• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 37 The Last Day & Night In Ruhi’s Aangan

Wednesday 24th December – Christmas Eve.

Abhi ne iss din ke liye apni diary mein likha hai:

It has been the last and worst day and night in Ruhi’s yard.

Subha subha Ruhi ki maa Abhi ke saath hanss rahi thi. Aur Abhi ko Ruhi nazar aayi kitchen ke andar. Aaj Ruhi ek nayi nightdress mein thi. Ek khubsurat nightdress jo safed thi aur uss par bade bade red, black aur green dots the. Ruhi dada ji ke armchair par baithi hui thi.

Abhi ne usski maa se baat ki. Aur uss aurat ne iss baar kaha,

“Sorry Abhi, Ruhi ke papa ne ussko iss baar apne saath Saudi Arabia lejaane ka faisla kiya hai!!”

Abhi ko itna ghussa aya ke usska mann kiya ke ussko gaaliyon se nehla de ussi waqt. Abhi ne socha issi liye wo kal hi Ruhi ke baap se bat karna chahta tha iss se pehle ke Ruhi ki maa khud koyi bahana bana kar apne pati ke munh mein koyi baat khud nah daal de…. Abhi samajh gaya ke kal raat ko Ruhi ki maa ne khud sab kuch bata diya hoga apne pati ko ke Abhi Ruhi se pyar karta hai magar ussko Rishta nahin passand kyunke ussko Abhi ka kaam nahin passand, to apne pati se keh diya hoga ke aaj wo ladka aap se Ruhi ka haath mangega to aap mana kar dena…..

Abhi issi liye nahin chahta tha ke koyi aur Ruhi ke pita se baat kare issi liye wo sabse pehle baat karna chahta tha Ruhi ke pita se kal raat ko…..

Abhi sab kuch apne dimaagh mein rewind karte hue soch raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha ke jiss din Ruhi gayi thi apne nani ke ghar tabhi se Ruhi berukhi se pesh ane lagi Abhi ke saath, aur kal raat ko isi baat ke liye Ruhi ke papa ko bhi legaye sab wahan aur issi baare mein baat kiye gaye honge aur sabne milkar decide kiya hoga ke Abhi ko yeh jawaab de diya jaaye ke Ruhi ke pita Ruhi ko apne saath lekar jaa raha hai iss baar….. Abhi ko puri film dikh gayi usske dimaagh mein… to Abhi ne Ruhi ki maa se kaha,

“koyi mujhko laakhon rupay bhi dede nah to main yakeen nahin karunga? Saudi Arabia mein koyi apni beti ko lejata hai? Ladki ko? Unn vehshi, tharki Arab logon ke beech? Aap mujhko ullo samajhte ho nah aunty? Thik hai wohi samajhiye aap mujhe….”

Ruhi ki maa ne kaha,

“tum khud puchlo agar yakeen nahin hai to!”

Abhi: “puchunga to ab wo to yehi kahega nah? sab mile hue hein iss mein koyi shak nahin, jo aap ne ussko kehne ko kaha wohi kahega wo…. Zaahir si baat hai.”

Din bhar Abhi ranjh o ghum mein raha. Usski maansik stithi normal nahin raha din bhar….. ussko saans lene mein takliff hota raha baar baar….. Ruhi dikhi ussko kayi baar magar baat karna naamumkin tha….

Aur din ke 2.30 ko Abhi ko pata chala ke Ruhi ki badi behen ussko apne saath lekar jaa rahi hai, Ruhi apni behen ke ghar kuch dinon ko beetaane ke liye jaa rahi thi…. Abhi ko zabardast jhatka laga ye khabar sunkar…. Usska uss aangan mein aakhri din tha aur wo chahta tha ke Ruhi ko wo jee bhar ke dekhe aur mauka milne par uss se baat kare apna pyar ka waasta de Ruhi ko…. Magar jab suna ke Ruhi jaa rahi hai to Abhi jaise tut gaya… Farzina ne Abhi ko bataya ke Ruhi apni badi behen ke saath jaa rahi hai, ab pata nahin ke Ruhi ne khud farzinah ko yeh kehne liye bheja tha ya nahin, Abhi ko shak tha ke khud Ruhi ne hi Farzinah ko kaha tha Abhi ko jaakar bataane ke liye ke wo jaa rahi hai…. Abhi ko shcok laga, shock par shock, dard par dard, Abhi ki sehen shakti kum hote dikhaayi diye….magar ussko abhi aur bhi bada shock jhelna baaki tha…

Bus ke andar se Ruhi ki khidki dikhta tha, aur Ruhi baal banaate hue dikh rahi thi, jaise Ruhi jaan bujh kar Abhi to dikha rahi thi taake Abhi ko pata chale ke wo jaa rahi hai. Abhi ke paas ek hi mauka aur ek hi raasta tha ke wo wahan jaaye uss khidki ke paas aur ek AAKHRI baar wahan se Ruhi se baat kare…

