• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Vihaan Aur Ashita - Bhai Behen ki kahani - Exclusively written for XFORUM(COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 51 Suman Gets In And Surprises All Of Them

Mera naam kabhi kissi ke zubaan se sunti to rone lagti. Jab shaam hota aur mere wapas ane ka waqt ata to wo kaampne lagti thi, ussko pata tha koyi abhi ussko chilla kar kehne hi wala hai ke wo andar jaaye ab. Magar kabhi wo koyi chamatkaar ka wait karti ke main uss din ko usske andar jaane se pehle prakat ho jaun usske saamne, ya college mein strike ki vajah se kissi din savere ajaun jab wo aangan mein hoti hai… wo pray karti eisa hone ke liye magar eisa kuch hua nahin. Hua woh jo kissi ne sapne mein bhi nahin socha tha… pata chala ke Pooja pregnant hai….

Ab aguey….

Jab Pooja ki prenancy ki khabar mili to ghar mein sab ne mujhko iss tarah dekha jeise main ne kyoi kattal kar diya, jeise kissi ka ghar loota ya koyi bahot bada gunah kar diya.

Ghar mein kiss tarah ke hulchul mach gaye yeh to bataane ki zaroorat nahin pura pariwar mujh par aur Pooja par thoo thoo karne lage, main paapi kehlane laga, lootera kehlaane laga, mujhko lagta tha ke mujhko faansi hone wala hai, wo wala feeling ane laga tha, ghar mein rehna mushkil ho gaya tha, sab mujhse nazrein churrane lage the… Pooja ki to pucho mat ussko itni gaaliyan padti thi aur itna mara jaata tha ke mera ji karta tha usske kamre mein ghuss kar sabko maar dalun, pitaji, mummy, dada, dadi sab baari baari ussko maarne jaate aur usski rone aur chillane ki awaaz mere kaanon tak aate the.

Ek baar to main gaya bhi tha rote chillate Pooja ke kamre ko thokne jab dadi usse maar rahi thi har tarah ke kadwe shabd bolte hue. Jiss waqt main ne pooja ke darwaaze par laat ghussa marrte hue thoka to pooja ne andar se meri awaaz suni aur bhaag kar rote hue darwaza kholne aayi aur buss sirf mera haath thaam saki thi ke dadi ne ussko piche se usski baal pakar kar itne zor se khincha ke usski kalaayi mere haatnh se chhuth gayi kyunke mujhe piche se pitaji ne pakar liye tha eyn waqt par…..

Donon ko apne taraf khiche jaa rahe the, Pooja ke behte ensoo dekh kar aur usski wo awaaz sunte hue, “bhaiya, bhaiya!” wo saalon tak mujhe sunaayi dete rahe, uss waqt jeise mere dil ko cheera jaa raha tha, main ne Pooja ko uss din ek mahine ke bad dekha, balke hum donon ne ek mahine baad ek dusre ko dekha tha uss ek pal ke liye, usska chehre ka rang badal gaya tha, aur patli ho gayi thi uss ek mahine mein, aaj bhi mujhe usski phukaar sunaayi deti hai…jiss nazar se ussne mujhe dekha tha jeise usske liye uss waqt main ek masiha tha, ussko jeise yeh umeed thi ke ab ussko bacaha lunga, jeise ab usski taklifein ka ant hoga, usske uss rote hue chehre ko dekh kar mera pura sharir kaamp utha tha aur jab dadi ne uss darwaze ko band kiya aur uss taraf pitaji ne mujh ghasit kar wahan se legaya, to main bilkool tut gaya aur pata chala ke main kitna majboor tha ke apne pyari pooja ke liye kuch bhi nahin kar paaya.

Usska wo chehra, chehre mein ek umeed mujhe dekhne ke baad, usske ensoo, usska chillaana, mere taraf badhne ki koshish karna, usski patli patli ungliyon ka mere haath mein ana wo sab buss ek pal ke liye hua tha magar mere dil ko jeise kuchla jaa raha tha aaj bhi sochta hoon to mere kaleje mein aag bhadakti hai aur khoon ki ensoo rota hoon apne Pooja ki uss haalat ko dekh kar…….”

Yeh kehte hue Anirud zoron se rone laga, ek chote se bache ki tarah rone laga aur Vihaan aur Ashita jhapat kar ussko sambhaalne gaye khud donon rote hue. Vihaan ne apne papa ko zor se gale lagaate hue usske peeth sehla raha tha jabke ek taraf se Ashita rote hue apne papa ke chehre se ensoo ponch rahi thi.

