• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 45
Donon Pooja aur Vijay kuch pareshan the aur apne parent ki wait kar rahe the, bilkool bechain Pooja har waqt terrace par jaakar apni mummy ko isharey se bula rahi thi….. aur Vijay mann hi mann sochne laga ke kahin sach mein unn logon ko pata nah lag gaya ho ke uss raat ko woh aur Aisha mile the!! Magar Aisha kyun thodi der pehley muskurakar gayi khirki se? Vijay yeh bhi soch raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha Aisha ki uss muskaan ko, kia woh khush thi ke sab ko unn ka milney ka pata chal gaya? Kia woh ishara de rahhi thi ghar mein sab ko pata chal gaya ke woh donon mile the uss raat ko khirki se? Vijay pareshan ho raha tha ab….

Vijay bhi lounge ki khirki se baahar terrace par dekh raha tha aur sunney ki koshish kar raha tha ke kia batein kar rahe hein bade log… Magar kuch nahin sunn paa raha tha…. Pooja wapas ghar mein ayi aur Vijay ko zor se pakadh kar kaha, “Bhai mujhe bahot darr lag rahi hai, dekho agar uss raat ki baat ho, to mera naam mat lena please.” Vijay ne kaha, “Of course main tumhara naam nahin lunga, main kahunga ke main akela gaya tha wahan aur tumko pata bhi nahin tha.” Vijay tayyaar tha sach batane ke liye apni mummy papa ko agar woh log iss baarey mein poochey to.

Takriban paintaaliss minutes ke baad unn ke mummy papa ghar mein aye, aur atey hi Vijay ko bulaya unnhon ne. Vijay ke papa boley, “Vijay idhar awo tumse kuch baatein karni hai.”Yeh sunkar Pooja aur Vijay ek dusrey ke chehre ko dekhney lage aur Pooja ka chehra bilkool laal ho gayi thi aur woh kuch kaamp bhi rahi thi, magar Vijay bilkool nidarr wahan gaya apne parent ke paas lounge mein. Pooja bhi gayi aur ek koney mein khadi dekh aur sun rahi thi. To uss ke papa ne kaha, “Pooja tum apne kamre mein jawo.” Pooja ne jawaab diya, “Nahin papa main bhi jaanna chahti hoon ke kia huwa main bhi sunungi.” Tab papa ne mummy ko dekha aur mummy ne kaha, “Thik hai rehne do uss ko bhi yahin par,” tab tak bade bhai Vimal aur Annu bhi aye, aur sab ek saath mil baithey sunney ko ke kia maajera hai.

Papa: “Vijay humko sach sach jawaab dena, umeed hai ke tum jhoot nahin bologe,aur jahan tak main tumko jaanta hoon tum jhoot nahin boltey ho, to iss baar bhi yehi umeed karta hoon ke tum kuch nahin chupawoge apne mummy papa se.”

Vijay ne jawaab diya, “Kia main ne kabhi jhoot bola hai aap se papa?”

Papa : «To phir thik hai, humko yeh batawo kia tum Aisha se miltey ho kissi tarah se“

Yeh sunkar Vijay turant Pooja ki aur mudhkar dekha aur Pooja ne apni jeeb ko apni denton tale dabakar Vijay ko dekha enkhon mein. Phir Pooja Anu ko zor se baahon mein liya aur baith gayi ek sofe par, Anu ko samajh mein nahin aarahi thi ke Pooja kyun darr rahi hai aur Pooja ke chehre ko dekh rahi thi ghabrayi huwi woh bhi. Vimal muskuratey huwe Vijay aur Pooja ke chehre ko dekh kar kaha, “Main yakeen ke saath keh sakta hoon key yeh donon miltey hein! Bhala pyar karne walon ko koyi rok sakta hai kabhi?” To usska papa gambhirta se bola, “Vimal yeh mazaak ka waqt nahin hai. Main serious hoon!”
Tab Vijay ne kaha:

Vijay: “Papa iss se pehley ke main aap ko jawaab doon aap log mujhko please yeh batane ki kasht kareinguey ke aakhir baat kia huwi wahan par?” Tab Vimal aur Pooja donon ek saath boley, “Han aap log bataiye ke kia baat huwi wahan par?”

