Woh isliye ho rha hai kyuki...tum bahut din baad padh rhe ho. Aise koi nhi batata smjh mein nhi aaye toh puch lenaNext time se put the update reference in the story agar kisi minor character ka jikra ho
And yes I'm still Waiting on my fails your fails![]()
Achaa mtlb challenge kar rahi ho, har update ke baad review dunga aur bilkul honest review dunga... Aur mujhe samajh naa aayi to padhunga hi nhi aageTumhe smjh aa jaye toh tum mere abse best reader![]()
Ofcourse bhulenge hi yrrr, 5-6 mahine baad update dogi to readers to bhul hi jayenge... aur haa jesa socha hua hai vese hi likhna bas jyada fancy mat bana dena...mujhe lagta hai kaafi time baad continue ke hai isliye bhul rhe hai details log...
Jyada jaldi bhi nhi aur jyada late bhi nhi, 8-10 din me de diya karo updatekoi nhi yaad aate jaynge updates ke saath. Agla likh hi rhe hoonkal tak aa jayega.
5 -6 ka ek saath de dena recent tak...ek ek kar reply karne mein mera time bhi jayega. Uske baad har update pe bhi de skte hoAchaa mtlb challenge kar rahi ho, har update ke baad review dunga aur bilkul honest review dunga... Aur mujhe samajh naa aayi to padhunga hi nhi aage![]()
Fancy...that would be an understatement. Upar tags dekho war hai? War kabhi padha bhi hai tumne kisi story mein. I mean ek character nhi...full armies...iss season ke end mein hai ek!Ofcourse bhulenge hi yrrr, 5-6 mahine baad update dogi to readers to bhul hi jayenge... aur haa jesa socha hua hai vese hi likhna bas jyada fancy mat bana dena...
/Lol. Itna late nhi karte mein...3-4 din mein ek se dete thi.Jyada jaldi bhi nhi aur jyada late bhi nhi, 8-10 din me de diya karo update
Bohoti sardar lajawab updateChapter 26
Envy
Anantrajya se meelon dur ek skyscraper ke chat mein ek chavi raat ke andhere mein khade hue the uske parchayi dusre buildings ke chaya mein raat mein jhilmila rhe the.
Teej hawa ke jhoka uske chere ke paas se kaat ke jaa rhe the. Upar se neeche dekhte hue usne apne coat mein time dekhne ke liye ek choti se ghadi nikale. Chaaron taraf pure shahar mein din dhal chuka tha, lekin usne samay dekha toh jab shabh ke 8 baje hue the. Uska kaam abhi adhura tha usse abhi bhi apne kaam ko uske anjaam tak le jaane ke liye jiske jarurat thi woh usse abhi tak nhi mila tha.
Ab uske wahan intezaar karne ka samay sampaat ho gya.
Apne ungli ko aage karte hue usne jaise hi hawa mein cheera uske anubhuti hue ki kuch toh gadbad hai. Uske aanke chaude ho gye. Bahar se kisne ne void ko kaat ko diya tha. Uske sword par toh Vasura ke paas the aur woh mara jaa chuka tha.
Uske sunhere aanke utsukta se bhar gye, ab shayad samay aa gya tha ke yahan se wapas chala jaye.
***
Karan ke maathe se pasine ke boondein tapak rhe the...saamne wraiths pure kashya mein baar baar uske nazaron se gyaab aur andhere le parchayion mein mil jate.
Unke peeche Vasura ab shaant khada hua tha, jo ke bas uske thakne ka intezaar kar rha tha. Uske liye yeh sab iktarafa saabit ho rha tha.
Karan kuch der pehle tak Vasura se ek baar bhid chuka tha, uske shakti kisi pe aadmi aur prani ke pare the, aur ab upar se uske yeh dono wraiths uske peeche se dono aur se hamla karte- iss ladai mein ab jitne ka koi sawal nhi tha ab bas kaise bhi karke yahan se Karan ko bachke nikalna tha.
Karan ek baar neeche jhukar apna stance theek kiya aur Meher ko apne kaskar apne haath mein pakda jisse wraiths ke upar agni ke roshini padne lage.
"Thak gye, Rajkumar?" Vasura ne mazaakiya awaaz mein pucha.
