Update - 32
Abhi - usko apni baahon mein utkhakar bister par le jaata hai .....aur ..phir shuru ho jaati hai dono ki prem leela .........uske baad dono ek dusre ki baahon mein so jaate hai ...
Dusre din brahama muhurat mein uthkar Abhi ne apne nitya karm poorna kiya ...aur ...babaji se milne gurukul ....k liye nikal pada .....aaj bade din baad babaji se mil raha tha ....
Gurukul ....mein pahunchkar ..Abhi ne ..Manduk baba ko pranam kiya .......
Babaji - .yashashvi bhav putra .....bade dino baad tumhe dekhkar aacha laga .....aao baitho ..
Abhi Baba ji k saamne baith jaata hai ....
Abhi - guruji ...yaha ki vyawastha kaisi chal rahi hai ....ab toh yeh Gurukul kaafi bada ho gaya hai ....
Babaji - ..sab kuch sucharu roop se chal raha hai putra ......tum sunao ....aaj kal kya chal raha hai .apne lakshya ki kaha tak pahunche ....
Abhi - Abhi toh bas shuruwat hi hui hai babaji ....ab tak jo kuch kiya woh Abhi ne Manduk baba ko bata diya .....
Manduk - hmm ab tak jo kuch bhi tumne kiya hai ....woh bahut prashansniya hai putra ....parantu ...ab ..tumhe ...Nebhru k nagar se aage sochna hoga ......waha ab aur humla karna uchit nahi .....isse Nebhru ko khatra ho sakta hai .....
ye jo gupt roop se unki sena mein apne sainoko ko pravesh karane ka kaam hai yeh bahut accha hai ......iske do fayde honge .....ek ....aas paas k logo par aur waha kaam kar rahe logo par Darmen k sainiko dwara ....jo atyachar ho rahe the woh nahi honge ....
Aur dusre yeh sainik aage tumhe yudh mein bahut ....kaam aayenge .......
Abhi - aap thik kah rahe ho guruji ...mera bhi yahi vichar hai ....k ab aage k safar ka samay aagaya hai .....parantu ..samaz nahi aaraha hai ....k ...agla kadam kaha rakhu ....
Babaji - kya tumne iss sandarbh mein ...Nebhru se baat ki ......unka kya vichar hai ...
Abhi - haa maine baat ki thi ...parantu ...parantu ...woh iss baare mein kuch khas bata nahi paaye ..Kabhi woh Ferron ...ko agla nishana banane k baare mein bolte hai ...toh kabhi ....Glaco .....Kabhi ...catospher ...ton Kabhi ..Neil ...Aur Zecro ....
unka kahna hai laksya tak pahinchne k aneko raaste hote hai ...parantu ..kis taaste par chalna hai ...iska chayan ..ussiko karna hota hai ..jisse uss raaste par chalna hota hai .....
Babaji - unka kahna bhi satya hai .....toh tumahara kya vichar hai ....
Abhi - mein ...Ferron ...aur ...Zecro ....dono mein ... bich nirnay nahi le paa raha hu .......
Babaji - Ferron thik hai ..Abhi Zecro ....aur Neil ....se thoda dur hi raho ....kyu k yeh dono Darmen k bahut kareeb hai .....
Abhi ko Babaji ki yeh baat thik lagi .....usne Ferron ko hi apna nishana chuna .....Manduk baba ne Nebhru ko ...mansik sandesh dekar yahi bulaya ....thodi der mein Nebhru aagaya .......
Abhi ne Ferron aur uske rajya k baare mein sab jankari .....
Nebhru se le li .....aur vichar
vimarsh karke apni poori yojna ko mool roop diya .....
Sabhi baatein hone k baad ...
Nebhru jaane k liye utha .....phir usse achanak kuch yaad aaya .....
Nebhru - haa ..ek ..baat ...aur ...Ferron k paas Arsalan ka diya hua ek trishool hai ...jo bahut shaktishali hai .....jismein ....bijli ...barish aur ..toofan ki shakti hai .......iss trishool ki shakti prachand hai .....tumhe iske vaar se bachna bhi hai ...aur kissi tarah isse hasil bhi karna hai ...
itna kahkar Nebhru ...chala gaya .....Abhi bhi jaane k liye utha .....tabhi babaji ne usse roka ...