Phir Unn ki mummy ne kaha, “Samajh mein nahin aya kia kaha Aisha ne uss doctor ko apne kamre mein leja kar ke kamre se baahar atey hi doctor ne kaha woh wapas ja raha hai aur kuch aguey chalne ki koyi zaroorat nahin hai! Aur apne gharwaalon ko wapas chalney ko kaha aur sab uth kar chale gaye”

Aur Vijay ke papa ne kaha, “Kuch bahot serious baat huwi wahan par jiss ki wajah se woh doctor chala gaya baghair kuch bataye aur sirf yeh kaha ke apni beti se jawaab poochlena”

Yeh sunkar Vijay ke chehre par ek khushi ki jhalak dikhayi di aur uss ne mudh kar phir se Pooja ko dekha aur Pooja bhi muskura rahi thi Vijay ko dekhtey huwe. Phir Vijay ne poocha, “Mummy to itni der tak woh log kia kar rahe the Aisha ke yahan? Koyi ek ghantey se ziada to uss ke yahan the woh log?”

Mummy: “Sab kuch tayyar tha. Cakes bhi laye the unn logon ne mangni ki, anguthi bhi sajaya gaya table par, juice vaghaira serve kiya gaya mehmaanon ko, aur sab Aisha ki aney ka intezaar kar rahe the. Woh bahot der laga rahi thi apne kamre mein aur jab ayi to bilkool saadharan kapde mein thi aur make up vaghaira kuch bhi nahin kiya tha aur ek jeans aur T SHIRT MEIN THI! SAB LOG HEYRAAN HO GAYE aur ate hi uss ne sab ko ajeeb tarike se ‘HI EVERYBODY’ kaha aur doctor ko English mein sab ke saamne kaha, “I wish to talk to you in private would you please come to my room for a second?”

Yeh sunkar Vijay zor se hansa aur Pooja aur Vimal aur Anu bhi hansney lage!! Vijay ne taaliyan bhi bajaya. Aur kaha,«BRAVO AISHA!» aur hansta chala gaya !!

Mummy papa donon sab bachey ko hanstey dekh kar kaha, «To tum sab mile huwe ho? hmm tum sab ko pata tha ke yeh hone wala hai? Bolo! hum yehi jaanna chahtey hein!” Vijay ki khushi ka inteha nahin tha, woh zor zor se hansta chala gaya aur Pooja ke aur badha aur Pooja ne ussko baahon mein liya aur donon bhai behen ek dusrey ko bahon mein liye ek valse dance karne lage khushi ke maarey!

Vijay ke papa ko ghussa aya aur zor se danta, “Kia hai yeh sab?! Vijay mujhey tum se yeh umeed nahin thi! kia chichorapan hai yeh?! To Vijay ne Pooja ko chora aur sab khaamosh hogaye.

Aur papa ne yeh kaha, “Wahan Vinod bahot ghussa kar raha hai, Aisha ko kayi thapad bhi mara jab woh log chale gaye, kitna poocha ke uss ne Doctor ko kia path parhaya ke woh chup chap chale gaye magar Aisha ne koyi jawaab nahin diya aur thapad khane par bhi muskura rahi thi jeise apne baap se koyi badla le rahhi ho!”

Yeh sunkar Vijay serious ho gaya aur kaha, “Agar Vinod chacha aap ka bhai nahin hota nah papa, main abhi jaakar uss ko itna maarta ke woh behaal hospital mein para milta aap ko, salaa Aisha ko mara ussne, meri Aisha ko maara uss sale ne?!” Yeh kehkar Vijay ke enkhon mein ensoo agaye aur, aur woh idhar udhar ghusse mein chalne laga lounge mein, kabhi teracce par jata phir wapas ata, phir apne kamre mein jata aur phir lounge mein wapas ata…. Ghusse se bekabu tha woh aur uss ke papa ko pata tha usska ghussa kitna khatarnaak hai aur woh kuch bhi kar sakta hai uss haalat mein to papa ne ussko phuslane ki koshish ki aur samjhaya, “Dekho Vijay sunon, zara samajhne ki koshish karo, woh baap hai Aisha ka, aur usski izat ka sawaal hai… tum socho zara agar yehi baat Pooja ne kiya hota to mera kia haal hota unn sabhi mehmaanon ke saaamney? Keisa lagta tumko? Bolo!”

