• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 29
Thik tab hi Vijay khara hogaya aur Kajal se hath chura kar darwaze ki taraf chala gaya baahar nikalney ke liye tab kajal uss ke pichey afsos ke sath chal pari. Jab Vijay ne darwaza khola to Aisha kareeb arahi thi aur Vijay ko dekh kar khamosh khari ho gayi aur donon ne ek dusrey ko enkhon enhkon mein dektey rahe baghair kuch kahe tab tak Kajal baahar nikli aur Aisha ko dekh kar kaha, “Arey Aisha kia tum Vijay ko dhund rahi ho?” Aisha yeh sunkar pareshaan hogayi aur uss ke chehrey par laali chaa gayi aur woh wahan se tez raftaar se wapas lounge ke taraf chali gayi. Vijay usski taraf dekhta raha chehrey par udaasi liye. Kajal ne ussko hawsla dilaya ke ek na ek din woh ussko paakar rahega. Magar Vijay ne kaha, “Mujhey to nahin lagta ke woh din kabhi ayega Kajal.!” Kajal ne jawab diya, “Tumhara pyar uss ke liye sacha hai , tum kissi bhi dusri ladki ki taraf dekhtey hi nahin, yahan tak ke, agar tum chahtey to mujhko paa saktey the magar tum apney pyar par atal ho to sachchey pyar karney wale kabhi na kabhi miltey zaroor hai chahey beech mein kitna bhi daraar kyun na ho. Hawsala rakho, aur himmat se kaam lo tum zaroor kaamyaab hoguey.”

Batein kartey huwe donon wapas lounge mein ponchey aur Pooja ne kaha, “Kidhar gum hogaye the tum donon hmm?” Tab Aisha ne sar nichey jhukaye huwe enkhon ko upar karke Vijay ke nazron mein dekha ke woh kia jawab dega apni behen ko. Woh intezaar kar rahi thi ke Vijay safayi de ke woh kahan tha Kajal ke saath itney der tak!” Magar Vijay ne kuch bhi nahin kaha par Kajal ne jawab diya Pooja ko, “Bus hum donon ek serious baat discuss kar rahe the, kisi ke baarey mein jo Vijay ke bahot kareeb hai.” Yeh sunkar Aisha ke chehrey par phir laali pari aur uss ne Vijay ko dekh kar apna chehra ek taraf kar liya. Pooja ko ghusa aya ke Kajal ne eisa kyun kaha!

Uss ke baad sab log idhar udhar phel gaye, kuch log tent mein chale gaye, kuch log kitchen mein kuch khane pine ke liye aur kuch log kissi ek kamrey mein. Phir kuch der baad Kajal dawdtey huwe Vijay ke paas aya jab woh Pooja aur Anu ke saath tent main baitha baatein kar raha tha. Kajal ne kaha, “Tum logon ko khabar mili?” Teenon Kajal ko heiraan dekh rahe the jab Pooja ne poocha, “Keisi khabar Kajal? ”Kajal kuch ghabrayi huwi thi aur Vijay ko dekhtey huwe kaha, “Kitchen mein batein chal rahi hai ke kissi ladke ne shaadi mein Aisha ko passand kiya aur proposal bheja hai aur Aisha ke papa ne proposal accept bhi kiya hai!”

Yeh sunkar teenon bilkool khamosh hogaye aur Pooja aur Anu Vijay ke chchrey ko dekhtey reh gaye. Vijay ke chehrey ka rang badal gaya tha, uss ka expression alag sa hogaya tha. Woh khada hogaya aur ek do kadam idhar udhar chalaa, usske donon behnein uss ko bahot afsos ke sath dekh rahe the, aur Vijay ne apney sar par donon hathon ko rakh kar wahan se baahar raastey ke taraf chalne laga aur Pooja usske pichey daudtey huwe gayi. Pooja zor se phukaar rahi thi, “Bhai, bhai, sunon to, kahan jarahe ho, hum ghar ek saath jayeinguey, abhi papa mummy ka intezaar karo to…..”

Vijay kuch bhi nahin bol raha tha, buss chalaa ja raha tha diwane ke tarah kissi bemanzil musafir ki tarah. Pooja uss ke karib ponchi aur uss ke bahon ko thama aur kaha, “Wapas chalo andar mummy papa wait kareinguey.” Vijay khada kogaya aur ek lambey sans liya aur apney chehrey par apney haathon ko phertey huwe Pooja ko jawab diya, “Main bus thoda thandi hawa le raha hoon, ghutan si ho rahi hai andar, tum chalo main ata hoon.” Pooja ne apney bhai ko nahin chora balke uss ko zor se gale lagaya, aur khud roney lagi Vijay ko thamey huwe. Raastey mein koyi bhi nahin tha, sanata tha, raat ko barah bajney ko the. Vijay apne aap se larh raha tha. Apney aap ko kaabu mein karney ki koshish kar raha tha. Khamosh khada raha aur Pooja ko phir uss ne bhi bahon mein zor se thama aur kaha, “Bus karo, tum kyun ro rahi ho ab?” Pooja ko pata tha Vijay ke dil par kia beet rahi hogi aur uss se raha nahin gaya, aur bhai ke badle behen ro pari.

