• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 39 Christmas Day And After

Subha 6 baje Abhi ki neend tut gayi aur wo bechain feel kar raha tha. Ussne apne diary liya aur beete dinon ko padhne laga jo ussne Ruhi ki aangan mein guzare the. Abhi ne apne diary ko aaj lock kiya apne drawer mein.

Baad mein Abhi gaya apne close ke sheher aur ghar mein sabke liye gifts kharida aur wapas ghar aakar sabko gifts diya to Naina aur Abhi ki maa ne sab bataane ko kaha ke kia hua Ruhi ke saath kal. Abhi nahin batana chahta tha aur apni diary ko lock kar diya tha apne drawer mein to Naina ne nahin padha tha.

Aakhir mein Abhi ne ne sab bataya apni maa aur Naina ko. To naina ne ussko uss sheher mein jaane ko kaha jahan Ruhi ke chacha ka supermarket tha.

Aur haan Abhi gaya….. Uss sheher mein Abhi ne bahot waqt guzaare the doston ke saath aur wahan ke tamaan jagahon ko pehchaanta tha iss liye ussko dhundne mein bilkool time nahin laga Ruhi ke chacha ka supermarket ko.

Andar gaya uss se mila. Wo tha Ganpat. Abhi ne pucha kia wo Manoj ka chacha hai, to ussne haan kaha aur donon ne koyi 10 minat tak baat kiye. Kyunke Abhi ne Manoj, Mahesh, Ruhi ka naam lete hue baat kiya to chacha samajh gaya ke wo sabhi ko jaanta hai so uss ne khul kar baat kiya Abhi se.

Abhi ne uss se pucha ke wo akele kyun hai, aur worker hone chahiye the to ussne jawaab diya ke public holiday hai, to aaj ziada kaam nahin hai, kal raat ko bahot bhid tha to Manoj aur usski behen usske saath the raat ko barah baje tak…..

Abhi wapas ghar agaya kyunke wahan Ruhi nahin dikhi. Ussko jagah ka pata to chal gaya ab kabhi bhi jaa sakta hai ussne soch liya tha.

Ghar par Abhi sirf Ruhi ki yaadon mein khoya raha din bhar, unn haseen lamhon ko soch raha tha jo ussne Ruhi ke saath bitaaye the…. Ruhi ki yaadein chorr hi nahin raha tha ussko bilkool. Ruhi ki muskurahat, usski Abhi ka jeeb se chedhna, usski awaaz sab Abhi ko yaad arahe the… laakh koshish ke baad bhi usske dimaagh se wo hatt hi nahin rahe the…

Pichle der mahinon tak lagataar kaam karne gaya tha Abhi, ek din bhi rest nahin kiya tha, bahot thakaan tha to din mein bed par rest kar raha tha ke aankh lag gayi aur 6 ghante tak sota raha, aur raat ke 8 baje sokar utha…. Sapnon mein Ruhi ko dekha.

Dekha ke Ruhi ussko bula rahi hai, muskura rahi hai aur keh rahi ke ke kyun ussko akeli chorr kar chala gaya Abhi. Ruhi phir rone lagi aur apni maa ke seene se lag kar keh rahi hai ke Abhi ne ussko chorr diya, uss se Abhi ko wapas bulaane ko keh rahi hai rote hue….

Abhi ne socha kia pata sach mein Ruhi ussko yaad kar rahi hogi aur chah rahi hogi ke Abhi wapas uss se milne aaye….

Abhi ne soch liya ke kal phir jaega Wahan uss supermarket mein Ruhi se milne, ya iss baar puchne ke Ruhi kidhar hai…. Uss se milna hai usse….

Abhi ne likha apne diary mein….

“I ask myself how to forget her? How to forget those days, those moments? The words she spoke, her laughs, her voice, her tears, her behaviour….. She is a part of me now. How to forget a part of myself? It’s impossible. I CAN’T. I CAN’T. I am suffering. My heart is aching, it’s torn to pieces. I want to see her, to talk to her, to hold her in my arms, to smell her. I want to see her smile, I want to see her laughs, to hear her sweet voice, to see her pretty face… oh God help me please….”

