• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 36 Eve Of The Last Day

Abhi ne socha sirf pita ke lautne ki vajah se ro rahi hai ya Abhi ko bhi yaad kar rahi hai , abhi se juda hone ke ghum mein bhi ro rahi hai….. aur Abhi ne dekha Ruhi apne pita ke seene se lagi hui to thi magar kum se kum 7 baar Ruhi ki nazrein Abhi par gaye the uss dauraan….

Ab aaguey….

Ruhi ka rona jaise rona nahin tha, Abhi ne socha ke agar wo Ruhi ki jagah hota to itna rota apne pita se 3 saal baad milne par ke rukta hi nahin, aur Ruhi ki uss tarah se rone se Abhi ko lag gaya ke Ruhi uss se bahut kum emotional hai, Abhi ruhi se bahut ziada emotional aur sentimental tha Abhi ne khud se kaha.. magar phir Abhi ne yaad kiya ke kitna royi thi uss in Ruhi jab Abhi ne ussko baahon mein bhada tha….. aur abhi kuch der pehle jab Mehboob ne danta tha donon ko tab kitna royi thi fut fut kar Abhi ke saath… to aaj pita se milne ke baad kyun wo nahin royi? Haan shayad bahot ro chuki thi kuch der pehle Abhi ke saath aur wapas ghar men bhag gayi to jaakar khub royi hogi, saare ansoo sukh gaye honge….

Aur thodi der baad jab Ruhi ke father ghar ke andar chala gaya to Abhi ne dekha ke Ruhi ussko dekh rahi hai terrace par khadi, usski badi behen usske saath thi. Abhi ne socha ab kaise usske paas khadi hai? Socha ke shaayad usski badi behen saath hai iss liye, Abhi ke paas aagayi hai…. Aur achanak Ruhi ki badi behen ne Abhi ko ishara kiya…. Abhi nahin samjha to pucha kia keh rahi hai to badi behen ne kaha ussko matlab Ruhi ko kuch kehna hai… Abhi bahot khush hua aur terrace par gaya puchne ke Ruhi kia keh rahi hai. Ruhi ne normal tarike se kaha,

“Aaj last din hai aap ka yahan ya kal phir ana hoga!”

Abhi ko ek baat yaad aayi aur kaha,

“kyun bala tal jaega agar mera ana end hua to?!”

Ruhi ne kaha,

“Aapne aaj tak uss baat ko dil se lagaya hua hai Abhi?”

Abhi ne ek gahri saans lete hue kaha,

“Tumhari kaun si baat ko main ne dil se nahin lagaya hai Ruhi? Kissi din tumko dikhaunga ya padhne ko dunga tab padh lena ke tumhare kiss kiss chiz ko main ne dil se lagaya hua hai”

Ruhi ki badi behen Abhi ko upar se niche dekh rahi thi bina muskurahat ke, bina kissi bhi feeling ya emotion ke, lagta tha wo samajhne ki koshish kar rahi hai ke Abhi sahi ladka hai ya nahin Ruhi ke liye. To Ruhi mudh kar apni badi behen ko dekhte hue uss se kaha,

“Dekha na di, aise hi baat karta hai, itna tez hai ke pucho mat, maa bhi innse kabhi nahin jeet sakti, he is too intelligent.”

To Abhi ne Ruhi se kaha,

“Achah thodi der mein tumhare papa se baat karne aunga, kaam end hone ke baad, wash kar lunga tab okay… tum sath dogi nah, kahin tumhare papa yeh nah samjhe ke mera pyar ek tarfa hai kaha tha nah main ne khat mein?!”

Ruhi pehle apni behen ko dekh kar muskuraayi, tab Abhi ko dekh kar hanssi, phir apne chehre par ek sikanjh late hue kaha,

“uff issi liye main puchne aayi ke aaj kaam end hoga ya nahin, no, Abhi mere papa se kuch nahin kehna hai, main nahin chahti ke aap uss se abhi kuch bhi kaho!”

Abhi puchne hi jaa raha tha ke kyun tab tak Ruhi ki badi behen ne Abhi se kaha,

“Wo abhi abhi aaye hein thake honge aur itni badi baat unn se kehna achah nahin lagega, kal aap baat kar lena!”

Abhi ne kaha,

“aur agar aaj kaam end ho gaya, to main kal sirf unn se milne ke liye aa sakta hoon nah?!”

Ruhi ne khud kaha,

yes of course aap aa sakte ho kiss ne mana kiya aap ko?!”

Abhi ne turant kaha,

“YAAD RAKHUNGA ISS BAAT KO”

Ruhi ne hanss diye tab Abhi ne phir kaha,

“Ab agle 24 hours ke beech tumhare papa ke kaan bhare jaa sakte hein mere khilaaf, to agar ussko accept bhi karna hota tab na karega, aur agar abhi iss se pehle ke usse koyi kuch kahe, main seedha jaa kar baat kar lun to bahut behtar hoga mere khayal se…”

Ruhi ki badi behen ne kaha,

“aap ne kia ghalat kiya hai jo koyi aap ke khilaaf kuch kahega? Kia aap ne koyi ghalat kaam kiya hai? Nahin nah? To kaun kuch bhi keh sakta hai mere papa ko aap ke khilaaf?!”

Abhi ne kuch nahin kaha tab tak Tony ne Abhi ko help ke liye bulaya to ussko jaana pada aur donon andar chale gaye.

Magar Abhi ko sahi nahin lag raha tha ke kal tak baat ko roke, wo Ruhi ke father se issi waqt baat karna chahta tha, iss liye kuch der baad Ruhi ki maa dikhi to Abhi uss se puchne gaya aur kaha,

“main ab ata hoon Ruhi ke papa se baat karne aaun kia?!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Are hum log Ruhi ki nani ke yahan jaa rahe hein wo bimaar hai nah, Ruhi ke papa ussko dekhne jaa rahe hein abhi issi waqt.”

Raat 7.30 ko extention electric wire mein bulb lagaa kar kaam kar rahe the Abhi aur team. Sab samajh rahe the ke raat ke barah baje tak sab kaam end ho jayenge iss liye complete karna chahte the. Ye pehli baar tha ke itna der raat ko bhi kaam jaari tha bus mein. Aur Abhi ne dekha ke Ruhi ka baap aur baaki ke log jaa rahe hein usske nani ke ghar car mein. Ruhi bhi jaa rahi thi. Ussne ek nayi dress pehni thi jissko aaj pehli baar Abhi dekh raha tha, iss se pehle Ruhi ne kabhi nahin pehni thi wo dress. Kamaal ki khubsurat dikh rahi thi, kayamat lag rahi thi aur Abhi paagal hone laga tha ussko uss tarah dekh kar…. Ruhi ne jaate jaate kayi baar Abhi ke taraf dekha, varna ussko pata tha shayad ke Abhi baad mein kehta ke tumne jaate hue mujhko ek nazar bhi nahin dekha. Abhi bhi ussi ko ghurre jaa raha tha, phir zor se Abhi “pyar karte hein hum tumhein itna” whistle karne laga.

Phir bus ke andar Manoj paint kar raha tha chhote chhote jagahon par ek paint brush se. Sunil ne ussko wo karne ko kaha tha, jiss jiss jagah par air holes jo ceilings mein hota hai, Abhi fix kar raha tha, sabhi unn jagahon ke niche Manoj paint kar raha tha, iss liye Manoj aur Abhi ek saath kaam kar rahe the. Itni jaldi thi sab kuch finish karne ke liye family ke saare log help kar rahe the…To Abhi ne Manoj se pucha,

“tum apne nani ko dekhne nahin gaye?”

Manoj ne muskuraate hue kaha,

“nahin main nahin gaya, meri maa, papa aur behen gaye…”

Jab ‘behen’ word kaha Manoj ne to hansste hue Abhi ke chehre mein dekha tab kaha, “Ruhi gayi hai saath”

Abhi ne muskurate hue socha,

“saale ko pata hai ke main Ruhi ko chahta hoon issi liye hanss kar Ruhi ka naam alag se liya behen kehne ke baad”

Tab Abhi ne pucha,

“kaafi door gaye hein nah? bahut late wapas ayenge nah?”

Manoj ne phir hansste hue kaha,

“nahin ziada late nahin ayenge, tum yahin honge, unn se mil paoge, weh log wapas ajayenge dekh lena…”

Abhi ko pakka yakeen ho gaya ke Manoj ko sab kuch pata hai Ruhi aur usske baare mein.

Aur Manoj ne yeh bhi kaha Abhi se,

“main ne baaki ke rolls develop karne ko de diya hai, kal photos mil jaenge wo tumko de dunga kal hi, okay, aur akhri ekaat pics jo lunga road par wo phir kabhi kissi tarah tum tak pahuncha dunga.”

Dinner Mehboob ke ghar kiya Abhi aur team ne. Aur raat ko kaam jaari raha bus mein. Abhi pray karne laga ke Ruhi wapas aajaye Abhi ke wapas jaane se pehle…. Raat ko aaj tak kabhi kaam nahin kiya tha uss aangan mein Abhi ne…. Aur mahaul kuch aisa tha ke Abhi ko wo raat yaad ane lagi jiss raat ko wo Ruhi ke ghar par ruka tha…. iss aangan mein iss bus ke piche kiss kiye the donon ne eisi hi raat ke andhere mein…. Wohi fiza thi, wohi khusbhoo thi baahar ke hawaaon mein, aur Abhi ko Ruhi ki baahon ki khushbhoo yaad aayi, usski jakar mein jo komalta tha wo yaad aya, kiss tarah uss raat ko Ruhi ne kapde change kiye the usske samne wo yaad aya Abhi ko aur wo tadapne laga Ruhi ke liye…..

