• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

shambhu

Banned
498
4,680
123
Update 83 The End

3 Months later

Sab bahot khush the aur sab kuch sahi tarike se chal raha tha. jinn dinon Abhi Shweta ke ghar rehta, Aruhi ziada tarr apne papa ke saath waqt bitaati, had se ziada khush thi Aruhi ke ab usska papa usske saath ghar mein rehta tha, din ho ya raat, chaahe 4 ya 3 din hi sahi magar bahot ziada waqt milta tha Aruhi ko ab Abhi ke saath guzaarne ko.

Iss mein ziada profit Aruhi ki hi hui, kyunke jab wo Navina ke yahan jaati to wahan bhi Abhi ko paati…. Magar aisa bhi aksar hota ke jin dinon Abhi aur Shweta akele waqt guzaarna chahte to Aruhi ko Navina ke yahan chorr aate the, khaas kar jab Abhi ke 3 ya 4 din weekends par hote the saath rehne ke liye. Aur kabhi kabhi to charon ek saath hote kabhi Navina ke ghar to kabhi chaaron Shweta ke ghar paaye jaate.




Ruhi

Jaise ke Abhi ne plan kiya tha ke Ruhi ke liye bhi ek ghar lega, who Ruhi nen refuse kiya. Wo kuch aie hua:

Abhi ek din ruhi ke yahan baat kar raha tha usski health ke treatment ke baare mein to uss se abhu ne kaha ke usske liye ek ghar dhund raha hai, phir ussko bhi wahan se lejayega. Ruhi ne inkaar kiya yeh kehte hue;

“Oh no, bilkool bhi nahin chahiye mere liye koyi bhi ghar lena Abhi. Main yaan se kahin nahin jaane wali. Jiss ghar mein maa aur papa rehte hein wo mere naam par hai. Usske upar Manoj ki wife ki hai, niche sab mera hai…. Itna bada ghar chorr kar kyun jaun main? Weh donon aur kitne din jiyenge unn donon ke baad main wahin rehne jaungi… wo sab mera apna hai Abhi…. Don’t waste your money, ghar lena hai to mere taraf se Aruhi ko de dena… mujhe nahin chahiye main nahin jaungi kahin bhi yahan se.”

To finally Ruhi ke iye ghar lene ka plan drop hua.


5 years Later

Magar Abhi ne Ruhi ki treatment desh ke best Ayurved centre mein shuru karwaya….. bahot experienced ayurvedic doctors aur massage karne wale the. Therapy 5 saal tak chala, aur Ruhi ki health mein dhire dhire sudhaar hota gaya, aur 5 saal ke treatment ke baad, jiss mein pura 8 mahine Ruhi ko centre mein rehna para. 8 mahine lagataar massage therapy hui tarah tarah ke special oil se, usski spine ki special treatment kiya gaya sab ayurvedic treatment se hi……Aur 4 saal baad Ruhi bina laathi ke chalne lagi…. Wo shuru mein dhire dhire chal rahi thi, aur aakhir mein bilkool normal chalne lagi…. Mahine mein ek baar centre jaati rahi check up ke liye, aur aakhir mein sab final ho gaya ke wo thik ho gayi.

Present Day 2020

Aaj 34 saal ho gaye jab se Abhi Ruhi se pehli baar mila tha 1986 mein, uss aangan mein Mehboob ke uss buss ko banaane ke liye. Aaj bhi Abhi ko sab saaf yaad hai, usske dimaagh ke ek kone mein, sab quaid hein. Aur Ruhi ko bhi sab yaad hai jaise sab kal ke guzre hue lamhe the.

1st January 2020 ko Ruhi ne Abhi, Navina, Shweta, aur Aruhi ko invite kiya tha New Year celebrate karne ke liye usske yahan. Aruhi aur do saal mein 18 ki ho jaegi. Ruhi ke maa baap doon guzar gaye 5 saal pehle. Ghar Ruhi ki ho gayi, aur Ruhi ab pakaane lagi thi pehle ki tarah. Ruhi ne Abhi se phone par pucha tha ke kaun si dish banaaye unn sab ke liye to Abhi ne wohi Butter Chicken banaane ko kaha jo uss din banaayi thi jiss din Ruhi ne Abhi ko lunch ke liye invite kiya tha 1986 mein.

1st Janurary 2020 ko Abhi aur family ne pura din Ruhi ke yahan guzaare the. Farzina bhi invited thi, wo ek lawyer ban chuki hai ab. Farzina aur Shweta pehle se hi dost the aur contact mein the. Mehboob bhi nahin rahe, Rahima yahin hai aaj bhi, aur Farzina apne husband aur ek bache ke saath yahin rehti hai Rahima ke saath.

Aaj Corona Virus ki lock down ki vajah se, Sanitary curfew hai iss liye baahar aana jana bandh hai to Abhi ne Shweta aur Aruhi donon ko apne ghar bula liya hai. Aur sab ek saath reh rahe hein, Navina ke hi kehne par.

To pichle 15 dinon se Abhi apne ghar mein do biwiyan aur ek bachi Aruhi ke saath hein. Usske ghar mein sukoon hai, aman hai, shaanti hai……

Abhi ne apne diaries ko bhi lock kar diya aur pichle 9 saal se bilkool nahin dekha diaries ko.

Apni daily diary mein abhi ne yeh likha aaj ki tarikh mein,

“Navina is the pillar of my life. Navina if not here I am useless and zero. Navina brought all happiness in my life. The love I was looking for all my life was sent to me from the sky. Hoor hai, farishta hai, apsara hai, ya kia mujhe pata nahin, magar, agar wo nahin to main bhi nahin.”

Aur chaaron ek saath baithe TV par saare Corona virus Covid-19 ki khabrein dekhte hue paaye gaye aakhri baar jab sab dikhe gaye the.

The End.

Total number of words written from update one till 83: - (200,054)
Two lakhs and fifty-four words.
Written by Casinar (Shah Khan of Mauritius)

Shuru hui 1986 mein end 2020 mein..... nahin END nahin ye ongoing story hai wooooowww
Present day mein aakar issko complete karoge bilkool bhi nahin socha tha.... present mein Corona bhi shamil ho gaya kahani mein wah Casi bhai kia baat hai. Hats off.
Kahani shuru hui to Abhi kitna gharib tha. Kaam dhundh raha tha. Bekaar tha. Aaj kitne logon ko tankha deta hai. Aur kitne apnon k liye kiya..

Wohi 22 saal ka patla sa ladka... wow kia kahani hai bhai.... life ho to aisi...
Romance jabardast. Emotions A1. Story jhakaas.
Behtareen kahani likha hai.
:yourock:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 32 The Last Sunday At Work

Agla din Sunday tha, 21st December, phir bhi kaam par jana tha kyunke kaam ko aur 3 dinon mein end karna tha. Raat bhar Abhi thik se soya nahin tha, karwatein badalta raha Ruhi ki yaad mein usski badalti hui adaaon ko sochte hue. Kyun wo badalne lagi thi? Kyun Mehboob se darrne lagi thi? Kyun usski maa bhi kuch ajeeb behave karne lagi thi….. Abhi apna chain o sukoon khone laga tha inn dinon ko….

Ruhi ki aangan mein daakhil hone se pehle Abhi soch raha tha ke kaash aaj Ruhi subha ko dikh jaaye; kum se kum aaj bagiche mein phool todti hui dikh jaaye to ussko good morning kahega pichli baar ki tarah…..

Angan mein dakhil hua, sar niche jhukaaye soch mein doobe Abhi chala jaa raha tha ke usski mangi hui duah kubool hote dikhayi diye, Ruhi bagiche mein gulaab tod rahi thi!! Abhi ka dil uss din ki tarah dhadka, ruk gaya, khush bhi tha aur ghum ne bhi ghar kiya hua tha usske dil ke andar, phir bhi kaha, “good morning Ruhi”

Ruhi ne jawab nahin diya magar muskuraate hue Abhi ko dekha. Abhi khada ho gaya uss se baat karne ke liye, tab Ruhi ne kaha,

“Uff aap jao, sab log ghar par hein Manoj bhi yahin hai aaj Sunday hai aap jao nah please! Mujhse baat mat karo, aur mujhko baar baar dekhna mat kaam karte waqt.”

Mayus, Abhi wahan se bina kuch kahe gaya washroom ke taraf change karne. Change kar liya to Mehboob ke kitchen ke paas se guzra to paya ke Ruhi bhi udhar aayi hui hai, wo apni yellow nightdress mein thi, jo bahot lambi dress thi, jissko Ruhi ko ek haath se sambhaalna padta tha chalne ke liye thoda sa upar uthakar…. To wo aur Abhi bilkool ek dusrte ke karib the, phir Abhi ne kaha,

“Tum ne aaj bhi good morning ka jawaab nahin diya? Kia tum log iss ilaake mein good morning nahin wish karte ko ek dusre ko? Lagta hai tumko aadat nahin good morning karne ki nah?!”

Ruhi ne danton mein jaise sorry kehte hue apne honth ko dabaya aur Rahima ki kitchen mein ghuss gayi mudhkar Abhi ko dekhte hue.

Baad mein Abhi bus ke andar kaam karne laga aur Ruhi kitchen ki stairs par khadi Abhi ko dekh rahi thi ek muskaan ke saath. Abhi aisa feel kar raha tha jaise shuru ke dinon mein naye naye mile the donon, pehli baar… jaise Abhi nayi nayi pehchaan hui thi donon ke….

Phir jab baaki ke log kaam par aaye to Ruhi ghayab ho gayi 2 ghante tak nahin dikhi. Ruhi ki maa kapde dhote hue nazar aayi to Abhi ne uss se pucha ke Ruhi kidhar hai to ussne kaha ke Ruhi bimaar hai!

Abhi ko kaam karte hue hathode se lag gaya usski ek ungli mein, khoon nikal raha tha, Ruhi ki maa ne wo dekha, to Abhi gaya Ruhi ki maa se yeh kehne ke Ruhi ko bata dein ke aaj 1 baje wapas chala jaega kyun ke Sunday hai; to Ruhi uss se milne aaye jaane se pehle kyunke Abhi ko kuch bahot zaroori baatein karni hai Ruhi se aaj. Magar Ruhi ki maa ne Abhi se kaha ke Ruhi nahin mil paegi uss se aaj kyunke usska bada bhai ghar par hai, bahot saare log hein aangan mein kyunke Sunday hai aur sab log donon ko dekhenge aur Mehboob ko passand nahin hai. Magar Ruhi ki maa andar gayi aur kuch dawa lekar aayi aur Abhi ki ghayal ungli mein lagaya, aur pucha kuch araam mila ke nahin. To abhi ne jawaab diya,

“Aap ne ungli par to araam de diya aunty, kaleje mein lagi hui Ruhi se kehdo nah ke wahan thoda marham lagaa de please.”

Yeh kehte hue Abhi ke aankeh bhar aaye, Ruhi ki maa ne Abhi ko ghaur se tarasti nazron se dekha aur kaha,

“Bahot bade bade baatein karte ho tum Abhi, aise hi baton se meri beti ko apna diwana banaya hai nah? Magar buss itna kahungi ke dhiraj rakho tum jo hona hai so hoga.”

Jab 1 baj gaya to Abhi ne dekha khidki ke paas Ruhi ki maa khadi hai aur Ruhi usske bagal mein Abhi ko dekhte hue hanss rahi hai aur apne jeeb se chedha Abhi ko apni maa ke saamne hamesha ki tarah. To Abhi ne socha isska matlab yeh hua ke jo kuch bhi Abhi ne Ruhi ki maa se kaha wo sab ussne andar jaakar Ruhi ko bataya. Maa beti mein jabardasr bonding thi, pyar ki batein jo ek aashik ne kaha apni beti tak pahunchane ke liye wo maa ne jaa kar beti ko bataya wah kia baat hai Abhi ne yeh sochte hue khud se kaha ke ho sakta hai maa se kissi ne aise romance nahin kiya hoga iss liye ussko Abhi ka aashikana andaz bahut passand arahe the iss liye usske message ko apni beti tak pahuncha rahi thi.

Ruhi koyi 15 minat tak wahin khidki par tek lagaaye hue Abhi ko dekhti rahi, jeeb se ussko chedti rahi, 1.15 ho gaya, magar Saeed kaam end nahin kar raha tha, aur Ruhi ab tak apni nightdress mein hi thi to Abhi ne khud se kaha Ruhi ki tabiyat sach mein thik nahin hai varna itne der tak Sunday ke roz wo nightdress mein nahin rehti. Jiss tarah se Ruhi Abhi ko dekhti, chedhti, wo Abhi ko behad passand tha, aur ussko himmat hoti thi aur usska hausla badhta tha aur Abhi khud se kehta ke ‘yeh ladki kitna pyar karti hai mujhse varna yeh sab kyun karti? Tabiyat thik nahin phir bhi 15 mins se ziada khidki ke paas khadi hokar mujhko nahin dekhti’

Jab Abhi washroom se dho dha kar apne safar karne wala saaf suthra dress pehen kar aya to Ruhi wahin khadi paayi gayi khidki se tek lagaye hue. Matlab kyunke Abhi ne ussko wait karne ko kaha tha wo wait kar rahi thi, Abhi ne kaha tha 1 baje, aur 1 baje se 1.30 ho gaye the aur wo wahin wait karti rahi, kyunke Abhi ne message bheja tha usski maa se ke ussko kuch bahot zaroori baat karni hai. Aur maa ne sab bilkool exact bataya hoga Ruhi ko ke Abhi ne tujhe bolne ko kaha hai ke wo aaj 1 baje kaam end karega aur tujhse milne ko kaha hai ussko kuch bahot zaroori batein karna hai tujhse!

“Wah mummy ji sahi message pahunchaya aap ne apni beti ko! Thanks mummy ji. Hone wali sasu maa.” Aisa Abhi keh raha tha apne dil ke andar.

To jab Abhi ne Ruhi ko wahin khidki ke papas paaya jaate waqt to khidki ke taraf badha Ruhi se baat karne ke liye. Ruhi muskurate hue ussko apne taraf aate hue dekh rahi thi. Abhi usske karib reach hua to sabse pehle kaha,

“Nightdress mein ho, raat ho gayi kia?!”

Ruhi aur usski maa donon hanss pade. Phir maa ne kaha,

“bahut lazy hai yeh kia tumko aisi lazy ladki chahiye Abhi?!”

Abhi ne kaha,

“Chalega, main usske hisse ke kaamon ko kar diya karunga jiss din ussko aise lazy feel hogi to, Waise mujhe pata hai ke Ruhi bilkool lazy nahin hai, kyunke itne dinon se usse itne saare ghar ke kaamon ko karte dekhte aya hoon, kitchen mein pakaati hai, mujhko kitna acha pakwan paka ke khilaayi hai issne, jhadu poncha lagaati hai, kapde dhoti hai…. To lazy kaise hui aunty ji!”

Ruhi muskura rahi thi Abhi ke chehre mein dekhte hue ke kiss tarah se Abhi usski taarif kar raha tha, usske chehre mein ek chamak thi Abhi ko admiration se dekhte hue. Maa ne kaha,

“Sun ri Ruhi teri to badi taarif kar raha hai yeh, tujhko patana ata hai issko, bada honshiyaar hai yeh Abhi!”

Ruhi ne Abhi ko dekhte hue hi apni mummy se kaha,

“main ne kaha tha nah aap se ke bahot honshiyaar hai Abhi!”

Phir Ruhi ne Abhi se pucha,

“Abhi aap ne kaha ke aap mere hisse ke kaamon ko kar doge jab main lazy feel karungi to, to aap mujhe bataaiye ke aap ko gharke kaun sa kaam karna ata hai?!”

Jo jawaab Abhi ne diya Ruhi aur usski maa ko wo sun kar donon maa aur beti dang reh gaye aur Abhi ko iss tarah dekhte rahe ke jaise kabhi nahin dekha tha ussko.

Abhi ne jawaab mein yeh kaha,

“Main bada beta hoon apni maa ka, baaki 3 bhai aur mujhse chhote hein, behnein to last mein paida hue, main ne donon ko pala, khilaya apne haathon se, aur bhaiyon ko bhi. Jab bhi maa bimaar hoti mujhe hi ghar ke saare kaam karne padte the, kapde dhona, har subha ko aata gundna aur roti pakana, chai banana, bhaiyon ko nehlana, khana dena, school ke liye tayaar karna, school bhejna, aur khud tayyar hona aur school jaana, wapas aana, sab ke liye khana pakana, pathar par kapde dhona jaise aap donon dhote ho, bade bade chaadar ko dhona aise hi pathar par, pathar par masala peesna…. Aur saare bartanon ko dhona, saaf karna, ghar mein har roz jhadu lagana, pooncha lagana….. SAB KUCH KARNA AATA HAI MUJHE!”

Yeh sab sunne ke baad Ruhi ke aankhen bilkool bhar aaye the, aur lagta tha ke wo lapak kar Abhi ke gale mein baahein bhad degi….. Ruhi ki maa bilkool khamosh ho gayi thi kuch der tak aur Abhi ke chehre mein dekhi jaa rahi thi… phir donon maa beti ne ek dusre ko dekha, aur Ruhi ki maa ne puccha,

“tumhari maa aksar bimaar rehti hai kia?”