Abhi ne kaam ko maara goli aur gaya Ruhi ke khidki ke paas…. Ussne dekha Ruhi ne uss yellow suit ko pehna hua tha jiss mein uss din apni maa ke saath apni nani ke yahan gayi thi, halki si make mein thi aur kayamat lag rahi thi… usski maa wahin thi aur Ruhi khudko aine mein dekh rahi thi baal banaate hue…. Abhi ne ek book diya tha Ruhi ko koyi 20 din pehle, to Abhi ne kaha,

“hey Ruhi, mera kitab….” Abhi ki awaaz nahin nikal rahi thi… Ruhi ne nahin suna aur usskki maa ne Ruhi se kaha,

“Wo apna kitab mang raha hai Ruhi”

Ruhi ne thoda chahunkte hue kaha,

“Are haan, main to bilkool hi bhool gayi thi ke ek aap ki kitaab mere paas hai itne dinon se, sorry abhi laayi!”

Ruhi ne uss book ko Abhi ko wapas kiya.

Abhi bahot bahot udaas tha,wo kamzor dikh raha tha, lagta tha bimaar hai. Phir bhi Abhi ne pucha,

“Ruhi kia decide kiya tumne?!”

Ruhi ne kaha,

“Be Patient Abhi!”

Abhi ne ek gehri saans lete hue kaha,

“Abhi issi waqt tum mujhse aise baat kar rahi ho jaise hum ajnabee hein, tum jaise badal gayi ho, jaise tum meri Ruhi nahin koyi aur ho, kyun Ruhi, kal to itna royi thi jab mujhe choat lagi thi nah, tab bhi tum nahin samjhi mere dil ka haal Ruhi?”

Ruhi zor se hanssi…. Wo ek hanssi nahin thi kuch aur tha, wo Abhi ko aur ziada hurt karne ki ek tamacha tha Abhi ke gaal par.

Ruhi ne tab ek chewing gum ke do tukde kiye aur ek tudka Abhi ko diya aur dusra tukda apne munh mein le liya….. wo chewing wo tha jo Ruhi chabaati thi jab Abhi ko piche kiss karne jaati thi…. ek din Ruhi ek chewing chabah rahi thi aur Ruhi ko kiss karte waqt, Abhi ne Ruhi ke munh se usski chewing gum ko apne munh mein le liya tha….. uss roz donon ne phir chewing gum par baat kiye the aur uss din ko bhi Ruhi ne aise hi ek tudka chewing gum diya tha Abhi ko….. aur aaj apni maa ke saamne ussne wohi kiya…… kyun aisa kiya tha Ruhi ne? kyun puraane yaadon ko taaza kar rahi thi ab?! Magar Abhi ko passand aya tha ke Ruhi ne ussko aadha chewing gum diya….

Abhi ka Ruhi ke saath yeh akhri conversation ho raha tha. Abhi ke samajh mein nahin araha tha ke ab wo Ruhi se kia kahe. Sab kuch jaise ulat phulat ho gaya tha, sab bigar gaya tha, jo kuch Abhi ne socha tha kuch bhi veisa nahin ho raha tha sirf iss liye ke Ruhi to jaa rahi thi…. Ulta Abhi ne socha tha aaj wo khud jaega, aaj usska last din hoga wahan aur ussne bahot kuch socha tha ke kaam finish karne ke baad wo Ruhi se baat karne jaega chaahe ghanton bhar hi kyun nah sahhi magar aaj wo apne dil ka haal bayan karta Ruhi se, uske parents se, sab se rokar Ruhi ka haath maangta magar ab Ruhi hi nahin rahegi to kia karega…. Abhi ke paas ab shabd nahin baaki tha kehne ke liye….

Abhi soch raha the ke sirf Ruhi yeh keh deti ke wo Abhi se pyar karti hai aur uss se shaadi karna chahti hai to koyi inkaar nahin karte. Magar ab to lag aisa raha tha ke Ruhi khud nahin chahti thi kyukne wo buss wo buss “NAHIN, NO,” kehti jaa rahi thi.

Abhi ne Ruhi se kaha,

“Ab ‘NO’ keh rahi ho Ruhi, kia Christmas ka tohfa diya aaj tumne mujhko Ruhi!”

Ruhi ne chehre par bina koyi afsos ya ghum dikhaate hue kaha,

“I am very sorry for you Abhi”

Abhi ne kaha,

“kia tum apne papa se nahin keh sakti ke tum bhi mujhe chahti ho?!”

Ruhi ne fake Muskaan mein jawaab diya,

“magar main khud desh chorr rahi hoon nah Abhi!”

Abhi ne kaha,

“Okay main intezaar karunga tumhare lautne ka.”

Tab Ruhi ki badi behen ne kaha,

“kab tak? Aap kab tak intezaar karoge isska?”

Abhi: “100 saalon tak!”

Badi behen khamosh ho gayi.