Babaji - ruko beta .....( baba ji ..ek anguthi Abhi k aage karte hue ) ......beta iss anguthi ..mein ....meri varsho ki siddhiya aur shaktiya ....samahit hai ....tumhare iss safar mein yeh tumhe bahut kaam aayegi ......yeh tumhe bhuk pyas se bachayegi .....iski sahyata se tum kissi se bhi sampark kar sakte ho ......aur bhi kai prakar se yeh tumahari sahyata karegi ......
Abhi ..Babaji ka aashirwad lekar ..apne ghar aatjaata hai ....ghar par ...woh Karma ...Neeru ..aur Sona ...ko apne safar par jaane k baare mein batata hai ....
woh Abhi ko bahut rokne ka prayatna karte hai ....parantu ...Abhi ...unhe apne jeevan k udeshya k baare mein batata hai ....aur bahut samzhata hai .......
Sona Abhi k saath jaane ki zidd karti hai ....parantu ...Abhi usse
yaha rahkar ...Abhi k na rahne par .... yaha k suraksha vyastha ....ka...dhyan rakhne k liye mana leta hai ......
Ferron ko Arsalan ne fayon grah ka adhipati banaya tha ....aur usse ...Bijli ..baarish aur ...toofan ..ki apni shakti...ek trishool k roop mein di thi ...
pritvi lok aane k baad .....Darmen ne Ferron ...ko ..prithvi k jiss mahadwip ..par apna rjya sthapit karne ka aadesh diya ...usse ...aaj hum Australia k naam se jaante hai .....
yaha ...Ferron ne ....waha k logo apna gulam nanakar apne rajya ka vistar kiya .....apni bijli baarish ki shaktiyo k kaaran waha k log usse barish k devta k roop mein manne lage the .....aur ...bhay k kaaran uski pooja karne lage the .......
Abhi k Arsalan bankar humla karne k kaaran ....Darmen ne ...Neilster ki vigyan aur kaali vidya k prayog se ek shield ka nirman kar liya tha .......aur uss shield se mukhya mukhya nagro ko surakshit kar liya tha ...jismein Zecro aadi sab bhaiyo ka niwas tha ....
Abhi Kaal k saath ....Australia mahadwip pahunch gaya ......yaha ..Sagar k kinare Ferron k nagar mein ....charo taraf se kada pahra tha koi bhi bahari ....vyakti sahajta se pravesh nahi kar sakta tha .....yadi kissi tarah se prayatna bhi kare ...bagar ko suraksha shield ...uski saari urja ko soakhkar ysse pranhin ka degi ....
Abhi aur Kaal Ferron nagar ki seema k bahar sagar k kinare pahunche .....nagar k charo taraf unchi unchi deeware thi .......aur dwar par kada pahra ......raat ka samay tha .....
Dono nagar ki deewar tak pahunche ....Abhi ne jaise ho deewar ko sparsh ...kiya usse ek jor ka zhatka laga ...usse aise lagne laga k jaise uski urja nikalkar ...iss deewar mein pravesh kar rahi hai ......usne badi kathinayi se apne aapko sambhala ....aur .....thoda picche hat gaya .......
thodi der usne apne aapko niyantrit kiya .....Kaal deewar ki taraf badha hi tha ..k Abhi ne usse rok liya .....
Abhi - ruk jaao kaal ....nagar nagar kissi suraksha kawach se surakshit hai ...him iss tarah se yaha pravesh nahi kar sakte .....hume kuch aur upay dhundna padega .......
yaha ...jaise hi Abhi ka sampark ...Shield se hua .....toh Ferron k mahal mein sthit control room mein ek siren sa bajne laga ........jo kissi bahari vyakti k shield se sampark hone ko suchna thi .....
tabhi nagar ki or se Abhi ko aakash mein kuch ussi taraf ..àaata hua sa mehsus hua ......woh ek viman tha .....jo shield k uss hisse ka nirikshan karne aaya tha ....jaha Abhi ka sampark hua tha .........Abhi aur kaal turant piche hat gaye ....aur samunder ki ret ka sahara lekar chup gaye .....
thodi der nirikshan karne k baad woh viman waha se chala gaya .....
Abhi bhi dridh nischay kar chuka tha ....usne Babaji dwara di hui anguthi ....se ...Babaji se sampark kiya .....aur unhe iss shield k baare mein bataya ....toh babaji ne ...Abhi ko iska upay bhi bata diya ....
