Update-45 Review
Bhot hi Emotional Update tha
To Nayla ke jaane bad ab Luna Team ko lead karegi aur jo ki ek dum sahi decision hai uski kabiliyat to dekh hi chuke hai
Lekin Apsyu ki team ko Orja Lead kar rahi
Sayad mera sochna bhot had tak sahi tha ki Apsyu ko Orja ka pata lag gaya hai
Bus ab ye janna hai ki Apsyu ne kese smjha diya Orja ko
Orja ka is tarha dono ke rona aur is tarha kahar barsana yahi dikhata hai ki usne dono ko dil se apna maan liya tha
Sahi bhi hai bachpan se usne bhot kuch jhela tha aur phir jab badi huyi to apni hi maa ki haathon ki katputli ban gayi aur phir jisko wo duniya me sabse jyada cha hati thi usko bhi maar diya gaya aur ye bhi usse chupa diya gaya aur jab bad me pata chala to uske bad bhi uski maa ko taras na aya aur jab uska Sautela Bhai uski ijjat ko tar tar karne wala tha tab bhi uski maa ko ek baar nahi laga ki uski beti ke saath galat ho raha
Itna kuch dekhne ke bad
Ab Jab use Nischal aur Serin se apnapan mila aur Phir wo Nischal ko chahati bhi to thi
To dono ko ese kese dekh sakti thi aur bus phir sara dard is gusse ke saath nikal gaya jiska parinaam dekh hi chuke hai
Jesa ki mene kaha tha Apsyu ka banaya gaya device permanent solution nahi hai Suprmachis ke khilaaf ladne ke liye
Isi ke saath ek question aur tha Yuvi ko kyu baksh diya Apsyu ne usko maar sakte the 4 me ek Ansh to kum hota us Chaman Chindi ka
Ansh ka emotional ho janaa aur Operation na kar pana uski condition sayad hi koi smjhe
Swastika ka hi example le lo jab vaibhav ko dekha to uska tak mind disturb ho gaya tha aur waha to ek akela vaibhav hi tha
Yahan to 3 log hai aur 3no hi apne aur 2 ke saath to pata nahi kitne pal bitaye honge Ansh ne aur usi time Chirag aur Aarsi ka ana aur Nandi ka phone ana valley ka usko bus itna kehna ki apki dost
Aur Nandni ka Samjh jana ki jaroor Jivisha ko kuch hua agar use nishchal ka bhi tabhi pata chal jata to uspar to pata nahi kya beet ti aur saath chirag aur Aarsi par bhi jab unko pata chalta apne fufa ji aur Master Serin ke baare me
Khair Ansh ne Chirag Aur Aarsi ko dekh ke khud ko sambhala aur khud ko hausla dilaya agar haar jata to phir in dono se kya kehta
Bhot hi gajab socha nain bhaiya hatsoff to you
Kya to joda Apsyu ki cells therapy idhr kaam aa gayi
To kya ab Alexa ka wo 6 behan dhundne wala solution faltu tha ?
Aur yaha bhot si cize confusing thi like
Ye wala part idhr to Apsyu ne esa kuch nahi kaha ki Ansh ne pehle kabhi kuch insert kiya
To phir Ansh ne esa kyu pucha ki Jaisa pichhli baar mene kiya tha iska mtlb
Aur haa wo Apsyu ne Ansh ko video me kya dikhaya
Ye bhi smjh se pare tha
Kuch prakash daaliye Nainu bhaiya ispe
Ye Chaman chindi to sahi me machis nikla dhua chodhta hai

To aakhir kar Ansh ne kar dikhaya Dr. Babu ke liye taaliyaan



Sukh me sab saath khade rehte hai
Jo dukh me ho wohi apne hote hai
Jivisha ka chachera bhai bhali shaadi me na aa paya ho lekin abhi aya yahi dikhata hai ki wo dil se apna manta hai Jivisha ko
To ek chota sa juth baaki pura sach bhot badhiya
Update tha Nain bhaiya baaki ke reviews deta hu