• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Akhir kyu? From hatred to love (Completed)

Kya hero ne jo bhi kiya wo sahi kiya? (Voting aap sabhi 2-3 update pdhne k baad karna)

  • Hn sahi kiya

    Votes: 357 67.1%
  • Nahi, apni behan k sath aisa nhi krna tha

    Votes: 61 11.5%
  • Rahul nirdosh hai

    Votes: 94 17.7%
  • Neha nirdosh hai

    Votes: 20 3.8%

  • Total voters
    532

maitik jain

Member
154
306
78
Update 73

Ab tak...


Rahul ishaare se baaki sabhi ko entrance ke paas chhupne ke liye ishaara kar deta hai.

Rahul (mann me) : ab main kaam bacha hai. Andar kareeb 8 se 10 log hai aur hum total hai 21 log. Par andar ek car bhi hai jisme pakke se khushi hi hogi. Kamaal hai!! Saala kya dimaag lagaaya hai inlogo ne. Park me apne hi guards laga diye nakli security uniform daal ke aur kisi aur ko park me ghusne hi nahi de rahe. Ped paudhe itne hai ki kisi ko kuch pata hi nahi chal raha kya chal raha hai andar. Yadi hum ek saath andar gaye toh koi matlab hi nahi hai. Matlab mujhe bait banke jaana hoga. Ho sakta hai ki meri jaan bhi khatre me aa jae... Par jaana toh padega hi...


Ab aage...

Rahul : hum aage aise nahi badh sakte. Ek plan chahiye.

Rajneesh : sahi kaha. Par plan kesa?

Rahul : unke kuch logo ke paas guns hai. Hamaare paas sirf do hi focus hai

Rajneesh : kya?

Rahul : pehla ye ki hum kisi tarah unke leader ko apne qabze me lele toh wo hum par fire nahi karenge. Dusra ye ki kisi bhi tarah khushi ko churrana hoga.

Urvashi : sahi kaha.

Rahul : mere paas ek idea hai.

Urvashi : kesa idea?

Rahul : idea bataane se pehle mujhe ye batao ki hamaare me se kiske paas gun hai?

Toh rahul ke bulae hue aadmiyo se 2 log haath utha dete hai.

Rahul : mujhe ek gun ki aavashyakta padegi. Ghabraiye nahi! Mein isse chalaunga nahi. Iske zariye hi hamaara kaam ho payega.

Rahul ki baat sunkar wo aadmi rahul ko apni gun de deta hai par ek baar fir se rahul ko gun na chalaane ke liye keh deta hai.

Rahul fir apna plan sabhi ko vistaar se samjhaata hai aur kese aage badhna hai, aur aage kesi paristhitiya bann sakti hai aur unka saamna kese karna hai ye sab rahul samjhaa deta hai.

Uske baad rahul aage badh ke park ke andar jaane lagta hai. Andar pohuchte hi sabhi gunde usse ghur ke dekhne lagte hai aur kuch log uspe apna revolver taan dete hai. Imran rahul ko dekh ke muskuraata hai aur hassne lagta hai rahul ko yu akela dekh kar.

Car ke andar baithi khushi jo ki kuch derr pehle hosh me aa chuki thi wo baahar ka nazaara bhali bhaati dekh paa rahi thi. Car me black film lage hone ke kaaran car ke andar ka drashya nahi dikh raha tha parantu car ke andar se baahar ka drashya poora saaf saaf nazar aa raha tha.

Khushi ka muh iss waqt rumaal se bandha hua tha aur haath aur perr rassiyo se bandhe hue the. Jab usne dekha ki Rahul akela yu andar aaya hai usse bachaane toh na jaane uski aankho me achaanak hi aasu aa gaye. Uske dil me jese kuch ho raha tha. Ajeeb sii feeling thi, wo iss waqt yahi soch rahi thi ki usne rahul ke saath kitni zyaadti ki par fir bhi rahul usse bachaane yaha tak aaya. Usse zara bhi yakeen nahi tha ki rahul usse bachaane aaega.

