• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259

Update 20



Vijay har roz ab piney laga tha. Usski maa ko aur Pooja ko bahot takliff ho rahi thi Vijay ko uss haalat mein dekna….Vijay ke papa sham ko jab naukri se wapas atey to Vijay ki maa Vijay ke baarey mein batein karta pareshan hokar, lekin Vijay ke papa kehta tha ke, “kuch nahin hoga, abhi woh jawan hai pita hai to piney do, mujhey uss par pura bharosa hai ke woh sudhar jaega waqt aney par, abhi to woh ishk ke takliff bardasht kar raha hai issi liye weisa behave kar raha hai.” Balke woh to har subha ko Vijay ko saw rupay deta tha din guzarney ke liye, halan ke ussko maloom tha ke woh piney jayega phir bhi woh ussko peise deta tha……


Ek din Vijay piney gaya tha din mein. Din mein do baar pita tha, ek din mein barah baje aur ek baar raat ko. To din mein woh piney ko gaya tha aur Aisha Tiger ko khol kar ussko chain samet main road gayi thi kissi dukaan mein kuch laney ke liye… kyun ke woh kabhi bhi akeli kahin bhi nahin jati thi, pehley to sirf Vijay ke sath jati thi, par iss din ko Tiger ko chain hold karti huwi dukaan gayi…. Kidhar gayi thi? Thik usss jewelry shop ke yahan. (Aap log pehley post par sketch mein dekh saktey hein). Aur who restaurant bilkool uss jewelry shop ke bagal mein tha.


Jab Aisha kissi bracelet ko dekh rahi thi, to Tiger ko bahar ek lohey ke khambey mein bandh diya tha, aur udhar Vijay restaurant ke andar tha, Vijay jiss table par baitha tha, usska peeth jewelry shop ko karta tha, lekin Tiger ne ussko pehchaan liya aur bhonkney laga. Restaurant ke andar music chaloo tha iss liye Vijay khayal nahin kar raha tha Tiger ki awaaz ko.

Tiger zor zor se restaurant ke taraf dekhtey huwe bhonk raha tha aur bahot uchal raha tha….. ab Aisha ko pata nahin tha ke Vojay udhar hai, to jewelry shop ka dukandaar ne poocha ke kyun kutta itna bhonk raha hai aur uchal raha hai…. To Aisha baahar gayi Tiger ko khamosh karney ke liye…Lekin Tiger ek dum bekabu hogaya aur ziada hi uchal raha tha aur Aisha se nahin sambhal raha tha….to ussko wahin chor kar Aisha phir jewelry shop ke andar chali gayi…..


Tiger ziada zor se bhonkta gaya aur kuddta gaya, andar se Aisha har waqt Tiger ko baahar dekh rahi thi ek disturbed expression se, dukaan waley bhi disturb ho rahey the Tiger ki zordaar awaaz se…. lekin kuch der mein usska bhonkna bandh hogaya aur woh chotey kuttey ki tarah awaaz karney laga, jeise kissi malik ko dekh kar kutta karta hai khushi se…… jab Aisha ne Tiger ka badla huwa awaaz suna to ussko pata chal gaya ke baahar zaroor Vijay hoga kyunke Aish Tiger ko untna hi janti thi jitna ke Vijay, Aisha Tiger ke har awaaz aur harkat se waakif thi… huwa yeh ke Vijay ne andar se Tiger ki awaaz sunli aur uss ke paas agaya…. Ussko bhi pata chal gaya ke Aisha hi ussko lekar wahan ayi hogi, ussney andar jhanka aur jab dekha ke Aisha andar hai to, bus Tiger ko sambhalta tha……


