• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:- 67..




Kuch galatfehmiyan thi aur hadd se jyada dar ka mahol, lekin logon ke prati Nischal ke viswas ki kahani itni si thi ki wo bhi pyar aur moh ko samjhte huye, jab apne alian hone ki sachai bata raha tha, tab logon ne bhi uske baat ko utne hi dhyan se samjha… Baat dil se dil tak pahunch rahi thi.


Ek baar jab Nischal ki baton par yakin hua, tab Sawalker aur Ansh ka bhi dar hawa ho gaya. Nandni ke flat mein hansi ka mahol tha aur Nischal ki kahani janne ki sabko utsukta. Nandni ne kewal Nischal ka vishay uthaya, aur jitni baten batayi ja sakti thi wo sab bata di. Uski kahani sunne ke baad har kisi ka bus ek hi sawal tha, jo Nandni kab se janne ki kosis me lagi thi…. "Aakhir Nischal yahan pahuncha kaise, aur kin haalaton me usse apne grah se bhagna pada tha?"..


In mukhya sawalon ke alawa kayi aise sahayak sawal bhi the jo jigyasawash Nischal se puche gaye, kintu Nischal bhi un sawalon ka kya jawab de, jiske jawab wo khud dhundh raha tha… Sab ke sawalon ko muskura'kar sunne ke baad, ek chhote se jhuth se sabko khush karte huye kahne laga….


"Mere bhai me aur mujhme jara bhi nahi banti thi, aur chal rahe jhagre ke karan, meri maa ne mujhe wahan se kahin dur chale jane ke liye kah diya… Main fir antriksh ki sair par nikla. Kai sare jagah ghumne ke baad, lagbhag 3 sal baad main yahan pahuncha. Ab pahunchte hi jise kiss mile, wo bhala kyon ye jagah chhod kar jaye"…


Sawalker:- Kamal hai wahan bhi bhai-bhai me jhagra aur tumhari maa tumhe kaise wahan se nikalne kah sakti hai?


Nischal, thoda mayus hote…. "Wo mera saga bhai nahi hai"..


Kuch der ki baat chit ke baad sab log Nandni ke flat se nikal gaye… Nandni chali gayi kitchen me, Ansh ne bhi aaj kafi bhag daur ki thi, isliye wo bhi fresh hone chala gaya… lekin Nischal wo to sara mahol khatm hone ke baad. Jhatak-fatak me fresh hokar, chakachak taiyar ho gaya…


Nischal abhi aaine me khud ko dekh'kar apne purn taiyari ka jayja le hi raha tha…. "Bada khubsurat lag raha hai.. taiyar bhi ho gaya"


Nischal:- haan (dhyan aaine par hi tha)


Nandni:- Kuch der pahle bilkul mara hua sa tha..


Nischal:- Haan ..


Nandni:- Janta hai ek kamal ki baat, tere bag me ek to tera wo mast tonic rakha tha.. upar se uske pass ek aur koi tonic rakha tha, jispar alian bhasha mein kuch likha tha.. Tune jo mujhe translator app banakar diya tha, usme translate karke dekha maine.. .


Nischal:- Haan to kya nikla natija..


Nandni:- Yahi ki tujhe 1 bund pila dun, to 5 minute me tujhe nind aa jayegi… Tune jo abhi kuch samay pahle apni dawa ka chhota sa dose liya na, main usme 1 bund mila dee thi.


Nichal apne aaine se bahar nikal'kar Nandni ko ghurte… "lekin aisaaaaa" … aur dhamm se jamin par…. "Aao.. lagta hai sar dard hoga uth'kar. Chal ab tu ache se aaram kar. Ansh, baby jara isse utha'kar bistar par dalo"…


Ansh dur se hi Nischal ko girte dekh, dauda pahuncha tha, Nandni ko sunne ke baad aaschrya se usse dekhte huye puchhne laga…. "Tumne kya kiya iske sath"..


Nandni:- Jagta to bhag jata Jivisha se milne, isliye lita diya… ise utha kar rakho aur aaj tum issi ke sath so jana..


Ansh:- Main samjha nahi..


