Kahani shuru karenge do pyari pyari laundiyon se jinme se ek ka naam hai chuski chameli aur dusri hai iski room mate munni mastani. Dono aisa maal hain ke inhe dekh kar kisi dhillad se dhillad ka aate(dough) jaisa lothda bhi tankar lohe ki rod ban jaye. Ye dono bharat ki commercial capital yani mumbai mein rehti hain.
Chuski chameli halanki ek school mein padhati hai par iska favorite pastime chut marwana hai aur ye school mein bhi kapde aise pehnati hai ke khula jyada aur dhaka kam mehsus hota hai. Iske to students hi is par line maarte hain kyunki unhe pata hai ke ye number ki chudakkad hai.
Waise to iske pagal premi kamal kakdi ko is baat ka poora vishvas hai ke uski chhammak chhallo chuski chameli usi ke lund ko apni chut mein leti hai aur use is baat ka maan bhi hai par aisa bilkul bhi nahi hai kyunki jawani ki aag ki maari is fuljhadi ne iske ilawa teen aur logon ke samne apni salwar kholi thi….haan haan baki kapde bhi khole the yaar. Wo kya alag se batana padega.
Saali ko sex ki itni tharak chadhti thi ke kayi baar to senior class ke ladkon ko hi seduce karne lag jaati. Ek din aise hi ek ladka jo sala barahvi mein 3 baar fail ho chuka tha, khopche mein ek ladki se kiss karne ki koshish kar raha tha ke chuski use dekh leti hai aur ladke ko bolti hai ke sale tujhe kiss karne ka bhi nahi pata. Wo use pakad kar kehti hai…main tujhe batati hun kiss kaise karte hain. Wo us ladke ko pakadkar uske honthon ko chusne lagti hai. Uski girlfriend jo khud do baar fail hui thi use is baat se gussa aata hai aur wo ja ke principal se shikayat karti hai. Principal use dekhkar bahut gussa hota hai aur kehta hai mere office mein milo.
Chuski chali jaati hai to wo pehle se apni pant aur kachha nikal apna dhai inch ki lulli nikalkar bina arm wali chair par baitha tha aur chuski chameli ko dekh kar bola. Iski savari karo nahi to tujhe is school se nikalwa dunga. Waise to Chuski ko uski lulli dekhkar hansi aa rahi thi par fir wo sochti hai ke kahin ye sach much use school se na nikalwa de isliye wo apni salwar kholkar uski lulli ki sawari karne lagti hai jo adha minute bhi nahi tik paati aur satwen dhakke par hi dher ho jati hai.
Ab to chuski ki hansi chhut jaati hai aur wo principal se bolti hai….ye kya tha be. Tu to ekdam chhakka hai. Principal ko us par gussa aa jata hai aur wo use wahan se nikal jaane ko bolta hai. Halanki chuski ki fatkar hath mein aa jati hai par fir bhi wo wahan se nikal kar sidhe ghar pahunchti hai. Uski tharak jaag chuki thi isliye wo apne boy friend kamal kakdi ko phone karti hai jo use batata hai ke wo ek meeting mein hai, jisse ise gussa bhi aata hai aur iski tharak bhi badh jaati hai aur ye apni setting number two bablu bawasir ko bola leti hai aur uske aate hi apne kapde utarkar ghodi ban jaati hai. Idhar sale bablu bawasir ko bhi bahut dino se bawasir ho rakhi thi isliye usne ek muddat se chut ke darshan nahi kiye the to wo bhi ghapagap karne lag jaata hai. Badi dhuandhar chudai ho rahi thi jab koi ekdam se darwaja kholkar apni maa chudwa leta hai.
Ye sala bhadwa koi aur nahi chuski chameli ka boy friend kamal kakdi hi hota hai. Wo apni setting ko kisi aur ke lund ki sawari karte dekh pagal ho jata hai aur dher sari galiyan bak kar uske sath breakup karke wahan se chala jata hai. Ab jakar chuski ki tharak thandi hoti hai aur use apni galti ka ehsaas hota hai…abe is galti ka nahi ke wo dusre se marwa rahi thi balke iska ke usne chudai karte wakt darwaja lock kyun nahi kiya tha. Usne apni is galti ke pichhe ek maldar chhokre ko ganwa diya tha.
Wo tension mein thi aur bablu bawasir use fir se ghodi banne ko kehta hai to ye gusse mein bol deti hai, bhaag ja sale. To bablu bolta hai lekin ye khada hai iska kya karun. To wo laparwahi se kehti hai…ja bathroom mein jakar muth maar le ya ise modkar apni gand mein le le. Bablu bechara apna sa lund lekar bathroom mein jakar hathgadi chalata hai. Uske baad chuski use bhaga deti hai aur randi rona karne lagti hai.
