• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,213 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 188 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,458

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,482
89,482
259
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,482
89,482
259
💖भाई 💖

कितने बजे तक आप अपडेट देंगे ? 🙏🏽🙏🏽🙏🏼🙏🙏
Jese hi complete ho jae.
Likhne jaa raha hu. 🙌
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Veer toh abhi mila nahi Rohini se 🤣
Fir kese!?
He only met with Rohini jab Ragini Vivek ke saath shaadi kar ghar me aayi thi. Shaadi ke baad se Veer never met her. 😁
Veer aur rohini ka pyar, Vivek aur ragini jaisa tharki wala pyar thodi na hai jo jishm tak hi seemit hai balki unka Sachha pyar ruh talak hai... bas ehsaas ki jarurat hai... :D bina mile bhi dher sari pyar dono ke dil mein ek duje ke liye :D
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Veer toh abhi mila nahi Rohini se 🤣
Fir kese!?
He only met with Rohini jab Ragini Vivek ke saath shaadi kar ghar me aayi thi. Shaadi ke baad se Veer never met her. 😁
Untold love story ~ veer & rohini.. :love2:
Veer & Rohini ki turu lob story :D
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,668
13,375
158
Update - 28 ~ The Chase
Ab tak...

*Ding*


[Mission : The chase
Info - Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Rewards - 1) ?? Points.
2) Life time favour from Suhana.

Time Limit - 6 days.]


'Fuuuuccckkkkkkk!!!'

Ab aage...

Veer ke Bhumika ki hotel se chale jaane ke baad sabse bada jhatka iss waqt hotel me hi khadi Bhumika ko laga tha. Uske hotel se itni keemti diamond ki ring chori ho jaana, upar se wo ring kisi aise wese vyakti ki nahi thi. Sonia jesi hasti uske hotel me thi, saath hi saath Veer ka waha aa jaana.

Iss waqt wo tension ke chakravyuh me fassi hui thi. Jhatka usse ring ke chori hone se toh laga hi tha par abhi abhi jo usne dekha wo sab kuch usse aur dang karte jaa raha tha.

Veer Sonia ke saath saath baitha tha, ekdum baraabri se, uske baad Veer ne Suhana ko aise shabd bole ki wo dekhti reh gayi. Aisa lag raha tha maano, ek parent apne bacche ko samjha raha hai. Aur sabse zyaada hairaan kar dene waali baat ki...

Suhana kuch nahi boli. Bhumika jaanti thi ki Sonia aur uski behan Suhana me zameen aasmaan ka antar tha. Wo jaanti thi ki Suhana kis type ki aurat thi. Uske bawajood, Veer ke dwara itna sunn'ne ke baad wo kuch na boli.

Bhumika dekh paa rahi thi ki Suhana aankhein faade Veer ko jaata hua dekh rahi thi par bol kuch bhi nahi paa rahi thi.

'W-What!? What just happened?'

Mann me kayi sawaal liye usse majbooran pehle anguthi ki gutthi suljhaane me lagna pada.

Police ko already inform kar diya tha Sonia ne. Par Suhana ke kehne par ki anguthi chori hone ki baat unke Dad ko na bataayi jaaye, Sonia ne police waalo ko keval apne se hi contact me rehne ke liye keh diya.

Na keval yahi, Sonia ne jwellery shop waale ko bhi saari baatein bata dii aur uss se help karne ke liye request kari. Pehle toh wo nahi maana par Suhana aur Sonia dono ne hi jab kayi baar request kari toh usse akhir me maan'na hi pada.

Kal unki Mom ka b'day tha aur Sonia aur Suhana ke Dad kal besabri se apni wife ko anguthi dene ke intezaar me the. Jwellery waale ko bas jhooth kehna tha ki diamond ring kisi cheez ke chalte late ho gayi hai aur bann'ne me thoda aur time lag jaega.

