• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 35 Ruhi’s Father Comes Back

“Wo V kiss ne kiya tere saath?”

Ruhi ne jaate jaate jawaab mein yeh kaha Abhi ko,

“nahin, main to kabhi nahin bataungi, magar aap ho sake to khud pata laga lena!”

Aur Ruhi chali gayi.

Abhi sochne laga ke kyun Ruhi ne ussko khud pata lagaane ko kaha ke kissne usski virginity li hai? Abhi kaise pata laga paega?

Aur Abhi ne yeh bhi socha ke Ruhi kyun Mehboob se itna darrti hai? Kyun? Mehboob ne kuch kiya hoga? Kuch kaha hoga Abhi ke khilaaf? Kia Mehboob ne Ruhi ko Abhi se milne aur baat karne ke liye mana kiya hai? To iss liye, Abhi ne Mehboob se baat karne ko decide kiya. Aur wo gaya uss se Ruhi ke baare mein baat karne ek mard ke bache ki tarah.

Abhi ne socha jab Mehboob se 75 hazaar ke badle 3 laakh nikalwa sakta hai to kaun si badi baat hai uss se Ruhi ke baare mein baat karne ko. Yeh mardaangi wala baat hamesha tha Abhi mein, wo darrta to bilkool nahin tha kissi se bhi jahan mardon wali baa ata tha to, to be jhijhak wo gaya aur Mehboob se kaha,

“Mehboob bhai, aap Ruhi ke chacha lagte ho nah? haan pata hai usske pita aap ke liye bhai se badhkar hai aur usski ghair haziri mein Ruhi aap ki beti jaisi hai aur aap ka haq banta hai usski dekh bhaal karna. To uss haysiyat se usske pita nahin hai to aap usske pita jaise hue hai nah?!”

Mehboob ko to sab pata tha ke Abhi uss se kia kehne wala hai, aur usne buss haan mein sar hillaate hue Abhi se kaha,

“haan Abhi sahi keh rahe ho wo meri beti se badhkar hai, aur mujhe yeh bhi pata hai ke tum mujhse kia kehne aaye ho”

Aur yeh kehkar Mehboob hanssne laga aur Abhi ke kandhe par haath rakh kar araam se kaha,

“Bolo Abhi kia kehna hai, darro mat bolo!”

Abhi: “Darta to main bilkool bhi nahin Mehboob bhai, aap se phir yeh kehna hai ke main jald hi aap ka rishtedaar banne wala hoon, aap ko pata chal gaya hoga ke main Ruhi ki baat kar raha hoon!”

Mehboob ne muskuraate hue kaha,

“kyun nahin Abhi insha Allah, kyun nahin, mujhe pata tha tum yehi kehne aaye ho, magar aaj Ruhi ke pita araha hai nah to ussi se yeh baat kehna bahut behtar hoga hai nah?!”

Abhi: “haan Mehboob bhai uss se bhi baat karunga zaroor, magar wo to itne dinon se yahan tha nahin to ussko kuch nahin pata par aap ko to sab pata hai nah? Itne dinon se sab aap ke aankhon ke saamne to ho raha hai nah, to iss liye mujhe aap ki madad ki zaroorat padegi Mehboob bhai!”

Mehboob: “Haan thik hai magar kaisa madad Abhi?”

Abhi: “are bhai Ruhi ke pita ko nahin pata ke pichle der mahinon se main aur Ruhi ek dusre se pyar karte hein, aap ko to pata hai. To aap ko Ruhi ke pita se kehna hoga ke haan donon ek dusre ko chahte hein Rishta kar deni chahiye donon ke; itna to kar sakte ho nah bhai?!”