Abhi: “Ab nahin, jinn dinon main padhta tha tab bahot bimaar rehti thi, 3 operation hui usski tab thik hui, stones hue the bladder mein aur ek baar goiter ki operation kiya tha phir ek baar peth mein kuch hua tha…unn dinon main 8 se 18 saal ka tha…. mere 19 hone ke baad maa kabhi bimaar nahin hui, aur tab tak Naina badi ho gayi aur ab wo maa ki madad karti hai kitchen mein aur baaki ke ghar ke kaamon mein. Naina ne bahot saare ghar ke kaam mujhse seekhi hai maa se nahin! Aaj bhi kuch pakaati hai to mujhse puchne aati hai ke yeh aisa karna hai ya waisa? Namak kitna dalna hai etc…..”

Ruhi sab phir se bade dhyan se sun rahi thi aur kaha,

“hmmm to aap ko pakana bhi ata hai, uss din mera pakaya hua jo khaya tha kaisa tha?”

Abhi: “ari aaj puch rahi ho? best tha sweetheart!”

Aur aakhir mein Abhi ne Ruhi ko piche aane ko kaha kyunke ussko kuch zaroori kehna tha Abhi ne kaha ussko. Magar Ruhi ne kaha “nah” aur Abhi ko jeeb se chidhaya aur ghar ke andar bhaag gayi!”

Abhi ne usskimaa ko dekhte hue kaha,

“kamaal hai samajhti nahin ke “ZAROORI” ka matlab kia hai yeh ladki?!”

Ruhi ki maa ne dhire se kaha,

“Nahin aa paegi, Manoj ghar par hai, baahar Mehboob hai ussko sunna padega jab aap chale jaoge to, ab aap jao Abhi…..”

Abhi jaane laga tha ke Ruhi ki maa ne hansste hue kaha,

“Weise, aap kia kuch karte ho ghar ke kaamon ko bata kar ussko aur ziada pata liya lagta hai, hai nah Abhi?”

Aur Abhi ko wapas ghar lautna pada bina Ruhi se apna important baat kahe….. jaate hue baar baar mudhkar dekhta gaya ke kaash Ruhi kitchen ke paas dikhe ya khidki ke paas aaye magar nahin dikhi…..

Ghar jaane se pehle Abhi ne a Christmas wishing card kharida Ruhi ke liye, ek bada sa card liya ussne.

Abhi ne khud se kaha ke wo ab Ruhi ko samajh nahin paa raha hai. Kahan ab Ruhi ko uss se aur ziada karib ana chahiye tha magar Ruhi uss se ziada doorie banaayi hui thi. Iss se pehle Ruhi uss se ghanton se ziada baatein kiya karti thi aur ab 5 mins bhi nahin karti aur kehti ke log dekh rahe hein….

Ghar wapas aakar Abhi ne sab kuch apne diary mein likha, shaam ke 5 baje bed par leytne gaya, ussko jagaane se mana kiya Naina aur apni maa ko - aur raat ko barah baje jaaga… Itni thakaan thi ke ussko hosh hi nahin raha ke kab din hai aur kab raat.

Aur raat ke 2 baje Abhi ne Ruhi ke liye dusra khat likha jissko wishing Christmas card ke sath kal post karega Ruhi ke hi ilaake wale post office mein.

To be continued….(2002 words)
Update 33 – Last Monday At Work

December 22nd

Ye din Abhi ke liye sabse bhaadi din tha uss aagan mein Abhi ke liye kaam karte hue dinon mein. Iss liye ke iss din ko Ruhi ne Abhi ko bilkool bhi bhaav nahin diya tha, baat nah se barabar hui thi, aur doorie to jaise ajnabiyon ke beech hote hein weisa tha. English mein Abhi ne likha tha, “She did not take any care at all about me, no consideration, like I did not even exist!”

Subha ko ek baar Abhi ne Ruhi ko dekha to buss itna keh paya, “hey Ruhi” magar Ruhi seedha chalti gayi aur Abhi ko oonchi awaaz mein kehna para, “you will receive a letter from the post office today, keep watching” Ruhi abhi se sirf door reh rahi thi.

Kuch der baad Abhi gaya uss ilaake ke post office aur Ruhi ki wishing card ko post kiya as a registered letter.

Post office se Abhi wapas aya to dekha ke Ruhi uss red skirt aur white blouse mein dressed thi jisski 3 din pehle Abhi ne usse pehenne ki farmaayish kiya tha.

Aur ek baar Abhi ne Ruhi ko cycle par apne ek cousin sis ke saath shop jaate hue dekha.

Aur 1.30 ko Abhi ne Ruhi ko postman se letter lete hue dekha. Letter, yaane wishing card lekar ek nazar Ruhi ne Abhi ko dekha aur bhaag kar ghar ke andar gayi aur zor se apni maa ko awaaz diya……

Abhi ne apna kaam jaari rakha…. Ussko pata tha ke andar usska khat padh rahi hogi, shayad apni maa ko sab bata rahi hogi ke Abhi ne kia kaha hai chithi mein….

Ab iss baar chithi mein abhi ne kia likha tha?

Likha tha English mein hi, magar kaha kuch aisa tha Ruhi ko uss letter mein:

“Ruhi sabse pehle main tumse ek sawaal puchta hoon, Ruhi mujhe batao ke hum donon ke bich pichle 3 dinon se kia chal raha hai? Pichle 3 dinon se tum mujhse ek distance rakhne lagi ho kyun Ruhi main janna chahta hoon ke baat kia hai? Tum ko mere aur bahut ziada karib hona chahiye tha inn dinon magar tum ne to aur bhi doorie bana rakha hai kyun Ruhi, kyun?

Iss se pehle tum mujhse openly baat karti thi bina kissi darr ke, aur ab jabke hum donon ne aapas mein baat kar liye hein, tum mere paas bhi nahin arahi ho?! main ab kia samjhun Ruhi? Isska kia matlab hai? Ruhi tum mere paas aane ke liye kiss se darti ho ab? Kisska darr hai tumhein mujhe batao please. Hum kuch ghalat to nahin kar rahe hein nah to darna kyun hai?

Tumhari yeh berukhi mujh par kia kayamat dhaati hai pata hai tumhein? Mujh par kia guzarta hai isska ehsaas hai tumko Ruhi? Meri jaan pe ban aati hai Ruhi….”

Aur bahot kuch likha tha abhi ne uss letter mein jaise likha tha usski pita ane wala hai to ruhi ke taraf se apne pita ko convince karne ko kaha tha, aur apne taraf se Abhi apna pura koshish karega usske pita ko manane ko ke wo donon ke rishte ke liye haan kahe. Abhi ne likha tha

“Tumne kaha tha ke tumhare papa bahot cool aur narm dil insaan hai, to agar tum uss se kahogi ke tum mujhse pyar karti ho to wo kabhi inkaar nahin karega, mere taraf se main bhi uss se kahunga ke main tumko dil o jaan se chahta hoon, udhar tum kahogi ke tum mujhe chahti ho to wo zaroor maan jaega, magar agar tumne kuch nahin kaha aur sirf mere taraf se kaha jaega to ho sakta hai ke wo samjhe ke mera pyar ek tarfa hai, iss liye tumko bhi baat karna hoga Ruhi, don’t forget that my love.”

Yeh bhi likha tha ke shayad 23rd ya 24th ko kaam ka aakhri din hoga aur Abhi ne request kiya tha Ruhi se ke last day ko wo pure din Abhi ke samne rahe, wo ussko din bhar dekhna chahta tha aakri din ko….

To Abhi kaam karte hue khud apne likhe hue shabdon ko yaad kar raha tha aur soch raha tha ke abhi andar Ruhi wohi sab padh rahi hogi aur apni khub surat xmas ki wishing card dekh rahi hogi aur uss par printed khubsurat lavzon ko padh rahi hogi.

Aur haan aakhir mein P.S likha tha Abhi ne khat ne niche bold mein:

P.S: (24th ko main chala jaunga, magar 31st tak tumko ek aur khat post karunga New Year ke mauke par…. uss mein tumko din aur tariq bataunga ke kab apne parents ke saath tumko dekhne aunga, ya ho sakta hai ke ek baar main akele aunga, usske baad tumhare parents se discuss karne ke baad tab apne parents ko lekar aunga tumhare ghar. So, wait for another letter from me by the 31st Decamber.)

Chithi padhne ke baad Ruhi terrace par aayi aur Abhi ko pyar bhade nazron se dekha. Abhi ne socha ke agar wo khat nahin milta aaj to shayad usske saamne aati hi nahin wo.

Ruhi ki maa Abhi ko Ruhi ke piche se dekh kar Abhi ke saath hanss rahi thi, aur Abhi Ruhi ke chehre mein dekh raha tha, aur Ruhi Abhi ko fix dekh rahi thi magar Abhi samajh gaya ke Ruhi uss se kuch kehne ki koshish kar rahi thi magar nahin keh paa rahi thi kyunke bahot sare log the bus mein aur bus ke aage piche chaaron taraf. Manoj, Mahesh, Mehboob, Ruhi ke chachi aur cousins sab the bus ke aas paas. Painting ho gayi thi lag bhag aur bus khubsurat dikhe lagi thi….. phir bhi bus ke andar bahot sare chhote chhote kaam baaki the jo Abhi pura kar raha tha….

Phir bhi Ruhi ne ek baar haath ke ishaare se abhi ko jaise kissi chiz ke liya mana kiya haath ko naah mein hillate hue. Abhi kuch bhi nahin samjha. Magar Ruhi muskura bhi rahi thi saath mein. Abhi Ruhi se baat karne ki koshish kar raha tha magar Ruhi ne Mehboob ke taraf apni ungli point kiya, matlab usske hote hue wo baat nahi karegi. Kuch der tak Ruhi khush dikhi aur Abhi ke aas paas rahi magar kuch der baad phir se wo distance rakhne lagi.

Ruhi apne bhai Mahesh, apni chacha ki beti, aur Farzinah ke saath hassi mazaak kar rahi thi, aur Abhi ko bilkool dekh hi nahin rahi thi jaise Abhi wahan tha hi nahin….. Abhi tadap raha tha, usska dil dukhne laga tha, ussko ghutan feel hone laga tha…. Abhi ko zor se chilla kar rone ka mann kar raha tha….. ussko headache ar heartache ek saath ho raha tha Ruhi ki behaviour se…. Abhi chahta tha ke Ruhi uss se uss tarah se pesh aaye jeise 7 din pehle thi, jaise uss din ko thi jiss raat ko Abhi ne usske ghar guzara tha, Abhi uss din ki tarah Ruhi ke saath rehna chahta tha jinn dinon ko har baar Ruhi ke sath ghar ke piche jaa kar ussko baahon mein bharke kiss kiya karta tha…. Abhi ko Ruhi ko zoron se baahon mein bharne ka mann kar raha tha , wo jaise till till mar raha tha, ghutan feel ho raha tha aur ussko saans lene mein takliff hone laga tha….

Phir bhi ussko kaam karna tha, itne chhote chote boring kaam the buss ke andar aur Abhi ka dimaaghi haalat kuch aisa tha ke kaam nahin ho paa raha tha uss se….

Kaam late end kiya uss din. Jab abhi tools rakhne jaa raha tha washroom mein to Ruhi apne bhai Mahesh aur cousin sis ke saath peyr ke niche baithi hanssi mazaak kar rahi thi… Abhi ka dil dukh raha tha aur wo hanss rahi thi…. Abhi ko ghussa bhi aa raha tha kyunke usske dimaagh ne kaam karna band kar diya tha uss waqt….

Aur jab Abhi unn teenon ke paas se guzra to Ruhi ne kuch aise baatein kiye Abhi ko sunaane ke liye ke Abhi dang reh gaya… Ruhi ne apni cousin sis se hansste hue aur chidhaate hue kaha,

"To tum kia samajh rahi ho ke main tumse shaadi karungi? Kyun tum sach mein samajh rahi ho ke main tumse shaadi karungi? Hahahahaha!!”

Yeh kia tha? Abhi ke liye tha? ya weh log sirf mazaak kar rahe the? Magar Abhi ne to apne pe liya…. Ruhi ne uss baat ko repeat kiya nazrein churaate hue Abhi ko dekh kar jissko Abhi ne dekha… matlab Abhi ne Ruhi ko hansste hue aur uss se nazrein churaate hue dekha jab wo baat ko repeat kar rahi thi ke , KIA TUM SAMAJHTE HO KE MAIN TUMSE SHAADI KARUNGI?

Wo sab dekhne aur sunne ke baad Abhi ko laga ke usske dil ke kayi tukde hue turant ussi waqt… ussko laga ke usski saansein rukne lage hein, laga ke wo hosh khone wala hai, usske aankhon ke saamne andhera sa chha gaya, aur wo jahan tha wahin baith gaya, deewaar se tek lagaate hue…. Tony guzar raha tha, to Abhi ke paas baith kar pucha ke kia hua….

Tab Ruhi aur team khamosh ho gaye the Abhi ko uss haalat mein dekh kar….. kuch der baad Sunil ne abhi se pucha ke kia hua… abhi ne kaha,

“yaar mujhe ab lagta hai ke Ruhi chahti hi nahin ke main usska haath mangun shaadi ke liye… lagta hai usska pyar ek jhoot tha mere liye….”

Sunil ne kaha,

“main uss se baat karun? Thik hai main baat karta hoon ruhi se!”

Magar Abhi ne roka sunil ko aur kaha agar zaroorat padegi tab ussko batayega….. Abhi apna self respect nahin khona chahta tha magar yeh bhi kehta khud se ke jung aur muhabat mein sab kuch jayiz hai to self respect khona kaun si badi baat hai….

Abhi socne laga ke itne saare baat likha tha ussne uss khat mein jissko Ruhi ne kuch der pehle padha, apni dil ki baat likha tha, Ruhi se kaha tha ke uss par kia beet raha hai usski berukhi aur doorie rakhne se, aur Ruhi uss tarah se behave kar rahi thi, ulta Ruhi ko uss khat ko padhne ke baad Abhi ko emotional support dena chahiye tha, magar Ruhi to sab ulta kar rahi thi…. Kiss se apna dil ka dukhda rota abhi ab? Kaun sunta usske dil ka haal, kiss se Abhi apne dil ke andar bhade ghutan ko share karta, kiss ke kandhe par sar rakh kar rota…. Kaun tha samajhne wala ke Abhi par kia beet raha tha… jo samajhne wali thi, wohi sitam par sitam dhaaye jaa rahi thi Abhi par….

Abhi ko akele sab kuch khamoshi se sehna tha. khamosh raha, apne andar sab chhupaaye rakha Abhi ne….

Jab Abhi jaane ke liye tayyar ho gaya to Ruhi wahin baithi rahi, ek nazar utha kar abhi ko dekha tak nahin, Abhi ne bhi bina kuch kahe chup chap nikal aya wahan se…..

Ghar pahunchne ke baad Abhi apne diary mein sab kuch likhte hue khub roya, apne diary ko apne dil ke dukhde ko sunaya Abhi ne….

Soch raha tha kal shayad aakhri din hoga Ruhi ke aangan mein aur ussko pata tha ke kal Ruhi ke pita aane wala tha, to ussko dikh gaya ke kal ka din aur bura hoga kyunke Ruhi apne pita ke wapas aane ki khushi mein ussko aur bhi ziada ignore karegi…. Phir bhi Abhi ne soch liya tha ke apne taraf se jo ussko karna hai wo kar ke rahega, Ruhi ke pita se baat zaroor karega yeh tey tha abhi ke taraf se….

To be continued……
I knew it, main bol rahi thi na casi sir.... Daal mein jarur kuch Kala hai.... ruhi ne toh abhinav ke dil ka bhajiya tal diya..
I thought ruhi ki koi majburi hogi.... par nahi, yeh toh jaan bujkar kar rahi hain...
indirectly hi sahi...
Khair let's see abhi tute huye dil ko aur Kitna todti hain ruhi...
Brilliant update casi sir...... Great going.. :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 34 Monday Continued….
Soch raha tha kal shayad aakhri din hoga Ruhi ke aangan mein aur ussko pata tha ke kal Ruhi ke pita aane wala tha, to ussko dikh gaya ke kal ka din aur bura hoga kyunke ruhi apne pita ke wapas aane ki khushi mein ussko aur bhi ziada ignore karegi…. Phir bhi abhi ne soch liya tha ke apne taraf se jo ussko karna hai wo kar ke rahega, ruhi ke pita se baat zaroor karga yeh tey tha abhi ke taraf se….

Ab aaguey
Subha ko Ruhi kitchen ke paas nazar aayi. Abhi usski maa se baat karne gaya. Magar bina kuch kahe hi usski maa ne Abhi se kaha,

“nahin nahin kuch nahin ho sakta hai!”

Abhi heyrani se ussko dekhte hue kaha,

“kyun? Kia nahin ho sakta? Kia keh rahi ho aap?”

Ruhi wahin khadi sun rahi thi bina Abhi ke taraf dekhe…

Ruhi ki maa ne kaha,

“mujhe pata hai tum Ruhi ke liye aaye ho nah? wo nahin maan rahi hai hum kia kar sakte hein ab?!”

Abhi ka munh sukh gaya, ussko jaise paani pine ki zaroorat mehsoos hui, aur kaha,

“What? Yeh kaise ho sakta hai? Main nahin manta….”

Phir Abhi Ruhi ke taraf dekhte hue usski maa se kaha,

“Magar wo khud kyun nahin keh rahi hai mujhe? Kyun khamosh hai agar aisi baat hai to?!”

Tab Ruhi ki mummy ne hansste hue jaise Abhi ko encourage karte hue kaha,

“Magar kuch bhi ho humko tumhare parents se to milna hoga nah Abhi?!”

