• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 14 Did the Quarrel End? How?

Subha Abhi late utha. Ziada peene ki vajah se sota raha. 8.30 ko bus mein tha kaam ke liye jaane ko. Yeh pehli baar hua tha jiss din se wahan kaam kar raha tha.

Pahunchne se pehle bus mein jaate waqt Abhi of course sirf Ruhi ke baare mein hi soch raha tha aur kal ke hue wakiye ko…. Abhi ab yeh sochne laga tha ke subha ko sabse pehle kaam par reach hone wala aaj 8.30 ko reach nahin hua hai, aur socha ke Ruhi kia soch rahi hogi 6 baje se 8.30 tak jab ussko wahan nahin dekha hoga to? Abhi sochne laga,

“Kia Ruhi mujhko dhund rahi hogi? 6 baje se meri raah dekh rahi hogi nah? kissi se puchne aayi hogi ke main kyun nahin aya hoon? Are yaar kahin wo yeh nah soche ke iss liye ke ussne kaha tha ke main nahin aunga to bala tal gayi usski; iss liye main nahin aya hoon…..”

Ab Abhi ke dil mein phir se wo baat aayi ke Ruhi ne uss se kaha tha ke usske liye bala tal jaegi agar ussne wahan aana band kar diya to…. Yeh sochne ke baad Abhi ko bus se utarne ka mann nahin kiya, socha ke ab kaam par jaaye hi nahin. Wo abhi tak hurt feel kar raha tha uss baat ko soch kar…. Aur ek pal ke liye Abhi ne socha ke hamesha ke liye issi waqt se wahan jaana band karde aur uss kaam ko chorr de! Tab hamesha ke liye saare lafde khatam!!

Aisa soch to liya dil mein Abhi ne magar wahan pahuchne par bus se uss bus stop par hi utra jahan utarna tha, yaane Ruhi ke ghar ke paas wale bus stop par. 9 bajne wala tha aur tab abhi uss aangan mein chalte hue nazar aya. Saeed aur Vinay bus ke uss side par the jiss taraf wo bada darkhat tha, aur Tony bus ke paas tap one ke paas kuch kar raha tha, abhi washroom pahuncha to Tony usske paas gaya aur kaha,

“are yaar main ne socha tu nahin aega, Saeed ghussa kar raha tha aur bura bhala bhi kehne laga tha tujhe!”

Abhi ne kapde badalte hue aur Ruhi ke kitchen ke andar dekhte hue kaha,

“bhai goli maar Saeed ko aur yeh bata Ruhi nazar aayi ke nahin yaar?!”

Tony: “Abhi wo subha se kayi chakkar laga chuki hai, rone wali surat banaayi hui hai, khud mujhse kayi baar puch chuki ke tu kidhar hai aur usski maa aayi Saeed se puchne ke tu kyun nahin aya aaj!”

Abhi ne shirt pehente hue kaha,

“Really? That’s nice yaar, that’s very good news, magar ab kidhar hai wo ladki mujhe paagal banaane wali?!”

Tony: “Tujhko andar se zaroor dekh rahi hogi aur muskura rahi hogi, tere expression ko read kar rahi hogi ke tu abhi tak ghussa to nahin, ussko pata hoga ke kal tere liye wo saamne nahin aayi to tu ghussa hoga, andar muskuraate hue tujhe dekh rahi hogi. Bahot hi khush ho rahi hogi ke tu agaya hai. Dekna abhi zaroor
tere saamne aegi.”

Abhi: “Achah? To bala kaise talegi agar main aata hi raha to?! Ho sakta hai ke yeh bhi keh rahi hogi ke yeh bala phir agaya!”

Tony? “Ab chorr yaar, abhi tak tu uss baat ko dil mein liye baitha hai? Wo tujhse bahot pyar karti hai tujhe paagalon ki tarah dhund rahi thi!”

Abhi: "terrace par jhadu laga diya ussne, poncha laga diya kia?”

Tony: “nahin kuch nahin kiya sirf teri raah dekh rahi hai subha se, usski nazrein sirf main road par aur aate hue bus par rehti thi subha se!

Abhi: “yaar tony to ab kyun nahin dikh rahi hai? Mere saamne aa nahin sakti kia? Marr gayi kia wo?!”

Tony: “are yaar itna ghussa kyun karne laga achaanak tu? Wo sun legi yaar. Kamaal hai udhar Saeed ghussa kar raha hai idhar tu kia ho gaya hai? Kissi ki nazar to nahin lagi hein kahin?!”

Abhi: “bhaad mein jaaye saeed kaun si badi toap hai wo, chal karte hein jo kaam karna hai…..”

Jab Abhi aur Tony bus ke taraf jaane lage to Abhi ko Ruhi ki blue dress ki ek choti si jhalak dikhaayi diya lounge mein hawa se parde ke hillne ki vajah se. Matlab Abhi ko pata tha ke Ruhi ussko andar se dekh rahi thi.

Aur 9.15 ko Abhi ne kaam karna start kiya aur Saeed shuru hua;

“kia hai abhi? Aise kaam kiya jaata hai kia? Subha ke 9.15 ko kaam shuru hota hai kia?

Ek to Abhi pehle se ghusse mein tha Ruhi ki kal wale vyohaar ko lekar aur ab Saeed uss par chilla raha tha to Abhi ne bhi ghusse mein aur oonchi awaaz mein Saeed ko jawaab diya.

Donon mei tutu main main hone laga aur tension badhne lage…. Awaaz door tak sunaayi dene lage donon ke aur dhadpdaate hue Mehboob apne ghar se baahar aya aur donon ko shaant karne ki koshish kiye…. Saeed Abhi ko suna raha tha aur Abhi saeed ko…. Saeed ne ek baar kaha,

“yahan herogiri karne nahin aate hein kaam karne aate hein, Mehboob ne humko kaam karne ke liye paise diye hein flirt karne ke liye nahin, kia karta rehta hai tu kaam karne ke waqt, kia karne jata hai wahan uss washing stone ke paas? Kaam wahan hota hai kia?”

Ruhi aur usski maa sab sun rahe the, aur Ruhi ne apni maa ke chehre mein dekha, udaasi aur darr ke saath….. Ruhi ne kabhi nahin socha tha ke kuch aisa hoga….

Abhi ne Saeed ki uss baat ka yeh jawaab diya chilaate hue,

“kyun be tere gaand mein kyun aag lagta hai agar main wahan jata hoon to? Kaam to pura karta hoon tujh se bahut ziada kaam main ne kiya hai iss bus mein dikhaun tujhko, naap lagayega tum ne kitna kaam kiya aur main ne kitna?”