Tab Vijay thoda thanda huwa phir bhi yeh jawaab diya, “Papa awal to Pooja ko hum kissi ke saath zabardati nahin mangni karwate agar Pooja kissi aur ko chahti hoti, aur agar kabhi eisa haal hamare Pooja ke saath hota to hum thapad nahin maartey Pooja ko balke pyar se sawaal kartey aur hamari Pooja humko sab jawaab deti! Yeh Vinod chacha ka kusoor hai agar Aisha ne ussko koyi jawaab nahin diya aur weise behave kiya to. Yeh ussi baat ka natija hai jo Vinod chacha ne khud chaha!”
Vijay ke papa kuch der tak khamosh baithe rahe aur mummy ne kaha, “Phir Vinod hum logon par ilzaam lagane laga ke yeh sab tumhare vajah se ho raha hai Vijay. Uss ne kaha tumhare vajah se Aisha ne uss doctor ko inkaar kiya hoga aur hum log bhi milkar yeh batein kar rahe the ke shayad tum don chup chup kar ab bhi miltey ho aur tum donon ka pyar abhi thak chaalu hai…. Anirud chacha ne humko tum se poochne ko kaha hai ke kia tum donon miltey ho, kia tum donon mein kuch hai? Agar miltey ho to kab aur keise aur kahan? Jawaab do Vijay, kia tum donon mein kuch hai ab bhi? Agar hai to yeh namumkin hai beta, Vinod eisa kabhi honey nahin dega!”

Vijay ne kaha, “Maa, milne ki zaroorat hi kia hai maa? 11 mahiney ho gaye jab se hum bichrey hein…kabhi bhi milna naseeb nahin huwa, balke Aisha to mujhko dhitkaarti thi uss din ke baad. Woh khud mere taraf ati hi nahin thi, uss din shaadi mein kia tum logon ne dekha nahin tha kia Aisha mere aur dekhti bhi thi? Aur pyar karne walon ko kaun rok sakta hai maa? Kia agar milney se rok diya to pyar mar gaya kia? Baghair mile bhi to hum ek dusre se pyar kar sakte hein nah maa? Main inn 11 mahinon mein keise jiya hoon hoon Aisha ke baghair main hi jaanta hoon aur meri Pooja jaanti hai, tum log nahin samjhoge. Main kissi bhi ladki ke taraf dekhta bhi nahin halaan ke itni sari ladkiyon ke beech rehta hoon campus mein, kayi ladkiyan mere taraf aye magar main ne kissi ko badhaawaa nahin diya kyun? Sirf iss liye ke mera Aisha hai idhar…. Hamara pyar sacha hai maa tum log kyun nahin samajhtey ho? Vinod chacha ko kyun koyi nahin samjhata ke hum donon ko juda na karein? Kyun hum ko sab batein sunate ho tum log? Kyun ulta uss ko nahin samjhatey? Yeh sab kehtey kehtey Vijay ro pada aur Pooja ne usko baahon mein lekar chup karaya aur Vimal ne bhi Vijay ko sahara diya….. yahan tak ke choti Anu bhi Vijay ko thaama, Charon bachey ek saath the aur teenon Vijay ko support kar rahe the ….. Maa aur baap donon khamosh suntey aur dekhtey reh gaye…..

Thodi der baad Vijay apne aap ko sambhaalney ke baad bola, “Han maa, 11 mahine ke baad main ek baar Aisha se mila, sirf ek baar, kayi baar mail bhi kiya magar mails ka jawaab to woh nahin deti… ek baar mila magar main yeh nahin batawunga ke hum kab aur keise miley, yeh hamari secret hein…. Magar yeh jaan lijiye aap donon mummy aur papa ke Aisha ne mujhse phir milne se inkaar kiya aur mujhko phir se wohi doorie aur ghutann mein wapas chor diya…main yeh nahin jaanta ke hum phir mileinguey ya nahin magar usski bartaw se to yeh andesha hai ke woh milne wali nahin mujhse kabhi ab…. MAAGAR AAP LOGON SE YEH GUZARISH HAI KE YEH BAAT KISSI KO NAHIN BATAYEIN KE HUM DONON MILEY THE, NA Anirud chacha ko na Aisha ke pita ko please.

Tab Vijay ke papa ne kaha, “Thik hai main promise karta hoon ke nahin batawunga kissi ko lekin tum sirf mujhko aur tumhari maa ko bata do ke kab mile the aur kahan? Aur ek bahhut zaroori aur gambhir baat hai jo main tujhse akele mein karna chahta hoon chalo apne kamre mein aur mujhko sach sach batana iss liye ke mere liye yeh janna bahot hi zarori hai.”