Nandni:- Isse roka hai to kya wo rukegi, aati hi hogi thodi der me…


Ansh:- Matlab Jivisha ko tum yahan bula rahi ho, uske behosh aashiq se milne…


Nandni:- Phone para hi hoga dekh lo, maine usse bulaya ki nahi bulaya. Lekin main pakke yakin se kah sakti hun ki wo jaroor aayegi ..


Ansh:- Acha ji, bara bhadosa hai… yadi nahi aayi to..


Nandni:- Nahi aayi to uss din jo tumne kaha tha, aaj raat wahi try karenge… aur yadi aa gayi to....


Ansh:- Fir wo kal raat try kar lenge… .


Nandni:- Dhatttt besharm… Kuch jyada hi tumhara dhyan idhar-udhar mein laga rahta hai. Chalo ab…


Ansh:- Mujhe koi aitraj nahi aane me, lekin tumne hi abhi kaha na iss jallad ke pass sone…


Nischal ke naam se jaise hi Ansh ne chheda, usse pata tha Nandni ka reaction kya hone wala hai.. lekin iss se pahle ki Ansh iss nok-jhonk ka maza leta… ghar ki bell baj gayi .. Nandni hansti hui darwaje ke ore ishara ki, aur chal di kholne…


Nandni abhi 2 kadam aage badhayi hi thi ki Ansh jhunjhla kar kahne laga… "ek kam tha jo ab ye"… Ansh ki baat par Nandni pichhe mud'kar Ansh ki haalat dekh'kar hansi aur darwaja kholne chal di.



Jivisha aate hi pahle to chillati hui Nandni ke gale lag gayi. Fir dono hi ladkiyan 2-2 peg lagayi, aur wahin hall me baith gayi batiyane… Jivisha aate hi sabse pahle to aaj din bhar chale rashaymayi khel ka parda uthane ke liye kahne lagi… Nandni ke baat ki surwat wahi college se hui … fir ek ke baad ek hui sari ghatnao par wo prakash dalti chali gayi.


Dono ke bich thoda pyar, thoda jhagra aur Nandni ko uske himmat bhade karname ke liye, pahle dant padi aur baad mein shabashi bhi mili. Baten lambi hoti chali gayi aur raat chhoti. Ansh ko laga tha Jivisha, Nischal se milne aayi thi lekin Jivisha, Nischal ko ek baar bhi jhankne tak nahi aayi, ki Nischal kamre me kya kar raha hai..


Idhar Ansh suspense me hi so gaya aur ye dono bhi baat karte-karte hall me hi so gayi. Subah ke lagbhag 4 baje honge .. Nischal ki nind khuli aur wo kitchen ke ore chal diya. Wo to pani pine ja raha tha, usse kya pata good morning uska intzar kar rahi thi…


Tej badhte kadam uske tab dhime par gaye, jab wo samne Jivisha ko pani pite dekha… ek baar to usse yakin nahi hua aur aisa laga jaise wo koi sapna dekh raha ho… dabe paun wo Jivisha ke piche pahuncha aur achanak hi usse apne bahon me bhar liya…


Jaise hi Nischal ne usse apne bahon me liya, Jivisha chaun'kar Nischal ko dhakka de di… dharmm.. dhrummm.. tannn.. tunnnn… dhishhhh………. Ki kafi khatrnak aur tej awaz.


Nischal kamar pakad'kar khada hote…."aao, Jisa tumse pyar karna bhi apne aap me mehnat ka kaam hai"… Jivisha bhag'kar Nischal ko dekhne gayi.. itne me Nandni aur Ansh ki bhi aakhen khul gayi aur dono chaun'kar kitchen me chale aaye… "paglon, yahan kya kusti lar rahe the dono"…


Kitchen ka hal dekh'kar Ansh to dang hi rah gaya, aisa lag raha tha jaise wahan koi bhuchal aaya ho. Ansh ke liye ek aur puzzle situation… "Yahan koi visphot hua tha ya Nischal ne apna koi alian power istamal kiya tha…"


Iss se pahle ki koi aur kuch bolta, uske bolne se pahle hi pura kitchen vayvasthit tha, kewal diwar ke ukhde paint aur diwaron ki haalat ko chhod'kar, aur Jivisha, Nischal ki gode me muskura rahi thi.