Mehboob muskuraate hue Abhi ko sun raha tha aur kaha,

“Bahut dum hai tujh mein Abhi, khud apne shaadi ki baat kar rahe ho? Wah. Magar mere nazar se iss baat ko dekho aur samjho Abhi, Ruhi ke pita ne mujh par ek zimedaari chorr ke gaya tha ke main usske bachon ka khayal rakhun hai nah? To jab main uss se kahunga ke der mahine tak tum mere liye kaam karte hue usski beti ke saath ishk kar raha tha to wo kia sochega mere baare mein? Kahega nah ke main ne yeh kiss tarah ka khayal rakah usski beti ka?!”

Abhi ne kaha,

“are bhai ghalat track par kyun leja rahe ho baat ko? Sahi tarike se sirf hum donon ko support to kar sakte ho bhai yeh kehte hue ke in der mahinon mein yahan kaam karte hue mujhe pyar ho gaya Ruhi se aur ussko mujhse, to main ne Ruhi ka haath manga shaadi ke liye, itna to kar sakte ho nah aap Mehboob bhai?!”

Meboob: “Abhi yehi baat tumne mujhko pehle kyun nahin bataya? Kyun der mahine tak chhupaya tumne mujhse? Pehle keh diya hota, 1 mahine pehle, keh dete mujhe to mujhe pata hota pehle se, shaayad main phone karke ussko bata chuka hota.. kyun tumne aaj hi ka din chuna mujhe yeh baat bataane ke liye Abhi?”

Abhi: “Bhai mujhe pata tha ke aap ko iss baat ka already pata hai issi liye kuch nahin bataya, balke main to soch raha tha ke kissi din aap mujhse iss baare mein sawaal karoge…. Ab aaj ya kal aakhri din hai yahan kaam karne ka iss liye ab bata raha hoon aap ko, iss mein kia hai bhai itna to batao nah ke mera support kar sakoge nah Mehboob bhai?”

Mehboob: “okay thik hai support to karna parega, aur koyi raasta chorra hi nahin tumne… aur haan tumhare gharwalon ka bhi pata lagana hai nah humko ab?”

Abhi:”haan bhai, pehle Ruhi ke pita se baat karlun tab apne parents ke saath aunga Ruhi ka haath maangne, tab mangni vaghaira ko milkar decide karenge thik rahega nah bhai?!”

Mehboob ne muskuraate hue aur Saeed ke taraf dekhte hue haan kaha Abhi ko.

Tony aur Sunil ne sab suna aur jaldi se Abhi ko aakar haath milaate hue congrats kiye.

Abhi ko ek umeed ki kiran nazar aayi aur thoda khush feel kiya ke at least ab wo kaamyaab hone jaa raha hai.

Aur wo gaya Ruhi ko bataane ke ussne Mehbob se baat kar liye aur ussne okay keh diya hai.

Jab Abhi ne sab Ruhi ko bataya to Ruhi ne kaha,

“Wo sirf aap se aise baat karta hai aap ke peeth piche kuch aur hi kehta hai aap ke baare mein, hypocrite hai wo usska yakeen mat kijiye aap. Wo to khud KHILAAF HAI hum donon se HE IS AGAINST ABHI”

Abhi ko aur ek jhatka laga ab!! Usska uljhan aur badh gaya.

*********************************************************

Abhi ko kuch lohe ko kaatna tha aur lohe Ruhi ke kitchen ke paas the. To Abhi gaya kaatne lohon ko. Ruhi aur usski maa ussko dekh rahe the. Abhi Ruhi se baat karte hue kaam kar raha tha. Ruhi kabhi uss se baat karti, kabhi muskuraati to kabhi chhup jaati.

Radio par “Aap ki Passand” program chal raha tha jiss mein famayish kiye gaanon ko bajwaate the channel wale. Ruhi ke kitchen mein radio baj raha tha jissko Ruhi sun rahi thi aur baahar Abhi bhi sunte hue kaam kar raha tha aur yeh gana chal raha tha, “Ey gulbadan phoolon ki mehek kaanton ki chubhan tujhe dekh ke kehta hai mera mann KAHIN AAJ KISSI SE MUHABAT NAH HO JAAYE” Ruhi uss gaane ko saat saath gaa rahi thi…. Aur ussne Abhi ko dekha, sharmaayi, muskuraayi aur chehra chhupa liya darwaze ke piche, to Abhi ne uss se kaha,

“haan tum khud sab kuch kahogi ab!” Abhi ka matlab gaane se tha ke Ruhi keh rahi thi “kahin aaj kissi se muhabat nah ho jaaye”

To Ruhi ne hansste hue Abhi se kaha,

“Main aap ke liye nahin gaa rahi thi!”