Doosri pyari aur sexy ladki hai munni mastani. Ye ek hotel mein waitress ka kaam karti hai, jisme tangen nangi rakhna padti hain. Ise kabhi koi dhang ka ladka mila hi nahi ya isne kabhi interest nahi liya nahi pata, lekin yaar sex akhir kaun nahi chahta.
Waise to munni ki waitress wali life kafi achhi chal rahi thi par uski jiwan mein ranginiyan nahi thi. Ek maal hone ki wajah se use salary ke sath sath achhi khasi tip bhi mil jaati thi.
Ek sala bhain ka lund customer, jise munni se pata nahi kya chidh thi ke wo uske laaye order mein hamesha koi na koi nuks jarur nikalta tha, use tip dena to door ki baat use gali dekar hi jata tha. Ek din uske vyvhaar se munni ki bhi gand jal gayi aur wo uske khane mein thuk kar wahan se chal deti hai. Halanki manager bahut minnat karta hai munnu ki par wo ye bolkar…maa chuda gayi aisi naukri jisme izzat nahi….wahan se nikal jaati hai.
Use aaj bada gussa chadha tha. Gussa to chuski chameli ko bhi khub chadha tha apne bf kamal kakdi par halanki uski khud ki galti thi. Ye jaise hi ghar ke ander dakhil hoti hai to iske muh se nikalta hai…bhain ki lund uski.
Thik usi samay chuski chameli ke muh se bhi nikal jata hai….bhain ki lund uski. Halanki dono bahut dukhi thi aur gusse mein thi par dono ek sath ek hi baat bolti hain to hansne lagti hai. Fir munni mastani chuski chameli ke hath par taali maarte hue bolti….dono ek sath bole, lagta hai koi khas mehman ayega.
Chuski gusse mein bolti hai…kaun bhain ka lund ayega, wo jise jab ana tha nahi aya aur jab nahi ana tha tab aa gaya.
Munni….kaun?
Chuski…wahi sala, kamal kakdi, sali kakdi ko poora uski gand mein na ghusa dun.
Munni….arey relax relax banno rani. Aisa kya ho gaya?
Chuski chameli use a to z sab kuchh bata deti hai to munni ko pehle to us par daya aati hai fir khub hansi aati hai. Wo bolti…tere sath ek din ye hona hi tha. Saali cheater kahin ki.
Chuski…to kya hua. Ye ladke bhi to massage parlor jate hain na aur extra service lete hain. To kya ham ladkiyon ko extra service ka adhikar nahi hai. Nari ka koi adhikar nahi kya?
Itne mein bell bajti hai to munni mastani bolti hai…oye nari adhikari chal darwaja khol, dekh koi hai bahar.
Chuski ye bolti hui darwaja kholti hai…ab kaun bhain ka lund aa gaya. Wo jaise hi darwaja kholti hai to dekhti hai ye unke makan malik kundan kanjus ka beta nunnu nunniwala tha. Mote mote chashme ankhon par lagaye, ekdam patla badan, jaise ladkiyon ki zero figure hoti hai. Purane kapde purane jute pehne crodon ke malik ka beta do mahine ke kiraye 5000/-*2=10000/- ke liye takaza karne bheja tha uske baap ne.
20 varsh ki umra mein kanya sukh se vanchit nunnu ko waise to chuski badi attractive lagti thi, waise bhi chuski uske aage jaan bujhkar apni adayen dikhati aur agar use pata hota ke wo aane wala hai to thode bahut babbe bhi dikha deti. In dono ladkiyon ko kundan kanjus se pata nahi kya elergy thi ke ye dono hi uska kiraya dena hi nahi chahti thi.
Do teen mahine latka kar hi deti thi kiraya. Chuski nunnu ko adayen dikha kar bhagane ki koshish karti, halanki nunnu ka behkana swabhavik tha kyunki chuski thi hi ek number ka tota, yahan tak ke nunnu ki nunni mein bhi halchal ho jaati par use khas hidayat thi ke kisi chakkar mein na padkar sirf paise tak matlab rakhna hai. Isliye wo is baar ad gaya ke wo unse 10000/- lekar hi jayega.