Kuch der ke baad donon wapas tent ke andar pohnchey jahan Anu aur Kajal khamosh baithey the. Kuch aur log bhi wahan ekathey ho gaye the aur sab Aisha ki proposal wali baatein kar rahe the. Aisha ke papa Vinod aur mummy Savitri bhi wahin the. Vinod ne zor zor se Vijay ko sunane ke liye kaha, “Ladka doctor hai aur foreign mein rehta hai, shadi ke baad Aisha ko lekar saath jaega. Meri laadli parayi hojaegi, dekhney ko bhi naseeb nahin hoga uss ka chehra ab.” Vijay apney sar ko hathon mein liya zameen par dekh raha tha aur saari batein uss ke kaan mein arahe the….. Vinod chacha bak bak kiye jar aha tha aur Vijay ko hi sab suna raha tha…. Itney mein Vijay ka bada bhai Vimal ko ghussa aya aur zor se Vinod chacha ko jawab diya, “To bhejo apni beti ko foreign, hum ko kia pari hai, kyun hum sab ko suna rahe ho? Jahanum mein bhi woh jaye to humko kia pari hai!!” Ab Pooja bade bhai ke taraf gaya aur apney haathon ko uss ke muhn par rakha khamosh karney ke liye. Itney mein Vijay ne kaha, “Pooja, mummy papa ko dhundo aur chalney ko kaho.”

Vinod chacha ne taana diya, “Sab jal rahe hein ke Aisha ko eisa achcha rishta keise milgaya!!” Vimal ne phir jawaab diya, “Kaun jal raha hai be! Bhaar mein jawo tum aur tumhari beti!” Tab Vijay ne Vimal ko kuch aguey kehney se roka. Pooja andar gayi huwi thi mummy papa ko dhundney. Uss waqt Aisha baahar ayi tent mein aur sab baatein suni jo usska papa keh raha tha. Aur ghusse mein apney papa se khamosh rehney ko kaha. Vimal ne Aisha ko dekhtey huwe kaha, «kia tum pehli ladki ho jo kissi Foreigner ke saath shadi karke baahar jawogi? kia yeh big news hai? tumhara baap eisa behave kar raha hai jeise dunya ki pehli ladki ho jo eisa karega aur hum ko tanaa maar raha hai, tum jahan chahe jawo humko iss se kia bhala?» Aisha uss waqt Vijay ke taraf dekh raha tha. Vijay khamosh sar ko zameen par garey nichey dekh raha tha, woh bahot hi pareshan aur udaas dikh raha tha, jeise ke abhi ro padega, Aisha ki enkhon mein ensoo bhar gaye aur woh dawdti andar chali gayi. Aisha ko to Vijay ki har ek expressions ka pata tha, uss ko pata chal gaya ke Vijay bahot udaas aur ghayal tha uss waqt, aur andar ek kamrey mein khud ko bandh karke Aisha zoron se roney lagi…..

To be continued…………………….
Kya aisha ye rista Kabul karegi Kya sach me aisha kisi aur ki ho jayegi
waiting 4 next
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259

Update 30

Aaakhir main sab log apney apney ghar ko wapas chale gaye. Vijay bahot udaas tha aur apney bistar par letey unn dinon ko yaad kar raha tha jab woh aur Aisha kitney khush the ek saath, bus yehi yadein usska sahara tha eise waqt mein. Usske dil ki dharkanein bahot tez the aur usska haal bilkool thik nahin tha, woh baar baar khirki ke paas jaakar Aisha ke kamrey ke taraf dekh raha tha.

Phir thodi der baad uss ne apna computer on kiya aur Aisha ko ek mail bheja. Mail mein sirf itna likha – “Naya jiwan saathi Mubarak ho” aur woh computer ko off karney hi wala tha ke ek reply turant aya!! Kaun tha? Kiss ka mail tha uss waqt raat ko? Woh heyraan hogaya yeh dekh kar ke reply AISHA KE TARAF SE THA!! Woh pehley to bahot khush huwa yeh dekh kar ke Aisha ke taraf se ek mail aya kitney mahinon ke baad, halaan ke Aisha ne kaha tha ke kabhi bhi woh ab mail nahin karegi Vijay ko. Mail ko open karney se pehley woh sochney laga ke raat ko do baje Aisha bhi nahin so rahi thi aur computer ke paas baithi thi! Phir socha ke shayad uss ko bhi pareshani thi aur woh bhi Vijay ko hi soch rahi hogi….. Aur Vijay ke khayal mein yeh bhi aya ke mail mein kia likha hoga uss ne, thanks kaha hoga, aur uss ko mail ko kholney ko mann nahin kiya…..