Abhi ne sabse pahele Kaal ko apne bhiter sama liya .....aur ..anguthi wala haath aage kiya ......Abhi ne dekha .......k uss anguthi se prakash nikalkar ek gol se prakash dwar k roop mein parivartit ho gaya ......Abhi ne jab ussmein pravesh kiya ....usne apne aapko ...Ferron k kaksh mein pahunch gaya.....
woh apne kash mein suraksha shield k kaaran nischint hokar apne bister par aaram se so raha tha .....Abhi ...ne jaltatva ki urja se kaksh mein hi badal pragat kar diye .....woh badal ferron k uppar jaakar aapas mein takraye ...jisase bhayankar garjna .....hui aur baarish chalu hui ....
badal garajne ki aawaj aur ....jal se ...Ferron hadbadakar utha .....kaksh mein baraste hue badalte hue badal aur kadakti hui bijliya dekhkar .....woh aasvharyachakit ho gaya .....
tabhi bijali ka Kadak na aur Barish Ka barasna Band Ho Gaya..... use Ek Prakash Punj Ki Tarah Samne Chamakta hua Arsalan Najar Aaya Aise Achanak Apne Samne Arsalan ko dekh kar vah ghabra Gaya
bhiter se aati hui aawaje sunkar bahar tainat ....11 sainik bhiter aagaye ......unhone .....waha ..Arsalan ko .....apne swami ......Ferron k saamne khada dekha .......
unn sainiko ne Abhi ko gher liya .......Ferron bas aankhien faade dekh raha tha .......
Abhi - Aise Kya Dekh Rahe Ho Ferron kya socha Tumne ke Tumhara Raksha Kavach mujhe rok payega bhul gaye Kya Main Arsalan hun Tumhari koi bhi Shakti mujhe nahin rok sakti.....
Abhi Ferron se baat hi kar raha tha ....k unn sainiko mein se 4 sainik ...Talwar lekar Abhi....k taraf badhe .....Abhi ne apna maarak khanjar .....poorna tezi se unn charo par prahar kiya .......jisase woh par bhar mein raakh ka dher ban gaye ......
baaki sainik apne saathiyo ka yeh hashar dekhkar wahi khade khade kaanpne lage ...kissi mein bhi ab himmat nahi bachi thi aage badhne ki ....
Abhi - main yaha tumahare Swami se baat karne aaya hu ....tum yadi asamay marna nahi chahte toh dur hi raho .......
Sard lehje mein kahi hui Abhi ki baat asar kar gayi ...aur ...woh sainik chupchap ....muk darshak bane khafe hogaye .....unmein apni jagah se hilne ki bhi himmat nahi bachi ...,....ek toh Arsalan k naam ka bhay aur abhi abhi dekhi apni saathiyo ki maut ....
Ferron - ohb toh aap sach mein jeevit ho .....pahele toh muzhe yeh. yeh sab unka bhram hoga ...kyuki itne varsho k baad achanak aapka yu aana ......muzhe toh lagta hai tum pitashri nahi koi bahrupiye ho ......parantu ..ab tum bachkar nahi jaa paaoge ......
itna kahkar usne paas padi apni talwar se poori tezi se Abhi par vaar kiya ....woh talwar bijli ki si tezi se Abhi ki taraf badi ...parabtu Utni..hi tezi se Abhi ne uss talwar ...ko pakad liya ..aur niche phenk diya ....
Abhi - tumahare yeh khilone ..mera kuch nahi bigad sakte ...ferron.....
Itna Keh kar Abhi ne apni Urja ka ek bar use per Kar Diya Jiske lagte hi vah Piche Deewar Se Ja Laga.....parantu jald hi sambhalkar ...saamne khada ho gaya ....aur apni urja ka vaar .....Abhi par kiya .........vaar itna tez tha k ....uske prabhav se Abhi k pair thode ladkhadaye ...parantu phir shighra hi sambhal gaya ....
Ferron - itni aasani se nahi behrupiye .....
Abhi - bahrupiye toh tum ho Ferron jo ...apne laalach aur swarth k kaaran apne janmdatao k virudh....jaakar .. ..Darmen ka saath ...milkar vishwasghat kiya ....
itna kahkar Abhi ne ek aur prahar ...usspar kiya .....jisse ussne badi ji furti se rokkar wapas Abhi par hi kar diya .....Ferron ki furti adbhut thi .....
parantu Suraksha kawach k kaaran woh vaar Abhi se takrakar chur ho gaya ....
