• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Punarjanam

Story kaise honi chahiye

  • Thrill, Sex,

    Votes: 3 20.0%
  • Romantic, Thrill,

    Votes: 2 13.3%
  • Romantic, Revenge, Thrill, Sex

    Votes: 8 53.3%
  • Revenge, Bloodshed, Thrill, Sex

    Votes: 4 26.7%

  • Total voters
    15

ravi14061984

Member
143
204
44
UPDATE 01


Chinay mai tum se pyar karta or tum mujhe marna chati ho.

Nahi nahi mujhe mat maro ye bolte hue ek ladka chik utha or apne bister se gir pada uske hath mai usne khud udhi hui chader ko pakad rakha tha.

Wo uth kar baitha to usne khud ko ek kamre mai paya jaha bhut halki roshni thi or usne dekha ke uske body pe kahi bhi chot ke nishan nhi the. Khud ko sahi pa kar usko rahat mahsus hua.


Ohhhhhhh to ye ek sapna tha or usne aaye hue pasine ko kurte se puch liya.


Ye ek sapna tha but jo usne sapne mai jo dekha uspe usko saq ho raha tha. Qke sapne mai jo Chinay ne us pe hamla kiya tha aisa kaise ho sakta tha ke uske hone wali wife ne kiya. Qke Raja Somguput ka eklota santaan tha. Raja Somgupt ek bhut he majbut smrajya ke raja the.

Ladke ka naam Daksh tha or pichle janam mai apne janam ke 16 year mai usne sabhi tarah ke warfare and strategies mai mahir tha. Wo apne pita ke har tarah ke warfare ko ek new agale tak de deta tha.

Wo apne pita ke liye hari hui war ko apne dum pe jeet leta tha jiske karan uske pita ke power kafi badh gayi thi.

Daksh ko talwarbaji nishanebaji or warfare mai jitne knowledge thi utni aas pass ke bhut se rajye ke logo ko nhi thi.

Lakin jisko koi hara nhi saka usko uske hone wali wife or perimika Chinay ne maar diya.

Chinay pados ke Raja Sombhadra ke ekloti beti thi. Raja Sombhadra bhi Raja Somgupt ke Tarah bhut powerful and mashor Raja the.


Gencraft-Image
RajKumari Chinay
Dono ke bich bhut achi dosti thi jisko dono ne restedaari mai badal diya. Daksh or Chinay bhi ek dusre ko bachpan se ek dusare ko bhut prem karte the or in sabhi tarah ke training or padai sath mai hoti thi.

Chinay bhi Daksh ke Tarah talwarbaji or nisanebaji or warfare mai nipurn thi.

Chinay kamal ke khubsurat thi uske khubaurti ke koi kalpana nhi thi. Daksh or Chinay ke jodi ko sabhi behad hasin or aadarsh jodi mana jata tha.

Aas paas ke sabhi Rajyo mai bhi Daksh or Chinay ke hone wali shadi ke charcha thi.

Par kise pata tha ke aise pyar karne walo ka ant uske duwra he kiya jayega. Or Daksh ke hatya kar de jayegi. Itna telented hone ke baad bhi Daksh ko ye banak bhi nhi lagi ke uske hatya ke sajis rachi ja rahi h.


Rajkumar Daksh ke hatya ke baad Rajkumari Chinay ke nature mai kafi change aaye or usne sadiyo se chali aa rahi 9 rajyo ke parmpara ko smpat kar apni ek new or badi kingdom bana li. Ab Rajkumari Chinay Maharani Chinay ban gayi.

Maharani Chinay ka bhi logo pe kafi asar tha ab log uske liye kuch bhi karne ko tyar rahte the.

Aaj 800 saal ho gaye is gatna ko hue or ab is bich in 8 rajye ke raja ka kya hua kisi ko nhi pata or ab log bhi unhe bhool gaye h.



Rajkumar Daksh ke maut ke baad 800 year mai Maharani ne apne takat or administration skill ke dum pe apna naam golden word mai likhwa liya th.


Or idhar Daksh ke marte he uska pariwar bikhar gaya uske Maa Pita dost ristedaar ya to maare gaye ya gayab ho gaye jina koi pata nhi chala.

Idhar ab Daksh preshan tha ke aakhir usne usko mara q kya usko uske gaadi ke liye maar dala?
Kya pyar ka naam mokaprasti h?


Ye sab soch soch kar Daksh pareshan tha or wo or confused ho raha tha. Wo itna pareshan the usko pasine aa rahe the tabhi ek lady sahi kapdo mai uske pass aai or usko pareshan dekhkar boli.

Beta Daksh fir se koi bura sapna dekha kya?

