• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 56

Dosto, Anna jo afwaein pheyla rahi thi Vijay aur Pooja ke barey mein, yeh baat na Pooja ko aur naa hi Vijay ko pata tha. Aur Vijay ke mummy papa ke kaan mein bhi yeh baatein nahin pohnchi thi. Sirf donon chachawon ke ghar mein yeh baat ki gayi thi aur Vimal se Anna ne yeh baat ki thi.

Jab main ne ek update mein likha tha ke Vijay ki zindagi mein Anna ke aney se ek zabardast jhatka lagne wala hein to app logon mein se kisi ne shayad socha hoga ke kuch achcha hone wala ho, ya Anna Vijay aur Aisha ke Jodi ko thik karwaegi etc… magar dosto Anna unn awraton mein se thi jo dusron ke khushiyon ko nahin dekh sakti thi. Ab yeh Anna ke paalan posan ka natija bhi hai. Jiss ghar mein aur jiss maahaul mein woh pali bari huwi hai, aur Viajy ke ghar ka maahaul bilkool alag the. Ab jiss ki upbringing jiss tarike se ki jaati hai wohi uss ke aney wale zindagi par reflect karta hai. Jiss bache ko bachpan se sikhaya jaye ke aag se nahin khelna chahiye nahin to jal jawoge, to woh bachcha aag se door rehta hai. Yeh ek misaal de raha hoon ke samajh mein yeh baat ajaye ke jiss tarike se, aur jiss mahaul mein upbringing hoti hai woh aguey chal kar zindagi mein rang lata hai. Agar buri upbringing huwi hai bura mahaul mein to future mein sab bura hi karoguey aur bura sanghat aur bura kaam hi karoge…..

Ab hum Anna ki history to nahin dekhne jayeinguey ke woh keise palli bari huwi hai, bus itna jaanle ke usska vyohaar aur manners Vijay ke ghar se aur ghar ke logon se bilkool alag aur hatke the.

Ab yeh baat jab Anirud chacha ne sunni, jab Kaajal ne suna, jab Anirud chacha ke donon beton ne suna to sab ne kaha ke yeh jhoot hai eisa ho hi nahin sakta. Magar kissi tarah ek shaque to mann mein baith chukka tha. Kaajal ne apne pati se iss bare mein baat ki to kehne lagi, “Ab hum to uss ghar mein nahin rehte, Anna to ussi ghar mein rehti hai ho sakta hai uss ne kuch dekha ho tabhi to keh rahi hai…. Kaun jane Pooja aur Vijay ke beech sach mein kuch ho?” Issi tarah Anirud chacha ne bhi dil hi dil mein socha kia jane yeh baat sach ho?!

Pooja sirf ek saal Aisha se choti thi, to 17 and half saal ki ho chuki thi. Usska jism bilkool ek jawaan awrat ki to thi hi. Ab main ne aap logon ko issi liye yeh bhi clear kar diya tha ke Vijay aur Pooja sex ke bare mein bhi baat kar chuke the aur karte the kabhi kabhi. Aur Vijay ke papa ne bhi yeh baat kaha tha ek raat Aisha ko Vijay ke paas sote waqt dekha tha ke usski nighty bilkko neendh mein jism se upar thi aur usski pura jaangh dikh rahi thi….. Ab Vijay ek bahott honhaar ladka tha aur ussko apne daerey mein rehna maloom tha. Ussne kabhi bhi Pooja ki jism ko nahin chuwa tha. Bilkool hi nahin. Woh apni choti behen ki bahot izat karta tha. Yaad hai ek raat Pooja apni nighty mein gayi Vijay ke paas to Vijay ne poocha tha ke kia woh bra pehenti ke raat ko? Iss liye ke woh Aisha ke bare mein baatein kar rahe the aur Vijay ne Pooja se kaha tha ke Aisha raat ko bra nahin pehenti…. To eise baatein woh donon kiya kartey the dostana taur par, magar isska matlab yeh to nahin hota ke donon ke beech kuch hai. Puri raat Pooja Vijay ke saath ussi bistar par soti hai magar Vijay neendh mein bhi usko nahin chuhta…. Han yeh baat alag hai ke gale se lagata tha aksar Pooja jo pyar se, dulaar se…. Pooja khud apne aap hi aksar Vijay ke gale se lagti thi, usske kaandhon par latakti rehti thi, ab unn donon ka pyar hi weisa tha…..weh to apne mummy papa ke saamne bhi ek dusre ke baahon mein baahein dale pesh aya karte the…. Unn ka baap khud cherta tha donon ko ke tum donon husband wife ki tarah ho iss ghar mein !!!