Kuch der baad juice ningalne ke baad Anirud ne batana jaari rakha yeh kehte hue,

“We were both helpless, like prisoners. Phir baat gaon mein feyli ke Pooja pregnant hai aur panchayat baithayi gayi. Mujhko aur Pooja ko samajhlo ke kathere mein khada kiya gaya, hum donon aamne saamne the, phir ek baar ek dusre ko dekhne ka mauka mila tha hamein. Aur ussi peepal ke peyr ke niche jahan Pooja mera wait karti thi wahi panchayat lagi thi, Pooja ko uss jagah se lagao tha, wo baar baar uss or dekh rahi thi jahan main bus se utarta tha, eisa lag raha tha ke wo mujhe uss taraf se aate hue dekh payegi jabke main usske saamne koyi 3 metres ke doorie par tha, mera nazar sirf uss par tike hue the, pitaji ne mujhko do baar thapad bhi mara usske liye, matlab mera Pooja ko uss tarah se taakne ke liye.

Panchayat end hui to faisla yeh sunaya gaya ke ya mujhko boarding bhej diya jaaye ya kahin kissi door ke rishtedaar ke paas, ya Pooja ko kahin bahot door kissi rishtedaar ke paar ya anaathalay bhej diya jaaye aur jo uske peth mein pal rahi thi ussko gira diya jaaye, matlb usski garv ko mita diya jaaye.

Mujhko panchayat walon ne paapi kaha, Pooja ko shaitaan kaha, hum donon ko bilkool gunehgaar thehraya gaya. Sabhi gaon wale hum par hanss rahe the taana maar rahe the. Gaon ki ladkiyan aur auratein Pooja ko bura bhala keh rahe the, uss par thoo thoo kar rahe the har tarah ki gandi gandi baatein sunaayi de rahe the uss waqt… mera khoon khaul raha tha, mann karta tha ke ek bandook milta uss pal ko to main sabhi ko ek ek karke goli maar deta aur apni Pooja ko lekar wahan se kahin door chala jaata, jee karta tha ke ek atomic bomb gira diya jaaye wahan aur sabko bhasm kar diya jaaye…..

Agle subha ussi peepal ke peyr par latakte hue Pooja ki laash mili! Wo raat ko keise ghar se nikli, kitne baje nikli, keise wahan pahunchi kissi ko pata bhi nahin chala. Main to jeise paagal ho gaya tha usski laash dekh kar itna roya, itna chillaya ussko apne goad mein lekar ke meri awaaz jaa chuki thi ek hafte ke liye. Pooja apne peth mein apne bache ke saath dunya chorr gayi.

Baad mein mujhe thoda ghussa aya ke kyun uss raat ko jab wo nikli to mujhse nahin mili? Kyun mere paas nahin aayi? Kyun mujhko akela chorr kar chali gayi. Main uss se iss baat par naaraz tha. agar ussko weisa mauka mil gayi thi beech raat mein nikalne ko to mere paas to aa sakti thi…. Phir socha ke pehra tha mere kamre ke baahar, wo kissi ko jaga sakti thi agar mere kamre mein aati to…. Main kayi din tak usski yaad mein rota raha aur ek din meri ek sister cousin ne mere kaan mein dhire se kaha, “Pooja ne kuch tummo dene ke liye diya hai mujhe main ne bahot sambhal kar rakhe hein!”

Main chahunk gaya aur pucha kia diya hai? Kab diya?!” to ussne dhire se mere kaan mein kaha panchayat wali raat ko, beech raat ko barah baje mujhe diya tha, main itne dinon se darr rahi thi tumse baat karne ke liye aur yeh bataane ke liye. Sab tumpar nazar rakh rahe the aur phir pooja ke saath jo tumne kiya to socha ke main bhi teri behen hoon to kahin koyi mujh par ungli nah uthaaye jab tere paas aaun to, issi liye darr rahi thi tujhse yeh sab kehne ke liye…. Aaj mauka mila to keh rahi hoon…. Aur ussne apne blouse ke andar se kuch nikala aur chaaron taraf dekhne ke baad mere haath mein thama gayi wahan se bhaagte hue.

Wo ek 13 pages ki chithi thi jo Panchayat se ghar lautne ke baad Pooja ne mere liye likha tha. meri cousin sister, chacha ki beti Renu ne kyun aur keise uss chithi ko mujh tak pohchane ke liye raazi hui yeh mujhe aaj tak pata nahin chala. Kabhi bhi renu se iss baare mein baat karne ka mauka hi nahin mila mujhe. Kissi din puchunga zaroor uss se. baat yeh thi ke ghar mein sabhi bhai behnon ke bich ek renu hi thi jiss par Pooja bharosa kar sakti thi shaayad iss liye ussne wo chithi ussko sompa tha mujh tak ponchaane ke liye. Ab Pooja ke marne ke baad ek hafte tak Renu ne uss chithi ko apne paas rakha kyunke unn dinon ghar mein ziada log the marne ke baad wale reet rivaj ke anusaar wale vidhiyon ko pura karne ke liye aur maamla garam tha to Renu kia sab ghar ke log mujhse door rehte the main paapi jo tha. iss liye ek hafte ke baad mujhe renu ne wo chithi diya. Dekhne se lagta tha ke Renu ne chithi ko padhi hogi, aur padhne ke baad hi ussko laga ke chithi ko mere hawaale karna hi tha usse.