Phir Vijay yeh bhi sochney laga ke ho sakta hai ke woh vilayti doctor se chat kar rahi hogi, shayad uss ne apna email id uss ko shadi mein de diya hoga to woh uss se guftagu kar rahi hogi….. Vijay ne bina mail ko read kiye computer off kardiya aur bistar par leth gaya. Phir thodi der baad khirki ke paas gaya aur dekha ke Aisha ke kamrey ke lights to off the to keise uss ne mail send kiya? Uss ka computer to ussi room mein hai jiss mein woh soti hai….. to Vijay ne phir se computer on kiya aur email ko open kiya.

Email mein Aisha ne sirf yeh likha tha- “bullshit
Ab Vijay ko heirani huwi ke kia matlab hai? Kia kehna chati thi Aisha uss reply se? uss ne phir jawab diya- “why bullshit?” phir jawab aya, “because it is bullshit” to Vijay phir khirki ke paas gaya aur dekha ke Aisha ka kamra black thi, to woh computer par baghair lights on kiye baithi thi!! Vijay ne phir reply kiya- “please explain” udhar se jawab aya- “Can’t explain” to Vijay ne phir reply kiya- “I beg of you please explain” Aisha ne reply kiya, “Goodnight go to sleep, I am logging off.

Vjiay uth kar apney kamrey ka lights on/off kiya jeise donon kiya kartey the apney achey dinon mein yeh umeed se ke Aisha bhi lights ko on off karegi….. usski kamrey ke taraf dekhta raha aur intezaar karta raha ghantey bhat magar na to koyi mail aya na hi lights on/off huwe…. Aur Vijay aakhir mein bistar par leth gaya baghair computer off kiye aur usski enkh lag gayi. Sapnon mein Aisha ke saath woh pyar kar raha tha. Khuley vadiyon mein donon ek dusrey ko thamey ghum rahe the aur ek bahot hi khub surat baghichey mein phoolon ke beech donon ishk farma rahe the…. Jab Vijay ki enkhen khuli to suraj aasmaan mein kaafi upar tha aur jaldi se uth kar tayar honey laga university ko janey ke liye. Jab bathroom se wapas aya apney computer ko off karney ko to dekha ke 3 emails hein Aisha ke taraf se.

Pehla email mein yeh likha tha- “Kyun lights ko on/off kar rahe ho? Main nahin karney wali, sab ko pata hai hamarey iss trick ka iss ghar mein
Dusrey email mein yeh tha: “Sogaye kia? Main ab bhi jag rahi hoon

Teesri mail lambi thi- “Tum bhi ek naya jiwan saathi dhundlo ab. Khushi khushi jiyo aur zindagi mein aguey barho. Hamesha khush raho aur mujhko bilkool hi dil se nikaal do aur apna saara pyar uss naye jiwan saathi ko do. Uss ko kabhi bhi nahin pata lagney dena hamarey baarey mein. Koyi bhi ladki yeh passand nahin karegi ke uss ka husband kissi aur se kabhi pyar karta tha. Tum dobara university janey lage yeh jaankar mujhko bahot khushi huwi. Tum topper to ho hi class mein to pata hai ke kuch kar dikhawoguey aur zaroor kuch ban pawoge. Mujhko yakeen hai ke tum apney khaandaan ka naam roshan karoge. Tumharey naam roshan honey se mera bhi naam roshan hoga, aakhir main bhi to Rhanveer family ka ek sadasya jo thehri (smile). University mein sabhi dosto ko mera ‘hi’ kehna aur kehna ke kismat mein hum donon ko bicharna tha bus. Aur please Bhagwaan ke liye mujhko ab kabhi mail nahin karna varna main toot jawungi. Tumharey mails mujhko kamzor kardeti hai, aur main apney aap ko sambhal nahin paati hoon. Han aur uss Kaajal se bilkool door rehna nahin to tum ko kacha chaba jawungi”


Vijay iss mail ko read karke zor se hansney laga aur hanstey hanstey roney laga. Pooja ne suna to jaldi se uss ke kamrey mein ponchi aur poocha ke kia baat hai. To Vijay enkhon se ensoo behtey huwe Pooja ko baahon mein liya aur mail ko dikhaya aur phir hansney laga aur roney bhi laga. Pooja bahot zor se apney bhai ko bahon mein jakrey huwe uss ka peeth thap thapaya, aur khud apney enkhon se ensoo poncha.

Vijay ko university janey ko der ho raha tha to sirf yeh reply send kiya Aish ko- “Getting late, will reply you in the afternoon” aur pc ko off kiya, Pooja ko ek kissy diya aur chal para. Jatey jatey Rhanveer lane mein murr kar do teen baar Aisha ke ghar ke taraf dekha ke kahin woh nazar na aye, magar woh nahin dikhi aur Vijay chala gaya. Bus mein woh sirf Aisha ki mail par ghaur karta raha. Bahot khush tha woh magar phir bhi udaas tha. Soch raha tha ke keise Aisha ko samjha jaye? Kia hai uss ke dil mein –aakhir chahti kia hai who!