Abhi ne Ruhi ki maa se Ruhi ki father ko bulane ko kaha. Ruhi ki maa ne usse bulaya, baap aaya aur sach mein ek hasmukh chehre wala insaan tha, wo aakar Ruhi ki bed par baitha Abhi ko dekhte hue, aur Abhi ne ussko samjhaya, ke wo aur Ruhi kitna ek dusre se pyar karte hein….. jab Abhi sab keh raha tha Ruhi ke pita se uss waqt Ruhi aine ke saamne khadi khud ko sanwaar rahi thi magar baar baar Abhi ko bhi dekh rahi thi ussko usski pita se baat karte hue….

Ruhi ke pita ne Abhi ko jo jawaab diya wo 100% fake tha, jissko sunkar Abhi samajh gaya ke wo saare baatein banawati the aur Ruhi ki maa ne wo sab kehne ke liye kaha tha ussko. Baap ne Abhi se kaha,

“Dekho main pehle se plan kar chuka hoon ke Ruhi ko apne saath leja raha hoon iss baar, aur phir uss ladke ko hum ne zuban de diya hai wo France mein hai aur wapas aakar Ruhi ko lejaega!”

Tab Ruhi ne Abhi ke taraf dekhte hue kaha,

“Dekha? Main ne kaha tha magar aap yakeen nahin kar rahe the!”

Abhi ne apne dil ke andar khud se kaha,

“Tu bhi jhooti hai Ruhi, jiss din tumne apni virginity wali baat bataayi thi tab to kaha tha ke wo saare abroad wale ladke wali baatein jhoot the, aur ab keh rahi ho ke sach hai…”

Phir Abhi ne Ruhi ke pita se kaha,

“Dekhiye agar main aap se kahun ke main wait karunga, ke iss baar jab aap Ruhi ke saath wapas aao tab aunga, chahe aur 3 saal lag jaye main Ruhi ka intezaar karunga to?”

Baap ne kaha,

“Magar Ruhi ko wo France se lene aega nah, hum ne ussko pehle zuban de diye hain!”

Ruhi ne tab Abhi se apne donon eyebrows uchkaaya kuch iss tarah ke jaise Abhi haar gaya aur wo aur usske pita jeey gaye, aur phir Ruhi ne kaha,

“Dekho Abhi, aap ko bahot saare khubsurat ladkiyan mil jaenge, aap handsome ho, intelligent ho, tez ho, main koyi rani maharani nahin, mujh mein kuch aisa nahin hai ke aap ko sirf main hi chahiye, main bahot buri hoon pucho meri maa se ke main kitni buri ladki hoon!”

Ruh ki maa ne turant Ruhi ki baat par haami bharte hue kaha,

“haan Ruhi bahot hi buri ladki hai”

Abhi ne ussko turant jawaab diya,

“main Ruhi ko kissi tarah se bhi accept karta hoon!”

Usski badi behen ne kaha,

“aap wait karte karte thak jaoge, bore ho jaoge aur aap ko koyi aur mil jaegi dekh lena!”

Abhi ke honth thartharaane lage the kyunke ussko ab dikh gaya tha ke Ruhi to haath se gayi ab…. Usske aankhon se paani behne hi wala tha, ke Abhi ne sar niche jhukaya…. Ruhi ko pata chal gaya ke Abhi ab rone wala hai, to usski bhi aankhen badh aayi, maa, baap, badi behen sab Aabhi ke chehre mein khamosh ghaur se dekh rahe the, sab ko pata tha wo tut chuka hai aur ab ro padega…

Abhi ne sar jhukaaye hue hi kaha,

“okay”

Aur mudh gaya jaane ke liye, to Ruhi ki maa ne ussko awaaz di, Abhi wapas mudha, apne chehre ko uss kitab se chhupaate aur aankh ponchte hue,

Ruhi ke papa ne kaha,

“ghussa mat hona, sorry.”

Abhi ne kaha,

“koyi baat nahin”

Sab ke nazrein Abhi ke chehre par the, sab ko pata tha Abhi ko jhatka laga hai aur ussko bahot dard ho raha hoga, sab ko Abhi ke chehre mein wo ghum, wo dukh dikh raha tha, sab ko pata tha Abhi ke aakhen bhar aaye hein, aur sab ko yeh bhi pata tha ke Abhi apne emotions ko chhupaane ki koshish kar raha hai aur book se apna munh chhupa raha hai….. Ruhi ka brother-in-law khud Abhi ko uss tarah se tutte hue dekh kar heyraan tha aur Abhi ke chehre mein bahot dard bhare chehre se dekhe jaa raha tha….. Ruhi ki badi behen ke aankhen bhar aaye, Ruhi ki maa ke aankhen bhar aaye…. Magar iss baar Ruhi ki aankhen nahin bari thi, aur Ruhi ne Abhi se kaha,

“LOOK ABHI, I AM REALLY VERY SORRY FOR YOU, I MEANT IT, MY HEART FEELS IT FOR YOU ABHI. WISH YOU MUCH COURAGE AND PATIENCE ABHI.”