Mujhe bahot Khushi hui uss chithi ko paakar. Laga ke meri Pooja mere paas wapas agayi hai. Main uss chithi ko lekar apne love corner mein gaya. Uss chataayi par baith kar koyi 30/40 baar ussko rote hue padha. Itna roya, itna roya ke ke mere halk sukh gaye the aur thook bhi ningalne ko takliff hone lagi thi, lagta tha ke mera maut bhi uss roz ane wala tha.

Ussi chithi mein mujhe sab pata chala ke meri Pooja kiss tarah se ek mahine tak mujhe dekhne ke liye tadapti rahi, ussne sab likha tha ke kiss tarah se ussko ghar ke kamre mein bandh rakha jata hai, kiss tarah ussko mujhe nahin dekhne diya jata, kiss tarah se shaam ko mujhe bus se utarte hue dekhne ko tadapti thi, kiss tarah uss peepal ke peyr ke niche baithne ko usska man karta tha, kitna mujhko miss karti thi, apne love corner mein mere saath rehna chahti thi. Mujhse kitna pyar karti thi, mere bina jine ko nahin soch sakti thi. Mujhse maafi bhi mangi thi, aur pregnancy ka pata chalne ke baad likha tha Pooja ne ke tab ussko bahot darr lagne laga tha aur hamare pyar ki nishani ko janam dena chahti thi, ussko yakeen tha ke ladka hoga aur wo bilkool meri tarah hoga… magar panchayat se wapas aane ke baad Pooja ne likha ke hum donon paapi hein humne paap kiya hai to ussko jine ka koyi haq nahin. Kyunke humko milne to kabhi nahin dete yeh dunya wale aur usski garv ko girane wale the iss liye Pooja ne marna behtar passand kiya.

Last page mein seedhe mujhse baat kiya tha ke mujhko padhke bada aadmi banna hai, usso yaadon mein bassa kar jina hoga mujhe, kissi se shaadi karke jo Khushi ussko dene wala tha wo apni patni ko dene ko kaha tha. apne bachon se pyar karne ko aur unnke dekh bhaal karne ko kaha tha aur mujhse maafi mangi thi mujhe chorr kar jaane ke liye.

Usske baad main paagal jeisa ho gaya. Apne kamre mein khud ko 45 days bandh rakha main ne, bahot rota tha, dimaagh jeise hill gaya tha mera. Sab sun ho gaya tha, har roz pooja ki khat ko padhta tha main aur rota tha. mujhko kamre mein Pooja dikhaayi dene lagi thi. Main hawa mein uss se baat karne laga tha, sab samajhne lage the ke main paagal ho gaya hoon. Meri badi behen akeli thi jo mere paas aati thi, mujhe khana dene, nahane ke waqt par mujhko bathroom lejaane, mere sar dabaane, tel lagaane sar mein, aur wo akeli thi jo mere saath roti thi aur mujhe samajhti thi.

Aakhir mein 45 days ke baad gharwalon ne decide kiya mujhko ek psychiatrist ke paas lejaane ko, phir usske baad psychologist ke paas…

3 mahine tak main paagal jeisa raha…. Tab ek din pata nahi keise subha ko utha to khud socha ke mujhe sambhalna hoga aur Pooja ke liye zinda rehna hoga aur kuch karna hoga….

Tab main ne studies restart kiya aur college wapas jaane laga. Shuru mein hard tha magar dhire dhire sab mamool par agaya… pitaji mujhse nafrat karte rahe… maa aur baaki ke logon ne jeise mujhe maaf kar diye the magar ghar ke sabhi dusre ladkiyon se mujhe doorie rakhna pada ke kahin koyi aur baat nah ban jaaye ya kissi mein mujhko Pooja nah mil jaaye……

Aakhir mein meri shaadi tey hui, sab ne socha ke shaadi karne ke baad main bilkool,normal ho jaunga…. Aur main ne tab faisla kiya ke unn logon ke saath nahin rahunga, apne khud ke jiwan jina chaha main ne, sab kuch chor chaar ke yahan chala aya aur nayi jiwan shuru kiye main ne tumhare mummy ke saath!!!!