Chuske ne uski gaal par kiss karte hue bola ke abhi uske paas hai nahi. Agli baar teen mahine ka ikattha de degi. Nunnu fir bhi na mana to dusri gaal par bhi kiss kar diya. Itne mein munni uske liye ek chocolate le aai jo usne apne restaurant se churai thi aur use dete hue boli…nunnu baba abhi isse kaam chala lo. Agli baar kiraya na diya na to chuski tumhe……
Uski baat poori bhi nahi hui thi ke chuski apni chut ko dono hathon se dhakkar darne ka natak karte hue boli…na baba main nahi. Nunnu bechara sa chehra lekar use dekhne laga.
Par unke samjhane se wo wahan se chala gaya. Pata nahi makan malik ko kiraya dene mein inki kya gand fatti thi, halanki in dono ke paas bahut paisa tha kyunki ye dono hi anath thi aur jitni kamai in dono ne aaj tak ki thi wo sab inke paas hi thi. Inhone to kabhi khud ka ghar kharidne ka bhi nahi socha.
Khair ab aate hain kahani ke us mod par jahan se chhuti thi. Dono bahut udas ho jati hain aur ek doosre ko apni apni aap biti suna deti hain. Fir dono decide karti hain ke ek car kiraye par lekar lambi yatra ki jaye. Aur inka ye yatra karne ka maksad apne liye ladke dhundhna tha taki inki zindagi mein sala kahin to thehraav aaye.
Ye sochkar ye dono ladkiyan apne apne suitcase pack karke chal padti hain. Chuski boli north chalo, munni boli nahi south. Stearing chuski ke hath mein tha to chalni bhi uski hi thi wo gadi ko north ki or le chalti hai, munni use bahut gussa hoti hai, uske purse bhi de marti hai par chuski chameli jo ke apni dhun ki pakki thi chal padti hai north ki or.
In dono ne jo route chuna tha wo wasai wale area ki taraf se chuna tha to gadi surat wale route par chal deti hai. Raste bhar khati piti logon ko galiyan deti ye dono apni hi dhun mein chali jaa rahi thi. Tabhi ek jagah light par koi inki gadi ko thonk deta hai aur utar kar unhi se behas karne lagta hai. Uske sath ek aur ladka tha. Dikhne mein dono ek jaise hi lag rahe the.
Ek ka naam tha panku patel aur dusre ka naam tha chanku patel. Kyunki panku baar baar bol raha tha…kyun bhai chanku. Chanku jawab deta,...haan bhai panku.
Chuski aur munni bhi utark kar bahen upar chadhane lagti hain to dono ko yaad aata hai ke unhone to sleeveless top pehne hue hain. Unki to tange tak poori nangi thi.
Chuski panku ke upar chadhne ko hoti hai aur use bolti hai..kyun be chutiye, gadi kyun thonki. Pata bhi hai bhade ki hai.
Panku to ladki ko gali dete dekh hi hil gaya tha fir wo bhi sambhalkar us par chadhte hue bola…tune break kyun lagai, abhi to yellow light shuru hui thi. Gadi nikal sakti thi. Aur haan teri shakal hi bata rahi hai ke ye gadi teri khud ki nahi ho sakti. Aur he he karke chanku ko bolta hai kyun bhai chanu…chanku bhi hanste hue bolta hai…haan bhai panku.
Chuski uska gala pakadne ko hoti hai to munni use rokti hai, udhar panku chadh chadh jata hai to chanku use rokta hai. Akhir munni aur chanku in dono ko samjha hi dete hain. Fir chuski ko dhyan aata hai ke iski to full insurance ho rakhi hai aur gadi insurance mein hi repair ho jayegi.
Munni car toe wale ka number online nikalkar phone karti hai to das minute mein hi toe wali gadi aa jati hai aur wo log use lekar repair wale ke paas chal dete hain. Ye dono jabardasti chanku panku ki gadi mein baith jaate hain jo pile rang ki open car thi. Aur chuski panku ko order dete hue bolti hai….oye hame us repair wale ke paas le chal nahi to teri game baja denge.
Panku bola…chal chal. Ham jahan ja rahe hain wahan tak chhodenge bas. Chuski uth kar use marne ko jati hai to munni use rok kar bolti hai…mat kar meri maa. Fir wo panku ko request karke bolti hai….bhai sahib, do masoom ladkiyon ko kya majhdhar mein chhod doge?
Chanku bhi bolta hai…bhai masoom bachiyon ko aise hi to nahi chhod sakte raste mein.
Panku uski or hath karke kehta hai…kya baat karta hai chanku. Ye dono aur masoom. Dekha nahi kaise mera murder karne aa rahi thi. Chuski ek baar fir uthne ko hoti hai to munni use pakad kar bitha deti hai. Panku in dono ko repair wale ke yahan chhod deta hai.
