• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
एकतालीसवाँ भाग

बहुत बढ़िया।

कॉलेज की रैंगिंग सेसन के बाद एक और ड्रामा। मीरा किससे प्यार करती है जिससे मिलने के लिए उसने इतना बड़ा ड्रामा किया। और जब नीरज बोल रहा था कि वो कोई अच्छा प्लान सोचकर उससे मिलते हैं तो मीरा को ये सब करने की क्या जरूरत थी। हृदयघात कोई खिलवाड़ नहीं है जिसकी आड़ में वो मिलने का रास्ता तैयार कर रही हैं। मुझे तो ये सबसे बड़ी पागल लग रही है।।

हद है किसी भी बात की। बायकॉट मीरा। तानाशाही नहीं चलेगी। खुद तो परेशान हो रही है और दूसरों को भी परेशान कर रही है। रियाज़ ने सही कहा। उसकी मां हृदयघात से लेटी है और वो मोबाइल मोबाइल खेल रही है।😡😡😡

Je budiya kaki ne to Dil ki baat bol di ...karne do budiya kaki karne do ye Wala chutiyapa ,wo ek kahani hai na bhediya says,bhediya aaya wahi Wala scene hone Wala hai iss Meera ke sath....
 
10,458
48,868
258
अपडेट ४१.

जडेजा फेमिली की ही लड़की लग रही है मीरा । शायद इसी लड़की से शादी करने के लिए बात चलाई थी सुगंधा ने सोम से ।
लगता है सुगंधा ने मीरा से सोम से उसके रिश्ते की बात की होगी और यह भी बताई होगी कि लड़का फिलहाल लखनऊ में ही है । शायद मीरा को सोम को देखने , परखने की इच्छा होगी इसीलिए यह सब नाटक कर रही है ।
लेकिन फिर भी कुछ अधूरा सा लग रहा है । मुझे लगता है उसका किसी के साथ कोई अफेयर जरूर रहा है और एम बी बी एस का कोर्स करने का मकसद भी उसी से जुड़ा हुआ है ।

खैर , ये सब कुछ अपडेट्स में क्लियर हो ही जायेगा ।

वैसे मीरा के कारनामों को पहले भी देख चुके हैं । इस बार उसने सोनी काकी को बिमारी का बहाना बनवा कर हास्पिटल में दाखिल करवा दिया । कारण उसे किसी से मिलना है । देखें वो शख्स सोम है या कोई और !
इस पुरे वाक्ये को बहुत ही बेहतरीन तरीके से दिखाया गया है । व्यास आसिफ और रियाज़ का शक करना , उनकी टीका टिप्पणी काफी मजेदार थी ।
रियाज की बातें सुनकर तो हंसी आ गई । " मैंने आज तक नहीं सुना किसी औरत को हार्ट अटैक आते हुए । " सच ही कहा उसने औरतें हार्ट अटैक लेती नहीं बल्कि देती है और वो भी सबसे अधिक अपने हसबैंड को । :D

काफी मस्ती से भरपूर अपडेट था ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट नैन भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 
10,458
48,868
258
Kai sare sawal rah gaya hai...aakhir jivisha ke janm ki kahani kya hai... apasyu ki death kaise ho gayi...aur ammy ne hi kyo katl kiya...ammy aur apasyu ka bachcha orphanage me kyo hai jab ammy aur Sinha ji jinda hai to....aur aarav ka talak kaise ho gaya....aur nishchal ne wo dhongi aashram ( satvik aashram) ko kyo jala Diya...abhi bahut sare hai...
वेलकम बैक । बहुत ही अच्छा लगा आपको वापस आते देख कर ।
 
10,458
48,868
258
Kahani apni simplicity dhire dhire kho degi aise kirdaaro ki over acting ke chalte..... sirf Vyas Asif aur Riaz akele kitne bhi koshish kar le kahani ki shadgi ko bachaye rakhne ki , par baaki sabhi kirdaar mil ke sab gur gobar kar denge.. :dazed:
well abhi busy hun... milti hu kuch dino baad isi thread pe...
Btw ju ko unban dekh khushi huyi
कहां बिजी हो गई है नैना जी ? आपके रेभो के बगैर फोरम अधूरा अधूरा सा लग रहा है ।
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-41




Sia canteen ke darvaje par hi thi jab Neeraj aur Meera mil gaye. Sia dono ko leti sahar bhraman ko nikal gayi. Vyas wapas aa kar sidha captain ke pass gaya... "Sir, Chaturvedi humara bachpan ka dost hai, lekin hum college ke kisi bhi group se nahi hain. Aap mujhe aam students hi maan sakte hain?"