Aur dusre din ko Abhi phir gaya uss supermarket ke taraf…. Magar jaane se pehle Abhi ne uss kitab ko liya jo Ruhi ne ussko wapas kiya tha kal… kitab ke pannon ko aise hi palatte hue Abhi ko ek chota sa kagaz ka tudka mila jiss par Ruhi ne kuch likha tha….

Always Sincere love are memorable

But don’t know why fate does not want me to be

Happy.

In the end I always lose. signed -R.N.

Abhi ke naam par likha tha Ruhi ne. Ussko padh kar Abhi bahot khush hua kuch pal ke liye; magar turant baad Ruhi ko bahot miss karne laga, uss se milne ke liye Abhi machal gaya aur jaane ke liye tayaar hua…. Radio par yeh gana baj raha tha jo Abhi ke situation ko suit kar raha tha,

“Har subha bahot yaad ata hai

Har shaam bahot yaad ata hai

Koyi naam, koyi naam, koyi naam

Bahot yaad ata hai….”

Abhi tayaar hua aur dil mein Ruhi ko basaaye; gaya uss sheher mein.

Supermarket ke paas reach hua to baahar se hi Abhi ne dekha ke Manoj newspaper padh raha hai, aur usska baap bhi wahan baitha hua hai…. Magar Ruhi wahan nahin thi…. Abhi andar nahin gaya, baahar se hi mudh gaya…. Aur aise hi sheher mein ghumta raha ghanton bhar iss umeed se ke kia pata Ruhi dikh jaaye ussko….

Koyi ek ghante baad Abhi wapas gaya supermarket ke paas aur ek aurat dikha counter ke uss taraf wahan…. Abhi andar ghussa aur uss aurat se pucha,

“kia aap Manoj ki chachi ho?!”

Uss aurat ne kaha, haan wohi Manoj ki chachi matlab Ganpat ki wife hai…

To Abhi ne uss se Ruhi ke baare mein pucha, to ussne kaha ke haan Ruhi ussi ke ghar reh rahi hai magar Abhi kyun wo sab puch raha hai uss aurat ne pucha… Aur Abhi ko sab kuch batana para….

Abhi ne jab sab kuch usske aur Ruhi ke baare mein bata diya to sandesha bheja Ruhi ke liye usski chachi se, kaha ke Ruhi se keh dena mujhe ussko dekhne ki bahot tamanna thi isi liye idhar aya hoon….. itna keh hi raha tha ke Manoj daakhil hua andar Shweta ke saath…. Shweta ussi aurat ki beti thi matlab wohi Ganpat chacha tha jisski beti Shweta hai, aur Manoj ne Abhi ko usski chachi se Ruhi ke baare mein baat karte hue sunkar muskuraya apni chachi ke taraf dekh kar, aur Shweta ne zor se wohi, “Abbhhhiiiiiiii” kehte hue Abhi ke gale mein jhul gayi aur usski maa dekhti reh gayi…

Shweta ki maa ne kaha,

“Shweta tum kaise jaante ho issko?!”

Shweta: “Mummy yeh wahan kaam karta tha nah, jahan Ruhi rehti hai, to main mila tha Abhi se mera friend hai Abhi”

Jiss nazar se Ruhi ki chachi dekh rahi thi Abhi ko laga ke ussko passand nahin araha tha ke Abhi ne usski beti ko liya hua hai to Abhi ne Shweta ko niche utaar diya, aur ussko ek kissy dekar jaane laga to Shweta ne kaha,

“Abhi main new year ko wahan aungi tab aap se milungi wahan….”

Abhi ke aankhen bhar aaye aur mudhkar Shweta se kaha,

“Baby ab main tumko wahan nahin dikhunga kabhi bhi!”

Shweta bechari kia samjhegi ke bus ka kaam khatam ho gaya to Abhi ka wahan jana bhi khatam hua….

Shweta ne pucha,

“kyun? New year ko aap wahan nahin aoge Ruhi di se nahin miloge aap New Year ko?”

Abhi nah mein sar hillate hue nikal gaya wahan se…. aur aansoo ponchte hue gaya bus lene, ghar wapas jaane ko.