Usse iss jhooth kehne pe zaahir sii baat thi ki daant padne waali thi par yahi pe Sonia aur Suhana ne usse aasvashan diya ki wo dono hi apne Dad ko samjha dengi aur sambhaal lengi.

Kherr! Yaha se baahar nikal ke Veer maano iss waqt khud ki kismat ko kos raha tha.

'Wtf Pari!? Wtf!? Ring dhund ke lau mein!? Really? Are you kidding me? Kitne acche se mene uss Suhana ki bacchi ka muh band kiya tha aur ab ussi ke liye Ring dhundu? Fuuccccckkkkk!'

[I-I... I can't help it master.]

'Fuccccckkkk! Dammmnnnn!'

[...]

'And what the hell is this mission? Huh? Chase down the unknown guy? Abe jab pata hi nahi ki kisne churaayi hai toh kaha se dhundu usse? And how am I supposed to chase him? Kaun hai wo, kaha hai wo mujhe kaha pata hai kuch? Aur iss baar location kyu nahi mili mujhe uski?'

[Master! Don't worry! Maybe mission will get updated. Aur uske baad kuch aur details aapko shayad mile. Mein assume kar rahi hu ki jisne bhi ring churaayi hai wo abhi iss waqt ek jagah par nahi hai. Isliye system didn't gave you the exact location. Ragini ke case me alag tha. She was kidnapped and was held as a hostage in that building. So, aapko waha system ne location dii thi.]

'I see!'

Apni Apache ko repte hue Veer ek society ke baahar pohucha aur gaadi rok ke waha khada ho gaya.

[You missing Juhi!?]

'Hmm!'

[Then go and meet her.]

'You know I can't. Wo peeche pad jaegi. Mein usse rulaana nahi chaahta.'

Veer society me hi gaadi par baithe upar Nidhi ke flat ki balcony me dekh raha tha ki achanak peeche se uske kaano me ek awaaz aayi,

"Veer!?"

'Huh!?'

Palat ke jaise hi usne dekha toh saamne Shreya aur uski ungli pakde Juhi khadi hui thi. Shreya ekdum stabdh apna muh khole usse dekh rahi thi.

"Veeeeeerrrr maaaamuuuuuu!"

Juhi achanak hi chillaayi aur Shreya ke haath se apni ungli churaate hue tezz kadmo ke saath bhaagti hui seedha Veer ke paas aayi.

Aur...

"Veeeer maaamuuuu!"

Aate hi uske perr se chipak gayi.

"Juhi!!!"

Ek pal nahi laga, ki Veer ne forun hi gaadi se utar kar Juhi ko apni goad me utha liya. Aur usse goad me lete hi Juhi kisi bandar ki tarah uske gale se lag ke chipak gayi.

"Maaaamuuuu!"

Kuch derr tak bas khaamoshi hi chhaayi rahi.

Shreya dheere dheere aage badhi aur Veer ke sameep aayi. Uske haath me ek thaili thi jisme kuch sabziya nazar aa rahi thi. Aur Veer samajh gaya tha ki Shreya dinner ke liye sabziya lene gayi thi. Ye kaam Nidhi aur Veer karte the college se saath me lautate waqt. Par lagta hai, uske jaane ke baad se ghar ka routine kayi hadd tak badal chuka tha.

Shreya ne boht hi halki sii ek muskaan dii aur boli,
"Kese ho?"

Veer : I-I'm good. Aap?

Shreya (smiles) : I'm trying to be good.

Uske bol sunn, Veer ko bilkul bhi accha na laga. Jis haal me Veer ne Shreya ko last time dekha tha. Wo jaan gaya tha ki Shreya bhi boht udaas hai aur ek sukhi zindagi jeene ke liye athak prayaas kar rahi hai.

Shreya : So? Kidhar ho abhi tum?

Veer : Mein... Wo... Bhabhi ke yaha.

Shreya : ?? Bh-Bhabhi?

Veer : Hmm!