Iss se pahle ki Nandni ya Ansh me se aage koi kuch bolta, Nischal, Ansh aur Nandni ke gal ko chum'kar wahan se rafoo chakkar ho gaya. Nandni, Nischal ki iss bachkani harkat par jahan muskuraye bina nahi rah saki, wahin Ansh jhunjhla'kar, badbdate huye wahan se chala gaya.


"Aaj subah-subah hum dono.. aur ek romantic walk, woohoooo"… Jivisha puri utsahit hoti hui dono bahn failakar jor se chillayi. Nischal muskurate huye bus uski najron se najren milaye daud raha tha.


Thodi hi der me dono thar marusthal ke registan me the aur jaise hi Nischal wahan pahuncha Jivisha ko dhammn se ret par chhod'kar…. "Aaj se tunhari training shuru hoti hai"..


Jivisha apne dono haath ret me thikye, tukur-tukur Nischal ko dekhti hui…. "Ye kya mujh jaisi komal aur masoom ladki se pyar karne ke badle usse traning karwane yahan ret me le aaye ho. Ye to anyay hai, atyachar hai baby"..


Nischal:- haan haan.. aur main pyar karne ke liye achanak tumhe piche se bahon me lun, to visphot ho jaye. Jarra bataogi wo kya tha?


Jivisha:- Huhhh ! Ab choron ki tarah mujhe bahon me logo, to main kya kar sakti hun… mujhe bus tumhara chhuna pasand hai bus. Baby maine roka kya samne se aane ke liye, ab pichhe se laga ki kisi aur ne bahon me liya aur kand ho gaya… Sorry na.. dekho kaan pakde maine...


Aisa laga jaise Nischal khota chala ja raha ho uski baton me. Achanak hi usne apne sar ko jhatka aur Jivisha ke sar par ek hath marte huye…. "Trainig ke waqt no masoom si baten, only traning… samjhi"..


Jivisha apni hath badhate hui, Nischal ke hathon ke sahare se khadi hui…. "Huhhhh ! Thik se 2 din bhi nahi huye izhar ke aur tum hukum chalane lage. Pahle tum me dub to jane do fir kaam ka kya hai, puri umr pari hai"..


Nischal:- Aur iss chakkar me galti se kahin koi tumhare aas-pass ke log tapak gaye, to kya ye guilt lekar pyar kar sakogi….


Jivisha, Nischal ki baat sun'kar kuch pal khamoshi se sochne lagi…. "Hmmmm ! Shuru karte hain… batao kya karna hai"…


Nischal:- Main tumhe pichhe se pakadunga, aur tum fir se waise hi react karogi… haan lekin isbar yah soch'kar raect karna ki tum ye khud ki ikchha se kar rahi ho..


Nischal ki baat sun'kar Jivisha khamosh khadi rah'kar, haan me sar hilayi. Nischal uske piche gaya aur usse apne bahon me bhar kar khud ko ek bade jhake ke liye taiyar kiya. Wo Jivisha ke pratikriya ka intzar karne laga… intzar, intzar… intzar…


"Jisa, meri rani, tum dhyan lagao na"… "wo tumhare hath.. baby"….. "haan kya hua mere hath ko"….. "wo mere pet par gudguda ehsas karwa rahe"…


Nischal, Jivisha ko chhod'kar alag hua…. "Jisa tum dhyan nahi lagaogi to kaise kaam chalega"..


Jivisha:- Main dhyan to laga rahi thi..


Nischal:- Aur dhyan lagane par kya paya… .


Jivisha:- Sorry nahi bata sakti, mujhe sharm aayegi…


Nischal:- Annhhh ! Kaun se film ka scene dimag me chalne laga tha wo to batao…


Jivisha:- Chhi chhi, wo to bilkul nahi bata sakti…


Nischal:- Baby tumhe pata hai hum kis baat ki training kar rahe hai..


Jivisha:- Haan, mere ander koi so rahi hai usse jagane ki training chal rahi hai.