Campus mein woh bahot khush dikh raha tha aur doston ne poocha uss khushi ki wajah kia hai. Vijay ke paas koyi jawaab nahin tha. Usska ek lecturer tha Mr. Thomas jisski Vijay bahot izat karta tha aur mushkil waqt mein hamesha uss se salah leta tha.

To Vijay ne Mr. Thomas ko sarey baat bataye aur ek salah manga. Mr. Thomas Aisha ko janta tha aur unn donon ke love ke barey mein bhi sab pata tha ussko pehley se hi. Lekin jo ab Vijay ne sunaya iss se woh nawakif nahin tha. To Thomas ji ne Vijay ko yeh kaha-

“Dekho Vijay, zindagi mein bahot saarey gham, dukh, muskilein, taklifein hotey hein. Lekin ghaur se dekha jaye to tumko pata chalega ke dusron ke gham aur taklifein tumharey gham se kahin ziada hai phir bhi woh ji rahe hein. Unn mushkilon ke saamna kar rahe hein. Zindagi mein jo kuch bhi hota hai hamarey bhaley ke liye hotey hein, han hum ko lagta hai ke hamarey sath bura ho raha hai, lekin baad mein pata chalta hai jo huwa thik hi huwa. Hum ko present mushkilon ko lekar pareshan nahin hona chahiye. It is blessings in disguise. Tumko ek baat batawun- ek ladka tha jo kabhi bhi plane main nahin baitha tha. Uss ka bada mann tha plane mein safar karney ko. Gharib tha bechara. Lekin bahot mushkilon se, mehnat kar kar ke uss ne paisa jama kiya so that he can travel by a plane. Usska sab se bada sapna tha ke woh plane se safar karey. To kayi saalon ke baad paisa jama karney par uss ne passport vaghaira banwaya aur ticket kharida phir woh din aya uss ke zindagi mein ke woh plane se safar karein. Uss ne USA ka safar karna chaha aur sab tayyaar ho gaya aur janey ka din aya. Uss ke mohaley ke sab log ekhtey huwe ussko airport chorney ko. Usske budhe baap aur maa the. Sab doston se kaha unn ke khayaal rakhney ko. Thik ek din airport janey se pehley uss ke papa ko severe heart attack aya!! Subha ko uss ko plane pakarna tha aur raat ko apney papa ke saath hospital ponhcha. Baap ko ICU mein admit kiya gaya, woh to behaal tha jeise coma mein ho, bahot sarey apparatus lagaya gaya uss ke jism par. Woh ladka bahot udaas hogaya aur roney laga ke itney mehnat se uss ne plane mein safar karney ki tayaari ki aur thik jab waqt aya plane mein janey ko to baap hospital mein chala gaya ab woh keise jaega USA? Ghussa karney laga, apney kismat ko kosney laga. Zor zor se roney laga. Sabhi doston ne kaha ke pita ke thik honey ke baad chale jana , koyi baat nahin magar ussko tabhi jana tha…. Woh zid kar baitha ke woh subha ko hi jaega….. aakhir raat mein hi baap ka dehant hogaya. Baap margaya ab keise woh ja sakta tha? Sabhi funerals ke procedures karni thi ussko…….. bahot udaas woh zoron se raat bhar rota raha, ek to pita ka mawt, duja, safar ka failure…… pata hai subha ko kia huwa Vijay? Jiss plane se woh safar karney wala tha, plane ka crash hogaya thik take off ke 10 minutes baad! Dead passengers ke list mein uss ka naam tha!!....... To Vijay, iss se yeh saabit hota hai ke tum chahey kitna bhi zor lagalo, hota wohi hai jo uss ka planning hai, God ka. Woh decide karta hai ke kab kia hona hai. Woh jo bhi karta hai thik karta hai aur uss ko maloom hai hamarey liye kia thik hai aur kia nahin. Ab dekho uss ladke ka marney ka time nahin aya tha, to ussko kissi bahaney plane mein nahin jana tha. Kissi na kissi bahaney rukna para ussko, agar woh uss plane mein jata to kia hota? Usski mawt ho jati. To jab waqt mukarar nahin tha to woh keise marta? Uss ka plane mein na jana, usske pita ka bimaar hona aur dehanth hona was a blessing in disguise to save his life, though he suffered the loss of not travelling. To issi tarah agar tumko Aisha se milna hai, agar tum donon ko ek sath jina hai to woh hokar rahega. Aur agar nahin milna hai, to iss ke pichey koyi na koyi vajah zaroor hogi jisska hum ko tumko kissi ko pata nahin, bahot saalon baad isska pata chalega hum sab ko. Pata nahin God ne kia reserve kiya hai tumharey liye future mein. Tum mann udaas mat karo aur jo hona hai sab accept karo to dekhna tumhara mann halka hoga aur tum khush rahoge.”

