• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 62

Vijay ka baap bahot disturbed aur ghusse mein tha halaan ke ussko pata tha Anna sab jhoot bol rahi hai. Vimal ko bahot baat sunni padi ke ussne keisi awrat ko ghar mein laya hai……. Vimal ne kaha Vijay ke ane par agar baat jhoot saabit huwi to Anna ki khair nahin…….

Pooja ke papa ne kaha, “Iss baat ko khatam karne ke liye ek hi raasta hai, aur woh hai Pooja ki jald se jald shaadi. Kissi achey ladke ko dekh kar usski shaadi kardeni hai ab, main aur kuch nahin sunna chahta.” Pooja yeh sunkar aur bhi rone lagi kyunke woh abhi shaadi nahin karna chahti thi. Uss ne Vijay se kaha tha woh Vijay ke shaadi hone ke baad shaadi karegi…..aur ab ek zabardasti ki shaadi se Pooja bahot udaas aur pareshan thi….. Woh pray kar rahi thi ke jaldi se Vijay aye aur koyi raasta dhunde iss baat ki.

Aakhir Rhanveer lane mein Vijay ki entry huwi, aur lane ki shuruwaat se Vijay ne dekh liya ke Anirud chacha aur chachi uss ke papa
ke saath terrace par khade hein, Vijay ka dil zor se dhadka ke kahin koyi ghatna na ghati ho ghar mein, jeise ke koyi bimaar ho ya kissi kisam ki accident….. Ussne apne kadmon ki raftaar ko tez karte huwe terrace tak gaya aur sawaali nazron se apne pita aur chacha ko dekh rahe the….. Anirud chacha ne muskurate huwe kaha, “Keisa hai mera hero?” Vijay kaafi tense tha par poocha, «Kia baat hai chacha koyi problem hai kia ?» Vijay ka baap ussko ghuse bhari nazron se dekh raha tha to Vijay ne uss se poocha, «Kia huwa ? kuch huwa kia ?» Yeh poochtey huwe ek nazar Vijay ne lounge ke andar dawdaye to dekha Pooja ki enkhen laal hai aur woh bhi Vijay ko ek ajeeb tarike se kuch darri huwi dekh rahi hai…..

Vijay andar gaya lounge mein tab Pooja zor se rote huwe Vijay ke paas aya aur kaha, «Bhai dekho yeh Anna kia keh rahi hai hum donon ke bare mein !» Vijay ne bahot heyrani se poocha, «Hum donon ke bare mein ?? Kia ? Kyun ro rahi ho tum, kab se ro rahi ho ke tumhari enkhen laal hai ?»

Aisha ko bhi Vijay ka intezaar tha aur jab ussko pata chala ke Vijay agaya hai to woh bhi apni maa ke saath Vijay ke yahan aayi. Jab Vijay ne dekha ke Aisha uss ke yahan aayi apni maa ke saath to khud ko pata nahin ke khush howe ya pareshaan…. Tab Vijay ne socha shayad uss raat ko Pooja ne jo help kiya tha Aisha ke yahan khirki se andar jane ke liye issi baat ka khulassa huwa hoga issi liye Pooja ko involve kiya gaya hai, uss ne socha agar yeh baat hogi to woh sab sambhaal lega….. Magar Aisha ne Vijay ko dekhtey hi kaha, «Mujhey Bhagwaan par utna vishwaas nahin jitna tum par hai Vijay, to jo bhi tum kahoge main Bhagwaan ki baat samajhkar yakeen karungi aur mujhe pata hai ke jo kuch bhi Anna ne kaha sab jhoot hai, be bunyaad hai.» Vijay ab tak heyraan tha aur chilla kar kaha, «Koyi mujhko batayega ke baat kia hai ? »

Anirud chacha aur Vijay ka baap andar aye aur Vijay ko baithne ko kaha. Anirud chacha ne baat ka khulasa kiya…… jab baat Vijay ko bataya gaya, To Vijay ghusse mein utha aur Vimal ke saamne Anna ke baalon ko khinctey huwe ek bahot zor ka thapad maarkar poocha, «What the bloody hell are you talking about? What the fucking rubbish words did you say ?» Anirud chacha jaldi se uthkar Vijay ke panjon se Anna ko churaya aur Anna zor zor se rote huwe kehti gayi, «han tumhari behen tumhara rakhel hai, tum sote ho raat ko apni behen ke saath, woh bina bra ke nighty mein tumhare saath soti hai to kitna enjoy karte ho tum donon ? Iss ghar mein sab andhe hein kissi ko kuch nahin dikhta magar mujhe pata hai sab!”