Karan ke apne muh ke paas se khoon pooncha aur halka sa muskkurya.
Agle hu pal saamne se Vasura gayab hua aur Karan ke paas teleport hote ki apne sword se se slash kiya.
Karan ke paas bachne ke liye samay nhi tha, Meher ko ko sword se bhidate hue usne apne ko peeche le jate hue khud ko jamane ke koshish ke. Dono ke takarne se fir se chaaron taraf ek shockwave daudi.
Dono wraiths ne mauka dekhar bina samay gavaye hamla kiya. Pehle wraith ne uske gale ke paas teze se apne paanjon se hamla kiya, Karan neeche jhuka, Meher ko apne dusre haath mein ghumate hue neeche se upar slash kiya. Wraith ke shadow ke body ke body se blade aar paar nikal gya jisse kuch der ke liye saamne wala wraith oojhal ho gya.
Itne mein neeche se dusre wraith ne uske pair ko apne panjon ke beech mein jakad liya. Karan ne neeche se ghumke apne upar se slash kiya. Itne mein peeche se Vasura ne mauka dekhar uske ribs pe vaar kiya. Karan ne apne instincts ke badolat Meher ko peeche le gya aur uske sword se clash kar gye. Dono viprit talwaarein fir se aapas mein takraye.
Karan ke saamne deewar par kick kiya aur Vasura ke peeche jake land kiya, aur Meher Vasura ke peenth ko cheerte hue nikal gye.
Dusra slash karne hi wala tha pehle wraith ne aake uske hathele ko jakad liya. Karan ne Meher ko apne haath se chorda, fir agle hi pal usko apne dusre haath mein jakada, aur uss wraith par ek downward slash kiya. Apne free hand se usne itne mein Vasura ke face se bhida de, jisse Vasura kuch pal ke liye peeche ho gya.
Dusra wraith ab tak Karan ke peeth se chipak gaya aur uske shadow uske pure taraf se dhakne lage, Vasura ke tarah Karan ne mehsoos kiya ke yeh bhi uske shakti ko keench skte hai aakhir hai toh yeh uske pratiroop hi.
"Masster...yeh mujhpar chordo do!!!" Inta bolte hi Karan ke pure nason mein lava jaise tapti agni behne lagi. Jisse uske sharir ke upar dhake wraith jaal kar khaak ho gye.
Vasura ne ek lambi saans lein, "Manana padega...iss agni ko dekhe hue mujhe saikdon saal ho gye lekin yeh mujhe abhi bhi itne hi khatki hai..."
Itne bolta ke Vasura, Karan ke saamne se gayab ho gya. Gayab nhi ab woh unn shadows mein hi mil chuka tha.
Karan ne Meher ki hilt ko kaskar pakada aur chaaron taraf nazare ghumane laga. Karan ke instincts chillaye aur woh peeche kuda, jaise hi Vasura hi sword uske gale ke behad paas se guzri.
"Manana padega tum kaafi ziddi ho lekin ab yeh khel khtm karne ka samay ho chuka hai."
Ange hi pal bache hue wraiths ke Vasura ke saath sync mein ek saath Karan pe hamla shru kar diya.
Vasura ke hamle se bachne ke liye Karan daayein taraf dodge kiya, Wraith se vaar par fir baayein taraf parry kiya. Uske body itne tej hamlon ke saath uske peeche se agni ke lapte blur karne lage.
Itne mein Karan ke haath ko wraith ne fir jakad liya, Vasura ke mauka dekhte hi uske chere ke taraf slash kiya. Karan ke apne instincts ke badolat Meher ko apne hath se chordo aur agle hi pal usko apne dono daanton ke beech pakadar Vasura ke sword ke clash kar diya.
Karan ke aanhkhe safed pad gye.
Phele baar Vasura ke Karan ko dekhar peeche ho gya- this was dangerous. Anantnetra ke baare mein usko kise bhi dusre aadmi ke baare mein pata tha yeh saamne wale par jor dalate hai lekin jitne bhi waqt ke liye yeh kisi ke paas rhete hai woh yahan tak ke saamne wala ka kuch seconds pehle tak ke hamle ko predict kar pata hai. Iske wajah se Anantraj se woh kabhi vijayi nhi ho paya tha. Usko Aisa lagta tha ke uske shadows ka sabse bada kaat hi yhi hai jisse woh kabhi ubhar nhi paya tha.
