bondjamesbond09
Active Member
- 1,613
- 4,377
- 159
interestingUpdate 21
Aaakhir khana khaney ke baad Vijay ne decide kiya ke woh Aisha se baat karney ko jaega…. Pooja aur usski ma mana kar rahe the Vijay ko…lekin uss ne kaha ke kitney dinon tak woh eisa sehta rahega…Phir pooja ne bhi kaha, “Han bhai, tum zaroor jawo, ussko majboor karo ke woh kahein ke kia baat hai… kum se kum ek jawab to miley uss se! jawo bhai jawo.”
Vijay Aisha ke ghar ke taraf gaya, usske chahi ne dekha aur Vijay ne Aisha ki maa se kaha ke woh Aisha se milna chahta hai. Chachi ne kaha ke agar Aisha ke papa ko maloom para to bahot mushkil hoga. To Vijay ne samjhaya ke woh to naukri par hai aur koyi bhi to nahin hai jo ussko batayega ke woh wahan aya hai…. Aisha ghar ke andar se sab sunn rahi thi, lekin khamosh thi….
Vijay zabardasti ghar ke andar ghuss gaya, aur chachi se kaha chacha ko kuch mat batana.
Vijay Aisha ke kamrey ke darwaze ko open kiya aur andar dakhil huwa…Aisha bistar par baithi huwi thi. Ussne sar utha kar Vijay ko nahin dekha, bus sirf nichey zameen ko dekhti rahi…… Vijay nichey zameen par baitha aur Aisha ke payron par donon haathon ko rakh kar poochcha, “Yeh sab kia hai Aisha? Kia ho raha hai hamarey beech jaan?” Aisha pathar bani khamosh sirf nichey dekh rahi thi. Vijay ne bahot batein ki lekin Aisha ne ek bhi jawaab nahin diya sirf khamosh nichey dekhti rahi.
Vijay ne usska haath apney haathon mein liya aur apney gaalon par lagaya, aur kaha, "dekho to inn hathon ko main ne kitney dinon se nahin chuwa, bhool sa gaya hoon innko main, nahin pehchaan raha hoon aaj main inn ko…. Kia yeh meri jaan ki kalaiyan hai? Kia yeh wohi haath hai jo mujhko khana khilata tha, kia yeh wohi hath hai jo mere liye school mein cakes bachata tha? Bolo Aisha, kuch to bolo jaan meri?!” Lekin Aisha bilkool chup thi. Phir Vijay ne socha ke ab kissi aur tariquey se ussko bulwaye….. Vijay bistar par Aisha ke kareeb baitha aur dhirey se usske honton ko kiss karna chaha…tab AISHA NE REACT KIYA, Vijay ko ek zor ka thapad mara!!............. Vijay ko ghusa aya aur chilla kar kaha! “Maro, aur maro, tumhara baap ne ghayal kiya tha, tum ne kum nahin dukh diya mujhey, andar ka dukh kum hai ab upar bhi koyi choat de hi do, maro Aisha aur maro…kia kiya main ne!! kia bura kiya? Tum ko chuma nah? Kia pehley nahin chuma tumko? Kia kia nahin kiya tumharey sath? Tumharey jism ki har hissey ko jaanta aur pehchaanta hoon, yeh tumharey papa ko pata hai? Hum donon ne apna had paar kar diya hai yeh tumharey papa ko pata hai? To kia hai yeh sab? Kia ho raha hai yahan?”
Aisha phir boot bani baithi thi. Vijay ne kaha, “Kia main murti se batein kar raha hoon? Hai jawab tumharey paas ? kuch to kaho ! »…..
