• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Dildariyan 2

Do you like this story?

  • Yes

  • No


Results are only viewable after voting.
Status
Not open for further replies.

Sidhusaab

Member
328
349
64
UPDATE 32

Sab gadi se utar gaye aur sabne ek baar idhar udhar dekha toh yeh ghar gaon ke baki gharon se jyada sundar aur bada tha… saaf pata chal raha tha k yeh thakur sahab ke accountant ka ghar hi ho sakta hai… Ghar do manjila tha aur naye tarike se bana huya tha… khair un sab ne ek baar ek dusre ki taraf dekha aur fir ek thandi saans bhar kar ghar ki taraf chal pade… Faiz ne age badh kar door bell bajayi aur darwaja khulne ka intzar karne laga…

Ab age…

Wo sab dhadakte dil ke sath door khulne ka intzar kar rahe the kionk unko nahi pata tha k akhir hone kya wala hai…Kon bahar ayega aur kaisa reaction dega… khair kus hi pal mein unke sabhi sawalon ke jawab mil hi gaye… Jaise hi darwaja khula toh samne ek 40-42 saal ki aurat khadi thi jo un sab ko badi hairat se dekh rahi thi… par jaise hi Uski nazar Kiran par padi toh uske chehre par ek badi si muskan fail gayi..

Aurat(Kiran ke paas jakar): ARE kya baat hai… kiran beta tum yahan wo v itne time baad…

Yeh bol kar Us aurat ne Kiran ko gale laga liya aur Kiran ne v samne se ek jor dar hug kiya…

Kiran(us aurat se alag hokar): ji han mujhe toh ana hi tha na akhir meri saheli ki shadi jo hai…

Kiran aur Us aurat ke beech baat cheet chal hi rahi thi k us dauran pichhe khade Aarav ki ankhein sirf apni Surbhi ko khoj rahi thin…par na toh use ab tak Surbhi ka chehra dekhne ko mila tha aur na hi Uski awaj sunayi de rahi thi… Tabhi us aurat ka dhyan v Kiran ke sath aye huye chaar ladkon par pada aur uske chehre par sawaliya chinn a gaye…

Aurat(dhimi si awaj mein): beta tumhare sath yeh ladke kon hain… maine inhe pehle kahin dekha nahi…

Kiran: oh sorry… Main ap sab ko introduce karwana hi bhul gayi… friends yeh hain Komal aunty… meri saheli Surbhi ki mom…

Un logon ne jaise hi yeh baat suni toh sab ne Komal ko namaste kaha par Shayad Aarav toh kus jyada hi utsahit tha apni bhawi saasu maa ji se milne ko … isliye usne toh seedhe Komal ke pair hi pakad liye…

Komal(Aarav ke sir par hath rakh kar): jeete raho beta… kya baat hai aj kal ke sehar ke ladkon mein v itne sanskar hain…

Aarav: ji bas jo maa baap ne sikhaya… main aaj tak uska palan kar raha hun…

Komal(muskura kar): bade achhe sanskar diye hain tumhare maa baap ne…

Aarav: ji wo…

Abhi Aarav kus bolne ki wala tha k tabhi Kiran ne gusse se uski taraf ankhein nikali toh wo samajh gaya k kahin ati utsaah mein kus gadbad na ho jaye toh wo chup ho gaya aur Kiran ne bolna shuru kiya…

Kiran(baat ko sambhalte huye): ji aunty… bade achhe insaan hain yeh… khair inka naam Aarav Singh hai aur yeh boht bade wedding planner hain…

Komal(confuse si shakal bana kar): maaf karna beta par wo kya hota hai…

Kiran: ji wo aj kal na bade gharon ki shadian hoti hain toh sab kus ek system ke hisab se hota hai jaise k kya sajana hai kya khana banega aur baki sab kus v…

Komal: oh achha thik hai… toh yeh baki log…

Kiran: ji yeh Vicky hai yeh Ashu aur yeh Faiz… yeh sab inke sathi hain…. Inki help karte hain…

Komal: thik hai beta… par ap sab ka yahan kaise ana huya kus samajh mein nahi aya…

Kiran: Wo aunty asal mein Surbhi hamesha se chahti thi k usko theme wedding karwani hai toh isliye main in logon ko yahan leke ayi hun…

Komal: achha… usne kabhi bataya nahi…

Kiran: ab ap toh janti hain k wo kaisi hai kabhi apni ichha kisi ko nahi batati… aur use pata v nahi hai k main in logon ko lane wali hun main toh yahan akar use surprise dena chahti thi…

Komal(khus hokar): yeh toh boht achhi baat hai… are tum log ander ao na main v kitni pagal hun kab se tum logon ko darwaje par roke huye swaal pe swaal puchh rahi hun…