Abhi ne kaha,

“main ne iss gaane ko uss din gaya tha jiss din tumko pehli baar dekha tha yahan – “kahin aaj kissi se mubahat nah ho jaaye”

Tab Ruhi ne Abhi se kaha,

“I did not tell you to fall in love with me!”

Abhi ne jawaab diya,

“no one falls in love intentionally, IT JUST happens…. Pyar KIYA NAHIN JATA HO JATA HAI RUHI DEAR!”

Tab Ruhi ne hansste hue kaha,

“mujhe pata hai main aap se jeet nahin sakti aap bahot tez ho maanti hoon!”

Abhi ne kaha,

“aur kaun badnaseeb ladki hogi jo mujh jaise tez ladke ki patni nahin banna chahegi?!”

Ruhi: “Wo badnaseeb mere siwa kaun ho sakta hai?!”

Abhi: “jab main khud tumko khushnaseeb banana chahta hoon to tum kaise badnaseeb ho sakti ho Ruhi?”

Ruhi: “main ne kaha tha ek baar aap se ke mujhko yeh sab raas nahin ati, manhoos hoon main dekh lena hum kaamyaab nahin honge!”

Abhi: “Ruhi main bahot positive insaan hoon, I always expect the best to happen, I am very optimist always, buss tum saath dete rehna phir dekhna ke kaise kaamyaab nahin honge, buss tumhara saath chahiye, akela to fail hi ho jaunga, tum saath dogi to koyi humko alag nahin kar sakta Ruhi”

Ruhi ne tab apna sar niche jhuka liya. Aur kuch der wahin khadi rahi apni mummy ke saath Abhi ko dekhte hue.Tab Ruhi gayi apni chulhe par kuch paka rahi thi usse dekhne, aur udhar achanak Abhi ke ungli mein lag gayi hathode se….Abhi ne ek haath mein uss ghayal ungli ko zor se dabate hue dard se tadapne laga. Isssssshhhh karte hue…. To Ruhi ki maa ne kaha,

“Ruhi dekho dekho kia hua Abhi ko, uss waqt Ruhi ek pal ke liye chulhe par kuch karne gayi thi, to jaldi se Ruhi aayi aur jab Abhi ke ungli mein khoon dekha to kaha,

“kaha nah main manhoos hoon, mujhe yahan khada hona hi nahin chahiye tha aap ko disturb kar rahi hoon kaam karne se.”

Abhi ne uss ghayal ungli ko zor se apne dusre haath mein dabaya hua tha aur ab bhi ussko dard ho raha tha, ussne apne niche wale honth ko zor se apne daanton mein dabaya hua tha aur Ruhi ussko kuch iss tarah se dekh rahi thi jaise khud Ruhi ko dard ho rahi thi, aur Ruhi ne kaha,

“Aap uss ungli ko thande paani ke niche daalo to, tab tak main dawaa laati hoon uff!!”

Abhi ne bhunbhunaate hue kaha,

“kyun care kar rahi hai agar juda hona hai to, pyar nahin karti to kyun ussko dard ho raha hai mere liye? Ab kyun Mehboob se darr nahin lag raha usse? Ab kyun sab bhool gayi? Ab kaise mera itna khayal rakh rahi hai….?? Ruhi tum mujhse bahot pyar karti ho Ruhi…. Magar mujhe nahin pata kyun chhupaane ki koshish karne lagi ho kuch dinon se – kuch to baat hui hogi…..”