Captain:- Jaa bhai tu koi aam nahi hai... Waise bhi shanti varta paratav chal raha hai isliye hum yahan ke mahol ko kharab nahi kar sakte…


Vyas, chehre par halki muskaan liye, dono ke pass pahuncha... Jaise hi pass pahuncha, Asif aur Riaz kinare lete... "Kya boli"…


Vyas:- Jante to ho... Bolti hi bahut kam thi. Thodi si khuli thi lekin fir se bahut kam bolne lagi hai. Aage shayad anjano ki tarah humare sath pesh aaye. Haan lekin usne kaha hai hum Meera aur Neeraj ke sath huye to wo uth kar nahi jayegi..


Asif:- Chal ghar chalte hain…


Vyas, Asif aur Riaz ke gale lagte… "Itni mehnat aur muskhkil ke bavjood.. naya safar Mubarak ho. Ab bus jaroorat hai, pichhe na mud kar dekha jaye"..


Asif:- Haan lekin kisi ko pichhe bhi na chhoda jaye...


Riaz:- Aur tea party gange jindabad... Jarra mahine din me settle ho len fir padhai aur masti poora balance kar ke chalenge... Aur jab tak ek mere liye bhi kisi doctor ko dekh lena...


Vyas aur Asif:- Aur ye Meera...


Riaz:- Bhai ye senior junior ki gange ko dur se pranaam. Medical se jatil hai inko samjhna. Uss Meera ko dekh yun aise gaal aage badha di... Waise dikhti badi kamal ki hai...


Vyas:- Kamal ki to Sia bhi hai.. ab to sath baith kar aag lagayegi aur main jalta rahunga..


Asif:- Chhod na thoda najar niche rakhega to pass baithne ka afsos bhi chala jayega..


Riaz:- Ye apne liye bhi ab valid hoga na... Launde ne to sara connection cut kar liya..


Vyas aur Asif dono ek sath.… "Thuuu sala bin pendi ke lota. Abhi to senior-junior se dur tha na"..


Riaz:- Ab upar upar kuchh bhi bol dun... Ander ke purje to wahi poorane honge na..


Zindgi ek aisi paathshala hai jahan har umr hum student hote hain aur har mod ek naya adhyay judta chala jata hai. Haan waqt ke sath bahut sare badlav sarthak hain, lekin kuchh vishestayen sadaiv ander nihit rah jati hai.


Teeno karm path par chal to chuke the. Teeno ke padhne ki aadat bhi ek jaisi thi... "Bako dhyanam"… bilkul bagule ki tarah dhyan laga kar. Lekin kya sirf in baton se teeno ke mul gunn jo the wo dab jate... Bada sawal tha jiska jawab to teeno bhi nahi jante the bus kuchh wada jo khud se kiya tha usse nibhane ki kosis chal rahi thi.


Sham ke 7 baj rahe honge. Meera aur Neeraj phone par the. Dono ke bich bahas ka daur chal raha tha...


Neeraj:- Thoda dhiarya se kaam le... Sab kuchh itni harbadi me mat kar...


Meera:- Mujhe dekhna hai matlab dekhna hai. Main yahan koi ummid le kar nahi aayi thi. Bhagwan ko bolo aise situation hi kyun laye. Bus unhe ek jhalak dekhna hai Neeru..


Neeraj:- Dekh Kuku hum aaram se iss par plan kar lenge aur milne ka koi dhang ka tarika dhundhte hain...


Meera:- Ban gaya plan... Chal phone rakh, message karti hun...