Shreya (frowns) : Par...

Veer : It's okay! Boht sii baatein sort out ho chuki hai. There's no need to worry now.

Shreya : If you say so.

Veer : Umm... Wo... H-How's she?

Uske sawaal par Shreya ne kuch pal usse dekha fir maayusi bhari ek muskaan dete hue boli,

"She's sad..."

Veer : ...

Shreya : and broken...

Veer : ...

Shreya : Desperate...

Veer : ...

Shreya : and...

Veer : Bas... Please! I-I know... And Please, unhe mat bataana. Wo mujhe firse waapas laane ki zidd karengi. And, you know me right? Mein aise nahi reh sakta. I-I... I have to go now.

Veer ne kehte hue jese hi Juhi ko utaarna chaaha toh wo chillaate hue aur zorr se uski shirt ko bheenchte hue uss se chipak gayi.

Veer : J-Juhi!? Veer maamu ko kaam hai. Please! Jaane do unhe.

Juhi : Niiiiiiiiiiii...

Veer : Maamu tumhare liye chocolates laaenge!

Juhi : Niiiiiiiiii...

Veer : Juhi! Please!

Par Juhi toh jese maan'ne ko hi taiyaar nahi thi.

Shreya : Sab tumhari galti hai. Ab bhugto! Kyu itna pyaar dete ho jab jhela nahi jaata? Ab tum hi sambhalo, mein koi madad nahi karne waali.

'Pari!? Shreya jii ki favourability kitni hai?'

[38]

'Ohhh! I never thought ki unki favourability itni hogi. Wait! I never checked Juhi. Juhi ki kitni hai? Kya mein uski dekh sak..'

[72]

'Huh!?'

[I said, 72]

'Wtf?????'

Veer ne apna chehra mod waapas se Juhi ko dekha jo iss waqt uss se lipti hui thi aur kahi se bhi uske iraade Veer ko chorrne ke nazar nahi aa rahe the. Uska apne prati itna pyaar dekh, aur usse aise haal me chorrne ke liye Veer ko na jaane kyu par khud pe hi gussa aane laga.

'I-I... Damn it! I'll fix everything. I'll fix everything soon. I'll make them happy. Thoda samay aur Juhi. Thoda samay aur... Dekhna... Tumhaare maamu sab kuch sahi kar denge.'

[🥺]

Juhi ke gaalo ko chumte hue Veer ne na jaane uske kaan me aisa kya kaha ki Juhi palat ke usse dekhi aur fir puchi,

Juhi : Pakka?

Veer (nods) : Pakka!

Juhi : Hmm!

Aur agle hi pal Juhi apne aap se Veer ki goad se utri aur Shreya ke paas jhatt se aake uski ungli pakad lii.

Shreya (surprised) : Aisa kya kaha tumne isse?

Veer (smiles) : Wo hamara secret hai.

Shreya : Tum dono bhi...

Veer : I have to leave now.

Shreya (frowns) : Ek baar atleast unse mil lete.

Veer : Nahi! Unse milunga toh... Wo mujhe rok lengi. I must leave. Urgent kaam hai. And... Yadi koi bhi dikkat ho, you have to call me no matter what. Okay!?

Shreya : O-Okay! I will!

Veer : Hmm!

Aur Veer Nidhi ke society se nikal pada apni dusri destination ki orr.

Jo ki tha uska apna ~ college.

Departure hone me bas kuch hi minute baaki the aur Veer khade hue campus ki entrance me hi nazre gadaaye hue tha. Uski bike abhi bhi chaalu thi.

Kuch derr me hi departure hua aur Veer ki nazre jisse dhundh rahi thi wo usse dikhaayi dii.

Nidhi ek navy blue saree me baahar aayi, wo kisi ladki ko chalte chalte kuch samjha rahi thi.



images-14

Veer ki aankhein Nidhi ko dekhte hi uspe hi tik gayi. Jese wo maano kisi chumbak ki tarah thi jis se nazre hataana mushqil tha.