Abhi ne address pucha tha Ruhi ki chachi ki to sirf ek road ka naam diya tha ussne Abhi ko. Abhi ke liye wo kaafi tha kyunke wo uss road ko jaanta tha ke kidhar hai, aur Abhi ne soch liya tha ke uss road mein jab Ganpat Nunhuck ko talaash karega to logon se pata chal jaega ke usska ghar kidhar hai aur wo Ruhi se mil paega.

Dusre din subha ko, Abhi ne sabse pehle apne penfriends ke khaton ka reply likha, pichle der mahine se ussne kissi ko koyi jawaab nahin diya tha, France ki Pascale aur Scotland ki Jennifer ko reply likha ussne, aur local ke do ladkiyon ko bhi reply kiya Abhi ne aur gaya post office letters ko post karne.

Tab Abhi gaya Ruhi ki talaash karne uss sheher ki uss road mein jo Ruhi ki chachi ne bataayi thi Abhi ko. Pehle Abhi gaya supermarket ke paas aur baahhar se Manoj aur usske chacha ko dekha andar, kuch der wait kiya ke kahin Ruhi idhar udhar to nahin hai, aadhe ghante tak wait karne ke baad jab Ruhi nahin dikhi to uss road mein gaya Abhi dhundne Ruhi ke chacha ke ghar ko. Jiss road ka naam kal Usski chachi ne diya tha wo road 5 kilometres ki lambaayi thi, ab uss mein kiss taraf wo ghar tha wo dhundna asaan kaam nahin tha magar Abhi ne thaan liya tha to shuru kiya ussne road ke start se ek ek kar ke logon se puchta gaya ke Ganputh Nunhuck ka ghar kidhar hai….. kissi ko pata nahin tha….. shaam ke 1 baje se shaam 6 baje tak Abhi ne pura road paidal chal kar puch liya magar kissi ko nahin pata tha ke koyi Anirud Nunhuck naam ka rehta tha udhar…. 6 ghanton tak chalte chalte Abhi ke peyron mein dard ho gaye the, wo bilkool mayus ho gaya tha aur samajh gaya ke uss aurat ne jhoot bola hoga uss se….. ab itni badi sheher mein kidhar rehte honge wo log Abhi ko kaise pata chalta?...

Thaka haara Abhi ghar wapas pahuncha bina kissi result ke…..

Diary mein likha ke apni life mein aaj pehli baar Abhi ne 5 ghanton tak chal kar kissi ki ghar ko dhunda aur ghar mila hi nahin…. Ruhi ki yaad ussko satata gaya…

Agle din Sunday tha aur Abhi gaya supermarket mein aur khud Ruhi ke chacha se mila aur pucha ke wo rehta kidhar hai, aur ussne ek dusre road ka naam diya!! Abhi dang reh gaya…. Usski wife ne jhoot bola tha Abhi se.

Ab jiss road ka naam Ruhi ke chacha ne diya uss road mein Abhi ka ek purana dost rehta tha to Abhi gaya direct uss dost ke ghar aur pucha ke kia wo uss supermarket ki owner ka ghar janta hai jisski wife ek nurse hai…. Dost ne kaha haan usske ghar se 5 ghar ki doorie par tha usska ghar, matlab Ganputh Nunhuck ka ghar.

Abhi ne ek lambi saanss chorra aur uss dost ne chal kar Abhi ko chorra Ruhi ke chachi ke ghar ke saamne.

Abhi gaya aur darwaza khatkhathaya. Bada ghar tha full concrete ka aur 2 manzilon wala tha.

Abhi dil hi dil mein soch raha tha ke kitna achha hota ke Ruhi ki chachi iss waqt hospital gayi hogi, aur Ruhi aur Shweta akeli hogi ghar mein to Abhi kitna haseen time guzarega Ruhi ke saath, Abhi ne soch liya ke aaj to mauka nahin miss karega wo Ruhi ko bed par zaroor leytayega tab koyi ussko Ruhi ke saath shaadi karne se nahin rok paega…. Tarah tarah ke khayal arahe the Abhi ke dimaagh mein… ussne yeh bhi socha ke Ruhi ko agar ussne pregnant kar diya to majbooran usske parents ko accept karna padega donon ke shaadi karaane ke liye..

