• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par loan lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha….

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..
 
Last edited:

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki aowners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par plaon lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane emein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, goa bi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Sayeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, uss logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus oawner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashor hone lag bus owners ke dearmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein weldin ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Usski life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhola thqa, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha…. do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akelee unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabji uss copy book ko padhta jiss mein usske aur ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..
Nice update sir
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 1 Abhinav Also Known As Abhi

Abhi aur Ruhi ek dusre se sach mein behad pyar karte the, magar kuch eisa hua ke donon ek dusre se hamesha ke liye alag ho gaye, aur aaj Abhi har ek ladki mein Ruhi ko hi dhundta hai, usski adaaein, usski bholapan, usski cuteness, usski wo kamsin dikhna, nazuk, aur komalta yehi sab dhundta rehta tha Abhi kissi bhi ladki mein. Aur haan Ruhi bahot hi khubsurat thi to Abhi koyi bahot khubsurat hi ladki ki talaash mein tha.

Alag kyun hue donon? Mamooli si baat thi. Sab gharib log the, Abhi ke pita kisaan tha, Ruhi ka pita watchman tha. Ek hi muhalle mein rehte the sab…. Magar Ruhi ke pita ki ek din lottery lag gayi. Amir ho gaya, aur khud ko bahut bada aadmi samajhne laga, Abhi ke pita usske liye bahot nicha aur chhota ho gaya tha, Ruhi ke pita ka uthna baithna ab bade amir logon mein hone laga…. Aur wo sab chorr chaar kar Canada chala gaya. Address bhi nahin diya apna aur Ruhi ko sakht mana kiya Abhi se koyi bhi contact karne ke liye…. Phir dhire dhire saalon baad Ruhi Abhi ko bilkool bhool gayi aur Canada ki lifestyle, wahan ke dost, wahan ke log, wahan ke boyfriends sab ho gaye usski…to Abhi ko delete kar diya bilkool ussne to Abhi kia karta? Ussne bhi bhula diya Ruhi ko, magar ladki ussko Ruhi jaisi hi chahiye the apne life mein.

Abhi 20 saal ka hua. Koyi dhang ki Naukri bhi nahin mil raha tha, kabhi yahan to kabhi wahan, kabhi iss company mein to kabhi temporary kaam milta kissi aur company mein…..

Gharibi ke kaaran studies complete nahin kar paaya, baap ke paas utna paisa nahin tha ussko aage padhaane ke liye…. 12th ke baad ek saal bekaar tha phir baap ke saath kheton mein jata aur phir apne dhang ki Naukri dhunta gaya…. Ussko English likhne aur bolne ka bada shaukh tha….. Ek aadat nahin chorra tha ussne wo tha padhna, reading. Bookworm tha. Englsih kitaabein bahot padhta tha, borrow karta tha padhne ke liye… class mein English mein awwal tha, hamesha sabse ziada marks paata tha class mein. To wo reading ki aadat bana raha usska. Aur haan Abhi likhta bhi tha, English mein hi. Kia likhta tha? Apna daily events likhta tha, har saal ek diary kharidta tha aur har raat ko sone se pehle usska din keise guzra wo likhta tha bina kissi din ko miss kiye. Aur ek special copybook mein usske aur Ruhi ke baare mein likh chuka tha jo apne drawer mein sambhaal kar rakha tha Abhi ne. Uss mein apne bachpan se 12th tak ke sab kuch likha tha, jiss din Ruhi ussko chorr kar Canada gayi aur usske baad ke ek saal ussne kitne dukh mein guzaare wo sab kuch likha tha ussne uss mein. Aaj bhi wo sab padh ke usske aankhon mein ensso aajata hai. Aaj bhi yaad karta hai ruhi ko kabhi kabhi, Magar Ruhi ka chehra ab kaisa hoga usski imagination mein nahin araha tha. Ek tadap, ek tees sa uthta tha usske dil mein Ruhi ke saath unn bitaaye hue dinon ko yaad karte waqt… Ussko itna to pata tha ke ab ussko Ruhi kabhi wapas nahin milega, ussko maloom tha ke Ruhi ki status ab usske saamne bahot hi ooncha ho gaya hai aur wo khud ko Ruhi ke naukar ke bhi kaabil nahin samajhta tha; iss liye Ruhi ko hamesha ke liye bhula dena hi behtar samjha Abhi ne, magar kissi aur ladki ka pyar chahiye to tha ussko, iss liye har ladki mein Ruhi ko hi dhunta phirta tha. Miley kayi ladkiyan, dosti hui, karib gaya Abhi magar ussko unn ladkiyon mein Ruhi jaisi kuch nahin dikha to kadam piche hatta liya Abhi ne….. usska talaash jaari raha phir bhi….