Behad khubsoorat!

Pata nahi isse sanjog kahe ya kismat par Nidhi ki nazre achanak hi waha gayi jaha Veer khada hua tha.


images-15

'Shit!'

Veer ne jese hi bhaanpa ki Nidhi idhar dekhne wali hai toh usne gaadi ko turant hi accelerate karke aage badha diya.

Nidhi : ?????

'Huh!?? Kya wo...!? Veer tha!? No! Uske paas gaadi nahi hai. Then why did he...?? He looked like Veer. Kya ye mera veham hai ya waqai wo waha pe tha? Am I thinking too much?'

Wo sochte sochte apni gaadi ki orr chal dii.

Idhar Veer laut ke jese hi Ragini ke ghar aaya tabhi...

*Ding*

[Mission updated :

Info : Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Location : XXXXXXXXXXX Train from Mumbai to Jaipur.

Time : 11 : 15 PM

Rewards : 1) ?? Points.
2) Life time favour from Suhana.

Time Limit - 6 days.]

'Huh? Wtf!??? Jaipur? Train? Mazaak chal raha hai kya? Kaun gandu hai ye jo chura ke bhaaga hai mc? What nonsense is this? Pari? The fuck is this? I have to go Jaipur? Rajasthan kyu jaa raha hai ye gaandu? Who the hell is this guy? Itna maarunga na saale ko. Saala idhar hi nahi ghum sakta tha? Shitttt! Reservation ka kya Pari!? TC gaand maar lega bija reservation ke baithe toh. Fuccccckkkk! Ab toh reservation bhi nahi milega.'

[Aapko bina ticket ke hi travel karna hoga. You will have to chase him inside the train.]

Pari ki baat sunte hi Veer ke shareer ke roye khade ho gaye. Usse na jaane kese kese mod par laake khada kar rahe the ye missions. Uss din Ranga ke khilaaf ladaayi me jese uski jaan jaate jaate bachi thi. Aur ab ye...

Bina ticket ke ek anjaan aadmi ko train me dhundna jisne 1.57 crores ki ring churaayi hai.

[Start your packing and prepare. Aapko paise lagenge. Also, jitna bhi zaroori samaan hai sab bag me rakh lijiye.]

'But... M-Mene kabhi aise train me bina ticket ke...'

[Don't worry! You are not alone.]

Pari ke saath hone se Veer ki bechaini thodi boht kam toh hui thi par andar se jo darr tha wo abhi bhi khatam nahi hua tha.

Darr tha ek anjaan se.

Usse nahi pata tha wo kis disha me jaa raha hai, kaun hai jisne churaayi hai ring, usse kuch bhi nahi pata tha. Aur yahi darr Veer ko sata raha tha.

'Show me my stats!'

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 30/100
Appearance - 22/100]

'Phew! Looks better than before.'

[Don't worry! I'll guide you.]

'Hmm!'

Veer ne packing shuru kar dii thi. Jab Ragini usse shaam ke waqt snacks khaane ke liye bulaane gayi toh wo hairaan ho gayi ki Veer apne backpack me samaan rakhe jaa raha tha.

Ragini : Kaha jaa rahe ho Veer!?

Veer : Kaam se sheher se baahar jaa raha hu.

Ragini (shocked) : Whaaaaatttt!?

Veer : Jiii! Please! Puchna mat. Abhi nahi bata sakta. Mera jaana zaroori hai.

Ragini : H-Huh!? No! Wait! W-What!?? Ye tum kya..?

Veer : Don't ask me Bhabhi! Bas itna samajh lijiye mujhe jald se jald abhi kisi urgent kaam ke liye jaana hai.

Ragini : P-Par aise achanak se kaha Veer? Aur Sheher ke baahar kis liye? Kaun rehta hai sheher ke baahar jis se milne jaa rahe ho? Kaha jaa rahe ho? Kaun se sheher? Aur akele kese? Mujhe bataya kyu nahi? Kya kaam hai...!?

