• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 43 Working At Another Place

Abhi ne ab rona bandh kar diya tha, lagta tha usske saare aansoo ab sukh gaye the.

Wo kuch din baad royal cinema gaya ek movie dekne, aur uss supermarket mein Mahesh ko dekha, Mahesh ne bhi Abhi ko dekha magar ek dusre se kissi ne baat nahin kiye.

Abhi ne ab apne personal diary mein likha,

“My eyes do not cry now but my heart weeps, and when the heart weeps not tears come out but only blood. My heart bleeds and I am bearing it. It is very hard, it aches, it pains, I suffer, but I got to bear. But now I do not cry, let the heart keep crying inside, no one will see that.”

*************************************************************

Agle din Abhi kaam karne gaya aur wo kaam finish kiya aur kal se ussko uss jagah kaam par jana tha jo Ruhi ke ghar se 10 kms ki doori par tha…. Jab Abhi Ruhi ki aangan mein kaam kar raha tha to yeh wala bus owner aya tha Saeed aur Abhi ko kaam karte hue dekhne aur uss ne apne bus ko repair karne ke liye kaha tha…. matlab kal se Abhi ko bus mein Ruhi ke aangan ke saamne se guzarna hoga agle 1 mahine ke liye kyunke wahan ka kaam ek mahine ke liye tha…

Aabhi ko bilkool mann nahin tha uss taraf kaam karne jaane ko aur saeed se kaha bhi magar saeed ne kaha ke uss taraf dehna bhi nahin buss ke dusre side mein baithna…. Kaam to karna hai, tum Ruhi ke aangan mein thoda hi jaa rahe ho!

Aur subha ko jab Abhi wahan se guzra bus mein to kia aalam tha, kia feeling thi, wo bayan karna bahot mushkil hai… Abhi ko turant buss se utarne ka mann kiya…. Ussi bus stop par har subha 6 baje ajata tha nah? To ussko wo nostalgic feel hua… ussko laga ke ussko wahin utarna chahiye tha, aur Ruhi ki aangan mein hi jana chahiye tha…. shukar hai ke sirf 2 mins ke liye bus uss bus stop par ruka koyi utra phir bus aage badhne laga….

Wo jo subha ka fiza hota tha jab har subha ko Abhi aya karta tha subha savere Ruhi ke khidki par uss se baat karne ke liye… wohi atmosphere ab bhi tha kyunke ussi time ko Abhi guzra tha aaj phir bus se…. ussne ek nazar Ruhi ki angan mein dekha bhi jab bus guzra to magar sirf 2 seonds ke liye wo hua, aur sirf aangan aur Ruhi ka ghar nazar aya Abhi ko, aur bagiche mein phool dikhe…. Abhi ne socha ab pura ek mahina weise guzarna hai ussko to ussko umeed tha ke ek din Ruhi zaroor dikhega ussko uss aangan mein ya garden mein ya apni kitchen ki stairs par……

Usski galiyon mein jaan chorr diya Abhi ne magar ab majbooran ek mahine ke liye kaam ke silsile mein jana par gaya Abhi ko…. Phir isske baad bilkool gaya hi nahin uss taraf saalon tak….

Magar iss ek mahine mein kafi kuch dilchasp jaankaari milne wala tha Abhi ko Ruhi se related…. Kyunke jahan ab Abhi kaam karne jaa raha tha wahan bhi George aur Sunil ayenge apne kaam karne ko ussi bus mein!!

Uss jagah kaam karne ke liye har subha aur shaam ko bus Ruhi ki main road se guzarta, aur har din do baar Abhi usske ghar ke taraf dekhta. Halaan ke kuch ab expect nahin karta tha magar ussko yakeen tha ke kissi din to Ruhi ki jhalak zaroor dikhega usse. Shaam ko hamesha Ruhi aur usski maa kitchen ke stairs par hua karte the yeh pichle dhai mahinon mein Abhi ne dekh to liya tha iss liye ussko pata tha ya to kabhi shaam ko ghar lautte waqt ya subha ko Ruhi ko baad mein zaroor dekhega….