Wo jane hi lagta hai ke chuski use fir se lad jhagad kar rok hi leti hai. Mechanic use 5000/- ka bill batata hai par wo kehta hai sirf 500/- deposit karwane honge file charges ke baki insurance se ho jayega. Chuski 500/- bhi panku se dilwati hai. Wo bahut khijha hua tha. Mechanic unhe kal aane ko bolta hai.
Chanku panku ko bhi apni gadi dikhane ko bolta hai. Par panku use dikhata hai ke unka jyada kuchh nahi bigda. Gadi purani thi aur bumper lohe ka tha. Usko kuchh nahi hua tha.
Ab fir se chuski panku ke gird ho jaati hai ke unhe kahin shahar mein chhod de. Waise bhi unhe surat mein thehrana tha aaj raat. Chanku bolta hai…ye surat hi to hai. Dono khush ho jati hain. Par panku chidha hua tha in dono se khaskar chuski se.
Panku ko majburan unhe sath lena padta hai. Abki baar chuski pehle hi panku ke sath aage baith chuki thi. Chanku pichhe munni mastani ke sath baith jata hai. Panku ne bura sa muh banaya hua tha. Chuski ab maze lene ke liye bolti hai…kyun be, khane mein karela khaya tha kya?
Panku….khane mein to achha hi khaya tha par raste mein kisi chudail ne rasta kaat diya to ye muh bana hai.
Chuski use ankhen dikhati hui boli…mujhe chudail bola tumne.
Ab panku maze lete hue bola…nahi ye to chudail ki bhi beizzati hogi. Panku khud hi hans deta hai aur pichhe bhi dono hansne lagte hain.
Chuski chameli chidhkar munni mastani se bolti hai…arey tu to na hans mujh par kambakht.
Munni…hanste hue….arey baat hi itni mazedar thi.
Panku bolta hai…rehne do ise mat chhedo mujhe pata hai isne kuchh jehrila khaya hai aaj jisse ye jehrili ho gayi hai.
Sab log hansne lagte hain aur chuski hansne lagti hai. Gadi ghumate ghumate panku puchhta hai…chanku jana kahan hai?
Chanku arthpoorn muskaan ke sath bolta hai….bhai boom boom club chalte hain na.
Panku…par kya ye log hamare sath udhar chalengi.
Chanku ankh markar bolta hai….yahi dono to hamari free entry ki chabi hain.
Munni chanku ki harkaten dekhkar bolti hai…koi hame bhi batayega kahan jaane ki baat ho rahi hai.
Chanku…muskurakar…night club. Aur use bhi ankh maar deta hai.
Chuski chameli drama karte hue bolti hai….ham wahan bilkul bhi nahi jayenge. Agar tum dono ham dono ki jawani ke maze lootne lag gaye to…chuski apne dono hathon se apne babbe dhakti hui boli.
Panku patel bhi kaun sa isse kam tha….oye sasti jawani, ham tumhari jawani se kyun khelenge wahan. Dekhna wahan kitni khubsurat ladkiyan hongi.
Ab ye baat chuski ke dil ko lag gayi boli…tumhara kehne ka matlab ham dono khubsurat nahi hain?
Munni apne mathe par hath rakhkar boli….chup….chuski chup ho jao..ekdam chup, samjhi. Abhi hamare paas koi option nahi ke ham bata saken ke hame kahan jana hai.
Chuski chup ho gayi aur ye dono in dono ko boom boom disk le jate hain jahan par in logon ko ladkiyan sath hone se free entry mil jati hai. Ye charon ek table par baith jaate hain aur drinks ka lutf uthane lagte hain.
Munni pehle nakhre kar rahi thi peene ke liye lekin sabke kehne par maan jaati hai. Panku chuski ko bhi paise nikalne ko bol raha tha par use to abhi tak panku par uski car thokne ka gussa tha to usne kaha ham dono paise nahi nikalne wali.
Majburi mein panku ko hi kharcha karna padta hai aur wo iske liye un dono ko galiyan nikalne lagta hai. Drinks lene ke baad ye dono jamure wahan maujud dusri ladkiyon se dance karne lagte hain to ye dono bhi jhumte hue nach gana kare logon mein ghus jaati hain aur apni gand matka kar dance karne lagti hain.