Abhi ne Ruhi ko halki si Muskaan se dekha aur tapakte aansoowon se usske chehre mein dekhte hue kaha.

“The deception does exist right? So, its okay, never mind Ruhi, you be happy always, that’s all I can wish for you!”

Abhi wapas bus mein jaa baitah aur rone laga, rokna namumkin tha….. ek baar to zor se roya…. Bus ke sabhi kaam karne waale Abhi ke paas aa gaye, koyi usske sar thapthapa, koyi usske peeth par haatyh ferrta, koyi ussko paani deta, sab ussko shant karaane mein lage hue tha…. Mehboob bhi wahin tha, aur wo bhi Abhi ko support karne ka dhong kar raha tha….. Abhi khud ko rokne ki koshish mein laga hua tha magar nahin kar paa raha tha, rona ruk hi nahin raha tha usska

Koyi 30 mins baad Abhi chhup hua aur jo kaam karna baaki tha uss mein lag gaya phir bhi baar baar ro deta tha kaam karte hue…. Pata nahin kia kia soch soch kar rone lagta…..

Aur aayi wo waqt jo Abhi ke liye kayamat se kum nahin tha….

To be continued in the next post immediately….
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 38 Ruhi Leaves – Completion Of The Bus

Ruhi aur baaki ke jaane wale log ghar se nikle; usski badi behen, behnoy, unnke do bache….. Ruhi bus ke paas se guzarte hue teen baar bus ke andar Abhi ko dhunda apne nazron se… bus mein karib 10 log the uss waqt to Ruhi ko dhundna para, aur jab usski nazar Abhi par pari to ussne turant sar niche jhuka liya. Usski haath mein ek halki si bag thi aur kaandhe par usskki handbag.... Abhi se dekha nahin jaa raha tha, usske dil par uss waqt kia guzar raha tha bayaan karna mushkil tha….

Ruhi ki badi behen aur behnoy bachchon ke saath ruk gaye kissi se baat karne ko, aur Ruhi apni cousin ke ghar tak reach hui thi aur ruk kar apne badi behen ka wait karne lagi…. Uss waqt Ruhi ki nazrein bus mein Abhi ko dhund rahe the; aur Abhi ne khud ko sunil ke piche chhupaye hue Ruhi ko dekh raha tha, Sunil ne kaha,

“Abhi wo tumko dhund rahi hai saamne to aa!”

Abhi ne Sunil ke piche se kaha,

“kia faeda yaar?!”

Sunil: “are yaar kia pata ussko kuch kehna hai idhar aa”

Aur Sunil hatt gaya taake Ruhi Abhi ko dekh sake, ab donon aamne saamne the… Abhi ka chehra utra hua tha, aankhen sujh gaye, saaf dikh raha tha… Ruhi bahot udaas chehre se Abhi ke chehre mein dekhti rahi, phir Ruhi se dekha nah gaya, ussne aasmaan mein dekha, phir nazrein niche kar liya aur usske aansoo behne lage Abhi ke liye…. Abhi Ruhi ko nahin dekh paa raha tha agar dekhta rehta to khud rone lagta to Abhi ne chehre mudh liya, aur khud ko phir se Sunil ke piche kar liya tab dekha Ruhi ke taraf to dekha ke Ruhi ussko phir dhund rahi hai rote hue….. Abhi ne sunil se pucha,

“main jaun uss se puchne ke ab kyun ro rahi hai jab mujhko thukda diya?!”

Sunil ne kaha,

“haan ja, ja Abhi aur thoda suna de ussko jaane se pehle”

Aur Abhi bus ke piche wale door se jump mara aur Ruhi ke paas pahuncha, Ruhi ne apna chehra dusri taraf mod liya jab dekha ke Abhi usske taraf badh raha hai….

Sirf koyi 3 minats mila Abhi ko Ruhi se baat karne ki kyunke tab tak Ruhi ki behen aur behnoy ne dekh liya ke Abhi Ruhi ke paas gaya hai to weh log badhne lage donon ke taraf aur Ruhi ki maa bhi aane lagi thi Abhi aur Ruhi ke taraf…… jo Abhi ne kiya uss waqt kissi ne bhi socha nahin tha ke wo sabke saamne open mein weisa karega… aur Ruhi ne bhi virodh nahin kiya aur Abhi ko karne diya jo wo karna chahta tha, magar sirf 3 minat mein sab hua…. Aisa laga ke jaise 3 seconds mein sab kuch ho gaya jaise ek pal mein sab hua….

Abhi ne pehle Ruhi ka haath thaama, wo ro rahi thi, bina kuch kahe Abhi ne Ruhi ke donon bazu ko usski bag sameth apne kaandhe par kiya, Ruhi ne apne baahon ko lapet liya Abhi ke kaandhe par aur Abhi ne ruhi se kaha,

“I want to hug you for a last time, don’t stop me please, send all others to hell, live this moment for me for a last time I beg of you Ruhi, if you ever loved me for one second don’t stop me….”