Veer : Bhabhi! Please! Shaant! I cannot tell you the details. But... Trust me, I'll be fine. Kuch kaam hai. Boht urgent.

Ragini : ...

Veer : Please!

Ragini : Promise me you'll tell me. Waapas aane ke baad. Promise me.

Veer : I... *Sighs* Fine! I promise.

Aur uss se promise lete hi Ragini jhatt se bhaagte hue neeche gayi aur kuch derr baad upar aayi.

Aate hi usne kayi saara cash Veer ko thama diya.

Ragini : Take this! And haa, mein na nahi sunungi. Tumhaare liye mein tiffin bhi bana ke rakh rahi hu. So wait!

Veer : Bhabhi! Iski koi zaroorat nahi hai. Mein picnic ke liye nahi jaa raha.

Par Ragini ne toh jese ek na suni. Usse poora ready kar diya jaane ke liye. Jese ek parent apne bacche ko school bhejne se pehle ready karta hai bilkul waise hi.

Raat ke 10 baj chuke the aur Veer ghar se nikalne waala tha.

Ragini : Be safe.

Veer : Hmm!

Ragini : Tumhara... Tumhara b'day...

Veer : ??

Ragini : 2 din baad hai. Will you come by then?

Veer : I... I won't be able to. Sorry!

Ragini : ....

Veer : Really... I... I'll try...

Ragini : I'll wait! Be safe.

Veer : Bye!

Ragini : B-Bye!

Aur Veer ghar se station ke liye chal pada.

Station pohuchte hi uski dhadkane aur tezz ho chuki thi.

*Huff* *Huff*

Uski saasein zorr zorr se chal rahi thi.

[Caaaaalmmm downnnn master!]

'Y-Yeahhh!'

[Don't worry! I'm here!]

'Yeah!'

[Kya aapne iske pehle kabhi train me akele safar nahi kiya?]

'Never!'

[I see! You'll have to be wary of TC. Uss se bach ke rehna hoga.]

'Yeahhh!'

Aur jis samay ka intezaar tha wo aa hi gaya.

Train platform par aa chuki thi. Raat ke 11:15 ho chuke the aur raat ke samay me thand bhi mehsoos kari jaa sakti thi.

*Fuuuuuu*

Ek gehri saas chorr Veer train me ghusa. Wo sleeper coach me hi ghusa. Ticket nahi thi uske paas. Keval apna ek backpack daale wo andar ghus gaya.

*Ding* *Dong*

"Yaatri gadh kripya dhyaan de..."

Baahar station par shor sharaaba chaalu tha. Kayi saare log aa rahe the aur jaa rahe the. Train me ghuste hi Veer ek jagah dhundne laga. Kyuki Train Mumbai se hi bann ke jaati thi toh abhi station par lagte time poori khaali padi hui thi. Aur bheed Mumbai se hi pehle ghusi.

Kuch hi palo ke andar Train kaafi kuch bhar chuki thi.

Veer ek RAC ki birth pe baith gaya. Aur aane jaane waale logo ko dekhne laga jo samaan leke idhar udhar coach me ghuste jaa rahe the.

'Shit! How am I supposed to find him. Itne saare logo ke beech. Pari! I can't... This is madness.'

[Use the elimination method.]

'Huh?'

[Aapko sabhi ko check karne ki zaroorat hi nahi hai. First we'll try the elimination approach.]

'What do you mean by that?'

[It's exactly as it sounds.]

'???'

[Unhe check kariye jo kam samaan leke enter hue hai. Probably young logo ko. Jo thode badmaash se bhi nazar aate hai unhe bhi. And check only boys. I don't think ki koi ladki ne ye chori ki hai.]

'But what if they are partners? Aisa bhi toh ho sakta hai ki ladka ladki ne mil ke chori ki ho aur safety ke liye ladka Ring ladki ko dede taaki kisi ko shaq na ho?'