Ab jab wo rahul ko apni aankho ke saamne logo ki revolver ke saamne khade dekh rahi thi toh usse behad ghabraahat ho rahi thi. Mann hi mann wo dua kar rahi thi ki rahul ko kuch na ho.

Imran : toh tu akela aaya hai? Wo master kaha hai?

Rahul : tumhe master se matlab hai ya china ke mall aur zameen ke papers se?

Imran : hahaha!! Mujhe toh papers se hi matlab hai.

Rahul : toh bas fir! Papers mere paas hai.

Imran : hmm! Accha hai!! Toh papers mujhe de.

Rahul : pehle khushi...

Imran : khud ko shaana samajh raha hai kya? Pehle papers. Uske baad ladki...

Ab bhala kya karta rahul? Imran ki baat maan ne ke alaawa uske paas koi option hi nahi tha. Apni bauhe sikodte hue rahul paristhiti ko dhyaan me rakhte hue dheere dheere aage badha.

Imran ne ishaare se apne ek aadmi ko rahul ki checking karne kaha toh aadmi aage aakar rahul ki baazu aur haath perr par haath tatol kar check kiya aur fir rahul ko aage jaane ke liye kaha.

Kisi ne gaur kiya ho ya na kiya ho, par rahul ke chehre par ek muskaan thi jo keval ek shan ke liye hi thi. Aage aage hi usne apni shirt ke andar se kuch papers nikaale aur imran ko dekhne laga.

Imran : ab de bhi...khade khade ghoor kya raha hai?

Rahul : yaha pe ek dikkat hai...

Kehte hue rahul ne papers khole aur kuch dikhaane laga

Imran : kya dikkat?

Iss se pehle ki imran aage badh ke rahul ke paas aaya, rahul ne apni peeth ko adjust kiya aur ek revolver seedhe uski peeth se sarak ke uski shirt ke andar se peeche se gira aur usne apna ek haath peeche le jaakar usse pakad liya.

Uss aadmi ne rahul ki baazu, perro aur haatho aur pait ko check kiya par bechaara rahul ki back check nahi kiya, mostly sabhi log yahi galti karte hai.

Jab tak imran chal ke aage badh ke rahul ke paas aaya ki wo kya dikhaana chaah raha hai papers me tab tak rahul ke haath me already gun aa chuki thi peeche, agle hi pal rahul ne wo papers seedhe imran ke muh pe chipka diye aur uske peeche aake usse daboch ke gun uski kanpatti par taan dii.

Ye sab kuch itni tezzi me hua ki waha khade logo ko kuch samajh me hi nahi aaya bas saamne dikh raha tha toh keval rahul unke boss ki kanpatti par gun lekar khade hue.

Aur uss se bhi bada jhatka sabko tab laga jab peeche ki jhaadiyo se rahul ke saath waale nikal kar ek ek aadmiyo ko gher liye aur unhe daboch liya. Sab kuch itni jaldi hua ki kuch pata hi nahi chala. Ekdum se poori paari hi palat dii jese rahul ne.

Andar baithi Khushi itna khush ho rahi thi ki uski aankho se aasuo ki dharaaye behne lagi.

Imran : saale... Mujhe pehle hi samajh jaana chahiye tha ki tu kuch na kuch zaroor harqat karega... Par mujhe nahi pata tha ki tu aisa kuch karega.

Rahul : kabhi bhi kisi ko halke me nahi lena chahiye. Suno tum sab, apne hathiyaar fek do, warna tumhara boss gaya.

Apne leader ko changul me dekh sabhi gunde apni guns neeche fek dete hai. Rahul imran ke jeb se key nikaal kar urvashi ki or fek deta hai toh urvashi car ko unlock karke khushi ko baahar nikalti hai aur uski rassiyo se usse azaad karti hai.

Utarte hi khushi ki nazar rahul pe jaati hai aur rahul ki khushi par. Badle me rahul keval smile kar deta hai aur khushi bhi rote hue smile kar deti hai. Par inn dono ke haseen lamhe ka galat fayda imran utha leta hai, jaha rahul ka dhyaan khushi par tha, imran ne forun apni ek kohni se rahul ke pait par waar kiya aur fir palat kar uske gaal par ek punch diya jis se rahul ke haath se gun chhoot kar peeche dur jaa giri.