Aur hua wohi in 30 dinon mein 5 baar Abhi ne Ruhi ko stairs par dekha, sirf kuch pal ke liye aur 2 din subha ko kaam par jaate waqt baagh mein phool todte hue dekha Abhi ne… usske dil par kia guzra, kaisa feel hua ussko kia bayan karne laayak hai? Nahin. Bilkool bhi nahin. Phir bhi jaan lo ke Abhi ko turant bus se utar kar Ruhi ke paas jaane ko mann kiya uss se sirf ek sawaal karne ka mann kiya ke kyun uss din wo nahin nikli jab Manoj ussko dhitkaar raha tha…..

Pehli baar jab subha ko Abhi ne Ruhi ko dekha to khud se kaha ke ussko bus se utar kar jaana chahiye tha wo sawaal puchne, magar nahin gaya to socha phir kabhi subha ko wo dikhi tab Abhi zaroor utrega bus se aur jaega uss se puchne.

Aur jiss din dusri baar ussne Ruhi ko dekha garden mein to Abhi bus se utra, chal kar usski aangan tak gaya, Ruhi ko dekha, magar turant wapas bus stop par laut gaya….. usse himmat nahin hui uss aangan mein apne kadam rakhne ki…..

Aur ek din subha Abhi kaam par jaate waqt bus ke andar se Manoj ko dekha main road ke kinare khade aangan ke paas, aur Manoj ne bus ke andar dekha aur usski nazar Abhi par pada, bus aage ke bus stop par ruka aur shaayad Manoj ne socha ke Abhi phir wahan araha hai, to wo wait karne laga dekhne ko ke kaun bus se utar raha hai, aur bus ke andar se mudhkar Abhi bhi Manoj ko dekh raha tha, Abhi samajh gaya ke Manoj yehi soch raha hoga ke wo wahin araha hai phir se usski behen se milne ke liye, Manoj ka chehra uss waqt thoda fikarmand lagne laga tha….. magar bus restart hua aur jaane laga aage badhte hue, to Manoj ko pata chala hoga ke Abhi kahin uss taraf kaam kar raha hoga….

Ab Abhi ne dil hi dil mein socha kia pata Manoj ko uss din ke vyohaar ke liye afsos hai aur wo chahta tha ke Abhi phir aye aur wo Abhi se maafi maange aur uskso Ruhi se milaa de…. Kia pata ke Manoj par sab ne milkar chilaaya hoga, kia pata ke Ruhi ne uss se baat karna chorr diya hoga uss din ki vyohaar ki vajah se aur tab Manoj ne Ruhi se kaha hoga ke thik hai Abhi iss baar ayega to uss se maafi mang lunga aur tum mil lena uss se….. Abhi optimist aadmi tha to hamesha bhala hi sochta tha, positive hi sochta tha iss liye usske liye sab sahi ho sakta tha….

