• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 54

Ek taxi mein Vinod chacha ko haspatal lejaya ja raha tha. Car mein, Vijay ke pita, Anirud chacha aur Aisha ka bada bhai tha. Vinod chacha ke chehre se bahot khoon beh raha tha, aur woh leta huwa tha car ke piche wale seat par Vijay ke pita aur Anirud chacha ke beech. Ussne kaha, “Main iss baar Vijay ko police ke hawale karke rahunga.” Anirud chacha ne ussko danta aur ghusse mein kaha,”Khabardaar! Tu kuch nahin karega. Hum hospatal mein boleinguey ke tujhko girne se chot lagi hai aur tu bhi wohi bolega. » Tab Aisha ka bada bhai Ajay ne apne pita ko kaha, « Mujhe aap se yeh umeed nahin thi papa, sharam araha hai mujhko. Mujhe bilkool pata nahin tha ke aap ne Aisha ko weisa kaha tha…. Sharam nahin aap ko papa ? aap ko achchi tarah se maloom tha aur hai ke Aisha aur Vijay kitna chahte hein ek dusre ko bachpan se, aur aap sirf jalan ki wajah se, sirf Vijay ko harane ke liye uss se Aisha ko chiina? wah papa wah ! Vijay ne aap ko ek ghunssa ghusse mein mara to koyi badi baat nahin, main bhi wohi karta agar kissi ne mere pyar ko yun tarpaya hota. ! »

Tab Anirud chacha ne kaha, « Main to hamesha se sochta tha ke Vijay aur Aisha ki shadi kardi jaegi jab weh donon university ke course samaapth kareinguey, lekin iss ne Aisha ki course hi bandh karwadi aur alag kar diya donon ko…. » Ajay ne kaha, « Main bhi yehi samajhta tha ke woh donon shadi kareinguey baad mein…. Mujhey kia pata tha ke papa ne kia gul khilaya hai ! » Vijay ke pita khamosh sun raha tha tab Anirud chacha ne kaha, “Kia ghunsa mara hai baap! Yeh Mike Tyson ka wazan ka ghunsa tha! Sala ek darwaza ukhar gaya uss ke wazan se! kyun re Vinod, kia mehsoos huwa uss ghunse ko receive karke?” Vinod chacha ka chehra phul gaya tha aur uss ne bache ki tarah kahanrtey huwe kaha, “Uss ne achanak ghunsa mara, mere enkhon ke saamne bilkool andhera cha gaya tha, aur mere sar par laga ek bada bojh gir gaya ho jeise ek lohe se kissi ne mara… ek bijli ki kadak jeise dikhayi di enkhon ke saamne phir bilkool andhera cha gaya…mujhe pehle kabhi eisa chot nahin laga zindagi mein kia haath hai usska ya loha?!”

Tab Anirud chacha ne kaha, “han yaad hai pichli baar tum ne ussko ghayal kiya tha aur woh kayi dinon tak hospital mein admit huwa tha? Ab hisaab barabar.” Vinod chacha Anirud chacha ke saamne khamosh hogaya akhir usska sab se bada bhai tha woh…..
Udhar sab log apne apne ghar ko gaye aur Aisha apne kamre mein roti rahi kaafi der tak. Vijay ghuse se laal babula ho raha tha….usske jee mein ata tha ke Vinnod chacha ko aur bahot pakar ke mare…. Usski maa ne uss se kaha, “Vijay beta tumko apne chacha par haath nahin uthana chahiye tha aakhir woh tumhara chacha hai!” Vijay ne ghusse mein jawab diya, “Kamaal karti ho tum bhi maa….itna kuch hojane ke baad tum kehti ho ke main ne thik nahin kiya, arey ussko to bahot ziada maarna chahiye tha, haath peyr tod dena chahiye tha usska balke mera bus chalta to khoon kardeta main usska!” maa ne bahot samjhaya magar Vijay bahot ghusse mein tha aur kuch samajhna nahin chahta tha. Iss sthiti mein Vijay ka ghusa laazmi tha. Eisa hota hai aakhir sab insaan hai hum, aur ghussa insaan to kia jaanwaron ko bhi ata hai…aur yeh ek jazbaat hai jo mawke ke zarye ubharta hai aur bade gyani log hi issko control kar sakte hein aur Vijay ek mamooli insaan tha aur usske pyar ka sawaal tha, Aisha ki tarap aur ghutan o tanhayi ka sawaal tha to Vijay se raha nahin gaya aur uss waqt woh Vinod chacha ko chacha ke tarah nahin balke ek ghair aadmi ki tarah dekh raha tha jiss ne Aisha par zulm kiya ho… to yeh haath uthana uss waqt laazmi tha halaan ke ghalat hi sahi.

