• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Beintehaan Mohobbat (Completed)

Ajay chauhan

Active Member
1,241
7,473
159
Devil bhai aap kab se ofaind hone lage yaar meri Story par bhi nagative comments aate hai par main unpar dhyaan na dekar Story kese intresting banegi us par dhyaan deta hau


Bhai please story close mat karna koi nahi to main baitha hu padhne ke liye

Mujhe pasand hai aisi Story please Devil bhai ise close mat karna
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,650
244
Devil bhai aap kab se ofaind hone lage yaar meri Story par bhi nagative comments aate hai par main unpar dhyaan na dekar Story kese intresting banegi us par dhyaan deta hau


Bhai please story close mat karna koi nahi to main baitha hu padhne ke liye

Mujhe pasand hai aisi Story please Devil bhai ise close mat karna
Mujhe negetive comments se problem nhi hai.

Par mujhe story mein woh response nhi mil raha hai jiski mujhe umeed thi.

Agar aisa hi haal aur kuch din tak raha toh main woh sochunga.
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
16,266
40,895
258
Update 9
Radha bhagte bhagte pure college mein apni nazre ghuma rahi thi. Phir woh admission line ki taraf jaati hai. Waha pe usko kuch jyaada hi positive vibes aarahe the. Woh waha har ek ladke ke chehre ko khash karke aankhe dekh rahi thi par woh nhi mil raha tha.

Phir woh waha se canteen mein jaati hai waha bhi achhi khaasi bhidd thi. Phir woh waha pe bhi har ek table mein jaake khojne lagti hai. Par usko koi nhi mila.

Par tabhi 2-3 ladke aake Radha ke paas khade hojaate hai.

L1: Kya baat hai kisi ko dhund rahi ho.

Radha: None of your business.

L2: Kaho toh hum madad karde.

Radha: Bola naa koi jarurat nhi hai. Jaake apna kaam karo.

L1: Aree hum apna kaam hi toh kar rahe hai.

L3: Jisko dhund rahi ho agar woh naa mila ho toh humse kaam chala lo.

Radha gusse mein aajati hai aur uss ladke ko 1 thappad maar deti hai.

L3: Gusse mein. Teri itni himmat tune humpe haath uthaya. Tu jaanti hai main kaun hu.

Radha: Mujhe janna bhi nhi hai. Agar aur thappad nhi khaana chahta toh chup chap nikal yaha se.

L3: Bahot bolti hai naa tu. Tune Rohan Sharma ko thappad maara hai. Tujhe toh chorunga nhi. Ayee uthao isko. Aur isko saath unndono(Arushi aur Megha) ko bhi.

Radha: Tujhe pata hai main kaun hu. Vikram Singh ki beti. Singh Group of companies ke malik ki beti.

Rohan: Tujhe pata hai main kaun hu. Yaha ke Commissioner ka beta. Jisse tera baap bhi dartaa hai. Yeh bol usne Radha ka haath pakad liya aur uske saath aaye chamcho ne Arushi aur Megha ko pakad liya.

Radha: Choro humhe. Tumhare liye achha nhi hoga.

Rohan: Iss college ka har koi mujhse aur meri power se darta hai. Aaj tujhe koi nhi bachayega. Tune mujhe thappad maara naaaaaaaaa. Abhi woh itna hi bolta hai ke uski chikh nikal jaati hai.

Jab Rohan aur uske chamche Radha aur uski dosto se badtameezi kar rahe the. Tabhi waha canteen mein 1 group aata hai. Woh yeh sab dekhte hai. Unme se 1 ladko bahot gussa aata hai. Woh aage badhne wala hota hai tabhi unme se ek ladki uske kaan mein bolti hai.

Ladki: Aise mat jao. Apne face ko achhe se cover karlo.

Ladka: Chinta mat karo. Woh wala roop nhi dikhega.

Ladki: Phir bhi. Cover karlo. Dekhne wale aur pehchanne wale pehchan hi lete hai.

Ladka: Thikkk hai.

Phir ladka apna face cover karke Rohan ke pichhe jaake jhatt se uska haath modd deta hai. Tabhi Rohan ki chikh nikli thi.