Mehboob ko pata tha ke Abhi ne bahut ziada kaam kiya hua hai to ussne Abhi ke kaandhe par haath rakh kar ussko ek taraf karne ki koshish kiya, magar Saeed ne bhi oonchi awaaz mein kaha ke ussko bataaye ke kaise Abhi ne ziada kaam kiya hai, to ussi tone mein, ghusse mein Abhi ne kaha,

“yeh dekh shuruwaat yahan se kiya tha main ne front side, jo back side se 50 gunah ziada complicated aur mushkil hai phir bhi tujh se pehle main ne right panel ko banana shuru kar diya aur tu back side par hi laga hua tha, jab main ne front side aur right panel pura kar diya tab jahan tujhko left panel pura karna tha wo bhi uss mein aadha se ziada main ne complete kiya, main ne upar ke kaam bhi aadha se ziada kar diya, to tere mukable 100 gunah ziada kaam kiya hai main ne iss bus mein sala mujhko 2 ghante ki lateness ke liye sunata hai? Main tujhko sunaunga to tere adhe paise mere hone chahiye, suna tum ne mujhe ghussa mat dila varna sab chorr chaar ke chala jaunga yahan se ek to bala banke mandra raha hoon kissi ke liye, nikal hi jaun to achchah hai!”

Abhi itna ghusse mein tha ke Mehboob ussko sambhal nahin paa raha tha, Ruhi aur usski maa terrace par nikal gaye the sab dekhte hue, to Mehboob ko laga ke sirf Ruhi Abhi ko shant kar paegi, to Mehboob ne Ruhi ke maa ke taraf dekha aur ishaare se ussko kuch kaha, aur Ruhi ki maa aayi Abhi ke bazu pakra aur apne terrace ke taraf lejaate hue ahiste aur araam se kaha,

“Idhar chalo aao aao ssshhhh ghussa thuk do aao nah dekho Ruhi tumko bula rahi hai aao nah beta, aisa nahin karte, thand rakho beta…” tab tak chalte hue Ruhi ghar ke piche wale hisse mein jaa chuki thi aur apni maa ko Abhi ko apne saat laate hue dekh rahi thi….

Wo hissa ghar ke piche tha washing stone se thoda door, Ruhi ki aankhe bhar aayi thi kyunke ussne sab suna ke Abhi ne kuch der pehle kaha ke kissi ke liye wo bala ban chuka hai to behtar hai ke sab chorr chaar kar chala jaaye… ruhi apni kahi hui baat par bahot pachta rahi thi aur jaise Ruhi ki maa Abhi ko uss kone mein laaya Ruhi Abhi se lipat gayi rote hue aur Abhi ke peeth par apne komal kalaayi ko ferrte hue Ruhi kayi baar rote hue kehti gayi,

“I am sorry, I am very very sorry, please forgive me, will you? Mujhe maaf kardo Abhi mujhse ghalati hui, mujhe kal wo nahin kehna chahiye tha I am so sorry Abhi!”

Abhi ka jism shake kar raha tha ghusse se, aur jitna zor se Ruhi ne ussko apne baahon mein jakra tha Ruhi usske jism ki wo thartharaahat feel kar rahi thi…. Aur Ruhi khud kaampne lagi rote hue aur maafi maangte hue. Ruhi ki maa sab dekh rahi thi aur apni beti ko rote hue dekh kar wo khud apni aankh se aansoo ponch rahi thi.

Abhi jaise hosh mein nahin tha uss waqt. Usske samajh mein nahin araha tha ke kia ho raha hai…. Ussko laga ke sab ek sapna tha… aur ahiste ahiste Abhi ne apne baahon ko uthaya aur Ruhi ke kaandhe par kiya, Ruhi ka badan pura Abhi ke jism se chipki hui thi uss waqt, Aur oonche kad ke hone ke kaaran Ruhi ka sar Abhi ke chaati par tha aur wo Abhi ke dil ki dhadkanon ko saaf sun rahi thi. Ruhi ke donon baahein Abhi ke baazu ke niche se hokar ussko jakre hue the…. Ruhi ke aankhon se ab bhi ashk jaari the, aur jis pal ko Ruhi ne Abhi ke haathon ko apne kaandhe par feel kiya tab usski aankon ke aansoo ruke aur usski maa wahan se wapas terrace par chali gayi aur Mehboob ne uss se kaha ke Abhi ko kuch der udhar hi rehne de taake wo shant ho sake. Ruhi ki maa tab Mehboob aur saeed se baatein karne lage jaanne ke liye ke jhagda kyun aur kaise shuru hua. Dhire se Mehboob ne Ruhi ki maa se kaha ke iss mein Abhi ki ghalati nahin hai ussne sach mein saeed se bahot ziada kaam kiya hai bus mein.

Udhar jab Abhi ke haath Ruhi ke kaandhe par gaye to Ruhi ne apne chehre ko usske chhati par sattaye hue hi kaha,

“Aap mujhe apne baahon mein bharna chahte the nah? Lo bhar liya aapne mujhe apne baahon mein ab khush?!”

Abhi ki saansein tez chal rahe the aur wo thoda hannff raha tha, to Ruhi ne ussi position mein kaha,

“Baap re itna ghussa uff mujhe nahin pata tha aap itne ghusse wale ho, aap to bahot cool aur sweet dikhte the itne dinon se aap ko sambhaalna bada mushkil hai!”

Abhi kuch nahin bol raha tha, jaise ab bhi kisi shock mein dooba hua tha, to Ruhi ko sar upar utha kar Abhi ke chehre mein dekhna pada, aur dekha ke abhi khoya hua hai to kaha,

“Aap ka ghussa mujh par tha nah? Mere wale ghussa aap nikaal rahe the nah? kal se ghussa paal rahe the aap mere khilaaf Abhi? Main nahin dikhi thi iss liye? Main ne saare parde khinch liye the iss liye? Main ne bala tal jaegi kaha tha iss liye? Main ne to buss mazaak kiya tha Abhi, I did not mean it at all! I am so sorry ke mere munh se wo shabd nikal gaye the Abhi. Main kal hi aap ko sorry kehne ke liye wait kar rahi thi lunch time ke waqt magar aap aaye hi nahin main wait karti rahi, to mera bhi mood off hua issi liye main shaam ko nahin nikli thi magar main aap ko andar se jaate hue dekh rahi thi Abhi. Pleaae forgive me nah!”

Abhi ne ek bahot lambi sanns liye jiss se Ruhi ki chaati aage badhi phir piche hue Abhi se chipki hui jo thi. Do jism ek jaan lag rahe the donon uss waqt.