Neeraj line ke dusri ore se Kuku, Kuku karta raha lekin kaun sune. Meera apni Soni kaki (house survent) se kuchh baten samjhayi aur thodi chinta me Vyas ke darwaje par pahunchi.… Aur aate hi... "Vyas, Vyas..."


Vyas:- Ji Meera ji, kahiye...


Meera:- Vyas, Soni kaki (House servent) ki tabiyat achanak kharab ho gayi hai. Unhe shwans lene me nahi ban raha...


Vyas:- Oh doctor ke pass chalte hain…

Meera:- Hospital hi chalte hain, kya pata kahin kuchh serious hua to...


Vyas:- Thik hai jao ye night dress change karo jab tak main sabhi arrangements karta hun...


Meera apne ghar me pahunchi aur pajama kurta change karne lagi pichhe se Soni... "Kuku, beta mujhe kuchh samjh me nahi aa raha hai."


Meera:- Aree Kaki padosi kaise hain uska pata to lagana hai na... Ab jao aur hall me lage sofe par chhati pakad kar let jao aur karrahne lago...


Soni:- Kuku, doctor ko kya bolenge...


Meera:- Bol dena kisi bed par shift karke, glucose aur injection wahiarah laga dega...


Soni poori chaunkti hui.… "Kya injection, glucose... Ae beti mujhe chhod de na"..


Meera:- Soni Kaki mujhe lagta hai ki pandit ji ke ladke (Vyas) ko main aap ke jamai hone ke liye parakh rahi hun...


Soni par to jaise bijli par bijli gir rahe ho.… "Kuku abhi aaye 2 din nahi huye, tumne ladka pasand bhi kar liya. Beta apni maa se aur poore khandan se jhagda karne ke waqt kya boli thi jarra yaad kar"…


Meera ke dimag me samay chakr ulta ghumne laga aur kuchh waqt poorv ke yadon me jati... Bhada poora mahol. Ghar ka hall logon se bhada aur bich me khadi Meera….


"Poora gaanv kaan khol kar sun le... Iss ghar ke bacche padhne jate hain to unhe ishq ho jata hai. Naukri karne jate hain to ishq ho jata hai. Party function me ishq ho jata hai. Koi-koi to ghar me bataye bina love marriage kar lete hain aur apni kartoot chhipane ke liye ussi se dhum-dham wali arrange marriage bhi karte hain. Batao 2-2 baar shadi."


"Main ja rahi hun medical karne. Padhai matlab padhai karungi. Aap sab free hain mere liye ladka dekhne ke liye. Jab tak main MBBS karun dhundh lo ladka, lekin yadi kisi ne bhi iss waqt mujhe rokne ki kosis ki to iss ghar ki parmpara ko barkarar rakhte, main agle 1 ghante me kisi se bhi shadi kar lungi. Fir mujh par na to aap sab ki koi jor jabardasti chalegi aur na hi aise gher kar mujhe manaa karoge. Shadi karungi aur sidha medical karne nikal jaungi... Choice is yours"


Apni baat yaad kar ke Meera ke badan upar se niche tak hil gaya.… "Soni Kaki, ghar ko baad me dekh lungi. Bol dungi meri palne wali maa yani Soni kaki ne ladka final kiya hai. Hua na arrange marriage"…


Soni, ki aankhen fail kar bahar ko aa gayi... "Kuku tum pakka mere chhati me dard utha dee. Beta main hospital chal rahi, par mujhe apne kaarnamo se dur rakho, warna ghar par poori sacchai bata dungi"…


Meera, chahkti hui Soni kaki ko gale se lagayi. Kuchh der baad stracher ke sath hi Vyas, Asif ne entry maara... Soni kaki sofe par leti thi aur Meera uske sar ke pass baithi Soni kaki ke sar daba rahi thi...


Asif:- Abe ye to matha dard hai...


Meera, Asif ko ghurti... "Comedy chal rahi kya idhar. Main hi pagal thi jo Vyas se kuchh boli"..