Rohan: Dard mein. Kaun hai be tu. Chorrr mujhe. Tu mujhe jaanta nhi hai.

Ladka: Hoga kisi bigdi baap ki aulad. Pahle ladki ka haath chorr. Warna tere paas 1 hi haath bachega.

Rohan: Ayee dekh kya rahe ho maaro isko.

Uske dono chamche ladke ko maarne aate hai toh uss ladke ne ek hi waar mein unko dherr kardiya.

Ladka: Ab chorega yaaa yeh apna haath tudwayega.

Rohan: Dard se. Chorta hu chorta hu. Le chor diya.

Jaise hi Rohan ne Radha ka haath choraa uss ladke ne bhi Rohan ka haath chorr diya.

Rohan: Tune mera haath modaa. Tu jaanta hai main kaun hu.

Ladka: Naa tu shareef hai. Naa iss college ka malik lagta hai. Naa tu koi super star hai. Hoga kisi ameer baap ki bigdi hui aulad.

Rohan: Main iss sehar ke Commissioner ka beta hu. Pura sehar mere baap ke aage sir jhuka ke chalta hai. Aur tune mera haath modaa. Tujhe chorunga nhi. Yeh bol Rohan uss ladke ko maarne aata hai.

Toh woh Ladka Rohan ke pet mein ek ghusaa marta hai toh Rohan wahi baithh jaata hai.

Ladka: Tu abhi mere saamne bachha hai. Agar maine apni puri taqat se maara hota toh tu ab tak shamshan mein hota. Aur tumlogg isko le jao aur hospital mein admit karao. 2 din tak yeh uth nhi sakega.

Yeh bol woh ladka Radha ke paas aata hai.

Ladka: Kya tum thik ho.

Jabse woh ladka Radha ke nazro ke saamne aaya tha. Radha usko pehchanne ki koshish kar rahi thi. Par jab Radha ne uski aankhe dekhi toh uske aankho se ek pal ke liye aansu aagye. Aur woh tab se sirf bheegi palko se usko hi dekhe jaa rahi thi.

Ladka: Maine pucha kya tum thik ho.

Radha: Hosh mein aate hue. Dheere se haaa.

Ladka: Good. Ok byee. Yeh bol woh ladka waha se chala gaya.

Radha toh bas uski awaaz mein hi khoo gayi thi. Usko toh yeh aihsaas bhi nhi tha ke woh ladka jaa chuka hai.

Arushi aur Megha Radha ke paas aate hai aur usko hila ke puchte hai.

Dono: Radha kya tu thik hai.

Radha: I Love You.

Dono: Oyeee pagal hogyi hai kyaa. Usko phir se hilate hai. Radhaaaaa.

Radha: Hosh mein aate hue. Woh ladka kaha gaya. Kaha gaya mera dream Krishna.

Dono: Kya bol rahi hai.

Radha: Aree woh ladka jisne mujhe bachaya. Woh koi aur nhi mera dream Krishna hai.

Dono: Kyaaaaaaa.

Radha: Haa uski aankhe bilkul mere sapne wale ladke se 100% match karti hai.

Dono: Areee youuu sureeee.

Radha: 200% sure. Kaha gaya wohhhh.

Dono: Woh toh kabka chala gaya.

Radha: Kyaaaaaaaa. Mere itne paas aake bhi maine usse khoo diyaaaa.

Arushi: Radha tension matlo. Ab toh tum isi college mein ho. Aur shayad woh bhi isi college mein hai. Toh usse dhund lenge.

Radha: Hmmmmm.

Megha: Par uske liye humhe pahle yaha admission lena hogaa jo iss pagal ke wajah se abhi tak hua nhi hai.

Radha: Jaldi chalo.

Dono: Thoda mazaak karte hue. Kyo ab I Love You nhi bolnaa.

Radha: Kyaaa bol rahi ho.

Dono: Hum kya bol rahe hai. Tumko hum kabse bula rahe the par tumhe toh hosh bhi nhi tha. Aur jab apna muh khola toh usme se kya nikla I Love You.

Radha: Kyaa sachh mein mainee aisaa bolaa.

Dono: Aur nhi toh kya. Kisko I Love You bol rahi thi tu.