Vijay ne kaha, “Choro na papa, main ne keh diya ke hum mile the so mile the ab kab aur kahan se kia matlab. Bus mile the sirf ek baar bola nah!”

Magar papa ne insist kiya aur Vijay ki bahon ko thamey ussko usski kamre mein lejatey huwe kaha, “Nahin yeh baat tumko batana hi hoga jo mujhe jaanna behad zaroori hai, chalo…” …………


To be continued……(2040 words)

 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 46

Jab Vijay ka baap ussko kamre mein leke gaya to ek lamba sanss lete huwa poocha, “Kia tumhara Aisha se sharirik sambandh huwa hai?” Yeh sunkar Vijay kuch der ke liye chup raha aur sar niche zameen mein garrey dekh raha tha. Usska baap ne phir sawaal ko dohraya, tab Vijay ne poocha, “Iss sawaal ka inn sab baton se kia matlab hai papa? Kyun pooch rahe ho tum eise sawaal?” Baap ne kaha, “matlab hai tabhi to pooch raha hon, bahot ehem matlab hai iss sawaal ka, tumhare jawab se main tey kar pawunga ke Aisha ne kyun uss doctor ko manna kiya, to jawaab kia hai Vijay?”

Vijay baat se mukarne ki koshish kar raha tha, ussne dusre baton mein apne baap ko uljhane ki koshish ki. Magar baap ne kaha, “Dekho Vijay tumhare ragon mein mera khoon daud raha hai, main koyi ullo ka patha nahin hoon, yeh jo tumharey soch hai, jo tumhare ideas hein sab mujh mein se tum mein ayi hai… mere jism ke hisse se bane ho tum… to mujhko ullo banane ki koshish mat karna… main sab samajh jawunga…. Haan rahi baat tumhari dil ki woh to main nahin jaanta issi liye sawaal kar raha hoon, mujhe jawaab do, main tum par kabhi ghussa nahin karta aur naa hi karna chahta hoon, tum par hamesha bharosa raha hai mujhe, aur iss bharose se sawaal kar raha hoon ke sahi jawab milega mujhe.”

Vijay kuch ghabra sa gaya jab uss ke papa ne uss andaaz mein baat kiye. Woh kabhi itna gambhirta se uss se baat nahin karta tha. Vijay samajah gaya ke kuch bhi ho uss ko sach sach batana hi parega…. Phir bhi Vijay alag tarike se jawaab dena chaha…. Uss ne kaha, “Papa, samajhlo ke han hum donon mein sexual relations raha ho to kia hota hai? aur nahin raha ho to kia farak padta hai?” Baap ne kaha, “Vijay, tum modern generation ke log ho donon, tum donon mein kia faisla huwa hai, keise iss maamle ko handle karoge yeh mujhko nahin pata. Agar tum donon mein sexual relationship raha hai, to bilkool sahi kiya Aisha ne, woh keise kissi aur ko apna jism degi agar tumko de diya ho to? Aur agar nahin huwa hai sex tum donon ke beech to kia kehkar uss ne doctor ko wapas kiya yeh main jaanna chahta hoon…. Main yeh bhi soch raha hoon ke tum ne Aisha ko sabak parhaya hoga ke kia baat kahein woh uss doctor se taakey woh wapas chala jaye…main issi liye sab vistaal mein jaanna chahta hoon aur ab tum mujhko sab saaf saaf batawoge….”

Vijay bistar par baith gaya aur kaha:

Vijay: “Papa kia sirf jism diya ho mujhe to woh kissi ko apna jism nahin de sakti yeh kaha aap ne? To dil ka kia papa? Aisha ka dil mere paas hai barson se papa? To jab Aisha ne apna dil mujhko de diya ho to keise woh apne aap ko kissi aur ko apna dil degi yeh kyun nahin socha aap ne papa? Kyun aap log sirf ek tarfa sochtey hein papa? Kyun aap log pyar muhabat ko ehmiyat nahin dete papa? Kyun har mummy aur papa eise hi sochtey hein papa? Kyun papa kyun?( Vijay ke enkhon mein ensoo bhar gaye yeh kehtey huwe aur chalaktey ensoo usske gaalon par behney lage aur usski awaaz tut tut kar bolta gaya….) Kyun aap bade logon ko pyar kabhi dikhta hi nahin? kyun sirf hum pyar karne walon ko hi saari taklifein uthani parti hai ? kia aap logon ke seeney mein dil nahin hota papa ? kia aap ne mummy se pyar nahin kiya tha papa ? kia mummy ne aap se pyar nahin kiya tha kabhi ? kia sirf sex karna aur ghar basakar kar bache paida karna aur kaam kar kar ke sab ka posan paalan karna yehi aap logon ka pyar hai papa ???? »