Vijay ne phir apne aap ko kaabu mein kiya aur bahot pyar se, dhimi awaaz mein Aisha ke kaan ke kareeb kaha, «Tumhari jism ki khusbhoo mujhko bahot tarpaati hai jaan, tumhari aahon ki yadein satati hai jaaan meri, tumhari yadon mein jeeta hoon, tumhari badan ki khushbhoo ko yaad karta hoon, hamarey pyar bharey har pal mujhko tarpati hai….. keise bhool sakta hoon har pal jo main ne guzarey hein tumharey sath issi kamrey mein, tumharey jism ki har hissey mein main rehta hoon jaan, aur tum mujh mein rehti ho, hai nah? Bolo, to phir yeh doori kyun hamarey beech ? hmm. Bolo jaan ? Subha, savere, raat din sirf tumhara khayal rehta hai, sirf tumhara chehra enkhon ke saamney ata hai, ghar mein, kamrey mein, raastey par, jahan bhi jawun tum mere saath rehtey ho Aisha, uthte, baithte, jagtey sotey sirf tum rehti ho...chaaron taraf sirf tumhara aalam hai...main kia karun jaan ” YEH SAB KEHTEY KEHTEY Vijay ki enkhon se ensoo tapak parey….lekin Aisha bilkool pathar ki tarah, jeise koyi feelings na ho weise khamosh baithi thi…..
Vijay phir bhi pura koshish kar raha tha uss ne kaha, “ tumhein zor se bahon mein lene ko mann karta hai jaan, ek baar mere bahon mein ajawo please, siney se laganey do mujhko…” yeh kehkar Vijay ne Aisha ki bahon ko upar kiya aur apney bahon ko Aisha ke taraf kar raha tha uss ko apney bahon mein leney ke liye magar Aisha wahan se hatt gayi…. Phir bhi Vijay himmat nahin hara aur usske paas gaya aur dhirey se kaha, bahon mein lena to kia, tum se pyar karney ko bahot mann karta hai jaan, tumharey jism ke har koney ko chuney ko mann karta hai, iss blouse ko utarney ko mann karta hai, iss badan par charon taraf kiss karney ko ji karta hai, jeise hum har raat ko yahin par kiya kartey the…hmmm, bolo sweetheart, kia tumko mann nahin karta?” Tab Aisha ne ek lambi sanss lekar kaha, “uss din main ne tumko jawab dediya tha, agar tum samajhtey nahin ho to lo, phir se sunon, main tumhara koyi nahin lagti, bhool jawo sab kuch, main sab kuch bhool chuki hoon. Mera tumhara koyi rishta nahin hai! Samjhey ya phir se dohrana parega?”
Yeh sunkar Vijay kuch der khamosh raha aur jeise hi kuch kehney ja raha tha Aisha ne yeh bhi kaha, “Tum apna email nahin check kartey ho? Main ne tumharey sabhi sawalon ka jawab email mein de diya hai bahot hafte pehley. Wahan bhi yehi kaha hai main ne ! »
To Vijay ne ghussey mein kaha, «Achcha ! to main tumhara koyi nahin lagta? To kyun mujhey raat raat bhar apney iss kamrey mein rokti thi? Kyun har raat ko jab tak 7 baar light on/off na karun tum soti nahin thi, kyun mere baghair kabhi school nahin jati thi, kyun mere liye cakes bacha kar rakhti thi, kyun kyun kyun?” Phir Vijay roney laga…aur zor se, bahot hi zor se chilla kar kaha, …..”Thik hai miss Aisha Rhanveer ! Bahot achchi baat hai. To ab mera bhi ek baat ghaur se sunlo tum, shayad tumko yeh sunkar behad khushi bhi hogi………
YEH BATEIN Vijay itna zor se chilla kar keh raha tha ke Vijay ki maa aur Pooja daudtey huwe wahan gaye dekhney ke kia ho raha hai….. to unn logon ne suna Vijay keh raha tha…….. “Aaj main Vijay Rhanveer tum se yeh wada karta hoon, kassam khata hoon ke agar main apney baap ka awlad hoon aur mard ka bachcha hoon, to KABHI BHI ZINDAGI BHAR SHADI NAHIN KARUNGA! AGAR TUM AYI MERI ZINDAGI MEIN TO THIK HAI, LEKIN TUM NAHIN TO KOYI BHI ISS DUNYA MEIN MERI PATNI NAHIN BANEGI. Chahey akele hi budha kyun na ho jawun lekin kissi ko nahin apnawunga, Yeh mera mard ka wada hai tumse miss Aisha Rhanveer!” Aisha thartharatey huwe honton se, Vijay ke enkhon mein dekh rahi thi jab woh yeh wada kar raha tha aur usske enkhon se ensoo behney laguey… Vijay bhi woh kehtey kehtey ro bhi raha tha, usski awaaz tuth gaya tha aur rotey rotey wada kar raha tha….. udhar Pooja aur usski maa bhi Vijay ke baton ko sunkar ro parey…Aisha ki maa bhi ro pari….