Anirud ne gehri saans lete hue Vihaan aur Ashita ke taraf dekha. Donon ro rahe the, apne apne ankhon ko ponch rahe the, Ashita to sisak rahi thi Vihaan ke baahon mein, phir Anirud ne kaha,

“So here you are kids, ab tum donon socho, inn sab se guzar paoge tum donon? Dekha kia haal hua tha mera? Tum Vihaan kia Ashita ko uss tarah se dukhi dekhna chahte ho? Aur tum Ashu kia Vihaan ko uss tarah se paagal hote hue dekhna chahti ho?”

Vihaan aur Ashita ne ek dusre ko bahot zor se baahon mein jakre hue the uss waqt. Aur naah mein sar hilla rahe the. To Anirud ne kaha,

“Then you both must listen to all that I say okay? Jo bhi hoga, ya hone wala hai, kathin hone wala hai, we will get to face tough moments in the days to come, iss liye tum donon koyi bhi eisi kadam uthaane se pehle MUJHKO pehle bataoge, koyi bhi eisa kadam tum donon mein se koyi nahin uthaayega…. No decisions will be taken without my consent okay?”

Donon ne ek saat kaha, “yes papa”

Thik tabhi Suman kaam se wapas aayi aur seedhe Ashita ke taraf ghusse mein badhi aur ussko usski baal se pakar kar vihaan ke baahon se alag karke ussko peetne lagi chilaate hue, rote hue, yeh sab kehte hue,

“yeh kia kiya tumne? Kia kiya? Charbi chadh gayi thi tujh mein badi aag lagi hui hai tere mein maar dalungi tujhe, kutti kahin ki, randi banna hai kia tujhe? Munh dikhane layak nahin chorra, izat mitti mein mila di log thoo thoo kar rahe baahar kia kiya tum ne?!

Vihaan aur Anirud donon Ashita ko suman ke panjhon se chhurrane ki koshish mein lage hue the magar suman par jeise ek bhoot sanwaar tha wo Ashita bahot peeth rahi thi….

Vihaan ne churrate hue kaha,

“mum chorro meri Ashu ko mat maaro maaaaaaa!”

Phir Suman ne Ashita ko baahon mein bhar liya aur ek haath se Vihaan ke sar ko apne kaandhe par karte hue zoron se chilaate hue rone lagi aur kehti gayi rote hue,

“Yeh kia kar diya tum dono mere bacho? Kia kar diya? Mujhe shak to tha, haan pata bhi tha magar mera dil tum donon ko juda nahin karna chahti thi, ab kia munh dikhaayeinghe hum dunya ko? Tum donon ka jeena mushkil ho jaega mere bacho….Vihaan kia yeh sirf tumhari Ashu? Meri nahin? Tum donon mere jigar ke tukde ho!! hey bhagwaan ab kia hoga? Pura mohalla thoo thoo kar rahe hein sab hanss rahe hein, yahan se door door tak logon mein baat feyl gayi hai!!!! Ab kia karun main? Hey bhagwaan!!!” log hamaare ghar ke saamne group bana ke khade hein sab andar jhaank rahe hein…… “

To be continued….. (2712 words)
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
ladki hain, nazuk hain,, toh sab ghar wale milke ush abla ko tabla samajh ke bajane lag gaye ..anirudh ko bas sirf tappad aur kamre me bandh . galti dono ne hi ki thi nah, toh sirf Pooja akeli ko hi itni badi saza kyu mili..:mad: wah re kya gaon wale hain inki toh aisi ki taisi.. kide pade... Poor Pooja :(
Yeh kya in mohalle walo ko aur koi kam dham nahi hain kya. bas ek issue chahiye inko. sab ke sab kud parenge.. chuglibaz kahike .bahot uchal rahe hai yeh log . arre koi 10-20 saap chhod do inke upor apne ap dum dabake bhag jayenge waha se...
insab me ek achhi baat, Suman vihaan aur ashita ke khilaaf nahi hai bas ushe samaaj(society) ka dar hai.
Brilliant update casi sir.... :applause::applause:
 
Last edited:

Sanskari Larka

Sᴀk†Lᴀน𝖓da
1,026
2,380
159
First of all thanks for update today

Bahut emotional update tha yaar ,padhte padhte mere aankh me bhi aasu aa gye
Akhirkar suman ko Pata chal hi gya lekin Ye kya suraj paschim se nikal gya Thora Gussa hone ke baad ro bhi rahi hai
Kahi iska hirday pariwartan to nhi ho gya
Kya suman ashita-vihaan ko support karegi
Ab society wale kya bawal machate hain dekhna dilchasp hoga

Edit-Yeh kehte hue Anirud zoron se rone laga, ek chote se bache ki tarah rone laga aur Vihaan aur Ashita jhapat kar ussko sambhaalne gaye khud donon rote hue. Vihaan ne apne papa ko zor se gale lagaate hue usske peeth sehla raha tha jabke ek taraf se (ashita) rote hue apne papa ke chehre se ensoo ponch rahi thi.