Phir Vijay phoot phoot kar rone laga apna sar haathon mein liye….. Pooja ne lounge mein se usska rona suna aur jaldi se andar kamre mein gayi aur Vijay ko gale se lagaya aur uss ke ensoowon ko ponchtey huwe poocha, «Kia huwa bhai ? papa ne mara kia ?» Vijay sisakta gaya aur Pooja ne papa se poocha, «aap ne bhai par haath uthaya papa?» Papa khamosh tha. Pooja zor se ghuse mein chilayi, «Papa aap ne bhai par haath kyun uthaya ? aap ko koyi haq nahin banta bhai par haath uthane ko… » To papa muskurata huwa Pooja ko dekha aur kaha, « tumhara pyar kaash har bhai ko naseeb ho Pooja beti, main ne haath nahin uthaya uss par, kyun hath uthawunga bhala ? woh baat karte karte ro pada puchlo ussi se, main chalta hoon… »

Jab usska papa kamre se nikal gaya to donon bhai behen ek dusre ko kaske bahon mein liye aur Vijay rota gaya, aur Pooja usska sar sehlati gayi jeise ek maa apne bache ko rote waqt chup karati hai….. Pooja mein bahot maamta thi, woh ek bahot achchi maa banegi eisa Vijay soch raha tha…. Pooja ne phir poocha Vijay se usska sar sehlatey huwe, «To kyun ro rahe ho bhai ? mujhey bilkool achchah nahin lagta jab tum rote ho to, dekho mujhko bhi rona agaya, hmm, chup ho jawo nahin to main bhi zor zor se rone lagungi…. » Pooja sach mein rone lagi thi Vijay ko rota dekh kar… tab Vijay ne Pooja ke gaalon par se ensoo mitaya aur kiss kiya unn gaalon ko aur zor se seene se lagaya Pooja ko. Phir jawaaab diya, «Rona agaya papa ko jawaab dete dete ke main Aisha ko pyar karta hoon aur usska dil mere paas hai to woh keise uss doctor ko apna dil de sakti hai…yeh sab kehtey kehtey rona agaya achanak yaar… »

Kuch der tak donon weise hi ek dusre ko thaame baithe rahe bed par tab Anu andar ayi aur woh bhi bed par jaakar unn donon ke beech ghuss gayi aur kaha, «Bhai mujhko bhi pyar karo nah tum sirf Pooja ko hi pyar karte ho !! » usski baaton ko sunkar Vijay aur Pooja donon hans pade aur donon ne Anu ko donon taraf se baahoon mein jakra aur ek ek gaal par donon ne chummi diye…kia khubsurat pose tha… ek photo lena chahiye tha, ek choti behen beech mein aur ek bada bhai ek taraf aur ek badi behen dusri taraf Anu ke gaalon par kiss karte huwe aur Anu ka chehra dekhney like tha uss waqt adha hansta huwa adha jeise ek sher ko dekha ho……


To be continued………………..
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 45
Donon Pooja aur Vijay kuch pareshan the aur apne parent ki wait kar rahe the, bilkool bechain Pooja har waqt terrace par jaakar apni mummy ko isharey se bula rahi thi….. aur Vijay mann hi mann sochne laga ke kahin sach mein unn logon ko pata nah lag gaya ho ke uss raat ko woh aur Aisha mile the!! Magar Aisha kyun thodi der pehley muskurakar gayi khirki se? Vijay yeh bhi soch raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha Aisha ki uss muskaan ko, kia woh khush thi ke sab ko unn ka milney ka pata chal gaya? Kia woh ishara de rahhi thi ghar mein sab ko pata chal gaya ke woh donon mile the uss raat ko khirki se? Vijay pareshan ho raha tha ab….