Khushi(chillate hue) : rahulllll....

Imran ki palti hui baazi dekh uske gunde bhi machalne lagte hai par imran ko toh jese koi farq hi nahi pad raha tha.

Imran : ye baat toh maan ni padegi ki tujhme dum toh hai. Waha neeche kya pada hai? Na tere paas gun hai, na mere paas. Dum hai toh mard ki tarah ladd. Khade ho...

Imran ek fight freak tha. Matlab ek aisa banda jisse ladaiyo se alag hi tarah ka lagaav tha. Wo laddta aur usse anand milta. Yahi kaaran tha ki wo aise kaam karta tha. Ladaayi jese uska jeevan tha. Aaj rahul ne usse phassa ke kuch zyaada hi uksa diya tha aur ab toh jese imran ladayi ke bina maan ne waala hi nahi tha. Usse koi matlab nahi tha ki khushi ko changul se churra liya gaya hai, aur uske khud ke gunde bhi ghire hue hai. Uski aankho ke saamne toh bas jese rahul hi tha.

Imran ladayi ki talab me apni shirt utaar diya. Uski shaqal aur body kuch neil nitin mukesh ki tarah thi. Wahi dusri taraf rahul bas usse dekh raha tha aur usne uthte hue apne honth se nikla khoon saaf kiya. Imran ka punch waqai boht tezz tha.



Rahul ne uthte hue usse aane ka ishaare kiya jese usse bula raha ho, ye imran ko aur uksaa diya aur wo chillaate hue rahul ki taraf aage badha aur ek punch zordaar uski muh ki or feka, jo rahul ne dodge kar liya.

Par rahul ke Dodge karte hi imran ne forun apni laat utha ke seedhe rahul ke pait par focus kar dii. Rahul bhi iss hamle se surprised tha, usne forun apne haath beech me laake uski laat ko block kiya aur peeche hatt gaya.

Chaaro taraf aisa mahaul tha jese maano kisi movie ki shooting chal rahi ho. Baaki sabhi sirf bina kuch bole saamne ho rahi ladayi ko dekh rahe the. Sabhi itne tensed the aur sabhi ke mann me chinta thi ki akhir iss fight ka parinaam kya hoega?

Rahul (mann me) : ye tezz hai. Kaafi tezz. Mujhe seriously lena padega isse. Chalo fir...

Ekdum se pata nahi rahul ko kya hua usne apni aakhein band kari, ek gehri saas lii, uske baad usne fir apni shirt utaar dii. Ab bhala rahul ki body dekh ke koi uski prashansa na kare, aisa kahi ho sakta hai?



Urvashi, rupa, tara aur khushi ki aankhein hi phati ki phati reh gayi rahul ki body dekh ke.
Rahul na zyaada fula hua tha na zyada patla. Uska shareer ekdum shredded tha, harr jagah perfect maas aur perfect cuts. Ye saalo ki mehnat ka nateeja tha akhir. Yuhi thodi na bann jaati hai body. Mehnat lagti hai.

Khushi ke mann me na jaane kya chal raha tha jo wo saamne ke nazaare dekh ke laal tamaatar hue jaa rahi thi. Urvashi aur rupa ka bhi kuch aisa hi haal tha.

Iss baar rahul ne attack kiya pehle aur wo jese bilkul hi alag mode me tha. Aisa lag raha tha ki usse fighting mode pe daal kar uski power 50% kar dii ho. Jii haa! Rahul iss se bhi aakraamak hai. Aisa isliye kyuki jab wo poori 100% power pe hota hai toh wo sirf jaanlewa aur chot pohuchaane waale hamle hi karta hai. Par filhaal rahul ke jeevan me aisi sthiti abhi tak nahi aayi thi jaha usse poora 100% dena pada ho

Imran bhi apne haath perr poori taqat se chalaane laga par koi asar nahi, uske saare moves yaa toh block ho jaate yaa toh dodge kar liye jaate. Rahul ke harr waar ko wo apne haatho se rok raha tha par ab uska haath jese dukhne laga tha, aur boht dard kar raha tha. Ant me boht se hamle imran block nahi kar paaya aur nateeja uska sooja hua muh aur gaal sab bayaa kar rahe the. Kaafi derr pitne ke baad jab imran poori tareeke se exhaust ho gaya toh wo thak ke gir pada aur behosh ho gaya.

