Waah Anand bhai shandaar fantastic greatest update____
Nani ki jaan to payal ki mutthi me atki huyi padi hai. Wo jab chaahe apni kulhaadi se uski jeewan leela samaapt kar de____
Tulism ko paar kar ye sab ek khubsurat baagh me pahuch gaye jaha par inko ek saadhu mila. Ye saadhu yaha par kis liye mila ye to baad me hi pata chal payega___
Sara update badhiya tha bhai bas ek hi jagah kamjor pad gaya aur wo tha paheli wala matter. Sari story me raj ko veer yoddha mahaan aur hoshiyaar bataya gaya but itni si baat me uski akal me grahan lag gaya bhai____
Anyways dekhte hain aage rajgarh ke kin kin rahasyo se parda uthta hai______