• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,042
78,017
304
First of all, I want to thank and congratulate you so much for writing a new story. I love romantic stories very much. Love is a very beautiful word and people associated with it are also very beautiful. This story is about Abhinav and Ruhi. Now just waiting eagerly for January 10 and the story's intro was amazing...:heart::heart::heart:
 
Amity

Banned
532
4,092
123

Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya
Introduction

Pyar, muhabat, Ishk, Love. Iss shabd ne kitnon ko paagal banaya, iss shabd ko yuvak se lekar adher logon ne bhi itne ehmiyat diya hai pichle hazaaron balke karoron saalon se dete aaye hein.

Beete kayi hazaaron saal purani kahaniyan banne Muhabat ko lekar, sachi beete hue pyar bhari zindagiyon ko bhi lekhakon ne kahani bana kar pesh kiya pichle hazaaron saalon se aur aaj bhi karte jaa rahe hein.

Har kissi ki life mein ek daur aisa zaroor ata hai, ya aya hua hoga jahan ek vyakti ko kissi se pyar ho jata hai. Koyi apne pyar ko paa leta hai to koyi naa kaamyaab hota hai. Kissi ko pyar asaani se mil jata hai to kissi ko bahot jaddo jahad ke baad ussko usska pyar milta hai.

Kissi ke saath dhoka hota hai pyar mein, to koyi khud dhoka deta hai apne pyar ko. Aur kayi baar aisa bhi hua hai ke kissi ke samajh mein bhi nahin ata ke ussko pyar ho gaya, aur kissi ko pata bhi nahin chalta ke kab aur kaise pyar hogaya.

Pyar ek ehsaas hai, ek jazbaat hai jo dil se mehsoos ki jaati hai. Pyar mein insaan sab kuch bhool jata hai, yahan tak ke dimaagh se sochna bandh kar deta hai buss apne dil ki sunta hai, yehi pyar ki taaqat hoti hai ke insaan ko dil se sochne par majboor karta hai. Jab insaan ko pyar ho jata hai to kehta hai reasoning aur dimaagh gaya bhaadh mein apne dil ki sunta hoon. Aur har sacha aashik yehi karta hai, sirf dil ki sunta hai, jo usska dil kahe wohi karta hai, baaki kuch bhi pyar mein ehmiyat hi nahin rakhta.

Jo log pyar aur dimaagh ke jung mein fansste hein wo pyar mein kabhi kaamyaab nahin hote. Khaas kar jo log aise mod par aajaate hein jahan dimaagh ko sunna ziada passand karte hein wo to bilkool bhi pyar se door ho jaate hein.

Missal ke taur par samjhata hoon ke ek ladki thi jo ek ladke se behad pyar karti thi, magar aisa waqt aya jahan ladki ko apna sapna pura karne ke liye star banne ke liye offer aya to uss waqt ussne apne dil ki nahin suni balke apne dimagh ko suna ke ussko star banna hai aur chali gayi heroine banne kyunke ek offer aya tha ussko. Aur door hogayi, alag ho gayi apne pyar se aur dhire dhire shauhrat aur paise ne uss ladki ko bhula diya apne pyar ko kyunke ussko wo chakachaund aur shauhrat wali life ziada passand aya aur ussne ussi ko chuna apne pyar ko thukda kar…. Magar aakhir mein dhalti umar mein ussko pata chala ke ussko apne pyar ko ehmiyat dena chahiye tha to aaj wo khush hoti apne Mehboob ki baahon mein, aur yahan kyunke umr dhalne lagi thi ussko kissi ne nahin pucha aur wo akeli rahi marte dum tak.

Yeh buss ek misaal tha aise bahot saare examples hein jahan log apne dimaagh ko sunte hein aur dil ki nahin jab pyar ka sawaal ata hai to. Aur jissne ne bhi dil ki awaaz ko suna weh sab kaamyaab hue apne pyar ko paane mein.

Yeh kahani bhi ek pyar ki kahani hai. Dil ke rishton ki kahani hai, jahan pyar to ho jata hai magar nibhana kia asaan hota hai? Pyar pyar hota hai, roz marre ki zindagi se isska koyi lena dena nahin hota, pyar mein log mehlon ko chorr dete hein, jungalon mein bhi rehne chale gaye hein apne pyar ke piche, aur kuch gharibi ko chorr kar mehlon tak pahunch gaye hein apne pyar ke piche, buss pyar sacha hona chahiye.

Iss kahani mein hamare hero ko baali umar mein kayi baar pyar hua magar naakaamyaab raha. Ya to ladki ne kuch waqt baad piche kadam le liya, ya khud hero ko dikha ke aage chal kar ussko safalta nahin milega uss pyar mein, to piche kadam hatta liya.

Magar hamara Hero hai bahot emotional aur hamesha dil se hi sochta hai. Pyar ko bahot sakht zaroorat tha ussko kum umar se hi, kissi bhi khubsurat ladki ko dekha to dil de baithta tha, hamesha sochta, “yeh zaroor meri banegi, yeh wali bahot hi khubsurat hai, nahi wo wali best hai….” Aise hamesha sochta tha aksar kissi bhi haseen ko dekh kar.

Ussko talaash thi ek kamseen, nazuk, bholi, khubsurat, acchi ladki ki…… Wo iss liye ke usska pehla pyar weisa tha…. Wo 12th mein tha jab ussko apni bachpan ke saati se pyar ho gaya. Bachcha tha tabse donon ek saath maternal school gaye, primary mein bhi saath the aur 12th tak saath rahe. Ladki ka naam tha Ruhi. Aur hamara hero hai Abhi, weise naam hai Abhinav, par sab Abhi bulaate hein.

Isska pehla update 10th January se ana shuru hoga dosto, tab tak aap log apna comment post karen, kahen ke keisa laga intro? Bahot farmaayisehin aaye the Romantic story ke liye to yeh raha…….

Wow this ia a great surprise indeed.
:congrats: Casinar ji.
The title is very attractive. Intro is fabulous.
Will wait for the 10th January impatiently. Your love stories hv all been wonderful so I am sure we are going to get a lovely story again.
:thanks: very much. :applause:
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354

nice introduction bhai ji ek baar hamko aisa laga jaise ye story mere hi upar likhi ja rahi hai baki to waqt batayega kya hai kaisa hai waise mujhe khusi hogar ye story bina sex ke (halka fulka chalega waise)likhi jaye..Baki aapki kalam ke diwane to bahut hain jimme mai bhi ek chota sa reader hun:dost:
 
Top