Aur unn 30 dinon mein jab Abhi ne us taraf kaam kiya total mein mein 7 baar Ruhi dikhi aur ek baar Farzinah ko bhi dekha Ruhi ki kitchen se nikalte hue magar sab se jiada ek din Ruhi ko tab dekha jab shaam ko jaate waqt ek truck ruka huya tha bus ke aage traffic block the aur bus thik Ruhi ke aangan ke saamne ruka tha koyi 4 mins tak….. Abhi seedha Ruhi ke kitchen ki stairs ko dekh raha tha apne chehre par rumaal rakh kar aur Ruhi ki maa dikhi thi stairs par, phir Mahesh dikha tha aur phir Ruhi dikhi thi stairs par aur wo seedha bus mein hi dekh rahi thi… bus se usski stairs tak ka faasla koyi 12 metres ka hoga…. Ruhi udaas kadhi dekhti rahi Abhi ke taraf, magar pata nahin Ruhi ne Abhi ko bus ke andar pehchaan liya tha ya nahin…. Jiss nigaah se Ruhi dekh rahi thi lagta thar ro padegi, Abhi ne apne chehre ko rumaal se dhankka hua tha, usske khud ke aankhen bhar aaye Ruhi ko dekh kar aur kyunke 4 mins tak mauka mila ek dusre ko dekhne ke liye, to Abhi ke mauke ka faeda uthaate hue ussko dekhta gaya, ab Ruhi ne shayad Abhi baal se, usske peshaani se, usske rang se Abhi ko pehchaan liya tha, issi liye khadi dekhti rahi jab tak bus aage nahin badha… Ruhi stairs par khade hokar apne kaandhe aur sar ko darwaze se tika diya tha bus mein dekhte hue…. Aur jaise usski aadat thi jab bus jaane laga to Ruhi ne aasmaan ko dekha aur… Abhi ko yakeen tha ke usske baad usski aankhen bhar aaye honge kyunke jab bhi wo weisa karti thi usski aankhen bhar aate the….. pata nahin kyun wo weisa karti thi…. Sar upar uthaakar aasmaan ko dekhti aur sar wapas jhukaati to usski aankhen bhare hote…. Pichle dhai mahinon mein Abhi ne Ruhi ko weisa karte 20/25 baar dekha hoga…. Abhi ne jaate hue bus mein socha ke shaayad ab Ruhi iss waqt usse dekh kar unn dinon ko yaad karne lagi thi, aur ho sakta hai Ruhi pray kar rahi hogi ke kaash Abhi bus se utar kar wahan aajaye…hakikat mein Abhi ka mann wohi chahta tha, ussko turant bus se utar kar bhaag kar wahan jaa kar Ruhi ko apne baahon mein jakarne ka maan kar raha tha….

Agar uss din Manoj ne uss tarah se Abhi ko nahin nikala hota, at least ache se araam se baat karke ussko wapas jaane ko kaha hota ya ek dosti banaaye rakhne ko kaha hota to aaj Abhi zaroor Ruhi se as a friend to milne jaata!!

Ye sab sochte hue Abhi uss din Ruhi ki yaad mein ghar pahuncha aur phir se usski yaad mein peene gaya….

*********************************************************************

Kaam mein jiss din Sunil se mila Abhi to Abhi uss se baat nahin kar paaya, ro diya Abhi ne usse dekhte hi… aur yehi din tha jab Sunil ne Abhi ko bataya ke uss din Ruhi ki maa ne Sunil se kia kaha tha aur uss din Sunil ussko nahin bata paaya tha kyunke Mehboob wahin tha to Sunil nahin chahta tha ke uss waqt Abhi aur Mehboob mein ladaayi ho. Sunil ko pata tha ke abhi hot tempered hai aur wo bardasht nahin kar paata aur ussi waqt wo Mehboob se lad leta…. Magar ab sab bataate waqt sunil ne kaha,

“Mujhe ussi waqt tumko shayad bata dena chahiye tha, aur sab ussi waqt saamne aajata to shayad aaj Tuhi teri hoti, tu shor machata, ghussa karta Mehbob se ladta magar tab Ruhi aur usski maa ko sab pata chalta to shayad tab Ruhi tumse aur khush hoti ke tum ussko paane ke liye lad baithe the….”

Sunil ne bataya ke uss din Ruhi ki maa ne uss se kaha tha ke Mehboob ne ussko kaha tha ke Abhi Ruhi ke liye thik ladka nahin hai, Abhi kaam nahin karta bekaar hai, Abhi sirf saeed ke kehne par kaam karne aya hai aur yahan sirf Ruhi ki vajah se regularly kaam par araha hai, varna jahan bhi kaam karta hai hafte mein do din kaam karta baaki ke din mauj masti karta hai, upar se gharib hai, bahot gharib hai, Ruhi ko wo khush nahin rakh paega, Ruhi usske ghar mein kabhi khush nahin rahega usski do behnein hein aur 4 bhai, ghar chhota hai kahan rahegi Ruhi ek kamre mein 4 bhaiyon aur do behnon ke beech? Dhang ka kam hi nahin to Ruhi ka kia haal hoga uss ghar mein…..