Jab usski maa ne yeh kaha to Ruhi ne muskuraate hue Abhi ko dekha….

Magar Abhi bahot serious tha aur Ruhi ko gambhirta ke saath dekha. Aur usski mummy ko jawaab diya,

“haan beshak donon taraf ke parents ko milna hoga.”

Tab Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Haan to isske pita ko aajane do aaj arahe hein wo tab dekha jaega”

Ab inn baton se Abhi ka hausla to badhega hi nah?

Phir Ruhi ki maa ne Abhi se kaha ke jo kaam wo karta hai wo kuch dhang ka nahin hai.

Abhi ne Sunil ko socha aur usske saath jo hua tha usske baare mein socha Abhi ne.

Abhi ne pucha,

“kyun yeh kaam dhang ka nahin hai?”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Meri maa jahan rehti hai wahan kayi aise log hein jo bekaar rehte hein kyunke weh log car repair karte hein aur unnko kabhi kaam milta hi nahin…. Kia hoga agar tumhare paas regular basis par kaam nahin hoga? Tumko pata hai Ruhi mujhe meri jaan se bhi pyari hai main usske liye bahot fikar karti hoon, main apni badi beti se itni attached nahin thi, magar meri Ruhi…. ”

Abhi ne jawaab diya,

“Car ke body repair karna aur mera kaam do bilkool alag baat hai, car ki tin repair karne wale ko panel beater kehte hein bus ki body ko banane wale ko Coach builder kehte hein do bilkool hi alag kaam hote hein, hum wo gas wala welding bilkool istemaal nahin karte, hum aluminium se kaam karte hein uss tin se nahin jo car repair karne wale istemaal karte hein….”

Tab Abhi ne socha ke unn logon ko pata hi nahin ke bus ki coach building kia hota hai…. Weh log car ki tin repair karne wala samajh rahe the Abhi ko! Magar Abhi ko wo karna bilkool bhi nahin ata tha wo ekdum se alag kaam tha…. Aur Abhi samajhne laga ke usski Naukri ki vajah se Ruhi ke nani ke yahan baat chali hogi issi liye nani walon ne, mamou, mami, maasi, sabne Ruhi ki maa aur Ruhi ko mana kiya hoga iss rishte ko aaguey badhaane ke liye, Ruhi ko unn logon ne discourage kiya hoga, issi liye uss din se Ruhi weise behave karne lagi thi aur doorie rakhne lagi thi Abhi se….. aisa Abhi soch raha tha….

Abhi soch raha tha ab Ruhi ke pita ke aane ke baad, Ruhi ko usske maa baap ke saamne bitha kar apne kaam ke baare mein sab samjhega, tab apna proposal rakhega. Weh log shayad soch rahe the ke jo kaam Abhi kar raha hai uss se Abhi unke beti ko khush nahin rakh paega, unnke beti ko saari suvidhaayein nahin de paega Abhi. Yehi soch the shayad Ruhi ki maa ki. Aur Abhi Sunil ki kahi hui baat ko sochne laga ke usske saath bhi yehi kiya tha inn logon ne!

Abhi ne phir Ruhi ki maa se kaha,

“Aap zara sochiye main kaise Ruhi ko takliff de sakta hoon? Aap ke khayal se jiss se main itna pyar karta hoon ussko kissi kissam ki taklif hone dunga? Agar khuda nah khaasta mere paas yeh kaam nahin raha to aap kia samajhti ho Ruhi ke liye main kuch aur nahin karunga? Aisa to ho hi nahin sakta… aap fikar nah karein nah!”

To Ruhi ki maa hanssne lagi aur kaha,

“Thik hai phir usske pita ko aajane do. Dhiraj rakho, aaj wo aane wala hai shaam ko.”

Abhi ko lag raha tha ke sab thik ho jaega, kal jo khat likhe tha Ruhi ko Abhi ne uss mein Ruhi ko sab kuch samjha diya tha ke ussko apne pita se keh dena chahiye ke wo bhi Abhi se pyar karti hai, tab Abhi ko asaani hogi apne taraf se baat karne ko….

Ab Abhi Ruhi se baat karna chahta tha iss baare mein iss se pehle ke usska baap wapas aaye. Abhi sab kuch araam se Ruhi ko samjhana chahta tha taake Ruhi bhi samjhe. To Abhi ne Ruhi ki maa se kaha ke wo Ruhi se ussko kuch der baat karne dein, Ruhi ko bulaane ko kaha. Ruhi ki maa ne Ruhi ko bulaya. Khidki ke paas, usski maa thi aur andar se Ruhi aayi…..

Aur aaj itne dinon mein pehli baar Abhi ne Ruhi ko usse ek ajeeb nazron se dekhte hue dekha, jaise ussko koyi interest nahin thi Abhi se baat karne ke liye, Ruhi ne frown karte hue Abhi ke taraf dekhte hue kaha,

“kia hai? Ab kia kehna hai aap ko aur?!”

Ruhi ki uss tarah se baat karne se Abhi ko mann kiya ke turant wahan se wapas nikal jaaye, ussko laga ke bekaar mein baat karega….. Abhi ko wapas apne ghar turant chale jaane ka mann kiya…. Ussko jaise Ruhi ki nazron mein usske liye NAFRAT dikha…. Magar aisa bhi kia ho gaya ke nafrat dikh gayi Abhi ko Ruhi ki nazron mein…. Abhi samajh nahin paa raha tha ke ab Ruhi se kaise baat kare aur kia kahe ussko jiss tarah se wo Abhi ko dekh rahi thi jaise Abhi ussko disturb kar raha tha ussko bula kar.

Jiss chehre par itne dinon se Abhi ne sirf pyar dekha tha, jiss Ruhi ke chehre par hamesha ek pyari si Muskaan hua karti thi, jiss mein Abhi ne sirf aur sirf pyar dekha tha apne liye aaj uss chehre mein ek karwahat dekha Abhi ne. Abhi Ruhi ko itna chahta tha ke usski ek ek rag se wakif tha, usski har ek adaa, usski har ek chehre ki badlaav ko pehchaanta tha magar jo aaj Abhi ne dekha tha Ruhi ke chehre par wo Abhi ne kabhi nahin dekha tha itne dinon mein, aur Abhi ko wo bilkool bhi passand nahin tha. Uss Ruhi ki roop ko describe karna mushkil hai aur usska Abhi par jo assar hua wo bhi bayan karna mushkil hai…. Phir bhi Abhi baat karna chahta tha to himmat karke kiya baat ussne. Kyunke donon English mein baat karte the hamesha to Abhi ne English mein sabse pehle kaha,

“Why are you giving such a look? Why you are so serious, not a single smile on the face? Did I disturb you by calling you here?”

Ruhi ke munh mein jo ata tha wohi bak deti thi, ussne Abhi ko jawaab mein buss itna kaha,

“I must be serious in life that’s why!”

Yeh bhi koyi jawaab tha? Abhi udaas tha, pareshaan tha wo usske chehre par saaf dikhaayi de raha tha, aur Ruhi ko bhi pata tha; Abhi ne apne sayyam rakhte hue kaha,

“Look Ruhi, I am suffering… yes I am suffering and it’s because of you my dear…”

Ruhi ne kaha,

“Do you think I AM NOT SUFFERING?!”

To Abhi ne kaha,

“Then talk to you father, We can be successful Ruhi, from my part I will do all to convince him, but if you do not play your role I won’t be able to do it alone isn’t it?!”

Ruhi ne kaha,

“I can’t. My life IS NOT MINE”

Abhi ko ghussa aane laga tha usski behuda jawaab se. Kia bakwaas jawaab de rahi thi!

Agar wo bhi suffer kar rahi thi to kia solution tha suffering ko end karne ki, wo tha donon ka milan….

Tab tak Mehboob tea serve kar raha tha, aur Mehboob ne Abhi ke taraf aakar tray ko ussko dikhaate hue kaha,

“Hey Abhi!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“jao apna chai lelo Abhi.”

Abhi ne kaha,

“wait.”

To Ruhi ne fikarmand dikhte hue kaha,

“Oh my god wo hum logon ko hi dekh raha hai aap jao nah!”

Abhi ne Ruhi se kaha,

“magar ussko sab pata hai nah yaar!”

Tab Ruhi ne kaha

“nahin ussi ne hmm hmm hmm hmmm” yeh kehte hue Ruhi muskuraayi

To Abhi ne pucha,

“kia hmm hmm hmm? HE WILL NOT ACCEPT?”

Ruhi: “NO.”

Abhi: “okay meet me at lunch time.”

Tab Ruhi aur usski mummy donon ne kaha

“nahin nahin bilkool nahin”

Abhi ne zid kiya, zor diya ke lunch time mein Ruhi uss se mile. Magar Ruhi ne kaha,

“BE PATIENT”

Aur usski maa ne repeat kiya,

“BE PATIENT”

Abhi ne kaha,

“That’s what I am doing!”

Phir Abhi ne aur kaha,

“Dekho Ruhi ho sakta hai aaj yahan mera aakhri din hai kaam karne ka…. Aur agar kaam pura nahin hua shaam tak to kal aakhri din hoga, mujhe tumse bahot zaroori baat karni hai”

Ruhi ne bus ek halki si mukurahat se Abhi ko dekha aur ab chehre mein thoda sa badlaav aur narmi dikhayai diya Abhi ko, aur Abhi wahan se wapas bus mein chala gaya.

Koyi ek ghante baad Ruhi ki maa phir baat kar rahi thi Abhi ke saath. Ussne Abhi se kaha,

“Aur yahan par kissi ne yeh bhi kaha ke tum sirf yahan har roz kaam karne aate ho varna har jagah kaam se bahot absent rehte ho, har roz kaam nahin karte ho, samajh rahe ho nah wo lazy type log jaise….”

Abhi ko zabardast jhatka laga wo baat sunke aur pucha ke kiss ne ussko wo baat bataya, kia Mehboob ne wo sab kaha uss se? To Ruhi ki maa ne kaha ke nahin Mehboob ne nahin. To Abhi ke kaha to phir Reza ne kaha hoga kyunke wo shuru se hi mujhse jalta hai, ussko nahin passand ke main Ruhi se pyar kar raha hoon wo pata nahin kyun hamesha mere piche pada hota hai… mere aur Ruhi ke beech ek deewar ki tarah bana rehta hai…”

Abhi ne Ruhi ki maa se kaha ke jo kuch bhi ussko bataya gaya sab sarasar JHOOT hai.

Jabse Abhi ne 12th chorra tab se aaj tak lagatar kaam karte aaya hai, kahbi yahan kabhi wahan kabhi yeh kaam kabhi wo kaam, kisaan ka beta mazdoori bhi kiya, ganne ke khet mein bhi kaam kiya, yeh kabhi nahin kaha ke padha likha hai to koyi office mein ya koyi bhi white collar job karega magar jo mila jaise mila kaam karta gaya aur yahan kissi lalloo ne keh diya ke Abhi kaam nahin karta dhang se! kamaal hai Abhi sar hillate hue khud hanssne laga….

Kuch der bad Abhi ne Ruhi ko kitchen wale stair par khadi dekha, to usske toda paas jaakar, 1 metre ki distance se kaha,

“Tumhara photo kab dogi mujhko? Mujhe chahiye at least 1 photo of yours please, ziada mile to behtar hoga.”

Badle mein Ruhi ne jawaab to nahin diya magar apne donon haahon ko ek camera ki tarah kar ke Abhi ke taraf kiya aur jaise ek click kiya Abhi ki photo ko aur hanssne lagi. (aaj ke din hote to mobile se kitne saare photos Abhi ne le liya hota Ruhi ki?!”)

Aur tabhi kissi ne Ruhi ko bulaya baahar Main road ke taraf, shayad Ruhi ke papa ka phone aya tha udhar. Aaj usska papa wapas aane wala tha… to jab Ruhi gayi call lene to Abhi ke paas se guzar kar gayi, aur jab wapas aane lagi to Abhi ne ussko rukne ko kaha magar Ruhi ne uss hisse ko daud kar tey kiya jahan Abhi tha wahan se usski kitchen tak taake Abhi ussko nahin roke, aur jab Ruhi daudte hue apni kitchen ke stairs par reach hui to palat kar Abhi ko dekha apne munh mein apne jeeb se apne gaal ko fullaate hue ek muskurahat ke saath….

Aur phir kuch der baad Ruhi apni cousin ke ghar gayi aur wapas aate waqt Abhi ne uss se kaha,

“Ruhi, ruko nah sunon to please…”

Ruhi ne kuch darrte hue expression mein Abhi ko dekhte hue kaha,

“Mujhse aise baat mat kijiye aap”

Aur wo bhaag kar chali gayi apni kitchen mein.

Aur ek baar Ruhi ne Abhi se kaha,

“Aap ab mujhe bhool jao!”

Aur Abhi ne replay kiya,

“THAT’S IMPOSSIBLE”

Aur tab Ruhi hanssi thi.

Ek baar phir phone call aya aur Ruhi phir gayi, aur jab wapas aa rahi thi to Abhi ne phir ussko rukne ke liye kaha, aur iss baar Ruhi ne jhoot mooth ke jhuk kar ek paper ka tukda uthaane ka bahana karte hue ruki aur Abhi se kaha,

“kia hai?”

Abhi usske karib hua aur kaha,

“Uss din jab tumne ne kaha tha ke tum virgin nahin ho, to main ne kaha tha ke tum mujhko itna pyar karogi ke wo tumhara pyar saare beech ke issues khatam kar dega, virginity ya kuch bhi ho beech mein sab mit jaega tum mujhko itna pyar karogi, aur tumne haan kaha tha Ruhi yaad bhi hai ke nahin?”


Abhi ne yeh sab kaha Ruhi ko apne kahi hui baat ko yaad dilaane ke liye, ussko yaad dilaane ke liye ke ussne kaha tha ke wo Abhi ko bahot pyar karegi…. Abhi ne Ruhi ko usska pyar yaad karaya, to Abhi yeh umeed kar raha tha ke Ruhi sharminda hogi ya apni kahi hui baat ko yaad karegi magar jo jawaab diya Ruhi ne usski zaroorat hi nahin thi, wo baat hi nahin ho rahi thi…. Ruhi ne kaha,

“Well I am not a virgin that does not mean anything to you?”

Abhi ne gambhirta se Ruhi ke aankhon mein dekhte hue reply kiya,

“No that makes no difference to me because I LOVE YOU DAMN IT, do you understand? I am suffering damn it!! Do you have a heart to feel what I am going through, mere andar dard ho raha hai Ruhi, main tadap raha hoon tumko nahin dikh raha kia?”

Abhi ke baton ka jaise Ruhi par koyi assar nahin ho raha tha, wo apne pita ke wapas aane ki Khushi mein gum thi shayad uss waqt. Abhi ne sahi mauka nahin use kiya tha ussko apne dil ki baat kehne ke liye, aur Ruhi ne Abhi se kaha,

“I am no a V, this should have affected you!”

Aur Ruhi ne yeh kaha tab,

“Mujhe ek promise kijiye abhi issi waqt, ke agar hamari shaadi nahin bhi hui to aap kabhi bhi kissi se bhi meri V wali baat nahin bataoge.”

Abhi ne PROMISE kiya turant. Abhi ko uss pal jaise comfirm hua ke Ruhi usski kabhi nahin banegi issi liye Ruhi ne Abhi se wo promise liya. To Abhi ne kaha,

“Agar humko nahin milna hai, agar juda hi ho jana hai to please ek photo dedo mujhe main umar bhar teri tasveer se hi sahi pyar karta rahunga, ek tasver dede please Ruhi”

Ruhi ne nah kaha aur dekha ke Mehboob araha tha to Ruhi bhaagne ki raah dekh rahi thi to last mein Abhi ne pucha,

“Wo V kiss ne kiya tere saath?”

Ruhi ne jaate jaate jawaab mein yeh kaha Abhi ko,

“Nahin, main to kabhi nahin bataungi, magar aap ho sake to khud pata laga lena!”

Aur Ruhi chali gayi.

To be continued….(2778words)
arre , maa beti ki yahin soch thi toh pehle hi bata deni chahiye thi naa... yun chuhe billi ka khel kyun Khelti rahi abhinav ke sath..

Hmmm... so dil todne ke sath sath abhinav ko jasus bhi banake chali gayi... clue yeh chhod ke gayi ki "woh baat"abhinav khud hi pata lagaye... Kamal hai :D
Is mehboob par saq hain.. pata nahi kyun.. lekin hain...
Khair let's see what happens next
Brilliant update casi sir....... Great going.. :applause: :applause:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 35 Ruhi’s Father Comes Back

“Wo V kiss ne kiya tere saath?”

Ruhi ne jaate jaate jawaab mein yeh kaha Abhi ko,

“nahin, main to kabhi nahin bataungi, magar aap ho sake to khud pata laga lena!”

Aur Ruhi chali gayi.


Abhi sochne laga ke kyun Ruhi ne ussko khud pata lagaane ko kaha ke kissne usski virginity li hai? Abhi kaise pata laga paega?

Aur Abhi ne yeh bhi socha ke Ruhi kyun Mehboob se itna darrti hai? Kyun? Mehboob ne kuch kiya hoga? Kuch kaha hoga Abhi ke khilaaf? Kia Mehboob ne Ruhi ko Abhi se milne aur baat karne ke liye mana kiya hai? To iss liye, Abhi ne Mehboob se baat karne ko decide kiya. Aur wo gaya uss se Ruhi ke baare mein baat karne ek mard ke bache ki tarah.