Bhai waha pooja ke jagah ashita kar dijiye
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 51 Suman Gets In And Surprises All Of Them

Mera naam kabhi kissi ke zubaan se sunti to rone lagti. Jab shaam hota aur mere wapas ane ka waqt ata to wo kaampne lagti thi, ussko pata tha koyi abhi ussko chilla kar kehne hi wala hai ke wo andar jaaye ab. Magar kabhi wo koyi chamatkaar ka wait karti ke main uss din ko usske andar jaane se pehle prakat ho jaun usske saamne, ya college mein strike ki vajah se kissi din savere ajaun jab wo aangan mein hoti hai… wo pray karti eisa hone ke liye magar eisa kuch hua nahin. Hua woh jo kissi ne sapne mein bhi nahin socha tha… pata chala ke Pooja pregnant hai….

Ab aguey….

Jab Pooja ki prenancy ki khabar mili to ghar mein sab ne mujhko iss tarah dekha jeise main ne kyoi kattal kar diya, jeise kissi ka ghar loota ya koyi bahot bada gunah kar diya.

Ghar mein kiss tarah ke hulchul mach gaye yeh to bataane ki zaroorat nahin pura pariwar mujh par aur Pooja par thoo thoo karne lage, main paapi kehlane laga, lootera kehlaane laga, mujhko lagta tha ke mujhko faansi hone wala hai, wo wala feeling ane laga tha, ghar mein rehna mushkil ho gaya tha, sab mujhse nazrein churrane lage the… Pooja ki to pucho mat ussko itni gaaliyan padti thi aur itna mara jaata tha ke mera ji karta tha usske kamre mein ghuss kar sabko maar dalun, pitaji, mummy, dada, dadi sab baari baari ussko maarne jaate aur usski rone aur chillane ki awaaz mere kaanon tak aate the.

Ek baar to main gaya bhi tha rote chillate Pooja ke kamre ko thokne jab dadi usse maar rahi thi har tarah ke kadwe shabd bolte hue. Jiss waqt main ne pooja ke darwaaze par laat ghussa marrte hue thoka to pooja ne andar se meri awaaz suni aur bhaag kar rote hue darwaza kholne aayi aur buss sirf mera haath thaam saki thi ke dadi ne ussko piche se usski baal pakar kar itne zor se khincha ke usski kalaayi mere haatnh se chhuth gayi kyunke mujhe piche se pitaji ne pakar liye tha eyn waqt par…..

Donon ko apne taraf khiche jaa rahe the, Pooja ke behte ensoo dekh kar aur usski wo awaaz sunte hue, “bhaiya, bhaiya!” wo saalon tak mujhe sunaayi dete rahe, uss waqt jeise mere dil ko cheera jaa raha tha, main ne Pooja ko uss din ek mahine ke bad dekha, balke hum donon ne ek mahine baad ek dusre ko dekha tha uss ek pal ke liye, usska chehre ka rang badal gaya tha, aur patli ho gayi thi uss ek mahine mein, aaj bhi mujhe usski phukaar sunaayi deti hai…jiss nazar se ussne mujhe dekha tha jeise usske liye uss waqt main ek masiha tha, ussko jeise yeh umeed thi ke ab ussko bacaha lunga, jeise ab usski taklifein ka ant hoga, usske uss rote hue chehre ko dekh kar mera pura sharir kaamp utha tha aur jab dadi ne uss darwaze ko band kiya aur uss taraf pitaji ne mujh ghasit kar wahan se legaya, to main bilkool tut gaya aur pata chala ke main kitna majboor tha ke apne pyari pooja ke liye kuch bhi nahin kar paaya.

Usska wo chehra, chehre mein ek umeed mujhe dekhne ke baad, usske ensoo, usska chillaana, mere taraf badhne ki koshish karna, usski patli patli ungliyon ka mere haath mein ana wo sab buss ek pal ke liye hua tha magar mere dil ko jeise kuchla jaa raha tha aaj bhi sochta hoon to mere kaleje mein aag bhadakti hai aur khoon ki ensoo rota hoon apne Pooja ki uss haalat ko dekh kar…….”

Yeh kehte hue Anirud zoron se rone laga, ek chote se bache ki tarah rone laga aur Vihaan aur Ashita jhapat kar ussko sambhaalne gaye khud donon rote hue. Vihaan ne apne papa ko zor se gale lagaate hue usske peeth sehla raha tha jabke ek taraf se pooja rote hue apne papa ke chehre se ensoo ponch rahi thi.

