjaan aadmi ko dekh rahi ho. Wo jo ghrina thi Kaera ke mann me wo abhi bhi thi par Kaera ab ye nahi jaanti thi ki kyu wo aisa feel karti thi.

Jaise maano wo bhul gayi thi. Karan ko iss se pehle kabhi kisi ke liye itni peeda mehsoos nahi hui thi. Wo ye bhi maanta tha ki shayad Kaera uss se ek aur kaaran se naraaz rehti thi wo ye ki uske janm ke kuch saal baad hi unki Maa ka dehaant ho chuka tha.

Ab kya ye sach tha ki Kaera usse iss baat ko lekar bhi hate karti thi? Ya nahi? Ye wo nahi jaanta tha par maanta zaroor tha ki ek ye kaaran bhi ho sakta tha.

Aur tab se hi usne Raghu ke contact me rehna shuru kiya. Usse samajh aaya ki uske Dad ne uski behan ko kaise ek robot bana ke rakh diya tha.

Aur isliye, usne apni shuruaati padhaayi poori kar waapas Mumbai aane ka faisla liya. Woh faisla ki wo apni behan ko pehle jaisa kar ke rahega. Jo bhi galti uss se past me hui, uski bharpaayi kar wo apni behan ko wo puraana jeevan lauta ke rahega.

Aur kuch samay baad hi usse pata chala Veer ke baare me. Usse pata chala ki Veer naam ke kisi ladke ne uski behan ki jaan bachaayi thi.

Yaha tak ki uss se milne ke baad uski behan ke chehre par muskaan bhi thi. Maano jaise ek raah nazar aayi thi Karan ko. Shayad wo apni dii ko pehle jaisa bana sakta tha!?

Mumbai aane ke baad isliye usne sabse pehle Veer se milne ka faisla liya. Wo dekhna chaahta tha usse, parakhna chaahta tha, kahi ye vyakti uski behan ke liye koi khatra toh nahi tha?

Aur milne ke baad hi jaise uske saare doubts clear ho chuke the. Veer hi tha wo insaan jo uski behan ko sahi kar sakta tha.

Aaj jab usse pata chala ki Veer ne ek baar fir uski behan ko bachaaya apni jaan jokhim me daal ke toh uske mann me jo Veer ki jagah thi, uska sthaan aur upar ho chuka tha. Ab toh woh waqai dil se genuinely uska dost bann'na chaahta tha.

Kyuki wo jaanta tha, ki yadi uski behan me koi badlaav laa sakta tha. Toh woh tha ~ Veer!!!

Wo soch hi raha tha khade khade jab uske bagal se aake Raghu khada ho gaya.

Raghu : Bad News!

Karan : Kya hua?

Raghu : Jassi ka call aaya abhi. Veer ka koi pata nahi mil raha. Wo log shayad usse utha ke le gaye hai.

Karan (shocked) : Kya???

Raghu : Haan! Usne kaha hai Miss ko na bataane ke liye.

Karan : Par... Ye toh... Shitttt!!

Karan khud parershaan ho chuka tha. Jis shaks ke baare me wo abhi kuch derr pehle soch raha tha ki ye vyakti hi uski behan ki madad kar sakta hai ab toh wahi vyakti gaayab ho chuka tha. Jhatka toh lagna hi tha.

Karan : Toh abhi kya?

Raghu : Abhi... Jassi ne orders diye hai isse dhudne ke. Dekho, kya hota hai.

Karan : Usse kaise bhi karke dhundna hoga. Kaise bhi kar ke. Usse kuch hone nahi de sakte hum.

Raghu : Tum kab se usme itna interest lene lage?

Jab Raghu ne ye sawaal pucha toh Karan apni nazre churaate hue palat gaya.

Karan : Don't ask me. Bas itna samajh lo ki... Wo important hai.

Raghu : Well! Jaisa tumhe sahi lage. Aur tum mujhe bhaiya ya Sir kehke kab bulaoge haan? Tumhe pata hai mein 29 ka hu aur tum 20 ke.