Abhi ne socha jab Mehboob se 75 hazaar ke badle 3 laakh nikalwa sakta hai to kaun si badi baat hai uss se Ruhi ke baare mein baat karne ko. Yeh mardaangi wala baat hamesha tha Abhi mein, wo darrta to bilkool nahin tha kissi se bhi jahan mardon wali baa ata tha to, to be jhijhak wo gaya aur Mehboob se kaha,

“Mehboob bhai, aap Ruhi ke chacha lagte ho nah? haan pata hai usske pita aap ke liye bhai se badhkar hai aur usski ghair haziri mein Ruhi aap ki beti jaisi hai aur aap ka haq banta hai usski dekh bhaal karna. To uss haysiyat se usske pita nahin hai to aap usske pita jaise hue hai nah?!”

Mehboob ko to sab pata tha ke Abhi uss se kia kehne wala hai, aur usne buss haan mein sar hillaate hue Abhi se kaha,

“haan Abhi sahi keh rahe ho wo meri beti se badhkar hai, aur mujhe yeh bhi pata hai ke tum mujhse kia kehne aaye ho”

Aur yeh kehkar Mehboob hanssne laga aur Abhi ke kandhe par haath rakh kar araam se kaha,

“Bolo Abhi kia kehna hai, darro mat bolo!”

Abhi: “Darta to main bilkool bhi nahin Mehboob bhai, aap se phir yeh kehna hai ke main jald hi aap ka rishtedaar banne wala hoon, aap ko pata chal gaya hoga ke main Ruhi ki baat kar raha hoon!”

Mehboob ne muskuraate hue kaha,

“kyun nahin Abhi insha Allah, kyun nahin, mujhe pata tha tum yehi kehne aaye ho, magar aaj Ruhi ke pita araha hai nah to ussi se yeh baat kehna bahut behtar hoga hai nah?!”

Abhi: “haan Mehboob bhai uss se bhi baat karunga zaroor, magar wo to itne dinon se yahan tha nahin to ussko kuch nahin pata par aap ko to sab pata hai nah? Itne dinon se sab aap ke aankhon ke saamne to ho raha hai nah, to iss liye mujhe aap ki madad ki zaroorat padegi Mehboob bhai!”

Mehboob: “Haan thik hai magar kaisa madad Abhi?”

Abhi: “are bhai Ruhi ke pita ko nahin pata ke pichle der mahinon se main aur Ruhi ek dusre se pyar karte hein, aap ko to pata hai. To aap ko Ruhi ke pita se kehna hoga ke haan donon ek dusre ko chahte hein Rishta kar deni chahiye donon ke; itna to kar sakte ho nah bhai?!”

Mehboob muskuraate hue Abhi ko sun raha tha aur kaha,

“Bahut dum hai tujh mein Abhi, khud apne shaadi ki baat kar rahe ho? Wah. Magar mere nazar se iss baat ko dekho aur samjho Abhi, Ruhi ke pita ne mujh par ek zimedaari chorr ke gaya tha ke main usske bachon ka khayal rakhun hai nah? To jab main uss se kahunga ke der mahine tak tum mere liye kaam karte hue usski beti ke saath ishk kar raha tha to wo kia sochega mere baare mein? Kahega nah ke main ne yeh kiss tarah ka khayal rakah usski beti ka?!”

Abhi ne kaha,

“are bhai ghalat track par kyun leja rahe ho baat ko? Sahi tarike se sirf hum donon ko support to kar sakte ho bhai yeh kehte hue ke in der mahinon mein yahan kaam karte hue mujhe pyar ho gaya Ruhi se aur ussko mujhse, to main ne Ruhi ka haath manga shaadi ke liye, itna to kar sakte ho nah aap Mehboob bhai?!”

Meboob: “Abhi yehi baat tumne mujhko pehle kyun nahin bataya? Kyun der mahine tak chhupaya tumne mujhse? Pehle keh diya hota, 1 mahine pehle, keh dete mujhe to mujhe pata hota pehle se, shaayad main phone karke ussko bata chuka hota.. kyun tumne aaj hi ka din chuna mujhe yeh baat bataane ke liye Abhi?”

Abhi: “Bhai mujhe pata tha ke aap ko iss baat ka already pata hai issi liye kuch nahin bataya, balke main to soch raha tha ke kissi din aap mujhse iss baare mein sawaal karoge…. Ab aaj ya kal aakhri din hai yahan kaam karne ka iss liye ab bata raha hoon aap ko, iss mein kia hai bhai itna to batao nah ke mera support kar sakoge nah Mehboob bhai?”

Mehboob: “okay thik hai support to karna parega, aur koyi raasta chorra hi nahin tumne… aur haan tumhare gharwalon ka bhi pata lagana hai nah humko ab?”

Abhi:”haan bhai, pehle Ruhi ke pita se baat karlun tab apne parents ke saath aunga Ruhi ka haath maangne, tab mangni vaghaira ko milkar decide karenge thik rahega nah bhai?!”

Mehboob ne muskuraate hue aur Saeed ke taraf dekhte hue haan kaha Abhi ko.

Tony aur Sunil ne sab suna aur jaldi se Abhi ko aakar haath milaate hue congrats kiye.

Abhi ko ek umeed ki kiran nazar aayi aur thoda khush feel kiya ke at least ab wo kaamyaab hone jaa raha hai.

Aur wo gaya Ruhi ko bataane ke ussne Mehbob se baat kar liye aur ussne okay keh diya hai.

Jab Abhi ne sab Ruhi ko bataya to Ruhi ne kaha,

“Wo sirf aap se aise baat karta hai aap ke peeth piche kuch aur hi kehta hai aap ke baare mein, hypocrite hai wo usska yakeen mat kijiye aap. Wo to khud KHILAAF HAI hum donon se HE IS AGAINST ABHI”

Abhi ko aur ek jhatka laga ab!! Usska uljhan aur badh gaya.

*********************************************************

Abhi ko kuch lohe ko kaatna tha aur lohe Ruhi ke kitchen ke paas the. To Abhi gaya kaatne lohon ko. Ruhi aur usski maa ussko dekh rahe the. Abhi Ruhi se baat karte hue kaam kar raha tha. Ruhi kabhi uss se baat karti, kabhi muskuraati to kabhi chhup jaati.

Radio par “Aap ki Passand” program chal raha tha jiss mein famayish kiye gaanon ko bajwaate the channel wale. Ruhi ke kitchen mein radio baj raha tha jissko Ruhi sun rahi thi aur baahar Abhi bhi sunte hue kaam kar raha tha aur yeh gana chal raha tha, “Ey gulbadan phoolon ki mehek kaanton ki chubhan tujhe dekh ke kehta hai mera mann KAHIN AAJ KISSI SE MUHABAT NAH HO JAAYE” Ruhi uss gaane ko saat saath gaa rahi thi…. Aur ussne Abhi ko dekha, sharmaayi, muskuraayi aur chehra chhupa liya darwaze ke piche, to Abhi ne uss se kaha,

“haan tum khud sab kuch kahogi ab!” Abhi ka matlab gaane se tha ke Ruhi keh rahi thi “kahin aaj kissi se muhabat nah ho jaaye”

To Ruhi ne hansste hue Abhi se kaha,

“Main aap ke liye nahin gaa rahi thi!”

Abhi ne kaha,

“main ne iss gaane ko uss din gaya tha jiss din tumko pehli baar dekha tha yahan – “kahin aaj kissi se mubahat nah ho jaaye”

Tab Ruhi ne Abhi se kaha,

“I did not tell you to fall in love with me!”

Abhi ne jawaab diya,

“no one falls in love intentionally, IT JUST happens…. Pyar KIYA NAHIN JATA HO JATA HAI RUHI DEAR!”

Tab Ruhi ne hansste hue kaha,

“mujhe pata hai main aap se jeet nahin sakti aap bahot tez ho maanti hoon!”

Abhi ne kaha,

“aur kaun badnaseeb ladki hogi jo mujh jaise tez ladke ki patni nahin banna chahegi?!”

Ruhi: “Wo badnaseeb mere siwa kaun ho sakta hai?!”

Abhi: “jab main khud tumko khushnaseeb banana chahta hoon to tum kaise badnaseeb ho sakti ho Ruhi?”

Ruhi: “main ne kaha tha ek baar aap se ke mujhko yeh sab raas nahin ati, manhoos hoon main dekh lena hum kaamyaab nahin honge!”

Abhi: “Ruhi main bahot positive insaan hoon, I always expect the best to happen, I am very optimist always, buss tum saath dete rehna phir dekhna ke kaise kaamyaab nahin honge, buss tumhara saath chahiye, akela to fail hi ho jaunga, tum saath dogi to koyi humko alag nahin kar sakta Ruhi”

Ruhi ne tab apna sar niche jhuka liya. Aur kuch der wahin khadi rahi apni mummy ke saath Abhi ko dekhte hue.Tab Ruhi gayi apni chulhe par kuch paka rahi thi usse dekhne, aur udhar achanak Abhi ke ungli mein lag gayi hathode se….Abhi ne ek haath mein uss ghayal ungli ko zor se dabate hue dard se tadapne laga. Isssssshhhh karte hue…. To Ruhi ki maa ne kaha,

“Ruhi dekho dekho kia hua Abhi ko, uss waqt Ruhi ek pal ke liye chulhe par kuch karne gayi thi, to jaldi se Ruhi aayi aur jab Abhi ke ungli mein khoon dekha to kaha,

“kaha nah main manhoos hoon, mujhe yahan khada hona hi nahin chahiye tha aap ko disturb kar rahi hoon kaam karne se.”

Abhi ne uss ghayal ungli ko zor se apne dusre haath mein dabaya hua tha aur ab bhi ussko dard ho raha tha, ussne apne niche wale honth ko zor se apne daanton mein dabaya hua tha aur Ruhi ussko kuch iss tarah se dekh rahi thi jaise khud Ruhi ko dard ho rahi thi, aur Ruhi ne kaha,

“Aap uss ungli ko thande paani ke niche daalo to, tab tak main dawaa laati hoon uff!!”

Abhi ne bhunbhunaate hue kaha,

“kyun care kar rahi hai agar juda hona hai to, pyar nahin karti to kyun ussko dard ho raha hai mere liye? Ab kyun Mehboob se darr nahin lag raha usse? Ab kyun sab bhool gayi? Ab kaise mera itna khayal rakh rahi hai….?? Ruhi tum mujhse bahot pyar karti ho Ruhi…. Magar mujhe nahin pata kyun chhupaane ki koshish karne lagi ho kuch dinon se – kuch to baat hui hogi…..”

Yeh sab Abhi khud se kehta raha tab tak Ruhi aayi ek choti si sisi lekar jiss mein dawa tha ghav par lagaane ke liye.. Abhi niche baitha hua tha, to Ruhi ko bhi niche apne tangon par baithna pada Abhi ke saamne, aur Abhi ko uss ungli ko saamne karne ko kaha Ruhi ne…. jab Ruhi baithi to Abhi Ruhi ke tangon ko dekh raha tha apne ungli ko usske saamne karte hue, Ruhi ne dekha ke Abhi ki nazar usske dress ke niche gaye, aur apne honth ko Ruhi ne daanton mein dabaate hue kaha,

“Wo sab ab bool jao aap, aap ke kismat mein wo sab nahin tha shayad, aap ko mauka mila bhi tha magar aap ne uss mauke ko ganwaa diya…”

Aur Ruhi ne Abhi ke ghayal ungli par phoonka, dawa lagaane se pehle to Abhi usske chehre mein dekhte hue aankhon mein bhare hue aansoo se, dard bhari awaaz mein kaha,

“Ruhi mere kaleje mein bhi phook maar do nah yaar bahot dard ho raha hai wahan, nahin saha jata yaar…”

Ruhi ke aankhon se jhar jhar aansoo behne lage aur sar niche jhukaate hue apni nazron ko churaane lagi Abhi se to Abhi ne usska haath thaam kar ussko rokte hue kaha,

“batao abhi kaise mere itna karib baithi ho jabke wahan bus ke paas Mehboob khada dekh raha hai, iss waqt kyun tumko uss se darr nahin lag raha? Abhi kyun tumhein usska koyi khauff nahin hai?”

Ruhi wahin baithi rahi aur piche mudh kar apni maa ko ek baar dekha aur behte anssowon mein Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“Abhi, aap mujhe bhool jao please, aap ko bahot saare khubsurat ladkiyan mil jayenge, main aap ke liye sahi ladki nahin hoon…”

Yeh kehte hue Ruhi itna royi ke Abhi uss se ziada rone laga. Abhi se raha nah gaya aur Ruhi se lipatna chaha, magar thik jab Abhi ke baahein Ruhi ke taraf hua Ruhi ek kadam piche ho gayi aur kaha,

“Nahin Abhi yeh sahi nahin hai, apni ungli idhar karo main dawa laga doon…”

Abhi ke gaal par aansoo behne lage the, usske naak se paani nikal pade the aur ussi haal mein Abhi bola,

“Dil par bhi dawa laga do nah Ruhi wahan to iss se bhi ziada choat lagi hai mujhe…. Kia yaar agar mera dard nahin dekha gaya tumse, itni caring ho to kyun tumse mera dil ka dard nahin dikh raha? Care karti ho mera to dil ka bhi care karo nah Ruhi…”

Abhi ki rone ki awaaz nikal gayi, to Ruhi ne apne hatheli ko Abhi ke munh se lagaate hue kaha,

“sssshhhhh kia kar rahe ho aap sab log sun lenge, sssshhhh chhup ho jao nah”

Abhi ne Ruhi ke hatheli ko chum liya aur kaha,

“lagta hai ek zamana hua tumhare kissi ang ko apne honth se lagaaye hue…. Mujhe aise mat tadpao Ruhi, mujhko apne seene se lagalo nah Ruhi mujhko bahut araam milega, please Ruhi, tumhare jism ki khushbhoo ko ab khayaalon mein basaya hua hoon, ek baar apne jism ki khusbhoo lene do nah mujhe….”

Ruhi ne tab Abhi ke ungli par dawa lagaate hue kaha, aur rote hue hi kaha,

“main ne kaha nah ke aap mujhe bhool jao….”

Abhi rota raha , aansoo jaari rahe usske aankhon se, ruk ruk kar rote hue aur Ruhi ke chehre mein dekhte hue tutti awaaz mein kaha,

“To kyun mujhe kiss karne diya tha, kyun mujhko itne baar apne baahon mein bharne diya tha, kyun mujhko jeeb se chidhaati thi, kyun mujhse itne meethi meethi baatein karti thi, kyun mere seene par apna sar rakhti thi, kyun mere chest ke baal se khelti thi, aur kahun Ruhi? Aur bahot kuch keh sakta hoon…….”

Ruhi ki baari thi ab rone ki, sar jhukaaye rone lagi thi aur iss baar usski awaaz aayi rote hue tab tak Mehboob wahan agaya aur Ruhi se naraz hote hue kaha,

“Tamasha banana hai? Sab ko dikhana hai? Kia hua hai tum donon ko bachon ki tarah rone lage ho? Apne baap ko aane do phir apna tamasha banana, ya ghar ke andar jaa kar ro lo rona hai to, sabke saamne kyun tamasha bana rahi ho?!”

Ruhi filmon ki heroinon ki tarah uth kar bhaagte hue ghar ke andar chali gayi…..

Aur Mehboob ne Abhi se kaha,

“Abhi main ne tumse abhi kuch der pehle baat kiya nah? Usske pita se baat kar lena bhai kyun itna tamasha kar rahe ho sabke saamne tum?! Apne kaam par dhyan do bhai mujhe kal bus chalana hai, issko road par laana hai kal!”

Tab tak Sunil aur Tony wahan agaye the Abhi ko sambhaalne, magar Sunil ne jab Ruhi ki maa ko wahan kitchen mein dekha to uss se baat karne laga Ruhi aur Abhi ke baare mein.

Aur Tony Abhi ko legaya bus mein aur wo khud unn lohon ko kaatne chala gaya. Unn lohon se bus ke niche ek separate box bana ke weld karna tha kyunke ussko additional Mehboob ne lagaane ko kaha wahan kuch khaas rakhne ke liye. Weisa kaam shuru mein hota hai, bus finishing par tha phir bhi wo kaam kiya jaa raha tha jo pehle din kiya jata hai…. Abhi bus ke andar seat par baith kar rota raha kuch der, baaki ke saare log uss ke paas gaye puchne ke kia hua, Abhi bata nahin paa raha tha, George ne kaha,

“Ruhi ke father ko ane do hum sab uss se baat karenge”

Tab saeed ne George se kaha,

“are nahin George, hum log uss se nahin kar sakte koyi baat, hum baahar ke log hein, usske father ko eitraaz ho sakta hai….”

Abhi ne dekha ke Sunil ne Ruhi ki maa ke saath koyi 15 mins tak baat kiya, aur Sunil wapas bus mein aya to Abhi ne uss se pucha ke kia kaha usski mummy ne magar ab Sunil batana nahin chah raha tha….

Sunil aur Abhi ki itni achi dosti ho gayi thi, aur sunil ne kaha tha ke wo khud Abhi ke liye baat karega Ruhi ke parents se, to aisa kia keh diya tha Ruhi ki maa ne Sunil se ke ab Sunil Abhi ko batana nahin chah raha tha?

Abhi Sunil se kaam karte hue puchta gaya baar baar magar Sunil yehi jawaab deta ke usske aur Ruhi ke baare mein koyi baat nahin hui thi.