Yeh sab Abhi khud se kehta raha tab tak Ruhi aayi ek choti si sisi lekar jiss mein dawa tha ghav par lagaane ke liye.. Abhi niche baitha hua tha, to Ruhi ko bhi niche apne tangon par baithna pada Abhi ke saamne, aur Abhi ko uss ungli ko saamne karne ko kaha Ruhi ne…. jab Ruhi baithi to Abhi Ruhi ke tangon ko dekh raha tha apne ungli ko usske saamne karte hue, Ruhi ne dekha ke Abhi ki nazar usske dress ke niche gaye, aur apne honth ko Ruhi ne daanton mein dabaate hue kaha,

“Wo sab ab bool jao aap, aap ke kismat mein wo sab nahin tha shayad, aap ko mauka mila bhi tha magar aap ne uss mauke ko ganwaa diya…”

Aur Ruhi ne Abhi ke ghayal ungli par phoonka, dawa lagaane se pehle to Abhi usske chehre mein dekhte hue aankhon mein bhare hue aansoo se, dard bhari awaaz mein kaha,

“Ruhi mere kaleje mein bhi phook maar do nah yaar bahot dard ho raha hai wahan, nahin saha jata yaar…”

Ruhi ke aankhon se jhar jhar aansoo behne lage aur sar niche jhukaate hue apni nazron ko churaane lagi Abhi se to Abhi ne usska haath thaam kar ussko rokte hue kaha,

“batao abhi kaise mere itna karib baithi ho jabke wahan bus ke paas Mehboob khada dekh raha hai, iss waqt kyun tumko uss se darr nahin lag raha? Abhi kyun tumhein usska koyi khauff nahin hai?”

Ruhi wahin baithi rahi aur piche mudh kar apni maa ko ek baar dekha aur behte anssowon mein Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“Abhi, aap mujhe bhool jao please, aap ko bahot saare khubsurat ladkiyan mil jayenge, main aap ke liye sahi ladki nahin hoon…”

Yeh kehte hue Ruhi itna royi ke Abhi uss se ziada rone laga. Abhi se raha nah gaya aur Ruhi se lipatna chaha, magar thik jab Abhi ke baahein Ruhi ke taraf hua Ruhi ek kadam piche ho gayi aur kaha,

“Nahin Abhi yeh sahi nahin hai, apni ungli idhar karo main dawa laga doon…”

Abhi ke gaal par aansoo behne lage the, usske naak se paani nikal pade the aur ussi haal mein Abhi bola,

“Dil par bhi dawa laga do nah Ruhi wahan to iss se bhi ziada choat lagi hai mujhe…. Kia yaar agar mera dard nahin dekha gaya tumse, itni caring ho to kyun tumse mera dil ka dard nahin dikh raha? Care karti ho mera to dil ka bhi care karo nah Ruhi…”

Abhi ki rone ki awaaz nikal gayi, to Ruhi ne apne hatheli ko Abhi ke munh se lagaate hue kaha,

“sssshhhhh kia kar rahe ho aap sab log sun lenge, sssshhhh chhup ho jao nah”

Abhi ne Ruhi ke hatheli ko chum liya aur kaha,

“lagta hai ek zamana hua tumhare kissi ang ko apne honth se lagaaye hue…. Mujhe aise mat tadpao Ruhi, mujhko apne seene se lagalo nah Ruhi mujhko bahut araam milega, please Ruhi, tumhare jism ki khushbhoo ko ab khayaalon mein basaya hua hoon, ek baar apne jism ki khusbhoo lene do nah mujhe….”

Ruhi ne tab Abhi ke ungli par dawa lagaate hue kaha, aur rote hue hi kaha,

“main ne kaha nah ke aap mujhe bhool jao….”