Ruhi ne phir usske seene par apne gaal ko satta diya aur kaha,

“Aap mere liye bala kaise ho sakte ho bhala? Main to chahungi ke aap umar bhar har roz yahan aao aur main aap ko issi aangan mein dekhun zindagi bhar Abhi! …. Abhi aaj aap meri vajah se late aaye? Bataiye nah, kia aap nahin aane wale the aaj? Meri kal ki kahi hui baat ki vajah se? Pata hai, main aaj subha 4 baje se uth chuki hoon aur aap ki raah dekhti rahi dekhti rahi, socha 6 bajne se pehle ajaoge aaj kyunke kal shaam ko aap ne mujhe nahin dekha tha nah, iss liye main barpaayi karna chahti thi Abhi magar aap aaye hi nahin…. Aap ko pata hai mujh par kia beet rahi thi jab sab log aagaye aur aap nain aaye? Pata hai main ne kitna dhunda aap ko? Main ro pari thi Abhi, main apni maa se saari baatein kehte hue fut fut kar ro rahi thi, maa ko bheja tha saeed ji se puchne ke aap kyun nahin aaye ho, mujhe darr tha ke kahin meri kahi hui baat ki vajah se aap ab kabhi bhi nahin awo…. Main kia karti tab? Aap kyun late aaye aaj abhi? Boliye nah, mujhe sazaa dene ke liye hmm? You were punishing me?!”

Ruhi ki meethi awaaz mein tadap thi, aaj pehli baar jiss awaaz ko sunne ke liye Abhi tarasta tha uss awaaz mein itna tadap mehsoos kar raha tha.

Tab Abhi ne apna sar niche jhukaya, Ruhi ki thudi ko apne ungliyon se apne chehre ke taraf uthaya, Ruhi ke aankhon ne Abhi ke ankhon mein dekha, Abhi ne jhuk kar apne honton ko Ruhi ke honton par rakh diya…. Ruhi apne toes par khadi hui aur Abhi ko kiss karne lagi ziada zoron se Abhi ko jakarte hue….

Abhi ne life mein kabhi kissi ladki ko kiss nahin kiya tha, usske samajh mein nahin araha tha ke kaise kia karein, sirf apne honth ko Ruhi ke honton se takraya tha ussne, magar Ruhi ussko kiss kar rahi thi, Abhi ko ussi pal laga ke ussko kiss karna to ata hi nahin magar Ruhi ko kiss karna ata tha!!

To be continued…. (2450 Words)
 
Last edited:

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158

Amazing update casi bhai,
behad hi shandaar, aur lajawab update hai bhai,
gusse ke baad abhi par to sweet disses ki baarish ho gayi hai,
pahle use ruhi ne hug kiya aur phir ab kiss kar rahi hai,
casi bhai aap to har update ke last mein ruhi ke liye ek doubt daal dete ho,
ab ye ruhi ko itni achchhi tarah se kiss karna kaise aata hai,
dekhte hain ab aage kya hota hai,
Waiting for next update
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Fantastic update sir
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
very nice update abhi ki to balle balle ho gayi ruhi bahon me aa gayi sab theek ho raha hai.bus banane me ab kafi progress honi chahiye waise 45 din bache hain abhi.ab bus ke andar bahar ka kaam hona baki hai.mujhe yakin hai ki bus badhiya ban jayegi magar simple si hogi kyunki jitne paise mil rahe usme ac wagira ka kaam nahi ho payega
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Update 13 The Work Accelerated

Do hafte baad bus ki base ki frame work ho gaya aur Manoj ne photo liya to aisa tha:

chasis-frame.jpg

Ab iss frame se lekar upar tak baaki ke lohe ko weld karna tha bus ki complete frame banana ke liye…..

Ek mahine tak kuch aisa hi chala Abhi aur Ruhi ke beech. Abhi Ruhi ko paagalon ki had tak pyar karne laga tha. Usske bina jina naamumkin ho gaya tha Abhi ke liye ab. Subha shaam, raat din Abhi ke khayaalon mein ab sirf Ruhi rehti thi. Jaise Ruhi Abhi ki saans lene ki zarya thi, Abhi ki oxygen thi wo. Ghar mein apni behen se sirf Ruhi ki baatein karta, diary mein 100 pages likh chuka tha “The Days I Spent At Ruhi’s Place” wale diary mein. Aur Naina, Abhi ki chhoti behen sab padhti thi uss diary mein. Jitna kuch guzra tha Ruhi ke saath uss ek mahine mein sab likha hua tha uss diary mein, aur Naina ko sab pata tha.

Naina ne Abhi se Ruhi ki ek photo laane ke liye kaha. Abhi khud kayi dinon se Ruhi se usski ek photo mang raha tha magar Ruhi dene se inkaar kar rahi thi. Aaj ke zamaane mein yeh sab hua hota to seikhron pics le liya hota Abhi ne Ruhi ki hai nah dosto?

Iss ek mahine mein Abhi kuch aur bhi close ho gaya tha Ruhi se. Aksar usski maa saath hoti jab Abhi Ruhi se baat karta. Wo shayad iss liye usski maa weisa karti thi, taake Mehboob ko kehne ka mauka nah mile ke Abhi aur Ruhi akele mein baatein kar rahe the. Aisa Abhi soch raha tha. Magar kabhi kabhi Abhi akele bhi baat karta tha Ruhi se chhup chhupa kar. Kabhi Ruhi normal rehti, Abhi ki har baat ko maanti, shaam ko present rehti Abhi ke jaane ke waqt to kabhi bilkool nahin aati jaise jaan bujh kar Abhi ko tarpaane ke liye. Kissi din Abhi behad khush dikhta to kissi din udaas kaam karta kyun ke Ruhi saamne nahin aati.

Har Saturdays ko kaam 2 se 2.30 ko end hote aur sabhi Saturdays ko Ruhi apni course ke liye jaati aur Abhi ussko bus ke jagah se main road tak ya kabhi bus stop tak chorrne jaata aur usski maa donon ko dekh kar hanssti. Magar jiss Saturday ko Mehboob hota aangan mein tab to Abhi nahin jaa paata Ruhi ke saath, magar ek trick karta abhi, cigarrte kharidne ke bahane jaldi se jata Ruhi se bus stop par milne aur baat karne.

Har Saturdays ko Ruhi ek alag dress pehenti jiss mein wo behad khubsurat dikhti aur Abhi machal jata, aur bhi paagal hota usski khubsurti ko dekh kar. Hona bhi tha har roz Ruhi ghar par apne gharelu kapdon mein Abhi ke samne hoti thi, to jab saj sanwar kar acchhi kapdon mein nikalti to 100 gunah ziada khubsurat to lagni hi thi….

Abhi ko apne dil ki baat kehne ko mann kiya Ruhi se… thoda ghabra bhi raha tha Abhi ke sahi waqt hai kahein ya nahin, ya thode din aur wait karen…. Phir khud se kehta ke nahin aur kuch din intezaar karte hein….. kaam jaldi aage badh raha tha aur ab lagne laga tha ke 4 mahine se pehle hi kaam pura ho jaega, iss liye Abhi ko ab jaldi tha Ruhi se baat karne ke liye….

Uss aagan mein takriban sab ko pata lag chuka tha ke Abhi aur Ruhi ke bich kuch chal raha hai…. Saeed team ke charon ko pata chal gaya tha ke Abhi Ruhi se behad pyar karta hai. Saeed ko bhi pata tha aur Mehboob ko bhi pata tha magar wo anjaan banne ka naatak karta tha. Usski biwi Rahima ko pura yakeen tha ke Abhi Ruhi se pyar karta hai kyunke ussne kayi baar Abhi ko Ruhi se isharon mein baat karte hue dekh liya tha washroom se, aur Rahima ne Ruhi ko isharon se jawaab dete hue bhi dekha tha.