Karan : Tumhe dekh ke Sir bulaane waali feeling hi nahi aati.

Raghu : What the...!? Aur Jassi ko Sir kyu fir?

Karan : Well! Unhe dekh kar aati hai. He's more... Umm... Professional.

Raghu : Tch... Keval do saal hi toh bada hai wo mujhse.

Karan : Yeah... yeah!!!

Raghu : Anyways! Mujhe jaana hoga. Jassi ko help ki zaroorat hai.

Karan : Raghu...

Raghu : Hmm?

Karan : Mujhe bhi le chalo. I need to find him.

Raghu : Hein? Oo bhai, tumhara koi kaam nahi hai waha. Wese bhi yadi tumhe kuch hua toh Boss meri khatiya khadi kar denge.

Kehte hue jab Raghu jaane ke liye hua toh iss baar Karan ne uska haath pakad uski aankho me dekha.

Karan : Please!!!

Aaj pehli baar Karan ne uss se please bola tha. Bhale hi Karan usse bhaiya kehkar nahi bulaata tha par ye please apne aap me special tha Raghu ke liye.

Raghu (sighs) : Theek hai. Par ek shart...

Karan : Treasurer Luxury Black!

Raghu (smiles) : Hahaha~ Kitna acchi tarah samajhte ho mujhe. Dekha! Mein kitna easy to understand hu. Kaha tum lage uss Jassi ki tarafdaari karne. Chalo aao. Leke chalta hu tumhe.

Aur Raghu uske kandhe me haath daal usse le jaane laga. Karan bas ek raahat bhaari saas liya aur uske saath chal pada.

Raghu jab bhi apni shart saamne rakhta tha, aksar uski shart yahi hoti thi. Treasurer Luxury Black. Ye ek cigarette thi.

Aur ye import hoke Karan ke pita, Kishor ke liye aati thi. Kitni mehngi thi ye bataane ki zaroorat bhi nahi thi. Ab Karan ka ek kaam badh gaya tha, wo ye ki shart ke mutaabik usse ab kam se kam ek dabba nikaal ke Raghu ko dena padega.

Aur ek aur kaam ye ki unhe yaha se nikalne ke liye neeche guards ko pataana padega. Warna yadi unme se kisi ne bhi upar jaake Kishor ko bataaya toh Karan ki shaamat aa jaani thi fir.

***

Ragini's house...

Ragini ke ghar me mahaul kharaab tha. Matlab waqai kharaab. Ragini chinta ke maare idhar se udhar ho rahi thi aur ye faisla ni le paa rahi thi ki kya kare?

Kya police ko inform kar de? Ya nahi?

Wo Arohi ko phone laga ke puch chuki thi, Veer ki ma'am Nidhi madam se bhi uski baat ho chuki thi par dono hi jagaho par Veer ka koi thikaana nahi tha.

Ab aise me hi ek hi option bachta tha wo tha police.

Par dikkat ye thi ki Ragini sure nahi thi ki Veer waqai laapata hua hai ya nahi? Aisa na ho ki wo Police ko bulaane jaaye aur fir Veer aa jaaye. Ya aisa na ho ki wo Police ko na bulaaye aur Veer ke saath koi anhoni ho jaaye!?

Dono hi sawaalo me wo iss waqt phassi hui thi. Kya kare? Aur kya na kare?

Tabhi peeche baithi Suman ki awaaz uske kaano me padi, "Aap shaant ho jaaiye Ragini jii!"

Ragini : Kese shaant ho jau mein Suman jii? Din ka nikla hua hai woh aur kabse call kar rahi hu, ek call nahi uthaaya hai usne. Na hi koi jawaab de raha hai. Arohi se pucha udhar bhi nahi hai woh, Nidhi Ma'am ko lagaaya call mene udhar bhi uska koi ata pata nahi hai. Kese shaant ho jau aise me mein?

Suman : Aapki baat sahi hai par... Tension lene se kuch haasil nahi hoga hai na?