Ruhi roti gayi aur Abhi ne Ruhi ko zor se apne baahon mein jakra, aur bus se aur Ruhi ke family members se peeth kar liya Ruhi ko baahon mein jakre hue aur Ruhi ke thudi ko apne chehre ke taraf uthaya Abhi ne, uss pal ko Ruhi ne khudko completely samarpan kar diya Abhi ko aur apne aakhon ko band kar liya…. Ruhi ke aansoowon ne behte hue usski gaal par ek lakeer jaise khinch chuki thi, Abhi ne Ruhi ke honton par apna honth rakha aur donon ne ek dusre ko kiss kiya sare aam sabke saamne, yahan tak ke main road se koyi jaa raha tha to sab dekha hoga ke ek ladka aur ladki khada kiss kar rahe hein…..

Magar ek baat thi, buss mein se kissi ko wo kiss nazar nahin ayaa nah hi Ruhi ke kissi bhi parent ko kiss karte hue dikhe. Wo iss liye ke Abhi oonche kad ka tha aur ussne peeth kar liya tha unn sab logon se aur usska sar jhuka hua tha Ruhi ke chehre par buss piche se sirf aisa lag raha tha ke Abhi Ruhi ko baahon mein bhar ke hug kar raha hai…..

Kiss karte waqt Abhi ke munh mein Ruhi ke aansoo bhi jaa rahe the aur ussko namkeen taste ho raha tha aur Ruhi Abhi ke aanso taste kar rahi thi, donon ek dusre ke aansoo pee rahe the uss pal ko….Abhi ne unn sab ke paas aate hue kadmon ko sun raha tha to jaise jaise unn sab ke chalte hue kadam paas aane lage to Abhi ne kiss rok diya, aur sab saamne aaye to donon sirf ek dusre ke baahon meikn jakre hue the….

Jiss waqt Ruhi ka jeeb Abhi ke munh mein agaya tha, Ruhi ka rona stop ho gaya tha bilkool, aur wo Abhi ka kiss enjoy karne lagi thi aur ussne khud Abhi ko apne baahon mein bhar liya tha.

Magar jab Ruhi ki badi behen paas aagayi, aur Ruhi ki ma bhi paas aayi aur kaha,

“Ruhi tu itni besharam kaise ho sakti hai chorr ussko!”

Ruhi jaise kuch nahin sunn rahi thi, aur usske aankhon se phir aansoo behne lage to Abhi ne usske chehre mein dekhte hue dhire se kaha,

“This was your Christmas gift, you will remember this on ALL the next Christmas which will come in your life, and I know that you love me a lot but something is hindering you to accept my love… do not forget you will receive a new year card from me before the new year, I will no longer be here after today, its my last day here…. So please be back before 30th to receive my letter with the postman. I love you and will always do till the end of my life never forget that. Even if you get married to someone else my love for you will remain the same – even if I get married to someone else still my love for you will NEVER change, always remember this Ruhi. Farewell my love, don’t know if I will ever see you again, but I pray I do! Bye Ruhi”

Jab Abhi apna last, line bol raha tha usske aankkhon se thamne ka naam nahin le raha tha, abi ke honth thartharaa rahe the aur ruhi bhi jhar jhar behte aansoo se Abhi ke chehre mein dekhte hue ussko sun rahi thi…. Aur usski badi behen donon ke baahon ko ek dusre se chhurra rahi thi yeh kehte hue,

“chorro nah ek dusre ko dekho sab log dekh rahe hein kyun aise tamasha bana rahe ho tum donon!!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“kia film ki shooting chal rahi hai yahan?!”

Aur Ruhi boli… Abhi ne nahin socha tha ke wo kuch jawaab degi; Ruhi ne apne aankh ko ponchte hue apni maa ko ek teerchi nazar se dekhte hue kaha,

“haan shooting chal rahi thi, aap ne nahin dekha?!”

Tab tak donon ek dusre ke baahon se alag ho gaye the magar donon ek dusre ke nazron ki gehraayi mein dekh rahe the aur phir Ruhi ki aankhen bhar aayi aur kaampte hue honthon se Ruhi ne bilak bilak kar Abhi se kaha,

“Bye Abhi, merry Christmas and happy new year to you, and I am really very very sorry for you, my heart will cry for you Abhi bye I am going Abhi!!”

Ruhi bahot zor se rote hue chal kar main road ke taraf badhi aur Abhi wahin baith gaya zameen par rote hue apne chehre ko apne haath mein thaam kar, aur jab bhi Ruhi mudhkar Abhi ko dekhti to wo aur zor se roti gayi….