Yeh sunkar Vijay ka muh khula reh gaya aur ek nazar Aisha ko dekha phir Pooja ko dekha aur sofe par baith gaya apne peshaani ko haathon mein liye! Vimal ne Anna ko khinch ke do zor ke thappad mare aur woh apni kamre mein chali gayi……

Vijay ne chillaate huwe kaha, “Main apni maa baap ke kassam khakar kehta hoon ke mere aur meri behen ke beech eisa kuch nahin hai, woh meri laadli behen hai bahot pyar karta hoon uss se, meri humraaz hai woh….. “ Vijay yeh itne kehtey huwe rone laga, usske awaaz tut gayi aur enkhon se ensoo jaari hogae… Phir ussi haalat mein Vijay ne Aisha ko dekhtey huwe kaha, “Tum to mera yakeen karti ho nah Aisha, yeh sab jhoot hai, meri Pooja pavitra hai, uss masoom par eisi ghinawni ilzaam kyun? Hum bhai behen ke pavitra rishte par eisa pahaar kyun toot pada aaj, ari oh Pooja kia hogaya ri?” Vijay bahot ro raha tha aur Aisha jaldi se Vijay ke paas aayi aur usske sar ko apni baahon mein lekar sehlaayi aur sab logon se zor se kaha, “Main ne kaha na ke agar Bhagwaan kuch kehta to shayad main utna yakeen nahin karta jitna yakeen mujhko Vijay ki baton par hai… Vijay nirdosh hai aur Pooja bhi…. Baaki aap log decide karein!” Pooja bhi Vijay ki baahon main agayi aur Anirud chacha aur Vijay ka baap khaamosh dekhte rahe……

Vimal ne sab dekha aur suna, aur uss ne kaha, “To ab aap log mera faisla sun lijiye sab! Main Anna ko chor raha hoon nahhin chahiye eisi awrat iss ghar mein jo hamare pyar ke rishte par ilzaam lagaye, i am divorcing her right now…. » Yeh keh kar Vimal apne kamre mein gaya aur thodi hi der baad Anna ko ghasittey huwe ek haath mein ek suitcase liye jissmein Anna ke saamaan the kamre se nikal raha tha… bade buzurgon ne ussko rokne ki koshish ki magar Vimal ne ensoowon ke saath kaha, “Iss ne mere chote bhai Vijay aur choti pyari behen par jhooti ghinawni ilzaam lagaya, Vijay kabhi jhoot nahin bolta, ussko bachpan se jaanta hoon woh kabhi ghalat ho hi nahin sakta to kyun iss kuttiya ne eisi gandi baat kahi inn donon masoomon ke bare mein? Nahin chahiye eisi awrat mujhko, bhaar mein jaye ye main issko uss ke maa baap ke paas chor kar ata hoon aur kissi ko kaq nahin mujhe rokne ko kehdeta hoon han!!”

Yeh kehkar Vimal chala gaya iss fasaad ki jar ko ukhaar pheikne ke liye. Magar Vijay ke papa ne kaha, “Sunon Vijay chalo thik hai hum sab ko pata tha pehle hi se ke woh jhoot bol rahi hai, magar ab iss liye ke yeh baat ussne pata nahin kitne logon se keh diya hai, raah chalte logon ko rok rok kar raaste mein yeh baat pheylaati thi…tumhare Anirud chacha ne dekha suna… aur logon ne Anirud chacha se poocha ke kia yeh baat sahi hai?? To iss liye mera yeh rae hein ke ab Poja ki shaadi jitna jaldi ho sake kardeni chahiye iss se pehle ke yeh baat aur logon tak ponhchey….”

Vijay iss baat ko sunkar apne sar ko zameen ke taraf jhukaye baith gaya ….kuch der baad sar uthakar Pooja ko dekha aur woh roti ja rahi thi….. Phir Vijay ke papa ne kaha ,“Hai ek ladka meri nazron mein kal usske maa baap se baat karta hoon, tab Anirud chacha ne bhi kaha, “Mere nazar mein bhi ek ladka hai, kaho to wahan baat chalawun?” Vijay kuch der soch mein par gaya phir achaanak khada huwa apne mobile par koyi number talaash raha tha aur apne papa aur chacha se kaha, “theherye aap log ek minute abhi main aap logon ko jawaab deta hoon……” ek number dial kiya Vijay ne terrace par gaya baat karne, yeh kehte huwe sunayi di andar jo Vijay keh raha tha mobile par, «Han yaar, acha abhi tak nahin mili ? Ghar par hai abhi? Abhi ata hoon mera wait kar please.”