[Hmm! You can be right too. Uske liye hum dusri approach try karenge. You have enough time. Train kal 2 baje ke aas paas Jaipur pohuchegi. You have more than enough time.]

'But... Yadi wo beech me hi kisi station me utar gaya toh!?'

[Mission will get updated. So don't worry!]

'I see!'

[Nazar banaaye rakhiye. Keep checking. Iss coach me jitne bhi hai sabhi ko check kar daalo. And then...]

'I know... I got it.'

Veer utha aur dheere dheere chalte hue harr ek shaksh pe nazre daal usse ahista ahista check karta gaya. Kabhi wo kuch derr wahi khada ho jaata aur jese tese kar unhe check kar unka status read karta. Aur jab koi na milta toh waapas se aage badh jaata.

Usse na jaane kitne log mile. Koi khaana khaane me busy tha toh koi berth pe chaadar bicchha raha tha, koi apne bags set kar raha tha toh koi hassi mazaak me laga hua tha.

Par Veer yaha ekdum tensed tha. Ek galti... Aur uske haath se chor yu nikal ke bhaag sakta tha.

'Check!'

[Name - Nishant...]

'Check'

[Name - Mohit...]

'Check'

[Name - Baldev...]

'Check'
'Check'
'Checkkkkk!!'
.
.
.
'Checkkkk! Dammmnnn itttt!!!'

[...]

'Poora coach chhaan maara ye. But yaha nahi hai wo.'

[You just searched one coach. 20 se zyaada honge abhi toh.]

'Fuuuccckkkk!'

Abhi Veer dusre coach me ghusa hi tha ki ek awaaz ne uske kaan khade kar diye.

"Ticket... Ticket!"

'Shiiiiitttttt!!!'

Saamne hi uske Ticket checker khada hua tha. Wahi kaala blazer aur kaala pant daale.

Veer palat'te hue tezz kadmo ke saath washroom ki orr bhaaga.

Par...

Wo akela nahi tha...

Jese uske saath koi aur bhi bhaaga. Veer ne jese hi washroom ka gate khola, andar ghusa aur gate waapas se band karne ke liye hua ki tabhi...

Uss se pehle hi ek aur shaks uske saath andar ghus gaya.

'Wtf?????'

[...]

Baahar washroom ke paas waali berths me baithi kuch mahilaayo ne jese hi ye dekha toh unke muh khule ke khule reh gaye.

"Haiye daiyaaa!"

"Baap re!!! Kese kese shauk rehte hai re..."

"Wahiii! Kya dekh liya mene bhi. Do marad ek saath ek bathroom me."

"Kese bhaagte hue andar gaye."

"Na jaane kya kar rahe honge andar!"

"Dhattt! Ab tu kya sochne lagi?"

Idhar baahar ho rahe scene se anjaan Veer iss waqt hakke bakke khade andar aaye vyakti ko dekh raha tha.

'Yooo wtf?? What the hell is wrong with this dude?'

Ladka : Wo... Asal me... Mere paas ticket nahi hai. Isliye.

Veer : Huh?

Ladka : ...

Veer : Ohh! Wo... Mere paas bhi actually...

Ladka : Accha!

Aur bas itna bol wo chup ho gaya.

'Damn! Meri tarah ye bhi bina ticket ke safar kar raha hai.'

Veer aur wo ladka yu hi khade rahe. TC ke jaane ka dono hi wait kar rahe the. Aur andar mahaul itna awkward tha ki pucho mat.

Jagah mootne ke liye thi, par mootne waala koi nahi tha. Andar 2 log the. Par bas ajeebo gareeb mahaul tha.

'Fuuucccckkkkkk!!'

Veer ne khamoshi me hi khade reh ke saamne uss bande ko dekha. Dikhne me umr me uss se bada prateet ho raha tha. Haath me ek chota sa kaala bag.