Ab, jab Aisha baahar nikli to ussko pata nahin chala ke woh kia karein, Tiger ka chain Vijay ke hath mein tha, aur woh Tiger ko laayi thi… ..Aisha ne sar uthakar Vijay ko ek nazar dekha aur hath barhayi chain pakarney ke liye, bina kuch kahe, Vijay ne chain uss ko thama di….to jab Aisha janey lagi, to Tiger Vijay ke taraf ja raha tha, ab Aisha ko khinchna par raha tha, aur Tiger bahot strong tha to Aisha se nahin khincha jata tha, to Vijay ne kaha, “Rehne do, main le aata hoon Tiger ko, tum aguey chalo” Tab Aisha wapas ati hai aur chain ko Vijay ke hath mein deti hai, Vijay usska hath thamta hai, lekin Aisha apna hath zor se khinch kar jane lagti hai….. Vijay uss ke pichey pichey pukartey huwe, “Aisha, suno to, Aisha mujhey kuch kehna hai arey kum se kum meri baat to sun sakti ho nah yaar?!!” yeh kehte huwe Aisha ko follow karta hai…..


Donon jab Rhanveer lane mein pohonchtey hein to, Aisha dawdney lagti hai…aur woh dawdtey huwe apney ghar chali jati hai…Vijay, dekhta reh jata hai, aur Tiger ko uss ke ghar jaakar bandhta hai, aur Aisha ki khirki ki taraf dekhta hai….. Aisha ek baar khirki se jhankti hai aur waapas chali jati hai…..


Vijay ko ek ajib sa bhaaripan mehsoos hota hai dil ke andar. Ghuttan si mehsoos hoti hai aur ek gehra sa dard ki leher chalti hai uss ke andar…. Woh khud bayan nahin kar pata ke uss ko keisa mehsoos ho raha tha… ussko chilakar bahot zor se roney ko mann kar raha tha…. Wahin chup chap baith jata hai Tiger ke paas aur Tiger se batein karta hai enkhon mein ensoo liye huwe, « Kyun re Tiger, kia khata huwa re mujhse ! Meri Aisha mujhse kyun ruthi huwi hai re Tiger… hein ? bol re Tiger. Kuch to bol remere wafadar yaar…. Aur Tiger ko gaaley lagakar Vijay roney lagta hai….. Pooja, Vijay ke kamrey mein se sab dekh rahi thi, ghar ke andar se jab Aisha ne Tiger ko khola, aur dukaan ki taraf gayi tabhi se Pooja wait kar rahi thi ke kab woh Tiger ko wapas bandhney ayegi… to jab Vijay aur Aisha donon ek sath Rahnveer lane mein aye, to Pooja ne sab dekha tha ghar ke andar se, woh soch rahi thi ke donon mein phir sulah hogayi, lekin baad pata chala ke kuch weisa nahin … ab Pooja dekh rahi thi ke Viay Tiger ko thamey ro raha tha, to woh baahar gayi apne bhai ko ghar ke andar laney ke liye…. Aur donon bhai behen andar aye…. Pooja ne, Vijay ko khana serve kiya, aur uss se batein ki taake woh uss bat ko bhuladein…… lekin Vijay ghum phir kar wohi baatein karta tha…..


To be continued………………………..
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 17



Uss din jab Kaajal Aisha ke yahan se wapas aya to Vijay ne poocha kia kaha Aisha ne to Kaajal ne jawab diya, “Vijay tum ab uss ko bhool hi jawo to achcha hoga yaar” Vijay ne phir bhi kaha ke woh kahein ke Aisha ne kia kaha. To Kaajal boli, “Uss ne buss itna kaha ke ab usska tumse koyi wasta nahin.” Vijay ye sunkar bilkool khamosh baith gaya apney bistar par apney sar ko haathon mein liye huwe. Kaajal kitna kuch kehti rahi lekin Vijay kissi aur dunya mein khoya huwa tha. Aakhir Kaajal ko wapas lawtna para.

Vijay ghanton tak apney kamrey mein bandh tha. Usski donon behnein uss ko dekhney ko gaye kayi baar, woh buss leta huwa tha bistar par aur bilkool ghamgeen chehra tha usska.


Shaam tak woh weise hi bandh raha ghar ke andar. Aur raat ko achaanak baahar gaya. Kaha ke club ja raha hai. Usski maa ne socha chalo thik hai kuch doston ke saath baahar rahega to behtar hoga uss ke liye.