Ab sochne ki baat hai agar eisa pavitra rishta par tohmat lagaya jaye to unn donon dilon par kia bitegi jab unn ko iss baat ka pata chalega??...... Anirud chacha, uss ke donon bête aur donon bahuwein, Aisha ki maa, sab mein se kissi ko himmat nahin thi iss baat ko Vijay se poochne ki aur naa hi Vijay ke mummy papa se kehne ki. To kuch dinon tak yeh baat unn logon tak hi rahi unn ke dilon mein quaid. Magar jab bhi Vijay aur Pooja ek saath Rhanveer lane mein nikalte shop jane ko ya kahin bhi jane ko to sab nazrein unn donon par rehta aur shaque ki nigaah se sab dekhte donon ko …. Ab Pooja to jab Vijay se saath chalti to usske baahon mein apni baahein dal deti, ya Vijay ke kaandhon par chipakti piche se….. aur baaki ki nazar unn par rehtey….. Magar unn donon ko bilkool pata nahin hota ke log unnko buri nazar aur bure niyat se dekh rahe hein…..

Pooja Vijay ke kareeb to thi hi magar, jab se Vijay Aisha se bichra tha, Pooja Vijay ke aur ziada kareeb hogayi, yeh iss liye huwa kyun ke Pooja Vijay ko pura emotional support de rahi thi har tarah se. Pooja Vijay ke liye ek maa ban gayi thi, ek dost ban gayi thi ek premika bhi ban gayi thi Vijay ko full support dene ke liye. Ab Premika woh wala nahin jiss mein jismaani taalukaat ho, weisi premika jahan dilon ka taar juda hota hai jahan aatmawon ka meil ho…Pooja ne har roop dhaaran karke apne bhai ko sambhala aur iss kaabil banaya ke ussne dobara apna studies ko jaari kiya, aur ghar mein phir se ghul milke rehne laga varna woh to bilkool tut gaya tha Aisha se juda hone ke baad, sharaab pita tha, studies bandh kar diya tha…. Pooja ki mehnat se Vijay dobara zindagi ko jee raha tha…. Phir vishwaas tha ussko apne Aisha par ke chahe kuch bhi hojaye Aisha ussi ki rahegi….

To baad mein dekheinguey kab yeh Anna wali keher inn do zindagi par tutegi, tab tak hum bhi Vijay ke saath befikar hokar khushi se uss ke sath jite hein….

University mein graduation ceremony tha. Vijay ko khat aya, saath mein paraivaar walon ko bhi aamantrit kiya gaya tha. Invitation card dekh kar Pooja uchal padi. Bahot khush thi aur kudh rahi thi aur baar baar Vijay ko chumein jaa rahi thi. Usssne zor zor se card ko padh kar gahr mein sab ko sunayi: “The university of - - - - - - requests the pleasure of your company on the occasion of the Graduation Ceremony For the Faculty of Law and Management…….. which will be held on Friday …………April ……. In the Auditorium of the University……” Pooja bahot ziada hi khush thi……Magar Vijay achaanak udaas hogaya aur apne kamre mein khamosh jaakar baith gaya.

Pooja jaldi se gayi Vijay ke paas aur poocha ke kia baat hai. To Vijay apne enkhon se ensoo ponchtey huwe kaha, “Aaj Aisha bhi tumhari tarah uchal rahi hoti! Usski badi tamamnah thi graduation ceremony mein stage par jana black gown aur black cap pehenkar!!” Pooja bhi serious hogayi aur udaas bhi. Phir Vijay ne kaha, Pooja keise bhi ho Aisha ko uss din hamare saath lechalna hoga. Aisha mujhe bhi stage par dekhna chahti thi, ek din uss ne kaha tha chahe kuch bhi ho jaye, chahe main aguey padh sakun ya nahin lekin jiss din tum black gown aur black cap pehen kar stage par award lene jawoge to mujhko zaroor present hona chahiye. Yeh ek bahot badi sammaan hai, it’s a too bid honour aur Aisha ko main nahin bhool sakta Pooja!” Pooja ne poocha keise Aisha ko lejayeinguey?