Abhi Ruhi ko dekhna chahta tha, ussko baahon mein phir bharne ki chaah jagi Abhi ke andar, usska dil Ruhi ko yaad karne laga aur Abhi ne asmaan ke taraf sar utha kar kaha,

“Ey upar waale, ey zameen aasmaan banana wale, ey chand sitaare banaane wale, bhej de meri Ruhi ko mera paas, mera dil machalne laga hai ussko dekhne ke liye”

Duah turant kubool hui aur car ne aangan mein entry li, Ruhi car se utri apne parents ke saath. Raat ke 10.30 hue the. Car thik Abhi ke bagal mein ruki, aur jiss jagah Ruhi ko car se utarna tha wo thik Abhi ke side mein tha…. kyunke Andhera tha, kissi ko dikhta nahin to Abhi ne Ruhi ka haath pakar liya…. Ruhi chhuraane ki koshish kar rahi thi magar Abhi chorr nahin raha tha iss liye Ruhi ko khamosh wahi khada rehna pada varna koyi bhi dekh leta ke wo Abhi ke haath se apna haath chhura rahi hai, magar yeh sirf koyi 15 seconds tak hua kyunke tab tak usski maa bhi car se nikli aur Abhi ko Ruhi ka haath chorrna pada….

Assal mein Abhi ne socha tha sabke saamne Ruhi ko apne baahon mein kasske bhar lene ko, sabke saamne, Mehboob ke, usski maa ke, Ruhi ke pita ke, Manoj ke, Mahesh ke, Ruhi ki behen aur behnoy ke saamne Ruhi ko kaske apne bahon bharkar eylaan karne ko ke wo Ruhi se beinteha pyar karta hai aur aaj issi waqt usske pita se usska haath mangta hai shaadi ke liye…. Abhi ek vision jaise kar raha tha, jaise filmon mein flashback aate hai nah, weise Abhi khud uss scene ko apne khayaalon mein dekh raha tha uss waqt Ruhi ka haath chorrne ke baad.

Aur jab Ruhi ka haath chorr diya Abhi ne, tab tak usski maa nikli car se, Ruhi ne apni kalaayi massalte hue Abhi ko teerchi nazar se dekha aur ussko jeeb se chidhaate hue ghar ke taraf jaane lagi, aur Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Abhi itna late kaam kar rahe ho aaj? Finish nahin hua kia?”

Abhi ne jawaab diya,

“haan dekha nah raat ke 11 bajne ko hai aur kaam kar raha hoon aur pata nahin kaun aap ke kaan bhar rahe hein ke main nikkamma hoon… nahin finish nahin hua lagta hai kal bhi ana padega, aur kal pakka LAST day hoga iss bus mein kaam ki!!”

Abhi ko to bahot Khushi ho rahi tha ke ussko aur ana padega us aangan mein kaam karne ko kal bhi.

Ruhi ki maa ne terrace par rukte hue Abhi ko haath ke ishare se bulaya, wo gaya uss se baat karne aur bus ke andar se Manoj apni maa ko Abhi se baat karte hue dekh kar hanss raha tha, aur Ruhi lounge mein kadhi dekh rahi thi ab tak apne kalaayi ko massalte hue jahan Abhi ne zor se ussko pakra tha jab wo car se nikli thi to, aur Abhi ko ishaare se dikha rahi thi ke Abhi ke panje ka nishaan ban gaya hai Ruhi ki kalaayi par, Ruhi ne munh banaate hue apni kalaayi Abhi ko dikhaya aur jaise apne nazron se keh rahi thi, “dekho tumne mere kalaayi par nishaan bana diya apne panje ka, kitna zor ke pakra tha meri kalaayi ko!”

Aur Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Abhi mujhe afsos hai ke main tumko NAH kehti hoon ab Ruhi ke liye final word hai NO!”

Abhi ki awaaz nahin nikli…. Wo khamosh raha aur Ruhi ko dekhta raha lounge mein, full lights the Ruhi par, chamak rahi thi apni nayi dress mein, chehre par jaise ek noor thi Ruhi ke, aur Abhi uskso dekhte hue soch raaha tha ke kia yeh hoor, yeh pari meri nahin hogi? Aisa ho nahin sakta, kal to isske papa se main baat karke hi rahunga chahe kuch bhi ho jaaye.”

Kaam jaari raha raat ke 00.30 tak. Abhi raat ko bhi Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha, aur apne gaane ki tune ki seeti baja raha tha, iss umeed se ke Ruhi soyi nahin hogi, iss liye ke wo iss waqt tak kaam raha the aur Ruhi sunein aur baahar aakar ussko dekhe….. magar wo to sapnon mein Abhi ko seeti bajaate hue dekh rahi hogi uss waqt.

Subha ke 1 baje Abhi aur team ko ek car ghar wapas chorrne gaya, car ko Mehboob ne rent kiya tha.

Subha 3 baje tak Abhi ne sab kuch likha apne diary mein aur last line ko bold mein yeh likh kkar diary ko band kiya,

“TOMORROW IS THE LAST DAY I WILL WORK THERE. I HOPE TO COME BACK HERE TOMORROW AND WRITE THAT RUHI’S PARENTS ACCEPTED AND NOW RUHI IS MINE.”

To be continued….
 
Last edited:

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 34 Monday Continued….
Soch raha tha kal shayad aakhri din hoga Ruhi ke aangan mein aur ussko pata tha ke kal Ruhi ke pita aane wala tha, to ussko dikh gaya ke kal ka din aur bura hoga kyunke ruhi apne pita ke wapas aane ki khushi mein ussko aur bhi ziada ignore karegi…. Phir bhi abhi ne soch liya tha ke apne taraf se jo ussko karna hai wo kar ke rahega, ruhi ke pita se baat zaroor karga yeh tey tha abhi ke taraf se….

Ab aaguey

Subha ko Ruhi kitchen ke paas nazar aayi. Abhi usski maa se baat karne gaya. Magar bina kuch kahe hi usski maa ne Abhi se kaha,

“nahin nahin kuch nahin ho sakta hai!”

Abhi heyrani se ussko dekhte hue kaha,

“kyun? Kia nahin ho sakta? Kia keh rahi ho aap?”

Ruhi wahin khadi sun rahi thi bina Abhi ke taraf dekhe…

Ruhi ki maa ne kaha,

“mujhe pata hai tum Ruhi ke liye aaye ho nah? wo nahin maan rahi hai hum kia kar sakte hein ab?!”

Abhi ka munh sukh gaya, ussko jaise paani pine ki zaroorat mehsoos hui, aur kaha,

“What? Yeh kaise ho sakta hai? Main nahin manta….”

Phir Abhi Ruhi ke taraf dekhte hue usski maa se kaha,

“Magar wo khud kyun nahin keh rahi hai mujhe? Kyun khamosh hai agar aisi baat hai to?!”

Tab Ruhi ki mummy ne hansste hue jaise Abhi ko encourage karte hue kaha,

“Magar kuch bhi ho humko tumhare parents se to milna hoga nah Abhi?!”

Jab usski maa ne yeh kaha to Ruhi ne muskuraate hue Abhi ko dekha….

Magar Abhi bahot serious tha aur Ruhi ko gambhirta ke saath dekha. Aur usski mummy ko jawaab diya,

“haan beshak donon taraf ke parents ko milna hoga.”

Tab Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Haan to isske pita ko aajane do aaj arahe hein wo tab dekha jaega”

Ab inn baton se Abhi ka hausla to badhega hi nah?

Phir Ruhi ki maa ne Abhi se kaha ke jo kaam wo karta hai wo kuch dhang ka nahin hai.

Abhi ne Sunil ko socha aur usske saath jo hua tha usske baare mein socha Abhi ne.

Abhi ne pucha,

“kyun yeh kaam dhang ka nahin hai?”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Meri maa jahan rehti hai wahan kayi aise log hein jo bekaar rehte hein kyunke weh log car repair karte hein aur unnko kabhi kaam milta hi nahin…. Kia hoga agar tumhare paas regular basis par kaam nahin hoga? Tumko pata hai Ruhi mujhe meri jaan se bhi pyari hai main usske liye bahot fikar karti hoon, main apni badi beti se itni attached nahin thi, magar meri Ruhi…. ”

Abhi ne jawaab diya,

“Car ke body repair karna aur mera kaam do bilkool alag baat hai, car ki tin repair karne wale ko panel beater kehte hein bus ki body ko banane wale ko Coach builder kehte hein do bilkool hi alag kaam hote hein, hum wo gas wala welding bilkool istemaal nahin karte, hum aluminium se kaam karte hein uss tin se nahin jo car repair karne wale istemaal karte hein….”

Tab Abhi ne socha ke unn logon ko pata hi nahin ke bus ki coach building kia hota hai…. Weh log car ki tin repair karne wala samajh rahe the Abhi ko! Magar Abhi ko wo karna bilkool bhi nahin ata tha wo ekdum se alag kaam tha…. Aur Abhi samajhne laga ke usski Naukri ki vajah se Ruhi ke nani ke yahan baat chali hogi issi liye nani walon ne, mamou, mami, maasi, sabne Ruhi ki maa aur Ruhi ko mana kiya hoga iss rishte ko aaguey badhaane ke liye, Ruhi ko unn logon ne discourage kiya hoga, issi liye uss din se Ruhi weise behave karne lagi thi aur doorie rakhne lagi thi Abhi se….. aisa Abhi soch raha tha….

