• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Navina is like the mother of the house at moment. Just like a mother would do to get his son married when he is roaming around with a girl for past 7 years.
Yes regarding Aruhi, this is the best decision.
How funny when Shweta discovered that Abhi was aware of everything since before...
Well their wedding will for sure enhance the lives of both Shweta and Aruhi.
If the conditions of Navina is observed well they will have happy living. It will be harmonious.
Super Update Casinar ji. :superb:

thanks very much for the appreciation Amity dear :love:
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Love this this update.
So finally it is decided. great.
Very good and positive for Aruhi. and joy of life for Shweta. Yes her dream come true indeed.
Regarding Ruhi I still hv a doubt. What Abhi said is the repetition of what Navina said. But was that really like that from Ruhi's side. I agree 50 % could hv been like that, but need to have Ruhi's version on that.
Anyhow super update bro.

thanks again my dear friend
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 81 Wedding Preparations

Do hafte the Shadi ke tayyariyan ke liye. Navina ne hall book kar liye the ek Sunday ke liye aur sab intezaam kar liye gaye the religious ceremony ke liye bhi, aur usske baad hall mein reception ke liye.

Aur Abhi ne buss ek din dhundne ke baad online ek ghar select kiya jissko legaya Shweta ko dikhaane ke liye. Naya ghar tha ek hafte pehle bann ke tayaar hua tha. Agency walon se baat hui aur Abhi ne ghar kharid liya. Abhi ke ghar se bus 100 metres ki doori par tha. Wahan bhi swimming pool tha jahan Aruhi ko swimming seekhaya jaa sakta tha.

Ghar ko ek hafte mein hi furniture kara diya Abhi ne aur tab Navina ko bhi legaya ghar dikhaane ko.

Usske baad Abhi gaya Ruhi ki chachi ke ghar jahan 25 saal pehle gaya tha Ruhi ke liye aaj gaya Shweta ke liye. Chachi budhi ho gayi thi, aur Abhi itna amir aadmi tha ke chachi ek naukrani lag rahi thi Abhi ke saamne. Turant chachi ne haan kiya kyunke Shweta ne sab pehle samjha diya tha usski uss mummy ko. To ussko invite kiya gaya shaadi mein aur Shweta se Abhi ne kaha ke apni uss mummy ko apna naya ghar khud lejaa kar dikha sakti hai.

Chachi ke saamne Aruhi ne zor se ‘papaaaaa’ chillate hue aakar Abhi ke goad mein baith gayi bilkool jaise 25 saal pehle Shweta aakar Abhi ke goad mein baithi thi jiss din Abhi aya tha uss ghar mein Ruhi ko dhundte hue.

Chachi ne wo dekh kar kaha,

“wo din yaad agaya Abhi jab aap Ruhi ke liye aaye the aur yeh meri Shweta aakar aap ke goad mein aise hi baithi thi yaad hai aap ko? Mujhko wo nazara dikh raha hai, aaj isski beti baithi hai aap ke goad mein? Shweta tabhi se aap se bahot pyar karti thi, agar aap ne pehla shadi nahin kiya hota to issi se aap ki shaadi ho jaati uss doctor ki jagah!”

Abhi ne sarcastically kaha,

“haan aaur uss din ruhi yahin thi andar aura ap ne mujhse KHHOT kaha tha ke chali gai hai issi Shweta jaisi bachi ke saath aap ne JHOOT kaha tha hahaha!”

Aruhi ne pucha,

“Papa mummy aap ke goad mein aise baithi thi yahin par? wo kitni chhoti thi tab?!”

Abhi ke saath Shweta aur usski mummy ne bhi hanss diye Aruhi ke baat ko sunkar….

Yeh ho gaya to problem yeh tha ke shaadi ke roz Aruhi ko kahan chhorra jayega?

Abhi ne usska bhi intezaam kar diya. Uss roz Aruhi Abhi ke ghar par rahegi Abhi ke sabse purane, imaandaar mulazim ke saath. Wo buzurg aadmi tha aur Abhi ka bahot wafadaar tha, ussi ke saath Aruhi ko ghar mein chorrega Abhi. Aruhi ko samjha diya gaya ke uss roz sab log ek special program attend karne jayenge jahan bacchhe allowed nahin hai.