Vasura yeh sab yaad karke halka sa muskuraya, uske liye yeh sab nostalgia ke tarah hi tha. Ab itne saalon baad bhi usko saamne whi whi anubhuti ho rhe the. Ha ha ha.
Vasura aur Karan ke swords fir se aapas mein takaye ek doobte hue Suraj ke tarah oojhal aur dusre jaise dark shadows se cheekh rhe ho. Agle hi pal pure kashya mein shockwaves daud gye aur pathar ke debris unke chaaron taraf udne lage.
Void ke jagah pe cheerte hue ek aakriti bahar aaye. Vasura ne bagal mein apna chera mod ke dekha aur whin jakad gya.
Ek aurat uske chere ke paas uske raven jaise kaale baal udd rhe the, uske aanhkein pigle hue sone ke tarah ke chamak rhe thein...lekin uske kapde? Unhein toh Karan pehchanta tha...kitne mahino baad woh aise vesh bhoosa dekh rha tha.
Vasura apne ghutno par neeche jhuka. Karan ne aaschairya se unke taraf dekha?
"Lady Envy..." Vasura ke awaaz dar se bhare hue the jo ke Karan ne abhi tak uske saamne nhi sune the.
Envy ne chaaron taraf ka ek baar haal parakhte hue ek baar apne palke jhapkaaye aur Vasura ke sword ke taraf apne ungli se ishara kiya. Itne mein woh Vasura ke pakad se chutti hue Envy ke bagal mein se aake udne lage.
"Tum mere Sword se ladne ko dharan ke yogya nhi ho...Vasura" usne apni thandi dhwani mein kaha.
Vasura ke pura sharir kaanp utha aur usne apna sir neeche jaamein mein aur kaskar chima liya, "Mujhe kshama kare...main aapke umeedon pe khada nhi utar paaya."
Envy ke chera nirasha se bhara hua tha, "Tumhe maine apna apostle dusron 6 apostles pe kabja karne ke liye banaya tha...par tum khud hi Wrath ke apostle se haar gye the."
Karan ne soch mein apne bahuhe upar ke yeh kiske baat kar rhe hai, aur Meher ko kaskar pakda.
Envy ke sunhere aankhe Karan ke haathon mein jakde Meher par pade, aur uske nazar utsukta se paine ho gye, "Tum...tumhare paas yeh Wrath ke sword kaise hai?"
Karan ke kuch bhi smjh nhi aa rha the yeh kon hai aur kiske baat kar rhe hai, "Wrath kon hai?"
Envy ek pal ke liye chup rhe fir agle hi pal uske chere par ek muskan aaye, aur woh has padi.
Vasura jo abhi bhi neeche jhuka hua tha upar dekha aur bola, "Yeh murkh hai...issko 7 Immortals ke baare mein bhi nhi pata."
Yeh sunke Karan ka dimag chakra gya, woh hamesha se yeh sochta tha ke woh Earth se yahan kaise aa gya aur Anantrajya aur iske bahar kya hai par yeh kya hoga."
Envy ne Karan ke chere ke bhav ko padha, usne Vasura ko ishara karke smjhane ke liye kaha.
"Yeh pura bramandh ankeon realms se bana hua hai, Anantrajya unmein se ek hai...lekin ismein bas 7 Immortals hai " Vasura ne beech mein Envy ke taraf ishara karte hue kaha, "Yeh bhi unmein se ek hai Envy, andhkaar (darkness) ke Immortal. Aur main inka apostle tha."
"Mujhe baaki 6 apostles ko harane ke liye ke liye inhone chuna tha, lekin mujhe AnantRaj jo ke Wrath ke apostle hai unhone hara diya tha."
Karan thodi der sab kuch samjhne ke liye shaant rha fir uske dimag mein ek sawaal khtka, "Kya tum mujhe bata skte ho ke woh Anantrajya asli mein konse realm se the?"
Envy ne apna sir teda kiya aur boli, "Jisse main abhi aa rhe hoon, Earth"
Karan ka dimag jaise ek pal ke liye blank ho gya.
Envy chuppi ko dekhte hue boli, "Oh...baaton baaton mein tumse tumahra naam puchna bhul gye?"