Vijay bhi lounge ki khirki se baahar terrace par dekh raha tha aur sunney ki koshish kar raha tha ke kia batein kar rahe hein bade log… Magar kuch nahin sunn paa raha tha…. Pooja wapas ghar mein ayi aur Vijay ko zor se pakadh kar kaha, “Bhai mujhe bahot darr lag rahi hai, dekho agar uss raat ki baat ho, to mera naam mat lena please.” Vijay ne kaha, “Of course main tumhara naam nahin lunga, main kahunga ke main akela gaya tha wahan aur tumko pata bhi nahin tha.” Vijay tayyaar tha sach batane ke liye apni mummy papa ko agar woh log iss baarey mein poochey to.

Takriban paintaaliss minutes ke baad unn ke mummy papa ghar mein aye, aur atey hi Vijay ko bulaya unnhon ne. Vijay ke papa boley, “Vijay idhar awo tumse kuch baatein karni hai.”Yeh sunkar Pooja aur Vijay ek dusrey ke chehre ko dekhney lage aur Pooja ka chehra bilkool laal ho gayi thi aur woh kuch kaamp bhi rahi thi, magar Vijay bilkool nidarr wahan gaya apne parent ke paas lounge mein. Pooja bhi gayi aur ek koney mein khadi dekh aur sun rahi thi. To uss ke papa ne kaha, “Pooja tum apne kamre mein jawo.” Pooja ne jawaab diya, “Nahin papa main bhi jaanna chahti hoon ke kia huwa main bhi sunungi.” Tab papa ne mummy ko dekha aur mummy ne kaha, “Thik hai rehne do uss ko bhi yahin par,” tab tak bade bhai Vimal aur Annu bhi aye, aur sab ek saath mil baithey sunney ko ke kia maajera hai.

Papa: “Vijay humko sach sach jawaab dena, umeed hai ke tum jhoot nahin bologe,aur jahan tak main tumko jaanta hoon tum jhoot nahin boltey ho, to iss baar bhi yehi umeed karta hoon ke tum kuch nahin chupawoge apne mummy papa se.”

Vijay ne jawaab diya, “Kia main ne kabhi jhoot bola hai aap se papa?”

Papa : «To phir thik hai, humko yeh batawo kia tum Aisha se miltey ho kissi tarah se“

Yeh sunkar Vijay turant Pooja ki aur mudhkar dekha aur Pooja ne apni jeeb ko apni denton tale dabakar Vijay ko dekha enkhon mein. Phir Pooja Anu ko zor se baahon mein liya aur baith gayi ek sofe par, Anu ko samajh mein nahin aarahi thi ke Pooja kyun darr rahi hai aur Pooja ke chehre ko dekh rahi thi ghabrayi huwi woh bhi. Vimal muskuratey huwe Vijay aur Pooja ke chehre ko dekh kar kaha, “Main yakeen ke saath keh sakta hoon key yeh donon miltey hein! Bhala pyar karne walon ko koyi rok sakta hai kabhi?” To usska papa gambhirta se bola, “Vimal yeh mazaak ka waqt nahin hai. Main serious hoon!”
Tab Vijay ne kaha:

Vijay: “Papa iss se pehley ke main aap ko jawaab doon aap log mujhko please yeh batane ki kasht kareinguey ke aakhir baat kia huwi wahan par?” Tab Vimal aur Pooja donon ek saath boley, “Han aap log bataiye ke kia baat huwi wahan par?”

Phir Unn ki mummy ne kaha, “Samajh mein nahin aya kia kaha Aisha ne uss doctor ko apne kamre mein leja kar ke kamre se baahar atey hi doctor ne kaha woh wapas ja raha hai aur kuch aguey chalne ki koyi zaroorat nahin hai! Aur apne gharwaalon ko wapas chalney ko kaha aur sab uth kar chale gaye”

Aur Vijay ke papa ne kaha, “Kuch bahot serious baat huwi wahan par jiss ki wajah se woh doctor chala gaya baghair kuch bataye aur sirf yeh kaha ke apni beti se jawaab poochlena”

Yeh sunkar Vijay ke chehre par ek khushi ki jhalak dikhayi di aur uss ne mudh kar phir se Pooja ko dekha aur Pooja bhi muskura rahi thi Vijay ko dekhtey huwe. Phir Vijay ne poocha, “Mummy to itni der tak woh log kia kar rahe the Aisha ke yahan? Koyi ek ghantey se ziada to uss ke yahan the woh log?”