Vijay wapas lounge mein gaya aur apne chacha aur papa se kaha, “Koyi ladka dekhne ki zaroorat nahin, ladka milgaya, main thodi der mein ussko lekar ata hoon, Pooja ko tayyar karo jaldi se, woh ussko dekhne araha hai mere saath»

To sabhi ko yaad hoga Vijay ka ek lecturer hai Anand jissko ek ladki ki talaash hai shaadi ke liye …. Ussko ek eisi ladki chahiye thi jo ziada padhi likhi nah ho, jo naukhri nahin karna chahe balke jo ghar ko sambhaale aur bachon ki dekh bhaal kare…. Vijay ne ussi Anand ko phone kiya aur poocha kia ussko ladki mil gayi aur uss ne kaha nahin, to Vijay ne uss se kaha usska wait kare woh uss ko lene araha hai ladki dikhane ke liye…….

To be continued………………………………
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 63

Vijay apne lecturer dost ke ghar gaya. Usski maa se baat ki ke ek achchi ladki hai jo uss ke talaash ko anjaam de sakta hai aur woh Anand ko uss ladki ko dikhane ke liye leja raha hai. Anand ki maa bahot khush huwi kyunke woh bahot dinon se iss intezar mein tha ke kab Anand ko usski passand ki ladki miley.

To Vijay Anand ko apne ghar chalne ko kaha. Ussko yeh nahin bataya ke woh khud apni behen ko dikhane leja raha hai magar sirf kaha ke ek achi ladki hai usski passand ki. Raaste mein atey waqt Vijay ne Anand ko samjhaya ke ladki ghar ke har kaam karna jaanti hai, silayi bhi jaanti hai aur bahot sharif aur nek ladki hai, khubsurat bhi hai aur parhi likhi bhi hai magar naukri nahin karti…..

Anand khush huwa kyunke woh eisi hi ladki ko talaash kar raha tha. Jab apne ghar aney ko kareeb tha to Anand ko gadi mein rukne ko kaha aur Vijay ghar mein andar gaya. Pooja apne kamre mein thi usski maa ne ussko tayaar kiya tha aur Pooja ro rahi thi kyunke woh nahin shaadi karna chahti thi aur Vijay ka intezaar kar rahi thi.

Vijay Pooja ke kamre mein daakhil huwa to Pooja jaldi se uthkar apne bhai ke baahon mein simath gayi ensoo bahaatey huwe. Vijay ne usske sar aur kaandhon ko thapthapatey huwe dulaad se kaha, “Ari meri raani behna, kyun ro rahi ho main ne tere liye ek eisa ladka dekha hai ke tu bilkool raani ban kar rahegi usske saath, ek lecturer hai woh university mein aur main usska student reh chukka hoon! Zara socho eisa rishta asaani se milta hai kia kissi ko? Chal apna khubsurat sa chehra dikhade mere lecturer ko aur umeed hai ke tu ussko passand ayegi. Main abhi ussko andar bulata hoon »

Yeh kehkar Vijay baahar gaya aur Anand ko andar aney ko kaha…. Jab Anand terrace par upar aaraha tha to andar lounge mein se Annu aur Pooja ne parda zara sa hatta kar ussko dekha aur Anu ne Pooja ko chertey huwe sharaarti andaaz mein kaha, «hmmm handsome hai didi hamara jiju (honewala)» Pooja ne Anu ko mara aur bhaag kar apne kamre mein waapas chali gayi.

Anand ko Vijay ne apne papa, Anirud chacha, aur maa se milaya, aur ussko baithne ko kaha. Jab woh baith gaya tab Vijay ne kaha, «Yaar main tujhko apni choti behen ko dikhane laya hoon. Umeed hai ke tumko passand ayegi aur hum donon ki dosti rishte mein badal jaegi, tu theher main ussko lekar ata hoon.» Jab Vijay Pooja ko lene andar chala gaya to lounge mein Vijay ka baap aur chacha, Anand se baatein kar rahe the ke kia kaam karta hai, kahan rehta hai vaghaira vaghaira……

Vijay ne Pooja ko apni bed par baithe dekha sar jhukaye huwe zameen par. Ek laal churidaar pehni thi Pooja ne aur bahot khubsurat aur badi dikh rahi thi jeise ke ek shaadi shuda mahila ho. Tab Vijay ne ussko kaha, «Achanak tu itni badi keise lagne lagi, lagta hai tu mujhse bhi badi hai ! » Pooja ne nakhrein ki… «Mujhe nahin karna shadi vaadi bhai, tum kyun eisa kar rahe ho? Tum bhi papa aur mama ki tarah bol rahe ho ab? Main ne kaha tha na ke main tumhare saath aur bahot saalon tak rehna chahti hoon, main tumhare shaadi hote dekhna chahti hoon, iss ghar mein bhabi ke saath kuch dinon rehkar tab main shaadi ke bare mein sochti, yeh sab main ne tum se keh diya tha na bhai to phir achanak eisa kyun kar rahe ho tum bhai ? Kia main bojh ban gayi hoon tum sab ke liye ab ?»