Aur sunil ne yeh bhi bataya ke Ruhi ke saamne yeh sab kuch kaha tha aur Ruhi se bhi kaha tha ke khabardaar uss se ziada baat kiya ya ussko badhawa diya to…. Abhi se door rehne ko order diya tha Mehboob ne.

Abhi ne sab sunte hue Sunil se pucha,

“bhai itna bata sakte ho ke yeh hua kab tha? kab Mehboob ne yeh sab kaha tha Ruhi aur usski maa se? usski nani ke ghar jaane se pehle ya baad mein?”

Sunil: “yeh to exactly nahin pata bhai, magar yehi sab kaha tha uss din usksi maa ne mujhse jiss din Ruhi tere gale milkar ro rahi thi jab tere ungli mein dawa laga rahi thi”

Abhi: “yaar yeh sab baatein kyun Mehboob ne kaha tha Ruhi aur usski maa se? yeh sab to bilkool JHOOT hai yaar!”

Sunil: “ab sun Abhi aur ek baat hai jo mujhe kehne se daarr lag raha hai, pehle mujhe promise kar ke tu chhup rahega aur kissi ko kuch nahin batayega aur nah kuch kahega… bilkool ek intelligent aadmi ki tarah baat sun aur buss aisa behave karna ke tujhe wo baat bilkool pata hi nahin….”

Abhi ne promise kiya ke chhup rahega aur buss aisa karega ke ussko kuch pata hi nahin, tab sunil ne kaha,

“Abhi yaar, sab tere Saeed ji ka kiya karaya hai…. Ek din Saeed aur usski maa mein baat hui thi. Ruhi ki maa ne saeed se pucha tha ke tu kaisa ladka hai iss liye ke usski beti tujhse pyar karne lagi hai…. Shuru mein Saeed ne kaha tu thik ladka hai magar baat karte hue Saeed ne kaha ke tu kaam nahin karta, bhagta rehta hai kaam se sirf yahan Ruhi ki vajah se har roz kaam par ata hai aur tera ghar chhota hai, tere kitne bhai behen hein aur Ruhi ko utne saare logon ke saath tere ghar mein rehna padega…. Matlab saeed ne Ruhi ki maa ko tere ghar mein beti dene se discourage kiya tha, aur yehi sab batein saeed ne mehboob ko bhi bataya tha… aur donon Mehboob aur saeed ne milkar tera patta kata hai bhai!”

Abhi: “Yaar main har roz wahin rehta tha kab unn logon ne itne saare baatein kar liye the Ruhi ki maa ke saath yaar?!

Sunil: “jab tu lunch time mein Ruhi ke saath hua karta tha ghar ke piche tab teenon udhar aapas mein baat kiya karte the Abhi, wo main ne bhi dekha hua hai!! Unn dinon main samajh raha tha ke sab yehi baat karte the ke tu aur Ruhi chhup chhup kar milte ho etc….”

Abhi rone laga yeh sab sunkar aur aaj Abhi ko sunil ka kaandha mila rone ke liye….

Baad mein sunil ne kaha,

“Mujhe pata chala ke tu gaya tha wahan aur Manoj ne tujhe wapas bheja, sab bataya mujhe usski maa ne yaar bahot afsos hua mujhe…”

Abhi: “usski maa ne tujhse uss din ke baare mein aur kia kaha Sunil mujhko sab sach sach bata please, meri Ruhi kahan thi wo kyun nahin aayi thi yaar?”

Sunil: “bhai detail nahin diya ussne, buss kaha ke tu aya tha aur Manoj ne tujhse buri tarah baat kiye aur tu bina kuch bole chala gaya… kaha ke sab log naraz iss liye the tujhse ke tu usski chachi ke ghar gaya tha baat karne kyunke wo log uss chachi ko bilkool passand nahin karte, uss chachi ne pata nahin kia aag lagaya tha ke Ruhi ki maa, baap aur manoj bhadke hue the, itna pata chala ke uss roz Ruhi bahot ro rahi thi au usski maa ne ussko tujhse milne ko mana kiya tha aur usske pita ne bhi, issi liye pita tujhse milne nahin aya tha kyunke tu usske bhai ke ghar gaya tha….”