Chaar ghantey baad woh wapas aya to nashey mein dhuth tha. Aur ro raha tha. Zubaan se kia baatein keh raha tha kuch samajh mein nahin araha tha, kyunke uss ne kuch ziada pi rakhi tha. Usski behen uska woh haal dekh kar roney lagi. Pooja Vijay ko bahot pyar karta tha. Donon behnon mein Pooja Vijay ke ziada kareeb tha aur, woh uss ke dekh bhaal mein lag gayi. Dant bhi rahi thi ke “itna kyun piya, piney se kia Aisha tumharey paas ajayegi?” Aur usski dant par Vijay hans raha tha. Pooja ne Vijay ko bistar par letaya, uss ke kapde nikale, pyjamah pehnayi, aur bistar ko arrange kar ke Vijay ko sulaya uss ne, bilkool jeise ek maa apney bête ko dekhti hai. Thori der baad Vijay ne ulti karna shuru kiya…. Pooja ne sab saaf kiya aur ek tub ko uss ke sirhaney rakha taake agar woh phir ulti kare to uss tub mein karey. Aur Pooja ne thori tel lekar Vijay ke sar par lagaya aur maalish ki kyunke uss ko pata tha ke uss ka sar dard kar raha hoga, iss liye pata tha kyunkey naye saal ke dawraan ek baar Vijay ne eise hi piya tha aur tab uss ka sar bahot dukha tha aur Pooja ne uss ka khayaal eise hi rakha tha.


Beech raat mein Vijay utha tha jab sab so rahe the aur apney light ko on aur off kiya tha 7 baar jeise woh har raat ko karta tha Aisha ke liye…yeh kartey waqt woh ensoo bhari enkhon se Aisha ke kamrey ki taraf dekh raha tha aur sochta tha ke kaash Aisha dekhe aur light on off karke jawaab de!!! Lekin eisa kuch bhi nah huwa aur Vijay ko tanha, akela sona para….. lekin tab neendh kahan….woh jaagta raha subha tak…. Subha chaar bajey woh uth kar Tiger ke paas gaya, uss ko khol diya chain se aur jaaney ko kaha…. Tiger nahin ja raha tha balkey Vijay ke saath khel raha tha aur zor se bhonk raha tha….. ab Aisha ka kamra to bilkool uss taraf tha, jeise ke main ne pehley bataya hai ke Vijay aur Aisha ke kamron ke bilkool beech mein Tiger ka chota sa ghar hai. To Tiger jab bhi bhonkta hai to Aisha ko bilkool sunayi deta hai. To ab jab woh itna zor se subha subha bhonk raha tha to ye nishchint tha ke Aisha ko sunayi degi…. Aur Vijay usski kamrey ki taraf dekh raha tha…. Bilkool subha tha, aur abhi abhi thora sa ujala ho hi raha tha…. Tab thori der ke baad, Vijay ne dekha ke, Aisha ki kamrey ki parda thora sa hata, aur Vijay ne dekha ke apni enkhon ko masaltey huwe Aisha usski taraf aur Tiger ki taraf dekh rahi thi. Jeise hi ussne Vijay ko dekha to jaldi hi uss ne parda wapas khinch liya, uss ne shayad socha tha ke Tiger yunhi bhonk raha hai, uss ne bilkool nahin socha hoga ke Vijay utney saverey jag gaya hoga kyunke Vijay to bahot der uthta tha, woh to Aisha uss ko har subha uthaney ko jati thi….. To Vijay ki dil bus thora sa khush huwa Aisha ki ek choti si jhalak dekh kar, par, bahot dukh huwa uss ko yeh dekh kar ke kiss tarah uss ko dekhney par Aisha ne parda khinchli…. Vikay ko ek bhaari cheez jeise usske dil par rakha ho, eisa lag raha tha ussko… sans lene mein takliff ho rahi thi…roney ko dil kar raha tha…. Uss ko bilkool samajh mein nahin araha tha ke woh kia karein……