Abhi soch raha tha ab Ruhi ke pita ke aane ke baad, Ruhi ko usske maa baap ke saamne bitha kar apne kaam ke baare mein sab samjhega, tab apna proposal rakhega. Weh log shayad soch rahe the ke jo kaam Abhi kar raha hai uss se Abhi unke beti ko khush nahin rakh paega, unnke beti ko saari suvidhaayein nahin de paega Abhi. Yehi soch the shayad Ruhi ki maa ki. Aur Abhi Sunil ki kahi hui baat ko sochne laga ke usske saath bhi yehi kiya tha inn logon ne!

Abhi ne phir Ruhi ki maa se kaha,

“Aap zara sochiye main kaise Ruhi ko takliff de sakta hoon? Aap ke khayal se jiss se main itna pyar karta hoon ussko kissi kissam ki taklif hone dunga? Agar khuda nah khaasta mere paas yeh kaam nahin raha to aap kia samajhti ho Ruhi ke liye main kuch aur nahin karunga? Aisa to ho hi nahin sakta… aap fikar nah karein nah!”

To Ruhi ki maa hanssne lagi aur kaha,

“Thik hai phir usske pita ko aajane do. Dhiraj rakho, aaj wo aane wala hai shaam ko.”

Abhi ko lag raha tha ke sab thik ho jaega, kal jo khat likhe tha Ruhi ko Abhi ne uss mein Ruhi ko sab kuch samjha diya tha ke ussko apne pita se keh dena chahiye ke wo bhi Abhi se pyar karti hai, tab Abhi ko asaani hogi apne taraf se baat karne ko….

Ab Abhi Ruhi se baat karna chahta tha iss baare mein iss se pehle ke usska baap wapas aaye. Abhi sab kuch araam se Ruhi ko samjhana chahta tha taake Ruhi bhi samjhe. To Abhi ne Ruhi ki maa se kaha ke wo Ruhi se ussko kuch der baat karne dein, Ruhi ko bulaane ko kaha. Ruhi ki maa ne Ruhi ko bulaya. Khidki ke paas, usski maa thi aur andar se Ruhi aayi…..

Aur aaj itne dinon mein pehli baar Abhi ne Ruhi ko usse ek ajeeb nazron se dekhte hue dekha, jaise ussko koyi interest nahin thi Abhi se baat karne ke liye, Ruhi ne frown karte hue Abhi ke taraf dekhte hue kaha,

“kia hai? Ab kia kehna hai aap ko aur?!”

Ruhi ki uss tarah se baat karne se Abhi ko mann kiya ke turant wahan se wapas nikal jaaye, ussko laga ke bekaar mein baat karega….. Abhi ko wapas apne ghar turant chale jaane ka mann kiya…. Ussko jaise Ruhi ki nazron mein usske liye NAFRAT dikha…. Magar aisa bhi kia ho gaya ke nafrat dikh gayi Abhi ko Ruhi ki nazron mein…. Abhi samajh nahin paa raha tha ke ab Ruhi se kaise baat kare aur kia kahe ussko jiss tarah se wo Abhi ko dekh rahi thi jaise Abhi ussko disturb kar raha tha ussko bula kar.

Jiss chehre par itne dinon se Abhi ne sirf pyar dekha tha, jiss Ruhi ke chehre par hamesha ek pyari si Muskaan hua karti thi, jiss mein Abhi ne sirf aur sirf pyar dekha tha apne liye aaj uss chehre mein ek karwahat dekha Abhi ne. Abhi Ruhi ko itna chahta tha ke usski ek ek rag se wakif tha, usski har ek adaa, usski har ek chehre ki badlaav ko pehchaanta tha magar jo aaj Abhi ne dekha tha Ruhi ke chehre par wo Abhi ne kabhi nahin dekha tha itne dinon mein, aur Abhi ko wo bilkool bhi passand nahin tha. Uss Ruhi ki roop ko describe karna mushkil hai aur usska Abhi par jo assar hua wo bhi bayan karna mushkil hai…. Phir bhi Abhi baat karna chahta tha to himmat karke kiya baat ussne. Kyunke donon English mein baat karte the hamesha to Abhi ne English mein sabse pehle kaha,

“Why are you giving such a look? Why you are so serious, not a single smile on the face? Did I disturb you by calling you here?”

Ruhi ke munh mein jo ata tha wohi bak deti thi, ussne Abhi ko jawaab mein buss itna kaha,

“I must be serious in life that’s why!”

Yeh bhi koyi jawaab tha? Abhi udaas tha, pareshaan tha wo usske chehre par saaf dikhaayi de raha tha, aur Ruhi ko bhi pata tha; Abhi ne apne sayyam rakhte hue kaha,

“Look Ruhi, I am suffering… yes I am suffering and it’s because of you my dear…”

Ruhi ne kaha,

“Do you think I AM NOT SUFFERING?!”

To Abhi ne kaha,

“Then talk to you father, We can be successful Ruhi, from my part I will do all to convince him, but if you do not play your role I won’t be able to do it alone isn’t it?!”

Ruhi ne kaha,

“I can’t. My life IS NOT MINE”

Abhi ko ghussa aane laga tha usski behuda jawaab se. Kia bakwaas jawaab de rahi thi!

Agar wo bhi suffer kar rahi thi to kia solution tha suffering ko end karne ki, wo tha donon ka milan….

Tab tak Mehboob tea serve kar raha tha, aur Mehboob ne Abhi ke taraf aakar tray ko ussko dikhaate hue kaha,

“Hey Abhi!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“jao apna chai lelo Abhi.”

Abhi ne kaha,

“wait.”

To Ruhi ne fikarmand dikhte hue kaha,

“Oh my god wo hum logon ko hi dekh raha hai aap jao nah!”

Abhi ne Ruhi se kaha,

“magar ussko sab pata hai nah yaar!”

Tab Ruhi ne kaha

“nahin ussi ne hmm hmm hmm hmmm” yeh kehte hue Ruhi muskuraayi

To Abhi ne pucha,

“kia hmm hmm hmm? HE WILL NOT ACCEPT?”

Ruhi: “NO.”

Abhi: “okay meet me at lunch time.”

Tab Ruhi aur usski mummy donon ne kaha

“nahin nahin bilkool nahin”

Abhi ne zid kiya, zor diya ke lunch time mein Ruhi uss se mile. Magar Ruhi ne kaha,

“BE PATIENT”

Aur usski maa ne repeat kiya,

“BE PATIENT”

Abhi ne kaha,

“That’s what I am doing!”

Phir Abhi ne aur kaha,

“Dekho Ruhi ho sakta hai aaj yahan mera aakhri din hai kaam karne ka…. Aur agar kaam pura nahin hua shaam tak to kal aakhri din hoga, mujhe tumse bahot zaroori baat karni hai”

Ruhi ne bus ek halki si mukurahat se Abhi ko dekha aur ab chehre mein thoda sa badlaav aur narmi dikhayai diya Abhi ko, aur Abhi wahan se wapas bus mein chala gaya.

Koyi ek ghante baad Ruhi ki maa phir baat kar rahi thi Abhi ke saath. Ussne Abhi se kaha,

“Aur yahan par kissi ne yeh bhi kaha ke tum sirf yahan har roz kaam karne aate ho varna har jagah kaam se bahot absent rehte ho, har roz kaam nahin karte ho, samajh rahe ho nah wo lazy type log jaise….”

Abhi ko zabardast jhatka laga wo baat sunke aur pucha ke kiss ne ussko wo baat bataya, kia Mehboob ne wo sab kaha uss se? To Ruhi ki maa ne kaha ke nahin Mehboob ne nahin. To Abhi ke kaha to phir Reza ne kaha hoga kyunke wo shuru se hi mujhse jalta hai, ussko nahin passand ke main Ruhi se pyar kar raha hoon wo pata nahin kyun hamesha mere piche pada hota hai… mere aur Ruhi ke beech ek deewar ki tarah bana rehta hai…”

Abhi ne Ruhi ki maa se kaha ke jo kuch bhi ussko bataya gaya sab sarasar JHOOT hai.

Jabse Abhi ne 12th chorra tab se aaj tak lagatar kaam karte aaya hai, kahbi yahan kabhi wahan kabhi yeh kaam kabhi wo kaam, kisaan ka beta mazdoori bhi kiya, ganne ke khet mein bhi kaam kiya, yeh kabhi nahin kaha ke padha likha hai to koyi office mein ya koyi bhi white collar job karega magar jo mila jaise mila kaam karta gaya aur yahan kissi lalloo ne keh diya ke Abhi kaam nahin karta dhang se! kamaal hai Abhi sar hillate hue khud hanssne laga….

Kuch der bad Abhi ne Ruhi ko kitchen wale stair par khadi dekha, to usske toda paas jaakar, 1 metre ki distance se kaha,

“Tumhara photo kab dogi mujhko? Mujhe chahiye at least 1 photo of yours please, ziada mile to behtar hoga.”

Badle mein Ruhi ne jawaab to nahin diya magar apne donon haahon ko ek camera ki tarah kar ke Abhi ke taraf kiya aur jaise ek click kiya Abhi ki photo ko aur hanssne lagi. (aaj ke din hote to mobile se kitne saare photos Abhi ne le liya hota Ruhi ki?!”)