Abhi ko pata tha ke 15 mins tak sirf aur sirf Abhi aur Ruhi ke baare mein hi baat kiye the Sunil aur Ruhi ki maa ne magar Abhi nahin samajh raha tha ke ab Sunil kyun ussko nahin bata raha tha ke Ruhi ki maa ne kia kaha.

Abhi ne pucha,

“Sunil please bata nah kia usski maa ne yeh kaha ke ussko khabar mili ke main nikamma hoon, lazy hoon, kaam nahin karta hoon? Aisa kaha kia ussne? Ussne mujhse yeh sab keh diya hai aur main ne safaayi bhi de diya hai bata nah mere dost kia kaha usski mummy ne yaar!”

Sunil ne tab kaha,

“Dekh Abhi yaar, Ruhi ki father araha hai nah, tu uss se baat karna, yehi kaha usski maa ne mujhe ke baap decision lega, aur wo acha aadmi hai tu asaani se uss se baat kar lega mujhe yakeen hai.”

Abhi: “yaar Sunil 15 minats tak kia itna hi baat kiya ussne tumse? Kyun chhupa raha hai yaar bata nah? Tu yeh mat soch ke mera dil tut jaega, mujh par kia beetega, dil already churr churr ho chuka hai mere bhai tu bata nah kia kaha Ruhi ki maa ne mere aur Ruhi ke rishte ke baare mein? Yaar Ruhi bhi nahin bata rahi mujhko, ussne to mujhe ussko bhool jaane ko bhi keh diya yaar, to tu mat chhupa mujhse mere dost!”

Sunil: “Ruhi ne tujhko aisa kaha? Usse bhool jaane ko kaha? Abhi yeh ussne nahin kaha tujhe, uss se kehelwaya gaya hai!”

Abhi: “mujhe pata hai yaar Ruhi aisa nahin keh sakti to kaun hai jo Ruhi ko nacha raha ya rahi hai yaar? Kia usski maa ne Ruhi ko mujhse door kiya? Kia wohi nacha rahi hai Ruhi ko? Magar kyun yaar?!”

Sunil ne baat badalte hue phir kaha,

“Tu Ruhi ke pita se baat karna bhai sab zaroor thik ho jaega, fikar mat kar tu Abhi!”

Abhi laparwah ke jaise kaam karta gaya. Ussko lagta tha wo girr padega, ussko khud ko sambhaalne ki taaqat nahin thi…..

Kuch der baad Ruhi ki badi behen aur usski husband aaye, sab tayaar the Airport se Ruhi ke pita ko pick up karne ke liye. Aaj pehli baar Abhi ne Ruhi ki badi behen ko dekha tha. Wo bilkool bhi Ruhi jaisi nahin dikhti thi. Thodi khadus dikhi wo abhi ko. 2 chote bachon ki maa thi, thodi si moti thi aur naati thi, Ruhi se bhi kad mein chhoti thi. Abhi ko nahin pata tha kaun hein ussko Sunil ne bus mein kaha ke Ruhi ki badi behen arahi hai.

Jiss waqt wo aayi to andar Ruhi ro rahi thi kyunke wo Abhi se door hone ke baad ungli par dawa dene ke baad andar roti rahi, badi behen ko pata chala saare maajra to wo bhi aayi thi stairs par Abhi ko dekhne. Sunil ne Abhi se kaha,

“Dekh ussko sab pata chal gaya, ab wo bhi tumko dekhne aayi hai wo jaanna chahti hogi ke usska to-be brother-in-law kaun hai kaisa hai…..”

Aur wahan se bus mein utne saare log the to behen ko kaise pata chalta ke in sab mein se Abhi kaun hai, to ussne Sunil ko bulaya. Sunil gaya uss se baat karne stair ke paas aur wahan se Sunil ne Abhi ko ishara kiya bus ke baahar aane ko taake Ruhi ki behen ussko dekh sake….

Abhi bus se nikla aur kuch der baahar khada raha taake Ruhi ki behen ussko dekh sake… lagta tha Abhi ki numaayish kiya jaa raha tha!

Ab sochne ki baat hai ke Abhi uss waqt apne kaam karne wale gande kapdon mein tha, usska look ek gharib nauker jaisa dikh raha hoga…. Impress karne ke liye sirf Abhi ka height aur gora rang tha… to Ruhi ki sister ko beshak Abhi achah nahin dikha hoga aur usski raaye lena hota to wo 100% naah kehti yeh sure tha.

Kuch der baad Ruhi ki sister aur usski maa bus ke paas aaye the to Abhi ne Ruhi ki maa se pucha

“yeh aap ki beti hai!”

Ruhi ki maa ne muskuraate hue kaha,

“haan yehi hai Ruhi ki badi behen meri pehli beti”

To Abhi ne ussko sar jhukaate hue hello kiya

Ruhi ki maa ne usske saamne Abhi se kaha,

“Aur yeh cigarette bilkool chorrna hoga hamesha ke liye samjhe?”

Abhi ne kaha,

“Iss baare mein Ruhi se baat ho chuki hai aap fikar nah karein hamesha ke liye hi chor dunga, Ruhi se puch lena ke kab”

Abhi ko acha laga ke Ruhi ki maa ne jataate hue uss se wo baat kahi aur wo bhi Ruhi ki badi behen ke saamne, lag aisa raha tha uss waqt ke maa apni badi beti ko lekar apne naye hone wale jamaayi ko milaane aayi thi…. Wo Abhi ko bahot achcha laga…

Phir turant Manoj, Ruhi ki maa aur damaad chale gaye ek car mein airport se Ruhi ke pita ko pick up karne.

Ruhi, usski badi behen aur mahesh nahin gaye the… Abhi khush tha ke Ruhi nahin gayi aur wo ussko kuch der aur dekh paega agar wo saamne aayi to…. Chithi mein Abhi ne Ruhi se kaha tha ke apne pita ke wapas aane ki Khushi mein mujhko nah bhool jana…. Aur ab lag raha tha ke bilkool wohi hone jaa raha tha. sab wahan bahot thrilled the Ruhi ke pita ko receive karne ke liye, uss ghar mein kaafi hulchal tha uss waqt.

Ruhi ki dad shaam 6 baje ghar aaye. Sab ek ek karke uss se mil rahe the aangan mein hi….. Abhi Ruhi ko dekh raha tha ussko pata tha ke Ruhi royegi, aur wo apne pita ko sabke gale milte hue dekh kar khadi ro rahi thi, aur Abhi ussko dekhe jaa raha tha…..

Ruhi ke pita apne chote bhai, aur beton se gale mil raha tha, koyi ro raha tha to koyi usske peeth thapthapa raha tha, Mahesh rone laga uss se gale milne se, wo aakhri chhota beta jo tha… aur aayi baari Ruhi ki apne pita se gale milne ki to usske chand aansoo ke karte gire, Abhi ne socha sirf pita ke lautne ki vajah se ro rahi hai ya Abhi ko bhi yaad kar rahi hai , Abhi se juda hone ke ghum mein bhi ro rahi hai….. aur Abhi ne dekha Ruhi apne pita ke seene se lagi hui to thi magar kum se kum 7 baar Ruhi ki nazrein Abhi par gaye the uss dauraan….

To be continued…. (3829 words)
Yeh dono maa beti milke abhinav ko itna confusion mein kyun daal rahi hain. Kabhi yeh dikhati hain ki haan abhinav ush ghar ka damad banega.. aur kabhi aise show karti hai ki abhinav toh chhodo readers ke bhi dil k Dhadkan badh jaye...
damn..... Kitna rote hain abhi aur ruhi..

Mehboob pe saq jaari hain..
Let's see what happens next
Brilliant update casi sir ji......... Great going :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 37 The Last Day & Night In Ruhi’s Aangan

Wednesday 24th December – Christmas Eve.

Abhi ne iss din ke liye apni diary mein likha hai:

It has been the last and worst day and night in Ruhi’s yard.


Subha subha Ruhi ki maa Abhi ke saath hanss rahi thi. Aur Abhi ko Ruhi nazar aayi kitchen ke andar. Aaj Ruhi ek nayi nightdress mein thi. Ek khubsurat nightdress jo safed thi aur uss par bade bade red, black aur green dots the. Ruhi dada ji ke armchair par baithi hui thi.

Abhi ne usski maa se baat ki. Aur uss aurat ne iss baar kaha,

“Sorry Abhi, Ruhi ke papa ne ussko iss baar apne saath Saudi Arabia lejaane ka faisla kiya hai!!”

Abhi ko itna ghussa aya ke usska mann kiya ke ussko gaaliyon se nehla de ussi waqt. Abhi ne socha issi liye wo kal hi Ruhi ke baap se bat karna chahta tha iss se pehle ke Ruhi ki maa khud koyi bahana bana kar apne pati ke munh mein koyi baat khud nah daal de…. Abhi samajh gaya ke kal raat ko Ruhi ki maa ne khud sab kuch bata diya hoga apne pati ko ke Abhi Ruhi se pyar karta hai magar ussko Rishta nahin passand kyunke ussko Abhi ka kaam nahin passand, to apne pati se keh diya hoga ke aaj wo ladka aap se Ruhi ka haath mangega to aap mana kar dena…..

Abhi issi liye nahin chahta tha ke koyi aur Ruhi ke pita se baat kare issi liye wo sabse pehle baat karna chahta tha Ruhi ke pita se kal raat ko…..

Abhi sab kuch apne dimaagh mein rewind karte hue soch raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha ke jiss din Ruhi gayi thi apne nani ke ghar tabhi se Ruhi berukhi se pesh ane lagi Abhi ke saath, aur kal raat ko isi baat ke liye Ruhi ke papa ko bhi legaye sab wahan aur issi baare mein baat kiye gaye honge aur sabne milkar decide kiya hoga ke Abhi ko yeh jawaab de diya jaaye ke Ruhi ke pita Ruhi ko apne saath lekar jaa raha hai iss baar….. Abhi ko puri film dikh gayi usske dimaagh mein… to Abhi ne Ruhi ki maa se kaha,

“koyi mujhko laakhon rupay bhi dede nah to main yakeen nahin karunga? Saudi Arabia mein koyi apni beti ko lejata hai? Ladki ko? Unn vehshi, tharki Arab logon ke beech? Aap mujhko ullo samajhte ho nah aunty? Thik hai wohi samajhiye aap mujhe….”

Ruhi ki maa ne kaha,

“tum khud puchlo agar yakeen nahin hai to!”

Abhi: “puchunga to ab wo to yehi kahega nah? sab mile hue hein iss mein koyi shak nahin, jo aap ne ussko kehne ko kaha wohi kahega wo…. Zaahir si baat hai.”

Din bhar Abhi ranjh o ghum mein raha. Usski maansik stithi normal nahin raha din bhar….. ussko saans lene mein takliff hota raha baar baar….. Ruhi dikhi ussko kayi baar magar baat karna naamumkin tha….

Aur din ke 2.30 ko Abhi ko pata chala ke Ruhi ki badi behen ussko apne saath lekar jaa rahi hai, Ruhi apni behen ke ghar kuch dinon ko beetaane ke liye jaa rahi thi…. Abhi ko zabardast jhatka laga ye khabar sunkar…. Usska uss aangan mein aakhri din tha aur wo chahta tha ke Ruhi ko wo jee bhar ke dekhe aur mauka milne par uss se baat kare apna pyar ka waasta de Ruhi ko…. Magar jab suna ke Ruhi jaa rahi hai to Abhi jaise tut gaya… Farzina ne Abhi ko bataya ke Ruhi apni badi behen ke saath jaa rahi hai, ab pata nahin ke Ruhi ne khud farzinah ko yeh kehne liye bheja tha ya nahin, Abhi ko shak tha ke khud Ruhi ne hi Farzinah ko kaha tha Abhi ko jaakar bataane ke liye ke wo jaa rahi hai…. Abhi ko shcok laga, shock par shock, dard par dard, Abhi ki sehen shakti kum hote dikhaayi diye….magar ussko abhi aur bhi bada shock jhelna baaki tha…

Bus ke andar se Ruhi ki khidki dikhta tha, aur Ruhi baal banaate hue dikh rahi thi, jaise Ruhi jaan bujh kar Abhi to dikha rahi thi taake Abhi ko pata chale ke wo jaa rahi hai. Abhi ke paas ek hi mauka aur ek hi raasta tha ke wo wahan jaaye uss khidki ke paas aur ek AAKHRI baar wahan se Ruhi se baat kare…

Abhi ne kaam ko maara goli aur gaya Ruhi ke khidki ke paas…. Ussne dekha Ruhi ne uss yellow suit ko pehna hua tha jiss mein uss din apni maa ke saath apni nani ke yahan gayi thi, halki si make mein thi aur kayamat lag rahi thi… usski maa wahin thi aur Ruhi khudko aine mein dekh rahi thi baal banaate hue…. Abhi ne ek book diya tha Ruhi ko koyi 20 din pehle, to Abhi ne kaha,

“hey Ruhi, mera kitab….” Abhi ki awaaz nahin nikal rahi thi… Ruhi ne nahin suna aur usskki maa ne Ruhi se kaha,

“Wo apna kitab mang raha hai Ruhi”

Ruhi ne thoda chahunkte hue kaha,

“Are haan, main to bilkool hi bhool gayi thi ke ek aap ki kitaab mere paas hai itne dinon se, sorry abhi laayi!”

Ruhi ne uss book ko Abhi ko wapas kiya.

Abhi bahot bahot udaas tha,wo kamzor dikh raha tha, lagta tha bimaar hai. Phir bhi Abhi ne pucha,

“Ruhi kia decide kiya tumne?!”

Ruhi ne kaha,

“Be Patient Abhi!”

Abhi ne ek gehri saans lete hue kaha,

“Abhi issi waqt tum mujhse aise baat kar rahi ho jaise hum ajnabee hein, tum jaise badal gayi ho, jaise tum meri Ruhi nahin koyi aur ho, kyun Ruhi, kal to itna royi thi jab mujhe choat lagi thi nah, tab bhi tum nahin samjhi mere dil ka haal Ruhi?”

Ruhi zor se hanssi…. Wo ek hanssi nahin thi kuch aur tha, wo Abhi ko aur ziada hurt karne ki ek tamacha tha Abhi ke gaal par.

Ruhi ne tab ek chewing gum ke do tukde kiye aur ek tudka Abhi ko diya aur dusra tukda apne munh mein le liya….. wo chewing wo tha jo Ruhi chabaati thi jab Abhi ko piche kiss karne jaati thi…. ek din Ruhi ek chewing chabah rahi thi aur Ruhi ko kiss karte waqt, Abhi ne Ruhi ke munh se usski chewing gum ko apne munh mein le liya tha….. uss roz donon ne phir chewing gum par baat kiye the aur uss din ko bhi Ruhi ne aise hi ek tudka chewing gum diya tha Abhi ko….. aur aaj apni maa ke saamne ussne wohi kiya…… kyun aisa kiya tha Ruhi ne? kyun puraane yaadon ko taaza kar rahi thi ab?! Magar Abhi ko passand aya tha ke Ruhi ne ussko aadha chewing gum diya….

Abhi ka Ruhi ke saath yeh akhri conversation ho raha tha. Abhi ke samajh mein nahin araha tha ke ab wo Ruhi se kia kahe. Sab kuch jaise ulat phulat ho gaya tha, sab bigar gaya tha, jo kuch Abhi ne socha tha kuch bhi veisa nahin ho raha tha sirf iss liye ke Ruhi to jaa rahi thi…. Ulta Abhi ne socha tha aaj wo khud jaega, aaj usska last din hoga wahan aur ussne bahot kuch socha tha ke kaam finish karne ke baad wo Ruhi se baat karne jaega chaahe ghanton bhar hi kyun nah sahhi magar aaj wo apne dil ka haal bayan karta Ruhi se, uske parents se, sab se rokar Ruhi ka haath maangta magar ab Ruhi hi nahin rahegi to kia karega…. Abhi ke paas ab shabd nahin baaki tha kehne ke liye….

Abhi soch raha the ke sirf Ruhi yeh keh deti ke wo Abhi se pyar karti hai aur uss se shaadi karna chahti hai to koyi inkaar nahin karte. Magar ab to lag aisa raha tha ke Ruhi khud nahin chahti thi kyukne wo buss wo buss “NAHIN, NO,” kehti jaa rahi thi.

Abhi ne Ruhi se kaha,

“Ab ‘NO’ keh rahi ho Ruhi, kia Christmas ka tohfa diya aaj tumne mujhko Ruhi!”

Ruhi ne chehre par bina koyi afsos ya ghum dikhaate hue kaha,

“I am very sorry for you Abhi”

Abhi ne kaha,

“kia tum apne papa se nahin keh sakti ke tum bhi mujhe chahti ho?!”

Ruhi ne fake Muskaan mein jawaab diya,

“magar main khud desh chorr rahi hoon nah Abhi!”

Abhi ne kaha,

“Okay main intezaar karunga tumhare lautne ka.”

Tab Ruhi ki badi behen ne kaha,

“kab tak? Aap kab tak intezaar karoge isska?”

Abhi: “100 saalon tak!”

Badi behen khamosh ho gayi.

Abhi ne Ruhi ki maa se Ruhi ki father ko bulane ko kaha. Ruhi ki maa ne usse bulaya, baap aaya aur sach mein ek hasmukh chehre wala insaan tha, wo aakar Ruhi ki bed par baitha Abhi ko dekhte hue, aur Abhi ne ussko samjhaya, ke wo aur Ruhi kitna ek dusre se pyar karte hein….. jab Abhi sab keh raha tha Ruhi ke pita se uss waqt Ruhi aine ke saamne khadi khud ko sanwaar rahi thi magar baar baar Abhi ko bhi dekh rahi thi ussko usski pita se baat karte hue….