"Aao 2 minute baitho mere sath"… Nischal apne sath Jivisha ko ret par bitha kar, uske chehre par aaye baal ko hatate huye usse Niharne laga… Niharte, wo muskurate huye kahne laga…. "Ye tumhara bhrm hai ki koi tumhare ander so rahi hai. Jo hai nahi usse tum kalpnao me dhundhna band karo"..
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-68




Jivisha muskurati hui Nischal ko dekhi aur apne honth se uske honth ko sprash karti, kuch der iss pyare se sparsh ko aapne khinchti shwans ke sath, apne jehan me utar'ti hui, Nischal se alag hui…. "Main to ussi me khona chahti hun, jo sachai hai. Jo nahi hai uske bare me to sochti bhi nahi"..


Nischal:- Hammmm ! Thik hai ab yahi to yahi sahi…


Nischal ki baaton me berukhi aur aakhon me kuch galat bhanp gayi Jivisha. Wo teji uska haath pakad kar uske aakhon me dekhne lagi. Lekin Nischal apni aakhen munde apna hath jhatak liya.. aur band aakhon se hi apne kadam piche ki ore badhane laga…


"Mere pass aao… suno… baby… Nischal"… Jivisha vyakulta se uske ore bhagi, lekin Nischal ka piche kadmon se step by step chalna bhi itna tej tha ki Jivisha pure jor laga'kar daurne ke bawjood bhi uske karib hona to dur, ulte duriyan ban rahi thi.


Nischal apni aakhen khol'kar, muskurate huye Jivisha ko dekha… Jivisha ka kaleja teji ke sath upar niche hone laga. Usse shwans lene me itni taklif hone lagi ki wo Fefron (lungs) me hawa bharne ke liye puri taquat se shwans khinchne lagi… Aakhon me aashu aane lage… aane wale pal ke khyal se hi wo itni vichlit ho uthi ki wo chinkhna to chah rahi thi kintu uski awaz nahi nikal rahi thi…


Tabhi Nischal ke muskurate chehre ke sath uske hath me dikha uska khanjar… jo ki kafi teji ke sath gale par badha, khud ka gala retne ki purn ikchha ke sath aur yahi baat Jivisha pahle bhanp chuki thi. Jaise hi wo khanjar Nischal ke hathon ki teji ke sath gale tak pahuncha…. Jivisha ki wo bekhauff aakhen.. gale se chinkh to nahi nikli kintu aakhen dahak uthi thi.


Ret ke bawandar toofan banakar hawa me uddne lage… charo ore aasman me ret ke badal ban chuke the. Jivisha ki aakhen bhay ka wo khauffnak manjar paida kar rahi thi, jiske aabhash matr se hi anginat ret ke jahrile sanp, upar aakar Jivisha ki raah me bichh chuke the, jo Jivisha ke ek kadam aage badhate hi iss prakar lotne lage, mano raham ki bhikh mang rahe ho.










Nischal bhi uss khauffnak bhay ko mehsus kar sakta tha. Wo apni puri takat se apna hath niche lana chah raha tha, kintu Jivisha ki najren usse hilne nahi de rahi thi… tabhi ek jor ki chinkh fijaon me gunji….. "Mere Nischal ko marne ki himmat kaise hui"… aur issi garaj ke sath ek tej kadmon ki thap ret par pari. Woo puri jagah bhad-bhada kar kayi feet niche dhans gayi, aur dono hawa me aa gaye…


Sanp ki tarah fufkarti najro se Jivisha, Nischal ke chakkar lagati…. "Kisme itni himmat ki hume alag kar de".. kahti hui Jivisha ne apne dono hath khol liye aur upar ka aisa najara ho gaya mano mayusi ne iss sansar ko gher liya ho… kai hazar kilometre tak kale saye se badal mandrane lage…


Jahan tak ye kale badal najar aa rahe the logon me katuhal si machne lagi thi... Unhe aisa lag raha tha jaise abhi unka dum ghut jayega…. Khauff ki paribhasa se pahli baar Nischal ka parichay ho raha tha...


Nischal bhi apni tej khinchti shwans ke sath apne aterman me dhyan lagaya… wahi khushi ke pal ko apne jahan me utarne laga… aur jab aakhen khuli to fir se wahi shwet najara tha, mano barf ki chadar charo ore bichhi ho. Jivisha wahin ek baar aur khadi thi, rani ki tarah ussi libas me…. Nischal ki jaise hi najar mili, wo ghutno par baith'kar fir se samman dene laga…


Jaise hi wo ghutne par baitha Jivisha daur kar wahan pahunchi…. Vyakulta se uske pure badan ko tatolti hui…. "Nischal, baby… Nischal"…


Nischal khade hokar Jivisha ko apne bahon me bhinchte… "haan yahin hun main Jisa, meri Malkia"..