Kuch der baad juice ningalne ke baad Anirud ne batana jaari rakha yeh kehte hue,

“We were both helpless, like prisoners. Phir baat gaon mein feyli ke Pooja pregnant hai aur panchayat baithayi gayi. Mujhko aur Pooja ko samajhlo ke kathere mein khada kiya gaya, hum donon aamne saamne the, phir ek baar ek dusre ko dekhne ka mauka mila tha hamein. Aur ussi peepal ke peyr ke niche jahan Pooja mera wait karti thi wahi panchayat lagi thi, Pooja ko uss jagah se lagao tha, wo baar baar uss or dekh rahi thi jahan main bus se utarta tha, eisa lag raha tha ke wo mujhe uss taraf se aate hue dekh payegi jabke main usske saamne koyi 3 metres ke doorie par tha, mera nazar sirf uss par tike hue the, pitaji ne mujhko do baar thapad bhi mara usske liye, matlab mera Pooja ko uss tarah se taakne ke liye.

Panchayat end hui to faisla yeh sunaya gaya ke ya mujhko boarding bhej diya jaaye ya kahin kissi door ke rishtedaar ke paas, ya Pooja ko kahin bahot door kissi rishtedaar ke paar ya anaathalay bhej diya jaaye aur jo uske peth mein pal rahi thi ussko gira diya jaaye, matlb usski garv ko mita diya jaaye.

Mujhko panchayat walon ne paapi kaha, Pooja ko shaitaan kaha, hum donon ko bilkool gunehgaar thehraya gaya. Sabhi gaon wale hum par hanss rahe the taana maar rahe the. Gaon ki ladkiyan aur auratein Pooja ko bura bhala keh rahe the, uss par thoo thoo kar rahe the har tarah ki gandi gandi baatein sunaayi de rahe the uss waqt… mera khoon khaul raha tha, mann karta tha ke ek bandook milta uss pal ko to main sabhi ko ek ek karke goli maar deta aur apni Pooja ko lekar wahan se kahin door chala jaata, jee karta tha ke ek atomic bomb gira diya jaaye wahan aur sabko bhasm kar diya jaaye…..

Agle subha ussi peepal ke peyr par latakte hue Pooja ki laash mili! Wo raat ko keise ghar se nikli, kitne baje nikli, keise wahan pahunchi kissi ko pata bhi nahin chala. Main to jeise paagal ho gaya tha usski laash dekh kar itna roya, itna chillaya ussko apne goad mein lekar ke meri awaaz jaa chuki thi ek hafte ke liye. Pooja apne peth mein apne bache ke saath dunya chorr gayi.

Baad mein mujhe thoda ghussa aya ke kyun uss raat ko jab wo nikli to mujhse nahin mili? Kyun mere paas nahin aayi? Kyun mujhko akela chorr kar chali gayi. Main uss se iss baat par naaraz tha. agar ussko weisa mauka mil gayi thi beech raat mein nikalne ko to mere paas to aa sakti thi…. Phir socha ke pehra tha mere kamre ke baahar, wo kissi ko jaga sakti thi agar mere kamre mein aati to…. Main kayi din tak usski yaad mein rota raha aur ek din meri ek sister cousin ne mere kaan mein dhire se kaha, “Pooja ne kuch tummo dene ke liye diya hai mujhe main ne bahot sambhal kar rakhe hein!”

Main chahunk gaya aur pucha kia diya hai? Kab diya?!” to ussne dhire se mere kaan mein kaha panchayat wali raat ko, beech raat ko barah baje mujhe diya tha, main itne dinon se darr rahi thi tumse baat karne ke liye aur yeh bataane ke liye. Sab tumpar nazar rakh rahe the aur phir pooja ke saath jo tumne kiya to socha ke main bhi teri behen hoon to kahin koyi mujh par ungli nah uthaaye jab tere paas aaun to, issi liye darr rahi thi tujhse yeh sab kehne ke liye…. Aaj mauka mila to keh rahi hoon…. Aur ussne apne blouse ke andar se kuch nikala aur chaaron taraf dekhne ke baad mere haath mein thama gayi wahan se bhaagte hue.

Wo ek 13 pages ki chithi thi jo Panchayat se ghar lautne ke baad Pooja ne mere liye likha tha. meri cousin sister, chacha ki beti Renu ne kyun aur keise uss chithi ko mujh tak pohchane ke liye raazi hui yeh mujhe aaj tak pata nahin chala. Kabhi bhi renu se iss baare mein baat karne ka mauka hi nahin mila mujhe. Kissi din puchunga zaroor uss se. baat yeh thi ke ghar mein sabhi bhai behnon ke bich ek renu hi thi jiss par Pooja bharosa kar sakti thi shaayad iss liye ussne wo chithi ussko sompa tha mujh tak ponchaane ke liye. Ab Pooja ke marne ke baad ek hafte tak Renu ne uss chithi ko apne paas rakha kyunke unn dinon ghar mein ziada log the marne ke baad wale reet rivaj ke anusaar wale vidhiyon ko pura karne ke liye aur maamla garam tha to Renu kia sab ghar ke log mujhse door rehte the main paapi jo tha. iss liye ek hafte ke baad mujhe renu ne wo chithi diya. Dekhne se lagta tha ke Renu ne chithi ko padhi hogi, aur padhne ke baad hi ussko laga ke chithi ko mere hawaale karna hi tha usse.