Pooja bhi kamre mein ro rahi thi Aisha ki situation ko dekh kar aur sab baatein sunkar…. Nayi dulhan Anna, jiss ka pehla din tha ghar mein ate hi ek tamasha dekh liya ussne…. Aur woh Vijay se darr gayi aur yeh sochne lagi ke Vijay ek gunda type ka insaan hai…. Vimal ne ussko bahot samjhaya ke Vijay bahot acha ladka hai magar Anna nahin maani. Vijay Pooja ke paas gaya aur ussko hansane ki koshish kar raha tha….. Pooja ne rote rote kaha, “Bhai tum keise yeh sab bardaasht kar rahe ho? Itne zulm sahe hein tum donon ne, aur tum muskura rahe ho? Mujhe to bahot rona araha hai, aur main kosti hoon apne aap ko ke main ne kayi baar Aisha ko bura bhala kaha hai pehle!”

Viajy ne Pooja ko samjhaya, “Tumhara koyi dosh nahin iss mein kyun ke tumko kuch bhi pata nahin tha. Aur rahi baat mere hansne hansane ki, to baat yeh hai ke main ne saara ghussa Vinod chacha ke chehre par utaar diya …aur bahot chain mehsoos ho raha hai mujhe yeh jaan kar ke mera Aisha to sirf mera hai aur woh tab bhi mujhse utna hi pyar karti thi aur aaj bhi karti hai…to kyun main khush na rahun?” Pooja ne kaha, “han yeh bhi sahi hai magar Aisha ki baton ko yaad kar kar ke mujhko to bahot rona araha hai…keise keise ro ro kar saari apni dukh suna rahi thi, apni saari ghutan aur dard hum sab ko suna gayi woh…kitna ro rahi thi…..”

Kuch der ke baad Pooja shaant hone par Vijay se poocha, “Bhai, to ab kia Vinod chacha raazi ho jayega tum donon ke shaadi ke liye?” Vijay ne jawaab diya, “Suna nahin tumne Aisha ne kia kaha? Ke jab tak uss ka baap nahin kahega woh kabhi mujhse milegi bhi nahin…. Aur usska agya ka paalan karti rahegi??!” To Pooja boli, “Han woh to thik hai magar, ab jo Vinod chacha ko pata chal gaya ke Aisha kissi ke saath shaadi nahin karegi to kia ab Vinod chacha ko nahin maan lena chahiye tum donon ke rishte ke liye?” Vijay ne kaha, “Mujhe to nahin lagta ke woh kabhi jite ji maanega Aisha ko mere hawale karne ko.“ Aur Aisha ne kaha, “Nahin bhai positive socho nah! Mujhe to lagta hai ke Anirud chacha aur papa ne unn se baat karli hogi aur hospital se ane ke baad woh tumko aur Aisha ko ek kar deinguey”

Vijay ne kaha, “Aur mujhe lagta hai ke jab woh wapas ayega to police usske saath hoga aur mujhko arrest kiya jaega!”