Sabhi log alag alag dance kar rahe the. Chuski chameli ki itne sare handsome ladke dekhkar tharak jaag jaati hai aur uski chut mein khujli hone lagti hai. Fir uske sath ek bhadda sa banda dance karne lagta hai jo apna naam pappu pancher batata hai aur bolta hai ke wo uske sath chale to wo use malamaal kar sakta hai. Khub paisa dilwa sakta hai.Chuski uski baton par gaur nahi karti.
Aise hi munni mastani ko bhi ek launda type ladka milta hai jiska naam rani rupmati hota hai jo ek chhakka hota hai aur wo bhi uske aage kuchh aisi hi offer rakhta hai to munni to uske goton par ek laat jama deti hai jisse wo unko pakad kar baith jata hai.
Dono ko jab ajib ajib se log milte hain to ye dono preshan ho jaati hain aur munni chameli ko bolti hai ke chal bathroom chalte hain. Dono bathroom jaate hain to unhe wahan bhi koi milta hai. Ek aisi ladki jisne do kilo se bhi jyada makeup apne chehre par laga rakha tha aur ek bahut hi bhadkili si dress pehni hui thi aur usne khud ka naam bhosdi bikwali bataya.
Chuski pehle to uska naam sunkar hansne lagti hai par bhosdi bikwali uski baat ka bura nahi manti aur use bolti hai ke main tum dono ko surat mein top class job dilwa sakti hun jisme tum dono mahine ka kam se kam do lakh kama sakti ho.
Munni puchhti hai…dono ko do do lakh to bhosdi jawab deti hai haan dono ko do do lakh. Ye dono ladkiyan to khush ho jati hain.
Par chuski chameli dimag lagate hue puchhti hai…par kaam kya hoga?
Is par bhosdi idhar udhar takne lagti hai aur kuchh sochkar bolti hai…kaam koi khas nahi hoga. Bas samajh lo tum dono manager hongi. Is par munni khush ho jati hai ke bina koi mehnat kiye un dono ko itni achhi naukri mil gayi. Par chuski abhi bhi soch rahi thi.
Bhosdi bikwali boli…agar tum log ready ho to abhi bahar ek gadi khadi hai. Main tum dono ko aaj ki raat ek five star hotel mein thehrane ka intzam karti hun. Kal subah tumhe wahin se kaam par jana hoga aur fir uske baad tum dono ke rehne ka intzam ek badhiya flat mein kar diya jayega.
Munni to uchhal uchhal kar apni khushi jahir kar rahi thi par chuski chameli ko kuchh to gadbad lag rahi thi boli….hame aaj ki raat sochne ka time do. Kaam par subah ham dono apne aap pahunch jayengi.
Bhosdi bikwali ko uski baat to achhi nahi lagti par uski haan mein haan milane ke ilawa uske paas aur koi chara nahi tha. Par wo boli…achha yahin paas mein maine room liya hai. Ek baar mere sath dono drink to le lo. Munni to khushi khushi chal di par chuski bhari kadmo se chal rahi thi jaise ye sab uski ichha ke virudh ho raha ho. Par wo apni saheli munni mastani ki khushi dekh bhosdi bikwali ke sath chal deti hai.
Wo un dono ko ek ek drink deti hai jise pikar un dono ko chakkar aane lagta hai aur wo dono gehri neend ki aagosh mein chale jaate hain. Pehle hosh chuski chameli ko hi aata hai aur wo apni halat dekhkar pagal ho jati hai.
Wo ek bade se room mein bed par leti hui thi aur uske kapde lagbhag nikle hue the aur ek gende jaisa admi us par chadha hua tha. Chuski uski chhati par laat maar kar usko gira deti hai aur us bade se kamre mein idhar udhar dekhti hai to use uske joint mein ek kamre mein munni mastani bhi nazar aati hai jis par dusra adhed umar ka admi chadha hua nazar aata hai jo use nochne ja raha tha.
Wo use bhi ek mukka maar kar gira deti hai aur munni ko uthane lagti hai. Bahut mushkil se munni uthti hai aur khud ko nangi si halat mein dekhkar ekdam se uth jati hai aur fir dono apne apne kapde pehnanne lagti hain. Itne mein wo genda aa jata hai jisko chuski ne laat maari thi.
Wo garajkar bola…johny janwar naam hai mera. Kisi se bhi poochh lena. Meri fasai hui kabutri kahin nahi ud sakti. Tum dono ko kya lagta hai bhag jaogi. Ye mera dost billu bekar hai. Naam bekar hai par hai bade kaam ka. Abhi to ham dono ko poori raat tum dono se maze chakhne hain fir ek pani wala jahaj taiyar hai jo tum dono ko dubai le jayega aur fir uske baad hamesha hamesha ke liye wahan ke shekhon ki jageer banne wali ho tum dono.