Ab itna pata nahin chala tha ke kia Rahima ne wo sab Mehboob ko bataya tha ya nahin isske baare mein waqt aane par pata chalega.

Shweta weekends mein aati thi aur kabhi 3 ya 4 din baad jaati thi. Mehboob ki beti jo Primary school jaati thi, wo bhi Abhi se hamesha baatein karti thi, chhoti thi, aur jiss din Shweta aur Farzina(Mehboob ki beti) saath khelte to kaafi shor hote the aangan mein…. Donn ladkiyan khelte waqt kayi baar Abhi ke paas aate uss se baatein karte, ussko cherrte, chhute etc…. Aur Ruhi kadhi donon ko dekhti. Kabhi kabhi to koyi baat kehna hota to Ruhi Farzina ko kehti jaakar Abhi se kehne ke liye.

Phir aaye school ki chhutiyon ke din. Der mahina school, college sab bandh, aur saare bache at home. Ruhi ka bhai Mahesh bhi ab har roz at home. Abhi ko ab fikar hone laga ke ussko kitne ache mauke mile the Ruhi se apne dil ki baat kehne ko magar ussne nahin kaha aur ab der mahina aur wait karna padega, aur bus ke upar wale frames bhi weld ho chuke the aur ab bus aisa dikhne laga tha takriban:

bus-frame-manufacture-2.jpg

Ye photo ek example hai aur yeh ek garage ke andar hai, magar wahan Abhi wala chasis par tha aur aangan mein tha peyr ke niche tha.
Abhi aise hi weld karta tha, aur itna ooncha bus ki body ban gaye the ek mahine mein, sab ho gaya tha….

Aur Abhi ko ab lagne laga ke agle der mahinon mein bus ko complete kar diya jaega. To ussko bada fikar hua ke ab der mahina bacha hai usske paas Ruhi se apne dil ki baat kehne ke liye, ya ussko propose karne ke liye… agar der mahine mein kaam end hua to matlab schools resume hone tak bus road par chalne lagega. Abhi ko ab waqt kum dikhne laga…. Ussko fikar hua aur socha ab to Ruhi se kehna padega sab kuch….. magar ussko pata nahin kyun darr sa lag raha tha, ussko darr tha ke Ruhi naah nah karde. Aur yeh bhi soch raha tha Abhi ke yeh bhi ho sakta hai ke Ruhi intezaar kar rahi ho ke kab Abhi ussko propose karega. Abhi ki saansein phul rahe the yeh sab sochte hue. Ussko himmat nahin ho rahi thi Ruhi se yeh kehne ke liye ke wo uss se pyar karta hai.

***********************************************************************

Sab mamool par chal rahe the aur ek din kaam karte waqt har roz ki tarah Abhi ne Ruhi ko kapde dhote hue dekha. Takriban har subha ke 10 baje Ruhi uss pathar par kapde dhote hue nazar aati hi thi aur Abhi uss se isharon mein baat karta tha aur Ruhi bhi thodi chanchal adaa se Abhi ko dekhti aur baat karti. Kabhi kabhi usski maa bhi karib hoti thi Ruhi ke aur wo bhi dekhti un donon ko ishaare se baat karrte hue aur wo buss hanssti aur Ruhi se puchti ke kia keh raha hai Abhi. Abhi ko achchi tarah se pata tha ke Ruhi ki maa ko sab pata hai aur wo encourage karti thi jaise apni beti ko Abhi se weise baat karne ko. Ussko koyi problem nahin thi ke usski beti Abhi ke close jaaye, baat kare ya kuch bhi.

Phir kuch der baad Ruhi dhoe hue kapdon ko sukhne ke liye daal rahi thi taar par aur usski maa andar chali gayi thi to Abhi ka mann kiya ke wo Ruhi se jaakar baat kare…. Aur gaya bhi.

Mehboob bus ke paas hi tha, baaki sab log the. Jab Abhi Ruhi ke paas gaya to Mehboob dekh raha tha. Abhi ne Ruhi ke paas hote hue kaha,

“Ek baat kehni hai tumse Ruhi.”

Ruhi ne bus ke taraf dekhte hue kaha,

“Aap kyun Mehboob chacha ke presence mein yahan aaye ho? mujhko problems hogi jaao nah please!”

Abhi ne kaha,

“Ari mere khayal se to ab sabko pata hai hamaare baare mein nah? Aur tumhari mummy bhi yahin hai nah?”

Ruhi muskuraayi aur kaha,

“kia pata hai sabko hamaare baare mein?”

Abhi: “yeh bhi kehna padega Ruhi?!”

Ruhi: “haan kehna to padega hi nah?

Abhi: “main ne kaha tha nah ke ishara kaafi hota hai to ek mahina ho gaya aur tumko pata nahin kia ab tak?”

Ruhi ne bus ke taraf dekha kapde taar par taangte hue aur weise hi muskuraate hue kaha,

“Ek mahine mein kia hota hai ek saal bhi aisa hi chal sakta hai kyun? Aap ko nahin passand jaisa chal raha hai”

Abhi: “phir usske baad kia hoga?”

Ruhi: “kuch bhi nahin kyun kia hona chahiye?”

Abhi: “Ruhi shaayad der mahinon mein bus complete ho jaega, kaam khatam ho jaega, yahan se main chala jaunga!”

Ruhi ne kuch aisa jawaab diya jiss se Abhi ke dil ko choat pahuncha.

Ruhi ne hansste hue kaha,

“Oh! chale jaoge aap? Uff matlab bala tal jaegi phir”

Ye jawaab sunkar Abhi ka dil baith gaya aur usske paas koyi bhi jawaab nahin tha Ruhi ko dene ke liye. Thoda ghussa bhi aya aur turant wahan se laut gaya bus ke paas.

Ab pata nahin Ruhi ne mazaak kiya tha ya serious thi. Ussne muskuraate, hansste hue kaha tha wo baat, shaayad Ruhi ne hi nahin socha tha ke Abhi wahan se laut jaega. Aur Shayad Abhi ko bina kuch bole wapas lautte hue dekh kar Ruhi ko apni ghalati ka ehsaas hua ke ussne kuch ghalat keh diya aur usski muskurahat udaas chehre mein badal gayi jiss waqt Abhi ke kadam wahan se bus ke taraf badhne lage the.

Abhi bus ki frame ke andar kaam kar raha tha to andar chala gaya, chehra utra hua tha to Mehboob ne pucha,

“kia hua Abhi? Chehra kyun achanak utra hua hai kissi ne kuch kaha kia tujhe?!”