Idhar Soni kaki ko teji ke sath strecher par lita kar ambulance me load kiya gaya. Pichhe se Meera bhi aayi. Vyas, Meera ko rokte... "Hum teeno hai na, tum ghar par raho. Main phone se poora haal bata dunga"…


Meera, chidh kar thoda uncha bolti.… "Pagal to nahi ho gaye, maa hai wo meri, aur khud hi to dress change karwaye the..."


Vyas:- Haan thik hai samajh gaya chalo tum bhi..


Teeno chadh gaye ambulance me. Nukkad se Riaz bhi pahuncha.… Ambulance me chadhte hi ek jhalak Meera ko dekhte... "Ye to mobile me ghusi hai aur chest pain wala marij shanti se so rahi"…


Meera:- Baap baap chillane ki aadat nahi hai na isliye shant hai.


Meera mobile me hi ghusi hui hi jawab dee aur Neeraj ko dher sara angry emoji bhej kar niche type kar dee... "Sia didi ko inform kar aur city hospital ko bhi tu hi manage karega. Distrub mat kar ab"…


Meera apne massage bhej rahi thi, issi bich Vyas , Meera ke mobile ko dekhne laga... Meera teji se khisak kar kone me ghusti... "Kya badtamiji hai ye"…


Vyas:- Tumhari maa Ambulance me hai aur tum kiske sath mobile me lagi ho...


Meera:- Mera boyfriend hai.…


Soni kaki ki tej khaansi nikal gayi... "Ek aur boyfriend"…


Teeno ek sath chaunkte... "Ek aur boyfriend"..


Meera apne jhujhlaye chehre par fiki muskaan laati... "Soni Kaki main Neeru ko bula rahi thi. Ab Vyas mere phone me ghus raha tha to gusse me bol di"…


Asif:- Mujhe to kuchh samjh me hi na aa raha hai Shashtri. Chest pain tha to nausad sahab ya fir K. P Chandra se dikha lete wahin, sidha ambulance bulane ki kya jaroorat thi..


Meera:- Risk nahi le sakte the na... Kahin heart attack hua to...


Riaz:- Maine to aaj tak na suna kisi aurat ko heart attack aaya hai. Bahut rare hota hai unka heart attack...


Vyas:- Sab shant ho jao... Ab jab ja hi rahe hain to itni panchayat kyun...


Sia aur Som dono aaram se baith kar settle hone par charcha kar rahe the. Issi dauran Som ne Sia ko bataya ki wo hi-speed internet service ka poora set-up lagaane wala hai. Sara saman Nirbhay ke cottage me hi rakha hua hai. Jis din grih prawes hoga ussi din office ka inaugration bhi hoga. Uss par kaam shuru ho gaya hai.


Sia kafi khush thi. Lata Mishra pahle hi bata chuki thi ki Som ne kisi se shadi ke liye haan kah diya hai aur Sia apne armaan jahir karti... "Som, please dad ke liye shadi kar le. Warna unke dil ko chot pahunchti rahegi. Tu shadi kar le fir dad ko VRS le lene bol dungi."


Som:- Shadi ko le kar dara sa hun Sia... Kya ye jaroori hai...


Sia:- To kya dad ko feel karwate rahe ki unki shadi naakam rahi iss vajah se uske bacche shadi nahi karna chahte. Soch kar dekh dad ki haalat.


Som:- Hmmm !!! Mujhe uss Sugandha ke hi fi ghar me shadi nahi karni. In bade logon aur unche armano walon se dar lagta hai. Koi simple si ladki ho rishte nibhane wali wo dekh le...


Sia:- Kyun Diksha ne uss ghar me shadi nahi ki hai kya? Jija ji mujhe achhe swabhav ke dikhe. Achha parivar hai Som…


Som:- Haan lekin hum unke hasiyat aur status ke barabar to nahi...


Sia:- Tu maa, pitaji ki bejjati kar raha hai. Tu Diksha ki bejjati kar raha hai. Jadeja family ne pahle samne se approch kiya hai. Poora jaanch aur parakh kar tumhe pasand ki hai... Hum wahi ladki dekhenge...