Ussne Tiger ko janey ke liye kaha…. Tiger nahin ja raha tha…to Vijay ko ghussa aya aur ek danda lekar uss ne Tiger ko mara zor zor se…. Tiger chilaya aur dadtey huwe wahan se bhaga….. Ab har roz khulney ke baad Tiger ki aadat thi ke woh jaakar Aisha ke khirki ke paas, bhonkta tha, teen chaar baar, jeise ussko jagata ho…har roz woh weisa karta tha, aur Vijay aur Aisha ko ye pata tha…. Iss ke baarey mein sabhi family members ne pehley hi baat ki thi ke Tiger sirf Vijay aur Aisha ko maanta hai…. To phir weisa hi kiya Tiger ne, woh Aisha ke khirki ke paas kharey hohar zor se bhonka, aur Vijay uss ko dekh raha tha, iss umeed se ke Aisha phir se parda hatayegi aur Tiger ko kuch kahegi…… aur yeh sochkar ke woh wahan hai Aisha nahin dekhe gi, iss liye Vijat pichey hat gaya ye dekhney ke liye ke, kia Aisha Tiger se kuch kahegi bhi….Vijay chhupa huwa tha ek peyr ke pichey aur intezaar kar raha tha….. Tiger bhonk raha tha Aisha ke khirki ke nichey aur apna sar upar uthaye huwe Aisha ke khirki ko dekh raha tha, jeise ke woh ek insaan ho aur kuch batein kar raha ho ghar ke andar waley insaan se…lagta tha ke woh keh raha ho,”Khirki kholo, main yahan hoon, subha hogayi”….. Vijay ussko, bheeguey huwe enkhon se dekh raha tha…aur Aisha ne khirki kholi, parda hataya, Vijay ke kamrey ki taraf dekha ke kahin woh dekh to nahin raha….jab uss ne dekha ke koyi nahin hai, to Aisha ne Tiger se kaha,”Kia hai? Kyun bhonk raha hai? Main jaag gayi hoon, chal bhaag yahan se…” aur Tiger wahan se chala gaya…..


Vijay ko lagta tha barson baad uss ney Aisha ki awaaz suni… woh awaaz jiss se woh bahot passand karta tha, woh awaaz jiss ki taarif woh har roz karta tha, woh awaaz jiss ke suntey hi uss ka dil khushi se jhoom uthta tha, aaj woh uss awaz ko chup kar sunn raha tha…….


To be continued…………………
emotional update senti kar Diya dost
 
  • Like
Reactions: Casinar

Mbindas

Active Member
1,928
4,105
158
Bohot hi achchhi story hai bhai. Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 18



Vijay kaafi der tak Aisha ki khayalon mein dooba raha. Unn dinon ki yadein uss ke dimagh mein ghum rahe the aur yaadon ki kashmakash ne ussko bechain kiya huwa tha. Upar se Aisha ki awaaz usske kanon mein goonjh rahi thi…… Vijay ne socha ‘ab to kutta bhi mujhse behtar hai, kuttey se baat ki AISHA NE LEKIN MUJHSE NAHIN!’


Vijay ko bilkool chain nahin tha Aisha ki berukhi se. Woh sochta tha ke donon ko kum se kum ek baar to milna chahiye aur kuch faisley leni chahiye, kuch batein karni bahot zaroori tha uss ke liye. Eisa Vijay ka sochna tha. Lekin kia Aisha eisa sochta tha? Kaun janey…..


Ghamgiin chahra liye woh ghar ke andar gaya aur Pooja ne kaha,”Arey wah bhai, aaj to tum mujhse pehley uth gaye! Kia baat hai?” Vijay ne ek jhooti muskaan mein kaha, “Nahin bus woh Tiger ko kholney gaya tha, aur kal ke liye I am sorry Pooja” Pooja hanstey huwe boli, “Koyi baat nahin bhai, tumko serve karney mein bahot peace milta hai mujhey, lekin utna ziada mat pina please. Achcha nahin lagta bhai. Okay?”