*****************************************************************

Ek din ussko ek Coach-Building ki company mein as apprentice/helper Naukri mili. Wahan ziada tar bus banaate the. Bus ki chasis nange aate the engine ke saath, usski body, cover, andar ke seat vaghaira sab bana kar bus ko complete karna hota tha. Ussi ko coach building kaha jata hai. Abhi ko wo kaam dilchasp laga. Jiss din ussne join kiya kayi buss aaye the chasis aur engine ke saath uss par body banana tha. Takriban do mahine mein ek bus complete ban jata tha. Koyi 300 log mulazim the uss company mein. Jab Abhi ne ek completed bus ko dekha to wo heyraan hua ke kaise sirf ek lohe ki chasis par ek pura bus bana diya gaya hai, wo bahot prabhaavit hua aur uss kaam ko hamesha ke liye karne ko socha…. Aur Abhi wahan kaam seekhne laga… metal kaatna, frame banana, welding karna, phir bus ki pure body ke liye aluminium sheets ko hisaab se kaat kar rivet se sab fir metals par chipkana, windows ke glasses lagaana, seat banana aur bus ke andar fit karna, buss ki floorings par thick wala aluminium chipkana special rivets se, jissko hatode se kayi baar thok thok kar chipkaya jaata tha; kuch luxurious chizon ko bhi lagana bus ki kharidne wale ki demand par, yeh sab kuch seekha Abhi ne 3 saal tak, aur ussko sab pakka karna agaya. Paisa kum mil raha tha shuru mein, mahine mein sirf 100 rupay kama raha tha. Ek to gharibi ne chaaron taraf se haath feylaya hi hua tha, kuch bhi luxurious kharidne ki aukaat nahin thi… kyunke Abhi ko laga ke uss kaam ko seekh kar wo zaroor aaguey chal kar khud sab kar paega iss liye ussne himmat ki aur 100 rupay maahwaar ki tankhwa mein kaam karta gaya, apprentice tha pehle 3 saal tak phir bhi karta gaya magar 3 saal tak hote hote ussko ek full employee ki salary milne lagi.

Unn dinon mobile ka vikaas nahin hua tha. Shukar hai varna unn dinon ek jawaan bina mobile ke kaise jeeta. Cigarette pine laga tha, doston se mil jata tha pine ke liye, tankhwa milta to kuch ghar mein deta, kuch apne liye rakhta phir bhi 100 rupay mein kia rakhta ek mahine ke liye, paise to do din mein hi khatam ho jaate the kyun ke 75 rupees ghar mein diya to 25 bachta tha usske paas aur 25 rupay ko kitne din chala paata halaan ke unn dinon sab kuch itna mehnga nahin tha jitna aaj kal hai….. unn dinon ko araam se ek mahine guzaarne ke liye at least 300 rupay hona chahiye tha….. paidal factory ata jaata tha, ek naya pair of shoes bhi nahin kharid paata tha, baap ki kamaayi ke paise se ghar ka ration chalta tha, electricity bill, water bill vaghaira sab baap pay karta tha upar se aur bhi bhai behnein the…. Bahot tang haalaat the jinn dinon abhi jawaan tha. filmein dekhna bahot passand karta tha, har nayi movie ko first day first show dekhta tha. Unn dinon ticket itna menhga bhi nahin tha to koyi nah koyi jugaad kar leta tha apna ticket paane ke liye, kabhi dost log usski ticket kharid dete the….

Beer peene ki aadat bhi lag gayi doston ke saath, to beer bhi pine laga aur ahiste ahiste daru ki latt bhi lag gayi….magar paise ki kami ki vajah se har roz to nahin peeta tha, mahine mein ek ya do baar enjoy kar leta tha… aur kabhi kissi dost ke paas ziada paisa hota aur wo offer karta to Abhi ko bhi gale mein utaarne ka mauka mil jata tha.

Abhi ke bhi sapne the, har gharib ki tarah wo bhi sochta ke ek din mere paas bhi car hogi, bada ghar hoga, life mein aaguey badhunga, kuch kar dikhaunga, ek din mere saare sapne pure honge…. Aur sabse khaas sapna usska yeh tha ke ussko ek Ruhi jaisi mehbooba mile…. Emotional tha, dil se ziada sochta tha pyar ke baare mein, apne diary mein aksar likhta ke usske liye kahin to bani hogi ek ladki, dharti ke kissi kone mein to hogi wo dilnasheen jisska intezaar Abhi kar raha tha, magar abhi ko jaldi tha, kahan milegi wo agar wo kahin hai bhi to, kab milegi ussko wo? Kia naam hoga usska? Kaisi dikhti hogi? Kia padhi likhi hogi? Kyunke Abhi ko English bolna perfectly ata tha iss liye ussko yeh umeed thi ke uss ladki ko bhi English mein likhna aur bola ana chaahiye…. Kyunke abhi dil ki baton ko English mein bade asaani se izhaar karta tha iss liye wo hamesha sochta tha ke apne dil ki baton ko apne mehbooba tak English mein likh kar bayaan karega.

