• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Waah! Life Ho Toh Aisi - All Hell Broke Loose (Completed)

Part 3 kaa title kya hona caahiye?

  • Waah! Life Ho Toh Aisi - The Merchant Of Death

    Votes: 186 81.9%
  • WLHTA - The Merchant Of Death

    Votes: 13 5.7%
  • Waah Life Ho Toh Aisi - 3

    Votes: 23 10.1%
  • Any Other, Post that in The Thread

    Votes: 5 2.2%

  • Total voters
    227

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,955
159
Waiting
 
  • Like
Reactions: Aakash.

AP 316

I'm Coming Back.
Divine
10,345
570,064
259
Update-131(Study)

Wahaan se main seedha Nicki mam k Ghar gaya jo city k bilkul outside hai humaari village ki side.. Haweli se 20 minute ki durri par hoga.. Gaadi park ki Gate par guard tha apna khass uske sath cigarette pee kyunki andar toh kai derr kaa kaam hojaana tha.. 6 baj gaye they... Main andar aaya toh maid ne gate khola.. Andar sofa par Nicki mam k papa baithey they Yaani Subash Uncle..

Main-Wassup old man..

Uncle-Chup re.. Itana bhi old nahi hun.. 50 kaa hua hun... Salman khan bhi toh itana he hai..

Main - Apne aap ko Sallu bhai se compare kar rele uncle Sharam naa aati...

Uncle-Hahhaaaha.. AP beta kaise ho..

Uncle mujhse Galle Mille..

Main-Superawesome.. Main tution k liye aaela hun..

Uncle- exams aagaye honge sirr par.. Warna kahaan tution yaad aata hai tumlog ko...

Main-True.. But ek second tumlog bole toh..

Uncle-Sam or Ravi already hain uppar..

Main-What the Hell.. Main aata..

Main waapis bahaar aaya gaadi mein se mathematics k notes and books nikaale or waapis andar aaya... Or seedha uppar gaya..

Uppar guest room mein Nicki mam Sam or Ravi ko padhaa rahi thi or Ritika madam ek side baithi thi phone mein lagi..

Main--Hello Everyone...

Nicki-aagaya.. Kya padhega..? Physics yaa Maths..?

Main-Yeah sure Boring subject naa padhta boring teachers se main.. Maths padhunga main toh Riti mam se..

Nicki--did you just called me boring...

Main-Woh toh jiski jaisi soch..

Riti-Lol.. Idhar aaja..

Main-Good Evening madam kahaan rehtey ho aajkal aap..? College mein bhi naa dikhe..?

Riti-class lagaata toh naa dikhti..

Main-main library mein tha aaj pure 5 ghantey padha.. Feeling Like Sir Stephen Hawking...

Riti-lol.. Laao books..

Hum dono ne 2 chairs lee or dusare Room mein aagaye taaki dusari party disturb naa ho....

Riti-So boliye sir kahaan se suru karein..

Main- 0 se suru kijiye or end takk chaliye.. Lekin keval important part befaltu waala beshak chhod dena..


Riti-pure mein toh time lagega 2-4 chakkar karne padenge aapko sir..

Main-No problem 2-3 din free he hun main.. Jitana padha shaktey ho padbaao I can store everything in my mind..

Riti-You know what..? I love teaching tum padhtey padhtey thakk jaaaoge main samjhaate - 2 nahi rukkungi..

Main-lol.. Jaantey nahi ho aap mereko.. I don't get tired.. Thakkna wagairaah mere processer mein he nahi hai..

Riti-Toh hojaae ek bet.. Issi bahaane study interesting banjaaegi..

Main-Done..aaj already ek jeet chuka hun issi baat par.. Ek or hojaae..

Riti-jo jeetega Woh 1 favour jeetega dusare se..

Main-Done..but meri shart hain kuch..

Riti-bolo..

Main--keval study ki he baat chalegi no off topic stuff.. Phone wagairaah nahi khulega..disturbance nahi caahiye mujhe..

Riti-done.. Last mein Main kuch questions puchungi agar jawaab diya toh jeet jaaoge tum..

Main - Let's get it..

6 baje they maine Nicki mam ko Message karke humaari bet k baare mein bataaya..or 6 baje humaara tution chaalu hua..

Riti-let's start with basic mathematics.. Differential Calculus..

Mujhe humessa se maths passand tha time pass acha hota tha or i must say maine class mein dhyaan nahi diya utana lekin Riti madam ekdum faadu teacher thi.. Point by point chal rahi thi.. Insabmein sabse jyaada khuss tha mera mind bc ko mouka mill gaya tha doudaney kaa information store karne kaa... Usko ye sab cheejain passand aati hain.. Jab uska use hota hai.. Lekin jyaada use hojaae toh fir uski gand Marr jaati hai gang hojaata hai woh... Differential Calculus se suru hui Kahaani aage badhi topic by topic.. Differentiation, integration ye sab kaa basic aata tha formulas wagairaah bus thoda advance study karna tha.. Bichmein water break hua khaali ek.... At last madam thakk gayi..

Riti-Ohk.. I am tired now..

Main--I am chilling..