Vijay ne Pooja se kaha bilkool shor naa karein. Kissi ko pata na chalne dein ke graduation ceremony mein jana hai, aur Vijay Pooja ko lekar Anirud chacha ke yahan gaya Kaajal se milne. Wahan Kaajal ko invite kiya aur Kaajal se kaha ke kissi bhi keemat par Aisha ko saath lejana hai uss din ko…….. Kaajal ke yahan sab log Pooja aur Vijay ko ajeeb tarah se dekh rahe the Anna ki baton ko sochkar……

To be continued………………………
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 57

Keise bhi karke Kaajal ne Aisha se baat ki ke Vijay ki graduation ceremony hai aur tumko ana hai wahan. Aisha to uss din se phathar ki murat banni huwi thi, na kissi se baat karti thi na kissi ke saath rehti thi, din bhar apne kamre mein bandh rehti bus. Vijay ne kayi mail bheje par ek ka bhi reply nahin kiya Aisha ne, reply keise karti uss ne to computer ko chuwa tak nahin. Na TV dekhti, na sab ke saath baithti, aur na kissi se baatein karti, aur kabhi kabhaar to lounge mein chali jaati din ko par jab usske baap ka kaam se wapas aney ka waqt hota to woh ussko dekhna bhi nahin chahti thi to apne kamre mein bandh rehti thi yahan tak ke uss ka khana bhi usski maa usske kamre mein hi serve karti thi.

Jiss din se Aisha ne baghaawat ki thi uss din se shaayad hi 10 baatein ki ussne kissi se bhi siwae apni maa ke…. Ab, jab Kaajal wahan gayi to badi mushkil se baatein kar paayi woh uss se. Woh to apne kamre se baahar hi nahin ana chahti thi. Andar se darwaza lock kar liya tha apne kamre ka. Usski maa ne bahot awaaz di ke, “Kaajal ayi hai tujhse baat karna chahti hai darwaza khol ke andar hi bula ke baatein kar le nah beti!” Tab bahot der ke baad ussne darwaza khola aur Kaajal andar gayi to baatein ho paayi uss ke saath. Vijay ki graduation ceremony ki baat sunkar Aisha ke chehre par thoda sa chamak dikhayi di. Kaajal ko lagta tha ke woh ek ajnabee se baatein kar rahi hai. Aisha bilkkol Aisha nahin lag rahi thi. Ek alag hi koyi lag rahi thi. Kaajal ko sirf bolne jana tha aur Aisha ke chehre ko lagaataar dekhtey jana tha aur sawaal par sawaal karti jaa rahi thi Kaajal, yahan tak ke Kaajal ko ghussa aya aur poocha, “To kia karegi tu jaegi ya nahin?” Jab Kaajal ne dekha ke Aisha kuch nahin bol rahi hai to khadi ho gayi wapas jane ke liye tab Aisha dheemi awaaz mein boli, “Han jawungi, magar ghar mein yahan kia bolkar tere saath jawiungi?” tab Kaajal ne kaha, “sab se main kehdeti hoon ke uss Friday tu mere saath shopping ke liye chal rahi hai, tera mann bhi behel jaega yeh sochkar koyi kuch nahin kahega. Sab ko yeh pata chalna chahiye ke tum sirf mere saath shopping ke liye chal rahi hai. Tum apne kamre mein bandh rehti hai uss din se na kissi se baat karti hai na kissi ke saath baithti hai, yeh soch kar tera baap bhi tumko mere saath baahar jane dega. Thik hai?” Aisha raazi hogayi aur Vijay ko khush khabri Kaajal ne diya wapas aakar. Vijay aur Pooja donon khush the ke Aisha wahan mawjood hogi ceremony ke din.

Aakhir woh din aya, Vijay pure pariwaar sameth tayaar huwa din ke 10 baje. Ab din ke 10 baje to Aisha ka baap ghar par nahin hota hai to Aisha ko koyi dikkat nahin huwi ghar se nikalne ko Kaajal ke saath. Anirud chacha bhi jaa rahete. Ek minibus ka intezaam kiya tha ussi ne. Aur sab pariwaar nikle ghar se aur university ponhche din ke takriban 11 baje.

