• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 79 Abhi Takes All To Meet Ruhi

Abhi ne Navina, Shweta aur Aruhi ko apne ghar mein mil kar baat kiye ke wo sab Ruhi ke yahan jaa rahe hein aur uss se kia baat karna hai sabko. Aruhi ko araam se samjhaya ke Ruhi usski nani hai, Shweta ki maa hai wo. Aruhi bahot confuse hui kyunke wo jahan rehti thi, matlab Ruhi ki chachi ko hi apni nani samajhti thi itne dinon se. Abhi, Shweta aur Navina sab ne uss ko achi tarah se samjhaya ke kaise Ruhi usski nani hai real mein. Bahot mushkil hua Aruhi ko samjhaane ke liye. Ab kyunke teen log mil kar Aruhi ko samjha rahe the to bachchi ke samajh mein agaya ke usski real nani Ruhi hai jiss se wo milne jaa rahi thi Abhi ke sath.

Abhi ne ruhi ko phone karke bata diya tha ke wo sab ane wale hein.

Udhar Ruhi ne Mahesh ki wife ko bata diya ke kuch mehmaan ane wale the sab ko receive karna tha, to wahan sab ready the inn sabko receive karne ke liye.

Aur din ke 3 baje sab wahan pahunche. Abhi ne car park kiya aur Ruhi, Mahesh ki wife aur 3 bache sab ready the sabko receive karne ke liye.

Andar jaate hi Shweta lipat gayi apni ma se aur donon ka rona dhona shuru hua….. Shweta maafi mang rahi thi apni maa se keh rahi thi ke ussko bilkool bhi pata nahin tha jinn haalaton se wo guzri thi ussko bachaane ke liye, ussko anathalay mein nahin bhejne ki bajae ussko usski chachi ke yahan chorra tha, Shweta ne yahe kaha rote hue Ruhi se,

“Main aap se bahot pyar karti thi bachpan mein magar aap mujhse door rehte the, yahan jab bhi aati thi to aap mujhse alag ho jaate the, main wo sab feel karti thi, mera man rota tha ke aap mujhse kyun itni nafrat karti ho…. mujhe har wo din yaad hai jab bhi main aati thi to aap kaise rehte the mujhse…. Sirf jab Abhi yahan kaam karta tha sirf unn dinon aap mujhse pyar se mile the varna hamesha aap mujhse doorie rakhte the… jab mujhe pata chala ke aap ne mujhko janam diya hai to main bahot royi thi yeh soch kar ke aap mujhse nafrat karte the jab main aap ke saamne aati thi… iss liye last time aap se jhagda karke chali gayi thi…. Main ne socha main aap ki ghalati ka natija hoon iss liye aap mujhse hamesha nafrat karti rahogi issi liye main ne soch liya ke aap ke saamne kabhi nahin aungi… mujhe maaf kardo maa mujhe nahin pata tha aap ne kia kuch jhela tha mere liye, mujhko Abhi ne sab bataya aap ne to kabhi wo sab nahin bataya tha mujhe!!”

Ruhi Shweta ke peeth sehlaate hue kaha,

“Main kaise batati tujhse uss din? Tu kuch sunne ke liye tayyaar hi nahin thi, tu mujhe sunaane aayi thi aur suna kar chali gayi mujhe to bolne ka mauka hi nahin diya tha tumne Shwetu? Khair ab jaane do, Abhi se pata chal gaya sab kuch nah tumko? Mujhe kitni Khushi ho rahi hai tere gale lag kar main bata nahin sakti ri….”

Mahesh ki wife ne Abhi aur Ruhi ko baithne ko kaha aur Mahesh ke bache bahot jald Aruhi ke friend ban gaye. Chaaron ek saath araam se mil jul kar baatein kar rahe the.

Jab Ruhi ne Aruhi ko gale se lagaya to Rote hue kaha,

“Ari tu to bilkool apni mummy jaisi dikh rahai hai ri, hey Abhi Shweta aisi hi nahin dikhti thi jinn dinon aap yahan kaam karte the, aur aap ne ussko meri chhoti behen samajta tha?”

Abhi ne haan mein sar hillaya…. To baad mein Aruhi ne abhi ke goad mein baithe hue pucha,

“Aap mummy ko tab se jaante ho jab mummy meri jitni chhoti thi?”