Aur tabhi kissi ne Ruhi ko bulaya baahar Main road ke taraf, shayad Ruhi ke papa ka phone aya tha udhar. Aaj usska papa wapas aane wala tha… to jab Ruhi gayi call lene to Abhi ke paas se guzar kar gayi, aur jab wapas aane lagi to Abhi ne ussko rukne ko kaha magar Ruhi ne uss hisse ko daud kar tey kiya jahan Abhi tha wahan se usski kitchen tak taake Abhi ussko nahin roke, aur jab Ruhi daudte hue apni kitchen ke stairs par reach hui to palat kar Abhi ko dekha apne munh mein apne jeeb se apne gaal ko fullaate hue ek muskurahat ke saath….

Aur phir kuch der baad Ruhi apni cousin ke ghar gayi aur wapas aate waqt Abhi ne uss se kaha,

“Ruhi, ruko nah sunon to please…”

Ruhi ne kuch darrte hue expression mein Abhi ko dekhte hue kaha,

“Mujhse aise baat mat kijiye aap”

Aur wo bhaag kar chali gayi apni kitchen mein.

Aur ek baar Ruhi ne Abhi se kaha,

“Aap ab mujhe bhool jao!”

Aur Abhi ne replay kiya,

“THAT’S IMPOSSIBLE”

Aur tab Ruhi hanssi thi.

Ek baar phir phone call aya aur Ruhi phir gayi, aur jab wapas aa rahi thi to Abhi ne phir ussko rukne ke liye kaha, aur iss baar Ruhi ne jhoot mooth ke jhuk kar ek paper ka tukda uthaane ka bahana karte hue ruki aur Abhi se kaha,

“kia hai?”

Abhi usske karib hua aur kaha,

“Uss din jab tumne ne kaha tha ke tum virgin nahin ho, to main ne kaha tha ke tum mujhko itna pyar karogi ke wo tumhara pyar saare beech ke issues khatam kar dega, virginity ya kuch bhi ho beech mein sab mit jaega tum mujhko itna pyar karogi, aur tumne haan kaha tha Ruhi yaad bhi hai ke nahin?”

Abhi ne yeh sab kaha Ruhi ko apne kahi hui baat ko yaad dilaane ke liye, ussko yaad dilaane ke liye ke ussne kaha tha ke wo Abhi ko bahot pyar karegi…. Abhi ne Ruhi ko usska pyar yaad karaya, to Abhi yeh umeed kar raha tha ke Ruhi sharminda hogi ya apni kahi hui baat ko yaad karegi magar jo jawaab diya Ruhi ne usski zaroorat hi nahin thi, wo baat hi nahin ho rahi thi…. Ruhi ne kaha,

“Well I am not a virgin that does not mean anything to you?”

Abhi ne gambhirta se Ruhi ke aankhon mein dekhte hue reply kiya,

“No that makes no difference to me because I LOVE YOU DAMN IT, do you understand? I am suffering damn it!! Do you have a heart to feel what I am going through, mere andar dard ho raha hai Ruhi, main tadap raha hoon tumko nahin dikh raha kia?”

Abhi ke baton ka jaise Ruhi par koyi assar nahin ho raha tha, wo apne pita ke wapas aane ki Khushi mein gum thi shayad uss waqt. Abhi ne sahi mauka nahin use kiya tha ussko apne dil ki baat kehne ke liye, aur Ruhi ne Abhi se kaha,

“I am no a V, this should have affected you!”

Aur Ruhi ne yeh kaha tab,

“Mujhe ek promise kijiye abhi issi waqt, ke agar hamari shaadi nahin bhi hui to aap kabhi bhi kissi se bhi meri V wali baat nahin bataoge.”

Abhi ne PROMISE kiya turant. Abhi ko uss pal jaise comfirm hua ke Ruhi usski kabhi nahin banegi issi liye Ruhi ne Abhi se wo promise liya. To Abhi ne kaha,

“Agar humko nahin milna hai, agar juda hi ho jana hai to please ek photo dedo mujhe main umar bhar teri tasveer se hi sahi pyar karta rahunga, ek tasver dede please Ruhi”

Ruhi ne nah kaha aur dekha ke Mehboob araha tha to Ruhi bhaagne ki raah dekh rahi thi to last mein Abhi ne pucha,

“Wo V kiss ne kiya tere saath?”

Ruhi ne jaate jaate jawaab mein yeh kaha Abhi ko,

“Nahin, main to kabhi nahin bataungi, magar aap ho sake to khud pata laga lena!”

Aur Ruhi chali gayi.

To be continued….(2778words)
ruhi kyu aisa behave kr rhi h abhi ke sath jab use abhi ka hona hi nahi tha to pyar ka natak kyu kiya kyun uske armano ko jagane diya ab to abhi ko lagnr rugi uski kabhi nhi hogi kya sach me abhi ka phir se dil tut jayega kya use uska pyar kabhi nhi milega kyu aisa abhi ke sath ho rha hai full suspense bna rkha hai Casi bhai
lazjawaab update
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
badhiya update bhaiya ji
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 35 Ruhi’s Father Comes Back

“Wo V kiss ne kiya tere saath?”

Ruhi ne jaate jaate jawaab mein yeh kaha Abhi ko,

“nahin, main to kabhi nahin bataungi, magar aap ho sake to khud pata laga lena!”

Aur Ruhi chali gayi.

Abhi sochne laga ke kyun Ruhi ne ussko khud pata lagaane ko kaha ke kissne usski virginity li hai? Abhi kaise pata laga paega?

Aur Abhi ne yeh bhi socha ke Ruhi kyun Mehboob se itna darrti hai? Kyun? Mehboob ne kuch kiya hoga? Kuch kaha hoga Abhi ke khilaaf? Kia Mehboob ne Ruhi ko Abhi se milne aur baat karne ke liye mana kiya hai? To iss liye, Abhi ne Mehboob se baat karne ko decide kiya. Aur wo gaya uss se Ruhi ke baare mein baat karne ek mard ke bache ki tarah.

Abhi ne socha jab Mehboob se 75 hazaar ke badle 3 laakh nikalwa sakta hai to kaun si badi baat hai uss se Ruhi ke baare mein baat karne ko. Yeh mardaangi wala baat hamesha tha Abhi mein, wo darrta to bilkool nahin tha kissi se bhi jahan mardon wali baa ata tha to, to be jhijhak wo gaya aur Mehboob se kaha,

“Mehboob bhai, aap Ruhi ke chacha lagte ho nah? haan pata hai usske pita aap ke liye bhai se badhkar hai aur usski ghair haziri mein Ruhi aap ki beti jaisi hai aur aap ka haq banta hai usski dekh bhaal karna. To uss haysiyat se usske pita nahin hai to aap usske pita jaise hue hai nah?!”

Mehboob ko to sab pata tha ke Abhi uss se kia kehne wala hai, aur usne buss haan mein sar hillaate hue Abhi se kaha,

“haan Abhi sahi keh rahe ho wo meri beti se badhkar hai, aur mujhe yeh bhi pata hai ke tum mujhse kia kehne aaye ho”

Aur yeh kehkar Mehboob hanssne laga aur Abhi ke kandhe par haath rakh kar araam se kaha,

“Bolo Abhi kia kehna hai, darro mat bolo!”

Abhi: “Darta to main bilkool bhi nahin Mehboob bhai, aap se phir yeh kehna hai ke main jald hi aap ka rishtedaar banne wala hoon, aap ko pata chal gaya hoga ke main Ruhi ki baat kar raha hoon!”

Mehboob ne muskuraate hue kaha,

“kyun nahin Abhi insha Allah, kyun nahin, mujhe pata tha tum yehi kehne aaye ho, magar aaj Ruhi ke pita araha hai nah to ussi se yeh baat kehna bahut behtar hoga hai nah?!”

Abhi: “haan Mehboob bhai uss se bhi baat karunga zaroor, magar wo to itne dinon se yahan tha nahin to ussko kuch nahin pata par aap ko to sab pata hai nah? Itne dinon se sab aap ke aankhon ke saamne to ho raha hai nah, to iss liye mujhe aap ki madad ki zaroorat padegi Mehboob bhai!”

Mehboob: “Haan thik hai magar kaisa madad Abhi?”

Abhi: “are bhai Ruhi ke pita ko nahin pata ke pichle der mahinon se main aur Ruhi ek dusre se pyar karte hein, aap ko to pata hai. To aap ko Ruhi ke pita se kehna hoga ke haan donon ek dusre ko chahte hein Rishta kar deni chahiye donon ke; itna to kar sakte ho nah bhai?!”

Mehboob muskuraate hue Abhi ko sun raha tha aur kaha,

“Bahut dum hai tujh mein Abhi, khud apne shaadi ki baat kar rahe ho? Wah. Magar mere nazar se iss baat ko dekho aur samjho Abhi, Ruhi ke pita ne mujh par ek zimedaari chorr ke gaya tha ke main usske bachon ka khayal rakhun hai nah? To jab main uss se kahunga ke der mahine tak tum mere liye kaam karte hue usski beti ke saath ishk kar raha tha to wo kia sochega mere baare mein? Kahega nah ke main ne yeh kiss tarah ka khayal rakah usski beti ka?!”