Karan ne upar dekhte hue bola, "Karan"
Envy ke apna sir neeche kar ke Meher ke dekha, "Toh tum Wrath ke apostle ke vansaj ho, mera woh Bhai jisse maine sabse jayada irshya ke...jisse mere hamare sabse chote hone ke bavjood jayda ateekmikhta de gye."
"Fir ab woh sab kahan hai?" Karan ke dimag mein yeh sawal aaya.
Envy ke mushkurahat gayab ho gye, "Woh sab aaram kar rhe hai...unke paas pehle se apne apostles hai bas main bhi apne ke talaash mein bhatak rhe hoon.
Karan ek dum se chauk gya, "Iska matlab ke Anantraj abhi?!?"
Envy ne uske taraf dekhar hasi, "Yeh ab yeh bhudhimata wala sawal hai lekin iska jawab main abhi nhi de skte ke "rules" ke khilaf hoga."
Envy ke Vasura ke taraf dekha, jiske badle mein Vasura ne bhi apna sir hilaya.
"Kya tum mere apostle banana chaoge?" Usne utsukta ke saath Karan ke taraf dekha.
Karan ne ek lambi saans le, yahan se ab peeche jane ka koi sawal hi nhi tha. Usne apne sir haa mein hialya. Envy ne usko ishara karte hue apne peeche aane ko kaha.
***
Kuch dur andar chalne ke baad woh do deewaron ke beech mein altar ke neeche ek ridge mein pahuch gye,
Envy ek baar kudi aur pehle slab pe jake kood gye...upar dekhar boli, "main tumhara neeche intezaar karungi."
Aur fir ek ek baad ek slab pad neeche kudte hue woh chale gye.
"Meher?"
"Hmm...masster?"
"Kya tumhe in sab ke baare mein pata tha? Pata nhi master kabhi mujhe lagta hai ke mujhe in sab ke baare mein pata hai fir lagta hai ke sab naya hai...jaise kisi ne mere us waqt ke yaadon ko seal kar rkha hai."
Karan ne ek lambi saans lein, aur apne dono haathon ko aage kiya jo Agni se laal pad chuke the, apne pair neeche karte hue usne apne pair deewar se bhidaye jiske garmi ke wajah se uspe chalne ke liye choti se khokli uske haathon aur pairon ke beech ban gye jiske madad se woh neeche utarne laga.
***
Wahan se kuch dur par Vanrajya ke do vipalshi pakshon mein dwanh chida hua tha. Skeltons ka ek bada samuh aage bhad rha tha.
Wahan se kuch door par Harish aur Aditya peedon ke peeche chup kar khade the. Unka mission saaf tha ke yahan kiske pe aapne wale dushman ko aage badhne se rokna.
Harish ne Aaditya ko ishara kiya jo jaake wahan kuch dur ek ped pe jaake chad gya.
Jaise hi unn skeletons ka samuh wahan se gujra....Harish ne apne dono haath jaamein par jamaye, aur neeche ek shockwave ke saath pathoron ke spikes nikalne lage, skeletons idhar udhar bikharne lage, kuchon ne kaskar apne haathiyar pakde aur khud ko sambhla.
Itne mein bhale (spear) ko apne haath mein ghumate mein Aaditya upar ped ke upar se neeche kuda. Skeletons par iska jawab dene ka bhi samay nhi tha, aur Aaditya jo saalon se yud kala mein nipun ban chuka tha teze se unko khaak mein milane laga.
Ek Skelton ne apne talwar se uspar hamla kiya, Aaditya neeche jhuka aur apne spear ke dsure taraf se uske pair par vaar karte hue spear ko uske ribcage ke paar nikal diya. Skelton ke beech mein se haadi chatakne lage aur woh body ke midsection mein se bikhar ke neeche gir pada.
"Harish yahan pe bahut saare hai..." Aaditya ne jab saamne dekha toh abhi bhi bahut saare kaankal uske saamne khade the.
Harish ne apne daant peese aur apne maathe se pasina pocha, aur Aaditya ko peeche hatne ke liye ishara kiya. Aaditya ne apne bhale ko haath mein le gya aur fir neeche se apne roll spin karte hue usne do ko giraya aur unke jhund se bahar ke taraf bhaga.