Abhi ne hansste hue haan kaha Aruhi ko. To Aruhi ne pucha,

“Tab aap kitne bade the papa?!”

Abhi ne usski baat ko taalte hue kaha,

“Tab main bhi chhota tha sweetheart!”

Jab Aruhi ne Abhi ko “papa” bulaya to wahan sanaata chhah gaya. Sab log khamosh ho gaye Aruhi ko Abhi ko papa bulaate hue sunkar. Ruhi bade bade aankhon se Aruhi, to kabhi Shweta ko to kabhi Abhi ko dekhne lagi thi samajhne ki koshish karte hue tab Abhi ne kaha,

“Yehi surprise dena tha tumko Ruhi….. main ne Aruhi ko adopt kiya hai yeh ab meri beti hai aur main isska papa aur Navina isski badi mummy!”

Ruhi ke aankhen bharr aaye aur bahon ko khol kar Abhi ko apne baahon mein lene ko bulaya, Abhi ne Navina ke taraf dekha aur Navina ne haan mein sar hillaaya, matlab Abhi ko Ruhi ke baahon mein jaane ki anumatti diya Navina ne!

Abhi aur Ruhi sabke saamne ek dusre ke baahon mein the aur Ruhi ne Abhi ke gaal ko chumte hue kaha,

“Itna bada ehsaan kar diya meri family par aap ne Abhi?” Aur turant ahiste se Ruhi ne Abhi ke kaan mein kaha,

“To ab Shweta ko bhi apna hi lo nah Abhi, wo akeli hai, usski life bhi sanwar jaegi….”

Abhi bilkool bhi nahin soch raha tha ke Ruhi ke taraf se bhi yeh baat sunne ko milega… Navina ne to kaha hi tha ab Ruhi ne bhi wohi baat keh dala, aur ab Abhi Shweta ko dekhne laga yeh sochte hue ke kia ussko uss se shaadi kar lena chahiye Aruhi ki bhalaayi ke liye?

Mahesh ki wife ne sab ko chai aur biscuits serve kiya. Aur tab Navina gayi Ruhi ke paas baithne. Uss se jab gale mili to Abhi donon ko ghaur se dekh raha tha, aur Ruhi ki nazar Abhi par the.

Jab Navina Ruhi ke paas baith gayi to Navina ne Ruhi se kaha,

“Main pichle 25 saalon se Abhi se kehti aayi hoon ke agar aap se kabhi wo mile to mujhse zaroor milwaaye kyunke mujhe aap ko thanks kehna hai.”

Ruhi ne pehle Abhi ke taraf dekha phir Navina se pucha,

“Mujhko thanks kehna hai? Kyun main aisa kia kar diya ke aap ko mujhe thanks karni hai?!”

Navina ne tab Abhi aur Shweta ke taraf dekhte hue kaha,

“Aap ne Abhi ko chorr jo diya tab nah wo mujhko mile, to ussko chorrne ke liye thanks kehna tha aap ko. Ab ap ne ek heere ko khoya ussko chorr kar ya nahin yeh aap jaanon magar mujhe Abhi mein ek anmol heera mila jo aap ko milna chahiye tha…. nah aap usse chorrte, nah wo aap ke liye wo sab likhta diaries mein, nah main wo diaries padhti aur nah mujhko Abhi se pyar hota…. Unn diaries ko padh kar mujhko dikh gaya ke Abhi kaisa insaan hai, kitna pyar bhara hua hai usske andar aur aap ne uss pyar ko thukraya, to main kaise ussko khone ko accept karti? To aap ka bahot dhanyawaad ussko mere liye chorrne ke liye 1986 mein….”

Ruhi ne sar jhuka liya ek lavz bhi nahin kaha. Shweta Abhi ko dekh kar muska rahi thi.

Koyi ek ghante ke baad Navina ne kaha,

“Abhi udhar ek sea side hai nah aap Shweta aur Aruhi ko ghuma laao mujhe Ruhi se kuch private baatein karni hai.”