Shower leney ke baad jab Vijay kitchen mein gaya breakfast ke liye to usski maa ne kaha, “University jana hai ab …kia lejawoge bread mein Vijay?” Vijay ko jab University ka naam sunayi diya to dil mein ek ghabrahat si huwi, yeh sochkar ke Aisha saath nahin jaegi…. Phir uss ne socha ke shayad uss ne apne papa se baat ki ho aur uss ka papa hi ussko chorney ko jaega, aur wapas lene ko bhi jaega….apney dil mein Vijay yehi pray kar raha tha ke eisa hi ho, to kum se kum campus mein to woh Aish se baatein kar sakega…..


Aakhir woh tayaar huwa aur University janey ke liye ghar se nikla Tiger ko bandhney ke baad. Jab Tiger ko bandh raha tha to usski nazar sirf Aisha ki khirki par tha aur dekha ke Aisha ki khirki khuli huwi to thi magar parda khincha huwa tha…hawa se parda andar jaa raha tha, lekin koyi andar dikhayi nahin di….

Aur jab Vijay jaa raha tha, to Rhanveer lane mein se murkar pichey Aisha ke ghar ke taraf baar baar dekh raha tha, ke kahin Aisha na nikley jaaney ke liye… lekin eisa kuch bhi nahin huwa aur woh udaas chala gaya….


Raastey mein chaltey waqt ussko ajeeb sa lag raha tha kyunke woh kabhi bhi akela to nahin jata tha nah… aur raastey mein log bhi ussko dekh raha tha kyunke saarey mohaley mein yeh maloom ho gaya tha ke Aisha aur Vijay ki separation ho gayi hai….. sab log jo unn donon ko pyar bhari nazron se dekha kartey the ab udaasi ke saath dekhtey the, aur jo log buri nazar se dekhtey the ab khushi ki nazar se dekhney lage…. Jeise ke woh gunde log jiss ne Aisha ko chera tha, weh to bahot khush the ke ab Vijay akela hai…unn ki nazron mein to Aisha ek female object hai, aur woh log to sirf lust ki nazar se donon ko dekhtey the aur sochtey the ke inn donon ke beech sirf affair tha, yeh to nahin jaantey the ke donon sach much kitna pyar kartey the…. Aur weise logon ko dil ke dard ke baarey mein kuch bhi pata na tha….. woh log Aisha se sirf sex ki umeed rakhtey the aur weh log ab yeh sochtey the ke ab jo Vijay alag ho gaya hai to unn logon ko Aisha sex ke liye haasil hoga…. Unn logon ne taanaa mara Vijay par jab Vijay bus stop par khara tha bus ke liye… lekin Vijay chup raha aur ek taraf dekhta raha….. jab tak bus bahin aya weh log tarah tarah ki batein suna rahey the Vijay ko galiyan ke saath…Aisha ka naam bhi le rahe the, lekin phir bhi Vijay apna knoon pita raha aur kuch bhi nahin kaha aur bus aya to chala bhi gaya…


Jab University ponhcha to aur bhi bahot dukh huwa Vijay ko….. har koyi uss se poochta ke Aisha kahan hai, kyun woh nahin ayi…. Woh jawab dete dete thak gaya, roya bhi doston ko apna haal sunatey sunatey…. Course ko follow nahin kar pata tha, sirf Aisha ki yadein satati thi… woh bahot bechain tha, gham ke andherey mein ghira huwa tha…. Break mein campus mein har woh jagah jahan woh Aisha ke saath baithta tha, Vijay ki nazron ko kaatta tha…. Uss ko sirf Aisha dikhayi de rahi thi har ladki mein…. Charon taraf campus mein Aisha ki yadein bassi huwi thi…peyr ke nichey, bench par, cafe mein, gym mein, har jagah sirf Aisha bassi hui tha….aur Vijay ko jeise chakkar sa aya aur, enkhon ke saamney andhera sa chaya, aur woh girr para……