Harish ke haathon se brown rang ke roshini bahar nikle aur jab usne jaameen ko neeche chua toh unke andar bahar ke taraf shockwaves daudi aur jaamein mein skeletons ke samuh ke neeche darareein padne lage...jismein bahut saare uske chapet mein aake neeche gir gye.
Uss group ka nayak apne warhammer leke Aaditya ke taraf bhaga, Aaditya ne usse dekhte hi apne bhale ko uchla aur apne jagah pe ghumte hue, apna ek pair peeche kiya aur apne puri takat ke uske khodi ke taraf fenka...
Uske muh se ek karkash cheekh nikle aur
agle hi pal uska upar upari hissa tut ne neeche jaamein mein bikahr gya.
Aaditya uske taraf bhaga aur apne bhale ko neeche jaamein par se nikala. Uska bhala ek vishesh metal se bana hua tha jo kise bhi dusre dhaatu se jayda takatvar tha. Yahan tak ke woh sone tak ke bane kavach ko bhi bhedne mein kshma tha.
Harish uske paas aaya, "dusre taraf ek aur sainikon ka jhund Manik aur baakyion ke kheme ke taraf bhad rha hai...."
Aaditya ne apna sir hilaya, aur apne bhale ko pakadte hue dono Nadi ke dusri taraf bhage.
***
Karan jaise jaise ridge mein neeche ke taraf Envy ke peeche chalta jaa rha tha usko lag rha tha ke uske bagal mein se sabkuch jaise badalta jaa rha hai.
Neeche ek jheel the jiska paani bilkul saaf tha. Envy wahan neeche jhuki hue the aur uspar apna haath fira rhe the.
Karan uske bagal mein aake khada ho gya. Aur usse dekhne laga.
"Karan...main tumhe itne dino se dekh rhe the. Tumahre man mein abhi bhi ek baat hai kisi ko leke?"
Karan ne uski taraf dekha aakhir woh kya baat kar rhe the.
Envy ne Karan ko neeche pani mein dhyan lagane ka ishara kiya. Uske aanko ke saamne jo aaya usse woh vismay se bhar gya.
***
"Mom...main jaa rha hoon...mujhe late ho rha hai...mere doston ne phone kar kar ke pareshan kar rkha hai" Karan apne room se bhagte hue aaya, apna bag uske kandhe ke peeche tha.
"Are kuch kha ke toh jaa...pata nhi kitna late ho jaaye...yeh aaj kal ke naye jamane wale...inko saare meetups raat mein karne hote hai kya?"
Karan bhagte Nandani ke paas aaya
aur wahan unke bagal mein se ek apple uthaya, "Ab khush? Mom"
Nadnani ne usse gusse se ghura, "Theek hai...lekin yeh aakhri baar hai...agli baar aise khali pet kahin kisi aise function mein nhi jaaane dungi samjhe?"
Karan ne apne dono haathon se apne kaano ko pakadne ka ishara kiya. Use dekhar Nandani ke chere par halki se hasi aa gye.
"Jaldi lautna...aur phone kar lena agar jayda late ho jaye toh...ab tu bahar rahega der raat tak toh mujhe bhi kahan neend aane wale hai yahan."
Karan iska jawab dene hi wala tha ke itne mein uske phone ke ring baje, usne pocket se bahar nikal kar dekha, "Mom...baad mein...haa main jadli lautne ke koshish karunga?"
Karan main door ke bahar aaya, aur usne phone apne kandhe aur sir ke beech mein fasa ke car ka door kholne laga.
"Karan, kahan ho tum? Main yahan itne der se tumhara intezar kar rhe hoon....aane ka plan hai bhi yaa nhi janab ka?!"
"Bas nikal hi rha hoon....aadhe ghante mein pahuch jaunga..." Karan ne car ka front gate khola aur andar driving seat par baith gya...aur phone ko hands free mein car ke stereo par laga diya.
"Dekho ab toh car bhi start kar li....ab toh taslee mil gye hoge tumhe?"
"Ha mil gye...yeh mat bhulo yahan kon wait kar rha pehle se..."
"Acha Ridhi...tumhe maine jo dress gift ke the woh kaise lage?"
"Are baba whi toh pehne hue hai tumhe surprise dene ke ruko tumhe kuch send kiya hai..."
