• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI -- THE WARRIOR (Completed)

Aapko Kahani kese lag rahi hai...

  • very Good

    Votes: 46 92.0%
  • good

    Votes: 6 12.0%
  • not soo good

    Votes: 2 4.0%

  • Total voters
    50
  • Poll closed .

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Update - 37

ab tak aapne dekha ......
mahaguru ne Naina aur Rimpy
dono ki sahayta se drug ki samasya ka hal nikalne ki aur ishara kiya.....
aur saath hi saath ek yudh ki aur ishara kiya.......

ab aage.........

RVS .........Rimpy ki lab mein Abhi ko lekar pahunch jaata hai ......

RVS - beta ....tumne iss chotti si umar mein adbhut gyan paaya hai.....
aaj tumahare hi ......karan hum iss vinash ko rok paaye hai.......

lekin abhi bhi lakho aise hai jinn tak yeh medicine nahi pahunch paa rahi hai....kya kuch aisa ho sakta hai ki hum unn tak yeh antidote pahuncha sake ...........kya kuch aise gadget hai jo medicine ko affected person tak pahuncha kar inject kar de...

Rimpy - Sir medicine ko carry kar k inject kar ne wale 5 micro robot mere paas hai , jo dikhne mein bilkul honey bee ki tarah hai.....hum unhe computer dwara operate kar k kisi patient tak pahucha sakte hai......

yeh khud kisi patient ko pehchan ke antidote inject nahi kar sakte.....

Abhi - agar innmein koi aise sensor laga de jo aurra ko dekhkar pahchan jaaye ki kaun normal hai kaun patient
toh humara kaam ban sakta hai....

yeh drug logo k dna mein badlav laa raha hai......agar dna mein badlav aaraha hai toh aurra mein bhi change aayega .......

Rimpy - haa yeh ho sakta hai ek normal person aur affected dono k body nikalne wali body heat aur waves mein bahut antar hota hai.......
yes hum yeh kar sakte hai....
lekin sir sirf 5 micro robot se kya hoga
hume toh laakho tak yeh antidote pahunchana hai.....

RVS - tum iss baat ki chinta mat karo
jald hi inn mein woh changes karo ...
Abhi tum bhi Rimpy ko madat karo
muzhe kal subah tak result chahiye

Rimpy aur abhi raat bhar apne kaam mein lage rahe aur tayar ho gaye aise 5 Honey bees robot....

RVS unn 5 robots ko Naina k paas le aaya.....Naina ne apni Nirman shakti
( power of creation) se unn 5 ko 5cr
mein badal diya aur RVS ne unnko har un jagah par pahuncha diya
jaha iss drug ka asar dekha gaya tha

aise hi pura din iss kaam mein lag gaya..
RVS ki poori team bahut khush thi ...
Rimpy aur Abhi bhi bahut khush hue

kai raato se jag kar jis kaam mein lage hue the aakhir woh pura hua....

nayi subah ki aasha k saath woh raat bhi beet gayi..

ek nayi urja k saath savera hua ...

Abhi apne room mein so raha tha....
tabhi aisa laga ki jaise ko koi thande paani ka badal uss par fat gaya ho .......chapak

ohhh ahhh ....baarish ...baarish....
karke chillate hue utha ........toh dekhta hai k poora gila ho chuka tha
aur saamne khilkhilati hue Addu haath mein khali balti liye hue....

Addu - ha..ha....hi....hi...hi..bhai....
.......Happy Holi .....hi...hi..hi

mein - Addu ki bacchi ....tu.....toh ruk jaa abhi.....batata hu ...tuzhe holi....
aur bed se uthkar addu ko pakadne k liye dauda.... woh wahi balti chodkar room mein idhar udhar bhaagne lagi...
aur abhi usske piche....

Addu - hi..hi..bhai ...muzhe nahi pakad sakte ......

mein - accha bacchu ..muzhe challenge.....tu ..ruk ab...

aur phir meine addu ko pakad liya aur uske pet mein gudguli karne laga...

woh ...hiiii....hiii...nahiii...hiii.hhhhi
bhai ...chod...do..na....

mein - bahut shaitan ho gayi hai tu gudiya......aise koi uthata hai...
dekho muzhe poora gila kar diya

tabhi mein apne bed k side table par pade hue paani k jug ko uthane k liye muda ......gudiya haath se chutkar door ki taraf bhagi.....aur maine uss jag ka paani uski aur phenka ...lekin tab tak....woh door khol chuki...thi
aur ....chapak.......
saamne Ritu di thi ...jo muzhe uthane aa rahi thi......achanak paani girne se
di bhi hadbada gayi ...

Di - Betu yeh kya chal raha hai yaha
.....subah subah paani se bhiga diye

mein - nahi di ....yeh ..addu ..ne pahle muzhpar paani phenka tha ......isiliye

lekin aap bich mein aagayi....

Di - koi baat nahi betu tum dono ruko muzhe kuch baat karni hai....mein wasroom se hokar aayi.......

di washroom mein chali gayi ...

mein - dekh ...gudiya tere wajah se di
bhig gayi.....

Addu - sorry bhai.....woh aap itne dino se mile nahi ......aur jab mein yaha aayi toh aap soye the....maine aapko aawaj bhi di lekin aap toh uthe hi nahi
isiliye...