Ek baar ko to in dono ki chut mein jhurjhuri si mach jaati hai par fir chuski thodi himmat karke bolti hai…tune kya ham dono ko kulfi samajh rakha hai ke muh mein dala aur nigal gaye. Ham aag hain aag. Kheloge to jal jaoge samjhe.
Johny janwar rawan wala thahaka laga kar bolta hai…agar tum aag ho tabhi to tumhara ham maza lene wale hain baby. Taki tumhari aag se hamari aag bhadak jaye. Wo uske chehre par hath firata firata uski chuchi tak le jata hai to chuski use jhatak deti hai.
Par wo genda johny janwar aur uska dost bablu bekar in dono ko kabu mein karne ki koshish karte hain to ye dono idhar udhar bhaag jati hain. Itne mein chuski ko samajh aa jaati hai ke ye kisi five star hotel ka luxury suite hai. Iska matlab sali us bhosdi wali bhosdi bikwali ne inhe in dono ke hathon bech diya tha. Ye sochkar chuski ko gussa aa jata hai.
Par is wakt pehla kaam inhe yahan se nikalna tha. Isliye wo sochne lagti hai. Use is baat ka bhi andaza tha ke wo in salon se thodi der ke liye bach to sakti hai par inse bhag nikalna un dono ke liye bahut mushkil tha.
Bahar kuchh aur chal raha tha. Panku aur chanku in dono ke pichhe hi the. Bhosdi bikwali ne in dono ke drinks mein kuchh milwaya tha jisse ye dono behosh ho gayi thi. Bhosdi ne in dono ko johny janwar ko bech diya tha aur uske gunde (jo ke pappu pancher aur rani rupmati hi the) in dono ladkiyon ko aise le ja rahe the jaise wo do nasha kiye hue ladkiyon ko le ja rahe hon. Wo unhe parking ki or lekar jaate hain.
Chanku ko apni special cigrette ki chul mach jaati hai to wo panku se gadi ki chabi lekar usme se cigrette nikalne chala jata hai. Tabhi uski nazar un do gunde type logon par padti hai jo un do fuljhadiyon ko behoshi ki halat mein le ja rahe the. Chanku jitne mein bhag kar panku ko bula kar lata hai, itne mein wo dono un dono ladkiyon ko car mein bithakar bhag chuke the.
Panku aur chanku fatafat car mein baithkar in dono ka pichha karne lagte hain. Par jald hi wo car in dono ki pahunch se bahar jati hai aur ye dono bhatak jaate hain.
Idhar ladkiyan bhi idhar udhar bhaag kar preshan ho gayi thi. Par unhe kisi tarah un do gundon se bachna bhi to tha. Chuski chameli apna purse dhundh rahi thi jisme usne aise logon se bachne ke liye chilly spray rakh rakha tha par use na to apna purse mil raha tha aur na hi apna mobile jisse wo log police ko phone kar saken. Munni ko bhi apni koi chij nahi mil rahi thi.
Panku aur chanku dono in dono ladkiyon ko dhundhte dhundhte preshan ho gaye the. Fir chanku achanak bolta hai. Hame us club ke aas paas wale five star hotels mein unhe dhundhna padega. Kyunki ye log aise maal ko bade hotels mein hi lekar jaate hain. Chanku ke un dono ko maal kehne par panku uski or ankhen nikal kar dekhta hai.
Par use uski baat sahi lagti hai aur wo dono sabse paas wale hotel mein jaate hain. Jahan ki parking mein unhe un dono laundon ki gadi nazar nahi aati. Wo dono reception par bhi puchhte hain ke do ladke yahan koi do drunk ladkiyon ko lekar aye hain. Par receptionist unhe kuchh bhi batane se inkaar kar deti hai. Kyunki ye hotel ke rules ke against tha.
Dono nirash ho jate hain aur police mein jaane ka sochte hain. Fir panku ko kuchh yaad aata hai to wo apne chaddi dost jagga jasoos ko phone karta hai jo ke ek inspector tha. Wo use sari baat batata hai. Jagga use jald hi wahan pahunchne ka bolkar phone rakh deta hai.
Abhi wo dono bahar nikal hi rahe the ke unhe pappu pancher aur rani rupmati nazar aa jate hain. Wo dono bhagkar un tak pahunchte wo dono unhe dekhkar hotel ke ander bhag jaate hain.