Karan ke phone ke notification bhaje aur usne uske open karke dekha.
Karan ne dekha ke Riddhi ne uske gift ke hue dress mein usko selfie bheje the. She was gorgeous.
"Kya hua Karan ache nhi lag rhe kya ;( " Usne Riddhi ka text dekha.
"Nhi baba....thodi der toh mein kuch suchta hi reh gaya ke ke itne sundar ladke kon hai...kya mein isse janta hoon?"
Riddhi ne text reply kiya "Haha...your girlfriend, pretty stranger"
"Love you Karan btw" Riddhi call par bole.
"Love you more, Ridhhi"
Itne bolte hi call disconnect kar ke Karan ne saamne road pe focus kiya.
***
Meet-up kahtam hone ke baad Karan aur Riddhi car mein bagal mein baithe hue the, aur car ek road ke bagal mein aake ruke hue the.
Aur woh use drop karne ke liye uske ghar aaya tha, lekin uska ghar main sadak se thodi dur padhta tha jahan four wheeler ko leke jana smjhav nhi tha...isliye whi gaadi par kar diya karte the log.
Karan ka dimag ghum rha tha kyuki usko ache se yaad tha ke yeh whi jagah thi jahan woh Riddhi se last time mila, usne gusse mein apne haath steering wheel par maare aur man mein Envy se pucha, "Mujhe yahan kyu layi ho?"
Envy ke awaaz uske dimag mein goonzi, "Yeh keval ke test hai Karan....jisko bhi mera apostle banana hota hai usko isse guzarna hi padta hai...lekin iss test ke baad jo bhi hoga woh tumhare liye ek inaam ke roop mein rkha hai meine."
Lekin Karan ka gussa uske chate ke upar tak jaa rha tha, "Mere paas tumhare games ke liye time nhi hai....kya chaiye tumhe mujhse?"
Usne bagal mein mudke dekha toh car ke bahar Riddhi car se bahas nikal chuke the, kadhe the aur uske chere par nirasha thi....aur kisi baat ko leke woh Karan se car ke window ke bahar se behas kar rhe the. Karan woh theek se yaad toh nhi tha ke kya baat hue thi. Lekin uska dil zoroon se kise cheez ko lekin chintit tha. Woh kisliye itne gusse mein the?
"Yeh sab sach nhi hai Karan. Apne aap pe kaabu rkho." Envy ke voice ek baar uske dimag mein goonji, "Dhariya bando!"
Lekin Karan ne car ka gate khola, aur Riddi ka haath pakad liya.
"Meine tumse kitne baar ek hi sawaal pucha hai lekin tum har baar usko talate hi aaye ho...kya mere tumhare life mein itne se bhi importance nhi hai ke ek sawaal ka jawab mil ske?"
"Riddhi ruko!"
Par usne ek nhi sune aur gusse mein apne ghar ke taraf mudke chal de.
Karan ke jazbaaton ne uske dilo dimag ki jakad liya, "Riddhi mat jao..."
"Karan hosh mein aao!!!" Envy ke awaaz phir se uske dimag mein goonji.
Gusse mein uske car ke shield par laat Mari. Aur jaise hi andar jaane ke liye baitha...toh usne dekha ke teen anjaan log jinke kapdon ke haalat ache nhi thi woh Riddhi ka peecha kar rhe the....ya uski bas ek shanka thi?
Lekin agle hi pal ek gunde ne Riddhi ka haath pakad ke uske peeche andere mein kheencha.
Karan ke jaise yeh dekh ke dil ke dhadkane ruk gye.
Karan uske taraf bhaga lekin itne pe ek dusre gunde ne apne haath se ek knife nikala aur Riddhi ke pet mein ghonp diya, peeche wale gunde ne uske chere par haath rkhne ke wajah se woh chilla bhi nhi paaye.
"Riddhiiiiii!" Karan chillate chillate neeche gir gaya, uske aanke nam pad chuke thein.
"Karan."
Kuch der baad uske kaano mein ek awaaz pade, "Karan? Tumne jo yahan dekha usse tum bhag nhi skte. Yhi tumhare trial hai."
"Jo tumne abhi dekha woh sab Riddhi ke saath ho skta tha, lekin pichle baar usko bachane ke liye aur aur tha idhar"
Karan ke yeh sab sunke, aanke chaude ho gye, "Kya matlab Riddhi theek hai...?"