Abhi sochne laga ke jiss raat ko wo Ruhi ke ghar thehra tha aur Ruhi usske saath sex karna chahti thi to ussi raat ko Abhi ko Ruhi ko pregnant kar dena chahiye tha, to aaj koyi donon ko alag karne ka sochta bhi nahin…. Abhi pachta raha tha ke kyun ussne uss raat ko kuch nahin kiya tha Ruhi ke saath..

Teen baar darwaza khatkhatane par koyi nahin aya kholne to Abhi ek do kadam chal kar ghar ke dusri taraf dekhne laga ke Abhi ne kissi ko ghar ke andar chalte hue dekha, to wo phir gaya darwaze ke paas aur khatkhataya, to Ruhi ki chachi badi heyraani se Abhi ko dekhte hue darwaza ko unlock kiya aur kaha,

“Ji? Aap mere ghar tak agaye? Aap ko kaise pata chala main yahan rehti hoon?”

Wo Abhi ko ajeeb nazron se dekh rahi thi, ussko bilkool passand nahin tha ke Abhi usske yahan aa pahuncha hai.

Abhi baahar hi khada tha aur Abhi ne bolte hue ro diye tab shayad uss aurat ka dil pighla aur Abhi ko andar aane ko kaha….

Andar jaate hi Abhi ne Shweta ko stairs se niche utarte hue dekha aur wo jaldi se aakar Abhi ke gale mein jhul gayi firse, Abhi ke gaalon par kissy karte hue…. Shweta ki maa ne Abhi ko baithne ko kaha, Abhi sofe par baitha aur Shweta usske goad mein baithi.

Ruhi ki chachi ne ab muskuraate hue kaha,

“Shweta itna ghul mil gayi hai aap se kuch dinon ko wahan rehne gayi to? Bahot pyar karti hai aap se, jaise aap ki koyi rishtedar ya beti hai…. Mujhe taahjub hai kyunke yeh kissi se aise nahin ghulti milti hai bahot reserve hai yeh bachi kia jadoo kiya aap ne meri beti par?!”

Abhi ne seedha sawaal kiya,

“Aap Ruhi ko bulaayiye nah please!”

Chachi ne kaha,

“Wo to kal hi ghar wapas gayi, aap ek din late aaye ho.!”

Abhi ne ek haath se apne sar ko thaama aur ek lambi saans baahar chorra…. Aur ussne Shweta se pucha,

“chali gayi Ruhi sach?!”

Shweta ne kuch aisa expression diya jiss se Abhi ko laga ke Ruhi wahin thi kissi kamre mein aur chachi ne ussko baahar aane se mana kiya. Jab Abhi ne Shweta se pucha ke kia Ruhi sach mein chali gayi to Shweta ne nah haan kaha na nah, ussne Abhi ko dekha turant baad apni maa ke chehre mein dekha…. Iss liye Abhi ko thoda yakeen sa tha ke Ruhi wahin hai andar kissi kamre mein.

Magar Abhi ki jurat nahin thi ke wo kissi ajnabee ke ghar mein aya hai to ab usske ghar ke Kamron ko khol kar check kare ke Ruhi wahan hai ya nahin, aisa to nahin kar sakta tha nah Abhi.

Aur Ruhi ki chachi ne araam se pucha,

“Acha batao Abhi….. errrr Abhi naam hai nah aap ka?”

Abhi: “ji Abhinav naam hai sab Abhi hi bulaate hein, Ruhi bhi, Shweta bhi!”

Chachi muskuraayi, aur kaha,

“Okay thik hai Abhi aap mujhe sab kuch detail mein bataiye, shaayad main aap ki koyi madad kar sakun.”