Abhi ko aisa feel ho raha tha ke Ruhi bhaag kar wapas usske paas aegi, Abhi soch raha tha ke kyun Ruhi weisa nahin kar rahi, Abhi last moment tak ek aas lagaaye baitha raha ke Ruhi wapas aegi, nahin jaegi apne behen ke saath…. Magar Abhi ne tab khud se kaha ke yeh kissi movie ki climax scene nahin hai jo Ruhi bhaag kar usske paas wapas aati, yeh hakikat tha, aur Ruhi bilkool wapas nahin aayi balke chali gayi bus mein apni behen ke saath, usske ghar jisska pata Abhi ko bilkool nahin tha….

Abhi ne tab socha ke jaan bujh kar usske ghar walon ne ussko kaahin aur bhej diya varna Ruhi tut jaati Abhi ke pyar mein, agar wo yaha rehti to Abhi ussko convince kar leta aur sabko mana leta haan karne ke liye…..

Abhi kaam nahin kar paa raha tha, ussne Saeed se kaha ke ussko rest lena hoga wo kamzor feel karne laga tha, to saeed ne ussko jaa kar bus ke andar ek seat par araam karne ko kaha.

Sunil ne pucha,

“Abhi usske pita ne ki kaha tumse? Tum uss se baat karne gaye the nah kuch der pehle?”

Abhi ne apne sar ko thaame hue dabe awaaz mein jawaab diya,

“Ruhi ko apne saath lekar jaega S.Arabia”

Sunil ne kaha,

“namumkin, nahin ho sakta, jhoot kaha uss ne tumse.”

Abhi:”mujhe pata hai sab jhoot kaha yaar, kal usski maa ne yeh sab kaha tha mujhe, issi liye kal mujhe nahin milne diya Ruhi ke baap se taake weh log ussko seekha sake ke ussko kia bolna hai mujhe. Matlab saaf hai ke mujhko inkaar karna tha so kar diya sab ne Ruhi ke ilawa!!! Agar Ruhi mujhse pyar nahin karti to abhi uss tarah se mujhse sabke saamne lipat kar nahin roti, mujhe kiss nahin karti open mein aise!”

Tab sunil ne kaha,

“Ek baat bolun bhai, yeh family aise hi hein, khaas kar Ruhi ki maa, mere time mein bhi usne yehi kiya tha, yahan se Ruhi ki behen ko bhej diya tha apni nani ke yahan, usska mangitar uss se wahan milne jata tha yahan nahin…. Ruhi ki maa kissi par bharosa nahin karti, ussko darr thi ke kahin main Ruhi ki behen ko uda na le jaun kabhi! Ab dekho ussne tumse Ruhi ko bhi alag kar diya, yahan se door kar diya taake tum ussko aur nah apne pyar mein jakar sako. Isska matlab saaf hai ke Ruhi tumse pyar karti hai aur ghar mein Ruhi ne awaaz uthaayi hogi aur kaha hoga ke wo tumse shaadi karegi issi liye usski maa ne usko yahan se hatta diya!”

Baithe baithe Abhi Ruhi ko yaad karte hue phir rone laga…. Saeed ne aur baaki ke logon ne dekha, sab udaas the, sabko khush hona chahiye ta kyunke aakhri din tha kaam par, sab Khushi ke saath finish karna tha magar Abhi ke rone se, aur Ruhi ke chale jaane se ek maatam jaisa chhah gaya tha wahan….. jiss din se uss bus mein kaam shuru hua uss din se Abhi Ruhi ki love story shuru hui…. Jaise jaise bus banta gaya weise weise Abhi Ruhi ka pyar badhta gaya bus ke saath… hona yeh chahiye the ke jab bus ban gayi tab Abhi aur Ruhi ki mangni ya shaadi honi chahiye the matlab donon ka pyar official hona chahiye tha – yeh Abhi ne aisa hi likha tha apne diary mein.

Saeed ne Abhi ko phir rote suna to kaha, “Abhi phir se? are ruk ja dekh sab log tumko dekh rahe rahe hein, idhar aa meri madad kar issko fix karne mein… yaar aaj bhi late raat tak kaam karna hai kia, chal aa khatam karte hein nah!”

Mehboob ne kaha,

“are mujhe nahin pata tha tu to bada rotlu nikla Abhi, main tujhe mard samajhta tha!”

Abhi ko Mehboob se nafrat ho gaya tha jab se Ruhi ne ussko bataya tha ke wo usske pyar ke khilaaf hai, to Mehboob ko Abhi ne jawaab diya,

“kyun mard ko dard nahin hota? Mard ke aansoo nahin hote to ankhen fodh dena chahiye bina aansoo ke aankh hein to!!”

Ruhi chali gayi, Abhi ki khushiyon ko apne saath lekar, aur chorr gayi thi Abhi ke liye, dard, udaasi, gham, tanhaayi, akelapan, aur aansoo.