To be continued…………………
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 55

Vijay aur Pooja ne jo socha tha kuch bhi na huwa. Vinod chacha ko do din hospital mein admit kiya gaya. Uss ko dekhne ke liye Aisha khud nahin gayi. Aisha apne dil mein ek karwahat si paal chuki thi apne baap ke liye. Naftrat to nahin kar sakti thi magar kuch negative thi uss ke dil mein apne baap ke liye kyun ke ussko saaf pata tha ke uss ka baap ne sab kuch jaan bujh kar kiya tha. Sirf Aisha ko hi pata tha ke uss ka baap ne jo bhi baat kahi thi uss se woh Vijay se alag karne ke liya tha aur Aisha ek achchi beti ki tarah apne baap ki agyaa ka paalan kar rahi thi. Magar kiss tarah? Woh keisa agyaa hai jiss mein usski nuksaan ho? Agar uss ka baap kehta ke usski khud ki khushi ke liye aag mein kud jawo to kia Aisha ko uss agyaa ka paalan karna chahiye tha? Ab log kaheinguey ke ek baap apni beti ko eisa agyaa nahin dega kabhi, to sawaal yeh hai ke uss baap ka kia jo apni beti ko 50 hazaar rupay ke liye ek budhe aadmi ko bech deta hai aur beti ko agyaa deta hai ke jawo uss aadmi ke saath. To yeh bhi agyah hi huwa nah? To Aisha eisa hi soch raha tha. Agar uss doctor ko Aisha swikaar kar leti to usska baap seena thaan kar samaajh mein kehta ke uss ne apni beti ki shaadi ek doctor se ki. Sab credit woh leta aur kissi ko pata nahin chalta ke Aisha ne kiss haal mein uss shaadi ko swikaar kiya. Vinod eise logon mein se the jo apne naam roshan karne ke liye kissi ko bhi bali ka bakra bana sakta tha chahe woh uss ka awlaad hi kyun na ho! Sab usski khudgarzi thi, aur woh sirf Vijay ko nicha dikhane ke liye aur haraane ke liye hi Aisha ko uss se alag kiya tha aur koyi bhi vajah nahin tha…. Koyi yeh na soche ke woh baap hai aur woh apne beti ke liye thik hi sochega…nahin yeh weisa baap nahin tha balke khudgarz insaan tha jo dusron ko dukh deke khud uchalta hai!

Ek hafta guzra aur Vijay apne parhayi mein lag gaya aur udhar Aisha apne koney mein chup chaap ghar ki chaar diwaari mein quaid thi hamesha ki tarah. Uss ne bol chaal bandh kar di thi, kissi se bhi ghar mein baat nahin karti thi. Usski maa jab tab ekaat baat karti thi uss ke saath aur woh sirf sar hilakar jawaab deti thi. Lagta tha ussko koyi sadma ponchi ho. Magar kaun tha uss se poochney ke liye uss ka haal. Uss ke dil ka haal woh khud samajh sakti thi. Apne baap ke taraf to woh dekhti bhi nahin thi. Vinod chacha ne ek raat Aisha ko phukara kyun ke uss ka favourite hero ka movie araha tha TV par. Magar Aisha nahin nikli apne kamre se. Vinod usska darwaza open karke andar gaya aur ussko lounge mein aney ke liye kaha, magar Aisha apna chehra ek taraf karke Vinod se apna peeth kar liya…. Jab Vinod ne insist ki to Aisha zor se chilaayi, ”Chale jawo yahan se, main tumko dekhna bhi nahin chahti, tumhara aahat bhi nahin sunna chahti! Get out!” Ajay ne jab Aisha ko chilaate huwe suna to woh bhi apne baap par chillaaya wahan jaakar aur ussko wapas lounge mein bheja. Ajay dhire dhire Aisha se baat karne ki koshish kar raha tha magar uss waqt Aisha ko woh pyar chahiye tha jo Pooja ko Vijay se milta hai, weisa ek bhai chahiye tha jo Vijay Pooja ke liye hein…. Uss ghar mein weisa pyar tha hi nahin…. Ajay ke paas woh apnapan nahin tha jo Vijay ke paas tha, Vijay bahot alag kisam ka insaan tha jo kissi ka bhi dukh dard samajhta tha aur ussko baantna ata tha….

