• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 51 Ruhi Got The Message

Abhi firse uss taraf bilkool nahin gaya. Pata nahin ke uss pump wale ne Ruhi se kaha ke wo aya tha aur usske baare mein puch raha tha ke nahin….. Well Abhi ko nahin pata magar main aap logon ko bata doon ke haan Ruhi ko pata chala….

Ek din baad Ruhi shop jaa rahi thi chocolate kharidne to pump wala aadmi ne Ruhi ko bulaya…. Ruhi normal nahin chal rahi thi… usske haath mein ek laathi jaisa kuch tha… wo orthopaedic wala… thodi si jhhuki hui thi jaise usske peeth mein koyi dard ya koyi issue hai…. Ruhi ko heyrani hui ke wo aadmi ussko kyun bula raha hai kyunke Ruhi ne uss se kabhi bhi baat tak nahin kiya tha, phir bhi Ruhi gayi aur pucha kia baat hai to uss aadmi ne kaha,

“aap ko koyi kal dhund raha tha!”

Ruhi ne bahot heyraan hote hue pucha,

“Mujhko? Mujhko kaun dhundega bhala? Aap ko ghalat faimi hui hogi”

Aadmi: “koyi bhi ghalat faimi nahin hui mujhe uss aadmi ne Ruhi naam bataya aap ka, wo Manoj aur Mahesh ka naam bhi bataya mujhe!”

Turant ek pal mein Ruhi ko Abhi yaad aya aur thartharaate labon se pucha,

“kaisa tha wo? Lamba tha, oonche kad ka? gora tha?!”

Aadmi: “bilkool sahi pehchana aap ne wohi tha? kaun hai wo kyun sirf aap ke baare mein pucha aur wapas chala gaya? Main ne ussko kaha bhi aap logon se jaa kar milne ko magar nahin gaya….”

Ruhi Ke aankhon se aansoo behne lage the aur wo aansoowon ko ponchte aur sisakte hue pucha;

“Aur kia kahan unhon ne? kaisa hai wo? Thik the nah? Batao kia kaha unnhon ne? koyi sandesha chorra kia? Kuch diya mujhe dene ke liye kia?!”

Ruhi ko uss tarah se rote dekh kar wo aadmi hadbada gaya aur charon taraf dekha phir kaha,

“ofo aap ro kyun rahi ho, haan wo thik tha, ek bahut bada raiz aadmi lag raha tha bada sa Mercedes mein tha….”

Ruhi: “Wo Abhi tha, wo kabhi mera Abhi hua karta tha… bataiye nah kuch diya ussne mujhe dene ke liye? 8 saal… 8 saal baad!!!

Aadmi: “are haan ussne bhi mujh se yehi kaha tha 8 saal, 8 saal kia hua 8 saal? Yeh 8 saal kia hai?

Ruhi bilak bilak kar roti gayi aur bataane ko kaha ke Abhi ne kia kaha usske liye.

Aadmi ne kaha,

“ussne kaha aap ko bata dun ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi aya tha aap samajh jaogi!”

Ruhi zor se hanssi aur royi ek saath.. aur uss aadmi ke chehre mein dekhti gayi aur kaha,

“Wo aap ko kaisa dikha, wo acha hai nah? sahi salaamat hai nah?”

Aadmi: “haan magar wo kaafi der tak aap ke ghar ke taraf udhar stairs par yahan se khada dekhta raha aur ussko jaise saans lene mein takliff ho raha tha, jaise haanf raha tha aur udhar iss tarah dekhe raha tha jaise ussko kuch dikh raha tha, jaise wo aap ko ya kisi ko dekh kar baat kar raha tha, bhaadi awaaz mein gale ke andar se usski awaaz arahe the….”

Ruhi: “Sunon, ek kaam karna please, agar wo phir kabhi yahan aya to mujhko turant phone karna, main aap ko apne ghar ka number deti hoon, mujhe turant yahan bulana aur ussko rok ke rakhna please, itna karoge aap mere liye? Bolo kia itna kar sakoge aap?!”