Abhi ko kaam jaari rakhna tha aur asaan nahin tha usske liye uss haal mein kaam karna, uss haalaat ko face karna…. Abhi ne khud ko bahot mushkilon se sambhaalte hue apne kaam mein dhyan diya, kaam karna shuru to kiya magar reh reh kar Ruhi ki yaadon mein chalajata aur achanak se ro padhta…. Ussne uss din ko achanak yaad kiya jiss din Ruhi ke chaati mein apne sar daalkar usski khushbhoo sungh raha tha, ab bhi ussko Ruhi ki wo khushbhoo mehek rahe the… hamara zehen bhi ajib o gharib computer hai jo sab apne memory mein save rakhta hai yahan tak ke ek khushbhoo jo kitne din piche naak se sungh kar zehen mein gaya tha aaj bhi yaad karne se wo khushbhoo yaad ata hai…. Sirf Ruhi ki jism ki uss khushbhoo ko yaad karke Abhi ro baitha…. Phir sambhala khudko aur kaam karne laga…..

Ruhi ki maa ko afsos ho raha tha Abhi ke liye. Wo abhi ko kaafi der se dekh rahi thi, aur wo khud emotional ho gayi thi Abhi ko dekh kar aur usske dard ko samajh kar…. wo jaanti thi ke Abhi iss waqt kiss dard se guzar raha hoga…..

Shaam ke 6 baj chuke the, kaam jaari tha, Ruhi ki maa ne Abhi se pucha,

“Naaraaz ho?

Abhi ne kaha,

“bilkool nahin, udaas hoon haan, ghum mein dooba hua hoon haan magar naraz nahin hoon”

Aur Ruhi ki maa ne kuch aise baatein kahe Abhi se jiss se Abhi ko thoda sukoon mila, ussko ek umeed ki kiran phir se dikhaayi diye…

Ruhi ki maa ne kaha,

“Hum ne khaas kar iss liye aap ki proposal ko accept nahin kiya kyun ke aap jo kaam kar rahe ho yeh permanent kaam nahin hai, yeh kaam aaj hai to kal nahin, aaj yahan se kaam end hoga to kia karoge? Jab tak dusra kaam nahin milta bekaar rahoge nah? issi liye! Mere cousins aur nephews hein jo yeh kaam karte hein aur aksar bekaar rehte hein, unemployed hein, mujhe apni Ruhi ki fikar hai Abhi.”

Abhi ne heirat se ussko dekha aur kaha,

“Oh my God! Yehi vajah thi ki aap ne accept nahin kiya?”

Ruhi ki maa: “haan Abhi buss issi liye”

Abhi ke dimaagh mein kuch chal raha tha uss waqt aur ussne pucha,

“Aur agar main kal koyi aur behtar kaam kar raha hunga tab?!”

Ruhi ki maa: “dekho Abhi, kal ko agar tum koyi behtar kaam kar rahe ho aur tab tak Ruhi ki shadi nahin hui hogi tab hum zaroor consider karenge tumhare proposal ko!”

Abhi ko bahot araam mila aur pucha,

“Ruhi aaj wapas nahin aegi?”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Nahin wo apne chacha ke ghar rahegi aur supermarket mein help karegi kyunke tumko pata hi hoga ke sheher mein kitne bhidh baadh hote hein Christmas aur new year ke mauke par, late night shopping hote hein to kaam bahut ziada hote hein to Ruhi help karegi apne chacha ko, Manoj bhi wahin kaam karta hai nah har roz…”

Abhi ne yaad kiya ke haan ek baar Manoj ne usse bataya tha ke wo ek supermarket mein kaam karta hai, ek chhota sa self service tha naam tha supermarket. To Abhi ne pucha,

“To Ruhi kab ghar wapas aegi ab?”

Jawaab diya usski maa ne,

“Sunday ko aegi, magar New Year ko wahin rahegi shayad.”

Abhi ne tab pucha,

“Aur wo supermarket kidhar hai exactly?”

Ruhi ki maa ne exact address de diya ke Royal cinema ke paas hai….

Ab wo sheher Abhi ke ghar se ziada door nahin tha aur Abhi udhar aksar jata tha aur ussko exactly pata tha royal cinema kahan hai kyunke uss cinema hall mein Abhi kayi baar movie dekhne gaya hai, Abhi uss jagah ko bahot achhi tarah pehchaanta tha…

Abhi ne socha ke kyun Ruhi ki maa ne ussko saare information de diye Ruhi ke baare mein ke kahan reh rahi hai, kahan supermarket hai, matlab wo chahti hai ke abhi uss se udhar milne jaaye…. Jab usski beti aur Abhi milkar rone lage the to uss se dekha nah gaya aur shayad ab pachta rahi thi donon ko juda karke aur ab chahhti thi ke Abhi uss se udhar jaa kar mile….

Abhi bahot khush hua aur ab relax feel karne laga tha. To phir Abhi ab normal kaam karne laga.

Aaj bhi kal raat ki tarah Mehboob ke ghar dinner kiya gaya. Abhi kitna chahta tha ke Ruhi wahan hoti, kal bhi raat ko dinner kiye the sab to Ruhi nahin thi aur aaj bhi nahin hai….

Jab Abhi washroom jaa raha tha wash karne dinner se pehle to Mahesh ne Abhi ko awaaz diya,

“hey Abhi?!”