Mujhe bahot Khushi hui uss chithi ko paakar. Laga ke meri Pooja mere paas wapas agayi hai. Main uss chithi ko lekar apne love corner mein gaya. Uss chataayi par baith kar koyi 30/40 baar ussko rote hue padha. Itna roya, itna roya ke ke mere halk sukh gaye the aur thook bhi ningalne ko takliff hone lagi thi, lagta tha ke mera maut bhi uss roz ane wala tha.

Ussi chithi mein mujhe sab pata chala ke meri Pooja kiss tarah se ek mahine tak mujhe dekhne ke liye tadapti rahi, ussne sab likha tha ke kiss tarah se ussko ghar ke kamre mein bandh rakha jata hai, kiss tarah ussko mujhe nahin dekhne diya jata, kiss tarah se shaam ko mujhe bus se utarte hue dekhne ko tadapti thi, kiss tarah uss peepal ke peyr ke niche baithne ko usska man karta tha, kitna mujhko miss karti thi, apne love corner mein mere saath rehna chahti thi. Mujhse kitna pyar karti thi, mere bina jine ko nahin soch sakti thi. Mujhse maafi bhi mangi thi, aur pregnancy ka pata chalne ke baad likha tha Pooja ne ke tab ussko bahot darr lagne laga tha aur hamare pyar ki nishani ko janam dena chahti thi, ussko yakeen tha ke ladka hoga aur wo bilkool meri tarah hoga… magar panchayat se wapas aane ke baad Pooja ne likha ke hum donon paapi hein humne paap kiya hai to ussko jine ka koyi haq nahin. Kyunke humko milne to kabhi nahin dete yeh dunya wale aur usski garv ko girane wale the iss liye Pooja ne marna behtar passand kiya.

Last page mein seedhe mujhse baat kiya tha ke mujhko padhke bada aadmi banna hai, usso yaadon mein bassa kar jina hoga mujhe, kissi se shaadi karke jo Khushi ussko dene wala tha wo apni patni ko dene ko kaha tha. apne bachon se pyar karne ko aur unnke dekh bhaal karne ko kaha tha aur mujhse maafi mangi thi mujhe chorr kar jaane ke liye.

Usske baad main paagal jeisa ho gaya. Apne kamre mein khud ko 45 days bandh rakha main ne, bahot rota tha, dimaagh jeise hill gaya tha mera. Sab sun ho gaya tha, har roz pooja ki khat ko padhta tha main aur rota tha. mujhko kamre mein Pooja dikhaayi dene lagi thi. Main hawa mein uss se baat karne laga tha, sab samajhne lage the ke main paagal ho gaya hoon. Meri badi behen akeli thi jo mere paas aati thi, mujhe khana dene, nahane ke waqt par mujhko bathroom lejaane, mere sar dabaane, tel lagaane sar mein, aur wo akeli thi jo mere saath roti thi aur mujhe samajhti thi.

Aakhir mein 45 days ke baad gharwalon ne decide kiya mujhko ek psychiatrist ke paas lejaane ko, phir usske baad psychologist ke paas…

3 mahine tak main paagal jeisa raha…. Tab ek din pata nahi keise subha ko utha to khud socha ke mujhe sambhalna hoga aur Pooja ke liye zinda rehna hoga aur kuch karna hoga….

Tab main ne studies restart kiya aur college wapas jaane laga. Shuru mein hard tha magar dhire dhire sab mamool par agaya… pitaji mujhse nafrat karte rahe… maa aur baaki ke logon ne jeise mujhe maaf kar diye the magar ghar ke sabhi dusre ladkiyon se mujhe doorie rakhna pada ke kahin koyi aur baat nah ban jaaye ya kissi mein mujhko Pooja nah mil jaaye……

Aakhir mein meri shaadi tey hui, sab ne socha ke shaadi karne ke baad main bilkool,normal ho jaunga…. Aur main ne tab faisla kiya ke unn logon ke saath nahin rahunga, apne khud ke jiwan jina chaha main ne, sab kuch chor chaar ke yahan chala aya aur nayi jiwan shuru kiye main ne tumhare mummy ke saath!!!!