Radha: Sharmaaa kee. Woh jab mujhse mera haal chaal puch raha tha tab main uski awaaz mein hi khoo gayi. Phir jab tumdono ne mujhe hilaya toh mere se muh se woh nikal gaya. Yeh bol woh apna muh chupaa leti hai.

Dono: Dekho toh ab kaise sharmaa rahi hai. Agar humari jagah usne sunn liya hotaa tohh.

Radha: Isshhhhhhh. Tab toh main sharm se hi marrr jaatiiiii.

Dono: Chal chal jyaada sharmaa mat. Aur chal admission karwate hai.

Phir teeno jaake apne admission karwate hai aur ghar wapas aate hai.

Idher Yash and group bhi admission karwake ghar aajate hai.

Raat ko Ishant dinner table pe.

Ishant: Toh hogya tumsab ka admission.

Yash: Yes dad.

Ishant: Maine sunaa aaj kuch problem hogya tha college mein.

Yash: No dad. Aisa toh kuch nhi hua.

Mehak: Kya problem hua tha Ishant.

Ishant: Aaj kisi ne Commissioner ke bete Rohan Sharma ko pitt diya. Kisi ladki se badtemeezi karraha tha isiliye.

Mehak: Bahot achha kiyaa. Aur tune kaise bola kuch problem nhi hua.

Yash: Mom humare saamne toh nhi hua. Humara waha se nikal jaane ke baad hua hoga.

Mehak: Hmm hosakta hai. Par tum log kisi jhamele mein mat padhnaa. Samjheee.

Charo: Jiiii.

Ishant: College kab se start horaha hai.

Yash: 4 din baad se.

Ishant: Thikkk hai.

Phir sab dinner karke apne apne kamre mein chala jaate hai.

Idher Raat ko ek ladka chupke se ek ghar se nikalta hai.

Woh ghar se durr ek sunsaan jagah aata hai. Jaha kuch log uska intezaar kar rahe the. Usme 2 ladke aur 2 ladkiyan thi.

Zabardast update
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
16,266
40,895
258
Update 10
Ladka: Haa kya information hai.

L1: Usne yaha ke ek gunde ko supari di hai.

Ladka: Kisko di hai.

L2: Yaha ka dada hai woh political killing karta hai. Yaha ke Commissioner ka support hai usse.

Ladka: Naam kya hai uska.

Ladki 1: Raghu.

Ladka: Hmm toh chalo usko supari ke saath paan chuna elaichi sab deke aate hai. Waise kitne aadmi hai.

Ladki 2: 10-15.

Ladka: Chalo sabko achhe se paan khila ke aate hai.

Phir woh ladka unn 4 jan ke saath chal deta hai uss Raghu ke paas.

Yeh 5 jan Raghu ke saare aadmiyon ko maar ke uske saamne jaake khade hojaate hai. Jaha woh aaram se so raha tha.

Ladka: Uthao isko.

Tabhi 1 ladki nee uske muh pe paani maara.

Raghu hadbada ke uthh gaya aur apne saamne inn 5 jan ko dekh kar shock hogaya.

Raghu: Kaun ho tumlog aur andar kaise aaye.

Ladka: Tera kaal hai hum.

Raghu: Abeee tu jaanta hai main kaun hu. Raghu Raghu bhai. Puri mumbai kaanpti hai mujhse. Tumlog andar kaise aaye mere aadmiyon ne rokaa nhi.

Ladka: Tere aadmiyon ko pahle hi yamraaj ke paas pahoncha chuke hai ab teri baari. Yeh bol woh apni khoon se bheegi hui Katana nikal leta hai.

Jisse dekh ke Raghu darr jaata hai.

Raghu: Darte huee. Kya chahiye.

Ladka: Tune kuch time pahle ek businessman ki supari li thi.

Raghu: Haaaaaa liiii thiiii.

Ladka: Nhi lenaaa chahiye thaaa. Yeh bol woh katana uske gale mein phiraaa deta hai.

Dheere dheere Raghu wahi tadap ke marr gaya.

Ladka: Chalo.

Phir woh 5 apne apne ghar nikal jaate hai.