Uss aadmi ne kaha haan okay phir pucha,

“kia wo aap ka ex-husband hai kia? Aap donon alag ho gaye ho kia?!”

Ruhi: “Aap idhar ka rehne wala nahin lag rahe ho to aap ko kaise pata chala ke main Ruhi hoon? Aap Manoj aur Mahesh ko kaise jaante ho?”

Aadmi: “main yahan ka rehne wala nahin hoon par aap to iss station ki neighbour ho, to apne neighbour ko log jaante hi hai nah? aap ke donon bhai ko jaanta hoon unnke naam janta hoon to aap unnke behen ho to jaanta hoon, aap ke mother ko bhi jaanta hoo, 3 saal se yahan kaam karta hoon to aas paas ke sabhi logon ko jaan gaya hoon!”

Tab Ruhi ne uss se kaha,

“Haan to kuch aisa hi samajh lo ke wo mera ex-husband hai aur please yeh baat kissi ko bhi mat batana kia main aap ko trust kar sakti hoon ke aap kissi ko kuch bhi nahin bataoge, khaas kar mere bhaiyon se to bilkool bhi nahin okay?!”

Aadmi: “Main samajh gaya ji, main khud divorcee hoon aur apni ex-wife se milne jaata hoon chhup chupa kar to main samajh raha hoon, magar ek baat puchun? Aap ke ex-husband to bahut bada aadmi hai to weise aadmi se aap kyun alag hue?”

Ruhi: “meri takdeer kharaab thi, aur mera hi kusoor tha”

Aur Ruhi uss din ghar jaa kar bahot bahot royi thi. Sirf Abhi ko yaad karti aur roti rehti…. Kissi se kuch nahin kaha ghar mein.

********************************************************************

Abhi phir kabhi udhar gaya hi nahin aur seikron baar Ruhi gayi uss filling station par usski raah dekhne aur uss aadmi se puchne magar Abhi kabhi gaya hi nahin to kia khabar milti ussko….

Din, saal, mahine guzarte gaye. Abhi ki business badhta gaya.

Saeed uss se Naukri maangne gaya usski garage mein. Abhi nek dil tha to de diya Saeed ko bhi kaam. Abhi ne iss liye ussko inkaar nahin kiya kyunke Abhi ne yeh kaam ussi se seekha tha, iss liye ussne saeed ko kaam diya.

Magar ek din Abhi ne saeed se baat kiya. Uss din Abhi ko kissi financial sissile mein bank jana tha to ache kapdon mein tha aur kaam wale gande kapde mein nahin tha, matlab boss wala status tha uss waqt aur saeed ko Abhi ne apne office mein bulwaya.

Apni AC wale office mein desk ke piche baitha Abhi apne PC ke piche, rolling chair par baithe hue Saeed se kaha,

“Main kaam nahin karta, mere parents bahot gharib hein, main nikkamma hoon, Ruhi ko main khush nahin rakh paunga, Ruhi ki maa ko yehi salah diya tha nah aap ne? kyun Saeed?!”

Saeed ne ek hypocrite wala hassi dikhaate hue kaha,

“Are Abhi gyarah saal beet chuke hein, tum gade murde kyun ukhaad rahe ho ab chorro nah bhai tum kitne bade aadmi ban gaye ho apni heysiyat ke logon ki baat karo kyun unn bhikariyon ke baat kar rahe ho?!”

Abhi khada ho gaya aur ghusse mein saeed ko dekhte hue kaha,

“Yehi!! Yehi kaha hoga nah tumne uss din Ruhi ki maa se bhi ke main bhikaari hoon, aur aaj unnko bhikaari keh rahe ho? kiss ko bhikari kaha tumne Ruhi ko? Khabardaar Saeed! Khabardaar!! Aur haan 11 saal aap ke liye beete honge mere zehen mein sab ab bhi weise hi taaza hai mere liye 11 din guzre hein sirf!!”