Aarav: Nahi aunty ji koi baat nahi… apka haq banta hai… agar apko aur v kus puchhna ho toh behichak puchh lein…

Komal: are nahi nahi beta mujhe in sab baton ka kya pata… tum Surbhi se hi baat kar lena baki Surbhi ke papa ayenge toh wo khud hi tay kar lenge k kya karna hai… abhi tum log ander ao thoda chay paani peeo… itni dur se aye ho thak gaye honge…

Fir wo sabhi ander a gaye aur Komal ne un logon ko living room mein baitha diya aur khud kitchen mein paani lene chali gayi…

Aarav(Komal ke jate hi dheemi awaj mein): yaar Kiran yeh Surbhi kahan hai… kahin dikhayi nahi de rahi…

Kiran: pata nahi shayad apne kamre mein hogi…

Aarav: toh use jaldi bulao na… ab aur intzar nahi hota…

Vicky: bhai thoda sabar kar… bhabi kahin bhagi thodi na ja rahi hain… aunty ko ane de fir Kiran unse puchh legi…

Kiran: han main puchhti hun…

Isse pehle k koi kus aur bole Komal wahan par paani lekar a gayi aur use ate dekh sab chup ho gaye…

Komal(glass wali tray age karte huye): lo beta paani pio …

Fir sab ne baari baari paani ka glass utha liya… Aarav baar baar Kiran ko ishare kar raha tha k wo Surbhi ke bare mein puchhe… kiran v isharon mein use shant rehne ko bol rahi thi… fir kus der baad Kiran khali glass table par rakhte huye boli…

“Aunty Surbhi kahan hai…kahin dikhayi nahi de rahi…”

Komal: Wo toh apne room mein hai beta… jab se ayi hai wahin bethi hai…

Kiran: kya main usse milke aun…

Komal: han beta yeh v koi puchhne ki baat hai…

Kiran(thoda jhijakte huye): Main Aarav ko v sath leke jaun… wo kya hai na inko dekhegi toh khus ho jayegi… akhir uska kab ka sapna tha k Uski shadi koi bada organizer sambhale…

Komal: han beta tumhari baat sahi hai isi bahane wo bhi thoda has legi… Aarav beta agar tumhe aitraz na ho toh tum v Kiran ke sath Surbhi se mil ao…

Aarav ke toh mano dono hathon mein ladu aur sir kadayi mein… use toh apni man ki murad mil gayi thi aur Wo v Samne se bina mange… uska toh man kar raha tha k abhi Komal aunty ko ek jadu ki jappi dede par usne khud ko control mein rakhte huye thoda natak karte huye kaha…

“Ji ap toh sharminda kar rahi hain… ap meri maa jaisi hain apki baat manne mein kaisa aitraz… ji main jarur Surbhi ji se mil kar ata hun…”

Komal(Aarav ke sir par hath fira kar): wah beta… tum toh sach mein boht hi jyada achhe ho…

Aarav(blush karte huye): are nahi aunty ji aisi baat nahi hai… toh Kiran ji hum chalein… fir aur v toh kaam karne honge…

Kiran: han han…chalo…

Fir Kiran aur Aarav wahan se uth kar Surbhi ke kamre ki taraf chal pade aur baki teeno Komal se batein karne mein busy ho gaye…

Kiran(un logon se thoda dur ane ke baad): are wah yaar tune toh ek dum poster faad dala… kya acting karta hai re tu toh… mera toh man kar raha tha k wahin par uth kar seeti bajane lagun…

Aarav: abhi toh tune dekha hi kya hai…Aunty ko toh sirf trailer dikhaya hai … abhi puri picture toh us Vikram aur uske ghar walon ko dikhayenge … par abhi na tu chup ho ja warna aunty ne sun liya na toh abhi sensor board ki tarah hamari picture par ban laga dengi…

Kiran(apne lips par ungli rakh kar): nahi yaar aisa mat bolo…

Fir wo dono chup chap seedian chadh kar Surbhi ke kamre ki taraf chal pade… wo log jaise jaise Surbhi ke kamre ke paas ja rahe the toh Aarav ke dil ki dhadhkan tej hoti ja rahi thi… Usse ab wait nahi ho raha tha k wo kab ander jaye aur Surbhi ko apni bahon mein bhar le… Jaise hi wo log Surbhi ke kamre ke bahar pahunche toh Kiran wahin ruk gayi aur usne Aarav ko ander jane ka ishara kiya… Aarav ne v uski taraf dekh kar ek smile di aur halke se kamre ka Darwaja kholne laga…

To be continued…
 
Status
Not open for further replies.
Top