Vijay, Sir Thomas ki baton ko sunkar bahot impress huwa aur uss ko ek vishwas huwa apney aap par. Uss ko positive sochney ki himmat huwi aur woh khushi khushi ghar ko wapas aya.


To be continued……………………….
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259



Update 31

Sir Thomas ki baaton ka assar ne Vijay ko bilkool positive kiya aur ussko ek sukoon mehsoos huwa apne aap mein. Ghar ate hi woh computer par gaya Aisha ko reply karney ke liye. Uss ne yeh mail likha aur send kar diya.

“My dearest love Aisha,

Tumko ‘dearest love’ se address kiya hai kyun ke tumharey ilawa koyi bhi ab tak mera ‘dearest love’ nahin hai. Aur shayad naa hi kabhi hoga lekin koyi parwah nahin. Iss baat ka mujhey bahot khushi hai ke tum ne mujhko mail kiya kum se kum tumhari taraf ke kuch to sunney ko mila. Agar likhoon hi to bahot kuch kehna hai aur yeh mail ek kitaab ban jaega, yeh to tum jaantey hi ho main kitna lamba likhta hoon. To tum ko bore nahin karney ke liye bus itna kehta hoon ke jo kismat mein likha hai woh to ho kar hi rahega issko na to tum badal sakti ho na hi main. Aaj main ne Sir Thomas se baatein ki. Bahot tassali huwi dil ko unn ki encouraging baton se. Woh ek bahot hi gyani insaan hai jo life ko positive lete hein aur hum sab ko sahi raah dikhata hai. Umeed hai ke tumko Thomas Sir yaad hai. To ussi ki kehney se main tumko bhi yehi kahunga ke positive rehna aur positively har zindagi ki mor ko accept karna tumhara bhi bhala hoga. Aur yeh kehna munasib samajhta hoon tumko, ke agar hum donon ke zindagi mein ek hona hai to koyi bhi hum ko door nahin kar sakta, aur agar nahin milna hai to koyi bhi hum ko nahin mila sakta. Ab rahi baat hum donon ke apni koshish ki to har insaan ko apne taraf se to bharpur koshish hamesha karna hi chahiye kuch paaney ke vaaste, to mere taraf se to hamesha se koshish rahi hai tumhari taraf yeh tum achchi tarah se jaanti ho. Ab rahi baat tumhari koshishon ki to iss barey mein kuch nahin kehna tumhein. Tum bachi nahin ho, khud baat samah sakti ho. Hum katputli hein takdeer ke haathon, phir bhi agar hum insaan chahey to takdeer ko badal bhi saktey hein. Yeh hum sab par khud nirbhal karta hai. Ab misaal ke tor par agar tum khud apney parivaar ko chor kar mere paas ajawo to kaun kuch bigaar sakta hai hamara? Tum se main courts mein marriage kar lunga to kia bigaar lega tumhara papa? Main yeh nahin keh raha hoon ke tum yehi karo jab ke mujhko achchi tarah se pata hai ke tum weisa kabhi nahin karogi, main to bus misaal de raha hoon keise hum insaan kismat ko badal bhi saktey hein agar hum chahe to. Haath par haath dhare baithey rehne se kuch haasil nahin hota meri jaan. Lekin tum fikar mat karo mere barey mein. Kal raat ko tumhari foreigner se proposal ki baat sunkar main bahot pareshan huwa to tha yeh sach hai, magar ab nahin hoon kyun ke positively dekha jaye to jiss ki kismat mein jo hona hai woh to hokar hi rahega. Ab agar tumhari kismat mein kissi aur desh mein jaakar successful hona hai to mian kyun tumhari raaste ka kanta baun bhala? Main to tumhari khushi chahta hoon, to mujhko koyi kaq nahin banta ke main rukawat banu tumhare raaste ki.

Tum ne kaha hai ke tumko mail na karun, chalo thik hai iss mail ke baad ab nahin karunga. Mera aakhri mail hai yeh. Tum bhi reply mat karna. Han agar koyi urgent baat ho jo mujhse share karna chaho to zaroor mail karna. Bahot dukh huwa tha jiss din tum ne mujhko dhitkara tha jab main tumse baat karney ko aya tha tumharey ghar par. Magar ab unn baton se faeda kiya. Choro unn baton ko. Han ek baat kehna tha- tum ziada khub surat ho gayi ho aur shadi mein you were just killing, issi liye uss doctor ka dil agaya hoga tum par. Aur kyun na ho aakhir meri Aisha jo thehri? Yeh mail read kar ke rona mat. Main nahin ro raha halaan ke bahot roya hoon tumharey liye. Magar ab nahin. Rona dhona bandh. Bahot ho chukka.
To jawo tum bhi khush raho. Mera dil saaf hai, koyi maiyl nahin tumhare liye mere dil mein ab. Han aur ek choti si baat. Tumko yaad hai hum donon ne kia faisla kiya tha ke agar hamara pehla bachcha ek ladki hogi to kia naam rakheinhuey usska? buss yeh ilteja hai tumse, ke agar beti huwi to wohi naam rakhna please, mujhko behad khushi hogi. Thanks. AUR HAAN- KAJAL MERA DOST HAI BUS. KUCH NAHIN HAI AUR NA HOGA MERE AUR USS KE BEECH TUM BEFIKAR REHNA ISS BAAT SE.