Doston ne ussko uthaya aur ek peyr ke nichey araam karney ke liye letaya, aur paani chirkey usske chehrey par……. jab uss ko hosh aya to woh roney laga aur kaha ke woh ab course nahin follow kar paega……


Ussne kaha ke woh wapas ghar ja raha hai aur wahan se chal para….. ghar kahan gaya woh ek bar mein gaya aur pina shuru kiya, thora beer, thora rum piya aur bus lekar wapas mohaley mein ponhcha…. Ghar janey se pehley woh jewelry dukaan ke paas ek restaurant tha, wahan gaya aur pina chaalu rakha…… woh pita gaya, pita gaya…. Sham hogaya, phir raat honey ko ayi, aur tab tak to Vijay bilkool nashey mein dhuth tha….. Raat ko 8 bajey wahan se nikla aur larkharatey huwe ghar ponhcha……


Ghar mein maa, baap se kaha , “Aaj ke baad mera university jana bandh! Bahot parhaayi karli main ne, ab ghunda gardi karunga, piyunga aur jiyunga…..” usske maa, baap ko usske haalat ka pata tha to unhon ne uss ko kuch nahin kaha, Pooja to ro rahi thi usska haal dekh kar… Vijay ne pooja ke kandhon par haath rakh kar hanstey huwe bilkool nashey ki haalat mein kaha, “Ari Pooja, tu kyun ro rahi hai ri? Tujhey kaun sa gham hai? Hmm? Tera kaun alag huwa hai tum se re? hey Pooja, kabhi kissi se pyar mat karna hein? Suna nah? Kabhi bhi pyar mat karna, bahot buri cheez hai yeh pyar..dekho, mujhko dekho, sharabi bana diya saala iss pyar ne..hahahahaha!!” Pooja aur zor zor se roney lagi…..


Vijay aguey barha, larkharatey huwe…deewaar ko thamtey huwe, kabhi ek peir idhar parta to kabhi ek peir udhar, kuch pata nahin tha ke woh keise chal raha hai….. woh baahar gaya Tiger ke ghar ke paas, aur zor se kaha, “Arey Tiger mere yaar, mera dost, wafadaar dost, I am sorry..(uss ka zubaan bhi larkhara raha tha, bilkool saaf nahin bol raha tha) I am sorry tujhey kholney mein der ki main ne yaar, chal yaar, aja, kholta hoon tujhey…jaa….” Kuttey ko khol diya, Tiger ne poonch hilaya khushi ke maarey, zor se chalang lagaya, apni do aguey wala paon Vijay ke kandhey tak ponchaya, aur Vijay ki gaalon ko lick kiya aur daudtey chala gaya…Vijay kuch der khara raha, aur Aisha ke khirki ki taraf dekhta raha…. Aur wahin deewaar par peeth laga kar khara huwa yeh gana zor zor se ganaa shuru kiya:


Koyi humdum na raha, koyi sahara na raha

hum kissike na rahe koyi hamara na rahaa

koyi humdum na raha koyi sahara ha raha


Shaam tanhayi ki hai, ayegi manzil keise...

Shaam tanhayi ki hai, ayegi manzil keise

Jo mujhe raah dikhaye, wohi taara na rahaa

Koyi humdaun na rahaa, koyi sahara na raha...


(Beech mein ruka roya, naak se behtey paani ko poncha,

Phir gaaney ko continue kiya Aisha ko sunatey huwe….)


Ey nazaaro na hasso, mil na sakunga tumse

Ey nazaaro na hasso, mil na sakunga tumse

Woh mere ho na sake, main bhi tumhara na raha(yahan bhi khub roya)

Koyi humdum na rahaa, koyi sahara na rahaa


Kia batawoon main kahan, yunhi chala jataa hoon

Kia batawoon main kahan, yunhi chala jataa hoon

Jo mujhe phir se bulale, woh ishara na raha (yahan bhi roya)

koyi humdam na rahaa, koyi sahara na rahaa

hum kissi ke na rahe, koyi hamara na raha.


To be continued……………………………
heart touching update
 
  • Like
Reactions: Axba and Casinar
Top