In Mahila ka naam h Yashodhara. Yashodhara is jiwan mai Daksh ke maa thi.
Or sath he Pindari City ke senapati Malik ke wife thi.

Ab twist ye tha ke Yashodhara or Malik ke bete ke maut aaj se 3 din pahle ek bimari se ho gayi thi. Or is kamzor body mai achanak se Rajkumar Daksh ke aatma sama gayi thi. Or jab wo ladka mara tik usi samay Daksh ke aatma us ladke ke body mai aa gayi ab body or face to us ladke ka tha but dimag or aatma Daksh ke thi.


Ab is conisdent kahiye h or kuch ladke ka naam bhi Daksh he tha.

Jab Daksh is body mai aaya or usne aankhe kholi to usko kuch smjh nhi aaya wo kaha h or kya ho raha or ye lady kaun h? Aakhir kar Daksh ne chup hokar sab kuch observe karne laga fir usko smjh aaya ke ye lady bina kisi chal ke ek pyar karne wali lady h jiske dil mai apne bete ke aatah prem h or wo kafi pareshan h apne bete ke health ko lekar or usko koi bura sapna aata th. Jisse wo or pareshan rahti thi.

Pichle janam mai Daksh ne maa ka pyar nhi paya tha sayad uske maa uske janam ke time he nhi rahi thi. Or usne nhi socha tha ke apni premika ke dwara maar diye jane ke baad jis body mai ja raha h us se usko maa ka pyar mil payenga. Jis se wo anjaan tha. Daksh ye soch raha tha ke Yashodhara ko ye nhi pata ke uska apna beta 3 din pahle mar chuka h. Or wo ye batne mai usko dar lag raha tha qke uske baad iska parinaam kuch bhi ho sakta tha. Is karan Yashodhara ke jaan bhi ja sakti th.


Ye sab soch kar wo chup rahne ka faisla karta h. Or is se usko bhi fayda tha. Ke usko naya jiwan mila or Yashodhara ke bhi jaan bach gayi. Yashodhara ke or dekhte hue achanak Daksh ke Aankho mai pani aa gaya.

Yashodhara ke or dekhte hue Daksh mai kaha maa tum chinta na karo bus ek sapna tha. Yashodhara ab Daksh ke buster pe baith kar boli beta aap 3 dino se koi sapna dekh kar jaag jate h or fir sote nhi kya aa pl ko neend nhi aati kya?

Daksh kuch nhi bola.

Yashodhara ne Daksh ke sar pe haath ferte hue picha acha ye Chiny kaun h? Jiska naam lekar tum jaag jate ho. Ye baate usne behad dhire boli thi qke uske Chinay ke naam ke aage Maharani nhi lagya tha. Qke pure smarajye mai koi aisa nhi tha jo Chinay ke naam ke aage Maharani lagaye bina baat kare.

Darshal sabhi rajyo ko ek karne ke baad Chinay ne khud ko mahan or Maharani ghosit kar liya or uske har gaon or city mai Maharani ke murti or mandir banaye gaye the. Or logo ko adesh tha ke unke puja ke jaye. Har saal Maharani ke janadiwash pe Sahro or gaon mai mela lagta tha. Chinay ke naam ko bina saman ke likhne pe bhi pabandi thi.

Is baat pe Daksh ne kaha aisa kuch nhi h maa shayad tum kuch galat sun liya ho.


Is baat pe Yashodhara ne aah bhari or or bola tik h beta par yaad rakhna Chinay ka naam juban pe na sapne mai aaye. Yashodhara ne samjhya ke ager Maharani ka naam ijjat se na liya jaye to zindagi khatre mai pad sakti h ho sakta h puri life kisi andheri kothri mai karna pad jaye.

Is pe Daksh ne bhi Shmati jatai or kaha aisa nhi hoga maa or upar upar se dilasa de diya lakin under uske gusse ka kaha ubal raha tha.

Chinay ka naam lekar dari hui apni maa ke face ko dekhkar usne kasam khai ke iska badla apni maut ka badla logo mai faile khuf ka har ek chij ka.

Yashodhara ne biater pe lete apne duble patle or bimar bete ko dekhakar bhut dukhi ho gayi thi. Birth ke time se he wo bimar rahta tha Senapati ke ghar janam lene or kafi treatment ke baad bhi uske health mai improvement nhi hui thi. Jiske karn Yashodhara ko Daksh ke Future ke chita hoti thi.


Tabhi achanak sainko ke paro ka shor hone laga or bahar Nakur ne unko roka or pucha kaun h aap log? Or yaha q aaye h?


plz like and comment
 
Last edited:
Top