Ruhi ke pita ne Abhi ko jo jawaab diya wo 100% fake tha, jissko sunkar Abhi samajh gaya ke wo saare baatein banawati the aur Ruhi ki maa ne wo sab kehne ke liye kaha tha ussko. Baap ne Abhi se kaha,

“Dekho main pehle se plan kar chuka hoon ke Ruhi ko apne saath leja raha hoon iss baar, aur phir uss ladke ko hum ne zuban de diya hai wo France mein hai aur wapas aakar Ruhi ko lejaega!”

Tab Ruhi ne Abhi ke taraf dekhte hue kaha,

“Dekha? Main ne kaha tha magar aap yakeen nahin kar rahe the!”

Abhi ne apne dil ke andar khud se kaha,

“Tu bhi jhooti hai Ruhi, jiss din tumne apni virginity wali baat bataayi thi tab to kaha tha ke wo saare abroad wale ladke wali baatein jhoot the, aur ab keh rahi ho ke sach hai…”

Phir Abhi ne Ruhi ke pita se kaha,

“Dekhiye agar main aap se kahun ke main wait karunga, ke iss baar jab aap Ruhi ke saath wapas aao tab aunga, chahe aur 3 saal lag jaye main Ruhi ka intezaar karunga to?”

Baap ne kaha,

“Magar Ruhi ko wo France se lene aega nah, hum ne ussko pehle zuban de diye hain!”

Ruhi ne tab Abhi se apne donon eyebrows uchkaaya kuch iss tarah ke jaise Abhi haar gaya aur wo aur usske pita jeey gaye, aur phir Ruhi ne kaha,

“Dekho Abhi, aap ko bahot saare khubsurat ladkiyan mil jaenge, aap handsome ho, intelligent ho, tez ho, main koyi rani maharani nahin, mujh mein kuch aisa nahin hai ke aap ko sirf main hi chahiye, main bahot buri hoon pucho meri maa se ke main kitni buri ladki hoon!”

Ruh ki maa ne turant Ruhi ki baat par haami bharte hue kaha,

“haan Ruhi bahot hi buri ladki hai”

Abhi ne ussko turant jawaab diya,

“main Ruhi ko kissi tarah se bhi accept karta hoon!”

Usski badi behen ne kaha,

“aap wait karte karte thak jaoge, bore ho jaoge aur aap ko koyi aur mil jaegi dekh lena!”

Abhi ke honth thartharaane lage the kyunke ussko ab dikh gaya tha ke Ruhi to haath se gayi ab…. Usske aankhon se paani behne hi wala tha, ke Abhi ne sar niche jhukaya…. Ruhi ko pata chal gaya ke Abhi ab rone wala hai, to usski bhi aankhen badh aayi, maa, baap, badi behen sab Aabhi ke chehre mein khamosh ghaur se dekh rahe the, sab ko pata tha wo tut chuka hai aur ab ro padega…

Abhi ne sar jhukaaye hue hi kaha,

“okay”

Aur mudh gaya jaane ke liye, to Ruhi ki maa ne ussko awaaz di, Abhi wapas mudha, apne chehre ko uss kitab se chhupaate aur aankh ponchte hue,

Ruhi ke papa ne kaha,

“ghussa mat hona, sorry.”

Abhi ne kaha,

“koyi baat nahin”

Sab ke nazrein Abhi ke chehre par the, sab ko pata tha Abhi ko jhatka laga hai aur ussko bahot dard ho raha hoga, sab ko Abhi ke chehre mein wo ghum, wo dukh dikh raha tha, sab ko pata tha Abhi ke aakhen bhar aaye hein, aur sab ko yeh bhi pata tha ke Abhi apne emotions ko chhupaane ki koshish kar raha hai aur book se apna munh chhupa raha hai….. Ruhi ka brother-in-law khud Abhi ko uss tarah se tutte hue dekh kar heyraan tha aur Abhi ke chehre mein bahot dard bhare chehre se dekhe jaa raha tha….. Ruhi ki badi behen ke aankhen bhar aaye, Ruhi ki maa ke aankhen bhar aaye…. Magar iss baar Ruhi ki aankhen nahin bari thi, aur Ruhi ne Abhi se kaha,

“LOOK ABHI, I AM REALLY VERY SORRY FOR YOU, I MEANT IT, MY HEART FEELS IT FOR YOU ABHI. WISH YOU MUCH COURAGE AND PATIENCE ABHI.”

Abhi ne Ruhi ko halki si Muskaan se dekha aur tapakte aansoowon se usske chehre mein dekhte hue kaha.

“The deception does exist right? So, its okay, never mind Ruhi, you be happy always, that’s all I can wish for you!”

Abhi wapas bus mein jaa baitah aur rone laga, rokna namumkin tha….. ek baar to zor se roya…. Bus ke sabhi kaam karne waale Abhi ke paas aa gaye, koyi usske sar thapthapa, koyi usske peeth par haatyh ferrta, koyi ussko paani deta, sab ussko shant karaane mein lage hue tha…. Mehboob bhi wahin tha, aur wo bhi Abhi ko support karne ka dhong kar raha tha….. Abhi khud ko rokne ki koshish mein laga hua tha magar nahin kar paa raha tha, rona ruk hi nahin raha tha usska

Koyi 30 mins baad Abhi chhup hua aur jo kaam karna baaki tha uss mein lag gaya phir bhi baar baar ro deta tha kaam karte hue…. Pata nahin kia kia soch soch kar rone lagta…..

Aur aayi wo waqt jo Abhi ke liye kayamat se kum nahin tha….

To be continued in the next post immediately….
Update 38 Ruhi Leaves – Completion Of The Bus

Ruhi aur baaki ke jaane wale log ghar se nikle; usski badi behen, behnoy, unnke do bache….. Ruhi bus ke paas se guzarte hue teen baar bus ke andar Abhi ko dhunda apne nazron se… bus mein karib 10 log the uss waqt to Ruhi ko dhundna para, aur jab usski nazar Abhi par pari to ussne turant sar niche jhuka liya. Usski haath mein ek halki si bag thi aur kaandhe par usskki handbag.... Abhi se dekha nahin jaa raha tha, usske dil par uss waqt kia guzar raha tha bayaan karna mushkil tha….

Ruhi ki badi behen aur behnoy bachchon ke saath ruk gaye kissi se baat karne ko, aur Ruhi apni cousin ke ghar tak reach hui thi aur ruk kar apne badi behen ka wait karne lagi…. Uss waqt Ruhi ki nazrein bus mein Abhi ko dhund rahe the; aur Abhi ne khud ko sunil ke piche chhupaye hue Ruhi ko dekh raha tha, Sunil ne kaha,

“Abhi wo tumko dhund rahi hai saamne to aa!”

Abhi ne Sunil ke piche se kaha,

“kia faeda yaar?!”

Sunil: “are yaar kia pata ussko kuch kehna hai idhar aa”

Aur Sunil hatt gaya taake Ruhi Abhi ko dekh sake, ab donon aamne saamne the… Abhi ka chehra utra hua tha, aankhen sujh gaye, saaf dikh raha tha… Ruhi bahot udaas chehre se Abhi ke chehre mein dekhti rahi, phir Ruhi se dekha nah gaya, ussne aasmaan mein dekha, phir nazrein niche kar liya aur usske aansoo behne lage Abhi ke liye…. Abhi Ruhi ko nahin dekh paa raha tha agar dekhta rehta to khud rone lagta to Abhi ne chehre mudh liya, aur khud ko phir se Sunil ke piche kar liya tab dekha Ruhi ke taraf to dekha ke Ruhi ussko phir dhund rahi hai rote hue….. Abhi ne sunil se pucha,

“main jaun uss se puchne ke ab kyun ro rahi hai jab mujhko thukda diya?!”

Sunil ne kaha,

“haan ja, ja Abhi aur thoda suna de ussko jaane se pehle”

Aur Abhi bus ke piche wale door se jump mara aur Ruhi ke paas pahuncha, Ruhi ne apna chehra dusri taraf mod liya jab dekha ke Abhi usske taraf badh raha hai….

Sirf koyi 3 minats mila Abhi ko Ruhi se baat karne ki kyunke tab tak Ruhi ki behen aur behnoy ne dekh liya ke Abhi Ruhi ke paas gaya hai to weh log badhne lage donon ke taraf aur Ruhi ki maa bhi aane lagi thi Abhi aur Ruhi ke taraf…… jo Abhi ne kiya uss waqt kissi ne bhi socha nahin tha ke wo sabke saamne open mein weisa karega… aur Ruhi ne bhi virodh nahin kiya aur Abhi ko karne diya jo wo karna chahta tha, magar sirf 3 minat mein sab hua…. Aisa laga ke jaise 3 seconds mein sab kuch ho gaya jaise ek pal mein sab hua….

Abhi ne pehle Ruhi ka haath thaama, wo ro rahi thi, bina kuch kahe Abhi ne Ruhi ke donon bazu ko usski bag sameth apne kaandhe par kiya, Ruhi ne apne baahon ko lapet liya Abhi ke kaandhe par aur Abhi ne ruhi se kaha,

“I want to hug you for a last time, don’t stop me please, send all others to hell, live this moment for me for a last time I beg of you Ruhi, if you ever loved me for one second don’t stop me….”

Ruhi roti gayi aur Abhi ne Ruhi ko zor se apne baahon mein jakra, aur bus se aur Ruhi ke family members se peeth kar liya Ruhi ko baahon mein jakre hue aur Ruhi ke thudi ko apne chehre ke taraf uthaya Abhi ne, uss pal ko Ruhi ne khudko completely samarpan kar diya Abhi ko aur apne aakhon ko band kar liya…. Ruhi ke aansoowon ne behte hue usski gaal par ek lakeer jaise khinch chuki thi, Abhi ne Ruhi ke honton par apna honth rakha aur donon ne ek dusre ko kiss kiya sare aam sabke saamne, yahan tak ke main road se koyi jaa raha tha to sab dekha hoga ke ek ladka aur ladki khada kiss kar rahe hein…..

Magar ek baat thi, buss mein se kissi ko wo kiss nazar nahin ayaa nah hi Ruhi ke kissi bhi parent ko kiss karte hue dikhe. Wo iss liye ke Abhi oonche kad ka tha aur ussne peeth kar liya tha unn sab logon se aur usska sar jhuka hua tha Ruhi ke chehre par buss piche se sirf aisa lag raha tha ke Abhi Ruhi ko baahon mein bhar ke hug kar raha hai…..

Kiss karte waqt Abhi ke munh mein Ruhi ke aansoo bhi jaa rahe the aur ussko namkeen taste ho raha tha aur Ruhi Abhi ke aanso taste kar rahi thi, donon ek dusre ke aansoo pee rahe the uss pal ko….Abhi ne unn sab ke paas aate hue kadmon ko sun raha tha to jaise jaise unn sab ke chalte hue kadam paas aane lage to Abhi ne kiss rok diya, aur sab saamne aaye to donon sirf ek dusre ke baahon meikn jakre hue the….

Jiss waqt Ruhi ka jeeb Abhi ke munh mein agaya tha, Ruhi ka rona stop ho gaya tha bilkool, aur wo Abhi ka kiss enjoy karne lagi thi aur ussne khud Abhi ko apne baahon mein bhar liya tha.

Magar jab Ruhi ki badi behen paas aagayi, aur Ruhi ki ma bhi paas aayi aur kaha,

“Ruhi tu itni besharam kaise ho sakti hai chorr ussko!”

Ruhi jaise kuch nahin sunn rahi thi, aur usske aankhon se phir aansoo behne lage to Abhi ne usske chehre mein dekhte hue dhire se kaha,

“This was your Christmas gift, you will remember this on ALL the next Christmas which will come in your life, and I know that you love me a lot but something is hindering you to accept my love… do not forget you will receive a new year card from me before the new year, I will no longer be here after today, its my last day here…. So please be back before 30th to receive my letter with the postman. I love you and will always do till the end of my life never forget that. Even if you get married to someone else my love for you will remain the same – even if I get married to someone else still my love for you will NEVER change, always remember this Ruhi. Farewell my love, don’t know if I will ever see you again, but I pray I do! Bye Ruhi”

Jab Abhi apna last, line bol raha tha usske aankkhon se thamne ka naam nahin le raha tha, abi ke honth thartharaa rahe the aur ruhi bhi jhar jhar behte aansoo se Abhi ke chehre mein dekhte hue ussko sun rahi thi…. Aur usski badi behen donon ke baahon ko ek dusre se chhurra rahi thi yeh kehte hue,

“chorro nah ek dusre ko dekho sab log dekh rahe hein kyun aise tamasha bana rahe ho tum donon!!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“kia film ki shooting chal rahi hai yahan?!”

Aur Ruhi boli… Abhi ne nahin socha tha ke wo kuch jawaab degi; Ruhi ne apne aankh ko ponchte hue apni maa ko ek teerchi nazar se dekhte hue kaha,

“haan shooting chal rahi thi, aap ne nahin dekha?!”

Tab tak donon ek dusre ke baahon se alag ho gaye the magar donon ek dusre ke nazron ki gehraayi mein dekh rahe the aur phir Ruhi ki aankhen bhar aayi aur kaampte hue honthon se Ruhi ne bilak bilak kar Abhi se kaha,

“Bye Abhi, merry Christmas and happy new year to you, and I am really very very sorry for you, my heart will cry for you Abhi bye I am going Abhi!!”

Ruhi bahot zor se rote hue chal kar main road ke taraf badhi aur Abhi wahin baith gaya zameen par rote hue apne chehre ko apne haath mein thaam kar, aur jab bhi Ruhi mudhkar Abhi ko dekhti to wo aur zor se roti gayi….

Abhi ko aisa feel ho raha tha ke Ruhi bhaag kar wapas usske paas aegi, Abhi soch raha tha ke kyun Ruhi weisa nahin kar rahi, Abhi last moment tak ek aas lagaaye baitha raha ke Ruhi wapas aegi, nahin jaegi apne behen ke saath…. Magar Abhi ne tab khud se kaha ke yeh kissi movie ki climax scene nahin hai jo Ruhi bhaag kar usske paas wapas aati, yeh hakikat tha, aur Ruhi bilkool wapas nahin aayi balke chali gayi bus mein apni behen ke saath, usske ghar jisska pata Abhi ko bilkool nahin tha….

Abhi ne tab socha ke jaan bujh kar usske ghar walon ne ussko kaahin aur bhej diya varna Ruhi tut jaati Abhi ke pyar mein, agar wo yaha rehti to Abhi ussko convince kar leta aur sabko mana leta haan karne ke liye…..

Abhi kaam nahin kar paa raha tha, ussne Saeed se kaha ke ussko rest lena hoga wo kamzor feel karne laga tha, to saeed ne ussko jaa kar bus ke andar ek seat par araam karne ko kaha.

Sunil ne pucha,

“Abhi usske pita ne ki kaha tumse? Tum uss se baat karne gaye the nah kuch der pehle?”

Abhi ne apne sar ko thaame hue dabe awaaz mein jawaab diya,

“Ruhi ko apne saath lekar jaega S.Arabia”

Sunil ne kaha,

“namumkin, nahin ho sakta, jhoot kaha uss ne tumse.”

Abhi:”mujhe pata hai sab jhoot kaha yaar, kal usski maa ne yeh sab kaha tha mujhe, issi liye kal mujhe nahin milne diya Ruhi ke baap se taake weh log ussko seekha sake ke ussko kia bolna hai mujhe. Matlab saaf hai ke mujhko inkaar karna tha so kar diya sab ne Ruhi ke ilawa!!! Agar Ruhi mujhse pyar nahin karti to abhi uss tarah se mujhse sabke saamne lipat kar nahin roti, mujhe kiss nahin karti open mein aise!”

Tab sunil ne kaha,

“Ek baat bolun bhai, yeh family aise hi hein, khaas kar Ruhi ki maa, mere time mein bhi usne yehi kiya tha, yahan se Ruhi ki behen ko bhej diya tha apni nani ke yahan, usska mangitar uss se wahan milne jata tha yahan nahin…. Ruhi ki maa kissi par bharosa nahin karti, ussko darr thi ke kahin main Ruhi ki behen ko uda na le jaun kabhi! Ab dekho ussne tumse Ruhi ko bhi alag kar diya, yahan se door kar diya taake tum ussko aur nah apne pyar mein jakar sako. Isska matlab saaf hai ke Ruhi tumse pyar karti hai aur ghar mein Ruhi ne awaaz uthaayi hogi aur kaha hoga ke wo tumse shaadi karegi issi liye usski maa ne usko yahan se hatta diya!”

Baithe baithe Abhi Ruhi ko yaad karte hue phir rone laga…. Saeed ne aur baaki ke logon ne dekha, sab udaas the, sabko khush hona chahiye ta kyunke aakhri din tha kaam par, sab Khushi ke saath finish karna tha magar Abhi ke rone se, aur Ruhi ke chale jaane se ek maatam jaisa chhah gaya tha wahan….. jiss din se uss bus mein kaam shuru hua uss din se Abhi Ruhi ki love story shuru hui…. Jaise jaise bus banta gaya weise weise Abhi Ruhi ka pyar badhta gaya bus ke saath… hona yeh chahiye the ke jab bus ban gayi tab Abhi aur Ruhi ki mangni ya shaadi honi chahiye the matlab donon ka pyar official hona chahiye tha – yeh Abhi ne aisa hi likha tha apne diary mein.