Ye dono unke pichhe pichhe ander chale jate hain. Receptionist in dono ko rokne ki koshish karti hai par ye dono nahi rukte aur unka pichha karte rehte hain. Wo ladki in dono ke pichhe security wale laga deti hai. Ye dono unko bahut bolte hain ke ye dono ladke do ladkiyon ki kidnap karke yahan laaye hain par security wale inki ek nahi sunte aur pichhe lag jate hain.
Ye log kisi tarah unko chakma dekar bhag jaate hain aur jahan rooms hote hain check karne lagte hain ke kahin unhe wo do ladkiyan mil jayen. Par wo unhe nahi dikhti.
Munni koshish kar rahi thi ke darwaja khul jaye. Par wo khulne ka naam hi nahi le raha tha. Udhar wo bada genda chuski ko utha kar fir se bed par patak deta hai aur uske kapde nikalne lagta hai. Chuski chameli bechari hath pair marne lagti hai.
Ye dono bhi bhagte bhagte usi floor par pahunch jaate hain. Jahan un gundon ne suite le rakha tha. Aur idhar udhar dekhne lagte hain. Halanki inhe pata tha ke aise wo ladkiyan inhe nahi milne wali par fir bhi in dono ne himmat nahi haari thi.
Aur ghum ghum kar dekh rahe the un dono ko. Jaise hi ye log unke room ke samne se gujarte hain by chance munni se door khul jata hai. Darasal door ka handle hi toot gaya tha. Ye dono bhai panku chanku aur doosri taraf munni teeno ek doosre ko dekh kar khush ho jaate hain par munni jaldi se in dono ko bolti hai…jaldi se chuski ko bachao nahi to wo genda johny janwar uski izzat lut lega.
Billu bekar jaise hi panku ke mukka marne lagta hai usse pehle hi chanku usko ek jordar mukka markar wahin par chit kar deta hai. Dono ander jakar fatafat gende ko uske upar se uthate hain aur chuski par chadar fenk ke uske sharir ko dhak dete hain. Johny uthkar dono ko marne lagta hai.
Itne mein billu bekar bhi aa jata hai aur kabhi chanku ko marne ki koshish kare to kabhi panku ko, wo jaise hi kisi ko marne lagta wo apni jagah se hat jata aur uska mukka bekar ho jata. Par johny janwar ladne mein bahut tej tha. Wo in dono ko marne lagta hai. Jald hi ye dono janwar chanku panku par havy hone lagte hain.
Itne mein chuski ne bhi kapde pehan liye the aur wo aur munni bhi milkar in dono ko marne lagti hain. Par johny janwar koi aam gunda nahi tha. Wo human trafficking ka king tha. Isliye uski maar kutai ki training bhi kafi achhi thi. Wo in charon ke liye akela hi kafi tha. Waise billu bekar to apne naam ki hi tarah bekar tha.
Wo chanku panku ko maar maar kar jakhmi kar deta hai. Udhar in dono ke gunde pappu pancher aur rani rupmati bhi aa jate hain. Chuski aur munni ko bhi choten lagi thi isliye wo dono kuchh bebas ho gayi thi.
Johny apne gundo ko bolta hai ke le chalo in dono ko. Wo dono unhe khinchkar lift ki or le jate hain. Udhar ye dono unhe lekar lift se niche jaa rahe the to dusri lift se police wale jinhe jagga jasoos le ja raha tha wo dekh leta hai kyunki dono lift kanch se bani thi aur transparent thi. Jagga jasoos aur baki police wale agle male par utar kar niche jaane wali lift mein chadh jata hai.
Udhar johny janwar aur billu bekar bhi kisi aur lift se niche jaate hain. Chanku panku bhi dhire dhire chalte lift ki or jaate hain. Wo dono bhi niche wali lift mein chadh jaate hain.
Pappu pancher aur rani rupmati un dono ladkiyon ko lekar car se nikal gaye the. Jagga jasoos bhi teen char police walon ko lekar unke pichhe ho leta hai. Fir unke pichhe johny aur billu aur sabse end mein chanku aur panku apni pili gadi mein. Is tarah bhagam bhaag shuru ho jaati hai.
Ye dono gunde in dono ladkiyon ko lekar dumas beech se thodi doori par ek purane beech par le jaate hain. Wahan par ek sawari jahaj pehle se khada tha aur ye dono un ladkiyon ko khinch kar us jahaj ki or le jaane lagte hain. Inke pichhe police wali jeep aa jaati hai aur wo bhag kar wahan pahunch jaate hain. Par jahaj se police walon par goliyan chalne lagti hain.