Abhi ne kaha,

“are bhai ghalat track par kyun leja rahe ho baat ko? Sahi tarike se sirf hum donon ko support to kar sakte ho bhai yeh kehte hue ke in der mahinon mein yahan kaam karte hue mujhe pyar ho gaya Ruhi se aur ussko mujhse, to main ne Ruhi ka haath manga shaadi ke liye, itna to kar sakte ho nah aap Mehboob bhai?!”

Meboob: “Abhi yehi baat tumne mujhko pehle kyun nahin bataya? Kyun der mahine tak chhupaya tumne mujhse? Pehle keh diya hota, 1 mahine pehle, keh dete mujhe to mujhe pata hota pehle se, shaayad main phone karke ussko bata chuka hota.. kyun tumne aaj hi ka din chuna mujhe yeh baat bataane ke liye Abhi?”

Abhi: “Bhai mujhe pata tha ke aap ko iss baat ka already pata hai issi liye kuch nahin bataya, balke main to soch raha tha ke kissi din aap mujhse iss baare mein sawaal karoge…. Ab aaj ya kal aakhri din hai yahan kaam karne ka iss liye ab bata raha hoon aap ko, iss mein kia hai bhai itna to batao nah ke mera support kar sakoge nah Mehboob bhai?”

Mehboob: “okay thik hai support to karna parega, aur koyi raasta chorra hi nahin tumne… aur haan tumhare gharwalon ka bhi pata lagana hai nah humko ab?”

Abhi:”haan bhai, pehle Ruhi ke pita se baat karlun tab apne parents ke saath aunga Ruhi ka haath maangne, tab mangni vaghaira ko milkar decide karenge thik rahega nah bhai?!”

Mehboob ne muskuraate hue aur Saeed ke taraf dekhte hue haan kaha Abhi ko.

Tony aur Sunil ne sab suna aur jaldi se Abhi ko aakar haath milaate hue congrats kiye.

Abhi ko ek umeed ki kiran nazar aayi aur thoda khush feel kiya ke at least ab wo kaamyaab hone jaa raha hai.

Aur wo gaya Ruhi ko bataane ke ussne Mehbob se baat kar liye aur ussne okay keh diya hai.

Jab Abhi ne sab Ruhi ko bataya to Ruhi ne kaha,

“Wo sirf aap se aise baat karta hai aap ke peeth piche kuch aur hi kehta hai aap ke baare mein, hypocrite hai wo usska yakeen mat kijiye aap. Wo to khud KHILAAF HAI hum donon se HE IS AGAINST ABHI”

Abhi ko aur ek jhatka laga ab!! Usska uljhan aur badh gaya.

*********************************************************

Abhi ko kuch lohe ko kaatna tha aur lohe Ruhi ke kitchen ke paas the. To Abhi gaya kaatne lohon ko. Ruhi aur usski maa ussko dekh rahe the. Abhi Ruhi se baat karte hue kaam kar raha tha. Ruhi kabhi uss se baat karti, kabhi muskuraati to kabhi chhup jaati.

Radio par “Aap ki Passand” program chal raha tha jiss mein famayish kiye gaanon ko bajwaate the channel wale. Ruhi ke kitchen mein radio baj raha tha jissko Ruhi sun rahi thi aur baahar Abhi bhi sunte hue kaam kar raha tha aur yeh gana chal raha tha, “Ey gulbadan phoolon ki mehek kaanton ki chubhan tujhe dekh ke kehta hai mera mann KAHIN AAJ KISSI SE MUHABAT NAH HO JAAYE” Ruhi uss gaane ko saat saath gaa rahi thi…. Aur ussne Abhi ko dekha, sharmaayi, muskuraayi aur chehra chhupa liya darwaze ke piche, to Abhi ne uss se kaha,

“haan tum khud sab kuch kahogi ab!” Abhi ka matlab gaane se tha ke Ruhi keh rahi thi “kahin aaj kissi se muhabat nah ho jaaye”

To Ruhi ne hansste hue Abhi se kaha,

“Main aap ke liye nahin gaa rahi thi!”

Abhi ne kaha,

“main ne iss gaane ko uss din gaya tha jiss din tumko pehli baar dekha tha yahan – “kahin aaj kissi se mubahat nah ho jaaye”

Tab Ruhi ne Abhi se kaha,

“I did not tell you to fall in love with me!”

Abhi ne jawaab diya,

“no one falls in love intentionally, IT JUST happens…. Pyar KIYA NAHIN JATA HO JATA HAI RUHI DEAR!”

Tab Ruhi ne hansste hue kaha,

“mujhe pata hai main aap se jeet nahin sakti aap bahot tez ho maanti hoon!”

Abhi ne kaha,

“aur kaun badnaseeb ladki hogi jo mujh jaise tez ladke ki patni nahin banna chahegi?!”

Ruhi: “Wo badnaseeb mere siwa kaun ho sakta hai?!”

Abhi: “jab main khud tumko khushnaseeb banana chahta hoon to tum kaise badnaseeb ho sakti ho Ruhi?”

Ruhi: “main ne kaha tha ek baar aap se ke mujhko yeh sab raas nahin ati, manhoos hoon main dekh lena hum kaamyaab nahin honge!”

Abhi: “Ruhi main bahot positive insaan hoon, I always expect the best to happen, I am very optimist always, buss tum saath dete rehna phir dekhna ke kaise kaamyaab nahin honge, buss tumhara saath chahiye, akela to fail hi ho jaunga, tum saath dogi to koyi humko alag nahin kar sakta Ruhi”

Ruhi ne tab apna sar niche jhuka liya. Aur kuch der wahin khadi rahi apni mummy ke saath Abhi ko dekhte hue.Tab Ruhi gayi apni chulhe par kuch paka rahi thi usse dekhne, aur udhar achanak Abhi ke ungli mein lag gayi hathode se….Abhi ne ek haath mein uss ghayal ungli ko zor se dabate hue dard se tadapne laga. Isssssshhhh karte hue…. To Ruhi ki maa ne kaha,

“Ruhi dekho dekho kia hua Abhi ko, uss waqt Ruhi ek pal ke liye chulhe par kuch karne gayi thi, to jaldi se Ruhi aayi aur jab Abhi ke ungli mein khoon dekha to kaha,

“kaha nah main manhoos hoon, mujhe yahan khada hona hi nahin chahiye tha aap ko disturb kar rahi hoon kaam karne se.”

Abhi ne uss ghayal ungli ko zor se apne dusre haath mein dabaya hua tha aur ab bhi ussko dard ho raha tha, ussne apne niche wale honth ko zor se apne daanton mein dabaya hua tha aur Ruhi ussko kuch iss tarah se dekh rahi thi jaise khud Ruhi ko dard ho rahi thi, aur Ruhi ne kaha,

“Aap uss ungli ko thande paani ke niche daalo to, tab tak main dawaa laati hoon uff!!”

Abhi ne bhunbhunaate hue kaha,

“kyun care kar rahi hai agar juda hona hai to, pyar nahin karti to kyun ussko dard ho raha hai mere liye? Ab kyun Mehboob se darr nahin lag raha usse? Ab kyun sab bhool gayi? Ab kaise mera itna khayal rakh rahi hai….?? Ruhi tum mujhse bahot pyar karti ho Ruhi…. Magar mujhe nahin pata kyun chhupaane ki koshish karne lagi ho kuch dinon se – kuch to baat hui hogi…..”

Yeh sab Abhi khud se kehta raha tab tak Ruhi aayi ek choti si sisi lekar jiss mein dawa tha ghav par lagaane ke liye.. Abhi niche baitha hua tha, to Ruhi ko bhi niche apne tangon par baithna pada Abhi ke saamne, aur Abhi ko uss ungli ko saamne karne ko kaha Ruhi ne…. jab Ruhi baithi to Abhi Ruhi ke tangon ko dekh raha tha apne ungli ko usske saamne karte hue, Ruhi ne dekha ke Abhi ki nazar usske dress ke niche gaye, aur apne honth ko Ruhi ne daanton mein dabaate hue kaha,

“Wo sab ab bool jao aap, aap ke kismat mein wo sab nahin tha shayad, aap ko mauka mila bhi tha magar aap ne uss mauke ko ganwaa diya…”

Aur Ruhi ne Abhi ke ghayal ungli par phoonka, dawa lagaane se pehle to Abhi usske chehre mein dekhte hue aankhon mein bhare hue aansoo se, dard bhari awaaz mein kaha,

“Ruhi mere kaleje mein bhi phook maar do nah yaar bahot dard ho raha hai wahan, nahin saha jata yaar…”

Ruhi ke aankhon se jhar jhar aansoo behne lage aur sar niche jhukaate hue apni nazron ko churaane lagi Abhi se to Abhi ne usska haath thaam kar ussko rokte hue kaha,

“batao abhi kaise mere itna karib baithi ho jabke wahan bus ke paas Mehboob khada dekh raha hai, iss waqt kyun tumko uss se darr nahin lag raha? Abhi kyun tumhein usska koyi khauff nahin hai?”