Abhi: “kamaal hai yaar khud apni beti ko us chachi ke ghar rehne ko bhejti hai aur ussko passand nahin karti? Ruhi ki maa ne khud mujhe bataya tha ke Ruhi usske ghar rehne gayi hai jaise mujhe Ruhi se milne ka ishara kar rahi thi last day ko…. Khud manoj bekaar hai apne ussi chacha ke supermarket mein kaam karta hai aur ussko passand nahin karte weh log?!”

Sunil: “Abhi yaar hota hai nah family mein, log ek dusre ke tarraki se jalte hein to wo sheher wala chacha aur chachi well off hein to inn logon ka jalta hoga khaas kar Ruhi ki maa ki….”

Abhi: “bhai kia aage kuch ho sakta hai? Tu mere liye kuch kar sakta hai?”

Sunil: “Abhi meri baat maan to tu bilkool bhool ja Ruhi ko, nikaal feink apne dil se ussko, tujhe bahot saari ladkiyan mil jaenge yaar!”

Abhi: “bhool to nahin paunga bhai, pyar bhi karta rahunga umar bhar…. Milna likha hai kismat mein to milegi…. Varna aise hi kaat lenge zindagi ko yaar kaun si badi baat hai….”

Sunil: “haan 4th ko main bhi gaya tha picnic sab ke saath Ruhi bhi thi aur Ruhi se pucha tha main ne kia tujhse sach mein pyar karti hai, haan kaha tha ussne sharmaate hue aur kaha tha ke tumne uss se likha tha ke tu,3,4, ya 5 ko usske ghar ane wala hai, aur ussko fikar thi ke kahin to 4 ko nah jaaye wahan kyunke sab sea side par the… aur Ruhi ne tere baare mein kaafi baaten kiye the George ke saath, mujhe aur George ko pata tha ke tum aur saeed yahan iss bus mein kaam karne ane wale ho to main ne George se kaha ke tu jab yahan uss se milega tab wo tujhe bataaye ke Ruhi ne kia kaha ussko tere baare mein, to kal ya parson George iss bus ki engine ko check karne aaega to wo tujhe bataayega…..”

Abhi: “George se kia baat kiya Ruhi ne mere baare mein? Aur kyun?”

Sunil: “are wo sab dekhti thi nah ke tum kiss kiss ke dost ho? to Ruhi ko zaroor pata tha ke tum George ka acha dost ho issi liye ussne usske saath tere baare mein baat kiya shayad koyi message bhi diya hai George ko tujhe dene ke liye!!”

Abhi ko Khushi bhi hui gham bhi yeh jaan kar ke Ruhi ne koyi message bheja hai George ke saath, magar it’s too late kaha Abhi ne….. agar message 5 tariq se pehle milta to koyi baat hoti ab to bahot der ho chuka hai….

****************************************************************

George mila do din baad to Abhi ne uss se baat kiye.

George ne kaha,

“Ruhi ko pata nahin kaise pata tha ke tum aur hum dost hein, main khud keyraan hua jab picnic wale din ko wo mere paas aayi aur pucha ke kia mujhe pata hai ke Abhi kahan rehta hai….”

Abhi heyraan hua aur George se pucha,

“magar kyun mera pata pucha tumse George?”

George: “are pata nahin pucha, ussne mujhse kaha ke tum ne ussko kaha tha ke 5th tariq ko tu wahan ane wala tha to ussne mujhse kaha ke tum ko bol dun ke 5th ko nahin ane ko wo baad mein bataegi ke kiss din ko ana!”

Abhi: “What? 5th ko nahin ane ko kaha? Are yaar to tu ne mujhe contact kyun nahin kiya kissi tarah se bhi yaar? Mujhko bata dete nah yaar kissi tarah se bhi George?!”