Abhi gaya tab Naina ke ghar. Abhi ke saare bhai aur behnon ki shaadi ho gaye the, pichle 25 salon mein. Sab ke alag alag ghar the. Abhi ka baap nahin raha magar maa ab bhi thi aur 78 saal ki thi. Abhi aksar jaya karta tha uss se milne. Wo last wale bete ke saath rehti thi.

Naina ke 3 bachche the, 2 betiyan aur ek beta. Baaki saare bhai aur chhoti behen ke bhi bache the. Bhaiyon mein se do bhai Abhi ke garage mein hi kaam karte the. Allumimuim section mein. Donon supervisors the – magar Abhi ne donon ko pehle kaam seekhaya tha 3 saalon tak tab promote kiya tha as supervisors.

Abhi apne family ka achcha khayal rakhta tha aur kissi chiz ki kami nahin hone deta tha; nah kissi bhai ke ghar mein nah behnon ke ghar mein. Inn sab mein se ek bahot close thi Abhi ke wo thi Naina ki badi beti jo aur do saal mein 18 ki hone wali thi.. wo aya jaya karti thi Abhi ke ghar, aur Navina ke bhi close thi. Aur haal mein usski dosti Aruhi aur Shweta se bhi ho gayi thi, aur ussi ke zarye Naina ko bhi khabar mil gaya tha ke Abhi dusri shaadi karne wala hai.

Jiss din Abhi gaya Naina ko invite karne to Naina bahot khush thi aur apne bhai ke gale lagte hue kaha,

“Wah bhai, you deserve it…. Aap to 3 ya 4 shaadiyan bhi karo to sahi hi lagega kyunke aap jitna amir ho gaye ho itne dhan Daulat baantna hi chahiye kayi gharo mein hihihihihi!”

Kissi European author ne kaha tha, iss waqt usska naam yaad nahin, ussne kaha tha ke agar har amir aadmi ke 4 ya ziada biwiyan ho, aur sabke saat 4 bache to dunya mein gharibon ki sankhiya ghat jaate. Funny hai magar gehraayi se socha jaaye to soch kar dekho, ek karodpati ke agar 4 patniyan ho aur sabke saath 4 bache ho, to 12 bache amir honge, aur phir wo 12 bache bhi apne baap ki tarah 4 patniyon se shaadi kare aur sab ke weise hi 12 bache ho to kitne amiri badhti jaegi hahahahaha, funny sound karta hai magar sach mein kitnon ka bhala ho jata weise.

Navina ne apne family walon mein se kissi ko nahin bulaya apni maa ke siwa. Kyunke Navina ke family mein ziada koyi tha hi nahin ek uss behen ke ilawa Namita jo Canada rehne chali gayi thi shaadi ke baad.

Hall book kar liya gaya aur Abhi ne decoration walon ko bhi hire kar liye sab sahi karne ke liye aur catering walon se bhi deal final kar li gayi…..

Rahi baat Ruhi ki to jab Abhi aur Shweta ne Navina se Ruhi ko bhi bataane ko kaha tab Navina ne kaha ke ussne sab sambhaal liya hai Ruhi ke baare mein koyi kuch bhi nahin kahega, buss shaadi ke roz wo haazir hogi.

Abhi aur Shweta ko shock laga yeh sunkar aur Abhi ne puchha,

“What? Do you mean ke ussko already pata hai ke I am wedding Shweta? Please tell me, how? Kaise pata hai ussko, kia tum uss se contact mein ho?!”

Navina ne Abhi ko jawaab dete hue kaha,

“I want that to be a surprise for both of you. Don’t worry everything is fine and will be fine.”

Shweta ne pucha,

“Magar wo kaise aegi yahan? Ussko jagah ka pata bhi hai? Who will push her wheelchair etc?!”

Navina ne phir kaha,

“Are main ne kaha nah ke main ne sab sambhaal liya hai….. so stop worrying about that you both get yourself ready for the day, and I do not want anything to be delayed and everything must be punctual. I want punctuality. And yes, Abhi will you give a speech on that day in the hall? If yes do prepare your words.”

Abhi ne pucha,

“Kia tum speech dogi uss din?”

Navina: “No I will not, but someone will!”

To be continued…..
 
Last edited:
Top