Abhi ne nah kaha aur apne kaam karne laga to Mehboob ne mudhkar Ruhi ko dekha, to iss liye ke Abhi ko pata tha ke wo Ruhi ko dekh raha hoga kyun ke ussne donon ko baat karte hue dekha tha to Abhi ne bhi Ruhi ko dekha aur paaya ke Ruhi ka bhi chehra utra hua tha aur bahot hi sad face se Abhi ke taraf dekh rahi thi kapde tangte hue.

Abhi kaam karte hue badbadaata gaya ghusse mein,

“Main bala hoon? Bala tal jaegi mere chale jaane se? To kyun mere saath hanss hanss kar baat karti hai? Kyun mera intezar karti hi, kyun mujhse baat karti hai?! Achah matlab ussko Khushi hogi mere chale jaane se yeh baat hai!!”

Tony ne pucha,

“are kia ho gaya? Kaun khush hoga tere jaane se?”

Abhi ne Tony se kaha,

“Mere jaane se bala tal jaegi yaar main yahan ziada hoon, kissi ko Khushi hogi jab mera yahan aana band ho jaega!”

Tony ne pucha,

“What? Kia Ruhi ne tujhe aisa kaha kia?!”

Abhi ne Ruhi ke taraf dekhte hue haan kaha Tony ko. To Tony ne bhi Ruhi ke taraf dekha aur kaha,

“are dil pe mat le yaar ussne zaroor mazaak kiya hoga tere se!”

Abhi: “mazaak mein bhi koyi aisa kehta hai kia Tony? Mere dil ke andar ghussi wo baat, bahot takliff hua mujhe usski yeh baat sunkar. Laga ke ek khajar bhonk diye seene mein mere”

Tony ne kaha:

“are bhai dekh wo kitni udaas dikh rahi hai, usska chehra to dekh….”

Abhi ne Ruhi ke taraf dekha, usski aankhon mein dekha ke sach mein bahot udaasi thi, jaise Abhi se sorry keh rahe the usski nazrein,

Tony ne kaha,

“Sun mujhe exactly bata kia hua baat kaise shuru hui aur end kaise hui tab main tujhe bataunga ke ussne mazaak kiya ke nahin bata mujhe!”

Jab Abhi ne puri wakiya sunaya Tony ko to Tony ne kaha,

“Are paagal wo 100% mazaak kar rahi thi, aur tumne ussko koyi jawaab bhi nahin diya bina kuch kahe laut aaye to issi liye wo itni udaas hai dekh to, lagta hai rone wali hai… kia yaar jhagra bhi shuru ho gaye tum donon ke?!”

Abhi ne phir Ruhi ke chehre mein dekha to iss baar shaayad Ruhi bhi khafa hui aur andar chali gayi Abhi ko teerchi nazar se dekh kar!”

Lunch time tak Ruhi nahin dikhi, aur nah Abhi ne ussko dhunda. Ab pata nahin ke ghar ke andar se Ruhi Abhi ko kahin se jhank rahi thi ke nahin yeh sirf Ruhi ko pata hai.

Thik lunch lene jaane se pehle bus ke andar se ek baar Abhi ne Ruhi ke uss khidki ke taraf dekha, to Ruhi khidki par apne donon elbow teke hue nazar aaye bus mein dekhte hue. Abhi ne seedha usske chehre mein dekha, Ruhi ne gaalon ko phulaate hue jaise Abhi ko mock kiya, phir turant apne jeeb nikaal kar Abhi ko mock kiya Ruhi ne…. yeh Abhi ko bahot hi achcha laga, aur kayi baar Abhi ko weise mock karti gayi apne jeeb se… lag raha tha jaise wo Abhi ko manaane ki koshish kar rahi thi….

Lunch ke liye Abhi washroom ke taraf gaya aur Ruhi wahin rahi apne khidki par teke hue. Abhi ko pata tha ke Ruhi wahan usska wait karegi kyunke har roz lunch ke baat Abhi wahan uss se baat karne jaata hai. Magar aaj Abhi nahin gaya usske paas! Ruhi wait karti rahi aur ek baar Abhi aur Tony donon nikle, bus ke paas se guzre, Ruhi khush hui ke Abhi usske paas araha hai magar Abhi aur Tony seedhe chale gaye main road ke taraf, Ruhi wait karti rahi magar Abhi nahin aya lunch time ki break khatam hone tak. Jab 12.45 ho gaye Ruhi ne time dekha to ussko pata tha ke ab work resume karega Abhi to uss se baat nahin karega….. ussne Abhi ko main road se wapas aate dekha, Abhi ne usske taraf sirf ek baar dekha, Ruhi wahi rahi apne kamre ke andar se khidki par lean hote hue, aur Abhi bus ke andar chala gaya aur kaam start kar diya, Ruhi dekhti rahi….. ab jitna ghussa Abhi ko aya tha kuch der pehle uss se ziada ghussa Ruhi ko aayi to ussne khidki bandh kar liya, parde khinch liye, wahan se lounge mein aayi aur saare parde khinch diye aur sone chali gayi….. Abhi ne sab dekha aur chup chap kaam karta gaya kyunke ussko pata tha ke ab Ruhi sone chali gayi hai….

Magar shaam ko kaam khatam karne ke baad jab Abhi washroom gaya to Ruhi nahin dikhi, ghar wapas jaane bhi laga to Ruhi saamne nahin aayi, Abhi wait karta raha magar Ruhi nahin nikli stairs par aur Abhi ko bina Ruhi ko dekhe wapas jaana pada. Ussko ek bhaaripan mehsoos hone laga tha, saans lene mein takliff hone lagi thi, ussne socha lunch time mein ussko Ruhi se baat karne jana chahiye tha tab sab clear kar leta usske saath… Abhi ne kaha ke Ruhi grudge rakhti hai…..

Abhi uss raat ko der tak beer peeta raha Tony se Ruhi ke baare mein baat karte hue, ghar bilkool nashe mein pahuncha tha uss raat ko.

To be continued…. (2610 words)
Woooooowww
Vey brilliant.....very brilliant...
Another Fantastic and fabulous update.....

Mostly last part.......
Kyoki pichle kaafi time se only pyar pyar or romance hee dikhaya jaa raha tha to.....
Ye kuch naya tha.....OR STORY ko phir se refreshment ke liye best tha.....OR wese bhi takrar se pyar badhta hai.....(aisa mai nahi hindi films kahti hai)...

Ha bhale hee Ruhi ne ye baat.....mazaak me kahi ho.....lekin jab situation aisi ho...or phir uss time abhi puri tarah serious tha....
May be wo apne pyar ka izhar karne gaya ho....Ruhi ke pass....kyoki ab tak wo samajh chuka hai ki ghar ke sabhi logo ko....
Na keval ghar ke balki uske bhi sabhi saathiyo ko....bhi pata hai ki uska or Ruhi ka koi scene chal raha hai....except Mehboob.....