Anirud ne gehri saans lete hue Vihaan aur Ashita ke taraf dekha. Donon ro rahe the, apne apne ankhon ko ponch rahe the, Ashita to sisak rahi thi Vihaan ke baahon mein, phir Anirud ne kaha,

“So here you are kids, ab tum donon socho, inn sab se guzar paoge tum donon? Dekha kia haal hua tha mera? Tum Vihaan kia Ashita ko uss tarah se dukhi dekhna chahte ho? Aur tum Ashu kia Vihaan ko uss tarah se paagal hote hue dekhna chahti ho?”

Vihaan aur Ashita ne ek dusre ko bahot zor se baahon mein jakre hue the uss waqt. Aur naah mein sar hilla rahe the. To Anirud ne kaha,

“Then you both must listen to all that I say okay? Jo bhi hoga, ya hone wala hai, kathin hone wala hai, we will get to face tough moments in the days to come, iss liye tum donon koyi bhi eisi kadam uthaane se pehle MUJHKO pehle bataoge, koyi bhi eisa kadam tum donon mein se koyi nahin uthaayega…. No decisions will be taken without my consent okay?”

Donon ne ek saat kaha, “yes papa”

Thik tabhi Suman kaam se wapas aayi aur seedhe Ashita ke taraf ghusse mein badhi aur ussko usski baal se pakar kar vihaan ke baahon se alag karke ussko peetne lagi chilaate hue, rote hue, yeh sab kehte hue,

“yeh kia kiya tumne? Kia kiya? Charbi chadh gayi thi tujh mein badi aag lagi hui hai tere mein maar dalungi tujhe, kutti kahin ki, randi banna hai kia tujhe? Munh dikhane layak nahin chorra, izat mitti mein mila di log thoo thoo kar rahe baahar kia kiya tum ne?!

Vihaan aur Anirud donon Ashita ko suman ke panjhon se chhurrane ki koshish mein lage hue the magar suman par jeise ek bhoot sanwaar tha wo Ashita bahot peeth rahi thi….

Vihaan ne churrate hue kaha,

“mum chorro meri Ashu ko mat maaro maaaaaaa!”

Phir Suman ne Ashita ko baahon mein bhar liya aur ek haath se Vihaan ke sar ko apne kaandhe par karte hue zoron se chilaate hue rone lagi aur kehti gayi rote hue,

“Yeh kia kar diya tum dono mere bacho? Kia kar diya? Mujhe shak to tha, haan pata bhi tha magar mera dil tum donon ko juda nahin karna chahti thi, ab kia munh dikhaayeinghe hum dunya ko? Tum donon ka jeena mushkil ho jaega mere bacho….Vihaan kia yeh sirf tumhari Ashu? Meri nahin? Tum donon mere jigar ke tukde ho!! hey bhagwaan ab kia hoga? Pura mohalla thoo thoo kar rahe hein sab hanss rahe hein, yahan se door door tak logon mein baat feyl gayi hai!!!! Ab kia karun main? Hey bhagwaan!!!” log hamaare ghar ke saamne group bana ke khade hein sab andar jhaank rahe hein…… “

To be continued….. (2712 words)
Bahut hi dukhad ant hua anirudh aur pooja ki love story ka very sad kaleja munh ko aa gya emotional update
Aur ye kya pure mohhalle me baat fail gyi suman ko bhi pta chal gya kitna peeta usne ashita ko aur ye achanak suman me badlav kaisa ...
Agla update dilchasp hoga...
Bhai jaldi update krna
 
Last edited:

Savi

Banned
443
4,366
123
Aaawwwww casi ji uff!!
Mujhe pehle se pata tha ye update mujhe bahut rulaegi. Casi ji kitna rulaoge aur.
Main ruk ruk kar rote hue iss update ko padha.
Pooja ki chithi mili to laga ab jaan mein jaan aayi magar yaar ussko padhte waqt to aur bhi jiada rona aya.
Kia likhte ho aap casi ji. Shaayad ji net par koyi lekhal eise aur itne emotional likhta hai aap k ilawa.
Jabardast, laajawab update hai casi ji. Out of the world category wala update hai ye.
Maa aakhir maa hoti hai ye saabit kar diya aap ne Suman ki maa wali roop dikha kar aakhir. Big surprise tha yeh. Jhatka diya aap ne Suman ki iss roop ko dikha kar. Aap ne usski jajbaat ko chupaye rakha tha jo sahi time par jaahir kiya. Ye bade wtiter ki quality hoti hai.
Khub rulaya humko magar end mein chain mili ye jaan kar k ab 2 supports ho mil gaye Vihaan aur Ashita ko.
To ab kia hona baaki hai?
Sb samaaj se ladna baaki hai nah?
Phhhhuuuu...okay dekhte hein ab kia hota hai.
WONDERFUL, FANTASTIC MINDBLOWING, EXCELLENT UPDATE.
:yourock: :yourock: :yourock: :yourock:
 
Last edited:
Top