Uske behosh hote hi rahul ne apni shirt uthaayi par iss se pehle ki wo pehn paata khushi daud ke aayi aur uski baaho me ghus gayi. Khushi ko iss waqt iss se koi matlab nahi tha ki rahul paseene me bheega hua hai, wo toh bas rahul ko jitna kass ke ho sakta tha utna kass ke jakdi hui thi aur roye jaa rahi thi.

Rahul (smiles) : mission accomplished! Ab hum chale?

Khushi (rote hue) : hmmm... Thank you and sorry...

Rajneesh (mann me) : master waqai sahi the.

Rahul apni shirt pehn baakiyo se baat karne ke liye aage badhta hai.

Rahul : uncle rajneesh! Hume inn sabhi ko Custody me rakhna padega. Imran hi hume master ke asli dushman ke baare me bata sakta hai.

Rajneesh : aap tension mat lo mister rahul. Yaha se poora kaam mein dekh lunga. Ab aap aur miss rest kariye... Mein phone karke master ko bhi sab kuch bata deta hu.

Rahul ne ek gaadi me urvashi rupa tara aur khushi ko baithaaya aur wapas se college ki or chal diya. Kyuki college me abhi bhi preeti, aur baaki sabhi uska wahi wait kar rahi thi.

College ki entrance par hi Preeti aur baaki sabhi khadi hui thi, car dekh ke wo sabhi daud ke uske paas aayi aur jese hi preeti ne khushi ko car se nikalte dekha bechaari ro padi.

Khushi bhi roti hui apne haath failaaye jese preeti ko aamantran de rahi thi, preeti daud ke khushi ke gale lag gayi.

Preeti (rote hue) : yadi tujhe kuch ho jaata na toh mein tujhe kabhi bhi maaf nahi karti.

Khushi rote rote preeti ki baat par hassti hai aur usse aur kass ke baaho me le leti hai.

Rahul (smiles) : kaha tha na? Shaam tak khushi sahi salaamat tumhaare saamne hogi...

Rahul ki baat sunkar preeti palat ke usse dekhti hai, aur fir achaanak daud ke uski baaho me chali jaati hai.

Preeti (rote hue) : thank you... Thank you so much rahul. Mein tumhaara ye ehsaan zindagi bhar nahi bhulungi...thank you for saving her.

Rahul (smiles) : isme ehsaan ki koi baat hi nahi. Ye toh chota sa kaam tha...

Preeti apna sar utha ke rahul ke chehre ko nihaarti hai, toh notice karti hai ki uske honth ke side se khoon ka daag laga hua hai. Ye dekhte hi uski aankho me firse aasu aa jaate hai ki rahul kitni hi asaani se sab kuch chhipa raha tha, aur keh raha tha ki ye chota sa kaam tha. Na jaane kesi situation rahi hogi waha par. Par rahul jese preeti ko tension me nahi daalna chaah raha tha. Ye baat preeti bhali bhaati bhaamp gayi.

Usne jaane ajnaane me hi rahul ke gaal ko waha khade sabhi ke saamne choom liya. Ye dekh ke urvashi samet khushi sabhi dang reh gayi. Khushi ke mann me kuch kuch chal raha tha jab usne preeti ko rahul ko kiss karte hue dekha.



Urvashi : mein kuch puchna chaahti hu.

Rahul : hmm???

Urvashi : tumhe pata kese chala ki khushi park me hai?

Rahul : ohhh!!!

Preeti : haa rahul ! Tumhe kese pata chala.

Rahul : well!! Thanks to my earphones.

Urvashi : matlab?

Rahul : mene earphones par baat ki thi, baat karte time kuch awaazein aayi thi waha se jisne poori location ko mere saamne kar diya.