Ab wahan ka mahaul, sabhi friends miley, sab log ekatha huwe auditoruin mein, koyi 2000 logon se house full the aur Aisha ki nazar sirf Vijay par hi thi aur iss din ko Vijay ko time nahin mil raha tha Aisha ko dekhne ke liye kyun ke ussko to bahot kuch karna tha, pehle to sab dost logon ne Vijay ko gher liya woh first division first jo aya tha, sab mubarakbaad de rahe the, sirf 6 log uss ke group mein se First/first aye the unn mein Vijay tha aur baaki ke second class wale dost log Vijay ko wish kar rahe the…. Ab Vijay ke lecturers mein se kayi usske achchey dost bhi the. Unn lecturers mein se ek tha jiss ke yahan Vijay aya jaya karta tha kabhi kabhi. Usske gharwaalon ko bhi jaanta tha Vijay. Uss lecturer ke maa baap bhi aaye huwe the, aur uss maa ne Vijay se kayi baar kaha tha ke ek achchi ladki ko dhundna uss lecturer ke liye…. Jab Vijay ne uss dost lecturer se iss barey mein baat ki thi to uss ne kaha tha ke woh ek shushil ladki ki talaash mein hai jo ghar par rahe, usske ghar ka dekh bhaal kare, aur uss ke bachchon ko pale pose aur uss se bahot pyar kare, aur uss ka har roz wait kare ke kab woh kaam karke ghar ko waapas aye…. Vijay ne uss se kaha tha ke aaj kal to sabhi ladkiyan kaam karna passand karti hai kahan se ussko weisi house wife milegi? To uss lecturer jiss ka naam hai Anand, ne kaha ke ussko ziada padhi likhi ladki nahin chahiye bus thoda bahot English jaanti ho aur letter wagahira read kar sake paper padh sake to kaafi hai….. to iss din ko bhi Vijay ne Anand se poocha kia ussko woh ladki mili ke nahin…aur donon hansney laguey…… usske baad Vijay ko vest room se restroom tak jana pada apne black gown aur cap ko try karne ke liye….. to woh alag ho gaya aur sab log auditorium mein baith gaye aur intezaar mein the sab awardees ke entry ka.

Pooja ne apne haath mein program liye zor se pahr rahi thi. Har ek ko ek program mila tha ….. Aisha bhi wohi read kar rahi thi Jo Pooja awaaz se read kar rahi thi….: “Order of proceedings:

Awardees and guests are seated –

MUSIC: The assembly will stand –

Procession to the Rostroom –

National Anthem –

Opening of the ceremony by the chancellor –

Address by the Vice- Chancellor – Address by the guest speaker

Presentation of the students for the conferment of Post graduate Degrees, Award of postgraduate diplomas, conferment of bachelor’s degrees and award of diploma for the Faculty of law and management………..”

Pooja bahot ziada hi khush thi aur bina jhijhak ke pahrhi jaa rahi thi…aur Aisha follow kar rahi thi saath saath…….

Ussi din ko sirf ek group ki award nahin di jaa rahi thi balke kayi aur bhi degrees award ki jaa rahi thi sab mein Pooja ne read kiya yeh sab shaamil the:

Master of business administration, Master of business administration in financial management, Master of business management with specialization in human resourse management, Master of business Administration with specialization in Marketting, MSc E- Business, MSCFinance, MSC Human Resource studies,MSc International Business Management, Msc Computer Mediated Communication and Pedagogies, MBA International Business, MSc International Tourism Management, BSC (Hons)Human Resource Management….. etc etc….

Ab inn mein se Vijay awardee tha (Master of business administration in financial management) iss title ke liye.. Ab list mein sab awardees ke naam likhey huwe the har titles ke nichey… to uss title ke nichey sirf 6 naam the jo DISTINCTION subtitle ke nichey the, uss mein pehla naam Vijay ka hi tha, to Pooja ne zor se read kiya, “Vijay Kumar Rhanveer” aur khushi se uss ki enkhen bhar aayi aur woh rone lagi, yeh soch kar ke usska bhai aaj itna bada sammaan ka hakdaar hai ke itne bade bade log ussko sammaanit kareinguey uss zabardast stage par jahan bade bade gyaani log hi upar charrte hein. Pooja bahot emotional hogayi aur rone lagi…. Jab uss ne Aisha ke taraf dekha to Aisha ke enkhen se bhi jharr jharr ensoo jaari the…..

Aaakhir kuch intezaar ke baad sab awardees andar apne apne seat par baithey aur unn mein se Pooja Vijay ko nahin dhund paa rahe the kyunke takriban sab ke sab same same dikh rahe the black dress aur cap mein…. Cameramen photos khinch rahe the, auditorium mein bhi aur stage par bhi…. Ek ek karke sab ke naam announce huwe aur baari baari sab awardees apne apne award lene gaye stage ke upar, chancellors se haath milatey huwe…. Jab Vijay ka naam phukara gaya, to sab logon ke taaliyon ke saath Vijay ka swagat kiya, usska baap aur Anirud chacha garv se seena taaney taaliyan baja rahe the aur sabhi pariwaar ke enkhen nam the aur Pooja aur Aisha phoot phoot ke ro rahe the Vijay ko stage par jaatey huwe dekhte ….. Jab Vijay ne award lekar auditorium ka saamna kiya sar jhuka kar thanks kartey huwe to usski nazar wahan se Pooja aur Aisha par hi padi aur usska dil bhi ro pada aur usski enkhen bhi nam hogaye…..