Saeed ne Abhi ko phir rote suna to kaha, “Abhi phir se? are ruk ja dekh sab log tumko dekh rahe rahe hein, idhar aa meri madad kar issko fix karne mein… yaar aaj bhi late raat tak kaam karna hai kia, chal aa khatam karte hein nah!”

Mehboob ne kaha,

“are mujhe nahin pata tha tu to bada rotlu nikla Abhi, main tujhe mard samajhta tha!”

Abhi ko Mehboob se nafrat ho gaya tha jab se Ruhi ne ussko bataya tha ke wo usske pyar ke khilaaf hai, to Mehboob ko Abhi ne jawaab diya,

“kyun mard ko dard nahin hota? Mard ke aansoo nahin hote to ankhen fodh dena chahiye bina aansoo ke aankh hein to!!”

Ruhi chali gayi, Abhi ki khushiyon ko apne saath lekar, aur chorr gayi thi Abhi ke liye, dard, udaasi, gham, tanhaayi, akelapan, aur aansoo.

Abhi ko kaam jaari rakhna tha aur asaan nahin tha usske liye uss haal mein kaam karna, uss haalaat ko face karna…. Abhi ne khud ko bahot mushkilon se sambhaalte hue apne kaam mein dhyan diya, kaam karna shuru to kiya magar reh reh kar Ruhi ki yaadon mein chalajata aur achanak se ro padhta…. Ussne uss din ko achanak yaad kiya jiss din Ruhi ke chaati mein apne sar daalkar usski khushbhoo sungh raha tha, ab bhi ussko Ruhi ki wo khushbhoo mehek rahe the… hamara zehen bhi ajib o gharib computer hai jo sab apne memory mein save rakhta hai yahan tak ke ek khushbhoo jo kitne din piche naak se sungh kar zehen mein gaya tha aaj bhi yaad karne se wo khushbhoo yaad ata hai…. Sirf Ruhi ki jism ki uss khushbhoo ko yaad karke Abhi ro baitha…. Phir sambhala khudko aur kaam karne laga…..

Ruhi ki maa ko afsos ho raha tha Abhi ke liye. Wo abhi ko kaafi der se dekh rahi thi, aur wo khud emotional ho gayi thi Abhi ko dekh kar aur usske dard ko samajh kar…. wo jaanti thi ke Abhi iss waqt kiss dard se guzar raha hoga…..

Shaam ke 6 baj chuke the, kaam jaari tha, Ruhi ki maa ne Abhi se pucha,

“Naaraaz ho?

Abhi ne kaha,

“bilkool nahin, udaas hoon haan, ghum mein dooba hua hoon haan magar naraz nahin hoon”

Aur Ruhi ki maa ne kuch aise baatein kahe Abhi se jiss se Abhi ko thoda sukoon mila, ussko ek umeed ki kiran phir se dikhaayi diye…

Ruhi ki maa ne kaha,

“Hum ne khaas kar iss liye aap ki proposal ko accept nahin kiya kyun ke aap jo kaam kar rahe ho yeh permanent kaam nahin hai, yeh kaam aaj hai to kal nahin, aaj yahan se kaam end hoga to kia karoge? Jab tak dusra kaam nahin milta bekaar rahoge nah? issi liye! Mere cousins aur nephews hein jo yeh kaam karte hein aur aksar bekaar rehte hein, unemployed hein, mujhe apni Ruhi ki fikar hai Abhi.”

Abhi ne heirat se ussko dekha aur kaha,

“Oh my God! Yehi vajah thi ki aap ne accept nahin kiya?”

Ruhi ki maa: “haan Abhi buss issi liye”

Abhi ke dimaagh mein kuch chal raha tha uss waqt aur ussne pucha,

“Aur agar main kal koyi aur behtar kaam kar raha hunga tab?!”

Ruhi ki maa: “dekho Abhi, kal ko agar tum koyi behtar kaam kar rahe ho aur tab tak Ruhi ki shadi nahin hui hogi tab hum zaroor consider karenge tumhare proposal ko!”

Abhi ko bahot araam mila aur pucha,

“Ruhi aaj wapas nahin aegi?”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Nahin wo apne chacha ke ghar rahegi aur supermarket mein help karegi kyunke tumko pata hi hoga ke sheher mein kitne bhidh baadh hote hein Christmas aur new year ke mauke par, late night shopping hote hein to kaam bahut ziada hote hein to Ruhi help karegi apne chacha ko, Manoj bhi wahin kaam karta hai nah har roz…”

Abhi ne yaad kiya ke haan ek baar Manoj ne usse bataya tha ke wo ek supermarket mein kaam karta hai, ek chhota sa self service tha naam tha supermarket. To Abhi ne pucha,

“To Ruhi kab ghar wapas aegi ab?”

Jawaab diya usski maa ne,

“Sunday ko aegi, magar New Year ko wahin rahegi shayad.”

Abhi ne tab pucha,

“Aur wo supermarket kidhar hai exactly?”

Ruhi ki maa ne exact address de diya ke Royal cinema ke paas hai….

Ab wo sheher Abhi ke ghar se ziada door nahin tha aur Abhi udhar aksar jata tha aur ussko exactly pata tha royal cinema kahan hai kyunke uss cinema hall mein Abhi kayi baar movie dekhne gaya hai, Abhi uss jagah ko bahot achhi tarah pehchaanta tha…

Abhi ne socha ke kyun Ruhi ki maa ne ussko saare information de diye Ruhi ke baare mein ke kahan reh rahi hai, kahan supermarket hai, matlab wo chahti hai ke abhi uss se udhar milne jaaye…. Jab usski beti aur Abhi milkar rone lage the to uss se dekha nah gaya aur shayad ab pachta rahi thi donon ko juda karke aur ab chahhti thi ke Abhi uss se udhar jaa kar mile….

Abhi bahot khush hua aur ab relax feel karne laga tha. To phir Abhi ab normal kaam karne laga.

Aaj bhi kal raat ki tarah Mehboob ke ghar dinner kiya gaya. Abhi kitna chahta tha ke Ruhi wahan hoti, kal bhi raat ko dinner kiye the sab to Ruhi nahin thi aur aaj bhi nahin hai….

Jab Abhi washroom jaa raha tha wash karne dinner se pehle to Mahesh ne Abhi ko awaaz diya,

“hey Abhi?!”

Abhi ne mudhkar dekha to Mahesh ne kaha,

“udhar andhera hai idhar aao hamare kitchen ke basin ke paas haath dho lo”

Magar Abhi ne kaha ke thik hai chalta hai, par Mahesh ne zid kiya ke wo wahan aakar haath dhoe… to Abhi gaya Ruhi ki kitchen mein aaj dusri baar gaya tha, magar aaj Ruhi ke bina gaya tha wahan… basin ke paas saboon se apne haath dhoya Abhi ne, aur khayaalon mein sochne laga ke kitne baar ussne Ruhi ko uss basin ke paas bartan dhote hue dekha hai… kitna khush hota wo agar aaj Ruhi yahin hoti, to kitni khush wo bhi hoti Abhi ko apne kitchen mein ek baar aur dekh kar….

Haath dhone ke baad Abhi ne uss table ko kiss kiya aur table se baat kiya, ek sandesha chorra Abhi ne uss table se ke wo Ruhi ko bata de ke Abhi aya tha idhar aur ussko kiss send kiya hai.

Dinner ke baad kaam chalu raha aur Abhi Ruhi ko bahot miss karne laga…. Raton mein iskh ka bhoot ziada chadhta hai, kal raat bhi Ruhi nahin thi aaj bhi nahin aur Abhi par ishk ka bhoot sawaar tha…tadap raha tha wo Ruhi ko yaad karte hue….

Jab se Abhi Christmas eve ki night celebrate karna shuru kiya hai doston ke beech aaj pehli baar tha ke iss raat ko Abhi kaam kar raha tha jiss waqt ussko sheher mein ghumna, mauj masti karna chahiye tha…. aur Abhi ne socha iss waqt Ruhi supermarket mein hogi kyunke late night shopping hota tha iss raat ko….

Raat ko 12 baje kaam finish hua… bus COMPLETE HO GAYA… aur start kiya gaya aur khud Mehboob ne drive kiya… George saath tha, sunil, aur baaki ke sab saath the bus mein….

Abhi ne Rahima ke paas ek message chorra Ruhi ke liye, Abhi ne Rahima se kaha,

“pleae Ruhi ko mera sandesha pahucha dena, kehna ke main ne ussko merry xmas wish kiya aur kehna ke jaise ke ussne mujhe kaha main bahot patience rakhunga”

Manoj wapas agaya tha kaam se, aur wo bhi bus mein aya. Abhi ko aur 40 bus ke photos diye…., Abhi ne ussko pay kiya… Aur road par bus ki kayi aur photos liya ussne jo Abhi ko baad mein dega ussne kaha.

Mehboob khud drive karte hue Abhi ke team ko wapas ghar chorrne ja raha tha, bus almost bhara hua tha, bus mein Rahima, Farzina, Reza, sunil, George, sunil ka assistant, Manoj, Mahesh, George ka apprentice, aur Reza ke behnein bhare hue the Sirf Ruhi ki kami thi bus mein…. Kamaal hai Abhi ne socha, agar aaj wo hoti to wo bhi saath baithti Abhi ke saath bus mein wahan se 40 kms tak drive karte hue Abhi ke ghar tak jaati aur Abhi ka ghar bhi dekh leti….. magar afsos!

Jab bus Abhi ke ghar ke saamne ruka to Mehboob aur Reza ne kaha

“Achah to Abhi yahan rehta hai wo raha usska ghar… hmmm!!”

Subha ke 1 baj chuka tha jab Abhi ne apna diary khola aur likhna shuru kiya….. phir sone gaya to usska takiya bheeg gaya itna wo ro raha tha Ruhi ko sochte hue ……

To be continued….. (5700 words from both updates)
in updates se kuch aise baatein samne aayi hai ek sayad ruhi bewafa nahi thi...
do. ruhi ki mom kuch chupa rahi hai.. last mein abhinav, ek Sachha aashiq hai... apne pyar respect karta hain.. chahe woh shath rahen ya naa rahen...
Khair......(Btw yeh dinner mein kya kya recipes thi aur dessert kya tha..:eating: )
Let's see what happens next
Brilliant update casi sir.... Great going :applause: :applause:


 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 39 Christmas Day And After

Subha 6 baje Abhi ki neend tut gayi aur wo bechain feel kar raha tha. Ussne apne diary liya aur beete dinon ko padhne laga jo ussne Ruhi ki aangan mein guzare the. Abhi ne apne diary ko aaj lock kiya apne drawer mein.

Baad mein Abhi gaya apne close ke sheher aur ghar mein sabke liye gifts kharida aur wapas ghar aakar sabko gifts diya to Naina aur Abhi ki maa ne sab bataane ko kaha ke kia hua Ruhi ke saath kal. Abhi nahin batana chahta tha aur apni diary ko lock kar diya tha apne drawer mein to Naina ne nahin padha tha.

Aakhir mein Abhi ne ne sab bataya apni maa aur Naina ko. To naina ne ussko uss sheher mein jaane ko kaha jahan Ruhi ke chacha ka supermarket tha.

Aur haan Abhi gaya….. Uss sheher mein Abhi ne bahot waqt guzaare the doston ke saath aur wahan ke tamaan jagahon ko pehchaanta tha iss liye ussko dhundne mein bilkool time nahin laga Ruhi ke chacha ka supermarket ko.

Andar gaya uss se mila. Wo tha Ganpat. Abhi ne pucha kia wo Manoj ka chacha hai, to ussne haan kaha aur donon ne koyi 10 minat tak baat kiye. Kyunke Abhi ne Manoj, Mahesh, Ruhi ka naam lete hue baat kiya to chacha samajh gaya ke wo sabhi ko jaanta hai so uss ne khul kar baat kiya Abhi se.

Abhi ne uss se pucha ke wo akele kyun hai, aur worker hone chahiye the to ussne jawaab diya ke public holiday hai, to aaj ziada kaam nahin hai, kal raat ko bahot bhid tha to Manoj aur usski behen usske saath the raat ko barah baje tak…..

Abhi wapas ghar agaya kyunke wahan Ruhi nahin dikhi. Ussko jagah ka pata to chal gaya ab kabhi bhi jaa sakta hai ussne soch liya tha.

Ghar par Abhi sirf Ruhi ki yaadon mein khoya raha din bhar, unn haseen lamhon ko soch raha tha jo ussne Ruhi ke saath bitaaye the…. Ruhi ki yaadein chorr hi nahin raha tha ussko bilkool. Ruhi ki muskurahat, usski Abhi ka jeeb se chedhna, usski awaaz sab Abhi ko yaad arahe the… laakh koshish ke baad bhi usske dimaagh se wo hatt hi nahin rahe the…

Pichle der mahinon tak lagataar kaam karne gaya tha Abhi, ek din bhi rest nahin kiya tha, bahot thakaan tha to din mein bed par rest kar raha tha ke aankh lag gayi aur 6 ghante tak sota raha, aur raat ke 8 baje sokar utha…. Sapnon mein Ruhi ko dekha.

Dekha ke Ruhi ussko bula rahi hai, muskura rahi hai aur keh rahi ke ke kyun ussko akeli chorr kar chala gaya Abhi. Ruhi phir rone lagi aur apni maa ke seene se lag kar keh rahi hai ke Abhi ne ussko chorr diya, uss se Abhi ko wapas bulaane ko keh rahi hai rote hue….

Abhi ne socha kia pata sach mein Ruhi ussko yaad kar rahi hogi aur chah rahi hogi ke Abhi wapas uss se milne aaye….

Abhi ne soch liya ke kal phir jaega Wahan uss supermarket mein Ruhi se milne, ya iss baar puchne ke Ruhi kidhar hai…. Uss se milna hai usse….

Abhi ne likha apne diary mein….

“I ask myself how to forget her? How to forget those days, those moments? The words she spoke, her laughs, her voice, her tears, her behaviour….. She is a part of me now. How to forget a part of myself? It’s impossible. I CAN’T. I CAN’T. I am suffering. My heart is aching, it’s torn to pieces. I want to see her, to talk to her, to hold her in my arms, to smell her. I want to see her smile, I want to see her laughs, to hear her sweet voice, to see her pretty face… oh God help me please….”

Aur dusre din ko Abhi phir gaya uss supermarket ke taraf…. Magar jaane se pehle Abhi ne uss kitab ko liya jo Ruhi ne ussko wapas kiya tha kal… kitab ke pannon ko aise hi palatte hue Abhi ko ek chota sa kagaz ka tudka mila jiss par Ruhi ne kuch likha tha….

Always Sincere love are memorable

But don’t know why fate does not want me to be

Happy.

In the end I always lose. signed -R.N.

Abhi ke naam par likha tha Ruhi ne. Ussko padh kar Abhi bahot khush hua kuch pal ke liye; magar turant baad Ruhi ko bahot miss karne laga, uss se milne ke liye Abhi machal gaya aur jaane ke liye tayaar hua…. Radio par yeh gana baj raha tha jo Abhi ke situation ko suit kar raha tha,

“Har subha bahot yaad ata hai

Har shaam bahot yaad ata hai

Koyi naam, koyi naam, koyi naam

Bahot yaad ata hai….”

Abhi tayaar hua aur dil mein Ruhi ko basaaye; gaya uss sheher mein.

Supermarket ke paas reach hua to baahar se hi Abhi ne dekha ke Manoj newspaper padh raha hai, aur usska baap bhi wahan baitha hua hai…. Magar Ruhi wahan nahin thi…. Abhi andar nahin gaya, baahar se hi mudh gaya…. Aur aise hi sheher mein ghumta raha ghanton bhar iss umeed se ke kia pata Ruhi dikh jaaye ussko….

Koyi ek ghante baad Abhi wapas gaya supermarket ke paas aur ek aurat dikha counter ke uss taraf wahan…. Abhi andar ghussa aur uss aurat se pucha,

“kia aap Manoj ki chachi ho?!”

Uss aurat ne kaha, haan wohi Manoj ki chachi matlab Ganpat ki wife hai…

To Abhi ne uss se Ruhi ke baare mein pucha, to ussne kaha ke haan Ruhi ussi ke ghar reh rahi hai magar Abhi kyun wo sab puch raha hai uss aurat ne pucha… Aur Abhi ko sab kuch batana para….

Abhi ne jab sab kuch usske aur Ruhi ke baare mein bata diya to sandesha bheja Ruhi ke liye usski chachi se, kaha ke Ruhi se keh dena mujhe ussko dekhne ki bahot tamanna thi isi liye idhar aya hoon….. itna keh hi raha tha ke Manoj daakhil hua andar Shweta ke saath…. Shweta ussi aurat ki beti thi matlab wohi Ganpat chacha tha jisski beti Shweta hai, aur Manoj ne Abhi ko usski chachi se Ruhi ke baare mein baat karte hue sunkar muskuraya apni chachi ke taraf dekh kar, aur Shweta ne zor se wohi, “Abbhhhiiiiiiii” kehte hue Abhi ke gale mein jhul gayi aur usski maa dekhti reh gayi…

Shweta ki maa ne kaha,

“Shweta tum kaise jaante ho issko?!”