Mummy: “Sab kuch tayyar tha. Cakes bhi laye the unn logon ne mangni ki, anguthi bhi sajaya gaya table par, juice vaghaira serve kiya gaya mehmaanon ko, aur sab Aisha ki aney ka intezaar kar rahe the. Woh bahot der laga rahi thi apne kamre mein aur jab ayi to bilkool saadharan kapde mein thi aur make up vaghaira kuch bhi nahin kiya tha aur ek jeans aur T SHIRT MEIN THI! SAB LOG HEYRAAN HO GAYE aur ate hi uss ne sab ko ajeeb tarike se ‘HI EVERYBODY’ kaha aur doctor ko English mein sab ke saamne kaha, “I wish to talk to you in private would you please come to my room for a second?”

Yeh sunkar Vijay zor se hansa aur Pooja aur Vimal aur Anu bhi hansney lage!! Vijay ne taaliyan bhi bajaya. Aur kaha,«BRAVO AISHA!» aur hansta chala gaya !!

Mummy papa donon sab bachey ko hanstey dekh kar kaha, «To tum sab mile huwe ho? hmm tum sab ko pata tha ke yeh hone wala hai? Bolo! hum yehi jaanna chahtey hein!” Vijay ki khushi ka inteha nahin tha, woh zor zor se hansta chala gaya aur Pooja ke aur badha aur Pooja ne ussko baahon mein liya aur donon bhai behen ek dusrey ko bahon mein liye ek valse dance karne lage khushi ke maarey!

Vijay ke papa ko ghussa aya aur zor se danta, “Kia hai yeh sab?! Vijay mujhey tum se yeh umeed nahin thi! kia chichorapan hai yeh?! To Vijay ne Pooja ko chora aur sab khaamosh hogaye.

Aur papa ne yeh kaha, “Wahan Vinod bahot ghussa kar raha hai, Aisha ko kayi thapad bhi mara jab woh log chale gaye, kitna poocha ke uss ne Doctor ko kia path parhaya ke woh chup chap chale gaye magar Aisha ne koyi jawaab nahin diya aur thapad khane par bhi muskura rahi thi jeise apne baap se koyi badla le rahhi ho!”

Yeh sunkar Vijay serious ho gaya aur kaha, “Agar Vinod chacha aap ka bhai nahin hota nah papa, main abhi jaakar uss ko itna maarta ke woh behaal hospital mein para milta aap ko, salaa Aisha ko mara ussne, meri Aisha ko maara uss sale ne?!” Yeh kehkar Vijay ke enkhon mein ensoo agaye aur, aur woh idhar udhar ghusse mein chalne laga lounge mein, kabhi teracce par jata phir wapas ata, phir apne kamre mein jata aur phir lounge mein wapas ata…. Ghusse se bekabu tha woh aur uss ke papa ko pata tha usska ghussa kitna khatarnaak hai aur woh kuch bhi kar sakta hai uss haalat mein to papa ne ussko phuslane ki koshish ki aur samjhaya, “Dekho Vijay sunon, zara samajhne ki koshish karo, woh baap hai Aisha ka, aur usski izat ka sawaal hai… tum socho zara agar yehi baat Pooja ne kiya hota to mera kia haal hota unn sabhi mehmaanon ke saaamney? Keisa lagta tumko? Bolo!”

Tab Vijay thoda thanda huwa phir bhi yeh jawaab diya, “Papa awal to Pooja ko hum kissi ke saath zabardati nahin mangni karwate agar Pooja kissi aur ko chahti hoti, aur agar kabhi eisa haal hamare Pooja ke saath hota to hum thapad nahin maartey Pooja ko balke pyar se sawaal kartey aur hamari Pooja humko sab jawaab deti! Yeh Vinod chacha ka kusoor hai agar Aisha ne ussko koyi jawaab nahin diya aur weise behave kiya to. Yeh ussi baat ka natija hai jo Vinod chacha ne khud chaha!”
Vijay ke papa kuch der tak khamosh baithe rahe aur mummy ne kaha, “Phir Vinod hum logon par ilzaam lagane laga ke yeh sab tumhare vajah se ho raha hai Vijay. Uss ne kaha tumhare vajah se Aisha ne uss doctor ko inkaar kiya hoga aur hum log bhi milkar yeh batein kar rahe the ke shayad tum don chup chup kar ab bhi miltey ho aur tum donon ka pyar abhi thak chaalu hai…. Anirud chacha ne humko tum se poochne ko kaha hai ke kia tum donon miltey ho, kia tum donon mein kuch hai? Agar miltey ho to kab aur keise aur kahan? Jawaab do Vijay, kia tum donon mein kuch hai ab bhi? Agar hai to yeh namumkin hai beta, Vinod eisa kabhi honey nahin dega!”