Abhi rota raha , aansoo jaari rahe usske aankhon se, ruk ruk kar rote hue aur Ruhi ke chehre mein dekhte hue tutti awaaz mein kaha,

“To kyun mujhe kiss karne diya tha, kyun mujhko itne baar apne baahon mein bharne diya tha, kyun mujhko jeeb se chidhaati thi, kyun mujhse itne meethi meethi baatein karti thi, kyun mere seene par apna sar rakhti thi, kyun mere chest ke baal se khelti thi, aur kahun Ruhi? Aur bahot kuch keh sakta hoon…….”

Ruhi ki baari thi ab rone ki, sar jhukaaye rone lagi thi aur iss baar usski awaaz aayi rote hue tab tak Mehboob wahan agaya aur Ruhi se naraz hote hue kaha,

“Tamasha banana hai? Sab ko dikhana hai? Kia hua hai tum donon ko bachon ki tarah rone lage ho? Apne baap ko aane do phir apna tamasha banana, ya ghar ke andar jaa kar ro lo rona hai to, sabke saamne kyun tamasha bana rahi ho?!”

Ruhi filmon ki heroinon ki tarah uth kar bhaagte hue ghar ke andar chali gayi…..

Aur Mehboob ne Abhi se kaha,

“Abhi main ne tumse abhi kuch der pehle baat kiya nah? Usske pita se baat kar lena bhai kyun itna tamasha kar rahe ho sabke saamne tum?! Apne kaam par dhyan do bhai mujhe kal bus chalana hai, issko road par laana hai kal!”

Tab tak Sunil aur Tony wahan agaye the Abhi ko sambhaalne, magar Sunil ne jab Ruhi ki maa ko wahan kitchen mein dekha to uss se baat karne laga Ruhi aur Abhi ke baare mein.

Aur Tony Abhi ko legaya bus mein aur wo khud unn lohon ko kaatne chala gaya. Unn lohon se bus ke niche ek separate box bana ke weld karna tha kyunke ussko additional Mehboob ne lagaane ko kaha wahan kuch khaas rakhne ke liye. Weisa kaam shuru mein hota hai, bus finishing par tha phir bhi wo kaam kiya jaa raha tha jo pehle din kiya jata hai…. Abhi bus ke andar seat par baith kar rota raha kuch der, baaki ke saare log uss ke paas gaye puchne ke kia hua, Abhi bata nahin paa raha tha, George ne kaha,

“Ruhi ke father ko ane do hum sab uss se baat karenge”

Tab saeed ne George se kaha,

“are nahin George, hum log uss se nahin kar sakte koyi baat, hum baahar ke log hein, usske father ko eitraaz ho sakta hai….”

Abhi ne dekha ke Sunil ne Ruhi ki maa ke saath koyi 15 mins tak baat kiya, aur Sunil wapas bus mein aya to Abhi ne uss se pucha ke kia kaha usski mummy ne magar ab Sunil batana nahin chah raha tha….

Sunil aur Abhi ki itni achi dosti ho gayi thi, aur sunil ne kaha tha ke wo khud Abhi ke liye baat karega Ruhi ke parents se, to aisa kia keh diya tha Ruhi ki maa ne Sunil se ke ab Sunil Abhi ko batana nahin chah raha tha?

Abhi Sunil se kaam karte hue puchta gaya baar baar magar Sunil yehi jawaab deta ke usske aur Ruhi ke baare mein koyi baat nahin hui thi.

Abhi ko pata tha ke 15 mins tak sirf aur sirf Abhi aur Ruhi ke baare mein hi baat kiye the Sunil aur Ruhi ki maa ne magar Abhi nahin samajh raha tha ke ab Sunil kyun ussko nahin bata raha tha ke Ruhi ki maa ne kia kaha.

Abhi ne pucha,

“Sunil please bata nah kia usski maa ne yeh kaha ke ussko khabar mili ke main nikamma hoon, lazy hoon, kaam nahin karta hoon? Aisa kaha kia ussne? Ussne mujhse yeh sab keh diya hai aur main ne safaayi bhi de diya hai bata nah mere dost kia kaha usski mummy ne yaar!”