Tumhara khoya huwa pyar

Vijay.

Vijay ne mail ko phir se read kiya aur kuch sochney ke baad, mail ko dekhta raha phir SEND par click kiya aur mail chala gaya. Woh apne kursi par kuch der baitha raha, ek lambi angrayi li, apney aap ko ainey mein dekha, baalon mein haath ko phera, phir kamrey se baahar nikla. Pooja aur Vijay ki maa donon rasoyi mein busy the. Vijay udhar gaya aur pichey se Pooja ko jakra aur ussko cherney laga. Pooja jhoot mooth ke naraaz huwi aur uss ko chorney ko kaha. Magar Vijay cher chani karrta raha yahan tak ke usski ma ko donon ke beech aakar samjhwta karwana pada. Pooja ne kaha, “Kia baat hai aaj itna khush kyun ho bhai?” Vijay ne kaha, “Pata nahin kyun aaj sach much khush hoon.” Vijay ki maa ne tab kaha, “mujhey khushi hai ke tum khush ho beta, hamesha khush raho eise hi.” Tab Pooja ne Vijay ko pichey se bahon mein liya aur apney sar ko apne bhai ke peeth se laga kar kaha, “Mera pyara bhai, mera achah bhai hamesha khush hi rahega, hai na bhai?” aur Vijay ne jhoot mooth roni surat bana kar kaha, “nahin nahin main bahot dukhi insaan hoon main to hamesha dukhi hi rahunga” aur Pooja ko hansaya.


Bahot khusgawaar mahaul tha kitchen mein uss waqt tab Anu bhi ayi aur donon ke saath hansney khelney lage, uss ke baad Vijay ka bada bhai Vimal kaam se wapas aya aur charon milkar ek video dekhney chale gaye lounge mein.

Udhar Aisha ko mail mili. Mail pahrtey hi woh khamosh apney computer ke paas baithi rahi, aur kuch der baad roney lagi. Khub phoot phoot kar royi woh. Aur khirki ke paas aakar khadi Vijay ke kamrey ke taraf dekhti rahi kaafi der tak. Magar Vijay to lounge mein Video dekh raha tha bhai behnon ke saath. Eisa hi hota tha har waqt. Jab Vijay apney kamre se Aisha ke khirki ke taraf dekhta tha to Aisha udhar nahin thi, aur jab Aisha idhar dekhti thi to Vijay nahin hota tha… yeh sab kismat ki batein thin. Magar kabhi kabhi kismat saath bhi deta hai. To huwa yeh ke Vijay ko movie passand nahin ayi aur uss ne kaha ke woh Tiger ke saath khelne ja raha hai. Tiger yaad hai nah? Uss ka chaheta kutta.

Jeise hi Vjay baahar nikla Tiger ke paas to Aisha ko apne khirkike paas paya. Vijay ko pata chal gaya ke woh ro rahi thi usski shakal dekh kar. To Vijay ne haath ke isharey se poocha, “kia huwa?” Aisha ne negative mein sar hilayi. To Vijay ne ahista se poocha, “mail mila?” tab Aisha ne positive mein sar hilaya. Tab Vijay ne apney kandhon ko shrug kiya aur Tiger ko khola aur Tiger uchalney laga uss ke saath… Aisha udhar se Vijay ko barabar dekhti rahi, usski nazrein Vijay par fix thiin. Vijay ne phir uss ke taraf dekha to Aisha ek taraf dekhney lagi. Tab Tiger daudtey Aisha ke khirki ke paas poncha aur uss ko bhonkney laga. Aisha ne Tiger se kaha, “Jawo mere paas kuch nahin hai tumko dene ko.” To Vijay Aisha ko dekhtey huwe sochney laga ke kia Aisha indirectly ye baatein uss ko keh rahi thi? Vijay ne phir ahistey se poocha, "kyun ro rahi ho? Mail ki wajah se?" Aisha ne phir sar ko negatively hilaya. Thik ussi waqt kissi ki chalney ki aahat sunayi di Rhanveer lane mein, Aisha ke papa kaam se wapas arahe the, Aisha ne jaldi se khirki bandh kiya aur parde ko khincha aur andar chali gayi aur Tiger Vinod chacha ko bhonkney laga aur uss ko beech lane mein khada hona pada, tab Vijay ne Tiger ko bulaya aur Vinod chacha apney ghar ko gaye.