Sab ko shock laga yeh sun kar. Khudh Ruhi ko jhatka laga ke kyun Abhi ko baahar jaane ko keh rahi hai Navina….. Navina mein leadership qualities bhi the, jo Abhi mein bhi tha, magar jab wife baat karti hai to husband ka kahan chalta to Abhi ne agree kiya aur Shweta aur Aruhi ko lekar nikla, magar Mahesh ke teenon bachon ko bhi saath legaya….. aur sab uss east wale beach par kuch time spend karne gaye…..

Udhar Ruhi se kia baat kiya Navina ne yeh sab ko baad mein pata chalega sahi waqt aane par.

Jab seaside se sab wapas aaye to Abhi ne kuch baat kiye Ruhi se. Abhi ne pucha,

“Ek baat puchna tha, uss din puchna bhool gaya tha main. Uss Gaurav se kia tumhara phir koyi contact hua tha unn dinon? Kia ussko pata tha ke tumne usske bache ko janam diya tha?!”

Jawaab dene se pehle Ruhi ne kaha ke wo Shweta ke saamne wo jawaad degi, aur uss waqt Shweta Mahesh ki wife ke saath kuch baatein kar rahi thi alag kamre mein, to ussko aur Navina ko bhi bulwaya Ruhi ne aur Gaurav ke baare mein bataya.

Ruhi ne kaha,

“Jab Shweta yahan mujhse milne aane lag gayi thi to Gaurav ko pata chal gaya tha kissi tarah ke wo usski beti hai. Pata nahin kiss ne uss se kaha, main ne to apni pregnancy ke baare mein bhi kissi ko kabhi pata chalne nahin diya tha, magar Gaurav ko kaun sab khabar deta tha aaj bhi mujhko nahin pata.

To ek din Gaurav aya tha iss aangan mein sharaab ke nashe mein dhutt…. Abhi wo aap ke kaam karne se buss kuch mahine pehle hi hua tha… aur jinn dinon aap yahan kaam karte the mujhe bahot darr tha ke kissi din wo sabke saamne aakar koyi tamaasha nah kare…. Aur wo aya bhi tha, aangan mein araha tha ek din weise hi nashe mein jab aap yahan kaam kar rahe the aur Shweta aayi hui thi aap ke saath khel rahi thi ussi din Gaurav ko dekha gaya aangan mein, main road ke paas to maa ne mehboob ko bheja tha ussko bhagaane ke liye….

Uss se pehle ek din aya tha bilkool nashe mein aur maa ko bulaya tha, main nikli thi aur ussko dekh kar wapas andar chali gayi to ussne maa se kaha ke ussko apni beti ko dekhna hai. Maa ne uss se kaha ke usski koyi beti nahin hai yahan…. Mujhe pata nahin ussko kaise pata chal gaya tha… wo itne nashe mein tha ne girr raha tha har baar phir khud khade hokar ladkhadaate zubaan se baat kar raha tha…. ussne kaha ke hum kitna bhi chhupaaye ek din wo apni beti se zaroor milega… mehboob aur manoj ne ussko pakar ke yahan se wapas kiya tha…. aur ek din main ne ussko dukaan ke baraamde par nashe mein dhutt girra hua dekha tha…. bilkool bedwa ho gaya tha jawaani mein hi… kuch kaam bhi nahin karta tha pata nahin kahan se ussko pine ke liye paisa milta tha… rehta to 20 kms door hai yahan se magar pine yahin ata tha hamare ilaake mein; sab yahan ke log ussko jaan gaye the, sharaabi bedwa kehte the sab ussko…..

Aur ek din pata chala ke ek truck ke niche aakar mar gaya wo weise hi nashe ki haalat mein!!”

Yeh sunkar Abhi ne Shweta ke taraf dekha, Abhi ne socha Shwheta ko dukh hoga magar kissi ko kuch bhi nahin feel hua, nah Ruhi ko, nah Shweta ko nah kissi ko bhi. Sab normal the Gaurav ke baare mein jaan kar. Magar Abhi ka dil dukkha, ussko samajh mein aya ke Gaurav ko kitna mann hua hoga apni beti ko dekhne ke liye. Ruhi ki ma ko Gaurav ko ek baar do Shweta ka chehra dekha dena chahiye tha bechara sukoon se to marta!

To be continued………..
 
Last edited:
Top