Idher woh ladka jab apne ghar aaya aur apne kamre mein gaya toh waha kisi ko baitha dekh shock hojaata hai. Phir jab uska chehra dekha tab shant hua.

Ladka: Tum yaha soyi nhi.

Ladki: Tum bahar gaye the aur main so jau. Maar diya usko.

Ladka: Haaaa.

Ladki: Ab kyaa.

Ladka: Jab tak woh wapas India nhi aata tab tak aise hi rehna hogaa.

Ladki: Agar kisi ne inlogo ko kuch kardiya toh.

Ladka: Mere rehte kabhi nhi. Aur mere aadmi harwaqt inpe nazar rakhte hai. Don’t worry. Chalo ab so jao.

Phir woh ladki apne room mein jaake so jaati hai.

Ladka: Tu jitna bahar reh sakta hai reh le. Tere anth najdeek aaraha hai. Jee le jitna jee sakta hai.

Phir woh ladka apne fresh hoke so jaata hai.

Agli subah har jagah yeh news faill gayi ke kisine mumbai ke mashoor gunde Raghu ko maardiya hai. Har jagah yehi khabar thi. Jab woh Commissioner yeh news dekhta hai toh woh bhi hairaan hojaata hai.

Commissioner: Ab yeh kaun aagaya jisne Raghu ko maar diya.

Saala pahle kisine mere bete ko maardiya. Pata kiya toh pata chala kamine ne Vikram Singh ki beti ko pakda tha. Aur uss ladke ka bhi kuch nhi pata chala aur yaha kisi ne Raghu ko maar diya.

Idher Ishant aur Vikram ke ghar bhi yeh news faill gayi thi.

Vikram: Kyaa baat hai. Aaj ka din achha jayega.

Sanjana: Kya baat hai jo khush horahe ho.

Vikram: Aree kisi ne Raghu ko maardiya.

Sanjana: Tumhara dimaag toh thik hai. Kisi ne kisi ko maardiya aur tum khush horahe ho. Aur yeh subah subah khoon kharabe ki baat kar rahe ho band karo.

Vikram: Areee gussa kyo horahi ho kar raha hu. Waise humari princess kaha hai kal se dikhi nhi.

Sanjana: Kal jab se admission karwa ke aayi hai apne room mein hi baithi hai uss sketch ko leke aur sirf muskurai jaa rahi hai.

Vikram: Bulao usko jara hum bhi dekhe aakhir kya hua.

Sanjana Radha ko bulake laati hai.

Radha: Good Morning Dad.

Vikram: Good Morning Princess. Kal kaisa raha admission. Kuch problem toh nhi hua naa

Radha jab kal admission ka sunti hai toh sharmaa jaati hai.

Sanjana: Aree tujhse admission ka pucha hai shaadi ka nhi jo itni sharmaa rahi hai.

Radha: Wohhh dad kal mujhe admission ke waqt woh mil gaya.

Vikram: Kaun mil gaya Princess.

Radha: Mera dream Krishna.

Dono: Shock se. Kyaaaaaaaaaaaa. Kab kaha kaise.

Radha: Dad Mom kal college mein mila.

Vikram: Beta puri baat batao.

Phir Radha unhe kal college mein jo kuch hua sab bata deti hai.

Vikram: Kyaaaa. Uss Commissioner ke ladke ki itna himmat. Usne tumhare saath badtameezi ki. Main usse chorungaa nhi.

Radha: Dad aap usse kuch mat kariyega. Uski wajah se hi toh mujhe woh mila hai.

Sanjana: Par beta tumhe yakeen hai ke jisne tumhari help ki woh ladka tumhare sapno wala hai. Jabki usne toh apna face cover kiya hua tha.

Radha: Haaa mom. Uski aankhe meri sapno wali aankho se full match karte hai. Aur phir mere dil ne bhi isko mehsoos kiya hai.

Vikram: Par tum usse dhundogi kaise.

Radha: Dad ab main bhi uss college mein hi hu aur woh bhi. Main usse thik dhund lungi.

Vikram: Achha hai. Par uss Commissioner ki toh.

Radha: No dad. Mere dream Krishna ne usko sabak sikha diya hai. Agar phir se woh kuch karta hai tab aap action le lijiyega.