Sar pe topi aur jeb me chashme. Veer ne dekha ki wo ladka kuch baat nahi kar raha tha aur na hi uss se nazre mila raha tha.

Ye bhaanpte hi Veer ki bauhe sikudi par tabhi...

Wo banda gate khol baahar nikalne laga.

'Check!'

[Mission Target
Name - Jatin

Age - 28
Bio - Jatin, apne boss ka right hand aadmi. Jeevan me keval paisa kamaana hi uddeshya hai. Haath ki safaayi aur choriyo ke liye jaana jaata hai. Peshe se gunda hai.

Favourability - 0
Relationship - Strangers.]

Upar likhe do shabd ~ Mission Target

Saaf saaf batla chuke the ki uska matlab kya tha.

Yahi insaan tha target.

Unn shabdo ko dekhte hi uski aankhein felti chali gayi...

"Shit!!! You bastard!!"

Veer chillaaya aur aage badh washroom se nikal usse jakadne ke liye usne apne haath badha ke uss Jatin ke peeche ki shirt thaami.

Par jese Jatin ne forun hi bhaanp liya tha.

Aur agle hi pal...

*Thud*

Ek zorrdaar dhakka usne Veer ko ghumte hue diya aur usse side me dhakel diya.

Washroom ke bagal se hi train ka darwaaza tha jo ki badkismati se khula hua tha...

[...]

Veer ki aankho ne jese uss ek shan me apni maut dekhi...

Uski body aage ki orr jhukti hui baahar hi girti ki tabhi...

'Huh!??'

Ek khichaav sa mehsoos hua usse apni shirt ke peeche.

Aur agle hi pal...

Kisi ne zorr se usse kheench ke peeche kiya.

"Haah.... Haaah!!!"

Zorr zorr se saasein lete hue Veer achanak hi wahi ghutno ke bal gir gaya.

Side me khule darwaaze se aa rahi hawa aur train ki awaaz jese uske dimaag me ghanti baja rahi thi aur bata rahi thi ki wo marrte marrte bacha hai.

Uske baal hawa se idhar udhar ho rahe the aur saasein ekdum train ki raftaar ke maafiq...

"Thik ho na bhai??"

Tabhi ek awaaz uske kaano me padi.

Usne dekha ki ek uske hi jitni umr ka ladka khada hua tha. Dikhne me koi ameer ya middle class family ka nahi lag raha tha. Boht hi simple se kapde pehne hue tha.

Veer : Wo...

Ladka : Mene dekha tha... Wo ladka tumhe dhakka deke gaya. Madarchod saala. Koi dushmani hai kya uss se? Jaan lene jaa raha tha wo tumhari.

Veer : Mein usse hi dhund raha tha. Anyways! T-Thanks for saving me.

Ladka : Itni angrezi nahi aati bhai. Itni angrezi aati toh mein bina ticket safar nahi kar raha hota. Hahaha~

Wo hasste hue Veer ko uska haath pakad uthaaya.

Ladka : Kya naam hai wese?

Veer : Mein Veer... Aur tum?

Ladka : Golu bula sakte ho. Toh? Wo sab kya tha?

Veer : Kuch nahi! Bas...

Golu : Puraani dushmani?

Veer : Huh!? Shitttt! Kaha gaya wo...! Mujhe jaana hoga.

Bina peeche mude Veer aage bhaagte hue coach me ghus gaya.

"Arre... Suno toh..."

Golu ki awaaz aayi peeche se par Veer na ruka. Iss waqt sabse zyaada zaroori kaam tha uss Jatin ko pakadna.

'Daaaamnnn ittt! Damn it! Damn it! Damn it! Shiiiittttt!!! He was right there... Asaani se daboch liya hota mene usse. Shiiitttt! Fuccccckkk! Where did he went??'

[It's okay! Kam se kam we know his name and his appearance now. And... Aap... For a second I got scared there. But thanks to him. Usne aapko pakad liya sahi waqt pe peeche se.]