Jivisha:- Mujhpar khun sawar hai baby… Kisne tumhe chot pahunchayi hai, pahle uss se nipat lun...


Nischal:- Shiii !! Shiiii !! Shiiii !! Shant … bilkul shant… Jivisha meri aakhon me dekho…


Jivisha gusse se Nischal ki aakhon me dekhti… "Baby nahi.. koi tumhe jaan se marne ki kosis kar raha tha... Normal jhagra hoti to aam baat thi. Tum hat jao mere raste se"..


Nischal, Jivisha ko gale lagate, uske pith par hath ferte huye… "Dhyan lagao ki kaun pichhe gaya tha, kisne khanjar nikala, aur kaun khud ke gale par chalane wala tha… dhyan lagao"… ..


Nischal ki baat par Jivisha gahri shwans leti apna dhyan lagayi. Ek hi chhan me jaise sari tasveer fast forward chali ho. Aakhon me fir ek baar uske aashu the. Wo Nischal se alag hoti, roti hui puchhne lagi…. "Mujhe dara bhi nahi rahe the, sidha apna gala hi kat liya hota"…


Nischal:- Tumhe rone ki jaroorat nahi hai, kyonki main janta tha tunhare hote mujhe kuch nahi ho sakta…


Nischal ki baat sun'kar Jivisha uss par apne hath chalati hui khud ko usme smet li… "Aage se aise pagalpan kiye to soch lena… nisthur kahin ke mujhe rula diya.… Mujhe tumhare sath jina hai.. suna tumne"..


Nischal:- Der ho rahi hai.. niklo mayajaal se..


Jivisha:- Mujhe kahin nahi jana. Mayajaal ho ya bhut jaal.. abhi aise hi khud me samete rakho.. kafi sukoon mil raha hai.


Nischal:- Jivisha niklo iss mayajaal se, warna main sach me mar jaunga..


Jivisha:- Had hoti hai kisi bhi chij ki.. do wo khanjar mujhe .. main hi mar jati hun…


Nischal:- Khud ko dekho iss jagah ko dekho, tum khud samjh jaogi.


Jivisha hosh me aati uss jagah ko dekhne lagi… charo ore bilkul kohra ghana chhaya hua tha, andhere ka aisa manjar jise dekh kar Jivisha ki ka sar ghum gaya. Usse chakkar aane lage…. "Hey love, tum kar sakti ho. Iss mayajaal se niklo… niklo… niklo… sampark tod do… khud se joojhna band karo.. Jivisha niklo… laut aao.. laut aao"…


Jivisha ki jhat se aakhen khuli aur wo behosh hokar Nischal ke bahon me gir gayi. Nischal usse thamte huye kayi fit gahraeyon me gira ja raha tha, aur niche un gahraeyon me kai lakh ret ke sanp ek jagah ikattha hokar gusse me aise fufkar maar rahe the, mano wo jahar se nahi balki un dono ko apne tej nukile dant se chirne wale ho.


Jis gati wo gir rahe the matr chhanik mamla tha aur dono niche hote. Ek viman teji se unke ore aaya aur Nischal ek second ke 1000 hisse se bhi kam samay me usse pakad kar upar hua.


Jatin uss viman ka nichla hissa khol diya aur Nischal, Jivisha ko lekar ander aa gaya. Jivisha ki haalat kuch jyada achhi nahi thi… Nischal apne sath laye pine ki dawa bag se nikala aur Jivisha ke pet ke pass se kapde hata kar wo ek bund dawa pani ke sath milakar pilaya.