Shweta: “Mummy yeh wahan kaam karta tha nah, jahan Ruhi rehti hai, to main mila tha Abhi se mera friend hai Abhi”

Jiss nazar se Ruhi ki chachi dekh rahi thi Abhi ko laga ke ussko passand nahin araha tha ke Abhi ne usski beti ko liya hua hai to Abhi ne Shweta ko niche utaar diya, aur ussko ek kissy dekar jaane laga to Shweta ne kaha,

“Abhi main new year ko wahan aungi tab aap se milungi wahan….”

Abhi ke aankhen bhar aaye aur mudhkar Shweta se kaha,

“Baby ab main tumko wahan nahin dikhunga kabhi bhi!”

Shweta bechari kia samjhegi ke bus ka kaam khatam ho gaya to Abhi ka wahan jana bhi khatam hua….

Shweta ne pucha,

“kyun? New year ko aap wahan nahin aoge Ruhi di se nahin miloge aap New Year ko?”

Abhi nah mein sar hillate hue nikal gaya wahan se…. aur aansoo ponchte hue gaya bus lene, ghar wapas jaane ko.

Abhi ne address pucha tha Ruhi ki chachi ki to sirf ek road ka naam diya tha ussne Abhi ko. Abhi ke liye wo kaafi tha kyunke wo uss road ko jaanta tha ke kidhar hai, aur Abhi ne soch liya tha ke uss road mein jab Ganpat Nunhuck ko talaash karega to logon se pata chal jaega ke usska ghar kidhar hai aur wo Ruhi se mil paega.

Dusre din subha ko, Abhi ne sabse pehle apne penfriends ke khaton ka reply likha, pichle der mahine se ussne kissi ko koyi jawaab nahin diya tha, France ki Pascale aur Scotland ki Jennifer ko reply likha ussne, aur local ke do ladkiyon ko bhi reply kiya Abhi ne aur gaya post office letters ko post karne.

Tab Abhi gaya Ruhi ki talaash karne uss sheher ki uss road mein jo Ruhi ki chachi ne bataayi thi Abhi ko. Pehle Abhi gaya supermarket ke paas aur baahhar se Manoj aur usske chacha ko dekha andar, kuch der wait kiya ke kahin Ruhi idhar udhar to nahin hai, aadhe ghante tak wait karne ke baad jab Ruhi nahin dikhi to uss road mein gaya Abhi dhundne Ruhi ke chacha ke ghar ko. Jiss road ka naam kal Usski chachi ne diya tha wo road 5 kilometres ki lambaayi thi, ab uss mein kiss taraf wo ghar tha wo dhundna asaan kaam nahin tha magar Abhi ne thaan liya tha to shuru kiya ussne road ke start se ek ek kar ke logon se puchta gaya ke Ganputh Nunhuck ka ghar kidhar hai….. kissi ko pata nahin tha….. shaam ke 1 baje se shaam 6 baje tak Abhi ne pura road paidal chal kar puch liya magar kissi ko nahin pata tha ke koyi Anirud Nunhuck naam ka rehta tha udhar…. 6 ghanton tak chalte chalte Abhi ke peyron mein dard ho gaye the, wo bilkool mayus ho gaya tha aur samajh gaya ke uss aurat ne jhoot bola hoga uss se….. ab itni badi sheher mein kidhar rehte honge wo log Abhi ko kaise pata chalta?...

Thaka haara Abhi ghar wapas pahuncha bina kissi result ke…..

Diary mein likha ke apni life mein aaj pehli baar Abhi ne 5 ghanton tak chal kar kissi ki ghar ko dhunda aur ghar mila hi nahin…. Ruhi ki yaad ussko satata gaya…

Agle din Sunday tha aur Abhi gaya supermarket mein aur khud Ruhi ke chacha se mila aur pucha ke wo rehta kidhar hai, aur ussne ek dusre road ka naam diya!! Abhi dang reh gaya…. Usski wife ne jhoot bola tha Abhi se.

Ab jiss road ka naam Ruhi ke chacha ne diya uss road mein Abhi ka ek purana dost rehta tha to Abhi gaya direct uss dost ke ghar aur pucha ke kia wo uss supermarket ki owner ka ghar janta hai jisski wife ek nurse hai…. Dost ne kaha haan usske ghar se 5 ghar ki doorie par tha usska ghar, matlab Ganputh Nunhuck ka ghar.

Abhi ne ek lambi saanss chorra aur uss dost ne chal kar Abhi ko chorra Ruhi ke chachi ke ghar ke saamne.

Abhi gaya aur darwaza khatkhathaya. Bada ghar tha full concrete ka aur 2 manzilon wala tha.

Abhi dil hi dil mein soch raha tha ke kitna achha hota ke Ruhi ki chachi iss waqt hospital gayi hogi, aur Ruhi aur Shweta akeli hogi ghar mein to Abhi kitna haseen time guzarega Ruhi ke saath, Abhi ne soch liya ke aaj to mauka nahin miss karega wo Ruhi ko bed par zaroor leytayega tab koyi ussko Ruhi ke saath shaadi karne se nahin rok paega…. Tarah tarah ke khayal arahe the Abhi ke dimaagh mein… ussne yeh bhi socha ke Ruhi ko agar ussne pregnant kar diya to majbooran usske parents ko accept karna padega donon ke shaadi karaane ke liye..

Abhi sochne laga ke jiss raat ko wo Ruhi ke ghar thehra tha aur Ruhi usske saath sex karna chahti thi to ussi raat ko Abhi ko Ruhi ko pregnant kar dena chahiye tha, to aaj koyi donon ko alag karne ka sochta bhi nahin…. Abhi pachta raha tha ke kyun ussne uss raat ko kuch nahin kiya tha Ruhi ke saath..

Teen baar darwaza khatkhatane par koyi nahin aya kholne to Abhi ek do kadam chal kar ghar ke dusri taraf dekhne laga ke Abhi ne kissi ko ghar ke andar chalte hue dekha, to wo phir gaya darwaze ke paas aur khatkhataya, to Ruhi ki chachi badi heyraani se Abhi ko dekhte hue darwaza ko unlock kiya aur kaha,

“Ji? Aap mere ghar tak agaye? Aap ko kaise pata chala main yahan rehti hoon?”

Wo Abhi ko ajeeb nazron se dekh rahi thi, ussko bilkool passand nahin tha ke Abhi usske yahan aa pahuncha hai.

Abhi baahar hi khada tha aur Abhi ne bolte hue ro diye tab shayad uss aurat ka dil pighla aur Abhi ko andar aane ko kaha….

Andar jaate hi Abhi ne Shweta ko stairs se niche utarte hue dekha aur wo jaldi se aakar Abhi ke gale mein jhul gayi firse, Abhi ke gaalon par kissy karte hue…. Shweta ki maa ne Abhi ko baithne ko kaha, Abhi sofe par baitha aur Shweta usske goad mein baithi.

Ruhi ki chachi ne ab muskuraate hue kaha,

“Shweta itna ghul mil gayi hai aap se kuch dinon ko wahan rehne gayi to? Bahot pyar karti hai aap se, jaise aap ki koyi rishtedar ya beti hai…. Mujhe taahjub hai kyunke yeh kissi se aise nahin ghulti milti hai bahot reserve hai yeh bachi kia jadoo kiya aap ne meri beti par?!”

Abhi ne seedha sawaal kiya,

“Aap Ruhi ko bulaayiye nah please!”

Chachi ne kaha,

“Wo to kal hi ghar wapas gayi, aap ek din late aaye ho.!”

Abhi ne ek haath se apne sar ko thaama aur ek lambi saans baahar chorra…. Aur ussne Shweta se pucha,

“chali gayi Ruhi sach?!”

Shweta ne kuch aisa expression diya jiss se Abhi ko laga ke Ruhi wahin thi kissi kamre mein aur chachi ne ussko baahar aane se mana kiya. Jab Abhi ne Shweta se pucha ke kia Ruhi sach mein chali gayi to Shweta ne nah haan kaha na nah, ussne Abhi ko dekha turant baad apni maa ke chehre mein dekha…. Iss liye Abhi ko thoda yakeen sa tha ke Ruhi wahin hai andar kissi kamre mein.

Magar Abhi ki jurat nahin thi ke wo kissi ajnabee ke ghar mein aya hai to ab usske ghar ke Kamron ko khol kar check kare ke Ruhi wahan hai ya nahin, aisa to nahin kar sakta tha nah Abhi.

Aur Ruhi ki chachi ne araam se pucha,

“Acha batao Abhi….. errrr Abhi naam hai nah aap ka?”

Abhi: “ji Abhinav naam hai sab Abhi hi bulaate hein, Ruhi bhi, Shweta bhi!”

Chachi muskuraayi, aur kaha,

“Okay thik hai Abhi aap mujhe sab kuch detail mein bataiye, shaayad main aap ki koyi madad kar sakun.”

Abhi ne bolna shuru kiya aur bolte bolte rone laga, khud ke aansowon ko rokna naamumkn tha…. chachi ji pighal gayi aur apni taraf se jo batana tha wo bataane lagi, magar bich mein Shweta ne Abhi ke aansoo ko poncha aur pucha ke kyun ro raha hai to Abhi ne shweta ko seene se laga kar kaha ke jab wo Ruhi ke yahan jaegi new Year ko to Ruhi ko bataaye ke wo Shweta ke ghar aya tha ussko dhudne aur Ruhi ko batana ke Abhi usske ghar Ruhi ke liye ro raha tha.

Tab chachi ne kaha, ke Shweta sach mein sab kuch bak degi Ruhi ke ghar jaa kar to Abhi ne kaha acha hi hoga agar Shweta ne wahan jaakar sab kuch bata diya to, Abhi wohi chahta tha.

Tab chachi ji ne Abhi ko bataya ke wo France wala ladke ki baat sach hai magar Ruhi ne ussko kabhi dekha hi nahin aur mili bhi nahin kabhi uss se, uss ladke ne Ruhi ko apni nani ke yahan ek baar dekha tha jab vacation ke liye apne ghar aya tha ek mahine ke liye, fir wapas France jaane ke baad uss ladke ne ape ghar khabar bheja ke Ruhi ke nani ke ghar jaakar bata dein ke Ruhi ko usske liye rakhein kyunke jab wo wapas aega to Ruhi ka haath mangne jaega…. Buss itna hi hua tha kuch ziada nahin…

To Abhi ne kaha ke shayad issi liye jab Ruhi ka baap aya to sab usske nani ke ghar gaye the uss ladke ke bare mein puchne ke kia wo serious hai ya nahin kyunke yahan Abhi usska haath mang raha hai aur agar uss ladke ne haan kaha hoga to Ruhi ko France jana behtar laga hoga to usska intezar karna ziada passand kiya hoga kia?

Chachi ne kaha ke nahin sach mein nani bimaar hai issi liye ussko sab dekhne gaye the kahin budhiya tapak nah jaaye!

Chachi ne pucha,

“To jo kuch aap ne mujhe bataya iss se yeh samajh rahi hoon ke weh log samajhte ho ke aap gharib ho, aur Ruhi aap ek saath khush nahin reh paegi….?”

Abhi ne jawaab diya,

“Main gharib family se hoon magar hum utna gharib bhi nahin ke ek shaadi ka kharcha nah utha sake ya ek Dulhan ko afford nah kar sake…. Ruhi ki maa kia samajhti hai ke main bhikari hoon kia? Mera ghar concrete ka hai usska ghar tin aur lakdi ka to kiss ki heysiyat kitni hui? Mere papa ke zameen hein jiss par ganne ke khet hein jab wo batwara karega to uss mein se mera hissa hoga jahan apna khud ka ghar bana paunga ek din… to main gharib kaise hua?”

Chachi ne tab kaha,

“Abhi to main aap ko advice karti hoon ke aap jao wahan, jo kuch aap ne mujhe bataya jaakar Ruhi ke papa ko batao. Ho sakta hai ke wo samajh rahe hein ke aap Ruhi ko khush nahin rakh paoge, jaakar batao ke aap ke papa ke khet hein, zameen hein aap ko hissa milega, unnko Khushi hogi, kyunke aap ke paas to zameen hein unnke paas to kuch bhi nahin apne bete betiyon ko dene ke liye to ap unn se bahot ziada behtar hue… aur aap se ek baat kehti hoon aap wahan kissi se kehna mat, RUHI KI MAA EK BAHOT LAALCHI AURAT HAI – Ussne hamesha paisa chaha hai ziada issi liye apne pati ko S. Arabia jaakar paisa kamaane ko kaha… shayad issi liye Ruhi ko France bhejna chahti hai usske liye sab araam dhanwalon ke paas hote hein usski buss chale to apni beti ke liye raja maharajawon ke rishte talaash kare wo… Ruhi agar aap se pyar karti hai to sirf usski maa hai jo aap ko Ruhi se alag kar rahi hai….”

Abhi khamosh suntaraha aur socha yeh do sister-in-laws ke jhamele mein kahan phanss gaya wo, samajh gaya ke donon sister in laws ke nahin bante honge. Phir chachi ji ne kaha,

“Abhi iss se pehle ke Ruhi ke papa wapas Arabia chala jaaye aap jaa kar uss se mil lo, wo January mein wapas jaa rahe hein.”

Abhi ne kaha,

“haan last day ko Khud Ruhi ke papa aur usski maa ne mujhse kaha ke Wo Ruhi ko apne saath lekar S.Arabia jaa rahe hein?!”

Chachi: “kiss ne aap se yeh baat pehle kaha? Pakka Ruhi ki maa ne kaha hoga han ya nah?!”

Abhi: “haan”

Chachi: “Aur kitne der baad yehi baat Ruhi ke papa ne aap se kaha?”

Abhi: “takriban 3 ghante baad”

Chachi: “Dekha nah? samajh gaye honge aap ke Ruhi ki maa sab control karti hai uss ghar mein, sabko wo chalaati hai, laalchi aurat hai, Ruhi ke papa ek bahot acha insaan hai, itna cool and khamosh type aadmi hai ke usski wife ussko control karti hai, uss ghar mein husband Ruhi ki maa hai aur wife hai Ruhi ke pita!”

Abhi:”wo to mujhe jiss din Ruhi ke papa aaye tabhi mujhe dikh gaya tha, kyunke wo henpeck husband laga mujhe kyunke wo wohi kehta aur karta jo Ruhi ki maa kehti thi.”

Chachi:”To samajh gaye aap ke Ruhi kabhi bhi apne pita ke saath nahin jaa rahi hai, ek baat batati hoon, ke Ruhi ke papa ne bahot pehle keh diya tha ke usski koyi bhi beti kabhi bhi desh ke baahar nahin jayenge, ussko bilkool nahin passand yeh, to yeh France wali baat bhi main jaanti hoon nahin badhne wali, iss liye aap ka chance bahot ziada hai kyunke aap yahin ka ho aur usske pita ko passand hai ke usske betiyan yahin rahe taake jab bhi weh chahe aapne maa baap se mil sake.”

Abhi ko yeh sunkar bahot achcha laga ke usska chances behtar aur ziada hai uss France wale Amit se!

Chachi ne phir kaha,

“Abhi aap milo Ruhi ke maa baap se aur kaho ke aap ke ghar dekhne aaye, sagaayi ya rishte ke liye nah sahi kehdo ke aise hi ek baar aaye aap ke ghar tab wapas apne ghar jaa kar decide karen ke aap usski beti ke liye sahi ho ya nahin!”

Abhi ne kaha ussko wohi karna hoga ab.

Thanks kiya chachi ko aur Shweta ko baahon mein bharke kissy kiye Abhi ne aur bye kiya donon ko Abhi.

Jab Abhi nikalne laga to chachi ne last line kaha apni,

“Aap ek sache lover ho Abhi, main ne aap ko ghalat address diya tha phir bhi aap ne sahi address ka pata laga liya aur chale aaye Ruhi ko yahan dhunte hue, yeh jaan kar mujhe pura yakeen ho gaya ke aap Ruhi ko kitna pyar karte ho aur wo aap ke saath jiwan bhar khush rahegi – yeh baat main khud Ruhi ke papa se kahungi, usski maa ko bhi bataungi yeh baat ke aap sahi ladka ho Ruhi ke liye, I will support you Abhi – agar aaj Ruhi nahin gayi hoti to main aap donon ko mila deti aaj hi. Main Ruhi se bhi baat karungi Abhi don’t worry. And I regret ke main ne ap ko uss din ghalat address diya dar assal wo meri maa ki address wahan main rehti thi shaadi se pehle, agar uss din sahi address diya hota to Friday ko aap Ruhi se yahin mil paate…. Very sorry Abhi but I am with you.”

Ruhi ki chachi se milke aur tamaam baton par ghaur karke Abhi ko bahot achcha laga aur ussko ek umeed ki kiran phir nazar aya, aur iss baar bahot strong feeling hua Abhi ko ke iss baar sab thik ho jaega usske aur Ruhi ke beech.

Kyunke Abhi ne last letter mein aur zubaani bhi keh diya tha Ruhi se ke wo ussko 31st December se pehle ek aur khat post karega, to ab soch liya ke ussi letter mein Ruhi ko yeh sab batayega ke wo usske ghar aega usske papa aur uss se milne.

To be continued…. (3812 words)
Hmmm chalo itne nirasha ke baad ek ummid ki kiran toh dikhi........ aww.... cute Shweta ne re-entry le li hain pe...
Kya sach mein ruhi ki mom lalchi hain... Maybe hon bhi sakti hain..

Let's see what happens next
Brilliant update casi sir..... Great going :applause: :applause:
 
Top