Som:- Lekin Sia…


Sia:- Bus bahut hua… Hum ek tour plan kar rahe hain. Wahan wo ladki bhi hogi. Wahin samjh lenge fir baat aage badhayenge... Samjha..


Som iss se aage kuchh kahta uss se pahle hi Sia ka mobile bajne laga. Sia call pick karti.... "Sia didi Kuku hospital me hai"..


Sia:- What???


Neeraj:- Chaunkiye mat, Kuku ko kuch nahi hua hai. Uski Soni kaki ko heavy chest pain tha to hospital le kar aaye hain....


Sia:- Kaun sa hospital...


Neeraj:- City hospital..


Sia:- Thik hai main pahunch rahi…


Som:- Kya hua??


Sia:- Sweeto ki relative hospital me hai. Wo akeli hogi...


Som:- Chal fir chalte hain...


Idhar se Sia aur Som taiyar huye aur udhar Neeraj jab baat kar raha tha uske pitaji ne sab sun liya. Wo bhi latak gaye Neeraj ke sath. Neeraj jaise hi pahuncha, lobby me Meera fikarmand ho kar tahal rahi thi. Vyas, Asif aur Riaz kinare baithe huye the... Tabhi Meera samne se Neeraj ke sath uske mammi-papa ko aate dekh kar uski aankhn badi ho gayi..


Dur se hi najron ke samvad se Meera jaise puchh rahi ho... "Pagal, uncle aunty ko kyun laya?"


Neeraj, najron ke ishare se hi jawab dete... "Kya karun aa gaye"?


Meera unke pass pahunch kar dono ke paun chhu kar pranam ki. Thoda bahut Soni kaki ka haal chaal liye. Inki baten chal hi rahi thi ki...


Dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak


Bekabu si dharkane aise vyakul ho rahi thi mano samne se armaan chale aa rahe ho. Meera, Neeraj ko bhinchti, ruwasi aawaj me kaan me bade dhime se boli... "Neeru wo aa rahe hain"…






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
hota hai, hota hai, jab bache jawani mein kadam rakhta hai akshar aisa hota hai unlogo ke sath par inme se kuch ek ki khujli had se zyada hoti hai, sarir ki garmi bardast nahi kar paate... Meera ke mamle mein bhi same situation hai.... wo apni badan ki garmi ko bardast nahi kar pa rahi hai, abhi ushe bas jaise bhi karke ek mard chahiye, taaki sex karke jishm ki garmi kam kar sake, khujli mita sake...
ab sex liye log kisi bhi had tak jaa sakte hai, meera ne bhi thodi bahot giri huyi harkatein kar di isme Kounsi badi badi baat hai, bas jishm ki garmi kam hoti rahni chahiye :D
Khair update kaafi dilchasp tha...
is update ke jariye pata chale ki kaise log jishm ki bhookh ke chalte kuch bhi kar gujarne taiyar rahte hai,, yaha tak ki kahani ke hero Vyas ke sath bhi naukar jaisa behave karti hai..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
कहां बिजी हो गई है नैना जी ? आपके रेभो के बगैर फोरम अधूरा अधूरा सा लग रहा है ।
are aaj kal ek se badhkar ek nawi reviewers aa gaye hai, hum jaiso old reviewers ko to koi puche bhi na aaj kal :D
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
ऐसा कुछ नहीं है मान्यवर।

ये प्यार व्यार सब चुतियापा है।। और जो दावा करते हैं कि वो फला लड़की या लड़के से सिद्दत से प्यार करते हैं। वो सामने वाले इंसान को बेवकूफ बनाते है।

प्यार क्या है किसी को नहीं पता। इसकी परिभाषा क्या है किसी को नहीं पता।। सिर्फ माँ बाप ही हैं जिनके प्यार को प्यार कहा जा सकता है सिद्दत वाला।।
Pyar bin jeene mein rakha kya hai
Pyar jisko nahin woh tanha hai
Pyar sau rang le ke aata hai
Pyar hi zindagi sajaata hai
Mahi Maurya chup chup ke pyaar karti hain
Jaane kyoun saaf kehte darti hai :D
 
Top