Kuchh der baad johny janwar aur billu bekar bhi pahunch gaye the. Aur wo bhi apni pocket se revolver nikal lete hain. Pichhe pichhe dono chanku aur panku bhi pahunch jaate hain aur dono pichhe se billu bekar ko pakadkar uske hath se pistaul chhin lete hain. Aur use wahin gira diya aur sar par pathar lagne se wo behosh ho jata hai.
Dono gunde ladkiyon ko jahaj mein bithane hi lagte hain ke panku ne pistaul se goli chala di jo pappu pancher ko lagi. Ab wo dono ladkiyan khud ko chhuda ke bhagi. Chanku unhe ek side le gaya. Police aur jahaj wale gundon mein khub goli baari hui. Police ki aur bhi gadiyan aa gayi thi. Johny ek pathar ke pichhe chhupa hua tha. Wo mauke ki taak mein tha.
Ab aisa mehsus hone laga ke jahaj wale gundon ka asla khatam ho gaya hai kyunki wo log jahaj lekar bhaag gaye. Idhar police ne area ko charon taraf se gher liya. Pappu pancher ke hath par goli lagi thi to use pakad liya gaya. Rani rupmati ne bhi goliyan chalane ki koshish ki par wo bhi pakda gaya.
Itne mein johny janwar nikla aur sidhe jagga jasoos ke paas jakar uske sar par pistaul tankar bola…ladkiyon ko hamare hawale kar do nahi to ise maar dunga. Wo log ek khali area mein the to bahut mushkil paida ho gayi thi. Ek baar ko to lag raha tha ke baji palat gayi hai.
Par panku ne mauka dekhkar johny par goli chala di. Halanki risk tha ke ye jagga ko bhi lag sakti thi kyunki kaun sa panku ko koi tajurba tha goli chalane ka. Par sanyogvash goli johny ko lagti hai aur pistaul uske hath se chhut jati hai. Jagga ne mauka dekhkar wo pistaul utha li aur johny ko kabu kar liya gaya.
Ab sabhi gunde police ke kabu mein the aur ladkiyan bach gayi thi. Jagga jasoos aur uski team ko badi safalta hath lagi thi aur human trafficking ka bada case solve ho gaya tha. Johny janwar aur uske sathi lambe samay ke liye ander jaane wale the.
In dono bhaiyon ne bahut bahaduri dikhai thi in ladkiyon ko bachane ke liye. So inhe inaam to milna tha. Isliye….
Agla scene…
Ye dono ladkiyan chanku panku ke flat par thi. Chuski chameli panku ke room mein thi aur munni mastani chanku patel ke room mein. Ye dono hi ladkiyon ne inhe inaam ke roop mein apni apni gulabi chut dene ka faisla liya tha.
Chuski chameli ne panku ko pehle hi apne past ke baare mein sab kuchh bata diya tha. Panku ne bhi use apni jawani ke kisse bataye to chuski muskura uthi. Munni ka to koi sex related past tha hi nahi isliye use is baare mein kuchh batana hi nahi tha. Aise hi chanku ki bhi koi kahani nahi thi.
To ek taraf do khoob khele hue khiladi the to doosri or is khel ke anadi. Kuchh der baad chuski ke kamre se jab jor jor ki awazen aane lagi to munni ke muh se nikla…dekho to saali kaise drame kar rahi hai. Jaise bahut dard ho raha ho. Chanku muskura kar khud bhi program shuru kar deta tha.
Use to seal tod samaroh karna tha. Munni bhi taiyar thi apni bulbul ko chanku ke baaj se milwane ke liye. To jab idhar bhi gapagap mela shuru hua to chikhen idhar bhi nikli par ye asli wali chikhen thi. Bahut hi shandar chudai hui dono or.
Agle din dono ladkon ne in dono ladkiyon ko propose kiya aur bataya ke ye dono ladke diamond merchant hain. Jise sunkar ladiyan bahut khush ho jaati hain. Ye dono unka proposal accept kar leti hain isliye nahi ke ye dono bahut amir hain balke isliye ke inme itni insaniyat hai ke anjaan ladkiyon ke liye apni jaan tak daanv par laga di inhone.
Halanki in dono ke maa baap isi shahar mein the par ye dono unse alag is 4bhk flat mein rehte the. Maa baap bhi dono ladkiyon ko accept kar lete hain aur in dono ki shadi ke baad dono ladkiyon ki request par maa baap bhi in logon ke sath rehne lagte hain.
To dosto kaisi lagi meri ye bakchodi apne kimti comments ke jariye jarur batana.
Thanks a lot