George: “bhai 4th tariq ko der saam ko hum ghar laute picnic se… mujhe iss liye chalne ko kaha tha ke kahin bus ki engine mein koyi problem ho to main bana sakun….. ab raat ko kaise main idhar se tere paas ata? Main ne socha ke 5th ko subha ek dost ki car lekar tere ghar aakar tujhe bataunga, magar itna baarish hone lagi thi ke nikalna namumkin tha yaar!”

Abhi: “yaar George pata nahin kyun aane se mana kiya tha 5th ko?! Kuch to baat hui hogi nah….. to kia tumne uss se kaha tha ke tu mujhe bata dega?”

George: “nahin main ne uss se kaha ke main bahot door rehta hoon, ussne mujhse pehle pucha ke kia main tera ghar jaanta hoon kidhar hai, to main ne kaha ke haan jiss raat ko last din bus complete hue the to hum tujhe chorrne gaye the to tera ghar dekha tha. tab ussne kaha ke kia main ussko madad kar sakta hoon kyunke main tera dost hoon to madad karna padega to main ne kaha ke haan madad karunga….. main ne socha tha ke koyi letter vaghaira degi tujhe dene ke liye, magar jab ussne kaha ke tujhse milkar tujhe batana hoga ke agle din tujhe nahin ane ko wahan to main ne usse bataya ke naamumkin hai, kyun ke kal 5th hai aur aaj 4th to ek din mein kahan se jaa paunga tujhe bataane ko…. To wo samajh gayi ke nahin ho paega…. Phir bhi main ne socha tha ke agle din subha ko main ata tujhe bataane…. Magar baarish ki vajah se nahin aaya.”

Aaur kuch pucha ya kaha tha mere baare mein ussne tujhse George?

George: “hmmm pucha tha ke tera ghar kaisa hai hehehehe!”

Abhi ne muskuraate hue pucha,

“aur tum ne kia kaha?”

George: “main ne kaha raat ke 1 baja tha to thik se nahin dekha”

Abhi: “phir kia boli?”

George: “pucha ke concrete ka ghar hai ya tin aur ladki ka!”

Abhi: “Aur tum ne bola??”

George: “haan main ne bata diya ke concrete ka bada ghar hai aur main road par hai.”

Abhi: “tab kia boli?”

George: “khush dikhi aur muskura diye, tab ussko usski maa ne bula liya.”

Abhi heyraan aur pareshan hua ke aakhir kia baat hui hogi.

Phir kuch der baad George ne kaha,

“Abhi wo ladki tujhe bahot pyar karti hai, ussko dhoka mat dena, tu usske saath bahot khush rahega.”

Abhi: “tujhe nahin pata kia hua hai George?”

Tab sunil ne George ko sab bataya jo 5th tariq ko Abhi ke saat hua…..

George heyraan hua aur yaad karte hue kaha,

“Magar Ruhi ne to mujhse kaha tha ke usska chacha aur chachi against hai magar usske gharwale raazi hai.. aur haan sun Abhi, ek baar wo Reza Ruhi ko kuch bol raha tha to Ruhi ne ussko ghusse mein gali diya tha aur shut up kaha tha uss din.”

Abhi: “chorro yaar ab yeh sab baatein mere kiss kaam ka sab khatam ho gaye hein….”

George ne aur yaad karte hue kaha,

“haan ek baar jab hum wapas arahe the to bus mein Ruhi ne mujhse kaha ke ‘abhi bahot acha ladka hai, nek hai, honshiyaar aur bahot tez hai hai nah?’ to main ne uss se kaha haan sach mein tez hai, intelligent hai, tumhare liye bahot sahi hai, tum donon ki jodi bahot achi rahegi”

Abhi: “tab kia boli?!”

George: “hanssi bahot khush thi aur thank you kaha.”

Abhi: “George to kishton mein kyun bata raha hai sab bata nah aur kia kia kaha tha Ruhi ne tujhe?!”

George: “Buss yehi kuch aur yaad aega to bolunga nah!”

Abhi ko bahot Khushi hui, ussko yakeen tha ke usska pyar kabhi ghalat nahin ho sakta, Abhi ko pura yakeen tha pehle se hi ke Ruhi uss se bahot pyar karti hai….. magar ab kia faeda…..