Mein - ohh....meri pyari gudiya....mein kaise tuzhe bhul sakta hu ..woh toh mein kaam mein bahut busy tha beta
sorry...mera baccha..

aur mein kaan pakadke niche baith gaya ...toh gudiya bhi uchakar meri goad mein baith gayi aur gale laga liya

tabhi washroom ka darwaja khula aur di haath mein balti lekar.....

hum ne jaise hi dekha hum jaldi khade ho gaye....aur jaise hi door par pahuche ....tabhi mom aagayi aur idhar di ne tab tak paani ka war kar diya tha ...hum jaldi se niche baithe

aur ....chapak........aur mom poori bhig gayi..... yeh sab itne jaldi hua k mom ko kuch samaz hi nahi aaya...

mom - Ritu yeh sab kya hai....kya haalt kar di hai room ki......
tum se aisi ummid nahi thi .....

mein - sorry mom issmein didu ki koi galti nahi hai.....aap unhe mat daato

Addu -- nahi mom yeh meri...

Mom - chup ho jao sab ab ek dusre ki vakalat karna band karo.....aur meri baat suno......aaj hum sab gaon jaa rahe hai.......jaldi se ready ho jaao...

gaon ka naam sunkar hum khush ho gaye ....

yaha RVS apne family ko saath lekar Gaon pahuncha Abhi ..addu ..aur Ritu
apne Dada daadi se milkar bahut khush hue......gaon k khet pahad aur nadi mein sab ne khub enjoy kiya

innhe yahi chodte hai dekhte hai aashram mein kya ho raha hai....

Aashram k sarover k kinare A1 aur shalu baithe hue baatein kar rahe the

Shalu - Abhi tum itne din muzhse dur rahe.....tumhe pata hai....k yeh din kaise gujare hai.......pata nahi kyu ek din bhi tumhe na dekhu toh jeewan niras sa lagne lagta hai......kya tune muzhe kabhi yaad kiya tha....

mein - nahi....

Shalu - isska arth yeh hai k mein hi pagal hu ....tumahare hriday mein mere liye koi prem hi nahi hai...

aur uski aankon mein aansoo aagaye

mein uske aasoon pochte hue----
sach mein Shalu tum pagal ho.......yaad usse kiya jaata hai jise hum kabhi kabhi bhul jaate hai.......
aur tum toh meri prerna ho tumhe kaise bhul sakta hu ....aur phir shalu ko maine gale laga liya.......

tabhi mere gale mein pada locket garam hone laga jisse shalu ko chatka laga ......toh alag hote hue...

Shalu - ohh .....yrh kya hai tumahare gale mein .....garam ....issne toh muzhe jala hi diya.......

ab mein usse kya batata .....

kuch nahi ....yeh toh bas......

Tabhi CT ki aawaj se hum dono ka dhyan uss taraf gaya

CT - Tum dono ka ho gaya ho toh ....
jaldi chali .....gurudev ne bulaya hai

utna kahkar woh chala gaya....

hum bhi waha se uthkar chal diye ..

Guru dev shivalaya k prangan mein aasan par baithe the aur waha par mere sabhi mitr aur shikshak khade the

Mahaguru - baccho ab tumahari shiksha ka pahla charan samapt hua

ab tum sab ko ek yudh mein bhag lena hoga......issko tum pariksha bhi samaz sakte ho .......

yeh pariksha unhi k liye hai jo astra vidya , 5 tatvo ki vidya ka abhyas kar rahe the.....

aaj tum sab apni apni vidhya ka acche se abhyas kar lo......

kal hoga tumahara saamna ....
yeh jaan lo k yeh yudh bada bhyankar hoga ...kai kathinayi aayegi......mrityu ka bhay bhi hoga.......
tumhe usse bhaybhit nahi hona hai

yeh yuddh sansar ki raksha k liye hai
aage chalkar tumhe jis uddyshya ko paana hai uske liye toh bas yeh ek shuruwat hai.....
apne aap par aur apni vidya par vishwas rakho........
aap mein se yaadi koi aisa hai ki jisse sansar se jyada apne jiwan ki chinta hai toh abhi bata de.........

yaha unhi ko chun kar laaya gaya hai.
jinki aage chalkar ek bahut bade uddesya ko poora karne mein bhumika hogi........

mrityu se bhaybhit hone walo ka yaha kaam nahi .......
aur waise bhi - shastra kahta hai

Mrityur janmata viram dehen saha jaayate...

har prani ki mrityu usske janm ke saath hi nirdharit ho jaati hai

issiliye jeewan woh hi hai jo sansaar k kasm aaye....

Maha guru ki baate sunkar muzhe kisi bahut bade yudh ka aabhas ho raha tha.........saare waha khade shishyo k mann mein mahaguru k baato se urja si bhar gayi thi sab ek swar se tayar ho gaye.....aur apne apne kala ko aur tez bannane l liye abhyas mein jut gaye......

abhi k liye itna hi....
agla update jald hi......
 
abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143

Vickey1211

Well-Known Member
7,541
16,051
188

Mast update h Bhai maza aa gya
 
Top