Vijay ne kaha, “Maa, milne ki zaroorat hi kia hai maa? 11 mahiney ho gaye jab se hum bichrey hein…kabhi bhi milna naseeb nahin huwa, balke Aisha to mujhko dhitkaarti thi uss din ke baad. Woh khud mere taraf ati hi nahin thi, uss din shaadi mein kia tum logon ne dekha nahin tha kia Aisha mere aur dekhti bhi thi? Aur pyar karne walon ko kaun rok sakta hai maa? Kia agar milney se rok diya to pyar mar gaya kia? Baghair mile bhi to hum ek dusre se pyar kar sakte hein nah maa? Main inn 11 mahinon mein keise jiya hoon hoon Aisha ke baghair main hi jaanta hoon aur meri Pooja jaanti hai, tum log nahin samjhoge. Main kissi bhi ladki ke taraf dekhta bhi nahin halaan ke itni sari ladkiyon ke beech rehta hoon campus mein, kayi ladkiyan mere taraf aye magar main ne kissi ko badhaawaa nahin diya kyun? Sirf iss liye ke mera Aisha hai idhar…. Hamara pyar sacha hai maa tum log kyun nahin samajhtey ho? Vinod chacha ko kyun koyi nahin samjhata ke hum donon ko juda na karein? Kyun hum ko sab batein sunate ho tum log? Kyun ulta uss ko nahin samjhatey? Yeh sab kehtey kehtey Vijay ro pada aur Pooja ne usko baahon mein lekar chup karaya aur Vimal ne bhi Vijay ko sahara diya….. yahan tak ke choti Anu bhi Vijay ko thaama, Charon bachey ek saath the aur teenon Vijay ko support kar rahe the ….. Maa aur baap donon khamosh suntey aur dekhtey reh gaye…..

Thodi der baad Vijay apne aap ko sambhaalney ke baad bola, “Han maa, 11 mahine ke baad main ek baar Aisha se mila, sirf ek baar, kayi baar mail bhi kiya magar mails ka jawaab to woh nahin deti… ek baar mila magar main yeh nahin batawunga ke hum kab aur keise miley, yeh hamari secret hein…. Magar yeh jaan lijiye aap donon mummy aur papa ke Aisha ne mujhse phir milne se inkaar kiya aur mujhko phir se wohi doorie aur ghutann mein wapas chor diya…main yeh nahin jaanta ke hum phir mileinguey ya nahin magar usski bartaw se to yeh andesha hai ke woh milne wali nahin mujhse kabhi ab…. MAAGAR AAP LOGON SE YEH GUZARISH HAI KE YEH BAAT KISSI KO NAHIN BATAYEIN KE HUM DONON MILEY THE, NA Anirud chacha ko na Aisha ke pita ko please.

Tab Vijay ke papa ne kaha, “Thik hai main promise karta hoon ke nahin batawunga kissi ko lekin tum sirf mujhko aur tumhari maa ko bata do ke kab mile the aur kahan? Aur ek bahhut zaroori aur gambhir baat hai jo main tujhse akele mein karna chahta hoon chalo apne kamre mein aur mujhko sach sach batana iss liye ke mere liye yeh janna bahot hi zarori hai.”

Vijay ne kaha, “Choro na papa, main ne keh diya ke hum mile the so mile the ab kab aur kahan se kia matlab. Bus mile the sirf ek baar bola nah!”

Magar papa ne insist kiya aur Vijay ki bahon ko thamey ussko usski kamre mein lejatey huwe kaha, “Nahin yeh baat tumko batana hi hoga jo mujhe jaanna behad zaroori hai, chalo…” …………


To be continued……(2040 words)

Vijay ki Khusi dekhte hi banti hai jab use aisha ke mna kerne ke bare me pata chala
achcha ja rhe ho
 
Top