To be continued….
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 44 The Diaries

January 5th se Abhi ne shave nahin kiya tha 20 din ho chuke the aur wahin kaam kar raha tha 10kms Ruhi ke ghar se door. Sabhi uss se kehte the shave karne ke liye, magar Abhi shave nahin kar raha tha. Dadhi badh gaya tha usska, look alag lag raha tha, thoda aur bhi tough look ho gaya tha usska uss daadhi se.

Ek Saturday ko Abhi Uss sheher mein gaya dekhne ke kahin Ruhi nah mil jaaye kyunke Saturdays ko wo jaati thi sewing course ke liye nah. Magar address bilkool pata nahin tha Abhi ko phir bhi uss jagah wait karta jahan se Ruhi ke ilakae se ane wala bus rukta passengers ko utaarne ke liye. Ruhi Karib 9 se 9.30 ko ghar se nikalti thi to 10 se 10.30 ko wahan reach hoti hogi aisa anumaan lagaya Abhi ne aur uss terminus par 9 baje chala gaya aur 12 baje tak wait kiya magar Ruhi nahin dikhi….

Phir aur do Saturdays ko gaya wait karne magar nahin mili Ruhi usse.

Abhi ne socha tha ke uss se milkar puchega ke kyun wo nahin chahti thi ke abhi 5th ko usske ghar aaye, aur puchta kia ab bhi uss se pyar karti hai ya nahin aur agar Ruhi haan kehti to Abhi ne soch liya tha ke Ruhi ko udhar se utha lejaega apne ghar aur uss se shaadi kar lega tab usske parents ko batayega…. Magar Ruhi mili hi nahin, shayad ussne wahan jaana bandh hi kar diya…

Phir bhi Abhi 4 mahine baad ek Saturday ko aur gaya tha dekhne ke kahin Ruhi dikh jaaye magar nahin dikhi aur usske baad Abhi kabhi bhi nahin gaya wahan ussko wait karne.

Aur weise hi ek din Mehboob mila Abhi ko ussi terminus par. Abhi khada tha ek pole se tek lagaaye jab Mehboob usske paas aakar usske kaandhe par chhua aur pucha,

“hello Abhi kaisa hai?!”

Abhi ko itna ghussa aya ke ussko gaali dene ka mann kiya, magar Abhi ne buss kaha ke thik hai; to Mehboob ne kaha,

“Tumne daadhi kyun badha rakha hai?!”

Abhi ne koyi jawaab nahin diya ek taraf dekhta raha to Mehboob wahan se nikal liye….

Abhi kissi se baat karne mein interested nahin tha, ghar par bhi kissi se baat nahin karta tha, 5th January se february mein kayi din nikal chuke the Abhi khamosh rehne laga tha… nah doston se milta, naa baahar jaata nah kissi se baat karta….

Ghar mein Naina affect ho rahi thi to ek din naina ne rote hue Abhi se pucha,

“main ne tera kuch bigara hai kia? Mujhse kyun baat tak nahin karta tu? Kitne din ho gaye jab tumne mujhse aakhri baar baat kiya tha yaad hai bhai?!”

Abhi usske gale lag kar rone laga…..

Ab bhi dard baaki tha Abhi ke seene mein. Ab bhi Ruhi ki yaad sata raha tha usse. Ab bhi tadapta tha usski yaad mein magar kissi se kuch kehta nahin tha.

Apni ghar wale diary mein din ginta tha ke kitne din hue jabse apne diaries ko Ruhi ke ghar chorra tha, intezaar mein tha ke kissi se koyi khabar mile usske baare mein…. Aur uss taraf ke kaam ka aakhri din tha, to sunil se Abhi ne kaha,

“yaar mere liye ek kaam karega please?”

Sunil: “tere liye jana haazir hai Abhi bol tu!!”

Abhi: “ek kaam kar yaar, Ruhi se milkar puch kia ussne meri diaries padhe ya nahin? Magar nah usski maa, na usske bhai na kissi aur ke saamne puchna yeh baat…. Bus itna puchna, mujhe jawaab buss haan ya nah mein chahiye…. Aur ek koyi bhi nahin puchna!”