Kisi ne abhi tak kuch bhi nahi kaha....na koi objection kiya.....balki mon rah kar....ak tarah se sahamati hee dikhai hai....
OR jab ki Ruhi ki maa ko bhi koi problem nahi hai....

To aise me abhi ko ye time sahi laga.....baat karne ke liye.....kyoki phir 1.5 mahine tak Mahesh bhi wanhi par rahega....OR ho sakta hai tab tak bas bhi complete ho jaye.....

To jab aisi situation ho.....tab mazak bhi achcha nahi lagta....aisa lagta hai jaise saamne waale ko hamaari feelings ki koi kadar hee nahi hai.....
OR phir uski baat ko ham seriously lekar gusse ho jaate hai......
Kuch had tak ye sahi bhi hota hai....

Khair kaha Ruhi use mana rahi thi....OR kaha ab use manana padega....shayad Abhi thoda khud par bhi gussa ho gaya hai.....

Farjina ki entry achchi thi.....

Ha ak baat samajh me nahi aayi.....jab Abhi or Ruhi Manoj ke saamne......ak dusre ko ishare.....batchit karte hai....OR Ruhi ne Shweta ke saath abhi ke liye kiss bhi bhijwaayi wo bhi uske saamne.....
OR ho sakta hai ki kai bar hua ho...itne dino me.....

Phir jab Abhi Mehboob se nahi dar raha.....jaisa ki usne Ruhi ke ...mahboob ke liye bataane par.....use samjha ya......

To phir wo us se kyo dar raha hai.....ha ye sahi hai ki uske bhai se saamne us se romance karna thoda awkward hoga par....jab itna sab chal hee raha hai to ab kya hai.....

Anyways
Dekhte hai aage kya Hota hai...
Thanks....
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Update 14 Did the Quarrel End? How?

Subha Abhi late utha. Ziada peene ki vajah se sota raha. 8.30 ko bus mein tha kaam ke liye jaane ko. Yeh pehli baar hua tha jiss din se wahan kaam kar raha tha.

Pahunchne se pehle bus mein jaate waqt Abhi of course sirf Ruhi ke baare mein hi soch raha tha aur kal ke hue wakiye ko…. Abhi ab yeh sochne laga tha ke subha ko sabse pehle kaam par reach hone wala aaj 8.30 ko reach nahin hua hai, aur socha ke Ruhi kia soch rahi hogi 6 baje se 8.30 tak jab ussko wahan nahin dekha hoga to? Abhi sochne laga,

“Kia Ruhi mujhko dhund rahi hogi? 6 baje se meri raah dekh rahi hogi nah? kissi se puchne aayi hogi ke main kyun nahin aya hoon? Are yaar kahin wo yeh nah soche ke iss liye ke ussne kaha tha ke main nahin aunga to bala tal gayi usski; iss liye main nahin aya hoon…..”

Ab Abhi ke dil mein phir se wo baat aayi ke Ruhi ne uss se kaha tha ke usske liye bala tal jaegi agar ussne wahan aana band kar diya to…. Yeh sochne ke baad Abhi ko bus se utarne ka mann nahin kiya, socha ke ab kaam par jaaye hi nahin. Wo abhi tak hurt feel kar raha tha uss baat ko soch kar…. Aur ek pal ke liye Abhi ne socha ke hamesha ke liye issi waqt se wahan jaana band karde aur uss kaam ko chorr de! Tab hamesha ke liye saare lafde khatam!!

Aisa soch to liya dil mein Abhi ne magar wahan pahuchne par bus se uss bus stop par hi utra jahan utarna tha, yaane Ruhi ke ghar ke paas wale bus stop par. 9 bajne wala tha aur tab abhi uss aangan mein chalte hue nazar aya. Saeed aur Vinay bus ke uss side par the jiss taraf wo bada darkhat tha, aur Tony bus ke paas tap one ke paas kuch kar raha tha, abhi washroom pahuncha to Tony usske paas gaya aur kaha,

“are yaar main ne socha tu nahin aega, Saeed ghussa kar raha tha aur bura bhala bhi kehne laga tha tujhe!”

Abhi ne kapde badalte hue aur Ruhi ke kitchen ke andar dekhte hue kaha,

“bhai goli maar Saeed ko aur yeh bata Ruhi nazar aayi ke nahin yaar?!”

Tony: “Abhi wo subha se kayi chakkar laga chuki hai, rone wali surat banaayi hui hai, khud mujhse kayi baar puch chuki ke tu kidhar hai aur usski maa aayi Saeed se puchne ke tu kyun nahin aya aaj!”

Abhi ne shirt pehente hue kaha,

“Really? That’s nice yaar, that’s very good news, magar ab kidhar hai wo ladki mujhe paagal banaane wali?!”

Tony: “Tujhko andar se zaroor dekh rahi hogi aur muskura rahi hogi, tere expression ko read kar rahi hogi ke tu abhi tak ghussa to nahin, ussko pata hoga ke kal tere liye wo saamne nahin aayi to tu ghussa hoga, andar muskuraate hue tujhe dekh rahi hogi. Bahot hi khush ho rahi hogi ke tu agaya hai. Dekna abhi zaroor
tere saamne aegi.”

Abhi: “Achah? To bala kaise talegi agar main aata hi raha to?! Ho sakta hai ke yeh bhi keh rahi hogi ke yeh bala phir agaya!”

Tony? “Ab chorr yaar, abhi tak tu uss baat ko dil mein liye baitha hai? Wo tujhse bahot pyar karti hai tujhe paagalon ki tarah dhund rahi thi!”

Abhi: "terrace par jhadu laga diya ussne, poncha laga diya kia?”

Tony: “nahin kuch nahin kiya sirf teri raah dekh rahi hai subha se, usski nazrein sirf main road par aur aate hue bus par rehti thi subha se!

Abhi: “yaar tony to ab kyun nahin dikh rahi hai? Mere saamne aa nahin sakti kia? Marr gayi kia wo?!”

Tony: “are yaar itna ghussa kyun karne laga achaanak tu? Wo sun legi yaar. Kamaal hai udhar Saeed ghussa kar raha hai idhar tu kia ho gaya hai? Kissi ki nazar to nahin lagi hein kahin?!”

Abhi: “bhaad mein jaaye saeed kaun si badi toap hai wo, chal karte hein jo kaam karna hai…..”

Jab Abhi aur Tony bus ke taraf jaane lage to Abhi ko Ruhi ki blue dress ki ek choti si jhalak dikhaayi diya lounge mein hawa se parde ke hillne ki vajah se. Matlab Abhi ko pata tha ke Ruhi ussko andar se dekh rahi thi.

Aur 9.15 ko Abhi ne kaam karna start kiya aur Saeed shuru hua;

“kia hai abhi? Aise kaam kiya jaata hai kia? Subha ke 9.15 ko kaam shuru hota hai kia?