Saeed ka chehre laal se jaise kaala pad gaya jiss tone mein Abhi ne uss baat kiya. Aur saeed ne dheemi awaaza mein kaha,

“Abhi, mujhe pata tha tum tarraki karoge, jiss din tumne Mehboob se 3 laakh ki deal kiya tha tabhi mujhe tujh mein ek bada business man dekh liya tha…”

Abhi: “Aur tumne uss paise mein se mera ek laakh ka gaand bhi mara tha wo bhool gaye tum? Mujhse kaha tha ke Mehboob ne kabhi baaki ka ek laakh diya hi nahin, bolo, diya tha Mehboob ne wo baaki ke ek laakh ya nahin Saeed? Main khud wahan Mehboob se wo paisa tamasha karke mang sakta tha, Ruhi ki maa aur Ruhi ke saamne main dikha sakta tha ke 1 lakh kama raha hoon uss Mehboob se magar main iss liye nahin gaya tha kyunke usski gali mein jaana chorr diya tha aur dusra reason yeh tha ke mujhe shak tha ke ussne tujhe paisa de diya tha magar tumne sab apne liye rakh liye honge!”

Saeed: “Abhi meri beti ki shaadi thi iss liye unn paison ki zaroorat thi mujhe….”

Abhi: “chal de diya teri beti ko gift wo paise.... aaj mujhe yeh bata ke kyun tumne mera patta kata tha Ruhi ki maa se? Tujhe achii tarah pata tha ke main uss ladki se diwangi ki had tak pyar karta tha, tha nahin KARTA HOON! Tujhse main ne saaf lavzon mein kaha tha ke ussko chahta hoon aur uss se shaadi karna chahta hoon…. Phir bhi tumne weisa kyun kiya? Mere madad karne ki bajae kyun tumne Ruhi ki maa se mere khilaaf baat kiya tha? kia tu jalta tha mujhse? Wo bhi to teri beti jaisi thi, ek masoom ka pyar chhin kar kia mila tha tujhe saeed?”

Saeed ke paas koyi jawaab nahin tha. khamosh baitha raha sar jhukaaye hue. Aur Abhi ne aur bola,

“Aur uss par tumne Mehboob ko bhi bhadkaya tha, Ruhi ki maa ko bhi bhadkaya tha mere khilaaf, kyun saeed?!”

Tab Saeed bola,

“Abhi, Mehboob hi nahin chahta tha ke Ruhi aur tera Rishta bane! Ussi ne mujhe kuch baat bana kar Ruhi ki maa se kehne ko kaha tha, Mehboob nahin chahta tha ke tu Ruhi ke ass paas rahe, ussko bilkool nahin passand tha. wo nahin chahta tha ke tu aur Ruhi shaadi kare! Ussne mere saath milkar plan banaya tha ke kia baat bataya jaaye Ruhi ki maa ko tere khilaaf. Aur mere munh se uss din nikal gaya tha ke tu wahan Ruhi ke liye har roz kaam par ata tha varna to har Monday ko absent rehta tha to Mehboob ne uss baat ko pakda aur kaha ke wohi kehna hai Ruhi ki maa ko ke tu kaam nahin karta wahan sirf Ruhi ki vajah se ata hai….”

Abhi: “Magar kyun? Mehboob weisa kyun karega? Kyun wo mujhe Ruhi ke saath dekhna nahin passand karta tha? Kyun nahin chahta tha ke main Ruhi se shaadi karun?”

Saeed: “Tum jaanna chahte ho? Sun sakoge Abhi? Bataun main?! Yakeen nahin karoge tum!”

Abhi ne apne palkon ko uchkaate hue Saeed ko dekha aur kaha,

“What? Kia yakeen nahin karunga? Batao kia baat hai saeed!”

Saeed: “To sun main batata hoon ke kyun Mehboob nahin chahta tha ke tum Ruhi ke aas paas raho ya uss se shaadi karo…. Tujhe pata tha ke kuch saal pahle Rahima Mehboob ko chorr kar bhaag gayi thi? Usski bachi Farzina tab 6 saal kit hi”

Abhi: “nahin Farzinah tab 2 Saal ki thi”

Saeed: “matlab tujhko pata hai ke Rahima kissi aur ke saath bhaag gayi thi? Magar Farzina 6 Saal ki thi 2 saal ki nahin wo primary school jaane lagi thi, tujhe ghalat bataya hai jiss ne bhi bataya….”