Ceremony end hone ke baad baahar ek dusre stage par photo session ho raha tha jo hamesha graduation ceremony ke din sab awardees ke liye university ke taraf se organize hota hai, aur ek dummy certificate ko haath mei lekar pariwaar walon ke saath jitna chahe photos liye jatey hein, to sab logon ko wahan jana pada. Iss se pehley ke Vijay apna black gown aur cap return karta wahan photos khinchna zaroori tha aur riwaaj bhi tha….

To Vijay ke ilawa sabhi dusre awardees wahan line mein khade the apne apne parivaar walon ke saath photo khinchne ke liye….. Jab Vijay ka turn aya to, sab log gaye photo khichne usske saath… sabhi parivaar ne ek ek karke photos liye usske saath, Pooja ne to 5/6 tasveerein akele Vijay ke saath khinchwayi, kabhi uss ke dayein taraf khade hokar, kabhi bayein taraf, kabhi Vijay ka haath pakr kar to kabhi Vijay par piche se chipak kar….. Anna sab dekh rahi thi aur Kaajal aur Anirud chacha bhi…kyun ke unn logon ke mann mein shaque jo ho gaya tha Anna ke wajah se…..

Tab Vijay ne Aisha ko bulwaya photo ke liye…Aisha zoron se ro rahi thi aur nahin jana chahti thi stage par…. Vijay intezaar kar raha tha Aisha ke liye…magar woh bilat bilat kar roye jaa rahi thi… Pooja jab gayi ussko upar stage par lejane ko to Aisha phoot phoot kar rote huwe kaha, “Aaj main bhi uss black gown aur cap mein hoti, aaj main bhi apne award ko lene aati nah Pooja… Aaaj main bhi Vijay ke saath ussi dress mein Photo khichwaati nah….” Aur roti hi chali gayi Aisha…. Vijay ne sab suna aur usske enkh bhi bheeg gaye aur rote huwe woh hi stage se nichey utra aur Aisha ko baahon mein tame upar stage par gaya tasveerein ek saat lene ke liye… Aisha ek choti bachchi ki tarah roti jaa rahi thi aur kehti gayi Vijay se, “Yeh mere saath kyun huwa Vijay? Aaj hum donon sath saath iss dress mein hotey nah? Tumko nahin pata main keisa feel kar rahi hoon Vijay, mera dil ro raha hai Vijay mai apne papa ko kausti hoon Vijay, kyun ussne mere studies ko roka….” Vijay Aisha ko phuslata gaya, aur stage par Aisha ko chup karate huwe Vijay ne kaha, “Dekho tum mujhe iss jagah par dekhna chahti thi nah? Mujhe iss dress mein dekhna chahti thi nah, to lo woh din agaya aur main tumko yahan laaney mein kaamyaab huwa ab iss mawke ka faeda uthawo, bhool jawo purani baton ko, aur mere saath kuch tasveerein khinchwalo, kum se kum yeh nishani to rahegi hamari….. Aur donon ne ek dusre ke saath dozens photos liye… Vijay ne kaske Aisha ko pakra har tasveer mein aur kiss bhi kiya pure parivaar ke saamne Aisha ko….. aur Aaakhir mein Vijay ne apne gown aur cap utaar kar Aisha ko pehnaya aur usski Tasveer liye uss black gown aur cap mein….halaan ke nakli hai Aisha ka mann to khush huwa hoga uss sammaanit dress ko apne upar pehenkar, yeh sochkar Vijay ne ussko apna dress pehenney ko diya…..

Ghar lauttey waqt Aisha aur Vijay ek saath baithey uss bus mein aur donon purane zamane ki tarah jiss tarah weh donon university se wapas ghar lauta kiya karte the weise hi feelings ke saath ek dusre ko baahon mein liye bus mein baithey rahe pure safar ke dawraan…. Aisha ke enkhen rone se laal ho gaye the aur donon bahot khubsurat lag rahe the ek dusre se chipke baithe huwe …Pooja ne unn donon ki tasveerin li mobile se… Aisha ka sar Vijay ke chaati par thi, aur Vijay ki baahein Aisha ke donon taraf ussko jakre huwe tha…. Pura safar woh log weise hi ghar tak wapas aye…. Aur Rhanveer lane mein pohonchney se pehley Kaajal aur Aisha utar gaye taakey kissi ko Aisha ke yahan shaque naa ho!

To be continued……………….. (2079 words)
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
very nice update
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159

ke pavitra riste ko galat nigah se dekh rhe hain sab ye sahi nhi hai
aur dono bhai behen isse anjan hain
 
  • Like
Reactions: Casinar

nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top