To be continued…………………
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259


Update 32

Shayad Aisha ko kuch aur kehna sunna tha Vijay se, shayad agar uss ka papa nahin ata to woh kuch kehti Vijay se, eisa Vijay soch raha tha. Vijay ne mail mein itna kuch keh to diya lekin kia uss ka dil sach mein tayyaar tha unn baton ke liye jo uss ne likha tha mail mein? Kia Vijay apne aap ko weisa mazbut kar sakta tha? Tha to woh bahot hi emotional aur Aisha ko diwangi ki had tak pyar karta tha, uss ne to thaan hi liya tha ke zindagi bhar kissi ko pyar nahin karega agar uss ko Aisha nahin mili to, to kia ab Vijay badal raha tha? Inn sab baton ka pata chalega dhirey dhirey age hum sab ko.

Vijay apne aap ko family members ke saath bharpur ghul mil ke rehney ki koshish karta rehta tha jab bhi woh ghar mein hota. Pooja ke saath to woh rehta tha hi, Pooja usska chaheti behen thi, ziada waqt ghar mein woh ussi ke saath bitata tha, kabhi cher chani mein to kabhi achi achi batein kartey. Pooja bhi Vijay ke bina rehti hi nahin thi. Jab tak Vjay university se wapas nahin ata, Pooja 10 baar clock dekhti rehti ke kyun abhi tak Vijay wapas nahin aya. Pooja ki maa kabhi kabhi naraz bhi hoti thi aur Pooja ko kehti, “Tum to eisa behave karti ho jeise woh tumhara bhai nahin tumhara husband hai!!” Aisha ko iss baat ka bahot bura laga aur woh apney aap ko Vijay se alag karti gayi dhirey dhirey. Uss ne Vijay se kuch bhi nahin kaha jo maa ne kaha tha, bus apney aap hi Vijay ko ignore karney lagi aur door door rehney lagi Vijay se.

Vijay ko mehsoos huwa ke Pooja uss se door door rehney lagi, aur uss ko kuch daal mein kala laga. Woh jab bhi Pooja ke paas jata to Pooja uss jagah se uth kar kahin aur chali jati, jab TV weh donon ek saat hamesha dekhtey the ab Vijay agar uss ke paas baithney ko ata to Pooja uss jagah se uth kar kahin aur chali jaati. Usski maa ki kahi huwi baat ne Pooja ko bahot hurt kiya tha. Andar hi andar Pooja dukhi thi Vijay se door door rehkar, aur wapas hamesha ki tarah ghul milkar rehna chahti thi, magar sochti thi usski maa ghalat samjhegi aur kuch uth pataan batein karegi…

To mahaul yeh hota tha Vijay ke lounge mein har raat ko TV dekhtey waqt. Hamesha yeh do bhai aur do behnein iss tarah baithtey the- Vijay aur Aisha ek sofe par ek sath baithey the, yeh inn donon ka permanent jagah tha, aur Vimal aur Annu ek dusrey sofe par baithtey jo unn donon ka permanent jagah the. Aur unn ki maa aur baap ek alag sofe par. Har raat ko 3, 4, ghantey tak TV ke saamney waqt bitate the yeh family. Aksar mama aur papa soney ko chaley jatey the magar yeh chaaron bachchey baithey rehte the der raat tak. Aur aksar eisa bhi hota tha ke Vijay TV dekhtey dekgtey Pooja ki goad mein so jata tha. Aur TV program ya movie end honey ke baad Pooja Vijay ko hilla hilla kar uthati tab woh apney kamrey mein jaata, aur Pooja uss ke bistar ko thik karney jati aur bachey ki tarah uss ko sula kar tab apney kamrey mein soney jati aur kabhi kabhi to donon bhai behen ek saath hi so jate the. Kuch bhi ghalat nahin tha, sirf bhai behen ka pyar tha. Kissi ko kuch ghalat sochna bhi nahin hai. Pooja 17 saal ki ho chuki thi magar bilkool bachi thi Vijay ke liye. Aur sab ko pata to hai hi ke Pooja ne kitna support kiya hai Vijay ko iss Aisha se judayi ke waqt aur Aisha se kitna larri hai woh Vijay ke liye.

To ab Vijay ko kitna takliff hota hoga jab Pooja, alag tarah se pesh aa rahi thi, door door rehti thi, kissi aur sofe par baithti thi, Vijay ke kamre mein nahin jati thi, uss ko na sulaney naa hi subah ko uthaney jati thi… Vijay ko kuch samajh mein nahin araha tha ke Pooja kyun weisa behave kar rahi thi. Ek haftey tak weisa chalta raha… Jab Vijay wapas ghar ata sham ko to har roz yeh umeed karta ke aaj Pooja thik se pesh ayegi, magar weisa nahin hota tha….. To ek roz Vijay ne Pooja ko pichey se hamesha ki tarah apney bahon mein jakra aur cher chani karna chaha jab weh donon kitchen mein the- inn donon ke mummy bhi wahin thi. Magar Pooja ne zor se Vijay ko push kiya aur ghusse mein wahan se chali gayi. Vijay bilkool surprised apni maa ki taraf dekha aur pucha ke kia baat hai. Maa hansi aur reply kiya ke Pooja se hi woh Poochey ke kia baat hai. Phir bhi Vijay ne apne maa se poocha, « Kuch huwa hai kia ussko ? Kayi dinon se dekh raha hoon ke woh khinchi khinchi si rehti hai, dhang se baat bhi nahin kar rahi hai, kia, baat kia hai maa ? » Maa muskurayi aur kaha ke Pooja hi se jakar puchey woh.