Ruhi wahin baithi rahi aur piche mudh kar apni maa ko ek baar dekha aur behte anssowon mein Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“Abhi, aap mujhe bhool jao please, aap ko bahot saare khubsurat ladkiyan mil jayenge, main aap ke liye sahi ladki nahin hoon…”

Yeh kehte hue Ruhi itna royi ke Abhi uss se ziada rone laga. Abhi se raha nah gaya aur Ruhi se lipatna chaha, magar thik jab Abhi ke baahein Ruhi ke taraf hua Ruhi ek kadam piche ho gayi aur kaha,

“Nahin Abhi yeh sahi nahin hai, apni ungli idhar karo main dawa laga doon…”

Abhi ke gaal par aansoo behne lage the, usske naak se paani nikal pade the aur ussi haal mein Abhi bola,

“Dil par bhi dawa laga do nah Ruhi wahan to iss se bhi ziada choat lagi hai mujhe…. Kia yaar agar mera dard nahin dekha gaya tumse, itni caring ho to kyun tumse mera dil ka dard nahin dikh raha? Care karti ho mera to dil ka bhi care karo nah Ruhi…”

Abhi ki rone ki awaaz nikal gayi, to Ruhi ne apne hatheli ko Abhi ke munh se lagaate hue kaha,

“sssshhhhh kia kar rahe ho aap sab log sun lenge, sssshhhh chhup ho jao nah”

Abhi ne Ruhi ke hatheli ko chum liya aur kaha,

“lagta hai ek zamana hua tumhare kissi ang ko apne honth se lagaaye hue…. Mujhe aise mat tadpao Ruhi, mujhko apne seene se lagalo nah Ruhi mujhko bahut araam milega, please Ruhi, tumhare jism ki khushbhoo ko ab khayaalon mein basaya hua hoon, ek baar apne jism ki khusbhoo lene do nah mujhe….”

Ruhi ne tab Abhi ke ungli par dawa lagaate hue kaha, aur rote hue hi kaha,

“main ne kaha nah ke aap mujhe bhool jao….”

Abhi rota raha , aansoo jaari rahe usske aankhon se, ruk ruk kar rote hue aur Ruhi ke chehre mein dekhte hue tutti awaaz mein kaha,

“To kyun mujhe kiss karne diya tha, kyun mujhko itne baar apne baahon mein bharne diya tha, kyun mujhko jeeb se chidhaati thi, kyun mujhse itne meethi meethi baatein karti thi, kyun mere seene par apna sar rakhti thi, kyun mere chest ke baal se khelti thi, aur kahun Ruhi? Aur bahot kuch keh sakta hoon…….”

Ruhi ki baari thi ab rone ki, sar jhukaaye rone lagi thi aur iss baar usski awaaz aayi rote hue tab tak Mehboob wahan agaya aur Ruhi se naraz hote hue kaha,

“Tamasha banana hai? Sab ko dikhana hai? Kia hua hai tum donon ko bachon ki tarah rone lage ho? Apne baap ko aane do phir apna tamasha banana, ya ghar ke andar jaa kar ro lo rona hai to, sabke saamne kyun tamasha bana rahi ho?!”

Ruhi filmon ki heroinon ki tarah uth kar bhaagte hue ghar ke andar chali gayi…..

Aur Mehboob ne Abhi se kaha,

“Abhi main ne tumse abhi kuch der pehle baat kiya nah? Usske pita se baat kar lena bhai kyun itna tamasha kar rahe ho sabke saamne tum?! Apne kaam par dhyan do bhai mujhe kal bus chalana hai, issko road par laana hai kal!”

Tab tak Sunil aur Tony wahan agaye the Abhi ko sambhaalne, magar Sunil ne jab Ruhi ki maa ko wahan kitchen mein dekha to uss se baat karne laga Ruhi aur Abhi ke baare mein.

Aur Tony Abhi ko legaya bus mein aur wo khud unn lohon ko kaatne chala gaya. Unn lohon se bus ke niche ek separate box bana ke weld karna tha kyunke ussko additional Mehboob ne lagaane ko kaha wahan kuch khaas rakhne ke liye. Weisa kaam shuru mein hota hai, bus finishing par tha phir bhi wo kaam kiya jaa raha tha jo pehle din kiya jata hai…. Abhi bus ke andar seat par baith kar rota raha kuch der, baaki ke saare log uss ke paas gaye puchne ke kia hua, Abhi bata nahin paa raha tha, George ne kaha,

“Ruhi ke father ko ane do hum sab uss se baat karenge”

Tab saeed ne George se kaha,

“are nahin George, hum log uss se nahin kar sakte koyi baat, hum baahar ke log hein, usske father ko eitraaz ho sakta hai….”

Abhi ne dekha ke Sunil ne Ruhi ki maa ke saath koyi 15 mins tak baat kiya, aur Sunil wapas bus mein aya to Abhi ne uss se pucha ke kia kaha usski mummy ne magar ab Sunil batana nahin chah raha tha….

Sunil aur Abhi ki itni achi dosti ho gayi thi, aur sunil ne kaha tha ke wo khud Abhi ke liye baat karega Ruhi ke parents se, to aisa kia keh diya tha Ruhi ki maa ne Sunil se ke ab Sunil Abhi ko batana nahin chah raha tha?

Abhi Sunil se kaam karte hue puchta gaya baar baar magar Sunil yehi jawaab deta ke usske aur Ruhi ke baare mein koyi baat nahin hui thi.

Abhi ko pata tha ke 15 mins tak sirf aur sirf Abhi aur Ruhi ke baare mein hi baat kiye the Sunil aur Ruhi ki maa ne magar Abhi nahin samajh raha tha ke ab Sunil kyun ussko nahin bata raha tha ke Ruhi ki maa ne kia kaha.

Abhi ne pucha,

“Sunil please bata nah kia usski maa ne yeh kaha ke ussko khabar mili ke main nikamma hoon, lazy hoon, kaam nahin karta hoon? Aisa kaha kia ussne? Ussne mujhse yeh sab keh diya hai aur main ne safaayi bhi de diya hai bata nah mere dost kia kaha usski mummy ne yaar!”

Sunil ne tab kaha,

“Dekh Abhi yaar, Ruhi ki father araha hai nah, tu uss se baat karna, yehi kaha usski maa ne mujhe ke baap decision lega, aur wo acha aadmi hai tu asaani se uss se baat kar lega mujhe yakeen hai.”

Abhi: “yaar Sunil 15 minats tak kia itna hi baat kiya ussne tumse? Kyun chhupa raha hai yaar bata nah? Tu yeh mat soch ke mera dil tut jaega, mujh par kia beetega, dil already churr churr ho chuka hai mere bhai tu bata nah kia kaha Ruhi ki maa ne mere aur Ruhi ke rishte ke baare mein? Yaar Ruhi bhi nahin bata rahi mujhko, ussne to mujhe ussko bhool jaane ko bhi keh diya yaar, to tu mat chhupa mujhse mere dost!”

Sunil: “Ruhi ne tujhko aisa kaha? Usse bhool jaane ko kaha? Abhi yeh ussne nahin kaha tujhe, uss se kehelwaya gaya hai!”

Abhi: “mujhe pata hai yaar Ruhi aisa nahin keh sakti to kaun hai jo Ruhi ko nacha raha ya rahi hai yaar? Kia usski maa ne Ruhi ko mujhse door kiya? Kia wohi nacha rahi hai Ruhi ko? Magar kyun yaar?!”

Sunil ne baat badalte hue phir kaha,

“Tu Ruhi ke pita se baat karna bhai sab zaroor thik ho jaega, fikar mat kar tu Abhi!”

Abhi laparwah ke jaise kaam karta gaya. Ussko lagta tha wo girr padega, ussko khud ko sambhaalne ki taaqat nahin thi…..

Kuch der baad Ruhi ki badi behen aur usski husband aaye, sab tayaar the Airport se Ruhi ke pita ko pick up karne ke liye. Aaj pehli baar Abhi ne Ruhi ki badi behen ko dekha tha. Wo bilkool bhi Ruhi jaisi nahin dikhti thi. Thodi khadus dikhi wo abhi ko. 2 chote bachon ki maa thi, thodi si moti thi aur naati thi, Ruhi se bhi kad mein chhoti thi. Abhi ko nahin pata tha kaun hein ussko Sunil ne bus mein kaha ke Ruhi ki badi behen arahi hai.

Jiss waqt wo aayi to andar Ruhi ro rahi thi kyunke wo Abhi se door hone ke baad ungli par dawa dene ke baad andar roti rahi, badi behen ko pata chala saare maajra to wo bhi aayi thi stairs par Abhi ko dekhne. Sunil ne Abhi se kaha,

“Dekh ussko sab pata chal gaya, ab wo bhi tumko dekhne aayi hai wo jaanna chahti hogi ke usska to-be brother-in-law kaun hai kaisa hai…..”

Aur wahan se bus mein utne saare log the to behen ko kaise pata chalta ke in sab mein se Abhi kaun hai, to ussne Sunil ko bulaya. Sunil gaya uss se baat karne stair ke paas aur wahan se Sunil ne Abhi ko ishara kiya bus ke baahar aane ko taake Ruhi ki behen ussko dekh sake….

Abhi bus se nikla aur kuch der baahar khada raha taake Ruhi ki behen ussko dekh sake… lagta tha Abhi ki numaayish kiya jaa raha tha!

Ab sochne ki baat hai ke Abhi uss waqt apne kaam karne wale gande kapdon mein tha, usska look ek gharib nauker jaisa dikh raha hoga…. Impress karne ke liye sirf Abhi ka height aur gora rang tha… to Ruhi ki sister ko beshak Abhi achah nahin dikha hoga aur usski raaye lena hota to wo 100% naah kehti yeh sure tha.