Abhi: “acha chal maan liya farzina 6 saal ki thi to? Ruhi ka kia lena dena iss mein?!”

Saeed: “Are tabhi to sab hua tha…. Ruhi tab Farzinah ki dekh bhaal karti thi Mehboob ke ghar aati jaati aur rehti bhi thi usske ghar…. Aur Mehboob ka affair tha Ruhi ke saath unn dinon, jitney raat ko Rahima nahin thi utne raat Ruhi Rahima ke bistar par soyi thi Mehboob ke saath, Mehboob Ruhi ko chodta tha Abhi!!”

Abhi ko jhatka laga aur bahot ghussa bhi aaya aur Saeed ko gaali diya Abhi ne. Abhi ne uss se kaha ke wo Bakwaas kar raha hai.

Saeed ne kaha,

“Bilkool sach baat hai Abhi, wahan ke bahot saare logon ko iss baat ka pata hai….”

Abhi: “Aur aap ko kiss ne batayi yeh baat?”

Saeed: “yeh main nahin bata sakta Abhi… tumko wo bata diya jo tumko jaanna chahiye tha…. ab samjha ke kyun mein nahin chahta tha ke tera shadi uss ladki se ho? Main tera bhalaa chahta tha iss liye main nahin chahta tha ke tu usski jaal mein fansse….”

Abhi ka sar chakraane laga tha, usske aankhon ke saamne thoda andhera jaisa chaane laga, aur phir Saeed se pucha,

“Ruhi ki tab kia umar hui hogi Saeed…. Aur Rahima ko to ussi roz wo lag wapas lekar agaye the nah?!”

Saeed: “are wo college jaati thi 12th mein thi shaayad…. College ki student thi unn dinon, bahot garmi rahi hogi uss mein, jaante hi ho college girls kaise hote hein…. Mehboob ke ghar mein usske bed par leyti hogi aur Mehboob ki wife thi nahin aur wo akeli thi Mehboob se raha nahin gaya hoga to kaam tamaam kar diya usski….. aur do hafte baad Rahima ko wapas laya gaya tha, wo do hafte tak chudwaayi thi uss aadmi ke saath jisske saath gayi thi, udhar Rahima chudwa rahi thi kissi aur se to idhar Mehboob bhi eysh kar raha tha naazuk kali ke saath….. Mehboob nahin jaana chahta tha Rahima ko wapas laane ko, ussne kaha tha wo ghar se bhaagi hai to kyun wapas lana hai ussko, magar sab ne ussko samjhaya ke chhoti Farzina ke khatir Rahima ko wapas laana padega…. Phir Mehboob ko Ruhi jo mil gaya tha iss liye usski nazar tab Ruhi par the iss liye Rahima ko nahin laana chahta tha….. magar wahan par sab ne bahot zor diya tab Rahima ko wapas laane gaye the….”

Abhi: “jiss kissi ne bhi tujhe yeh baat bataayi kia tujhe uss par yakeen aur bharosa hai? Aur ussko kaise pata chala iss baat ka? Wo kia jhankne gaya tha Mehboob ke ghar ke andar raat ko?!”

Saeed: “Dekh Abhi jo mujhe batana tha wo main ne aaj tujhe bata diya ab tu yakeen kar ya nahin yeh teri problem hai main chala ab!!”

Yeh keh kar saeed chala gaya….