Ek to Abhi pehle se ghusse mein tha Ruhi ki kal wale vyohaar ko lekar aur ab Saeed uss par chilla raha tha to Abhi ne bhi ghusse mein aur oonchi awaaz mein Saeed ko jawaab diya.

Donon mei tutu main main hone laga aur tension badhne lage…. Awaaz door tak sunaayi dene lage donon ke aur dhadpdaate hue Mehboob apne ghar se baahar aya aur donon ko shaant karne ki koshish kiye…. Saeed Abhi ko suna raha tha aur Abhi saeed ko…. Saeed ne ek baar kaha,

“yahan herogiri karne nahin aate hein kaam karne aate hein, Mehboob ne humko kaam karne ke liye paise diye hein flirt karne ke liye nahin, kia karta rehta hai tu kaam karne ke waqt, kia karne jata hai wahan uss washing stone ke paas? Kaam wahan hota hai kia?”

Ruhi aur usski maa sab sun rahe the, aur Ruhi ne apni maa ke chehre mein dekha, udaasi aur darr ke saath….. Ruhi ne kabhi nahin socha tha ke kuch aisa hoga….

Abhi ne Saeed ki uss baat ka yeh jawaab diya chilaate hue,

“kyun be tere gaand mein kyun aag lagta hai agar main wahan jata hoon to? Kaam to pura karta hoon tujh se bahut ziada kaam main ne kiya hai iss bus mein dikhaun tujhko, naap lagayega tum ne kitna kaam kiya aur main ne kitna?”

Mehboob ko pata tha ke Abhi ne bahut ziada kaam kiya hua hai to ussne Abhi ke kaandhe par haath rakh kar ussko ek taraf karne ki koshish kiya, magar Saeed ne bhi oonchi awaaz mein kaha ke ussko bataaye ke kaise Abhi ne ziada kaam kiya hai, to ussi tone mein, ghusse mein Abhi ne kaha,

“yeh dekh shuruwaat yahan se kiya tha main ne front side, jo back side se 50 gunah ziada complicated aur mushkil hai phir bhi tujh se pehle main ne right panel ko banana shuru kar diya aur tu back side par hi laga hua tha, jab main ne front side aur right panel pura kar diya tab jahan tujhko left panel pura karna tha wo bhi uss mein aadha se ziada main ne complete kiya, main ne upar ke kaam bhi aadha se ziada kar diya, to tere mukable 100 gunah ziada kaam kiya hai main ne iss bus mein sala mujhko 2 ghante ki lateness ke liye sunata hai? Main tujhko sunaunga to tere adhe paise mere hone chahiye, suna tum ne mujhe ghussa mat dila varna sab chorr chaar ke chala jaunga yahan se ek to bala banke mandra raha hoon kissi ke liye, nikal hi jaun to achchah hai!”

Abhi itna ghusse mein tha ke Mehboob ussko sambhal nahin paa raha tha, Ruhi aur usski maa terrace par nikal gaye the sab dekhte hue, to Mehboob ko laga ke sirf Ruhi Abhi ko shant kar paegi, to Mehboob ne Ruhi ke maa ke taraf dekha aur ishaare se ussko kuch kaha, aur Ruhi ki maa aayi Abhi ke bazu pakra aur apne terrace ke taraf lejaate hue ahiste aur araam se kaha,

“Idhar chalo aao aao ssshhhh ghussa thuk do aao nah dekho Ruhi tumko bula rahi hai aao nah beta, aisa nahin karte, thand rakho beta…” tab tak chalte hue Ruhi ghar ke piche wale hisse mein jaa chuki thi aur apni maa ko Abhi ko apne saat laate hue dekh rahi thi….

Wo hissa ghar ke piche tha washing stone se thoda door, Ruhi ki aankhe bhar aayi thi kyunke ussne sab suna ke Abhi ne kuch der pehle kaha ke kissi ke liye wo bala ban chuka hai to behtar hai ke sab chorr chaar kar chala jaaye… ruhi apni kahi hui baat par bahot pachta rahi thi aur jaise Ruhi ki maa Abhi ko uss kone mein laaya Ruhi Abhi se lipat gayi rote hue aur Abhi ke peeth par apne komal kalaayi ko ferrte hue Ruhi kayi baar rote hue kehti gayi,

“I am sorry, I am very very sorry, please forgive me, will you? Mujhe maaf kardo Abhi mujhse ghalati hui, mujhe kal wo nahin kehna chahiye tha I am so sorry Abhi!”

Abhi ka jism shake kar raha tha ghusse se, aur jitna zor se Ruhi ne ussko apne baahon mein jakra tha Ruhi usske jism ki wo thartharaahat feel kar rahi thi…. Aur Ruhi khud kaampne lagi rote hue aur maafi maangte hue. Ruhi ki maa sab dekh rahi thi aur apni beti ko rote hue dekh kar wo khud apni aankh se aansoo ponch rahi thi.

Abhi jaise hosh mein nahin tha uss waqt. Usske samajh mein nahin araha tha ke kia ho raha hai…. Ussko laga ke sab ek sapna tha… aur ahiste ahiste Abhi ne apne baahon ko uthaya aur Ruhi ke kaandhe par kiya, Ruhi ka badan pura Abhi ke jism se chipki hui thi uss waqt, Aur oonche kad ke hone ke kaaran Ruhi ka sar Abhi ke chaati par tha aur wo Abhi ke dil ki dhadkanon ko saaf sun rahi thi. Ruhi ke donon baahein Abhi ke baazu ke niche se hokar ussko jakre hue the…. Ruhi ke aankhon se ab bhi ashk jaari the, aur jis pal ko Ruhi ne Abhi ke haathon ko apne kaandhe par feel kiya tab usski aankon ke aansoo ruke aur usski maa wahan se wapas terrace par chali gayi aur Mehboob ne uss se kaha ke Abhi ko kuch der udhar hi rehne de taake wo shant ho sake. Ruhi ki maa tab Mehboob aur saeed se baatein karne lage jaanne ke liye ke jhagda kyun aur kaise shuru hua. Dhire se Mehboob ne Ruhi ki maa se kaha ke iss mein Abhi ki ghalati nahin hai ussne sach mein saeed se bahot ziada kaam kiya hai bus mein.

Udhar jab Abhi ke haath Ruhi ke kaandhe par gaye to Ruhi ne apne chehre ko usske chhati par sattaye hue hi kaha,

“Aap mujhe apne baahon mein bharna chahte the nah? Lo bhar liya aapne mujhe apne baahon mein ab khush?!”

Abhi ki saansein tez chal rahe the aur wo thoda hannff raha tha, to Ruhi ne ussi position mein kaha,

“Baap re itna ghussa uff mujhe nahin pata tha aap itne ghusse wale ho, aap to bahot cool aur sweet dikhte the itne dinon se aap ko sambhaalna bada mushkil hai!”