Urvashi : kesi awaazein...!?

Rahul : wo kuch aisi thi... "Yatri gan kripya dhyaan de. mumbai central station se chalne waali xxxxxxx train kuch hi derr me ravaana hone waali hai"

Urvashi (shocked) : ye toh...ye toh... Station ki awaaz thi.

Rahul (smiles) : hmm!! Aur dusri awaaz thi uss jhoole ki...

Urvashi : jhoole ki??

Rahul : haa! Jhoola jhoolte time jo awaaz aati hai... Mumbai aate time mein uss park me ghoomne gaya tha. Uncle rajneesh ko pata hai ye baat. Mujhe itna toh pata tha ki wo imran central railway station ke paas hai. Aur uss jhoole ki awaaz ne sab kuch clear kar diya. Par haa... Wo meri guessing thi. Yadi galat nikalti toh boht bura ho sakta tha...

Kehte hue rahul khushi aur preeti ko leke college se leke chala jaata hai aur idhar Urvashi aankhein phaade usko jaate hue uski peeth ko dekhti rehti hai...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!
Agle update se alag arc shuru hoga aur yaha pe thoda time skip dikhaya jaega. Uske baad waale arc me taniya se milan hoga.
Dhanyawad!!
awsm update bro
 
  • Like
Reactions: Naik and Werewolf

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,473
110,967
259
Mast update bhai ab lag raha hai ki bahut si gf jutne bali hai roopa aur urvashi ko hii jada focus kiya hai isliye lag raha hai ki ye dono office bali gf hogi
Abhi aisa maan ke mat chaliye bro.
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,473
110,967
259
awesome updates
khushi k man mai bhi pyar ki lehar uth gayi and baki 3 k bhi..Mujhe lagta hai ye banda story mai hi sahi shadi krne ka record todega...Waiting for next one
Nice update bro
:applause: :applause: :claps: bhut accha tha bhai.....
Fight scene thoda detail mein likhte to aur maza aata but phir bhi bhut badhiya tha....

Aab kuch naya shuru hoga Rahul ki life mein that is great..... Uska buisness I guess....

Intizaar h bhai jaldi se update dene ka try karna...
Superb update bro..
Maza aa gaya ..
Boht Zabardast update
Shukriya guys!
Aur abhi aisa assume karke mat chaliye ki baaki ladkiya bhi hero ki ho gayi hai.
Ye sirf abhi one sided hi samajhiye aap.
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,473
110,967
259
Khushi ko gundo se chuda ker rahul n bahot khushi ka kaam kia h
Excellent work fantastic update brother
thanks for lovely update
Sandarrrr update bhai
Nice update bhaii bhot awala maza aya giea bhaiii ab new upbate ka intazar ha
Superb bhai
Excellent Update Bhai
Super update bhai ji update next
Nice update
great scene ... mast going... keep rocking
Thank you guys!!!
 
  • Like
Reactions: Naik

lone_hunterr

Titanus Ghidorah
3,848
5,456
159
Shukriya guys!
Aur abhi aisa assume karke mat chaliye ki baaki ladkiya bhi hero ki ho gayi hai.
Ye sirf abhi one sided hi samajhiye aap.
Let readers think whatever they want...
Its readers job to assume and imagination the future of story
And it's your job to shape those imagination and assumptions...
Jab aage likhoge to sab clear ho Jayega apne app... Bas update ka wait h bhai
 

King519king

DEVIL
467
1,111
123
Waitingbro
Zindagi Se Kyon Rooth Gaye Ho Tum,
Itne Mayus Kyon Ho Gaye Ho Tum,
Zaroor Tumhara Bhi Kisi Ne Dil Toda Hai,
Jo Itne Gham-Geen Ho Gaye Ho Tum,

ज़िन्दगी से क्यों रूठ गए हो तुम,
इतने मायूस क्यों हो गए हो तुम,
ज़रूर तुम्हारा भी किसी ने दिल तोड़ा है,
जो इतने ग़म-गीन हो गए हो तुम।
 
  • Like
Reactions: Werewolf and Naik
Top