Abhi ne mudhkar dekha to Mahesh ne kaha,

“udhar andhera hai idhar aao hamare kitchen ke basin ke paas haath dho lo”

Magar Abhi ne kaha ke thik hai chalta hai, par Mahesh ne zid kiya ke wo wahan aakar haath dhoe… to Abhi gaya Ruhi ki kitchen mein aaj dusri baar gaya tha, magar aaj Ruhi ke bina gaya tha wahan… basin ke paas saboon se apne haath dhoya Abhi ne, aur khayaalon mein sochne laga ke kitne baar ussne Ruhi ko uss basin ke paas bartan dhote hue dekha hai… kitna khush hota wo agar aaj Ruhi yahin hoti, to kitni khush wo bhi hoti Abhi ko apne kitchen mein ek baar aur dekh kar….

Haath dhone ke baad Abhi ne uss table ko kiss kiya aur table se baat kiya, ek sandesha chorra Abhi ne uss table se ke wo Ruhi ko bata de ke Abhi aya tha idhar aur ussko kiss send kiya hai.

Dinner ke baad kaam chalu raha aur Abhi Ruhi ko bahot miss karne laga…. Raton mein iskh ka bhoot ziada chadhta hai, kal raat bhi Ruhi nahin thi aaj bhi nahin aur Abhi par ishk ka bhoot sawaar tha…tadap raha tha wo Ruhi ko yaad karte hue….

Jab se Abhi Christmas eve ki night celebrate karna shuru kiya hai doston ke beech aaj pehli baar tha ke iss raat ko Abhi kaam kar raha tha jiss waqt ussko sheher mein ghumna, mauj masti karna chahiye tha…. aur Abhi ne socha iss waqt Ruhi supermarket mein hogi kyunke late night shopping hota tha iss raat ko….

Raat ko 12 baje kaam finish hua… bus COMPLETE HO GAYA… aur start kiya gaya aur khud Mehboob ne drive kiya… George saath tha, sunil, aur baaki ke sab saath the bus mein….

Abhi ne Rahima ke paas ek message chorra Ruhi ke liye, Abhi ne Rahima se kaha,

“pleae Ruhi ko mera sandesha pahucha dena, kehna ke main ne ussko merry xmas wish kiya aur kehna ke jaise ke ussne mujhe kaha main bahot patience rakhunga”

Manoj wapas agaya tha kaam se, aur wo bhi bus mein aya. Abhi ko aur 40 bus ke photos diye…., Abhi ne ussko pay kiya… Aur road par bus ki kayi aur photos liya ussne jo Abhi ko baad mein dega ussne kaha.

Mehboob khud drive karte hue Abhi ke team ko wapas ghar chorrne ja raha tha, bus almost bhara hua tha, bus mein Rahima, Farzina, Reza, sunil, George, sunil ka assistant, Manoj, Mahesh, George ka apprentice, aur Reza ke behnein bhare hue the Sirf Ruhi ki kami thi bus mein…. Kamaal hai Abhi ne socha, agar aaj wo hoti to wo bhi saath baithti Abhi ke saath bus mein wahan se 40 kms tak drive karte hue Abhi ke ghar tak jaati aur Abhi ka ghar bhi dekh leti….. magar afsos!

Jab bus Abhi ke ghar ke saamne ruka to Mehboob aur Reza ne kaha

“Achah to Abhi yahan rehta hai wo raha usska ghar… hmmm!!”

Subha ke 1 baj chuka tha jab Abhi ne apna diary khola aur likhna shuru kiya….. phir sone gaya to usska takiya bheeg gaya itna wo ro raha tha Ruhi ko sochte hue ……

To be continued….. (5700 words from both updates)
 
Last edited:

Chinturocky

Well-Known Member
4,312
12,563
158
Kya natak hai agar yahi kaam ki baat thi to pahale hi bata dete saaf saaf bol dete France wale ladake aur Dubai Le jaane ki baat kyo kahi.
Aur sabse jyada aajib usaki maa ka ravaiya, shuru me karan kuchh aur bataya baad me kuchh aur.
Usaki ummeed bhi jinda rakhi, ke dhang ke paise kamaye to uasako ruhi mil sakti hai.
Ye baat pahale bhi saaf saaf kyo nahi boli usake sabhi pariwar walo ne?
Intzaar rahega kal ke update ka.
Bhai Ab kahani kuchh samay aage badhana chahiye kuchh mahine Shayad abhi ko kaam dhandha jamate naam aur paisa kamate dikhana chahiye.
 

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Ruhi ki maa ka kuchh smjh nhi aa rha kbhi wo abhi or ruhi ko support krti hai kbhi ruhi ko abhi se alag kr deti hai
By the way nice updates
Waiting for next
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
nice update bhai jo kuch bhi ho raha sahi hai lekin jo tarika apna rahe wo galat hai :) matlab ruhi ke gharwalon ki baat kiya maine
 
Top