Sunil ne tab kaha,

“Dekh Abhi yaar, Ruhi ki father araha hai nah, tu uss se baat karna, yehi kaha usski maa ne mujhe ke baap decision lega, aur wo acha aadmi hai tu asaani se uss se baat kar lega mujhe yakeen hai.”

Abhi: “yaar Sunil 15 minats tak kia itna hi baat kiya ussne tumse? Kyun chhupa raha hai yaar bata nah? Tu yeh mat soch ke mera dil tut jaega, mujh par kia beetega, dil already churr churr ho chuka hai mere bhai tu bata nah kia kaha Ruhi ki maa ne mere aur Ruhi ke rishte ke baare mein? Yaar Ruhi bhi nahin bata rahi mujhko, ussne to mujhe ussko bhool jaane ko bhi keh diya yaar, to tu mat chhupa mujhse mere dost!”

Sunil: “Ruhi ne tujhko aisa kaha? Usse bhool jaane ko kaha? Abhi yeh ussne nahin kaha tujhe, uss se kehelwaya gaya hai!”

Abhi: “mujhe pata hai yaar Ruhi aisa nahin keh sakti to kaun hai jo Ruhi ko nacha raha ya rahi hai yaar? Kia usski maa ne Ruhi ko mujhse door kiya? Kia wohi nacha rahi hai Ruhi ko? Magar kyun yaar?!”

Sunil ne baat badalte hue phir kaha,

“Tu Ruhi ke pita se baat karna bhai sab zaroor thik ho jaega, fikar mat kar tu Abhi!”

Abhi laparwah ke jaise kaam karta gaya. Ussko lagta tha wo girr padega, ussko khud ko sambhaalne ki taaqat nahin thi…..

Kuch der baad Ruhi ki badi behen aur usski husband aaye, sab tayaar the Airport se Ruhi ke pita ko pick up karne ke liye. Aaj pehli baar Abhi ne Ruhi ki badi behen ko dekha tha. Wo bilkool bhi Ruhi jaisi nahin dikhti thi. Thodi khadus dikhi wo abhi ko. 2 chote bachon ki maa thi, thodi si moti thi aur naati thi, Ruhi se bhi kad mein chhoti thi. Abhi ko nahin pata tha kaun hein ussko Sunil ne bus mein kaha ke Ruhi ki badi behen arahi hai.

Jiss waqt wo aayi to andar Ruhi ro rahi thi kyunke wo Abhi se door hone ke baad ungli par dawa dene ke baad andar roti rahi, badi behen ko pata chala saare maajra to wo bhi aayi thi stairs par Abhi ko dekhne. Sunil ne Abhi se kaha,

“Dekh ussko sab pata chal gaya, ab wo bhi tumko dekhne aayi hai wo jaanna chahti hogi ke usska to-be brother-in-law kaun hai kaisa hai…..”

Aur wahan se bus mein utne saare log the to behen ko kaise pata chalta ke in sab mein se Abhi kaun hai, to ussne Sunil ko bulaya. Sunil gaya uss se baat karne stair ke paas aur wahan se Sunil ne Abhi ko ishara kiya bus ke baahar aane ko taake Ruhi ki behen ussko dekh sake….

Abhi bus se nikla aur kuch der baahar khada raha taake Ruhi ki behen ussko dekh sake… lagta tha Abhi ki numaayish kiya jaa raha tha!

Ab sochne ki baat hai ke Abhi uss waqt apne kaam karne wale gande kapdon mein tha, usska look ek gharib nauker jaisa dikh raha hoga…. Impress karne ke liye sirf Abhi ka height aur gora rang tha… to Ruhi ki sister ko beshak Abhi achah nahin dikha hoga aur usski raaye lena hota to wo 100% naah kehti yeh sure tha.

Kuch der baad Ruhi ki sister aur usski maa bus ke paas aaye the to Abhi ne Ruhi ki maa se pucha

“yeh aap ki beti hai!”