Aisha ek dum tut si gayi thi magar kiss se woh apne dil ki baat kahein? Ab udhar Vijay ko bilkool pata nahin tha ke Aisha ghar mein keisi behave kar rahi hai. Woh samajhta tha ke sab thik hai magar Aisha bilkool normal nahin thi pehle ki tarah… lagta tha woh koyi maansik tanao se guzar rahi thi…magar kissi se kuch kehti nahin thi aur koyi poochne wala bhi nahin tha…..

Din guzrte gaye…… hafte se mahine bitey….Vijay ghar mein Pooja se aur Anna se khub baatein mazaak kiya kartey the, aur exams ke din bhi guzre Viajy ki aur aakhir mein studies se free huwa woh apne degree ka imtehaan dekar…. Ab results ka intezaar tha…..

Anna kuch jalti thi Pooja aur Vijay ke apnapan ko dekhkar… Anna ka bhi ek bhai tha magar woh apne bhai ke saath bilkool kareeb nahin thi jeise Pooja aur Vijay the. Din ba din Anna jab dekhti gayi ke har waqt Pooja sirf Vijay ka intezaar karti thi, kissi bhi waqt Pooja Vijay ke kamre mein jaati thi, aur donon husband wife ki tarah rehte the , yeh Anna ko bilkool achcha nahin lagta tha…..

Ek din Anna ne Vimal se iss bare mein baat ki. Vimal ne kaha ke Vijay aur Pooja bahot kareeb hein aur behtareen dost hein donon aur ek dusre ko bahot achchi tarah se samajhte hein isi liye hamehsa saath rehte hein…. Magar Anna ne ulta jawaab diya. Kehne lagi ke Pooja aur Vijay ke beech kuch hai!! Vimal ne uss ko toka yeh kehkar ke eisi behuda baatein na kare. Magar Anna bharak pari yeh kehte huwe, “Ek choti jawan behen nighty mein apne bade bhai ke saath bistar par raat ko rehti hai? Baahon mein baahein dale jeise donon aashik ho, yeh tumko dosti lagta hai? Main to kehti hoon ke donon mein incestuous relationship hai! Aur main iss baat ko aguey badhhawungi !» Vimal aur Anna ke beech iss baat ko lekar bahot gambhir behez huwi. Vimal ko pata tha ke Pooja aur Vijay bahot kareeb hai aur donon ka rishta pavitra hai magar Anna uss rishtey ko buri nazar se dikhti thi…..

Ek din jab Vimal kaam par gaya huwa tha to Anna Aisha ke ghar gayi gossiping karne…. Woh har roz ya to Aisha ke yahan jaati thi ya Anirud chacha ke yahan unn ke do bahuwon se gossips karne ya Aisha ki maa se….. To iss din Aisha ke yahan baat kar rahi thi aur baton baton mein ussne Aisha ki maa se kaha ke Vijay aur Pooja ke lakshan thik nahin hai ghar main…..

To be continued…………………..
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159

nice update
achcha sabak sikhaya vinod ko vijay ne din me taare dikh gaye
 
  • Like
Reactions: Casinar

ab ye anna kis aag ko ghee dalne ka kosis kar rhi hai
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Kya sir.... romance ke naam par incest baant te rahte ho... is baar to insaaf kiya hota. duniyaa badal jaayegi par aapka writing genre nhi... kam se kam aap to idhar ali bhi ki kami to poora kar hi sakte ho.
Iss mein kahan incest hai bhai? Ye kahani xossip par 2010 mein likha aur post kiya tha aur 4 million views aaye the aur hazaron replies.... Ali bhai ki kammi to xossip par hi pura kiya tha main ne........... 4 incest story likhi hai pichley 8 salon mein..... public ki demand wohi thi xossip par..... magar aap logon ki nazar mein wohi utarta hai... jo baaki ke 11 NON incest stories likhe the uss par to koyi comment nahin karte kyun? Takliff hoti hai? Yahin par faraar chal raha hai jo ek thriller hai woh nahin dikhi aap ko? Takliff hoti hai to mere threads ko mat khola karo bhai. Bye.
 
Top