Abhi ne bolna shuru kiya aur bolte bolte rone laga, khud ke aansowon ko rokna naamumkn tha…. chachi ji pighal gayi aur apni taraf se jo batana tha wo bataane lagi, magar bich mein Shweta ne Abhi ke aansoo ko poncha aur pucha ke kyun ro raha hai to Abhi ne shweta ko seene se laga kar kaha ke jab wo Ruhi ke yahan jaegi new Year ko to Ruhi ko bataaye ke wo Shweta ke ghar aya tha ussko dhudne aur Ruhi ko batana ke Abhi usske ghar Ruhi ke liye ro raha tha.

Tab chachi ne kaha, ke Shweta sach mein sab kuch bak degi Ruhi ke ghar jaa kar to Abhi ne kaha acha hi hoga agar Shweta ne wahan jaakar sab kuch bata diya to, Abhi wohi chahta tha.

Tab chachi ji ne Abhi ko bataya ke wo France wala ladke ki baat sach hai magar Ruhi ne ussko kabhi dekha hi nahin aur mili bhi nahin kabhi uss se, uss ladke ne Ruhi ko apni nani ke yahan ek baar dekha tha jab vacation ke liye apne ghar aya tha ek mahine ke liye, fir wapas France jaane ke baad uss ladke ne ape ghar khabar bheja ke Ruhi ke nani ke ghar jaakar bata dein ke Ruhi ko usske liye rakhein kyunke jab wo wapas aega to Ruhi ka haath mangne jaega…. Buss itna hi hua tha kuch ziada nahin…

To Abhi ne kaha ke shayad issi liye jab Ruhi ka baap aya to sab usske nani ke ghar gaye the uss ladke ke bare mein puchne ke kia wo serious hai ya nahin kyunke yahan Abhi usska haath mang raha hai aur agar uss ladke ne haan kaha hoga to Ruhi ko France jana behtar laga hoga to usska intezar karna ziada passand kiya hoga kia?

Chachi ne kaha ke nahin sach mein nani bimaar hai issi liye ussko sab dekhne gaye the kahin budhiya tapak nah jaaye!

Chachi ne pucha,

“To jo kuch aap ne mujhe bataya iss se yeh samajh rahi hoon ke weh log samajhte ho ke aap gharib ho, aur Ruhi aap ek saath khush nahin reh paegi….?”

Abhi ne jawaab diya,

“Main gharib family se hoon magar hum utna gharib bhi nahin ke ek shaadi ka kharcha nah utha sake ya ek Dulhan ko afford nah kar sake…. Ruhi ki maa kia samajhti hai ke main bhikari hoon kia? Mera ghar concrete ka hai usska ghar tin aur lakdi ka to kiss ki heysiyat kitni hui? Mere papa ke zameen hein jiss par ganne ke khet hein jab wo batwara karega to uss mein se mera hissa hoga jahan apna khud ka ghar bana paunga ek din… to main gharib kaise hua?”

Chachi ne tab kaha,

“Abhi to main aap ko advice karti hoon ke aap jao wahan, jo kuch aap ne mujhe bataya jaakar Ruhi ke papa ko batao. Ho sakta hai ke wo samajh rahe hein ke aap Ruhi ko khush nahin rakh paoge, jaakar batao ke aap ke papa ke khet hein, zameen hein aap ko hissa milega, unnko Khushi hogi, kyunke aap ke paas to zameen hein unnke paas to kuch bhi nahin apne bete betiyon ko dene ke liye to ap unn se bahot ziada behtar hue… aur aap se ek baat kehti hoon aap wahan kissi se kehna mat, RUHI KI MAA EK BAHOT LAALCHI AURAT HAI – Ussne hamesha paisa chaha hai ziada issi liye apne pati ko S. Arabia jaakar paisa kamaane ko kaha… shayad issi liye Ruhi ko France bhejna chahti hai usske liye sab araam dhanwalon ke paas hote hein usski buss chale to apni beti ke liye raja maharajawon ke rishte talaash kare wo… Ruhi agar aap se pyar karti hai to sirf usski maa hai jo aap ko Ruhi se alag kar rahi hai….”

Abhi khamosh suntaraha aur socha yeh do sister-in-laws ke jhamele mein kahan phanss gaya wo, samajh gaya ke donon sister in laws ke nahin bante honge. Phir chachi ji ne kaha,

“Abhi iss se pehle ke Ruhi ke papa wapas Arabia chala jaaye aap jaa kar uss se mil lo, wo January mein wapas jaa rahe hein.”