"Riddhi ke fikar karne ke jarurat nhi hai tumhe Karan...apne baare mein socho. Mera naam Envy kise kaaran se hi hai. Jo tumhare paas nhi ho ske uss cheez ke jalan. Tumhe Riddhi wapas chaiye na?"
Karan ke bina jawab diye sar hilaya.
Achanak usne dekha ke uske, charon aur ke drishya palat rha tha. Uske car gayab ho chuke the...iss bar woh ek gali ke beech mein, jahan mushkil se ho iss time koi aata jata hoga. Karan ke ek lambe saans lein, "Firse nhi!"
Lekin uske aage whi dono gunde the, jise Karan ne thode der pehle dekha tha, lekin iss baar unke saath unka ek saathi bhi tha.
Karan ne gusse mein apne muthe kase, "iss bar mein inhe Riddhi tak nhi pahuchne dunga."
Karan ne ek gunde ke peeche uske knife ko dekha, whi knife jisse thodi der pehle Riddhi ko marte usne dekha tha. Sabse pehle usse us tak hi pahuchna tha...yahan uske life se jayda Riddhi jaruri thi.
Karan uske peeche bina kiye bhaga, aur ek jhatke mein uske peeche se knife ko keenchte hue apni konhi se uske chati pe hamla karte hue usko bagal mein gira diya.
Kehne aur sune ka abhi koi waqt nhi tha. Dusre baaki dono gundon ne jaise hi dekha ke koi unpe hamla kar rha hai usne, saath mein unhon Karan pe hamla kiya.
Lekin ab tak Karan jiss se bhi guzra tha uske liye yeh sab bahut bachkana ban chuka tha, usne apne haath mein knife ko ekbar ghumaya aur neeche ek baar chuke side kick se neeche gira diya aur dusre wala ka haath beech mein hi pakad ke knife uske gale ko chukar nikal gaya....jisse khoon ke ek adh boond neeche gir gaye.
Usne ek baar fir apne gardan chataki, "Agar apne salamati chate ho toh agle baar iss gali mein kabhi mat dikhna, smjhe?"
Teeno gunde neeche pade hue darr se kaanp rhe. Raat ke andere mein Karan ke aankhe bilkul laal pad chuke thein. Unhe vishwas nhi ho rha tha...ek 3 sec mein koi unhe kaise Hara skta hai...what kind of monster was this?
"Karan..." Itne mein Envy ke awaaz aayi. Good job. Lekin abhi Riddhi ka peecha karna jayda jaruri hai...whi sabse jaruri hai abhi. Meine pehle apne apostle ke liye Kai log iss trail se guzre hai lein jaydatat blackout mein chale jate hain. Lekin tum nhi gye."
Karan ko phir bhi ab Envy par gussa aa rha tha, woh Riddhi ka iss sab ke liye istemal kar rhe the, usko usse ghrina ho rhe the ab.
Usne knife ke edge par apne ankhe dekhe, "Yeh sab...mein?"
Apne aap ko usmein dekh ke usne knife ko neeche fenk diya.
***
Karan Riddhi ke peeche peeche uske ghar tak chalne laga.
Uske pata tha ke Riddhi ke family sheher ke sabse ameer parivaroon mein se hai. Lekin uske ghar ke bahar khade hoke hue ehsaas hua ke woh usko kitna kam aank rha tha. Saamne gate kholke woh andar gaya, toh andar dekha ke woh kise purane Mahal se kam nhi lag rha tha.
Usse pita seher ke ek jaane maane doctor the. Dusron ke liye woh ghar ek tijori jaise ho skta tha lekin woh janta tha ke Riddhi kitne kam hi kise se milte julte the.
Jaise hi woh bagal mein se pool ko cross kar rha tha, Envy ke awaaz uske kaano mein pade, "Iss ghar ke andar takatvar shaktiyon ka nivas hai...Karan....tum iss baat ka khayal rkhna hoga."
Usne Riddhi ko saamne wala gate kholke andar jate hue dekha, woh uske awaaz deke bulana chata tha, lekin usko Envy ke baaton se smjh aa gya ke yahan kisi bhi prakar ka shor karna theek nhi rhega.