Bus kuch pal intzar ke baat wo dawa pet me kahan kahan travel karke, kahan tak pahunchi sab najar aane laga... Nischal ke liye ye hairani bhada najara tha. Wo Jivisha ke kapdon ko thik karke viman ko Himalaya ki wadiyon me uss jagah par le aaya jahan Nischal ne apana mukhya antriksh yaan chhipa rakha tha… barf ke moti chadar ke niche, pure suraksha intjamat ke sath…


Jatin ne jaise hi wo antriksh yan dekha uska muh khula hi raha gaya…. "Viggo, ye to pura sahar lekar aa gaye. Iss viman ko chalane ke liye kam se kam 500 crew member to chahiye hi honge"…


Nischal:- Nahi isse main akela yahan lekar aaya hun… aur koi sawal nahi. Tum yahin ruko…


Jatin ko mukhya dwar ke kamre me pack karne ke baad Nichal, Jivisha ko gode me utha'kar ek medical hall me litaya. Complete body scan par dala aur kuch dawa ki sisi utha'kar laya… pahle char sisi ki dawa ek-ek karke apne mukhya dawa ke sath milakar pilaya… ek anumanit jo Nischal ko pahle se samjh me aa raha tha…


Fir Nischal ne aakhri sisi nikali, prabhu ko yaad kiya aur 1 bund ka hazar'wan hissa uss dawa ke sath milakar diya. Jaise-jaise dawa gale se niche utar rahi thi, har nali har organ se shwet raushni wo bhi aakhon ko chaundhiya de aisi raushni. Har navj halki nili parne lagi thi..


Nischal 3 minute tak ruk'kar dawa ka asar check kiya. Gahari shwans lekar halaka muskuraya aur 4 bund uss dawa ka, mukhya dawa me mila'kar Jivisha ko pila diya. Dawa ka asar jaise-jaise badha, Jivisha ka pura badan gahre nile rang ka dikhne laga… achanak hi Jivisha ne apni aakhen kholi aur utha'kar baith gayi. ..


Bilkul gahri nili aakhen aisa lag raha tha jaise ye aakhen kisi ko bhi apne ore khinch le… Jivisha uth'kar jaise hi bathi, ek mithi si angrai li aur samne Nischal ko dekh kar khili si smile apne chehre par lati, hasrat bhari najron se Nischal ko dekhne lagi…. "Ahhhh ! Baby aaj to meri good morning ho gayi. Ab ek good morning kiss ho jaye to mood ban jaye"..


Nischal, bhi uske karib pahunch'kar, apne honth Jivisha ke honth se lagate, usse pyar se chum'kar alag hua. Jivisha usse apne pass bitha'kar uske dono hath tham'kar … "Kya khatarnak sapna tha Nischal, tum sunoge to hairan ho jaoge. Main to uss sapne me hairatangej kaarname kar rahi thi. Haan lekin sapne me main villan type thi. Maine na aisa kala jadu kiya mano ye pura sansar khatre me hai"..


"Meri baat suno Jisa, abhi kuch din pahle jo tum kahi thi na… pahle bhrm lagta tha aur ab sab vastavik lag raha hai"…. Jivisha apna sir haan me hilati Nischal ko dekhne lagi….. "To bina chikhe aur chillaye uss kone me ek kamra hai, wahan jao aur aaram se fresh hokar taiyar ho jao. Yaad rahe koi chinkhna, chillana nahi aur na hi chaun'kar partikriya dena ki yahan main kaise aa gayi".


Nischal ki baat sun'kar Jivisha hairani se apni aakhen badi kar li… ufff kya badi badi nili aakhen thi, aise dil kabhi na dhadka hoga jaisa aaj dhadka tha. Jivisha chupchap khadi ho gayi aur kamre ki ore chal di… "Mare pahanne ke liye kapde hain ya jin kapdon me hun wahi pahnna hoga"..


Nischal:- Ander jao, tumhare liye pura kapde ka shop kharid rakha hai..


Jivisha charo ore ka najara dekhti ja rahi thi... Charo ore paryapt raushni, lohe ki floor, charo ore ka interior aisa tha ki uss hall me mahaj ek bed aur uss bed par 4-5 sisi … baki pura hall khali tha.


Jivisha jaise hi uss kamre me ghusi, har deewar par ek chhota sa button tha aur uske niche naam likhe the… jaise ki kapde, jute, undergarments etyadi. Jivisha jigyasawash jute/sandel ke section ko kholi. Ghann ki ek chhoti si awaz hui aur samne se darwaja khula. Ek-ek karke puri light jalne lagi. Takriban 4 fit ke gate ke ander wo jaise hi kadam rakhi… ander ki jagah takriban 40 fit lambi 8 fit charu thi. Dono ore self bane the aur size ke hisab se jute, chappal aur sandels rakhe huye the.