Ruhi ki maa ne muskuraate hue kaha,

“haan yehi hai Ruhi ki badi behen meri pehli beti”

To Abhi ne ussko sar jhukaate hue hello kiya

Ruhi ki maa ne usske saamne Abhi se kaha,

“Aur yeh cigarette bilkool chorrna hoga hamesha ke liye samjhe?”

Abhi ne kaha,

“Iss baare mein Ruhi se baat ho chuki hai aap fikar nah karein hamesha ke liye hi chor dunga, Ruhi se puch lena ke kab”

Abhi ko acha laga ke Ruhi ki maa ne jataate hue uss se wo baat kahi aur wo bhi Ruhi ki badi behen ke saamne, lag aisa raha tha uss waqt ke maa apni badi beti ko lekar apne naye hone wale jamaayi ko milaane aayi thi…. Wo Abhi ko bahot achcha laga…

Phir turant Manoj, Ruhi ki maa aur damaad chale gaye ek car mein airport se Ruhi ke pita ko pick up karne.

Ruhi, usski badi behen aur mahesh nahin gaye the… Abhi khush tha ke Ruhi nahin gayi aur wo ussko kuch der aur dekh paega agar wo saamne aayi to…. Chithi mein Abhi ne Ruhi se kaha tha ke apne pita ke wapas aane ki Khushi mein mujhko nah bhool jana…. Aur ab lag raha tha ke bilkool wohi hone jaa raha tha. sab wahan bahot thrilled the Ruhi ke pita ko receive karne ke liye, uss ghar mein kaafi hulchal tha uss waqt.

Ruhi ki dad shaam 6 baje ghar aaye. Sab ek ek karke uss se mil rahe the aangan mein hi….. Abhi Ruhi ko dekh raha tha ussko pata tha ke Ruhi royegi, aur wo apne pita ko sabke gale milte hue dekh kar khadi ro rahi thi, aur Abhi ussko dekhe jaa raha tha…..

Ruhi ke pita apne chote bhai, aur beton se gale mil raha tha, koyi ro raha tha to koyi usske peeth thapthapa raha tha, Mahesh rone laga uss se gale milne se, wo aakhri chhota beta jo tha… aur aayi baari Ruhi ki apne pita se gale milne ki to usske chand aansoo ke karte gire, Abhi ne socha sirf pita ke lautne ki vajah se ro rahi hai ya Abhi ko bhi yaad kar rahi hai , Abhi se juda hone ke ghum mein bhi ro rahi hai….. aur Abhi ne dekha Ruhi apne pita ke seene se lagi hui to thi magar kum se kum 7 baar Ruhi ki nazrein Abhi par gaye the uss dauraan….

To be continued…. (3829 words)
 
Last edited:

Asif khan

Well-Known Member
6,212
18,511
188
Uffffff itna sad update bahi akhir q,

Read kerte waqt khud ko imagine kr raha tha
Us waqt Jo tees uthi dil mai Kia btao mere zakham hare kr diye ap ne casi bahi
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Nice and emotional update
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
wonderfull update pita ji aa gaye ruhi ke dekhte hain ab wo kya karte hain dono ki jindgi asaan karte ya tension banate
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
Ruhi has not answered any of Abhi's questions and instead confuses him, but it is very important for Abhi to know everything. Like Ruhi's father's brother, Mehboob is a friend and it is good to get his support in such a situation, but Ruhi is saying something else, now whom to trust. Ruhi says such a thing in the talk that I fall into thinking, like today he said "dekh lena hum kaamyaab nahin honge" . Questions arising in Abhi's mind are natural, his words reflect his pain and helplessness, I do not want to say that Ruhi is wrong but I cannot bear Abhi's pain. Hearing Abhi's words, my heart also cried, a strange heaviness seems. Ruhi's words prove that she also loves Abhi very much but then why all this is happening. Ruhi's sister and father are back. Bro, please fix everything if possible.
Today's update was very emotional and heart touching. Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
Top