Vijay ne Pooja ko phir baahon mein lekar zor se seeney se lagakar kaha, «Agar yeh Anna ke bachchi ne eisa nahin kaha hota to main tumhari shaadi ke liye jaldi nahin karta Pooja. Main khud chahta tha ke tu mere saath aur ziada dinon tak rahe. Ab agar main Anand ko nahin lata to papa aur chacha tumhara rishte kissi eyre gheyere ke saath karta nah? Aur main unn logon ko inkaar nahin kar sakta…to kissi haal mein bhi papa aur chacha tumhari shaadi karne ke liye bandobast zaroor kartey to main ne Anand ko laakar behtar rishta laya tere liye…. ab tu chal aur mere yaar ko yeh chand sa mukhra dikhade, aur yeh ensoo vensoo ponch aur tumko meri kassam agar tum ne wahan roni surat banayi to… Main tumko khilta huwa dekhna chahta hoon…. Ek jiwan saathi chuna hai tere bhai ne tere liye, mujhpar bharosa hai na, main tumko kissi gaddhe mein to nahin dalunga nah…chal chal ab…..” Pooja kuch na boli aur zor se Vijay ko seene se lagaaye raha kuch der tak apne sar ko Vijay ki chaati par rakhe aur usski dil ki dhadkan ko sunti rahi….phir peyr ki toes par khade hokar apne bhai ke donon gaalon par kiss kiya aur muskurakar kaha, “Achchah thik hai chalo, magar mujhko darr sa lag raha hai aur sharam bhi arahi hai….. tum mere paas hi baithna aur apne haathon ko mere haathon mein pakre rehna okay?” Vijay ne kaha ‘okay’ aur donon apne kamre se nikley, corridor mein chalte huwe donon lounge mein aaye aur Anand ke opposite baithey. Jeise hi donon nazar aaye to Anand ki nazar turant Pooja par gayi aur usski enkhon mein ek chamak sa dikha jo Vijay ne notice kiya aur samajh gaya ke ussko Pooja passand agayi…..

Pooja ne apna sar bilkool zameen par jhukayi huwi thi ek nazar bhi Anand ke taraf nahin dekha halaan ke Vijay aur Anand baatein kar rahe the….Pooja ne Vijay ka haath apne haathon mein zoron se jakra huwa tha aur Vijay ussko baatein karne ke liye laakh koshish kar raha tha magar Pooja sirf nichey hi dekh rahi thi….. Vijay ko hansi ayi aur kaha, “Ab kia eise hi zameen dekhti rahegi, dekh mera dost tujhse kuch pooch raha hai…” Pooja nichey dekhtey huwe muskura rahi thi aur Vijay ki bahot zid karne par halke se ek teerchi nazar se uss ne Anand ko dekha phir nichey dekhne lagi…… Khud Anand hanss pada yeh kehte huwe, “Bahot sharmeelee lagti hai, baat karna to ata hai nah? Ya phir gungi ho!! Vijay mujhse tu dhoka to nahin karega nah?!” yeh sunkar Pooja zor se hans padi aur Anu bhi ek kone mein khadi ‘khi khi khi khi’ kar rahi thi…… Jab pooja hanssi to Anand ne kaha, “Shukr hai hansna to ata hai aur hanssi mein kuch awaaz ka andaza to huwa…” Vijay ne Pooja se kaha, “Dekh woh tujhey gungi samajh raha hai, kuch bolke sunade ke tujhko bolna ata hai…. Ab k k k k k mat karna…” aur phir sab log hanss pade lounge mein…..

Tab Anirud chacha ne kaha, “Are Pooja beti yeh achi baat nahin hai ke ek mehmaan ke saamne eise murat bani baithi raho, kuch to baat karo!”
Tab Pooja ne kaha Anirud chacha ko sar utha kar dekhtey huwe, “Main kia kahun chacha meri samajh mein nahin ata aap sab to mujhko ched rahe ho!” Aur chacha ko yeh kehkar jab phir se nazrein jhuka rahi thi to ek nazar Anand par kiya Pooja ne aur dekha ke Anand ki nazrein ussi par jammi thi….. Sharam se laal hogayi aur Vijay se kaha, “Ab main chalti hoon apne kamre mein….” Yeh kehte huwe daudti bhaag gayi apne kamre mein……

Anand ne buzurgon se aur Vijay se baat ki, uss ne kaha ke Pooja ussko bahot passand aya aur woh apne parivaar samet agle shanivaar ko ek baar phir ayega.

To be continued………………….
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159

nice update
vimal ne achcha faisla Kiya anna ko bahar ker ke
 
  • Like
Reactions: Casinar

pooja Anand ko pasand aa gyi aur aani hi rhi
nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top