Vijay Aisha ke kamrey se nikal aya, to dekha pooja aur usski maa wahan hai to uss ne kaha, “Chalo maa, aaj mai tumse yeh kehta hoon ke idhar hamara koyi rishtedaar nahin rehta chalo yahan se Pooja.”
Aisha roti huwi Vijay ke pichey kamrey se baahar nikal rahi thi, tab Vijay ne palat kar kaha: “Aur han yeh mat sochna ke yeh sirf abhi ki batein hai baad mein bhool jawunga…nah! Tumko achchi tarah se maloom hai ke main jo kehta hoon woh karke dikhata hoon, aur yeh bhi mat sochna ke agar tumney shadi kissi aur se karli tab main tumko bhool kar apna ghar basa lunga, nahin kabhi nahin, tum ne kissi aur se shadi ki to matlab ke mujhko dhoka diya aur mera budha honey tak akele rehney ka zimewaar tum hogi….main ne sirf tumse pyar kiya yeh dunya ko maloom hai, to main ab kabhi bhi kissi se pyar nahin karunga…. This is my SOLEMN promise to you Miss Rhanveer Aisha, BEWARE, I ALWAYS MEAN what I say! Bye, YOU BE HAPPY AND LET ME TAKE ALL YOUR SADNESS! ENJOY YOUR LIFE MY DEAR JAAN!”
Yeh kehkar ensoo bharey enkhon se Vijay wahan se apni maa aur Pooja ko liye wapas apney ghar chala gaya!!
Ghar janey ke baad, apney kamrey mein khud ko bandh kar ke bistar par leyt kar khub roya…ghantey bhar rota raha…. Pooja baahar se kayi baar darwaza kholney ko kaha lekin sirf der sham ko ussne darwaza khola….
Raat ko Pooja ko heirani huwi ke dinner ke waqt Vijay table ke paas aakar baith gaya. Woh to har raat piney ko jata hai pikar nashey mein dhuth ata hai tab khana khata hai….lekin Pooja bahot khushi khushi Vijay ke khana nikaal kar uss ke paas table par serve kar diya…aur apna khana bhi nikal liye aur Vijay ke sath baith kar donon bhai behen ne khana khaya…… Aisha bahot khush thi ke Vijay piney nahin gaya…..
Raat ko soney se pehley Pooja Vijay ke kamrey mein gayi, Vijay leth raha tha, Pooja ne kaha , “ Bhai, aaj kia main tumharey sath so sakti hoon?” Vijay, Pooja ko dekh kar muskuraya aur, jagah banaya bistar par aur apney bahon ko khola Pooja ko bahon mein lene ko, donon bhai behen ne ek dusrey ko bahon mein liya aur donon khub roye….. Vijay ek bachchey ki tarah ro raha tha, Pooja Vijay ko comfort kar rahi thi, lekin saath saath khud bhi ro rahi thi….
Aakhir Pooja ne baat ki, “Bhai aaj mujhey bahot khushi huwi ke tum drink karney nahin gaye, main ne socha tha aaj to tum bahot ziada hi pikar awoguey uss problem ki wajah se, lekin bahot hi achcha laga ke tum nahin gaye bhai. Thank you bhai.” Vijay ne jawab diya, “Don’t worry aaj ke baad main har roz piney nahin jawunga…. Kabhi kabhaar pilunga, har roz nahin jawunga…”
to be continued..................
dekhte hain Vijay ab Kya karta hai