Zoren me satta priwartan ke baad Nag Loki Shwetna ko aadha Zoren mila tha to aadha Zoren Dridh aayu Jatin urf Josefer ko. Jispar uski bahan Baby aur Jatin dono mil'kar shasan chalate the...
Mahamahim ki mahima samapt hote hi Zoren ke manushya ki aabadi ko bhi kafi jyada nukshan hua tha, isliye aabadi ab bahut jyada hi control me thi aur sabko family planning ki hidayat mili hui thi…
Nag Loki aur Dirdh aayu dono mitr rastr the, jo ab aapas me Jodi bana'kar mixed culture par kaam kar rahe the... Serin aur Nischal ki bhale hi puri yaad mit gayi ho, lekin har Aizemvasiyo ka sawagat yahan bahut hi garam Joshi se hota tha. Sath hi sath, dono hi rastr me Shashak ki kursi khali rahti thi, jo Vish-Nilayani ke wansaj aur Zoren ki satta pariwartak rahi Malkia Jivisha ki thi.…
Pichhli raat Aizem se 2 jahaj rawaana ho chuke the. Ek jahaj ka mukhiya Puncham tha, jo 8 high class trained warrior, 2 jasoos, 4 technician, 2 ammunation technology expert aur 4 pilot ki team ke sath Zoren ke liye rawana ho chuke the.
Ye ek puri tukdi, kitni bhi badi fauj ho usse kam se kam 24 ghante tak ek jagah par rok'kar apni fauj ko bulane me saksham the.… Inka jahaj Zoren utar chuka tha, jahan Puncham ne wahan ke shasak Jatin ki ek din ki mehman nawaji swaikar kar'ke apne dusre jahaj ko gupt roop se suchit karne nikal gaya tha...
Aizem ka dusra jahaj sidha prithvi ke liye rawana hua tha. Iss jahaj ki mukhiya Maha Prabandhak Lobhu ki Jodi Nayla, apni ek team ke sath prithvi ke liye sidha ravana hui thi. Iss team me bhi utne hi log the, bus itna anter tha ki Nayla ke sath uski 4 khatarnak sewikayen bhi ja rahi thi. Jo kisi ko bhi mohne aur apne ore aakarshit karne ke liye roop, yovan tatha kayi prakar ke rashayan (chemical) sath liye ghumti thi...
Ek surkasha aur madad ki niti Aizem wale apnate hai... Jahan backup 24 ghante me nahi bhej sakte, wahan 1 gupt jahaj bhejte the. Taki aapatkalin stithi me madad kar sake aur apne logon ko bacha'kar la sake.…
Puncham, gupt suchna de'kar jaise hi wapas lauta, wahan ke sabha bhavan ka najara dekh'kar sidha apne sar me goli maar lee aur agle hi kshn (moment) uske dimag ke chithre udd gaye.…
Pancham ka mirt sarir jamin par gira bhi nahi tha ki flash raushni jali, jis'me aakhri sandesh tha Pancham ka.…
"Mai uska sabse pyara sagird hun jo tum sab ka baap hai. Bus intzar karo, jis pal usse khabar mili, wo ussi pal wahan se chalega… Uski beraham khanjar jab tumhara imtihan legi to tumhe apni maut par chikhne ka waqt nahi milega…. Abhi mai mar raha hun, aur iss pal ke baad se hi kaal tum par mandrane laga hai... Jitne din tum ji sakte ho apni sari ikchhayen puri kar lo"