Kyunke unn dinon mobile nahin hua karta tha to, aam taur par sabhi chittiyon dwara communicate karte the. Internet ka naam o nishaan bhi nahin tha. Haan telephone tha. Television tha, aur TV serials bhi chalta tha. Magar Abhi ke ghar mein TV tha hi nahin. Padosi ke ghar TV dekhne jaate the Abhi ke ghar waale, Abhi bhi chala jaata tha jiss din usske passanjida movie ata tha TV par.

Thik jab Abhi ek employer ban gaya uss company mein aur ab usske saath helpers aur apprectice kaam karne lage, Abhi ki salary tab 2,500 rupay maahwaar ho gaya, tabhi company ko bandh hona tha!!

3 salary mil paaya Abhi ko jabse wo employer bana. Bahot khush hua, ghar mein party diya, doston ko bulaya, maa baap, bhai behnon ke liye naye kapde kharide, khud ke liye ache kapde aur joote kharide, Walkman ka zamana tha, jissmein cassete lagaa kar gaane sunte the to Abhi ne ek Walkman bhi kharida aur apne passand ki cassetes kharidta aur sunta rehta…. Pehla tankhwa mila to kariban 2,000 to spend kar diya weise hi. Dusre mahine ki salary mili to apne pita ko 2,000 rupay thama diya usske chote chote karzon ko adaa karne ke liye aur ghar chalaane ki madad ke liye. Jo bhai behen college jaate the unn sabko tagda pocket money de diya Abhi ne.

Aur teesri salary milne ke baad company ka diwala nikal gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

To be continued…..
Bahut hi achcha update kul milakr abhi ek sadharan privar ka aam sa ladka tha
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,511
34,400
219
jindgi ki har ghatna ke achchhe aur bure dono pahlu hote hain.........
ab ye hamare oopar hai ki ham kise chunte aur apnate hain........

abhi ki jindgi mein bhi company ke band hone se shayad ek aur behtar rasta khul gaya hai

lekin uske dil ke khalipan ko ruhi ki yadein bechain kar rahi hain abhi bhi

dekhte hain ye khalish kya mod lati hai uski jindgi mein
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par plaon lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha….

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..


Very nice update
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
aur ishe kahte hain.. aamdani Atthanni Kharcha Rupaiya..... chaadar dekhke pair pasaarna chahiye tha.... nikal gaya naa diwala :D..... I think, un chaar bhai aur unke biwiya agar company mein kaam karte toh sayad woh log mehnat ki roti ka swaad samajh jaate..... par affsosh.... ab in mand buddhi walo ko samjhaye.. Aur iska harjana bharna pada un tamam workers ko jishme bechara abhinav bhi tha...
Hmm toh saeed ke madad se aur apni mehnat aur nipunata se abhinav ek achhe mechanic ke roop mein udhar ke aaya.... .. Great.....
par apne tanhaiyon mein abhinav aaj bhi ruhi ki yaad mein khoya rahta hain.... dairy ke panno pe unke bich huye ankahin pyar k dastan ko kalam se sabdon ka roop deta hain.. .... :D
Let's see what happens next....
Brilliant update with awesome writing skill casi sir.... :applause::applause::applause::applause:
 

Husein Ali

Banned
510
4,753
123
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par plaon lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha….

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..

Bahdya update Shah bhai.
Sala company walon k saath aisa hi chalta rehta hai. Unnke baap ne mehnat karke ek bada company khada kar diya apne beton k liye. Bete k patniyon ko luxurious life ka latt lag gaya, paise Udaane lage. Aksar suna hai eise real log hote hein life mein jinko sab baap ne karke haath mein de diya. Magar bache sab uda diye.... afsos ki baat hai....
To apna Abhi bhi lapete mein agaya. 300 mulazimon ki zindagi ko keher bana diya gaya. Apna hero jab kuch karne chala tabhi usske life mein bhi khizaan chaah gaye, phir bhi Abhi ji jado jahad baaki hai
Apni dil ki rani ki yaad mein diary se baatein karta hai har raat ko. Aur khoyi hui Ruhi ko bhi yaad karta hai.
Khair dekhte hai kia hota hai iss hero ki life mein ab.
Shaadar update likha hai aap ne bhai. Abhi apne life mein, apni jawani me kiss daur se guzra hai ye padh kar lagta hai khud ki life ko hi padhne laga hoon.
Behtareen update hai bhai bahut acha laga padhke :claps: :claps: :claps: :claps:
 
Top