- 2,525
- 3,434
- 159
Update 17
andhere kamre mein kayi dino tak rehna kaisa hota hai aaj pata chal raha tha...jo kabhi soccha nahi wo ho raha tha mere saath...
kitne din se yahan tha pata nahi...kuch pata tha to bas us din ka jab main yahan laaya gaya tha...
banjar aur jar-jar zameeno ke beechon-beech se hamari gaadi aa rahi thi ki tabhi kuch logon ne humla kar diya...
hum kuch karte usse pehle hi hum behonsh hone lage...wajah tha wo gas bomb jo humari car ke andar fire kiya gaya tha...
jab honsh aaya to dekha ki hum ek camp mein the...
kuch hi dair mein humein pata chala ki hum sabko black sunflower ke base camp mein laaya gaya hai...
black sunflower jiska naam harr koyi jaanta tha...ye wahi aatanki giroh tha jisne kayi bomb blast karwaye the...ek tarah se kaha jaaye to ye ek bahut khatarnak aatanki giroh tha...
magar hum sabko wahan kyun laaya gaya tha ye abhi bhi pata nahi tha kyunki mere hisaab se to hum sab inke kissi kaam ke nahi...
uske baad jab hum sabko andar le jaaya gaya to humein humare jaise aur bhi dikhe...
agle din hum sabko 6 logon ke group mein baant diya gaya kisliye pata nahi...
phir humein humesha apne group ke saath rehne ko kaha gaya...
kuch ne mana kiya to unmein se ek-do ko maar diya gaya aur baakiyon ko kaale andhere kamron mein band kar diya gaya...
mana karne waalon mein se ek main bhi tha aur yahi thi meri kahani jisse mein yahan band tha...
mujhe bilkul bhi pata nahi tha ki aise andhere kamre mein band main yahan aur kitna waqt jee paunga...
aise hi din beet rahe the ki achanak ek din mujhe bahar laaya gaya aur us din se humari pata nahi kis cheez ki training shuru ho gayi...
ek cheez jo hairaan karne waali thi wo ye thi ki wahan kaid harr aadmi apne kaam mein maahir tha...
training kya thi jo aadmi jis cheez mein maahir tha usmein use perfect banane ka kaam chal raha tha taaki wo unke kaam aa sake...
jaise koyi chemical engineer hai to use bomb mein use hone waale saare chemicals ke baare mein bataya aur use banane ka tareeqa sikhaya ja raha tha lekin asal baat jab pata chali to use jaan kar humara haal bura ho gaya tha...
ye humein ek aatankwaadi bana rahe the jo baakiyon ka leader bankar aatanki ghatnayon ko anjaam de...
phir ek din mujhe ek aadmi dikhaya gaya jisko dekh kar mere honsh udd gaye...
wajah ye thi ki wo koyi aur nahi balki mera ek dost tha jo ek insurance company mein kaam karta tha lekin asliyat ye thi ki wo inhi ka saathi tha...
usne hi mujhe yahan faswaya tha kyunki unhein pata chala tha ki main ek bahut hi accha computer engineer hoon jo kissi bhi server ko chutkiyon mein hack kar sakta hai...
saath hi main ek intelligence agency ke saath kaam bhi kar raha tha jo maine nashe mein use ek din bata diya tha...
aakhir mein mujhe unki baat manni padi aur main intelligence agency mein unka ek agent banke kaam karne laga...
main ab sirf ek khabri ban kar reh gaya tha aur mere saare sapne chakna choor ho gaye the...
aise hi main aage badhta gaya aur ek din maine apne haathon se mujhse gaddari kane waale dost ko maar diya...
phir kuch saal baad wo kaam karne ka plan bana jo puri duniya ko hila sakta tha...
yahi tha wo master plan jiski wajah se intelligence agency ke chief ki beti ka kidnap huya...
saath hi drug aur human trafficking ki consignment bade star pe India bheji gayi...
note- wo plan kya tha ye jaane ke liye agle update ka intzaar kijiye...