Abhi - maine toh tumhe 1 grah ka adipati banaya tha ....aap dekho apne aapko ....tum kewal Darmen k gulam bankar rah gaye ho .......
Abhi ki baato ne uspar asar kiya ....achanak jaise woh gahri neend se jaaga ho ....Abhi ki taraf dekhte hue uski aankhon mein aansoo the ......uske dono haath shradha se jud gaye the ......aur woh niche ghutno k bal ....baith gaya .....
Ferron - muzhe kshama kare pitashri ......muzhse bahut badi bhul ho gayi .......
Ferron k badle haav bhav dekhkar Abhi ..uski taraf badh gaya ....Usse laga k Apne pita ko dekhkar uske iss bhai ka sachmein pitru prem jaag gaya hai ....aur hua bhi aisa tha .......parantu tabhi ......uske bhiter darmen ki kaali urja sakriya ho jaati hai .....jo uske bhiter ek aawaj bankar gunjti hai ....Arsalan tumahara shatru hai ....isse khatam karo....Darmen timahara maalik hai ....
jaise hi Ferron k bhiter yeh aawaj gunji ....uski aankhien laal ho gayi ..uske jabde bhich gaye ....tab tak Abhi uss tak pahuch chuka tha .....Abhi ko paas aaya dekhkar ....Ferron ajeeb si aawaj mein dahada aur Abhi ko uthakar ....saamne deewar par de maara ......
Abhi itni jor se deewar se takraya tha ...k woh deewar tutkar gir gayi.....achanak ferron ko yeh kya hua Abhi ko samaz nahi aaraha tha ......Abhi bhi ab sambhalkar khada ho gaya ......
Ferron ne apni urja se Abhi par vaar karna shuru kiya ....Abhi apni urja se uske vaar ko rokta aur badi tezi se ......usspar apni tatvo ki urja se.. lagatar chote chote vaar karta .... jisase uske prano ko koi sankat na ho ......Woh chote chote prahar k kaaran Ferron ki haalat kharab ho gayi thi .....
Abhi apne vaar se uski aisi haalat kar deta hai .....k usse apne trishool pragat karne par vivash kar deta hai .....Ferron ..ne uss trishool ko pragat kiya ....yahi toh Abhi bhi chahta tha .....
Abhi - accha toh ab mere hi diye hue trishool ka prayog mere hi uppar karoge ....
Abhi ka suraksha kawach ...kaalishktiyo aur astro se uski raksha karne mein samarth tha ....parantu jo trishool ...iss samay ferron k haath mein tha ...Woh Arsalan ....ki shaktiyo shwet urja dwara bana tha .....jiske prahar ko Abhi k kawach nahi rok sakta tha .....
Ferron ne uss trishool ko uppar uthya ......aisa karte hi ..aakash se bijli aakar usmein samane lagi......ferron ne uss trishul se aAbhi par iski viduyt shakti se prahar kiya ....Bijli ka woh tez zhatka lagte hi ......Abhi ka poora sharir zhanzana gaya ....saare sharir mein ....bhayankar pida hone lagi ....seene ka woh bhag buri tarah se zhulas gaya tha ...jis jagah ....Abhi ko woh bijli ka vaar laga tha .......
Abhi ki aise haalat dekhkar Ferron jor jor se hasne laga .....aaj bahut khush hoga merea maalik Mahamahim Darmen ....
Abhi ka dard se bura haal tha ...tabhi Babaji ki woh anguthi chamki ......Aur Abhi ...k sharir ki saari pida .....samapt ho gayi .....aur seene ka ghav apne aap thik hogaya ....
Ferron ne ek aur prahar ...Abhi par kiya ...parantu iss baar Abhi badi tezi se apni jagah ....se hat gaya....aur uss vaar se bavh gaya ......Abhi ne ab apne bhiter .... kaal ki urja ko sakriya ..kiya ....Kaal ki gati se ....Abhi ..ne Ferron k jabde par ek jordar ghusa maara .....aur uske ... haath se woh shakti trishool ...chin liya .....yeh sab palak zhapakte hua ....Ferron ko kuch samaz nahi aaya .
Abhi - abhi bhi samay hai Ferron ...Darmen ..ka ..saath chod do .....mein tumhe kshama kar dunga .....Abhi mein chala .....jald hi milunga .....
Abhi k liye itna hi .....
Agla update raat ko ......