Vikram: Thikkk hai.

Sanjana: Chalo ab nashta karo.

Phir sab nashta karte hai. Vikram nashta karke waha se nikal jaata hai.

Vikram ek call karta hai.

Aadmi: Hello kaun.

Vikram: Vikram Singh.

Aadmi jaise hi yeh sunta hai thoda shock hojaata hai.

Aadmi: Vikram Ji. Mere bete ne jo kiya uske liye main maafi maangta hu.

Vikram: Commissioner . Apne bete ko samjha dena agli baar agar usne mere beti ya uske dosto ki taraf aankh utha kar bhi dekha toh wahi zinda gaar dunga. Kya bola tha usne main tumhare saamne sir jhuka ke chalta hu.

Commissioner: Galti hogyi. Aap aur Ishant ji jaise log hai tabhi toh hum hai. Please maaf kardijiye. Main usse samjha dunga.

Vikram: Yehi tumhara aur tumhare bete ke liye achha hoga.

Yeh bol Vikram call cut kardeta hai.

Commissioner waha se sidha apna bete ke paas jaata hai jo mobile mein game khel raha tha. Commissioner jaake usko ek thappad maarta hai.

Rohan: Kya hua dad. Aapna mujhe kyo maara.

Commissioner: Kal kis ladki ke saath badtameezi ki hai tujhe pata hai.

Rohan: Uss ladki ko toh main chorunga nhi.

Commissioner: Tu jaanta hai uska baap kaun hai

Rohan: Haa bol rahi thi kisi Vikram Singh ki beti hai. Toh usse kyaa.

Commissioner: Abeee kamine. Uss Vikram Singh jaise logo ke wajah se hi main power mein hu. Aur tu uski beti ke saath badtameezi karke aaya hai.

Rohan: Ohh Shitttt. I am sorry dad. Mujhe nhi pata tha.

Commissioner: Yeh toh achha hua. Vikram Singh ne iss baar chorr diya. Warna woh tujhe zinda gaar deta aur main kuch karne jaata toh uska dost Ishant Agarwal Agarwal Empire ka malik aajata. Aur agar woh aata toh puri sarkaar ko jhuknaa padhta.

Rohan: Whatttttttttt.

Commissioner: Haaa. Ishant aur Vikram bahot achhe dost hai. Aur Ishant Vikram ki beti ko apni khud ki beti maanta hai.

Rohan: Sorrryyy Daddd.

Commissioner: Agli baar se dhyaan rakhna usse 100 kadam durr hi rehna.

Rohan: Yess dad. By the way dad. Agar main uss Vikram ki beti se shaadi karlu. Toh woh Vikram aur Ishant humesha ke liye aapke nichhe aajayenge. Kyoki unki beti humare paas rahegi.

Commissioner: Yeh itna aasaan nhi raha teri uss harqat ke baad.

Rohan: Main usse maafi maangke usse dosti karke usko apne pyaar ke jaal mein fhasa lunga dad.

Commissioner: Agar yeh hota hai toh phir main iss sehar ka sabse powerfull aadmi ban sakta hu.

Rohan: Yes dad.

Commissioner: Par agar kuch garbar hui toh tu phir zinda nhi bach payega.

Rohan: Don’t worry dad. I will handle it. Bas aap uss ladke ke baare mein pata kare jisne mujhe maara tha.

Commissioner: Maine aadmi laga diye hai. Tu chinta mat kar.

Yeh bol Commissioner waha se nikal jaata hai.

Rohan: Tune mujhe thappad maara tha. Ab dekh teri zindagi nark se badtar bana dunga main.
Nice update
 

Gaandu No 1

Game Changer
Banned
794
1,173
123
B
Mujhe negetive comments se problem nhi hai.

Par mujhe story mein woh response nhi mil raha hai jiski mujhe umeed thi.

Agar aisa hi haal aur kuch din tak raha toh main woh sochunga.
Bhai app Story ko continue karo response bhi aye ga aur refers bhi mile ge but bhi story close nahi karna muje Radha aur Yash ki love story janana h please bhai request h apse

Aur response bhi aye ge uski fiker na karo aap
 
Top