Abhi paagal hone laga aur ab Ruhi ki kahi hui baat ke wo virgin nahin hai, usski ghalati ko maaf karna…. Aur khud search karne ko kaha tha ke yeh kiss ne usske saath kiya tha…. sab ghumne lage Abhi ke sar ke andar….. aur phir achanak Abhi ko yaad aya ke ek din Ruhi ne kaha tha ke “Mehboob ne hi hmm hmm hmm” kaha tha Ruhi ne…to kia yehi kehna chahti thi uss din Ruhi ke Mehboob ne hi usski virginity liya hai? Yeh Update 34 mein kaha tha Ruhi ne jab Abhi khidki ke paas Ruhi aur usski maa se baat kar raha tha aur Mehboob Abhi ko chai lene ke liye bula raha tha aur Ruhi ki maa aur Ruhi ne ussko jaa kar chai lene ko kaha tha tab Abhi ne Ruhi se kaha tha ke Mehboob ko sab pata hai unn donon ke baare mein to Ruhi ke yeh kaha tha “ussi ne hmmm hmm hmmm” (readers check kar sake hein)

Abhi ka sar jaise phatne laga tha yeh sab soch soch kar….

To be continued….
 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
very painful update bhai
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,312
12,563
158
Bahut dukh hua jaankar,
Harami mahmood ke uper pahle hi shak tha use chhodana nahi chahiye. Barbaad Karna chahiye.
Ruhi ko insaf dilao yaar kya halat ho gayi hai, kya usaki maa baap Bhai ko bhi taras nahi aata usake uper.
Shayad Navina hi kuchh karegi aisa Lagta hai, ab ruhi ko life me khushi milana chahiye.
Aur please wife ki tarah nahi to kisi aur rup me wo abhi ke Saath rah sakati hai, use bhi koi Achchha jiwansaathi milana chahiye jaise abhi ko mila.
 
Last edited:

Suparseupar

Banned
318
3,366
123

Update shaandaar hai bhai hanesha ki tarah. Aaj kitne dinon baad Ruhi saamne aayi. Magar kyun wo ek laathi use kar rahi hai? Koyi health problem hai kia ussko?
Ruhi pehchaan gayi ke Abhi hi usske baare mein puch raha hoga aur pucha ke kia usske kuch diya ussko dene ke liye. Ruhi ko pata hai hamesha Abhi yabto letter, ya gift ya diaries deta aya tha hanesha iss liye ussne socha ke Abhi ke kuch diya hoga....

Baaki bhai, kia garantee hai ke jo saeed ne kaha wo sach baat hai? Mujhe to iss Saeed par bhi bilkool yakeen nahin. Sab jhoot kaha hoga ussne. Invent karke bol raha hoga kyunke Saeed ko pata hai ke ab Abhi Ruhi se jaakar puchne wala to nahin to buss ek kahani bana diya....
Jo reference diya hai aap ne wo Ruhi ne kaha tha ke Mehboob hi inkaar kar raha hai usski Abhi se milna....
Mujhe pakka yakeen hai ke aisa kuch bhi nahin Mehboob aur Ruhi ke bich.
Anyway fantastic update......
Aap bhi readers ko bhaka dete hi bhai..... aap bahut talented writet ho aap ko pata hai kaise readers ko alag disha mein sochne k liye majboor karna hai :laugh:
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
Ruhi's words contain both sorrow and happiness. A lot changes over time. The questions that I was worried about for so many days will be answered today. I was shocked by Saeed's words, now I understand why Ruhi used to say that I am not a virgin. I was already angry at Mehboob and today I am even more angry. But I still want to know Ruhi's point.
Did Ruhi also like Mehboob? Did it happen with the consent of both or forcefully? Well I think Ruhi regrets her mistake. It is very important to talk to Ruhi. What happened to Ruhi's health? I feel very bad about Ruhi, Ruhi often used to say that happiness is not in my destiny.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:heart::heart::heart:
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
:superb::good: amazing update casi bhai,
behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
bhai aaj ke update ki jitni bhi taarif karoon kam hi hai,
ye ruhi ne apna kya haal bana liya hai,
Aakhir uske saath aisa kya hua hai jo uski aisi haalat ho gayi hai,
vahi saeed ne abhi ko naya jhatka de diya hai ki mahboob aur ruhi ke beech sambandh the,
abhi ka to dimaag hi chakra gaya hai,
ab dekhte hain ki vo kaise react karta hai,
Waiting for next update
 
Top