'Y-Yeah!!'

Veer ne zyaada kuch na kehte hue apne kadam badhaaye. Uska dil itni zorr se dhadak raha tha maano jese baahar hi aa jaega.

Pal bhar ke liye uske mann me ek sawaal aaya ki...

Yadi aaj uski yaha maut ho jaati toh?

Nidhi ka kya hota!? Juhi!?? Kavya? Shreya!? Kya hota inn sab ka?

Veer toh inn sabhi ko firse kabhi na dekh paata. Ye khayaal aate hi uske darr ke maare raungte khade ho gaye.

Shayad ab usse iss baat ka abhaas ho gaya tha ki akhir kyu aadmi maut se itna darrta hai.

*Huff* *Huff*

[Calm down! Calm down master!]

'...'

[Lambi saasein lijiye. Don't worry! We'll find him. 6 days. Y-You have 6 days.]

'H-Hmm!'

Khud ko kaabu me kar wo aage badha. Train ek station par pohuch chuki thi.

Na jaane wo Jatin kidhar pe chhupa hua tha par itna toh pakka tha ki uski manzil bhi Jaipur hi thi.

Yadi wo yaha se bhaag gaya hota toh pakke se mission update ho chuka hota aur Veer ko nayi location mil gayi hoti.

Par aisa kuch bhi nahi hua tha. Iska matlab saaf tha.

Jatin idhar hi kahi tha.

Train se utarte hue Veer station me idhar udhar nazre maarte hue poore area ko scan karne laga. Iss waqt Jatin ko dhundna, uske liye kisi khet me suyi dhundne jitna kathin kaam tha.

'Damnnnn itttt!!!'

Raat ke 3 baj rahe the aur Veer ko ab neend aana shuru ho chuki thi.

Pari ke kehne par usne thodi derr araam karna hi behtar samjha. Ek khaali jagah milte hi Veer waha baith gaya.

Manzil yadi uss Jatin ki bhi wahi thi toh araam karne me koi harz nahi tha.

Akhir wo Jatin bhi iss waqt kahi na kahi chhup ke araam hi farma raha hoga.

Raat bhar ke samay pata nahi kese nikal gaya, Veer ki jab neend khuli toh already 7:30 baj chuke the.

Mission me koi changes nahi aaye the iska matlab, Jatin ab bhi train me hi kahi maujood tha.

Ek baar fir wo apne mission ko anjaam dene ke liye ready hua par...

Par ya toh isse ab badksimati kahe ya ek ittefaaq par Veer ko Jatin kahi bhi nahi mila.

Shayad Jatin jese samajh chuka tha ki Veer uske peeche hai aur wo mauka dekh ke harr station par utar utar ke jese apni position badal raha tha. Ek baat aur thi, wo ye ki uske paas cap aur chashma tha.

Wo badal badal ke apna unhe pehenta aur ek coach se dusre coach me jaata rehta.

Dekhte hi dekhte Veer ki train apni destination par pohuch chuki thi.

Veer ki aankhein kam sone ke kaaran ekdum laal ho chuki thi. Saath hi saath usne Ragini ke dwaara bheja gaya tiffin tak nahi khaaya tha. Bhook bhi zoro ki lagi thi usse.

'I'll kill him. That bastard. He was going for the kill. Usne zara bhi nahi socha mujhe dhakka dene se pehle...'

Veer train se baahar aaya aur firse...

Usne dekha...

Ekdum bhakkam bheed thi station me. Poora bhara hua tha. Aise me usse uss Jatin ko dhundna tha jo ab na keval train me rehne waala tha balki poore Jaipur me kahi bhi jaa sakta tha.

'Damnnn ittt!! Just where did he went???'

Usne kheejte hue mann me chillaaya. Lagta hai... Ye safar uska... Lamba hone waala tha.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar dena.
Awesome update
 
Top