Kuch der baad Ruhi ki sister aur usski maa bus ke paas aaye the to Abhi ne Ruhi ki maa se pucha

“yeh aap ki beti hai!”

Ruhi ki maa ne muskuraate hue kaha,

“haan yehi hai Ruhi ki badi behen meri pehli beti”

To Abhi ne ussko sar jhukaate hue hello kiya

Ruhi ki maa ne usske saamne Abhi se kaha,

“Aur yeh cigarette bilkool chorrna hoga hamesha ke liye samjhe?”

Abhi ne kaha,

“Iss baare mein Ruhi se baat ho chuki hai aap fikar nah karein hamesha ke liye hi chor dunga, Ruhi se puch lena ke kab”

Abhi ko acha laga ke Ruhi ki maa ne jataate hue uss se wo baat kahi aur wo bhi Ruhi ki badi behen ke saamne, lag aisa raha tha uss waqt ke maa apni badi beti ko lekar apne naye hone wale jamaayi ko milaane aayi thi…. Wo Abhi ko bahot achcha laga…

Phir turant Manoj, Ruhi ki maa aur damaad chale gaye ek car mein airport se Ruhi ke pita ko pick up karne.

Ruhi, usski badi behen aur mahesh nahin gaye the… Abhi khush tha ke Ruhi nahin gayi aur wo ussko kuch der aur dekh paega agar wo saamne aayi to…. Chithi mein Abhi ne Ruhi se kaha tha ke apne pita ke wapas aane ki Khushi mein mujhko nah bhool jana…. Aur ab lag raha tha ke bilkool wohi hone jaa raha tha. sab wahan bahot thrilled the Ruhi ke pita ko receive karne ke liye, uss ghar mein kaafi hulchal tha uss waqt.

Ruhi ki dad shaam 6 baje ghar aaye. Sab ek ek karke uss se mil rahe the aangan mein hi….. Abhi Ruhi ko dekh raha tha ussko pata tha ke Ruhi royegi, aur wo apne pita ko sabke gale milte hue dekh kar khadi ro rahi thi, aur Abhi ussko dekhe jaa raha tha…..

Ruhi ke pita apne chote bhai, aur beton se gale mil raha tha, koyi ro raha tha to koyi usske peeth thapthapa raha tha, Mahesh rone laga uss se gale milne se, wo aakhri chhota beta jo tha… aur aayi baari Ruhi ki apne pita se gale milne ki to usske chand aansoo ke karte gire, Abhi ne socha sirf pita ke lautne ki vajah se ro rahi hai ya Abhi ko bhi yaad kar rahi hai , Abhi se juda hone ke ghum mein bhi ro rahi hai….. aur Abhi ne dekha Ruhi apne pita ke seene se lagi hui to thi magar kum se kum 7 baar Ruhi ki nazrein Abhi par gaye the uss dauraan….

To be continued…. (3829 words)
emotional drama suspense thrill rona khusi feeling sab kuch hai isme
jabardast update
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update 36 Eve Of The Last Day

Abhi ne socha sirf pita ke lautne ki vajah se ro rahi hai ya Abhi ko bhi yaad kar rahi hai , abhi se juda hone ke ghum mein bhi ro rahi hai….. aur Abhi ne dekha Ruhi apne pita ke seene se lagi hui to thi magar kum se kum 7 baar Ruhi ki nazrein Abhi par gaye the uss dauraan….

Ab aaguey….

Ruhi ka rona jaise rona nahin tha, Abhi ne socha ke agar wo Ruhi ki jagah hota to itna rota apne pita se 3 saal baad milne par ke rukta hi nahin, aur Ruhi ki uss tarah se rone se Abhi ko lag gaya ke Ruhi uss se bahut kum emotional hai, Abhi ruhi se bahut ziada emotional aur sentimental tha Abhi ne khud se kaha.. magar phir Abhi ne yaad kiya ke kitna royi thi uss in Ruhi jab Abhi ne ussko baahon mein bhada tha….. aur abhi kuch der pehle jab Mehboob ne danta tha donon ko tab kitna royi thi fut fut kar Abhi ke saath… to aaj pita se milne ke baad kyun wo nahin royi? Haan shayad bahot ro chuki thi kuch der pehle Abhi ke saath aur wapas ghar men bhag gayi to jaakar khub royi hogi, saare ansoo sukh gaye honge….

Aur thodi der baad jab Ruhi ke father ghar ke andar chala gaya to Abhi ne dekha ke Ruhi ussko dekh rahi hai terrace par khadi, usski badi behen usske saath thi. Abhi ne socha ab kaise usske paas khadi hai? Socha ke shaayad usski badi behen saath hai iss liye, Abhi ke paas aagayi hai…. Aur achanak Ruhi ki badi behen ne Abhi ko ishara kiya…. Abhi nahin samjha to pucha kia keh rahi hai to badi behen ne kaha ussko matlab Ruhi ko kuch kehna hai… Abhi bahot khush hua aur terrace par gaya puchne ke Ruhi kia keh rahi hai. Ruhi ne normal tarike se kaha,

“Aaj last din hai aap ka yahan ya kal phir ana hoga!”

Abhi ko ek baat yaad aayi aur kaha,

“kyun bala tal jaega agar mera ana end hua to?!”

Ruhi ne kaha,

“Aapne aaj tak uss baat ko dil se lagaya hua hai Abhi?”

Abhi ne ek gahri saans lete hue kaha,

“Tumhari kaun si baat ko main ne dil se nahin lagaya hai Ruhi? Kissi din tumko dikhaunga ya padhne ko dunga tab padh lena ke tumhare kiss kiss chiz ko main ne dil se lagaya hua hai”

Ruhi ki badi behen Abhi ko upar se niche dekh rahi thi bina muskurahat ke, bina kissi bhi feeling ya emotion ke, lagta tha wo samajhne ki koshish kar rahi hai ke Abhi sahi ladka hai ya nahin Ruhi ke liye. To Ruhi mudh kar apni badi behen ko dekhte hue uss se kaha,

“Dekha na di, aise hi baat karta hai, itna tez hai ke pucho mat, maa bhi innse kabhi nahin jeet sakti, he is too intelligent.”

To Abhi ne Ruhi se kaha,

“Achah thodi der mein tumhare papa se baat karne aunga, kaam end hone ke baad, wash kar lunga tab okay… tum sath dogi nah, kahin tumhare papa yeh nah samjhe ke mera pyar ek tarfa hai kaha tha nah main ne khat mein?!”

Ruhi pehle apni behen ko dekh kar muskuraayi, tab Abhi ko dekh kar hanssi, phir apne chehre par ek sikanjh late hue kaha,

“uff issi liye main puchne aayi ke aaj kaam end hoga ya nahin, no, Abhi mere papa se kuch nahin kehna hai, main nahin chahti ke aap uss se abhi kuch bhi kaho!”

Abhi puchne hi jaa raha tha ke kyun tab tak Ruhi ki badi behen ne Abhi se kaha,

“Wo abhi abhi aaye hein thake honge aur itni badi baat unn se kehna achah nahin lagega, kal aap baat kar lena!”

Abhi ne kaha,

“aur agar aaj kaam end ho gaya, to main kal sirf unn se milne ke liye aa sakta hoon nah?!”

Ruhi ne khud kaha,

yes of course aap aa sakte ho kiss ne mana kiya aap ko?!”

Abhi ne turant kaha,

“YAAD RAKHUNGA ISS BAAT KO”

Ruhi ne hanss diye tab Abhi ne phir kaha,

“Ab agle 24 hours ke beech tumhare papa ke kaan bhare jaa sakte hein mere khilaaf, to agar ussko accept bhi karna hota tab na karega, aur agar abhi iss se pehle ke usse koyi kuch kahe, main seedha jaa kar baat kar lun to bahut behtar hoga mere khayal se…”

Ruhi ki badi behen ne kaha,

“aap ne kia ghalat kiya hai jo koyi aap ke khilaaf kuch kahega? Kia aap ne koyi ghalat kaam kiya hai? Nahin nah? To kaun kuch bhi keh sakta hai mere papa ko aap ke khilaaf?!”

Abhi ne kuch nahin kaha tab tak Tony ne Abhi ko help ke liye bulaya to ussko jaana pada aur donon andar chale gaye.

Magar Abhi ko sahi nahin lag raha tha ke kal tak baat ko roke, wo Ruhi ke father se issi waqt baat karna chahta tha, iss liye kuch der baad Ruhi ki maa dikhi to Abhi uss se puchne gaya aur kaha,

“main ab ata hoon Ruhi ke papa se baat karne aaun kia?!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Are hum log Ruhi ki nani ke yahan jaa rahe hein wo bimaar hai nah, Ruhi ke papa ussko dekhne jaa rahe hein abhi issi waqt.”

Raat 7.30 ko extention electric wire mein bulb lagaa kar kaam kar rahe the Abhi aur team. Sab samajh rahe the ke raat ke barah baje tak sab kaam end ho jayenge iss liye complete karna chahte the. Ye pehli baar tha ke itna der raat ko bhi kaam jaari tha bus mein. Aur Abhi ne dekha ke Ruhi ka baap aur baaki ke log jaa rahe hein usske nani ke ghar car mein. Ruhi bhi jaa rahi thi. Ussne ek nayi dress pehni thi jissko aaj pehli baar Abhi dekh raha tha, iss se pehle Ruhi ne kabhi nahin pehni thi wo dress. Kamaal ki khubsurat dikh rahi thi, kayamat lag rahi thi aur Abhi paagal hone laga tha ussko uss tarah dekh kar…. Ruhi ne jaate jaate kayi baar Abhi ke taraf dekha, varna ussko pata tha shayad ke Abhi baad mein kehta ke tumne jaate hue mujhko ek nazar bhi nahin dekha. Abhi bhi ussi ko ghurre jaa raha tha, phir zor se Abhi “pyar karte hein hum tumhein itna” whistle karne laga.