Aabha : Maa jii ki baat sahi hai Bhabhi jii! Aap apne swaasth par bhi dhyaan dijiye.

Ragini : I just... Nahi! Mein baithi nahi reh sakti. Mein police me complaint likhwaane jaa rahi hu.

Aur Ragini achanak hi uth khadi hui, wo apne kamre me gayi aur fatafat usne ek jeans aur ek top daala aur upar se ek jacket aur wo baahar nikal kar jaane lagi toh Suman ne forun hi apni beti Sonali ko bhi Ragini ke saath bhej diya.

Suman : Sonali ko le jaaiye. Do log rahenge toh accha rahega. Mein aur Aabha yaha rukk ke maali... Matlab Veer jii ka intezaar karte hai tab tak.

Ragini : Haan!

Aur dono Ragini aur Sonali waha se nikal padi.

Par mahaul keval yahi tang nahi tha. Nidhi jisse iss baat ki khabar lagi thi ki Veer ab tak ghar nahi lauta tha wo firse na chaahte hue bhi ab chinta me doobi hui thi. Wahi haal Arohi ka bhi tha apne ghar me. Shayad jald hi kayi calls jaane waale the Ragini ke phone par Veer ke baare me puchne ke liye.

***

Slogan's Hideout...

[Breathe slowly. Yes!!! Calm down!!!]

Idhar Veer ko peetne ke baad wo log araam farma rahe the. Aur Pari uske mann me uski saanso ko santulit karne ke liye usse instructions de rahi thi.

Kayi jagah uske ang khoon se sane hue the. Aur itni maar ke baad zaahir tha ki Veer behoshi me chala jaega. Par wo aadmi uss par paani chhidak chhidak kar usse hosh me rakhe hue the.

Pari se Veer ki haalat dekhi nahi jaa rahi thi. Mann hi mann wo unn aadmiyo ko gaaliya bak rahi thi.

Jab Veer kuch shaant hua toh Pari ne details bharna shuru kiya jo behad zaroori thi.

[Okay! Toh sabse pehli baat. Hamaare paas ab keval 500 points bache hue hai. Baaki ke 1600 points kaha gaye? Quest me nipat gaye wo.]

Veer bas saas lete hue apni adhkhuli aankho se Pari ki baatein sunta jaa raha tha.

[Ab baat karte hai card ki toh... WHAT THE LUCK???]

'...'

[I mean yeah... Kya luck hai tumhaara haan? Tumhe pata bhi hai ye kya hai? Beowulf's blessings!!! Ye legendary cards me bhi top tier card hai. Aur tumhe bas ye 1600 points ki gambling me mil gaya? Just how insane your luck is???]

'...'

[Let me tell you ki iske kya features hai. Sabse pehli baat... Tumhe isse ON karna padega. Matlab equip karne ke baad ye apne aap ON nahi hoega. Kyuki ye thoda alag type ka card hai. Thoda risky bhi hai aur time limited card hai ye.]

'???'

Veer kuch keh nahi paa raha tha mann me par jaise Pari samajh chuki thi ki wo kya kehna chaah raha tha.

[Hmm? Nahi nahi, Time limited ka matlab ye nahi hai ki kuch time ke baad ye card chala jaega. Ye card permanent hai. Time limit se mera matlab ye tha ki tum iss ON karne ke baad bas kuch derr ke liye hi use kar sakte ho aur fir ye waapas se OFF ho jaega. Jab tak ki cooldown period khatam nahi ho jaata.]

'...'

[Ugh! Somehow I'm missing your blabbering... Anyways, dhyaan rahe. Isse equip karne ke liye tumhe SLOT se Bone Reaper hataana padega. Aur tum jaante ho na? Bone Reaper hataane ke saath saath hi tumhari bones waapas se normal ho jaengi. Rib cage fir unbreakable nahi rahega.]

'...'