Vijay ko kuch ghussa bhi aya aur Pooja ke taraf gaya. Woh apni kamrey mein jaa chuki thi. Vijay andar gaya, Pooja apni bed par baithi nazron ko nichey jhukayi bedsheet par dekh rahi thi munh phoolaye huwe! Vijay muskuraya aur bed par uss ke paas baitha, Pooja ke kandhon par haath rakah aur pucha, “Kia huwa meri rani behna ko? Mujhse naaraz ho kia? Kia mujhse koyi ghalati huwi kahin kabhi?” Pooja ek taraf dekhtey huwe, sar ko negative mein hilaya. Phir Vijay ne apney ungliyon ko Pooja ke peth par gudgudi kiya, ussko hansaney ke liye, magar Pooja uth khari huwi aur kamrey se nikalney lagi, to Vijay ko ghussa aya aur khade hokar Pooja ki bahon ko zor se thama aur chilla kar pucha, “ Kia huwa kia? Kia kiya main ne jo iss tarah behave kar rahi ho? Do haftey honey ko hai aur tum ne mujhse baat bhi nahin ki hai dhang se, kia huwa jawab do nahin to yahan se nikalna bhi mat.” Vijay ki enkhen laal hogayi thi ghusse se. Vijay ke awaaz sunkar Annu aur usski maa wahan aa ponchey. Pooja rone lagi aur Vijay ke siney par sar rakh kar roti gayi. Vijay ne ussko zor se bahon mein jakra aur dhirey se Pooja ki sar par haath maltey huwe poocha, “Kia huwa bolo to, tab nah mujhko pata chalega, kyun yeh berukhi mujhse, kia kiya main ne?” Pooja ko darr lag rahi thi ke maa ke saamney keise usski shikayat kare, aur maa ki taraf dekha aur apni ungli se maa ki taraf sirf ishara kiya. Vijay nahin samjha aur poocha, “Kia? Mummy kia? Kia matlab hai mummy ki taraf ungli dikhaney se, saaf saaf kaho baat kia huwi Pooja?” To pooja zor zor se roti huwi kaha, “Mummy ne kaha ke main eisi behave karti hoon jeise tum mere bhai nahin husband ho!!” aur bahot ziada zor se roney lagi Vijay ko bahon mein pakre. »……

Vijay iss baat ko sunkar zor se hansa, Annu bhi hansney lagi aur usski maa bhi hansney lagi. Magar Pooja roti gayi aur Vijay ke siney par ghunssa mara kayi baar kyun ke uss ko pata tha ke woh uss ko cher raha hai !! Vijay ki maa ne samjhaya ke uss ne sirf eise hi kaha tha kyun ke woh kuch ziada hi fikar karti rehti hai Vijay ke liye, aur iss mein koyi bhi bura matlab nahin tha…… Aur Vijay sarey baaton ko samajh gaya aur Pooja ko ek chotey bachey ki tarah bahot pyra kiya aur samjhaya ke maa ki baaton ka bura nahin maantey aur ussko sari baatein Vijay se ussi din kedena chahiye tha, dil mein baaton ko daba kar takliff hoti hein.

Uss ke baad donon Vijay aur Pooja mein phir se pehley ki tarah mel barabar huwa aur donon ek saath baith kar TV dekhney lage, aur Vijay hamesha ki tarah Pooja ki goad meijn sogaya aur, Pooja bahot hi khush thi apne bhai ko apney paas paakar, woh ek maa ki tarah Vijay ke baalon mein apna hath pherti rehti, aur Vijay ko soya dekhti rehti…. Agar uss ka bus chalti aur taakat hoti to Vijay ko bahon mein uthaker uss ke bistar par lejati…. Magar woh kamzor aur naazuk thi bechari….. Vijay ko jagaya aur bed par janey ko kaha, aur donon bedroom ko gaye…..

Dusrey din subha subha Pooja vijay ko jaganey pohonch gayi ek maa ki tarah order karney, “Vijay utho, der ho rahi hai, university nahin jani kia? Jaldi utho nahin to abhi ek balti paani pheinkti hoon tum par…….” Vijay angrayi lete huwe, ek enkh khol kar Pooja ko dekha aur ussko bed par khincha cher chaani shuru huwi…..

Yeh tha bhai behen ka pyar jo ek chota daraar parney ke baad wapas dubara apne jagah par aya……..


To be continued…………….
 
Last edited:
Top