Abhi kuch nahin bol raha tha, jaise ab bhi kisi shock mein dooba hua tha, to Ruhi ko sar upar utha kar Abhi ke chehre mein dekhna pada, aur dekha ke abhi khoya hua hai to kaha,

“Aap ka ghussa mujh par tha nah? Mere wale ghussa aap nikaal rahe the nah? kal se ghussa paal rahe the aap mere khilaaf Abhi? Main nahin dikhi thi iss liye? Main ne saare parde khinch liye the iss liye? Main ne bala tal jaegi kaha tha iss liye? Main ne to buss mazaak kiya tha Abhi, I did not mean it at all! I am so sorry ke mere munh se wo shabd nikal gaye the Abhi. Main kal hi aap ko sorry kehne ke liye wait kar rahi thi lunch time ke waqt magar aap aaye hi nahin main wait karti rahi, to mera bhi mood off hua issi liye main shaam ko nahin nikli thi magar main aap ko andar se jaate hue dekh rahi thi Abhi. Pleaae forgive me nah!”

Abhi ne ek bahot lambi sanns liye jiss se Ruhi ki chaati aage badhi phir piche hue Abhi se chipki hui jo thi. Do jism ek jaan lag rahe the donon uss waqt.

Ruhi ne phir usske seene par apne gaal ko satta diya aur kaha,

“Aap mere liye bala kaise ho sakte ho bhala? Main to chahungi ke aap umar bhar har roz yahan aao aur main aap ko issi aangan mein dekhun zindagi bhar Abhi! …. Abhi aaj aap meri vajah se late aaye? Bataiye nah, kia aap nahin aane wale the aaj? Meri kal ki kahi hui baat ki vajah se? Pata hai, main aaj subha 4 baje se uth chuki hoon aur aap ki raah dekhti rahi dekhti rahi, socha 6 bajne se pehle ajaoge aaj kyunke kal shaam ko aap ne mujhe nahin dekha tha nah, iss liye main barpaayi karna chahti thi Abhi magar aap aaye hi nahin…. Aap ko pata hai mujh par kia beet rahi thi jab sab log aagaye aur aap nain aaye? Pata hai main ne kitna dhunda aap ko? Main ro pari thi Abhi, main apni maa se saari baatein kehte hue fut fut kar ro rahi thi, maa ko bheja tha saeed ji se puchne ke aap kyun nahin aaye ho, mujhe darr tha ke kahin meri kahi hui baat ki vajah se aap ab kabhi bhi nahin awo…. Main kia karti tab? Aap kyun late aaye aaj abhi? Boliye nah, mujhe sazaa dene ke liye hmm? You were punishing me?!”

Ruhi ki meethi awaaz mein tadap thi, aaj pehli baar jiss awaaz ko sunne ke liye Abhi tarasta tha uss awaaz mein itna tadap mehsoos kar raha tha.

Tab Abhi ne apna sar niche jhukaya, Ruhi ki thudi ko apne ungliyon se apne chehre ke taraf uthaya, Ruhi ke aankhon ne Abhi ke ankhon mein dekha, Abhi ne jhuk kar apne honton ko Ruhi ke honton par rakh diya…. Ruhi apne toes par khadi hui aur Abhi ko kiss karne lagi ziada zoron se Abhi ko jakarte hue….

Abhi ne life mein kabhi kissi ladki ko kiss nahin kiya tha, usske samajh mein nahin araha tha ke kaise kia karein, sirf apne honth ko Ruhi ke honton se takraya tha ussne, magar Ruhi ussko kiss kar rahi thi, Abhi ko ussi pal laga ke ussko kiss karna to ata hi nahin magar Ruhi ko kiss karna ata tha!!

To be continued…. (2450 Words)
Woooooowww
Behatreen update.....

Saeed ke andar frustration hai.....kisi baat ko lekar....OR wo chij paisa nahi hai....

Tony ke role as a friend day by day achcha hota jaa raha hai.....
Update ki starting me abhi ka behaviour kaafi strange tha.....matlab itna short tempered......kaafi weird tha.....
Yanha tak ki gusse mai usne Ruhi ke marne ki baat bhi kah di.....ye kuch bilkul nahi tha.....

Ab iss situation ko dekh kar kah sakte hai.....KI abhi ka pyar pyar nahi....attraction hai.....bhale gee wo isme kitni hee buri tarah se dooba hua ho....lekin that is not love.....

Ak real pyar karne wala.....chahe wo ladka ho ya ladki....ye sapne me bhi nahi soch sakta ki saamne waale ko jra se chot bhi lage.....
Phir uske marne ki baat.....kahna to bahut door ki baar hai....
Ab aisa lag raha hai....KI abhi bas pahle waali Ruhi ki kami ko pura kar raha hai....na ki wo iss Ruhi ko pyar kar raha hai.....
Agar ye Ruhi pahle waali Ruhi hoti to......shaayad wo ye nahi kahta.....
OR is se pata chalta hai ki wo iske saath isliye hai ki iska naam Ruhi hai or ye sundar hai...na ki isliye ki wo us se sach me pyar karta hai.....wo bas pahli waali ki kami puri kar raha hai.....
OR last me aapne....jo ye update jis jagah par roka hai....us se bhi mujhe kuch aisa hee feel ho raha hai.....

Abhi ne kaafi mahanat ki he....ye baat mahboob bhi jaanta hai.....OR usne khud Ruhi ki maa ko bulaya or abhi ko uske saath Ruhi ke pass bheja....
Saath hee abhi ko kuch der Ruhi ke saath rakhne ko bhi kaha.....
Is se pata chalta hai ki use koi aitraz nahi hai...is rishte se.....

Ak kaha water hai....AADMI KHUD BHALE HEE KUCH NA BOLE....PAR USKA KAAM BAHUT KUCH BOLTA HAI.....
Mahboob ko bhi shaayad abhi ka kaam or lagan hee pasand aayi hai....

But the best part of the update......
Ruhi or abhi ka Milan.....
Fantastic and mind blowing.....abhi ke liye to ye ak nuclear bomb jaisa hai....
Dimaag ak dum blank....ho gaya....

Bhale hee I love na bola ho lekin itna sab karke ruhi ne to apna pyar express kar hee diya....abhi ke prati.....OR wo baat alag hai ki baad me kuch ho lekin abhi to wo uske liye puri tarah samarpit hai....

OR JIS tarah se wo bar bar maafi maang rahi thi jabki uski koi khas galatians bhi nahi thi....ye uske love ko show karne ke liye kaafi hai.....

Anyways
Dekhte hai aage kya Hota hai....
Thanks
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,195
78,117
304
Ruhi's words make Abhi sad, but when Tony tells that Ruhi is upset for Abhi, our hero becomes happy again. Abhi's nature shows how much he likes Ruhi. The matter worsened when Saeed and Abhi got into an argument. Roohi realizes his mistake and Abhi wanted the same. But forgetting all those things which happened, today I loved Ruhi and abhi's kiss scene. Ruhi knows how to kiss, does it mean she had a boyfriend earlier. I worry nothing bad happens for our innocent hero.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
Top