Riti-it's 11.30 pm dude.. 5.30 ghantey mein keval 10 Minute rukke they.. You are crazy.. 1 Notebook bhardi humne mere hath Dard kar rahe hain..

Main-told you I am fast..

Riti-Ohk ab agar mere questions k theek jawaab doge toh matlab tum jeetey matlab tumhaara dhyaan tha study mein warna main jeeti..

Main-puchiye..

Riti-Second topic kya tha aaj ka..

Main-hmmm... Ek second Haan thoda flashback mein hoke aata hun.

Riti-no problem take your time..

Main- nth order derivatives...

Riti-Holy Jesus.. Ok Theorum Konsi thi..

Main- Leibnitz Theoram.. Ye word pure 12 baar use hua iss time period mein 1 baar theoretically baaki Sab formulae..

Riti-Ohk.. You are freaking crazy..

Uske baad madam ne kuch formulas puche as you know Maine sab bata diya.. Bc karna kuch naa Tha khaali search karna tha dimag mein agar padha hoga toh sabse pehle result saamne aaega.. Madam kaa munh khulgaya pr mera dimag khulgaya... Jung lag raha tha.. Hum dono dusare room mein aae toh wohlog bhi padh he rahe they...lekin unhone breaks liye honge bahot saare...

Riti-Di ye alien hai isko bhejdo Mars par..

Nicki-Kyun chownk gayi naa...

Riti-He is a bloody Computer.. I mean isko ye bhi yaad hai maine konsa word kitani baar use Kiya..

Nicki-Hehe he.. I know.. Ek baar jo iska mind catch karta hai woh fir seconds mein saamne aajaata hai caahe kitani he choti detail ho..

Riti-I lost the bet..

Nicki - mujhe pehle he pata tha..

Ravi-ab Khaana khaaein..? Mereko bhook lagi hai..

Nicki- 2 sandwich khaa chuka hai tu pichle 3 ghanton mein still bukha hai..

Ravi-yes..

Nicki-aajao ab bahot hogayi study..

Humlog niche aaye sab so gaye they.. Isliye dinner khud he serve karna padda..

Nicki-Deepu ko boldiya tha maine tumlog yahin sojaana...

Main-aji Haan subah yahan se ghar jaaenge kapdey change karney ko.. Fir double ghumke college...

Nicki-Toh kya abhi jaaega ghar..

Main-off course 15 minutes kaa toh raasta hai..

Nicki-jaaoge kaise bike se..? Iss time kitani thand hai bahaar dekha hai..

Main--aapki gaadi lejaaenge.. Waise bhi bahot khaddi hain aapke pass dusri use kar lena..

Nicki-main dungi he nahi gaadi..

Main-Seedha seedha bolo naa yahin rukkjaao...

Nicki-bola tha tujhe samjh naa aaya..subah chale jaaiyo yaar itani raat ko nahi Jaane dungi main..

Main-Uppar waale room mein Main sounga...

Ravi-main already bed ready karke aagaya mere liye....

Main-Uske side waala mera..

Ravi-No problem..

Sam-Khaana toh chup chaap khaao be kitana bhonktey ho dono... Sojaana jidhar sona hai..

Main-Sorry ShaktiMaan..

Dinner k baad thodi chit chat hui.. Puraani yaadein taaja ki humlog ne and uske baad apne apne rooms mein aake sogaye.. Nicki mam k dad mere dadaji k kaafi close they guru maantey they unko..shayad pichle 35+ saalon se humaare family relations hain... Late nind aai thi toh late he uthna tha but aisa hua nahi theek 7.30 baje Nicki mam ne humein chilla chilla k jagaaya.. Humlog fresh hoke niche aae breakfast kiya or seedha Nicki mam ki car leke ghar k liye rawaaana hue.. Ghar aae meri books utaari andar aae nahaae dhoye college k liye ready hue.. Actually maine college Jaane kaa plan drop kiya or ghar par baithke he padhaa.. Padha kya bc ekdum ghuss gaya samaan k andar 8. 30 baje se leke 1.30 baje takk fir lunch k liye niche aaya and then waapis padhai par 2 se 4 baje takk fir padha Physics, BEE, Maths basic chemistry sab kaa sab padha thoda bahot.. Or fir uske baad 4.30 baje Nicki mam k Ghar pohancha maths tution k liye.. Yahi hota hai jab mera dimag ek cheej ko pakad leta hai toh usse woh karna he hai.. Raat 10.30 baje wahaan se aaya main waapis.. And aake fir thoda padha.. Bc itana toh main puri life mein naa padha hoga.. Same schedule mera next day kaa tha college main aaj bhi nahi gaya.. But iska faayda ye hua ki maine I think dono semesters kaa itana kaam karliya ki pass hojaaunga easily.. Bc finally.. Ab problem ye hui mera dimag thoda hang hogaya i guess same bakchodi dekh dekh k bore hogaya isliye maine aage naa padhne kaa plan banaaya warna top kar jaata.... Ab dikkat ye hui ki dimag frustrate hogaya.. Usko shant karne k liye main college gaya 2 din ghar par rehney k baad.. By the way Mere first semester k exams Monday se they or aaj Saturday tha.. Nice..

Continued...
 
Top