[Huh? You want to equip it?? Dhyaan rahe ki tum isse fir 24 ghante tak hata nahi sakte SLOT se. Yahi niyam hai SLOT ka. You still want to equip it?]

'....!'

[Ughh!!! Fine! Theek hai equip kar deti hai.]

*Ding*

[Bone Reaper has been removed.]

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been equipped.]

[Ye lo. Ho gaya. Ab suno, iske features jaan lo. Dekho card me likha hi hai, 60% increase in senses. Matlab tumhaare senses abhi ke muqaable 60% aur badh jaenge. Chaahe wo sunn'ne kii shakti ho, ya sunghne ki, ya dekhne ki, ya twacha se feel karne ki. Okay? Ye 60% badh jaengi.]

'...'

[Uske baad likha hai +50% in reflexes, agility, speed and healing. This is insane. Tumhaari agility aur speed 50% badh jaegi. By the way agility aur speed ek hi cheez hai. Let's say ki tumhaari agility 100 hai toh wo 50% aur badh jaegi yaani ki 150 pohuch jaegi. This is madness. Tum pehle ke muqaable boht tezz ho jaoge. Upar se healing bhi 50% badh jaegi. Aur toh aur full moon me ye percentage double ho jaenge. A fucking legendary card you got there. Oye sunn rahe ho na?]

Iss baar Veer ne bas haule se haami bhari.

'Mmm~'

[Thank God! Ab main baat par aate hai. Wo hai iska ON/OFF system aur iska risk.]

'...'

[Dekho, tumne card equip toh kar liya hai lekin ye abhi ON nahi hua hai. ON karne ke liye wahi switch hai bagal me card ke bas usse mann me jaake toggle karna hai aur wo ON ho jaega. Par dhyaan rahe...]

'...!?'

[Dekho mene bhi iska usage nahi dekha hai toh kuch na kuch toh hoega. Matlab... ON karne ke baad tumhaari breathing boht tezz ho jaegi. Okay? Tumhaare senses badhenge toh unme ho raha blood flow bhi toh tezz hoega na? Nateeja? Tumhaari saasein tezz ho jaengi. Aur ho sakta hai tum... Ahem... Tum kuch agressive ho jao. Ya zyaada hi agressive ho jao.]

Pari abhi aur kuch baatein kehti Veer se jab achanak hi...

*Click*

*Click*

*Flash*

*Click*

Veer ki aankho ke saamne baar baar roshni ka flash aane laga. Uski photos nikaali jaa rahi thi.

Saamne firse Aatish baitha hua tha aur wo Steve se baatein kar raha tha.

Slogan : Saari photos nikal gayi?

Steve : Jii Dada!

Slogan : Deals ka kya hua?

Steve : Bhargav se paisa mil gaya hai. LA me bhi maal exchange ki baat chal rahi hai. Rahi baat puraani payments ki toh wo mil gayi hai saari. Wo angrezz nahi de raha tha toh usse batti dii hai, kal payment kar dega.

Slogan : Hmm~ Good! Ab yadi mujhe jo information mili hai ki hamaari target iss Veer se prabhaavit hai toh zaahir hai ki iski aisi haalat dekh wo yaha toh zaroor aaegi hahahaha~ Steve! Bhejo zara hamaari Kaera ko iski ye photos. Aur likho neeche ki isse bachaana hai toh jald se jald bataaye gaye address par aa jaaye. Wo bhi akeli.

Steve : Jii Dada!

Aur Steve ne Veer ki photos ko Kaera ke phone par bhej diya.

Slogan : Tracking ka lafda nahi chahiye apne ko Steve. Kya hai fir Police ke liye aadmiyo ko bhejna padega taaki wo unhe busy rakh sake. Wo kehte hai na, sher ka shikaar karna ho toh kuch derr bakri ko saamne rakhna padta hai. Samjha na?

Steve : Jii Dada!

Air muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,

"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"

Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update is full of action.
Apna apna kaam kar ke jaane ka tab tak. 😁

Dhanyavaad!
Very nice update
 
Top