Abhi ne kaha,

“haan last day ko Khud Ruhi ke papa aur usski maa ne mujhse kaha ke Wo Ruhi ko apne saath lekar S.Arabia jaa rahe hein?!”

Chachi: “kiss ne aap se yeh baat pehle kaha? Pakka Ruhi ki maa ne kaha hoga han ya nah?!”

Abhi: “haan”

Chachi: “Aur kitne der baad yehi baat Ruhi ke papa ne aap se kaha?”

Abhi: “takriban 3 ghante baad”

Chachi: “Dekha nah? samajh gaye honge aap ke Ruhi ki maa sab control karti hai uss ghar mein, sabko wo chalaati hai, laalchi aurat hai, Ruhi ke papa ek bahot acha insaan hai, itna cool and khamosh type aadmi hai ke usski wife ussko control karti hai, uss ghar mein husband Ruhi ki maa hai aur wife hai Ruhi ke pita!”

Abhi:”wo to mujhe jiss din Ruhi ke papa aaye tabhi mujhe dikh gaya tha, kyunke wo henpeck husband laga mujhe kyunke wo wohi kehta aur karta jo Ruhi ki maa kehti thi.”

Chachi:”To samajh gaye aap ke Ruhi kabhi bhi apne pita ke saath nahin jaa rahi hai, ek baat batati hoon, ke Ruhi ke papa ne bahot pehle keh diya tha ke usski koyi bhi beti kabhi bhi desh ke baahar nahin jayenge, ussko bilkool nahin passand yeh, to yeh France wali baat bhi main jaanti hoon nahin badhne wali, iss liye aap ka chance bahot ziada hai kyunke aap yahin ka ho aur usske pita ko passand hai ke usske betiyan yahin rahe taake jab bhi weh chahe aapne maa baap se mil sake.”

Abhi ko yeh sunkar bahot achcha laga ke usska chances behtar aur ziada hai uss France wale Amit se!

Chachi ne phir kaha,

“Abhi aap milo Ruhi ke maa baap se aur kaho ke aap ke ghar dekhne aaye, sagaayi ya rishte ke liye nah sahi kehdo ke aise hi ek baar aaye aap ke ghar tab wapas apne ghar jaa kar decide karen ke aap usski beti ke liye sahi ho ya nahin!”

Abhi ne kaha ussko wohi karna hoga ab.

Thanks kiya chachi ko aur Shweta ko baahon mein bharke kissy kiye Abhi ne aur bye kiya donon ko Abhi.

Jab Abhi nikalne laga to chachi ne last line kaha apni,

“Aap ek sache lover ho Abhi, main ne aap ko ghalat address diya tha phir bhi aap ne sahi address ka pata laga liya aur chale aaye Ruhi ko yahan dhunte hue, yeh jaan kar mujhe pura yakeen ho gaya ke aap Ruhi ko kitna pyar karte ho aur wo aap ke saath jiwan bhar khush rahegi – yeh baat main khud Ruhi ke papa se kahungi, usski maa ko bhi bataungi yeh baat ke aap sahi ladka ho Ruhi ke liye, I will support you Abhi – agar aaj Ruhi nahin gayi hoti to main aap donon ko mila deti aaj hi. Main Ruhi se bhi baat karungi Abhi don’t worry. And I regret ke main ne ap ko uss din ghalat address diya dar assal wo meri maa ki address wahan main rehti thi shaadi se pehle, agar uss din sahi address diya hota to Friday ko aap Ruhi se yahin mil paate…. Very sorry Abhi but I am with you.”

Ruhi ki chachi se milke aur tamaam baton par ghaur karke Abhi ko bahot achcha laga aur ussko ek umeed ki kiran phir nazar aya, aur iss baar bahot strong feeling hua Abhi ko ke iss baar sab thik ho jaega usske aur Ruhi ke beech.