Phir bus ke andar Manoj paint kar raha tha chhote chhote jagahon par ek paint brush se. Sunil ne ussko wo karne ko kaha tha, jiss jiss jagah par air holes jo ceilings mein hota hai, Abhi fix kar raha tha, sabhi unn jagahon ke niche Manoj paint kar raha tha, iss liye Manoj aur Abhi ek saath kaam kar rahe the. Itni jaldi thi sab kuch finish karne ke liye family ke saare log help kar rahe the…To Abhi ne Manoj se pucha,

“tum apne nani ko dekhne nahin gaye?”

Manoj ne muskuraate hue kaha,

“nahin main nahin gaya, meri maa, papa aur behen gaye…”

Jab ‘behen’ word kaha Manoj ne to hansste hue Abhi ke chehre mein dekha tab kaha, “Ruhi gayi hai saath”

Abhi ne muskurate hue socha,

“saale ko pata hai ke main Ruhi ko chahta hoon issi liye hanss kar Ruhi ka naam alag se liya behen kehne ke baad”

Tab Abhi ne pucha,

“kaafi door gaye hein nah? bahut late wapas ayenge nah?”

Manoj ne phir hansste hue kaha,

“nahin ziada late nahin ayenge, tum yahin honge, unn se mil paoge, weh log wapas ajayenge dekh lena…”

Abhi ko pakka yakeen ho gaya ke Manoj ko sab kuch pata hai Ruhi aur usske baare mein.

Aur Manoj ne yeh bhi kaha Abhi se,

“main ne baaki ke rolls develop karne ko de diya hai, kal photos mil jaenge wo tumko de dunga kal hi, okay, aur akhri ekaat pics jo lunga road par wo phir kabhi kissi tarah tum tak pahuncha dunga.”

Dinner Mehboob ke ghar kiya Abhi aur team ne. Aur raat ko kaam jaari raha bus mein. Abhi pray karne laga ke Ruhi wapas aajaye Abhi ke wapas jaane se pehle…. Raat ko aaj tak kabhi kaam nahin kiya tha uss aangan mein Abhi ne…. Aur mahaul kuch aisa tha ke Abhi ko wo raat yaad ane lagi jiss raat ko wo Ruhi ke ghar par ruka tha…. iss aangan mein iss bus ke piche kiss kiye the donon ne eisi hi raat ke andhere mein…. Wohi fiza thi, wohi khusbhoo thi baahar ke hawaaon mein, aur Abhi ko Ruhi ki baahon ki khushbhoo yaad aayi, usski jakar mein jo komalta tha wo yaad aya, kiss tarah uss raat ko Ruhi ne kapde change kiye the usske samne wo yaad aya Abhi ko aur wo tadapne laga Ruhi ke liye…..

Abhi Ruhi ko dekhna chahta tha, ussko baahon mein phir bharne ki chaah jagi Abhi ke andar, usska dil Ruhi ko yaad karne laga aur Abhi ne asmaan ke taraf sar utha kar kaha,

“Ey upar waale, ey zameen aasmaan banana wale, ey chand sitaare banaane wale, bhej de meri Ruhi ko mera paas, mera dil machalne laga hai ussko dekhne ke liye”

Duah turant kubool hui aur car ne aangan mein entry li, Ruhi car se utri apne parents ke saath. Raat ke 10.30 hue the. Car thik Abhi ke bagal mein ruki, aur jiss jagah Ruhi ko car se utarna tha wo thik Abhi ke side mein tha…. kyunke Andhera tha, kissi ko dikhta nahin to Abhi ne Ruhi ka haath pakar liya…. Ruhi chhuraane ki koshish kar rahi thi magar Abhi chorr nahin raha tha iss liye Ruhi ko khamosh wahi khada rehna pada varna koyi bhi dekh leta ke wo Abhi ke haath se apna haath chhura rahi hai, magar yeh sirf koyi 15 seconds tak hua kyunke tab tak usski maa bhi car se nikli aur Abhi ko Ruhi ka haath chorrna pada….

Assal mein Abhi ne socha tha sabke saamne Ruhi ko apne baahon mein kasske bhar lene ko, sabke saamne, Mehboob ke, usski maa ke, Ruhi ke pita ke, Manoj ke, Mahesh ke, Ruhi ki behen aur behnoy ke saamne Ruhi ko kaske apne bahon bharkar eylaan karne ko ke wo Ruhi se beinteha pyar karta hai aur aaj issi waqt usske pita se usska haath mangta hai shaadi ke liye…. Abhi ek vision jaise kar raha tha, jaise filmon mein flashback aate hai nah, weise Abhi khud uss scene ko apne khayaalon mein dekh raha tha uss waqt Ruhi ka haath chorrne ke baad.

Aur jab Ruhi ka haath chorr diya Abhi ne, tab tak usski maa nikli car se, Ruhi ne apni kalaayi massalte hue Abhi ko teerchi nazar se dekha aur ussko jeeb se chidhaate hue ghar ke taraf jaane lagi, aur Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Abhi itna late kaam kar rahe ho aaj? Finish nahin hua kia?”

Abhi ne jawaab diya,

“haan dekha nah raat ke 11 bajne ko hai aur kaam kar raha hoon aur pata nahin kaun aap ke kaan bhar rahe hein ke main nikkamma hoon… nahin finish nahin hua lagta hai kal bhi ana padega, aur kal pakka LAST day hoga iss bus mein kaam ki!!”

Abhi ko to bahot Khushi ho rahi tha ke ussko aur ana padega us aangan mein kaam karne ko kal bhi.

Ruhi ki maa ne terrace par rukte hue Abhi ko haath ke ishare se bulaya, wo gaya uss se baat karne aur bus ke andar se Manoj apni maa ko Abhi se baat karte hue dekh kar hanss raha tha, aur Ruhi lounge mein kadhi dekh rahi thi ab tak apne kalaayi ko massalte hue jahan Abhi ne zor se ussko pakra tha jab wo car se nikli thi to, aur Abhi ko ishaare se dikha rahi thi ke Abhi ke panje ka nishaan ban gaya hai Ruhi ki kalaayi par, Ruhi ne munh banaate hue apni kalaayi Abhi ko dikhaya aur jaise apne nazron se keh rahi thi, “dekho tumne mere kalaayi par nishaan bana diya apne panje ka, kitna zor ke pakra tha meri kalaayi ko!”

Aur Ruhi ki maa ne Abhi se kaha,

“Abhi mujhe afsos hai ke main tumko NAH kehti hoon ab Ruhi ke liye final word hai NO!”

Abhi ki awaaz nahin nikli…. Wo khamosh raha aur Ruhi ko dekhta raha lounge mein, full lights the Ruhi par, chamak rahi thi apni nayi dress mein, chehre par jaise ek noor thi Ruhi ke, aur Abhi uskso dekhte hue soch raaha tha ke kia yeh hoor, yeh pari meri nahin hogi? Aisa ho nahin sakta, kal to isske papa se main baat karke hi rahunga chahe kuch bhi ho jaaye.”

Kaam jaari raha raat ke 00.30 tak. Abhi raat ko bhi Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha, aur apne gaane ki tune ki seeti baja raha tha, iss umeed se ke Ruhi soyi nahin hogi, iss liye ke wo iss waqt tak kaam raha the aur Ruhi sunein aur baahar aakar ussko dekhe….. magar wo to sapnon mein Abhi ko seeti bajaate hue dekh rahi hogi uss waqt.

Subha ke 1 baje Abhi aur team ko ek car ghar wapas chorrne gaya, car ko Mehboob ne rent kiya tha.

Subha 3 baje tak Abhi ne sab kuch likha apne diary mein aur last line ko bold mein yeh likh kkar diary ko band kiya,

“TOMORROW IS THE LAST DAY I WILL WORK THERE. I HOPE TO COME BACK HERE TOMORROW AND WRITE THAT RUHI’S PARENTS ACCEPTED AND NOW RUHI IS MINE.”

To be continued….
Fantastic update sir
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
From the last few updates, Abhi's way of doing "Andaaz-e-Bian" talking to Ruhi is awesome and very cute. Ruhi is right to say that her father has just returned from such a long journey, it would not be right to talk at this time and Abhi should also have some patience, so haste is not right. Everyone knows about Ruhi and Abhi's love story, apart from Ruhi's father, I am afraid of what will happen when Abhi comes to talk to Ruhi's father. Abhi is remembering the beautiful moment spent with Ruhi. I was shocked to hear Roohi's mother's answer, first she was ready, what happened suddenly or is it a thoughtful move. There is so much power in love that no one will be able to separate Ruhi and Abhi. Now just waiting for the last day.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart:
:heart:
 
abhi ko ruhi ke papa se aaj hi baat kr leni chahiye thi aur ruhi ki maa ne aisa no kyu kha kya ruhi abhi ki nahi hogi kya ruhi ke papa abhi ko swikar karega dekhte hai aakhri din kya hota hai jab abhi finally ruhi ke papa se baat karega
nice update
 
Top