Jivisha khushi se uchhalti hui har naam likhe darwaje ke button ko khol'kar dekhi. Matr kapdon ka section chhod'kar baki sare section ki banawat ek jaisi thi. Takriban 200 fit ki lambai aur 16 fit ki chaurai me tha kapdon ka section, jahan pahan'ne ke hisab se kaun se kapde nahi the…
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
chalo yeh kaam toh khatam hua... Kya baat hai sawalker toh cha gaya ekdum se... ab toh uske hi jalwe har taraf...
Woh alag baat hai ki mare huye aliens ko phir se maar giraye bharam ke chalte
.......



nandu ne bhi bahot madad ki... btw yeh ansh kaha gaya.. ekdum se gayab ho gaya woh toh... aur us blood sample ka kya hua.. joh ansh lab le gaya tha ...
Shayad kuch puchna chaahti thi nandu par ruk gayi... kya puchna chaahti thi woh?



Oh toh jivu ko pehle se hi sab malum hai... waise bhi uski shaktiya kuch alag hi level ki hai... shayad uski woh power hi ushe har baar kuch bura hone pehle hi bacha leti thi... ya ushe chetavani de deti aane wale khatre ko lekar...
sath hi shayad koi bikalp bhi dhundne mein madad karti hai ... jiske jariye jivu khud surakshit mehsus kare... jaise nischal se milna..
Btw shayad ishi adbhut par behad takatwar shakti ki wajah se hi bhram hi sahi par jivu yeh jaan gayi thi ki shresh aur nischal insaan nahi hai..
aur ab tak joh nischal ne kiya... jaise baar baar uski samne aake gayab hona... yeh jivu ko pata hai..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
Shaktiyon ka raaj aur ye sab khulase jo pichhli baar kahin dan gaye the... Is baar sab ke sab samne honge... Khair .. abhi power ki baat nahi kar sakta.. jab samne hoga tab sab jyada clear hoga...

:thanks: for your lovely respond... Keep reading, keep commenting :flower:
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Oh.... toh yeh kahiye na ki kuch alag karna chaahte hai story mein... btw is baari details mein de rahe hain har update :D
Baaki story ki baatein abhi nahi warna suspense hi gayab ho jaani hai story se :shhhh:

Haan pichhli baar readers ke imagination par bahut si baten chhod di thi... Kacha pakka sab apne hisab se theory banaye the.. isbar kuch chhoda hai to kuch cover karte chal raha hun ..

Btw chhutku chhutki chirag aur uski gf bhi gayab... bechare :sigh:

Thoda role extended hai iss baar .. intzar karen
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Bilkul sahi kaha aapne... situations joh create huye the ush hisab se chhutku chhutki baad mein entry lena hi behtar hai.... waise jab bhi aate hai dono, baaki ke kirdaar fike pad jaate hai inke performances ke aage :D
Hahaha .. haan wo to hai ki dono ke aate hi baki kirdar filke .. lekin iss baar to kuch sochna 0arta na .. warna ek hi chij baar baar utha kar dikha dun to charecter ka maza hi kharab.. lekin koi na jab aayenge fir se wahi dhamal karenge
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Eventually Jivisha also understood everything and we understood what was on Jivisha's mind. But how and what strength is inside Jivisha and why she is so special, it is not known yet.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...

???
Jald hi sare raaj se parda uth jayega aur kuch chijne khud se fe b karni hogi .. kyonki yahan jab shuru kiya hun to bahut si baten explain b ho gayi hai.. warna last time readers ke upar hi chhoda tha khud se sochne ke liye...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Bahut badhiya update hai bhai..... To jivisha or nischal ke bich jo hua wo sab dohra rahe hai taki dono dono ko samajh paye....or dekhte hai aage kya hota hai......or jivisha ka shakti puri trah jagti hai dekhte hai.... Tab kya hoga jab jivisha ke ichha shakti jag jayegi....
Waiting for next update
Jald hi sabkuch hoga sorbo bhai .. bus aap sath bane rahe ..

:thanks: for your lovely respond... Keep reading, keep commenting :flower:
 
Top