Kyunke Abhi ne last letter mein aur zubaani bhi keh diya tha Ruhi se ke wo ussko 31st December se pehle ek aur khat post karega, to ab soch liya ke ussi letter mein Ruhi ko yeh sab batayega ke wo usske ghar aega usske papa aur uss se milne.

To be continued…. (3812 words)
 
Last edited:

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,511
34,400
219
bahot shukriya Kamdev bhai...
agar aap story ki end ka wait karoge to wo to update ke baad aa sakta hai bhai :D
nahi bhai.......... story ka nahi....... abhi aur ruhi ke pariwar ki is haa...na ki kahani ka........

hum abhi ki kahani padh rahe hain............aur ruhi ko jante hain...abhi ke point of view se
to abhi ki kahani ko ham pura padheinge..... chahe ruhi ho ya na ho
:nana:
 
Indian001

Active Member
1,102
6,330
143

bahot shukriya update ke liye casi bhai
chalo ek umeed ki kiran to saamne aya
chachi ne aakhir me mada kar diye Abhi ki :
cute /shweta se mila abhi bahut acha laga
jiss din abhi 6 gahnte chala Ruhi ko talaash karte huee bahut dukh hua, samajh sakta hoon ke kia beet raha hoga uss par
bhai aaj kitne udate ke baad ek aisa update aya ke dil ko chain mila
thanks very much casi bbai
hope ke sab thik hoga ab :happy:
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
wonderfull update bhai ji
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
bhot baot shukriya vikram bhai aap ki iss behtareen analysis aur appreciation ke liye yaar
aap ki review kamaal ke hote hein bhai
weise bhai aisa bhi ho sakta hai ke aap kuch ziada expect kar rahe ho kahani mein magar end mein kuch bahot saadharan sa reason nikle ruhi ki rawayye kie? tab umeed hai ke aap niraash nahin honge :D
Niraash mat karna bhai....
Waise kal mai iss review ko kaafi jyada likhna chahta tha....
Lekin ak to mera phone thoda kharaab or dusra kaam jyada tha.....
Nahi to aapke likhe update se jyada bada mera review soch rakha tha maine....
Thanks
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Nice update
 
PK@yadav

Member
188
940
108
Samajh me nahi aa rahaa hai ki kaun sach bol rahaa hai aur kaun jhuth. Ruhi apne chachi ke ghar par hi hai kyoki Shweta ke expression neutral the. Agar chali gayi hoti to pakka shweta Abhi ko bataa deti kyoki bachche mann ke sachche.
But at the end Ruhi ki chachi ne Abhi ko Haushla diya ye ek plus point hai, kyoki us situation mein ek asha ki kiran bahut kuchh acha karwa sakti hai.. Bahut badhiya bhai ji...
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,042
78,017
304
Abhi did well by telling the truth in his house. Abhi met Ganpat and aunt, but time is running bad Ruhi could not be met. Ruhi is a very sweet and nice girl, it is impossible to forget her, Abhi is remembering every moment spent with Ruhi, now the condition is such that there is happiness as well as pain. Ruhi is only for Abhi because Abhi also has true love.
Do what you want, just don't break hope. I love the lovely Shweta, Shweta foolishly asked a question that Abhi's heart ached again. Aunt is guiding Abhi but I am not quite sure on Aunt, but it seems that she is telling the truth. Aunt's talk shows hope and support. Please try again.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
Last edited:

Sunil Ek Musafir

Donate to PM-CARES Fund....
Supreme
8,159
13,738
143
Ruhi ki maan bhi sochegi ki kis aadmi se paala pada hai... Saala peechhe hi pad gaya...

Aisa bhi ho sakta hai ki Ruhi ki maan ki najaron mein ye sab serious na hokar matra ek opposite sex ke prati akarshan hi ho.... Per Abhi ki approach ek dum sahi hai... Wo har us pahloo se... Jis se usko help mil sake... Soch bhi raha hi aur accordingly action bhi le raha hai....

Chachi ki advise bhi sahi hai... Ki Ruhi ke ghar waalon ko apne gha invite kare... Is se wo log jo Abhi ko bahut hi gareeb samajh rahe hain... Unki galatfahmi dur ho sake....
 
Top