Uska jabda jakd gaya, "Tum mere family aur mere janne walon pe nazar rkh rhe thein? Toh ab yeh kyu nhi. Tum mujhe seedhe seedhe kyu nhi bata skti ke andar kya hua...Riddhi kyu gayab ho gye?"
Envy ke bhari awaaz uske kano mein utar ke saath pade, "Kyuki mera Riddhi ke saath koi judav nhi hai. Yhi sach hai. Yaadein bas samay ke tukdon ke tarah nhi hote...woh logon ko bandhtein hai. Jab bhi so log saath rhete hai...woh saath mein ghante, din, unke beech ke raaz shaja karte hai. Mein bas un yaadon ke dhagon ka hi peecha kar skte hoon...bas un tak hi dekh skte hoon. Jo ke meine Riddhi ke saath ab tak kiya...par ab..."
Karan ne apne bahue sikode, "Par ab kya?"
"Isse aage mein uske yaadon ko nhi dekh skte...aur uske jayda jaruri ke aisa hai ke saamne se koi uspe nazar rkh rha hai. Agar uske peeche koi hai toh tumse door jaane ke baad mere uske paas peeche jana mushkil ho jata hai. Isliye meine ab tak tumhe itna hi dikha paye hoon. Lekin iske aage..."
Karan ne ek lambi saans le...uske samjh mein aa rha tha ke...Riddhi ke peeche koi na koi tha. Us ghar ke andar kuch toh aisa tha jisse janna uske liye bahut zaroori tha.
Uske andar Ghar ke hawa bhi bahar se bhare mehsoos ho rhe the.
"Unhone...Riddhi ke gayab hone ho accident ke tarah dikha diya lekin woh unke liye woh accident nhi tha. Yeh sab unke chaal hi thi. Kyuki jab Riddhi ke body hospital mein the, aur jab tum usko dekhne gye the...meine udhar khud dekha tha ke uske report mein uske body mein car accident mein kahi pe bhi chot ke nishan nhi the. Kisi ke upar se iss case ko dabaya tha."
Karan ko yeh sab sunke apne kanon mein vishwas nhi ho rha tha, "Toh tum yeh keh rahe ho ke sach hamesha se yhi issi ghar mein chupa hua tha?"
"Ha...lekin bas tumhe us tak pahuch skte ho..kyuki bahar se agar koi bhi dusra aadmi andar jaane ke koshish karega toh unke uske khabar lag jayege...lekin tum itna samay Riddhi ke saath bataya hai...tum dono ke beech bahut saare yaadein sajha ke hein. Tumhare aur uske beech fark nhi muskil ho jata hai..."
Karan ne ek baar fir neeche paani mein tariti hue machli ke taraf dekha, Riddhi ke liye bhi uska ghar uss pool ke tarah ke tha...aur ab usmen utarne ke baare uske the. In deewaron ke peecha jo bhi tha...woh use har keemat par jaana hi tha.
!
!
!
!
!
Aaj ke liye itna hi guys. Milte hai agle update mein. Jald![]()
Achaa theek hai... Esa kar lunga5 -6 ka ek saath de dena recent tak...ek ek kar reply karne mein mera time bhi jayega. Uske baad har update pe bhi de skte ho![]()
Mera mtlb tha ke plot miss mat kar denaFancy...that would be an understatement.
Real wars padhi hai yrr, haa esi koi story to nhi padhi jo war pe based ho, shayad forum pe bhi nhi hogi aur hogi bhi to padhi nhi meneUpar tags dekho war hai? War kabhi padha bhi hai tumne kisi story mein.
Game of thrones, house of the dragon type hai tumhari story ?I mean ek character nhi...full armies...iss season ke end mein hai ek!![]()
Achaa hai fir to, readers bhi connect rahte hai story se.../Lol. Itna late nhi karte mein...3-4 din mein ek se dete thi.![]()
Aree Bhai naam to dekh yrr, bhai nhi bahan hai woBhai update post kardo
Aree Bhai naam to dekh yrr, bhai nhi bahan hai wo...
Btw Good to see brother, I'm also from Rajasthan
Update ka upar dekh liya karo yaar...likh dete hoon kab aa skta hai next...pure tarah sure toh nhi...ha fir bhi.My mistake