Sunil: “Magar Abhi aaj to last day hai yahan, to kab aur kaise tumko bataunga?”

Abhi: “tumko apna address likh kar deta hoon mujhe ek chithi daal dena yaar itna kar sakega kia?”

Sunil raazi hua aur Abhi ne ussko apna address likh kar de diya.

Udhar ka kaam khatam hua to ek hafte tak Abhi ghar par raha. Kahin koyi aur kaam nahin mila tha. Abhi ko ab saeed se nafrat ho gaya tha jab ussko pata chal gaya ke ussne kia kia kaha tha Ruhi ki maa se….

Wo usske saath kaam nahin karna chahta tha.

Abhi ab kuch bada sochne laga tha. Soch raha tha ke kaise uss sapne ko pura karen…. Wo uss bandh garage ko kholna chahta tha aur tamaam unn ex workers ko wapas garage mein kaam karne ko lana chahta tha….

Garage mein seal laga hua tha, sab liquidation par jaane wala tha tamaam machineries etc. matter court mein receivership mein tha. Abhi ne suna tha ke koyi dusre bade company wala sab kharidne wala tha. Usske liye karoron Rupay ki zaroorat chahiye the aur Abhi ke paas der lakh tha sirf.

Phir bhi Abhi ne search karte hue ek aadmi tak pahucha jo broker tha garage aur receivership walon ke beech ka. Usska naam tha Samioullah. Ghatiya kissam ka broker tha. Khud likhna padhna ata to tha nahin aur Abhi ko samjha raha tha.

Aakhir mein bahot saare kagzaat diya ussne Abhi ko dekhne aur padhne ke liye aur pata chala 1.5 crore rupay lagaya gaya tha receivership walon ke taraf se garage kharidne ke liye. Wo dekh kar Abhi hataash gaya aur wapas ghar chala gaya. Ussko laga ke yeh impossible hai usski buss ki baat nahin…..

Sunil ka khat aya ke ussko Ruhi ne kuch nahin bataya. Koyi jawaab nahin diya diaries ke baare mein puchne par bhi.

Ruhi ka ghar, desh ke east mein tha. aur jiss jagah last time 1 mahine ke liye Abhi ne kaam kiya tha wo bhi east mein hi tha magar 10 kilometres baad mein. Aur ab ek kaam mila tha aur ek mahine ke liye saeed ke saath hi jo east mein tha magar iss baar Ruhi ke ghar se 10 kilometres pehle.

To wahan Abhi ne kaam shuru kiya aur Khushi ki baat yeh thi ke Sunil hi uss bus ki painting ke liye aya tha.

Aur ab baat chali Abhi ki di hui diaries ki. Yeh baat saeed ko bhi pata chal chuka tha. Saeed ne Abhi se kaha,

“Mehboob mujhse mila tha aur ghussa tha ke tumne usske ghar jaakar usski wife ko kuch diya tha Ruhi ko dene ke liye!!”

Abhi ko shock laga!

To be continued…. (4807 words from both updates)
 
Last edited:

Nayan Radhee

Banned
773
5,607
123

itna kuch ho gaya?
Ruhi kyun mana kar rahi thi 5th ko aane ke liye?
kia hua tha? yeh kaise pata chalega ab?
sla mujhe pehle se shak tha uss saeed par
pata hai kyun mujhe shak tha kyunke saeed ko dikh gaya tha ke Abhi uss se badhkar hai sala 75k wale kaam ko Abhi ne 3 lakh ka karwa diya tha tabhi se mujhe shak ho gaya tha uss chutiye saeed par
chalo acha hua ke ab Abhi ko pata hal gaya umeed hai ke sabak seekhaega abhi ussko
great update Casi bhai
 
dhat yeh ab kia ho gaya?
mehboob ko diaries mil gaye?
matlab ruhi ne padha hi nah?
kia rahima ne dhoka diya ya hua kia bhai? :verysad:!
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Fantastic updates sir
 
Top